- 6,812
- 25,429
- 219
Yahi wo jagah hai.
Suraj ko apni report kunal ko deni hai.raat ke 1:30 baje the
Ek ghar me khatkhataya suraj.kaafi der baad bhi darwaza nahi khula
Phone bhi nahi uthaya tha kunal ne.isliye khud aana pada suraj ko.
Waise suraj ka kaam ye information paas karna hai.fir kaam khatam.
Shayad apne bhai ke saath kuch time spend kar payega wo
Darwaza abhi bhi nahi khula
"Kunal mai hoon,khol"suraj ne awaz to lagai lekin darwaza bandh hi tha.abhi bhi
Ghar ke peecha ek khidki todkar ander aaya suraj
Aur aate hi hairani se aankhen fati ki fati reh gayi uski
Kunal ki dead body padi hui thi farsh par
-------------------------------------------------------------------------------
DELHI
suraj ko urgently aana pada.
Emergency meeting hai.saath me airforce,navy aur army ke heads, defence minister,home minister aur videsh mantri sab ke sab the
Suraj poore coat,trouser aur fir me tha.poora formal
Conference hall ka darwaza jaise hi khola ek mini heart attack a gaya use
Saamne anushka baithi hui thi
Anushka ka chehra hairani me me badal gaya
"Aao champ, introduce karwa doon dono ka.suraj ACP anushka ek diler aur daring officer aur ACP anushka he is our champ suraj.research and analysis wing ka sabse kaabil officer
Anushka ko gussa to itna a raha tha ki wo kya kare pata nahi
Wahi suraj ne apni nazrein jhuka li.anushka ke aankhon me dekhne ki himmat nahi thi usme
"Gentleman aap sabko bata Doon ki 3 suicide attack hui hai germany me,aur kisi ne responsibility nahi li"defence secretary ne kaha
"Aur sabse bade khatre ki baat hai ki 8 terrorist groups dissolve ho gaye hai kisi group me"defence secretary ne fir kaha
"Koi naam to hoga group ka ranjan??"defence minister ne kaha
"Muslim brotherhood,yahi naam diya hai unhone,abhi tak pata nahi chal pa raha hai ki kaha inka thikana hai,CIA kuch kar nahi rahi aur russian ka halka sa support hai"ranjan ye bolkar paani ka glass peene ke liye aage badha
"Lekin usne kerala ko hi kyun chuna,sir??"suraj ne poochha
"Tum wahi ho na beta jisne wo alok srivastav wala case......??"defence minister ne poochha
"Haan sir,suraj sharma"ranjan bola
"Bolo kya kehna hai??"defence minister bole
"Sir,jitna maine study kiya hai.ek baat to tay hai ki SULEIMAN is mission ko kerala se hi start karega,lekin kyun??middle East ya nigeria me to bohut aasan hota,fir yahin kyun??"suraj ne poochha
Sab ek doosre ko dekhne lage.kisi ke paas koi jawab nahi tha
"Shayad india zyada safe hai beta"videsh mantri ne kaha
"4 th largest army in the world,kya baat kar rahe hai sir,wo itna bewkoof nahi hai.maamla.kuch aur hi hai"suraj bola
"Fir tum hi batao suraj"vinod se aur raha nahi gaya
"Sir information collect karte hue maine ek baat ka gaur kiya, Suleiman ne kerala me kaafi informers ko ikathha kiya,aur jitna mujhe pata hai mai usne brainwashing karne ka network bhi bana liya hai,wahi se log recruit honge aur uski army banegi"suraj paani peete hue bola
Ek nazar anushka par daali jo abhi bhi gusse se ghoor rahi thi usko
"Abhi filhal uska plan kya hai??"defence minister ne poochha
"Funding,abhi arbo dollars hawala ke zariye ikathha kar raha hai,aur kuch der baad uski army taiyyar hogi"suraj bola
"Kaisi army??us army se kya hoga??"home minister ne poochha
"Pata nahi lekin kuch bada.aur uske baad koi unhe rok nahi payega"suraj bola
Khamoshi cha gayi conference room me.
"Ranjan team ready karo,kuch na kuch to karna hoga,RAW ka ek bachha shahid ho gaya,17 policewale maare gaye.hum haath par haath rakhkar nahi baith sakte"home.minister bole
"Team nahi.bas ek aadmi chahiye ,Special operations ko ye responsibility diya jayega sir"ranjan bola
"Ye ladka kyun nahi?? homework to acha kiya hai,track record bhi kaafi acha hai"defence minister bole
"I agree Sharma ko sambhalne do ise"home minister bola
"Sir bloodshed hoga,hardcore hai jaan ki koi value nahi hai iske liye.soch lijiye"ranjan bola
"Koi baat nahi,but Suleiman naam ko mita do beta"defence minister muskurate hue bole
"Apna poora report officer suraj ko de dijiye ACP anushka ,aur ye mission bhi aapke liye over hota hai"ranjan bola
"Kya??sir mere 17 policewale shahid hue us Suleiman ki wajah se aur aap keh rahe hai ki mai is mission se hat jaun??"anushka gusse se boli
"Relax madam,ye excitement wala mission nahi hai, strategy aur intelligence based.suraj in sab me specialized hai."vinod se ab nahi raha gaya
"Tumne bohut bahaduri se un darindo se lada hai beta,lekin abhi filhal ke liye yahi sahi hai"defence minister bole
Anushka se raha nahi gaya.wo gusse se uthkar darwaza khol kar bahar nikal gayi apne aansu pochte hue
"I need naval support,kuch commandos aur anushka,she's good "suraj bola
"Thik hai suraj whatever you need.but mission successful karna hai,meeting is over"defence minister bole aur uth gaye.baaki sabhi members bhi uth gaye
Suraj conference room se bhaga.anushka door ja rahi thi
Suraj daudkar anushka ke paas gaya.anushka suraj ko dekhte hi gusse se pagal ho gayi
"Meri baat suno anushka mai..."suraj ne lachar hokar apni safai deni chahi
"Kya??aur kya jhoot bologe suraj??ek journalist??mujhe batana ZAROORI nahi samjha??"anushka boli
"Anushka tumhe pata hai ye protocol ke khilaf hai"suraj bola
"Kuch aur bhi bata sakte the ,koi government job,kuch aur,lekin freelance journalist??"anushka aage badhne lagi
"Mai kya karta anushka meri identify aisi hi di gayi hai,jo identity milti hai.hum agent wahi profession me apna double life bitate hai"suraj ne bataya
"Yani wo ek saath coffee peena,ek saath ghoomna,Hasna sab natak tha suraj??"apne aansu rok nahi pa rahi thi anushka
"Nahi anushka of course no.tum nahi jaanti ki.mai tumhare saath.."
"Bas suraj sharma,aur koi safai nahi sunni mujhe,bye"bol anushka car me baith chali gayi.
Aur suraj dekhta raha use aankhon se ojhal hote hue