• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ABHI - THE WARRIOR 2 (Completed)

abhi1008

Well-Known Member
2,116
10,545
143
Abhi Neeru ke shapth dene se sab kuch sach bata deta hai ki Arsalan aur Dhaara ushke mata pita hai Nebhru ushka bhai hai v Dormen ushka dushman aur vah Arin greh ka vaashi hai. Ish per Neeru Abhi ke bichhud jaane ke dar se tadap uthti hai v Abhi ushe chhod ke na jane ka vachan deta hai.
Sona aur Abhi ki shaadi tay ho jati hai 4 din ke pashchyat. Bahut hi manmohini shabdawali se yukt ek aur update laaye hai Abhi bhai Sona ke gher se.
Adbhut ....ati uttam swarnim shabdo dwara susajjit ek aur samiksha ...k liye aapka hriday se bahut bahut aabhar mitra

:thanks: :thanks::thanks:
aise hi saath banaye rakhe .??

Update 27 posted .....
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,269
38,683
258
Update - 27

Abhi ...Sonu ka chehra ...dono haatho mein pakadta hai ...aur ...uske chehre par zhukta chala jaata hai .....k tabhi piche se kissi k khasne ki aawaj aati hai ......

uss khasne ki aawaj se dono ka dhyan uss taraf jaata hai .....toh waha Vaishali pani ka ghada lekar khadi thi .....usse dekhkar Abhi aur Sonu dono hadbadakar alag ho jaate hai ......

Vaishali - kya ho raha tha yeh sab .....thodi der k liye main jal bharne kya gayi ...yaha yeh sab chal raha hai .....kyu Sonu .....

Sonu - wo...h....m..ein.....Maa....k.kkkuch ...nahi ....yeh....
isse samaz nahi aaraha tha k kya bole .....toh Abhi ne baat sambhalne ka prayatna kiya .....

Abhi - Woh...maa...ji ......haa....yaad ..aaya...woh Sonu ki aankhon mein kuch kachra chala gaya tha ....wohi nikal raha tha .....

Vaishali - accha kachra chala gaya ..tha .....accha bahana hai .....lekin muzhpar yeh kaam nahi karega .......muzhe tumse aisi ummid nahi thi beta ....

Abhi -( udas sa muh banakar ) galti ho gayi maa ji ....ab dubara aisa nahi hoga ....
Sonu bhi maa ki baaton se ruvasi hogayi thi ......Vaishali ne dono ki haalt dekhi ab aur jayada usase ruka nahi gaya ...aur jor jor se hasne lagi .....

Abhi aur Sonu achanak Vaishali ko aise haste hue dekhkar asamanjas mein pad gaye .......

Vaishali - dekho toh dono ko kaise muh fulakar baithe hai .....
tabhi Bishan ki aawaj aayi ....
Bishan - aari kya hua kyu itna jor jor se has rahi hai ....bahar tak aawaj aarahi hai .....kahte hue andar aaya .....

Vaishali - kuch nahi ji bas ...apne damad ki khichayi kar rahi thi .....

Tab Bishan ka dhyan Abhi par gaya ......

Bishan - tum bhi .....bacche itne bade ho gaye lekin bachpana tumahara nahi gaya .......Hone wale damad ji ki hi khichayi shuru kar di .......beta Abhi aao tumse kuch baat karni hai .....

Abhi ne apne hone wale saas sasur ko pranam kiya ...ek nazar Sonu par dali ...jo niche nazar kiye hue baithi thi .....aur Bishan k saath bahar aagaya .....

Bishan ne aage fir kabhi gaon ko aise kissi sankat ka saamna na karna pade ..uske liye raksha dal k gathan ka suzhav diya ...aur saath hi ...yeh bhi bataya k woh log jo uske saath khadan mein the sabhi .....uss dal ka bhag banane k liye bhi tayar hai ...aur yeh suzhav bhi unhi ka hai .....

Aise hi kuch baatien hui aur kuch baatein Abhi k vivah k baare mein bhi hui .....

Yaha Nebhru k mahal mein jab usse hosh aaya......toh usne apne aapko apne mahal k bister par pada hua paaya .....usse abhi bhi bahut kamjori mehsus ho rahi thi .....

Nebhru ko hosh aaya dekhkar sainik ne Darmen ko jaakar iski suchna di ....

Nebhru bhi Darmen k baare mein hi soch raha tha ....k tabhi usne Darmen ko aate hue dekha ......

Darmen ko dekhkar Nebhru ne khade hone ka prayatna kiya ....toh Darmen ne usse haath k ishare se rok diya ....

Darmen - ab kaise ho Nebhru .....

Nebhru - thik hu ..parantu kshama kare Mahamahim mein uss swarn khadan ki raksha nahi kar saka ....maine apna poora prayatna kiya ...parantu ...main safal nahi ho paaya ....

Darmen - hmmm ...parantu itne Varsho baad aaj achanak yeh Arsalan kaha se aagaya ......itne bhayankar visfot mein ...maine khud uske Antariksh yan ko tukdo mein nasht hote hue dekha tha ......phir woh jeevit kaise bach gaya ......

Nebhru - yeh toh pata nahi parantu woh pitashri hi the .....aur iss baar pahele se kai adhik shaktishali.....

Darmen - hmmm woh toh mein dekh hi chuka hu....tumahara aur uss daitya k saath uska yudh .....parantu aascharya hai ...k tumhari jaadui shkti bhi k
uska kuch nahi bigad sakti ....ulta usne tumahari yeh haalat kar di .....aur mera banaya hua woh daitya ....jo satva shaktlishali tha ..usse bhi usne samapt kar diya ....

baaki ka haal maine khadan mein jaakar dekha ....

Vishwas nahi hota yeh wahi arsalan hai ...jo prem aur shanti aur daya ka pratik tha ....
khadan mein ....dekha maine ..humari sena ko itni buri tarah se maara hai ...isski toh main bhi kalpana nahi kar sakta .....lagta hai ..k ..Arsalan ab khunkhar ghyal sher ki bhanti ho gaya ...hai ....

Nebhru - haa maine bhi yahi mehsus kiya .....

Darmen - Lekin woh bach kaise gaya aur agar bach bhi gaya toh itne varsho k baad ....woh bhi itni shaktiyo k saath .....ab hume aur jyada satark aur sawdhan rahna hoga ......

parantu ek baat samaz nahi aayi usne tumhe jeevit kaise chod diya ....

Nebhru - ho sakta hai unka pitru prem jaag gaya ho ...ya ....tum tak apne jeevit hone ka sandesh pahunchane k liye choda ho .......unhe thode pata tha k aap dur apne niwas par baithkar yaha ka haal dekh rahe ho ...

Darmen - haa yeh ho sakta hai ....lekin itne saare logo ko woh kaha lekar gaya hoga .....

Nebhru - muzhe ghayal awastha jab woh surang k raaste se bahar legaye .....toh thoda hosh mein tha ...waha ...maine dekha k aakash mein ek bada sa antariksha yan khada tha ...tabhi usmein se ek tez roshni nikali ......aur unn sab logo par padi aur woh sab gayab ho gaye ....woh muzhe bhi apne saath le jaa rahe the ....lekin phir na jaane kya sochkar muzhe wahi patak diya
aur phir chale gaye .......

Darmen - lagta hai Arsalan ne koi naya grah basaya hai .....aur ab woh pahele se kai guna shaktishali ho gaya hai .....hime ab satark rahna hoga .....

Darmen ne Apne kai gulam graho k logo ko aur apne vishesh sainiko ko Arsalan ki khoj mein laga diya .....

aur Zecro aadi sab bhaiyo ko bhi Arsalan k baare mein bata diya ........aur apni sena ka pahra unn sabke rajya mein aur kada kar diya .......

Zecro ..Neil ...aadi sab bhaiyo ne jab Darmen se Arsalan k aur shaktishali roop mein wapas aane ki baat suni .....toh unki raato ki nind aur din ka chain chala gaya .....Unhe sapne mein bhi Arsalan hi nazar aane laga ....

Bahar se dikhne mein sabhi thik the parantu ander se sabhi bhaybhit the .....kyuki sab Nebhru ki shakti ko jaante the .......Arsalan ne jab Nebhru ka aisa haal kar diya toh na jaane unke saath kya hoga .....

yaha Abhi k vivah ki tayari ....jor shor se chal rahi thi .....Tab tak Gaon bhi tayar ho gaya tha ...sabko ...ab pakje ghr mil gaye ......

Shundi dwara banaya hua visheh bhawan sajaya gaya ......wahi vivah ki saari tayari chalne lagi ....Abhi k nagar bhi yeh khabar pahunch gayi thi .....waha se babaji ..aur uske saare mitra Abhi ka vivah dekhne aaye .....

Abhi ne kaal ko bhi pragat kiya ......

kaal - kahiye mitra mere liye kya aagya hai ....

Abhi - aagya nahi iccha hai ....kaal tum iss shrishti mein mere pratham ..aur nitya mitra ho ...issilye meri iccha hai k iss vivah mein ...tum nere mitra k rroop mein hi mere saath sahbhagi banoge ....

Kaal - yeh toh mere saubhaya hoga mitra ....

Abhi k vivah ka din aaya ....Abhi vaha ko parampara k anusar tayar hue ...Kaal aur apne mitra mandali k saath Abji vivah mandap mein gaya ......aaj usse apne bhai Nebhru ki kami khal rahi thi

tabhi uska dhyan Sonu par gaya jo apni sakhiyo k saath ....
paramparik vesh bhusha mein...mandap ki ir aarahi thi ......aupam saundrya se yukt ...bilkul kissi ... apsara jaisi ...lag rahi thi .....Abhi ki nazar toh hat hi nahi rahi thi .......

Vikas - bas karo mitra ...lgta hai aankhon se hi bhabhi ko khane ka irada hai kya ......Vilas uske sar par ek chapat lagate hue ....

Vilas - tu chupkar jab tera samay aayega tab tuzhe pata chalega ....

Abhi aur Sona ka Vivah waha ki paramparagat padhati se ho gaya .......Vaishali aur Bishan ne Sona ka haath Abhi k haath mein diya .....Aur ashru poorit netro se dono ko aashirwad diya....

Karma aur Neeru ki khushi ka toh thikana nahi tha ....Abhi aur Sonu ne unka bhi aashirwad liya ..
Suhagraat k liye ..ussi naye bhawan mein ek kaksh sajaya gaya ....Sona ki sakhiya usse kaksh tak chodne aayi .....

Sonu phoolo se saje hue bister par Abhi ki pratiksha kar rahi thi .....tabhi ..usse darwaja khulne ki aawaj aayi ....usne uss or dekha toh Abhi ...anadar aaraha tha ....andar aate hi usne dwar andar se band kar diya ....Sonu ka hriday joro se dhadak raha tha ....
milan ki iccha bhi thi ...aur bhay bhi lag raha tha ....daudkar apne pritam ..ki baaho mein samana chahti thi parantu yeh sharam .....apni inhi mili juli bhawnao k saath woh suhag sej par simti hui baithi thi ....

Abhi aage badha aur Sonu k paas jaakar baith gaya ....aur usse niharne laga ......
uski sharm se zhuki aankhien ....gulabi thartharate honth ....aur dudh mein kesar mili hui rangat ..
Abhi ne apna haat badaya ....toh Sonu aur simat gayi ....

Abhi - Kya baat hai Sonu ....lagta hai tum iss vivah se khush nahi ho ...

Sonu - nahi yeh baat nahi hai ....bas thoda sa bhay lag raha hai .....

Abhi - bhay... kaisa bhay ....Sonu kya tumhe muzhpar vishwas nahi hai ......

Sonu - hai ...apne prano se bhi jyada ......

Abhi - toh bhay ko chodo ...aaj ki yeh raatri ...bhay ki nahi humare milan ki hai .....

Abhi ne apne haath se Sona k chehre ko upar ki or uthaya ...Sona ki aankhien band thi ....
Abhi ne zhukkar uski aankhon ko chuma .....toh Sona ne apni aankhien khol di ....
Ab Abhi ne uski aankhon mein dekhte hue ...uske maathe par chuma .......Abhi ka woh chumban Sonu k prati Abhi ka athaha prem aur aadar bhav ...ka suchak tha ....jo Sona k hriday ko chu gaya

Sonu ne bhi Abhi k gale mein apni baahe daali ....aur Abhi ko baahon mein bhar liya ....uska ek haath Abhi k pith par toh dusra Abhi k baalon mein ungliya phira raha tha ......aur uski aankhien Abhi k aankhon mein apne liye athaha prem dekh rahi thi .....

Dono ab chup the .....ab mano unki saanse aur unke hriday hi aapas mein baat kar rahe ho......
Dhire Dhire ....Dono k honth paas aate gaye aur ek dusre se jud gaye .......

Abhi k liye itna hi ....

Agla update kal......
Fabulous update bro
 
Top