• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ABHI -- THE WARRIOR (Completed)

Aapko Kahani kese lag rahi hai...

  • very Good

    Votes: 46 92.0%
  • good

    Votes: 6 12.0%
  • not soo good

    Votes: 2 4.0%

  • Total voters
    50
  • Poll closed .

abhi1008

Well-Known Member
2,116
10,741
143

abhi1008

Well-Known Member
2,116
10,741
143

abhi1008

Well-Known Member
2,116
10,741
143
Dekhtay hai narayan ke ab 2 bhakt aamne saamne honge to kia hota hain aur abhi kaisay is jatil. Samaya ko jal karta hain. Aur dekhtay hi rakesh jo khud mahakal ka ansh hai kia woh us bomb se bach pata hain aur us bomb ke phootne ke kia parinaam nikalte Hain. Abhi to aapki story me kaafi peechay hoon par jaldi hi sath hoonga.
Thank you so much Bhai for your super fantastic ...excellant...awesome...Review & support
:thanks: :thanks::thanks:


aise hi saath banaye rakhe.....

 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,277
38,735
258
Update - 132

ab tak aapne dekha Abhi ne kaale dragon ko Eblis k prabhav se mukt kar diya jiske kaaran niche k 7 loko par uska prabhav khatam hua ...aur sab pahele ki tarah normal ho gaya ....

ab aagee .....

Yaha patal lok mein jab KS ko jab apni aur Eblis ki haar ka pata chala toh uska krodh aur badh gaya .....Usne Apne sabhi asur jo carodo ki tadat mein the unhe patal lok mein sanghathit hone ka aadesh diya ....ab ...woh aamne saamne ka yudh karna chahta tha .......

janalok k samay mein aur patal k samay mein bahut antar tha ..Abhi ne janalok mein sava din bitaya tha jo yaha k hisab se 13 din k barabar tha ........

KS ko apni aakhri bali dene mein ab 2 din baaki the .....usne Madalsa ki bali k baare mein kisi ko nahi bataya tha......

Madalsa ki bali k liye usse Durmukhasur ko apne vishwas mein lena tha ......

KS ne Apne dono bete Durmukhasur aur Bhayaksha .....ko apne kaskh mein bulaya ....

Dono bhai KS k kaskh mein aate hi KS ko pranam kiya ......

KS - aao putro baitho ......

DR - Pitashri kya aadesh hai aapne hume kis kaaran bulaya hai .....

KS - putra sabse pahle kya tumhe pata chala k Rakshak aur uska pariwar jeevit hai .....

DR - Haa pitashri parantu yeh samaz nahi aaraha yeh kaise sambhav hua .........

KS - Putra tum abhi Rakshak ki shaktiyon ko nahi jaante .....tum kya sochte ho k itni shaktiya aur asuri maya ka swami hone par bhi main kyu itne varsho se sadhna mein baitha hu .....

DR - aapka kathan satya hai pitashri .....Tridevo ki maarak shaki se mere bharpur vaar se uska saara pariwar samapt ho gaya tha ......parantu...na jaane kis shakti k dwara usne apne aapko aur apne pariwar ko bachaya.....muzhe ab lagta hai ....k maine vyarth hi itni tapasya karke shakti ko prapt kiya ......

KS - putra tapasya se prapt hui shakti kabhi vyart nahi hoti .......jaha tak mein jaanta hu tumahari shakti ..amogh hai .....tumhe uska satik prayog karna hoga ...abhi bhi do awasar hai tumahare paas.....

abhi isske liye do din aur shesh hai kal raatri ko meri 14 bali poorna hogi aur muzhe prapt hojaayegi woh shakti jisase Rakshak ka ant ho jaayega aur uski saari shakti bhi muzhe prapt ho jaayegi aur mein ban jaaunga sarva shaktiman .......

Yaha tumhe bulane ka kaaran ek yeh bhi hai k kal hone wali bali k baare mein tumse vichar vimarsh karna hai....

DR - pitashri aapne aaj tak toh kisi bali k baare mein humse vichar vimarsh nahi kiya ....aur aapko iski aawashyakta bhi kya hai ....aap asur samrat ho ...sarva samarth ho .......bali k liye humse puchne ki baat hi kaha se aayi .....

KS - putra sarvapratham yeh batao k tum asur samrajya k prati kitne nishtha van ho .....

DR - pitashri aaj yeh prashna kyu ......kya aapko meri nishtha par koi shanka hai .......pitashri mein aapko yeh vachan deta hu k Asuro k utthan k liye aur aapki vijay k liye mein apne prano k tyag karne k liye bhi tayar hu .....

KS - apne prano ko nahi putra parantu kya kisi apne priya vyakti k prano ko nyochavar karne k liye tayar ho ......

DR - aap kya aur kisiki baat kar rahe hai pitashri ...spasht kahiye ......

KS - Madalsa ki ....

DR - Madalsa ki ....woh inb sab k bich mein kaha aagayi ...uska iss sab se kya lena dena ....

KS - lena dena hai putra ....lena dena hai ....kyu ki jiski muzhe antim bali nahi deni hai woh Madalsa hi hai .....

DR - Pitashri .....nahi .....Aap aisa nahi karenge ....Madalsa toh aapki sabse priya putri hai ...aur hum jaante hai k sansar mein yadi aap kissi se sabse adhik prem karte hai toh woh hai Madalsa ..aap kisi aur ki bhi bali de sakte hai....phir Madalsa hi kyu....

KS - iske alawa aur koi marg nahi hai putra ....hume bhi iss baat ka bahut dukh hai ...parantu hamare asur samrajya sthapit karne k uddeshya k liya yeh aawashyak hai ......Madalsa ko hum sansar mein sabse jyada prem karte hai .....hamara wohi prem uski bali ka kaaran ban gaya hai putra .......

DR - pitashri aap yeh sab Rakshak k ant k liye hi kar rahe ho na ....yadi mein uss Rakshak ko hi samapt kar du toh ......aapko phir iss bali ki koi aawashyakta nahi hogi .....kal k suryo day se purva ..Rakshak ka mritdeh aapke sanmukh hoga ...yeh mera vachan hai ......
hir aapko Madalsa ki bali dene ki koi aawashyakta nahi hogi .....

Muzhe aagya de ......

Bhayaksha - Haa pitashri ....muzhe bhi bhai ki baat sahi lag rahi hai .......main bhi apne dono bhaiyo ka badla ...Rakshak se lene k liye tadap raha hu ...muzhe bhi bhaiya k saath jaane ki aagya de ......

KS mann mein - ( aise kaise itne varsho ki sadhna ko mein adhura chod du shaktiya parpt karne k liye toh Madalsa ko ab marna hi hoga )

Yaha jab yeh teeno baat kar rahe the ..tab bahar ...Madalsa ki maa Madnassa sab sun rahi thi......usse iss baat ka bahut dhakka laga ..k ..kaisi ek pita ...apne swarth k liye apni hi maasum purti ki hatya ka nirnay le sakta hai ....uss ghin hone lagi apne pati se .....

KS - Thik hai putro humara aashirwad tumahare saath hai ......

DR ..aur Bhayaksh apne pita ko pranam karke waha se nikal gaye ....

Madnassa ne jab dekha k dono bahar hi aarahe hai ...toh woh turant waha se chali gayi lekin KS ki nazro se bach naa saki ......

Madnassa apni putri k prano ki raksha karna chahti thi ....isiliye woh Madalsa ko KS ki hakikat batakar waha se nikalna chahti thi .....

Madnassa jab Madalsa k kaksh mein pahunchi ...tab woh apne bister par baithi gumsum si Abhi k hi khayalo mein thi ....baar baar woh Abhi ko apne dil se nikalne ka prayatna karti thi ....lekin uska perm aur gahra hota jaata tha ....

Madnassa apni putri ko aise khayalo mein khoye dekhkar ....uske paas jaakar uske sir par haath phera ....

Abhi k baare mein sochte hue uski aankho mein baar baar aansoo aajaate the ....jab Madalsa ne apni maa ko apne nikat dekha toh turant apne ansoo poch diye ......

Madalsa - maa aap ...accha hua aap aai mera bada mann tha aap se milne ka ......

Madnassa - toh putri aai kyu nahi ...apni maa se milne k liye bhi itna vichar karna padta hai.......kuch din se dekh rahi hu tum bahut udas si khoyi khoyi si rahti ho ....sahi se apna dyan bhi nahi rakti ho ......tumahare chehre ki woh chamak kaha gayi putri .....kya baat hai ...apne maa ko nahi baataogi ....

Madalsa - kuch nahi maa bas aise hi ......

Madnaasa ne pyar se yske sir par haath phera ......beta dekh mein teri maa hu ...aur teri sakhi bhi ....kya baat hai beta ....iss prakar tumhe andar hi andar ghutate hue dekhkar muzhe bahut dukh hota hai ........

Apni maa ka pyar paakar Madalsa apni maa k gale lag jaati hai aur ..apne dil ka bojh aansoo dwara bahar nikalti hai ....

Madnassa bhi uski pith thapthapakar usse santvana deti hai .....

apni maa k gale lagkar usse ab thoda aacha lagne laga tha ......madnassa ne apne haatho se uske aansoo ponche ......

Madalsa ne ab apni maa ko poori baat batayi ki kaise Abhi kai varsho se uske sapne mein aata tha .....kis prakar woh usse ghayal awastha mein mila aur uske uska upchar kiya .....Woh Abhi ko apna sarwaswa mann chuki thi ...apna pati mann chuko thi ....

lekin jab usse pata chal k jisse woh apna sabkuch maan chuki hai woh hi uske bhaiyo ka hatyara hai aur asur vansh ka sabse bada shatru ....toh ussne Abhi ko bhulne ka bahut praytna kiya lekin aisa kar nahi saki ......

Madalsa ki baat sunkar Madnassa bahut khush hui .......Putri abhi tum Apne pita aur bhaiyo k satya se awgat nahi ho ....unke liye tum apne prem ko thukrao mat ......

Tumhe pata hai tumare janm k samay maa bhagwati ne swapna mien muzhe yeh sanket diya tha k yeh kanya meri amanat hai ....Mera swami k ansh se hi utpanaa veer hoga isska pati jo damay par isse lene aayega ...

Putri itne varsho se mein iski pratiksha kar rahi thi ...ab jab tumne bataya toh ....pata chala jiski mein pratiksha kar rahi thi woh tumse mil chuka hai ....Haa putri yeh Rakshak hi hai ....tum apne pita ki chinta mat karo....

Madalsa - Parantu maa....Woh toh Pitashri k sabse bade shatru hai .....aur hamare bhaiyo k hatyar bhi ....

Madnassa - putri tum abhi apne pita aur bhaiyo k karmo k baare mein nahi jaanti ho ...tumhe ab shigra hi yaha se nikalna hoga ....ussi gupt raaste se jo tumhe pahele se hi pata hai ....kyuki kal tumahare pita ......

Abhi Madnassa aage kuch bol paati k tabhi waha KS aagaya .......

KS - kya baatein ho rahi hai maa beti mein .....jara hume bhi toh pata chale ....

Madnassa - kuch nahi ji ....bahut dino se hamari putri yaha mahal mein hi band hai ....toh socha .thoda kahi bahar bhi nikle yahi baat ho rahi thi ....

KS madalsa k sir par haath pherte hue ....Kal tak yeh kahi nahi jaayegi ....putri kal maha pooja hai .aur tumahar hona waha bahut jaruri hai ......kya tum nahi saath dogi apne pita ka ......kal meri sadhna poori ho rahi hai ....uske baad tum mukt ho .....

Madalsa - kyu nahi pitashri ...mein kahi nahi jaa rahi hu ....Muzhe toh bahut khushi hai k kal aapki itne varsh ki tapasya poorna ho rahi hai ....jiske kaaran aap muzhse bhi nahi mil paate the ..

Madalsa k sir par pyar se haath pherte hui ......Accha ab mein chalta hu putri ....aur haa tumahari mata se abhi muzhe kuch kaam hai ......chalo ...Madnassa .....muzhe tumse kuch baat karni hai ..

Aur KS Madnassa ko waha se lejane lagta hai ....jaate jaate Madnassa ...Madalsa ko kuch ishara karti hai lekin woh samaz hi nahi paati hai ....

KS madnasa ko apne kaksh mein lejaakar dharti par patak dera hai ......

KS - meri beti ko mere hi virudh bhadka rahi thi .....tumhe dar bhi nahi laga yu chipkar humari baate sunte hui ......

Madnassa - toh kya karu ...ek beti ko pita k hi haato marne du ....

KS - haa ...woh ..meri ..sampatti hai ....mere hi dwara uska janm hua hai ...mein kuch bhi kar sakta hu ....tumne bahut badi galti kar di ...madnassa humare bich aakar ...

mann toh kar raha hai k abhi tumhe samapt kar du .....
paratu tumse maine prem kiya tha woh hi muzhe rok raha hai.... aur phir KS ne Madnassa ko apne gupt tahkhane mein kaid kar liya ....


KS ko pata tha k Abhi apni aakhri shakti prapt karne patal lok mein jarur aayega.......usne Madalsa aur Madnassa ki saari baatien sun le thi .......

Ab uske madalsa k kaksh ko bhi poori traha ek kaid mein badal diya ......aur aisi vyastha ki k waha ki har gatvidhi par uski nazar bani rahe ....

KS ne Patal lok ki suraksha aur bada di Apne mayavi asur bhi gupt roop se patal lok ki seema par tainat kar diye ........

usne Patal lok ki seema ko devi nikumbla ki shakti se bandh diye jiske kaaran ...sirf...asur hi usmein pravesh paa sakta tha .......

abhi k liye itna hi ....

agla update jald hi ....
Nice update bro
 
Top