Update - 93
Ab tak aapne dekha KS ne swarg par akraman karne k liye apne mayavi Antak naam k asur ko chuna .......
Shivali ne Abhi ki agli yatra k baare mein bataya..........
Aur Agli shakti koi Gandhrva kaya k baare mein bhi
ab aage........
Bhuva lok k yaksha bhoomi se uper hai Sawha Lok ........Jiska vistar prithvi se koi teen guna hai......
Iss lok mein pravesh karne k liye 7 dwar hai ......jaha Dev sainik humesha pahra dete rahte hai.....
Swaha lok ka mukhya aakarshan Swarg hai jaha ka aakarshan , hat vyakti ko hai ........kai kavi aur lekin bhi kisi jagah ki sunderta ki upma Swarg k naam se hi dete hai...
Swarg lok main devtao ka vas hai jo Tridevo ko aagaya ansar iss shristi ka sanchaln karte hai .....
swarg charo tarf se Alaknanda jo ganga ki hi roop hai usse ghita hua hai.....yaha har prakar ki siddhiya sakshat vas karti hai......Swarg.... rog... vyadi ..Vridhawastha....Bhuk pyas aadi se rahit hai........Yaha k bagiche mein Kalpvriksha hai jo har prakar ki Samriddhi dene wala hai.....
Yaha devtao k Raja Indra ka shasan hai.........
Swarg k adhikar mein do nagar aur hai jo iss lok k dusre hisse mein hai ....Ek hai Gandhrva nagar......jaha Devtao ki sabha mein Gaane wale aur Shrishti mein Sangeet vidya failane wale Gandharvo ka vaas hai .......Inka Raja Ranjan Gandhrva hai.....inki patni Sandhya aur beti Shamli hai......
Wahi dusri or Kinnar nagar hai jo Nirtya kala mein nipun hai......
Devraj Apni sabha mein baithkar Devguru Brihaspati aur baki devtao k saath kisi vishay par mantrana kar rahe the.......
Tabhi Swarg mein joro se kampan hua ...yeh tha sanket k kisi ne Swarg par aakraman kar diya hai........
Devraj turant apni dev sena lekar Swarg k pratam dwar par pahunch gaye aur dekha toh woh dwar tuta hua pada hai .....aur sainik maare jaa chuke hai........
Aur saamne dekha toh ek vishalkaye Daitya dono haath kamar par rakh kar jor jot se hasraha tha........yeh tha Antak.....
Antak - ha....ha....ha....Aayiye Devraj .......muzhe tumhari hi pratiksha thi.......yeh bechare sainik toh aise hi maare gaye........
Devraj - Tumahara itna dusaahas k tumne yaha pravesh karne ka prayatna kiya .......
Antak - Dusahas toh aapne kiya hai ...jo Hamre Asur samrat k putra ko bandi bana liya hai.......
Devraj - Humne aisa kuch nahi kiya hai........
Antak - Devta hokar asatya vachan ....ha...ha...ha....
sidhe se Maarkesh ko lauta do ...nahi toh tumahare Swarg ki aisi dasha hogi ki phir koi swarg ki Sunderta ki upma nahi dega .......
Devraj - Apni vani ko viram do asur....tum shayad Indra ke kop ko nahi jaante tabhi yaha akele aagaye ho ...........
Antak - waise toh mein akela hi kaafi hu ....parantu Mera naam Antak hai .....Shatru ka ant karne se pahele uski aakhri iccha toh poori kar hi salta hu .......
Aur usne mantra padhkar dono haath uper utha diye.......
aur waha laakho Divya Asuro ki sena pragat ho gayi.....
Antak - lo Devaraj ab sena bhi aagayi.........
Devraj - Aakarman ....Har.har.mahadev....
Aur dono aur ki sena aapas mein bhid gayi.......
teen tatvo k devta apni tatvo ki urja se asur ko samapt kar rahe the ......
Toh Antak ne apne bhiter se panch asur pragat kiye .....jo unhi panch tatva ki urja se bane hue the......
Agni devta k saath Jwalasur ......Varun devta k saath .....jalasur........Aur Vayu dev k saath Pawanasur ........
Yeh teeno asur un teen devtao k hi pratirup dikhayi de rahe the .........
Teeno devta apni poori urja k saath yudh kar rahe the parantu un teen asuro ko kuch hone ki bajaye woh devtao ki urja ko apne bhiter sokh rahe the.......
Yaha yumraj ji bhi apne yum pash se Asuro ko yumlok bhej rahe the........lekin jitne asur maate jaate utne hi phir pragat ho jaate......Antak ne aur ek Asur pragat kiya kaalnidhi ...jo Yumraj se bhid gaya......
Yaha Devraj ne dekha k Antak bar bar divya asuro ko apne bhiter se pragat kar raha hai.....toh woh swayam yudh mein utar aaaye ......
Devraj ne Antak par aneko divyastro se waar kiya jisse Antak ek hi haath se rokta aur uska mukh swarg ki or mod deta......isse Swarg ko badi hanni ho rahi thi..........
Antak ne ab tak srf devtao ki urja ko unke hi viruddh karke lad raha tha.........
Devraj ne ab apne Vajra k prayog karna shuru kiya aur bhayankar Vidyut urja se Antak par waar kiya ........lekin woh bhi vyarth .........
Sabhi devta kamjor pad rahe the......Aur asuro ka kuch bhi ahit nahi ho raha tha.......
Devaraj vivash hokar Narayan astra ka prayog karne hi waale the ...k devguru ne unhe rok diya .....
Sawdhan Devraj .......yeh asur vardan ki shakti se balwan ho raha hai ...isse aur iske sharir se pragat hue asuro ko koi kisi bhi astra se nahi maar sakte hai........isliye jab tum tridevo k astra chaloge ko k toh varadan k kaaran iss asur ko toh kuch nahi hoga .....
jisse innastro ki vinashkari shati iss lok ko nasht kar degi.....
Ab Antak ne Sabhi devtao ko apne paash mein band diya jo ek divya paash tha.........phir kuch socker ...Devraj waha se nikalkar Abhi k room mein pragat hue .....
Abhi bed par baitha kuch soch raha tha......k achanak Devraj ko apne saamne dekhkar samz gaya k ab samay aagaya hai agli shakti hassil karne ka .......
Abhi - Pranam Devraj ......
Devraj - Vijayi bhava putra........
Abhi - aap yaha swayam aaye ho koi vishesh baat .......
Devraj - tumhe shigra hi humare saath chalna hoga vats....abhi aur baato ka samay nahi hai....
Tab maine apna ek pratiroop waha choda Aur Devraj k saath turant yudhsthal k liye nikal pada ......
Jab hum waha pahunche toh uss samay Dev sainiko ki sthiti badi vikat thi......Jine asur maare jaa rahe the utne hi aur pragat ho rahe the.......
Aur tatvo k devta Antak k pash mein bandhe the...........Jaise hi Antak ne muzhe aur Devraj ko dekha ......
Antak - aagaye Devraj .....aur yeh kisse saath laaye ho ........
Abhi - Mera parichaya toh tumhe mil hi jaayega .......Aur Agni shool se Antak par waar kiya ........lekin woh waar uska kuch nahi bigad saka ......Antak ne uss waar ko wapas Abhi par kiya lekin Abhi ko lagte hi woh thanda ho gaya....
Abhi ne Dekha k dev sainik kamjor padrahe hai ....toh ussne prithvi tatva aur vayu tatva milakar bhayankar dhul se bawander banaya Jismein saaare aasur tinke ki bhati udrahe the aur ek dusre se takarakar samapt hone lage .....
Dhool bharu Aandi chalne k wajah se waha kuch bhi dikhayi nahi de raha tha ..........
Tabhi Aakash mein megh garajne lage aur barish hone lagi aur Bawander aur aandhi shant ho gayi.......
Antak - Ohho toh tum mayavi bhi ho ......lekon Antak k paas tumahari har maaya ka jawab hai .....
Jo asur bawander mein maare gaye woh jamin par gir gaye....Abhi ne dhyan diya k Asuro k shav jamin par girne k baad gayab ho rahe hai aur phir jeevit hokar laut rahe hai.......
Abhi ne phir aisi maya ki rachna ki ki jitne asur the utne hi Abhi har asuro k saamne aagaye .....Asur apne hatiyaro se humla toh kar rahe the .....lekin koi bhi maya prakash k saat rango se nirmit hoti hai .....dikhne mein yoh sthool dikhti hai lekin woh chaya se jtada kuch nahi hoti....
Asuro ko maya mein ulzhakar Abhi ne Apne Shakti trishool ko pragat kar k Aakash mein Ek ghera sa banaya Aur Agni tatva ki bhayaka jwalao ko Aakash mein sthit kar diya.... Aur Apne Divya dhanush se Ek aisa astra chalya jismein se niranter teer nikalkar Asur sainiko ko lagne lage aur aur woh uper uss ghere mein pahunchkar jalkar raakh ho jaata tha ....
iss tarah Asuro ki sankhya kam hone lagi ....yeh sab karne mein Abhi ko kuch hi ..pal lage .......
Antak Abhi ki maaya ko samaz chuka tha .....Aur usne apni urja se uss maya ko samapt kar diya .....
lekin tab tak Asuro ki aade se adhik sena maari jaa chuki thi ........
Antak ne krodh mein bharkar ek Divya shool ka waar Abhi par kiya .....Yeh shool usse para shakti dwara prapt hua tha.......Abhi ne Uss prahaar ko apne Shakti trishool par roka ......Jab do shaktiya aapas mein takrayi toh bhayankar urja pragat hui ........
Prarashakti k maarak urja k kaaran Abhi ka kawach kamjor pada Aur isse Abhi jakhmi hua ........Kyu k Abhi ka kawach usse devik aur aasuri astro se bacha sakta tha .....lekin parashakti aur tridevo k astro ko koi kawach nahi rok sakta tha...
Antak Abhi aut waar karta ussi samay Surya asth ho gaya .....Aur Antak ne Aaj k liye yudh samapti ki ghoshna ki .....
Antak - Aaj toh tum bach gaye ....jaao aur kal poori tayari kar k aana ......mein bhi dekhu kitna bal hai tumme......
Aur woh waha se chala jaata hai ...........
Abhi Shakti k prahar se ghayal hone k kaaran murchit ho jaata hai .......Jisse Devraj Swarg mein apne mahal le jaate hai..........
Parashakti ki urja k kaaran Daksha se milan k baad mili hui healing power dhire dhiire kaam kar rahi thi ........
Devraj ne bhi Swarg k vaid Aswini kumar se aaushadi tayar ki aur Abhi k liye bhej di........
Yaha Abhi ki aankhien khuli toh apne saamne ek ladki haath mein Aushadi ka katora liye Abhi ki taraf aascharya se dekh rahi thi......
Yeh Ladki thi Shamli jo Gandharva raj ki kanya thi.....aur yahi thi Abhi ki agli shakti........
Abhi bas usse ektak dekhne laga .....Kisi Aspara jaisa saundrya ...Aur chehre par masumiyat....Aankhe jaise hirni ki tarah badi badi ......Abhi bas uss rup saundrya ko dekhkar jaise kho sa gaya tha......
Dhyan mein kai dino se jis kanya ko Abhi dekh raha tha aaj woh saamne thi
Tabhi Ashwini kumar ander aate hue .....Arre Shamli tumne abhi tak yeh aushadi inhe lagayi nahi.....
Shamli - Gurudev ....aushadi toh hai parantu kaha lagau inko toh koi ghav hi nahi hai ......tab tak healing power apna kaam kar chuki thi....
Ashwini aushadhi wapas lete hue ...koi baat nahi tum inka khayal rakho ....Dhyan rahe yeh Devraj ka aadesh hai.....aur woh chale jaate hai...
Abhi - Tumne aisa kyu kaha ki koi ghav nahi hai ,
Shamli - Satya hi toh kaha ....kaha hai muzhe toh dikhayi nahi de raha
Abhi - apna haath idhar laao .....
Shamli - kyu...
Abhi - tumhe apne ghav dikhana hai.....
Aur abhi usska ek haath pakadkar apne dil par rakh deta hai........
Abhi - tumahari in aankhon k baan ne mere hridaya par ghav kar diya hai .....dekho toh kaisa joro se dhadak raha hai.......
Pahele toh woh samaz nahi paayi par jab samaz aaya toh woh sharmakar haath chudakar bhagne lagi ......
Abhi - Dekho ...Devraj ne aadesh diya hai tum aise nahi jaa sakti ......
Abhi ki baat sunkar woh wapas mud jaati hai....
Aaj k liye itna hi.....
Agla update kal.......