• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) ( Completed )

drx prince

Active Member
1,564
1,547
143
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MABBA VIDEOUS KO PUNISH KARNE KI KOSHISH KARTI HAI JISME WO NAAKAMIYAB HOTI HAI WAHIN DUSRI TARAF RAAZ HIDA SE EK PARABLE KE THROUGH BAAT KARTA HAI...


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)




UPDATE-61




PLANET-ELYSIAN


PLACE-WEAKLING'S STAY







WAISE AAP TEENO KIS PLANET SE HAIN...???

BETA HUM WOOZY PLANET SE HAIN...



SLUNDER ke sawal par BRAWNY ke father SHALTON ne ye jawab diya tha...

shaam ka waqt hai...par jahan STELLARS catagory ke SAVENTS ke paas is PHASE ki duniya me karne ke liye bohot kuch hai, GROOMERS bhi is duniya ko limited way me hi sahi enjoy toh kar hi sakte hain,wahin WEAKLINGS ke paas institution se aane ke baad karne ke liye kuch hota nahi hai aur isiliye ACCHUTA aur SLUNDER BRAWNY ke quarter me chit chat karne ke liye pahunch gaye...

quater me aa ACCHUTA aur SLUNDER ke khudke intro ke baad BRAWNY ke dad SHALTON aur mom NAOMI ne bhi apna intro diya jiske baad SLUNDER ne unse unke PLANET ke baare me pucha jiska jawab SHALTON ne abhi abhi diya tha...

wahin SHALTON ki baat sun....


ACCHUTA-waise aap log wahan apne PLANET me kya karte the...???

NAOMI-beta hum wahan ke royal family se the...

SLUNDER-arre waah...aap log bhi royal family se belong karte hain..hum dono bhi apne apne PLANETS ke royal family se hain...

NAOMI-wakayi...!!!!....

ACCHUTA-haan aunty.. bhale hi ye shakal se prince dikhta nahi hai par unfortunately yahi iska kadwa sach hai..

SLUNDER-abbe,meri shakal ke baare me bolne se pehle kabhi toh self analysis kar liye kar....

ACCHUTA-haww...uncle aunty baithe hain aur phir bhi tune abbe bola..matlab gaali di...

dekha uncle,dekha aunty,bola naa bhale hi shakal lafango waali ho,baat karte waqt lofaron waali ulti nikalti ho,par fir bhi unfortunately ye ek prince hai...


ACCHUTA aur SLUNDER ki nok jhonk dekhkar najaane kitne waqt ke baad SHALTON, NAOMI aur BRAWNY ke chehre par muskaan aayi thi jisse dekh ACCHUTA aur SLUNDER bhi apni behes ko rok muskura uthe...

reason...

BRAWNY aur uske parents ke chehre par muskaan laane ke liye hi ACCHUTA aur SLUNDER ek dusre ka mazak uda rahe the aur ab jab aisa ho gaya tha toh...


SLUNDER-uncle,aunty....aap dono naa,yunhi muskurate raha kijiye....


SLUNDER ki baat sun apni wo vaastavikta jisse SLUNDER aur ACCHUTA ki behesbaazi ka maza uthate hue SHALTON aur NAOMI bhul se gaye the,wo unhe wapas yaad aa gaya jiske baad unke chehre ke muskaan wapas chali gayi jisse dekh...


SLUNDER-kya hua uncle,aunty...??aap dono firse udaas kyun ho gaye....kya maine kuch galat keh diya...????

ACHHUTA-galat sirf teri shakal hai,aur kuch nahi...uncle,aunty,hum sabhi filhal ek hi catagory me hain..

ek tarah se dekha jaaye toh hum abhi ek family hi hain...toh agar aapko thik lage toh aapki problem aap humse share kar sakte hain...

problem kam ho haa ho,par share karne se shayad aapka dard zaroor kuch kam ho jaayega....!!!


jahan ek taraf ACCHUTA ki baat sun BRAWNY aur uske PARENTS usse ek tak dekhne lage the wahin dusri taraf SLUNDER bhi hairani se ACCHUTA ko dekhe jaa raha tha...

usse vishwas nahi ho raha tha ki wo ACCHUTA jo hamesha har baat ko yunhi mazak me udaa deta hai,wo aaj itni gehri baat kar raha tha...

ACCHUTA ki baat sun wakayi SHALTON aur NAOMI ko wo aur SLUNDER family ki tarah hi lagne lage the...

iske do reasons the..

pehli ye ki filhal ACCHUTA aur SLUNDER dono hi unke bete ki tarah WEAKLINGS the jiska matlab tha ki yahan jo taklif wo mehsoos kar rahe the,waisa hi kuch ye dono bhi kar rahe the aur dusri ye thi ki SHALTON, NAOMI aur BRAWNY ke puri life me unke parwar me kabhi bhi kisine bhi bina apne matlab ke un teeno se hamdardi nahi rakhi thi...

aisa kyun??? aayiye un dono ki zubani hi jaan lijiye...

ACCHUTA ki baat sun SHALTON aur NAOMI ne pehle ek baar ek dusre ki taraf aur fir apne bacche ki taraf dekha jo band zuban aur khamosh aankhen liye un dono ko hi dekh raha tha aur fir....

SHALTON-beta kuch taklif zakhm ban itne purane ho jaate hai jinhe jitna khodo,wo utne gehre hote chale jaate hain....

SLUNDER-aapki taklif toh hum nahi jaante uncle par aapki baat ko sun us taklif ki gehrayi ko zaroor mehsoos kar rahe hain..

agar aapko lagta hai ki hume batane ke baad aapka gum kam naa hokar aur badh jaayega toh rehne dijiye...

hume batane ki koi zaroorat nahi hai...


SLUNDER ki baat par NAOMI ke chehre par ek fiki hasi aa gayi aur fir....


NAOMI-batayen yaa naa batayen,haalat toh same hi rahenge...

ab tak chup rehhna try kiya hai,aaj bata kar dekh lete hain....

darasal hum apne planet me bhale hi royalty the,par ye royalty sirf naam ki thi...

ACCHUTA-matlab...!!!

SHALTON-darasal humare planet WOOZY me ONE KING RULE nahi hai...wahan rule ek CHAIN karti hai..

CHAIN ka matlab hai a group of people...

is chain me kamsekam 3 logon ka hone zaroori hai...

har pidhi me jo us waqt ke current ruler hote hain,unke khandaan me kamsekam 3 waaris hone chahiye jo is CHAIN system ko carry forward kar saken..

agar aisa nahi hai toh fir current royalty ke family members ke kaabil bacchon ko next CHAIN me shaamil kiya jaata hai...

jab mai chota tha toh ek jaanleva bimari jo ki failti bhi thi,uske chalte mere mom dad ki death ho gayi thi...

us waqt mere dad ke saath unke dono bhai hamare PLANET ke rulers the...

waise toh dekhne waalon ko ye lagta tha ki teeno bhaiyon me bohot pyar hai,par andar hi andar mere dono uncles mere dad se nafrat karte the aur wo isiliye kyunki un teeno me mere dad sabse efficient the aur bhale hi PLANET ke har faisle teeno bhai milkar lete the par mere dad ke liye har faisle ko,unki raay ko hamari praja hamesha sabse zyada samman deti thi aur yahi wajah thi jiske kaaran mere dono uncles apne bhai aur mere PITAH se man hi man nafrat karte the...

aur kyunki mai bhi apne pitah par hi gaya tha jis kaaran hamari praja mere pitah ke baad mujhe hi apna shashak manane lagi thi,is wajah se unke man me mere liye krodh bhi prachand hi raha tha...

aise me jab mere MAATA PITAH ki akaal mrtiyu hui toh jaise mere uncles ki man ki murad puri ho gayi thi..

niyam ke mutabik mere dono uncles ne CHAIN ko pura karne ke liye apne ek relative ko jo ki unka chamcha jaisa tha,usse apne saath ruler niyukt kar diya...

aur fir hui mere bure dino ki shuruat...

mujhe apne hi mahal se nikal diya gaya....itna hi nahi,mera naam mere school se bhi katwa diya gaya tha...

par kyunki hamare PLANET ke log mere pitah ka bohot samman karte the, isiliye unhone mere liye apne beech ek chota sa ghar banwa diya jahan mai rehne laga...

par ye bhi mai kuch hi din tak kar paaya.... mere uncles ke aadesh par PALACE ke sainik har din mujhe mock kiya karte the,bewajah mujhpar haath utha diya karte the...

issi beech ek din mere uncles ne sainikon ko mujhe maarne ka aadesh de diya aur ek raat jab mai yunhi raaste par bhatak raha tha toh maine sainikon ko apne ghar ki taraf jaate hue dekha..

unke haav bhaav dekhkar mujhe andesha hua ki wi punah mujhe haani pahunchane ki mansha liye hi mere ghar jaa rahe hain..

maine unka picha kiya aur is dauran unki baat sun mera shak yakin me badal gaya...

unke mooh se ye sun ki mere uncles ne unhe mujhe marne ka aadesh diya hai,ab mera city me rehna khatre se khaali nahi re gaya tha aur isiliye maine turant city chhodne ka nirnay le liya...

mai apne city se bahar nadi ke kinare ek jhopda banakar rehne laga....

khaane aur aag jalane ke liye mai us nadi ke aage bane ek jungle jaaya karta tha..

ussi jungle ke beech ek kasba tha jahan meri mulakat BRAWNY ki maa NAOMI se hui aur isse dekhte hi mujhe isse pyar ho gaya...

humari mulakatein hoti rahi aur isse bhi mujhse pyar ho gaya tha...

parivaar ke naam par NAOMI ki bhi bas ek daadi hi thi jinhone apne aakhri waqt me NAOMI ka haath mere haath me de diya tha....

humne shaadi kar li...par ye baat najane kaise mere uncles ke kaano me pahunch gayi....

mere raaton raat city ko yun chhod dene ka kaaran wahan ke log mere uncles ko hi maan rahe the...

kuch groups ne PALACE aur wahan rehne logon ke khilaf aandolan bhi chhed diya tha...

aur aise me jab mere uncles ko pata chala ki meri shaadi ho gayi hai toh unhe ye dar satane laga ki kahin mere waaris ko hi saare log WOOZY ka naya ruler naa manane lage aur isiliye unhone turant apne sainik bheje taaki mera aur meri patni ka kissa hi khatm kar den..

par ek baar fir mujhe is baare me pata chal gaya aur mai NAOMI ke lekar bhaag nikla...

hum har kuch mahino me apna thikana badalte rahe....aur issi beech paida hua BRAWNY....

pata nahi kyun par BRAWNY paida hone ke baad se hi hamesha kaafi underconfident aur halka dara dara rehta tha..

bachpan me toh sabhi bache rote hain,par BRAWNY kuch zyada hi roya karta tha...

jab ye 3 saal ka hua toh maine jaise taise iske liye kuch books arrange kiya aur isse padhane laga...

par aashcharya mujhe tab hua jab isne utni choti umar me hi mere laaye sabhi books kuch dino me hi padh bhi liye aur puri tarah samajh bhi liye...

ye jab thoda bada hua toh chupchaap schools chale jaaya karta tha aur class ke window se hi jo bhi andar padhaya jaata tha,wo ye padh bhi leta tha aur ek baar me samajh bhi leta tha..

par itna honhar hone ke baawjud ye hamesha underconfident hi raha...aur fir aaya wo din jab hume is jagah CHOSENS ke baare me pata chala...

aur issi ke saath ye bhi pata chala ki kyun hamara baccha itna tez dimag waala hai..

aakhir wo ek SAVENT jo hai...

aur fir hum yahan aa gaye...yahan aakar aur pichle PHASE me us aalishan ABODE me rehkar hume laga ki ab humari saari pareshaani khatm ho jaayegi par aisa kuch khaas toh hua nahi...

is PHASE me hum wapas fir wahi andhere me aa gaye par dekha jaaye toh ye jagah fir bhi thik hi hai..

kamsekam yahan humari jaan ko toh koi khatra nahi....

bas itni si hi hai hamari kahani....


ACCHUTA aur SLUNDER jo bohot dhyan se SHALTON ko sun rahe the,unhe bhi in teeno ke liye bohot bura lag raha tha...


ACCHUTA-itni painful kahani hai aapki...par aakhri me jo positive baat kahi na aapne,hats off uncle..

ATTITUDE aisa hi hona chahiye..negetive se negetive situation me bhi kuch naa kuch positive nikalna...

NAOMI-hume yahan koi shikayat nahi hai..bas BRAWNY ke liye bura lagta hai...

kyunki,isse lagta hai ki iske under perform karne ki wajah se hume ye zindagi jeeni padh rahi hai jabki humne isse kayi baar bataya hai ki aisa kuch bhi nahi hai aur hume ispar naaz hai...


ACCHUTA-toh isiliye din bhar rondhu rehta hai tu...arre yaar,kya milta hai hai tention lekar...

haasil kuch hona nahi,bina matlab bas present kharab karna hai...

bhai,bhale hi tu underperform kar raha hai,ek WEAKLING hai par tu ye kaise bhul gaya ki tu ek SAVENT bhi hai...

SAVENT...matlab samajhta hai naa is word ka...GOD GIFTED hai tu...aur jo GOD ko nazar me ek GIFT ho,usse kis baat ki tention...

bindas reh,dekhna sab kuch thik ho jaayega....


ACCHUTA ki baat sun SHALTON aur NAOMI ke saath saath BRAWNY ke chehre par bhi ek smile aa gayi jisse dekh..


SLUNDER-ab ye hui naa baat..aise hi smile karte raha kar..isse problems ki jalti hai...

ACCHUTA-aur filhal hamare saath chal... PHASE ghoom kar aate hai..

BRAWNY-abhi!!!!

ACCHUTA-nahi..agle saal chalte hain...


ACCHUTA ke sarcasm ko samajh...


BRAWNY-par yaar wahan jaakar bhi kya faayda..??entry toh hume wahan ke kisi jagah par milegi nahi....

wahan toh sirf STELLARS ka hi roll hai...

ACCHUTA-arre mere bhai,jinka pet bhara ho,unhe khaane ki keemat aur swad,dono ka hi sahi andaza nahi hota,sirf bhooko ko hota hai..

STELLAR bhale hi PHASE ki har activity ko explore karne ke liye qualified hain par wo sab wahan ki har jagah ke andar jaakar bhi utna maza nahi utha paayenge jitna hum bahar se hi bas aankhon se sekh kar utha lenge..

isiliye bataon me waqt mat gawa aur chal...


BRAWNY-tum log chalo,mai fresh hokar aata hun...

SLUNDER-ye bhi sahi hai..chal hum bhi fresh ho jaate hain..

ACCHUTA-tu ho..meri handsomeness hamesha ek si hi rehti hai.....


apne baal ko sawarte hue ACCHUTA ne ye baat kahi jispar wahan baithe sabhi has diye...

BRAWNY ko jaldi fresh hone ko bol ACCHUTA aur SLUNDER unke quater se nikal apne quater ki taraf chale diye..

apne quater me ghuste hi,jahan ab andhere ne ghar kar liya tha par kal bole un dono ke SPELL ki wajah se wo us andhere me bhi saaf dekh sakte the,un dono ne dekha khatiye par baithe mujhe,aur meri nazar un dono par hi thi....

mujhe dekh wo dono meri taraf badhe hi the ki tabhi...

achanak unka sir ghoom gaya..

reason...unki aankhon ke aage ek drishyam nachne laga tha....

us drishyam ko dekh un dono ki hi haalat kharab ho gayi thi...

kyun...???aayiye,khud dekh lijiye...


DRISHYAM....:-


ACCHUTA aur SLUNDER dono meri taraf badhe hi the ki...


KHACHH.....KHACHH.....UMMMM.....UMMMMM.....


ek talwar tezi se unki taraf badhi aur agle hi pal un dono ke haath kat chuke the...

aur issi wajah se ek tez chikh nikalne ko hui un dono ke mooh se par isse pehle hi aisa ho paata,un dono ke mooh bhi sil gaye the jis wajah se unki cheekh unke gale ke andar hi reh gayi.....


DRISHYAM ENDS:-


DRISHYAM ko dekh un dono ki ghiggi si bandh gayi thi..halki halki thartharahat ke saath wo meri taraf dekh rahe the...

wahin mai bhi apni jagah se utha aur theek un dono ke saamne jaakar khada ho gaya...


MAI-zyada taklif kisme hoti hai...??jab haath kate hon ya fir jab haath katne se hone waale dard ke baawjud cheekha naa jaa sake..!!!

tum dono ko dikha DRISHYAM tumhara bhavishya bhi ho sakta hai...

maine kal kaha tha naa ki rone do BRAWNY ko fir bhi tum dono usse motivate karne,uska dard baatne chale gaye...

jab khudki zindagi udhaar ki ho toh dusro ko jeene ke falsafe nahi sikhaye jaate...

waqt hai,samajh jaao,kyunki mera samjhana tum dono ko pasand nahi aayega...


meri baat sunane ke baad bhi wo dono jadh hokar hi khade the...

jo DRISHYAM un dono ne dekha tha,wo itna real tha ki wo usse bahar hi nahi aa paaye the..

wahin apni baat keh mai unke baaju se hokar baahar jaane laga aur..


MAI-BRAWNY aa raha hai..jao, PHASE ghumna hai aajao ghumkar...

apni baat keh mai toh aage badh gaya par meri baat sun ACCHUTA aur SLUNDER ki hairani aur badh gayi..

ek pal pehle ek khatarnaak DRISHYAM ke through maine unhe BRAWNY se ek tarah se door rehne ko kaha tha aur ab mai khud unhe uske saath PHASE ghumne ke kiye keh raha tha..

ab aise me dimag toh ghumega hi....

khair, options toh the nahi becharon ke paas aur isiliye dono chupchaap mere piche ho liye...

SLUNDER jo fresh hone aaya tha,wo baat bhi jaise wo bhul hi gaya tha...

wahin mere quater se bahar niklate hi mujhe dikha BRAWNY aur jab uski nazar mujhpar padi toh...


BRAWNY-hi RAAZ....


aaj pehli baar tha jab BRAWNY ne mujhse baat ki thi aur wo isiliye kyunki yahan aane ke baad aaj pehli baar wo thoda khush tha..

wahin uske greet par maine naa toh kuch kaha aur naahi uski taraf dekha.bas aage badh gaya jisse usse halki hairani toh hui par fir wo mere quater ki taraf badh gaya jahan entrance par hi usse ACCHUTA aur SLUNDER mil gaye...


BRAWNY-chalen...!!!


BRAWNY ki baat par dono ne bas apna sir haan me hilaya aur uske saath aage badh gaye..


BRAWNY-yaar ek baat batao..ye RAAZ kuch weird nahi hai..abhi maine usse dekha toh greet kiya..

par usne kuch kaha bhi nahi aur toh aur mujhe ignore bhi kar diya...


BRAWNY ki baat sun ACCHUTA aur SLUNDER ki phat gayi..

BRAWNY meri burayi kar raha tha aur unhe maalum tha ki aisa karna uske saath saath un dono ke liye bhi musibat laa sakta tha aur isiliye..


ACCHUTA-usse kisi se zyada baat karna pasand nahi..


ACCHUTA ki baat par BRAWNY fir kuch bolne waala tha ki...


SLUNDER-arre jaldi chalo yaar.. waise bhi PHASE yahan se kaafi door hai..

baat ko palaththe hue SLUNDER ne ye baat kahi jispar wo teeno hi thoda tez chalte hue PHASE ki taraf nikal pade..

par kuch door aage badhne ke baad jab un teeno ko mai dikha toh....


ACCHUTA-ab jaldi jakar bhi kya karna hai..koi time limit toh hai nahi....aaram se hi chalte hain.


BRAWNY ko nahi pata tha ki mere ghusse se bachne aur mujhse jitna ho sake door rehne ki wajah se ACCHUTA ne ye baat kahi thi aur isiliye bina zyada soche un dono ke saath wo bhi slow ho gaya..





PLACE-CITY





WOWWW.YOU WERE RIGHT AL...THIS PLACE IS ACTUALLY MAGNIFICENT.....


ye shabd nikle the FLORIN ke mooh se...

reason...is waqt FLORIN, MARIA, ALFREEN, MAHI,MABEL, FELLAR aur GRACE ILLUSIONARY OCEANERIUM ke andar khade the aur yahan ke nazare ko dekh kar hi FLORIN ke mooh se ye shabd nikle the...

kal RAAZ se milne ke baad MARIA aur FLORIN ka aur kajin jaane ka man hi nahi kiya aur unke aisa kehne par sabhi ne agle din city explore karne ka plan kiya..

aur aaj sabse pehle ye sab yahan OCEANERIUM me hi pahunche the....

khair,

ILLUSIONARY OCEANERIUM....ek ajeebogarib par adhbhudh OCEANERIUM...

ajeeb isiliye kyunki OCEANERIUM ocean ke andar lipte hue banta hai par yahan aisa kuch tha nahi..ye OCEANERIUM OCEAN ke illusion ko paida karkar banaya gaya tha..

aur adhbhudh isiliye kyunki is OCEANERIUM me bramhaand ke har PLANET ke ocean me rehne waale durlabh jeev moujud the aur unhe hi dekhkar FLORIN aur baaki sab eccited ho gaye the..

itna hi nahi,glass ke us taraf jahan jeev dikh rahe the,wahan har wo jeev jisse dekhkar unke baare me janane ke liye man me jigyasa jage,agar unhe dekh kar point kiya jaaye toh us jeev ki puri detail,uski har khoobi live digital way me ussi jeev ke through dikhti thi aur ye wakayi ek thrilling experience tha...

yahi kaaran tha ki early evening se yahan aaye ye sab pichle 4 ghante se issi jagah par hi atak gaye the...


ALFREEN-guyzzz..ab chale yahan se...dusri jagah check out karte hain...

MARIA-aaj nahi beta..aaj toh yahin itna maza aa gaya..baaki kal karte hain...aur waise next hume shopping karni hai aur uske liye kaafi time chahiye..

ab agar wahan gaye toh hi kaafi late ho jaayega....

MARIA ki baat par FLORIN aur saath hi mr and mrs FELLAR ne bhi haami bhari jiske baad sabhi ne apne apne ABODE jaane ka faisla kiya aur OCEANERIUM se bahar aa gaye...


MARIA-agar RAAZ bhi saath hota toh kitna acha hota naa...!!

FLORIN-haan ye toh hai...par mujhe nahi lagta ki wo hamare saath kisi bhi jagah ke andar chalta....

MARIA-hmm.par mujhe usse dekhne ka man tha...kal pehli baar wo humse jis tarah mila,i wanted that to experience one more time..


ab tak sab OCEANERIUM se bahar aa chuke the...

MARIA ki baat par muskurate hue FLORIN ki nazar saamne ki taraf gayi toh....


FLORIN-lo,GOD ne sun li tumhari...dekho RAAZ aa raha hai...


MARIA ko laga ki FLORIN unse mazak kar rahe hain aur isiliye bina saamne dekhe...


MARIA-haha..very funny...aap mujhe bewakuf bana rahe hain...


GOOD EVENING UNCLE..GOOD EVENING AUNTY....


MARIA ke sawal par FLORIN kuch kehte,ki usse pehle hi un dono ke kaano me ye awaaz padi jisse sun MARIA chownkte hue saamne ki taraf ghumi aur unke aisa karte hi unhone dekha ki mai wakayi unke saamne hun...

mujhe dekh khush ho MARIA aage badhi aur mujhe hug kiya..

aur unke baad FLORIN ne bhi mujhe hug kiya....

wahin hum sab se thodi door halke andhere me jahan par kisiki nazar turant nahi padegi,khada tha VIDEOUS...

aur jab usne MARIA aur FLORIN ko mujhe hug karte hue dekha toh uske mooh se bas itna hi nikla...


VIDEOUS-interesting......



khair,MAHI, ALFREEN,MABEL aur uske parents jo kuch door khade hokar baatein kar rahe the,unhone bhi meri awaaz suni thi aur mujhe saamne dekh wo bhi meri taraf badh gaye...


FELLAR-young man..kal humse toh tumhari mulakat ho hi nahi paayi....

hello,i am FELLAR...

GRACE-and i am GRACE....


mr FELLAR ne apna intro dekar apna haath aage badhaya jisse maine pakad liya tha....

aur aisa hone par..


FELLAR-wooo..you are damn strong my boy..i can feel the strongness of your hands...yakin nahi hota ki tumhari jaisi handsome aur strong personality bhi WEAKLINGS me ho sakti hai...

MAI-uncle,taakatwar bande aksar buddhiman aur hoshiyar logon ke body guards hote hain...

ek tarah se wo bhi WEAKLINGS bhi hue naa...takat toh hai sharir me,par zindagi kisi aur ke sahare chal rahi hai...


mere tark par MARIA, FLORIN, FELLAR aur GRACE thode stunned hue par ALFREEN aur MAHI toh kuch zyada hi stunned ho gaye the..

mere tark un dono ne hi pehle bhi sune hue the,infact jhele hue the par abhi jo maine kaha tha wo ek deep intellectual baat thi, jisse wo dono kaafi impress ho gaye the...


FELLAR-that was really good my boy..aur tumhari is baat ne ye bhi saabit kar diya ki tum sirf strong hi nahi,balki kaafi intelligent bhi ho...

waise hum MABEL ke parents hain...


MABEL-aur MABEL mai hun...pichle PHASE me saath hi padhe the hum par baat kabhi nahi ho paayi thi.. isiliye hi...


muskurati hui MABEL mere paas aayi aur apna haath aage badhaya jisse maine jaise hi thaama,mujhe hua kuch feel jisse mehsoos kar mere chehre par aa gayi ek muskaan..

kyun,ab ye bhi mere naam ki hi tarah hai...RAAZ.....

khair,chehre par muskaan liye mai jhukta chala gaya aur agle hi pal mere honthon ne MABEL ke haathon ko chhu liye,i mean chum liye jisse dekh alag alag reactions aaye...

jahan MABEL halki blush karne lag gayi thi wahin ek normal greeting gesture soch FELLAR aur unki wife normal hi khade rahe...

FLORIN aur MARIA,mujhe aisa kuch karte dekh halke shocked ho gaye the par sabse bada shock laga tha ALFREEN aur MAHI ko jo aankhen faade mujhe hi dekh rahe the...

waise, shock aur uske saath ek aur feeling wahan thode door khade ek bande ke man bhi aayi thi,par wo kaun hai aur wo feeling kya hai,iska khulasa kal hoga....

khair,thodi der chaaron budhaun logon se kuch aur baat karne ke baad...


MAI-okay then..i will take ur leave now... already kaafi late ho chuka hai...mujhe chalna chahiye...

FLORIN-chalo,hum chhod dete hai tumhe..

MAI-nahi wo mere kuch friends bhi yahi aas paas hi hain..mai unke saath chala jaaunga...

FLORIN-are you sure...???

MAI-always uncle....


mere jawab ko sun has diye wo chaaron aur fir wo sab apne apne CHARIOT me baith nikal gaye...

wahin chehre par halki muskaan liye....


MAI-


kise pata tha,mere honthon ki hadh
tere haathon par FISLEGI...

mere ilm ko bhi khabar naa thi,ki tu
mere kaam ki NIKLEGI.....









AAJ KE LIYE ITNA HI......








AAPKA APNA V...J.....
Very nice update bhai
 

drx prince

Active Member
1,564
1,547
143
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SHALTON AUR NAOMI ACCHUTA AUR SLUNDER KO APNE BAARE ME BATATE HAIN WAHIN DUSRI TARAF RAAZ MABEL KE HAATHON KO CHUMTA HAI JISSE DEKH SABHI SHOCKED HO JAATE HAIN.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-62



PLANET-ELYSIAN


PLACE-CHOSENS



STELLAR'S CLASS:-





EXPANSION AUR ELABORATION US TREE KI TARAH HAIN JINME BOHOT SE BRANCHES HOTE HAI AUR SAATH HI EK ROOT BHI..

IN DONO HI CLASSES KO DEFINE KARNE KE LIYE KAL MAINE AAPKO YE EXAMPLE DIYA THA...YAAD TOH HOGA HI AAP SABKO...!!!!

SAB-YES WHIZZ....


aaj ki class shuru karte hue WHIZZ MABBA ne ye baat kahi jispar pehle toh sabhi SAVENTS ne haami bhari par fir..


MABEL-par WHIZZ,us example ka matlab hume samajh nahi aaya tha...

MABBA-jaanti hun...aur aaj ka hamara topic bhi wahi example hi hai...

kal class me PAIN spell ka ek demonstration hua tha jisme MAHI, ALFREEN, MABEL, VALDIS aur VIDEOUS ne part liya tha...

MAHI, ALFREEN, MABEL, VALDIS..aap chaaron ye bataiye ki SPELL bolte waqt aap sab kya soch rahe the...???


MABBA ki baat par pehle toh un chaaron ne ek dusre ko dekha par fir...



MAHI-kuch nahi.. humne toh bas dimag ko sthir rakh spell bola tha....

MABBA-ofcourse tum chaaron ne yahi kiya tha par tum sabko karna kuch aur tha....

aur wo kuch hai EMOTIONS.....aur ye EMOTIONS hi hain jo ki aapke ped numa dono classes ki root hain....

REGIS-exactly...kyunki ab aap sabke SOUL kuch naa kuch percentage ke saath AMPLIFIED hain, isiliye aapke bole har spell me aapki SOUL power involved hoti hai aur aise me us power ko enhance karne ke liye aapko zaroorat hoti hai apne emotions ko trigger karne ki...

SAPIUS-magic me emotions paanch tarah ke hote hai..

HAPPY,SAD,ANGRY,LOVE & HATE....

hum in paanchon ko THE REFINERS kehte hain aur wo isiliye kyunki ye paanchon emotions aapke spells ki shakti ko nourish karkar badha dete hain...

aur yahi paanchon REFINERS hain aapke dono classes waale ped ke wo BRANCHES aur inka root hai EMOTIONS jo ki in paanchon ko maayne deta hain...

itna hi nahi,in paanchon REFINERS ko aap jitna master karenge, utna aap sab ki body SPELLS ki power ko jhelne ke laayak bhi ho jaayegi..

got it....!!!!

SAB-yes WHIZZDER...

MABBA-good..aur ab hoga ek aur demonstration...


MABBA ki baat sun sabhi SAVENTS ek dusre ko dekhne lage the..

reason..kal ke demonstration se un chaaron SAVENTS ka kya haal hua tha,ye sabne dekha hua tha aur isiliye sabhi halke nervous dikhne lage the jisse teeno WHIZZ aur WHIZZDERS samajh rahe the aur isiliye...

SAPIUS-relax...aaj ka demonstration aap sabke upar nahi hoga..waise bhi aapko bataya gaya hi hai ki REFINERS ko apne hisaab se master karne ke baad hi aap spells ko jhel paayenge aur filhal aisa hua nahi hai...


yahan SAPIUS ki baat khatm hui aur wahan unke baaju me khadi MABBA ke haath me ek yantra,ek device chamak utha jisse sabhi SAVENTS dhyan se dekh rahe the..

wo device transparent tha aur halka lamba tha,usme teen lambe pipes lage hue the jaise bandookh me lage hote hain...


MABBA-is device ko SPELLAR kehte hain..

ye device SPELLS ki taakat ko measure karne ke kaam aata hai...

ye jo teen pipes isme lage hue hain,ye hai is device ke measuring scale...

is device par jab bhi koi spell bola jaata hai,us spell ka power un pipes ke through pata chalta hai...

is SPELLAR par spell bolte hi iske teeno pipes me teen alag alag rang ke liqiud bharte hain....

YELLOW,ORANGE AND RED....

YELLOW liqiud ka matlab hai ki SPELL ka asar KAMZOR tha,ORANGE liquid ka matlab hai spell ka asar AVERAGE tha aur red liquid ka matlab hai POWERFUL...

REGIS-waise ek aur colour ka liquid bhi hai jo SPELLAR spell ke power ke hisaab se create kar sakta hai aur wo colour hai GREY....

is colour ke liquid ke aane ka matlab hai INVINCIBLE STRENGTH...

SPELL ka aisa power jisse defend nahi kiya jaa sakta...

par CHOSENS ke 25 thousands year ke itihaas me aisa kabhi nahi hua ki koi SAVENT SPELLAR ke TUBES ko GREY liqiud se bhar paaya ho....


jahan REGIS ki baat sun baaki sabhi SAVENTS bohot excitement se us SPELLAR ko dekh rahe the wahin in sabse alag VIDEOUS ke mooh se wahi baat nikli jo kal raat RAAZ ko MARIA aur FLORIN ke gale lagte hue dekh nikli thi...


VIDEOUS man me-interesting.... very interesting... wo shakti jo sirf mere aur RAAZ ke andar hai,uske asar ko bhi option banakar introduce karwaya hai FATHERS ne....!!!

KYUN??????


yahan VIDEOUS apne khayalon me khoya tha aur wahan MABBA ne saamne ek khaali table ke upar rakh diya tha SPELLAR ko aur fir...


MABBA-and now, demonstration time..

ab pehle SAPIUS aapke saamne kal aap logon ke dwara yaad kiye uccharit paanchon pain spells me se pehla aur sabse low level pain spell ASRAVA bolenge aur wo bhi ussi tarah jaise kal SAVENTS ne kaha tha..

wthout the use of RIFINERS...


MABBA ki baat puri hote hi SAPIUS ne apna haath aage kiya aur...

SAPIUS-ASRAVA....


SAPIUS ke SPELL uccharit karte hi unke haath se ek light beam nikal SPELLAR se jaa taktayi aur aisa hone ke alge hi pal SPELLAR yellow liquid se bharne laga tha...

MABBA-dekha aapne...kyunki SAPIUS ne bina REFINERS ki madad ke spell bola toh kya result hua...???

REGIS, tumhari baari...


MABBA ki baat par apne sir ko halki jumbish dete hue REGIS ne apna right haath aage kiya aur...

HAPPY REFINER ke tahat ASRAVA SPELL uccharit kiya par aisa karte waqt unhone apne REFINER par sirf aadha hi dhyan lagaya tha aur isiliye inke hathon se nikli beam jab SPELLAR se takrayi toh uske agle hi pal SPELLAR ke andar orange colour ka liquid bharne laga tha jisse dekh...


MABBA-liquid ke colour me fark isiliye aaya hai kyunki REGIS ne SPELL REFINER ke saath bola hai..

aur aisa karne se aaya fark toh aap dekh hi rahe hain....ek low level SPELL ke asar ko bhi REFINERS badha dete hain...

ek baat aur, REGIS ne SPELL bhale hi REFINER ke through bole hain par SPELL bolte waqt us REFINER ka asar REGIS par aadha hi tha aur isiliye hi SPELL ka power bhi aadha hi hua...

agar REGIS ne REFINER ko khudpar haawi kar SPELL bola hota tha ye hota...


apni baat keh MABBA ne apna haath aage kar wahi ASRAVA SPELL ko uccharit kiya jiske baad jab uske haath se nikla beam SPELLAR se takraya tha uske turant baad SPELLAR ke teeno tubes red liquid se bhar gaye...


MABBA-dekha, REFINER ko khudpar haawi kar SPELL bolne se result kitna alag nikalta hai...

toh sab samajh me aa gaya hai yaa fir any questions..!!!!

SAB-no WHIZZ...we understood everything...

MABBA-good...and now task time....


SAMPURN AANANDITAM

SAMPURN ANTARDUKHAM

SAMPURN KRODHAM

SAMPURN SNEHAM

SAMPURN DVESHAM

HAPPY,SAD, ANGRY,LOVE,HATE...bataye gaye paanchon spells wo tarika hai jisse aap apne paanchon REFINERS ko activate kar sakte hain...

aur aisa karne ke liye aapko apne attach mode ke tahat apne SOUL AMPLIFICATION ki kriya ko dohrana hoga....

apne apne CEREBRATION process ko pause kar apne SOUL me jhaankte hue aapko ek ek kar in paanchon spells ko man hi man uccharit karna hai...

ek roshni jo aapke antarman me chamkegi,usse aapko pata chal jaayega ki SOUL ne REFINER ko apna liya hai...

ab se lekar us din tak jab tak aap aisa nahi kar lete,apne paanchon REFINERS par kaabu nahi paa lete,aap sab bas yahi karenge...

REGIS-par dhyan rahe,ye asaan nahi hoga..aur kyun,ye aap sabko is kriya ke dauran pata chal hi jaayega....

toh shuru karen...!!!

sabse pehle SAMPURN AANANDITAM se shuru kijiye....


REGIS ke kehte hi sabhi SAVENTS apni apni jagah se khade hue aur aage badhkar niche zameen par baith gaye aur aisa karte hi sabki aankhen band ho chuki thi aur saath hi pause ho chuka tha sabka CEREBRATION....




WEAKLINGS CATAGORY:-




PRATIBANDHANA.....



ek taraf jahan is SPELL ko uccharit kar ACCHUTA aur SLUNDER dono hi apne SOUL ko AMPLIFY karne me lag gaye the wahin BRAWNY ki bhi aankhen band thi aur wo bhi apne SOUL ko trigger karne koshish me lag gaya tha...

wahin in sabke beech aankhen meri bhi band thi par mai wahi kar raha tha jo kal kar raha tha...

apne SWORD me chuppi apni shakti ko apne body me shrug karne ka kaam.....

aur is kaam se nikalne waale AURA ko ek baar firse WHIZZ HIDA thoda thoda mehsoos kar rahi thi...

meri hi taraf apni nazarein tiki hui thi unki aur unke man me chal rahe the ye vichar.....


HIDA man me-aakhir kaun hai ye ladka...???kuch toh hai iske baare me jo normal nahi hai...

aur kal jo isne bola,MUJHE MAAF KARDO,ye isne yunhi bola tha yaa isse sab kuch pata hai.....

ye aakhri baat sochte waqt HIDA wapas unhi yaadon me kho gayi jahan se uske tootne ki shuruat hui thi aur jiski sabse badi zimmedar thi MABBA....


MABBA jab PHASE 2 me as a SAVENT aayi,tabse hi wo ek bohot badi bully rahi thi...

ek aisi ladki jisse kisike emotions se koi matlab nahi raha... HIDA tab bhi WEAKLINGS ki WHIZZ thi...

SAVENTS ke through uski khinchayi toh shuru se hi hoti aayi thi par wo khinchayi hamesha ek limit par hi rahi par wo MABBA thi,jisne is hadh ko toda tha....

MABBA alag alag tarikon se HIDA ki leg pulling karti thi jisse HIDA kaafi pareshan rehti thi aur yunhi ek din ek SAVENT se jo HIDA se thik se pesh aata tha,usne MABBA ki harkaton ke baare me discuss kiya...

par HIDA nahi janti thi ki jis SAVENT se usne MABBA ke baare me baat ki thi,wo MABBA ka chahne waala tha aur jisne namak mirch lagakar MABBA ko HIDA ki chugli kar di aur jab aisa hua toh...

kyunki HIDA bhale hi WEAKLING ki sahi,par ek WHIZZ thi isiliye usse bhi GROOMERS ki hi tarah ek apartment allot hua tha but unlike GROOMERS,usse WEAKLINGS ki hi tarah manually saara kaam karna padta tha...

ek din jab HIDA normal time se kuch late INSTITUTION se apne flat ki taraf nikli toh raaste me usse MABBA aur uske kuch PHASEMATES ne daboch liya aur uske mooh ko daba usse institution se bahar le gaye...

aur fir shuru hua HIDA ka physical aur mental harassment ka daur...

MABBA aur uske doston ne HIDA ke saare kapde faad diye..usse pura nude kar diya...

aur uske chehre aur body par apne haath aur laath ki baarish kar di...

MABBA ne HIDA ke baalon ko tedha medha kaat diya aur saath hi uske chehre par thook bhi diya...

par harassment ki limit tab touch hui jab MABBA ke kehne par uske male friends ne HIDA ke upar mooth diya...

aur in sabke beech HIDA ke mooh se bas ek hi baat nikalti rahi,MUJHE MAAF KARDO....

but finally HIDA ki haalat par haste hue wo sab wahan se chale gaye....

kaafi der tak HIDA yunhi wahi padi apni haalat aur kismat par aansu bahati rahi par fir wo dheere se uthi aur uske wo kapde jo fate hue idhar udhar pade the,unse jaise taise khudko dhak apne flat ki taraf chal padi....

par next day jab wo institution pahunchi tab usse laga ek jhatka aur wo ye ki MABBA aur uske friends ne kal ki saari ghatna PHASE me faila di thi jisse sun HIDA aur zyada toot gayi...

usne suicide karne ki bhi sochi par uske liye bhi kaafi himmat chahiye jo HIDA me thi nahi...

MABBA ne jo HIDA ke saath kiya tha, uske baad toh jaise har negetive minded SAVENT ke liye apne frustration ko nikalne aur apne timepass ka zariye ban gayi thi HIDA...

jahan har session me SAVENTS uski insult karne ke records banate gaye wahin HIDA ke mooh se jaise bas takiyakalam nikalta raha,MUJHE MAAF KARDO....

kal bhi RAAZ ki baat aur uske aakhri me kahe phrase ko sun purane zakhm hare ho gaye the HIDA ke aur aaj bhi yahi hua tha...

yahi sab sochte hue chehre par gehre dard ke bhaav liye HIDA ki nazar jab mujhpar padi toh unke chehre ke bhaav turant badle...

jahan ab tak dukh tha,taklif thi ab us chehre par dikh rahi thi hairani...

reason...

jahan BRAWNY ek baar firse fail hokar apna sur jhukaye baitha hua tha, ACCHUTA aur SLUNDER abhi bhi AMPLIFICATION process me lage hue the,wahin in sabse alag meri aankhen khul chuki thi aur chehre par halki muskaan liye mai HIDA ko hi dekh raha tha...

waise toh HIDA hamesha hi ghabrayi hui si rehti thi par meri muskaan dekh unki ghabrahat dar me badal jaati thi par abhi mujhe muskurata dekh unhe aisa laga jaise maine unke bhaav aur unki soch ko padh liya tha...

waise ye baat bhi sach hi thi...

khair,kuch pal mujhe dekhte rehne ke baad wo mujhse kuch bolne ko hui par tabhi....

hamare aas paas ka pura area roshni se naha gaya jiska matlab tha ki ACCHUTA aur SLUNDER ne apne SOUL ka first percent AMPLIFICATION pura kar liya tha....

jahan is baat ki realization se ek taraf BRAWNY bhi un dono ke achievement se khush tha par saath hi khud ke under performance se dukhi bhi wahin dusri taraf HIDA ACCHUTA aur SLUNDER ke do dino me do achievements ko dekhkar bohot hairan bhi thi aur khush bhi...

roshni khatm hone ke baad jab ACCHUTA aur SLUNDER ki aankhen khuli toh HIDA ne unhe unki achievement ki badhayi di jisse sun wo dono khush ho gaye...

class ka waqt khatm ho chala tha aur isiliye HIDA ne class off karne ki baat kahi jiske baat hum chaaron hall se bahar jaane ko hue par tabhi...


HIDA-ek minute RAAZ...tum rooko,mujhe kuch baat karni hai tumse....


HIDA ki baat sun mai wapas palta aur theek unke saamne jaakar khada ho gaya...

mere aisa karte hi ek baar firse unki haalat kharab ho gayi thi par baat toh unhe karni hi thi isiliye....


HIDA-kal tumne kuch kaha tha RAAZ...???kya matlab tha uska...???

MAI-sawal jitna specific hota hai,jawab bhi utna hi accurate milta hai... isiliye exactly jo puchna hai,wo puchiye...

HIDA-kya jaante ho mere baare me...???

MAI-utna jitna tum khud apne baare me nahi jaanti...EAL PLANET se ho tum...tumhare mom dad aur eklouti behen tumhare bachpan me hi ek accident me mar gaye the...

jis bullyness se tum darti ho,kabhi bachpan me tum khud bhi wahi hua karti thi..apne jaanane waalon ko tum bully karti thi but ek healthy way me...

par tumhare mom dad aur sister ko death ka tumhari soch par, ATTITUDE par gehra asar pada...

us din ke baad tumhare andar ek ajeeb se dar ne ghar karna shuru kar diya jisne tumhe underconfident bana diya...

par kyunki tum ek SAVENT thi, isiliye underconfident hone ke baawjud apne aas paas ke har bande se aage thi...

par fir wo din aaya jab tumhe har SAVENT ki tarah CHOSENS aana pada..

aur yahan aakar, apne takkar ki competition ko dekhkar tumhari halat aur kharab ho gayi....

tumhare dar ne dheere dheere tumhe itna neeche dhakel diya ki tum kabhi theek se aage badh hi nahi paayi....

aur yahi wajah hai ki CHOSENS me 3 PHASES as a SAVENT nikalne ke baad aur uske baad itne saalon tak ek WHIZZ ki post me rehne ke baad bhi tumhara soul AMPLIFICATION bas 2 percent hi touch hua hai...



jahan meri baaton ko aankhen aur mooh dono faade sun rahi thi HIDA wahin meri aakhri baat jisme uski achievement ka zikr tha,usse sun sharm se sir jhuk gaya HIDA ka par fir...


MAI-jo MABBA ne tumhare saath kiya,wo tum deserve karti thi HIDA....


meri baat sun jhat se sir upar ho gaya HIDA ka...usse yakin nahi ho raha tha ki mai aisa kuch kahunga...

wahin apni baat ko aage badhate hue...


MAUI-achayi,burayi,paap punya....ye sab sirf shabd hain HIDA...

sacchayi sirf ek shabd me nihit hai aur wo shabd hai SHAKTI....

aur CHOSENS me yaa fir bramhaand ke kisi bhi planet me kamzoron ke liye koi jagah nahi...

zindagi bhar apni chunoutiyan ka saamna karna chhod unse chhupti aur bachti aayi ho tum....

bajaye ladhne ke tum bas GOD se pray karti rahi is ummid se ki ek din wo sab thik kar dega...


BULLSHIT....agar mera lakshya kuch aur nahi hota toh mai is bramhaand ko tum jaise kaayaron ke rakht se nehla deta....


ek WEAKLING tha mai aur HIDA meri WHIZZ...par jo baat abhi abhi maine kahi thi aur jis tarah se kahi thi usse sun HIDA ki rooh tak kaamp gayi thi...

mere sharir se nikalte mere AURA aur uski shakti ko mehsoos kar paa rahi thi HIDA jisse wo itna toh samajh hi gayi thi ki unke saamne khada banda wo bilkul bhi nahi hai,jo wo khudko dikha raha hai aur isiliye....


HIDA-KAUN HO TUM!!!????

MAI-fir galat sawal...???sawal ye nahi hai ki mai kaun hun....asli sawal hai ki kya tum jaanti ho ki tum kaun ho aur kya chhupa hai tumhare andar....???

HIDA-mai samjhi nahi....

MAI-samajhna toh tumhe hi padega HIDA.....jitna jaldi samjhogi,utne hi faayde me rahogi..


jahan apni baat keh mai wapas muda aur aage badh gaya wahin meri baat sun HIDA mujhe piche se jaata dekhte hue gehri soch me padh gayi thi aur isiliye mai rooka,apne chehre ko halka left tilt kiya aur....


MAI-BAAT NAZARIYE KI HAI BAS:-



dhyan tera hamesha us churre par raha,
jo sabne tujhe GHOMPA hai....


bhul gayi tu us CHOT ko,
jiske liye mila tujhe KUDRAT se ek TOHFA HAI.....

jhaank apne zindagi me,
ki tu kuch aisa JAAN JAAYEGI...

apni kamzori hi dikhi hai tujhe,
tatol khudko,apni shakti bhi tu
PECHAAN JAAYEGI....










AAJ KE LIYE ITNA HI......










AAPKA APNA V...J.....
Very nice update bhai
 

drx prince

Active Member
1,564
1,547
143
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MABBA,REGIS AUR SAPIUS STELLARS KO SPELLS KE USE KE BAARE ME BATATE HAIN WAHIN DUSRI TARAF RAAZ HIDA KO KHUDKI KAABILIYAT PEHCHANANE KE LIYE KEHTA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-63




PLANET-ELYSIAN


PLACE-CHOSENS



STELLAR'S CLASS:-





AAP SABKE LIYE EK GOOD NEWS HAI GUYZ....

class me ghuste hi bohot excitement se bhar REGIS ne ye baat kahi thi apne SAVENTS se jisse sun sabhi SAVENTS ke chehre par bhi excitement dikhne lagi thi....

wahin apni baat ko aage badhate hue....


REGIS-is saal se PHASE 2 ki practicals me ek addition hua hai...

jaisa ki aap sabko pata hai ki FORBIDDEN FOREST ke aage lagi shield hat chuki hai aur ab us forest me ghussa jaa sakta hai...

us forest ke upar ek book bhi likhi gayi hai jisme wahan moujud bohot si adhbhudh chizon ke baare me bataya bhi gaya hai..


i hope aap sabhi first PHASE me us book ko padh chuke hoge...

SAB-yes WHIZZDER....

MAHI-WHIZZDER, us book me ek jagah ye likha hai ki forest me north
ki taraf ek jharna hai jisme behta paani magical hai...

us paani ko use me laakar khudko spirit form me laaya jaa sakta hai aur saath hi uda bhi jaa sakta hai...

REGIS-haan,ye sach hai...

ALFREEN-aur WHIZZDER,maine us book me ye bhi padha tha ki wahan FOREST me TUITUS naam ke kaafi saare ped hain jinke leaf alag alag aur aise illusions create kar sakte hain jinhe catch karna next to impossible hota hai....

SAPIUS-haan..aur saath hi bohot kuch hai wahan aap sabke liye infact humare liye bhi aur yahi hai GOOD NEWS....

is month ke last 2 din aur 2 raat aap sab ussi forest me guzarenge jahan hongi kuch ACTIVITIES jinse aap sabko apne MAGICAL capabilities ko badhane me madad milegi...

aur saath wahan milne waali kuch magical chizen bhi aap as rewards haasil kar paayege jinse aapko apni acadamic aur personal dono hi life me bohot madad milegi..

REGIS aur SAPIUS ki baat sunkar wakayi bohot khush ho gaye the SAVENTS...

wahin is naye announcement ke baad...


MABBA-alright than...class shuru karte hain...jaisa ki kal bataya gaya tha,filhal aap sabka task ek hi hai...

ACTIVATE YOUR REFINERS....

toh shuru karen...!!!

SAB-yes WHIZZ...

MABBA-yaad rahe,har REFINER ko use me laane ki prakriya ke waqt alag alag problems aayengi jinhe jhelte hue aapko REFINER ko apne SOUL ke saath merge karna hai...

isiliye khudko har tarah ki bhaavna se guzarne ke liye taiyar rakhiyega....


MABBA ki baat ka matlab SAVENTS samajh nahi paaye..

unhe laga ki MABBA unhe prakriya me hone waale pain par warn kar rahi hai aur pain toh woh sab soul ko AMPLIFY karne ke dauran jhelte hi the isiliye unhone zyada gaur nahi kiya par wo nahi jaante the ki REFINERS se hone waali problems kitni alag hoti hai...

wahin apni baat ko aage badhate hue...


MABBA-sabse pehle aap sab SAMPURN AANANDITAM joki REFINER OF HAPPINESS hai,usse shuru kijiye.....


MABBA ke bolne ke baad sabhi SAVENTS turant paalthi maar kar baithe gaye,agle hi second un sabka CEREBRATION process band ho gaya jiske baad un sabne apne brain,body aur blood ko apne apne SOUL ke saath jod liya aur aisa hone par....


SAMPURN AANANDITAM.....


man hi man sabhi be is SPELL ko uccharit kiya jiske baad....


HAHAHA....HAHAHA.....
HAHAHA.......HAHAHAHA.......


ek saath puri class SAVENTS ke thahakon se gunj uthi....

aur ye hasi ek second,dus second yaa fir ek minute nahi balki continous thi...

apne apne mooh ko faade sabhi SAVENTS itni zoron se has rahe the ki us hasi ki awaaz har taraf gunj si uthi thi....

aur jab hasi ki adhikta se un sabka body hadh se zyada shake karne lag gaya toh toot gaya un sabka CEREBRATION aur khul gayi sabki aankhen....

aakh khulte hi jahan sabhi SAVENTS lagatar hasne ki wajah se apne pet ko pakde hue the wahin ussi hasi ki wajah se un sabki aankhon me aansu aa gaye the...

khudko control kar jab sabhi SAVENTS ki nazar saamne gayi toh unhone apne teeno WHIZZ aur WHIZZDERS ko muskurate hue paaya...


MABBA-maine kaha tha naa....khudko har tarah ke bhaavna se ladhne ke liye taiyar rakhna...

MAHI-but WHIZZ...ye sab tha kya..??man me SPELL bolte hi aisa laga maano kisine pure sharir ko andar se gudguda diya ho aur uska asar soul power par bhi padh raha tha...

ALFREEN-haan WHIZZ,mujhe toh aisa lag raha tha ki mai haste haste hi mar jaaungi....

MABEL-mujhe bhi same feeling aayi thi..aisa lag raha tha jaise hasne ka shraap mila ho mujhe...

MABBA-NITROUS OXIDE jiska ek nick name LAUGHING GAS bhi hai,kya hota hai usse...????

MAHI-dimag slow ho jaata hai usse aur response body karta hai... kyunki khudka khudpar control loose ho jaata hai isiliye senses relax ho jaate hain thus resulting accessive laughing but that depends on the enhalation...

MABBA-isse milta julta hi asar hota hai REFINERS ko use me laate waqt...

aur kyunki iska use SOUL ke tahat hota hai,isiliye brain ki jagah ye SOUL par asar karta hai aur SOUL aapke BRAIN, BODY aur BLOOD teeno ko hi iske hawale kar deta hai and that results expression...

wahi expression jo us REFINER ka emotion hota hai..jaise AANANDITAM REFINER ka emotion hai HAPPY isiliye aap sab has rahe the...

REGIS-and the irony is ki REFINERS ke emotion ko master karne ke liye aapko pehle ussi emotion ko harana hota hai...

AANANDITAM REFINER me master karne ke liye aap sabko hone wali hasi ke beech khudke CEREBRATION process ko paused rakhe hue apne SOUL ray par concentrate karna hai....

jitne zyada der tak aap aisa kar paayenge,utna zyada aapka SOUL REFINER ko accept karega...

SAPIUS-waise target setting ke liye bata dun ki 2 minute lagatar paused CEREBRATION REFINER accessibility se hi aap sab orange matlab average power aur 5 minute ke concentration se red matlab complete power haasil kar lenge....


SAPIUS ki baat sun SAVENTS ki haalat aur kharab ho gayi...

reason...

abhi abhi jo un sab ne REFINER ko soul se merge karne ki apni pehli koshish ki thi,wo max 20 seconds hi chali thi toh aise me 2 minute ke unke pehle target tak pahunchne ke khayal se hi un sabki haalat kharab hone lagi thi...

khair,class ko aage badhate hue....


MABBA-mujhe pata hai ki abhi jo aap sabne experience kiya hai,uska impact thoda zyada hai par mat bhuliye ki aap sab SAVENTS hain aur woh bhi STELLARS...

whats the point of being a STELLAR SAVENT if your challenge is not tough...

SAPIUS-aur kehte hain naa,WHEN THE CHALLENGE GETS TOUGH,THE TOUGH GETS GOING....

so issi ATTITUDE ke saath dobara try kijiye..

halke dar aur nervousness ke beech sabhi SAVENTS ne ek baar firse apni aankhen band kar li aur pause kar liya apna apna cerebration...

wahin GROOMERS ki class me bhi same process chal raha tha aur WEAKLINGS ko bhi unke usual task hi karne the aaj...

aur in sabke beech the hamare dono VILLAINS....

wahan WEAKLINGS ke beech baitha RAAZ apni shaktiyon ke kuch kano ko khudke sharir par mal raha tha aur yahan STELLARS ke beech baitha tha VIDEOUS jiski aankhen bhi band hi thi par kar wo kuch aur hi raha tha...

kal REGIS ne jo invincible power ke beholder ki baat ki thi,ussi baat ki gehrayi me pahunchna chahta tha VIDEOUS...

wo shakti jisse dharan karna kisi SAVENT ke bas ki baat nahi,wo bhi ek option rakha gaya tha aur ye koi choti baat nahi thi aur isiliye...

is waqt uske sharir se nikal rahe the invisible rays jo ki asal me detect rays the...

wo detect rays uske sharir se nikal CHOSENS ke har SAVENT ko touch kar ye pata laga rahe the ki kya kisi SAVENT me aisi capability hai jo ek SAVENT ke daayre ke bhi bahar ho...

waise abhi tak VIDEOUS ko koi bhi aisa suraag mila nahi tha par uski koshish jaari thi...

ab dekhna ye tha ki kya VIDEOUS ke shak ka wakayi koi adhar hai aur agar hai toh KYA HAI...!!!








PLACE- WEAKLING'S STAY







BHAI,KYUN SHER KE MOOH ME HAATH DAALNE KE LIYE BOL RAHA HAI...!!JAANE DE NAA....


ye baat ACCHUTA ne kahi thi SLUNDER se...

reason...

shaam ka waqt hai...aur kuch der pehle BRAWNY ne ACCHUTA aur SLUNDER ko PHASE ghumne jaane ke liye pucha tha aur yahi baat karne ke liye wo dono mere paas quater se thodi door ek ped ke neeche jahan mai paused CEREBRATION me baitha hua tha,wahan pahunche the....

par jab SLUNDER ne ACCHUTA se mujhse baat karne ke liye kaha toh darne laga tha ACCHUTA...


khair,ACCHUTA ki baat sun...


SLUNDER-waah beta.. khud hi mujhe yahan lekar aaya hai aur ab palat raha hai...

ACCHUTA-bhai,har kisi ka jigra bada hota hai jab tak chaati ke upar gun aakar nahi tikti...

aur ye jo saamne baitha hai,ye toh missile hai...agar phata toh hamari phaad dega....


BAKWAAS TUM DONO MUJHSE DOOR JAAKAR BHI KAR SAKTE HO...TUM DONO KI SHAKAL SE ZYADA MUJHE TUM DONO KI AWAAZ CHUBHTI HAI...


aankh khol maine un dono ko dekhte hue ye baat kahi jisse sun unki already bigdi haalat aur bigad gayi....

mujhe pata tha ki ab unki mooh se khud awaaz niklegi nahi isiliye...


MAI-kya chahte ho....???


ACCHUTA-bhai....wo.....BRAWNY aaya tha..bol.... raha tha kkki..... PHASE ghumne chalte hain...toh bhai,kkkya hhuum jaayyen....!!!


atakte atakte ACCHUTA ne apni baat kahi jispar...


MAI-mai kya tum dono ki mummy hun jo mujhse permission lene aaye ho....???

SLUNDER-nahi bhai wo aapne bola tha naa ki...

MAI-maine SLUNDER ko uski haalat par chhodne ke liye kaha tha...

here the key word is HAALAT..wo jo filhal bigdi hui hai..tum dono ko bas us haalat par naa toh baat karni hai,naahi usse motivate karna hai,infact,matlab bhi nahi rakhna hai...

baaki tum kya karte ho,kaise karte ho,kyun karte ho,usse mujhe koi matlab nahi hai...


meri baat sun khush bhi ho gaye ACCHUTA aur SLUNDER aur relief bhi...


ACCHUTA-samajh gaye bhai.. aur aap fikr mat kijiye,hum kabhi uski problems me kisi tarah ka involvement nahi rakhenge....

MAI-fikr mujhe nahi,tumhe karni hai...isse zinda reh paaoge tum.....

ab jaao....


apni baat keh maine wapas apni aankhen band kar li thi...


aur mere aisa karte hi ACCHUTA aur SLUNDER bhi turant wapas mude aur BRAWNY ke quater ki taraf chal pade...

wahin un dono ke jaate hi maine apni aankhen khol di.. chehre par meri ek halki muskaan thi aur expressions wahi bayan kar rahe the jo mera naam tha... RAAZ.....


MAI-mere sukoon ke liye tum dono ko dard toh jhelna hi tha...jao,jhelo.....





PLACE-PHASE 2 CITY





BHAI KUCH BHI BOL,HARIYALI KI KOI KAMI NAHI HAI YAHAN....


city me enter karte hi har taraf nazar doudate hue hot ladkiyon ko dekh kahi thi ye baat ACCHUTA ne jispar jahan BRAWNY bas has diya wahin SLUNDER...


SLUNDER-saale,har jagah tharak mode open ho jaata hai tera, kyun...???

ACCHUTA-waah re mere bholu...ek kaam karte hain,teri naa nasbandi kara dete hain...

is umar me bhi agar angdayi sahi jagah se naa nikli toh fir us jagah ka faayda hi kya hai...???

SLUNDER-chiii.saale kitni gandi soch hai teri....pata nahi tere jaise ashleel insaan ke naseeb me ek PLANET ka yuvraaj hona aur fir ek SAVENT hona kaise likha tha...!!!

ACCHUTA-haan bhai,sahi hai tu aur ho bhi kyun naa..

aakhir aap bade,aapka bada....
aapke mooh me hamara l***da....


jahan ACCHUTA ki baat sun SLUNDER usse ghurne laga wahin BRAWNY zor se has diya par usse aisa karna nahi tha...

reason...


is waqt wo teeno ek cocktail lounge ke saamne se guzar rahe the jiske bahar kuch STELLARS aur PHASE 3 ke WICKEDS bhi khade the...

BRAWNY ke zor se hasne se un sabka dhyan in teeno par gaya aur jab aisa hua toh...



WICKED 1-hey guyz look... WEAKLINGS....


us WICKED group ke bande ke saath aur do bande khade the...apne dost ki baat sun jab wo dono palte toh apne saamne teen WEAKLINGS ko dekh unke chehre par ek muskaan tair gayi aur wo teeno apni jagah se uth WEAKLINGS ki taraf badh gaye....

ye teeno MORANA aur ANWIR ke saathi the jinhone pichle saal HIDA ke saath WEAKLINGS SAVENT ki bhi khub li thi...

par kyunki ab wo PHASE 3 me the, isiliye aisa kuch karne ka mouka unhe abhi tak mila nahi tha....

par aaj inhe mouka mil gaya tha jo ye hargiz nahi jaane dene waale the...

par in sabke beech un teeno WICKEDS ke piche ek aur banda tha jisne naa sirf ACCHUTA, SLUNDER aur BRAWNY ko dekha tha balki WICKEDS ki baatein bhi suni thi...

ye banda aur koi nahi wahi tha jisne
2 raat pehle is waqt RAAZ ko MABEL ke haath ko chumte dekh shock laga tha...

waise abhi toh RAAZ tha nahi par uske catagory ke teeno SAVENTS ko dekh woh bhi un teen WICKEDS ke piche ho liya...

wahin ab tak wo teeno WICKEDS ACHHUTA, SLUNDER aur BRAWNY tak pahunch chuke the....


WICKED 1-arre dekho toh aaj humare saamne kaun hai...the new lot of the most prestigious catagory of PHASE 2, WEAKLINGS....


jahan apne saamne WICKEDS ko dekh aur unke taunt ko sun BRAWNY ghabra gaya tha, SLUNDER bhi halka nervous ho gaya tha wahin ACCHUTA ko jaise kuch fark hi nahi pada aur isiliye....


ACCHUTA-arre bas bas bhai..ab aage se jhuk mat jaiyo...wo kya hai naa,loundo ka pichwada dekhne ki aadat nahi hai hume..


ACCHUTA ki baat sun un teen WICKEDS SAVENTS ke jabde sakht ho chuke the jisse dekh SLUNDER aur BRAWNY,dono hi samajh gaye the ki ACHHUTA ne galat panga le liya hai aur isiliye...


BRAWNY-hume chalna chahiye...hum already late ho chuke hain...


ye bol BRAWNY ACCHUTA ka haath pakad usse khinchne ko hua par tabhi...


WICKED 1-arre aise kaise..abhi abhi toh mulakat hui hai..itni jaldi kaise aap teeno ko jaane deden...

WICKED 2 -yaar galat baat hai..ye WEAKLINGS hain...inhe apne shaandar quater tak pahunchne ke kiye waqt lagna hai.. isiliye ye hadbadi kar rahe hain...

humara farz banta hai ki inhe jaane den...

WICKED 3-exactly..par hum inhe jaane nahi denge balki khud chhod kar aayenge...


WICKED 3 ki baat khatm hote hote un teeno ne ACCHUTA, SLUNDER aur BRAWNY ke haathon ko pakad liya tha aur isse pehle ki wo teeno kuch keh paate,teeno WICKEDS khudko aur un teeno ko antardhyan matlab gayab karne lage par tabhi...

wo banda jo inke piche aa raha tha,usne bhi is baat ko sense kar liya tha aur isiliye isse pehle ki wo sab gayab ho paate,usne apna haath ek WICKED ke shoulder par rakh diya jiski wajah se wo banda bhi in 6 logon ke saath gayab ho gaya...

gayab hokar wo sab sidhe pahunche ek khaali maidan me...

aur wahan pahunchte hi wo WICKED jisne apne kandhe par kuch feel kiya tha,wo palta aur jab usne ek naye chehre ko apne saamne dekha toh wo hairan ho gaya..


WICKED 1-abbe,tu kaun hai..???


WICKED 1 ki baat sun baaki sabhi ki nazar bhi us naye bande par padi jisse dekh wo sab bhi hairan ho gaye....

wahin WICKED 1 ke sawal ko sun...


UNKNOWN-mera naam VALDIS hai.....aur mai PHASE 2 ke STELLAR catagory se hun...

WICKED 2-woh toh thik hai par is tarah humare saath aane ka kya matlab...??agar tu inhe humse bachana chahta hai toh bhul jaa..

bohot din ho gaye kisi WEAKLING ki haalat kharab kiye hue...inhe toh hum yunhi chhodne waale hai nahi....


us WICKED ki baat par VALDIS kuch kehta ki tabhi...


BRAWNY-par bhai,humne kiya kya hai...???

WICKED 1- punish hone ke liye WEAKLINGS hona hi ek bohot bada aur valid reason hai...

WICKED 3-par agar ye reason tum teeno ke liye kaafi nahi hai toh ek aur de dete hain...

PHASE me ghumna,enjoy karna STELLARS ke liye hai, GROOMERS bhi chalenge par WEAKLINGS allowed nahi hain...

ACCHUTA-aisa kahan likha hai....??

WICKED 2-likha nahi toh dikha nahi....beta WEAKLINGS us kutte ki tarah hote hain jo uske maalik ka bacha khaate hain..

aur hum hain yahan ke maalik aur kutte hokar tum apne maalik ki jagah par without permission ghum rahe ho...

VALDIS-ye toh firbhi ghum rahe hain,inke saathi ne toh ek STELLAR bandi ke haathon ko chuma hai....


ye baat kehte hue VALDIS ka chehra ghusse se tharthara gaya aur fir...

DHAKK.....


ek zor ki laath maari VALDIS ne BRAWNY ko jisse wo tezi se piche ki taraf palat gir gaya...

wahin aisa hote dekh ACHHUTA aur SLUNDER turant BRAWNY ki taraf badhne ko hue par 2 WICKEDS ne unhe pakad liya...


ACCHUTA-abbe chuma RAAZ ne hai aur laath tu isse maar raha hai..aur ek baat bata,agar usne kisi bandi ko chum bhi liya toh tere pichwade me kyun aag lag rahi hai...


VALDIS-kyunki MABEL sirf meri hai.. pichle PHASE se meri nazar hai uspar...

tab socialization naa hone ki wajah se hum dono kareeb nahi aa paaye the par is baar mai usse apna bana kar hi rahunga....

SLUNDER-bhai par in sabke beech hum kahan se aaye..??tu humpar kyun bhadka hua hai...???

VALDIS-kyunki tum ussiki catagory se ho..usse sabak sikhane ke liye maine kal uska wait kiya tha par naa toh woh kal aaya aur naahi aaj....

par tum teeno aa gaye..isiliye uski karni ka fal tum teeno ko bhugatna padega....


is conversation ke beech wo teeno WICKEDS ko VALDIS me aage chalkar ek WICKED nazar aa raha tha jiska matlab tha ki wo unki hi biradari ka ek future bhaag tha aur isiliye...


WICKED 1-VALDIS thik keh raha hai...ek STELLAR ladki ko sirf ek STELLAR ladke ke saath hi hona chahiye...

kisi WEAKLING ka ek STELLAR ke saath kisi bhi tarah ka involvement naakabile bardaasht hai...

iske liye toh saza banti hai..ab wo ladka toh yahan hai nahi,toh tum teeno hi sahi...

ACCHUTA-beta shukra manao ki wo yahan hai nahi warna abhi issi waqt tum sab ke ghamand se bhare jo LING hai naa,wo WEAK ho jaate hai aur sahi maayno me tum sab WEAKLING ho jaate...

VALDIS-hmpphh..wo RAAZ hamara kuch bigadega..uski sirf zubaan lambi hai,baaki wo bas ek show off hai aur kuch nahi...

ACCHUTA-beta saamne jaa uske aur ye saari bakwaas kar..tere zindagi ke show ko hi off kar dega wo..

WICKED 2-kitna bolta hai be tu..dekh toh le kamsekam ki kahan aur kin haalaton me khada hai tu...

WICKED 3-waise toh hum apne shikaar ko kisi ke liye nahi chhodte par VALDIS,ye teeno tere shikar hai...

inse tu hi khel....hum bas inhe tanga dete hain,then they are all yours...


WICKED 3 ne apni baat keh apne haath ko ACCHUTA, SLUNDER aur BRAWNY ki taraf ghumaya aur iske aisa karte hi...

BRAWNY jo niche zamin par gira hua tha,uski body apne aap khadi hokar ek jagah par jakad gayi...

wo ab chah kar bhi hil nahi paa raha tha...

same chiz ACCHUTA aur SLUNDER ke saath bhi hui thi..

un dono ki bodies BRAWNY ke side me ek aakar bilkul akad gayi thi...

aur jab aisa hua toh...


VALDIS-ASUKA....


man hi man pain ke sidhe 2 level SPELL ko uccharit kiya VALDIS ne jiske baad...


AHHHHH...AHHHH.....AHHHH.....


behad tez cheekh nikal gayi ACCHUTA, SLUNDER aur BRAWNY ke mooh se...

bhale hi VALDIS ne without REFINERS spell ko bola tha par fir bhi ek WEAKLING ke liye us SPELL ka asar bhi bohot zyada tha aur issi wajah se ek hi baar me jahan BRAWNY behosh ho chuka tha wahin ACCHUTA aur SLUNDER ki haalat bohot zyada kharab ho gayi thi...

waise SPELL bolne ki wajah se aaye bhaaripan se VALDIS bhi thakne laga tha par firbhi wo dobara SPELL bolne jaa hi raha tha ki tabhi...


WICKED 3-arre arre,ye kya kar raha hai VALDIS...maana ki hum magic kar sakte hain par taklif dene ka jo maza physical contact ke through hai,wo magic me bhi nahi..

isiliye inhe punching bags samajhkar boxing karna shuru kar...

us WICKED ki baat sahi lagi VALDIS ko aur isiliye hi wo aage badha aur..


DHOOB..DHOOB...DHOOBBB...


ek ke baad ek kayi punches maarta chala gaya VALDIS ACCHUTA ko...naak,gaal, forehead,chest,pet koi jagah nahi bachi ACCHUTA ki jahan par punch naa laga ho..

uska pura face khoon se laal ho chuka tha...

ACCHUTA ke baad baari aayi SLUNDER ki aur jiski haalat bhi kuch hi der me ACCHUTA ke jaise ho gayi thi..

SLUNDER ke baad VALDIS badha BRAWNY ki taraf par kyunki wo pehke hi behosh ho gaya tha isiliye ek do punches padne ke baad bhi jab uspar kuch asar nahi hua VALDIS ne usse chhod diya..

teeno ki servicing ke baad...


VALDIS-bata dena us RAAZ ko.. MABEL se usse door rehna hai warna tum teeno se buri haalat karunga mai uski...


un dono ki haalat itni kharab ho chuki thi ki unhe VALDIS ki baat halki hi sunayi di thi..

wahin kuch der tak un teeno ki haalat par haste hue wo teeno WICKEDS VALDIS ko lekar gayab ho gaye...

aur unke gayab hote hi ACCHUTA, SLUNDER aur BRAWNY ki body joki hawa me hi akdi hui thi,wo bhi release ho gayi aur aisa hote hi wo teeno dhamm se niche zamin par gir gaye...

BRAWNY toh pehle hi behosh tha,par ab SLUNDER aur ACCHUTA bhi behosh ho chuke the....

par jaise hi wo behosh hue....

ek tez roshni chamki aur us chamak me se prakat hua VIDEOUS...

wo chalta hua theek un teeno ke saamne khada hua aur...


VIDEOUS-saathi hai ye tumhare...par dekho,kya haal ho gaya becharon kaa...

tumhe toh daya aa nahi rahi hai inke haalat dekh par mai itna pathar dil nahi hun...

mai door karunga inka dard..zillat bhari inki ye zindagi,kya faiyda isse jeekar...

chalo,mai inhe inke jeeven chakra se aazad kar inki saari taklif khatm kar deta hun....


VIDEOUS ne apni baat bol apna haath aage kiya aur uske aisa karte hi teen PRAANGHAATHI RAYS nikal ACCHUTA, SLUNDER aur BRAWNY ki taraf badh chale par isse pehle ki wo rays un teeno ke sharir ki chhute...

un teeno ke sharir ke just upar ek halki roshni ubhari jisne VIDEOUS ke ray ko khudme sokh liya aur aisa
karne ke baad wo teeno roshni ek dusre se judne lagi aur dekhte hi dekhte us roshni ne VIDEOUS ke saamne ek human form lena shuru kiya aur jab wo form complete hua toh VIDEOUS ke chehre par ek smile aa gayi...


VIDEOUS-RAAZ...kya baat hai..bohot umda magic tha...khudke wajud ko in teeno ke AURA se milakar apneaap ko inse joda hua tha tumne... behatarin...

par ek baat batao,inhe chot lagne diya tumne..inke khoon nikal rahe the,ye tadap rahe the,par tab kuch nahi kiya tumne,fir ab kyun bachaya inhe...???

MAI-STELLAR ho tum VIDEOUS..aalishaan ghar mila hai tumhe...lutf uthao uska..jab tak utha sakte ho...

VIDEOUS-jawab nahi diya tumne mere sawal ka....

MAI-mai jawab tab nahi deta jab mujhse sawal pucha jaata hai..

mera har jawab apne waqt par apni marzi se nikalta hai...

VIDEOUS-yahi toh galat ho tum...jawab dene ka waqt sawal karne ke baad hi hota hai,apni marzi se nahi...

sikh jaao ye hunar,jab tak sikh sakte ho...

MAI-lagta hai aaj kal bohot khaali waqt hai tumhare paas..kyunki faltu insan hi fokat ka gyan baanttha hai...

VIDEOUS-mai agar faaltu hun toh tum mere paaltu ho jisse mere FATHER'S ne mere time paas ke liye bheja hai...

aur yakin maano,mera time paas ho raha hai...

isiliye KHEL.....



tera KHELNA VIDEOUS ko pasand
AA RAHA HAI...

par nazar har taraf rakh,ki ek tufaan teri aur AA RAHA HAI...

mujhe pata hai ki,


tera naseeb tujhe teri manzil
DIKHA RAHA HAI...

par afsos manzil teri sirf MOUT hai,
kyunki VIDEOUS ke kareeb aa,

tu apni zindagi se door
JAA RAHA HAI....










AAJ KE LIYE ITNA HI....








AAPKA APNA V...J....
Very nice update bhai
 

drx prince

Active Member
1,564
1,547
143
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF STELLARS APNI CLASS KA FIRST TASK KARNA SHURU KARTE HAIN WAHIN DUSRI TARAF ACCHUTA,SLUNDER AUR BRAWNY KO VALDIS WICKEDS KI MADAD SE BOHOT MAARTA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-1


(ENEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-64



PLANET-ELYSIAN


PLACE-WEAKLINGS STAY





TIMER LAGAYE HO KYA...???? HAR DUS SECOND ME EK BAAR MUJHE DEKH RAHE HO....


ACCHUTA aur SLUNDER ko dekhte hue maine ye baat kahi jispar dono kuch palon ke liye sehem se gaye..

subah ka waqt hai... ACCHUTA, SLUNDER aur BRAWNY ki kal raat ki behoshi abhi kuch der pehle hi tooti thi..

aur jab aisa hua toh unhone dekha ki wo sab mere quater me the..

kyunki BRAWNY toh ASRAVA spell se hi behosh ho gaya tha isiliye hosh me aane ke baad usne zyada sawal nahi kiya aur ye jaankar ki wo kal raat apne quater me nahi tha,apne mom dad ke baare me soch wo bina kuch aur soche sidhe apne quater ke liye nikal gaya....

par ACCHUTA aur SLUNDER,in dono ko hi apni kal hui haalat ke baare me ache se yaad tha...

waise toh unke soojh chuke chehron ko maine thik kar diya tha aur abhi unhe koi pyscical dard bhi nahi ho raha tha par jo mental ghaaw un dono ko kal ki maar se mila tha,wo puri tarah taaza tha aur isiliye hi wo mujhse kuch baat karna chahte the par jhijhak rahe the..

par ab jab maine hi baat shuru kar di thi toh...


ACCHUTA-wo kal raat us STELLAR SAVENT VALDIS ne WICKEDS ki madad se hume maara tha...

MAI-puch raha hai yaa bata raha hai... waise tum dono us ground me behosh hue the par uthe yahan apne quater me ho..

toh itna toh dimag tum dono laga hi sakte ho ki khud toh udte hue yahan aaye nahi hoge...maine hi laaya hoga tum teeno ko yahan...

SLUNDER-thank you bhai par...

MAI-par kya..??

ACCHUTA-bhai wo chaar the aur hum teen.. unhone magic ke through hame jakad liya tha..hum kuch kar nahi sakte the...aapne toh sab dekha hi hoga par aapne ek baar bhi interfere nahi kiya...???


atakte atakte ACCHUTA ne ye baat kahi jispar...


MAI-pehli baat..agar wo chaar nahi
bhi hote,unme se sirf koi ek bhi hota naa,toh bhi tum dono kuch nahi kar paate...

dusri baat...mai tum dono ka body guard toh hun nahi jo tum logon ko bachata firun..

teesri aur sabse important baat....ek baat batao...ek percent aur, fir jaise hi tum dono ka AMPLIFICATION 2 percent touch karega,tumhari catagory upgrade ho jaayegi...

WEAKLINGS se GROOMERS ban jaaoge tum dono...reward me ek fully furnished flat milega,bike milegi....

toh kya tum dono,wo rewards nahi loge... GROOMERS hone ke baad bhi yahin rahoge...

ACCHUTA-kyun nahi lenge..!!!i mean,haan lenge...


jhat se kaha sentence ke pehle line ko ACCHUTA ne par fir khudko slow kar dusri line kahi usne jispar..


MAI-kamal hai... achievement par rewards toh chahiye par kamzor hone par punishment nahi...

kya ye ek biased ATTITUDE nahi hai...jo khoon tum dono ka nikla tha,wo tumhari kamzori, tumhara backwardness bata rahi thi .

tumhare sharir jo jakde hue the,wo tumhari bebasi bayan kar rahi thi...

in short,tumne kal khudko loosers saabit kiya...aur mai loosers ka saath nahi deta....


jahan ye sab bol mai apne quater se CHOSENS ke liye nikal gaya wahin meri baaton ko sir jhukaye sunte ACCHUTA aur SLUNDER bhi mere piche ho liye the...






PLACE-CHOSEN'S




WEAKLING CLASS:-






ACCHUTA, SLUNDER... KYUNKI AAP DONO NE HI APNE SOUL KE FIRST PERCENT KO AMPLIFY KAR LIYA HAI, ISILIYE AAJ SE AAP DONO AMPLIFICATION PROCESS KE SAATH PHASE 2 KE APNE TASK BHI TRY KARENGE...


class ko shuru karte hue WHIZZ HIDA ne ye baat kahi jisse sun ACCHUTA aur SLUNDER, dono hi behad khush hi gaye...

par saath hi dono ne is baat par bhi gaur kiya tha ki aaj HIDA ki voice pehle ke mukabale naa sirf halki unchi thi balki saaf bhi thi..

warna toh unki awaaz hamesha dabi hui aur hickichat se bhari hui rehti thi...


ACCHUTA-lagta hai aaj WHIZZ ne apne vocal cords ko dhoya hai..dekh naa aaj unhone puri baat one go me bina atke bol di...

SLUNDER-toh accha hi hai naa....warna AMPLIFICATION se zyada mushkil toh unki baat samajhna lagta tha....

ACCHUTA-arre waah..tu bhi sahi taar chhedne lag gaya... very good beta...


ACCHUTA ki baat par SLUNDER kuch kehta ki tabhi....


HIDA-kya hua..?? kya kal kiye aapke AMPLIFICATION ki wajah se aap dono ke bodies ab bhi weak hain...

agar aisa hai toh aap dono aaj rest le sakte hain...????


HIDA ne abhi tak jo 2 baar khudke SOUL ko AMPLIFY kiya tha,usse karne ke baad usse kuch dino tak apne body me kamzori feel hoti thi..

aur jab usne un dono ko phusphusate hue baat karte dekh HIDA ko laga ki shayad un dono ko bhi waisa hi kuch feel ho raha hai par batane se wo sankoch kar rahe hain aur isiliye usne ye baat kahi jispar ACCHUTA ya SLUNDER kuch kehte,usse pehle hi...


MAI-kamzori maut ke dastak ki pehli nishani hoti hai WHIZZ...

ACCHUTA aur SLUNDER filhal is dastak se door hain....haina guyzzz...!!!


ACCHUTA aur SLUNDER,un dono ki taraf dekh maine jab ye kaha toh unhe aisa laga jaise unhe kalki tarah fir maara jaa raha hai par is baar wo maar unhe mujhse mil raha hai aur ye khayal aate hi jaisa hota aaya hai,haalat kharab ho gayi unki...

wahin meri kamzori waali baat sunkar HIDA samajh gayi thi ki wo baat maine unke liye hi kahi thi par jahan har negetive comment ke baad unka man udaas hojaaya karta tha,aaj aisa nahi tha..

aaj unka man shaant tha...


SLUNDER-WHIZZ ,we are alright...hum task karna chahte hain....


SLUNDER ki baat sun...


HIDA-okay...toh fir ye lo...ye hain tumhare is PHASE ki SPELL book...


ye bol HIDA ne SLUNDER aur ACCHUTA ko do patli patli choti si booklet jaisi book pakda di jisse dekh...


ACCHUTA-itni patli books..but WHIZZ,last PHASE me toh hume SPELLS ke liye bohot moti book provide ki gayi thi..

HIDA-last PHASE me aap sabhi ek jaise SAVENTS the..par is baar baat alag hai...is saal catagorically books mile hain...


HIDA ki baat sun ACCHUTA aur SLUNDER ko suddenly ehsaas hua ki wo ek WEAKLING hain matlab sabse piche jisse feel kar wo dono halke sad ho gaye the jisse HIDA ne bhi mehsoos kar liya tha aur isiliye...


HIDA-waise bhale hi ye book patli hai,isme SPELLS kam hain par fir bhi isme likhe SPELLS aapke pichle PHASE ke mote book ke sabhi SPELLS se zyada asardaar hain...

iske baad HIDA ne bhi MABBA ki tarah pichle PHASE aur is PHASE me bole jaane waale SPELLS ka difference bataya jisse sun ACCHUTA aur SLUNDER ki sadness bhi jaati rahi....

spells ke differentiation ko explain karne ke baad...


HIDA-ab ye dekhiye....isse kehte hai SPELLAR...


haathon me SPELLAR liye ye baat kahi thi HIDA ne...

SPELLAR...par jo SPELLAR is waqt HIDA ke haath me tha,wo us SPELLAR se alag tha jo STELLAR'S use karte the...

jahan STELLARS ko provided SPELLAR me kul teen pipes hote the wahin HIDA ke haath me jo SPELLAR tha,usme sirf 2 pipes the....

SPELLAR ko dikha HIDA ne uska use bataya ACCHUTA aur SLUNDER ko aur saath hi SPELL ke asar ko badhane ke liye REFINER ke baare me bhi bataya par yahan bhi baat STELLARS se thodi alag thi...

jahan STELLARS ko paanch REFINERS practice karne the wahin WEAKLINGS ko unki efficiency ko dhyan me rakhte hue sirf ek,

aur wo ek tha HAPPY....

jahan ACCHUTA aur SLUNDER ko saari baatein samjha HIDA ne unhe practice karne ko kaha wahin BRAWNY hamesha ki tarah apne SOUL ko trigger karne me lag gaya tha...

par in sabse alag mai apni aankhen band kiye kuch khoj raha tha aur yunhi kaafi waqt beet gaya...

ACCHUTA aur SLUNDER,dono ne hi kul do baar REFINER ko apne SOUL se merge karne ki koshish ki jisme wo naakamiyab rahe...

apne soul ko AMPLIFY karne ki bhi koshish ki un dono ne but aaj wo kaamiyab nahi ho paaye...

BRAWNY hamesha ki tarah aaj bhi naakamiyab raha aur saath hi apni khoj me naakamiyab hua tha mai...

khair,class ka waqt over ho chuka tha aur isiliye HIDA ne class dismiss kiya aur jab hum palat kar jaane lage toh is baar HIDA ne mujhe roka nahi par unka man ab bhi mujhse hi baatein kar raha tha...


HIDA man me-tumhari wajah se itne saalon me pehli baar mujhe apne dar se ladhne ka man kiya hai...

tumne kal jo kaha uska matlab mujhe abhi toh samajh nahi aaya hai...

mere baare me aisa kya hai jo mujhe hi nahi maalum,ye bhale hi ab tak mujhe nahi pata chala hai par i promise ki mai pata laga kar rahungi...


HIDA ki man me boli gayi ye baat mere kaano me bilkul saaf sunayi padh rahi thi aur isiliye....


MAI-pata toh tumhe karna hi padega HIDA... kyunki sawal tumhari zindagi ka nahi hai,meri zindagi ka hai...

ek baar mujhe jo chahiye,wo dedo, fir agar tum chaaho toh mai tumhe tumhari saari taklifon ko tumhari zindagi ke saath is duniya se rukhsat kar dunga...





STELLAR'S CLASS:-




SAMPURN AANANDITAM.....




ATTACH MODE ke tahat apne SOUL se jodte hue sabhi STELLARS ne is SPELL ko uccharit kiya jiske baad wahi hua jo kal hua tha...

STELLARS ki zordar hasi gunj uthi pure class me aur yunhi haste hue bhi sabhi apne CEREBRATION process ko paused rakhne ki koshish karne lage the...

par ye tough tha, bohot tough....kal ke mukable kuch extra seconds zaroor control kiye SAVENTS ne par uske baad un sabka control khudpar se hath gaya...

result....

sabki CEREBRATION wapas chalu ho gayi aur unki aankhen khul gayi...

par task toh un sabka filhal yahi tha isiliye wo sabhi lagatar yahi process dohrate rahe aur issi tarah class ka waqt bhi khatm hone laga...

filhal STELLARS ke aaj ka last attempt chal raha tha apne REFINER ko SOUL me mould karne ka par ek baar firse sabhi fail ho gaye....

jahan lagatar kayi der se try karne ki wajah se continuously hasne ke kaaran sabhi SAVENTS apne ped ko pakde lambi lambi saansen le rahe the wahin MABBA, REGIS aur SAPIUS ki nigahen ek jagah tiki hui thi..

itna hi nahi,filhal unki aankhon me hairat aur khushi,ye dono hi bhaav dikh rahe the ..

reason...

VIDEOUS...jahan baaki sabhi SAVENTS apne apne CEREBRATION se bahar aa chuke the,wahin VIDEOUS ka CEREBRATION abhi bhi paused tha...

uske chehre par hasi toh dikh rahi thi par usne apne jabde ko bheencha sa hua tha taaki wo apni hasi ko uncontrol hone se rok sake...(acting)

aur ye sab dekh....


REGIS-SAVENTS look... VIDEOUS ka CEREBRATION abhi bhi paused hai...


REGIS ki baat sun sabhi SAVENTS ki nazar bhi VIDEOUS ko padi aur aisa hote hi sabhi ko shocked laga...

par is shock ka reason thoda alag tha...

aur wo ye ki aaj aisa pehli baar ho raha tha ki MAHI ke hote hue koi aur kisi task me sabse zyada excel kar raha tha...

wahin in saari baaton se alag VIDEOUS ab bhi apne CEREBRATION ko paused rakhe hue tha aur dekhte hi dekhte uske paused CEREBRATION ke pure hue 2 minute aur jab aisa hua toh...


VIDEOUS ki ankhen khul gayi..


aankh khulte hi VIDEOUS ne dekha ki sabhi usse hi dekh rahe hain aur isiliye...


VIDEOUS-kya hua..???kuch laga hai kya mere chehre par...?? tum sab mujhe kyun dekh rahe ho...???

MABBA-kyunki REFINER spell uccharit karne ke baad tumne pure 2 minute tak apne CEREBRATION process ko pause rakha hai....

aur aisa karne waale tum first ho is class me...

REGIS-VIDEOUS,kya tumhe apne andar koi ray nazar aayi thi...

VIDEOUS-haan,just aankh khulne se pehle hi maine ek ujala sa mehsoos kiya tha..

SAPIUS-fantastic..iska matlab tumne SPELLS ki average power ko haasil kar liya hai...

MABBA-chalo, test karkar dekh lete hain...


apni baat keh MABBA ne saamne desk par SPELLAR rakh diya aur...


MABBA-VIDEOUS,koi bhi aisi yaad jisse mehsoos kar tumhe Khushi milti hai,usse yaad kar SPELLAR ki taraf point kar ASRAVA spell ko uccharit karo..


MABBA ne jaisa kaha, VIDEOUS ne waisa hi kiya..haath aage kar usne man hi man ASRAVA SPELL ko uccharit kiya jiske baad uske haathon se ek ray nikal sidhe saamne rakhe SPELLAR se takrayi aur aisa hote hi...

SPELLARS ke teeno tubes orange colour se fill ho gaye aur tabhi....

VIDEOUS ke kaano me taali ki gadgadahat gunji jo uske PHASEMATES ne uski is achievement ke liye bajayi thi...

ye sab dekh uske chehre par ek smile aa gayi aur jisse dekh girls SAVENTS aahen bharkar reh gayi...


MABBA-well done VIDEOUS......maine nahi socha tha ki tum banoge is PHASE ke wo SAVENT jo apne pehle task me first hoga..you have surprised me....

VIDEOUS-i will surprise you again WHIZZ... it's just a matter of time...


jis confidence se VIDEOUS ne ye baat kahi thi, MABBA ke saath baaki dono WHIZZDERS bhi usse kaafi impressed ho gaye the...


MABBA-MAHI...8 percent AMPLIFICATION ki holder ho tum...par iske baawjud aaj VIDEOUS ne tumhe beat kar diya hai..

mujhe lagta hai ki you should buckle up...ye PHASE 2 hai...isse THE HOUSE OF UNCERTAINTY bhi kehte hain...


asaan nahi hone waala tumhare liye..competition tough hone waala hai tumhara is baar...

MAHI-asaan chahiye bhi nahi WHIZZ..i like competition.. infact,i crave it..and i promise,i will not let myself and you down..

MABBA-we will see...class dismiss...


ye bol MABBA aur unke saath REGIS aur SAPIUS bhi class se chale gaye...

wahin teeno WHIZZ aur WHIZZDERS ke nikalte hi sabhi SAVENTS ne VIDEOUS ko congratulate kiya aur tab...


ALFREEN-congrats yaar...maine bhi ye nahi socha tha ki MAHI se pehle koi aur is task ko pura karega...

but you did it...


ALFREEN ke baad MABEL ne bhi VIDEOUS ko badhayi si jispar...


VIDEOUS-kahin is task ko pehle pura karke mai miss MAHI ke bad book me toh nahi aa gaya...


ek smile ke saath VIDEOUS ne MAHI ko dekh ye baat kahi jispar...


MAHI-bad book me toh nahi,par haan, meri respect aur motivation book me zaroor naam aa gaya hai tumhara....

really dude,ye task wakayi tough hai...mujhe nahi lag raha tha ki near future me ye task complete ho paayega par tumne itni jaldi isse pura kiya hai ki it has boosted my confidence level...


VIDEOUS-abhi pura hua kahan hain..5 minute waala challenge abhi baaki hai...

MAHI-sidhiyan ek ke baad ek hi chadhi jaati hain...2 minutes ka ho gaya hai toh 5 ka bhi ho hi jaayega....

VIDEOUS-isiliye mujhe stairs nahi,lift pasand hai...direct wahan pahunchati hai jahan pahunchna hota hai...

MAHI-par usme bhi floors ke option toh hote hi hain...

VIDEOUS-yup..but the key word is options...ab mera option top floor ka hai..beech mai naa mai rookunga aur naahi lift...

MAHI-aur agar mai beech me aa gayi toh...

VIDEOUS-lift toh tab bhi nahi rukegi but haan,space us lift me itna toh hoga ki tum mere saath upar pahunch jaao...

MAHI-top par sirf ek hi ke liye jagah hoti hai...

VIDEOUS-ye rule kisne banaya...???anyways agar kisine banaya bhi hai toh ab baat VIDEOUS ki hai...rules ko badalna hoga...


VIDEOUS ne ye baat itne confident par saath hi charming way me kahi thi ki ALFREEN aur MABEL ke saath MAHI bhi muskura uthi..

wahin is sabse thoda piche khade VALDIS ne jab MABEL ko smile karte dekha toh usse laga ki kahin VIDEOUS ke charm se MABEL naa impress ho jaaye aur isiliye...


VALDIS-hey VIDEOUS.....congrats man...but yaaron,hum PHASE 2 me hain.. STELLARS hain toh tumhe nahi lagta ki hume VIDEOUS ki is achievement ko celebrate karna chahiye...

what say MABEL...???


kyunki VALDIS last PHASE se hi kaafi bright SAVENT raha tha isiliye MABEL ke saath saath ALFREEN aur MAHI bhi usse as a friend hi treat karti thi aur ab jab wo sab wakayi ek group ki tarah saath hokar jam kar sakte the toh isiliye un sabko VALDIS ki baat sahi lagi...


MABEL-yaar plan toh accha hai...par is task ne body ki haalat itni kharab kar di hai ki aaj aur kuch karne ka dil nahi kar raha...

ALFREEN-haan yaar..aur kal bhi same chiz hi karni hai jiska matlab hai ki kal bhi haalat kharab hone waali hai...

MAHI-hmm.toh fir parso weekend hai...parso kuch karte hain..what say....??

VIDEOUS-perfect..... POISON kaisa rahega...???


POSION ek bohot bada pub tha jiska naam sun...


MABEL-fantastic selection yaar...maine bhi kaafi suna hai us pub ke baare me..wahin chalte hai...

MAHI-cool then... wahin chalenge...but filhal ghar chalen...


VALDIS aur VIDEOUS se haath milakar bye bol MAHI, MABEL aur ALFREEN class se nikal gaye aur unke piche piche chal pada VALDIS....

wahin insab ke dauran VIDEOUS jo man hi man kuch soch raha tha, uske chehre par ek smile aa gayi aur..


VIDEOUS-

jisse jo karna hai kare,
hoga toh wahi jo mai CHAHUNGA...

kuch toh hai jo dikh nahi raha,
par VIDEOUS hun mai,

har parde ko hata kar RAHUNGA....









AAJ KE LIYE ITNA HI....









AAPKA APNA V..J.....
Very Nice Update bhai
 

drx prince

Active Member
1,564
1,547
143
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF HIDA WEAKLINGS KO SPELLAR AUR REFINER KE BAARE ME BATATI HAI WAHIN DUSRI TARAF VIDEOUS MAHI, ALFREEN AUR MABEL SE FRIENDLY HOKAR BAAT KARTA HAI.

AB AAGE:-



CHAPTER-2


( UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-65



PLANET-SPIRAM


PLACE-RIVER BANK







WELL,WELL,WELL.....LOOK WHO WE FOUND....A SUSPECT....



subah ka waqt hai.nadi kinare baithi ek ladki,jiske siway aankh aur honth waale area ke baaki ka pura chehra dhaka hua tha. skin tight stretchable dark red outfit pehne wo ladki neeche baith kar nadi se paani pee rahi thi,tabhi uske piche se ye awaaz aayi thi jisse sun wo turant palti aur dekha ki uske saamne hawa me 2 log khade usse dekh rahe the aur dheere dheere niche zamin par utar rahe the.....

waise toh wo dono shaksh us ladki ke liye anjaan the,par unka usse suspect kehne se usse anuman ho gaya tha ki wo dono kaun ho sakte hain isiliye...


LADKI-chale jaao yahan se....acha rahega tum dono ke liye...

ladki ke jawab ko sun wo dono shaksh man hi man chownke the..

pehli baar ho raha tha un dono ka us ladki se aamna saamna,par aise me bhi wo ladki naa toh ghabrayi thi aur naahi usne un dono ke baare me janane ki koi icha jatayi..

aur aisa hona ajeeb bhi tha asadharan bhi...

1ST-hume dekhkar dari nahi tum...is grah par jeeven ko panpe kuch hi waqt beeta hai,jahan filhal human existence shuru bhi nahi hui hai,wahan khadi ho tum.

in sabse pata chalta hai ki sadharn toh bilkul nahi ho sakti tum...aur yahan is jagah par tumhara pahunchna,ye batata hai ki METAPHYSICAL capabilities bhi hai tumme...

aur agar tum sadharan nahi ho,toh tumhe hamare AURA toh sense ho hi rahe honge jisse tum hamari shakti ka ek halka sa hi sahi,aakalan toh kar paa hi rahi hogi...

kya tumhe nahi lagta ki hume yahan se jaane ki dhamki dena tumhare liya khatarnaak ho sakta hai...

us shaksh ki baat sun us ladki ke chehre par muskaan aa gayi jisse dhake hone ki wajah se wo dono shaksh nahi dekh paaye the...


LADKI-yahan khatarnaak sirf mai hun...toh darne ki zaroorat mujhe nahi,tum dono ko hai...

khair,tumhari baaton se ek baat ti clear ho hi gayi hai ki bina pite tum dono jaaoge nahi..

toh isse pehle ki khel shuru karen,ek baat ka jawab do....kaun hai wo jo dhund raha hai mujhe...

mai suspect hun,ye kaise tay kar liya tum dono ne..

2ND-tum hume maarogi....achi galatfehmi hai...khair, pehle tumhare sawalon ke jawab de dete hain kyunki fir tum us haalat me rahogi nahi ki kuch bhi sun yaa samajh paao...

1ST-arre manners bhul gaya kya..?? conversation shuru karne se pehle introduction zaroori hota hai.. toh pehle wo kar len...???

2nd-ye baat bhi sahi hai...toh lady,myself DORIAN....

1ST-aur mai GASTON hun...

DORIAN-well,humne toh apna intro de diya...ab agar naam batane se aapki is chuppi hui personality ka RAAZ nahi khul jaayega,toh kya hum aapka naam jaan sakte hain...

LADKI-FALLON......

DORIAN-FALLON....nice..toh FALLON,baat kuch aisi hai ki humare LORD ne hume kisiki talash karne ko kaha hai...

ab wo kaun hai,iske baare me toh hume pata nahi hai par uski urja ki shakti ko hamare LORD ne hume mehsoos karwaya tha taaki hum uske zariye usse detect kar saken...

unhone hume ye bhi bataya tha ki aisa ho sakta hai ki jinki talash unhe hai,wo hume directly naa mile toh aise me agar hum kisi aur me usse milte julte urja ke prabhaav ko mehsoos karen,toh iska arth hoga ki wo shaksh unka saathi hai,jiski LORD ko talash hai...

and guess what...itne dino ki lagatar khoj ke baad aakhirkhaar hume ek aisa shaksh mil hi gaya jiski body se hume us WANTED shaksh jaisi urja feel hui hai...

toh hui naa tum hamari suspect....

FALLON-kya naam hai tumhare LORD ka...???

DORIAN- jab hum tumhe unke paas lekar chalenge,toh tum khud hi unse puch lena...

FALLON-milna toh mai chahti hun tumhare LORD se par unfortunately abhi iska waqt nahi aaya hai....

par yahan se mere jaane ka waqt ab zaroor aa gaya hai... isiliye,khel shuru karte hain...

agar khudki jaan bacha paaye,toh tum dono bhi chale jaana..


FALLON ka chehra nahi dikh raha tha par uski awaaz me jo confidence tha,wo DORIAN aur GASTON bohot ache se feel kar paa rahe the...

unhe apni taakat par pura bharosa tha par ek anjaan dushman ko kam aankna,ye bewakufi wo nahi kar sakte the aur isiliye...

GASTON turant gayab hua aur FALLON ke piche aa gaya...

ab DORIAN aur GASTON,dono hi FALLON ke dono taraf the jiska matlab ki wo uspar dono taraf se ek saath waar karne waale the...

FALLON bhi un dono ki ran neeti se anjaan nahi thi....

usne pehle apne saamne khade DORIAN ko dekha aur fir palaththe hue uski nazar GASTON par padi aur tabhi....

FALLON ke chehre ko piche ki taraf ghumta dekha DORIAN ke haathon se ek CURRENT ROPE nikal FALLON ki taraf badhi....

par FALLON jaise pehle se hi jaanti thi ki aisa kuch hone waala hai aur isiliye hi usne hawa me ek ulta cart wheel maara aur DORIAN ke chhode CURRENT ROPE ke upar se guzarti hui jaane lagi...

ye action kaafi speed tha par DORIAN aur GASTON jaise A + SORCERERS ki aankhon ke liye normal hi tha aur isiliye FALLON ke hawa me rehte hue hi GASTON ne apni taraf se ek dusri CURRENT RAY feki uske taraf par tabhi...

FALLON ka right hand uske waist ki taraf jahan usne ek red belt pehni hui thi,uspar gayi...

abhi hawa me hi thi FALLON...par ussi akward aur moving position me usne us belt ko apne waist se naa sirf kheencha,balki agle nano second se bhi kam waqt par wo belt uske haath me the...

belt ko haath me lete hi usne usse ek jhatka diya aur aisa hote hi hui do cheezen...

pehli....belt saamp ki tarah lehra gayi aur agle ho pal us belt ki length 10 feet ki ho chuki thi...

dusri....belt ke lehrate hi usse do behad strong shock waves nikli jisme se ek sidhi padi DORIAN ke CURRENT ROPE par aur dusri padi GASTON ke chhode CURRENT ROPE par aur aisa hote hi wo dono ROPES dhuen me badal gayab ho gaye...

wahan wo ropes gayab hue aur yahan FALLON ka pair zameen par aaya...

abhi abhi jo hua tha,usse dekh ek pal ke liye aankhen hairat se badi hi gayi thi DORIAN aur GASTON ki...

unhone dekha ki FALLON ke haathon me jo chaabul numa badi si belt hai,uske dono side se halki halki urja nikal rahi thi jiska matlab tha ki wo belt ek maayavi astr thi aur usse bohot se metaphisycal activities ko anjaam diya jaa sakta tha....

jahan wo dono ye sab soch rahe the wahin FALLON ab un dono ko mouka nahi dena chahti thi aur isiliye....

jaise hi uske pair zameen ko chhue toh uske agle hi pal usne ek baar fir apne lambe se belt jo kisi chaabuk se kam nahi thi,usse zor se jhatakte hue zamin par maara aur aisa hote hi....

ek saath do chizen hui...

pehli....

us belt ke zamin se takrate hi aas paas ki puri zamin asthir ho gayi aur us zamin ke har hisse me vibrations hone lagi...

dusri....

zamin se takrane par us belt me bhi ek strong impact pada jiske baad uske dono ends se anginat lambe lambe keel nikalne lage...

ye keel us belt ki shakti urja se bane the aur isiliye wo sab jaan leva bhi the...

ek taraf zamin par ho rahe vibrations aur dusri taraf wo anginat keel...

ek saath is dohre hamle se hadbada gaye the DORIAN aur GASTON....

wo khudko zamin par stable bhi nahi kar paa rahe the aur aise me unhe un keelo se bhi bachna tha...

par DORIAN aur GASTON bhi koi kacche khiladi toh the nahi...

zamin ke hilte hi wo dono halke hawa me uth chuke the...wahin hawa me uth un dono ne apne saamne ek ek NON LIVING WORLD DOOR khol diye jiske khulte hi wo keel unme samane lage...

jab FALLON ne apne daanw ko khaali jaate hue dekha toh usne apne belt ko ek baar punah hawa me lehraya aur aisa hote hi ek baar firse us belt se keel nikalne lage par is baar unki disha straight nahi thi...

ek nishchit doori tak pahunchne ke baad wo keel apni disha badalte hue chaaron taraf se ghum ghum kar GASTON aur DORIAN ki taraf badh chale...

ye sab hote dekh ek pal ke liye DORIAN aur GASTON ke chehre par chinta ki lakire ubhri...

kyunki ye wakayi ek ajeeb problem thi...DORIAN aur GASTON ek saath bohot se world doors nahi khol sakte the...

waqt kam tha aur problem badi.. kuch pal aur,uske baad wo saare keel in dono ko cheer dene waale the...

par GASTON aur DORIAN aisa kaise hone de sakte the aur isiliye...

dono ne mind to mind ek dusre se baat ki aur agle hi pal...

dono ke saamne bane WORLD DOOR gayab ho gaye...

aur fir....

DORIAN aur GASTON,dono hi apni apni jagah par gol ghumne lage...un dono ki raftar behad tez thi...

wahin wo saari keelen chaaron taraf se hoti hui un dono ke paas pahuncha chuki thi par isse pehle ki wo unhe chhu paati...

GASTON aur DORIAN,dono ke hi shariron ke ghumne se unke bodies ke charaon taraf ek SHIELD numa AURA banane lagi jisse takrakar wo saari keelen gayab hone lagi...

GASTON aur DORIAN ki yukti se apne naye waar ko bekaar hote dekh ek pal ke liye FALLON hairan hui par fir wo dobara ek naya waar karne ki waali thi lekin tabhi....


WAPAS AA JAAO FALLON....


uske kaano me ye awaaz gunj uthi...


wahin jab DORIAN aur GASTON ko un keelon ki ENERGY mehsoos honi band ho gayi toh unhone ghumna band kar diya..

par ghumna band karne se pehle hi un dono ne apne waar kar diye the...

un dono ke hi bodies se do ray numa bhala nikal FALLON ki taraf badh gaya tha par waar karne ke baad jab GASTON aur DORIAN ki body ruki aur unki nazar saamne gayi tih dono hairan ar ghussa dono ho gaye...

reason....

FALLON gayab ho chuki thi.....





PLANET-ELYSIAN



PLACE-CHOSENS






CONGRATS ACCHUTA & SLUNDER....aapne aaj apne SOUL ko 2 percent tak AMPLIFY kar liya hai...

aur itni jaldi aisa karne waale aap dono pehle WEAKLINGS bane hain...

aapki is uplabdhi par mai aap dono ke liye bohot khush hun...

chehre par khushi ke bhaav liye HIDA ne ACCHUTA aur SLUNDER se ye baat kahi jisse sun un dono ki baachein hi khil gayi thi...

gourav aur khushi...jab ye dono bhaav ek saath ek hi waqt par mehsoos ho toh us feeling ki baat hi kuch aur hoti hai...

aur yahi dono feelings is waqt ACCHUTA aur SLUNDER mehsoos kar rahe the...

aaj class shuru hone ke baad in dono ne REFINER ki practice nahi ki thi aur wo isiliye kyunki us process me bhi kaafi energy release hoti hai jisse SOUL AMPLIFICATION process me problem hoti hai...

one at a time..is quote ko aadhar banakar ACCHUTA aur SLUNDER ne aaj sirf apne SOUL ko AMPLIFY karne ki sochi thi aur unki ye soch kaargar bhi sidh hui...

lagatar 3 baar fail hone ke baad finally chowthe attempt me ye dono apne SOUL ko AMPLIFY karne me kaamiyab ho hi gaye...

wahin in sabke beech tha BRAWNY jisse ek taraf toh apne dono group mates ke liye khushi toh ho hi rahi thi wahin dusri taraf apne nirantar haar ke liye sharm bhi mehsoos ho rahi thi..

waise toh usse hamesha se hi apne underperformance se taklif hoti thi par aaj jab usne ACCHUTA aur SLUNDER ko dobara apne apne SOUL ko AMPLIFY karte hue dekha toh wo taklif kaafi badh gayi thi...

apne disability par BRAWNY koft kar hi raha tha ki tabhi HIDA ne apni baat aage badhayi...


HIDA-well..ab aap dono ne achievements haasil kiye hain toh aap dono ko prize bhi milega...

aur prize hai catagory upgradation....kal se aap dono is class me nahi balki GROOMERS ki class me baithenge...

itna hi nahi,har GROOMER ki hi tarah aap dono ki bhi life style hogi...

shaam ko aapke quarter me aapki bikes pahunch jaayegi jiske gps me aapke naye apartments ka location set hoga...

ab se aap dono ko is WEAKLINGS ki dress ko 24/7 pehenane ki zaroorat hai...infact kabhi bhi pehenane ki zaroorat nahi hai....

aapke apartments me aapke pahunchne se pehle hi aapki GROOMERS ki uniform aur kuch casual dresses rakhwa di jaayengi aur saath hi har wo cheez jo ek GROOMER ko milti hai...

so congrats again...aaj ki class yahi khatm hoti hai...


jahan ye bol HIDA hall se nikal gayi wahin BRAWNY bhi unke piche piche hi nikal pada...

uske yun nikalne ka kaaran ACCHUTA aur SLUNDER achi tarah samajh rahe the aur unhe uske liye bura bhiag raha tha par wo kar bhi kya sakte the...

wo dono BRAWNY ko hi dekh rahe the ki tabhi un dono ke kaano me padi meri awaaz...


MAI-bohot bura lag raha hai BRAWNY ke liye...


apni khushi me wo dono kuch palon ke liye meri moujudgi ko bhul se gaye the par meri awaaz sun naa sirf unhe mere unke paas hone ka ehsaas hua par saath hi wo dono turant piche palte aur jo hamesha hota aaya hai wahi hua..

dono ke chehron par dar dikhne laga...


MAI-dar kyun rahe ho...aaj toh tum dono ke liye khushi ka din hai.... WEAKLINGS ki pathetic life style se finally azaadi mil hi gayi tum dono ko...

i am very happy for you....


meri aakhri line sun un dono ko hi shock laga...i was happy for them...ye sunkar unhe hairani bhi hui aur khushi bhi...


ACCHUTA/SLUNDER-thanks RAAZ...

MAI-hmm...chalo, aakhri baar apne quater ko dekh lo..shaam ko toh usse alvida kehna hi hai...


is waqt mera chehra bilkul shaant tha...

aur jab is tarah se maine apni baat kahi toh un dono ke cheharon par smile aa gayi aur wo wapas palat aage badh gaye wahin mai bhi unke piche ho liya....

par isse pehle ki hum teeno hall se bahar nikalte....


WELL WELL WELL ... DEKHO TOH KAUN AA RAHA HAI....THE THREE LOOSERS...


ye awaaz thi VALDIS ki jo ki ACCHUTA ki taraf hi aa raha tha..

darasal STELLARS ki class khatm hone ke baad jab saare SAVENTS bahar nikalne lage tab VALDIS ki nazar hall ke beech khade hum teeno par padi aur hume dekh wo rook gaya tha aur ab jab hum ussi ki taraf aa rahe the tab usne ye saari baatein kahin jispar ACCHUTA aur SLUNDER, pehle toh ek raat pehle hue dhulayi ko yaad kar halke ghabraye par fir jab unhone VALDIS ko mujhe looser bolte suna toh unhe aa gaya ghussa....


ACCHUTA-abbe bakwaas band kar...warna LU***D phek kar maarunga,GA**D se pregnant ho jayega tu...

SLUNDER-saale chaman chutiye...apne grahakon ko apni GAA**D ki rishwat dekar unse ghirwakar hume maarta hai aur khudko taakatwar samajhta hai...

saale MALE RAA***D hai tu...


ACCHUTA aur SLUNDER ki baat sun behad ghusse se bhar unki taraf badha VALDIS aur jab aisa hua tab ACCHUTA aur SLUNDER ko realize hua ki ghusse me kuch zyada hi bol gaye hain wo dono...

VALDIS ek 4 percent AMPLIFICATION waala banda tha upar se STELLAR bhi jinka influence CHOSENS me sabse zyada hota hai toh aise me ye situation unke liye sahi nahi thi...

par zuban se nikli baat aur usse hone waale consequences se bhaaga toh jaa sakta tha nahi isiliye wo dono bhi VALDIS se bhidne ke liye ready ho gaye the..

wahin tezi se badhtha hua VALDIS ACCHUTA ke saamne pahunch gaya...

ACCHUTA ke saamne pahunch apne SOUL AMPLIFICATION ki taakat se VALDIS ne usse dhakka dene ke liye haath aage badhaya par tabhi...

behad tezi se mai ACCHUTA aur VALDIS ke beech aa gaya jisse VALDIS ka haath ACCHUTA ke chaati se naa lag meri chaati ko laga aur jab aisa hua toh...

VALDIS ki push ka asar kuch hua nahi...mai apni jagah par hi khada raha..

pehle mujhe yun tezi se ACCHUTA ke saamne aata dekh VALDIS chownka par fir uske SOUL power ki use ke saath diye gaye push se bhi jab ek inch bhi mujhe naa hilte dekha usne toh uski hairani badh gayi...

usse ACCHUTA ki mere baare me kahi gayi kal ki baat yaad aane lagi thi...

wahin apni chhati me uske haath ko dekh maine apne dono haath aage badhaye aur VALDIS ke haathon ko pakad liya....


HMMPHHH..HAMMPHHHH


mere aisa karte hi VALDIS ne apne haathon ko mere haathon se chhudane ke liye pehle normal,fir halki awaaz ke saath average aur aakhir me tez awaaz ke saath apni puri taakat laga di par uska haath mere haathon se chhuta nahi...

jahan aisa hote dekh VALDIS behad chownka tha wahin ACCHUTA aur SLUNDER ki hasi nikal gayi aur...


ACCHUTA-kyun re lau*e.... bohot dum hai naa tere me.... laga le fir..ga**d se tatti nikal jaayegi par RAAZ ke haath se tera haath nahi nikal paayega...

VALDIS-haath chhod RAAZ.. warna acha nahi hoga...


bebasi me bhi akad ka darwaza pakde gurraya VALDIS jispar...


MAI-abhi maine sirf tera haath pakda hai...agar dabana shuru kar dun toh tere haathon ke zariye teri rooh fana ho jaayegi...

taakat dikhane ka bada shouk hai naa tujhe....ye mouka bhi tujhe milega...par jab tak wo mouka nahi aata,apne haathon ko, apni aukad ko apne dayre me rakh...salamat rahega...

ab nikal....


ye bol maine VALDIS ke haathon ko chhod diya jiske baad apne kalaayion ko masalte hue usne ek baar mujhe aur ek baar ACCHUTA aur SLUNDER ko ghura par fir chupchaap nikal gaya...


ACCHUTA-thanks RAAZ...


mujhe yun beech me ghus un dono ko defend karta dekh ACCHUTA aur SLUNDER,dono ke hi aankhon me mere liye khushi respect thi,jo ACCHUTA ke thanks kehne par aur saaf dikhne lagi thi..


MAI-no need dude..what are friends for...???!!!


meri baat sun aur mujhe unhe as friends bolne par ACCHUTA aur SLUNDER dono shock bhi hue aur bhaavuk bhi...

SLUNDER toh ab bhi thoda hichkicha raha tha par ACCHUTA,wo turant aage badha aur mere gale lag gaya aur usse aisa karte dekh SLUNDER ne bhi waisa hi kiya....

apni khushi ko dikha ye dono mere gale lage hi the ki tabhi....


KAAM HO GAYA MASTER.....



ek awaaz gunj uthi mere dimag me jisse sun mere chehre par aa gayi muskaan...

toh chaliye,is scene ko khatm karne se pehle us scene ki taraf chalte hain jiski wajah se mere dimag me ye awaaz gunji thi..





PLANET-MASSOR


PLACE-THE JUNGLE





OH..MY... GOD.......KA...KYA HAI YE..???


kampti hue awaaz me ek aadmi ne ye baat kahi jispar uske jeep ke saamne khade vikral aur ajeeb body ke jaanwar ne pehle apne sir ko jo ki aadha tiger aur adha wolf ka bana tha,halka jhatka diya aur...


ANIMAL-WOOGER HUN MAI....


ek jaanwar ke mooh se insano ki bhasha sunkar wo aadmi jo aur koi nahi balki ACCHUTA ke father the,hairan ho gaye the...

waise hairan toh unke baaju me baithe SLUNDER ke pitah aur jeep ki pichli seat par baithi un dono ki patniyan bhi ho gayi thi....

ACCHUTA ke pitah jinhone SLUNDER ke parents ko apne is naye planet me invite kiya tha aur filhal woh chaaron ek bohot hi advanced hunt jeep me MASSOR ke ek jungle me shikar karne aaye the,unhone apne wildest dream me bhi nahi socha tha ki jungle ke beech unka saamna ek daiytyakaar jaanwar se hoga jo human language me baat kar sakta tha...

wahin dono royal families ki suraksha ke liye jo kuch sipahi aaye the aur unke jeep ke piche dusri gaadiyon me follow kar rahe the,us jaanwar ko dekh un sabki haalat bhi kharab ho gayi thi....

ACCHUTA aur SLUNDER ke pitah,jo kuch der pehle tak ek hiran ko dekh uske shikar ke liye uske piche gaadi douda rahe the,ab khud ek shikar ki tarah us WOOGER naam ke jaanwar ke saamne khade the..

khair, jaise hi WOOGER ne apna naam bataya toh...


SLUNDER FATHER-ho kaun tum...???aur is tarah hamare saamne aane ka kaaran kya hai...???


apni puri himmat jama kar kahi thi ye baat SLUNDER ke father ne jispar....


WOOGER-mai kaun hun,ye chhodo bas itna jaan lo ki mai tum chaaron ko tumhari zindagi se azaad karne aaya hun...


bohot normally kahi thi ye baat WOOGER ne par uski baat sun un sabki haalat aur kharab ho gayi thi...


ACCHUTA MOTHER-par kyun maarna chahte ho tum hume.. humne tumhara kya bigada hai..???

WOOGER-bigada toh us hiran ne bhi tumhara kuch nahi hai jiske shikar ke liye tum sab nikle ho...


WOOGER ki baat sun un sabko laga ki hiran ki wajah se WOOGER un sabko maarna chahata tha isiliye..


SLUNDER MOTHER-hum nahi karenge us hiran ka shikar...infact,hum kisi bhi jaanwar ka shikar nahi karenge..hum wapas chale jaate hain..


SLUNDER ki mom ki baat puri hui hi thi ki uske agle hi pal unki aur unke saath baaki sabhi ki aankhen badi ho gayi..

reason...

jis hiran ki baat abhi ho rahi thi,wo hiran hawa me udte hue unki taraf aaya aur thik WOOGER ke saamne aakar rook gaya jiske agle hi pal wo hiran WOOGER ke mooh me chala gaya tha...

hiran ko nigalne ke baad..


WOOGER-hiran ho yaa manushya.. kamzoron ko mar hi jaana chahiye...

ek kamzor toh mar gaya..ab tum sabhi ki baari hai...

ACCHUTA FATHER-dekh kya rahe ho..maar daalo isse...

piche apne sipahiyon ko dekhte hue chilla uthe ACCHUTA ke father aur unke aisa karte hi jaise ek sammohan se jaage the saare sainik...

apne king ki awaaz sun wo sabhi turant apni jeep se utre..un sabhi ke haathon me lezer beam guns thi jiska ek shot kisi haathi ko bhi raakh kar sakta tha..

jeep se niche utar position lete hue un sabhi siphahiyon ne WOOGER par gun taan di aur aisa karte hi...

sabne trigger daba diya tha jiske baad guns se nikli lazer beams sidhe WOOGER ki taraf lapki par ye kya...!!!???


WOOGER se ek feet door wo saari beams hawa me hi rook gayi..is karishme ko dekh sabhi hairan ho hi rahe the ki tabhi...

un beams ne apna rookh moda aur wapas us disha ki taraf badh chali jahan se wo aayi thi..

aur aisa hone par ek pal bhi nahi laga un saare sipahiyon ko raakh hone ke liye...

jahan apne sipahiyon ka haal dekh ab chaaron royals thar thar kaampne lage the wahin WOOGER dheere dheere chalte hue un chaaron ki taraf aaya aur....


WOOGER-do option hai tum chaaron ke paas...

pehli...jis gun se tumhare siphahi mujhe maarne waale the,ussi se khudko shoot kar lo...

dusri...mai tum chaaron ko zinda chaba jaata hun...

maroge toh tum chaaron dono hi suraton me bas fark itna hoga ki agar tum chaaron ne khudko shoot kiya toh sirf tum chaaron ki hi jaan jaayegi par agar mujhe tum logon ko maarna pada toh tum chaaron ke baad mai tum dono ke hi grah ke har baashinde ko maar dunga...

aur aakhir me tumhare bete bhi maare jaayenge....

sab tumpar hai...jaldi faisla karo....


WOOGER ki baat sun un chaaron ki hi aankhon me aansu aa gaye the..

marne se darte nahi the wo chaaron par is tarah marna unhe gawara nahi tha...

par option bhi nahi tha unke paas..unki praja aur unke bacchon ki bali wo kaise de sakte the aur isiliye....

kaampte hue haathon se un chaaron ne ek ek gun uthai aur apne sir par rakh di...

aankh band ho gaye the un chaaron ke...unki band aankhon ke saamne unke grah CARAPACE aur ARROW ghum gaye..unki praja aur unka prem dikhne laga unhe.

aur aakhir me dikhe unhe unke bacche.. ACCHUTA aur SLUNDER jinke chehron ko yaad kar ek baar fir un chaaron ke aansu chalak uthe...

ane bacchon ke chehron ko aakhri baad yaad kar....


SCCHHH......


chaar halki halki awaaz nikli un chaaron gun se jiske agle hi pal ACCHUTA aur SLUNDER ke parents ke sir unke dhad se alag hokar raakh ho chuke the...

aur ye hote hi nikle WOOGER ke mooh se wo shabd jo gunje the RAAZ ke kaano me....


WOOGER-KAAM HO GAYA MASTER....




BACK TO RAAZ:-



QUATER JAO TUM DONO....


khudse alag karte hue kahi maine ye baat ACCHUTA aur SLUNDER se...

wahin alag hone par jab un dono ne mujhe muskurate hue dekha toh unhe laga ki shayad mai unhe dost kehne aur unke mujhe gale lagne ki wajah se hi muskura raha hun...

unhe kahan maalum tha ki ye muskaan un dono ke parents ki zabardasti karwayi gayi khudkhushi ki wajah se aayi thi..

khair,meri baat sun.....


ACCHUTA-tum nahi aa rahe ho...!!!

MAI-mai baad me aata hun...


meri baat sun un dono ne fir aage kuch kaha nahi aur palatthe hue aage badh gaye par fir wo dono hi wapas meri taraf palte aur...


ACCHUTA-thanks RAAZ,humare liye ladhne ke liye...

SLUNDER-and thanks hume dost maanane ke liye....


jahan ye bol wo dono wapas palat chale gaye wahin unki baat sun...



MAI-log kehte hain,


dosti ki hai toh
NIBHANI HOGI......

par RAAZ se dosti me,
jaan GAWAANI HOGI.......

jeena hai toh meri nazar
ko apni ehmiyat DIKHANI HOGI.....

ye meri duniya hai.....

isme meri,bas meri,sirf meri hi
MANMAANI HOGI..










AAJ KE LIYE ITNA HI......









AAPKA APNA V...J.......
Very nice update bhai
 

drx prince

Active Member
1,564
1,547
143
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF FALLON KE MASTER FALLON SE AUR KADA ABHYAS KARNE KO KEHTE HAIN WAHIN DUSRI TARAF RAAZ AUR VIDEOUS KE BEECH EK PACT HOTA HAI.

AB AAGE:-



CHAPTER-1


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-67



PLANET-ELYSIAN


PLACE-STELLAR'S PARK





GOOD MORNING UNCLE...GOOD MORNING AUNTY.....


subah ka waqt hai....FLORIN aur MARIA,dono hi har morning ki tarah colony me bane jogger's park me aaj bhi walk ke liye aaye the...

dono halki streching kar hi rahe the ki tabhi unke piche se ye awaaz aati thi jisse sun jab wo dono palte toh apne saamne ek khubsoorat par anjaan ladke ko khada paaya jisne abhi abhi unhe greet kiya tha aur filhal un dono ko hi dekh kar muskura raha tha....


MARIA-good morning beta...but have we met before..???maaf karna humne aapko pehchana nahi...

LADKA-dont say sorry aunty..jab hum isse pehle mile hi nahi hain toh fir aap dono mujhe kaise pehchante..??

aap dono ne bhale hi mujhe nahi dekha hai par maine aap dono ko ek do baar ALFREEN ke saath dekha jisse mujhe andaza ho gaya tha ki aap uske parents hain....


waise myself VIDEOUS...mai aapki beti ALFREEN ka PHASEMATE bhi hun aur friend bhi...


dhyan se sun rahe the FLORIN aur MARIA VIDEOUS ko yaa fir ye kahin ki uske haav bhaav,baat karne ke tarike ko aur ye sab notice kar unhe VIDEOUS bilkul RAAZ ki tarah lag raha tha aur yahi wajah thi ki pehli baar VIDEOUS se milkar bhi wo unhe apna laga....

aur upar se jab VIDEOUS ne ye kaha ki wo ALFREEN ka friend hai toh unki khushi badh gayi....


FLORIN-nice to meet you young man....


puri garm joshi se haath milaya FLORIN ne VIDEOUS ka aur...


FLORIN-par beta humne tumhe pehle yahan nahi dekha...

VIDEOUS-actually uncle mai normally park ke dusri taraf exercise karta hun...

ab ye park itna bada hai ki ek side waalon ko dusri side ka pata hi nahi chalta...

MARIA-haan,ye toh hai...humare planet me bhi hum morning walk ke liye wahan ke ek park me jaate the par jahan us park ke hum 10 rounds araam se maar lete the wahin is park ke 3 lagana bhi mushkil hota hai...

FLORIN-apni baat karo..mai toh yahan bhi 10 rounds laga leta hun....

MARIA-acha..aur ye kab kiya aapne...??maine toh 5 rounds se zyada aapko lagate nahi dekha...

FLORIN-tumne nahi dekha matlab maine rounds nahi lagaye..

ye kya baat hui bhala...???

aur waise bhi, tum thakan ki wajah se dhyan nahi de paati ho...ab umar bhi toh ho gayi hai naa tumhari....


FLORIN aksar MARIA ko chidhane ke liye unki umar ki baat karte the jisse wo chidh bhi jaaya karti thi...

abhi bhi yahi hua tha.. FLORIN ki baat sun MARIA kuch kehne hi waali thi ki tabhi...


VIDEOUS-this is not fare uncle...aunty bhala kis angle se old dikhti hain...

wo jo saying hai naa,ki age is just a number...aunty ko dekhkar mujhe lagta hai jisne bhi wo saying kahi hai,aunty ko dekhkar hi kahi hogi...


VIDEOUS ki baat sun jahan FLORIN halka muskura diye wahin MARIA khush ho gayi aur...


MARIA-charming!!!i like it...infact most of the girls like guys like you...

aur aap,sikhiye kuch is bacche se...

FLORIN-ab sikh kar bhi kya faayda..??aise lines bol toh lun par try karne ke liye bhi toh koi chahiye naa...!!!

MARIA-kya kaha...??budhape me jawani chaddne lagi hai kya...????

FLORIN-budhapa....!!!!bhaagne ka stamina khudka gir gaya hai aur old mujhe keh rahi ho...

MARIA-aisi baat hai...toh fir chalo,ho jaaye mukabla...maarte hain chakkar...dekhte hain ki kaun pehle thak kar rukta hai...????

FLORIN-challenge accepted....


jahan pure josh ke saath FLORIN ne ye baat kahi wahin VIDEOUS,jo kaafi der se in dono ki nok jhonk dekh raha tha,wo FLORIN ki baat sun..

VIDEOUS-kya mai bhi aap dono ke saath join kar sakta hun...??waise bhi meri morning jog abhi baaki hai...

MARIA-sure son...the more,the merrier.... let's go..


ye bol MARIA aur FLORIN ne halki streching ki aur fir shuru hui un teeno ki jog....

jog karte waqt baat karne se saans jaldi foolti hai isiliye FLORIN aur MARIA mooh band kar doud rahe the...

VIDEOUS ne bhi jog ke beech kuch nahi kaha aur un dono ke saath doudta raha....

5,10,15,20,25 aur fir 30 minutes ho gaye the in teeno ko daudte hue...

FLORIN aur MARIA,dono ke chehre par hi kaafi thakan dikhne laga tha par fir bhi dono me se koi haar maanane ke liye taiyar nahi tha...

ye dono shuru se hi aise the..waise toh dono hi do jism ek jaan the par jab baat competition ki aati thi toh compromise karna nahi aata tha dono ko...

aur is tarah kuch 10 minute aur nikal gaye jiske baad in dono ke chere par accessive thakan dikhne lagi thi jisse dekh VIDEOUS turant dono ke aage aaya aur...


VIDEOUS-time out guyzzz...yaar aap dono bhale hi naa thake hon,par mai thak gaya isiliye kamsekam mere liye ab ye challenge khatm kijiye.....

no body wins.. it's a draw....


dono ke aage aa ulta doudte hue kahi thi ye baat VIDEOUS ne jisse sun dono hi rook gaye....

thakan ki wajah se kuch der laga un dono ko normal hone me par jab un dono ki saans normal hui toh dono ne ek dusre ko dekha aur....

HAHAHAHA......


ek zordar hasi nikal gayi FLORIN aur MARIA ki apni hi bachkani harkat aur zidh par...

ek dusre ko side hug kar dono hi apne saamne VIDEOUS ki taraf palte aur...


DONO-thanks beta...

VIDEOUS-thanks!!!!!wo kisliye...???

FLORIN-hum dono ko hi winner bana khudko harane ke liye...

tum ek SAVENT ho...thik waise jaise meri beti hai aur ek SAVENT ko agar 2,3 ghante tez bhi douda diya jaaye tab bhi wo nahi thakta..

fir tum toh hamari hi tarah dheere dheere doud rahe the....

MARIA-exactly..tumne apni haar, hume jo thakan lag rahi thi,usse khatm karne ke liye maani....so thank you for that...

VIDEOUS-ye baat toh sach hai uncle,aunty ki ek SAVENT aise bohot se kaam kar sakta hai jo normal log nahi kar sakte...

but ye sirf usse diya ek gift hai...par aap dono ne jo ki completely normal hain,is umar me bhi itna stamina rakhna,its commendable..

apni taarif sun MARIA aur FLORIN,dono bas muskura diye...


MARIA-waise aaj thoda late ho gaya hai... AL ke institute jaane ka time bhi ho chuka hai..

hume chalna chahiye warna wo khudse toh breakfast karne se rahi...

FLORIN-thik hai..beta VIDEOUS,aap bhi chalo hamare saath...aaj breakfast hamare yahan karna,hume accha lagega...

VIDEOUS-i would love to uncle but aap bhul rahe hain ki ALFREEN ki tarah mujhe bhi institute jana hota hai aur mai bhi late ho chuka hun..

toh isiliye aaj nahi aa paaunga..but next time,pakka...

FLORIN-alright than....hum chalte hain..u take care of yourself son...


apni baat keh FLORIN aur unke saath MARIA, dono palatne hi waale the ki...


VIDEOUS-uncle...i am really honoured to meet you guyzz..can i give you a hug...???


jahan VIDEOUS ki baat sun FLORIN ke chehre par ek muskaan tair gayi wahin MARIA....???


MARIA-ab ye toh galat baat hai..hug sirf uncle ko,aunty ko nahi..???

VIDEOUS-honoured me aap dono se milkar hua hun...toh hug bhi dono se hi chahunga naa...


VIDEOUS ki baat sun pehle FLORIN aage badhe aur usse gale se laga liya aur aisa karte waqt unhe wahi feeling aayi jo RAAZ ko gale lagate hue aati thi....

wahin FLORIN ke baad MARIA ne bhi VIDEOUS ko hug kiya aur unhe bhi FLORIN ki hi tarah VIDEOUS se RAAZ ki vibes aayi thi...

yahi wajah thi ki dono hi pure dil se gale lage the VIDEOUS ke....

gale lagne ke baad ek baar firse bye bol apne ABODE ke liye nikal gaye FLORIN aur MARIA....

aur jaate waqt....


FLORIN-chehra alag,banda alag..par pata nahi kyun par ye ladka mujhe RAAZ jaisa lag raha tha...

MARIA-arre waah..what a coincidence..mujhe bhi same feeling aayi thi...


jahan apne raaste nikle FLORIN aur MARIA ye saari baatein kar rahe the wahin apni jagah khada VIDEOUS jisse sab sunayi de raha tha,wo....


VIDEOUS-RAAZ toh nahi hun mai par mujhme RAAZ zaroor hai...dekhte hain,kya gool khilate hain ye RAAZ....!!!






PLACE-WEAKLING CLASS






RAAZ.... BAS EK PERCENT AMPLIFICATION AUR...USKE BAAD TUM BHI ACCHUTA AUR SLUNDER KI HI TARAH GROOMERS CATAGORY KE LIYE QUALIFY KAR LOGE....



aaj class shuru karne ke thodi der baad meri CHOSENS ke hisaab se first percent AMPLIFICATION puri ho gayi thi...

mere sharir se nikle tez prakash ne is baat par mohor lagayi thi jisse dekh HIDA ne ye saari baatein kahin thi....

wahin mere baaju me baithe BRAWNY ki koshish hamesha ki tarah naakam ho gayi thi jiski wajah se uske chehre par maayusi saaf dikh rahi thi....

aur uske expressions HIDA se bhi chuppe nahi the aur isiliye.....


HIDA-nirash mat ho BRAWNY...success har kisko turant mil jaaye,ye zaroori nahi...koi turant aage badh jaata hai toh kisiki raftaar slow hoti hai...

tum bas apne focus ko aur strong karo.....aaj nahi toh kal tumhara SOUL trigger ho hi jaayega....


BRAWNY ko housla dete hue kahi ye baat HIDA ne jispar na toh uske chehre ke bhaav badle aur naahi man ke...

reason...

ek saying hai ki, it's not about the advice... it's about the person who is giving that advice ...

important sirf advice nahi hoti..us advice ko de kaun raha hai,ye baat advice se zyada maayne rakhti hai...

agar saamne ek champion khada ho,toh uske bina bole hi sirf uske ATTITUDE ko,andaz ko, performance ko dekh kar log motivate ho jaate hain wahin agar saamne khada banda khudki personal life me ek looser ho toh fir fark nahi padta ki apna gala faad wo kitni hi positive baatein kyun naa kare,sunane waale ke liye woh saari baatein mahaz baatein hi rehti hai....

aisa hi kuch abhi BRAWNY ke maamle me bhi tha...wo khud ek WEAKLING tha...uske aas paas ka saara mahoul negetive aur hopeless tha...

uske baaju me khada SAVENT usse koi matlab nahi rakhta tha...saamne khadi WHIZZ khud kaafi underconfident rehti thi...

unka khud ka experience bohot negetive tha toh fir aise me BRAWNY bhala kaise khudko motivate karta....

isiliye jo WHIZZ ne kaha,usse usne ek kaan se sunkar dusre se nikal diya...

par try toh dobara karna hi tha isiliye ek lambi saans chhod BRAWNY dobara apne SOUL ko trigger karne ke process me lag gaya...

wahin kyunki class shuru hue zyada waqt hua nahi tha, isiliye maine bhi SOUL AMPLIFICATION ke process ko repeat karne ke liye dobara apni aankhen band kar li thi...

waise toh ek baar soul AMPLIFY hone ke baad sharir me itni jaan bachti nahi thi ki same day dobara is process ko dohraya jaaye par mere aisa karne ke baad bhi HIDA ko naa toh zyada aascharya hua aur naahi usne mujhe roka kyunki bhale hi wo meri asliyat nahi jaanti thi par itna toh unhe andaza ho gaya tha ki mai sadharan ya fir baaki SAVENTS ki tarah bilkul nahi hun...

kuch aisa hai mujhme jo baakiyon se alag hai aur isiliye hi wo shaant hokar mujhe dekhti rahi...

par bhale hi mujhe dobara AMPLIFICATION try karne par HIDA hairan nahi hui thi,par jab mere AMPLIFICATION process me baithne ke kuch der baad ek baar firse mera sharir roshni se naha gaya,aisa hote dekh unki aankhen hairat se badi ho gayi...

ab hairani ki baat toh thi hi...aisa CHOSENS me pehli baar ho raha tha ki kisi SAVENT ne ek hi din me do baar apne SOUL ko AMPLIFY kiya tha....

aur sabse badi baat ye thi ki wo SAVENT STELLAR yaa fir GROOMER bhi nahi balki ek WEAKLING tha...


MAI-kya hua WHIZZ???itni hairan kyun dikh rahi hain aap...???


aankh khulne ke baad jab maine apne saamne HIDA ko mujhe aankh faade ghurte paaya toh maine ye baat kahi jispar...


HIDA-unbelievable....aisa pehle kabhi nahi hua hai ki kisi SAVENT ne ek hi din me do baar apne SOUL ko AMPLIFY kar liya ho....

par tumne,jo ko ek WEAKLING hai,ye kar dikhaya...tumhe andaza bhi nahi hai ki ye kitni badi baat hai....

ab kal se tum bhi ACCHUTA aur SLUNDER ki tarah GROOMER kehlaoge...


ye saari baatein HIDA ke zuban se nikal rahi thi but at the same time unke man me bhi kuch baatein ho rahi thi...

aur wo baatein thi ye...


HIDA man me-ab mujhe pura yakin ho gaya hai ki jo us din tumne mujhse kaha tha,agar mai uska matlab samajh jaaun toh meri ghutan bhari zindagi khatm ho jaayegi...

tum ek ANGEL ho jo mujhe mile us LOOSER tag se azaad karayega.....

aur ab kuch bhi ho jaaye,mai tumhari baat ka matlab
pata karke hi rahungi...


wahan unki man aur zuban ki baat khatm hui aur yahan....


MAI-andaza accuracy nahi darshata..aur jis kaam me accuracy naa ho,wo mai karta bhi nahi.....


jahan meri baat sun HIDA bas halki si muskura di wahin BRAWNY jo ki mere do baar SOUL ko AMPLIFY karne se hairan tha,par saath hi uske man ke ek hisse me apne aap wahi chiz aane lagi thi jiske baare me maine thodi der pehle bataya tha..

motivation...wo motivation jo HIDA ke lagatar cheer up karne par bhi nahi jaaga tha,wo bas mere achievement ko dekhkar jaagne laga tha..

BRAWNY jo itne dino se lagatar ek frustrated mentality ke saath jee raha tha,achanak uske andar ek nayi sfurti aur positiveness ghar karne laga tha....

khair,mere do baar SOUL AMPLIFICATION ke process ko repeat karne aur result dene se hamare class ka waqt kuch der pehle hi khatm ho chuka tha aur isiliye...


HIDA-aaj ki class khatm hoti hai...kal mlite hai..


ye bol HIDA aage badh gayi aur unke nikalne ke kuch seconds baad mai bhi muda aur hall se nikalne laga...

wahin nayi sfutri se bhara BRAWNY mujhse baat karna chahta tha par usse samajh nahi aa raha tha ki wo ye kaise kare kyunki usse pata tha ki naa toh mujhe zyada baat karna pasand hai aur naahi mai uske saath friendly hun...

par baat toh usse karni hi thi aur isiliye jab usne mujhse baat karne ke liye saamne dekha toh paaya ki mai kaafi aage nikal chuka hun..

ye dekh wo bhi tezi se meri taraf badha aur thik mere piche pahunch....


BRAWNY-RAAZ.....ek minute...can i have a word with you...???


maine THE GREAT HALL ke gate ko cross kiya hi tha ki tabhi mujhe apne piche se BRAWNY ki awaaz aayi jisse sun mai piche palta...


BRAWNY-hey RAAZ.. what's up..???


halke uncomfortable tarike se gesture kiya tha BRAWNY ne mujhse...


MAI-matlab ki baat kar....


mera rawaiya aur tone dono hi thode harsh the jisse sun aur samajh wo halka hadbada gaya par fir..


BRAWNY-nahi wo aise hi.... actually kuch puchna tha mujhe tumse....

MAI-puri baat ek baar me bolna sikh BRAWNY...??aadhi adhuri baatein sehen nahi hoti mujhse...


halke gurrate hue kahi thi maine ye baat jisse sun naa sirf BRAWNY sehem gaya balki jo usne mujhse puchna tha,wo bhi bhul gaya...


BRAWNY-nahi wo,acha jaane do...fir kabhi baat karenge...

MAI-toh kya sirf whats up bolne ke liye roka tha tune mujhe....saale,kis level ka looser hai tu....naa toh class me thik,naahi bahar...

shakal hamesha aisi banayi hoti hai jaise abhi abhi bheek maanga ho par bheek mila nahi ho...

itni hi faththi hai teri toh hamesha apne maa baap ke ga***d me hi ghuse raha kar...

yahan bahar duniya me tujh jaise chutiye ki koi zaroorat nahi...

hath.....

THAPPP....



apni baat keh maine hakka dhakka diya BRAWNY ko jiski wajah se wo piche gir gaya par tabhi....


RAAZ......YE KAISI WAAHIYAD AUR NEGETIVE BAATEIN KAR RAHE HO TUM....???


mere right taraf se aayi thi ye awaaz jo ki kisi aur ki nahi balki MAHI ki thi....

darasal day off hone ke baad jab STELLARS class se bahar nikle toh MAHI ne ALFREEN aur MABEL se washroom jaane ki baat kahi...

jahan MAHI wash room chali gayi wahin ALFREEN aur MABEL institution ke bahar gate par uska intazar kar rahe the....

washroom class ke aage hi tha jahan se ho jab wahan se nikal MAHI hall se bahar aayi toh uski nazar mujhpar aur BRAWNY par padi aur saath hi usne sunli wo saari baatein jo maine abhi abhi BRAWNY se kahi thi...

meri baatein sun usse bohot bura kag raha tha aur jab aakhir me maine BRAWNY ko dhakka maarkar gira diya toh usse bardasht nahi hua aur wo turant apni baat chillate hue hamari taraf badhi...

paas aa usne BRAWNY ko sahara dekar uthaya aur....


MAHI-ye kya ghatiya baatein kar rahe the tum isse...???jaante hue bhi ki ye thoda underconfident hai,halka dara hua sa rehta hak,isse motivate karne ki jagah tum isse itni negetive aur gandi baatein kar rahe ho...

maine toh socha tha ki tum waise nahi ho jaisa pehle khudko dikhate the par mai galat thi..tumhari soch toh hadh se zyada giri hui hai....


ek saans me bolti chali gayi thi MAHI ye saari baatein jisse sun..


MAI-filhal toh gira hua ye tha..par uthne ke liye bhi isse tumhari zaroorat padi...aur aisa kar isne meri har kahi baat par sach ki muhar laga di....

MAHI-muhar sirf ek sach par laga hai aur wo ye ki tum ek ghatiya insaan ho....

aur jo baatein tumne isse kahi hain,uske liye tum abhi issi waqt isse maafi maangoge aur agar tumne aisa nahi kiya toh jaise tumne isse humiliate kiya hai,waisa hi kuch mai tumhare saath karungi....


ghusse se halke halke kaampte hue kahi ye baat MAHI ne jispar....


MAI-mai dar gaya...khair,maafi toh mai maang lun par soch lo.. meri maafi aksar logon ko hazam nahi hoti...

MAHI-apni bakwas oneliner apne paas rakho aur maango maafi BRAWNY se...


MAHI ki baat sun mai BRAWNY ki taraf badh aur thik uske saamne khada hua aur...


CHATAAKH......

MAI-ye tha mera SORRY....



mera haath thappad ka roop liye pada BRAWNY par aur aisa hote hi...

BRAWNY toh BRAWNY,mere thappad ke impact se uske baaju me khadi MAHI bhi hadbada gayi thi..

toh hua ye ki jaise hi maine BRAWNY ko thappad maara toh uske chehre ke saath puri body hil gayi....

uske body ko ek tez jhatka laga aur wo sidha apne baaju me khadi MAHI se takraya...

MAHI asavadhan thi aur isiliye wo us takkar se bach nahi paayi aur us tez takkar ki wajah se neeche gir gayi...

wahin mere thappad padte hi BRAWNY ka sense gayab hone lag gaya tha..usse apne kaan ke paas kuch gila gila laga tha par isse pehle ki wo us gilepan ko samajhta,wo niche gir behosh ho chuka tha...

in sabke beech BRAWNY ke takkar se niche giri MAHI ko pehle toh jo hua,usse samajh me hi nahi aaya par fir kuch seconds baad wo ek jhatke se uthi...

par ab thodi der ho chuki thi...jahan ek taraf mai wapas mood nikal gaya tha wahin dusri taraf BRAWNY behosh ho chuka tha...

meri harkat par behad ghussa aaya MAHI ko aur wo meri taraf badhne hi waali thi ki tabhi uski nazar side me gire hue BRAWNY par gayi aur uski haalat dekh MAHI ko uspar taras aa gaya...

BRAWNY ke left kaan ke niche se khoon ki ek moti si dhaar nikal rahi thi aur saath hi uske ussi taraf ka gaal bhi fat gaya tha aur wahan se bhi khoon rees raha tha...

BRAWNY completely senseless tha aur usse aisi haalat me ek pal ke liye bhi chhodna MAHI ne sahi nahi samjha..

ek baar mujhe piche se ghusse me ghur MAHI ne turant BRAWNY ko sahara dekar uthaya liya...

MAHI ek top SAVENT thi jiske liye ek male bande ko uthana bhi maamuli baat thi..

BRAWNY ko utha saamne gate ke badle side me bane ek sanakre par short cut raaste se jisse chariot parking me jaldi pahuncha jaa sakta tha, MAHI aage badh gayi aur kuch hi der me wo apne CHARIOT ke saamne thi....


institution ke gate me ALFREEN aur MABEL uska wait kar rahi thi,but filhal uske paas unhe inform karne ka waqt tha nahi aur isiliye MAHI ne turant BRAWNY ko apne chariot ke piche seat me daala aur turant apne ABODE ke liye nikal gayi.....




PLACE-WEAKLINGS STAY





RAAAAAAAZZZZZZZ......


shaam ka waqt hai...mai apne quater me baitha hi hua tha ki tabhi koi mere quater ke entrace me aate hue zor se mera naam lekar chikha jisse sun mere chehre par ek halki smile aa gayi...

ye koi aur koi nahi balki SHALTON tha, BRAWNY ka baap jo mere saamne khada tha...

nathune fuli hui thi uski...ghusse ke maare zor zor se saans le ghur raha tha wo mujhe..

aur tabhi uske piche se prakat si hui uski wife NAOMI jiske aankhon me mere liye ghussa,nafrat aur saath hi nami bhi thi....

khair,abhi SHALTON meri taraf aage badhta ki tabhi..


BRAWNY-dad,leave it..maine kaha naa ki i am fine...please chaliye yahan se...


apne dad ke haath ko kheenchne ki naakamiyab koshish karte hue kahi ye baat BRAWNY ne...

is waqt uske left side ke pure chehre par transparent pattiyan chadhi hui thi...

scene aage badhane se pehle aayiye jaan lijiye ki ab tak kya kya ho chuka hai...


darasal MAHI BRAWNY ko apne ABODE isiliye le gayi thi kyunki har STELLAR ke ABODE me ek self healing room bhi hota tha jisme agar yahan institution me metaphysical activities ko try karte waqt chot lag jaaye,toh uska us room ke magical healing rays se turant ilaaj ho jaata tha par kyunki is kriya me instant ilaaj ho jaata tha isiliye isme pain bhi hota tha aur wo pain sirf ek STELLAR hi jhel sakta tha...

aur BRAWNY ka sharir kamzor tha isiliye MAHI ne usse apne ELUSORY ki madad se us room me lejaakar manual healing ways se jo ki ek ELUSORY ko ache se aati thi, BRAWNY ka ilaaj kar diya tha...

jo pattiyan abhi BRAWNY ke chehre par lagi thi,unse uske saare zakhm kuch ghanton me hi ninty percent tak kam ho jaane the..

ilaaj karwakar bina kuch kahe BRAWNY chup chaap MAHI ke ghar se apne quater ke liye nikal gaya tha...

MAHI ne usse apne CHARIOT me chhodne ki baat bohot baar kahi par wo maana nahi..

par jab wo ghar aaya aur SHALTON aur NAOMI ne uski haalat dekhi toh unhe laga jhatka....

kaafi baar uski us haalat ke baare me puchne ke baad bhi jab BRAWNY ne kuch nahi kaha toh NAOMI ne usse apni kasam de di aur aisa hone par jaise jaise BRAWNY aaj ki saari baat batata gaya,uske parents ka mere prati ghussa badhta gaya aur BRAWNY ki puri baat sunte hi SHALTON aur NAOMI,dono turant mujhe confront karne ke liye mere quater ki taraf badh chale...

raaste bhar BRAWNY unhe aisa karne ke liye mana karta raha par bhala parents apne bacche ke kasoorwaar ko yunhi jaane den,aisa kaise ho sakta hai...???

toh ye thi ab tak ki daastan..ab aage...


BRAWNY-dad,mom please chaliye yahan se...???


apne bete ki baat ko nazarandaaz kar SHALTON turant aage badhe aur...


SHALTON-teri himmat kaise hui mere bete par haath uthane ki...bata mujhe...kya galti ki thi isne jo tune is maasoom ko itni buri tarah maara...


meri shirt ke girebaan ko pakad ye baat kahi SHALTON ne jispar...


MAI-mere bina ijazat koi mujhe awaaz de,mujhe roke,ye meri nazar me bohot bada gunah hai...

aur tune toh mere girehbaan par haath daal diya...ACHA NAHI LAGA MUJHE.....

SHALTON-toh,kya karega tu..???mujhe bhi maarega...

KADAKKK.....


AHHHHHHHHHHHHH....


SHALTON ke dono haath jinse usne mera girehbaan pakda hua tha,maine unhe pakda aur uske agle hi pal un dono haathon ke joint bone toot chuke the...

aur aisa hote hi gala phaad kar chillaya SHALTON...


haath uske mood chuke the aur ussi haalat me apne ghutno par aa gaya tha SHALTON..


jahan apne pati ki haalat dekh kar jadh si ho gayi thi NAOMI wahin BRAWNY jo ab tak bas request mode par tha,uska apne pitah ki haalat dekh khoon ubal gaya aur...


BRAWNY- RAAAAAZZZZ...mai nahi chhodunga tujhe....

ye bol aage badha BRAWNY par tabhi....


DHAKK......


meri ek laat padi uske seene ke beech jiske impact se piche ki taraf udta hua quater se bahar jaa gira BRAWNY....

itna hi nahi,hard satah par ek jhatke se gira tha wo jiski wajah se uske sir ke pichla bhaag zameen se takraya tha aur aisa hone par ek baar firse uske senses jaane lage...


wahin apne bete ka haal dekh NAOMI jaise neend se jaagi aur gurrate hue meri taraf palti hi thi ki..


AHHHH.......


maine uske piche ke baal pakad hawa me utha diya usse aur apne dusre haath se SHALTON,jo ki zamin par baitha dard se karah tha,uske gale ko dusre haath se pakad usko bhi hawa me utha dono ko le apne quater se bahar nikla aur NAOMI ke baal aur SHALTON ke gale ko jhatak unke bacche ke paas fek diya maine...

NAOMI ko uske baalon ko zor se pakad jo maine usse uthaya tha,uski wajah se usse beintahan dard hua tha aur jab maine usse zamin par feka toh uske left shoulder me moch aa gayi jisse uski haalat aur kharab ho gayi....

WAHIN dard ki adhikta se SHALTON toh behosh hi ho gaya tha...

aur in dono ke beech pada tha BRAWNY jiski aankhen bhi bhaari hone lagi thi jiska matlab tha ki wo bhi behosh hone ke kagaar par tha...

ek nazar apne saamne daal jahan is waqt meri bike jo mere GROOMERS ki entry ki wajah se mujhe mili thi,usse dekh mai BRAWNY ke thik saamne baitha aur...


MAI-

jahan natija mile,
zor wahin LAGANA CHAHIYE....

kismat bohot kutti chiz hai,soch samajh kar AAZMANA CHAHIYE...

khudko bacha naa saka,koi baat nahi,


par maa baap bhi pit gaye,
tujhe toh MAR JAANA CHAHIYE...











AAJ KE LIYE ITNA HI......








AAPKA APNA V...J......
Very nice update bhai
 

drx prince

Active Member
1,564
1,547
143
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF VIDEOUS FLORIN AUR MARIA SE PEHLI BAAR MILTA HAI WAHIN DUSRI TARAF RAAZ BRAWNY AUR USKE SAATH USKE PARENTS KO BHI MAARTA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-68




PLANET-ELYSIAN


PLACE-CHOSENS



GROOMERS CLASS:-





KNOCK.... KNOCK.... KNOCK.....


subah ka waqt hai..GROOMERS class ke door par knock hua tha jisse sun class ke andar moujud teeno WHIZZ,WHIZZDER aur unke saath sabhi SAVENTS ki nazar bhi door par gayi jahan is waqt mai khada tha...

mujhe GROOMERS ke kapdo me khade ya fir ye kahun ki mujhe dekh jahan ek jhatke me ACCHUTA aur SLUNDER khade ho gaye wahin class ke baaki SAVENTS ki nazar bhi mujh par theher si gayi thi..

WEAKLINGS ki muddy shirt me bhi meri personality kam nahi dikhti thi toh fir aise me is waqt jo robe maine pehna tha,usme mai baakiyon se kayi guna zyada aakarshak lag raha tha aur ye appreciation mujhe wahan moujud har female SAVENTS ki aankhon me bakhubi dikh raha tha...

khair,mujhe dekh....


EDWINA-aao RAAZ...congrats for the upgradation...waise tum deserve karte the ye promotion...

SAVENTS,aapko jaankar hairani hogi ki RAAZ aisa pehla SAVENT hai jisne ek hi din me apne SOUL ko do baar AMPLIFY kiya hai...

in a way ye keh sakte hain ki isne ek hi din me khudko upgrade kiya hai....


meri achievement ko sun jahan baaki sabhi SAVENTS hairan ho rahe the wahin ACCHUTA aur SLUNDER ko toh ye sab normal hi laga tha..

wo dono toh issi baat se khush the ki unke according unka friend unki class me aa gaya tha...

WHIZZ EDWINA ke baad WHIZZDER ROVEL aur WHIZZ PETRA ne bhi mujhe congratulate kiya aur fir baithne ko kaha..

ACCHUTA aur SLUNDER toh jaise issi baat ka intazar kar rahe the...

jaise hi mai aage badha,un dono ne hi mujhe unke saath baithne ka ishara kiya jiske baad mai un dono ke beech jaakar baith gaya...


EDWINA-RAAZ... WHIZZ HIDA ne tumhe SPELLAR aur REFINER ke baare me toh bataya hi hoga...

MAI-haan...

EDWINA-WEAKLINGS aur GROOMER'S ke SPELLARS aur REFINERS me fark hota hai...

hamari catagory me SPELLARS me
kul teen pipes hote hain jinki SPELLS ko jhelne ki shamata zyada hoti hai...

aur saath hi REFINERS ki sankhya bhi zyada hoti hai...jahan WEAKLINGS class me aap sirf ek hi REFINER ko trigger karne ki koshish kar rahe the wahin is class me aap kul teen REFINERS ko trigger karenge....

HAPPY SAD AND ANGRY....

jinke spells hain....

SAMPURN AANANDITAM...

SAMPURN ANTARDUKHAM

SAMPURN KRODHAM....

in teeno RIFINER SPELLS ko aapko use me laana sikhna hai...


PETRA-ye bohot achi baat hai ki aapne ACCHUTA aur SLUNDER ki tarah session ke shuruat me hi khudko upgrade kar liya hai kyunki abhi tak kisi bhi SAVENT ne kisi bhi REFINER ko trigger nahi kiya hai...

REFINER ko maamuli darje tak refine karne ke liye aapko kul 2 minute tak paused CEREBRATION me rehkar apne REFINER ko man hi man uccharit karna hoga..

agar aapne aisa kar diya toh aapke SPELLS ka level low se average pahunch jaayega....

complete power ke liye yahi process 5 minutes tak karna padta hai...

toh shuru karen....???

SAB-yes WHIZZ....

ACCHUTA-arre yaar..fir g***d fatne waali hai....saala is AANANDITAM REFINER ki toh...saala ek baar jaan aa jaaye is REFINER me...

itna bajaunga iski ga***d me ki fir kabhi pareshan nahi karega...

pichle 2 din se has has kar atdi sukhne ko aa gayi hai....

SLUNDER -abbe chup.. WHIZZ ne sun liya toh teri ga***d sooj jaani hai...

ACCHUTA-bhai jab ga***d faththi hai naa,toh uska ek side reaction ga***d ko suja bhi deta hai..aur kitna sujayegi ye...

SLUNDER-apni bakwas band kar aur concertration pura task me laga...


SLUNDER ki baat par ACCHUTA kuch kehta ki tabhi...


MAI-issi class me chipke reh second hand ka tag lagaye rehna toh focus mat kar...

par agar khudko strong bana VALDIS aur uske jaiso se takkar lena hai toh fir atdi sukhe yaa fir saans ki nali...har obstacle ko paar karna hi padega...

ACCHUTA-yahi toh baat hai...kam bolta hai par zabardast bolta hai...yaar,kuch bhi bol...teri har baat kaan se hokar dil me utarti hai....

aur logic bhi to the point hota hai..kaun si nabs kab dabani hai,ache se maalum hota hai tujhe...

ROVEL-SAVENTS...personal talks baad me bhi ho sakti hain,filhal class me concentrate karen...???


koi kuch kehta ki usse pehle hi ROVEL ki awaaz humare kaano me padi jiske baad baatein khatm aur kaam chalu ho gaya...

jahan baaki sabhi SAVENTS apni apni aankhen band kar REFINER ko man me uccharit kar uske effect se zor zor se hasne lag gaye the wahin has mai bhi raha tha par ye hasi fake thi..

reason...

filhal toh mujhe SPELL ko power dene ke liye kisi REFINER ki zaroorat thi nahi par kal ke baad aisa hone wala nahi tha...

parso se mai bhi ek normal SAVENT tha jisse un sabhi taklifon we guzarna tha jisse hokar ek SAVENT apne mukaam haasil karta hai...

par isme mere liye ek bohot badi problem thi... EMOTIONS...

wahi emotions jinse REFINERS bane the...jab wo EMOTIONS ek shakti ray me badal SOUL se connect hote the,tab SOUL ke through un emotions ke SPELL ko shakti milti thi...


par mujhme toh unme se koi bhi EMOTIONS the nahi....fir aise me bina meri aloukik shaktiyon ke kaise karunga mai apne SPELLS ko refine....

sawal mushkil tha par jawab maine already khoj liya tha..

par us jawab ko filhal mai khudme try nahi kar sakta tha....

aur wo isiliye kyunki ek toh mera vyaktiv,mera ATTITUDE mujhe aisa karne ki ijazat nahi deta tha par agar fir bhi,ek temporary base par in emotions ko try bhar karne ke liye mai inka istamal kar bhi leta toh parso se,jab mere paas wo authority nahi hogi jisse mai kuch bhi kar sakta hun,meri ye harkat ek alag hi shakti ka roop le backfire kar mujhe ek mout jaisi neend me sula degi....

waise same condition VIDEOUS ke saath bhi hai but mujhe pata hai ki jab ye normal hone ka plan uska hai toh aisa hone ke baad aani waali pareshani ka solution usne bohot pehle hi nikaal liya hoga...

khair,yahi wajah thi meri fake hasi ki aur aisa mai ye tab tak karta raha jab tak saare SAVENTS ne lagatar hasne se pet me uth rahe marod ki wajah se give nahi kar diya..

class khatm ho chuki thi aur isiliye teeno WHIZZES aur WHIZZDER class se nikal gaye aur jab aisa hua toh...


ACCHUTA-pata nahi bhai,kab hoga merge ye pehla REFINER SOUL se aur mukti milegi is dard se...

MAI-hota kuch nahi hai ACCHUTA...
karna padta hai...


meri baat par ACCHUTA kuch kahe usse pehle...


SLUNDER-arre chhodo naa yaar..jab hoga tab hoga..filhal toh i am very happy ki hum teeno wapas ek hi class me aa gaye hain...

pata hai RAAZ,hum bhale hi apartment me shift ho chuke the, life style sahi ho chuki thi par jab us din tune hume apne dost ka darja diya toh quater se nikalne ke baad bhi ek khaalipan lagta tha...

par ab tu aa gaya hai toh ab fullon dhamal karenge...


apne aadat ke ulat bilkul ACCHUTA ki tarah apni excitement dikha raha tha SLUNDER jiski baat sun...


ACCHUTA-satyavachan....aur pata hai RAAZ,do din ho gaye hume GROOMERS bane...

chaaron LUXURY GATEWAYS mile hain hume jinse hum pura PHASE explore kar sakte hain par abhi tak humne kiya nahi hai...

aaj shaam ka plan bana tha aur ab jab tu bhi saath hai toh fullon dhaamal karenge...

MAI-dhamal baad me karna..pehle ghar chalte hain....


ye bol jahan mai aage badh gaya wahin mere baad wo dono bhi mere piche ho liye aur raaste bhar dono ki patar patar on mode me hi rahi...






PLACE-HEAVEN





YE PARESHANI BHI CHIZ AJEEB HAI...

JAB BHI TERE CHEHRE PAR AATI HAI,TUJHE AUR KHUBSOORAT BANA JAATI HAI...


AVANTIKA ke chehre par dikh rahi pareshani ki silwaton ko dekh kahi thi ye baat VIKRAM ne jispar AVANTIKA ne turant khudko normal kar liya par wo ye bhul gayi thi uske saamne khade shaksh se kuch bhi chuppana mumkin nahi...


VIKRAM-kya baat hai..humari jaan humse hi RAAZ rakhne lagi....!!!

jaanbujh kar RAAZ shabd ka istemal kiya tha VIKRAM ne aur uske aisa karte hi ek baar firse AVANTIKA ke chehre par tanaav dikhne laga tha jisse dekh VIKRAM muskura diya...


AVANTIKA-aapko toh sab pata hai toh fir ye sawal kyun..???

VIKRAM-pata toh aapko bhi sabkuch hai toh fir ye tanaav kyun...???

AVANTIKA-theory aur practical me fark hota hai V.J...jo RAAZ kar raha hai uska bhale hi mujhe andaza tha par ab jab wo saari chizen wakayi ho rahi hain aur mai unhe dekh rahi hun toh khud ko pareshan hone se rok nahi paa rahi...

aur uske upar VIDEOUS... RAAZ ko harane ke chakkar me wo kuch bhi kar sakta hai....aur sabse badi baat toh ye hai ki RAAZ uski chaalon ko pehle se counter nahi karne waala....

VIKRAM-VIDEOUS toh shuru se hi upar hai AV..acha ek sawal ka jawab do...ANSH aur URJA me kya fark hai...???

AVANTIKA-ye kaise sawal hai..???

ansh matlab PART hota hai, khud ka ek PORTION aur URJA matlab ENERGY....

VIKRAM-elaborate aur differentiate karo dono ko with example...

AVANTIKA-ansh inheritance jaisa hota hai jo ki ek compulsion hai..

isme zor nahi chalta... example ke taur par aap aur ASMODEUS jo ki GOD ke ansh hai...aap dono hi unke inheritance hain jisse aap khudbhi chaahen toh deny nahi kar sakte...

wahin URJA ek POWER OF ATTORNEY ki tarah hai jisse yaa toh ek waqt ke baad artificially apne man se kisiko diya jata hai aur fir kisi aur reason ki wajah se ye POWER kisi bahar waale ke haath lag jaati hai..

aur iska best example hai RAAZ aur VIDEOUS...

jahan ek taraf VIDEOUS ko aapki aur aapke bhai ki shaktiyan ek lottery ki tarah mil gayi wahin dusri taraf RAAZ ko wo shaktiyan aapne aur ASMODEUS ne apni marzi se di...

VIKRAM-not bad AV... example acha tha... difference toh tumne bata diya ab similarity batao..???

AVANTIKA-similarity....!!!wo mujhe nahi pata par ek baat batao...ye saari baatein abhi kyun...???

VIKRAM-batata hun..par pehle similarity jaan lo....

ANSH ho yaa fir URJA,dono ke hi growth ne waqt lagta hai...jab mera janm hua tha,tabse hi mere andar har wo aloukik shakti thi jo mere father GOD ne pradan ki thi..

wahi shakti jo ASMODEUS ko bhi GOD ne apne bete ki haisiyat se di thi...

par kya mai us waqt ASMODEUS se takkar le sakta tha...kya mai usse jeet sakta tha....

bilkul nahi... ASMODEUS mujhe asaani se hara deta...aur ye isiliye tha kyunki ASMODEUS ki utappati mere janm se karodon saal pehle ki thi..

wo shaktiyan jo GOD ne usse di thi, ASMODEUS ne un shaktiyon ko waqt ke saath AMPLIFY kiya tha..nurture kiya tha..

AV,karm ache ho yaa bure,ye nishchit hai ki agar mehnat ki jaaye toh uska fal milne se GOD bhi rok nahi sakte...

bhale hi fir us fal ka natija negetive hi kyun naa ho...

ASMODEUS ne mehnet ki thi, bohot mehnat ki thi aur yahi kaaran tha ki us waqt wo mujhse kayi guna zyada shaktishaali tha...

thik ussi tarah jab RAAZ ko uski puri shakti mili jo ki hum dono bhaiyon ki urja hai,tab uski taakat utni hi thi jitni VIDEOUS ki utappati ke waqt uski thi...

par us waqt me aur abhi ke waqt me bohot lambe samay ka antaral hai...

itne waqt me BANISHMENT me rehne ke baawjud VIDEOUS ne apni shaktiyon ko AMPLIFY kiya hai,badhaya hai aur us shakti ke AURA ko RAAZ ne tabhi mehsoos kar liya tha jab wo pehli baar VIDEOUS ke saamne aaya tha...

ANSH ho ya fir URJA..shakti ko badhane me waqt lagta hi hai par jitna waqt VIDEOUS ne khudko nurture karne ke liye liya hai,utna RAAZ nahi le sakta....

aur issi kaaran usse support chahiye..aisa support jo bhale hi aankhon ko naa dikh raha ho,par uski moujudgi mehsoos ki jaa sakti ho...

achi baat ye hai ki RAAZ ko us support ke baare me dheere dheere hi sahi pata chal raha hai par jo baat RAAZ ke liye acchi hai, unfortunately kaho,ya kismat,wo baat kisi aur ke liye achi nahi ho sakti..

par yahi is kahani ki niyati hai...isse badla nahi jaa sakta...kyunki RAAZ ke saamne VIDEOUS hai..

aur VIDEOUS us LOHE ki tarah hai jisse sirf dusra LOHA hi kaat sakta hai..

aur wo LOHA RAAZ nahi hai,wo ATTITUDE hai jo RAAZ me hai...wo ATTITUDE jo VIDEOUS ke aayne ke samaan hai...

ACCHAYI,REHEMDILI,MAAFI,APNAPAN,TYAG...agar inme se ek bhi emotion ne RAAZ ke andar permanent ghar kiya,toh uske agle hi pal
wo bhi khatm ho jaayega aur uske saath ye kahani bhi..

isiliye chinta mukt hokar kahani ka maza lijiye..aur ye mat bhuliye ki jab bhi koi chiz apni hadh paar karti hai,toh us chiz ko lagam dene ke liye koi naa koi bedi taiyar rehti hi hai...

VIKRAM ki is aakhri baat ko sun AVANTIKA ka murjaya chehra achanak hi chamak utha aur...

AVANTIKA-ye main mudde ki baat aap aakhir me hi kyun karte hain...???chaliye,bataiye,kaun si lagam taiyar kar rakhi hai aapne...???

VIKRAM-lagaam taiyar toh bohot pehle hi kar li thi...bas usse kheenchne ka,lagane ka waqt ab aaya hai....ab wo lagam kya aur kaise lagega,ye khud dekh lo.....






PLACE-SOME WHERE IN UNIVERSE




PEHLE PATA HOTA KI TUM YUNHI SAAMNE AA JAAOGI TOH TUMHE DHUNDNE ME WAQT ZAAYA NAHI KARTA MAI.....


ye baat kahi thi WOOGER ne....

reason....

ek urja me badal badi tezi se WOOGER bramhanad ke beecho beech chala jaa raha tha ki tabhi usne apne saamne ek badi si shield ko mehsoos kiya aur aisa mehsoos karte hi wo turant rook gaya..

WOOGER ke rookne ke agle hi pal wo SHIELD gayab ho gayi aur jahan wo SHIELD thi,wahan ek naya aakar banane laga jo kisi jaanwar ka tha aur us jaanwar ke apne pure form me aate hi WOOGER ne ye baat kahi thi jispar...


ANIMAL-kabse jaante ho mere baare me....??

WOOGER-jabse tum jaanti ho apne baare me GRIFFIN.....


GRIFFIN...wo behad badi aur vishalkaay janwar thi jo is waqt WOOGER ke saamne khadi thi....

GRIFFIN ka structure behad alag,ajeeb aur darawana tha...jahan uski puri body ek LIONESS ki tarah thi wahin uska mooh ek CHEEL,ek EAGLE ki tarah tha par chowda tha aur saath hi kisi eagle ki hi tarah uske pankh bhi the....

(NOTE:-doston,apne man se GRIFFIN ko describe nahi kiya hai maine, ancient greek mythology ke mutabik issi naam ka jaanwar inhi features ke saath kabhi hua karta tha)

khair, WOOGER ki baat sun...


GRIFFIN-par kaise jaante ho tum mere baare me aur kyun dhund rahe the tum mujhe...???

WOOGER-kamal karti ho GRIFFIN....mere MASTER ki shakti se utpatti hui thi meri aur tumhari mistress MAHI se tumhari....

(JI HAAN DOSTON,GRIFFIN HI HAI WO ANIMAL JISNE BACHPAN SE HI MAHI KA TONGASS NATIONAL FOREST ME KHAYAL RAKHA THA)


interlinked hai hum fir kaise nahi jaaunga mai tumhare baare me....???

najaane kab se dhundte aa raha hun mai tumhe....aur dekho, finally aaj tum khud mere saamne ho...

GRIFFIN-bataya nahi tumne ki kyun dhoond rahe the tum mujhe...???

WOOGER-jawab tumhe pata hai GRIFFIN....mujhe naam aur pata chahiye us shaksh ka jiski utpatti mere MASTER aur tumhari MISTRESS ke saath hui thi...

jisse mere us tak pahunchne se pehle hi gayab kar diya gaya tha....

GRIFFIN-usse gayab isiliye kar diya gaya tha kyunki agar tum us tak pahunchte toh apni zaroorat haasil kar maar dete tum usse...

WOOGER-marna toh usse hai hi..agar us waqt hi mar jaati toh kya fark pad jaata...

GRIFFIN-fal khaane ke liye ped nahi kaata jaata...par afsos itni simple si baat tum kabhi nahi samajh paaoge....

WOOGER-mujhe wo ped khana hai jisne meri matlab ke fal ko khudme ugane ki himmat ki....

baat ko kheencho mat GRIFFIN...agar kuch aur waqt tak saans leti rehna chahti ho toh naam aur pata batao uska...

ek baat aur,tum aa toh gayi ho mere saamne ,par jaa tab tak nahi sakti jab tak mai naa chahun...


WOOGER ke aisa kehte hi GRIFFIN ke chaaron taraf ek invisible cage ban gaya tha jisse naa sirf GRIFFIN ne mehsoos kar liya tha balki wo ye bhi jaan gayi thi ki wo us cage ko tod nahi paayegi...

GRIFFIN-WOOGER...apne MASTER ki wajah se taakat toh bohot hai tumme par akal kahan bech aaye tum...???

kya mujhe ye baat pata nahi hai ki filhal mai tumhara mukabala nahi kar sakti...aur ye janane ke baad bhi agar mai tumhare saamne khud aayi hun toh maine aisa kuch soch kar hi kiya hoga naa...

ye mat bhoolo ki sirf mai hun jo tumhe kuch bhi bata sakti hun...agar mai khatm hui,toh tumhe kuch pata nahi chalega.....


GRIFFIN ki baat khatm hote hi uske chaaron taraf laga cage bhi khatm ho gaya....


WOOGER-kya chahti ho...???

GRIFFIN-kaaran jaanana chahti hun....wo kaaran jiski wajah se tumne ACCHUTA aur SLUNDER ke bekasoor MAATA PITAH ko maar diya...

WOOGER-correction dear....maine nahi maara unhe..unhone khud apni jaan li thi...

GRIFFIN-bandookh chalane waala haath bhale koi bhi ho,par us bandhook ko un haathon me pahunchane waala hi asli kasoorwaar hota hai..

aur tumne toh shart hi aisi rakhi thi ki us waqt unhe apni zindagi mout se choti hi lagi thi...ab bina baat ghumaye kaaran bataoge yaa fir mai jaaun...???


ek lambi saans chhodi WOOGER ne aur fir wo bohot si baatein jo ho chuki hain aur jinhe hona hai,with reason batata chala gaya GRIFFIN ko jisse sun....


GRIFFIN-tumhare MASTER ab kisi bhi SAVENT ko aur unse related kisi bhi vyakti ko nahi maarenge....

agar unhone maara toh unki wo shakti jiske balbute wo VIDEOUS ko takkar de sakte hain,khatm ho jaayegi...

agar ye waada karo toh mai tumhe us shaksh ka naam bataungi aur uska chehra dikhaungi jiski talash tumhe hai...

WOOGER-apni aukad se zyada demand nahi kar rahi ho tum...

GRIFFIN-meri aukaad kya hai,ye sahi waqt aane par pata chal jaayega tumhe....filhal maine jo shart rakhi hai,kya tum raazi ho usse....!!!


GRIFFIN ki baat par kuch seconds dekhta raha WOOGER usse aur fir...


WOOGER-tumne kaha sirf naam bataogi aur chehra dikhaogi....itni badi kurbaani sirf ek naam aur chehre ke badle,kuch zyada nahi ho gaya....

itne bade bramhand me sirf ek naam aur chehre ke dum par kisiko dhundna reth ke dher me sui dhundne jaisa hai...

GRIFFIN-naam aur chehra,kisi raah chalte ko nahi,mai tumhe bata rahi hun..aur sirf naam aur chehre ke zariye kisiko kaise dhunda jaata hai,itna hunar toh hai hi tumme...

haan,usme waqt toh lagega hi,par itni mehnat toh kar hi loge tum...

WOOGER-mere MASTER ke paas ALOUKIK shaktiyan hain..aur aisi shaktiyan khatm nahi hoti GRIFFIN...

haan, mai tumse ye waada kar sakta hun ki agar mere MASTER ne kisi SAVENT yaa usse jude kisi shaksh ko maara toh wo shaktiyan mere MASTER ka tyag kar dengi...


WOOGER ki baat sun GRIFFIN ki aankhen sochne ke andaz me choti ho gayi...

usse maalum tha ki WOOGER jhut nahi bol raha hai.. ALOUKIK shaktiyan wakayi khatm nahi hoti bas unka thikana badal jaata hai toh aise me RAAZ ki shaktiyon ko bas usse alag hi kiya jaa sakta hai...

uske dimag me ye baat bhi aayi ki RAAZ waada tod kisiko maarkar aisa risk lega nahi kyunki ek baar aisi shaktiyan alag hui toh unhe wapas paana next to impossible hai aur agar aisa kisi tarah ho bhi jaaye toh usse pehle hi VIDEOUS apne ek maatr dushman ko khatm kar dega jiska matlab tha game over....

saare ganit lagane ke baad....


GRIFFIN-manzoor hai....par iski kya guarantee ki RAAZ apne waade se nahi mukrega...!!!

WOOGER-hadh me raho GRIFFIN..mat bhulo ki tumhare saamne WOOGER khada hai...

is bramhaand ka sabse khatarnaak CREATURE....

mujhe ya mere MASTER ko kuch bhi karne ke liye jhuthi aad lene ki zaroorat nahi hai...

agar MASTER ka dil kare toh tumhari MISTRESS ko ek pal nahi lagega apni aakhri saans ke safar tak pahunchne ke liye... isiliye dont tempt me....


gurrate hue kahi thi ye saari baat WOOGER ne jisse sun andar hi andar hil gayi thi GRIFFIN...


GRIFFIN-thik hai...mai jaa rahi hun..aur mere gayab hoti hi tumhe naam aur chehra,dono pata chal jaayega...


aisa bolne ke agle hi pal gayab ho gayi GRIFFIN aur uske gayab hote hi jahan wo khadi thi,wahan dhuen se ek chehra banane laga tha aur us chehre ke thik neeche ek naam aane laga tha jiske pure hote hi...


WOOGER-


tera naam mere kaano me ab
GUNJTA RAHEGA.....

ye WOOGER tere chehre ko ab har jagah DHUNDTA RAHEGA....

baazi chaalu hai,
GAME ON HAI...

mai aa raha hun wahan,
jahan chuppi hui tu......FALLON hai......










AAJ KE LIYE ITNA HI.....










AAPKA APNA V...J....
Very nice update bhai
 

drx prince

Active Member
1,564
1,547
143
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MORANA RAAZ ME INTEREST DIKHATI HAI WAHIN DUSRI TARAF VIDEOUS ESPRIT CRYSTAL KE SAATH EK URJA KO MIX KAR KISI CHEEZ ME DAALTA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-70



PLACE-ASTER




EK BAAT PUCH SAKTI HUN MASTER.....????


apne training area me pahunch jo ki ek artificial ground tha, FALLON ne puchi ye baat apne MASTER se...


MASTER-yahi naa ki aaj 3 saal ho gaye tumhari training ko...par jahan yahan ke saare students ek saath practice karte hain fir tumhari training kyun ab bhi sabse alag aur akele me rakhi jaati hai....!!!

FALLON-iske baare me toh aapne mujhe pehle bhi bataya hua hai MASTER ki mai baakiyon se alag hun aur meri training bhi dusro se alag hai isiliye hi meri training bhi sabse alag rakhi jaati hai..

par training ke baad ka waqt....uska kya...????mere umar ke itne saare students hain yahan. par kisise baat karna,dosti karna toh door mujhe kisise milne ki permission bhi nahi hai...

hamesha door se hi dekha hai maine sabko....aisa kyun...???kya ye bhi meri training ka ek hissa hai....!!!

MASTER-ek tarike se haan...ye bhi tumhare training ka ek hissa hai...kaise,iske jawab ka abhi waqt nahi aaya hai...

haan,ek dusri cheez ka waqt zaroor aa gaya hai.... aur wo hai us kala ko sikhne ka waqt jo tumhari training ka antim charan hai...


apni MASTER ki baat sun FALLON bohot excited dikhne lagi...

reason...

uske MASTER hamesha usse ye kehte the ki uski training ek khaas maksad ke liye ho rahi hai..aisa maksad jisse bramhand ki niyati judi hui hai...

isiliye apne sharir aur apni aatma ko strong banao kyunki aisa hone ke baad hi tumhari training ka aakhri charan aarambh hoga...

wo charan jisse tumhari utpatti ka udeshya saarthak banega....

aur abhi jo uske MASTER ne kaha tha,uska arth tha ki wo waqt aa chuka tha aur isiliye....


FALLON-mai taiyar hun MASTER..

MASTER-galat..tum bilkul taiyar nahi ho...par taiyar ho jaao, isiliye hum ye kar rahe hain..

is training me agar tum safal rahi toh wo do log jinse kuch dino pehle bhindat hui thi,un jaise kayi hazaron par bhi tum bhaari padogi...


apne MASTER ki baat sun chownki FALLON... DORIAN aur GASTON,jinki baat MASTER ne abhi ki thi, FALLON ne un dono ki hi shakti ko mehsoos kiya tha jo ki bohot zyada thi..

par ab uske MASTER keh rahe the ki uski aakhri training ko agar wo pura kar le toh utne shaktishaali SORCERERS jaise hazaron par bhi wo akeli hi bhaari padh sakti hai...

aur MASTER ki is baat se FALLON ko ye andaza bhi ho gaya tha ki uski training kitni hard hone waali hai...

wo ye sochne lag gayi ki pata nahi is hone waali training me usse kitni physically aur mentally mehnat karni hogi....!!!

khair,in saari baaton ke beech ek aur baat bhi thi jo FALLON ke dimag me ghumi thi aur isiliye...


FALLON-MASTER, wo dono SORCERERS SPIRAM me mujhe bandi banakar jiske paas le jaana chahte the,kya mai uske jitni taakatwar ho jaaungi...


FALLON ki baat sun halke muskura diye uske MASTER aur....


MASTER-uski jitni toh nahi par haan,uske aas paas zaroor pahunch jaaogi.....

FALLON-ohh.....


bas itna hi nikla FALLON ke mooh se...

reason....

usse andaza ho chala tha ki hazaron DORIAN aur GASTON ko maarne ki shamata rakhne ke baad bhi agar wo us shaksh ko pura takkar nahi de sakti jisne unhe bheja tha, toh kitna shaktishaali hoga wo SHAKSH...

FALLON ki soch uske MASTER se chuppi nahi reh paayi thi aur isiliye...


MASTER-us SHAKSH ke baare me tumhe zyada sochne ki zaroorat nahi hai FALLON.......kyunki tum kabhi bhi uske saamne nahi jaane waali ho...

par haan,TUM WO PYADA ZAROOR BANOGI JISKE ZARIYE USKI SABSE BADI CHAAL PALAT JAAYEGI....

FALLON-mai samjhi nahi MASTER....???

MASTER-sahi waqt aane do,samajh jaaogi...filhal saari baaton ko dimag nikalo aur apne naye training par concentrate karo...

toh shuru karen....!!!

FALLON-yes MASTER....


ek baar firse josh se bhar kahi ye baat FALLON ne jispar...


MASTER-mai ek hi baar bolunga...isiliye baat dhyan se suanana...

karna tumhe kuch bohot zyada nahi hai....tumhe bas is ground ki khubhiyon ko dhyan me rakh yahan khade khade ya fir baithe baithe yaa fir lete lete,jaisa bhi tumhara dil kare,us position me yahan ASTER me moujud har shaksh ko,including me ek saath utha kar fekna hai...

itna hi nahi,sabko uthane ke baad jab wo sab neeche girne lagenge,toh unke girne ki gati ko bhi tumhe niyantrit karna hai...


apni baat kehne ke baad bina ek pal rooke MASTER chale gaye....

wahin FALLON,jo apne MASTER ke diye gaye task ko sun khade khade hi ek mini coma me chali gayi thi, kuch der baad jab usse hosh aaya toh usne khudko wahan us ARTIFICIAL GROUND me akela paaya..


FALLON-ground ki khubi ko dhyan me rakh yahan khade khade,baithe baithe yaa fir lete pure ASTER ke me base students ko utha kar fekna hai...

wtf...ab ye kaisi training hai yaar....??and how's this even possible...

pure ASTER me hazar se zyada log hain aur uske MASTER jo in hazaron ke akele hi barabar hain...

aur ye ground..isme toh khubhi hi khubhi hai.. artificial hai ye.. training ke liye jo bhi chahiye, automatically provide kar deti hai ye jagah par ye khubhi is task me kaise fit baiththi hai...!!!


jahan ek taraf gehri soch me khoyi hui thi FALLON wahin dusri taraf us jagah se nikalne ke baad thoda aage jaa ek pedh ke piche chhup FALLON ke haav bhaav dekh rahe the uske MASTER aur...


MASTER-jo itne bade khel ke sabse bade daaw ko palat de,wo baazi asaan kaise ho sakti hai FALLON...???

socho....tumhe sochne hi hoga..is kahani ka wo hissa ho tum jiske bina wo anth jiski ummid hai mere dono LORDS ko,wo sambhav hi nahi hai.....






PLANET-ELYSIAN



PLACE-THE MOP MOUNTAIN





PATA HAI,THE THREE SOVEREIGN'S KI SHAKTI SE JAB YE PURI JAGAH BAN RAHI THI,TAB CHOSENS KE BAAD US SHAKTI KA SABSE ZYADA ASAR FORBIDDEN FOREST KE IS AAKHRI CHHOR PAR HUA THA AUR USSI NATIJE KA ASAR HAI YE PAHAD,YE MOUNTAIN....

AUR ISILIYE HI IS PAHAD KA NAAM THE MOP MOUNTAIN RAKHA GAYA THA.....


early morning,jab SUN ne apna sir halka uthana shuru hi kiya tha,tab ka waqt hai hai ye....

waade ke mutabik jahan VIDEOUS kuch der pehle hi yahan pahuncha tha wahin mai just abhi abhi yahan thik VIDEOUS se kuch door prakat hua tha...

aur mere aate hi VIDEOUS,jo yahan ugge jungli phool ko dekh raha tha,usne ye saari baatein kahi thi jispar...


MAI-kya baat hai...tu toh yahan ke tour guide ke liye perfect choice hai...


meri baat sun yaa fir ye kahun ki taunt ko samajh muskura utha VIDEOUS aur....


VIDEOUS-taane toh ladkiyan deti hain.. tune ye hunar kaise sikh liya...???

MAI-taano ka gender nahi pata tha naa mujhe ab tak...


HAHAHAHAHA....

VIDEOUS-yaar,teri berukhi bhi hasa deti hai mujhe....

MAI-itne saare niyam,classes shuru karwaye tune CHOSENS me...

saath hi charitra avlokan ki ek class bhi agar laga deta toh meri baaton ko sun mujhe anylize karne ki zaroorat nahi padti tujhe....

VIDEOUS-pata hai, tujhme tere raichaita ke koi aur goon ho naa ho,
par baat karne ka hunar khub inherit kiya hai tune VIKRAM se...

MAI-taarif kar raha hai yaa afsos jata raha hai..kyunki tujhme toh ye hunar bhi nahi hai...

VIDEOUS-ek lambe samay ke liye wo shakti jiske binah par tu kisise kuch bhi keh deta aaya hai,wo zabt hone waali hai..

toh bache kuch lamhe bol le dil khol kar...kyunki uske baad tere har negetive baat ka,action ka reaction dard aur tadap ke saath milega tujhe...

MAI-ye shaktiyan mujhe kuch waqt pehle hi mili hain...jab mujhe mere baare me pata bhi nahi tha,tab nahi dabi meri awaaz toh ab jab mujhe maalum hai ki mai kaun hun,lagta hai tujhe ki mai dabunga...

kisi dard aur uske tadap me itni taakat nahi ki wo RAAZ ko daba de...

kyunki meri shaktiyan chhini sakti hain,par mera ATTITUDE nahi...

VIDEOUS-yaar,insaani bhaawnaon se pare hain hum.par fir bhi,teri har baat sun khush hone ki bhaavna jaagti hai mere andar...

aur isiliye,inaam ke taur par mai tujhe kuch deta hun...

aur wo kuch hai mouka...agar humari shaktiyan hum apne apne tarikon se chhupayen,toh bina shart ka maan rakhe apni iccha se jab chahen unhe wapas paa sakte hain....

toh isiliye acha ye hoga ki hum dono hi apni shaktiyan kisi ek jagah par rakhen jahan se bina ek dusre ki sehmati ke usse nikal naa paayen...

aur mera tumhe diya mouka ye hai ki wo jagah tumhare choice ki hogi..

iska ek faayda ye bhi hai ki tumhe is baat ki chinta nahi hogi ki is pact me kahin meri koi chaal toh nahi.....


is pure universe me agar koi aisi jagah hai jahan meri aur mere saath VIDEOUS ki aloukik shaktiyon ko bhi merge kar ek saath rakha jaa sake toh wo hai meri SWORD....aur isiliye..


MAI-hum dono ki shakti mere SWORD me rahegi...

VIDEOUS-waah..ungli kya di,tune toh mera gala hi pakad liya..teri SWORD par sirf tera hakh hai...

fir aise me agar mai apni shakti usme daal dun toh bina teri marzi ke wo toh mujhe meri shakti wapas karne se rahi...

MAI-aisa nahi hoga....meri SWORD teri shakti ko sirf rakh sakti hai aur wi bhi tab tak jab tu chaahe..

kyunki meri SWORD tere jeete ji bina tujhe touch kiye teri shakti rok nahi sakti..

tere liye wo bas ek locker ki tarah ka kaam karegi..

jis din pact khatm hua,locker open ho jaayega aur teri shaktiyan automatically tere paas pahunch jaayengi...


meri baat ko sun khch der tak mujhe dekh...


VIDEOUS-thik hai....shuru karte hain...


VIDEOUS ke aisa bolte hi mere seene ke beecho beech ek roshni koundhi jiske agle hi pal mere andar se prakat hui meri SWORD jo baahar aate hi upar hawa me ghumti hui gayi aur fir tezi se neeche ki taraf aa..

KHACCHH....

mere aur VIDEOUS ke theek beecho beech zamin par gadh gayi...

zamin par gadhte hi SWORD se ek tez power release hui jisse pura mountain ek pal ke liye kaamp gaya...


VIDEOUS-sidhe sidhe nikal kar nahi rakh sakta tha saamne..faaltu ka showoff...

MAI-is pure kahani me yahi toh ek HERO hai...aur jab hum jaise VILLAINS ki entry me showoff tha toh fir toh ye HERO ki entry thi...

thoda hatke toh banta hai....

VIDEOUS-tu aur tere logic....chal shuru kar...

MAI-abbe khana khaa rahe hain kya...???shuru kar...ye meri SWORD hai..tu apna kaam shuru kar..mujhe toh sochna hai aur jo chahunga,ye kar degi mere liye..


VIDEOUS-VIMUKTI SAMYOGA SHAKTIYEM

RELEASE AND MERGE MY POWER



apna haath SWORD ki taraf kar uccharit kiya ye SPELL VIDEOUS ne jiske agle hi pal...

hamare aas paas ka pura mahoul tez roshni se naha gaya..itna hi nahi,mujhe ek behad hi strong force,urja mehsoos hui..

ek aisi force jiske aage agar mere alawa koi aur hota toh ek second me uski haddiyan tak gal gayi hoti...

khair, kuch seconds lage,par fir VIDEOUS ki saari ALOUKIK shaktiyan mere SWORD me sama gayi aur aisa hote hi maahoul normal ho gaya par ye normal mahoul ek pal ke liye hi tha kyunki agle hi pal...

maine bhi apne man ko jo ki SWORD se connected tha,apni shaktiyan rakhne ki baat kahi jiske baad ek baar firse pura mahoul tez roshni se naha gaya...

aur aise hi sirf kuch hi palon me hum dono ki hi ALOUKIK shaktiyan mere SWORD ne apne paas rakh li thi....

process complete hote hi SWORD wapas mere andar sama chuki thi aur jab aisa hua toh ek jhatka laga mujhe...

mere jabde halke kaampne ko hue par maine nano seconds me hi khudko contol kar liya tha...


VIDEOUS-the game is on RAAZ..ab normal way me milte hain INSTITUTION par....

muskurate hue kahi ye baat VIDEOUS ne aur jiske agle hi pal uske teeno DEVOTEES uske side me prakat hue jo teekhi nazaron se mujhe dekh rahe...


VIDEOUS-inhe toh jaante hi hoge...mere DEVOTEES..par ghabrana mat..hamari shart ke beech inko istemaal nahi karunga mai..pact tutega nahi..wo toh kya hai naa ki ab meri wo shaktiyan toh filhal rahi nahi jinse mai yunhi apne man mutabik gayab ho jaaun...

toh isiliye inhe help ke liye bulaya hai...tum kaho toh tumhe bhi tumhare apartment chhod aaun..

ab itna ehsaan toh kar hi sakta hun tumpar..


VIDEOUS ki baat sunane ke baad bhi jab maine kuch nahi kaha toh ek baar firse muskura utha VIDEOUS jiske agle hi pal wo teeno DEVOTEES usse lekar gayab ho gaye aur aisa hote hi...


OKKHHH..OKHHHHH.....

do baar khaansa maine jiske baad ab tak mere mooh ke band hone se uske andar rooki hui khoon ki dhaar bahar chalak padi...

mai turant apne ghutno par aa gaya tha...

meri puri body bohot zoron se kaampne lagi thi...aur ab mooh ke saath saath,mere aankhon ke side se aur kaan se bhi ek patli khoon ki dhaar nikalne lagi thi...

hadh se zyada dard ho raha tha mujhe jisse thartharate hue control karne ki naakam koshish kar raha tha mai aur fir aakhir me jab mujhse control nahi hua toh wahin gir pada mai jiske kuch der baad dheere dheere meri aankhen band hone lagi aur finally behosh ho chuka tha mai....

aur tabhi....

ek baar firse pura mahoul roshni se naha gaya aur jab wo roshni ghati toh mere saamne khadi thi SHAILA...

jisne kuch pal mujhe dekha aur fir neeche jhuk mujhe chhu liya aur aisa hote hi mai aur wo gayab ho chuke the..





PLACE-THE CHOSENS


GROOMERS CLASS:-



ACCHUTA,SLUNDER,WHERE'S RAAZ....!!!!


class me nazar ghumane ke baad jab RAAZ nahi dikha tab WHIZZ EDWINA ne puchi thi ye baat un dono ne jispar....


ACCHUTA-hume nahi pata WHIZZ....

EDWINA-tum teeno ke apartments ek hi wing me hai naa...kya tum teeno saath nahi aate...???

SLUNDER-nahi WHIZZ..wo actually kal raat usne kaha tha ki aaj morning me usse kuch kaam hai toh wo thoda late ho jaayega isiliye hum nahi aaye saath...


WHIZZ EDWINA aage kuch kehti ki tabhi unki class me ek note udta hua aaya jisse padhne ke baad...


EDWINA-ok SAVENTS.. let's start the class..


ye bol baaki dono WHIZZ aur WHIZZDER ke saath usne class shuru ki jisme aaj bhi koi alag natija nikla nahi...

SAVENTS aaj bhi apne REFINER ko activate karne ke process me 10 seconds se aage nahi jaa paaye..

khair,kaafi der tak alag alag tariko se try karne ke baad SAVENTS ki energy bhi khtam ho gayi aur uske saath class bhi jiske baad sabhi SAVENTS thake haare bahar nikalne lage aur tabhi...


EDWINA-ACCHUTA, SLUNDER..one second....


WHIZZ ke bulate hi wo dono unke saamne jaakar khade ho gaye...


EDWINA-class ke shuruwat me wo jo note aaya tha..wo RAAZ se related tha... actually,uski tabiyat sahi nahi hai isiliye hi wo aaj class nahi kar paaya..

tum dono bhi uske aas paas hi rehte ho..agar time mile toh uske paas ho aana..usse acha lagega..


RAAZ ki health ka sun ACCHUTA aur SLUNDER ki thakan jaise gayab hi ho gayi...


ACCHUTA-thanks for informing WHIZZ...


ye bol wo dono turant hi class se apni parking jahan unki bikes thi,bhaage aur wahan se double speed me nikle apartment ki taraf...




PLACE-GROOMERS STAY:-



TUM YAHAN KYA KAR RAHI HO...??AUR YE KYA PILAYA HAI MUJHE TUMNE....???


dheere dheere aankh khuli meri aur aisa hote hi maine dekha ki apne apartment ke bed par leta hua hun mai...

hadh se zyada kamzor feel kar raha tha mai is waqt...dard toh ab bhi tha mujhe par kam tha....

ek kadwi feeling aayi mujhe apne mooh ke andar jisse samajhne ki koshish karte hue jab meri nazar apne right par gayi toh wahan moujud sofa me baithe hua dekha maine SHAILA ko jiske baad ye sawal puche the maine jispar...

SHAILA-jab VIDEOUS wapas aane ke liye apne intezam saath rakh sakta hai,toh fir tumne aisa kyun nahi kiya tha...???

MAI-mujhe kisiki madad ko zaroorat nahi...

SHAILA-kya wakayi....


SHAILA ki baat sun kamzor aankhon se hi sahi,maine usse ghoor kar dekha jisse...


SHAILA-ghoorne ka koi faayda hai nahi waise...tum bhul rahe ho ki ab tum pehle jaise nahi rahe...baaki SAVENTS ki tarah hi tum bhi ab common ho...

MAI-sher ghayal bhi ho toh bhi uska gidadon se koi mukabala nahi hota..

waise tumne bataya nahi ki kya pilaya hai tumne mujhe....


SHAILA-kaadha hai ye..kisi zamane me jab tumhare raichaita LORD OF ANGELS insaan hua karte the aur unki haalat kharab hoti thi,tab unki training ke waqt unke guru unhe ye diya karte the..

(NOTE:-guys ATTITUDE 1 me baba vishakht ne VIKRAM ko uski training ke waqt jo kaadha diya tha(update 18)..wahi kaadha hai ye...)


SHAILA-ab jo kaadha tumhare raichaita par asar kar sakta hai,wo tumpar toh karega hi...

par ye kaadha tumhari haalat ko bas temporary hi thik karega...iske permanent ilaaj ke liye tumhe apne SOUL ko 4 percent AMPLIFY aur saath hi kamsekam kisi ek REFINER par master karna padega...

waise tumhe pata toh hoga hi ki jo jo tumhare saath kuch der pehle hua,uska kaaran kya tha...???

ACHHUTA aur SLUNDER ke MAATA PITAH ko maarne ke baad unke aakhri waqt me unke mastishk aur hriday me uth rahe har vichar se nikalne waale emotions,jisse tumne aise hi kisi waqt ke liye apne andar sanjo kar rakha tha,ussi ka side effect hai ye....

tum dono ko hi agar koi agaath pahuncha sakta hai,toh wo hain human emotions....

jinka tumhari shakti ke saath koi connection nahi hai....jab tak tum asadharan the,tumhare paas tumhari ALOUKIK shaktiyan thi,tab tak tum in emotions ke saath khel sakte the..

inhe bina khudpar haawi hone diye inka istemaal kar sakte the par ab aisa nahi hai...

tumhari shaktiyan jo ab bhi tumhare andar hain,unhe ACCHUTA aur SLUNDER ke parents ke emotions jo tumhare paas hain,pasand nahi aa rahe aur wo inhe oppose kar rahi hai aur result,tumhari haalat kharab hai...


MAI-par VIDEOUS par iska asar nahi hua...???

SHAILA-kyuki VIDEOUS ki utpatti aaj se laakhon saal pehle ki hai..saath hi uski shakti sirf LORDS ki urja se nahi balki BLACK ENERGY se bhi bani hai..

BLACK ENERGY jiski sabse badi khasiyat hai human emotions ko manupalate karna...

VIDEOUS ne BANISHMENT ke waqt hazaron saal sirf issi manupalation ko sikhne me lagaya hai aur yahi kaaran hai ki bina apni ALOUKIK shaktiyon ke bhi wo emotions ka istemal kar sakta hai..

taklif usse bhi hogi par usne usse handle karna sikh liya hai...


KNOCK KNOCK KNOCK....

SHAILA baat ko aage badhati ki tabhi front door par knock hua jisse sun...


SHAILA-tumhare DOST hain darwaze par...


dost shabd ko taunt ki tarah kaha tha SHAILA ne jiske baad door apne aap yaa fir ye kahun ki SHAILA ke through khul gaya aur jab aisa hua toh....

BHAAD.....

pure force se dhakela un dono ne darwaze ko aur turant bhaagte hue se andar daakhil hue par isse pehle ki wo kuch kehte,unki nazar SHAILA par par gayi jiske baad wo dono jahan tak pahunche the,wahin rook gaye...

un dono ki nazar pehle SHAILA par aur fir bed par lete mujhpar gayi...

mere chehre par kamzori aur halki taklif saaf dikh rahi thi jisse dekh wo ek saath kayi saare sawalon ke teer mujhpar chhodna chahte the par SHAILA ki moujudgi me ye mumkin nahi tha...

wahin SHAILA bhi un dono ka mere liye concern feel kar paa rahi thi aur isiliye....


SHAILA-relax SAVENTS.. RAAZ thik hai..SOUL ko ek saath do baar AMPLIFY karne ki wajah se uske body me weakness aa gayi hai..kuch ghanto me thik ho jaayega wo...

ACCHUTA-par SOVEREIGN...wo AMPLIFICATION toh RAAZ ne 2 din pehle kiya tha.. toh fir aaj kaise uska effect hua...???

SHAILA-baat BODY ki nahi SOUL ki hai SAVENT..uske kaam karne ke tarike alag hote hain...

but the good news is ki RAAZ thik hai aur kuch time ke baad uski kamzori chali jaayegi...

filhal aap dono apne apartments me jaayiye, freshen up...aur fir aayiye..tab tak mai hun yahan..


ye ek indirect order tha jisse ACCHUTA aur SLUNDER dono hi samajh gaye the aur isiliye...


ACCHUTA/SLUNDER-sure SOVEREIGN...


ye bol ek baar mujhe dekh wo dono apartment se chale gaye jiske baad....


SHAILA-DOSTI...kitni adhbhudh feeling hai naa is shabd me....???


SHAILA ke is sawal,yaa fir ye kahun tark se bhare taunt ko bakhubhi samajh raha tha mai..par filhal jis haalat me mai tha aur jo zindagi meri ab hone waali thi,uspar SHAILA ka ye vyang suit karta tha isiliye mai chup raha...


SHAILA- ye wo shabd hai jiske maayne se tum ab tak anjaan the...par ab tumhe is shabd ki gehrayi me utarna hoga..

har kaam ko waise hi anjaam dena hoga jaisa baaki SAVENTS dete hain...

par,jahan ab tak tumhare liye har wo kaam asaan tha jo baaki SAVENTS ke liye mushkil,ab uska ulta hoga...

har task jo tum perform karoge,usme tumhe baaki sabse 10 guna zyada effort lagana hoga tab jaakar shayad kahin tum kaamiyab ho paaoge...

baaki SAVENTS ko sirf har metaphysical activity ke asar se hone waale dard ko aur mushkilon ko jhelna hota hai,par tumhe apne andar chhupi us aseemit shakti se bhi ladna hoga jo un ACTIVITIES me kaam aane waale emotions ko flow hone se rokengi aur aisa karne ke liye wo tumhe, unke dhaarak,unke maalik ko mout jaisi dard dengi...

in sab cheezon ko jhel tumhe aage badhna hai...

ab tak tumhara mukabla sirf VIDEOUS se tha,par ab baaki SAVENTS se bhi hoga aur unke saath hi khud se bhi hoga...

har wo emotions jo tumhare liye koi maayne nahi rakhte the,unhe apnane ka hunar tumhe sikhna hoga...

jis dard se tum aaj guzre ho,ussi dard se tumhe apne har activity ke baad guzarna hoga..

temporary ilaaj wo kaadha hai jiska swad tumhare mooh me aur stock andar store room me rakha hua hai..

4 percent AMPLIFICATION aur saath hi kisi ek REFINER par control...

permanent ilaaj uske baad hi possible hai... toh all the best...

jeetna tumhe padega hi kyunki agar aisa nahi hua toh tum khel khatm hone se pehle hi haar jaaoge...

ye bol gayab hone ko hui SHAILA par tabhi...



MAI-

EMOTIONS.....


wo shabd jinse meri shaktiyan
NAARAAZ HAI....

ye kisi khel ka madhyantar nahi,
balki khel ka AGHAAS HAI....

meri taakat door hui hai mujhse,mere TEVER nahi...

aur TEVAR hi hai wo ATTITUDE,
jisse bana ye RAAZ HAI...










AAJ KE LIYE ITNA HI....










AAPKA APNA V...J.....
Very nice update bhai
 

drx prince

Active Member
1,564
1,547
143
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MASTER FALLON KE SAAMNE EK BOHOT HI PECHIDA TASK RAKHTE HAIN WAHIN DUSRI TARAF VIDEOUS AUR RAAZ APNI ALOUKIK SHAKTIYAN RAAZ KE SWORD ME CHUPPA DETE HAIN.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-71



PLANET-ELYSIAN


PLACE-CHOSENS



STELLAR'S CLASS:-






VIDEOUS....TUMNE APNE FIRST REFINER KI AVERAGE POWER KO TRIGGER KAR LIYA HAI..ISILIYE I THINK TUMHARI SPELLS PRACTICE KI CLASS SHURU KAR DENI CHAHIYE...

PURI NAHI TOH KAMSEKAM THODI BOHOT MAGIC TOH TUM KARNA SIKH HI JAAOGE....

class shuru hote hi REGIS ne VIDEOUS se kahi thi ye baat jisse sun...


VIDEOUS-sorry WHIZZDER... par average power borrowing jaisi hoti hai jo sirf loosers ki suit karti hai....

and i like to own things...yaa toh mujhe complete power chahiye yaa fir kuch bhi nahi chahiye...

isiliye, SPELLS aur magic try karne se pehle mai apne first REFINER ki puri power ko activate karna chahunga...


VIDEOUS ki baat sun saare SAVENTS uski baaton ke baare me gossip karne lage the par in SAVENTS me MAHI nahi thi....

aksar jab aap sabse aage hote hain aur aise me koi aur khudko best hone ke liye self nominate kar deta hai toh aise me halka sa ego hurt ho hi jaata hai par MAHI ke case me iska ulta tha..

wo VIDEOUS ki baat sun khush ho gayi thi kyunki uski baat se MAHI ko lagne laga tha ki unlike PHASE 1,is PHASE me usse koi tagda competition dene waala hai...

par is beech jahan VIDEOUS ki baat yaa fir ye kahun ki uska ATTITUDE REGIS aur SAPIUS ko impress nahi kar paaya wahin MABBA VIDEOUS ke jawab se bohot khush hui thi...

aur isiliye...


MABBA-i like what you said VIDEOUS...par dekhna ye hai ki kya tumhari baatein sirf baatein hain yaa fir you can back up your words..


MABBA ki baat yaa fir ye kahun ki unke challenge ko sun VIDEOUS bas halka muskura diya....


SAPIUS-ok then.. REFINER activation process shuru kijiye...


SAPIUS ke bolte hi sabhi SAVENTS ki CEREBRATION process pause ho chuki thi aur aisa hote uccharit hua un sabke man me pehla REFINER SPELL.....

SAMPURN AANANDITAM.....

jiske baad hua sabme pain aur hasi ka samagam....

aur isiliye sirf 10 se 15 seconds ke andar aadhi se zyadi class ki aankhen khul chuki thi.

25 second hote hote VALDIS ki aur 40 seconds ke andar MABEL aur ALFREEN ki bhi aankhen khul gayi...

par MAHI aur VIDEOUS ki ankhen ab bhi band thi....


MAHI....jiska focus aaj kuch zyada hi strong lag raha tha,usne kuch hi seconds me 1 minute ke paused CEREBRATION ka waqt pura kar liya...

jahan ye hota dekh teeno WHIZZ aur WHIZZDERS khush ho rahe the, wahin MAHI ki haalat kharab hone lagi thi...

ek minute cross hote hi uske andar ek halki si rosni dikhne lagi thi jiske kareeb usse jaana tha..

wo roshni hi wo REFINER power thi jiske kareeb jaate hi MAHI ki bhi average power ACTIVATE ho jaati par ye achieve karna bohot hard tha...

jaise jaise MAHI us roshni ke kareeb jaa rahi thi,usse aisa lag raha tha jaise koi uske aatma ko hasa hasa kar aur at the same time tadpa tadpa kar maar raha hai aur isiliye.....

aankhen khul gayi MAHI ki jiske baad...SHIT.......

khudpar bhadakte hue kaha MAHI ne ye par fir...


MABBA-congrats MAHI...aaj tume 1 minute 30 seconds tak apne CEREBRATION ko paused rakha...

aur ye bohot badi baat hai...sirf 30 seconds aur and i am sure ki tum ye kar logi....

bohot jald tum bhi VIDEOUS.......


ye naam lete hue MABBA ki gardan class ke aakhir ki taraf ghumi jahan aaj VIDEOUS baitha tha aur aisa hote hi unke aage ki baat unke andar hi reh gayi...

wahin MABBA ko yun achanak chup hota dekh dono WHIZZDERS aur saath hi sabhi SAVENTS bhi MABBA ki jis tara nazar thi,wahan dekhne lage aur aisa hote hi un sabki aankhen bhi badi ho gayi...

reason.....

VIDEOUS ki aankhen abhi bhi band thi aur apne jabde bheenche dard ko sehte hue wo laga hua tha...

MAHI ne dedh minute tak apne CEREBRATION ko pause rakha tha aur uske baad MABBA ki kuch der ki gayi baatein jiska matlab tha ki VIDEOUS apne hi purane record ko todte hue 2 minute cross kar chuka tha.....

wahin VIDEOUS.....jo aaj pehli baar bina apni ALOUKIK shaktiyon ke tha, wo SAVENT ko hone waale aseem dard aur uske andar hone waale har wo manupalation jiski wajah se uska task adhura reh jaata tha,usse feel kar paa raha tha...

and it was damn tough for him....bhale hi human emotions se uthne waale pain par master kar liya tha usne,par at the moment, REFINER jo ki khud ek strong emotion tha,usse uthne waale dard ko sehna bohot mushkil tha uske liye...

baaki SAVENTS ko REFINER aur SOUL se jo pain feel hota tha,usse zyada feel ho raha tha VIDEOUS ko jisse jhelte hue wo laga hua tha par ab ye sab uske liye bhi bohot zyada hone laga tha...

dard ki adhikta se uski band aankhon ke side se paani nikalne laga tha...

jabde ek dusre se itni sakhti ae bhidne lage the maano ek dusre se panja lada rahe hon...

pura chehra tharthara raha tha VIDEOUS ka aur jab ye thartharahat hadh se zyada badhne lagi toh..


UMMMMMMMM...AAAHHHHHHHHH.........


pehle ek lamba groan aur uske baad ek cheekh ke saath aankh khul gayi VIDEOUS ki jiske baad...


CHATAAAKHHH.....


khudke gaal par hi ek tez tamacha maar diya VIDEOUS ne jispar sabhi SAVENTS shocked ho gaye...


REGIS-hey hey hey..relax boy...hota hai...tumne pure 3 minute tak apne CEREBRATION ko paused rakha tha...

itni kam waqt me itni der tak pehle kabhi kisine aisa nahi kiya hai...so you should be proud of yourself....

VIDEOUS-khud se jhuth bolne ki aadat nahi hai mujhe....haar kitne hi kam margin se kyun naa hui ho,haar haar hoti hai...

aur ek request hai WHIZZDER aapse..dobara kabhi mujhe kisi aur ka example mat dijiyega...

pehle kisne kya kiya hai,kitne waqt me kiya hai,kaun kitna laayak hai,kiski hadh kahan tak pahunchi hai,i dont give a shit about it....

aap log jo bhi examples dete hain,wo mujhe ek line ki tarah lagti hai..

wo line jisme SAVENTS khade hote hain but i dont stand in anybody's line...

MY PATH IS RAW AND I OWN MY DESTINATION....


aankhen,kaan aur baaki jo bhi phat sakta tha,wo sab faade sun rahe the sab VIDEOUS ko...

VIDEOUS ki baaton me ek authority thi,ek aisa boldness tha jisne sabhi ko clean bowled kar diya tha...

wahin ye sari baatein VIDEOUS ne REGIS ke aankhon me jhaank kar kahi thi jiski intensity feel kar andar tak hil gaya tha REGIS...

REGIS hi kya, MABBA aur SAPIUS bhi VIDEOUS ki baat sun ek trance jaisi haalat me chale gaye the..

jab VIDEOUS bol raha tha tab unhe aisa laga tha jaise wo SAVENT hain aur VIDEOUS unka WHIZZDER....

par in sabke beech VIDEOUS ki haalat ajeeb hi thi...bhale hi as a SAVENT,usne aaj jo lagatar 3 minute tak paused CEREBRATION rakha tha,wo extraordinary tha,par uski nazar me aaj pehli wo haara tha..

aur isiliye,apni baat bol wo rooka nahi,turant class se nikal gaya...

waise class khatm karne ka waqt bhi lagbhag ho hi gaya tha isiliye VIDEOUS ke nikalte hi MABBA ne class khatm kiya aur dono WHIZZDERS ke saath nikal gayi....


MABEL-ye VIDEOUS kuch zyada hi overconfident nahi ho raha...???

MAHI-agar overconfidence se uske jaisi performance hoti hai toh mujhe lagta hai ki sabhi ko overconfident hona chahiye...

ALFREEN-wo sab toh theek hai par aaj uska ATTITUDE kuch alag lag raha tha,haina..???

MAHI-mujhe lagta hai ki wo aaj thaan kar aaya tha ki anyhow wo apne first REFINER ke full power ko active kar hi lega aur kyunki aisa nahi hua, isiliye wo thoda hyper ho gaya...

MABEL-hyper...pagal lag raha tha wo mujhe aaj..khudhi ko thappad maar raha tha...

MAHI-toh galat kya hai...??yahan toh log bina saamne waale ki galti ke usse maarte hain,toh fir VIDEOUS ne toh sirf khudko hi maara tha...


mere baare me soch kahi thi ye baat MAHI ne jispar...


ALFREEN-kiski baat kar rahi hai..??kaun kisko maarta hai...??


ALFREEN ki baat sun MAHI ko realize hua ki usne galat jagah ye baat bol di hai aur isiliye...


MAHI-arre ek general baat bol rahi hun...kitne kisse sune hain ab tak yahan ke baare me ki powerful SAVENTS kamzor SAVENTS ko bully karte hain,unhe maarte hain...

wahi example diya maine..

MABEL-haan ye toh hai...par chhodo naa yaar ye sab baatein...tum log bhi kaun si baaten lekar baith gaye ho...

MAHI-waah,topic khud hi uthati hai aur fir ilzam humpar daalti hai..rook toh zara...


ye bol lapki MAHI MABEL ki taraf par MABEL bhi turant parking ki taraf bhaag li aur uske piche bhaage MAHI aur ALFREEN....

wahin class se sabse pehle nikle VIDEOUS ne pehle toh apne ABODE jaane ki sochi par phir uske dimag me ghuma mera thobda aur aisa hote hi uske kadam aur direction change ho gaye aur wo chal pada GROOMERS class ki taraf....





GROOMERS CLASS:-




HOW ARE U FEELING TODAY,RAAZ.....???


class me enter karte hi jab WHIZZ EDWINA ki nazar mujhpar padi toh pucha unhone mujhse ye sawal jispar...


MAI-i am good WHIZZ....

ROVEL-agar chaho toh aaj ka din bhi break le sakte ho... REFINER TRIGGER karne me soul AMPLIFICATION ka use zyada hota hai toh aise me tumhari condition bigad sakti hai....


ROVEL ki baat par mai kuch kahun usse pehle hi....


ACCHUTA-haan bhai...tu rest le le.... puri taraf sahi lage,tabhi class start kariyo..


dheere se mere kaan ke paas aakar kahi ye baat ACCHUTA ne jispar maine usse ghur kar dekha par jahan mere ghurne se pehle wo dar jaaya karta tha,ab aisa kuch bhi nahi hua tha...

infact kal SHAILA ke jaane ke kuch der baad hi ACCHUTA aur SLUNDER,wo dono hi mere apartment me aa gaye the aur tabhi se ye haal hai...

kal aate hi dono ne mujhpar dheron sawal ki bombardment kar di thi...

dono ko ye samajh nahi aa raha tha ki mujhe bhala kaise kuch ho sakta hai jispar maine sahi waqt aane par bata dene ki baat kahi thi...

jiske baad meri health se related toh un dono ne koi baat nahi ki par fir din bhar wo dono mere aaspaas hi rahe...

unke lagatar mere liye concern ko dekh mere andar kuch ghumne laga tha jisse mujhe behad taklif ho rahi thi..

mai jaanta tha ki wo human emotions hai jo situation ke according mujhe mehsoos hona chahte hain aur meri SWORD me chhupi meri ALOUKIK shaktiyan un emotions se takrakar mujhe dard de rahi hain par mai kar bhi kya sakta tha...

har thodi der me SHAILA ka diya wo kaadha jo usne bohot si choti choti shishiyon me bhar diya tha,mai peeta raha tha...

par excessive dose ki wajah se mujhe shaam hote hote hi neend aa gayi thi jo aaj subah hi khuli thi...

par mere uthne ke kuch der baad hi ek baar firse ACCHUTA aur SLUNDER dono mere apartment me tapak pade the aur tab se lekar ab tak mujhe alag alag tariko se rest lene ke liye pinch kar chuke the ye dono...

abhi bhi apni baat keh sadi hui shakal liye mujhe dekh raha tha ACCHUTA jispar ek baar usse ghur maine nazar saamne ROVEL ki taraf ki aur...


MAI-i am completely fit WHIZZDER...

PETRA-allright than...shuru karo fir...

remember,aage badhne ke liye,apne apne metaphysical capabilities ko agle step par lejaane ke liye kamsekam kisi ek REFINER ko activate karna bohot zaroori hai....

bhale hi average power growth jo ki 2 minute par hota hai,wahin tak kyun naa ho,par hona zaroori hai...


WHIZZ ki baat sun hum sabhi GROOMERS ne apni apni aankh band kar li aur saath hi pause kar liya apna apna CEREBRATION...

aaj pehli baar tha jab maine complete clean way me ek normal SAVENT ki tarah apne CEREBRATION ko pause kiya tha aur ab aage ki kriya me baakiyon ke saath unhiki tarah participate kar raha tha..

waise toh meri shaktiyon ka mere paas naa hona mere liye ek negetive baat thi,par fir bhi mujhe bura nahi lag raha tha...

reason...

wo kehte hain naa ki smooth road never makes a good driver...

bas,itni si hi baat thi...true potential jaanane ka sabse acha tarika hota hai negetive mohoul me jab waqt aapke saath naa ho,tab perform karke dikhana...

ab mere liye ye waqt waisa hi tha....

khair,aankhen aur CEREBRATION band kiye baaki sabhi ki tarah apne SOUL me jhankte hue man hi man uccharit kiya maine....


SAMPURN AANANDITAM....

aur aisa karte hi....

HAHAHAHAHA.......

as expected,spell ke prabhav se hasi chhut gayi meri par jahan pehle ye hasi fake hoti thi wahin ab ye hasi sacchi thi...

pehli baar mai us dard ko,aur us ehsaas ko mehsoos kar raha tha jo yahan ka har SAVENT khudko nurture karne waale SPELL ko bolne ke baad mehsoos karta tha...

zor zor se has rahe the hum sab....par jahan hasi khushi ki wajah se aati thi,wahin humari hasi ke peeche chhupa hua tha dard....

wo dard jo hamara SOUL hume is SPELL ko bolne ke liye ek saza ke taur par de raha tha....

aur jaisa ki hota aaya hai,baaki SAVENTS us dard ko ek saath jhel nahi paaye aur kuch 10 seconds me hi sabki aankhen khul gayi...

par meri aankhen aur mera CEREBRATION ab tak band hi the par ye zyada der tak nahi chalne waala tha...

kyunki baaki SAVENTS ko toh bas apne apne SOUL se pain mil raha th par mujhe toh meri SOUL ke saath meri shaktiyan bhi dard de rahi thi...

aur isiliye kuch seconds aur beetne ke baad mai bhi apni ankhen kholne hi waala tha par tabhi....


PETRA-you know maine suna hai ki STELLAR me jo wo naya SAVENT aaya hai,usne apne first REFINER ko average power tak refine kar diya hai...

EDWINA-haan,ye toh maine bhi suna hai..but it's surprising..kyunki us class me MAHI hai jisne first PHASE me 25 thousand years ka highest AMPLIFICATION record banaya hai...par usse bhi us naye SAVENT ne piche chhod diya hai...

ROVEL-tum ye bhul rahi ho ki bina institution join kiye usne apne SOUL ko 2 percent tak AMPLIFY kiya hai...

aur ye bohot badi baat hai...mujhe toh lagta hai ki is PHASE me he is going to be the best SAVENT...

EDWINA-hmm...ho sakta hai....waise naam kaafi unique hai uska... VIDEOUS.....


mai paused CEREBRATION process ke beech tha jisme bahar ka kuch bhi sunayi nahi deta par process chahe kuch bhi ho,jis naam ke astitv ko mitane ke liye mera nirmaan hua hai,usse sunane se kuch bhi rok nahi sakta tha mujhe...

aur yahi wajah thi ki meri aankhen khulne se just ek second pehle jab nikla EDWINA ke mooh se ye naam toh aisa hote hi naa sirf meri aankhen khulne se rook gayi balki saath hi meri hasi bhi gayab ho chuki thi....

jabde bheench gaye the mere...aisa karne se mera dard aur badh gaya tha but wo dard us ghusse ke aage kuch nahi tha jo is naam ko sunkar mujhe aata tha...

zinda hun mai..saansein chal rahi hain meri...wajud kayam hai mera...fir us competition me jisme mera naam shaamil hai,VIDEOUS kaise best ho sakta hai...???

champion sirf ek hi hota hai... aur wo champion mai hun....

apne saare aatmbal ko nichod laga hua tha mai apne pehle target ko pura karne me...

par housla apni jagah aur reality apni jagah...meri condition kuch khaas nahi thi,uske upar sirf 2 percent AMPLIFICATION ki wajah se meri body bhi hadh se zyada pressure jo ki is activity me jhelna hota hai,uske liye taiyar nahi thi,aur yahi kaaran tha ek minute hote hote meri band aankhon ke side se aansu nikalne lage the...

itna hi nahi, meri puri body kaampne lagi aur aisa hote hi mere baaju me baithe SLUNDER aur ACCHUTA hadbada gaye....


SLUNDER-oh shit....


thoda zor se kahi thi SLUNDER ne ye baat jisse sun baaki SAVENTS jo aankh khulne ke baad bhi REFINER se uthe dard ko zabt karne me lage hue the,wo palte par saath hi saath teeno WHIZZ aur WHIZZDERS jinka dhyan mujhpar ab tak nahi pada tha, unki nazar bhi mujhpar gayi aur aisa hote hi wo teeno bhi chownk pade...

wo teeno samajh chuke the ki meri filhal weak hone ki wajah se meri body ko ye jhatke lag rahe hain par zyada hairani unhe is baat ki thi ki itne weak condition me hone ke baawjud,itne painful jhatkon ke lagne ke baad bhi mera CEREBRATION process ab tak paused hai..

aakhon me hairani liye wo aur baaki SAVENTS mujhe dekh rahe the...

wahin mere baaju me baithe ACCHUTA aur SLUNDER ne mujhe chhune ke liye haath aage badhaya hi tha ki tabhi..


EDWINA-dont..... REFINER activation ke waqt puri body par ek electrical parat chaddh jaati hai isiliye usse chhuna mat usse warna shock....

OH MY GOD.....


aage ki baat bolte bolte dusre lines nikal gaye EDWINA ke mooh se...

reason...

ab tak jahan mere aankhon ke side se paani beh raha tha, wahin ab ussi jagah se halka halka khoon risne laga tha...

aur ye scene dekh sabhi hadh se zyada chownk gaye the....


ROVEL-yaar,kaisa banda hai ye...???koi itna pain kaise jhel sakta hai....????!!!

PETRA-iske aankhon se jo khun nikal raha hai,iska matlab hai ki iska body puri tarah recover nahi hua hai aur isiliye iska SOUL REFINER ko rok raha hai...

agar kuch aur seconds aisa hi chalta raha toh iska sharir fatna shuru ho jaayega...


EDWINA joki ROVEL aur PETRA ki kahi baaton ko pehle hi jaanti thi,usne bhi ab der karna sahi nahi samjha aur...


HIKSATURAHE VIDYUTATAH

REVERSE THE CURRENT


haath meri taraf kar COMMAND MODE ke tahat is SPELL ko uccharit kiya EDWINA ne aur aisa hote hi uske haathon se ek current ray nikli aur sidhe mere sharir ke chaaron taraf bane REFINER dwara banaye current se takrayi aur jab aisa hua toh...

ek saath do chizen hui...

pehli.....

REFINER ki current gayab ho gayi aur aisa hoti hi meri CEREBRATION process shuru ho gayi aur meri aankhen khul gayi..

dusri.....

AKHHWKKKKK

aankh khulte hi mere jabde jo bheeche hue the,woh ek jhatke me khul gaye aur aisa hone par mere mooh se bhi khoon ki ek ulti si ho gayi...

mai apne aap ko bilkul sambhal nahi saka aur girne ko hua par isse pehle ki aisa hota, ACCHUTA ne mujhe sambhal liya tha...

is waqt teeno WHIZZES,WHIZZDERS aur unke saath sabhi SAVENTS ne mujhe ghera hua tha..

jahan un sabhi ke ankhon me vismay bhara hua tha wahin ACCHUTA aur SLUNDER bas meri condition par tention liye hue the..

mai lambi lambi saansien le raha tha is waqt aur tabhi...


EDWINA-are you ok RAAZ.....???

MAI-aaj kiya toh kiya...dobara kabhi aisa mat karna...


haafte hue gurra utha mai EDWINA ko dekh jisse sun shock ho gayi EDWINA aur saath hi baaki sab bhi..

par isse pehle ki koi kuch kehta...


MAI-mere liye kya sahi hai,kya galat hai,kya faaydemand hai,kya nuksaan deyi hai,ye mai tay karunga....sirf mai....

isiliye dobara meri chahe jo bhi condition ho,interfere mat karna..


hadh se zyada frustrated tha mai is waqt...kyunki sirf 10 seconds hi bache the un 2 minutes me jiske baad meri REFINER average power ko touch kar jaati..

wahi power jo filhal sirf VIDEOUS ki hi activate hui hai..haan,ye sach tha ki shayad usse pehle hi mere saare sharir ke pores me crack aa jaata aur khoon ke behne se mai behosh ho jaata,par mujhe is baat se fark nahi padta tha...

wahin meri baaton ko sun jahan SAVENTS bas hairan the,wahin WHIZZES aur WHIZZDERS ko meri baatien sahi nahi lagi aur isiliye...


ROVEL-tumhe pata bhi hai ki tum kya bol rahe ho...??? tumhari aankhon ke side se blood nikal raha tha...

jiska matlab tha ki wo process tumhare soul ke saath tumhare brain par bhi acccesive pressure daal raha tha...

agar kuch seconds bhi aur tum same state me rehte naa,toh tumhara brain block ho jaata...

tum mar bhi sakte the...


MAI-WHILE FACING CHALLENGES,IF YOU CANNOT PUT YOUR LIFE AT STAKE ,YOU ARE JUST AS GOOD AS DEAD....


meri baat sun chownke toh sabhi the par baat pate ki thi isiliye kisise kuch kehte bana nahi....

wahin in sabke mujhe yun gher kar khade hone se meri suffocation me izafa ho raha tha isiliye...


MAI-kya class ab bhi baaki hai...???


mere sawal se jaise ek trance se bahar aaye teeno WHIZZES aur WHIZZDER aur...


PETRA-nahi...its over...

MAI-mujhe akela rehna hai...


meri baat sun kuch der mujhe dekh wo teeno class se nikal gaye aur unke baad baaki sabhi SAVENTS bhi chale gaye the siway ACCHUTA aur SLUNDER ke....


MAI-tum dono bhi jaao....

ACCHUTA-par bhai teri haalat thik nahi hai...aise me tujhe akela..

MAI-dude...i dont like to repeat myself..bas itna samajh ki akela rahunga toh jaldi recover ho jaaunga..


meri baat sun ACCHUTA ne SLUNDER ko dekha jisne usse aankhon se hi chalne ka ishara kiya jiske baad wo dono bhi class se chale gaye..

wahin in saare ghatnakramo ke dauran VIDEOUS class ke bahar hi khada tha...

aur jab baaki WHIZZES, WHIZZDERS aur SAVENTS class se nikal rahe the,toh wo ek pillar ke piche chala gaya tha aur jaise hi class khaali hua,wo class ke andar aa gaya...


VIDEOUS-aam hona kitni taklif de sakta hai,haina...???


VIDEOUS ki awaaz sun mera neeche jhuka hua sir upar utha..

mere honth aur uske aas paas ki jagahon par ab bhi khoon laga hua tha jisse apne haath se saaf kiya maine aur...


MAI-kaun si taklif...???meri taklif jo is khoon ki shakal liye dikh rahi hai yaa fir teri taklif jo bhale hi dikh nahi rahi,par asar uska mujhse zyada hai...


meri baat sun halka hairan hua VIDEOUS aur...


VIDEOUS-kehna kya chahta hai...???

MAI-tera aaj ka performance kuch khaas nahi tha,right....!!!

aur tu yahan isiliye aaya hai naa kyunki tu dekhna chahta hai ki normal hone ke baad mera performance tujhe behtar hota hai yaa nahi....

VIDEOUS-aur tujhe aisa kyun laga ki mai issi liye aaya hun...??

MAI-bhale hi mai tera dimag padh nahi sakta,tere man ki baatein jaan nahi sakta par shakl dekh situation ko anylize karne ka hunar bohot acche se aata hai mujhe....

aur aaj pehli baar tere chehre par halka sa hi sahi,par frustration chalak raha hai....

aur ye tabhi possible ho sakta hai jab tu.....haara ho......

VIDEOUS-HAAR aur VIDEOUS ek hi sentence me suit nahi hote RAAZ...

aur jis haar ki tu baat kar raha hai,wo us coma ki tarah hai jisse sentence bas ek pal ke liye atakta hai,rookta nahi...

ye hurdle bhi mai paar kar hi lunga aur jaisa hota aaya hai,wo ek baar fir hoga...mai jeet jaaunga...

MAI-kitna dillusional hai tu..kaun se hamesha ki baat kar raha hai tu...???

chal,tere hi diye example se samjhata hun tujhe...

laakhon saal pehle jab tune apni shartein manwayi thi,wo waqt bhi ussi coma ki tarah tha jisse tere saamne waale sirf atke the,rooke nahi the...

par haan,tujhe hamesha ke liye rokne ki khaatir un DONO ne ek fullstop ka nirman kiya...

aur wo fullstop tere saamne khada hai....tu ussi din haar gaya tha jis din meri utppati hui thi...

VIDEOUS-bohot badi galatfehmi hai tujhe RAAZ...tera sirf naam RAAZ hai,par tere saamne jo khada hai,wo pura ka pura RAAZ hai...

tu jeet jaaye,mujhe pata hai ki iske liye tu bohot si chizen karega par mai naa haarun,iske liye mai pehle hi bohot kuch kar chuka hun...

VIDEOUS ko harane ka khwab dekhna chhod de RAAZ kyunki..



aadhi adhuri kahani
mai LIKHTA nahi....

VIDEOUS khud wo RAAZ hai,
jisse tu samajh SAKTA NAHI....

nichod mujhe jo mere astitv ko mita de,

wo nazar aur jigar tu RAKHTA NAHI....












AAJ KE LIYE ITNA HI......











AAPKA APNA V...J......
Very nice update bhai
 
Top