Update - 8
ab tak aapne Abhinav ki utpatti kaise hui ..... aur usko kya karya bhar saunpa gaya........
Eblis.....aur .....uske bannae asur..........Abhi ki khoj .......shivalaya ....... R.V.S k dwara chal raha hawan......aur abhi ka naina k garbh mein pravesh karna.........ab aage..
Jaise hi Naina k garbh mein Abhi k prakash roop mein pravesh hua ..uska sharir chamkne laga aur naina k shari se ek tej nikalne laga Rana sahab ne jaldi se hawan mein purna aahuti di aur naina ko sambhalne lage ...
dhire dhire niana ka tej badta hi jaa raha tha aur itna badnelaga ki woh saari jagah prakashit hone lagi
aur ab naina ko bhi ahsahniya pida ka anubhav hone laga.... aakhir manav sharir ki bhi ek seema hoti hai jo ananth urja ko sadharan vyakti nahi sambhal paata
R.V.S - acharya ji aap kuch karte kyu nahi ..... yeh kya hai ...kaisa prakash hai
Aacharya Somdutt - Rana sahab mein bhi iss urja ko samzne ka pyayas kar raha hu.... parantu meri samaz mein kuch nahi aaraha hai
Tabhi waha ek divya aawaj gunji
Chinta mat karo putra.. yeh koi aapda nahi ..... yeh tridevo ka vardan hai
Aawaj aate hi naina ki pida shanth ho gayi , lekin sharir ka prakash aise hi badh raha tha
aawaj ko pehchankar R.V.S aur aacharya Somdutt haath jodkar apne ghutno par aagaye aur ne ek saath pukara .....Mahaguru Yagnesh ji
tabhi waha ek Divya vibhuti pragat hui
dono - Pranam Mahaguru
Mahaguru - Yashasvi bhav putra
R.V.S - Maha guru yeh sab kya hai kya hua hai naina ko
mahaguru - Kuch nahi hua putra yeh tumahare purvajo ko mila vardan hai
paranntu manav sharir ki kuch simaaye hoti hai putra ...
tridevo se utpanna jisme teeno ki shaktiya aur 14 loko ki asim urja jisme hai woh mahan Yodha ABHINAV tumhare putra k roop mein aanewala hai......iss aasim urja ko Nanina ka sharir sambhal nahi paa raha hai..
R.V.S - Gurudev kaisa vardan Aur Kaun Abhinav
Mahaguru - Shant raho putra pahle mein apna karya kar lu.... Haajaro saal pahle shayad isi din k liye muzhe Tridevo ne Shaki vibhajan ki kala di aur kewal ek baar hi prayog karne ko kaha ..
tabhi Mahaguru ne tridevo ka dhyan kiya aur apna haath aage kiya aur kuch mantra mann mein padhne lage Aur unke haath mein teen dhage pragat hue ...jinka rang White, red & yellow tha
Mahaguru - Putra yeh dhage lo aur safed wala dahine haath mein ...pila dhaga baaye haath mein aur laal dhaga gale mein baand do
dhaage band diye gaye....
aur mahaguru abhimantrit jal kuch mantra padte hue Naina par chidak ne lage .... aise unhone 14 baar jal chidka ..aur ek - ek karke 14 alag alag rang k gole 14 loko mein sama gaye
phir maha guru ne teen aur prakash k gole Naina k sharir se nikale jisme ek gulabi rang ka prakash punj ...waha ek aasan par soyi R.V.S ki pahli santan ritu k shari mein pravesh karayi
Maha guru - putra yeh thi samriddhi shakti ... yani dhan vaibav......ab yeh tumahari Badi putri mein samahit rahegi jaha bhi yeh rahegi waha dhan ki koi kami nahi aayegi.... jab uchit samay aayega tab yeh shakti wapas apne swami k paas pahunch jaayegi
Dusra lal rang ka prakash punj aur safed rang ka prakash punj dono ko alag alag dibbe mein dalkar Rana ko dete hue kaha
putra yeh dono laal aur safed dibba apne mahal k gupt shivalaya Jaha Bhagwan shiv aatmaling k rup mein viraj man hai waha savdhani se rakhna ..... issme jo safed wala dibba hai usme praanshakti hai ...jab iss k baad tumahari teesri santan hone wali hogi tab isse kholna....... aur laal dibbe ko wahi kholega jisski yeh amanat hai
R.V.S - Gurudev yeh 14 prakash punj ka kya raaz hai
Mahaguru - yeh 14 prakash punj 14 shaktiya hai ...jo Abhinav ki chirsangniya hai yeh shaktiya tabhi haasil hogi jab 14 loko mein inn shakti dharak kanyao se isska milan hoga
R.V.S - yani maha guru mere honewale putra ki 14 shadiya hogi
Mahaguru - Haa putra , aur yeh jo santan tumahare yaha janm lene wali hai ....yeh 5 tatva ( 5 elements) ki shaktiyo k saath janam lega....lekin jabtak yeh 5 Varsh ka nahi hota tab tak yeh shaktiya jagrit nahi hogi....
aur jab woh 5 varsh ka ho jaayega aur shaktiya jagrit hogi tab tumhe usse kuch Varsho tak muzhe saupna hoga
nahi toh aniyantrit shaktiya yaa to tumahare putra ka vinash karegi ya tumahare putra ka
R.V.S - jaisi aapki aagya gurudev........
gurudev aapne kaha tha ki yeh santaan mere purvaji ko mila vardan hai ....kripya kya aap baatayenge
Mahaguru - Aawashya putra..suno
Tumahare 5 pidiyo pahele ek Raja hue jinka naam tha
RANA SURYAPRATAP SINGH
( R.S.S).....woh tridevo k param bhakt aur tapasvi the
unhone bahut katin tapasya se Tridevo ko prasanna kiya ...jiske fal swarup unko Tridevo k Durlabh darshan hue .....aur jab Tridevo ne vardan maangne ko kaha tab
R.S.S - Prabhu jab muzhe aap teeno k darshan ho gaye ab muzhe kya chahiye
Trdev - Rajan hum tumahari bhakti se prassana hai....humara darshan kabhi vyarth nahi jaata
hum teeno tmhe teen shaktiya dete hai jo tumahare vansh mein jo bhi bada putra hoga unn sab mein yeh shaktiya janam se hi hogi .....jo yagyapavit sanskar k baad jagrit hogi
pahli shakti hogi Shastra shakti (ek divya astra jo maha sanharak hoga)
Dusri shakti hogi kisi k bhi man ko padne wali , vicharo ko badalne wali aur vash mein karne wali vashikaran shakti
Aur teesri shakti hogi jisse prithvi par kahi bhi ek pal mein pahuch sake woh Bhraman shakti
Aur putra tumahara vansh hamesha se iss prithvi par buraio ka anth karta aaraha hai isiliye ..ek aur vardan tumhe dete hai
jab iss sansar mein paap adhik maatra mein failne lagega tab aaj se tumahari paanchvi pidhi mein .....
janam hoga hamari shaktiyo se sampanna ..hum Tridevo k putra ka
Maha guru - ab samay aagaya hai uss vardan ki purti ka
itna kah kar MAHAGURU YAGNESH
antardhyan ho gaye
yaha R.V.S Mahaguru ki baatien sunkar bada prasanna hua ...Tab tak Niana ko bhi hosh aagya tha...
Tab R.V.S Mahaguru k dwara diye gaye safed aur lal box ko lekar aacarya somdutt ko pranam karke apni patni aur nanhi Ritu ko lekar wapas apne mahal aagaye.
abhi k liye itna hi .......
agla update raat ko ........