• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) ( Completed )

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,756
40,329
189
AMAZING...
Dono update me showhi-acchuta ki nok-jhok or Raaz-alfreen ki ruthna manana
Is story ka teast badal raha h...
Devil's heaven ke mid fight ke baad se wooger, Griffin or anzu ki non-appirience
Kuch samjh me nhi aaya vo phir se gayab ho gye ???
Or ek baat jaise bakio ki god gift power Raaz ke liye thi to Mabel ki power koi or kaise use kr raha h... Jaise bakio ne Raaz ko apne power ki ownership di usi trha Mabel ne v apni power ko share kiya...
brother,aap bhul rahe hain ki Mabel ke mom dad VIDEOUS ke kabze me hain..aur isiliye,usne khud apni copy ability power uske logon ko di hai..iske baare me DEVILS HAVEN waale update me bataya jaa chuka hai..
 

Fighter

THE CREATER OF DEVIL FIGHTERS
11,635
25,444
259
Super Duper Hit & Fantastic & Fabulous & Awesome & Gajab & Very Nice Update Bro

Hahahha suru hi dono ki nok jok se haha sach maja aa gya

Fighter aapko btana chahta h mahabali raaz ki fight hamesha kamaal ki hoti h sath last line ka to kehna hi kya

Ab kya plan kr rha h videous lgta h mable ki dusri power b use krna chahta h



Waiting
 

Jamesleon

“Failure is not a person, it’s an event.”
541
2,129
139
वीजे भाई जेसे
विदूस
राज के ख़िलाफ़ अपनी चाले चलरहा हे
राज़ के ख़िलाफ़ अपने पत्ते बिछा रहा हे
तो
क्या विदूस
के ख़िलाफ़
राज अपने
पत्ते बिछारहा हे या नही???


 

23n24

Member
433
1,544
138
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF RAAZ MAHI KE UNSTABLE POWER KO THEEK KAR DETA HAI,DUSRI TARAF ALFREEN BHI APNE BHAI KE DIMAG KI LOCKED KAALI SHAKTIYON KO UNLOCK KAR DETI HAI WAHIN TEESRI TARAF RAAZ MIRO PLANET KE BAHAR LAGAYE SHIELD KO TOD DETA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-3


(THE SACRIFICE & THE PERFECT EPILOGUE)



UPDATE-153



PLACE-MID-CROSS SPACE






ARREEEEE..DUKH GAYA BHAI,DUKH GAYA.......


dard bhara face banate hue kahi ye baat ACCHUTA ne jispar...


SHOWHI-SHOWHI ko afsos ho raha hai aapko dard me dekh..par kya SHOWHI jaan sakta hai ki aapko kahan dard ho raha hai aur kyun..???

ACCHUTA-dard aand me ho raha hai aur kaaran tu hai be jhandu...chup ho jaa,ek ghanta ho gaya hai RAAZ ko PAUSED CEREBRATION me baithe hue,aur itni hi der se tu apne PLANET ke baare me batate hue lagatar non stop chaabe jaa raha hai...


jahan ACCHUTA ki baat sun SLUNDER, HIDA, BRAWNY aur saath hi MAHI bhi apna chehra dusri taraf karte hue hasne lage wahin SHOWHI ka mooh ban gaya aur..


SHOWHI-SHOWHI apne shabd wapas leta hai.. SHOWHI ne aapko battamiz kaha tha,par SHOWHI aapko batana chahega ki aap battamiz nahi balki bohot hi behuda kism ke aur waahiyad insaan hai..

ACCHUTA-aur ACCHUTA aapko batana chahega ki jo ACCHUTA ne aapke baare me bola tha,aap bilkul waise hi hai..aand ke dard...

SHOWHI- SHOWHI apni ek aur baat wapas leta hai.. SHOWHI ko aapke dard ke liye koi afsos nahi hai..

SHOWHI aapko ek aur baat yaad dilana chahata ha ki yahan teen young ladies bhi moujud hai aur isiliye aapko apne shabdon ko soch samajh kar bolna chahiye...

waise SHOWHI ko lagta nahi hai ki aapko tehzib ke T akshar ki bhi maalumaat hogi...


SHOWHI ki baat par ACCHUTA kuch kehta ki tabhi un sabko ek strong power force ek specific aur pointed jagah par generate hoti feel hui aur aisa hote hi sabki nazar us power generated jagah ki taraf joki mai tha,ghum gayi..

woh sab dekh rahe the ki ek behadh gaadhi kaali urja joki meri BLACK ENERGY thi,mere sir ke chaaron taraf ghumte hue uske andar ghus rahi thi...

ye dekh woh jaan gaye ki mera PAUSED CEREBRATION apne final stage me hai..

mai paused CEREBRATION me baitha hi isiliye tha taaki ALFREEN ke through unlock hui meri BLACK ENERGY joki mere pure brain me ghum rahi thi,woh wahan ek jagah par stable hote hue settle ho jaaye...

aur ek ghante ke lagatar POWER REFINEMENT PROCESS ke baad finally aisa hona shuru ho chuka tha..

khair,abhi bhi kuch minutes aut lagne the is process ko pura hone ke liye, isiliye ek baar meri taraf dekh jahan baaki sab wapas baat karne me busy ho gaye wahin ALFREEN joki jab se mai PAUSED CEREBRATION me baitha tha,mere saamne baith mujhe ek tak dekhe jaa rahi thi,woh ab bhi waise hi baithi rahi jisse dekh MAHI muskurate hue uske paas pahunchi aur...


MAHI-kya baat hai...peheredaari kar rahi ha kya apne bhai ki...???fikr mat kar,kahin nahi jaayega woh tujhe chhodkar..


MAHI ki baat sun muskura uthi ALFREEN par phir face par seriousness aa gaya uske aur...


ALFREEN-kaali shaktiyan unstable hone par kitna dard deti hain,ye jaanti hun mai... isiliye yahan baithi hun taaki agar isse taklif ho toh mai usse theek kar sakun...

MAHI-AL...jo taklif ko bhi taklif de de,woh RAAZ hai...aur iska live example maine DEVIL'S HAVEN me dekh liya hai..

SHOWHI ke magic se jo power mix-up aur usse utha pain RAAZ ko hua tha,usse kuch pal jhelna bhi naamumkin hota hai,par RAAZ naa sirf kayi minutes tak us dard ko jhelta chaha gaya balki us waqt jab tum dono ke mom dad scene me aaye,toh utne kharab haalat me bhi apni chuppi shaktiyon ko khoj woh un dono ke aage dhaal bankar khada ho gaya..

iska jasba, iska ATTITUDE unmatchable hai..aur ab mujhe samajh me aa raha hai ki LORD OF ANGELS ki beti hone ke baawjud VIDEOUS naam ke challenge ko face karne ki zimmedari mujhe naa milkar isse kyun mili hai...

taakat uske jitni ho naa ho,par paagalpan usse kayi zyada hai iska...

ALFREEN-ye sab jaanti hun mai MAHI.apne hi mind ke kisi dimension me jab fasi thi mai,tab iski,teri aur puri kahani ki asliyat janane ke baad woh DEVIL'S HAVEN ka scene bhi dekh liya tha maine but kya karun...!!!

abhi abhi bhai mila hai kahin kho naa dun,iska dar toh rahega hi...


ALFREEN ki baat par MAHI kuch kehti ki tabhi..

AHHHHHH....

mere mooh se ek dard ki tez cheekh nikal gayi jisse sun waise toh sab chownke aur face par tention liye meri taraf lapke par ALFREEN ki toh puri haalat hi kharab ho chuki thi...

cheekhne ke baad mai neeche ludakh chuka tha par isse pehle ki mera sir us pathrili zameen se puri tarah touch hota, ALFREEN bijli ki tezi ke saath meri taraf lapki aur agle hi pal mera sir uski godh me tha...

aur mere sir ko godh me lete hi...


ALFREEN-kya hua bhai...???jo bhi hua ho,aap tention mat lo,mai sab theek kar dungi...


kabhi mujhse toh kabhi khudse badbadate hue ALFREEN ne mere sir ke dono ends par apni ek ek ungli rakhi aur mere sir me jhaank meri problem ko dekhne lagi par aisa karte hi usse behadh hairani hui kyunki usse sab kuch ek hi lay ne dhundla sa dikh raha tha.

theek waise jaise BLACK ENERGY ke settle hone par koi jagah dikhti hai...

usse laga ki BLACK ENERGY mujhe de rahi taklif ko usse chhuppa rahi hai aur isiliye apni AGATHOKAK position ke adhikar ko dikhate hue..


ALFREEN-DRISHYAM VRITHARTHE

CLEAR THE VIEW...


is SPELL ko man hi man uccharit kiya usne par phir bhi koi faayda naa hua..

wahin is dauran mera sir ek taraf ludhak chuka tha jisse dekh ALFREEN, aur baaki sabhi kaafi dar chuke the...

wahin MAHI mere brain me jhaankte hue problem samajhne ji koshish kar rahi thi...

par ALFREEN joki BLACK ENERGY ki heir thi,jiske paas dark powers ko command dene ka hakh tha,woh panic hote hue halki halki shake hone lagi thi..

kisiko kya karna chahiye,ye samajh me hi nahi aa raha tha par tabhi..


HAHAHAHAHAHA...

haste hue aankhein khol di maine.. ALFREEN joki bina wajah bas dar ki wajah se lagatar ek ghante tak mujhpar watch rakhe hue thi,usse hi darane ke liye prank kiya tha maine jisme kaamiyab ho chuka tha mai...

khair,mujhe hasta dekh pehle toh ALFREEN aur kisiko kuch samajh me nahi aaya par phir jaise hi mera prank un sabke aur khaaskar ALFREEN ki samajh me aaya toh woh ghusse se bhar uthi aur mere baal nochne ko hui par isse pehle ki woh aisa kar paati,mai tezi se uthkar khada ho chuka tha..

smile ab bhi mere face par thi... ACCHUTA aur baaki sab toh ek pal ke liye ghussa hone ke baad mere saath hi hasne lage the par ALFREEN mujhe ghusse se ghure jaa rahi thi jispar uske paas gaya mai aur uske naak ko kheenchte hue..


MAI-ye....aisa ghusse se bhara chehra bhi theek hai par tention waali surat mat rakha kar..

hadh se zyada soch performance levels ko slow kar deti hai..ek AGATHOKAK ko ye suit nahi karta..

ALFREEN-soch koi AGATHOKAK nahi,ek behen rahi thi jo natural hai...

MAI-over natural...MAHI ko dekho..dari woh bhi ek pal ke liye thi lekin phir khudko control kar usne sach ko aur mere prank ko samajh liya tha..


meri baat sun hairani se bhar MAHI ko dekh..

ALFREEN-you knew..!!!!

MAHI-haan,mai iske brain me jhaank rahi thi toh isne khud mujhe bata diya tha..

ALFREEN-toh tune mujhe kyun nahi bataya...???

MAHI-pehli baar RAAZ normal human ki tarah behave kar prank kar raha tha..i didn't want to spoil it..

SHOWHI-SHOWHI MISS ALFREEN se guzaarish karna chahta hai ki MISS ALFREEN naaraz naa hon..

SHOWHI ki samajh se MAHABALI RAAZ bas apni behen ke saath mazak kar rahe the...


SHOWI aur usse pehle MAHI ki baat sun ALFREEN un dono ko aur phir mujhe ghoor apna mooh fulaate hue palat gayi aur paas hi pade ek bade se rock ke upar jaakar baith gayi..

mai uske paas jaane hi waala tha ki...


ACCHUTA-toh bhai..teri BLACK ENERGY perfectly settle ho hi gayi..

MAI-lagbhag...

ACCHUTA-matlab...!!!

MAI-phir kabhi bataunga..abhi filhal hume MIRO penetrate karna hai...

HIDA-penetrate karna hai matlab...!!!SHIELD toh tumne tod diya naa..

MAHI-bigger obstacle toh ab khadi hai MIRO ke aage..MIRO ke atmosphere ki edge par VIDEOUS ke do ELITE WARRIORS hamara intezar kar rahe hain...

ACCHUTA-arre dekh lenge unko bhi..

MAI-dekhna toh hai hi par tum chaaron aur SHOWHI,tum un WARRIORS ke saamne nahi jaaoge..

tum sab yahi rahoge...

BRAWNY-kyun..???kya woh humse zyada kaabil hain...!!!

SLUNDER-arre agar hain bhi,tabhi kya fark padta hai..!!!! apne se zyada powerful bando se bhi jeeta jaa sakta hai,ye tune hi toh sikhaya hai hume...

MAI-agar tum sab gaye toh tum sirf
unse nahi,balki indirectly mujhse ladoge,and i dont think ki ye theek rahega...


meri baat sun woh sab chownke aur...

SAB-matlab...!!!!

MAI-ACCHUTA,DEVIL'S HAVEN me pahunchne ke baad se hi teri aankhen kisiko talash rahi hain...

right...!!!!


meri baat sun woh talash ek baar phirse ACCHUTA ki aankhon me dikhne lagi jisse dekh..


MAI-MABEL,haina..!!!


haan me sir hilaya ACCHUTA ne jispar..


MAI-woh yahin MIRO me hai..jis shield ko kuch der pehle maine toda tha,VIDEOUS ne us shield me MABEL ki copy ability shakti ko mix kiya hua tha..

aur kyunki woh shakti VIDEOUS ki shakti ke saath mixed thi, isiliye uska impact meri shaktiyon par bhi hua...

jis power ko use kar maine SHIELD todi thi,MABEL ne us shakti ko un do ELITE WARRIORS me transfer kar diya hai..


(NOTE:-isiliye pichle update me ye bataya gaya tha ki un ELITE WARRIORS ki taakat lagatar badh rahi thi)


MAI-mere ERRAPEL aur BLACK ENERGY ke kuch kano ki shakti hai un sabke paas...

haan,ek small portion me hi par itna kaafi hai tum sabko khatm karne ke liye..

infact mai khud bhi directly un sabke saamne nahi jaane waala...

SLUNDER-what..!!!!phir hum MIRO me enter kaise ho paayenge...!!!!

MAI-mere alawa sirf MAHI aur AL hi hain joki BLACK aur WHITE ENERGY ke dhaarak nahi balki owners hain..

par kyunki AL ka filhal mood kharab hai,woh roothi hui hai, isiliye MAHI,tum akele hi jaaogi..

mai tumhe apni KAALI SHAKTIYON ke kuch kan externally de dunga..

tum unka use kar sakta hun..


maine aisa bola hi tha ki ALFREEN joki kaan lagaye humari baatien hi sun rahi thi,woh turant hamari taraf palti aur...


ALFREEN-how mean bhai..!!!ek toh mujhe manana chhod yahan tum sab aage ki planning kar rahe ho aur usme bhi mere role ko cut karne ki baat kar rahe ho..


mere paas aa mujhe ghusse se ghoor kahi ye baat ALFREEN ne jispar mai toh bas muskura diya par baaki sab zoron se has diye aur..


SHOWHI-SHOWHI aap dono ko batana chahta hai ki..

ACCHUTA-abbe chup be chutiye..nahi sunana tere thoughts.. ghused ke rakh apne andar apne saare jasbaat...

SHOWHI-SHOWHI aapko batana chahta hai ki aap SHOWHI ki soch se zyada waahiyaad hain...

MAHI-stop it guyzz...

SHOWHI-SHOWHI aapki baat zaroor sunega ANGEL GIRL...

ACCHUTA-teri toh..

MAHI-ACCHUTA....


MAHI ke bolne par SHOWHI ko ghusse se ghoor wapas hamari taraf palta ACCHUTA..

wahin ALFREEN ki baat sun..


MAI-jaana hai...!!!

ALFREEN-pehle sorry bolo...

Mai-excuse me!!!

ALFREEN-excused...mujhe satane ke liye i demand a sorry...and don't give me the RAAZ crap..mai behen hun tumhari.. mujhpar tumhare special hona ka dhouns nahi chalega...

MAI-sorry....


meri baat sun muskurane lagi hi thi ALFREEN ki tabhi..


MAI-hamari convo beech me hi rook gayi thi..uske liye sorry..


pehle ki saari baat baaki sabko aur aakhri word ALFREEN ko dekh kahi maine jispar pehle toh kuch pal mujhe staring looks dene ke baad ALFREEN muskura uthi aur..


ALFREEN-haarte haarte bhi jeetna hai,kyun..!!!

MAI-yaad rakhna apni ye baat..


aankh maarte hue kahi ye baat maine ALFREEN se jispar woh bhi apne sir ko shake karte hue muskurayi aur phir..


ALFREEN-ok, toh batao phir ki kya karna hoga hume...

SOOBH...


ALFREEN ki baat puri hui hi thi ki jo plan tha,woh tez hawa ke bahav ki tarah mere brain se uske aur MAHI ke brain me transfer ho chuka tha..

saara plan samajh woh dono muskuraye aur agle hi pal un dono ke bodies hawa me uth MIRO ki taraf ud chale the...

wahin unke jaane ke baad mai mooda ACCHUTA aur SHOWHI ki taraf aur..


MAI-tum dono ki dosti ko ek step aage le jaane ka waqt aane waala hai..





PLANET-MIRO


PLACE- STRATOSPHERE POINT







AGATHOKAK ALFREEN...HALF ANGEL HALF HUMAN MAHI....

MYSELF KAILANI...AUR YE HAI DANYON...


TUM DONO KO EXPECT KAR RAHE THE HUM...PAR JISSE SABSE ZYADA EXPECT KAR RAHE THE,WOH TUM DONO KE SAATH NAHI AAYA....????


saleeke se bandhe lambe baal,whitish rose jaisi skin,dark robe me chuppa lamba kadh liye hawa me khadi ladki jisne abhi abhi apna naam KAILANI bataya tha,usne kiya tha ye sawal jispar MAHI aur ALFREEN chup hi khade unse thoda door bane DANYON aur KAILANI ke shadows ko dekhne lage jisse dekh KAILANI ki baat ko aage badhate hue...


DANYON-matlab RAAZ ko andaza ho chuka hai ki humare ragon me ab uski shaktiyan bhi ghum rahi hain...

hamare saamne naa aakar usne saabit kar diya hai ki taakat ke saath buddhi bhi hai usme...

par same chiz tum dono ke liye nahi kahi jaa sakti...kya soch kar aaye ho tum dono hamare saamne....

kya tumhe nahi pata ki tumhara hum par kiya har waar,us waar me use hone waali taakat ko hamare body me transfer karega...

tum hume nahi hara sakte,phir hamare saamne aane ki murkhta kyun...???

MAHI-hamare naam lene se pehle tumhari saathi ne hamari pehchan batayi thi...

ab agar hum piche hath jaayenge toh us pehchaan ke saath zyaadti ho jaayegi..

ALFREEN-isiliye,we will take our chance..woh sab chhodo,ye batao ki ye jo do shadows hain,woh tumhari soul ki urja se bane hain,right...!!! tum dono ke andar kyun nahi hain ye..??alag kyun rakha hai unhe???

KAILANI-kyun janana chahate ho...???

ALFREEN-just out of curiousity...

KAILANI-RAAZ jaise mahashaktishaali ki taakat hamari bodies sambhali hui hai, isse hamare souls effect hote hain, isiliye naa chahte hue bhi hume apne souls ko bachaye rakhne ke liye khudse alag rakhna pada...

ab agar curiousity khatm ho chuki ho toh yaa toh ladh lo yaa chupchaap sir jhukakar nikal jaao yahan se...


jahan ek taraf KAILANI un dono ko provoke karne ke iraade se ye saari baat bol rahi thi wahin uski SOULS waale defination ko sun man hi man muskura uthe ALFREEN aur MAHI...

REASON...

jo sawal unhone pucha tha,woh sawal RAAZ ne hi apne plan transfer karte waqt unke dimag me daala tha..


VANDINA SHAKTIYEM...

UNBINDING FOR POWERS....

issi spells se alag kiya tha KAILANI aur DANYON apne souls ko...ye tarika hota hai power owners ki joki MAHI aur ALFREEN the,unke waar se nikalne waali shakityon ko sokhne ka jo body nahi kar sakti par soul kar sakti hai..

agar puchne par ye reason joki sach tha,sidhe sidhe bata dete DANYON aur KAILANI toh iska matlab hota ki shakti preserve karne ke liye unke paas aur bhi tarike hain par agar woh jhooth bolte jo unhone bola tha, iska matlab tha ki bas ek wahi tarika tha unke paas saamne waale ki shakti sametne ka...

khair,baatein bohot ho chuki thi, aur ab waqt tha action ka aur isiliye..



VARNAMAN GATIYAMINI

AEROSPEARE CREATION

VELOS TEMIYOTA

CORE POWER


pehla SPELL MAHI ne apne ANGELS FORM POWER SOURCE ki urja se aur dusra SPELL ALFREEN ne apni KAALI SHAKTI ki urja se uccharit kiya...

aur unke waisa karte hi woh dono jis stratosphere point par khade the,pehle wahan MAHI ke spell ki wajah se WHITE ENERGY ki shakti se lipta air pressure banane laga aur theek tabhi ALFREEN ke spell ne apna asar dikhate hue kaali shaktiyon ki urja se bana power trigger karne waala ambience us air pressure ke beech daal diya.

aisa hote hi MAHI ki WHITE ENERGY aur ALFREEN ki BLACK ENERGY ki taakat us uthe hue air pressure ke wave me ek dusre se touch ho gayi,natijia....

jaise hamesha hota aaya hai, WHITE ENERGY aur BLACK ENERGY ke beech takraav shuru ho gayi jiska sidha asar us uthe hue WAVE par pada..

dekhte hi dekhte pura stratosphere WHITE aur BLACK ENERGY se bane us wave ki chapet me aa gaya..

iska asar KAILANI aur DANYON ke bodies par toh nahi hua par unke soul's is dual energies se bane wave ki taakat ko joki ek shakhs se naa nikalne ki wajah se unstable thi, isiliye uski energy ko sokhne me puri tarah kaamiyab nahi ho paa rahe the aur isiliye rook rook kar woh do shadows blink mode me gayab aur prakat hone lage the...

ALFREEN aur MAHI,aisa bhi kuch karenge,ye nahi socha tha KAILANI aur DANYON ne aur isiliye pehle woh halke tention me zaroor aaye par phir unke face par ek smile aa gayi..

REASON...

jo situation unke liye filhal negetive thi,woh aage super positive hone waali thi...

aur woh aise ki jahan unke shadows filhal us unstable duel energies ko theek se consume nahi kar paa rahe the,wahin agar woh dono apne souls ko wapas apne andar sama lete hain, toh RAAZ ke powers ki wajah se joki unke andar thi aur jisme MAHI aur ALFREEN dono ki hi energies ke kan hai,naa sirf woh us dual unstabled powers ko STABILIZE kar lene waale the,balki unki shaktiyan bhi 10 times AMPLIFY ho jaane waali thi..

haan,ye alag baat hai ki itni energy ke AMPLIFY hone ke baad usse apne body me sustain karkar rakhna mushkil tha,par MABEL ke shakti ki wajah se iska bhi hal tha unke paas aur isiliye woh dono turant apne souls ki taraf badhe aur ye dekh MAHI aur ALFREEN bhi tezi se un dono ke saamne pahunche aur jahan ek taraf ALFREEN ke haathon me ek katana prakat ho chuki thi wahin aas paas chal rahe wave ki urja se hi MAHI ne ek invisible rod create kiya aur aisa karne ke agle hi pal..


SOOBHHHH... SOBBBHHHH...SOOOBHHHHH...


ek ke baad badi tezi se un dono ne KAILANI aur DANYON par waar karna shuru kar diya but pehle se hi meri shakti hone ki wajah se KAILANI aur DANYON ke reflexes bohot zyada tez the..

woh dono badi asaani se naa sirf ALFREEN aur MAHI ke waaron se bach rahe the balki is beech un dono ke attack se generate hone waali speed bhi MABEL ke COPY ABILITY power ki wajah se unke SOUL'S me nakal hoti chali jaa rahi thi..

khair, ALFREEN aur MAHI ke lagatar kiye jaa rahe waaron se bachte hue...


KRIDHAM DOVANTOYEM,

UPANIYO MANTHANAM,

GAMIKAHA VAJPRALATHE,


aur issi tarah ke kayi saare attack spells KAILANI aur DANYON lagatar uccharit bhi karte chale jaa rahe the jisse waise toh ALFREEN aur MAHI bhi araam se dodge de paa rahe the par aisa karne par bhi unse jo power release ho raha tha,usse bhi DANYON aur KAILANI ke souls obsorb karte chale jaa rahe the..

astra shashtra ke jung ke beech aakhirkaar KALIANI aur DANYON apne SOULS tak pahunch hi gaye aur aisa hote hi unki souls jinme ab tak hadh se zyada urja ikattha ho chuki thi,woh KAILANI aur DANYON ke andar sama gaye aur jab aisa hua toh...


BOOMMMM...

pehle RAAZ aur phir MAHI aur ALFREEN ki unstable urja ke ikattha hone ki wajah se KAILANI aur DANYON ke souls me ek tarah ka overload ho chuka tha aur isiliye jaise hi woh apne apne bodies me samaye, toh un saare samete hue urja ki wajah se ek tez dhamaka hua jiske asar se MAHI aur ALFREEN, dono hi udte hue thoda door jaakar gire..

us urja ke takrane se un dono ko pain bhi hua tha par us pain ko control karte hue woh dono turant uth kar khade ho gaye..

wahin unke saamne ka nazara ab bhi pehle sa hi tha..

dhamake ki wajah thi atyadikh urja jisse DANYON aur KAILANI ke bodies ke ird gird tez roshni fail gayi thi jo ab bhi waise hi thi..

aur apne SOULS ke samane ke baad bhi jab utni zyada urja ko sambhalna un dono ke liye mushkil ho gaya jo woh pehle se hi jaante the toh KAILANI aur DANYON ne apni aankhen band ki aur..


DONO-

BAHU SWAROOPE URJA VIBHAJANAM ...

ENHANCE FORMS WITH POWER DISTRIBUTION


is SPELL ko uccharit kiya un dono ne aur unke aisa karte hi unki bodies se unke SOUL'S dwara ikkatha ki gayi shakti ke saath unke bohot se roop nikal aas paas prakat hone lage..

kuch hi der me original KAILANI aur DANYON ke aage peeche 100's of KAILANI aur DANYON paida ho chuke the.

the toh woh sab original KAILANI aur DANYON ke roop hi,par taakat unme utni hi thi jitni unke dono asli roop me thi...

woh sab apni ragon ke doudte beintaha taakat ko feel karte hue ALFREEN aur MAHI ko dekh rahe the aur tabhi..


ORIGINAL KAILANI-sir jhukao,haar maan jaao aur nikal jaao...maaf kar denge tumhe..

ORIGINAL DANYON-par agar ladhne ki bewakoofi karna hai toh you are most welcome...

par anjaam jaanti ho tum dono...ab hum do nahi balki hamare saath hamari ek puri army hai..

aisi army jisse ladhne ki aukaad nahi hai tumhari...

ALFREEN-agar tumhare saath tumhari army hai,toh hamare saath mera BHAI hai...

aur itna kaafi hai....

DANYON-BHAI...wahi bhai jo khud toh kahin dubak kar baitha hai aur marne ke liye tum dono ko bhej diya..

ab tak toh tum dono ko khatm karne ka irada nahi tha par RAAZ ka zikr kar tumne khudke aur apni dost ke liye khudhi mout mukkarar kar di hai..

REST IN PEACE....


ye baat bol original KAILANI aur DANYON ke saath unke saare clones ne apne haath aage kiye aur unke aisa karte hi wahan se RAAZ ke SHIELD break power,aur saath hi MAHI aur ALFREEN ki ab tak kiye waar ki taakat ke mixture se bane 100,s of DEATH RAYS nikal MAHI aur ALFREEN ki taraf badh gaye par ye dekhne ke baad bhi apne apne haath baandhne woh dono araam se apni jagah par khade rahe..

wahin jab woh dono rays un dono ko touch karne se bas kuch feets hi door the tabhi..


SHHHHHHWHSHHHHHH....

achanak se hi ek invisible force us jagah par create hui jisne ek hi pal me un dono rays ko khatm kar diya..

ye hota dekh KAILANI aur DANYON hairan ho hi rahe the ki tabhi us invisible force field ke beech prakat hua mai jisse dekh woh apne rays ke khatm hone ka kaaran jaan gaye..

wahin visible hote hi..


MAI-meri badi talab thi tum dono ko..lo,banda haazir hai...


mujhe dekhte hi bohot zyada hadbade gaye the DANYON aur KAILANI,par phir khudko control karte hue...


DANYON-kuch nahi kar paaoge tum RAAZ...mat bhoolo ki tumahari bhi waar ki shakti ko copy kar liya tha humne aur aage bhi kar lenge..

MAI-galat... pehli baat toh power copy tumne nahi MABEL ki shakti ne kiya tha..tumhari itni aukaad nahi..

dusri baat ye ki aage tum kuch tabhi kar sakte the jab tumhari soul aur tumhari bodies alag hoti..

tabhi VIDEOUS ke channelizing power ki wajah se joki MABEL ki shakti ke saath mixed thi,meri har shakti ko tumare souls copy karne ki kaabiliyat rakh paate par ab jab tumhare souls tumhare andar hain,toh aise me meri baaki sabhi powers ko tum dono copy kar sakte ho par is power ko nahi...

BHAPPPPPPPP...

mere aisa bolne ke saath hi meri body ek pure WHITE AURA se glow karne lagi....

ye meri ALOUKIK SHAKTIYON ka AURA tha...woh AURA jiski taakat DANYON aur KAILANI unki soul's ke unke andar rehne ke baad copy nahi kar sakte the..

yahi toh plan tua,jo kaamiyab jo chuka tha..

khair,meri glow hoti body ko dekh aur uski asliyat ko jaan dar dikhne laga tha KAILANI aur DANYON ke face par...

aur isiliye un dono ne apne souls ko joki unke hi banaye apne aneko bodies me equally bata hua tha,nikaalne lage par tabhi...


MAI-nopes...you are not allowed..


dono haathon ko failate hue kahi ye baat maine aur mere aisa karte hi un saare KAILANI aur DANYON ke chaaron taraf prakat hue hazaron ki taadad me BOWS.....

ye bows the ACCHUTA ke jinhe maine apni shakti se multiply kiya tha aur SHOWHI ne apni shakti se ab tak hide karke rakha hua tha..


(NOTE-ACCHUTA aur SHOWHI se issi dosti ki baat kar raha tha mai)

Khair,un WHITE ENERGY ke distructive arrows ko dekh KAILANI aur DANYON muskurane lage aur..


DANYON-tumhe lagta hai ye ARROWS humara kuch bigaad sake hain..!!

BHAKKKKKKK...

DANYON ki baat khatm hui hi thi ki tabhi maine apne dono haathon ko halka sa hilaya aur mere aisa karte hi saare arrows me aag lag gayi aur us aag ko dekh naa sirf DANYON aur KAILANI shocked ho gaye balki dar ke maare unki haalath kharab ho gayi...

REASON..

woh aag HELL'S BLAZING FIRE thi jisme meri aloukik shaktiyon ka AURA bhi mixed tha...

aur woh aag ek,do kya karodon DANYONS aur KAILANI ko chutki me khatm karne ka dum rakhti thi.

khair,DANYON ki last baat ko sun..


MAI-kuch bol rahe the tum...!!!!

DANYON-please hume jaane do...we have never harmed you..!!!

MAI-thats true...par aisa hai ki HELLS BLAZING FIRE ko jalane ke baad bina uska istamaal kiye bujhana,ye unki beizzati hai...

KAILANI-please,we beg you...hume jaane do,hum tumhare raaste me kabhi nahi aayenge....

MAHI-accha...bilkul nahi RAAZ...this two are really evil people..i have felt there sins inside out..

bohot se maasumo ko jaan se maara hai inhone,kaiyon ko manupalate kar unki aur unse jude logon ki life kharab ki hai in dono ne...

KAILANI-we promise,hum badal jaayenge...from today onwards,we will be good...

MAI-MAUT ka DAR,kya kya KAR deta hai naa..shaitan bhi sant banane ka waada karte hain..

hmm..let me think...

chalo,ye batado ki what is VIDEOUS really upto...!!! kya plan kar raha hai woh...???

aur neeche MIRO planet me kar kya raha hai woh..???jo jo pucha,batado,is aag se bacha lunga mai tum dono ko...

DANYON-hume sach me nahi pata...hume bas tum sabko yahan rokne ka hukm mila tha..

MAI-itna toh hume bhi maalum hai..

aur agar tumhe bas itna hi pata hai phir aise me toh tumhari life saving deal khatre me padhne waali hai...

KAILANI-ek baat aur...ye MIRO par lagayi gayi aakhri SHIELD nahi hai..ek aur shield bhi hai jo MIRO ke us surface par jiske dusri taraf hamare GOD hain,wahan bhi lagi hai..

agar tumne us shield ko tod diya,toh jo bhi janana chahate ho,jaan paaoge...

dekho,jitna pata tha,humne bata diya..kuch bhi nahi chuppaya..kya ab hum jaa sakte hain..???

MAI-jaana toh choti baat hai,mai tum dono ko puri tarah mukt karta hun...


SOOBHHHHHH....

AHHHHHHHHHHHHHHHHHH...

meri baat pura hote hi woh saare rooke hue ARROWS tezi se aage badhe aur agle hi pal original KAILANI aur DANYON ke saath saath unke saare banaye roop us arrow ke lagne ki wajah se HELL'S BLAZING FIRE ki aag me jalne lage..

ye jalne ka process maine dheere rakha tha taaki taklif ki aakhri hadh ko chunne ke baad hi khatm ho woh dono...

aur kyunki unki soul unke saare banaye roop me thi, aur HELL'S BLAZING FIRE SOUL ko bhi jalati hai, isiliye un saare roopon ka saamuhik pain bhi un dono ko feel ho raha tha...

hriday vidarak cheekh nikalte hue woh dono tadap tadap kar jalne lage aur yunhi chillate hue badi mushkil se...


KAILANI-kyun.....????tum....n...e...ttt..o..hhh..k..a...hhh..aa...th...aaa k...iii

MAI-apni baat yaad rehti hai mujhe...the thing is....



jo raasta tumhe dikhana tha,tumne woh DIKHAYA NAHI...

jo jawab mujhe sunana tha,woh jawab tumse maine PAAYA NAHI...

VIDEOUS ke RAAZ janane the mujhe...

tumne BATAYA nahi,maine BACHAYA NAHI....



















AAJ KE LIYE ITNA HI......



















AAPKA APNA V.....J.....
Speechless extraordinary amazing update VJbhai
 

Rajesh

Well-Known Member
3,576
7,996
158
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF DORIAN FORBIDDEN FOREST KE AAGE LAGI SHIELD KO TODNE ME NAAKAMIYAB HOTA HAI WAHIN DUSRI TARAF RAAZ ANGIS ME APNI BODY KO HAASIL KAR CHUKA HAI...


AB AAGE:-



CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)



UPDATE-43



PLANET-ELYSIAN


PLACE-GARDEN




YAAR,YE MOM DAD KO YAHAN AATE HI HO KYA JAATA HAI...???HAR DIN SHAAM KO YAHAN AATE HAIN AUR YAHAN AATE HI DONO SAD HO JAATE HAIN.....


FLORIN aur MARIA ko dekhti hui ALFREEN ne ye baat MAHI se kahi thi....

shaam ka waqt hai.... ALFREEN aur MAHI ke ABODES ke aage ek bohot bada garden tha jahan aksar ye sab jaaya karte hain...

par pichle kuch waqt se FLORIN aur MARIA is garden ke bench par chup chaap baithe ek bade se ped ki taraf dekhte rehte the...

aur aisa karte waqt un dono ke hi aankhon me ek udaasi tairti rehti thi...

par jab bhi ALFREEN ya MAHI unke saamne aate the toh wo dono apne chehre ki udaasi ko turant chhupa lete the par unki ye udaasi naa toh ALFREEN se chuppi reh paayi aur naahi MAHI se...

abhi bhi FLORIN aur MARIA waise hi udaasi se bhare ussi bench par baithe hue the jisse dekh ALFREEN ne ye baat kahi thi....


MAHI-kyun,tujhe pata nahi hai uncle aur aunty ki udaasi ki wajah..???

ALFREEN-pata hai aur yahi baat toh sabse annoying hai..i mean why the hell are they thinking so much about that RAAZ???

theek hai wo unke hi orphanage me bada hua hai aur uske yun gayab ho jaane se unhe taklif hui thi par yaar ab is baat ko acha khaasa waqt beet chuka hai.

then why are they not yet over it...???

MAHI-agar mai achanak gayab ho jaaun toh kya kuch waqt ke baad tu mujhe bhul jaayegi....????

ALFREEN-are you out of your mind MAHI.....???ye kya behuda sawal kar rahi hai tu...???

MAHI-it's a simple question.. just answer it...

ALFREEN-pehli baat toh mai tujhe kahin gayab hone hi nahi dungi...aur dusri baat ki mai tujhe kuch din kya kabhi bhi nahi bhul sakti...u are my bestie,my sister...

MAHI-exactly..and that's the point..jaise mai tere liye important hun,thik waise hi RAAZ uncle aur aunty ke liye important hai...

isiliye bhale hi kitna bhi waqt kyun naa guzar jaaye,wo dono usse nahi bhula paayenge...

but pata hai sabse sad part uncle aunty ki udaasi nahi kuch aur hai...???

ALFREEN-kuch aur...???kya???

MAHI-tu pehle ye bata ki jab bhi uncle aur aunty abhi ki tarah udaas rehte hain aur tu unke saamne jaati hai toh wo kya karte hain...???

ALFREEN-wo apni sadness chhupa lete hain...

MAHI-jaise tu unke expressions se unki man ko baat samajh jaati hai toh kya thik waise hi wo bhi tere man ki baat nahi samajhte honge...

ALFREEN-mai samjhi nahi...

MAHI-unhe bhi tere expressions se,tere vatraav se ye baat pata hai ki you dont like RAAZ....

aur isiliye hi wo dono apni udaasi tujhse chhupate hain...aur yahi unki main sadness hai...

teri RAAZ ke liye negetive feelings ki wajah se wo dono apni feelings tere saamne open nahi kar paate.....


MAHI ki baat sun ALFREEN ko jhatka bhi laga aur bura bhi..sach hi toh kaha tha MAHI ne....

ye sach tha ki wo RAAZ se nafrat karti thi aur aisa karne ke liye uske paas ek valid reason bhi tha....

ek ladki jiski sabse badi shakti uski intuition power hi rahi hai..wo intuition jo kayi baar sahi sabit ho chuki hai,uska usse RAAZ ke liye alert karna yunhi toh nahi ho sakta tha..

uske upar usse ek hi sapne ka 2 baar aana wo bhi ek hi sequence me,ye bhi koi ittifaq nahi ho sakta tha...

in sab reasons ke baad naaraz hona,nafrat karna laazmi hi tha but having said that,apne emotions ko kisi aur par toh thopa nahi jaa sakta tha aur in a way ALFREEN ne ye apne parents ke saath kiya tha...

uski RAAZ ke liye naapasandi itni visual thi,itni clear thi ki uske mom dad ke nazaron se chhup naa saki aur issi wajah se kayi baar jab uske mom dad RAAZ ke baare me usse puchna chah rahe the,wo nahi puch paate the...

aur aaj bhi uski issi naapasandi ki wajah se unhe apne emotions apni hi beti se chhupane pad rahe the...

ye sab soch ALFREEN khudme kaafi sharminda feel karne lagi aur turant apne mom dad ki taraf badh gayi...

wahin MAHI bhi kuch sochte hue ALFREEN ke saath ho li...


ALFREEN-mom pops..... sorry....


apne mom dad ke saamne pahunch ALFREEN ne ye baat kahi jisse sun wo dono thode hairan hue aur isiliye...

MARIA-sorry kisliye baccha...???

ALFREEN-mujhe pata hai ki aap dono ab bhi RAAZ ke gayab hone se sad hain par mere usse dislike karne ki wajah se kuch keh nahi paate...

i am really sorry for being so insensitive....


aakhon me halki si nami ke saath kahi ye baat ALFREEN ne jiske baad FLORIN aur MARIA ne usse kheench kar apne beech baitha liya

aur tabhi.....

FLORIN aur MARIA ke ALFREEN ko chhute hi ek invisible force ray un teeno ke sharir ke baahari satah par aakar vibrate karne lagi...


FLORIN-AL,we know that you have a golden heart...hum jaante hain ki tum kabhi kisika bura nahi chah sakti aur isiliye hi hume is baat ka bhi andaza hai ki RAAZ ke liye tumhari negetivity ke peeche zaroor koi aur reason hai..

aisa reason jisse tumne hume bataya nahi hai and don't worry..hum khudse puchenge bhi nahi...

kyunko jo bhi reason hai,hume pata hai ki tum usse handle kar logi...but we are really proud ki tumhare apne reasons hone ke baad bhi tumne humari feelings par bhi dhyan diya...

ALFREEN-proud aapko mujhpar nahi, MAHI par hona chahiye..ussine mere mind ko clear kiya...


ALFREEN ki baat sun jab MARIA aur FLORIN ne MAHI ki taraf dekha ki wo bhi ALFREEN ki hi tarah aankhon me nami aur chehre par muskan liye MARIA ke saamne hi khadi thi...

MARIA thoda aur side ki taaraf hui aur apna haath badha MAHI ko bhi beech me baitha liya

aur tabhi.....

SOOBH....


jaise hi MARIA ne MAHI ko beech me bithaya toh un chaaron ke bodies interconnect ho gaye aur aisa hote hi...

MARIA, FLORIN aur ALFREEN ke sharir ke baahari satah par rooki hui invisible force ray ek jhatke me unse alag hui aur sidhe ek disha ki taraf badh gayi....

wahin beech mai baiththe hi MAHI ne un emotional talks ki disha ko ghumana ke liye...


MAHI-waise uncle,aunty aap dono saamne us ped ki taraf kyun dekhte rehte hain...???


unse kuch door saamne jo ped tha,jiski taraf MARIA aur FLORIN yahan baithkar hamesha dekhte rehte the,usse point karte hue MAHI ne apni baat kahi jispar..


MARIA-actually saamne jo ye ped hai,issiki tarah ka ek ped hamare orphanage ke saamne bhi tha jiske ek daal par RAAZ har din baitha rehta tha...

MAHI-har din....par kyun..???


MAHI ki baat par MARIA ne FLORIN ki taraf dekha maano puch rahi ho ki WOOGER ki baat baccho ke saamne karna thik hoga yaa nahi....

kyun ELYSIAN pahunchne se pehle RAAZ ne ye bataya tha ki usse us ped ke aage bane jheel ke paas WOOGER feel hota tha..

FLORIN bhi MARIA ki aankhon me ubhra sawal samajh gaye aur isiliye....


FLORIN-bas aise hi..usne khud toh kuch bataya nahi par us ped se thodi aage ki taraf ek jheel thi aur shayad RAAZ ko wo dekhna acha lagta tha....


iske baad RAAZ se related MAHI ne FLORIN aur MARIA se kuch aur baatein puchi jiska unhone jawab diya...

unhone RAAZ se related ek do kisse bhi ALFREEN aur MAHI ko bataye jisse sun dono thodi hairan hui..

yahan MARIA aur FLORIN RAAZ se judi purani yaadein taaza kar rahe the aur wahan....

FLORIN, MARIA aur ALFREEN ke body se nikal wo invisible force ray tezi se aage badhti hui ek disha me jaane lagi...

arre,ye kya!!!ye ray toh FORBIDDEN FOREST ki taraf jaa rahi thi...

tezi se FORBIDDEN FOREST ki taraf badhti hui wo ray kuch hi palon me us FOREST ke saamne pahunch chuki thi...

par wahan pahunchne ke baad bhi wo ray rooki nahi balki aage badhti chali gayi aur....

ek chamatkar si ghatna ghati...


aage badhti hui us ray ne FOREST ke saamne lagi sheild ko yun bheda maano wahan koi shield thi hi nahi...

bina kisi vyavadhan ke wo ray us SHIELD ko paar karte hue FORBIDDEN FOREST ek andar samati chali gayi....




PLANET-ANNJAYA


PLACE-THE RED OCEAN




YE MERA KHUN HAI YAA PURE UNIVERSE KE LOGON KA...!!!!

ISKA TOH END BHI NAHI DIKH RAHA HAI...PACIFIC, ATLANTIC AUR INDIAN OCEAN KE MIXTURE SE BHI ZYADA LAG RAHA HAI YE TOH....


ANNJAYA...wo planet jahan mujhe mere sharir ke adhurepan ka teesra bhaag milna tha..mera BLOOD....

is waqt mai aasman me khada is pure planet ko dekh raha tha...

is planet me koi zamin nahi thi....jahan tak meri nazar jaa rahi thi,wahan tak mujhe anthhin RED WATER jo ki mera blood tha,wo dikh raha tha...

ek pura PLANET jo ki OCEAN OF BLOOD se bhara hua tha...aur yahi sab dekh maine ye baatein kahin thi...


MAI-ye smell apne saath kaisi force create kar rahi hai...???


jaisa ki maine bataya ki kaafi der se mai yaha upar aasman me khada ye sab dekh raha tha..

aur har thodi der me mere naak me ek ajeeb si mehek feel hoti thi aur jab bhi mujhe wo smell aati thi,toh saath hi mujhe ek strong push feel hota tha aur issi wajah se maine khud se ye sawal kiya aur mere aisa karne ke agle hi pal mere dimag ne hi mujhe jawab bhi de diya tha....

daras ye smell mere hi blood ki thi jo uske AURA se,jo yahan ke atmosphere me ghumti rehti thi,usse aa rahi thi....

aur jab bhi wo AURA mujhe chhute hue guzarti thi,tab mujhe wo strong push feel hota tha....

par kyunki mujhe in sabse koi khatra nahi tha isiliye maine apna dimag is topic se hataya aur lagaya main baat par...


MAI-shuruat kahan se ki jaaye..???ANGIS me toh BODY AMPLIFICATION waala tarika kaam nahi aaya tha...

jaise wahan ek alag logic tha,ho sakta hai ki yahan bhi kuch aisa hi ho....

par kya????

chalo,pehle basics se hi shuru karte hain...


ab mujhe apna blood AMPLIFICATION ka process shuru karna tha par RENAISS aur ANGIS ke mukable apne AMPLIFICATION process ko yahan shuru karna kaafi mushkil tha..

aur wo isiliye kyunki mai filhal hawa me tha...aur mai hawa me isiliye sthir khada ho paa raha tha kyunki abhi tak mai bas situation ka jaayaza le raha tha..

jaise hi mai yahan apna AMPLIFICATION shuru karta,toh mera ye hawa me hold toot jaata aur mai sidhe neeche ocean me girta...

waise toh mai kaafi ucchaiyon par tha aur issi wajah se niche ocean tak pahunchne me mujhe thoda waqt lagta par girna toh tay hi tha..

aur sabse badi problem ye thi ki blood ke thickness ki wajah se us ocean me ek inch bhi jhaanka nahi jaa sakta tha..

kehne ka matlab ye hai ki mujhe pata nahi hai ki us blood se bhare ocean ke andar mere liye kaisi chunouti ho sakti hai...???

par itne saare if's aur but ke beech ek baat toh clear thi aur wo ye ki filhal AMPLIFICATION process ko shuru karne ke alawa mere paas aur koi option hi nahi tha aur isiliye....

maine khade khade hi apni aankhen band kar li jiske agle hi pal mera CEREBRATION process pause ho chuka tha aur aisa hote hi...

mai tezi se niche girne laga....hawa ko cheerte hue mera sharir neeche mere hi OCEAN OF BLOOD ki taraf badhta chala jaa raha tha...

wahin mera chitt bilkul shaant tha...mai apne dimag se hote hue apne andar jhaank raha tha...par yahan ek samasya thi aur wo ye ki mujhe jis bhi part ko AMPLIFY karna hota tha,mera wo bhaag toh mere andar nahi balki mere baahar moujud hota tha..

par ab jo tha so tha aur isiliye....


AURAVA VIBHUTIEN

AURA EXPANSION


mere niche bhare hue OCEAN OF BLOOD ki chavi ko yaad kar maine BLOOD AMPLIFICATION me bole jaana waala spell uccharit kiya aur mere aisa karte hi......


SOOBH.....SOOBHHH.....SOOBHHH.....


us OCEAN OF BLOOD se ek ke baad ek teen bade bade TORNADO ne janm liya...

khoon se bhare teen bade chakrawat...itne bade ki ek baar me ek pura shahar tak nigal jaayen...

yahan mera sharir neeche gir raha tha aur wahan wo teeno tornado bade hote chale jaa rahe the aur fir.....

CHHCHHHCHHH......


mera sharir ek tornado se takra gaya aur aisa hote hi us tornado me ek ajeeb si awaaz honi shuru ho gayi..

aisa lag taha tha maano wo tornado mujhe apne andar sametkar meri chatni banane ki koshish kar raha ho...

aur shayad wo aisa karne me kaamiyab ho bhi jaata agar mujhe apna asli sharir nahi mila hota....

mere is naye sharir ki wajah se wo tornado mujhe upari taur par toh koi nuksaan nahi pahuncha paaya par AURAVA VIBHUTIEN waale spell ki wajah se aur us tornado ke asli swaroop jo ki mera BLOOD tha, uski wajah se mujhe apne andar behad tez jhatke lag rahe the...

aur kyunki ab mai us tornado ke andar tha jiska matlab tha ki mai apne blood se direct contact me tha, toh is wajah se us spell ka asar aur zyada ho gaya tha..

mujhe mere pure anduri sharir,aur usse hote hue pure brain ke har nerve me jhatke padne lage...

mera brain aur meri body, dono hi mujhe relieve karne ki puri kosish kar rahe the par in sabme ek sach ye bhi tha ki blood brain aur body se zyada pure hota hai..

isse bana AURA bhi BRAIN aur BODY ke AURA se zyada strong hota hai aur issi wajah se meri taklif bhi ab tak mile taklifon se zyada thi...

aur zakhm me namak waali baat ye thi ki wo tornado mujhe apne saath saath behad tezi se gol gol ghuma raha tha..

ek toh tez jhatke,uske upar se ye free circulations...in sabki wajah se mujhpar reh rehkar behoshi chhati chali jaa rahi thi par mera BRAIN mujhe hosh me rakhne ki puri koshish kar raha tha......

jis tornado ke andar mai fasa tha,kuch der mujhe usme fasaye rakhne ke baad wo mujhe dusre tornado me fekh deta tha aur fir yahi wo dusra tornado bhi karta tha...

saalon ne mujhe ball bana diya tha aur catch catch khel rahe the...

kaafi der tak ye sab chalta raha par jab wo teeno tornados mere senses ko nahi mita paaya toh....

mai is waqt third tornado ke andar tha..par is baar kuch der tak khudme ghumane ke baad usne mujhe paas nahi kiya balki mujhe ek jhatka diya jiski wajah se mai usse nikalta hua upar hawa me uththa chala gaya aur jab aisa hua toh...

wo teeno tornado ek dusre ke paas aane lage aur dekhte hi dekhte wo ek ho gaye aur aisa hone ke baad....

teeno tornado ke ek hone ki wajah se us ek tornado ki shakti aur badh gayi thi par is baar usne kuch aur karne ki sochi...

yahan mera sharir ek unchayi par pahunch kar niche aane laga aur wahan us tornado ne apne sabse ucche bhaag ko dhaardhaar kar diya theek waisa hi jaisa ANGIS ke surface ne kiya tha...

bas fark sirf itna tha ki wahan wo jagah mere body se bani thi aur yahan mere blood se...

mera sharir tezi se neeche aaya aur...

TANNNN.....


jaise hi mera peeth ka middle part us blood se bane sharp point se takraya,toh is awaaz ke saath mera body wahin rook gaya...

ab bhala ek LONSDALEITE jaisi strong body ko yunhi toh nail nahi kiya jaa sakta tha aur isiliye mujhe aur mere body ko us pointed DHAARDHAAR ubhri hui jagah se koi fark nahi pada aur jab us tornado ne is baat ko sense kiya toh agle agle hi pal...

jis pointed jagah par mera sharir tika hua tha,us jagah ne khud ko expand karna shuru kiya aur dekhte hi dekhte wo nukili jagah ek bade se flat aur solid surface me badal gayi..

ye surface us tornado ke aadhe bhaag se bana tha...wahin aisa hote hi us tornado ka baaki ka aadha bhaag jo ki neeche tha,wo side se hota hua upar uthne laga aur dekhte hi dekhte wo bhaag bhi solid state me badalta hua ek mote aur bade se surface ka roop lete hue mujhse kuch 100 metre upar hawa me jaakar rook gaya...

lagatar lage jhatkon ki wajah se meri aankhen aadhi hi khuli thi aur un adhkhuli aakhon se maine dekha ki mere upar ka asman us red surface se jaise dhak sa gaya hai...

us surface ne ek gigantic mountain jitna area cover kar liya tha...

kuch seconds tak yunhi rooke rehne ke baad achanak.....

wo SURFACE tezi se neeche matlab meri taraf aane laga.... aur ye dekh meri aadhi khuli aankhen ek jhatke me puri khul gayi...

wo surface sidhe mujhpar hi girne waala tha aur ye dekh mai turant uthne ko hua par ye kya...???

jis surface par mai leta pada tha,mujhe uththe dekh usne mujhe baandh liya...

waise toh mere asli body ke mere paas hone ki wajah se kisi bhi tarah ke bandhan ko mai asaani se tod sakta tha par yahan baat alag thi aur wo isiliye kyunki jaise hi mujhe us surface ne jo ki mera hi blood thi, baandha toh uske aisa karte hi ek baar firse mere andar jhatke lagne lage aur is baar wo jhatke aur tez the...

aisa lag raha tha maano mera BLOOD mujhe baandhe rakhne ke liye apni puri shakti laga raha tha..

yahan mai lag rahe jhatkon se khudko normal rakhne aur khudko chhudaane ke liye apne body aur sir ko left right jhatak raha tha aur wahan mere upar waala surface mere sir tak pahunch chuka tha aur is baat ko sense kar jaise hi maine upar dekha toh...


BOOM.......


dono surface aapas me takrakar toot chuke the aur saath hi unke beech pis kar najaane kaisi haalat me niche girte chala jaa raha tha mai....



aksar ladhayi me,yudh me KHOON nikalta hai....

par yahan toh mere hi KHOON ne mera dum nikal diya tha.....







AAJ KE LIYE ITNA HI....







AAPKA APNA V...J....
awesome update bro maza aa gaya
 
Top