Beyounick
Member
- 404
- 1,401
- 123
Mera bas ek hi sujhaav hai ki Update likho lekin kabhi bhi pressure me na likho, kyounki aap dabav me update ke sath nayay nahi kar paoge.
Apana waqt lagao aur dil se likho lekin kabhi bhi update karne me jaldi nahi kyounki aap din me ek update do ya das Readers yahi kanhenge "Waiting for update"
Aisa kabhi nahi hoga ki Readers kanhe ki "Bas ab aap break le lo".
Ye natural hai, human beings are always dissatisfied and would demand more and more.
Thanks
UPDATE-7
Ab tak...
Ma'am: rules k hisaab se ek bhi allowed nhi h ye toh tmhare seniors ne change kiya h thoda, jab wo kar skte h toh kya teacher ek extra candidate nhi bhej skta? Mere paas toh tmhaare seniors se bhi zyada authority h.
Bss fir kya tha, sab shaant ho gye...
Fir normal college k lectures lagte h aur sabhi Apne apne ghar nikal jaate h.
Ab aage...
Agli subah sabhi students casual kapdo me pohuchte h college, aaj se tech fest shuru hona tha, subah jaldi sirf seniors, aur Jo freshers seniors ka sath denge sirf wahi aa rahe the taiyaari krne k liye. Richa, shrishti aur rahul bhi pohuch chuke the, abhi 7:30 hua tha aur ye log bhi taiyaari me jut gye the.
Seniors inko instruct kar rae the kese kya karna h.
In teeno ka event jo tha wo tha LAN gaming. Kyuki ye log cs branch se the islie inlogo ko bhi cs k seniors k sath hi event organise kraane mila.
Ek boht badi Lab thi ab inko saare systems check krne the, lists bnaani thi kese teams k rounds krwaane h, saare team members aa rhe h ya nahi? Game sahi chal rha h ya nahi? Kyuki tech fest open tech fest tha, yaani baaki colleges k log bhi allowed the, even school students bhi allowed the. Yahi hota h ek college level ka tech fest.
Richa soch rhi thi ki wo lead kare, even apne seniors ko bhi kuch suggestions de. Wo bolti jaa rhi thi beech beech me but uski baat ka koi zyada response nahi de rha tha.
Seniors ko uska baar baar tokna pasand nahi aa rha tha par wo ek ladki thi upar se sundar bhi thi islie seniors ne usko kuch bola nhi. Koi ladka hota toh gaand hi maar lete uski toh.
Wahi dusri taraf jab shrishti kuch suggestions de rhi thi toh seniors ko bhi pasand aae the, shrishti ne ek pattern bna k diya ki kon si team ko pehle kis k sath match krwana h. Seniors ko list boht pasand aayi, kyuki itni saari teams aur har team me 5 members, shrishti ne sabhi ko call krke confirm kiya tha ki wo aa rhe h ya nahi. Unke saare team members part le rhe h ya nahi??
Aur fir uske baad ek list bnai saare matches ki. Ussi list me saara kharcha bhi likha tha ki kisne kitne paise lagae, equipments me aur kisne kaha pe kharch kiye apne paise.
Wahi dusri taraf rahul saare systems check krne me laga tha aur game sahi chal rha h ya nhi wo dekh rha tha.
CS:GO ka competition tha aur prize money me 4000 rupaye ka prize money tha.
Idhar richa ko firse wahi feeling aane lagi, ki kese sab aage niklte jaa rhe h aur wo kuch nahi kar paa rhi, koi uski nahi sunn rha h.
Rahul ne ek nazar richa ki taraf ghumai aur usko bechain hote hue paaya.
Ab kuch der me teams aane waali thi saari taiyaari ho gyi thi.
10 baj chuke the bss, aadhe ghnte baad event start hona tha.
Par ye kya?? Ye behas kesi?? Rahul aakhiri computer ko check kr rha tha ki usko seniors thoda tezz swar me baate karte hue sunai diye, toh usne shrishti ko bula k pucha..
R: shrishti.... Kya ho gya? Seniors itna bhadak kyu rhe h?
Shrishti: rahul.. 10 minute se zyada ho gya h par richa abhi tak nhi aai h aur list ussi k paas h.
Sirf 20 minutes hi bache h, boht si teams aa bhi gyi h... Mujhse keh k gayi thi ki washroom jaa rhi h but mein saare washrooms check kr aai hu kisi me nhi mili.
R(mann me): jiska darr tha wahi hua... Mein sahi tha matlab.
Senior: yrr list kaha h?
Shrishti: sorry bhaiya! But list richa k paas h, usne sirf cross check krne k liye maangi thi islie mene dedi...
Senior: usse please bulao yrr. Wo nhi aaegi toh poora event chaupat ho jaega. Uska idhar aana boht zaroori h baat ko smjho, list uske hi paas h, koi toh lao yrr usse... Please!!
R: bhaiya! Aap mujhe sirf 15 minute dijiye, mein 15 minute k andar aapko list laake dunga.
Senior: huh?? 15 min?? Wo kese? Tmko pata h wo kaha h?
R: nahi, par mein dhund lunga
Senior: 15 min me wo yadi yaha aa jae toh bss aur kuch ni chahie mujhe...
Rahul baahr nikalta h toh dekhta h itni zyaada bheed thi, lagbhag saari teams aa gyi thi. Harr taraf bheed hi bheed thi. Koi kuch event organise kraa rha tha toh koi kuch aur. Harr jagah log hi log bss. Poori building me khacha khach bheed thi.
Koi chess competition krwa rha tha..
Toh koi rangoli competition krwa rha tha....
Toh koi log bahr stalls lagae the aur mini games krwa rhe the...
Aur itne logo me aakhir kese dhundega wo richa ko? Call toh richa utha hi nahi rhi thi shrishti kayi baar try kar chuki thi.
Shrishti: ab kya rahul? Kya kare ab???
R: tum neeche floor pe jao waha dekho mein iss floor pe dekhta hu...
Shrishti: okk
Shrishti daud k jaane lagti h idhr udhr dekhte hue aur ek baar rahul ki taraf mud k dekhti h toh paati h ki rahul araam se chalte hue Apne jeb me haath daale upar ki floor pe jaa rha h.
Shrishti (mann me) : ye... Ye rahul itne araam se kyu jaa rha h? 15 min me dhundne ka bol toh diya isne confidence se par aise dheere dheere chalega toh kese?... Ek minute... Rahul ko pta h kya? Ki richa kaha pe h? Hn... Shyd tabhi rahul itne araam se jaa rha h.
Mujhe follow krna pdega.
Shrishti dheere dheere rahul ko follow krti h bina uski nazro me aae.
Rahul(mann me): wo time aa hi gya... Hmm, ab mujhe thoda ganda game khelna pdega. Kya socha tha mne? Ek achhi si life jiyunga, jaha sabhi gharwalo, dosto ka pyaar milega, aur idhar mein wo krne jaa rha hu jiske liye aadmi ki pitai tak ho jae..
Rahul sabse upar terrace pe chala jaata h aur terrace ka darwaaza jo ki atka hua tha usse khol deta h.
Akhir kya tha upar? Kya tha darwaaze k peeche? Rahul kon sa game khelne jaa rha tha?
Agla update thoda bada rhega, sab pata chal jaega...
Bne rahiyega!! Lonewolf k sath.
Mujhe roz likhna padta h bro. Kuch log toh stories me boht chota sa update dete h aur wo bhi 2 3 din k baad but fir bhi unki stories me dhero views h. Mein daily de rha hu...
Aur agla update mega update hoga..
Isme sab saamne aa jaega richa k baare me.
Hope you'll understand!
UPDATE-8
Ab tak ...
Rahul(mann me): wo time aa hi gya... Hmm, ab mujhe thoda ganda game khelna pdega. Kya socha tha mne? Ek achhi si life jiyunga, jaha sabhi gharwalo, dosto ka pyaar milega, aur idhar mein wo krne jaa rha hu jiske liye aadmi ki pitai tak ho jae..
Rahul sabse upar terrace pe chala jaata hai aur terrace ka darwaaza jo ki atka hua tha usse khol deta hai.
Ab aage...
Idhar shrishti rahul ka peecha toh kar rahi thi par usse ye nahi pata tha ki uske peeche uski 2 senior girls bhi peecha kar rahi hai.
Unhe darr tha ki kahi ye bhaag na jae, aur event chaupat na ho jae islie ye bhi shrishti ka peecha karne lagi.
Rahul darwaaza khol deta hai aur dekhta hai ki saamne richa khadi hui thi, darwaaze ki awaaz se richa peeche mudti hai aur rahul ko dekh ke chauk jaati hai.
R : toh idhar hi ho tum.
Richa : huh? Tum? Tum yaha?
Tabhi dono seniors aur shrishti bhi upar aa jati hai aur richa ke paas pohuch jaati hai.
Senior 1 : richa yaha kya kar rahi ho tum? Chalo jaldi.
Richa : mein bohut buri hu, mujhse kuch nahi aata, mein worst hu...
Shrishti : ye tum kya keh rhi ho richa, aisa bilkul bhi nahi hai.
Richa : nahi mein worst hu...
Senior 2 : richa Aisa bilkul bhi nahi hai, hum sab tumhare suggestions pe dhyaan dete hai tum aisa mat kaho. Ye samay nahi hai aisi baate karna ka,
It's alright, let's go back.
Richa : nahi , koi dhyaan nahi deta, sab dur jaate hai mere se, mein worst hu, bekaar hu, mujhse kuch nahi aata. Mein buri hu bohut... I'm the worst...
Aur richa rone lagti hai.
{Dosto richa ko mein Ri likhunga aur shrishti ko Sh}
R(mann me) : phew!!! Chalo start karta hu, kaash ye ladkiya yaha na aai hoti, ab toh meri izzat poori down ho jaegi. But abhi isko bhi bachaana hai, aage jo hoga dekha jaega...
R : pata richa??? Tum sahi me worst ho.
R : huh??
Sabhi log chauk jaate hai. Aur rahul ko dekhne lagte hai. Aur fir rahul bolna shuru krta hai...
R : richa!! Tum toh yahi chaah rahi thi na ki sab tumko laadh kare? Tumne ye sab bhi isliye kiya taaki log tumko attention de. Aur abhi bhi tum yahi chaahti ho ki log tumse ye kahe ki unhe tmhari zaroorat hai. Isliye toh tum list chura ke laai na?? Ki log tumhe dhunde aur minnate maange ki tum unki help karo. Yahi toh sunn na chaah rahi thi na tum? Log tumhe dhunde? Parvah kare... Hai na??
Kitni kadvi sacchai hai na? Ki tum jesi soch waali ladkiyo ko koi response nahi deta. Wahi dusri taraf shristi ko dekh lo.
Ri : ye... Ye tum kya...
Richa kaapne lagi thi...
R : Sacchai toh ye hai ki tum shrishti ki tarah ban na chaah rahi thi. Hai na?
Tum aisa ban na chaah rahi thi jise log maane, unpe nirbhar rahe. Islie tumne turant zidd kari ki tumhe female candidate ban na h.
Saath hi saath tum ye bhi dikhaana chaahti thi ki tum baaki logo se aage ho, unse superior ho, unko judge karna chaah rahi thi baad me aur fir unko neecha dikhaati tum, hai na? Yahi tumhara asli rang hai. Kyu? Mein sach keh raha hu na? Richa?
Ab tak toh sabhi logo ne notice bhi kar liya hoga.. par tumne ek baat gaur ki?? yahi baat... ki mene tumhe dhund liya jabki mein toh tumhe jaanta bhi nahi hu.
Ri (chillate hue) : mujhe apne jesa mat samjho...
Rahul ek evil smile karte hue kehta hai...
R : hum dono same hai. Tum aur mein. Dono society ke tucch keedo ke samaan hai. Zara socho na...
Mujhe tumhaari koi parwaah nahi hai, tum wese bhi ek ego se bhari insaan ho par fir bhi mene tumhe sabse pehle dhund liya. Samajh aaya? Mein jo ki tumhe jaanta bhi nahi aur tumko ek baar me dhund liya. Iska matlab toh yahi hua na?
Ki kisi ne bhi tumhe dhundne ki utni koshish nahi ki. Kabhi socha hai iss baare me? Kisi ne bhi tumhari parvah nahi ki...
Tumhe pata hi h ye. Hai na? Ki tum..
Rahul ne itna kaha hi tha ki senior ladki ne uski collor pakad li.
Senior 1: shut up! Samjhe??
Tumhe pata bhi hai kya bol rahe ho tum ek ladki se?? Kya tumhe zara bhi sense nahi hai kisi se baat karne ka??
Shrishti : didi! Jaane dijiye... Please... Mein baat karti hu uss se, aap richa ko leke jaiye.. please!!
Udhar richa itna ro rhi thi ki kaapne lagi thi. Harr baat jo rahul ne kahi thi wo uske dimag me ghum rhi thi aur harr baat 100 taka sach thi. Kabhi kisi ne uss se itna straightforward baat nahi ki thi, aur na hi usse sacchai batai thi. Par aaj rahul ne jo bolna shuru kiya, poori dhajiya hi udaa di thi usne richa ke character ki wo bhi sabke saamne, par iska asar ulta hua. Rahul bura bann gya aur richa ke liye log hamdardi show karne lage.
Dono senior ladkiya richa ko haath pakad ke Sambhaal ke neeche le jaati h.
Richa ke saath saath list bhi laut aai thi, aur sab khush ho gye the ki unka event bach gya. Sab richa ko Dhanyavad de rhe the ki akhir wo aa gayi aur usne event bacha hi liya. seniors ke beech richa popular ho gyi kyuki wo list bhi le aai thi Aur senior ladkiyo ne rahul ki baat bhi fela dii, jo fel gayi harr jagah Ki rahul ne ek ladki ko kya kya kaha. Islie seniors bhi richa se hamdardi jataane lage aur usko ek brave girl samajhne lage jo itna sehne ke baad bhi laut ke aai event ko bachaane ke liye.
Event bhi badhiya shuru ho gya tha aur zoro shoro se mast chalne laga tha... Poori lab me mast competition ka mahaul tha..
Idhar rahul ke liye sabka nazariya change ho gaya. Usne kaam bhi toh aisa kiya tha.
Richa se sab ab acche se baat kar rhe the, uss se hamdardi jata rahe the. Richa ko aaj samajh me aa raha tha ki duniya me jeena kesa hota hai, sab aapse baat krte hai jab. Uska confidence ekdum se boost ho gya tha. Alag hi Josh bhar raha tha usme. Kyuki itne logo ne uske saath itne acche se kabhi baat nahi ki thi.
Shrishti wahi doosri taraf rahul ke sath terrace pe hi khadi thi..
Sh : kyu kiya tumne aisa rahul?? Aur kese? Kuch bataoge??
R : kyu kiya ye toh tumhe pata chal jaega. Par kese kiya?? Hmm.. actually tumne mujhe bataya tha ki richa kisi bhi bathroom me nahi thi. Toh ek aisa Insaan jo ki lonely hai aur hurt hai wo iss College ki building me kaha jaega? Obvious si baat hai ya toh washroom me jaega ya terrace pe. Kyuki yahi do jagah hai jaha usse koi dekhega nahi. Washroom me richa thi nahi, toh bachi sirf ye jagah. Obviously ye meri guessing thi, but sahi nikli.
Shrishti sirf sunn rahi thi aur shocked bhi thi.
Fir Rahul chalne ko bolta hai wapas.
Fir ye dono wapas aa jaate hai aur shrishti jab richa ko sab ke sath ghule mile dekhti h aur uska khil khilata hua chehra toh ekdum chauk jaati h. Rahul jaake ek kone me baith gaya tha.
Shrishti sab smjh gayi thi ki rahul ne kyu kiya aisa aur uske liye sammaan aur badh gaya tha. Wo samajh gayi thi ki kuch paane ke liye kuch khona padta hai, idhar rahul ne apni image khoi toh richa ko ek naya jeevan sa mil gya.
Shrishti asmanjas me thi ki rahul jesa insaan kese ho skta hai duniya me?
Jo apni khushi ki parvaah kiye bagair dusro ki Khushi ki parvaah kare.
Wahi richa ne jab rahul ko dekha toh ekdum gusse se laal ho gyi thi.
Shrishti uski taraf badhi aur usne thaan liya ki wo sab kuch bataegi richa ko. Fir shrishti ne sab kuch bata diya ki rahul ne aisa kyu kiya aur uska kya fayda hua. Usne ye bhi bata diya ki rahul ne hi ma'am se baat krke usko participate karwaaya tha.
Jab richa ko saari baat smjh me aai toh wo bohot zyada udaas ho gyi aur rone lagi ki uski wajah se rahul ne apni izzat duba lii. Wo jo ki ego se bharpur hai akhir rahul ne uske liye ye sab kyu kiya? Usse zara bhi vishwaash nahi ho rha tha ki ek anjaan ladka jis ko usne kal hi dekha tha class me wo uske liye itna sab karega. Akhir kyu?? Richa shrishti ki bhi abhaari thi, kyuki shrishti ne hi sach btaya tha. Rahul ne toh zikr bhi nahi kiya. Kehte h na jab mahaan kaam karo toh uska gungaan mat karo. Bss kar do.. yahi kaam rahul ne kiya tha.
Ri : mein uss se milna chaahti hu, kaha gaya shrishti wo?
Sh : abhi toh yahi tha, pata nahi kaha gaya.
Fir richa ussi terrace pe jaati hai aur rahul wahi pe tha, shaam ho gayi thi aur event khatam ho gya tha sabhi kaam acche se hua. Ek succesful event tha.
Ri : Rahul... Rahul... I'm very very sorry. Tumne jo jo kaha tha wo sab sach tha, mein chaahti thi ki mujhe attention mile, chaahti thi ki mujhpe log dependent rahe, chaahti thi ki log meri sune, mujhe idol maane, mein shrishti ki tarah ban na chaahti thi, par iske liye tumne ye sab kyu kiya Rahul? Mein tmhari liye kya lagti hu? Tumne kaha tha na ki tum meri parvah nahi krte fir ye sab kyu? Kyu akhir? Please batao mujhe...
R : iska jawab mein tumhe nahi de paunga richa. Ab tumhari life me changes aaenge. Boht Acche changes. Enjoy karo...
Aur rahul smile kar deta hai...
Rahul ke aisa kehne par richa ko ek dard sa hua, uske dil me... uski smile dekh kar richa ko laga jese rahul bohut dard me hai. Na jaane kitne dard chhupe hue the uss smile ke peeche. Richa ko abhaas ho gya tha ki wo ek fake smile hai. Richa ko kuch sujhta nahi h aur wo seedhi rahul ki taraf daudti hui usko kass ke hug kar leti h. Aur roti bhi jaa rahi thi. Usne rahul ko bohot zor se jakda hua tha.
Ri : thank you! Thank you so much!!
Par tum mujhe bataate kyu nahi ho? Kyu kiya tumne ye sab mere liye? Haan?? Bolo... Mere liye tumne apni saari image kharaab kar li..
*Richa rote jaa rhi thi aur kehti bhi jaa rhi thi*
But mein ye afwaa felne nahi dungi, presentation me sabko bataungi ki tumhare aisa karne se kya fayda hua.
Par mujhe yahi samajh nahi aa raha ki sirf mere liye tumne kyu kiya ye sab? Kuch bhi ho.... Tumhe nahi bataana na? Mat batao...
Thanks once again. Aur... Aur...I...
R : hmm??
Ri : I...I... I want to be your friend.
R (smile krte hue) : we're already friends. Aren't we?
Rahul ke aisa kehne par richa uski taraf sar utha ke dekhti hai aur firse zor se hug karke usko apni baaho me kheech leti hai.
Rahul ko sharm aa rhi thi ab. Richa ke mast sudol boobs uski chhaati me dabb rahe the aur ek alag hi gazab ka ehsaas tha wo rahul ke liye. Richa ko bhi rahul ka chauda seena aur uske badan se deo ki khusbhu se wo bhi pagal si hui jaa rhi thi. Richa ke gaalo pe bhi laali aa gyi thi.
Rahul ko hug karke richa ko jo sukoon mil raha tha wo richa shabdo me baya nahi kr sakti thi. Usne kabhi kisi ladke ko apne aas paas mandraane nahi Diya tha, toh hug krna toh dur ki baat h. Par aaj jab usse ye ehsaas mila, toh woh usse chorna nahi chaahti thi. Uske liye ye sab naya tha.
Usse pata chal gaya tha ki rahul hi h ek jispe wo aankh band krke trust kar skti hai ab. Aaj tak kisi ne uski taraf aise approach nahi kiya tha. Sab usse taane maarte the. Par yaha toh rahul ne taane bhi maare toh uski bhalai ke liye aur sab kuch sahi kar diya. Richa aise dost ko kabhi khona nahi chaahegi. Isliye richa rahul ko boht zyada pyaar karne lagi. Wo kehte hai na yadi ek insaan jise pyaar krna nahi aata, par yadi wo kisi ko pyaar karne lag jaata hai toh poori shiddat se pyaar krta hai fir uss se. Richa bhi aisi hi thi.
Fir rahul aur richa dono wapas lab me aate hai toh shrishti ghar jaa rahi thi.
Sh : rahul, richa... Mein jaa rahi hu, 6 baj gaya hai, tumlog baaki ke equipments wo cartoon box me rakh dena aur box ko room no. 215 me. Okk?
R : okay!!
Ab sirf richa aur rahul hi bache the lab me. Richa ko ye soch ke sharm aa rhi thi ki poori lab me ab sirf wo do hi bache hai. Rahul bohut thak chuka tha, usse neend bhi bohut tezz aa rahi thi, richa samajh gayi thi ki rahul thaka hua hai...
Ri : rahul, tum araam kar lo thodi derr, wo chair pe baith jao, mein saare equipments nikaal ke box me rakh dungi.
R : hmm.. you sure?
Ri : haan rahul, don't worry!
R : okay!!
Rahul baithta hai chair pe aur thodi hi der me usse halki si neend lag jaati hai, itna thak gya tha, subah se kaam me laga tha.
Richa saare equipments rakhne ke baad rahul ke paas aati hai toh usko sota dekh richa ko uspe boht pyaar umadta hai. Richa dheere se rahul ke bagal me baith jaati h aur thodi derr tak uske chehre ko nihaarti rehti h kabhi uske gaalo pe dheere se haath ferti hai toh kabhi uske hontho pe apni ungliya chalati hai, fir apne phone ka camera on karti hai...
Aur rahul ki taraf dheere dheere badhti h.
Aur aage badh ke Rahul ke gaal pe apne honth rakh deti hai, aur pyaari si ek kiss deti hai saath hi selfie bhi le leti hai kiss dete hue.
Richa ke gaal laal ho gye the usse itni sharam aa rahi thi. Ye uska kisi ladke k sath pehla kiss tha.
Fir wo rahul ke honth ki taraf badhti hai, uske honth kap kapa rahe the aur usse kiss karne hi waali thi ki rahul jagne lagta hai toh richa wapas se hadbada ke seedhi baith jaati hai.
Uss ghatna ke baad se rahul ek bohot important person ban gaya tha richa ki life me. Richa ne jab saari baat apni maa ko batai toh uski maa bhi rahul ko bohot maan ne lagi, kyuki rahul ne uski beti ko ek jaal se nikala tha jisme Richa buri tarah fassi hui thi. Dheere dheere inki dosti aur zyada badh gayi aur ab toh dono best friends hai. shrishti bhi inke group me shaamil rehti hai. Ye teen boht acche dost hai. Khaas kar richa aur rahul. Richa ko toh pyaar hi ho gya tha rahul se uss hi din. Yahi ek reason hai ki nikita aur neha acche dost kyu hai? Rahul aur richa ki dosti ke kaaran.. rahul ka richa ke ghar aana jaana aur richa ka rahul ke. Kabhi kabhi late night tak saath me padhna. Issi wajah se nikita aur neha ki bhi dosti strong ho gayi warna school me ye dosti sirf school tak hi seemit thi.
Richa rahul ko kiss krne ke baad usko kehti hai ki wo ab uth jae chalne ka waqt ho gaya.
Aur apne phone pe wahi selfie dekhne lagti hai...
Aaj ke liye itna hi dosto...