Update-63
Mega update
Ab tak...
Rahul : mein kuch samjha nahi master!?
Master : ab kese kahu tumse rahul... Mujhse kaha bhi nahi jaa raha hai.
Rahul : isme itne sochne waali kya baat hai master? Keh dijiye! Aap apnj hi guru dakshina maang rahe hai, kisi aur ki nahi.
Master : hmm!! Rahul... Mein chaahta hu ki...
Ab aage...
Rahul : ????
Master : mein chaahta hu ki...ki tum khushi ke saath 3 mahine tak...usko protect karo.
Rahul : khushi??
Master : khushi! Meri beti!
Rahul (shocked) : par? Meri kuch samajh me nahi aaya master. Khushi? Mein...protect?
Master : samjhaata hu! *Gehri saas lekar* dekho! Rahul! Tum jaante ho ki abhi haal hi me aaye corona jese khatarnaak virus se duniya ubhar hi rahi hai. Meri beti bhi china me hi thi par iss se pehle ki corona uss tak pohuchta wo India aa chuki thi apni aage ki padhayi ke liye. Abhi wo mumbai me hai, wo doctor bann na chaahti hai isliye aage ki padhayi mumbai me hi rehkar karegi.
Rahul : haa! Toh ye toh acchi baat hai master. Isme dikkat kya hai?
Master : jitna saral ye dikhta hai rahul utna hai nahi. Corona ke chalte poori duniya ast vyast ho gayi. Iska asar unn ameer logo par bhi hai jinka bada business hai. Aarthik sthiti kamzor hone se sabhi parinaam bhugat rahe hai. Aur usme mein bhi shaamil hu.
Rahul : par mein ab bhi nahi samajh paaya master ki isme mera khushi ko protect karne se kya lena dena hai?
Master : lena dena hai rahul. Lena dena hai!!
Baat sirf itni sii nahi hai. accha mere ek prashn ka uttar do rahul.
Rahul : jii puchiye!
Master : yadi shatru pe vaar karna ho toh kab karna chahiye?
Rahul : jab usse bilkul bhi umeed na ho waar ki, ya jab wo sabse zyaada kamzor ho, ya jab uska dhyaan kahi aur kendrit ho.
Master : ekdum sahi jawaab!
Rahul : ????
Master : wese hi mere apne samay ki dushmani jo ab tak chali aa rahi hai, unme se mere kuch Dushman hai jo meri beti ko haani pohchaana chaahte hai. Ye mein pehle bhi tumhe bata chuka hu.
Rahul : jii haa master! Mujhe acchi tarah se yaad hai!
Master : haa! Toh abhi mera bhi dhyaan kendrit hai, yaani ki virus ke kaaran business uthal puthal hone se yahi sabse sahi mauka hai unke liye meri beti ko nuksaan pohuchaane ke liye. Par mein nahi chaahta ki aisa ho. Mein chaahta hu ki mein apna business bhi sambhaal lu aur apni beti ko bhi kuch na hone du.
Rahul : master! Mere khyaal se apko pehle khushi ke baare me sochna chahiye. Business toh dubaara bhi khada ho sakta hai.
Rahul ki baat sunn master mand mand muskuraae aur fir kahe,
Master : hmm! Tumne Sahi kaha. Par mein jaanta hu ki mein dono kaam ek saath kar sakta hu. Aur isliye guru dakshina me mene tumse ye maanga hai rahul.
Rahul : par mein akela ek 21 saal ka ladka bhala unn mafia gundo se khushi ko kese protect kar sakta hai? Aur aap ne ye kaam kisi sarvashreshth bodyguard ko kyu nahi diya?
Master : tumhe kya lagta hai rahul? Ki mein apni beti ke liye bodyguard bhi nahi rakh sakta? Ghabrao nahi rahul! Tumhaare alaawa waha aur bhi bodyguards honge jo khushi ki raksha karenge. Par tumhe isliye chuna hai kyuki...
Rahul : ???
Master : kyuki khushi bodyguards se nafrat karti hai. Usse zara bhi pasand nahi hai ki kaale kapde pehn ke hatte katte log uske agal bagal ghume. Wo kehti hai ki uski friends darr jaati hai.
Rahul : par life toh important hai na master?
Master : haa! Kya karu rahul? Thodi ziddi hai, yadi bodyguard usse dur se protect kare toh wo bura nahi maanti. Par tum toh jaante ho na, dushman ye sab nahi sochta. Usse toh jab mauka milega wo kahi pe bhi kabhi bhi apna waar kar sakta hai. Aur isliye, mein chahta hu ki tum uske saath 3 mahine tak raho. Uske college jao, uski class me raho, aage peeche hi ghumna padega tumhe.
Rahul : par...??
Master : mana mat karna rahul. Mein jaanta hu ki khushi tumhe pakka accept kar legi. Kyuki tum uski umr se zyada bade nahi ho. Wo tumse sirf 3 saal hi choti hai. Wo pakka tumhe mana nahi karegi. Infact! Mein toh chahta hu ki tum dono acche se ghul mil jao.
Rahul : matlab?
Master (mann me) : matlab ye ki kaash tum dono acche se ghul mil jao. Mein khushi par apne faisle nahi thop sakta. Akhir wo meri eklauti bacchi hai. Par uparwaale se darkhaast hai meri ki kaash wo tumhe pasand kar le. Mera kaam asaan ho jaega.
Rahul : master? Aapne jawaab nahi diya meri baat ka?
Master chen ki tandra bhang hoti hai aur wo rahul ko dekhte hai aur fir halki hassi hasste hue kehte hai,
Master : arre! Haha!!... Arre asal me khushi ziddi hai na, toh isliye...isliye mene aisa kaha. Ki tum dono ghul mil jao, jhagda na hoe tumhaare beeche. Haha!!
Rahul : kya wo zyada hi ziddi hai?
Master : umm! Haa hai toh. Par dil ki badi hi acchi hai. Ek baar yadi tumne uske dil me jagah bana lii na toh wo apna sab kuch daav pe laga degi tumhare liye dekhna.
Rahul : hmm?
Master (mann me) : arre kuch zyada bol diya lagta.
Master : mera matlab, usse pyaar se treat karoge toh badle me wo bhi pyaar lautaegi.
Rahul : hmmm!!
Master : kya hua? Kuch chintit lag rahe ho?
Rahul : master! Mein ye sheher chorr kar apna business khada karne ki soch raha tha par ab aapki guru dakshina bhi deni hai. Mujhe 3 months aur wait karna padega matlab.
Master : hmm! Tob kya tum de paoge? Jo mene maanga hai.
Rahul : bilkul master! Mein khushi ko 3 mahine protect karne ke liye ready hu. Par kya mein ye jaan sakta hu ki 3 mahine hi kyu?
Master : kyuki mujhe apna business aur baaki kaam sambhaalne me 3 mahine lag jaenge.
Rahul : ok! Toh meri jaan ko bhi khatra hai na?
Master : *gehri saas lekar* haa rahul! Maaf karna! Par mujhe pata nahi kyu andar se ek anubhuti ho rahi hai ki tum ye kaam kar loge. Daro nahi! Tumhaari jaan bohg mehatvpurn hai. Mein baaki bodyguards bhi tumhaare hawaale kar dunga. Unko tum hi instructions dena. Beech beech me mein monica ko bhi bhej diya karunga. Wo tunhaari help bhi kar diya karegi aur mujhe waha ki report bhi diya karegi.
Rahul : jii! Par yadi meri jaan chali gayi toh?
Master : mein aisa hargiz hone nahi dunga. Tum bilkul fiqr mat karo rahul. Aur ab tak tumhe jo jo sikhaaya hai, samajh lo ki uska asli prayog karne ka samay aa gaya hai. Isse ek pariksha ki tarah hi treat karo.
Rahul : jii!
Master : toh tumhe mumbai jaana hoga!
Rahul : jii!! Kab?
Master : kal hii!
Rahul (surprised) : kal hi?
Master : haa! Tunhaari flight book karwa du na?
Rahul : master!! Mere saath ek friend bhi rahega. Kya aap uska aur mera rukne ka bandobast kar sakte hai?
Master : ye bhi koi kehne ki baat hai? Tum tension mat lo. Uska rukne ka bandobast ho jaega. Par tumhe khushi ke saath hi rehna hoga 3 months tak. Jaha jaha wo jaegi tumhe usse hi follow karna hai, harr waqt.
Rahul : j...ji! Chaliye mein chalta hu fir.
Master : hmm!
Rahul fir baahar nikal apni bike utha ke ghar ki or jaane lagta hai. Ekdum se sab kuch badal chuka tha. Usse ek naya task mil gaya tha. Jiske liye shayad wo taiyaar nahi tha.
Rahul (mann me) : toh isliye master ne mujhe inn 6 mahino me bodyguard ki training dii aur wo jaanlewa moves sikhae taaki mein unka use Khushi ko protect karne me kar saku. Matlab master ne ye boht pehle hi soch liya tha. Hmm!
Par mein unhe mana kese kar sakta tha? Guru dakshina toh deni hi hoti hai, upar se unhone meri kitni madad bhi kii hai. Bas problem hai toh keval 2 baato ki.
Yadi meri jaan chali gayi toh? Mere gharwaalo ka kya hoga? Aur dusri baat mera business? Arre haa! Mein aur saurabh toh wese bhi mumbai hi jaane waale the. Ek business ki shuruaat mumbai jese sheher se hi toh hoti hai. Aur ab toh hamaara rehne ka thikaana bhi set ho gaya. Naa hi hamaare paise rent pe kharch honge aur na hi koi tension. Hmm! Mein samajh gaya mujhe kya karna hai. Saurabh se baat karta hu ghar jaake.
Idhar rahul apne ghar ki or prasthaan kar raha tha aur idhar ek bungalow me ek vyakti baithe newspaper padh raha tha aur achanak usne newspaper gusse me marodte hue fek diya.
Aadmi : dhatt teri ki... Saala sab hijde ki aulaad hai.
Ye lucky ka baap tha.
Lucky : kya hua dad!?
Lucky's dad : beta! Hamaari ek daaru ki dukaan ahr band ho sakti hai. Saala inn nikambo naukro se kuch sambhaala nahi jaata. Dimaag kharaab kar ke rakha hai.
Lucky : dad! Wo sab sahi ho jaega. Aap mere baare me toh sochiye kuch. Kab tak mein iss ghar me pade pade sadta rahunga. Uss rahul ki gaand maarni hai mujhe. Bas ek mauka mil jae.
LD : abhi tujhe baahar nahi nikala hai isliye tu bacha hua hai. Saala commissioner bhi mila hua hai uss rahul se. Tu hawalaat me hota yadi ghar par nahi rakha hota tujhe samjha? Thode din aur rukk ja, mein kuch karta hu.
Idhar rahul apne ghar pohucha aur seedhe apne room me chala gaya aur saurabh ko call kiya,
Saurabh : bol bhai!
Rahul: taiyaari karo kal hum Mumbai chal rahe hai!
Saurabh (shocked) : whaaaaaaattttttt? Achanak? Aise? Ekdum se?
Rahul : haa! By flight! Tu bas taiyaari kar mein sab kuch samjha dunga baad me.
Saurabh : accha thik hai yaar!
*Call ends*
Rahul ab soch me tha ki nisha ko kese bataye ye baat ki kal wo jaa raha hai. Aur ye baat kab batayi jae?
Tabhi wo nirnay leta hai ki sabhi ko bata de taaki aaj raat wo sabhi se acche se baat karne ke baad. Kal iss sheher ko alvida keh sake.
Jab rahul ne sabko bataya ki wo kal ye sheher chorr ke chala jayega toh sabhi shocked the, unhe iss baat ki umeed nahi thi ki ekdum se rahul un sab ko chorr dusre sheher jaaega aur wo bhi Mumbai jese bade sheher me. Sabse zyaada chintit aur koi nahi nisha hi thi, ek maa jo thi. Uska beta kese rahega, kya khaega, kya piyega, kaha rahega ye saari baate usse andar se khaae jaa rahi thi. Wahi dusri taraf neha jo thi wo sabse zyada khush thi, uski khushi ka toh koi thikaana hi nahi tha.
Rahul ki jaane ki baat anshu aur vanshu ko bhi pata chali toh wo dono bhi shaam ke waqt hi rahul ke ghar aa gayi taaki uske jaane se pehle kuch pal bitaa sake. Tanisha ko bhi jab pata chala toh wo bhi ekdum se udaas ho gayi aur usse bechaini se hone lagi. Usne kal flight ke samay aakar milne ka waada kiya.
Idhar neha daudti hui nikita ke ghar par pohuchi aur uske room me ghus gayi seedhe.
Neha : oye kameeni! Uth!
Nikita : kya hua yaar? Din me bhi sone nahi deta koi
Neha : ek chamaat lagaungi na... Shaam ke 6 baj rahe hai. Chal uth! Ek mast news hai!
Nikita (uthte hue) : kya hua? Bf bana liya kya?
Neha : chal hattt! Pehle ye mithayi khaa tu.
Kehte hue neha ek piece mithayi ka nikita ke muh me hi thoos deti hai,
Nikita : aaawweeeee....tyaa tar rahi hai...unmmmm
Nikita mithayi khaane ke baad saas leti hai, paani peeti hai aur fir bolna start karti hai,
Nikita : paagal hai kya? Aise kon mithayi khilaata hai? Aur kya mast news hai? Tere sapno ka rajkhmar mil gaya kya?
Neha : arre hatt! Uss se bhi mast news hai!
Nikita : uss se bhi mast news kya ho sakti hai?
Neha (khushi se jhoomte hue) : woh bastard sheher chorr ke jaa raha hai. Omg!! I'm so happy!!!!
Kehte hue wo khud hi ek piece mithayi ka kha leti hai.
Idhar nikita ki aankhein phati ki phati rehti hai, aur thodi derr ke sannaate ke baad wo kehti hai,
Nikita : kya kaha tune? Rahul bhaiya? Sheher chorr ke?
Neha : haa meri baby! Wo bastard jaa raha hai! I'm free now! Mein azaad hu! Mujhe finally chuthkaara mila.
Nikita : par...par kyu? Kese?
Neha : abe tu kya udaas ho rahi? Tu mere side hai ya uske side? Jaa raha hoga kahi. Suna hai mumbai jaa raha hai. Hahahaha! Paisa hai nahi, mumbai me rahega? Bheekh maangega waha. Mumbai kya gaav hai? Zindagi bhar pada rahe wahi pe. Mein toh azaad ho gayi. Haaaassh!! Kal meri taraf se party sabhi darling ladkiyo ko. Hahaha
Nikita yaha tension me kuch soch vichaar kar rahi thi ki tabhi wo daud ke richa ke paas jaati hai,
Nikita : dii! Dii darwaaza kholiye!
Richa (door open karte hue) : kya hua nikki?
Nikita : dii! Rahul bhaiya sheher chorr ke mumbai jaa rahe hai?
Richa (thodi derr chup rehne ke baad) : haa! Rahul mumbai jaa raha hai.
Nikita : aur aapne unhe roka bhi nahi?
Richa : nikki tu pagal ho gayi hai kya? Usse mein kyu rokungi? Kya tum nahi chaahti wo bhi ek bada aadmi bane? Akhir usse bhi toh apna naam kamaana hai na?
Nikita : par...par wo yaha reh ke bhi toh paise kama sakte hai na?
Richa : abhi tum nahi samjhogi. Aur yadi rahul ne aisa kiya hai toh kuch soch samajh kar hi kiya hoga. I believe in him.
Neha : hmph!
Nikita : toh? Toh hum kal chal rahe hai na? Unse milne?
Richa : haa! Airport pe milne chalenge.
Nikita : o...ok!
............................
Idhar raat me rahul ne anshu aur vanshu ke saath raatein rangeen kii. Dono boht zyaada hi udaas thi ki rahul kal jaa raha hai. Bechaari Nisha ko koi mauka nahi mil paaya iss baar.
Akhir wo din aa hi gaya. Jiska rahul ko toh besabri se intezaar tha saath hi saath neha ko bhi. Rajesh ko pata tha ki rahul ne yadi ye decision liya hai toh kuch soch samajh kar hi kiya hoga. Isliye rajesh ne khushi khushi rahul ka decison accept kiya par uske account me paise bhi daal diye. Ye unka farz tha unke hisaab se.
Aaj nisha ne khaane me rahul ki favourite dishes banayi thi. Uski udaasi sabhi ke saamne jhalak rahi thi. Jese tese wo khud ko rone se roke hue thi. Neha sabse zyada khush thi, wo soch rahi thi kab shaam hoe aur rahul ye ghar se nikle aur wo apni friends ko party de.
Shaam hui, sabhi log car me baith ke pohuche airport. Nisha toh foot foot kar rone hi lagi. Anshu aur vanshu bhi udaas sii khadi hui thi. Saurabh bhi apne gharwaalo ke saath aa gaya, uske gharwaalo ko rahul ne pehle hi mana liya tha uske saath jaane ke liye.
Tabhi richa bhi nikita ke saath aa gayi, aur uske turant baad hi tanisha bhi aa gayi. Sabhi ne ek dusre se mila aur rahul ko goodbye kehne ke liye rukk gaye.
Sabhi log maujood the. Ye pal sabhi ke liye kashtdaayak tha, sivae neha ke. Wo toh bilkul hi ulta feel kar rahi thi. Sabse zyada khush toh wahi thi. Rahul ne sabhi ke gale lage, neha sabse dur side me khadi hui thi.
Wo bhi soch rahi thi ki kab ye draama shaama khatam hoye aur wo ghar jaake party ki taiyaari kare.
Abhi rahul iss se aage badhta, tabhi waha monica aa gayi. Aur rahul ko kass ke hug kar diya. Monica ko keval richa jaanti thi kyuki usne hi master aur monica ko dekha hua tha iss se pehle. Par baaki sab ke liye ye nazaara naya tha. Anshu vanshu tanisha ke liye toh chaukaane waala tha.
Anshu : arre didi! Ye husn ki pari kon hai? Dekho toh! Bhai ke gale lagi hai.
Na chaahte hue bhi anshu ko maan na pada ki monica uski takkar ki thi khubsoorti me.
Vanshu : chotii! Mujhe nahi pata! Koi nayi gf toh nahi bana lii iss cutie ne?
Anshu : nahi dii! Aisa hota toh bhai hame bataate.
Tanisha : mere khayaal se wo darling ki khaas friend me se ek hai.
Anshu aur vanshu saath me : darling??????
Tanisha bechaari sharm se laal hokar apna chehra chhupa leti hai.
Anshu : oh ho! Kya baat hai! Darling haa?? Darling???
Tanisha : bas bas! Ab boht hua! Us par dhyaan do tumlog! Hum toh already team me hai. Par wo hamari competitor ban sakti hai.
Vanshu : cutie ko mein uske changul me nahi jaane dungi
Tanisha : vanshika! Tum bhool gayi kya? Hum sab rahul ke hai.
Vanshika (sad hokar) : haa! Rahul sirf mera nahi hai. Mein jaanti hu ye...
Monica : master ne kaha hai ki wo beech beech me mujhe tumhaare paas bhejenge.
Rahul : haa! Bataya tha unhone!
Flight aa chuki thi, rahul jaane hi waala tha ki nisha ne usse bulaya aur agle hi pal usne neha ko peeche se dheere se dhakel ke rahul ki taraf aage kar diya,
Neha surprised sii khadi palat ke nisha ko dekhi jese puch rahi ho ki mom ye aap kya kar rahi ho?
Nisha (ruwaase swar me): jaa ke gale lago apne bhai se
Neha (phati aankho se) : mom????????
Nisha (gusse me) : mene kaha jaake gale milo uss se.
Neha : par? Par...?? Dad??
Rajesh : mom ne sahi kaha. Jaake gale milo apne bhai se neha.
Neha : nahi! Kabhi nahi! Mein...mein kese?
Nisha : nehaaaaa!!! Jaati ho ya nahi??
Neha(mann me) : mom dad ko achanak kya ho gaya hai? Wo mujhe force kyu kar rahe hai?
Neha ka mind : arre soch kya rahi hai? Mil le gale ek akhiri baar. Ye kyu nahi sochti ki iske baad tu free ho jaegi. Yadi ek baar gale mil lene se tujhe azaadi mil rahi hai toh jaa na!
Neha(mann me) : haa! Baat toh sahi hai! Aise me mom dad bhi naraaz nahi hoenge aur mein bhi iss se hamesha ke liye peecha churra lungi.
Tabhi neha rahul ki taraf aage badhti hai aur bina mann ke ajeeb sa muh banaate hue usse gale lagaane ke liye aage badhne lagti hai, tabhi rahul usko kandho se pakadta hai, ek haath uske gaal par rakhta hai aur aage badh ke uske kaan me aisa kuch kehta hai, jisse sunkar neha ki aankhein phati ki phati reh jaati hai aur uska shareer sihar uthta hai.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi dosto!!
Dhanyawad!!