Update 7
Viraj ghar se nikal kar dhire dhire kadmo se charo taraf dekhte hue,garage ke taraf jane laga,garage me bahut sari gaariyan thi,kuch aaisi bhi gaariyan jise india me kisi ne dekha v na ho,
Viraj unme se apni pasand ki ek car unlock karta hai,driving seat par baith kar wo abhi garage se nikal hi raha tha ki samne me ek saksh(white uniform)kanhi se aakar khara hogaya,age 40-45 saal hoga,wo apne dono hatho ko faila kar,chehre par ek muskaan ke sath khara tha,
jaise hi Viraj ne us aadmi ko dekha to dukhi man se,apna sir driving seat par piche me tika kar upar ke taraf dekhne laga...
tabtak wo aadmi,driving seat ke gate tak pahunch chuka tha,usne haste hue kaha,
"kyo viraj babu,aaj phir se kanhi accident karane kar irada hai"
Viraj(nirash man se),
"uncle please,aapka to roj ka kaam hai,aaj mera pahla din hai college me,interview hai,so aaj kam se kam mujhe drive karne dijiye"
wo aadmi haste hue,
"chote sahab mera jo roj ka kaam hai,wahi mai kar raha hu,lekin jo aap karne jaa rahe hai,usse jaroor meri noukri chali jaayegi"
ye sunkar viraj ne kuch nahi jawab diya,bas driving seat se nikal kar bagal wale seat par baith gaya,
wo aadmi driving seat par baith kar car chalate hue ghar se bahar nikal liya,or car apne gantavya ki or chalne lagi,
car ke andar,
viraj,
"uncle jald hi mai 18 ka ho jaaunga,tab dekhta hu aaplog kaise rokenge mujhe"
ramesh(driver,),haste hue,
"to isme itna naraz hone wali koun si baat hai chote sahab,aapke janmdin ke liye sab bahut khushi se intezaar kar rahe hai,or rahi baat driving nahi karne jaisi baato ka,wo to aapke pariwaar or khash kar aapke bhaiya ko aapki bahut chinta rahti hai,isiliye nahi karne dete hai"
viraj(pheeki hansi ke sath),
"pariwaar,kaisa pariwaar?"
Ramesh,
"kuch baat hai to mujhe bata sakte hai aap,dukh or dard baatne se kam ho jata hai"
Viraj ek baar ramesh ki or dekhta hai,or phir(nirash hokar),
"aap mera dukh nahi samajh payenge"
phir car me ek khamoshi cha jati hai,koi kuch nahi kahta,kuch hi der baad,
Ramesh,
"dekhiye,baato hi baato me aapka college aagaya,aapke dost intezaar kar rahe hai"
Viraj apne sonch se nikal kar samne ki or dekhta hai,samne college ka bara sa gate jispar bare bare aksharo me likha tha,M.M.C.H,
viraj apne bag ke sath,car se nikal kar bahar aata hai,ab wo kuch der pahle ki baate bhul chuka tha,kyoki ab uske samne ek naya adventure khara hai,tabhi piche se ek awaj aati hai,
"ab mai jaa raha hu chote sahab,bas ek baat yaad rakhiyega,dukh to har insaan ke jindagi me hota hai,lekin aage vahi badh pata hai,jo apne dukh ko bhulakar apne jindgi me bachi hui khusiyo par dhyaan deta hai"
Ramesh car ghuma kar muskurate hue jaa chuka tha,or chor gaya viraj ko,jo wanhi par khara ramesh ki baato par sonch raha tha....
vanhi se kuch duri par,jhariyo ke piche khari ek saya ye sab dekh rahi thi,
"bas kuch din or mere malik,phir se aap mere hojayenge,bas aap bhatak mat jana"
to be continued..........