Update - 2
Zecro aur sab Darmen k saath chale gaye ....aur Arsalan baitha hua kisi soch mein gum tha .......
kuch dino se chal rahi gatividhiya ......aur iss tarah ek saath sabka aana ....aur Darmen ka usko baat ko talna .....usse kuch ajeeb sa lag raha tha .......
Thodi der tak Dhara bhi Arsalan ko aise hi khamosh baitha hua dekhti hai ......lekin phir puch hi leti hai ....
Dhara - kya baat hai aap itne khamosh baithe kin socho gum ho .......
Dhara ki aawaj se woh apni socho se bahar aata hai .....
Arsalan -( muskurate hue ) kuch nahi jaan bas aise hi apne projects k baare mein soch raha hu .......
Dhara - Nahi kuch toh baat hai jo aapko pareshan kar rahi hai .....kuch dino se mein dekh rahi hu aap kuch pareshan se lag rahe ho ....apni baaton aur apni hasi se aap muzhse kuch chupa nahi sakte ......sach sach bataye kya baat hai....
Arsalan - Dekho dhara tumhe iss paristhiti mein jyada nahi sochna chahiye ......tumhe muzhpar vishwas hai na ...mein sab sambhal lunga ......tum par aur humare putra par mein koi bhi aanch nahi aane dunga .....
Dhara - muzhe aappar poorna vishwas hai parantu .....mein janana chahti hu aapko meri shapat hai ......
Arsalan - Thik hai ...accha ek baat batao kya tumhe humare 6 putro ka aise ek saath aana kuch ajeeb sa nahi laga .....
Dhara - Ussmein kya ajeeb sa hai ....woh humare putra hai toh humse milne aaye the .....
Arsalan - kya unmein se kissi ka vyavjar ......aur Darmen ka unko saath le jaana ......tumhe kuch ajeeb sa nahi laga .....
Dhara - Haa shayad .....Nebhru jab muzhe upahar de raha tha toh Darmen ki aawaj sunkar ussne woh upahar .....chupa liya .....aur muzhe usse baad mein dekhne .....ka ishara kiya ......
Arsalan - jara dikhana toh ...woh upahar kya tha .......
Dhara apni takiya k niche se woh chota sa box nikalti hai .......aur Arsalan ko deri hai ......
Arsalan ne uss box ko lekar khol diya .....aur ussmein se nikalti hai ek gupt sandesh k saath Nebhru ki holographic image jo usne apne jaadoo se uss box k jariye uss box mein band ki thi ....
Nebhru - Aap dono ko mera pranam ...Pitashri yaha ek bahut bada shadyantra racha jaa raha hai jismein Maa aur unke garbh mein pal rahe shishu k prano par sankat hai ..... aap apne logo se satark rahe ...... mein vivash hu ki pratayksha roop se aapki koi sahyata nahi kar paa raha hu ....parantu maine apne jaadoo ki urja se ek suraksha kawach ka nirman kiya hai ...jo iss box mein ek mani k roop mein hai ......jisko dharan karne se kisi ek ki prano ki Raksha kar sakta hai ..
aap satark aur sawdhan rahiye .......itna kahkar Nebhru ki holographic image adrishya ho jaati hai....
Dhara ne jab uss sandesh ko suna ....toh usse apne pati ki chintao ka kaaran pata chal gaya ....usse yeh sunkar bahut aaghat pahuncha k jinka nirman usne apni aur apne pati ki urja se kiya hai aaj wahi unke virudh shadyantra rach rahe hai ......parantu kyu ....unhe kya chahiye ...aur...inn sabke picche ...mukhya haath kiska hai yeh woh samaz nahi paa rahi thi...
Arsalan ne Nibhru ka sandesh sunkar box mein dekha toh usmein ek laal rang ka chamakta hua mani tha .....Mani dekhkar Arsalan ka dhyan Dhara ki taraf gaya ....jo aankho mein aansoo liye ussi ki or dekh rahi thi ....
Arsalan - apne aapko sambhalo Dhara ... mein tumhe aur humare bacche ko kuch nahi hone dunga ..... ( aur uske paas jaakar uske aansoo ponchta hai ..gale lagakar usse santwana dene lagta hai )
thodi der dono chup rahkar ek dusre ki baaho mein baithe rahte hai .....
Dhara - yeh sab kya ho raha hai ..jiss grah ko humne apne prem se sinchkar swarg se bhi sundar banaya .....woh aaj nashta hone ki kagar par hai .....jinka nirman humne apni prem aur urja se kiya aur apni saari shaktiya di ...aaj wohi humare viruddh khade ho gaye hai .......muzhe toh abhi bhi vishwas nahi ho raha hai ........
Arsalan - yeh satya hai Dhara muzhe kai dino se iss baat ka aabhas ho raha tha ....aur issi vishaya mein mein Darmen se baat karna chahta tha .....lekin uss samay usne meri baat ko taal diya ......
Dhara - kya iss sab mein humari santane bhi shamil hai ....
Arsalan - Nebhru ki baatein sunkar toh muzhe kuch aisa hi lagta hai ......parantu abhi vishwas k saath kych kah nahi sakta ...k ...kaun kaun hai iss shadyantra k picche ...parantu yadi yeh satya hai k humare putro ka issmein kuch haath hai toh kyu ....kya kaaran hai..... .k humare bacche humare hi virudh ho gaye hai ....aur iss sab mein mukhya kiska haath .....
Nebhru k kathan ausar uski kuch vivashta hai ....aisi kya viswashta hai ....jo iccha hote hue bhi woh humara poorna roop se saath nahi de paa raha hai ....aise kai prashna hai ...jinka ...utaar muzhe khojna hai ......
tum abhi aaram karo aur apni saari chintao ko muzhpar chod do ......isase humari hone wali santan par asar pad sakta hai ......
Arsalan kuch der Dhara k paas raha jab Dhara so gayi ....toh usne Dhara ki vishwas paatra sevikao ko uski dekhrekh karne ka kahkar waha se apni secret lab mein pahuncha ....Jaha uske dono project Time machine aur maha astra par woh kaam kar raha tha .......
usne apne sawalo k jawab janane k liye aaj time machine ka upayog karne ka vichar kiya .......aur usmein usne uss samay jab uske 6 putra usase milne aaye the uske 2 ghante pahele ka time usmein set kiya ......aur ...Machine start kar di .....jisase uske time particle activate ho gaya aur woh pahunch gaya uss samay mein ......
iss grah ko usne apni urja k dwara vikasit kiya tha ...issiliye kuch aise gupt rastein the jinke baare mein Darmen bhi nahi kaanta tha .....unho raasto ka prayog karte hue woh Darmen k kaksha mein gupt roop se pahuncha .....aur chupkar dekhne laga .....
Darmen kisi vicharo mein gum apne kaksha mein idhar se udhar tahal raha tha ....aisa lag raha tha usse kisi ka intejar tha .......
Tabhi Arsalan ne Zecro k saath apne baaki santano ko waha aate hue dehka .......toh uska shak yakeen mein badal gaya ......uss pahle se hi aise lag raha tha ....k iss sab mein Darmen ki kuch na kuch bhumika jarur hai ......Darmen ki aawaj se uska dhyan uss taraf gaya ...
Darmen - aao aao Zecro tum sab ka hi intejar tha .....aao baitho ....
( sab baith jaate hai )
Darmen - kaho saari yojna kaisi chal rahi hai ......tumne mere nirdesha anusar unn sab chjo ko banaya hai na......
Zecro - Sab kuch aapki yojna k anusar hi ho raha hai ....parantu muxhe abhi bhi samaz nahi aaraha hai isase aapko kya prapt hoga .....aap toh humesha pitashri k hit k liye hi kaam karte the .
Darmen - Tum mere hit k baare mein sochna chod do ....aur apne hit k baare mein socho .....aur wahi karo jo mein kah raha hu .......nahi toh tum jaante hi ho .....mere virudh jaane ka kya parinam hota hai .....
Zecro - Parantu iss sab k liye unhe samapt karne ki kya awashyakta hai ...hum toh unhe bandhi bhi bana sakte hai ......
Darmen - Tum abhi Arsalan ko poori tarah nahi jaante ho bacche .....tum kya sochte ho him usse kaid karenge aur woh aasani se kaid ho jaayega ......
aur yadi kisi tarah humne unhe kaid kar bhi liya ...toh janm lega woh jiske haatho ...hum sabki maut likhi hai ...aur ..phir woh ban jaayega ...... humari galaxy ka samrat hoga ....
apne prano ki raksha k liye kisi k prano ko harna koi bura nahi hai .....aur aisa karne se tumhe ek aur fayda bhi hai ....k Arslan k baad tum ...
ARIN graho k samuday k naye samrat ban jaaoge ......
Nebhru - Parantu aap itne viswas k saath kaise kah sakte ho k jo janm lene wala hai woh humari mrityu ka kaarak hoga ......
Darmen - tum shayad bhul rahe ho k mein kiski upasna karta hu ......aur unhi mere malik se muzhe pata chala hai ...k Arsalan ki aanewali sanran hum sabka kaal hai ....nahi toh main kyu yeh nirnay leta ....
main bas apne mrityu daata ko janm lene se pahele hi samapt karna chahta hu ......aur iss sab mein tum sabko bhi laabh hai ......tumhe swatanra roop mein apne apne graho ka raj prapt ho jaayega ....aur ..prapt hogi mere maalik ki anant shakti......
ab aur koi prashna nahi .......bas waisa hi karo jaise mein kah raha hu .......
Kuch der unsab ki apne shadyantra ki yojna ko karyanvit karne ki baatein hoti rahti hai ...jo Arsalan chipkar saari baatein sun raha tha ....usse dukh tha k jisse usne apna bhai aur apna hi ek ang maana woh apne man mein unke liye itna jaher lekar baitha hai ...aur uske apne putra jinko usne aur dhara ne apni prem ki urja se utpanna kiya ...aur apni shaktiya di wo bhi aaj Darmen ka inke virudh saath dene k liye raazi ho gaye
parantu Arsalan ko yeh baat samaz nahi aarahi thi k Darmen kisko apna Maalik kah raha hai ....
aur uske baad Sab waha se Arslan k kaksh ki or nikal padte hai .....unke jaane k baad
Darmen - Dhara tumne meri jagah Arsalan ko chunkar bahut bura kiya ab uska dand bhugatne k liye tayar raho .......ha ha ha ......
Arsalan waha se nikalkar wapas apne time machine k paas pahunchta hai .......aur Apni lab mein wapas apne samay mein aa jaata hai ......waha se phir Dhara k paas pahunchta hai ....jo abhi bhi so rahi thi....kuch der uske paas baithkar .....aage aane wali paristhitiyo ka kis prakar saamna karna hai ......aur ...apni hone wali santan aur dhara ki kis prakar raksha karni hai .....uss baare mein sochta hai ....
Dhara ka maasum chehra usse sabhi mushkilo ka saamna karne ki prerna deta hai ......woh niche zhukar Dhara k maathe par kiss karta ....aur waha se jaane hi wala hota hai k Dhara uska haath pakad leti hai .....Arsalan k apne paas hone k ahsas se woh uth chuki thi .......Dhara usse apne paas baithne ka ishara karti hai ......
Ab dekhte hai k Darmen ne kis prakar aur kyu Arsalan aur Dhara k virudh jaane ka nirnay liya ......
Jis samay Arsalan , Dhara ...aur Darmen teeno ka nirman brahmand mein vyapt cosmic energy jisse hum parashakti ...parbrahma ...ishwar kai naamo se pukarte hai unke dwara hua ....Aur woh iss grah par aaye .the ...toh Darmen pahli hi nazar mein Dhara ki sundarta par mohit ho gaya tha .....woh har samay Dhara k hi saath rahna chahta tha ....
Uski hasi ...sunderta .....Darmen ko dino din apni or aakarshit karne lagi .....parantu Dhara man hi mann Arsalan ko apna pati maan chuki thi ... usse Darmen k mann mein chal rahe vicharo k baare mein kuch bhi nahi pata tha ......
Darmen Arsalan se Dhara ki najdikiya bardast nahi kar paa raha tha ......Usne Dhara ko kai baar apne mann ki baat batane ka prayatna kiya .....lekin bata nahi paaya .......
Uske baad Arslan aur dhara ki urja k dwara ...yaha ki sabyata ka aur 6 putro ka janm hua .....Arsalan aur Dhara k sushashan aur sabke prati prem k kaaran uhne sarva sanmati se ... yaha ka samrat niyukta kiya gaya ......aur Arslan aur Dhara ka vivah ho gaya ..aur dono ek ho gaye ....aur Darmen banke rah gaya ARIN K grah samuho ka Rakshak ....
woh sabke saath rahte hue bhi apne aapko akela mehsus karne laga......jiske kaaran woh aur krur ho gaya .....uska apradhiyo ko dand dene ka tarika ghinauna ho gaya tha .......log usase darne lage the......
jo bhi uske virudh hota woh usse bahut buri tarah maut deta .....jiske kaaran woh ab logo ki nazar mein shaitan ban gaya tha .....lekin uske bhay k kaaran koi bhi Arsalan k aage uski shikayat karne ka sahas nahi kar paata tha ....
Praja ab Arsalan aur dhara k shasan aur praja k prati prem ki prashansa karne lagi ..aur Arsalan aur Dhara ko apna Bhagwan manane lagi ....
yeh sab dekhkar Darmen k mann mein irsha ...krodh ...moh ne janm liya .....ab woh Arsalan ki jagah lena chahta tha ......woh banana chahta tha .....yaha ka Bhagwan ......
Abhi k liye itna hi ....
Agla update jald hi ....