AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF VIRAAZ RAAZ & PARTY KO EK NAYE CHARACTER SHOHI SE MILATA HAI WAHIN DUSRI TARAF RAAZ AUR USKI BEHEN YUDH KE LIYE EK DUSRE KE AAMNE SAAMNE KHADE HO CHUKE HAIN.
AB AAGE:-
CHAPTER-3
(THE DEVIL'S HAVEN,THE SACRIFICE & THE PERFECT EPILOGUE)
MEGA UPDATE-150
PART-1
PLANET-ELYSIAN
PLACE-DEVIL'S HAVEN
REVIL OBSTATA
BODY STIFEN
meri taraf apni SWORD kar ek aur behadh strong forbidden SPELL uccharit kiya ALFREEN ne jiske baad us SPELL ke asar se meri puri body khade khade hi ek jagah par akad gayi.
aur ye dekh ek devilish smile ke saath ALFREEN meri taraf tezi se badhi aur usne apni SWORD ko mere kandhe par chala diya par tabhi..
mere kandhe se ek inch upar aakar uski SWORD rook gayi yaa phir ye kahun ki mere body ke upar bani KAALI shakti ki strong barrier ne uske SWORD ko rok diya..
ye dekh ALFREEN ne apna BLACK revived energy gush uske SWORD par transfer kiya jisse uske SWORD me ALFREEN ki pysical strength aa gayi.
aisa hote hi mere body ke upar bana barrier tootne laga aur uski SWORD dheere dheere us barrier ko kaatthe hue mere kandhe ke paas aane lagi.
aur phir woh waqt bhi aaya jab uski SWORD mere pehne shirt ko touch kar gayi..
aisa hote dekh mere aankhon me dar talash karne ki chahat liye ALFREEN mujhe dekhne lagi par jo chiz mere andar hai hi nahi,usse woh kahan se talashti..
khair,jaise hi uski SWORD mere kapde ko touch hui toh theek ussi waqt mere sharir se ek SPELL twisting ray bahar nikli aur aisa hote hi ek jhatke me ALFREEN ka uccharit kiye BODY STIFEN SPELL ka asar khatm ho gaya.
SWORD ke mere kandhe ko penetrate karne se just pehle hi mai badi tezi se ek side hote hue ALFREEN ke theek piche pahunch chuka tha.
apne spell ke asar ko yun araam se break hota dekh ALFREEN waise toh behadh ghussa hui par ussi negetive mind set ke saath usne apni dusri chaal bhi chal di..
mere uske piche jaate hi woh bhi theek ussi waqt gayab hote hue mere piche prakat hui.
woh mujhe mere hi daav me uljhakar piche se waar karna chahti thi par tabhi..
DHABBBBB...
ye dhakka ALFREEN ko hi uske piche ki taraf se jahan uske gayab hote hi uski chaal ko samajh mai bhi invisible hote hue pahunch chuka tha,mila..
is dhakke me force kaafi zyada thi jiski wajah se ALFREEN aage ki taraf disbalance hokar girne lagi par tabhi badi tezi se usne apne SWORD ko aage tika khudka balance banaya aur ek jhatke me mere taraf moodi aur uske aisa karte hi..
MAI-really ALFREEN..class 4 tricks aazmaogi tum RAAZ par..yaar nafrat karti ho, thik hai,par mere standerd ka khayal toh rakho..
meri baat sun pehle toh ghussa dikhne laga tha ALFREEN ke face par lekin phir...
lambi saans lete hue apni aankhein band ki ALFREEN ne aur phir...
ZUPHOYE RIPHALTA
DESTROY WITH EVERY PARTICLE
apne andar jhaak apni kaali aur safed shakti ko dekh man hi man uccharit kiya ALFREEN ne is deadly SPELL ko jiske baad...
jahan hum the,us open palace ki har chiz sharp dust me badalte hue khudhi air create karne lagi aur jab us air ne speed pakda toh woh saare sharp dust particles har taraf se ghumte hue ALFREEN ke dono sides par aakar ikkatha ho gaye aur tab apni aankhen kholi ALFREEN ne aur apne SWORD ko meri taraf point kar diya aur jab usne aisa kiya toh...
woh saare sharp dust particles bulk me mujhe gherte hue meri taraf badh gaye..
ab in particles ki ek khaas baat ye thi ki inke beech se tabhi nikla jaa sakta tha jab ye saare particles khatm hona shuru ho jaayen par kyunki ye particles dono hi forms of energies se bane the,toh isiliye aise karna asaan nahi tha.
aur is situation ko zyada tough bana rahi thi ALFREEN ki moujudgi...
kyunki jaise hi woh sharp dust particles aage badhe aur unse khudko bachane ke liye maine apne upar ek super strong barrier lagaya toh theek ussi waqt ALFREEN tezi se meri taraf badh chuki thi.
woh ye baat jaanti thi ki in sharp dust particles se bache rehne ke liye sirf barrier banana kaafi nahi tha,balki saath hi saath us barrier ko banaye rakhne ke liye apna lagbhag pura hi concentration ussi par lagaye rakhna zaroori tha aur aise me ALFREEN ke psycical waar se bachna next to impossible ho jaane waala tha.
aur ye baat sach hi thi..jaise hi ALFREEN mere kareeb pahunchi toh mera dhyan thoda bath gaya aur aisa hote hi woh sharp dust particles mere barrier ko dheere dheere penetrate karne lage..
khair,mai jaanta tha ki bas thoda sa hi waqt hai mere paas jisse mujhe utilize karna tha aur isiliye jaise hi ALFREEN mere paas pahunchi toh mere bate dhyan se maine ek BODY CRUSHING ray paida kiya aur ALFREEN ki taraf chhod diya jisse ALFREEN ne bade araam se apne SWORD ke zariye kaat diya..
ab tak woh mere behadh kareeb pahunch chuki thi aur phir..
SOOBHHH..SOOOBHHHH....SOOBHHHH.....
badi tezi se usne apna AMALGAMATE VIGOROUS SWORD
mere upar chalana shuru kiya.
uske saare waar behadh sadhe hue aur clean the jinse mai badi mushkil se bach paa raha tha.
ALFREEN ki SWORD speed aur khaaskar uski mujhe maarne ki intent ko dekh piche khade MAHI aur baaki chaaron thoda nervous dikhne lage the.
aur unka ye nervousness galat bhi nahi tha...
ALFREEN ke waaron se bachne ke chakkar me mera barrier kamzor hota chala jaa raha tha aur woh saare sharp dust particles badi tezi se usse penetrate karte chale jaa rahe the.
mujhe ia baat ki khabar ho chuki thi aur isiliye ALFREEN ke upar se kuch concentration hata maine wapas apne barrier ko strong karna shuru kar diya.
barrier toh strong ho gaya par ALFREEN ki taraf naa chahkar bhi complacent hone ka khaamiyaja toh mujhe bhugatna hi tha aur hua bhi wahi..
mere uske waaron ko dodge dene ki speed thodi kam ho gayi aur tabhi...
KHACCHHHH.KHAACHHHHH...KHACHHHHH.......
AHHHRRHHHHH....
RAAZZZZZZZ.....
ALFREEN ke back to back teen waar mere dono shoulders aur mere wrist ko ghayal karte chale gaye aur kyunki ALFREEN ke SWORD ka blade HELL'S BLAZING FIRE me tarasha gaya tha, isiliye usse hone waala impact aur jalan bhi ussi aag ka tha..
jahan jahan mujhe cut lage aur mujhe bleeding hui,us jagah par mujhe aag se jalne ki tapish hone lagi...
dard si adhikta se gurrarta hua mai piche ki taraf ludhak gir gaya tha.
aur ye dekh MAHI aur woh chaaron mera naam cheekhte hue meri taraf doudne ko hue par tabhi..
VIRAAZ ne apne dono haathon ki lehrate hue aage kiya aur uske waisa karte hi jahan ek taraf ACCHUTA, SLUNDER, BRAWNY aur HIDA ke haath aur pair pure BLACK ENERGY se bane zanjiro me jakad chuke the wahin dusri taraf un chaaron se thoda aage khadi MAHI ek ANGELS ki urja se joki uski hi thi,usse bane ek pinjre ke andar thi..
us pinjre ko dekh aur uski energy ko feel kar MAHI ko thoda bohot ganit clear ho chuka tha..
KAALI JHEEL ke andar fasi MAHI ne jo apni ANGEL'S FORM POWER SOURCE ki urja ko use me laaya tha,ussi urja ko capture kar VIRAAZ ne pinjre ko banaya tha aur ye isiliye kyunki ussse maalum tha ki MAHI ko ussike urja se hi roka jaa sakta hai...
khair,MAHI aur mere baaki ke chaaron saathi apne apne zanjiron aur pinjre ko zor se hilakar todne ki nakamiyab koshish karte hue ghusse se VIRAAZ ko ghurne lage the..
par uspar toh is baat se koi fark padna tha nahi..woh toh mere aur ALFREEN ke battle ko enjoy kar raha tha...
khair,mai neeche gira hua tha aur jo us SWORD se mile cut ki wajah se mujhe bohot zyada pain ho raha tha..
yahi wajah thi ki mera barrier bhi ek baar phirse kamzor hone laga tha..
aur in saare negetive ke upar ALFREEN mujhse kuch door khadi meri haalat ko dekh muskura rahi thi aur waise hi muskurate hue mere nikalte blood ko dekh...
ALFREEN-kaun kehta hai ki khoon me fark nahi hota..ek mera khoon tha, pure, simple jo mujhe mere mom dad se mila tha,aur ek khoon hai tera, teri hi tarah ganda..
acha hua ki tu sirf ek urja hai,kyunki kisika ansh hone ke toh tu layak hai hi nahi...
BINGO.....
sahi time par sahi spot ko hit kar gayi ALFREEN....
khud ki bhalayi ke liye jo nahi bolna
tha,waise shabd bol gayi woh jisse sun ek pal ke liye meri aankhen band hui..
mere sharir me doud raha behosh ERRAPEL ka AURA ghoomte hue sidhe mere chaaron AMPLIFICATION modes se mil gaya aur theek ussi waqt meri nayi REFINED shaktiyan khudko channelize karti hui mere VAGUS NERVES ki shaktiyon ke saath merge ho gayi aur jab aisa hua toh naa sirf ek jhatke ne me meri aankh khul gayi balki theek ussi waqt meri dono ERRAPEL'S AURA aur REVIVED shaktiyan bhi do hisso me bath gayi...
REVIVED shaktiyon ne mere sharir par dobara barrier bana diya..ye barrier itna zyada powerful tha ki uske create hote hi woh saare penetrate kar rahe sharp dust particles ek jhatke me toot kar khatm gaye..
wahin mere SOUL ke AURA ne khudko ek WHITE ANGELIC VIGOROUS SWORD me convert kiya aur mere haathon me visible hui..
ek jhakte me khada hua mai aur phir..
MAI-aaja...tujhe apni khoon ki haqiqat aur garmi, dono dikhata hun...
jahan mujhme hui is sudden change ko dekh ALFREEN hairan ho rahi thi,wahin meri baaton ko sun uski aankhon ne ghussa naachne laga aur phir woh bijli ki speed se meri taraf lapki aur..
SOOBHHHH..
badi tezi se apne SWORD ko ghumaya usne par tabhi..
mai usse teen guna speed se side me hata aur uske agle hi pal mere SWORD ka handle uske sir ke side ko hit kar gaya tha..
ye hit kaafi strong tha... ALFREEN ka pura sir ghum sa gaya tha..
but saath hi saath jaise hi mere SWORD ka handle uske sir ko touch hua toh usse uske gale me halki khushki si bhi feel hui thi...
khair,halki lehrate hue woh thoda door jaakar stable hue par phir behadh ghusse me meri taraf palti par tabhi..
ab tak mai bas defense karta aa raha tha..but ganit ka chapter ab badal chuka tha..
ALFREEN ka mooh aur uski SWORD ko jitna chalna tha,chal chuki thi..ab meri baari thi.. aur isiliye..
uske aage badhne se pehle mai uski taraf badh chuka tha aur ye dekh apni jagah par khade hue hi woh mujhpar waar karne ko ready thi par isse pehle ki woh ye kar paati,mai ek hi time par chaar shadows me badal gaya..
DEFLECTION COMBAT ka behadh kaargaar tarika tha ye jo achanak hi use me laaya jaata tha..
khair, ALFREEN bhi kahin se kam nahi thi..taakat ke maamle me filhal woh mujhse 20 hi thi...
aur isiliye mere chaar SHADOWS ko paas aate dekh woh bhi chaar SHADOWS me badal gayi aur ek hi jhatke me usne mere chaaron roopon par SWORD chala di par tabhi...
SWORD chalate hi ALFREEN ko ehsaas ho gaya ki maine sirf DEFECTION COMBAT nahi balki ILLUSIONISTIC DEFLECTION COMBAT ko use me laaya tha.
mera asli roop un chaaron SHADOWS ke piche tha par jab tak ALFREEN is baat ko samajhti,der ho chuki thi..
uske mere shadows par waar karte hi woh chaaron gayab ho gaye aur theek ussi waqt meri SWORD double speed ke saath ALFREEN par chal gayi..
haalaki usne is waar ko sense kar liya tha par ye last moment me hi woh kar paayi thi..
maine SWORD uske kandhe ko aim karkar chalaya tha jispar woh aakhri waqt par apni SWORD us jagah par lekar aayi..
par aisa karte waqt usse zyada time mila nahi tha aur isiliye uski SWORD GRIP kamzor thi..
jaise hi meri SWORD uske SWORD se takrayi toh uske force se joki bohot zyada thi,woh phirse lehrati hui piche hui..
uski hatheli jisse usne SWORD hold kiya hua tha,woh jhanjhana uthi thi but main problem ek baar phirse uske gale par hui.
mere SWORD ke uske SWORD se touch hote hi uska gala ek baar phirse khushk hota chala gaya...
par abhi uske paas is problem ke baare me sochne ke waqt toh tha nahi..
khudko niyantrit karne ki koshish ki usne par tabhi..
SNAKE MOVEMENT COMBAT ko kaam me laate hue mai zigzag pattern aur saath hi saath apne saame ke view ko blurry vision me convert karte hue aage badha aur isse pehle ki mere in dono moves aur combat style ko ALFREEN samajh paati,meri SWORD lagatar kayi baar uske SWORD se takra jaati..
haan ye sach tha ki filhal is moment me shakti ke maamle se agar dekha jaaye toh ALFREEN mujhse 20 thi par apne ghusse ki wajah se uske brain ka aur shakti ka balance bigda hua tha.
AGATHOKAK thi woh par is ohde ke hisaab se usse apne andar beh rahe BLACK aur WHITE ENERGY ko control karna tha but apne ghusse aur mere prati nafrat ki wajah se woh un dono shaktiyon ki gulaam ki tarah ban gayi thi.
wahin mera maamla pura ulta tha..kisi bhi situation me chaahe mai kitna hi ghussa kyun naa ho jaan, mera dimag hamesha sthir rehta tha aur meri shaktiyan mere control me..
aur meri yahi quality mujhe ALFREEN se 21 karti thi...
khair, abhi tak mere har waar ko apne SWORD se rok paa rahi thi ALFREEN par uske impact se woh puri tarah bach nahi paa rahi thi..
mere har waar ko rokte waqt uski puri body vibrate hone lagi thi aur saath hi saath uska gala aise sookhne laga tha jaise usne kayi dinon se paani nahi piya ho..
yahi reason tha ki mere aur kuch waar karte hi woh dihydrate honi shuru ho gayi aur aisa hone ki wajah se uski movement bhi slow ho gayi aur jab maine ye baat sense ki toh aur zyada power se apni SWORD ko slash kiya maine aur jaise hi is baar meri sword ALFREEN ke SWORD se takrayi toh...
ALFREEN ki SWORD uske haathon se chhut door jaakar giri aur tabhi ALFREEN ko khatm karne ke iraade se mai ek jhatke me uske paas pahunch, piche se uski gardan ko apne left haath se daboch right hand me pakdi talwar ko uske gale par tika diya maine..
gala kaatne hi waala tha mai ALFREEN ka par tabhi...
gala sookh jaane ki wajah se ab tak puri tarah dihydrate ho chuki ALFREEN ne badi mushkil se apni band hoti aankhon ko khola aur unme bhari kamzori aur dard ke saath mujhe dekhte hue..
ALFREEN-finish me....
bade mushkil se ye do shabd bole usne par maine toh jaise ye do word sune hi nahi..
uski aankhein aur uska chehra jo mere chehre ke ekdum paas tha,usse hi ektak dekhne laga tha mai..
ghussa,dard,sab kuch bhul chuka tha mai is moment me...
REASON...
ALFREEN ka chehra FLORIN urf RONIT ki tarah tha aur uski aankhein MARIA urf ANJALI ki tarah..
un dono ko hi mai is waqt ALFREEN ke face par dekh raha tha..
wahin mujhse piche pinjre aur zanjiron me phase MAHI aur woh chaaron bhi ye scene dekh rahe the aur dua kar rahe the ki mai ALFREEN ko maar naa dun...
khair,kuch seconds ALFREEN ko dekh meri nazar apne haath par gayi jisme thi meri SWORD aur jo is waqt ALFREEN ke gale par naa sirf tiki hui thi balki uska halka sa bhaag uske gale me dhas bhi gya tha aur isiliye us point se thoda thoda khoon nikal raha tha.
khoon..wahi khoon jo mere ragon me bhi doudta hai..kaise mai us khoon ko baha sakta tha...
zindagi me pehli baar haath kaamp se gaye mere aur meri SWORD mere haathon se chhut gayi..
wahin ALFREEN jo ab bhi adhkhuli aakhon se mujhe hi dekh rahi thi,jab usne mere haathon se talwar girte dekha and most importantly,meri aankhon ko dekha toh usse laga ek zordaar jhatka..
is jhatke ke do REASONS the..
pehla reason toh ye tha ki meri aankhen bhi uski hi tarah MARIA urf ANJALI par gayi thi..
ab tak dhyan nahi diya tha usne par aaj nazar apni si aankhon me tik gayi thi..
dusra reason tha ALFREEN ko meri aankhon me apne liye dikh raha dard aur us anjaane dard ko dekh pata nahi kyunki,uske bhi seene me tees si uthi...
hairani ke saath dekha usne mujhe aur..
ALFREEN-kyun...???
bas itna hi sawal puch paayi woh jisse sun...
MAI-ek special paani ka bottle mila tha tumhe...tumhari pyaas aur sawalon ke jawab sirf wahi bujha aur de sakta hai..
(NOTE:-ye wahi paani ka bottle hai jo ALFREEN ko EXERTION jeetne par tohfe me mila tha aur jisme usse bola gaya tha ki jab tumhari pyaas nahi bujhegi tab is paani ko peena)
anyways,mooh se nahi balki uske brain se jud taaki VIRAAZ ko kuch pata naa chale kahi, maine ye baat aur aisa bol usse ghumakar neeche gira diya maine..
niche girte hi ALFREEN ne us bottle ko smaran kiya aur uske waisa karte hi woh bottle uske haathon me prakat hui..
dheere se uske cap ko khol ALFREEN ne paani peena shuru kiya aur uske aisa karte hi uske dimag ko laga ek tez jhatka aur woh behosh ho gayi....
usse behosh hota dekh maine ek lambi saans chhodi..
mai janta tha ki ab usse bhi ussi tarah ki taklif se guzarna hoga jaisi taklif se kabhi mai guzra tha aur isiliye...
talwar ki waar ke saath hum dono ke JUNOON MILE...
ek hi pedh hai woh jisse hum dono ke KHOON MILE...
sacchayi jaan meri toh aankh aur taklif dono hi khuli thi...
kaash behoshi me haqeeqat-e-beparda hone par tujhe SUKOON MILE...
AAJ KE LIYE ITNA HI.....
AAPKA APNA V....J.....