• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ABHI - THE WARRIOR 2 (Completed)

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
52,994
173
Update - 25

Saamne Nebhru aur woh daitya ..Abhi k saamne khade the .....

Nebhru ne hi Abhi k paas vifot kiya tha jisse Darmen apne control room mein baitha dekh raha tha ....yeh Abhi k liye ek sanket tha ....

uss vifot se Abhi Nebhru ka samnket samaz gaya tha ......ab usse Arsalan bankar Nebhru ka saamna karna hoga ........kyuki woh jaanta tha k Ab Darmen yaha ka haal dekh raha hoga .....

Abhi - toh aa gaye tum ......Nebhru.....tumahari hi pratiksha thi .....wahi mein soch raha tha ...k yeh paap ki nagri basane wala kyu nahi aaya ........

Nebhru - parnam pitashri .....aaj itne varsho baad .....accha laga aapko jeevit dekhkar .....hum toh aapko mara hua samaz rahe the ......

Abhi - mat kaho muzhe Pitashri apne iss gande muh se ......tum mere putra kahlane yogya nahi ..ho ....Sharam ...nahi ...aayi aapne pita aur mata k saath vishwasghat karke .....uss Adrmen ka saath dekar ...tum iss rishte ko kho chuke ho ......
ab tayar ho jaao apna dand bhugatne k liye ....

Nebhru - itne varsho k baad aapko dekhkar mein toh bas aadar kar raha tha ...parantu lagta hai aapko ...yeh pasand nahi aaya .....chalo koi baat nahi .......parantu haa ab mein woh Nebhru nahi raha jo aapke ....ek aawaj se dar jaata tha .....

itna kahkar Nebru ek urja ka vaar Abhi par karta hai ....
jisse Abhi apni urja k vaar se rokta hai .......aur tezi se urja ka ek vaar uspar kar deta hai ....jo Nebhru ko lagta hai ....jisase woh piche ki or gir jaata hai ... ......

Abhi -itne aasani se nahi bacche .......tumahari koi shakti aaj Arsalan ka kuch nahi bigad sakti ......

Abhi ki yojna k anusar yaha Nebhru aur Abhi ka sangharsh aur .... Darmen ko dikhana tha .....Thodi der Abhi aur Nebhru ka dikhave ka yudh chalta raha ....

Abhi ki yojna ko poorna roop dene k liye ....Nebhru ne jab .....khadan mein pravesh kiya tab .....usski bhent yaha k aakhri bache hue mahadaitya se hui ...jo gupt roop se khadan k dakshini disha ...k jungal mein tainat tha ...aur yaha se uthrahe shor aur cheekh pukar ....se aakarshit hokar aaya tha ...........

yeh daitya ab unn sab daityo se jiska Abhi se saamna hua unn sabse jyada shaktishali aur mayavi tha ....

Nebhru par vaar hote hue dekhkar woh maha daitya Abhi ki taraf apna vishal khadag lekar ...badha ......

Uss daitya ko aate hue dekhkar ....kaal ..uss taraf badha hi tha k Abhi ne usse rok liya .....Aur apne khajar se uss daitya par vaar kiya .....Abhi ka woh maarak khanjar teevra gati se se uss daitya ki taraf bada ...parantu koi adrishya kawach uski raksha kar raha tha ......woh khanjar uski seene se takrakar ...wapas Abhi k haath mein aagaya ....

uss daitya ne Badi tezi k saath Abhi par apne khadag se vaar kiya ......uska vaar Abhi ne apni talwar se roka aur usse piche dhakela .....jaise hi woh daitya thoda piche hata Abhi ne uchalkar apne dono pairo uske seene par vaar kiya ....jisase woh daitya piche ki or gira .....uske girte hi Abhi ....uske upar aake tabadtod uske jabde par ghuse barsane laga .....

uss daitya ne bhi apna pair modkar Abhi k pet par prahar karke upar ki or uchal diya ...Abhi bhi hawa mein kala baajiya khate hue ......uske saamne khada ho gaya .......tab tak woh bhi badi tezi se sambhal chuka tha .......

ussne Abhi par aagni ki urja se ka ek bada sa gola banakar vaar kiya .......woh aag ka gola itna bada tha k waha ka tapmaan badne laga .......Abhi ne bhi uska uttar dete hue .....Jal aur vayu tatva ka chakra vat pragat kiya jisne uss aag k gole ko sokhkar thanda kar diya .....aur ....apne chakro ki urja se uss daitya par vaar karne laga .....

woh daitya Abhi k har vaar ko rok raha tha .......Abhi ka koi bhi vaar uss daitya ko haani nahi pahuncha paa raha tha ......Eblis ki kaali shaktiyo ka kawach uski raksha kar raha tha ......

Uss daitya ne ab apni kaali shaktiyo ki urja ka ek bada sa gola banakar Abhi par vaar kiya ......Kaali shaktiyo ka woh gola Aakash mein sthit ho gaya aur usmein se rk baigani rang ki kiran niklkar Abhi se jaa takrayi ...woh kiran Abhi ki urja sokhne lagi ......

Tabhi Nebhru bola - muzhe dand dene aaye the na ab ...ant hoga aapka ....aur ..khush hoga mera maalik Darmen .....aap kaali shaktiyo ki nakaratmak urja ko nahi rok sakte ...

Abhi ko apne bhiter ki shaktiya bahar nikalti hui mehsus hone lagi .....lekin woh Nebhru ki baato mein chupe hue ishare ko ..samaz chuka tha .....usne turant apni marak shakti kaal ko apne bhiter samaya .....aur uski tamsik shakti ki....urja ko sakriya kiya .....jiske prabhav se kaali shaktiyo se bana woh gola nasht ho gaya .......

Abhi samaz chuka tha k yeh daitya bhi kaalishaktiyo k kawach se surakhit hai .....isse tamsik urja ki maarak shakti dwara hi bheda jaa sakta hai .....

Abhi tridevo k ansh se pragat hua tha ......issiliye tridevo ki teen guno ki shakti usmein nihit thi ....Kaal abhi ki maarak taamsik shaktiyo ka hi roop tha ....

Abhi ne kaal ko aur khanjar ki maarak urja dono ko apne talwar mein samahit kar diya .....aur uchalkar ek jordar vaar uss daitya k sar par kiya .....uss daitya ko cheekhne ka bhi awsar nahi mila aur ...woh talwar usse bich se chirti hui nikal gayi ...woh daitya dharashayi ho chuka tha ....

Uss daitya k marte hi Abhi ne Darmen ko dikhane k liye ......Nebhru par Apni urja se vaar kiya ....woh vaar ghatak toh nahi tha parantu dikhne mein .....bahut shaktsahli pratit ho raha tha ....

uske baad apne urja k paash mein band diya .....aur waha aur aagni tatva k prahar jordar dhamaka kiya .....jisase uss khandhar ka adhiktar bhag ...nasht ...ho gaya .....aur turant Nebru ko lekar khadan se bahar aagaya ......

Abhi ne Nebhru ko apne paash se mukt kiya ......Aur Nebhru bhi Abhi ko lekar waha se teleport hokar ....uss jagah pahuncha jaha ...2000 bandiyo k saath ...woh baune Abhi ka intejar kar rahe the ........

itne saare logo ko ek saath waha se nikalne k liye Nebhru ko apni poori urja k saath prakash dwar ka nirman karna pada .....Jisase Abhi ne unn saare bauno aur ...logo ko waha se ...nikal diya ......

Abhi - ( Nebhru ko ) aap bhi chaliye ab ....aapka yaha rahna thik nahi hai ......

Nebhru - abhi nahi .....tum shighra yaha se niklo ....Darmen chup nahi baithega woh kissi bhi samay yaha aasakta hai ......

Nebru k bahut samzhane par Abhi uss prakash dwar mein pravesh kar gaya .....Poori urja k kharch hone k kaaran Nebhru waha behosh hogaya .......

yaha Darmen jab khadan ka haal apne screen par dekh raha tha ...toh usse poora vishwas tha k Arsalan uss mayavi daitya aur Nebhru ka ek saath saamna nahi kar sakta .......

parantu jab woh daitya maara gaya ...aur Abhi k dikhave k vaar se Nebhru achet ho gaya ......Tab usne khud Arsalan ka saamna karne ka socha ......aur woh waha se ek portal banakar ....usmein pravesh kargaya aur khadan mein aagaya ....

teleport hokar jaane mein aur portal ka prayog karne mein antar hota hai ......jaha teleport se ek hi pal mein vyakti apne man chahi jagah pahunchta tha ...wahi ...portal ...k prayog ...jagah ki doori k hisab se samay lagata hai ....

Darmen iss samay ....Egypt mein tha ....portal k dwara woh jab tak yaha pahuncha tha tab tak Abhi sabko lekar nikal chuka tha .....

Darmen jab khadan pahuncha ....jo khadan ki aisi haalat dekhkar ek baar toh woh bhi kaanp gaya .....charo taraf uske sainiko aur daityo k tukde aur khoon ....ek ka bhi sharir sahi salamat nahi tha .....sabko bade nirmamta k saath maara gaya ...tha ....

Darmen ne poori khadan mein ghumkar Nebhru ko dhunda ......dhundte hue woh khadan k gupt marg tak pahuncha .....uss surag se woh aage bada aur jab woh surang se bahar aaya ..toh usse waha Nebhru achet awastha mein mila ......jo poorna urja k prayog k kaaran achet hua tha .....aur Darmen ne socha k Arsalan k vaar k kaaran uski aisi haalat hui hai ....woh usse uthakar ......Nebhru k banaye nagar mein uske mahal le gaya .....

yaha ....Abhi ko uss nirmanadin gaon se nikle hue jab ..4 ..hi din hue the ...tab Neeru ne Karma se Abhi ko milne ki zidd ki .....toh Karma ko uski baat manani hi padi ......dusre din Karma Neeru ko lekar waha se nikalne se pahele gaon walo se bhi mila aur unhe .....gaon k nirman ka karya jaldi hi poora hone ki suchna di ...toh sabne bhi apne gaon k naye swarup ko dekhne ki iccha pragat ki .....

Neeru ...Vaishali aur Sona ...aur kuch gaon walo ko lekar Karma waha pahuncha ......gaon k nirman karya ko dekhkar sab bahut khush hue ....

Lekin Neeru aur Sonu ki nazar waha Abhi ko talashne lagi jo woh waha nahi tha ......

Neeru ne Karma se Abhi k baare mein pucha ......toh usne Mukhiya ji se pucha ....Toh Mukhiya ji ne yahi kaha k unhone usse kissi kaam k liye bheja hai ...shighra hi aajayega ....lekin jab dusre din bhi Abhi nahi aaya toh Neeru k dil ghabrane laga ....

yeh wohi samay tha jab Abhi Nebhru se mukable mein jitne k baad seene mein ho raha pida k kaaran behosh ho gaya tha .....

Yaha Neeru ko aisa aabhas hone laga k Abhi pida mein hai .....yahi mamta ki shakti hai ...jo dur se bhi apne bacche ki pida ka anubhav kar leti hai ....

Karma ne jab sakhti se Mukhiya ji aur Vikas ...Vilas se pooch taach ki toh unnhe satya ka gyan hua .......K Abhi khoye hue gaon walo ko khojne gaya hai .....

Jisse sunkar Karma ko Mukhiya ji par krodh aaya ....

Karma - aapne usse kaise jaane diya ......aapke logo ko na jaane woh log kaha le gaye honge .......Abhi kaha se dhund kar laayega unhe .....aur yadi kissi tarah woh waha pahunch bhi gaya .....toh aap jaante hi hai k woh log kitne krur hai .....kaise woh akela unka saamna karega ....

Apne swarth mein aapne mere bete ko mrityu k mukh mein bhej diya ......
aur Vikas aur Vilas tum toh Abhi k mitra ho na toh kaise tumne usse akele jaane diya ......

yeh saari baatein jab Neeru ne suni k uska beta kissi khatre mein hai toh woh bhi murchit ho gayi ......jisse niche girne se pahele hi Sona ne aage badhkar sambhsl liya ....Karma ki baatein sunkar .....usse bhi Abhi ki chinta hone lagi aur Abhi ko yaad karte hue aankhon mein aansoo aagaye ....pita aur bhai ko toh kho hi chuki thi ab Abhi ko khona nahi chahti thi ....

Mukhiya ji toh kuch kahne ki sthiti mein hi nahi the ....

Dusre din subah hi Karma ne apne log Abhi ki khoj mein bhej diye ....Jaana toh woh bhi chahta tha ....parantu ..Neeru ko iss haalat mein chodkar woh nahi jaa sakta tha ....woh ..din bhi bit gaya

raat k karib 3 baje ka samay tha ..........Neeru abhi bhi behosh thi ...aur Sonu uske sirhane baithi hui thi ....Karma ..Mukhiya ji ....Shundi .....Vikas ..Vilas ...sabki aankhon se nind koso dur thi .......
Sabhi bahar baithe hue the ......k tabhi ...unhe ...gaon k dakshin disha se aata hua shor sunayi dene laga ....jaise bahut se log ....ek saath chale aarahe hai .......

Karma...shor ki disha mein chal diya ...baaki sab bhi uske piche chal diye ...tabhi uski nazar saamne se aate hue Abhi aur uske picche aate hue logo par padi .....Abhi iss samay bhi ...Arsalan k shahi vastro mein tha .......

Karma bas Abhi ko dekhta rah gaya ....usse samaz nahi aaraha tha k Abhi hi hai ya aur koi ....

Arsalan ki tarah dikhne k liye Abhi ne Nebhru ki di hui sunahre kandhe tak aate hue nakli baalo ki vig pahni hui thi ......jiske kaaran Karma .....shanshaygrast ho gaya tha .....

Abhi - ( vig nikalte hue ) aise kya dekh rahe ho baba mein aapka beta Abhi hi hu ....

jab Abhi ne apni vig nikal li ....toh Karma ne ...Abhi ko gale laga liye .......Abhi k saath aaye hue logo ......mein uss gaon k sath sath alag alag gaon k bhi log the ....

shor sunkar baaki log bhi wahi aagaye the ......sab apne khoye hue apno ko punah prapt paakar khush hogaye the ....kai maao ko unke laal wapas milgaye the ...toh kai baccho ko unke pita ....kai apni dulariyo ko milkar khush the ...

apne jin senhijano k milne ki aas unhone lagbhag chod di thi ....aaj Abhi k kaaran unhe mil gaye the ....sabki aankhon mein milan ki khushi k aansoo the ....

Karma ne jab yeh drisya dekha ....toh usse Abhi par garv hua usne ek baar aur Abhi ko gale lagaya ......Abhi Karma k saath ...shivir k bhiter gaya ......jaha uski maa murchit awastha mein padi thi .......parantu Abhi k waha pravesh karte hi usse hosh aagaya .......

Neeru ne jab aankh kholkar dekha toh saamne Abhi ko paaya ........

Abhi k liye itna hi ....
Agla Update kal .....
Abhi Arsalan ka vesh lekar Darmen ko dikhane ke liye Nebhru aur ush antim detye se yudh karta hai aur apni marak shakti ke dwara detye ka vadh kar deta hai v Nebhru per thoda halka war karta hai.
Ushke baad ek vishbhot se khdan ko nasht kar deta hai v bandi logo ke pass chala jata hai Nebhru ke sath aur Nebhru apni puri urja se parkashdwar khol kar sabko bhej deta hai Sona ke gavn v bono ko jungle me aur khud achet ho jata hai. Kuch samay ke baad Darmen Arsalen ke dwara hue war se Nebhru ko achet samajhkar ushe utha kar ushke mahal me le chalta hai.
Idhar Abhi ko sonu ke gavn me na pakar Sonu v Karma aur Neeru pareshan ho jate hai v neeru behosh ho jati hai. Teen diwash ke paschat Abhi v laapta gavn wale lout aate he sonu ke gavn aur Neeru ko hosh aa jata hai Abhi ki suchna milte hi.
Bahut hi sunder sheep apne sang motiyo se akshro ko samaye ek sunder si varanmala laayi hai Khadan se.
 
u.sir.name

Hate girls, except the one reading this.
6,840
9,768
189

Jabardast behatareen update brother......
To darmen abhi aur nebru k jaal mein phas hi gaya....use abhi Arsalan lag rha hai....dono ne yha Bhadiya acting ki....par achanak se yeh daitya tapak pada...is par to abhi k sare war khali jaa rahe hai...par nebru ne yha par use is daitya ko marne ka hint diya jise abhi ne smajh kar us daitya ka bhi nash kar diya...aur chal se darmen ko yeh dikhaya ki usne nebru ko murchit kar diya apne war se....wahi dahi samay par woh bandiyo ko lekar wha se nebru ki shayta se teleport ho gaya...nebru ka wahi rukna aage unke hi kaam aaega... kehte hai na ki ghar ka bhedi Lanka dhaye.. wahi yha par nebru kar sakta hai darmen k khilaf...ab darmen ne bhi khadan par pahunch kar vinash dekhne k baad nebru aur abhi k dwara rache prapanch ko satya maan liya hai...wahi abhi k pita ne abhi ko us ganv ne pakr wha k mukhiya ki bhi ache se class li...wahi sona ne abhi mata ko sambhal rakha hai...baki update bahut hi shandar tha.....
Keep writing....

Keep posting.....
 
Top