Zada bor nahi karungaa dost aapne ye story padhi isliya jaldi jaldi flashback sunaunga
Baat kuch ayisi thi ki dadaji 12 13 gao ke malik type the halaki har gao ka apna ek mukhiya tha panchayat thi pr agar koi apni panchayat or mukhiya ke faisle se khush naa ho ya koi galat faisla ho to mamla dadaji tak aata tha
ek tarha se kaha jaa sakta tha ki dadaji hi in 12/13 gao ke supream cort or raja the
dadaji ne ab tak apne bade bete yani papa ko apna Uttar adhakari nahi banaya tha
(Ye is pertha ka niyam tha ki hamesha ki bada beta Uttar adhikari hota tha
or agar bada beta zimmedari lene se mana krde to kisi bhi bete ko uttaradhikari banaya jaa sakta tha)
Ya prmukh prdhan chahe to apne bade pote ko bhi gaddi ka varis goshit kr sakta h
dadaji hamesha se hi apne pote ko ye gaddi dena chahate the jaise unke dada ne unhe di thi
or is saal ki bhavya puja m sabhi gao ke mukhiya chahate the ki dadaji apne uttaradhikari ki ghoshna kre
(Ab aap soch rahe hoge ki ye bhavya puja kya h hamare 13 gao mil ke har 5 saal baad prachin mandir me ek bada sa yagya krte the jisse sare gao m sukh samridhhi aaye)
waise to har saal hi sab gao m alag alag puja ya yagya type hota tha pr ye alag tha isme sab gao sath aate the alag alag mukable hote the bada mela lagta tha
or dur dur se log mannat magne aate the khas kr nayi shadi wale jode (aate kyu the pata nhi)
(Kuch log soch rahe honge ki me faltu me chezo ko lamba krta hu or faltu m har chez ki explanation de raha hu pr ayisa nahi h agar kisi chez ka lena dena kahani ke present se nhi h to samajh jana ki woh kahani ke feature ke liye h ya may be , past ke liye kise pata
)
Sabhi gao ke mukhiya- thakur sahab ham sabhi ne socha h ki aap is baar ke yagya m apne pote ko apna utter adhikari ghoshit kyu nahi kr dete
ab waqt tezi se badal raha h or ham chahate h ki marne se pahle apne agle raja ke darshan kr jaye
dadaji- thik h
dadaji ye bol kr ghar aa jate h dadaji kuch pareshan ho gye the unhone raat ko khana nahi khaya dadi ne pucha bhi pr dada ji ne unhe nahi bataya
raat bhar sochne ke baad dadaji ne ek faisla liya
agli subha sab log nashta kr rahe the
dadaji- sabhi mukhiya chahate h ki is baar ke mele m ham sabke samne apne uttaradhikari ki ghoshna kre
sab ye sunkr chouk gye the
dadi- ye aap kya bol rhe h ji aapko pata h naa woh ladka apshaguni h
chachi- haa papaji me bhi nahi chahati ki ghar ke kisi insaan pr koi khatra aaye
maa- papa ji ab waise bhi sirf ek saal hi to rah gya h abhay ke sharap ko khatm hone m
agar aapne abhi abhay ko nikal liya or mere Arav ko kuch ho gya to ( ma apne aankho me aasu liye boli)
dadaji- hamne kab kaha ham abhay ko nikaalne wale h hamne to kaha ki ham apne uttaradhikari ki ghoshna krne wale h
Sab- matlab
Dadaji- matlab ye ki is baar ki puja ke baad mele m ham apne pote arav ko apna uttaradhikari ghoshit krne wale h
bua- papa pr ye to galat h naa waise bhi abhay apka bada pota h
dadaji - kuch galat nhi h or waise bhi dono m sirf 5 minit ka hi to farak h
bua- par papa bada to abhay h naa sab sab jaante h
dadaji- tum kaise kah sakti ho abhay hi bada h waise bhi dono judwa h
bua- papa aap kise pagal bana rahe h hame yaa apne aapko woh dono bhale hi judwa h pr woh dono ek jaise nahi dikhte naa bachpan m naa ab or ham sab bachpan se hi jaante h kon bada h kon chota
dadaji- (gusse m )bas hamne kah diya naa ab bas wahi hoga
uske baad kisi ne kuch nahi kaha
pr shayad ghar wale bhul gye the ki ghar m koi or bhi h jo inki baatin sun raha h
ji ha sahi samjhe abhay yani me
Itna sab sunkr mera man bas marne ko hi kr raha tha
Mujhe zada nahi pr itna samajh aa gya tha ki jo shuru se mujhse mere bimaar hone wali baat batai gyi thi woh juth thi
or usse bhi zada jis baat ne mujhe dukh pahuchaya ki maa bhi mujhe bahar aane dena nahi chahati
mujhe samajh aa gya tha ki maa mujhe pyaar nahi krti or yahi baat mujhe sabse zada dard de rahi thi
halaki ayisa nahi tha ki kajal abhay se pyaar nahi krti thi kajal bhi abhay se pyaar krti thi bhale hi sabhi bacho m sabse kam pr krti zarur thi
pr kajal ka pyaar ab tak Arav ke liye itna bhad chuka tha ki baat jab Arav ki hoti to use kuch nahi dikhta tha
khair 10 dino m mela tha udhar pura ghar hi mele ki taiyariyo m busy raha
or idhar mene khana pina lag bhag chhod hi diya tha or agar m kha bhi leta to 1 2 ghante baad hi mujhe ulti ho jati
meri aankho ke niche kale kale nishan ban gye the m bilkul chuse hue aam jaisa ho gya tha
khair mela pura hua dadaji ne Arav ko apna uttaradhikari ghoshit kr diya
ab m abhay thakur dhananjay thakur ka bada pota ranveer thakur ka bada beta officeally sabki nazron m chota beta ho gya tha
Pr waise bhi kise is baat se farak padne wala tha mujhe to waise bhi koi nahi jaanta tha jaanta chodo mujhe to ab tak dekha bhi gine chune logo ne tha
Sab log apne apne kaam me busy the kuch office gye the dada bua panchayat ghar or bache school sabke jane ke baad gangu tai mujhe nashta dene aayi
jab gangu tai ne kamre me aane ke liye tala khol ke darwaza khola to
gangu tai ko samne hi m behosh pada mila
gangu tai- baba abhay baba kya hua aapko
pr mujhe naa hilte dekh zor zor se chillane lagi
gangu tai- malik Malik idhar aao koi madat kro
kismat se us waqt chote chacha apne collage jane ke liye nikal hi rahe the
chote chacha- aryy kya hua gangu tai kyu is umar me chillati rahti ho kisi din awaz ke sath hi pran nikal jayige
gangu tai- chote baba dekhiye abhay baba ko kya hua h
chacha ne jab mujhe dekha to woh bhi ghabra gye or mujhe leke bhage hosptial
2 ghante baad doctor's cabin
abhi tak mujhe admit kra diya gya tha doctor mujhe cheq kr chuke the ab mujhe bottle chada rahe the
gangu tai ne ab tak sab ko phone kr diya tha (ab kahani m 2003- 2004 kaa time chal raha h)
abtak mobile aa chuke the keypaid wale pr kam hi the hamare ghar m bhi bas 3 hi the 2 papa ke ek ghar pr emergency ke liye
dada or bua nikal chuke the hospital ke liye didi log abhi school m hi the or mom dad ne busy hone ka bol diya tha
Dadaji - kya hua h hamare pote ko doctor
doctor- ye baat to mujhe aapse puchni chaheye thakur sahab
kya kiya h aapne apne pote ke sath
bua- matlab aap kahna kya chahate ho doctor
doctor- matlab ye ke us bache ke test se hame pata chala h ki uske pet m pichle 6/7 dino se kuch nahi gya
bua- nahi doctor ye juth h ham khud daily reapoting krtte h uske khane pine ki ye ho hi nahi sakta
doctor- miss aapki reporting galat ho sakti h pr hamara test nahi or us bache ki to halat dekh kar hi pata chalta h ki uski halat sahi nahi h
dadaji- ab kya kiya jaye doctor
doctor- ab to m uske hosh me aane ke baad hi kuch kah sakta hu
Dusri taraf haveli pr......
sabhi bache ghar aa chuke the didi aate hi sabse pahle bura ke room m gyi pr waha bua nhi thi
didi- ye bua aaj abhi tak kyu nahi aayi abhay abhi andar tha to didi mere room ki taraf bhad gyi
Mujhe apne room me naa pa kr didi ghabra gyi or zor zor se awaz lagane lagi
kaanta chachi ,gangu tai ,champa didi
kaha ho aap sab
bolte hue woh halll m aa gyi
champa- kya hua jyoti baby aap itna kyu chilla rahi ho
Didi - mera bhai kaha h
champa- arav baba to room me h
didii- (gusse me) aap shayad bhul gyi h champa didi ki mera ek bhai or bhi h
ye sun kar champa hadbada gyi
champa- maaf krna baby ji mujhe laga ki
Fir champa ne sab bata diya
mere bare m sun kr didi rone lagi woh bas mere pass aana chahati thi
khair dusri taraf mujhe hosh aa chuka tha doctor baar baar mujhse baat krne ki koshish kr raha tha pr me uski baat ka koi jawab nhi de raha tha
asal baat ye thi ki me hamesha hi ek band kamre m raha tha mujhe naye cahre dekhne ki aadat hi nahi thi
me naye logo ke dekh kr dar jaya krta tha
doctor - thakur sahab is bache ko kisi baat se gahra Sadma laga h or ye shayad pahle se dipration me bhi h
uper se itni kamzori
dadaji- to kya kiya jaye doctor
doctor- meri maaniye to is bache ko kahi ayisi jagha bhej dijiye jaha khuli hawa ho pahad ho
or thodi thandi jagha ho
dadaji- pr hamare gao m bhi to khuli hawa h
doctor - thakur sahab aapka gao shahar ke pass hi h
Mushkil se 1 ghante ki duri h shehar se
m ise kisi ayisi jagha bhejne ko bol raha hu
jaha dur dur tak sahar ka (s) bhi na aata ho
tabhi ye ladka thik ho sakta h nhi to fir bhul jaiye apne pote ko
mere behoshi wale hadse ko 7 din beet chuke the
in 7 dino m mera khayal didi bua gangu tai , or champa ne hi rakha tha
mere bimaar hone ki wajha se ek chez jo acchi hui thi woh thi kaanta ko dadaji ne mujhse dur kr diya tha
hua kuch yu tha ki doctor se ye pata chalne ke baad ki mene itne dino se kuch nahi khaya
dada ji ka gussa 7ve aasmaan pr tha
or unke gusse ka sabse pahla shikaar hui kaanta maa kyuki meri bachpan se hi sabse zada zimmedari kaanta maa ki thi
(Asal me to woh ayisa kuch krti nahi thi pr ghar walo ke saamne natak kr kr ke or mere liye apna pyaar dikha dikha kr usne sabki nazron khud ko meri maa sabit kr diya tha)
dadaji- kaanta ye thik nahi hua aaj tumhari or tumhare is nalayak bete ki wajha se hame kisi 2 kodi ke doctor ko baatin sunni padi jin nazron m hamare liye khouf or izzat honi chaheye thi wahi nazrain hame tiraskaar ki nazron se dekh rahi thi
kaanta maa - maaf krdijiye bade hukum aage se khiyaal rakhugi
dadaji- nhi hamari bezaati ki saza to tume milegi hi
bahut pyaar h naa tume apne us bete se
to uske jane tak tum usse nahi mil paogi woh bhi pure 5 saal
kaanta maa- nahi hukum me kaise rahugi apne bete ke bina
Dadaji- yahi tumhari saza h
kaanta ne khub aasu bahaye royi gayi pr dadaji nahi mane
asliyat to kuch or hi thi asal me kaanta ko to kabhi Abhay ke sath jaana hi nahi tha woh to bas natak kr rahi thi
use dar tha kahi dada ji use bhi mere sath hi naa bhejde
kon jana chahega jaha me jane wala tha
khair band to gangu tai or champa ki bhi bahut baji thi unme bhi bahut daat padi thi
dadaji ne faisla liya tha ki mujhe shimla ke ek hoslet m daal diya jayega
Ghar m kisi ko bhi is faisle se koi dikkat nahi hui
zada kisi ko farak bhi nahi padta tha
pr meri dadi is faisle se bahut khush thi unki khushi chupaye nahi chup rahi thi
didi or bua ayisa nahi chahate the par dada ji ke faisle or meri jaan ke liye unhone bhi kuch nahi kaha
akhir kaar woh din aa hi gya jis din mujhe jana tha hamari car bahar khadi thi mujhe lejane
ghar wale asusal sab apne apne kaam pr the mujhe bahar tak chodne sirf kuch hi bahar tak aaye the
Ya ye kahza zada sahi hoga ki mujhe vida krne ke liye apne aajke kaam chod diye the
aaj mere liye bua dadaji ke sath panchayat nahi gyi thi didi to 7 dino se school gyi hi nahi thi chote chacha bhi aaj collage nhi gye the
or yahi sab the jo mujhe bahar tak chodne aaye the or sath me gangu tai bhi
sabse pahle gangu tai ne hi mujhe lage lagaya
gangu tai - abhay baba mene apna jiwan haveli ki seva me bita diya pr aapse mera rishta waisa hi h jaisa mere poti poto se
Gangu tai kafi emotional ho gyi thi
pr unki baat sahi bhi thi mere liye jitna pyaar meri dadi ne nhi lutaya usse kahi zada gangu tai ne lutaya tha
Chote chacha- ( mazak krte hue) oooo budhiya tai kitna roti ho tum zada rona dhona naa kro
mene suna h is umar me aankho se bhi pran nikal jate h
aryy bhai hamara bhi number aane do
Uske baad me chote chacha se mila fir bua se or end m aaya didi ka number
m jaise hi didi ke pass pahucha unhone mujhe kaske apne gale laga liys
didi- me bahut miss krugi tujhe
tu mujhse phone pr roz baat krega naa
mene bas haa me gardan hila di sach to ye tha ki me apni didi or bua se dur jana nahi chahata tha pr
mere dimaag me ye baat baith gyi thi ki mujhse koi pyaar nhi krta isi liye mene ek baar bhi kisi se rukne ko nahi kaha
mene didi ki baat pr bas haa me gardan hiladi or didi bhai bhai krke mere pure cahre ko chumne lag
khair mere jane kaa time ho gya tha driver ne horn mara to didi ne mujhe chhod diya
me gadi ke pass tak gya or fir wapas aa kr
me- didi jab bhi aap mujhe zada miss kro to (apne beg me se Pikachu ko nikaal kr dete hue) aap isse baat kr lena ye mere best frands h
didi ne Pikachu ko apne hath me liya or smile krte hue kaha
Didi- chotu ye baat kaise kr sakta h ye to toy h naa
Me- nahi didi sach me jab aap baat kroge to ye replay dega
Uske baad me jake car m baith gya or car chaldi
mujhe chhodne ke liye papa ki company ka maneger Sharma bhi sath jaa raha tha
mere naye safar ki shurwaat ho chuki thi
me apne naye ashiyaane ki or jaa raha tha
Kuch apno ko chhod kr
kuch parayo ke bich
apne jo parayo se badtar the
abhi tak me sirf sabse naraz tha
pr log kahte h narzgi gusse ki shurwaat hoti h or gusse ki hadd nafrat ki
kya pata kalko me sabse nafrat krne lagu
pr ayisa bhi koi tha jiske liye mere dil me nafrat ka bij panap chuka tha
Or woh insaan tha mera bhai