Aap sabhi mitron ko namaskar.... Nav varsh ki hardik shubhkamnayen... Pyar, gussa, narajgi aur update na aane ka jo ek malal hai wah mujhe comment dar comment dikhte gaye...
2 kahaniyon (Too Young Too Old & Aryamani:- A Pure Alfa Between Two World) ke haal me aap samanta na dekhe... Dono me waqt aur zazbaat alag-alah the.... Uss kahani ko mai aage likhna nahi chahta tha... Kuch niji karno ki vajah se... Yahan ye story poori complete hai... Bus ghatnaon aur durghatnaon ki vajah se post nahi ho pa rahi...
Kisi ke comment reply ya kisi tarah ki suchna dene ke liye bhi sare madhyam durust hone chahiye..... Jo ki nahi the is vajah se suchna aap logon tak pahunch nahi payi...
Khair biti baten itihaas hain usse dafan karte hai... Aapki story Sunday se resume ho jayegi jo bina ruke aage badhegi... Mai jab tak 3 dino me sare updates ko arrange kar lun .. tab tak aap log bhi kahani ki ek jhalak maar le....
Aap sab ka pyar aur bharose ka tahe dil se shukriya... Sath bane rahe aur jin logon ne kewal comment me gussa jahir kiya hai... Wo log story ke vishay me bhi kuch comment kar de.... Kyonki tali ektarfa to nahi bajti... Chupke kahani padhte rahiye aur jab update band ho tab apne gusse ko dikhaeye...
Baki sabhi mitron ko nav varsh ki hardik shubhkamna.... Ravivar se mulakat hoti hai .. kewal ravivar nahi balki story ke point if view se grand ravivar hoga....
Dhanywad