• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance AGENT(completed)

Suraj ka love choice koun honi chahiye???

  • Myra

  • Sunita

  • Anwesha


Results are only viewable after voting.

agyant

Active Member
669
833
108
2nd update....
Sidhe 12 sal ka leap. Koi bat nahi.....
Hamara hero bada ho gaya hai, aur gf bhi bana liya :D. Lagta hai suraj ke carefree ladka hai..... aur Sunita practically sochne wali ladki............. To ye bemel ki jodi nehi bani aur ho gaya break up....

Idhar manoj ke bad Raw ka activity kam ho gaya hai aur koi raw ke mission fail kar raha hai..... Bichare khan Sahab pressure mai hai..

Hamare hero break up ke gum bhulane pahunch gaye bar men, par idhar bhi chain na mila, ho gaya panga cousin se... aur ye kya botal sidhe de mara sar pe....
Ab dekhte hai ye lafda kahan tak jata hai......
Waiting for
Next update...........
 

Swaraj

Well-Known Member
6,864
26,013
219
Ek bottle udkar aayi aur mudit ke sar par lagi

"Maa re Mar Gaya"bol mudit sar pakadkar baith Gaya

"Abey Kya dekh rahe ho pakdo saale ko"mudit baithe baithe bola

Suraj ek chalang lagakar bhaga.bhagte hue apne cell phone pocket se nikal Kar call lagane laga

"Nitin ke bacche kidhar hai tu???"

"Abey CS khel Raha Hoon"awaaz aayi doosri aur se

"Bhai jitni jaldi ho sake pick up karne a ja.lafde me pad Gaya"Suraj rone wali haalat me bola

"Fir se Bhai Bhai me jhagda"nitin ne chutki li

"Ghante ka bhai.tu a Raha hai ki nai???aur tujhe Jo kaam Diya tha wo???"Suraj bola

"A to Raha hoon.lekin strange hai yaar.tere papa ki koi information hai hi nahi net per.kuch bhi nahi"nitin bola

"Mujhe lagta hai kuch to gadbad hua hai papa ke saath.maa bhi kuch nahi batati.kuch bhi karke pata laga yaar.please bro"Suraj minnate karne laga

"Abey tu kab se gidgidane laga???dekh Mai jitna ho sake aage badhunga.ab tui iski tension chod aur kidhar hai Bata."nitin haste hue bola

"C scheme me Hoon bro.bunkers ke neeche cellar me hoon.parking lot me"Suraj ek gaadi ke peeche chipta hua bola

"Chal Mai AATA Hoon"bol call cut Kar Diya nitin ne


BACHAOOO BACHAOOO

Suraj ka dhyaan Gaya ek ladki par jisko teen chaar gundo ne pakad rakha tha

"Tujhe koun bachayega jaaneman tu to hamari raani banegi aaj ke liye"ek gunda bola

Suraj uthkar bijli ki raftaar se daudkar ek ghoosa maarne ke liye bada.lekin gunde ladaku the.shayad martial arts jaante the.ek ne vaar ko roka.baaki teeno ne usko jakad liya.suraj chatpatane laga.aur isse pehle wo kuch samajh pata ek sui chubh gayi uske gardan par.aur sharir thanda pad gaya.aankhen bandh ho gayi

-------------------------------------------------------------------------------

"Hosh a Raha hai bacche ko madam"

"Good.dose jyada to nahi tha na??"

"Kahan madam.waise bhi har dose ka hisab government ko Dena padta hai"

HA HA HA HA

thahako ke beech Suraj ko dheere dheere hosh a Raha tha.lekin sar bhaari tha.lag Raha tha ki koi hathouda lekar sar par maar Raha hai

"AAAH fuck"apna sar pakadkar uth baitha Suraj

"Hi Suraj how's life??"ek ladki ki awaaz aayi Suraj ko

"What the....arey aap to wahin hai.aapko bachane ke chakkar me....lekin Mai Kahan hoon....aur aap log??"Suraj ke Kai sawaal the aur Kai hairaaniyan bhi thi

"I'm Jennifer Rodriguez "muskurate hue ladki ne kaha.

"Lekin..."

"Relax bacche.pehle hamare sawaalo ka jawab do"ek gunda jisko maarne ke ke Suraj aage badhaye tha wo bola

"Suraj sharma.18 years son of manoj and anju sharma ,man Singh school,12 STD haal hi me paas Kiya hai with 42 % right??"Jennifer ek file padhte hue boli

"Wow mere baare me kaafi research Kiya hai aap logo ne??"Suraj vyang bhare smile ke saath bola

"Tum aur ek ladka pichle 8 mahine se Manoj Sharma ki khoj Kar rahe ho ??kyun??"Jennifer ne poocha

"Kyunki baap hai wo mera.mujhe poora hak hai ye jaane ke liye ki unki mout kaise Hui"suraj gurraya

"Hmm.jo hua use bhool jao.aur ye khoj aur chaanbeen bandh Karo"Jennifer boli

"Kyun??"Suraj ne poocha

"Har sawaal ka jawab nahi hota suraj.itna hi keh sakti Hoon tumhare liye acha yahi hoga aur tumhare dost ke liye bhi"Jennifer boli

"Apne papa ko to Mai khoj nikalunga aur aap sab ke khilaf police station me report bhi karunga"


HA HA HA

thahake fir goonj uthe.jennifer bhi muskuraye nahi reh saki

TRING TRING.

"Jai Hind sir"phone uthakar khadi ho gayi jennifeJ

Doosri aur se kuch bola Gaya

"Ladka abhi bhi zid par Ada hua hai.kya karein???......ji ....ji sir......lekin ye???....... please sir mujhe baksh dijiye.....pl....."Jennifer aage bol nahi paayi aur phone cut jata hai

"To tum sab jasoos ho James bond ki tarah??"
Suraj muskurate hue bola

Jennifer khamosh thi aur baithe baithe aankhen band kiye hue thi

"Jaise hi aapne Jai Hind bola Maine pakad liya,aur ye baat bhi hai ki aapko mere papa se kuch to Lena Dena hai,hai na??"Suraj exited hokar bola

Jennifer ki hasi choot gayi ladka itna bewkoof hai nahi jitna dikhta hai
 

Jay Sutar

अहं ब्रह्मास्मि
2,552
32,814
189
awesome update bhai :applause:
 
  • Like
Reactions: agyant
Top