Nice storyUPDATE 1
Introduction:
1. RAJESH MISHRA (AGE-52)
peshe se sarkari bank me manager hai. Aur hero ke father hai.
2. NISHA MISHRA (AGE-48)
Ye housewife hai aur hero ki mother hai.
3. RAHUL MISHRA (AGE-21)
Hamara hero, yeh engineering kar raha hai computer science se aur last year me hai.
4. NEHA MISHRA (AGE-18)
Hero ki choti behan, ye Rahul ke hi college se engineering kar rahi hai same branch se, abhi 1st year me hai.
Baaki characters samay aane par introduce kara diye jaenge.
Ab thodi information inki family aur house construction ke baare me bhi de deta hu.
Rajesh Mishra- ek sarkari employee hai. Matlab sarkari bank me manager hai. Acchi khaasi income ho jati hai aur logo se contacts bhi zyada hai.
Akhir bank me kiska khata nahi hota? Bade se bade raees logo ka khata bank me rehta hai. Inki pohuch bhi hai aur pehchaan bhi hai.
Nature se khush mijaaz vyakti hai, apne dono pyaare baccho ko khoob chaahte hai. Rahul ko toh dost jesa maante hai. Shareer se utne fit toh nahi hai, halka fat aa gya hai belly me. Ab itni umr me toh ye laazmi hi hai.
Nisha mishra- ek housewife hai. Inhone arts se graduation kiya tha ye creative hai boht aur ghar chalana inhe boht acche se aata hai. Sundar bhi hai aur inke haath ka khana inki poori family me famous hai. Bachpan se singing karti aa rahi hai. Awaaz boht madhur hai. Apne dono baccho se khoob pyaar karti hai aur apne pati se bhi. Hindustani naari hai, saari maryadao ka dhyaan rakhti hai aur samaj me apne parivar ki image me chaar chand laga deti hai.
Rahul mishra- MITS se engineering kar raha hai aur akhiri year me hai. Branch computer science hai. School ke waqt 9th aur 11th me bhi computer science hi liya tha.
Padhne me boht hoshiyaar hai. Ek genius keh sakte hai isse. Ye jis cheez me jaata hai usme hi best ban jaata hai. Chaahe wo padhai ho, chaahe sports, chaahe drawing ya handwriting kuch bhi. Isse har cheez thodi boht aati hi hai. Aur adhiktar me ye maahir hai ekdum.
Jab 3rd year me tha toh poore saal gym gya aur acchi body bhi bna li hai. Itni body nahi ki ek dum fool gaya ho, bas itni ki koi bhi kapde pehne toh saare jachte hai ispe. Aur dikhne me toh hai hi smart.
Apne pairo pe khade hona chahta hai aur jald se jald paisa kamaana chaahta hai taaki ghar walo ka paisa ab ispe kharch na ho aur ye ghar ke liye kuch kar sake. Ye logo ko ek jhalak dekh ke hi parakh leta hai ki wo vyakti kis type ka hai. Dimag boht sharp hai iska. Khush mijaaz nature iska bhi hai apne papa se mila hai, singing me bhi boht accha hai, maa se aaya hai singing talent.
Neha mishra- rahul ke hi college me same branch se engineering kar rahi hai. Abhi 12th paas out hoke college me admission liya hai aur college jaate hue abhi 1 mahina hi hua hai. College ki doori ghar se 7-8km hai toh apni friend Nikita ke sath uski scooty me hi jaati hai. Kabhi kabhi uski scooty me petrol bhi bharwa deti hai. Dono acche dost hai. Rahul ko ye bilkul bhi nahi chaahti hai. Usko dekh ke hi isko gussa aane lagta hai. Boht hi sundar hai, maa se mili hai sundarta. Attitude bhi hai, par logo se lehze me bhi baat karti hai siwae rahul se. Dance karna isse boht pasand hai, aur lambi vacation trips pe jana isse aur bhi pasand hai.
Nikita dubey- Neha ki school time se friend hai aur saath me college le jaati hai usse apni scooty pe.
Dono ke beech boht achhi bonding hai.
Uska bhi ek reason hai. Jo rahul se hi juda hua hai. Nikita me rahul ke prati thodi boht feelings hai kyuki usse hamdardi hoti hai neha ke aise bartaav ke kaaran. Usse saari sachhai pata hai but fir bhi uska mann yahi kehta hai ki rahul ko itni hate nahi milni chahie jitni neha usse deti hai. Nikita chulbuli hai aur sath hi sath emotional bhi hai.
Ye tha family ka kuch basic introduction.
Ab thoda house structure bata deta hu.
Ghar me neeche ek bada hall hai.
Hall ke end me wall ke side se ek dining table hai. Fir right side me kitchen hai aur kitchen ke right side me ek washroom hai aur uske bagal me ek store room. Kitchen ke left side jao toh bedroom hai jaha Rahul ke mom aur dad sote hai aur unke room ke aur left me ek khali guest room hai.
Guest room ke entrance ke bagal hi stairs hai jo upar jaati hai.
Upar right side me rahul ka room hai aur left side me neha ka. Upar do hi room hai. Dono acche room hai. Dono me washroom attached hai. Corridor ke end me ek badi balcony hai kapde sukhane k liye aur ek jhoola bhi laga hua hai.
Side se stairs hai jo terrace pe jaati hai.
Toh ye thi saari information.
Dhanyavad dosto, ab kal raat ko agla update aaega. Bane rahiyega mere saath.