AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF DORIAN FORBIDDEN FOREST KE AAGE LAGI SHIELD KO TODNE ME NAAKAMIYAB HOTA HAI WAHIN DUSRI TARAF RAAZ ANGIS ME APNI BODY KO HAASIL KAR CHUKA HAI...
AB AAGE:-
CHAPTER-1
(UNFOLD THE RAAZ)
UPDATE-43
PLANET-ELYSIAN
PLACE-GARDEN
YAAR,YE MOM DAD KO YAHAN AATE HI HO KYA JAATA HAI...???HAR DIN SHAAM KO YAHAN AATE HAIN AUR YAHAN AATE HI DONO SAD HO JAATE HAIN.....
FLORIN aur MARIA ko dekhti hui ALFREEN ne ye baat MAHI se kahi thi....
shaam ka waqt hai.... ALFREEN aur MAHI ke ABODES ke aage ek bohot bada garden tha jahan aksar ye sab jaaya karte hain...
par pichle kuch waqt se FLORIN aur MARIA is garden ke bench par chup chaap baithe ek bade se ped ki taraf dekhte rehte the...
aur aisa karte waqt un dono ke hi aankhon me ek udaasi tairti rehti thi...
par jab bhi ALFREEN ya MAHI unke saamne aate the toh wo dono apne chehre ki udaasi ko turant chhupa lete the par unki ye udaasi naa toh ALFREEN se chuppi reh paayi aur naahi MAHI se...
abhi bhi FLORIN aur MARIA waise hi udaasi se bhare ussi bench par baithe hue the jisse dekh ALFREEN ne ye baat kahi thi....
MAHI-kyun,tujhe pata nahi hai uncle aur aunty ki udaasi ki wajah..???
ALFREEN-pata hai aur yahi baat toh sabse annoying hai..i mean why the hell are they thinking so much about that RAAZ???
theek hai wo unke hi orphanage me bada hua hai aur uske yun gayab ho jaane se unhe taklif hui thi par yaar ab is baat ko acha khaasa waqt beet chuka hai.
then why are they not yet over it...???
MAHI-agar mai achanak gayab ho jaaun toh kya kuch waqt ke baad tu mujhe bhul jaayegi....????
ALFREEN-are you out of your mind MAHI.....???ye kya behuda sawal kar rahi hai tu...???
MAHI-it's a simple question.. just answer it...
ALFREEN-pehli baat toh mai tujhe kahin gayab hone hi nahi dungi...aur dusri baat ki mai tujhe kuch din kya kabhi bhi nahi bhul sakti...u are my bestie,my sister...
MAHI-exactly..and that's the point..jaise mai tere liye important hun,thik waise hi RAAZ uncle aur aunty ke liye important hai...
isiliye bhale hi kitna bhi waqt kyun naa guzar jaaye,wo dono usse nahi bhula paayenge...
but pata hai sabse sad part uncle aunty ki udaasi nahi kuch aur hai...???
ALFREEN-kuch aur...???kya???
MAHI-tu pehle ye bata ki jab bhi uncle aur aunty abhi ki tarah udaas rehte hain aur tu unke saamne jaati hai toh wo kya karte hain...???
ALFREEN-wo apni sadness chhupa lete hain...
MAHI-jaise tu unke expressions se unki man ko baat samajh jaati hai toh kya thik waise hi wo bhi tere man ki baat nahi samajhte honge...
ALFREEN-mai samjhi nahi...
MAHI-unhe bhi tere expressions se,tere vatraav se ye baat pata hai ki you dont like RAAZ....
aur isiliye hi wo dono apni udaasi tujhse chhupate hain...aur yahi unki main sadness hai...
teri RAAZ ke liye negetive feelings ki wajah se wo dono apni feelings tere saamne open nahi kar paate.....
MAHI ki baat sun ALFREEN ko jhatka bhi laga aur bura bhi..sach hi toh kaha tha MAHI ne....
ye sach tha ki wo RAAZ se nafrat karti thi aur aisa karne ke liye uske paas ek valid reason bhi tha....
ek ladki jiski sabse badi shakti uski intuition power hi rahi hai..wo intuition jo kayi baar sahi sabit ho chuki hai,uska usse RAAZ ke liye alert karna yunhi toh nahi ho sakta tha..
uske upar usse ek hi sapne ka 2 baar aana wo bhi ek hi sequence me,ye bhi koi ittifaq nahi ho sakta tha...
in sab reasons ke baad naaraz hona,nafrat karna laazmi hi tha but having said that,apne emotions ko kisi aur par toh thopa nahi jaa sakta tha aur in a way ALFREEN ne ye apne parents ke saath kiya tha...
uski RAAZ ke liye naapasandi itni visual thi,itni clear thi ki uske mom dad ke nazaron se chhup naa saki aur issi wajah se kayi baar jab uske mom dad RAAZ ke baare me usse puchna chah rahe the,wo nahi puch paate the...
aur aaj bhi uski issi naapasandi ki wajah se unhe apne emotions apni hi beti se chhupane pad rahe the...
ye sab soch ALFREEN khudme kaafi sharminda feel karne lagi aur turant apne mom dad ki taraf badh gayi...
wahin MAHI bhi kuch sochte hue ALFREEN ke saath ho li...
ALFREEN-mom pops..... sorry....
apne mom dad ke saamne pahunch ALFREEN ne ye baat kahi jisse sun wo dono thode hairan hue aur isiliye...
MARIA-sorry kisliye baccha...???
ALFREEN-mujhe pata hai ki aap dono ab bhi RAAZ ke gayab hone se sad hain par mere usse dislike karne ki wajah se kuch keh nahi paate...
i am really sorry for being so insensitive....
aakhon me halki si nami ke saath kahi ye baat ALFREEN ne jiske baad FLORIN aur MARIA ne usse kheench kar apne beech baitha liya
aur tabhi.....
FLORIN aur MARIA ke ALFREEN ko chhute hi ek invisible force ray un teeno ke sharir ke baahari satah par aakar vibrate karne lagi...
FLORIN-AL,we know that you have a golden heart...hum jaante hain ki tum kabhi kisika bura nahi chah sakti aur isiliye hi hume is baat ka bhi andaza hai ki RAAZ ke liye tumhari negetivity ke peeche zaroor koi aur reason hai..
aisa reason jisse tumne hume bataya nahi hai and don't worry..hum khudse puchenge bhi nahi...
kyunko jo bhi reason hai,hume pata hai ki tum usse handle kar logi...but we are really proud ki tumhare apne reasons hone ke baad bhi tumne humari feelings par bhi dhyan diya...
ALFREEN-proud aapko mujhpar nahi, MAHI par hona chahiye..ussine mere mind ko clear kiya...
ALFREEN ki baat sun jab MARIA aur FLORIN ne MAHI ki taraf dekha ki wo bhi ALFREEN ki hi tarah aankhon me nami aur chehre par muskan liye MARIA ke saamne hi khadi thi...
MARIA thoda aur side ki taaraf hui aur apna haath badha MAHI ko bhi beech me baitha liya
aur tabhi.....
SOOBH....
jaise hi MARIA ne MAHI ko beech me bithaya toh un chaaron ke bodies interconnect ho gaye aur aisa hote hi...
MARIA, FLORIN aur ALFREEN ke sharir ke baahari satah par rooki hui invisible force ray ek jhatke me unse alag hui aur sidhe ek disha ki taraf badh gayi....
wahin beech mai baiththe hi MAHI ne un emotional talks ki disha ko ghumana ke liye...
MAHI-waise uncle,aunty aap dono saamne us ped ki taraf kyun dekhte rehte hain...???
unse kuch door saamne jo ped tha,jiski taraf MARIA aur FLORIN yahan baithkar hamesha dekhte rehte the,usse point karte hue MAHI ne apni baat kahi jispar..
MARIA-actually saamne jo ye ped hai,issiki tarah ka ek ped hamare orphanage ke saamne bhi tha jiske ek daal par RAAZ har din baitha rehta tha...
MAHI-har din....par kyun..???
MAHI ki baat par MARIA ne FLORIN ki taraf dekha maano puch rahi ho ki WOOGER ki baat baccho ke saamne karna thik hoga yaa nahi....
kyun ELYSIAN pahunchne se pehle RAAZ ne ye bataya tha ki usse us ped ke aage bane jheel ke paas WOOGER feel hota tha..
FLORIN bhi MARIA ki aankhon me ubhra sawal samajh gaye aur isiliye....
FLORIN-bas aise hi..usne khud toh kuch bataya nahi par us ped se thodi aage ki taraf ek jheel thi aur shayad RAAZ ko wo dekhna acha lagta tha....
iske baad RAAZ se related MAHI ne FLORIN aur MARIA se kuch aur baatein puchi jiska unhone jawab diya...
unhone RAAZ se related ek do kisse bhi ALFREEN aur MAHI ko bataye jisse sun dono thodi hairan hui..
yahan MARIA aur FLORIN RAAZ se judi purani yaadein taaza kar rahe the aur wahan....
FLORIN, MARIA aur ALFREEN ke body se nikal wo invisible force ray tezi se aage badhti hui ek disha me jaane lagi...
arre,ye kya!!!ye ray toh FORBIDDEN FOREST ki taraf jaa rahi thi...
tezi se FORBIDDEN FOREST ki taraf badhti hui wo ray kuch hi palon me us FOREST ke saamne pahunch chuki thi...
par wahan pahunchne ke baad bhi wo ray rooki nahi balki aage badhti chali gayi aur....
ek chamatkar si ghatna ghati...
aage badhti hui us ray ne FOREST ke saamne lagi sheild ko yun bheda maano wahan koi shield thi hi nahi...
bina kisi vyavadhan ke wo ray us SHIELD ko paar karte hue FORBIDDEN FOREST ek andar samati chali gayi....
PLANET-ANNJAYA
PLACE-THE RED OCEAN
YE MERA KHUN HAI YAA PURE UNIVERSE KE LOGON KA...!!!!
ISKA TOH END BHI NAHI DIKH RAHA HAI...PACIFIC, ATLANTIC AUR INDIAN OCEAN KE MIXTURE SE BHI ZYADA LAG RAHA HAI YE TOH....
ANNJAYA...wo planet jahan mujhe mere sharir ke adhurepan ka teesra bhaag milna tha..mera BLOOD....
is waqt mai aasman me khada is pure planet ko dekh raha tha...
is planet me koi zamin nahi thi....jahan tak meri nazar jaa rahi thi,wahan tak mujhe anthhin RED WATER jo ki mera blood tha,wo dikh raha tha...
ek pura PLANET jo ki OCEAN OF BLOOD se bhara hua tha...aur yahi sab dekh maine ye baatein kahin thi...
MAI-ye smell apne saath kaisi force create kar rahi hai...???
jaisa ki maine bataya ki kaafi der se mai yaha upar aasman me khada ye sab dekh raha tha..
aur har thodi der me mere naak me ek ajeeb si mehek feel hoti thi aur jab bhi mujhe wo smell aati thi,toh saath hi mujhe ek strong push feel hota tha aur issi wajah se maine khud se ye sawal kiya aur mere aisa karne ke agle hi pal mere dimag ne hi mujhe jawab bhi de diya tha....
daras ye smell mere hi blood ki thi jo uske AURA se,jo yahan ke atmosphere me ghumti rehti thi,usse aa rahi thi....
aur jab bhi wo AURA mujhe chhute hue guzarti thi,tab mujhe wo strong push feel hota tha....
par kyunki mujhe in sabse koi khatra nahi tha isiliye maine apna dimag is topic se hataya aur lagaya main baat par...
MAI-shuruat kahan se ki jaaye..???ANGIS me toh BODY AMPLIFICATION waala tarika kaam nahi aaya tha...
jaise wahan ek alag logic tha,ho sakta hai ki yahan bhi kuch aisa hi ho....
par kya????
chalo,pehle basics se hi shuru karte hain...
ab mujhe apna blood AMPLIFICATION ka process shuru karna tha par RENAISS aur ANGIS ke mukable apne AMPLIFICATION process ko yahan shuru karna kaafi mushkil tha..
aur wo isiliye kyunki mai filhal hawa me tha...aur mai hawa me isiliye sthir khada ho paa raha tha kyunki abhi tak mai bas situation ka jaayaza le raha tha..
jaise hi mai yahan apna AMPLIFICATION shuru karta,toh mera ye hawa me hold toot jaata aur mai sidhe neeche ocean me girta...
waise toh mai kaafi ucchaiyon par tha aur issi wajah se niche ocean tak pahunchne me mujhe thoda waqt lagta par girna toh tay hi tha..
aur sabse badi problem ye thi ki blood ke thickness ki wajah se us ocean me ek inch bhi jhaanka nahi jaa sakta tha..
kehne ka matlab ye hai ki mujhe pata nahi hai ki us blood se bhare ocean ke andar mere liye kaisi chunouti ho sakti hai...???
par itne saare if's aur but ke beech ek baat toh clear thi aur wo ye ki filhal AMPLIFICATION process ko shuru karne ke alawa mere paas aur koi option hi nahi tha aur isiliye....
maine khade khade hi apni aankhen band kar li jiske agle hi pal mera CEREBRATION process pause ho chuka tha aur aisa hote hi...
mai tezi se niche girne laga....hawa ko cheerte hue mera sharir neeche mere hi OCEAN OF BLOOD ki taraf badhta chala jaa raha tha...
wahin mera chitt bilkul shaant tha...mai apne dimag se hote hue apne andar jhaank raha tha...par yahan ek samasya thi aur wo ye ki mujhe jis bhi part ko AMPLIFY karna hota tha,mera wo bhaag toh mere andar nahi balki mere baahar moujud hota tha..
par ab jo tha so tha aur isiliye....
AURAVA VIBHUTIEN
AURA EXPANSION
mere niche bhare hue OCEAN OF BLOOD ki chavi ko yaad kar maine BLOOD AMPLIFICATION me bole jaana waala spell uccharit kiya aur mere aisa karte hi......
SOOBH.....SOOBHHH.....SOOBHHH.....
us OCEAN OF BLOOD se ek ke baad ek teen bade bade TORNADO ne janm liya...
khoon se bhare teen bade chakrawat...itne bade ki ek baar me ek pura shahar tak nigal jaayen...
yahan mera sharir neeche gir raha tha aur wahan wo teeno tornado bade hote chale jaa rahe the aur fir.....
CHHCHHHCHHH......
mera sharir ek tornado se takra gaya aur aisa hote hi us tornado me ek ajeeb si awaaz honi shuru ho gayi..
aisa lag taha tha maano wo tornado mujhe apne andar sametkar meri chatni banane ki koshish kar raha ho...
aur shayad wo aisa karne me kaamiyab ho bhi jaata agar mujhe apna asli sharir nahi mila hota....
mere is naye sharir ki wajah se wo tornado mujhe upari taur par toh koi nuksaan nahi pahuncha paaya par AURAVA VIBHUTIEN waale spell ki wajah se aur us tornado ke asli swaroop jo ki mera BLOOD tha, uski wajah se mujhe apne andar behad tez jhatke lag rahe the...
aur kyunki ab mai us tornado ke andar tha jiska matlab tha ki mai apne blood se direct contact me tha, toh is wajah se us spell ka asar aur zyada ho gaya tha..
mujhe mere pure anduri sharir,aur usse hote hue pure brain ke har nerve me jhatke padne lage...
mera brain aur meri body, dono hi mujhe relieve karne ki puri kosish kar rahe the par in sabme ek sach ye bhi tha ki blood brain aur body se zyada pure hota hai..
isse bana AURA bhi BRAIN aur BODY ke AURA se zyada strong hota hai aur issi wajah se meri taklif bhi ab tak mile taklifon se zyada thi...
aur zakhm me namak waali baat ye thi ki wo tornado mujhe apne saath saath behad tezi se gol gol ghuma raha tha..
ek toh tez jhatke,uske upar se ye free circulations...in sabki wajah se mujhpar reh rehkar behoshi chhati chali jaa rahi thi par mera BRAIN mujhe hosh me rakhne ki puri koshish kar raha tha......
jis tornado ke andar mai fasa tha,kuch der mujhe usme fasaye rakhne ke baad wo mujhe dusre tornado me fekh deta tha aur fir yahi wo dusra tornado bhi karta tha...
saalon ne mujhe ball bana diya tha aur catch catch khel rahe the...
kaafi der tak ye sab chalta raha par jab wo teeno tornados mere senses ko nahi mita paaya toh....
mai is waqt third tornado ke andar tha..par is baar kuch der tak khudme ghumane ke baad usne mujhe paas nahi kiya balki mujhe ek jhatka diya jiski wajah se mai usse nikalta hua upar hawa me uththa chala gaya aur jab aisa hua toh...
wo teeno tornado ek dusre ke paas aane lage aur dekhte hi dekhte wo ek ho gaye aur aisa hone ke baad....
teeno tornado ke ek hone ki wajah se us ek tornado ki shakti aur badh gayi thi par is baar usne kuch aur karne ki sochi...
yahan mera sharir ek unchayi par pahunch kar niche aane laga aur wahan us tornado ne apne sabse ucche bhaag ko dhaardhaar kar diya theek waisa hi jaisa ANGIS ke surface ne kiya tha...
bas fark sirf itna tha ki wahan wo jagah mere body se bani thi aur yahan mere blood se...
mera sharir tezi se neeche aaya aur...
TANNNN.....
jaise hi mera peeth ka middle part us blood se bane sharp point se takraya,toh is awaaz ke saath mera body wahin rook gaya...
ab bhala ek LONSDALEITE jaisi strong body ko yunhi toh nail nahi kiya jaa sakta tha aur isiliye mujhe aur mere body ko us pointed DHAARDHAAR ubhri hui jagah se koi fark nahi pada aur jab us tornado ne is baat ko sense kiya toh agle agle hi pal...
jis pointed jagah par mera sharir tika hua tha,us jagah ne khud ko expand karna shuru kiya aur dekhte hi dekhte wo nukili jagah ek bade se flat aur solid surface me badal gayi..
ye surface us tornado ke aadhe bhaag se bana tha...wahin aisa hote hi us tornado ka baaki ka aadha bhaag jo ki neeche tha,wo side se hota hua upar uthne laga aur dekhte hi dekhte wo bhaag bhi solid state me badalta hua ek mote aur bade se surface ka roop lete hue mujhse kuch 100 metre upar hawa me jaakar rook gaya...
lagatar lage jhatkon ki wajah se meri aankhen aadhi hi khuli thi aur un adhkhuli aakhon se maine dekha ki mere upar ka asman us red surface se jaise dhak sa gaya hai...
us surface ne ek gigantic mountain jitna area cover kar liya tha...
kuch seconds tak yunhi rooke rehne ke baad achanak.....
wo SURFACE tezi se neeche matlab meri taraf aane laga.... aur ye dekh meri aadhi khuli aankhen ek jhatke me puri khul gayi...
wo surface sidhe mujhpar hi girne waala tha aur ye dekh mai turant uthne ko hua par ye kya...???
jis surface par mai leta pada tha,mujhe uththe dekh usne mujhe baandh liya...
waise toh mere asli body ke mere paas hone ki wajah se kisi bhi tarah ke bandhan ko mai asaani se tod sakta tha par yahan baat alag thi aur wo isiliye kyunki jaise hi mujhe us surface ne jo ki mera hi blood thi, baandha toh uske aisa karte hi ek baar firse mere andar jhatke lagne lage aur is baar wo jhatke aur tez the...
aisa lag raha tha maano mera BLOOD mujhe baandhe rakhne ke liye apni puri shakti laga raha tha..
yahan mai lag rahe jhatkon se khudko normal rakhne aur khudko chhudaane ke liye apne body aur sir ko left right jhatak raha tha aur wahan mere upar waala surface mere sir tak pahunch chuka tha aur is baat ko sense kar jaise hi maine upar dekha toh...
BOOM.......
dono surface aapas me takrakar toot chuke the aur saath hi unke beech pis kar najaane kaisi haalat me niche girte chala jaa raha tha mai....
aksar ladhayi me,yudh me KHOON nikalta hai....
par yahan toh mere hi KHOON ne mera dum nikal diya tha.....
AAJ KE LIYE ITNA HI....
AAPKA APNA V...J....