Shetan
Well-Known Member
- 14,252
- 37,762
- 259
Ye kisi aur ka nahi khud neha ka plan lagta hai. Apne bhai ko fasane ke lie. Uski birthday party me mili us ladki sayad samil ho.Update - 42
Ab tak...
Kayi saal baad mil rahe the dono. Rahul toh ab pehle se kahi zyada handsome aur smart ho gaya tha. Toh wahi Taniya bhi fuljhadi se bomb ban chuki thi. Dono ek dusre ko hi dekh rahe the. Ki tabhi taniya ne apna bag kandhe se utaarte hue kaha,
"Oye!! Chapadganju! Kya dekh kya raha hai? Chal mera bag rakh ke aa upar kamre me!!"
Ab aage...
Rahul : bhagwaan ne chipkali ko bhi haath perr diye hai
Taniya : kya kaha tune?
Rahul : wahi jo tune suna!!
Taniya badi zaroor thi rahul se 2 saal but rahul usse 'tum' kehke hi bulata tha
Uska maan na tha ki jab taniya usse koi respect nahi deti toh woh bhi bhala kyu de?
Nisha : beta la mein rakh aati hu
Taniya : arre ni bua...aap kyo rakhengi, ye jaega na! Oye! Suna nahi tune?
Anshika (dheere se) : chachi? Taniya didi aur bhai me ladayi chalti hai kya?
Nisha : beta ye dono aise hi hai, dono bachpan se hi ek dusre se aise hi pesh aate hai.
Anshika : ohhh!
Neha : didi laiye mein rakh aati hu apka bag. Uss duffer se kyu muh ladaati ho?
Taniya : thik hai neha! (Rahul ko dekhte hue) Aur tum... Hmph!
Rahul : hmph!!
Din bhar yahi muh baazi chalti rahi dono ke beech. Tabhi ye decide hua ki shaam ko ye sabhi ghumne jaenge... Tab tak car bhi wapas aa jaegi ghar me.
Jab rajesh ghar aate hai wapas toh taniya se bhi milte hai uske baad rahul sabhi ko leke ghumaane nikal jaata hai
Sabhi pehle shopping karna decide karte hai...
Mall me pohuchte hi sabhi apne liye dresses lene lagte hai. Rahul ko chorr ke. Tabhi taniya usse awaaz deti hai Changing room se.
Taniya : oye chapadganju!!
Rahul : ....
Taniya : Rahulll mere pyaare bhai!!
Rahul : kya hai??
Taniya : please idhar toh aana
Changing room ke paas pohuchke rahul rukk jaata hai tabhi taniya door open karti hai. Ab kyuki anshu aur neha bhi apni apni dresses dhundne me busy thi toh rahul hi ek tha jo free tha.
Door kholte hi taniya ek badhiya sa red crop top pehn ke baahar aati hai.
Tanisha (blush) : ke...kesa lag raha hai?
Rahul (mann me) : mujhe toh pata hi nahi tha ye chipkali itni sundar hai.
Waqai bohut hot lag rahi hai. Par iska attitude... Hmph! Bataata hu isko abhi.
Rahul : bekaar!!
Tanisha (shocked) : wh..whaattt??
Rahul : moti!!
Tanisha : you ....you .... Mere jaisa figure paane ke liye ladkiya marti hai, aur tu keh raha hai mein moti hu?
Kis? Kis angle se moti lag rahi hu mein?
Rahul (mann me) : baat toh sahi hai iski par mein sach kyu bolu iske liye?
Rahul : harr angle se moti lag rahi hai
Taniya : you...you...
Tabhi taniya rahul ke dono haatho ko apne haatho me leti hai aur apni kamar pe rakh deti hai jo ki crop top pehne hone ke kaaran poori nangi thi.
Nangi kamar pe haath rakhte hi rahul ko ek tezz jhatka lagta hai. Waqai! Yadi sabhi ladkiyo me se kisi ka figure best tha toh woh Taniya ka hi tha no doubt.
Taniya (blush) : bol? Kidhar se moti hu?
Rahul bechaara toh taniya ke kamar ke ehsaas se hi pagal ho gaya tha. Samajh me nahi aa raha tha kaha focus kare, uski baato pe ya nangi kamar pe?
Na chaahte hue bhi rahul ne apne haath hata liye aur nazre ferr li. Rahul ke yu nazre ferrne par taniya ko bhi ehsaas hota hai ki abhi abhi usne kya harkat ki aur uska chehra surkh laal pad jaata hai.
Taniya (blush) : idiot!!
Bolte hue wapas andar chali jaati hai.
Fir shopping ke baad sabhi hotel chal dete hai khaana khaane...
Neha : didi aap kya khaogi?
Taniya : kuch bhi yaar...
Rahul : Matlab Dimaag bhi kha legi
Tabhi Neha rahul ko dekhti hai ajeeb nigaaho se aur forun apna phone nikaal leti hai...
Taniya : kya bola tune??
Rahul : wahi jo suna tune
Taniya : just shut up okay?
Rahul : nahi
Taniya : mein bua ko bata dungi rahul tu mujhse baahar bhi aise baat karta hai
Rahul : bata de
Taniya : tujhe bataati hu baad me rukk beta
Rahul : haa haa... Dekh lunga
Anshika : mujhe bhook lag rahi hai, hum order de?
Rahul : sure anshu! Batao kya khaogi meri sweet si pyaari behna?
Anshu (blush) : umm... Jo aap khaoge bhai
Rahul : Thik hai, toh butter paneer, tandoori roti, daal makhani, aur veg pulao kesa rahega?
Anshu : badhiya bhai! Aapki pasand yaani meri pasand! Aapko butter paneer pasand hai?
Rahul : haa!! Mujhe pasand hai...
Anshu : ohhh!
Rahul ne fir menu taniya ko thamaate hue kaha,
"Humlog ka decide ho gaya hai, tumlog dekh lo apna"
Taniya muh fula ke ajeeb nigaaho se rahul aur anshu ko dekh rahi thi, dil me kya halchal machi hui thi pata nahi. Aur fir neha ke saath decide karke taniya apna aur neha ka order bhi de deti hai.
Idhar khaana khaate khaate neha ajeeb tarah se rahul ko beech beech me dekh rahi thi. Na jaane kya chal raha tha uske mann me.
Sab ka khaana ho jaane ke baad sabhi hotel se nikal aate hai aur car me baith chal dete hai.
Taniya : oye chapadganju! Mujhe shoes lene hai!
Rahul : lagta hai bhagwaan ne chipkali ko dimaag nahi diya! Abhi hum sabhi log mall me hi the thodi derr pehle...
Taniya : bhool gayi na. Chal! Ab shoes ki koi acchi sii shop le chal. Warna mein inn sandals me pagal ho jaungi chal chal kar...
Neha : dii matlab aap aur kayi din rukengi na?
Taniya : haa behan! Jab tak result nahi aa jata exam ka, soch rahi hu yahi rukk jau hehe
Neha : wow!! Dii maza aaega!
Rahul : maza aaega? Ghanta...
Taniya : kya bola be? Acche se gaadi chala driver, ekdum chup chap samjha.
Rahul : hmph!!
Tabhi rahul ek shoes ke showroom ke saamne gaadi rok deta hai. Andar aate waqt taniya ki heel ki sandal entrance pe hi stair se bhidh jaati hai aur wo saamne ki or girne hi waali thi ki ek mazboot haath usse pait se pakad leta hai aur girne nahi deta.
Haath ko zor se pakad ke jab taniya wapas seedhi hoti hai toh dekhti hai rahul ne usse bacha liya tha pait se pakad ke. Ye dekh uske chehre pe laali aa jaata hai aur nazre neeche jhuk jaati hai.
Taniya (dheemi awaaz me) : wo...than...thank you!!
Jab koi reply nahi aata 2-3 second tak rahul ka toh taniya apni nazre upar kar ke dekhti hai toh paati hai rahul toh hai hi nahi. Wo already anshu aur neha ke saath andar jaa chuka hai.
Taniya (gusse me) : you...you... Hmph! Accha hai, thank you bol diya hai mene. Tumne nahi suna toh ab firse nahi bolungi mein. Tumhara hi loss hai. Hmph
Andar aake neha aur anshu bhi apne liye sneakers dekhne lagti hai.
Taniya ko kuch samajh nahi aa raha tha konse sneakers le. Aur wo jaanti thi rahul ko iss baare me zaroor bohut knowledge hoga. Par uske ego ke chalte wo rahul se help nahi lena chaah rahi thi.
Rahul samajh gaya tha taniya ko kuch samajh nahi aa raha hai aur wo baar baar uski taraf dekh rahi thi par help nahi maangna chaah rahi thi.
Rahul (mann me) : ye aur iska ego... Sahi me yaar!!
Rahul : bhaiya! Adidas ke stan smith dikhaana inke size ke women waale.
Fir wo sneakers laa ke ek ladki ko de deta hai jo wahi dukaan me kaam karti hai. Fir wo ladki adidas ke stan smith sneakers taniya ko pehnaane lagti hai.
Taniya : wow!! Ye toh bohut comfortable hai! Aur kitne acche lag rahe hai na?
Fir ladki taniya ko chalne ke liye kehti hai aur Taniya chal ke dekhne lagti hai. Aur naye sneakers se wo bohut khush ho jaati hai.
Taniya : mujhe ye lena hai rahul
Rahul : hmm!! Bill bana dijiye bhaiya iska.
Neha aur anshu bhi aa jaati hai. Dono apne liye sneakers dhund rahi thi par jo pasand aaya wo kaafi mehnga tha toh dono ne agli baar khareedne ka decide kiya!
Shop owner : jii aapka 5,999 rupaye ho gaya.
Taniya : whattt?? Itna mehnga?
Rahul : adidas ke hai madam! Itna toh pata hi hoga.
Taniya : yeah! Obviously... I... I... I know this!
Taniya (dheere se) : mere paas itna cash toh nahi bacha ab. Sirf 4000 hi hai. Dress me kharch ho gaya baaki. Maa bohut daategi yadi 6000 ke liye toh.
Rahul : tum 4000 do baaki ke mein de dunga.
Taniya : what?? No way!! Mein tumse kese paise le sakti hu... Ye acchi baat nahi hai
Rahul : tumhe sneakers pasand hai ki nahi?
Taniya : haa pasand toh hai par...
Rahul : haa toh bas chup raho ab. Bhaiya! Ye 4000 aur ye rahe baaki ke 2000.
Taniya ek taq rahul ko hi dekh rahi thi. Pata nahi uske dil me kya chal raha tha.
Fir shop owner shoes pack karwa ke taniya ko de deta hai. Fir sabhi shop se nikalte hai. Neha aur anshu jaldi jaldi road cross kar ke car me ghus jaati hai. Rahul aur taniya bhi road cross karne lagte hai. Tabhi ek car tezzi se aa rahi hoti hai aur rahul taniya ka haath pakad ke usse peeche kheech leta hai.
Ek dum se car taniya ke just saamne se nikalti hai toh uski haalat hi patli ho jaati hai. Fir wo apne haath ko dekhti hai jo iss waqt rahul ke haath ki giraft me tha. Aur fir apne aap hi uski nazre rahul ke chehre par jaake tham jaati hai.
Rahul apna hath chorr taniya ke kandhe par rakh deta hai road cross karwaane ke liye. Ek baar fir taniya ki nazre rahul ke uss haath par chali jaati hai jo uske kandhe par maujood tha aur ek sakht, mazboot, protective, aur safe feeling de raha tha.
Road cross karne ke baad sabhi car me aa jaate hai. Car me neha phone me lagi hui thi na jaane kya kar rahi thi.
Fir thodi hi derr me sabhi ghar pohuch jaate hai.
Rahul apne room me jaane hi waala hota hai ki itne me taniya usse bulaati hai
Taniya : wo...wo...
Rahul : hmm??
Taniya : woo....mein tumh...
Rahul : arre bolo naaaaa....
Taniya : hmph!! Neha!! Mein tumhaare saath soungi. chalo!!
Rahul (mann me) : ajeeb ladki hai. Kahi paagal toh nahi hai?
Anshu : fir mein.. bhai ke saath so jaungi. Bhai aapko koi dikkat toh nahi hai na?
Rahul : nope!!
Sab apne kamre me aa jaate hai. Iss waqt anshu rahul ke room me washroom me thi. Kapde change kar rahi thi. Tabhi rahul saurabh ko call lagaata hai.
Saurabh : haa bhai bol!
Rahul : sabse pehle toh sorry bro! Mere kaaran tu agli company me baith nahi paaya...
Saurabh : bhai gaand toh marni hi thi. Toh mein pehle se taiyaar tha. Bas afsos iss baat ka hai ki saala gharwaale aur chillaane lage hai.
Rahul : hmm! Isliye mene tujhe call kiya hai. Ye bata, tujhe paise se matlab hai ki job se?
Saurabh : matlab?
Rahul : matlab ye ki tu job karke hi paisa kamaana chaahta hai kya?
Saurabh : abe toh business ke liye mere paas koi paisa nahi hai. Toh job hi hai ab.
Rahul : haa par aur bhi kayi tareeke hai.
Saurabh : abeee kya bol raha hai tu? Kahi koi gerr kanooni kaam karne ki baat toh nahi kar raha na?
Rahul : mein tujhe wesa aadmi lagta hu kya be? Ab sunn! Jo jo baat mein kahunga usse dhyaan se sunn! Fir apna faisla sunaana. Ab time aa gaya hai ki mein apni life ko agle sire par leke jau. Dekh! Mujhe pata hai tu computer mein bohut accha hai. Par abhi tujhe sirf computer ke bugs dhundna aur halki fulki repairing karna aata hai. Rahi baat meri, toh mein websites, apps, aur thode bohut software bana leta hu. Par ab mein aisa kuch karna chaahta hu jo hamaare college me kisi ne nahi kiya hoga.
Saurabh : abe saaf saaf bol na kya chaahta hai? Suspense mat rakh!
Rahul : hmm! Mein chaahta hu ki tu mera partner ban ja. Hum app aur sites banaane se shuru karenge. Mein tujhe bhi sikha dunga. Hum unn companies ke liye app banaenge jo abhi nayi nayi khulti hai. Unke liye sites bhi banaenge. Jab paisa aa jaega tab uske liye mere paas aur bhi dhaasu idea hai. Toh bol tu banega mera partner?
Suarabh : mujhe khatre ki ghanti kyu sunayi de rahi hai? Yaar mein aise kese ekdum se bata du.
Rahul : mein tujhe guarantee deta hu agle do saal ke andar hamaare paas dherr saara paisa hoga!
Saurabh : accha aur wo kaise?
Rahul : saare plans abhi bata dunga toh baad ke liye kya bachega haha
Saurabh : abe yaar! Tu sach keh raha hai na?
Rahul : vishwaash kar. Tujhe bas mera saath dena hai. Aur fir hum dherr saara paisa kamaenge. Aur ye kaam koi illegal kaam nahi hai. Bas buddhi ka prayog hai. Par ye mein akele nahi kar sakta. Bol ab! Saath dega?
Saurabh : yaaarrr!! Chal accha maan leta hu ki mene tera saath diya par yadi fail ho gaya tera idea toh? Tab kya karunga mein?
Rahul : ho hi nahi sakta. 100% sure hu mein ki hum success hoenge...
Saurabh : abey yrr! Chal accha thik hai. Ek baar toh tune gaand marwa hi dii hai. Ek baar aur sahi.
Rahul : haha!! Ye hui na baat! Chal accha! Hum parso se shuruaat karenge. Tabhi mein bata dunga kya karna hai.
Saurabh : okk bye!!
Saurabh se baat hote hi anshu bhi washroom se baahar aa jaati hai aur rahul ke bagal se lait jaati hai.
Anshu : bhai!! Mujhe kuch ajeeb sa lag raha hai aajkal
Rahul : kesa ajeeb sa?
Anshu : aisa lag raha hai ki maano jese sab kuch badalne waala hai. Kuch bura hone waala hai. Ya fir kuch aisa hone waala hai jis se kisi ko taqleef hone waali hai boht.
Rahul : kise?
Anshu : pata nahi! Par mera dil keh raha hai jese kuch hone wala hai.
Mujhe darr lag raha hai.
Rahul : yadi kuch hoega bhi. Toh woh acche ke liye hi hoega anshu. Chal ab so jaa.
Anshu : hmm!
Agle din rahul subah naashta kar ke sabse pehle hotel me ek room book karwa leta hai shaam ke liye. Aaj richa ke saath uski date jo thi. Neha bhi kisi kaam se bahar gayi thi aur kuch derr me wapas aa gayi Aur jab rahul jese hi ghar aata hai toh ghar par sabhi log uska hi intezaar kar rahe the.
Sabhi ke chehro par gusse aur chinta waale bhaav the. Jese maano rahul ne koi gunaah kar diya ho aur apni safayi dene ka intezaar kar raha ho.
Ek koi aur bhi tha jo iss waqt ghar par maujood tha aur aankho me aasu the. Ek ladki thi jisse rahul ne aaj tak kabhi nahi dekha aur wo neha ke bagal se khadi ro rahi thi. Aur neha usse khaa jaane waali nazro se ghur rahi thi.
Abhi wo kuch kehta uss se pehle hi neha tezz kadmo ke saath aake uski collor pakad leti hai,
"Teri himmat kese hui aisa karne ki?"
Rahul ki kuch samajh hi nahi aaya ki hua kya abhi abhi.
"Kya matlab?" Badle me rahul ne kaha.
Neha (uchi awaaz me) : teri himmat kese hui bol!
Rahul : kya bakwaas hai ye? Kis baare me baat kar rahi ho tum?
Neha : waaah waahh! Dekho toh maa! Kitna bhola bann raha hai. Yahi toh hai iski dusri shaqal. Bholi bhaali. Asli shaqal ka sach toh dekh hi liya aapne kuch derr pehle.
Rahul : koi bataega kya chal raha hai yaha?
Rahul ki kuch samjha me nahi aa raha tha ki akhir ye Sab chal kya raha hai! Aur behanchod ye ladki kon hai? Pehle toh kabhi nahi dekha. Aur uss se bhi badi baat ye uske ghar me kya kar rahi hai? Aur yadi aayi bhi toh behanchod ro kyu rahi hai? Inhi sab sawaalo se rahul ka dimaag bhara jaa raha tha.
Par uss se bhi khaas baat ye thi ki baaki sab toh usse chintit aur ajeeb nigaaho se dekh rahe the par taniya usse bilkul aise dekh rahi thi jese rahul ek rapist ho. Uska chehra saaf bata raha tha ki rahul ko dekh usse kitni ghin aa rahi thi. Aur toh aur bohut gusse me bhi thi.
Rahul : anshu, maa!! Kya hua kuch bataiye na!!
Nishu : betu!! Mujhe yakeen hai tune kuch nahi kiya.
Rahul : arre par bataiye toh kya hua?
Neha : mom kya bataegi. Mein bataati hu
Ye sunn!!
Tabhi neha apna phone nikaal ke ek audio clip play karti hai.
*Audio clip starts*
Ladki (rote hue) : please! Chorr do mujhe! Mene aapka kya bigaada hai? Please chorr do ...
Ladka : nahi
Ladki : dekho mein... Mein sab ko bata dungi aapki ye harkat...
Ladka : bata de
Ladki : dekho ... Dekho... Police ko bata dungi mein, fir anjaam accha nahi hoga.
Ladka : haa haa dekh lunga!
Ladki : dekho...please!! Mujhe chorr do. Mein aapke perr padti hu, kya milega aapko ye sab kar ke? Mere kapde kyu utaar rahe ho?
Ladka : mujhe pasand hai.
Ladki (cheekhte hue) : nahiiiiiiii
*Audio clip ends*
Jese hi audio clip end hoti hai, rahul ki aankhein phati ki phati reh jaati hai. Ye awaaz toh ek ladki ki thi, aur dusri awaaz... Isme koi shaq nahi tha ki dusri awaaz khud rahul ki thi.
Aur rahul ko ye samajhne me derr na lagi ki jo ladki abhi ro rahi hai uske ghar me ye ussi ki awaaz thi.
Rape case? Wo bhi rahul ke haatho?
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!!