• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Adventuresss of Karma (WORLD BEYOND THE WORLD) Part 2*

Do you like this story

  • Yes

    Votes: 49 94.2%
  • No

    Votes: 3 5.8%

  • Total voters
    52

jmz

New Member
41
65
33
Bhai bhut hi acchi story chal rhi hai
Unicorn and orthros ki bhi entry badiya thi
Or teeno hi olympian creature hai ( Medusa, orthros and unicorns).
Jis tarh se kahani ko joda gya hai vo bhi accha hai
Or orthros ko sirf god ya demi god hi mar sakte hai like Hercules does
Kyoki vo bhi ek mythological creature hai
Or napoleon lion ka father bhi jisse bhi Hercules ne mara tha

Bhai bhut badiya
Waiting for next update
Bilkul sahi bat hai mind blowing wrighting hai mano hum wahi khade sub dekh rahe hai
awesome
 

Tiwari_baba

Active Member
1,358
3,786
159
Maaf karna yaar comnt nhi kar paya do baar se... Bahut hi badhiya update supper hitt... Or itne sare supperr villen maza aa gaya.... Bahut khhooob bhai..... Waiting for next
 
  • Like
Reactions: Dark_Shadow...

Dark_Shadow...

Active Member
874
1,356
123
very nice update .......
Keeo it up bro .......
update read kr k maza aa gaya .......
Ab karma ko No Return Land ka raja bnao gy k os ko No Return Land se bahir le jao gy .........
Next update ka intezar rahe ga ...........
thank you so much abbasi bhai.keep supporting.next update thodi der me.aur karma no return land ka raaja nahi bane ga bhai.uska king koee aur bane ga...vo to aap ko aage aane vale update me pata chale.sathi hi ye bhi aap ko next update me pata chale ga ki kaise karma no return land se bahar aaye ga.
 

Dark_Shadow...

Active Member
874
1,356
123
Bhai bhut hi acchi story chal rhi hai
Unicorn and orthros ki bhi entry badiya thi
Or teeno hi olympian creature hai ( Medusa, orthros and unicorns).
Jis tarh se kahani ko joda gya hai vo bhi accha hai
Or orthros ko sirf god ya demi god hi mar sakte hai like Hercules does
Kyoki vo bhi ek mythological creature hai
Or napoleon lion ka father bhi jisse bhi Hercules ne mara tha

Bhai bhut badiya
Waiting for next update
than you so much bhai.keep supporting.next update thodi der me.wow bhai aap ko olympian creatures or unke mythology k bare me bahot kuchh pata hai.itna to mujhe bhi nahi pata tha main to jo bhi mere maan me aaya vo hi likh diya tha.olympian ka naam bhi maine aap se suna.aur aise hi interesting bate aur sujhav share karte rahana bhai.aur aise hi sath bane rahana bhai.
 
  • Like
Reactions: Samrock19797

Dark_Shadow...

Active Member
874
1,356
123
Bilkul sahi bat hai mind blowing wrighting hai mano hum wahi khade sub dekh rahe hai
awesome
thank you so much jmz bhai.mujhe bhot khusi hai bhai ki aap ko aisa feel huva.aur main aage bhi kosis karunga ki aap ko interest aise hi bana rahe.aur aap ko jab lage ki koee sujhv dena ho ya kuchh pasand nahi aaye ya interest kaam ho raha ho to bhai.jarur bata.keep supporting.next update thodi der me bhai.
 

Dark_Shadow...

Active Member
874
1,356
123
Maaf karna yaar comnt nhi kar paya do baar se... Bahut hi badhiya update supper hitt... Or itne sare supperr villen maza aa gaya.... Bahut khhooob bhai..... Waiting for next
sab se pahale thank you so much bhai.aap ne mere story k liye time nikala aur itna achchha comment kiya .aur rahi baat sorry ki koee baat nahi i under stand aap ya koee bhi busy ho sakta hai.vaise aap ka bhi story mast jaha raha hai.keep writing.and keep supporting.next update thodi der me. aur rahi baat super villans ki to...jab karma itna pawerfull bante ja raha hai to koee to chahiye na.tabhi to story me intert aur adventure aaye ga bhai.aur koee baat ya sugession ho to bhai jarur share karna.
 
  • Like
Reactions: Tiwari_baba

Dark_Shadow...

Active Member
874
1,356
123
UPDATE-44

Recap-
Pichhale update me dosto aap logo ne padha hoga kaise karma orthros ko harata hai aur phir black unicorn ko hasil karta hai.aur aap logo ne ye bhi padha hoga husna k bare me jin lok k raaja ko pata chal jata hai aur sath hi husna ko pakad k lane ka aadesh de deta hai.
Ab aage…..


Jin lok-
Jin lok k mahaaraaj k aadesh k baad mahaamantree- ne apne desh k sabse mahir jin sainiko ko husna ko pakad k lane ka aadesh deta hai aur sath me ye bhi hukum deta hai ki kisi ko bhi ye baat nahi pata chalna chaiye.us jin (matlab husna ) ko aise gupt tarike se lana ki uske maalik tak to ye pata na chal sake ki kab hum uske desh me aaye aur uske jin ko pakad kar apne desh me laaye.

Mahaamantree-apni jin sainiko se.aur ek baat yaad rakhna us jin ka maalik bahot takatvaar hai. dharti lok me uska bahot naam hai.kosis karna tum sab us se na takrana.aur jab vo jin tum sabhi ko akele dikhe gi .to tum sab bhi usi jin prajati ka roop le lena .aur baki sab kuchh uske baad kya karna hai tum sab ko pata hi hoga . aur ye raha us dharti ka naksha aur us desh ka bhi jaha is samay vo jin hai.aur hamare jadugar jino k mutabik is samay us jin ka maalik apne desh me nahi hai aur yahi sahi mauka hai us ko pakad k lane ka .ab tum sab jao aur kahli hath mat lavtna nahi to samajh jana ki tum sabhi ka aakhri din aa gaya hai.

Jin sainik-g mahaamantree ham sab kuchh samajh gaye hai. aap nischint rahe kuchh hi samay me vo jin .jin lok k kaal Kothari me hogi.itna bol kar vo sabhi chale jate hai.

Melboalfan-
Husna –is samay husna alfan me ghum rahi thi.aur vo is baat se anjaan thi. ki us par koee samsya aane vali hai .vo to mast maje se bina kisi tention k alfan raajya me ghum rahi thi aur sath hi ye bhi pata laga rahi thi kahi kuchh gadbad to nahi hai raajya me lekin sab kuchh samany tha .isliye husna ne vapas mebolina jane lagi .

{dosto main aap sabhi ko bata du melbolina aur alfan k bich me ek chota sa jungle padta hai.}

Husna-jab melbolina vapas jane lagi to use laga ki koee jungle me hai.usko kisi jin k hone ka aisas huva.isliye vo kud jungle me chali gai sach jaanane k liye .jaise hi vo jungle k andar pahochi to vo ekdum se ascharya ho gai.aur hoti bhi q nahi aaj itne varso k baad uske prajati k jin jo usko dikhe the.isliye husna ne apne dono aankho ek-do (1-2) baar mal k dekha kahi vo sapna to nahi dekh rahi hai.ek baar uske maan me aaya kahi koee ye uske sath chhal to nahi hai (dosto kahte hai na bhagvaan musibaat me padne se pahale hame ek chetavni dete hai .samajhna aur nasamajhna ye hum par hota hai aur yahi husna k sath bhi huva ab dekhte hai husna k sath kya hoga ab aage… ).isliye husna ne apni jin takato se pata lagaya ye asli jin hai ki nahi. turant usko pata chal gaya ye asli jin hai.jab vo dhire dhire un sabhi k pass jane lagi.tabhi

Husna-tum sab kaun ho aur yaha tak kaise pahuche kya tumhe kisi ne roka nahi .


Jin sainik-nahi hum sabhi ne apna rup badal liya tha aur hame pata chal tha ki hamari prajati ki jin melboalfan desh me hai. isliye hum tumko dhudte huve yaha tak aa gaye.aur tumko hamari madat karni hogi. kuchh shaitaan hame marna chate hai .hame marna nahi abhi.hame bacha lo.


{dosto aap sabhi bilkul sahi soch rahe husna ne jisko abhi jungle me dekha jo uske jaise hi chote jin the. vo sabhi aur koee nahi balki jin lok k sainik the.jin lok k sainiko ne apna roop badla liya tha.dosto ab aap sabhi k maan me ek aur saval aaya hoga ki melboalfan par to karma ne ek shild laga rakha hai jisko todna bilkul bhi asaan nahi hai aur agar kisi ne bhi todne ki kosis kiya to sabhi ko pata chal jaye ga.isliye jin lok k sainiko ne melboalfan k mukhya dawaar se apna roop badal kar alfan me guse taki kisi ko kuchh bhi pata na chale.ab aage}

Husna-jin sainiko ki bate sun kur thoda bhavuk ho jati hai.aur un sabhi k ek dum kareeb chali jati hai tabhi.

Jin sainiko- ne husna ko ek maaya bi hathkadi uske hatho me pahnaadete hai bina samay gavae.aur

Husna-ne jab apne hatho me hathkadi dekha to vo hosh me aa gai.aur usko apni galti ka aisas ho gaya ki vo bhanav me bahkar khatro ko pahchhan nahi paee.aur vo khud hi apne pair kuladi par de mari.lekin ab vo kuchh bhi nahi kar shakti thi.isliye vo apne aap ko shaant kar k jin sainiko se pucha kaun ho tum log aur mujhe q pakda hai tabhi.

Jin sainiko-ne apna roop badal liya aur apne asli rup me aa gaye .aur vo sabhi bina kuchh bole husna ko jin lok le kar chale jate hai melboalfan se.

No return land-
Main-to abhi bhi black unicorn k khubsurti ko dekhne khoya tha.lekin mere black unicorn k khubsurti ko dekhna jada der tak nahi chala q ki koee mujhe lagataar bula raha hai maalik maalik maalik maalik.ye maalik shabd baar baar mere maan me mujhko sunaee de raha tha.aur jab maine phir bhi us aavaaj ka javaab nahi diya to mujhe laga koee mera gaal chaat raha hai.taab jaa k main apne soch se bahar vartmaan me aaya aur dekha to mere gaal chate vala koee nahi balki black unicorn hai.ab to aur bhi jada aakarshit ho gaya tha .is samay ab vo kuchh is tarah dikhne laga tha.

Black unicorn-maalik main aap ko kaab se bula raha tha. aap kaha khoo gaye the.aur ab hum is no return land nahi nahi is ko no return land kahna thik nahi hoga balki ye ek manahoos jagah hai .maalik is manahoos jagah se kaise niklenge.tabhi

Mere-maan me ek baar phir aavaaj sunae dene lagi main idhar udar dekhne laga lekin mujhko koee nahi dikha .to main ne bhi apne maan me kaun hai aur kun maujhse ye sab bol raha hai.

Black unicorn-maalik koee nahi .main hi hu dekho .main aap k bilkum saamane to kahada hu.

Main-mere saamane .iska matab hai ki black unicorn tum ye sabhi bate bol rahe the likin tum to mere saamane ek dum shaant kahde ho phir kaise.

Black unicorn-maalik ye to kuchh bhi nahi hai .ye meri kuchh gupt kalao me se ek hai.


Main-both achchha jaise tumhare bare suna tha .tum vaise hi ho.achchha black unicorn kya tuhare koee naam hai.

Black unicorn-nahi maalik aap hi koee achchha sa naam rakh do.aur ab hame is jagah se jitni jaldi ho sake unta jaldi nikal jana cha hiye.phir pata nahi ye manahoos jagah kaun se khel khelna suru kar de.

Main –ha black unicorn tum bilkul thik kah rahe ho is jagah se jald se jald nikalna chahiye.main aaj k baad kabhi yaha nahi aunga.aur aaj se tuhara naam Pegasus hoga.tabhi ek baar phir se vahi safed dhund hamare charo taraf aane laga .

Safed dund-karma tum ne bahot hi samjhdari aur bahaduri se apne manzil tak pahoche hi isliye main tumse bahot khus hu mango tumhe kya chahiye.main tuhari koee ek ichchha puri jarur karunga.aur ye bhi yaha ka ek niyaam hai jitney vali ki ek ichchha puri karna agar vo us layak huva to nahi to agar vo sach me jo ichchha chahata hai aur vo us kabil nahi hai to usko no return land ki pahileyo ko suljhana padega aur agar vo aisa nahi kar paya to usko turnt khatam ya kaid kar diya jaye ga.ab tum batao apni ichchha.

Main-safed dhund ki baat sun kar savdhaan ho gaya.q ki abhi kuchh der pahale hi mujhko Pegasus (black unicorn) ne bataya tha. ye manahoos jagah kuchh bhi khel khel shakte hai.main apne maan kahi ye mere sath phir se koee khel khelne ka to nahi soch raha hai .ho sakta hai meri ichchha jaanane k badle phir se koee khel khelne na lag jaye.kya karu main .tabhi main mujhe yaha se bahar jana hai.


Safed dhund-vo to tum jao ge hi phir bhi tumhe bahar jane k alava ek ichchha to batana hi pade ga aur nahi bataya to tum yaha se aage nahi badh sakte ho.

Main-apne maan me kya musibat hai yr.achchha theek hai main apne shaitaan yoni se mukt hona chahata hu aur mujhe phir se pahale jase insaan bana do.inta bol kar main bhagvaan ka naam apne maan me lene laga.


Safed dhund-ye puri tarah se sambahv nahi.tum par shaap hai unicorn ka aur tum ne khud ye jeevan chuna hai shaitaan banane ka.

Main-ha ha mujhe ye dono cheeje pata hai.lekin tum kya kah rahe the meri ichchha puri tarah sambhav nahi hai se kya matlab hai tumhara.aur vahi dusri tarf Pegasus meri aur safed dhund ki bate ek dum shaant ho kar sun raha tha.


Safed dhund-main tumhe ek aisi shakti dunga jisase tum insaan to ban jaoge lekin puri tarah se nahi.

Main-tum kahna kya chahate ho saf saf kaho.

Safed dhund-tumhari shaitaan yoni se mukht nahi ho sakte ho.meri shaktiya tumhe insaan to bana dengi lekin tum andar se shaitaan hi rahoge.aur ek baat tum jab chaho shadow ban sakte aur jab chaho insani rup le sakte ho aur to aur to vo sari cheje tum din me bhi kar sakte ho .jo tum raat hone k baad shadow banane k baad karte the.aur main tumhe locket bhi de raha hu .ye koee aam loket nahi hai ye locket jab tak tuhare pass hoga tab tak koee bhi shakti jo tumahre pass hai vo bekabu nahi hoga aur tumko koee bhi nahi hara paye ga asani se.aur ye locket agar tumhare ass pass koee khatra hoga to apna raang badal k bata dega.baki cheeje tumhe khud he apne aap pata chal jaye ga.karma kya tuhme ye sauda manzur hai.

Main-ha bhai mujko manjur hai.(main apne maan me kaun itna achchha sauda manzur nahi kare ga ).tabhi dhund mujhe puri traf se apne andar sama leti hai kuchh der k liye .jisme mujhko kuchh jhatka lagata hai .phir kuchh der baad dhire dhire mere charo taraf se dhund chhatne lagta hai.aur mujhe bhi bahot achhha maisus ho rah tha. New (naee) shakti milne par.mujhe to aisa maisus ho raha tha jaise mujhe naya jeevan mila ho.


Main-apne maan chalo yaha se hamesa hamesa k liye jane se pahale kam se kam kuchh prashan to puch leta hu.main bhai kya aap bata sakte hai is no return land ka raaja kaun hai.aur nahi batana chate ho to rahne do.

Safed dhund-hamare maalik ka abhi janam nahi huva hai.kya tum ab taiyaar ho yaha se jane k liye.


Main –pegasus mere andar aa jao.main taiyaar hu.itna bolte hi vo safed dhund ne mujhe phir se gher liye aur palak japkate hai ek unjaan jagah par chhod k chali gai ab sirf main aur Pegasus hi bache isliye maine apne maan me teharma rajya k bare me socha .maine jaise socha hi tha maan me ki.turant main teharma raaj me pahoch gaya phir uske baad maine apne kamre k bare me soch turant main apne kamare me bhi poch gaya .tabhi main samajh gaya ki ye sab kuchh Pegasus ka kaam hai.lekin ek baat bada aschaarya mujhe lag raha tha .ki abhi taak sirf dopahar hi huva hai.iska matlab ye hai ki no return land me samay ki gati bahot dhire hai.main socha chalo thoda aaraam kar leta hu .q ki raat ko ek aur adventure karna hai.

Mere jane k baad no return land me safed dhund-ek aavaaj se kuchh kah raha tha.chalo dosto hum bhi sunte hai kya bate ho raha hai.

Safed dhund-mahaamahim aap ne jaise kaha tha maine karma ko sahi salamat no retun land ne bahar bhej diya.aur kya main kuchh puchh sakta hu aap se?.

Mahaamahim-mujhe pata hai tum kya puchh ne vale yahi na maine karma ki tum ko madat karne ko aur yaha ki shaktiya dene ko q kaha .ye sab kuchh jab samay aage ga. tuhme tab khud hi pata chal jaye ga.itna bol kar dono vaha se gayaab ho jate…..
to be continued.............
 

Samrock19797

New Member
22
27
28
than you so much bhai.keep supporting.next update thodi der me.wow bhai aap ko olympian creatures or unke mythology k bare me bahot kuchh pata hai.itna to mujhe bhi nahi pata tha main to jo bhi mere maan me aaya vo hi likh diya tha.olympian ka naam bhi maine aap se suna.aur aise hi interesting bate aur sujhav share karte rahana bhai.aur aise hi sath bane rahana bhai.
badiya update bhai
Maaza aa gya padh kar

Or bhai jaise ki mai ek bhut bda anime fan hu jo mostly fantasy or mythology ke uper based hoti hai

Or sath hi sath mai mythology ke uper bne shows movie or books ya stories mai bhi ruchi rakhta hu

Issi vajah se mujhe kuch Mythologies bhut pasand hai like yokai, greek(olympian), Indian and Lucifer's.

Or agar aap bhi anime dekhna pasand karte ho toh aapko bhut kuch mil jayega
apki pasand ka like adults ke liye ecchi category mai ussi tarh

fantasy mai oh bhut content mil jayega gods demi gods humans

Jisme se meri pasand hai (highschool dxd)
Yeh devil mythology ke uper based hai or sath isme adult comedy bhi hai jo ek light environment bneye rakhi hai

Issi tarh ke apko bhut bhut anime or mil jayenge like 7 sins etc

Mera ek favorite creatue bhi jo ki mythology world se hai RED PHOENIX OF FIRE iski story bhi bhut interesting hai
kyoki Phoenix mostly sabhi Mythologies mai milte hai
And also the RED DRAGON yeh dono hi sabse strong contenders rhe hai
Either on God side or devil side
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Dark_Shadow...
Top