• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Anokha Pyar

What do you think about this story


  • Total voters
    20

Raghuavendra007

Active Member
842
1,564
139

Raghuavendra007

Active Member
842
1,564
139
Update 5

Itane jagah ghum liye to ek kamare me aur chalate hain. Jahan ek pyari si ladki apne bister pe soyi huyi hain, uske chehere pe ek pyari si muskan hain jaise wo koi bahut pyara sa sapna dekh rhi ho to agar wo pyara sa spna dhekh rhi hain to ham yahan kya kar rhe hain. Chaliye chalate hain isake sapane me.

Oh kya manoram drish hain, sandhya kaal dubata suraj, Samane ek khubsurat aur bda sa jhil aur charo taraf rang birange phool. Dalare suraj ki kirano ne pure jhil ke pani ko sunhara kar diya hain aesa lagta hain mano Kuber ne apne sone ke khajane ko ek bade katore me palat diya hain. Man kar rha hain ye bus jau.

Are ye kya jhil ke kinare us shila pe koi baitha hua hain aayiye chalate dekhate hain is ladki sapne me koun koun baitha aur kya bat ho rhi hain, magar inhone mujhe dekh liya to hmm are main kaise bhool gaya mujhe koun dwkh sakta hain jab main kahani ka hissa hi nhi hoon jiska hissa nhi waha mujhe koun dekh sakta hain. Chalo pass chalate hain are ye to ek ladka aur ek ladki hain.

Ladki: Aap kab aouge, kab tak ham sapno me milege.

Ladka: main aa chuka hoon.

Ladki: to milate bhi to nhi hain aur sapne me bhi apka ye dhundhala chehera jo dikhayi nhi deta ki hakikat samane aaye to pahchan loon.

Ladka: to mujhe koun sa apka chehera saf dikhayi deta hain. Maine gurudev se puchha tha ki aesa kyo hain to unhone kaha tha har kaam ek samay se hota hain jab samay aayega to dono ek dusare ka chehera dekh paouge.

Ladki: lekin aesa kyo?

Ladka: maine bhi gurudev se poochha tha to unhone kaha ki abhi iska bhi sahi samay nhi aaya ki tum ye jan sako jab shi samay ayega tab pta chal jayega. Vaise kaisa rha aaj ka din?

Ladki: kuch khas nhi bus har roj ki tarah gujar gaya. Mujhe to din se jyada rata ka intejar rahta hain jab aap se aakar mil saku,bdo bat lar saku apki bahon me sakun milta hain.

Ladka: hmm intejar to mujhe bhi rahta aap milane apko bahon me bhar ke mahsoos karne ka.

Ladke ki bat sunkar laski blush karne lagati hain.aur apna muh uski chhati me chhupa leti hain.

Ladki: aur kya man karta hain apka?

Ladka: apko pyar karne ka apka didar karne.

Ladki: wo to har roj karte ho aap mera didar.

Ladka: aese nhi didar karna hain mujhe.

Ladki: to fir kaise?

Ladka: apni rati ke is hushn ko beparfa karke mujhe didar karna hain, mujhe apne jaan ke har hisse se pyar karna hain, uske unnat pahadon ko aur unke biche ke pahadiyo me sair karna chahata hoon uske bad.

Ladka aage kuch kahta ladki ne uske munh par hath rakh diya aur sharmate huye.

Ladki: gande bas bas main sab samajh gayi main bi apne kaamdev ko aesa hi pyar dena chahati hoon magar apko pta hain na maine sapne me bhi bina shadi ke kuch nhi karugi.

Ladka: pta hain.

Ladki: to kar lijiye na vivah kam se kam ham sapne to apke ho jaye.

Ladka: kya main apko apna nhi banana chahata magar gurudev ne sapne me bhi shadi se mna kiya hain.

Ladki: magar kyo?

Ladka: wo kahate hain ham is janam me nhi janam ek sath hote hain jo bit gaya usme aur jo ayega usme bhi, aap meri koi kendra ho isliye jis din shadi kahin pe ho har swaroop me apne aap ho jayegi aur abhi mera swaroop duniya me apke samane aaya nhi hain to aap kaise jawab degi sabko?

Ladki: ye kya bat huyi sapane ki shadi hakikat me kaise pta chalega?

Ladka: maine gurudev se ye bat puchhi thi tab unhone kaha tha ki sapne ki shadi ke bad aap shringar karo ya na karo hakikat ke duniya me aap sabko suhag ki nishani ke sath nazar aaouge shirf aina hi ek madhyam hoga jahan aap sabko dikha paougi ki aap shadi shuda nhi ho kyoki waha apka wo roop hoga jo jis roop me taiyar hogi.

Ladki: iska matlab main khud ko dullhan ke roop me bina taiyar huyi nhi dekh paougi magar puri duniya mujhe us roop me dekh legi.

Ladka: kuch aesa hi samajh lijiye.

Ladki: aap gurudev is bat nidan puchiye baki mujhe pe chhodiye maa se main bat karti hoon iska kya solution ho sakta hain nhi hakikat magar sapne me apke sath hona hain.

Ladka: thik hain main gurudev bat karta hoon is vishay pe, ab hame chalna hoga kyoki subah hone wali hain.

Ladki: itani jaldi.

Ladka: jaldi kahan ham ghanto se sath baithe hain.

Ladki: mujhe ek bat jajani hain?

Ladka: puchhiye.

Ladki: apka hakikat me mujhse milane ka man nhi karta kya?

Ladka: karta to lekin nhi kar sakta kyoki mujhe sapne ki bat bus sapne me hi yaad aati hain hakikat me ye sapna mujhe pta bhi nhi hain.

Ladki: matlab?

Ladka: matlab ye ki jo ye sapna hain mere awachetan man me rahta hain jiske karan mera chetan man is sapne ko nhi janta, magar sapane me mujhe sab kuch yaad rahta hain har din ki bat.

Ladki: to aap gurudev se kaise puchhate hain?

Ladka: unse bhi mulkat sapne me hoti hain to isme koi dikkat hain nhi samajhi.

Ladki: ha samajh gayi magar mere sawalon ka jawab aap kal lekar aayiyega.

Ladka: thik hain.

Ladki: to ab main chalu.

Ladka: ha jarur kal rat fir milege.

Ladki ok bol kar chal deti hain.

Ladka: aap aaj fir bhul rhi hain?

Ladki sharma kar: maine kuch bhool rhi hoo apko jab pta hain ki ham kai janamo se sath hain apko magane ya yaad dilane ki jarurat kyo padati hain aap shidhe apna hak le lijiye.

Ladka ladki bat sunkar ladki pas jata hain aur use apne bahon me bhar leta hain. Ladki apna chehera ladke ke sine me chhupa leti hain.

Ladka ahista se ladki chehera apne taraf uthata hain aur uske chehere ki taraf jhukta chala jata hai. Ladki pyar ki anubhuti me apni ankhe band kar agle kshan ka pratiksha karti hain.

Ladke ka chehera dhire dhire ladki chahere pe jhukna shuru ho jata hain fir wo lmha bhi aata hain jab dono ke adhar ek dusare ke adhron se mil jate hain. Dono is pyar ki anubhuti me dub jate hain. Dono ke nathuno se nikalne wali hawa yani sase ek dusare me ghul jati hain. Prakriti me unke pyar ki mahke felane lagti hain.

Ye prem milap tab tak chalta hain jab tak ki dono ki sanse sath deti hain uske bad dono us chumban ka ant kar apni sase sambhalane lagate hain.

Uske baad ladki jo se ladke gale lag jati hain aur kuch lamho bad alag ho chali jati hain.

Ladka kuchh der wohi rahta hain aur ladki jis taraf gayi thi udhar dekhta rahta hain fir apne gurukul ki taraf chal deta hain.

Gurukul me pahuchkar wo apne gurudev se milane unki kutiya ki taraf chal deta hain. Wo jaise gurudev ke kutiya ke samane pahuchta hain. Awaj aati hain.

Awaj: aao vats.

Ladka ander jata hain- Pranam gurudev.

Gurudev: ashushman bhav. Aao aaj koun sa prashn lekar aaye ho?

Ladka: apko kaise pta gurudev ki main koi prashn lekar aaya hoon.

Gurudev: jab tum apne preyasi se milkar sidhe mere pass aate ho to tab tumhare kai prashn hote hain isliye hame gyat ho jata hain.

Ladka: oh.

Gurudev: to batao kya prashn hain?

Ladka Gurudev ko ladki dwara poochhe gaye sawalon ke bare me poochhta hain jiska uttar gurudev use dene lagte hain.

Gurudev: ho gaya tumhare sawalon ka niwaran.

Ladka: ji gurudev.

Gurudev: to jao apne adhyatm ka gyan prapt karo.

Ladka: ji gurudev.

Fir ladka wahan se uthkar apne shivir ki taraf chal deta hain.


Abhi ke liye bus baki agle update me.
 

Raghuavendra007

Active Member
842
1,564
139
Update 6

Subah 5 baje Hi Raghav apne bed se uth kar fresh hone chala gaya. Fresh hone ke bad wo baith gaya apni sadhna me. 1 ghante ke yog ke bad wo ghar me bane gym chala gaya jahan wo 2 hrs tak khoob pasina bahaya usake bad wo apne room me apne baki subah ke kam nipatane chala gaya.

Kavita bhi subah snan puja karke kitchen me lag gayi thi bhale ghar me kam wali thi magar pariwar ka khana wo khud apne hathon se banati thi. Thodi der me usane breakfast taiyar kar liya tha. Ghadi me bhi 8:30 baj chuke the isliye wo breakfast ko dinning table pe lagane ki taiyari kar rhi thi jab Sunaina aayi.

Sunaina: good morning maa.

Kavita: Good morning beta.

Fir Sunauna bhi maa ke sath milkar kam karne lagi Kavita, Sunaina aur ghar ki maid Manisha ne milkar sara breakfast table par lga diya uske bad Manisha servant quarter ki taraf chali gayi.

Raghu bhi office ke liye taiyar hokar dining table pe aa chuka tha uske picche pichhe Raghav aur Naina bhi aa gayi sabhi ne ek dusare ko greet kiya aur fir sab baith gaye breakfast karne.

Kavita: Mujhe tum sab logon se kuch kahana hain.

Raghu: ha Kavita bolo.

Kavita: aap se nahin bachchon se.

Raghav: ha maa batayi.

Kavita: mujhe tum tinon se kuch bat karni hain to agar kahin koi plan ho to cancel kar do.

Raghav: Maa mujhe library jana tha lekin nhi jaouga aap ki bat ke bad agar samay raha to chala jaouga.

Sunaina: maa mera kahin jane ka koi plan nhi hain.

Naina: mujhe jana to tha magar itna jaruri bhi nhi hain. Aap batao kab bat karni hain.

Kavita: thik hain break fast ke bad main kitchen ka kaam manisha ko samjha doo uske bad mere room baithege main tum sabko bula lugi.

Teeno ek sath: thik hain maa.

Fir sab breakfast karne lage Raghu ko pta tha ki kya bat karni hain Kavita ko sabse isliye wo puri bat me kuch nhi bola. Teeno bhai bahan breakfast karke apne apne room me chale gaye.

Raghu breakfast karke office ke liye nikalne lga Kavita use darwaje tak chhodane gayi tab

Raghu: Kavita tumne sab soch liya hain?

Kavita: ha maine sab soch liya hain isliye aap pareshan mat ho main bat kar loogi teeno se ab samay aa gaya hain ki teeno ko puri nhi to kuch batein pta ho.

Raghu: thik hain jaisa tumhe thik lage.

Fir Raghu office ke liye nikal gaya. Uske gadi ki awaj sunkar Manisha bhi aa gayi ghar ka kaam niptane. Kavita ne Manisha ko kaam samjhaya aur teeno ko whatsapp me message drop kiya apne room me aane ki.

Thodi der baad Sunaina, Naina aur Raghav Kavita ke room me the jaha pe ek side me seating arrangement thi charo wo hi baithe the. Two seater par dono bahane, ek single seater par Raghav aur Raghav ke thik samane single seater par Kavita.

Sunaina ne bat shuru kari "ha maa batayi kya bat karni thi"

Kavita: main apne bat shuru karu usase pahle main tum logo se ek wada chahiye.

Naina: kaisa wada maa?

Kavita: wada ye hain ki meri bat sunane ke bad jo sawal chaho mujhse poochh sakti ho magar ye jaruri nhi ki main sare sawalon ke jawab doo aur dusara khaskar ye tumhare liye hain Raghav beta ki jab tak tum 21 sal ke nhi ho jate tum is bare me apni taraf se janane ki koi koshis nhi karoge.

Raghav: maa aesi kya bat hain jo aap ye wada chahati hain.

Kavita: beta ye bat tumhare Nana ke pariwar aur Dada ji ke pariwar se judi hain jinke bare tum teenon ko kuch bhi pta nhi hain.

Sunaina: iska matlab hamare nana nani aur dadi dada jinda hain.

Kavita: ha beta magar kuch karan se maine aur tumhare papa ne ye bat tumse chhupayi thi magar ab waqt aa gayanhain ki tum logon ko unke bare me pta chale.

Naina: maa isme wada kahan se aa gaya?

Kavita: beta wada isliye aa gaya ki maine tumhe sari bat nhi bta sakti lekin mujhe pta hain jitna bataougi utna janane ke bad tum sab aur janana chahoge jiska abhi time nhi aaya hain aur khaskar ke mujhe ye wada tumse aur Raghav se chahiye.

Sunaina: maa agar aap bat chhupa rhi hain to koi karan hoga isliye main ham teenon ke taraf se wada karti hoon ki aap jo kahegi wohi hoga.

Kavita: mujhe pta hain tum sab apna wada nhi thodoge fir tum teenon ko meri kasam hain.

Raghav: maa vaise to wada aur kasam dono ki jarurat nhi thi bus aap kah deti to bhi hamse koi kuch koshis nhi karta bat janane ka magar aap ne kasam de di hain to main bhi vachan deta hoon main khud apne taraf se kuch pta karne ki koshish nhi karuga.

Naina: maa main bhi wada karti hoon.

Kavita: thank you mere bachchon apne maa ko samajhane ke liye, ab ye batao tum me Randheer Vansh aur Randheeries Group ke bare koun janta hain tum teeno me.

Sunaina: unhe koun nhi janta maa agar inhe do ke wajah se papa aaj bhi industry me tisare number pe aate hain.

Naina: ha maa main didi se sahmat hoon.

Kavita: iske alawa kuch aur Raghav tum batao.

Kavita ke sawal pe sawal par Naina aur Sunaina hairat se dekh rhi thi aur Raghav ne maa ka sawal sunkar ek minut ke liye ankh band kiya aur fir ..

Raghav: Papa chahate to kab ka number one ho jate magar pta nhi kyo ye in do company se aage nhi jana chahate bus wo itna kam uthate hain ki wo thik in company thik niche rahate hain.

Raghav ki bat par Sunaina aur Naina ki ankhon me hairani ki bhav the magar Kavita shanti se sun rhi thi.

Raghav: ye campany pahle ek insan ki thi wo the Sheimaan Harbansh Ram Randheer jo ki Randheerpur ke Raja the. Unke do bete the Rajveer Randheer aur Rajan Randheer. Randheerpur randhi nadi se do part me bata hua ek uttar aur dakshin part me. Harbansh ji ke jane ke bad company do part me bat gayi aur unse in so company ka nirman hua.

Sunaina: betu tujhe itna kuch kaise pta?

Raghav: are di aap origin of company padho dono company ke origin me ye bat likhi hain.

Naina: maa magar aap ki bat jo aap hamse karne wali ho usase is company ka kya lena dena?

Kavit: sab inhe se lena dena hain beta.
 

Raghuavendra007

Active Member
842
1,564
139
Update 7

Naina: maa magar aap ki bat jo aap hamse karne wali ho usase is company ka kya lena dena?

Kavita: sab inhe se lena dena hain beta. Raghav beta tumne jo bataya wo sahi magar tumane ye nhi bataya ki dono company bati kyo?

Raghav: kyoki maa itani info mila mujhe fir maine aage janane ki koshis nhi ki.

Kavita: okay. Tum logon ko main batati hoon is company hamara kya lena dena magar fir yaad rakhana jo jaruri hain wo bataougi jiski jarurat nhi wo jab samay ayega aur tum logon apne taraf kuch bhi janane ki koshis nhi karoge.

Sab ek sath: hame yaad hain aur ham is bat ka dhyan bhi rakhege.

Harbansh ji ke pariwar me sab shi chal rha tha unke dono bachchon ki shadiya huyi unke bachche bhi huye. Pura pariwar uttar Randheerpur me bade mel milap ke sath rahta tha. Unki do haveli thi jo dono Randheerpur me thi magar jab Rajveer aur Rajan ki bibi preganent thi usi samay kuch ghata wo kya hua ye kisi ko nhi pta lekin kuch bahut badi ghatna ghati thi jiske karan Harbansh ji ne apne pure samrajy ko do bhago me pariwar ke bich bhi bat diya Rajveer ko diya uttar bhag aur Rajan ko diya dakshin bhag, aur apni patni ke sath 6-6 mahine dono taraf rahane ka faisla kiya.

Dheere dheere samay bita aur dono taraf ke bahu ne ek bachche ko janam diya. Rajveer ko beta aur Rajan ke ghar ek beti ne janam liya, dono ghar me khushiya aayi. Harbansh ji ne sirf batwara hi nhi kiya tha dono pariwaron ab ek dusare ke kisi bhi samajik karykarmo me milane mna bhi ka diya tha.

Dono ghar ke ye nanhe bachche bade hone lage isi bich Harbansh ji ka swargwash ho gaya. Dono bachche padhane keliye boarding bhej gaye, magar ye dono pahuche ek hi boarding me jahan ye dono apasi rishte se anjane ek dusre ke dost bane tab inhe ye pta chala ye kis kis gaon se magar dono ko ye nhi pta dono gharon rishta kya pta tha to bus ye ki dono gaon me koi rishta nhi ho sakta na dushmani ka na dosti ka. Magar ye naye jamane ke bachche the inhne dosti rakhi aur sath padhane bahar bhi gaye dheer dheer in dono ki dosti pyar me badal gayi.

Dono is bat se anjan ki ye dono bhai bahan hain. Ye jab apni padhai puri ghar loutane lage tab inhe lga inka samaj inhe alag kar deg isliye inhone India aate pahle court marrige kari fir apne apne ghar gaye.

Jab ye dono ghar pahuche to indono ke liye gharwalon surprice taiyar rakha tha dono sagai tay ho rakhi. Jo dus din bad ki thi. Magar in dono pahle hi job ke bahane ghar chhodane ka plan bna rakha tha jo ek hafte baad ki thi.

Sunaina Kavita ko bich me rokate huye.

Sunaina: maa jab dono apne apne rishte anjan the to ladki na sahi ladka to apne ghar bta sakta tha.

Sunaina ki bat sunkar muskurai fir boli.

Kavita: ha agar us do hisson me jo duriya aayi thi agar wo na hota to ye jarur bta sakta tha magar us gaon me is batware ke bad ek aur kanoon bna tha ki dono gaon me ek dusare ke yahan shadi nhi hogi matlab uttari hisse ki ladki ya ladke ki shadi dalshin hisse ke ladke ya ladki se nhi hogi aur kahin dono ghon ke bachchon me pyar hua to ladki ko kuch nhi kaha jayega magar ladke ki bali devi maa ko de di jayegi. Isliye chahkar bhi dono apne gharon me is bat jikar nhi kar sakte the.

Upar dono ko ek dusare ke pariwar ke bare sirf information thi kyoki Harbansh jinke marne ke bad sari info jo batati ho dono pariwaron kya rishta hain hata di gayi thi ye Harbansh ji akhiri ichchha thi. Raghav ko kahan se mili hain main apni bat khatm larne ke bad poochugi.

Raghav: ji maa.

Kavita: isliye dono ko apna asli rishta nhi pta tha. Dono ne apne gharon kuch nhi bataya aur apne plan ke according dono ne apni maaon ke liye laye gift me sari sachchai kaise kya hua ? Unhe kisase pyar hua fir kisase unhone shadi sab likha chhupa diya, aur sara gift apne kamare ek side rakhkar ghar chhod diya.

Dono us shahar aur jagah bahut dur ek alag shahar chale gaye, unke bad unhe pta chala ki jo sirf dur the un do pariwaron me ab dushmani ho gayi jo har jagah dikhayi deti hain.

Ye han kahani Randheer family ki.

Sunaina: maa is kahani se hamara kya lena dena?

Naina: ha maa aur kya un dono ko ek dusare ke bare kabhi pta nhi chala aur apko ye itna kuch kaise pta hain?

Raghav jo shant baith tha wo bol pda.

Raghav: un dono ko ek dusare bare me pta chal gaya didi, kyo maa maine sahi kahan na?

Kavita: ha beta.

Raghav: ab apkonye batao didi, maa ko itna kuch kaise pta?

Naina: ha batao...

Raghav: kyoki wo ladki koi aur nhi maa hain.

Sunaina aur Naina: tum aesa kaise kah sakte ho?

Sunaina: aur tumhare kahane ka karan kya hain?

Raghav: kyoki is puri kahani me ghar se dur do log huye ek ladka aur ek ladki, to ye kahani maa kaise pta iska karna hain wo ladki maa hain aur dusra mujhe aaj samajh me aaya ki papa kabhi number 1 ya 2 pe kyo nhi gaye business kyoki ek unke pita ki company aur dusari unke chacha ya yu kah lo unke sasur yani maa ke papa ki company hain. Kyo maa maine sahi kaha na.

Kavita ankhon me anshu bhare: ha beta tumne ek dum sach kaha.

Apni maa ki bat sunkar dono bahane ankhe phade apni maa ko deohati rahi.

Sunaina: maa mera sawal fir wohi us ladki yani apko kab pta chala ki aap logo cousin ho?

Kavita ek sans chhodate huye.

Kavita: beta jab tum mere pet me aayi to mujhe ajib ajib sapne aane lage aur meri sehat bigadane lagi tab ek sadhu baba bina bulaye hamare ghar aaye. Unhone pahle mujhe mere pariwar ke bare me bataya fir tumhare papa ke pariwar le bare me . Uske bad unhone hame bataya ki asal me ham dono rishta kya hain? Jisko sunkar ham sadame chale gaye.

Fir unhone ham dono ko samjhaya us sadame se bahar nikala aur bataya ye niyati ka khel hain jo tay tha hona isliye is bat bhool kar apne kam aur pariwar pe dhyan do. Unhone aur bhi kai bat batayi jo tum logon ko samay ke sath pta chalegi.

Fir tumhare papa ne apna sarnem change kiya aur Sunaina ko paida hone ke bad apni kob chhod business shuru kiya aur ham yahan pahuch gaye.

Naina: maa jo bat ab tak chhupi thi wo aapne hame kyo bataya?

Kavita: kyoki bhavishya me kuch aesa ghtna wala jiske karan ye sachchai apne aap tum logon ke samane aa jati isliye bataya taki hamare bachche ye bat bahar se jankar hamse naraj na ho?

Teenon ek sath: maa koi sthit ho ham aap dono se kabhi naraj nhi ho sakte.

Kavita: ye ham dono ko pta hain magar mere bachchon sachchai bahar se pta chale.

Teeno: thanks maa.

Kavita: Raghav beta ab ye batao ki tumhe kaise pta tumhe kaha qo origin of company mili jisme ye dono pariwaron wali info mili.

Raghav: maa mere pass ek book hain jisme Indian company ko purani hain usme unki origin likhi hain wahan se.

Kavita:ujhe wo book dekhani hain le aao.

Kavita ki bat sunkar Raghav uthkar apne kamare book lene chala gaya aur ye teeno uska wait larne lagi, magar Kavita ki bat sunkar ek ankhon me ajab si chamak paida ho gayi thi. Thede der me raghav book lekar aa gaya.

Ragjav ne wo panna khola aur book unke aage kar di.

Kavita, Sunaina, aur Naina: wahan padhane lagi tabhi kuch line apne aap dhudhali hone lagi fir aesi ho gayi ki padhi na ja sake. Ye dekh ke teenon hairat se Raghav ko dekhane lagi.

Raghav: Aap logo mujhe aese kyo dekh rhe ho?

Sunaina: kyoki padate padhate book line achanak dhudhali ho gayi.

Raghav ye sunate book jhatake lekar dekhane lga magar use sab saf saf dikh rha tha. Usne book palat kar teeno ke taraf ka di. Teeno shock lga kyoki line thi magar teeno ne jaise padhna chaha fir dhudhali ho gayi. Sunaina ne fir kuch bolna chaha to Kavita Sunaina aur Naina doni ke hathon ko dabakar bolane se mna kar diya.

Kavita: Tumhe ye book kahan se mili?

Raghav: mere adhyatm guru ne diya hain.

Kavita: main unse milana chahogi.

Raghav: thik hain maa wo har Ravivar milate hain main apko le chaluga.

Kavita: thik hain ab baki batein bad me chalon lunch karne

Fir sab lunch ke liye chal diye.
 

Raghuavendra007

Active Member
842
1,564
139
Top