Wese sach me mene expect nhi kiya tha roohie iska tod nikaal legi uska character thoda majak krne wala aur naughty girl type wala hai aur mujhe laga ojal sayad khol de ya fir evan lekin sabki apni apni speciality hoti hai evan sayad plan banane me ho roohi sayad technology sikhe aur albeli aur ojal ka pata nhi ojal sayad bio le le aur albeli to albeli hai kuch bhi kar le ...lekin Roohie ke character me ek maturity si dikhi badhte time ke saath, jese pehle tha aur ab me bhot antar aa gaya hai sayad ye 3 teen wolfs ki responsiblity ke karan bhi aur phir pehle sayad use ojal aur evan ke baare me na pata ho ya pata tha ye to story me dikhaya nhi kyu ki jab bhoomi didi ne aarya ko bataya tha waha roohi aayi thi lekin usne esa koi reaction nahi diya............. aur aaj tak roohie ka evan aur ojal ke saath esa koi interaction nhi dikhaya jisme laga ho ki roohi unhe apne chote bhai behan maanti ho type ho sake to dhyaan dena ispr .... aur tarkeeb bhot sahi hai lekin isme catch hai na jo ki aapne khud kaha ki ek hi time pr do ship nikale to thoda bhot tehki kaat karenge hi wo log is ship ki wo baat alag ho jayegi ki aarya ne yaaddast me se apni aur baki kisi ke chavvi mita di ho kyu ki yaad me jhaankne ki power to secret prahari group ke pass bhi hai to dekho ab wo pakad paate hai ki nhi lekin idea bhot acha tha aur sahi kaha aarya ne aaj ke samay me technology apne aap me hi super power hai bus use karne par hai ache ke liye use kar rahe hai ya bure ke liye .... aur aarya ke wo phook marne wala secene jisse jagah ban rahi thi pirates of the caribbean ka Salazaar's Revenge ka last scene yaad aa gaya tha paani cheerne wala .....aur meko lag hi raha tha itna sone dekh ke kon ka hi man nhi dolega aur try to karenge aur aarya unke feeling jaan bhi lega ...... aur wo 40 patthar unme sayad rishiyon ki shakti leke rakhi ho....... ek wo serail aata tha .....Shhhhhh koi hai .... Vikral aur Gabral wala usme bhi esa hi tha wo log bhoot wgeraha ko pakad kr ek bottle me rakh lete the ....
lekin 50kg ki rim hoti hai
shaandar update
Ruhi shuru se mature thi. Yadi yakin na ho to yaad kijiye... Richh stri ka jikr jis jagah pahli baar aaya tha... Ruhi ka jikr jis jagah pahli baar aaya tha... Palak, nishant, madhav aur chitra wale scene me... Haan zindgi ne itne dard dekhe the ki khulkar jine ka aanand jab mila fir pichhe mud kar dekhi nahi...
Rahi baat relation ki to aapne sahi kaha... Kahin dur tak bhai bahan wala feeling nahi hai... Muh ke Jikr matr se kya hota hai .. haan pack ke sadasya ke nate wali feeling complete hai... Rahi baat Evan aur Ojal ke milne par reaction ki to bhumi ne hi pahla reaction diya tha... "To ye hai prahari ka asli chehra"... Khair ...
Baki ke chatecters abhi dikhna shuru huye hain... Dhire dhire sabke vishay me poora anubhav ho jayega anubhav bhai.. aur yadi na hua to main kyon hun
Oh technology wala part chhut gaya tha... Haan wo ship timing ke hisab se dono jagah pahunch jayenge.. lekin pahle to arjentina jayenge... Waise tech ki sawal aaya hai to ek sawal wo bhi cover kar dun...
Jinka settelite network ho... Jitna connection strong ho wo prithvi par lagbhag jahan bhi yatayat hai wahan se location trace kar lenge... Aakhir ship par bhi to radio signal hote hai na... Wo kahan se aate hai.