• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Akhir kyu? From hatred to love (Completed)

Kya hero ne jo bhi kiya wo sahi kiya? (Voting aap sabhi 2-3 update pdhne k baad karna)

  • Hn sahi kiya

    Votes: 350 67.0%
  • Nahi, apni behan k sath aisa nhi krna tha

    Votes: 60 11.5%
  • Rahul nirdosh hai

    Votes: 92 17.6%
  • Neha nirdosh hai

    Votes: 20 3.8%

  • Total voters
    522

Werewolf

ᴍɪɢʜᴛ ᴄᴏɴᴛʀᴏʟꜱ ᴇᴠᴇʀʏᴛʜɪɴɢ
Supreme
13,390
96,470
259

Rahul kumar

Member
353
604
93
Update - 56

Ab tak...


Master : mene tumhe jitna bhi abhi kuch sikhaaya hai usme mene tumhe kahi bhi koi bhi jaanleva move nahi sikhaaya. Par uss din tum ek ladke se chotil ho gaye the. Isliye ye sheher chorr ke jaane se pehle, inn 5-6 mahino me mein tumhe boht kuch sikhaane waala hu. Tum taiyaar ho?

Rahul : jii master!

Master : good! Ab baat aati hai guru dakshina ki. Toh woh mein tumse tab maangunga jab tum ye sheher chorr ke jaane lagoge.

Rahul : jii master...


Ab aage...

Rahul ko yu thodi derr khamosh paa kar master ne uski duwidha ke baare me pucha,
"Kya hua? Kya soch rahe ho?"

Rahul : mere mann me boht saare sawaal hai master. Mujhe toh yakeen hi nahi ho raha hai ye sab sunn kar. Aisa lag raha hai mein kisi film ki script sunn raha hu. Par ye sacchayi hai, aur isliye mera dimaag hil saa gaya hai.

Master : kese sawaal hai? Yadi mann me koi sawaal hai toh usse abhi puch lo.

Rahul : hmm! Master khushi ki maa yaani miss suzy jab iss duniya se chali gayi aur aap yaha aa gaye. Toh fir khushi ka kya? Usse toh bachpan se hi maa aur baap ka pyaar nahi mila hoga. Aapne aisa kyu kiya uske saath? Akeli hogi woh kitni...

Master rahul ki baat sunn thodi derr tak usse dekhte hai aur fir muskura dete hai,

Master (mann me) : mera nirnay sahi tha jo mene tumhe chuna.

Master : aisa isliye kyuki mere bhi kayi dushman hai aur mein nahi chaahta wo sab meri beti ko target kare, isliye mene usse inn sab se door rakha hai. Yaha tak ki school me bhi wo meri beti hai ye nahi bataati. Saara kaam Mike sambhaalta hai, aur mike ko hi uska pita bataate hai.

Rahul : accha! Par aapne kaha ki 18 saal ke hote hi khushi ko aap yaha le aaoege. Tab uski jaan ko khatra nahi hoga?

Master (mann me) : isliye toh tumhe chuna hai rahul.

Master : wo baad ki baad me dekhenge. Ab tum jao, monica tumhara boht derr se intezaar kar rahi hai.

Rahul : j...jii master

Master : aur suno... Wo... Wo richa kesi hai ab?

Rahul : hmm? Richa? Wo thik hai master.

Master : hmm! Ab bhi tumhari gf hai?

Rahul (blush) : umm haa...

Master : thik hai! Jao ab.

Neeche aate hi monica rahul pe toot padti hai aur apna surprise maangne lagti hai.

Monica : kaha hai mera surprise? Do jaldi.

"Baap re! Miss monica toh peeche hi pad gayi. Ab inhe kaha se surprise du? Kya du? Inke paas toh wese bhi paisa boht hai. Toh bhala mein kya gift de sakta hu inko? Hmm!... Aree haa! Chalo yahi karta hu. Yadi wo khush nahi hui toh maafi maang lunga" rahul ne mann me socha.

Rahul : aap chaliye! Ready ho jaiye. Hum baahar chal rahe hai.

Monica : kaha?

Rahul : aap ready toh ho jaiye pehle.

Jab tak monica ready ho rahi thi tab tak rahul bungalow ke peeche jaakar uss buzurg aur uski poti se bhi milta hai.
Thodi hi derr me monica ready hoke aa jaati hai aur jo dress usne pehni thi wo uspe boht hi khubsoorat lag rahi thi
Monica ko dekh rahul ki aankhein hi chaundhiya jaati hai

Rahul (mann me) : yes. She's definitely out of my league. I wonder kon wo Lucky husband hoga jo inse shaadi karega

Monica : kya hua? Aise kya dekh rahe ho?

Rahul : aap ...aap boht hi khubsoorat lag rahi ho.

Monica (blush) : chal abhi mere saath flirting nahi...okay?

Rahul : mene sirf sach kaha.

Monica (blush) : o...ok. thank you.

Fir rahul apni bike pe monica ko baitha ke le jaata hai, raaste bhar rahul ko uski peeth par do anmol ratno ka ehsaas hota raha jiske maze usne bharpoor liye bike ko baar baar brake laga kar aur aise karte karte wo apni manzil pohuch hi gaye.

Monica : sun city?

Rahul : jii haa! Aap aayi ho yaha?

Monica : haa! Sirf ek baar.

Rahul (surprised) : sirf ek baar?

Monica : haa! Kabhi samay hi nahi milta

Rahul : chaliye aap mere saath

Rahul monica ko pakad ke roller coaster ride ke paas le jaata hai, jisse dekh monica ko thoda darr lagne lagta hai.

Monica : tum ye mat kehna ki hum isme baithne waale hai!?

Rahul : aur nahi toh kya!? Toh kya mein aapko sirf yaha dikhaane laaya hu kya?
Ab chaliye

Monica : nooooooo wait!!! Rahul! Mujhe mujhe heights se boht darr lagta hai. Ye ride nahi karte hai na... Kahi aur chalte hai.

Rahul : aaj aapka darr bhi nikaal dunga aur aapko enjoy bhi karwaunga.

Monica ke kayi baar mana karne ke baad bhi rahul ne uski ek na suni aur uske haath ko pakad ke kheech ke le gaya. Thik wese hi jese ek chota baccha school ke pehle din na jaane ke liye virodh karta hai, wese hi abhi monica virodh kar rahi thi.

Ant me dono roller coaster par sawaar the aur monica ka dil zoro se dhadak raha tha. Usne aaj se pehle kabhi kisi ride ki sawari nahi ki thi, pehli baat usse darr lagta tha, dusri baat uske paas inn sab ke liye time hi nahi rehta tha aur teesri baat yadi aati bhi toh kiske saath? Master aur bheema ke alaawa uske saare contacts business se hi related the. No friends, no best friends, no lover, no family. Kaafi akeli thi. Aur master aur bheema ke saath ride lene toh aa nahi sakti thi. Usse ek friend ki zaroorat thi, ye baat uska dil jaanta tha par dimaag nahi.

Isliye wo rahul se jab pehli baar mili thi toh uske saath flirting kiya karti, usse lagta ki rahul ke saath uska kuch relation toh hai kam se kam. Bhale hi rahul flirting ka jawaab nahi deta tha par dono me kam se kam baat toh hoti thi. Monica ye sab anjaane me hi karti thi ya yu kahe ki ye sab uska dil karwaata tha jo ki tanhaayi me kedd tha

Monica ne rahul ka haath kass ke thaam liya. Ek ladki hone ke bawajood uski pakad waqai boht mazboot thi. Rahul bhi surprised tha iss baat se. Wo mann me soch raha tha ki yadi monica ne kabhi kisi ko kass ke hug kiya ya kass ke kisi ko jakda tab uski haalat kya hoegi? Aisi pakad me uss insaan ko maza aaega ya fir usse dard hoega? Usne saare thoughts ko alag kiya, socha ki ye sab kya sochne laga wo yaha par?

Usne gehri saas lekar saara ka saara force jo monica uske haath ko bheech kar laga rahi thi usse hasste hue accept kiya aur fir chaalu hui ride.
Roller coaster ke aage badhte hi monica ki jese jaan nikal gayi ho. Usse yahi khayaal aa raha tha ki yadi galti se wo kahi neeche tapak gayi toh wo toh pakke se hamesha ke liye upar pohuch jaegi.

Monica (mann me) : paagal kahi ka... Kaha aa gayi mein iske saath. Uwaaaaaaa
*Cries* mein gayi... Mein gayi...

Upar roller coaster aate hi ekdum se dheere ho gaya. Aur ab baari thi sabse khatarnak pal ki. Aap sabhi toh jaante hi honge. Jab ride upar se ekdum se neeche aati hai.

Monica : slow ho gaya? Kya hua? Khatam ho gaya kya?

Rahul (hasste hue) : hahahahahaaa

Tabhi ekdum se ride seedhe neeche ki or tezzi se palat jaati hai aur full speed me neeche girne lagti hai,

Monica (chilaate hue) : waaaaaaaaaaaaaa

Jese tese ride khatam hui toh monica ki shaqal dekhne layak thi. Rahul ki hassi hi nahi rukk rahi thi. Monica ko aur tezz gussa aane lagta hai. Toh rahul uske liye kuch khaane ke liye snacks laa kar deta hai.

Monica : itna bekaar surprise dete hue tumhe sharam nahi aayi?

Rahul : abhi kaha bekaar? Abhi toh ek baar aur bacha hai

Monica (shocked) : whaaaaaaattttttt?

Rahul : haa! Tabhi toh aapka darr kam hoega. Warna aise toh aur badhega.

Aur monica ke firse kayi baar mana karne ke baad bhi rahul monica ko thaam ke ek baar aur ride karwa deta hai. Par hairaani waali baat ye thi ki waqai iss baar monica ko darr kam laga. Jis kaaran wo boht khush thi.

Fir rahul monica ko leke horror house ke saamne aa jaata hai. Ek baar fir monica saamne horror house ki entrance ko dekh ghabra jaati hai.

Aur laakh mana karne ke baad bhi rahul firse usse kheech kar le jaata hai. Monica rahul se kisi bel ki tarah lipat gayi thi. Uske uroj rahul ke badan se aise chipke the maano wo rahul ke hi shareer ka ang ho.

Harr jumpscare pe monica ucchal jaati aur rahul se chipak jaati, mann hi mann rahul apne idea ki tareef kar raha tha aur khud par usse bada proud ho raha tha. Itni khubsoorat ladki uske saath chipak ke chal rahi thi. Kayi log usse jalan bhari nazaro se dekh rahe the.

Rahul ne horror house me bhi do baar monica ko enter karwaaya jiske chalte monica ka wo darr bhi kam ho gaya. End me dono ne masti kii, jhule bhi jhoole aur khaana peena khaaya, totally enjoy kiya. Fir ek park me aake baith gaye.

Monica : toh ye tha tumhara surprise?

Rahul : jii!

Monica : toh? Tumhe pata kese chala ki mujhe bhooto se aur uchaayi se darr lagta hai?

Rahul : yaha aane se pehle master se pucha tha.

Monica : ohh! Mujhe toh laga tha tum mujhe kuch gift doge ya fir koi treat doge.

Rahul : wo bhi kar sakta tha. Par aapke paas toh wese bhi mujh se zyada paisa hai. Aap ko bhala mein kya gift de sakta tha? Mera gift koi sasta hi hota. Mujhe pata tha ki aap hamesha kaam me hi lagi rehti ho aur khud aap kabhi enjoy nahi karti. Mene toh kabhi nahi dekha aapko. Isliye mene socha, aapko yaha launga, aapka darr bhi kam ho jaega, aur aap enjoy bhi kar logi. Aap ko bhi apne kaam se thoda relaxation milega. Yadi aap ko nahi pasand aaya ho toh koi baat nahi, mein maafi maangta hu.

*Silence*

Thodi derr ki chuppi ke baad monica ki ankh me aasu aa jaate hai aur wo apna rumaal nikal usse pochne lagti hai.

Rahul : shayad aapko waqai pasand nahi aaya

Uske itna kehte hi monica usse baaho me jakad leti hai. Rahul ko iski umeed nahi thi. Kuch derr baad monica usse chorr ke uske gaalo ko pakadti hai aur fir aage badh ke rahul ke gaal ko chum leti hai.



Monica : tumne aisa soch bhi kese liya ki mujhe pasand nahi aaega? Aaj ka din meri zindagi ka sabse yaadgaar din rahega. Thanks for giving me such a beautiful surprise rahul.

Monica rahul ko pyaar bhari nazro se dekh rahi thi aur uske gaal sehla rahi thi. Aas paas baithe couples bhi rahul aur monica ko taad rahe the, ladke toh jalan bhari nazro se hi dekh rahe the. Wo sab yahi soch rahe the ki saala itni badi item iske pyaar me giri kese?

Rahul (blush) : wese aapne kabhi apni family ke baare me nahi bataya... Aapke mom dad kaha hai?

Monica : wo ab iss duniya me nahi hai. Mere pita jii underworld mafia me gerr kanooni kaam karte the. Par meri mom ko iski koi khabar nahi thi aur naa hi mujhe. Ek baar unhone kisi aise aadmi se panga le liya, jisne hamaara poora ghar ujaad diya. Uss waqt mein 20 saal ki thi. Mein bhi nahi bachti par shayad uparwaale ko kuch aur hi manzoor tha. Tab master ne hi mujhe bachaya tha. Aur aaj mein yaha tumhaare saamne hu.

Uski baat sunn rahul ekdum chaunk jaata hai.

Rahul (mann me) : matlab miss monica 6 saal se bina mom dad ke hai? Unka toh koi friend bhi nahi hai... Ek minute!! Matlab monica miss mere saath isliye flirting karti thi? Taaki wo mere saath friendship kar sake? Aur mein yaha unhe ignore maarta rehta tha ye sochke ki wo meri aukaat se baahar hai... Kitna bewakoof hu yaar mein. Unhe toh bas... Bas ek dost ki zaroorat thi. Aur mein.. unhe wo bhi na de saka. Par unhone direct mujhse kyu nahi kaha? Shayad yahi inka andaaz hai? Unhone mujhe hint karne ki koshish ki thi, jisse mein samajh na saka. Waqai...mein sach me boht hi naa samajh hu.

Monica (mann me) : nahi chorrungi uss haraam zaade ko... Apne mom dad ki maut ka badla mein leke rahungi.

Idhar rahul ke ghar se jaane ke baad vanshu roti hui rahul ke kamre me aayi aur bed par bilakhte hue rone lagi. Aaj ke pehle usse itni peeda kabhi nahi hui thi. Peeche peeche tanisha bhi uske peeche aayi kyuki rahul ne ishaara kiya tha usse, matlab ye tha ki vanshu ko manaana hai.

Tanisha ne pyaar se vanshu ke sar par haath fera toh vanshu ne sar utha ke dekha, tanisha ko saamne dekh ke uske dil ki peeda aur bhi badh gayi aur usne wapas se sar jhuka kar rona shuru kar diya.

Koi aa na jae aur ye na puchne lage ki vanshu kyu ro rahi hai isliye tanisha ne uth ke door ko andar se hi lock kar diya aur fir uske paas jaa kar baith gayi.

Tanisha : baap re baap, itne saare mote mote aasu?? Aise bhi koi rota hai bhala? Poori aankhein aur naak bhi laal ho gayi hai tumhaari toh.

Vanshu (rote hue) : please aap jaiye yaha se. Mujhe akela chorr dijiye.

Tanisha : accha? Mein chali jau? Mujhe toh laga tha ki tum rahul se pyaar karti ho isliye mein tumhe ek khush khabri dene aayi thi. Par lagta hai tumhe meri baat hi nahi sunn na toh...
Thik hai chali jaati hu.

Tanisha uthne ko hui toh vanshu ne uska haath pakad liya. Chehra poora aasuo se bheega hua tha. Vanshu ki ye haalat dekh tanisha ko uspe bada hi taras aaya akhir wo bhi toh kabhi apni feelings ko dabaane ki koshish karti thi, wo bhi toh rahul ko bhai maanti thi. Tanisha samajh sakti thi ki ek bhai ko pyaar karne par kitni musibato ka saamna karna padta hai, aur vanshu toh cousin behan thi rahul ki. Apne pyaar ka izhaar kese kar sakti hai sabke saamne? Shayad usme abhi itni himmat nahi thi.

Vanshu : ke..kesi khush khabri?

Tanisha : toh tum sunn na chaahti ho?

Vanshu : *nods*

Tanisha (smiles) : khush khabri ye hai ki tum rahul se pyaar kar sakti ho.

Vanshu : ?????

Tanisha aage badh vanshu ko apne gale se laga leti hai aur fir kehna start karti hai,
"Mujhe pata hai ki tum bhi rahul se behad pyaar karti ho Vanshika. Jab hum mere clinic me pehli baar mile the. Uss waqt hi mujhe iss baat ka abhaas ho gaya tha. Balki yadi sach kahu, toh tumhaara haq uspe mujhse pehle hai. Mujhe pata hai tum dono ek dusre se pyaar karte ho, rahul ne ye baat mujhe batayi hai pehle bhi. Toh isliye mein tumhe ye bataana chaahti hu ki... Meri taraf se koi bhi bandish nahi hai vanshika. Tum khul ke rahul se pyaar kar sakti ho. Mein tumhara poora support karungi. Aaj se tum meri chhoti behan jesi ho."

Tanisha ki baat sunn vanshu hairaani se usse dekhti hai.

Vanshu : toh...toh kya aap cutie se pyaar nahi karogi?

Tanisha : uske pyaar ke bina toh mein jee hi nahi sakti ab. Mein bhi usse pyaar karti hu. Mere kehne ka matlab ye hai ki hum teeno hi rahul se pyaar karenge aur hum teeno hi isme ek dusre ko support karenge.

Vanshu : teeno??

Tanisha : haa! Tum , mein aur richa.

Vanshu : ri...richa?

Fir tanisha vanshu ko saari baat samjhaati hai ki richa aur rahul ke beech ka relationship kya hai. Vanshu udaas zaroor thi par khush bhi thi kyuki usse rahul se pyaar karne ka mauqa jo mil gaya tha.

Tanisha : dekho! I know ki tum thodi possessive ho rahul ko lekar. Par tumhe ek baat abhi se apne dimaag me baithaani padegi vanshu. Wo ye ki hum sab rahul ki hai. Sirf rahul tumhara hai aisa bilkul bhi nahi hai. Tumhe ye baat mann se hataani padegi ki rahul sirf tumhaara hai samjhi? Tumhe bas ye soch ke chalna hai ki tum bhi rahul ki premika me se ek ho aur rahul sabko equally pyaar karega. Kisi se kam ya kisi se zyaada nahi. Okay!?

Tanisha ke acche se samjhaane par vanshu kaafi hadd tak samajh chuki thi ki wo rahul ko baandh kar apne paas nahi rakh sakti. Wo sab rahul ki hai aur rahul bhi sab ka hai. Kisi ek ka nahi.

Tanisha : wese!? Tumhe kab rahul se pyaar hua vanshu?

Vanshu : t..teen saal pehle didi.

Tanisha : ohhh! Aisa kya hua tha?

Vanshu ek nazar tanisha ki taraf ghumaati hai jo pyaar se uski taraf dekh rahi thi. Koi bhi chhal kapat waale bhaaw nahi the unn aankho me.

Tanisha (smiles) : tum mujhse share kar sakti ho. Ab toh tum meri choti behan ho na?

Vanshu : mujhe androphobia tha.

Tanisha (shocked) : whaaaaaaattttttt?

{Androphobia ka matlab hai purusho se darr. Kisi bhi Male se atyant darrna. Unke paas aane se uncomfortable feel karna, unhe dekh ke darr jaana. Aap adhik jankaari ke liye google kar sakte hai}

Tanisha : toh fir?? Fir??

Vanshu : teen saal pehle mein sexual assault ka shikaar ho gayi thi, kuch darinde mere saath zabardasti karna chaahte the. Uss waqt cutie hi tha jisne mujhe bachaaya tha. Par uss dauraan cutie ko boht chot aayi thi aur usse admit bhi hona pada tha. Uska asar ye tha ki mujhe har ek aadmi se darr lagta, unse nafrat hone lagi thi. Bas cutie se hi mein thoda baat karti thi. Par darr mujhe uss se bhi lagta tha.

Tanisha : fir?

Vanshu : fir usne mere saath reh reh ke mujhe itne patience se sambhaala aur mujhe uss daldal se baahar nikaala. Mujhe MBA karne baahar jaana pada, mein jaana nahi chaahti thi par fir bhi gayi. Mene kese 3 saal guzaare hai ye mein hi jaanti hu. Usne sab kuch mere liye kiya tha. Mujhe... Mujhe uske saath ek special attachment sa feel hota hai. Mein chaahti hu ki sirf wahi mere paas rahe. Par mein ab samajh chuki hu...ki... Cutie hum sabka hai.

Tanisha vanshu ko baaho me bhar leti hai aur dono ek dusre se baatein kar aur bhi close hote jaate hai.

dacf33bdcb8f42244cad90a44e0e78da.gif


Idhar jab tanisha aur vanshu andar thi toh nisha bhi apne room me aa chuki thi. Taniya aur neha tv dekhne me vyast thi par dono ka mann kahi aur tha.

Neha (mann me) : toh iski shaadi ye tanisha didi se hoegi? Hmph! Chalo accha hai, bechaari richa didi toh bach gayi iske changul se. Warna mujhe nikki ke liye bura lagta. Par uss din ki baat bhuli nahi hu mein. Uski himmat kese hui mera haath marodne ki?? Itni himmat usme kab se aa gayi?? Kehta hai mein uss se kabhi behtar nahi ho sakti? Abee mein dikhaungi tujhe ki better hona kise kehte hai... Iska kuch karna padega saala zyaada hawa me udne laga hai. Mom se chhup kar kuch karna padega.

Idhar nisha ke room me anshu enter karti hai jo apne perro par nail polish laga rahi thi

Nisha : anshu? Kya hua beta?

Andar aate hi anshu door ko andar se lock kar deti hai aur nisha ke paas aakar baith ti hai,

Anshu (mann me) : ab mere plan ka first step shuru karne ka sahi mauka hai.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!!
Shukriya!!
Abb an Anshu ko kya chahiye
 

Arsalan

Member
477
765
108
Super cool or behtreen update maza agaya Monica ka dar bhi nikal gaya or uski rahul ke roop me ek achha dost bhi mil gaya shayad ye dosti age chal kar dosti se bhi upar jaye tanisha ne bhi bahot achhe se samjhaya vanshu ko.ab ye neha kya naya plan bana rahi hai jisse woh rahul se behtar ban sake magar bachari ko nahin pata tanisha ke sath-2 vanshu or richa bhi rahul ki hi hai. Is baar bhi bilkul suspense rakh kar update khatam kiya hai kya plan hai anshika ka? Ye to next update me hi pata chalega
Intezar!
Waiting for next.
 
Last edited:

neer

Member
355
1,123
123
Fully agree
Mera bas ek hi sujhaav hai ki Update likho lekin kabhi bhi pressure me na likho, kyounki aap dabav me update ke sath nayay nahi kar paoge.

Apana waqt lagao aur dil se likho lekin kabhi bhi update karne me jaldi nahi kyounki aap din me ek update do ya das Readers yahi kanhenge "Waiting for update"

Aisa kabhi nahi hoga ki Readers kanhe ki "Bas ab aap break le lo".

Ye natural hai, human beings are always dissatisfied and would demand more and more.

Thanks
 
  • Like
Reactions: amita

neer

Member
355
1,123
123
Nice update
UPDATE-7

Ab tak...

Ma'am: rules k hisaab se ek bhi allowed nhi h ye toh tmhare seniors ne change kiya h thoda, jab wo kar skte h toh kya teacher ek extra candidate nhi bhej skta? Mere paas toh tmhaare seniors se bhi zyada authority h.

Bss fir kya tha, sab shaant ho gye...
Fir normal college k lectures lagte h aur sabhi Apne apne ghar nikal jaate h.

Ab aage...

Agli subah sabhi students casual kapdo me pohuchte h college, aaj se tech fest shuru hona tha, subah jaldi sirf seniors, aur Jo freshers seniors ka sath denge sirf wahi aa rahe the taiyaari krne k liye. Richa, shrishti aur rahul bhi pohuch chuke the, abhi 7:30 hua tha aur ye log bhi taiyaari me jut gye the.

Seniors inko instruct kar rae the kese kya karna h.
In teeno ka event jo tha wo tha LAN gaming. Kyuki ye log cs branch se the islie inlogo ko bhi cs k seniors k sath hi event organise kraane mila.
Ek boht badi Lab thi ab inko saare systems check krne the, lists bnaani thi kese teams k rounds krwaane h, saare team members aa rhe h ya nahi? Game sahi chal rha h ya nahi? Kyuki tech fest open tech fest tha, yaani baaki colleges k log bhi allowed the, even school students bhi allowed the. Yahi hota h ek college level ka tech fest.
Richa soch rhi thi ki wo lead kare, even apne seniors ko bhi kuch suggestions de. Wo bolti jaa rhi thi beech beech me but uski baat ka koi zyada response nahi de rha tha.
Seniors ko uska baar baar tokna pasand nahi aa rha tha par wo ek ladki thi upar se sundar bhi thi islie seniors ne usko kuch bola nhi. Koi ladka hota toh gaand hi maar lete uski toh.

Wahi dusri taraf jab shrishti kuch suggestions de rhi thi toh seniors ko bhi pasand aae the, shrishti ne ek pattern bna k diya ki kon si team ko pehle kis k sath match krwana h. Seniors ko list boht pasand aayi, kyuki itni saari teams aur har team me 5 members, shrishti ne sabhi ko call krke confirm kiya tha ki wo aa rhe h ya nahi. Unke saare team members part le rhe h ya nahi??

Aur fir uske baad ek list bnai saare matches ki. Ussi list me saara kharcha bhi likha tha ki kisne kitne paise lagae, equipments me aur kisne kaha pe kharch kiye apne paise.
Wahi dusri taraf rahul saare systems check krne me laga tha aur game sahi chal rha h ya nhi wo dekh rha tha.
CS:GO ka competition tha aur prize money me 4000 rupaye ka prize money tha.

Idhar richa ko firse wahi feeling aane lagi, ki kese sab aage niklte jaa rhe h aur wo kuch nahi kar paa rhi, koi uski nahi sunn rha h.
Rahul ne ek nazar richa ki taraf ghumai aur usko bechain hote hue paaya.

Ab kuch der me teams aane waali thi saari taiyaari ho gyi thi.
10 baj chuke the bss, aadhe ghnte baad event start hona tha.
Par ye kya?? Ye behas kesi?? Rahul aakhiri computer ko check kr rha tha ki usko seniors thoda tezz swar me baate karte hue sunai diye, toh usne shrishti ko bula k pucha..

R: shrishti.... Kya ho gya? Seniors itna bhadak kyu rhe h?

Shrishti: rahul.. 10 minute se zyada ho gya h par richa abhi tak nhi aai h aur list ussi k paas h.
Sirf 20 minutes hi bache h, boht si teams aa bhi gyi h... Mujhse keh k gayi thi ki washroom jaa rhi h but mein saare washrooms check kr aai hu kisi me nhi mili.

R(mann me): jiska darr tha wahi hua... Mein sahi tha matlab.

Senior: yrr list kaha h?

Shrishti: sorry bhaiya! But list richa k paas h, usne sirf cross check krne k liye maangi thi islie mene dedi...

Senior: usse please bulao yrr. Wo nhi aaegi toh poora event chaupat ho jaega. Uska idhar aana boht zaroori h baat ko smjho, list uske hi paas h, koi toh lao yrr usse... Please!!

R: bhaiya! Aap mujhe sirf 15 minute dijiye, mein 15 minute k andar aapko list laake dunga.

Senior: huh?? 15 min?? Wo kese? Tmko pata h wo kaha h?

R: nahi, par mein dhund lunga

Senior: 15 min me wo yadi yaha aa jae toh bss aur kuch ni chahie mujhe...

Rahul baahr nikalta h toh dekhta h itni zyaada bheed thi, lagbhag saari teams aa gyi thi. Harr taraf bheed hi bheed thi. Koi kuch event organise kraa rha tha toh koi kuch aur. Harr jagah log hi log bss. Poori building me khacha khach bheed thi.



Koi chess competition krwa rha tha..


Toh koi rangoli competition krwa rha tha....


Toh koi log bahr stalls lagae the aur mini games krwa rhe the...



Aur itne logo me aakhir kese dhundega wo richa ko? Call toh richa utha hi nahi rhi thi shrishti kayi baar try kar chuki thi.

Shrishti: ab kya rahul? Kya kare ab???

R: tum neeche floor pe jao waha dekho mein iss floor pe dekhta hu...

Shrishti: okk

Shrishti daud k jaane lagti h idhr udhr dekhte hue aur ek baar rahul ki taraf mud k dekhti h toh paati h ki rahul araam se chalte hue Apne jeb me haath daale upar ki floor pe jaa rha h.

Shrishti (mann me) : ye... Ye rahul itne araam se kyu jaa rha h? 15 min me dhundne ka bol toh diya isne confidence se par aise dheere dheere chalega toh kese?... Ek minute... Rahul ko pta h kya? Ki richa kaha pe h? Hn... Shyd tabhi rahul itne araam se jaa rha h.
Mujhe follow krna pdega.

Shrishti dheere dheere rahul ko follow krti h bina uski nazro me aae.

Rahul(mann me): wo time aa hi gya... Hmm, ab mujhe thoda ganda game khelna pdega. Kya socha tha mne? Ek achhi si life jiyunga, jaha sabhi gharwalo, dosto ka pyaar milega, aur idhar mein wo krne jaa rha hu jiske liye aadmi ki pitai tak ho jae..

Rahul sabse upar terrace pe chala jaata h aur terrace ka darwaaza jo ki atka hua tha usse khol deta h.



Akhir kya tha upar? Kya tha darwaaze k peeche? Rahul kon sa game khelne jaa rha tha?
Agla update thoda bada rhega, sab pata chal jaega...
Bne rahiyega!! Lonewolf k sath. :hspin
 
Top