Update 3
Hame thoda pichhe chalate hain jab Ranvanshi yani Raghu ke ghar me sab khana khakar apne apne kamaron me sone ja chuke the uske kuch der bad hi Raghav ko Simaran ka call aaya tha uske bad ki sari bate hamane update 1&2 me padhi, ye bus update 1 se thoda pahle ki bat hain kyoki haman Raghav ka kamara dekha fir waha se baithi Simar and mandali ka kamara dekha. Abhi bhi kuch log bache hain jinke kamare dekhna jaruri hain aayi chalate hain sabse pahle is ghar ke mukhiya yani Raghu aur Kavita ke bedroom me.
Dono apne apne night dress me bed ke sirhane se tek lagaye baithe the. Dono ke man me jaise koi jung chal rhi thi. Kisi bat ka sanshay dono ke dil me tha.
Dono ek dusare se bat karna chahate the kisi bat ko lekar lekin dono apne apne jado jahad me lage pade the lekin ant me Kavita ne chuppi thodi.
Kavita: aap bhi wo hi soch rhe ho jo main soch rhi hoon?
Raghu: mujhe nhi pta Kavita tum kya soch rhi ho magar main aane wale samay ke bare soch rha hoon us bhavishyvani ke bare me soch rha hoon jo hamare ghar chhodane kuch din pahle guru ji ne ki thi.
Kavita: kya ye mumkin hain aur kya wo bat sach nikalegi jo unhone kaha tha?
Raghu: Tum bachpan se hi apne ghar se bahar rhi shayad tum us samay apne sare rishtedaron ko nhi pahchanati magar main to kabhi ghar se bahar nhi rha hain. Mujhe sab pta hain isliye main ye dave ke sath kah sakta hoon ki guru ji ki bhavishyavani galat nhi hogi jo unhone kaha hain wo vaise hoga. Hamare samay ki bat kuch aur thi magar aaj ke samay me ye hona asan to hain magar is bat vishwas koun karega.
Kavita: lekin meri tension sirf yehi nhi hain.
Raghu: or kya hain?
Kavita: bachchon ko jab sab pta chalega tab kya hoga? Ham kaise unhe kahege ki hamane itani badi bat unse chhupayi hain.
Raghu: ye bat to tum sahi kah rhi ho iska hal to pahle sochna padega.
Kavita: maine soch rakha hain bus aaj aap se discus kare ke kal se bachchon ke aage rakhane ka plan hain.
Raghu: tumhe pta hain fir kya hoga?
Kavita: aap galat soch rhe hain, bhavishy me jo hone ka dar hain main wo batane ko nhi kah rhi balki main hamare bare me aur pariwar ke me batane ki soch rhi hoon jisme bhavishyvani ka jikar nhi hoga kyoki jo bhavishy me hona hain use bavishy pe chhod de to achchha hain.
Raghu: bat tumhari shi magar tumhe pta hain na Raghav ye sab jante hi sab kuch khojane nikal padega fir wo bat bhi nikal kar ayegi fir wo kya karega ?
Kavita: iska solution hain mere pas, uske 21 tak rok lene ka.
Raghu: kya solution hain?
Kavita: meri kasam jo wo kabhi nhi todega.
Raghu: thik hain jo tumhe sahi lage wo karo bus dhyan rakhna.
Kavita: thik hain ab sote kafi rat ho gayi hain.
Dono pati patni ek dusare ko bahon me bhar ke so gaye.