• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance An Importance Of Love

Smith_15

Well-Known Member
8,991
18,189
173
Update👍👏
 

Madybhai

Active Member
708
245
58
Update
 
306
657
93
Update 17
Ab Aage..

Reema:papa aap jakar aaram kar lijiye,aap subah se bahar hai
tabiyat kharab ho jayegi apki.

Ranveer:apne pote ko is halat mai chorkar aram karun kaisi
baat kar rahi ho reema.

Reema:Hum log hai na kuch nhi hoga apke pote ko,lekin
aap aram nhi karenge apki tabiyat kharab ho jayegi,phir
dena adi ko jawab,mai bol dungi apki tabiyat kharab hone
ki wajah adi hai phir soch li jiye kya hoga.

Ranveer:tum toh apne papa ko hi blackmail karne lag gyi
ajib parivaar hai apne pote ko pyar karne bhi nhi dete,ek beta
hai apne baap ko hi gali deta hai ek bahu hai jo blackmail karti rehti hai.

Reema:apke ache ke liye blackmail kar rahi hun,maan jaiye
Doctor ne bhi apko stress lene se mana kiya hai thoda
aram kar lijiye baad mai mil lena adi se
apni beti ki baat nhi manoge.

Ranveer:Haan ja raha hun,lekin yeah pagal ka dhyan rakhna,
shaam ko milne aunga wapas se.

Reema:hmm,thik hai mil lijiyega,mana nhi karungi,abhi
aap aram karne jaiye bahut zaruri hai apka aram karna.

Ranveer adi ko pyar se ashirwaad dekar chale jate hai

Reema,Pallavi,Rashmi,Raju sab adi ko dekh rahe hai
Raju,Rashmi jab aur nazdik jati hai Adi ke pass rone lagti hai

Reema:ab tum log ko kya hua tum kyu rone lag gye ab

Pallavi:royenge hi,bhai ne inko apni choti bhai behen jo mana hai
apne bhai ko is halat mai dekhkar yeah bhi bichare apne apko
rone se nhi rok paye

Reema:idhar aao meri pyare bacho,dekho kuch nhi hua hai adi
ko,bas thoda tabiyat kharab ho gya iska abhi thik ho jayega
adi tum log ko apni choti behen bhai manta hai na use pata chalega
tum log royi the bichare ko bhi taklif hogi tum log chahte ho aisa ho.

Rashmi apni anshu poch deti hai: sorry memsaab woh bhaiya
ko aisa dekha toh kabu nhi raha apne aap par mera toh sirf
parivaar ke naam par sirf bhaiya hi hai kuch ho jata toh inhe
mai seh nhi pati memsaab bolkar phir rone lagti hai

Reema:chup kisne bola tum log ka parivaar nhi hai hum log hai na
tum log ko kabhi apne bacho se kam samjha hai kya bas unke dar
se hum tum log se mil nhi pate baat nhi kar pate iska matlab yeah
nhi tum log ki fikar nhi karte,tum log toh mere sabse pyare bache ho

Pallavi:haan nhi toh kya,itna pyar karte hai,bhai aa gya toh
hum log ke pyar ko bhul gye yeah log,turant paraya bana
diya hum log ko

Raju:nhi bhabhi aisa nhi hai,hum log apka,memsaab ka bahut
izzat karte hai aap log ki wajih se toh hume sahara mila warna
is matlabi duniya mai kaun itna karta hai,jitna aap log ne kiya
aap log toh bhagwan ho hum log ke liye.

Reema:apna samajkar hi kiya tum log ke liye bahut pyar karte hai
tum log se bas jata nhi pate,is darr se kahi unhe kuch pata chal
gya toh tum log ka bura haal karenge maaf kar dena bacho

Rashmi:nhi,nhi aap mafi kyu mang rahi hai,aaplog ki mazburi
hai mai samazti hun sab,sahab ka gussa toh hum sab ne dekha
hai,mai samaj sakti hun aap mafi mat mangiye hume bura lagega

Pallavi:Aj kitna acha lag raha hai hum sab aise baithkar baat kar rahe
hai,pahile mauka nhi mil pata tha chahkar bhi ek dusre se baat nhi kar
pate the.

Reema:wajah bhi toh saaf hai,yeah pagal jo idhar befikar hokar so
raha hai,hum sab ko ek dhaage mai bandh diya hai,jiski dori sirf aur
sirf iske hath mai hai.

Rashmi:haan memsaab sahi keh rahe aap,bhaiya bahut ache hai,
bahut pyare hai,humesha meethi meethi batein karke hum sab ko
hasate hai.

Reema adi ko dekhne lag jati hai

Reema:Kya baat hai,itne log ke dil ki dhadkan ban gya hai
mujhe yeah baat pata nhi,ab pata chal gyi hai tu soya hai,
bahut maan kar raha hai tujhse baat karne ka uth bhi ja
kab se soya hai.

Pallavi:sone do bhai ko,kitna pyara lag raha hai,aise hi
dekhne mai dil ko sukoon mil rahi hai jaise bolti hai

Dheere Dheere adi uthne lag jata hai jab ankhen kholta hai
Reema,Pallavi,Rashmi,Raju udhar the

Adi:Arey badi memsaab,aap kuch kaam tha apko,apun idhar
bed par kaise aa gya sorry memsaab galti se idhar so gya
abhi sab saaf karta hai apun.

Reema:let chup chap,khabardar yahan se hila toh,tange tod dungi teri
Rashmi iske liye khana lekar aao,subah se kuch khaya nhi isliye bimar
ho gya hai.

Rashmi:haan abhi lekar ate hai

Pallavi:mai bhi chalti hun tum log ki madat karne

Rashmi:haan abhi lekar ayi

Rashmi,Raju chale jate hai pallavi bhi unke sath chali jati hai

Reema:beta,mujhe maaf kar de mai tujhe pehchane mai
galti kar gyi,apni maa ko maaf nhi karega

Adi:tujhse galti kaise ho sakti hai,tu jo mafi mang rahi
hai,tu toh bahut achi apne bacho ka khyal karti hai,
parwah karti hai,tujhse galti ho hi nhi sakti,maa se
kabhi galti nhi hoti memsaab

Reema:maa insaan nhi hoti,unse bhi ho jati hai
galti jaise aj mujhse hui tujhe pehchane mai

Adi kuch bolta nhi kuch samaj nhi aa raha tha use
kya bole

Reema:kya hua beta,kaunse soch mai pad gya

Adi:kuch nhi,apun kya bole ispar wahi soch raha hai
apun

Reema:kuch mat bol,beta mujhe malum tu acha hai
isliye mujhe pyare bete ko pyaar karne de

Adi reema ke gale lagkar phutkar rone lagta hai

Reema:kyu ro raha hai beta

Adi:bachpan se sochta tha apun ke pass bhi maa hoti
mai unse apna dil ka dard bata sakta unke god sar rakhkar
rota khub sari batein karta,aj tu mil gyi aur mujhe kuch nhi
chahiye.

Reema:tu sachme pagal hai,meri pyare nyare ache ladle masoom
se lal

Adi:itni tarif mat kar apun ki itna toh hai bhi nhi apun

Reema:jo tu hai,woh sab ne dekh liya teri achai kisi se chup
nhi sakti mere pyare bache

Adi:kya mai apun tere ko maa bula sakta hai,bachpan se mera
man tha ek baar meri bhi koi maa ho aj tu mil gyi kya apun bula
sakta hai

Reema:bula na kisne roka hai,mai chahti tu mujhe humesha
maa karke bulaye mai bahut khush jab tu mujhe maa bulayega.

Pallavi,Rashmi,Raju aa jate hai khana leka

Pallavi:yeah lo garam garam khana aa gya
aap log ke liye

Adi:apun ko maaf kar dena apun ki wajih se tum log
ko taklif hui,agli baar se nhi karega apun

Pallavi:Koi baat nhi,hume bhi dhyan dena chahiye itna
nasha jo karta hai teri immunity weak hogi hi

Adi:apun ne varsha se wada kiya hai kabhi nhi chuega,
karta tha apun ke pass ko nhi tha,apun ke pass ab tum sab
hai apun karega nhi kabhi.

Reema:arey waah is baat par mai tumhe apne hath se khana
khilaungi

Adi:mai bhi khilaunga apni hath se apni pyari achi maa ko khana khilayega

Pallavi:mai shriya ko dekhne jati hun,so rahi thi use uthwakar
homework karwana hai mujhe,mai jati hun,aur tum dono
ko kuch aur kaam nhi hai raat ke liye taiyaari nhi karni
tum log ko.

Rashmi:haan aa rahe hai.

Reema:Rashmi,Raju tum log bhi mujhe maa karke bulaoge
mujha acha lagega,bulaoge na

Rashmi:Haan hum zarur bulayenge
bolkar dono reema ke gale lag jate hai

Reema:mere pyare bacho humesha khush rehna

Raju:hume chalna chahiye maa,phir ate hai milne

Rashmi,Raju Adike gale lag jate hai

Rashmi:khyal rakhna apna bhaiya,raat ko dekhne hum log ayenge

Adi:haan zarur ana mai milunga tum log se mere
pyar behna bhai se bina mile nind nhi ayegi mujhe.

Sab wahan se apne kaam ke liye nikal jate hai

Reema apne hath se,adi apne hath se reema ko khana khilane lagta hai..........
 
Last edited:
306
657
93
I hope acha laga hoga aap log ko agla update kal dunga mai
sorry aj socha tha 2 de dunga lekin time hi nhi mil paya
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Smith_15

Smith_15

Well-Known Member
8,991
18,189
173
Awesome👍👏, fabulous.
 
Top