• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance An Importance Of Love

Madybhai

Active Member
708
245
58
Badhiya update
 
  • Like
Reactions: Smith_15

Abhi32

Well-Known Member
8,023
12,406
188
Update 17
Ab Aage..

Reema:papa aap jakar aaram kar lijiye,aap subah se bahar hai
tabiyat kharab ho jayegi apki.

Ranveer:apne pote ko is halat mai chorkar aram karun kaisi
baat kar rahi ho reema.

Reema:Hum log hai na kuch nhi hoga apke pote ko,lekin
aap aram nhi karenge apki tabiyat kharab ho jayegi,phir
dena adi ko jawab,mai bol dungi apki tabiyat kharab hone
ki wajah adi hai phir soch li jiye kya hoga.

Ranveer:tum toh apne papa ko hi blackmail karne lag gyi
ajib parivaar hai apne pote ko pyar karne bhi nhi dete,ek beta
hai apne baap ko hi gali deta hai ek bahu hai jo blackmail karti rehti hai.

Reema:apke ache ke liye blackmail kar rahi hun,maan jaiye
Doctor ne bhi apko stress lene se mana kiya hai thoda
aram kar lijiye baad mai mil lena adi se
apni beti ki baat nhi manoge.

Ranveer:Haan ja raha hun,lekin yeah pagal ka dhyan rakhna,
shaam ko milne aunga wapas se.

Reema:hmm,thik hai mil lijiyega,mana nhi karungi,abhi
aap aram karne jaiye bahut zaruri hai apka aram karna.

Ranveer adi ko pyar se ashirwaad dekar chale jate hai

Reema,Pallavi,Rashmi,Raju sab adi ko dekh rahe hai
Raju,Rashmi jab aur nazdik jati hai Adi ke pass rone lagti hai

Reema:ab tum log ko kya hua tum kyu rone lag gye ab

Pallavi:royenge hi,bhai ne inko apni choti bhai behen jo mana hai
apne bhai ko is halat mai dekhkar yeah bhi bichare apne apko
rone se nhi rok paye

Reema:idhar aao meri pyare bacho,dekho kuch nhi hua hai adi
ko,bas thoda tabiyat kharab ho gya iska abhi thik ho jayega
adi tum log ko apni choti behen bhai manta hai na use pata chalega
tum log royi the bichare ko bhi taklif hogi tum log chahte ho aisa ho.

Rashmi apni anshu poch deti hai: sorry memsaab woh bhaiya
ko aisa dekha toh kabu nhi raha apne aap par mera toh sirf
parivaar ke naam par sirf bhaiya hi hai kuch ho jata toh inhe
mai seh nhi pati memsaab bolkar phir rone lagti hai

Reema:chup kisne bola tum log ka parivaar nhi hai hum log hai na
tum log ko kabhi apne bacho se kam samjha hai kya bas unke dar
se hum tum log se mil nhi pate baat nhi kar pate iska matlab yeah
nhi tum log ki fikar nhi karte,tum log toh mere sabse pyare bache ho

Pallavi:haan nhi toh kya,itna pyar karte hai,bhai aa gya toh
hum log ke pyar ko bhul gye yeah log,turant paraya bana
diya hum log ko

Raju:nhi bhabhi aisa nhi hai,hum log apka,memsaab ka bahut
izzat karte hai aap log ki wajih se toh hume sahara mila warna
is matlabi duniya mai kaun itna karta hai,jitna aap log ne kiya
aap log toh bhagwan ho hum log ke liye.

Reema:apna samajkar hi kiya tum log ke liye bahut pyar karte hai
tum log se bas jata nhi pate,is darr se kahi unhe kuch pata chal
gya toh tum log ka bura haal karenge maaf kar dena bacho

Rashmi:nhi,nhi aap mafi kyu mang rahi hai,aaplog ki mazburi
hai mai samazti hun sab,sahab ka gussa toh hum sab ne dekha
hai,mai samaj sakti hun aap mafi mat mangiye hume bura lagega

Pallavi:Aj kitna acha lag raha hai hum sab aise baithkar baat kar rahe
hai,pahile mauka nhi mil pata tha chahkar bhi ek dusre se baat nhi kar
pate the.

Reema:wajah bhi toh saaf hai,yeah pagal jo idhar befikar hokar so
raha hai,hum sab ko ek dhaage mai bandh diya hai,jiski dori sirf aur
sirf iske hath mai hai.

Rashmi:haan memsaab sahi keh rahe aap,bhaiya bahut ache hai,
bahut pyare hai,humesha meethi meethi batein karke hum sab ko
hasate hai.

Reema adi ko dekhne lag jati hai

Reema:Kya baat hai,itne log ke dil ki dhadkan ban gya hai
mujhe yeah baat pata nhi,ab pata chal gyi hai tu soya hai,
bahut maan kar raha hai tujhse baat karne ka uth bhi ja
kab se soya hai.

Pallavi:sone do bhai ko,kitna pyara lag raha hai,aise hi
dekhne mai dil ko sukoon mil rahi hai jaise bolti hai

Dheere Dheere adi uthne lag jata hai jab ankhen kholta hai
Reema,Pallavi,Rashmi,Raju udhar the

Adi:Arey badi memsaab,aap kuch kaam tha apko,apun idhar
bed par kaise aa gya sorry memsaab galti se idhar so gya
abhi sab saaf karta hai apun.

Reema:let chup chap,khabardar yahan se hila toh,tange tod dungi teri
Rashmi iske liye khana lekar aao,subah se kuch khaya nhi isliye bimar
ho gya hai.

Rashmi:haan abhi lekar ate hai

Pallavi:mai bhi chalti hun tum log ki madat karne

Rashmi:haan abhi lekar ayi

Rashmi,Raju chale jate hai pallavi bhi unke sath chali jati hai

Reema:beta,mujhe maaf kar de mai tujhe pehchane mai
galti kar gyi,apni maa ko maaf nhi karega

Adi:tujhse galti kaise ho sakti hai,tu jo mafi mang rahi
hai,tu toh bahut achi apne bacho ka khyal karti hai,
parwah karti hai,tujhse galti ho hi nhi sakti,maa se
kabhi galti nhi hoti memsaab

Reema:maa insaan nhi hoti,unse bhi ho jati hai
galti jaise aj mujhse hui tujhe pehchane mai

Adi kuch bolta nhi kuch samaj nhi aa raha tha use
kya bole

Reema:kya hua beta,kaunse soch mai pad gya

Adi:kuch nhi,apun kya bole ispar wahi soch raha hai
apun

Reema:kuch mat bol,beta mujhe malum tu acha hai
isliye mujhe pyare bete ko pyaar karne de

Adi reema ke gale lagkar phutkar rone lagta hai

Reema:kyu ro raha hai beta

Adi:bachpan se sochta tha apun ke pass bhi maa hoti
mai unse apna dil ka dard bata sakta unke god sar rakhkar
rota khub sari batein karta,aj tu mil gyi aur mujhe kuch nhi
chahiye.

Reema:tu sachme pagal hai,meri pyare nyare ache ladle masoom
se lal

Adi:itni tarif mat kar apun ki itna toh hai bhi nhi apun

Reema:jo tu hai,woh sab ne dekh liya teri achai kisi se chup
nhi sakti mere pyare bache

Adi:kya mai apun tere ko maa bula sakta hai,bachpan se mera
man tha ek baar meri bhi koi maa ho aj tu mil gyi kya apun bula
sakta hai

Reema:bula na kisne roka hai,mai chahti tu mujhe humesha
maa karke bulaye mai bahut khush jab tu mujhe maa bulayega.

Pallavi,Rashmi,Raju aa jate hai khana leka

Pallavi:yeah lo garam garam khana aa gya
aap log ke liye

Adi:apun ko maaf kar dena apun ki wajih se tum log
ko taklif hui,agli baar se nhi karega apun

Pallavi:Koi baat nhi,hume bhi dhyan dena chahiye itna
nasha jo karta hai teri immunity weak hogi hi

Adi:apun ne varsha se wada kiya hai kabhi nhi chuega,
karta tha apun ke pass ko nhi tha,apun ke pass ab tum sab
hai apun karega nhi kabhi.

Reema:arey waah is baat par mai tumhe apne hath se khana
khilaungi

Adi:mai bhi khilaunga apni hath se apni pyari achi maa ko khana khilayega

Pallavi:mai shriya ko dekhne jati hun,so rahi thi use uthwakar
homework karwana hai mujhe,mai jati hun,aur tum dono
ko kuch aur kaam nhi hai raat ke liye taiyaari nhi karni
tum log ko.

Rashmi:haan aa rahe hai.

Reema:Rashmi,Raju tum log bhi mujhe maa karke bulaoge
mujha acha lagega,bulaoge na

Rashmi:Haan hum zarur bulayenge
bolkar dono reema ke gale lag jate hai

Reema:mere pyare bacho humesha khush rehna

Raju:hume chalna chahiye maa,phir ate hai milne

Rashmi,Raju Adike gale lag jate hai

Rashmi:khyal rakhna apna bhaiya,raat ko dekhne hum log ayenge

Adi:haan zarur ana mai milunga tum log se mere
pyar behna bhai se bina mile nind nhi ayegi mujhe.

Sab wahan se apne kaam ke liye nikal jate hai

Reema apne hath se,adi apne hath se reema ko khana khilane lagta hai..........
Mast update.ab versha aur adi ke beech pyar ho jaye
 
  • Like
Reactions: Smith_15
306
657
93
Update 18

Ab Aage..

Raat ko Varsha Ajay aa jate hai Office se,pallavi gusse
se Ajay ko dekhti hai par kuch nhi bolti

Ajay:pallavi abhi tak naraz ho mafi mang liya tha na maine
bola toh tha kabhi aisa nhi hoga ab toh maaf kar do
gussa tuk do.

Pallavi:apki galti ki wajih se bhai ki kya halat ho gyi thi
malum hai apko,bichare ki tabiyat kharab ho gyi thi apki laparwahi ki wajih se
aap bol rahe hai gussa tuk dun

Reema:Pallavi shant raho,kya bol rahi ho dekh toh
loh kidhar bhi kuch bhi bol deti ho
Varsha ki taraf ishara karke boli thi reema ne

Pallavi ko ehsaas hua varsha idhar hai baat ko
chupane lagti hai

Pallavi:Sorry,mera kehne ka matlab yeah tha
bichare bhai kitna thak gye the iski wajah tum ho ajay.

Varsha:baat mat chupaiye bataiye na kya hua
adi ki tabiyat ko,bahut ghabrahat ho rahi hai
mujhe kuch hua toh nhi
na adi ko

Reema:shant ho jao,kuch nhi hua adi ko,dopahar
ko tabiyat kharab hui thi abhi bilkul thik hai beta

Varsha:yeah baat abhi bata rahe ho mujhe,mera
adi ki tabiyat itni kharab thi mujhe bolna zaruri
nhi samjha aap log ne,kuch ho jata toh kaun zimmedar
hota meri duniya hi cheen jati bolkar rone lagti hai

Reema:varsha shant ho jao,kuch nhi hua hai,sirf
teri duniya thodi na hai hum sab ka jigar ka tukda
hai,hum sab ki duniya mai woh ek aham hissa hai
aise thodi na kuch hone denge adi ko,chalo anshu
pocho,adi dekh lega toh bura lagega use,woh apno
ke ankhon mai anshu bardasht nhi kar sakta,malum
hai na tujhe.

Varsha:kidhar hai adi,mujhe abhi unse milna hai

Reema:kyu itna bechain ho rahi hai,bhaag thodi na
jayega kahi abhi thak kar ayi hai aram kar le phir mil lena.

Varsha:nhi mujhe abhi milna hai,bataiye na kahan hai
please mummy

Reema:Tumhare Dadaji ke room mai hai unse batein kar raha hai,
jao mil lo udhar hi hai.

Varsha bina kuch bole bhagkar adi se milne jati hai

Reema:pagal ho gyi hai yeah ladki,kabhi nhi sudhregi,
tu pallavi aisa kaun bolta hai bichari ki halat dekhi,
kitni darr gyi thi.

Pallavi:Sorry,mummy gusse mai kabu nhi raha,ajay
ko dekhti hi gussa chad gya

Ajay:Sorry pallavi,mai samaj raha hun tum par kya beeth
rahi hai akhri baar maaf kar do please

Reema:maaf kar de pallavi,yeah bhi toh socho,ajay ki
galti ki wajih se hi toh,mai apne pyare adi ko samaj
payi hun

Ajay: Dekha pallavi,maine kitna acha kaam kiya,
mummy ko bhi adi pasand ane lag gya,Dekha
kabhi kabhi anjane mai acha kaam bhi kar deta hun

Reema ajay ka kaan pakadte hue

Reema:Agli baar teri wajih se mere adi ko pareshani hui
pallavi jo karegi woh karegi lekin mai tujhe ghar se bahar
nikal dungi

Ajay:Haan nikal dena,kuch nhi bolunga mai,abhi toh
aap log maaf kar do

Pallavi:nhi mummy,mai maaf nhi karne wali inhe,
apko karna hai karo,apke liye acha hua hai mai
khush hun is baat se,kaise bhul jaun inki wajih se
bichare bhai ache se nasta karke nhi gye aur bimar ho
gye

Reema:mai isme kuch nhi bolungi,sorry ajay tumne
hi pallavi ko gussa dilwaya hai tum hi sambhalo,mai
jati hun bolkar chali jati hai

Ajay:pallavi meri jaan,meri kohinoor maan jao,dekho
tum aise naraz hogi toh meri jaan chali jayegi

Pallavi: Jane do mujhe kya,mai ja rahi hun apna kaam karne,khabardaar
mere piche aye toh,ghar chorkar chali jaungi shriya ko apne
sath le jaungi tadapte rehna zindagi bhar apni biwi bacho ke
liye bolkar chali jati hai

Ajay in mind:kya Ajay kyu bhul gya file tu,teri wajih se adi ki
tabiyat kharab hui thi,kya yaar pallavi ko kaise manau,pahile
fresh hokar ata hun phir sochta hun kaise manegi.

Idhar Dusri taraf

Varsha bhagkar adi ke pass ati hai adi udhar dadaji ke sath
shatranj khel raha tha

Adi:varsha,tum dekho dadaji kitna acha shatranj khel rahe hai
apun ko bahut kuch sikhne mil raha hai,aao tum bhi khel lo
maza ayega tumhe

Varsha Adi ko thik dekhkar rahat ki saas leti hai adi ke pass
akar baith gyi

Varsha:Adi,tumhari tabiyat kaise hai ab,mai suna tum bahut
bimar ho gye the,isliye apne pyare dost ko dekhne aa gyi

Adi:apun abhi thik hai,maa,di,rashmi,raju,dadaji ne itna acha
kyal rakha apun jaldi se thik ho gya

Varsha: Dadaji,mai apse bahut naraz hun,adi itna bimar tha
kam se kam aap toh bol dete,aap ne bhi mujhse yeah baat
chupayi,apse yeah umeed nhi thi

Ranveer:Beta,tum mithesh ko janti hi ho Ajay ke sath kaise
bartav karte hai,woh bhi toh aise hi situation mai fasa tha
aj tak sun raha hai,hume se koi nhi chahta woh sab tumhare
sath ho beta,isliye kisine kuch nhi bola,hum log toh the na
adi ko kaise kuch hone dete,hum sab ka dulara jo hai

Varsha:Tu mila kyu nhi hum log se bina mile hi bhag gya
office se bahut gussa aa raha hai tere pe agar bola na
bhabhi ki wajih se teri tangein tod dungi samjha tujhse
badi gundi hun mai , mil kar jata bhabhi bhi kuch nhi bolti
samjha deti mai bhabhi ko teri tabiyat bhi kharab nhi hoti

Adi:apun tum log ke kaam mai disturb nhi karna chahta tha
isliye chala gya bina kuch bole

Varsha:Kaam Kaam,kaam gya tel lene agli baar aisa kuch kiya
na mujhse bura kuch nhi hoga samaj lena warning de rahi hun

Adi: acha apun ab se aisa nhi karega milkar hi jaya karega terese ab toh
khush

Reema ate hue ranveer ke room mai

Reema:Kya baatein ho rahi hai,mujhe bhi batao,
mai bhi sunungi

Adi:kuch nhi maa,varsha thoda naraz hai uski narazgi
dur kar rahe the apun log

Reema:iski toh bachpan ki adat hai naraz hone ki choti
choti baat par naraz ho jati thi,abhi bhi yeah adat nhi
gyi iski kyu Dadaji

Ranveer:Baat toh sahi hai,abhi bhi muh banakar baithi
hai aisa kar rahi hai adi ki parwah use jyada koi kar nhi
sakta.

Adi: Aisa kahan kaha varsha ne varsha ka naraz hona bhi
jayaz hai apun ne galti bhi toh bahut badi ki hai varsha
ke jagah koi aur hota naraz ho jata dost hai har dost
apne dost ke liye pareshan rehta hi hai apun iske jagah hota apun bhi ho jata pareshan.

Reema: Tu chup kar mai varsha ko tere se acha janti hun
samjha,inhi hathon se pala hai varsha ko,iski adatein se
wakif hun jyada tarafdari mat kiya kar

Varsha: Sorry mummy,dadaji,mai jyada react kar gyi,
agli baar se nhi karungi

Reema: kaunsi nayi baat hai haste hue

Varsha: Mummy chidte hue boli

Reema: Mere pyare bacho ko kabhi kisi ki
nazar na lage dono ko gale laga leti hai

Ranveer: nhi lagegi teri kavach jo mil gya hai
inhe maa ki kavach ke samne har burai gutne
tek deti hai.

Aise hi Ranveer,Reema,Varsha,Adi baat karne
lagte hai.............
 
Last edited:
306
657
93
I hope update acha laga hoga next update kal dunga mai
 

Abhi32

Well-Known Member
8,023
12,406
188
Mast update Bhai
 
Top