• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Akhir kyu? From hatred to love (Completed)

Kya hero ne jo bhi kiya wo sahi kiya? (Voting aap sabhi 2-3 update pdhne k baad karna)

  • Hn sahi kiya

    Votes: 353 67.0%
  • Nahi, apni behan k sath aisa nhi krna tha

    Votes: 60 11.4%
  • Rahul nirdosh hai

    Votes: 94 17.8%
  • Neha nirdosh hai

    Votes: 20 3.8%

  • Total voters
    527

-:AARAV143:-

☑️Prince In Exile..☠️
4,422
4,138
158
Bahut khoob update bhai..
Lekin Yaar ab hum readers ko raaj pata lagne do..
Ye neha Ka behaviour mujhe acha na lag Raha Rahul ke prati jaldi hi dono ki sulah Kar do..
 
  • Like
Reactions: Naik and Werewolf

Aryanv

Active Member
1,319
4,003
158
Awesome update
 
  • Like
Reactions: Naik and Werewolf

Ikri

Member
185
423
78
Bhai nice update.
Aapne ache tarah se story aage badhayi hain.
Magar mujhe thoda dukh hain kyunke mujhe lag raha hain ke ab wo raaz pata lagane aur neha aur rahul ke kareeb ane ke liye bohot time lagega.
Mujhe bohot khushi jogi agar mera sonchna galat ho aur hame aur neha ko ye raaz jald hi pata lag jaye.
Coming to update review:
Anshu ka neha ke bare me sonchna aur uske dukh ko samajhna ye angle bohot acha hain.
Mujhe to laga tha neha ko sab dur kar rahe hain apne aap se uski rahul ke liye nafrat ko dekh ke, haa dab pyaar to karte hain par neha jis jagah phasi hui hain wo abhi bhi apne bhai ki wo baate hain josne uske saare sapne tod diye aur wo abhi tak unhi baato me phasi hui hain. Usne uske baad na kisi se dosti banayi aur nahi uski koi casual masti or maze karne ke bare me bataya gaya hain abhi tak.
Usko shayad ab anshu sambhal sakti hain.
 

Werewolf

ʀᴏɢᴜᴇ ɴɪɴᴊᴀ
Supreme
13,863
98,550
259
Bhai nice update.
Aapne ache tarah se story aage badhayi hain.
Magar mujhe thoda dukh hain kyunke mujhe lag raha hain ke ab wo raaz pata lagane aur neha aur rahul ke kareeb ane ke liye bohot time lagega.
Mujhe bohot khushi jogi agar mera sonchna galat ho aur hame aur neha ko ye raaz jald hi pata lag jaye.
Coming to update review:
Anshu ka neha ke bare me sonchna aur uske dukh ko samajhna ye angle bohot acha hain.
Mujhe to laga tha neha ko sab dur kar rahe hain apne aap se uski rahul ke liye nafrat ko dekh ke, haa dab pyaar to karte hain par neha jis jagah phasi hui hain wo abhi bhi apne bhai ki wo baate hain josne uske saare sapne tod diye aur wo abhi tak unhi baato me phasi hui hain. Usne uske baad na kisi se dosti banayi aur nahi uski koi casual masti or maze karne ke bare me bataya gaya hain abhi tak.
Usko shayad ab anshu sambhal sakti hain.
Bhai raaz khulne hi waala hai. I think 1 ya do update ke baad khul jaega. Anshu ka role aane waale updates me important hai.
Dhanyawad!
 

Naughtyrishabh

Well-Known Member
9,684
29,052
218
Update 74

Ab tak...


Rahul : haa! Jhoola jhoolte time jo awaaz aati hai... Mumbai aate time mein uss park me ghoomne gaya tha. Uncle rajneesh ko pata hai ye baat. Mujhe itna toh pata tha ki wo imran central railway station ke paas hai. Aur uss jhoole ki awaaz ne sab kuch clear kar diya. Par haa... Wo meri guessing thi. Yadi galat nikalti toh boht bura ho sakta tha...

Kehte hue rahul khushi aur preeti ko leke college se leke chala jaata hai aur idhar Urvashi aankhein phaade usko jaate hue uski peeth ko dekhti rehti hai...


Ab aage...

Agli subah rahul thoda derr se utha, abhi subah ke 8 baj rahe the, usne sabse pehle fresh up hone ke baad exercise ki aur fir breakfast ke liye chal diya par yaha toh kitchen me aake usse breakfast toh dikha hi nahi. Jab rahul ne rajneesh uncle ke room me jaake dekha toh pata chala unka room andar se lock hai aur wo shayad abhi bhi so rahe hai.

Rahul (mann me) : aaj rajneesh uncle uthe hi nahi? Kamaal hai!! Maana ki aaj Sunday hai par isme itni derr tak sona?? Arre... Kahi aisa toh nahi ki kal rajneesh uncle saara kaam nipta ka late aae ho aur abhi unki neend poori nahi hui hogi... Haa! Ye dono khushi aur preeti bhi so rahi hai! Chalo fir! Aaj breakfast sabke liye mein hi bana deta hu. Mom ne mujhe kuch acchi dishes banaana sikhaya hi hai... Aaj unme se hi kuch bana deta hu.

Rahul idhar breakfast banaane ki taiyaari me lag gaya, udhar upar khushi aur preeti ek dusre ke agal bagal laiti hui so rahi thi. Khushi ki neend pehle khuli aur usne dekha ki preeti uske bagal se laiti hui hai, rahul ne kal preeti ke so jaane ke baad khushi ko bataya tha ki preeti uske liye kitni pareshaan thi. Yahi sab soch khushi preeti ko tension free sota dekh muskura deti hai aur uth ke angdaayi lete hue baith jaati hai, tabhi usse kal preeti ki rahul ko gaal par kiss karne waali baat yaad aa jaati hai aur firse uske mann me kuch kuch chalne lagta hai.

Wo preeti ko hila ke uthaati hai aur fresh up hoke neeche jaane lagti hai toh usse khaana pakne ki bohut hi adbhut sii sugandh aati hai aur wo daudte hue kitchen me jaati hai toh paati hai ki rahul kuch bana raha hai...

Khushi (surprised) : tum?? Rajneesh uncle kaha hai?

Rahul : wo shayad kal ke kaam se thake hue hai, isliye abhi tak so rahe hai.

Khushi : ohhhh!

Rajneesh ka naam liya aur rajneesh bhi haazir ho gaya,

Rajneesh : maaf karna mister rahul... Kal mein raat me late aaya isliye late utha, aapko ye sab karne ki koi zaroorat nahi hai. Laaiye mein kar deta hu.

Rahul : arre nahi nahi! Rajneesh uncle! Aaj aap baithiye, aaj mein khaana parosunga aapko.

Rajneesh : arre nahi! Par...

Rahul : kya hua? Ab ye mat kehna ki khushi ne aapko pehle kabhi paras ke nahi khilaaya...

*Silence*

Khushi udaas sa muh bana ke sar jhuka leti hai, baat sahi thi rahul ki. Aaj tak rajneesh hi sab kuch bana ke khilaata tha aur khushi ne aaj tak rajneesh ke liye kuch nahi kiya tha.

Khushi dheere dheere chal ke rajneesh ke saamne aati hai aur uske liye ek plate rakh deti hai,

Khushi (dheemi si awaaz me) : aap baithiye uncle, mein aap ko serve kar dungi.

Rajneesh : par miss...

Khushi : please!!!

Rajneesh (mann me) : miss ke behaviour me kitna change aa gaya hai. Ye sab mister rahul ki wajah se... Yadi inn dono ki shaadi hui toh waqai dono boht acche couple banenge. Mister rahul miss ko boht acche se sambhaal sakte hai...

Rajneesh bhi bina bole baith jaata hai tabhi upar se preeti koodati phaandti aati hai aur khushi ke gale lag jaati hai uske baad rahul ko bhi peeche se jakad leti hai. Ye dekh ke toh Khushi ki aankhein hi chaudi ho jaati hai.

Jab preeti ko dhyaan aata hai ki usne kya kiya toh wo bina kuch bole sar jhuka ke dining table par baith jaati hai. Idhar bechaari khushi apne aap ko dosh de rahi thi ki usne hi shuru me rahul se acche se baat nahi kii aur ab preeti aur rahul ka rishta kitna smoothly jaa raha tha dono apas me hug kar liye bina koi rok tok ke. Par kya wo aisa kar sakti hai? Uske pichle bartaav ko dhyaan me rakhte hue toh bilkul bhi nahi aur issi baat ko lekar ab wo regret kar rahi thi.

Breakfast khaa ke toh jese sabka mann hi praffullit ho gaya. Nisha ki dishes ne jese jaadu hi kar diya. Aaj rahul ko apni mom pe bada garv ho raha tha. Preeti khaane ke baad wapas se apne room me chali gayi. Rajneesh uth kar jab plates dhone laga toh rahul ne usse bhi bhej diya aur wo saari plates dhone laga. Khushi bhi uth ke aayi aur uski madad karne lagi.

Tirchi nazro se wo rahul ko dekhti, aur fir sharma ke sar jhuka leti. Usse samajh nahi aa raha tha ki wo kese approach kare rahul ko. Kese baat kare uss se? Kal jab wo saari umeed chorr chuki thi tab akela ek rahul hi aaya tha uske liye waha par aur uski ye entry jese hamesha ke liye khushi ke dil ke andar ke chhaap chorr gayi.

Rahul : toh? Aaj kesa laga?

Rahul ke kehne par jese khushi hosh me aayi aur ekdum se puche gaye sawaal se hadbada gayi,

Khushi : haa? Wo...wo mein...

Rahul : relax!! Mene pucha ki aaj kesa laga sabko apne haatho se serve karke?

Khushi (dheemi sii awaaz me) : accha laga...

Rahul uski ye harkat dekh mann hi mann muskuraata hai aur fir anjaane me hi uske sar ke upar haath rakhkar kehta hai,
"Kabhi kabhi dusro ke saath bhi ghula mila karo. Aaj ki tarah unhe bhi kabhi kabhi serve kiya karo. Unhe bhi accha lagega aur tumhe bhi. Wo umr me humse boht bade hai, toh humaara bhi farz banta hai ki hum unki harr roz ki mehnat ke badle kuch kare unke liye."

Uski ye baat sunte hi jese khushi kho sii gayi rahul ke chehre me. Bechaari ko na maa ka pyaar mila, aur baap ka pyaar bhi nahi mil paaya sahi se kyuki master toh gwalior me hi sthit ho gaye par bechaari khushi akele hi sab kuch karti aa rahi thi. Koi bhai behan nahi, keval preeti hi thi uske saath jo uske saath har dum rehti. Aaj usse laga jese uske paas boht kuch nahi tha. Par jab rahul uske liye usse bachaane aaya toh uske dil ne jese kaha ki koi toh hai jo uske liye khada hua usse bachaane.

Sabr ka baandh toota aur khushi ro padi. Apne sar par rahul ka haath mehsoos karke abhi usse itna aanand aa raha tha ki wo ye pal thamne nahi dena chaahti thi. Ab uss se jese raha hi nahi gaya aur usne apne dono haath felaaye aur zor se rahul ki chhaati me ghus gayi.

Uski pakad dekh ke toh rahul bhi ek pal ke liye hairaan ho gaya, itni tightly khushi ne uski shirt jakdi hui thi. Na jaane kab se wait kar rahi thi iss pal ka.

Khushi (rote hue) : I'm sooorryyyyyy.... I'm sorryyyyyyy.... I.. am...soryyyyy...

Rahul : aur wo kis liye?

Khushi : tumhe bura bhala kehne ke liye... Starting me mene tumhe...kitna...kitna bura kaha, uske liye... Sorrrryyyyy...

Rahul ne bade hi pyaar se uske sar par haath fera aur usse chup karaaya aur apne seene se lagae rakha.

Kuch derr baad hi khushi khilkhila ke hassne lagi, toh rahul ne uska kaaran pucha,

Khushi : mein aaj boht khush hu... Boht Khush..
Kya hum shaam ko shopping par chale? Pleeeaaassseeee!???

Rahul : uhmmm... Thik hai.

Khushi : thank you!!!

Wo kehte hue upar chali gayi. Subah gayi, din hua aur darwaaze par kisi ne dastak de dii...

Rahul uth ke door kholne ke liye gaya toh door kholte hi uspe koi jhapat pada. Lambe kaale baal, jaani pehchaani si khushboo, ye ehsaas, narm stano ka anubhav.

"Tum thik ho?? Idiot kahi ke...mujhe laga tumhe zyada chot aati hai? Koi kaam dhang se nahi hota tumse, mujhe yaha tak aana pada..."

Rahul ne dekha toh paaya ye koi aur nahi monica hi thi.

Rahul (surprised) : aap yaha?

Monica : haa! Mein yaha! Kal rajneesh uncle ne sab bataya. Bataya ki tumhe bhi chot aayi hai thodi aur mujhe toh kuch din baad aana tha par ye jaan ne ke baad mein khud ko rok nahi paayi. Aur flight leke yaha aa gayi.

Rahul : ohh! Andar aaiye pehle.

*Kuch derr baad*

Monica : master ko tumpar bada garv hai. Wo behad khush hai aur rajneesh uncle ne uss imran se sab kuch ugalwa liya hai. Master ke dushman ka pata lag gaya hai. Ab tumhe aur kuch karne ki zaroorat nahi hai, tum chaahe toh ye sab yahi chorr kar apne career par dhyaan de sakte ho. Aage ka master sab sambhaal lenge.

Rahul : whaaat??? Matlab? Mein free hu??

Monica (smiles) : haa!!

Iss se pehle ki rahul kuch jawaab de paata, peeche se aayi khushi ne sab sunn liya tha.

Khushi : monica didi aap??

Monica : hello khushi!! Kesi ho?

Khushi : mein acchi hu didi. Par ye mein kya sunn rahi hu... Rahul...rahul jaa raha hai?

Monica : haa! Uska kaam ab yaha khatam hai. Baaki ka tumhaare papa deal kar lenge. Toh ab rahul ka koi kaam nahi hai.

Ye sunte hi khushi daud ke rahul ka haath zorr se apne haath me le leti hai,

Khushi : nahiiiii... Dad ne 3 mahine ka kaha tha na? Toh fir abhi 3 hafte me hi rahul kese jaa sakta hai? Mein... mein kahi nahi jaane dungi.

Monica thodi surprised thi. Khushi kitni intimately rahul ke haath ko pakde hue thi. Rahul ka haath khushi ke boobs me dhass raha tha.

Ye baat monica notice kar rahi thi ki kese khushi rahul ke haath ko pakde hue hai, na jaane kyu par khushi ko rahul ke itna close dekh usse kuch accha sa nahi laga. Aage badh kar usne rahul ka dusra haath pakda aur kaha,
"Haa! Yadi rahul ne chaaha toh wo jaa sakta hai akhir uska bhi toh career hai na? Wo sirf tumhaare liye hi toh nahi reh sakta yaha zindagi bhar. Hai na?"

Dono ki behas sunn rahul samajh gaya tha ki usse kya karna hai,

Rahul : okay okay! Fine!! Mene master ko 3 months ka kaha tha, ab mein peeche nahi hatt sakta. So I will be with khushi for 3 months.

Khushi : yesssssssss...

Monica : as you wish!!

*Call incoming*

Rahul (mann me) : taniya ka call? Meri chhipkali se boht dino se baat bhi nahi hui hai
Baat kar leta hu...

Rahul : hello?

Taniya : he....hello?

Rahul : aur chhipkali! Kesi ho?

Taniya (blush) : me..mein thik hu. Tum?

Rahul : mein bhi bhala changa hu. Par tumhe kya hua? Itne dheere dheere kyu bol rahi ho?

Taniya : nahi...wo... Dhattt!! Chapadganju kahi ka...

Rahul : hahahahaha!! Ye hui na baat. Ab bolo!

Taniya (smiles) : hmm! Wo... Ruchi didi ki shaadi ki date fix ho gayi hai.

Rahul : whaattt? Wooww!! Ye toh badi hi khushi ki baat hai!

Taniya : haa! Date 5 mahine baad ki hai. Matlab winter ki starting me.

Rahul : okay!! Hum zaroor aaenge!

Taniya : hmmm! Mom ne bua ko bata diya hai, mene socha tumhe mein khud hi bata du.

Rahul : thanks! Toh ab hum tabhi milenge.

Taniya (blush) : hmmm! Mein tumhaara wait karungi.

Rahul : ohh hoooo... Chhipkali tu kabse itne meethe bol bolne lagi? Hehe..!

Taniya (blush) : uss din park ke baad se hi!!

Rahul : ???

Taniya : tumhe pata hai na? Rahul?? Tumhe yaad hai na? Mene kya kaha tha tumse? Bhoole toh nahi ho na?

Rahul : mujhe yaad hai!

Taniya (smiles) : I'll wait for you!! Bye!!

Rahul : bye!!

*Call ends*
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
I know ye update thoda chota hai but iska ek reason hai. Ye naye arc ke liye ek supporting update ki tarah hai. Matlab ki next update se asli arc shuru hai jisme masala aur romance hai aur kahani ab asli Satya ke boht hi kareeb hai. isliye isme aapko zyada kuch dekhne ko nahi mila. Aur ye short isliye rakha hai kyuki parso yaani Wednesday ko hi next update aa jaega.
Toh baar baar kehna mat ki bhai chota update chipka diye ಡ ͜ ʖ ಡ
Behad hi shandar or jabardast update bhai.
Bahut khoob superb.
 
Top