AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF HALTIJAS APNA EARMARKED NIGHT MANATE HAIN WAHIN DUSRI TARAF RAAZ KO PATA CHAL JAATA HAI KI USKI SWORD COURIOUS ME HAI.
AB AAGE:-
CHAPTER-3
(THE SACRIFICE & THE PERFECT EPILOGUE)
MEGA UPDATE-158
PLANET- MIRO
PLACE- A HALTIJAS COTTAGE
KEHTE HAIN AANSU KA NIKALNA DIL KE BHAARIPAN AUR DARD KO KAM KAR DETA HAI..
I HOPE TUMHARE CASE ME YE KAHAWAT SACH HO...????
MABEL jo filhal meri taraf peeth karkar leti subak rahi thi,usse kahi thi ye baat maine...
CONVERSION SHACK me COURIS PHAL ko apne hatheli me rakh jab uski asliyat aur hamare agle destination ke baare me bataya maine ALFREEN ko toh woh aur MAHI jo pehle se hi aage ki journey ke baare me figure out kar chuki thi,kaafi excited dikhne lage the..
apne VIRTUOUS MEAL ka asli naam jaan sabhi HALTIJAS bhi kaafi khush dikh rahe the..
woh us fruit ke origin joki COURIOUS thi,uske baare me janana chahte the jiski request unhone humse ki..
jahan ek taraf unki request ko MAHI maante hue unhe COURIOUS ke baare me batane lagi,wahin dusri taraf ALFREEN aur mai COURIOUS jaane se pehle ACCHUTA, SLUNDER,HIDA, BRAWNY aur MABEL ko lene unhe theheraye cottage ki taraf badh gaye..
ACCHUTA, SLUNDER, BRAWNY aur HIDA ka hamare saath jaana toh must tha par MABEL jis mental condition se guzar rahi thi, waise me ek baar usse baat karna zaroori tha aur isiliye ACCHUTA aur baaki teeno waale cottage me ALFREEN gayi hui thi aur MABEL ke cottage me usse baat karne mai aaya hua tha...
khair meri awaaz sun meri taraf palat uth kar baith gayi MABEL aur sir neeche kar khudko niyantrit karne ki koshish karne lagi..
wahin mai bhi uske side me jaakar baith gaya aur...
MAI-hume apne agli manzil ki taraf jaana hai...chaho toh tum yahin rook jaao...jab theek lage,toh ALFREEN,mujhse ya MAHI se mind to mind contact kar lena..
we will get you out of here...
meri baat sun apne jhuke hue sir ko uthaya MABEL ne aur dard bhare face par bhi smile laate hue dekha mujhe usne aur...
MABEL-you have changed RAAZ...
MAI-and's howz that...!!!!
MABEL-jo RAAZ hamesha sabke liye 'i dont give a fuck' ATTITUDE rakhta tha,aaj woh mere comfort zone ke hisaab se options rakh raha hai...
MAI- i still don't give a fuck to most of the things MABEL..but haan, kuch chizen hain jo mujhe bhi andar se move karti hain..
par isme bhi mera kasoor nahi... drastic biological change se aisa change aana normal baat hai...
MABEL-as in...???
MAI-is kuch waqt me tumhare kiye gaye hindi aur english dono ke suffer aur safar me tumse bohot kuch chhut gaya hai...
MABEL-kya..???
MAI-dikha sakta hun mai tumhe but phir shayad tumhari taklif ko aur badhne ke liye ek naya mouka mil jaayega...
MABEL-kabhi kabhi nayi taklif purane dard ko dabane ka kaam bhi kar jaati hai..
MAI-if you say so,may i...???
apne haath ko uske forehead ke paas pahuncha pucha maine ye sawal jispar haan me sir hilaya MABEL ne aur uske aisa karte hi maine us badhe haath ke index finger se uske forehead ko touch kar diya aur aisa hote hi...
MABEL ki aankhein band hoti chali gayi....uske band aankhon ke saamne hamari GALEN jaane se pehle ghati saari ghatna,kahani ki saari haqiqat dikhne lagi..
us haqiqat ko dekh,mere us dard ko feel kar jab maine khud apne mom dad ko apne haathon se maara tha, MABEL ke band aankhon ke kinaron se aansu ki dhaar nikal padi thi..
ALFREEN meri behen hai,aur ussike saath hue meri ladhayi ko dekh bhi usse bohot taklif hui...
saari sachayi jaanane ke baad jab uski aankhein khuli toh kuch pal ek tak mujhe dekhti rahi MABEL yaa phir ye kahun ki mere shaant face ke piche chuppe pain ko feel karne ki koshish karti rahi woh aur phir aage sarak usne mujhe gale laga liya aur foot foot kar rone lagi...
ye aansu ab tak ke sabse important tears the..kyunki ye woh aansu the jo uske dard par marham lagane aur bhaari dil ka bojh utaarne waale the...
rokar mere dard ko feel karte hue apne dard ko jaise kam karti jaa rahi thi MABEL aur kuch hi der me woh aisa karne me kaamiyab ho chuki thi..
uska rona pehle subakne me aur phir ek theraav me badalta chala gaya...
kuch pal aur beete aur jab MABEL puri tarah shaant hui toh mujhse alag hote hue..
MABEL-mai saath chal rahi hun..
MAI-great.. let's bounce then...
ye bol mai aur MABEL uth gaye aur us cottage se bahar nikal CONVERSION SHACK ki taraf badh gaye..
ON THE WAY:-
MABEL-RAAZ...woh chaaron theek toh ho jaayenge naa..!!!
MAI-ofcourse.. waise bhi, tumhare haathon ACCHUTA ko thappad khaate dekhne ka mouka mai miss nahi kar sakta...
MABEL-aur mai bhala kyun usse maarne lagi...!!!
MAI-itni khubsoorat ladki us namune se pyar karti hai,bajaye iske ki is gift ko pure honour ke saath accept kare, apne ghutno par baith tumhe propose kare,kaafi avoid kiya usne tumhe..
ab is baat par ek slap toh banta hai...!!!
meri baat par halka sa blush kar gayi MABEL par phir..
MABEL-jisse meri feelings samajhni aur dekhni chahiye thi,woh toh nahi samjha,but tum samajh gaye..
kya baat hai...!!!
MAI-well, let's say,meri nazar zyada tez hai...
MABEL-phir toh MAHI ki feelings se bhi anjaan nahi hoge tum..
MAI-mai wahi dekhta hun jo mai dekhna chahta hun MABEL..
aur waise bhi,logon ke paas apni raah chunane ki liberty hoti hai,mai is option ke bina paida hua hun..
meri is baat ke khatm hote tak hum dono SHACK ke paas pahunch chuke the jahan pehle si hi saare HALTIJAS, ALFREEN aur MAHI pahunch chuke the aur saath hi saath mere chaaron doston ki unconscious bodies bhi paas hi rakhi hui thi..
MABEL ko dekhte hi MAHI aur ALFREEN turant uske paas aaye aur dono taraf se usse zor se hug kar liya jispar..
MABEL-i am good guyzz....ab chhodo bhi,we have a planet to go...
halke light awaaz se kahi ye baat MABEL ne jisse sun ALFREEN aur MAHI bhi thode relieved hue aur MABEL ka ek ek haath thaam woh teeno meri taraf jo SHACK ke paas SHOWHI ke baaju me khada tha,pahunche..
is beech MABEL ki nazar jab hamare chaaron doston aur specially ACCHUTA par padi toh uske face par pain dobara hi lout aaya par usse maalum tha ki unki ye haalat temporary hai isiliye jaldhi hi khudko sambhal bhi liya usne..
khair,jaise hi woh teeno mere paas pahunche toh maine woh COURIS FRUIT apni jeb se nikala par isse pehle ki mai woh karta jisse hamare agle destination me jaane ki shuruat hoti...
SHOWHI-SHOWHI MAHABALI RAAZ se ye vinti karta hai ki woh SHOWHI ko bhi apne safar ka hissa banaye..
SHOWHI ke saathiyon ne jo kiya,bhale hi woh apne logon ke liye tha,par waisa kar SHOWHI ke saathiyon ne universe ko khatre me bhi daal diya hai..
SHOWHI apne saathiyon ke is galti ko theek karne me MAHABALI RAAZ ki madad karna chahta hai....
MAHI-but SHOWHI,hamara safar unknown aur super powerful khatron se bhara hua hai..
saath chalne par tumhari jaan ko khatra ho sakta hai..!!!
SHOWHI-SHOWHI ANGEL MAHI ko batana chahega ki SHOWHI ko is baat ka andaza hai...
but SHOWHI aur sabhi HALTIJAS RIGHTOUS MONASTIC PRAJAATI ka hissa hain..
SHOWHI ke saathiyon se hui galti is dignified title par ek daag hai jisse SHOWHI kisi bhi tarah mitana chahega...
bhale hi iske liye SHOWHI ko apni jaan gawani hi kyun naa pade...
SHOWHI ki baat sun jahan ek taraf uske saathi HALTIJAS usse abhaar bhari nazaron se dekhne lage wahin maine us COURIS fruit ki ek bite le li aur mere aisa karte hi...
saamne SHACK par jo hollow point bana hua tha,wahan se ek WHITE ENERGY ki ray nikli jisne mujhe khudme lapet liya par woh aisa karti,usse pehle hi mere bodies se bhi ek saath 8 ray ropes nikal mere 4 conscious aur 4 unconscious saathiyon ke paas pahunch unhe khudme lapet chuki thi aur isiliye jaise hi us WHITE ENERGY ki ray ne mujhe lapet kheencha aur mai bhi ek urja me badal us hollow point me samane laga toh same chiz mere saathiyon ke saath bhi hui..
hum 9 urja me badal ek saath us hollow point se hote hue ek nayi jagah joki i was sure ki COURIOUS hi thi,wahan ke liye nikal chuke the...
PLACE-THE ACT-CLEANSING-BUBBLE
YE COURIOUS HAI....????
ek bade se safed room jaisi jagah jahan hum sab us hollow point se hokar pahunche the,usse dekhte kahi ye baat ALFREEN ne jispar..
MAHI-mujhe nahi lagta...maine mere mom dad ke COURIOUS safar ki saari jhalkiyan dekhi hai...us waqt jab woh dono jis COURIOUS me aaye the, uska koi bhi bhaag aisa nahi tha...
USKI DO WAJAH THI... PEHLI...US WAQT COURIOUS SHAPIT THA..
DUSRI..AGAR COURIOUS SHAPIT NAHI BHI HOTA TOH BHI LORD OF ANGELS JOKI PARMESHWAR PUTR BHI HAIN,UNHE COURIOUS AANE KE LIYE KISI BHI PROCESS SE HOKAR GUZARNE KI ZAROORAT NAHI PADTI..
PAR TUM SABKO YE LIBERTY NAHI MIL SAKTI.....
ek ladki ki tez awaaz hum sabke kaano me gunj uthi jisse sun....
MAI- aur tum kaun...??? liberty card baantne waali...!!!!
AWAAZ-jo chaahe naam de do..par abhi ke liye jo zaroori hai,woh sun lo...
jahan tum sab khade ho,woh THE ACT-CLEANSING-BUBBLE ki sarhad hai..ye jagah hamare pure planet COURIOUS ki zamin ke bahar satah par banayi gayi hai..
saamne dekho...
us awaaz ki is baat ki sun jab humne samane dekha toh paaya ki humse kuch 50 metres ki doori par us room ki jiska naam THE ACT-CLEANSING-BUBBLE bataya gaya tha,wahan ki whiteness kuch zyada hi badh gayi hai..
ye kehna zyada sahi rahega ki us jagah par aur usse bohot aage tak ka area WHITE ENERGY ki ek alag tarah ki urja se naha chuka tha...
hum is naye change ko dekh hi rahe the ki...
AWAAZ-tum sab COURIOUS me enter karne waale ho... COURIOUS pure bramhand ke har living planet me WHITE ENERGY ka distributor hai...
yahin se hokar har aatmik shhudhta pure universe me jaati hai...
isiliye COURIOUS me enter karne se pehle tum sabka shudh hona bhi zaroori hai...
tum sabke man me ye sawal uth raha hoga ki jab tum sabhi WHITE ENERGY ke owners ho, tumhare behosh saathi is power ke dhaarak hain, tumhara HALTIJA saathi apne khoon me GOD'S PARTICLES rakhta hai, phir tumhe shudh hone ki kya zaroorat...!!!
zaroorat isiliye hai kyunki tum sab swaans lete ho..arth, manushya yoni se jude hue ho..
aur manushya yoni jaane anjaane me hi sahi,paap aur negetivity ke chhinton se bhigi hui hoti hi hai aur un chinton ko saaf kar hi COURIOUS me enter kiya jaa sakta hai...
isiliye aage badho aur saamne dikh rahe THE ACT-CLEANSING-BUBBLE me kadam rakho...
ye us awaaz ke aakhri shabd the jiske baad ek taraf uski awaaz aana band hui aur dusri taraf hamara us bubble ki taraf chalna shuru ho gaya..
aur kyunki yahan hamara magic kaam nahi karne waala tha isiliye jahan MAHI ne HIDA ko uthaya hua tha, ALFREEN ne SLUNDER ko, MABEL ne ACCHUTA ko wahin BRAWNY ko mai uthaye aage badh raha tha...
kuch hi palon me hum us ACT-CLEANSING-BUBBLE ke just saamne the jiske baad humne apna agla kadam uske daayre me daal hi diya aur hamare aisa karte hi...
ZSZZZSSSZZZSSSSS...
lagatar jhatke lage hume...yahan tak ki hamare haathon me uthe hamare chaar unconscious saathiyon ke bodies bhi jhatkon ko jhelte hue hil rahe the..
hamare dimag,hamara dil aur hamare sharir un jhatkon ko sirf jhel hi nahi rahe the,balki unhe feel kar rahe the..
but the most important fact,un jhatkon ke lagne ka reason..
humne apne puri zindagi me jo bhi negetive socha tha,bhale hi us soch ke piche ek solid aur sahi reason kyun naa ho,woh sab hume dobara ek reflection ki tarah feel hokar humse jaise dilute ho raha tha...
hum sabhi non vegetarians the..jitne bhi species humne khaaye the,unki life jaate waqt jo unhe feel hua hoga,woh dard hume apne heart me feel ho raha tha...
yahan tak ki woh mosquitoes aur ants jinhe humne isiliye maara tha kyunki woh hume kaat rahe the,unki life source ke bujhne ka pain aur unke sadness hum feel kar rahe the...
aur sabse kamal ki baat..ye sab feel karte waqt humare pair apne aap hi lagatar aage badhte chale jaa rahe the...
kareeb 100 metres ka tha woh bubble jisme apne in out tak ke cleansing process se guzarte hue hum sab finally automatically hi chalte hue us ACT-CLEANSING-BUBBLE se bahar nikal gaye aur aisa hote hi....
woh rays jo hume us bubble me clean kar rahe the,woh shrug off hote hue dhuen me badal humse alag ho gaye aur aisa hote hi...
ek reverse run lift ki tarah woh pura ACT-CLEANSING-BUBBLE room piche ki taraf bhaagta hua gayab hone laga..
aur kuch hi seconds me hamare pairon ke neeche se us pure room ka floor gayab ho gaya aur aisa hote hi hum sab hawa me aur ab tezi se neeche girne lage...
abhi bhi hamari magic kaam nahi kar rahi thi...
tezi se neeche girta hua hamara sharir ek hari bhari zameen par touch hone se bas ek feet upar pahunchkar rook gaya jiske baad hum bade ahista se neeche ground par aane lage par jaise hi hum sabke pair neeche ground se touch hone ko hue tabhi...
PLANET-COURIOUS
humare pairon ke neeche ka area jo bohot aage tak jaata tha,phoolon se bhare raaste me badal gaya..
is waqt hum universe ke har living planet me paaye jaane waale phoolon ki sej par khade the..
ye hum isiliye bhi jaan gaye the kyunki STELLARS ke residence par jo gardens the,usme bhi har planet me paaye jaane waale flowers paaye jaate the..
khair,saaf safayi karne ke baad swagat ka tarika bada acha tha..
aur kyunki un flowers se ek raasta bhi bana hua, isiliye filhal hum jaante the ki hume ussi bane raste par aage badhna hai..
upar aasman me chamakta ek suraj jiski tej garmi nahi balki body me sheetalta badhati thi,ek chota par behadh hi aakarshak planet jiski hawa me bhi WHITE ENERGY ki shuddhata smell hoti thi,chaaron taraf kohre se dhake chote chote par aakarshak mountains,prakrutik tarike se sadiyon pehle bane kaafi khubsoorat jheel jiska paani apne saaf aur swatch hone ki kahani apni leharane ki kala se darsha raha tha,itne behatarin aur positive environment ko dekhte hue hum un flowers se bane raaste par aage badh chuke the..
par hamare face par is jagah ko dekh aur feel kar aayi shanti sawal me us waqt badal gayi jab raah ke beech hi woh phoolon se bana raasta khatm ho gaya...
hum abhi kahin pahunche bhi nahi the aur aisa ho jaana, dimag me sawal toh khada karta hi tha....
khair,kuch seconds khade rehne ke baad hum sab aage badhne ko hue hi the ki tabhi...
humare chaaron saathi ALFREEN,MAHI,MABEL aur mere haathon se gayab ho gaye aur ye dekh..
ALFREEN-arre..ye sab kahan gaye...??
MAI-relax..woh chaaron kahan gaye,ye toh hum nahi jaante but mat bhulo ki is waqt hum COURIOUS me hain..
yahan kuch bhi negetive aur galat nahi ho sakta..woh chaaron jahan bhi honge,theek honge aur sahi waqt par hume mil bhi jaayenge...
CRRRRCRRRR..
maine apni baat kahi hi thi ki uske agle hi pal hamare saamne ka adhura raasta aage banane laga...
jis jagah tak phoolon ka raasta bana hua tha,uske aage ka raasta bhi flowers se bhar utha aur ye dekh...
MABEL-kamaal hai..aage ka raasta kaise ban gaya...???
MAHI-kyunki RAAZ ne woh kaha,jo ye jagah sunana chahti thi...
ye jagah janana chahti thi ki kya hum is jagah ki pavitrata ko,iske positivity par yakin karte hain ki nahi..
kyunki bharose ke bina positivity nahi aati...aur COURIOUS positivity ka hi dusra naam hai...
RAAZ ne woh bharosa dikhaya,aur hamara raasta ban gaya...
MAHI ki baat sun samajhne ke andaz me sir hilaya ALFREEN aur MABEL ne jiske baad hum paanchon aage badh gaye...
ALFREEN-kya baat hai SHOWHI..???apne fitrat se ulat bilkul chup ho tum...???
SHOWHI-SHOWHI batana chahega ki SHOWHI is jagah ko feel kar raha hai...
SHOWHI aur sabhi HALTIJAS jo COURIS FRUIT khaate hain,unme bhi is jagah se nikal rahi positive vibe mehsoos hoti hai..
par bohot kam.. SHOWHI hamesha se us positive vibe ko zyada se zyada mehsoos karna chahta tha...
aur aaj SHOWHI ki woh khawish puri ho rahi hai..aur iske liye SHOWHI aap sab ka dil se shukrguzaar hai..
SHOWHI ki baat sun ALFREEN aur MAHI muskura diye par tabhi...
ek baar phirse sabke faces par sawal dikhne laga.. reason same tha..
woh flowers se bana rasta ek baar phirse khatm ho gaya tha..
aur ye dekh koi kuch kehta ki tabhi...
last flowers ne kuch alphabets ka roop lena shuru kar kar diya jo kuch yun the...
"jo liya yahan se,usse wapas LOUTAIYE...
phir jo hai manzil aapki,uska naam BATAIYE...
jo boojha sahi,toh aage JAAIYE...
par jo naam galat liya,toh wapas mud JAAIYE...."
MABEL ne padhi un flowers se bani paheli aur..
MABEL-kis chiz ke baare me puch rahi hai ye jagah...???
jahan ek taraf MABEL ne ye sawal kiya tha,wahin us paheli ko padh mere face par ek smile aa gayi...
mera haath apni jeb me gaya jo jab bahar aaya toh usme thi woh COURIS FRUIT jiski ek bite maine li thi..
usse jeb se nikal saamne flowers ki edge par rakh diya maine aur mere aisa karte hi us fruit ka bitten part reproduce ho gaya aur aisa hote hi woh phal gayab ho gaya..
wahin fruit ko rakh uske gayab hone ke baad wapas apni jagah par khade ho ek lambi saans chhod...
MAI- THE MOTHER TREE....
(NOTE:-WOH TREE JISKE FRUIT KI BEEJ SE BAAKI KE COURIN TREES PAIDA HUE HAIN.WAHI TREE JISKA CURSED FRUIT VIKRAM NE KHAYA THA..)
mere ye jawab dete hi woh woh saare phool jinse woh peheli bani thi,unhone ek golakar lena shuru kiya aur dekhte hi dekhte un flowers ke beech ek MAGICAL GATE ban chuka tha..
aisa hote hi pehle mai aur mujhe follow karte hue MAHI,MABEL, ALFREEN aur SHOWHI bhi us GATE ke andar ghus gaye jiske agle hi pal hum ek nayi jagah par the...
PLACE:-THE DEVINE GARDEN
WOWW........
SHOWHI ne ki thi ye taarif...
REASON...
hum jahan pahuche the,woh ek bada sa garden tha jisme sirf ek hi kism ke bohot se pedh bhare hue the...
THE COURIN TREES...un sab trees ko dekhte hue hum aage badhe aur hamare aisa karte hi kuch aage par humse thodi hi door par dikha hume us garden ka sabse bada COURIN TREE jisse dekh hum sabhi ke mooh se ek saath nikla..
SAB-THE MOTHER TREE...
ye baat hum sab itne daawe ke saath us pedh ke aage ke scene ko dekhkar keh sakte the...
us MOTHER TREE ke behadh mote trunk ke dusri taraf thodi doori par lambe lambe rows banakar khade the apne WHITE DEVOTEE CLOTHES me saare COURIOUS WAASI....
woh sabhi MOTHER TREE ko dekhte hue koi DEVINE HYMN gunguna rahe the jiski wajah se un sabke sharir se unke pure WHITE ENERGY ka AURA,aisa AURA jo pure universe me sirf COURIOUS WAASI ke body se hi generate ho sakta hai,woh nikal ek beam ka roop lete hue MOTHER TREE ki taraf jaa raha tha..
unhe hi dekh unki taraf badh chale hum sab...wahin woh saare COURIOUS WAASI toh pehle se hi hamare aane ke baare me jaante the aur isiliye jaise jaise hum unke kareeb pahunch rahe the,unki nazar hum par hi aakar tik chuki thi.
unhone apna HYMN gunguna band nahi kiya tha..par hume dekh abtak unke suttle faces par ek smile aa chuki thi..
khair,jaise hi hum chalte hue us MOTHER TREE ke behadh paas pahunche toh uski dusri taraf KUCH dekh MAHI, ALFREEN aur MABEL ki aankhein chamak gayi..
wahin khush toh mai bhi tha par chehra hamesha ki tarah shaant hi tha mera..
THE SWORD....
wahi SWORD jisse paane ke liye mai yahan tak aaya tha..wahi SWORD jiski sacchayi jaan aur uske aur mere connection ka baare me pata lagne ke baad behadh chownka tha mai..
wahi LORD SWORD joki asal me meri milkiyat thi,woh gadi hui thi THE MOTHER TREE ke theek saamne..
COURIOUS WAASIYON ka AURA beam bankar ussi SWORD se touch ho raha tha jiske baad woh SWORD us AURA me extra purity ki shakti daal wapas COURIOUS WAASIYON ko louta rahi thi..
ek aur kaaran tha MAHI ki aankhon me aaye chamak tha..
BHUVIKA aur ANALIA....
is waqt woh dono SWORD ke dono taraf ghutno ke bal baith GOD ke hymns gunguna rahi thi aur hume dekh woh dono bhi muskurate hue khadi ho chuki thi..
wahin un sabke beech sabse important chiz woh SWORD mere uske paas aate hi woh tezi se shine karne lagi thi..
aisa lag raha tha maano mujhe dekh woh khudke saath hi celebrate kar rahi thi...
khair,ab tak hum THE MOTHER TREE ko cross karte hue left me khadi BHUVIKA ke paas pahunch chuke the aur humare us point par pahunchte hi uska aur saath hi baaki sabka bhi HYMN gaana band ho gaya..
muskurate hue woh theek mere saamne khadi hui aur...
BHUVIKA-THE CHOSEN ONE,THE ANGEL,THE AGATHOKAK, THE GIFTED (MABEL) & THE DUEL POWER HOLDER(SHOWHI) ka COURIOUS me swagat hai....
BHUVIKA ki awaaz sun hum sab man hi man chownke the aur woh isiliye kyunki THE ACT-CLEANSING-BUBBLE me jo awaaz gunji thi,woh BHUVIKA ki hi thi aur isiliye..
ALFREEN--thanks for the warm welcome but kya us ACT-CLEANSING-BUBBLE me....
BHUVIKA-haan...woh awaaz meri hi thi...agar wahan taklif zyada hui ho,toh maaf kijiyiga..
but cleansing process zaroori tha..
MAI-hamare dost kahan hain...??
mere is sawal par muskurayi BHUVIKA aur uske saath ANALIA jiske baad...
BHUVIKA-yahan aayiye aap...???
SWORD ke theek saamne khade hone ka ishara kar kahi ye baat mujhse BHUVIKA ne jispar mai uski pointed jagah par jakar khada ho gaya..
theek SWORD ke saamne..mere aisa karte hi ek strong beam nikli SWORD se aur mere sharir par padi..
isse mujhe koi fark nahi pada par dekh kar aisa lag raha tha jaise SWORD mujhe scan kar rahi hai..
kuch seconds aisa chala jiske baad usse ek aur ray nikal sidha BHUVIKA par pada aur aisa hote hi uske face par ek baar phirse smile naach uthi aur...
BHUVIKA-ek sawal hai jo SWORD chahti hai ki mai aapse puchun...???
agar aapne sahi jawab diya toh aapke doston ki bodies naa sirf yahan prakat ho jaayegi balki saath hi saath woh hosh me bhi aa jaayenge..
lekin agar aapka jawab SWORD ko inappropriate laga toh you will loose your friends for ever...
ek aur option bhi hai...
MAI-just cut the crap...ye SWORD hogi super strong...
but RAAZ sahuliyat par nahi, apne dum par chalta hai..
toh jo bhi sawal hai,just bring it on...
BHUVIKA-wow... ATTITUDE...jaisa suna tha,LORDS SWORD ke through jitna safar tumhara dekha tha,saamne se bhi theek waise hi ho tum...
anyways,sawal simple hai...tumhe tumhare dost apne PAAS chahiye yaa phir apne SAATH....
ALFREEN-ye kaisa sawal hai...??? dono conditions me fark kya hai..???
ANALIA-ye RAAZ ko tay karne do...
ALFREEN aur ANALIA ke words exchange ke beech meri aankhen band ho chuki thi..
aur is waqt mai apne dimag me nahi,apne dil me jhaank raha tha...
REASON...
sawal aur daav, dono mere doston par the,aur friendship yaa koi bhi rishta dimag se nahi,balki dil se samjha aur nibhaya jaata hai...
khair,mere aankh band karte hi meri ERRAPEL ki shakti bhaavna me badal gayi aur mere pure heart me circulate karne lagi..
aisa kar woh mere brain me har woh pal jo ACCHUTA, BRAWNY,HIDA aur SLUNDER ne mere PAAS aur SAATH bitaye the,woh dikhane lagi aur aisa hone ke kuch hi palon baad mere face par ek smile aa chuki thi..
aankhein khul gaye mere aur...
MAI-mujhe woh chaaron apne PAAS nahi,apne SAATH chahiye..
BHUVIKA-kaaran...!!!
MAI-PAAS hona hamari kharidi chizon ki tarah hota hai...woh hamare hokar bhi hamare nahi hote...
they are temporary...but SAATH hona khudke sharir ke aantarik angon ki tarah hai..
woh naa dikhte hue bhi puri tarah se hamare hote hain...
BHUVIKA-maayne..???
MAI-paas ke maayne woh jo shamshaan tak saath de,saath ke maayne woh jo shamshaan ke baad bhi saath den...
SCHCHCHSSSCHCHSSCHHH....
mere jawab ke complete hote hi SWORD tez chamki jiske baad usse ek saath chaar beams nikal hamare saamne ek khaali spots par pade aur aisa hote hi woh khaali spot khaali naa raha.
wahan ACCHUTA, SLUNDER, BRAWNY aur HIDA ki bodies prakat hui..
itna hi nahi,prakat hote hi un chaaron ki aankhein bhi turant khul gayi aur woh chaaron jaise koi sapne se jaage ho,waise ek jhatke me uthkar baithe aur phir khade ho gaye...
uththe hi unke dimag me jo unke saath hua tha,woh ab ghumne laga aur aisa hote hi khudko zinda dekh woh chaaron hairan bhi hue aur saath hi khush bhi..
par sabse zyada khushi unhe mere unke liye diye jawab ko sunkar hui thi..
woh jawab jo SWORD unhe unki gehri neend me bhi dikha rahi thi..
khair, jahan un chaaron ko theek dekh mai bas muskura diya wahin ALFREEN aur MAHI doud kar unke paas pahunche aur baari baari un chaaron ko hug karne lage..
sabse zyada khush thi MABEL par woh door se hi aankhon me khushi ke aansu liye un chaaron ko aur khaas kar ACCHUTA ko dekh rahi thi..
ACCHUTA ki nazarein bhi usse mil chuki thi aur woh bhi MABEL ko apne saamne dekh bohot khush tha..
SHOWHI ke face par bhi un chaaron ko theek dekh khushi saaf dikh rahi thi...
khair,ALFREEN aur MAHI se gale milne ke baad woh meri taraf badhne ko hue par tabhi...
SWORD jo ab bhi tez chamak rahi thi,uski chamak aur tez ho gayi..
itni tez aur prabhavshali ki mere saare friends apni apni jagah par jadh se hokar khade ho gaye..
wahin dusri taraf woh tez roshni mujhpar ek dusra hi prabhav daal rahi thi..
ek kheechav jo mai SWORD ki taraf feel kar raha tha..mai samajh gaya ki SWORD mujhe khudko touch karne ki permission de rahi hai aur isiliye mai aage badha aur theek SWORD ke saamne pahunch maine uske POMMEL ko(the top round part over the handle)ko hold kar liya aur mere aisa karte hi pehle se hi tez chamak rahi SWORD aur zyada tez chamakne lagi..
ye chamak jo SWORD se nikal mujhme sama rahi meri, woh light ALOUKIK SHAKTIYON ki thi..
is chamak ka tej itna zyada tha ki pure COURIOUS uski roshni se naha chuka tha..
koi agar PLANET ke bahar se dekhe toh usse aisa lagta jaise COURIOUS koi planet nahi balki ek newly born SUN hai...
khair,yahan mai apne andar sama rahe apni ALOUKIK SHAKTIYON ko mehsoos kar raha tha aur theek ussi waqt mere aas paas kuch aur hua jisse mehsoos kar MAHI ki aankhein chamak gayi..
darasal meri ALOUKIK SHAKTIYON ke SWORD se bahar aane aur mujhme samane ki wajah se mere aas paas ek SUPERNATURAL DEMESNE create ho gaya tha..
ek aisi jagah create ho gayi thi jisme kisi bhi tarah ki DEVINE aur HEAVEN & EARTH GIVEN power sudden aur rapid speed me AMPLIFY ho sakti thi...
aur isiliye MAHI turant jahan woh khadi thi,wahin baith gayi aur aisa kar woh apni aankhen band kar ek saath apne ANGEL aur HUMAN FORM POWER SOURCE par concentrate karne lagi..
aur jab usne aisa kiya toh ek jhatke me uske woh dono power source naa sirf jaagrit ho gaye balki badi tezi se ek dusre ke kareeb aane lage..
bas kuch pal hi lage honge,woh dono POWER SOURCE kareeb aate hue finally ek dusre se touch ho hi gaye aur aisa hote hi uske TRUE HALF ANGEL HALF HUMAN FORM complete ho gaya..
saath hi saath yahan faili woh roshni jo kisi sun jitni bright thi,uski brightness aur zyada badh gayi..
itna hi nahi,meri behen, mere paanchon friend's aur saath hi SHOWHI bhi ek strong pressure feel karne lage the...
ye sab kuch pal aur chala lekin phir faili hui roshni dheere dheere kam hote hue finally gayab ho gayi aur aisa hote hi jab meri behen aur saare doston ne jahan mai khada tha,wahan dekha toh unki aankhein badi ho gayi..
REASON..
is waqt mai aur mere baaju me khadi MAHI pure WHITE ROBES me khade the...
hamare sharir se THE CHOSEN ONE aur THE BRIGHTEST ANGEL ka AURA nikal pure COURIOUS me fail raha tha.
abhi ye dekhe unhe ek pal bhi nahi guzra tha ki tabhi unhone apne aas paas ke nazare par gour kiya aur aisa kar ek blood rush feel hua un sabko apne andar..
REASON..
saare COURIOUS waasi mere aur MAHI ke aage apne ghutno par baithe hue the,par mere doston ke sharir me blood rush COURIOUS WAASIYON ke peeche dekhkar hua tha jahan is waqt hazaron ki sankhya me ANGELS bhi apne ghutno par baith hum dono ko respect de rahe the..
is scene ko witness kar meri behen,mere doston aur SHOWHI ki aankhen khushi aur garv se bhar uthi thi...
aur theek tabhi,un sabki tarah meri aur MAHI ki aankhein bhi halki geeli ho gayi..
REASON..
hamari taakat ki wajah se nahi balki un saare ANGELS ke theek beech me khade chaar logon ki astral projection ko dekh..
hamare saamne baaki sabke liye INVISIBLE mode me khade the hum dono ke moms and dads...
VIKRAM AVANTIKA aur RONIT ANJALI jo ek dusre ka haath thaam aaj ANGELS LORD,unki wife,aur SERAPHIM ANGELS ke ohde se nahi balki sirf parents ke roop me hamare saamne the..
aur sirf proud mom's aur dad's ki tarah hume hamare us roop me dekh jo woh chaaron hamare paida hone ke baad se hi dekhna chahte the, aankhon me aansu liye khush dikh rahe the woh...
isiliye hi woh chaaron astral projection ke zariye yahan the, saakshat nahi..
agar sidhe aate toh lime light un chaaron par hi rehti aur ye nahi chahte the woh...
khair,MAHI jo apne mom dad ko astral projection ke zariye hi sahi,par dekh pehli baar rahi thi aur isiliye uski khushi ka thikana naa tha.
woh kuch bolne ko hui par sir ko naa me hikakar uski mom AVANTIKA ne usse bolne se rok diya aur ek flying kiss karte hue"WE ARE PROUD OF YOU DAUGHTER"...aisa lip sink kar muk awaaz me bola...
same chiz mere mom dad ne bhi mujhse kahi thi.. aakhon me garv aur face par delightful smile liye woh chaaron hum dono ko kuch pal dekhte rahe aur phir dheere se gayab ho gaye...
aaj najaane kitne dino ke baad aisa laga jaise aankhen,dimag aur dil,teeno ko hi ek saath kisi ne ruhaani sukoon de diya ho..
wahin MAHI jo aaj saamne se apne mom dad ko ek saath dekh rahi thi,uski bhavnayen shabdon ne bayan karna uske emotions ki touhin hogi isiliye rehne dete hain .
khair,uske aur mere mom dad ke gayab hone ke turant baad saare ANGELS bhi gayab ho gaye aur sabhi COURIOUS WAASI bhi wapas apne pairon par khade ho gaye..
wahin jaise hi hamari nazar hamare doston par padi toh woh bhi hum dono ke aage jhukne ko hue par aisa karne me woh sab kaamiyab nahi ho paaye..
REASON....
maine unhe ghutne modne hi nahi diya.
woh sab bhi is baat ko samajh gaye aur hume dekh muskurane lage jispar..
MAI-ACCHUTA, SLUNDER, BRAWNY, HIDA,MABEL, ALFREEN.....jhaanko apne andar...
meri baat sun aankhon me sawal liye but chupchaap jaisa maine kaha,unhone kiya...
aur aisa karte hi un sabko laga jhatka..
REASON...
jahan ek taraf ACCHUTA, SLUNDER, BRAWNY, HIDA aur MABEL ko GOD GIFTED POWERS joki ab tak 90 percent tak trigger thi,woh apne full potential me unke andar glow karte hue wahan circulate ho rahi thi wahin ALFREEN ke AGATHOKAK powers joki puri tarah stable nahi hue the,woh ab steady ho chuke the...
apne andar shaktiyon ke bhandaar ko mehsoos kar behadh khush ho gaye the woh sab jisse aur badhane ke liye..
MAI-ALFREEN ko chhod baaki tum sab ab tak WHITE ENERGY ke HOLDERS the but ab tum OWNERS ho...
you are as strong as an ANGEL... aur ALFREEN, tumhare paas ab tak bhale hi WHITE aur BLACK ENERGY, dono hi the but unka use tum alag alag kar sakti thi..
ab ye boundation hath chuka hai..tum apne dono shaktiyon ko saath merge karte hue bhi unhe aur zyada strong banate hue istemal kar sakti ho...
a small GIFT from your brother...
meri baat sun tezi se meri taraf badhi aur mujhe hug kar liye ALFREEN ne jiske baad mujhse alag ho..
ALFREEN-ab aage kya..??
MAI-saamne sabke saath khade ho
jaa,batata hun..MAHI, tum bhi..
meri baat sun woh dono ek saath SHOWHI ke side me jaakar khade ho gaye jiske baad..
MAI- tum sab ki capabilities ko tum sabse behtar pehchaanta hun mai...
isiliye ek sawal hai mera, do you all trust my decision and more importantly,do you guyz trust me...???
mera ye sawal pehle toh unme se kisi ko samajh hi nahi aaya but phir woh sab ye jaante the ki bewajah mai kuch bhi nahi bolta isiliye...
SAB-yes....
MAHI ko chhod baaki sabne ye jawab diye jiske baad jab meri nazar MAHI par gayi toh..
MAHI-i can put my life on stake for you RAAZ...and you know it...
MAI-very well then..all the best guyzzzz....
KHACCHHHHH....
ye bol maine apne SWORD ko apne saamne zamin par gada diya aur mere aisa karte hi uske POMMEL ki mid point par jahan ek rare red diamond laga hua tha,usse nikli kul do roshniyan jinme se ek ke daayre me thi sirf MAHI aur dusre me baaki sab...
aisa hote hi unke bodies se lag kar hi 2 WORLD DOORS khul gaye jinme se ek ke andar MAHI aur dusre ke andar baaki sab samate chale gaye..
unke doors ke dusri taraf jaate hi WORLD DOORS band ho chuke the...
ye sab itna sudden hua ki unme se kisi ko kuch samajhne ka mouka bhi nahi mila tha..
khair,ek lambi saans chhod kuch sochne laga mai jisse dekh..
BHUVIKA-agar gustaakhi maaf ho toh kya mai puch sakti hun ki kis khayal me goom ho tum...???
MAI-yahi ki SWORD ne mujhe MAHI aur baaki sabko aage kahan jaana hai, kya karna hai,ye bata diya par mere baare me kuch nahi bataya..
aur tum kuch kaho,usse pehle mai ye bata dun ki aisa kyun hua,uska andaza hai mujhe..
ye kaam tum karne waali ho, right...???
BHUVIKA-dimag wakayi kamal ka hai tumne RAAZ but tumhari prediction me thoda sa correction karna padega..
tumhe aage kya karna hai,ye mai nahi bataungi,haan,ye zaroor bataungi ki tumhe raasta kaun dikhayega..
infact ye bolna zyada sahi rahega ki aage ke safar me jaane se pehle tumhe kuch sikhna hoga,samajhna hoga aur woh gyan tumhe kaun denge...
you are going to have a TEACHER RAAZ...
MAI-really...and who exactly that's gonna be...???
ANALIA-palat kar khud hi dekh lo..
ye bol ek baar phir ANALIA, BHUVIKA aur saare COURIOUS WAASI wapas apne ghutno par aa gaye the..
unhe aisa karte dekh aankhon ne sawal liye piche palta mai aur mere aisa karte hi mujhe naa sirf mere sawal ka jawab mil gaya balki man hi man kaafi shocked bhi ho gaya tha mai...
REASON.....
mere saamne tha woh shaksh jiska ohda kuch zyada hi BADA THA....
jo apni soch ko sach maan THE ALMIGHTY tak se LADHA THA....
chehra shaant par dhadkane tez ho gayi thi meri kyunki...
mere saamne aur koi nahi balki "THE CREATURE OF JUDGEMENT, ASMODEUS KHADA THA...
AAJ KE LIYE ITNA HI......
AAPKA APNA V....J....