UPDATE-45
Recap-
Pichhale update me dosto aap logo ne padha hoga kaise jin lok ki sena husna ko alfan se pakad k jin lok le kar jati hai.aur karma no return land se apne sath black unicorn (pegasus) ko teharma me le kar aa jata hai sahi salamat.
Ab aage…….
Main-safed dhund ne mujhko no return land se sidha ek unknown jagah par chhod diya aur vaha se gayab ho gaya is se pahale main usase kuchh puchh pata.ab us jagah par sirf main aur Pegasus hi rah gaye the.maine ass pass dekha us jagah par lekin mujhe kuchh bhi nahi mila q ki us jagah ko dekh kar mujh ko to aisa hi lag raha tha jaise vaha koee jeevan hi na ho .aur to aur mujhe vo jagah no return land k jaisa bhi nahi dikh raha tha.tabhi
Pegasus-maalik aap sahi soch rahe hai yaha koee jeevan nahi hai. main bhi maisus kar sakta hu.aur na hi ye no return land hai.q ki jaha tak mujhe pata hai no return land k niyaam k anusaar andar jane k alag rasta aur bhahar jane ka alag rasta hota hai.vaise maalik aap bahot bhagya shali ho nahi to maine aaj tak mera matlab hai jab se main kaid huva hu no return land me tab se abhi tak jo kee bhi us manahoos jagah par aaya vo kabhi bhi vaha se bahar nahi ja paya.isiliye sabhi log usko no retun land kahte hai. Par shaayad maine koee achchha karam kiya hoga apne jeevan me tabhi aap mujhe lene aaye nahi to maine vaha se nikalne ka ummeed hi chhod diya tha.maalik aap ka bahot bahot sukriya jo aap ne mujhe us narak se bahar nikala.tabhi
Main-pegasus jo hota hai achchha hi hota hai.ab uske bare me bhul jao.aur aaj se tumhara samjho ek naya jeevan suru huva hai.chalo ab ham bhi is jagah se nikalte hai.
Pegasus-ha maalik.jaise aap kahe aaj se mera sab kuchh aap hi ho.mere marte dum tak main aap ki seva karte rahunga.
Main-theek hai to ab chale.itna bol kar maine apne maan me teharma k bare me socha.aur main jaise hi gate istamaal karne vala hi tha ki pegasus ne mujhko palak jhapte hi teharma desh me pahucha diya.jab maine dekhe ki main teharma desh me pahoch gaya hu.tab mujhe sab kuchh samajh me aa gaya ye sab kuchh Pegasus ka kaam hai aur phir main vaha se apne gate spell ki madat se main apne kamare me chala gaya.aur main apne bed pe so gaya q ki main bahot thak gaya tha no return land ka adventure kar k.
{dosto karma ko kuchh der sone dete hai aur tab tak dekhte hai husna ka kya haal hai}
Jin lok-
Husna-tum lok mujhe kis aparaadh me is tarh pakad k le ja rahe ho.mujhe chod do nahi to tum sab nahi jante ho mere maalik ko .tumhari is harkat se tum sabhi k praan hi har lenge.soch lo tum log.main abhi bhi tum logo ko kah rahi hu.agar tum logo ne mujhe chhod diya to main kosis karungi ki tumhari jaan mere maalik na le.
Jin saink-husna ki baat sun kar jor jor se hasne lagte hai.aur phir bolte hai hum bhi to yahi chahate hai vo yaha aaye.isliye to tujhko humne is tarah yaha laya hai.jis tarah tum aur tumhare maalik jin lok me aaye the.tumhe kya laga hame pata nahi chale ga.aur vaise tu kuchh jada hi bolti hai.ab tu aur tera maalik yaha se vapas nahi sidaha upar jao ge.itna bolte hi vo sabhi jin lok me pahoch jate hai aur husna ko ek khaas kaal Kothari me dal dete hai.aur vo sabhi vaha se chale jate hai.
Husna –apne maan me lagta hai un logo ko pata chal gaya ki hum log bina aagya k jin lok me aaye the aur shaayad no return land k bare aur unicorn k bare me bhi pata chal gaya hoga.tabhi vo mujhe yaha is tarh bandi bana kar laye hai.pata nahi maalik kaha honge.maalik ko suchna du ki nahi .ek kaam karti hu pahale sari baate jaan lete hu phir dekhungi maalik ko bulana hai ki nahi.aur is hatkadi k vaje se mera koee jadu bhi kaam nahi kar raha hai.maalik aap kaha ho.itna bol kar vo kisi gahare soch me dub jati hai.
Jin saink-husna ko kaal Kothari me dalne k baad mahaamantree ko suchana dene chale jate hai.tabhi
Mahaamantree-jin sainiko se jo kaam diya tha vo huva ki nahi.
Jin sainik-mahaamantree g vo kaam ho gaya jaise aap ne kaha tha.aur hum ne usko khaas kaal Kothari me dal kar aa rahe hai.
Mahamantree-bahot achchha kaam kiya tum sabhi ne .mahaaraaj tum sabhi se jarur khus honge .main ye baat mahaaraaj ko baat kar aata hu.tab tak tum sabhi us jin ki paharedari karo q ki vo bahot chalak hai .ab jao tum sab.inta bol kar kar mahaamantree vaha se chala jata hai.
Jin saink-bhi mahaamantree ki baat sun kar husna k kaal Kothari k pass chale jate hai.
Mahaamantree-jin sainiko ki sari baat apne mahaaraaj ko pata deta hai.
Jin lok k mahaaraaj-bahot achchha kaam kiya tum ne mahaamantree.tum jao main thodi der me vahee kaal Kothari k pass aata hu.
Mahaamantree-g mahaaraaj.aur mahaamantree vaha se chala jata hai.
Jin lok k mahaaraaj-apne maan me chalo chara to maine rakh diya hai ab asli shikari ko pakadne me maja aaye ga.ab duniya ka koee shaitaan ho ya bhagvaan ho uska jadu us kaal kamre me kaam hi nahi kare ga aur jadu karne ki kosis kiya to vahee kaid ho jaye ga.phir jin lok ka mahaaraaj hasne lagta hai.aur apne maan me aa ja shaitaan main bhi dekhu kaun hai tu aur teri inti himmaat ki jin lok me ghus jaye aur aatank machaye.ab aa k dikha to sirf.
{dosto kahte hai jab hum kisi ko apne sache dil se yaad karte hai to baat us tak pahoch hi jati hai…..aur husna k sath bhi yahi hota hai ab aage….}
Teharma-
Main-abhi soya hi tha tabhi kisi k bulane ki aavaaj mere kane me aati hai aur main na chahate huve bhi mujhe uthna padta hai.jab main apne kamre se bahar dekhta hu to ek savak apni mundi niche kar k khada rahata hai.
Sevak-mahaaraaj mafi chata hu maine aap ko is samay paresaan kiya.lekkin bhojan ka samay ho gaya hai mahaaraaj.itna bol kar vo shaant ho jata hai.
Main-pahale to mujhe bahot gussa aaya tha .lekin baad me uski baate aur uska namr sobhav aur swami bhakti dekh kar main shaant ho gaya aur maine usko kaha mujhe bhookh nahi hai.tum sabhi bhojan karlo.aur vo vaha se chala jata hai.us sevak k vaha se chale jane k baad maine apne kamare me phir se chala jata hu.aur phir se bistar pe let jata hu lekin ab mujko need nahi aa raha tha.isliye maine socha chalo dekha jaye kaun kaya kar raha hai.phir maine suru kar diya dekhan.
Maine-sabse pahale tanishk aur rupvati ko dekha to mujhe pata chala vo dono apne kamare me aaraam kar rahe hai aur minata sainiko se apne mahaamantree k Vishay me baat kar rahe the .jaise ki khuchh pata chala kisne mahaamantree ko itne berahme se mara aur aise hi bahot sari cheeje.phir maine teharama raaj me dekhne k bare me socha to mere maan me bahot sari tasvire aane lagi jisko dekhne par pata chla mujko ki baho se desh k sainik aur raaja apne desh chale gaye hai aur kuchh jane ki taiyaari kar rahe hai.
Maine-teharma desh k baad apne raniyo ko aur apne desh melboalfan ko dekhne ka soch .phir suru ho gaya ek baar mere aankho k saamane pure desh ki tasvire aana kaun kaya kar raha hai.dekhne se lag raha tha desh me sab kuchh samanya chal raha hai aur mere sabhi jaan apne aapne kamre me so rahi hai.sabhi ko dekh kar mujhe bahot santusti huve aur mujhe ye bhi pata chal gaya ki aaj sabhi melbolina me hai.tabhi mujhe husna ka dhyaan aaya.husna kahi bhi mujhko dikhi q nahi melboalfaan me.isliye maine sirf husna k upar dhyaan lagaya . aur mujhe turant pata chal gaya vo is samay kaha hai aur kis halat me .husna ko dekhte hi mujhe sab kuchh samajh me aa gaya.usko vaha q laya gaya hoga.isliye turant main apne kamare se gayab ho gaya.
Jin lok-
Mahaamantree-apne mahaaraaj k aadesh k baad kaal Kothari k pass chala jata hai aur sabhi jin sainiko ko ekdum satark rahane ko kahta hai.aur ye bhi bol deta hai ki mahaaraaj kabhi bhi aa sakte hai.
Jin sainik-mahaamantree ki baat sun kar ek dum savdhaan aur sath hi aur jada satark ho jate hai.
Husna-ye sabh kuchh sun rahi thi lekin vo kuchh kar nahi sakti thi.q ki uski saktiya hatkadi k vaje se bandh diya gaya tha.vo apne maan me yahi soch rahi thi kya karu main aur yaha se kaise niklu aur sab se pahale in hatkadiyo ka kuchh karna pade ga aur main abhi maalik ko bhi nahi bula sakti vo abhi ye sabh kuchh soch hi rahi thi tabhi..
Jin lok k mahaaraaj-vaha aa jata hai aur apne mahaamantee se .us jin ko kaid kahane se bahar laya jaye mere pass.
Mahaamantree-tabhi apni jin sainiko ko aadesh deta hai.
Jin sainik-mahaamantree ka aadesh pate hi husna ko kaal Kothari se bahar le aate hai aur apne mahaaraaj k kadmo me dal dete hai.
Jin lok ka mahaaraaj-apni chutki bajata hai.turant husna ki hathkadi gayab ho jati hai.ye dekh sabhi apne mahaaraaj ko dekhne lagte hai vo kaya kar rahe hai lekin koee kuchh nahi bolta hai.
Husna –ne jaise hi dekha uski hathkadi gayab hogay hai .vo apne maan hi maan bahot khus ho gaee aur apne maan se sochne lagi kisne usko jin lok ka raaja banaya.ab main isko dikhati hu main kya cheej hu.iske baad turnt husna jin lok k mahaaraaja par hamla kar deti hai.lekin ye kya kaal kothadi k pass jitney log the sabhi hairaan ho jate hai ye dekh kar.
Jin lok k mahaaraaj-kuchh bhi nahi karte hai jab husna hamla karti hai.ye dekh mahaamantree sahit jin saink bgi hairaan ho jate hai .un k mahaaraaj husna k hamla javab q nhai diya.lakin ab hairan honi ki bare husna ki thi.
Husna-lagataaar ek k baad jin lok k mahaaraaj par apna hamla kare ja rahi thi . lekin uska koee bhi hamla kaam nahi kar raha tha.jaha pahale mahaamantree aur jin sainik persaaan the ab vo sabhi khus the .lekin ab husna lagatar persaan hote ja rahi thi q ki aaj se pahale kabhi uske sath aisa kuchh nahi huva tha .aaj tak jis par bhi vo apni shakti se hamla karti jarur vo ghayal hota lekin jin lok k mahaaraaj par uska hamla kaam nahi kar raha tha. Aur vo hamla karte huve vo soch rahi thi aisa q ho raha hai mere sath. mere hamla karne k baad bhi jin lok k mahaaraj par meri shaktiya kaam q nahi kar rahi hai.tabhi
Jin lok k mahaaraaj-husna se bolta hai.tum jaise kide makaude jaise jin ki kya avkaat hai.jo mere saamane ek paal bhi kahde ho jao.dekh liya na teri kya avkaat hai mere saamane.chal ab jaldi bata mujhe tera maalik kaha hai.aur q tum log yaha aaye the .main ek hi baar punchta hu samjhi tum dusra muko main kisi ko nahi deta.tabhi
Hunsa-mujhe agar pata bhi hota na to main tujko kabhi nahi batati.vaise teri vakaat kya hai mere maalik k saamane .aur itna hi dum hota na tujhme to mujhe istarah dhoke se yaha nahi lata.tabhi kaal Kothari k pass vo hogaya jiska kise ne bhi kalpana nahi kiya tha .ki intna jaldi hoga aur aisa kuchh hoga.
Jin lok k mahaaraaj-ne jaise hi husna ki bate suni uska para ek dum se chad aaya aur vo gusse me aa kar usne sabhi k saamane husna ko jalaa kar rakh kar diya.aur vo (husna) badnaseeb bechari us nanhi si jaan ko to na hi cheekne ka aur na hi kisi ko yaad karne ka muka mila. To be continued….