AB TAK AAPNE PADHA KI MOKALSAR AUR AKSHAANT KO LORD CRUSEDAR APNA YUVRAJ GHOSHIT KARTE HAIN WAHIN VIKRAM & PARTY APNE GHAR KE LIYE NIKAL JAATE HAIN....
AB AAGE:-
CHAPTER-2
( CURSE OF THE SWEET POISON )
MEGA UPDATE-87
PLANET- EARTH
PLACE- COFFEE HOUSE
WOW YAAR..TUM TEENO TOH ACTUALLY,WHATS THAT WORD,HAAN,LANGOUTIYA FRNZ HO......
ye words RIYANSH ke mooh se nikle the jisse sunkar sabhi muskura diye par ye muskurahat do alag alag groups me alag alag feelings ke saath divided thi...
ek group me the AVANTIKA,DEVANSH aur SHANAYA jinki muskurahat sacchi thi aur dusre group me the mere dono frnz ANJALI aur RONIT jinke chehre par fake muskaan thi....
aur ye fake smile AVANTIKA se nahi chhup paayi...
shaam ka waqt hai.....fog ki wajah se hamara plane thoda late se take off hua tha jis wajah se hum sab kal late night wapas mumbai land hue the....
ek baar fir se JET LAG ne sabko apna shikar bana liya tha isiliye din bhar sab sote rahe aur shaam ko SHANAYA ne coffee house me milne ka plan banaya jisse sabne ok kaha aur kuch hi der pehle mere saare frns yahan coffe house me ikattha hue...
par hamarre group me ek banda missing tha aur wo mai tha aur iski wajah thi ISLA....mai aaj raat hi ISLA ke liye nikalne waala tha isiliye usse pehle mai apna baaki ka time family ke saath spend karna chahta tha..
waise toh ANJALI aur RONIT ko bhi is waqt mere saath rehna chahiye tha par kyunki mere akele jaane se dono kuch zyada hi upset the iisiliye nahi aaye....
par yahan aate hi RIYANSH ne un dono se hum teeno ki friendship ke baare me hi sawal puch liya jiska jawab dene ke baad se hi dono bas upari taur par has rahe the par andar se sad the....
aur issi sadness ko AVANTIKA bhaamp gayi par wo ANJALI aur RONIT ki tarah mind to mind baat toh kar nahi sakti thi isiliye usne apna phone nikala ANJALI ko sms kiya...
ANJALI ne apna cell haath me hi pakda hua tha isiliye mobile vibrate karte hi usne msg open karke dekha jo AVANTIKA ka hi tha...
AVANTIKA in sms- what happened???udaas kyun hai....????
ANJALI ne AVANTIKA ka sms toh padha par sms se jawab dene ke bajaaye usne AVANTIKA ke mind me apni baat kahi...
ANJALI- V.J aaj jaa raha hai????
DHAKKKK..........
aisi hi kuch awaaz AVANTIKA ko apne dil me sunayi di..uska dil zoro se dhadka par wajah usse samajh nahi aayi....
AVANTIKA ab V.J ki sacchayi se waakif thi usse ye bhi pata tha ki V.J ka aise safar me jaana bohot normal si baat hai par in sab ke baawjud AVANTIKA ka man bechain ho utha...
aur ye bechaini khatm hone ki jagah badhti hi chali jaa rahi thi...AVANTIKA ko samajh me nahi aa raha tha ki uske saath aisa kyun ho raha hai aur jab usne khud se hi jawab maanga toh.....
AVANTIKA ke andar meri taswir ubhar aayi jisse dekhte hi uski bechaini kuch kam ho gayi...
par uski bechaini puri khatm nahi hui thi...
AVANTIKA man me- mujhe V.J ke jaane se pehle ek baar usse milna hai......
KYUN???? ye sawal bhi AVANTIKA ke dimag me koundha par is bina jasbaaton waale dimag ko kaun samjhaye ke dil ke maslo me sawal nahi kiye jaate bas faislon par vishwas kar unme amal kiya jaata hai...
par AVANTIKA turant uth kar toh jaa nahi sakti thi isliye usne kuch der intazar karna hi behtar samjha...
mere saare frnz kuch 1 ghante tak wahin baithe rahe aur jab sab kal milne ka bol coffe house se baahar aaye toh....
AVANTIKA- bhaiya,mujhe kuch kaam hai...aap sab jaaiye,mai aati hun...
SHANAYA- abhi raat ko kya kaam hai???chal mai bhi chalti hun???
AVANTIKA- arre nahi yaar....mai aa jati hun..tu bhi bhaiya ke saath ghar nikal....
SHANAYA- cool babes.jaldi aana....
AVANTIKA ko akele ghumna bohot acha lagta tha isiliye SHANAYA ne bhi zyada gour nahi kiya aur apne dono bhayiyon ke saath nikal gayi....
RONIT aur ANAJALI ke nikalte hi AVANTIKA bhi V.J ke ghar ki taraf nikal gayi....
PLACE-MINAKSHI MANSION
NAMASTEY AUNTY.......
V/MOM- arre AVNI beta...aao aao.....aaj raat ko yun achanak....every thing allright naa....
AVANTIKA-ya ya aunty.every thing is fine..wo actually mai shaam ko hi aane waali thi par kuch kaam ki wajah se thodi late ho gayi...waise V.J kahan hai aunty??
mujhe saamne naa dekhkar AVANTIKA ki bechaini fir se badhne lagi thi..usse lag raha tha ki mai chala gaya....
V/MOM- apne room me hai..abhi just dinner karke gaya hai....dinner se yaad aaya,aao tum bhi dinner kar lo...
AVANTIKA- no no aunty..actually ghar me sab dinner par mera wait kar rahe hain toh.....next time pakka......
V/MOM- chalo thik hai...jao,tum V.J se mil lo......
mom ko thanks bol AVANTIKA mere room ki taraf nikli...uski bechaini abhi bhi khatm nahi hui thi kyunki wo jaanti thi ki agar mai chala bhi jaaun toh bhi mera dummy yahan ghar par moujud hoga....
KNOCK KNOCK KNOCK......
MAI- come in.......
mere bulane par AVNATIKA andar aayi.....
MAI- hey AVANTIKA,whats up???
par AVANTIKA ne mujse kuch kaha nahi bas mujhe ghur ghur bkar dekhti rahi....
MAI- arre mai VIKRAM hi hun,mera dummy nahi....
mere confirmation ke baad AVANTIKA thodi si relaxed hui....
MAI- ab kuch bologi bhi,tum yahan is waqt kaise???
AVANTIKA- wo ANJU ne mujhe bataya ki tum abhi hi ISLA ke liye jaa rahe ho...
MAI- haan...yahi bolna tha????
AVANTIKA- nahi wo actually......
MAN ME- ab isse kaise kahun ki mai bhi saath aana chahti hun.....
MAI- thik hai fir..mai chalta hun.....
AVANTIKA- kya mai bhi saath chal sakti hun.....
maine jaise hi apni line boli AVANTIKA ne jhat se apne dil ki baat keh di....
MAI- chalo.....
mera jawab sun kar AVANTIKA ko ek jhatka laga...aur aisa toh hona hi tha kyunki maine RONIT aur ANJALI tak ko mana kar diya tha apne saath aane ke liye par AVANTIKA ko ek baar me hi haan keh diya tha...
par mere jawab ko sunkar AVANTIKA itni khush ho gayi thi ki usne apne saare thoughts ko side kar diya....
AVANTIKA- sach ???
MAI- apna ek baal do......
AVANTIKA pehle toh meri baat ka matlab nahi samjhi par fir achanak usse sab samajh aa gaya....
AVANTIKA ne jhat se apne sir ka ek baal todkar mujhe de diya tab tak maine bhi apne sir ka ek baal tod liya tha...
dono baalon ko maine ek saath apni mutthi me masla aur zamin par fek diya...
kuch hi palon me hum dono ke saamne hamare CLONES the..
fir mera CLONE AVANTIKA ke CLONE ko chhodne baahar chala gaya....
MAI- jaane se pehle mai tumhe kuch batana chahta hun AVNI...par usse pehle mera ek sawal hai.....???
AVANTIKA-V.J ka sawaal...tab toh pakka bohot tough hoga...but i''ll try to answer. pucho????
par jab maine AVANTIKA ke saamne apna sawaal rakha,toh usne naa me apna sir hila diya....AVANTIKA ko mere sawal ka jawab nahi pata tha..
usse hi kya,is bramhaand me GOD aur mujhe chhodkar shayad kisi ko bhi mere puche gaye sawaal ka jawaab nahi maalum tha....
par jaise hi maine AVANTIKA ko apne puche gaye sawal ka jawab diya,uski aankhen hairat se faile gayi...
AVANTIKA- ek baat bataoge???
MAI- sab kuch apne aap tumhe pata chal jaayega....bas jab sahi waqt aaye,toh tumhar DIMAG nahi DIL jo bhi kahe,tumhe jo bhi dikhaye,usse samajhne ki koshish karna...
AVANTIKA ko meri baat ka matlab toh samajh nahi aaya,par wo ye jaanti thi ki jab waqt aayega,toh saari cheezen clear ho jaayengi....
maine apna haath aage kiya jisse AVANTIKA ne thaam liya...agle hi pal hum dono gaayab ho gaye.........
PLANET- WARRIORS WORLD
PLACE- PALACE ENTRANCE
AAJ LORD OF ANGELS KE PAAVAN KADAM HAMARE GRAH PAR PUNAH PADENGE,HUM BATA NAHI SAKTE KI HUME KITNI KHUSHI HO RAHI HAI.....
SHAILA- ye khushi sirf aapka man hi nahi pitaji
,balki hum sabka man mehsoos kar raha hai.....
2 din pehle jabse maine suchna di hai ki mai aane waala hun,ISLA aur WARRIORS WORLD me zoron shoron se mere swagat ki taiyariyan chal rahi hain....
saare raaston ke upar ful bicha diye gaye hain....mahal se lekar GRAH SETU ke pravesh dwaar tak ke raaste ko alag alag tarike se saja diya gaya hai....
aisa lag raha hai jaise ISLA aur WARRIORS WORLD ki shaadi ho rahi hai....
is waqt LORD CRUSEDAR ,SHAILA,MOKALSAR aur AKSHAANT apne mahal ke saamne hi khade the.....
mahal ke chaaro taraf bamboo ke bade bade barricades lagaye gaye the jinke dusri taraf WARRIORS WORLD ke sabhi log khade hokar mera naam chilla rahe the....
LORD CRUSEDAR- bacchon,tum sab toh UNKE mitra ho..tumhe toh pata hi hoga ki UNHE kya kya pasand hai...
agar kuch kami reh gayi hai toh shigrh batao,taaki avilamb us kami ko pura kiya jaaye....
LORD CRUSEDAR ki baat sunkar teeno bas muskura diye...
SHAILA- dil me prem aur aankhon me sacchayi,VIKRAM ko in do gehno ke aage aur kuch bhi nahi chahiye....
aur ye dono gehne aapke paas hain pitashri isiliye nishchint hokar apni baahen failaye unka swaagat kijiyega....
unhe bohot accha lagega....
abhi LORD CRUSEDAR kuch kehte usse pehle hi unse thodi door unke saamne ek tez prakash faile gaya jiski wajah se wahan moujud sabhi ki aankhen band ho gayin....
jab wo prakash kam hua aur sabne apni aakhen kholkar apne saamne dekha toh sabhi ke khushi ka thikana na raha...
mai aur AVANTIKA saamne khade hokar apne charon taraf khade logon ko dekh rahe the wahin mujhe apne saamne dekh wahan moujud bheed ki awaaz aur buland ho gayi....
maine halka upar hawa me uth gaya taaki bheed ke aakhir ke log bhi mujhe dekh saken...hawa me uth maine apna haath upar kiya aur sabko mera naam pukarne se roka...
sabhi chup ho gaye.....
mai thodi der tak yunhi hawa me khada raha uske baad dheere dheere niche aa gaya....
par ab neeche sirf AVANTIKA nahi thi,balki uske paas mere teeno dost aur LORD CRUSEDAR bhi khade the....
aur teeno ne LORD CRUSEDAR ko AVANTIKA se parichaya bhi kara diya tha...
mere neeche aate hi LORD CRUSEDAR ne mujhe phoolon ki maala pehenana chaha par maine unhe rok diya aur jhukkar unke pairon ko chu liya....
jaise hi maine unke pairon ko chhua,LORD CRUSEDAR ke aankhon ke saamne unki patni aur unke bacchon ke chehre aa gaye jo swarg me baith apne pitah ko dekh muskura rahe the...
itni sadiyon ke baad apne bacchon aur patni ko wapas dekh LORD CRUSEDAR bohot khush bhi ho gaye aur saath hi bhavuk bhi....
MAI- aap ek mahan yodha hai LORD CRUSEDAR...aur aap jaise yodha ke aankhon me aansu acche nahi lagte...
aapke man me ek baar apne bacchon aur patni ko dekhne ki tivr iccha jaagrit hui thi isiliye hi aap unhe dekh sake..
par jo jeeven chakra se aazad ho chuka hai usse yaad kar aansu bahane se acha hai aapke naye parivar,aapki putri aur aapke dono putr ke saath aap hasi khushi jiyen...
LORD CRUSEDAR- aisa hi hoga VIKRAM.....
abhi koi aur kuch kehta usse pehle hi ek baar aur hamare saamne tez prakash hua aur ussi prakash ke beech se DEFENDER prakat hue...
DEFENDER ko apne saamne dekh wahan moujud sabhi jhuk gaye wahin DEFENDER ne mere aage apna sir jhukaya...
MAI- chalen....
DEFENDER- ji...
maine AVANTIKA kaa haath pakda aur aage ki taraf badh gaya....
aur hamare peeche peeche hi LORD CRUSEDAR, MERE TEENO DOST,SAARE SABHA SAD aur WARRIORS WORLD ke sabhi log chalne lage....
AVANTIKA ek tak meri taraf dekh rahi thi...
mere aankhon me kuch tha jisse wo samajhne ki koshish kar rahi thi...aur jab wo nahi samajh paayi toh....
AVANTIKA- koi baat hai kya V.J...???tum kuch disturbed se lag rahe ho...
MAI- maine kaha tha naa,sab pata chal jaayega....aur meri kahi hui baat bhulna mat....
JAB BHI SAHI WAQT AAYE,TUMHARE DIL ME JO BHI DIKHE,USSE SAMAJHNE KI KOSHISH KARNA.....
abhi wo kuch kehti ki......
DEFENDER- hum pahunch gaye....
thik ISLA ki hi tarah WARRIORS WORLD me bhi ek bade aur mote se ped ke beech se GRAH SETU ke pravesh dwaar ko banaya gaya tha..
aur abhi hum ussi ped ke saamne the...
maine AVANTIKA ka haath abhi bhi thaama hua tha..mai usse lekar us ped ke seedh me khada ho gaya....
mere aisa karte hi us ped ke beech ka hissa khul gaya aur wahan se ek tez prakash nikalne laga...
mere piche piche hi baaki sabhi ek line me khade ho gaye.....
jaisa ki maine bataya tha ki us raaste se ek saath 100 log aaram se jaa sakte hain isiliye sabhi ne 100 100 ke groups bana liye the...
mai,AVANTIKA,LORD CRUSEDAR,DEFENDER aur mere teeno frnz sabse pehle aage badhe aur jaise hi hum sab us ped ke beech bane raaste se nikalti roshni ke daayre me pahunche,us roshni ne hamare sharir ko khud ki taraf kheench liya....
yahi hamare peeche aa rahe sabhi groups ke saath hua....aur kuch hi palon me hum sab GRAH SETU ke dusre chhor ke baahar khade the...
DUSRA CHHOR......mere safar ka agla aur sabse mahatva purn padhaav.......... ISLA..............
PLANET- ISLA
PLACE- GRAH SETU POINT.....
MAI- khubsoorat hai naa???
maine ye baat AVANTIKA se kahi thi jo ki aankhen faade ISLA ki waadiyon ko dekhe jaa rahi thi....
AVANTIKA- khubsoorat....aise prakritik soundaryata ki kalpana bhi maine kabhi nahi ki thi...
sach hi toh keh rahi thi AVANTIKA.....ISLA bramhaand ka sabse khubsoorat GRAH hai...
hawa me tairte chote aur bade pahad...
bina kisi shroth ke girte hue waterfall.har taraf hariyali ne apni ek aisi chaadar faila rakhi thi maano pure grah me apne adhikar ki pushti kar rahi ho.....
hamare saamne KING SOLOMON,unki PATNI aur ALESENDRA khade the......
mujhe apne saamne dekh unki khushi ka thikana na raha....teeno hi mujhse milne ke liye aage badhe hi the ki itne me.......
ISLA ki zameen me kampan hone lagi jiski wajah se wahan moujud sabhi ke paanv ladkhadane lage par isse pehle ki koi girta,maine apna haath sabhi taraf ghuma diya..
sabhi ke paav ek jagah jam gaye..par abhi bhi kampan barabar ho rahi thi jiski wajah se sabhi ek sharir buri tarah hil rahe the...
ALESENDRA- ye achanak kya ho raha hai VIKRAM......????
DEFENDER- mai pata lagata hun....
ye bolkar DEFENDER ne apni aakhen band kar kuch SPELL budbudaya par isse koi faayda nahi hua...
wahin mai bas muskura raha tha jisse jaise hi AVANTIKA aur ALESENDRA ne dekha,dono pehle toh shocked ho gaye fir ye sochkar ki mere rehte kuch bhi galat nahi ho sakta,dono shaant bhi ho gaye....
MAI- aap is kampan ke raaz ka pata nahi laga paayenge DEFENDER......
meri baat sunkar DEFENDER aur wahan moujud sabhi chownk gaye....
MAI- SHAANT HO JAAIYE,MAI AA RAHA HUN....
mere aisa kehte hi kampan rook gayi par aisa hone par sabhi aur zyada aashcharyachakit ho gaye.....
DEFENDER- ye kaisi maya hai LORD.....???
MAI- FOUNTAIN OF LIGHT......sadiyon se wo mera intazar kar rahi hai,apne aap ko chhupakar apne astitv ko bacha rahi hai..
aur aaj mujhe khud ke itna samip mehsoos kar FOUNTAIN OF LIGHT uttejit ho gayi hai...
agar aap bura naa maane KING SOLOMON toh kya mai pehle FOUNTAIN OF LIGHT ki jagah se ho aaun..
uske pashchat aapki praja se mil lunga....
KING SOLOMON- aap bas hume aadesh den LORD OF ANGELS...nivedan kar hume paap ka bhagidaar na banaye....
MAI- mai aapki putri ALESENDRA ko bhi apne saath lejaana chahta hun....
KING SOLOMON- ye uska soubhagya hoga LORD..par kya hum sabhi nahi jaa sakte...FOUNTAIN OF LIGHT ko dobara dekhne ke liye...humari bhi aakhen taras gayi hain...
MAI- wo toh aapki hi dharohar hai....aur usse wapas aap sab ke beech laane liye hi toh mai jaa raha hun...
par abhi aap sab mere sath nahi jaa sakte kyunki FOUNTAIN OF LIGHT ke punah prakat hote hi uski energy bohot zyada hogi jo aapme se koi bhi bardaasht nahi kar paayega.....
uske baad maine DEFENDER se akele me kuch baatein ki aur fir wapas AVANTIKA ke paas aa gaya...
MAI- ALESENDRA,mere paas aaiye...
mere kehte hi ALESENDRA mere paas aa gayi...
maine ALESENDRA aur AVANTIKA ka haath pakda aur agle hi pal hum teeno gayab ho chuke the.....
CLIMAX SCENE
FOUNTAIN OF LIGHT
UDBHEDA JWALAKA PRAKATAM
FOUNTAIN OF LIGHT MANIFEST
FOUNTAIN OF LIGHT ke saamne khade hokar maine SPELL bola.....mere aaju baaju me ALESENDRA aur AVANTIKA fullon excited hokar khadi thi....
dono hi FOUNTAIN OF LIGHT ko dekhne ke liye lalayit thi...
par agle hi pal jahan un dono ke chehre utar gaye wahin mai shocked ho gaya....
aur iska kaaran ye tha ki mere SPELL bolne ke baad bhi kuch nahi hua tha...FOUNTAIN ab bhi nadarad thi...
yahan pahunchte hi mujhe laga tha ki mujhe dekhte hi FOUNTAIN apne aap prakat ho jaayegi par yahan toh mere SPELL bolne ke baad bhi kuch nahi hua....
ALESENDRA- aisa kaise ho sakta hai???FOUNTAIN ko toh aapko apne samaksh dekhte hi prakat ho jaana chahiye tha....
MAI- samajh toh mujhe bhi nahi aa raha hai???
abhi humme se koi kuch aur kehta ki tabhi....
KYUNKI USSE PATA HAI KI MAI YAHAN MOUJUD HUN....AUR DO BHAIYON KE PEHLE MILAN KE BEECH WO BAADHAK KAISE BAN SAKTI HAI?????
ye awaaz........pure kahani ka saaransh....do alag alag AATITUDE ke swamiyon ka sabse bada hathiyar....
jahan is awaaz ko punah sun ALESENDRA ke man me ek dar ne ghar bana liya wahin mujhe bhi apni ridh ki haddiyon me ek thandak si doudti mehsoos hui.....
hum teeno dheere dheere ghum gaye....aur agle hi pal.......
wo ghadi jo is kahani ki rachna ki sabse ahem kadi thi,wo aa chuki thi...do alag alag disha se do do aankhen ek dusre ki aankhon ke har bhaaw ko tol rahi thi....
jahan ek BHAI ke honthon par muskurahat thi wahin dusre ka chehra bhaav shunya....
is waqt bramhaand ke do sabse shaktishaali vyaktitv ke swami ek dusre ke saamne khade the....
GOD ke do putr jinme me se ek LORD OF ANGELS tha toh dusra LORD OF DEVILS....
VIKRAM aur ASMODEUS.......
par hum dono se alag ALESENDRA ke chehre par shock ke bhaav the aur ye bhaav ASMODEUS ko dekhkar nahi balki uske side me khade ISLA ke RAAJ GURU ko dekhkar aaye the....
ye wahi RAAJ GURU hai doston jinhone BEELZEBUB ko ISLA ke liye khatra bataya tha aur usse yahan se door bhejne ki salah di thi....
ALESENDRA- RAAJ GURU AAP???WO BHI asmodeus KE SAATH????
abhi RAAJ GURU kuch kehte usse pehle hi...
MAI- ye tumhare RAAJ GURU nahi hain ALESENDRA...ye BEELZEBUB hai.tumhari santan jisne kayi varsh purv tumhare RAAJ GURU ki hatya kar di thi aur fir unhi ka roop lekar yahan rehne laga...
Aur FOUNTAIN OF LIGHT se judii saari jaankari yahi apne PITAH ko deta raha hai....
jahan mere mooh se BEELZEBUB ka sach jaankar ALESENDRA ka dil firse tadap utha wahin AVANTIKA bhi meri baatein sunkar kaafi shocked ho gayi thi....
BEELZEBUB- kaisi ho MAA.....????
ye baat BEELZEBUB ne apne asli roop me aakar kahi thi par uske MAA shabd me pyaar nahi ALESENDRA ke liye nafrat thi...
ALESENDRA- mai kisi pappi ki maa nahi hun...apni gandi zuban se mujhe maa mat bula....
ALESENDRA ki baat sunkar BEELZEBUB ke haathon me ek anergy ball chamak utha jisse dekhkar mere chehre par muskurahat naach gayi....
MAI- maa kitna bhi bura bole,par kisi bete ki itni himmat nahi honi chahiye ki wo apni mata ko jawab de....par tere haathon me is urja gendh ko laakar tune ALESENDRA ki baat ko sach saabit kar diya....
meri baat sunkar BEELZEBUB ne us energy ball ko meri taraf fekh diya par mai apni jagah bina haath pair hilaye khada raha..
wo ball mere paas aakar nasht ho gaya...
aisa hote dekh AVANTIKA aur ALESENDRA ke chehre par ek muskaan naach gayi ki tabhi............
AHHHHHH.............
ye awaaz mere mooh se nikli thi aur cheekhte saath hi mai kuch door jaa gira...
mujhe aisa lag raha tha jaise kisine mere seene ke upar ek vajni pathar rakh diya hai..
mujhe kuch waqt laga par mai khada ho gaya...
mere door girne par jahan AVANTIKA aur ALESENDRA ke chehre ki muskurahat gaayab ho gayi thi aur uski jagah dard aur darr ne le li thi wahin mere saamne khade ASMODEUS ke chehre par muskurahat kaayam thi...
ye waar usne hi mujhpar kiya tha....
ASMODEUS- tumhe dikha nahi,haina BHAI....
maine kuch kaha nahi bas agle hi pal mere sharir ke har hisse se lagatar kai saari ENERGY RAYS nikli aur tezi se ASMODEUS ki taraf chal padi....
par ASMODEUS ki tezi kaabile taarif thi...uska sharir second ke 1000ve hisse se bhi kam samay me idhar se udhar hilne laga aur mere saare rays usse touch bhi nahin kar paaye par BEELZEBUB aisa nahi kar paaya...
usse mera chhoda ek energy ray takraya aur wo chitak kar door jaa gira...
kyunki ye saare rays meri urja se ban kar baahar nikle the isiliye BEELZEBUB is urja ko bardaasht nahi kar paaya aur behosh ho gaya...
wahin ASMODEUS ne mere saare rays ko dodge kar hi diya tha ki......
ADHIKTAMAM KAROTI......
MAXIMIZE.....
AAHHHHH...........
mere spell bolte hi mere seene ke beech se ek energy ball nikli jiski raftar pehle se 1000 guna zyada tez thi aur is baar ASMODEUS mere prahar se bach nahi paaya..
energy ball theek uske seene ke beech lagi aur thik meri hi tarah uske mooh se bhi ek halki si cheekh nikal gayi aur uska sharir bhi piche jaa gira....
par ASMODEUS turant khada ho gaya...
MAI- tumhe bhi dikha nahi,haina BHAI.....
ASMODEUS ne kuch kaha nahi bas khada ho gaya....
uthethe hi ASMOEUS ke lab hile aur usne jo kaha aur kiya,wo maine nhi expect nahi kiya tha..
ASMODEUS- ALESENDRA,AVANTIKA...tum dono ko suraksha kawach me rehna chahiye...
warna tum dono ko chot lag sakti hai.....
ye kehkar ASMODEUS ne apna haath aage kiya,jisse ek adrishya ray nikli aur us ray ne AVANTIKA aur ALESENDRA ke chaaron taraf ek SHIELD bana diya....
ek aisa hi SHIELD ASMODEUS ne hum jis jagah khade the,uske chaaron taraf bhi faila diya...
ALESANDRA- tumne vachan diya tha ASMODEUS ki tum wapas nahi aaoge...
ASMODEUS- vachan yaad ha shart nahi.maine kaha tha ki jab tak FOUNTAIN OF LIGHT is grah se nadarad hai,tab tak mai yahan nahi aaunga par iske yaham aane ka matlab hai FOUNTAIN ka yahan upasthith hona.....
Agar mai tumhe maar dun,toh bura mat maanana BHAI.....
MAI- nahi maanunga....bas ek shart hai.....
MAAR HI DENA.....KYUNKI AGAR MAI BACH GAYA TOH TUM NIPAT JAAOGE.....
meri baat sunkar ASMODEUS ke chehre par ek muskaan naach gayi....
aur agle hi pal......
DHOOMMMM..DHOOMMMMM.......DHOOOMMM.....SAAYEN,SAAYENNNN SAYEENNNN........
aisi hi lagatar kai aawaazen aayin.....mai jis jagah khada tha,theek uske upar aasman me ek jagah khul gayi aur us jagah se baarish hone lagi....
par ye baarish paani ki nahi aag ki thi...
mai apni jagah se hath gaya aur jis jagah par wo agni varsha giri,wahan dhamake hone lage thik ussi waqt ASMODEUS ke aaju baaju se kayi shashtra meri taraf badhe par maine haath aage kar unhe rok diya aur unhe wapas ASMODEUS ki taraf hi mod diya...
par ASMODEUS tak pahunchne se pehle hi wo saare
shashtra bekar ho gaye....
TABHI........
AAHHHHH........
ye meri cheekh thi aur issi cheekh ke saath me aage ki taraf udta hua gira....
hua ye ki ASMODEUS ke do lagatar waaron se jaise hi mai bacha,thik ussi waqt piche se ek maayavi haath mere peeth se takraya jiski wajah se mai aage udta hua gira...
ASMODEUS- BHAI,BHAI,BHAI......yudh ke waqt chaaron taraf nazar honi chahiye warna aisa haal hona anivarya hai....
AHHHHH....DHOOBBHHHHHH...........
ye awaaz ASMODEUS ke mooh aur sharir se nikli thi.....
hua ye ki jab ASMODEUS mujhse baat kar raha tha tab mera chehra neeche zamin ki taraf tha aur tabhi.......
ASMODEUS jahan khada tha,ussi zamin ke andar se ek maayavi haath nikla aur ASMODEUS ke pairon ke neeche se usse upar hawa me utha diya aur agle hi pal ASMODEUS ke hawa me tairte sharir ko pakad kar neeche patak diya......
ASMODEDUS kuch pal tak upar aasman ko ghurta raha fir muskurate hue khada ho gaya...
saala besharam.....maar khakar bhi hasta hai...par tha toh mera hi BHAI,kuch toh side effect hoga hi.....
yahan hum lad rahe the,wahan pure bramhaand me halka halka andhera chaane laga tha...hawayen tez behne lagi thi....
ANGELS aur DEVILS taktaki lagaye hum dono ke beeche chhide maha sangram ko dekh rahe the....
ALESENDRA aur AVANTIKA ke chehre par bhi fikr aur dar ke mile jule bhaav tair rahe the...
khair,ASMODEUS ke saath saath mai bhi khada ho chuka tha...hum dono hi ek dusre ki shakti ko aankhon hi aakhon me toul rahe the ki tabhi.......
mmmmmm..............mmmmmm............
ye awaaz meri thi aur ye isiliye mere gale se nikal rahi thi kyunki mai apne dono haathon ko failne se rok raha tha....
hua ye ki ASMODEUS ne apne haathon ko saath kar mala aur meri taraf ektak dekhte hue apne dono haathon ko failane laga...
ye ek ghatak MAGIC tha....isme ASMODEUS jitna apne haathon ko failata utne hi mere haath bhi failte jaate...
aur is condition me ASMODEUS meri body ko nishana banakar koi bhi SPELL bol sakta tha aur kyunki mujhe usne jakda hua tha isiliye mai kuch bhi nahi kar paata....
mai bhi apni puri shakti apne dono bhujaon me lagakar apne haathon ko failne se rokne laga....
par ye rokna bohot muskil tha kyunki is MAGIC ki shuruat ASMODEUS ne kar di thi...
aur is MAGIC ko bekar karne ke liye sabse pehle mujhe ASMODEUS ka concentration break karna zaroori tha...
maine apne haathon ko failne se rokne ki koshish karte hue ASMODEUS ke pairon ke paas ek tak dekhna shuru kiya aur aisa karte hi uske pairon ke paas se ek mitti ka bhawar utha aur uski aakhon ki taraf badhne laga...
par tabhi......
AAHHHH................
AAHHHHH...............
ye awaaz mere aur mere baad ASMODEUS ke mooh se nikli thi....
hua ye ki ASMODEUS ke concentration ko todne ke chakkar me meri bal shakti ko mujhe halka kam karna pada jiski wajah se ASMODEUS mere dono haathon ko failane me kaamiyab raha aur jaise hi aisa hua,ASMODEUS ki aankhon se ek ke baad ek 3 RED rays nikle.....
ye red rays bohot ghaatak the...mere siwa koi bhi in rays ko ek baar bhi jhel nahi sakta tha.....
par iska matlab ye nahi tha ki mujhe in rays se koi khatra nahi tha...rays ke mujhpar padte hi mera sharir kayi jagah se kat gaya jiski wajah se mujhe aseem dard mehsoos hua....
wahin mere dwara banaye gaye bhawar ne ASMODEUS ko naa sirf har taraf se gher liya tha,balki uski aankhon me bhi kuch maatra me mitti ke kan ghus gayi...
par ye koi bada prahar nahi tha.....girne se pehle ASMODEUS ki hi tarah meri aankhon se bhi ek ke baad ek teen GREEN RAYS nikle..ye rays LORD OF ANGELS ke shakti ke pratik the..
wo rays ASMODEUS ke sharir se naa takrakar uske sharir ke andar chale gaye aur ASMODEUS ke andar moujud ASEEM BLACK ENERGY ke saath takrane lage jiski wajah se ASMODEUS ko bhi kaafi zyada dard hua aur wo gir gaya....
mere sharir par kisi bhi tarah ki BLACK ENERGY ka prabhav zyada der tak nahi hota..thik ussi tarah ASMODEUS ke sharir par bhi kisi WHITE ENERGY ka prabhav bohot jald khatm ho jaata hai....
isiliye kuch hi der me ASMODEUS thik ho gaya...
hum is baar bhi saath hi khade hue....
ASMODEUS- bas bohot hua.......
ASMODEUS ne apni aakhen band ki aur agle hi pal......
VIJWATE SHAKTIYEM VINASHAYA BHAVATI
MULTIPLY ALL POWERS TO DESTROY......
mantra ke uccharit hote hi ASMODEUS ke sharir ke saare ang ek dusre se alag ho gaye....aur har ang se tez ENERGY BEAM nikli aur meri taraf badhi.....
MAI- adbhudhhhh.........
ye shabd mere mooh se apne aap nikal gaya......
mai apni jagah par haath jode sidha khada ho gaya ur agle hi pal.....
mere body se thik waise hi rays nikle jaise ASMODEUS ki body se nikal rahe the..mere rays ne ASMODEUS ke rays ko aage badhne se rok rakha tha....
ki tabhi......
AAHHHHH............SHIT.....AHHHHHH......MMMMMMMM.....
hua ye ki BEELZEBUB jo mere waar se behosh ho gaya tha,usse hosh aa gaya tha...aur mujhe apne FATHER ke itne ghatak waar ko bhi rokte dekhkar wo gayab hokar mere right taraf aa gaya...
mera saara dhyaan ASMODEUS ki taraf tha...
tabhi BEELZEBUB ne apni BLACK ENERGY se mujhpar waar kar diya.....
BEELZEBUB ki chhodi gayi BLACK RAY mere right kandhe par lagi jisse mujhe halka dard hua...
par ye dard mere liye koi badi baat nahi thi par is waar ki wajah se mera dhyan 1 second ke liye BEELZEBUB ki taraf chala gaya jiski wajah se ASMODEUS ke RAYS mujhpar pade jisse mujhe asahaniya dard hua.....
mera sharir kayi jagah se kat gaya tha par maine apne dard ko zabt karte hue...
VIBHAJATI.....
DIVIDE......
mere SPELL bolte hi mere dwara chhodi gayi rays ne khudko vibhajit kar liya.....
aur aisa hone se meri rays har taraf faile gayin.....
ek beam ASMODEUS ki taraf sidhi jaane lagi,dusri beam BEELZEBUB ki taraf jaane lagi jisse BEELZEBUB ne rokne ki koshish toh ki par puri tarah kaamiyab nahi ho paaya...
kuch rays ko usne apne power se rok liya par kuch rays uske powers ko kaatethe hue uske sharir me jaane lagi jisse usse bohot zyada dard hone laga....
par BEELZEBUB ne apne dard ki parwah naa karte hue apne dusre haath se mere upar ek aur BLACK BEAM chhodi jo mere sharir se takrane lagi....
thik ussi waqt.....
ASMODEUS ye samajh gaya tha ki BEELZEBUB ke chhode gaye rays se mujhe zyada fark nahi padega isiliye usne apne rays ki shakti aur speed double kar di....
ab ASMODEUS ke chhode gaye rays ke kuch hisse mere sharir se takrane lage jisse mujhe bohot dard hone laga....
mai jaan gaya tha ki mai jeet toh paaunga nahi par haar mai sakta nahi tha isiliye.....
ANNUGACCHATI BLAST.....
OBSERVE VISPHOTAM......
ISHWAR ka naam lekar maine SPELL uchharit kiya aur agle hi pal.....
BOOM.........
ek tez dhamake ke saath sab kuch shaant ho gaya....
mere dwara chhode gaye rays se ASMODEUS aur BEELZEBUB mushkil se khudko bacha paa rahe the,par mere bole gaye dusre SPELL se wo khudko bacha nahi paaye...
mera bole gaye SPELL se mere pure sharir ki urja bahar nikli aur ASMODEUS aur BEELZEBUB ki taraf lapki...
is spell ki khaas baat ye thi ki meri urja ne pehle mere dono dushmano ki weakpoints ko OBSERVE kiya...
mere haathon se white energy nikalkar ASMODEUS ki taraf jaane se waise toh uski alag ho chuki zyadatar bodyparts ko kuch khaas fark nahi pad raha tha par uske pet se lekar seene tak ka bhaag uske anya bhaagon ke mukable kamzor tha jisse meri urja ne detect kar liya...
wahin BEELZEBUB ka maamla kaafi aasan tha...wo toh waise bhi meri rays ke effects se kaafi kamzor ho chuka tha isiliye meri urja tivr gati se aage badhi aur fir ek karn bhedi dhamaka.uske baad sab shaant...
par is dhamake se mera kamzor ho chuka sharir bhi nahi bach paaya....ek dard bhari aah ke saath mera,ASMODEUS aur BEELZEBUB ki bodies neeche girne lagi....
mera pura sharir lahuluhan ho chuka tha.yahi haal ASMODEUS aur BEELZEBUB ka bhi tha...
V...J....VIKRAM..........
mujhe girte dekh AVANTIKA aur ALESENDRA ke mooh se chikh nikal gayi...
kyunki unke chaaro taraf SHEILD ASMODEUS ne daali thi,aur ASMODEUS ab behosh ho chuka tha,isiliye uski banayi SHIELD bhi gayab ho gayi thi....
dono bhaagte hue mere paas aaye..AVANTIKA ne mere sir ko godh me utha liya....mera saara sharir lagbhag khatm ho hi chuka tha par mere chehre ki muskaan ab tak kaayam thi.....
AVANTIKA kuch keh nahi rahi thji,bas chup chaap roye jaa rahi thi....
aansu toh ALESENDRA ke aansu me bhi par wo thode door me khadi mujhe dekh rahi thi......
tabhi.............
hamare saamne ek tez roshni hui aur ussi roshni ke beech ek aakriti ubhri aur dheere dheere us aakriti ne roop lena shuru kiya aur jaise hi uska roop poora hua,hum sab ki hairat ki koi seema nahi thi.....
meri aankhen bojhil ho chuki thi uske baawjud mai aankh faade saamne us shaksh ki taraf dekh raha tha....
ALESENDRA- ASMODEUS tum.....!!!!!ye nahi ho sakta,agar tum ASMODEUS ho toh ye kaun hai.....
ji haan doston,mere,ALESENDRA aur AVANTIKA ke saamne is waqt ASMODEUS khada tha...
par wahin ek ASMODEUS hamare saamne zamin par behosh bhi pada tha.....ajeeb guthi.....
ASMODEUS- zyada mat socho ALESENDRA,ASMODEUS ki chaalon ko samajhna tumhare bas ki baat nahi thi....
kaise ho mere BHAI......pehli baar mil rahe ho,aur wo bhi apni aakhri saansen ginte hue......
mai toh total blank mode me jaakar ASMODEUS ki baatein sun raha tha....
chaliye jab tak hamara hero apne shock se baahar aata hai,mai aapko batata hun ki aakhir maazra kya hai???
KETAK SHAKTI......ye toh yaad hi hoga aapko.....ep-54 me iske baare me bataya gaya hai....
KETAK SHAKTI ke antargat teen SPELLS aate hain....
1ST-SAMVEGA MAAYA....jisme chote se chote SPELLS ki shakti ko laakh guna tak badhaya ja sakta hai...
2ND- GRAHAM MAAYA..jisme ek banzar grah ke andar ek jeeven daayi grah ko chupaya jaata hai....
par in dono ke baare me bataya jaa chuka hai...par aakhri ke nahi jiski wajah se ye sab hua hai...
3RD- BHRAM MAAYA.....ek adbhudh maaya....ek aisa SPELL jisse khudke ek aise CLONE ko banaya jaata hai jisse khud bhi nahi pata hota ki wo ek CLONE hai...
us CLONE ke andar apne asli roop ke saare talent,saari yaadein,in short sab kuch hota hai.....
bas wo waqt usse yaad nahi rehta jab usse banaya gaya tha.....aur ye SPELL ko ab tak bramhaand me ASMODEUS ko chhodkar aur koi nahi bol sakta....
aapko yaad hoga ki BEELZEBUB MIRROR WORLD me AGRASENA ko kaid karne ke baad jaise hi wapas jaane ko hua toh usse kahin kheench liya gaya tha...
usse asli ASMODEUS ne CROSS WORLD me apne paas bulaya tha aur apni sacchayi aur maaya ke baare me bataya tha.....
ASMODEUS- ab toh chownkna chhodo BHAI...tumse mujhe zyada ummiden thi....waise mai toh tumse dher saari baatein karna chahta tha par tumne apne bhatije ki itni buri haalat kar di hai ki agar maine isse jaldi se thik nahi kiya toh ye mar jaayega...
Ye bolkar ASMODEUS ne apna haath BEELZEBUB ke upar ghumaya,BEELZEBUB gayab ho gaya...
ASMODEUS- jaane se pehle ek adhure kaam nipta lun.....
aur tabhi..........
AAHHHH...AHHHHH....AHHHHHH.......
EK SAATH DO CHEEZEN HUI....
ASMODEUS ne ek haath se AVANTIKA ko mujhse door kiya aur fir agle hi pal usne mere upar lagatar 5 BLACK RAYS chhode.....
un rays ka impact itna zyada tha ki dard ki adyadikta ke chalte mai chilla bhi nahi paaya aur agle hi pal meri aankhen band ho gayin....
V.J.................
mera naam chillate hue AVANTIKA mujhse chipak gayi.....
ALESENDRA- tum...
ASMODEUS- shhhhh............jitna bolna tha,tum bol chuki ho..ab aur nahi.....
ASMODEUS-ISHWAR ME VISHWAS RAKHTI HO AVANTIKA???????
(precap lines )
AVANTIKA jisse abhi tak ek kharoch tak nahi aayi thi,par uske baad bhi uski aisi haalat aisi ho gayi thi jaise abhi uske praan nikal jaayenge,wo ASMODEUS ki awaaz sunkar jaise koi sapne se jaagi......
Uski aankhon me abhi bhi ASMODEUS ke roop aur taakat ka dar dekha jaa sakta tha....logon ke sharir kaampte hain,par ASMODEUS ki taraf dekhte hue ALESANDRA ki aankhen tak kaamp rahi thi.......
ASMODEUS- maine pucha kya tum ISHWAR me vishwas rakhi ho??????
ALESANDRA- H...A.......A.......A........N........
ek shabd,bas ek shabd ko mooh se bahar nikalne ke liye AVANTIKA ko apne pure sharir,yahan tak ki apni aatma tak ki shakti ka istamal karna pad gaya........
Wahin AVANTIKA ke jawab ko sunkar ASMODEUS ke chehre par ek muskaan aa gayi..........
ASMODEUS- hmm.......toh fir thik hai........mai tumhe tab tak nahi maar sakta jab tak YE zinda hai.........
Waise toh iski bas chand saasein hi bachi hai par mujhe achi tarah pata hai ki tum iski jaan bachane ki koshish zaroor karogi........
Par LORD OF ANGELS ki jaan bachane ke kaam me koi roda na ho,toh maza nahi aayega.........
Isiliye...................................
AAAHHHHHHHHHH.........................
AAAHHHHHHHHHH.........................
ye cheekhen AVANTIKA ke mooh se nikal rahi thi........
AVANTIKA ko apne pure sharir me aisa dard mehsoos ho raha tha jaise usse ek saath kai bicchuon ne dank maar diya ho......
Aur arre................ ye kya????????!!!!!!!!!!
Jaise jaise AVANTIKA ke mooh se cheekh nikal rahi thi,uske sharir ka rang bhi badalkar peela padte jaa raha tha.......
ASMODEUS- tumhare sharir me maine SAKRUN VISH chhoda hai AVANTIKA.........ek aisa vish jo bohot dheere dheere asar karta hai......
par ye VISH sharir me pravesh karte hi sharir me ek aisa dard paida karti hai,jisse manushya sehne se acha marna pasand karta hai.......
Ab tumhe VIKRAM ko bachane ke liye issi dard ko sehte hue koi yukti sochni padegi........
Aur haan,is VISH ko tumhare sharir ko paralyze karne me 1 pahar (12 hours ) ka samay lagega....itna hi waqt hai tumhare paas isse bachane ke liye........
apne ISHWAR ko yaad karo AVANTIKA, suna hai isse dard sehen karne ki shakti milti hai........hahahahahha....
Ye bolkar ASMODEUS gayab ho gaya aur peeche reh gaye 3 log.....
ek pathrayi aakhon se ye anarth hote hue dekh rahi thi.dusra aise pada hua tha jaise abhi mar jaayega aur teesri aise tadap rahi thi jaise is tadap se bachne ke liye abhi ke abhi marna chahti ho.....
ALESENDRA doud kar AVANTIKA ke paas pahunchi......
ALESENDRA- himmat rakho AVANTIKA....naahi tumhe kuch hoga aur naahi VIKRAM ko..upar waale par bharosa rakho..
wo apne BETE ko aur uski SHAKTI ko is haal me kabhi nahi chhodega....
nahi nahi nahi....AVANTIKA...ankhen kholo...behosh mat hona...agar tum behosh hui toh fir kabhi nahi uth paogi.....
hua ye ki AVANTIKA kje upaarzeher ka nasha haawi hone laga tha jiski wajah se wo behosh hone lagi thi....
ALESENDRA ne bohot koshish ki par AVANTIKA behosh ho hi gayi.....
ALESENDRA- hey parmeshwar...kya aaj acchayi par burayi ki jeet ho jaayegi...agar tera khud ka baccha bhi haar jaayega toh fir kaun us dusht papi ko harayega.....
hey prabhu..meri guhar sun aur apne bacche aur uski shakti ki hifazat kar....
abhi ALESENDRA aur bhi bohot kuch kehti par tabhi.........
ALESENDRA ke peeche ek tez roshni chamki aur jab ALESENDRA ne piche palat kar dekha toh is dukh bhare pal me bhi uske andar khushi ki lahar doud gayi.....
kyunki uske peeche jo roshni hui thi wo aur kisi ki nahi balki FOUNTAIN OF LIGHT ki thi.....
aur agle hi pal...........
FOUNTAIN se teen ray lines nikli aur un lines ne mujhe ALESENDRA aur AVANTIKA ko apne andar khich liya.....
jaise hi hum teeno FOUNTAIN ke andar pahunche,fountain ke andar ki roshni ne khud ko kuch kam kar liya taaki wo roshni aakhon me chubhe naa....
aur bahari taur par FOUNTAIN ek baar firse gayab ho gayi....
abhi ALESENDRA kuch sochti ki tabhi....
hhhhhhhh................
issi awaaz ke saath AVANTIKA ko hosh aa gaya....
khudko ek nayi jagah me dekhkar usse bhi shock laga par tabhi....
AAHHHH....AHHHHHH....
AVANTIKA ko hosh zaroor aa gaya tha par VISH ka prabhav toh uske andar abhi bhi pehle jaisa hi tha..wo dard se tadap uthi..
usse itna dard ho raha tha ki wo kuch soch hi nahi paa rahi thi....
ALESENDRA bhi is baat ko bakhubi jaanti thi isiliye wo bhi bebas nigahon se AVANTIKA aur mere taraf dekhe jaa rahi thi ki tabhi.....
HUKKKKK....HUK...............MMMMMMMMM.........HUKKKKK.........
V.JJJJ...........
pehli awaaz mere mooh se nikli thi...sirf awaaz hi nahi nikli thi balki mere mooh se is awaaz ke saath khoon bhi baahar nikla tha....
aur yahi dekhkar AVANTIKA ki bhi cheekh nikal gayi thi....wo apni puri taakat laga kar khade hone ki koshish kar hi rahi thi ki.....
kuch aisa hua jo un dono me se kisi ne bhi nahi socha tha.......
mere seene ke beech me ek tez prakash utpann hua aur ussi prakash ke beech meri kitab baahar nikli....
aur uske baad jo hua,usse ek taraf ALESENDRA dekhkar kho si gayi wahin AVANTIKA ki aankhen bhar aayin par is baar unme udasi ke saath saath khushi aur uttejana bhi chupi hui thi....
hua ye ki mere book ke baahar aate hi wo khul gayi aur uske beech se upar hawa me hi kuch chalchitr,kuch drishya dikhne lage....
in drishyon me meri zindagi ki har khaas cheezen dikh rahi thi.....AVANTIKA ke pitah se pehli baar milna,mere sapne jinme uska aana,bhavishyawani ki wahi meri shakti banegi aur iske saath aur bhi bohot kuch....
aur ye sab dekhkar AVANTIKA ki rulayi phoot gayi.....uski aankhen ek baar firse band ho gayi par tabhi.....
mere book se dobara ek ray nikli aur AVANTIKA ke band aankhon ke upar padi aur agle hi pal.....
AVANTIKA ke aankhon ke saamne uska sapna aa gaya jisme uske sapno ke rajkumar ki peeth uski taraf thi....
par agle hi pal wo palta aur uska chehra dekhkar AVANTIKA ki khushi ka thikana nahi raha kyunki wo ladka mai hi tha.....
AVANTIKA ne dobara apni aankhen kholi...dard toh uske pure sharir me pehle sa hi tha par ISHQ ke zakhm ke aage koi aur ZEHER kya cheez hai....
mere book ke upar abhi bhi kuch naye drishya dikh rahe the jinme se ek tha ki kaise maine DIGVIJAY ko maara tha....
ye dekhkar AVANTIKA itne dard me bhi muskura uthi par tabhi.........
uski nazar ek drishya par padi jo baaki drishyon se zyada bada roop lekar dikh raha tha aur us drishya par nazar jaate hi AVANTIKA ka chehra khil utha....
AVANTIKA- ALESENDRA,mera bag kahan hai...jab mai yahan aayi thi toh wo mere saath tha....
abhi ALESENDRA kuch kehti ki usse pehle AVANTIKA ka bag joki baahar hi pada hua tha,wo hawa me tairta hua AVANTIKA ke paas pahunch gaya....
AVANTIKA ne kaampte haathon se apna bag khola aur uske andar se ek cheez baahar nikali....
ALESENDRA- ye kya hai AVANTIKA????
AVANTIKA- hum dono ka ilaaj.....SWETH PHOOL......
ji haan doston,us drishya me SWETH PHOOL hi dikh raha tha aur SWETH PHOOL hi ilaaj kyun,thodi der me aapko pata chal jaayega...
AVANTIKA ne kaampti haathon se hi jitna ho saka utna SWTH PHOOL ko masla aur uske aisa karte hi PHOOL me se ras risne laga...
AVANTIKA ne jhat se pehle ras ki kuch bunde mere honthon par tapka di aur fir kuch bunde usne khud pi li....
mere honton ke upar jo ras ki bunde giri thi,wo dheere dheere mere mooh ke andar jaane lagi aur jab wo puri andar chali gayi toh.........
ek saath do cheezen huin....
1ST- AVANTIKA ke andar ka zehar SWETH PHOOL ke ras ke andar jaate hi khatm ho gaya...
2ND- meri body ek baar firse chamakne lagi aur jab mai normal hua toh mere saare ghaav,khoon sab kuch theek ho chuka tha...
ab bas aisa lag raha tha jaise mai bas soya hua hun....
wahin AVANTIKA ke theek hote hi ALESENDRA turant uske paas gayi aur dono gale lag gayi...
ALESENDRA- tum dono thik ho gaye AVANTIKA..dekho VIKRAM ke bhi saare chot,uska nikla saara khoon ab gayab hai....
par ye hua kaise....aur wo PHOOL aakhir hai kya????
AVANTIKA ne ek baar meri taraf dekha fir ALESENDRA ko wahi baatein batayi jo maine usse yahan aane se pehle batayi thi....wo apne tarike se bata rahi hai mai aapko apne tarike se batata hun.
SETH PHOOL..WHITE FLOWER.....isse bade se bada chot,zakhm theek ho sakta hai..marta hua aadmi bhi mout ke mooh se wapas aa sakta hai par mai toh koi aam banda hun nahi aur naahi AVANTIKA kyunki wo meri shakti hai...
fir ye PHOOL hum dono ko kaise bacha sakta hai....??ye jaanane ke liye aapko ye jaanana hoga ki RAKHT PHOOL ki hi tarah SWETH PHOOL kisse bana hai....
jab GOD ne ASMODEUS yaani mere BHAI ko khud se door kiya tab AASMODEUS ne khudko DEVILS LORD banane ka socha....
usne paap ki ek nayi missal banane ki kasam khaayi....par jaise hi uski soch ne haqiqat ka roop liya,toh uski saare HEAVENLY POWER uske body se nikal gaye.....
par GOD ke paas jaane ke bajaye wo power EARTH ki taraf chal pade aur unhi POWERS ne EARTH pahunchkar ek naya roop liya....SWETH PHOOL ka roop....
aur kyunki mai GOD'S SON hun,toh ek GOD'S SON ki hi power mujhe aur meri shakti ko theek kar sakti thi aur wo GOD'S SON naa chahte hue bhi mera BHAI ASMODEUS hai....
AVANTIKA ki baat sunkar ALESENDRA ka mooh khula ka khula reh gaya....
AVANTIKA- kitna ajeeb hai naa.jis BHAI ne VIKRAM ko mout ke mooh tak pahunchaya tha,ussi ki shakti ne usse mout ke mooh se wapas bhi kheench liya.....
ALESENDRA- adbhudh........
AVANTIKA lagatar meri hi taraf dekhe jaa rahi thi par maine abhi tak koi movement nahi ki thi jiski wajah se uske man me ek baar firse dar baithne laga tha...
AVANTIKA- V.J.........please uth jaao naa..tumhe meri aakhon me aansu bardasht nahi hote naa,toh please uth jaao warna mai ro dungi....
ye bolte bolte AVANTIKA ke aankhon se ek baar firse aansu nikal gaye....
ALESENDRA ko bhi ab meri fikr dobara hone lagi thi kyunki ab tak toh mujhe uth jaana chahiye tha...
dono me se koi kuch firse kehta ki tabhi.....
FOUNTAIN OF LIGHT ki roshni ek baar firse tez ho gayi aur us roshni ke beech kuch aur roshniyan chamakne lagi....
kuch der baad FOUNTAIN ki roshni kam ho gayi...roshni ki wajah se AVANTIKA aur ALESENDRA ne apni aakhen band kar li thi par jaise hi unhone aankhen kholi,dono firse chownk gayiii.......
aur wo isiliye kyunki mere BOOK ke upar roshni se bane 6 gol kanche hawa me tair rahe the....
AVANTIKA aur ALESENDRA un kancho ko dhyan se dekhne lagin....
mere BOOK ke jo first 2 pages the,jinme kul 3 gol khaanche bane the,unme un 6 light KANCHO me se 3 aakar fit ho gaye....
aur aisa hote hi meri book band hokar mere andar sama gayi.....
wahin bache hue 3 light kancho me se 2 AVANTIKA ke saamne aakar rook gaye aur 1 ALESANDRA ke saamne aakar theher gaya....
1ST KANCHA-kangan nahi hun,
fir bhi KHANKUNGI
sahi samay aane par
teri hatheli par CHAMKUNGI
ye bolkar wo light kancha AVANTIKA ke andar sama gaya....
aur aisi hi line bolkar 2ND KANCHA ALESENDRA ke andar sama gaya...
ALESENDRA aur AVANTIKA ne ek dusre ki taraf dekha aur agle hi pal ek saath dono ke mooh se nikla
DONO- BHAVISHYAWANI......
ji haan doston,ye bhavishwani thi..2 ho chuki thi,meri BHAVISHYAWANIYAN meri kitab me surakshit thi aur ek ka abhi hona baaki tha joki AVANTIKA ke saamne hawa me rooki hui thi....
AVANTIKA kuch der tak us KANCHE ko dekhti rahi aur fir jaise hi usne us KANCHE ko chua
us KANCHE se tez roshni nikalne lagi aur agle hi pal......
BHAVISHYAWANI-
khele tum dono ne
bohot se KHEL
ab tum dono ke saath
bhi ek KHEL HOGA.....
zindagi toh bach gayi
SWETH PHOOL se,par
aankh tabhi khulegi,jab
AATMIK SHAKTI ka MEL HOGA..
jaise hi BHAVISHYAWANI khatm hui,KANCHA gayab ho gaya....
AVANTIKA kuch der BHAVISHWANI me kahe gaye shabdon ke baare me sochti rahi ki par usse kuch sujh hi nahi raha tha ki tabhi achanak.....
usse mere apne ghar me kahe gaye aakhri shabd yaad aaye ki dimag se nahi DIL se sochna...
aur agle hi pal AVANTIKA ki aankhen band ho chuki thi...usse uske dil ki gehraiyon me bas mera hi chehra nazar aa raha tha...
meri tasviron ko AVANTIKA mehsoos kar hi rahi thi ki achanak usse SWITZERLAND me hum dono ke beech hui shayri me baat waali scene dikhne lagi aur jaise hi usse meri kahi gayi SHAYRI/PAHELI sunayi di....
AVANTIKA ki aankhen khul gayi....ek second bas ek second ke liye uske man me sharm jaagi par ussi pal me uske andar se ek awaaz uthi ki....
ABHI NAHI TOH KABHI NAHI......
is awaaz ke AVANTIKA ke andar gunjte hi uski sharm khatm ho gayi..aur agle hi pal AVANTIKA ka chehra mere chehre ki taraf jhukta chala gaya......
ab is lamhe ke upar kya likhun.....
aakhen band,andhera kamra
najaane roshan KAB ho gaya...
tere labon ne jo chua mere labo ko,
ek hi pal me tu mera RAB ho gaya...
AVANTIKA ke honthon ne mere honton ko apni giraft me le liya tha....
naa koi hawas,naa koi PYAAS
aisa tha mere PYAAR ka EHSAAS....
jaise hi AVANTIKA ke honth mere honthon se jude,meri body ko ek jhatka laga....aisa lag raha tha jaise AVANTIKA apne honton ke zariye mere andar jaan phoonk rahi ho...
kuch palon ke is milan ke baad AVANTIKA ne dheere se apna sir peeche kiya aur jaise hi uski nazar mere chehre par gayi,uski khushi ka thikana naa raha...
meri aankhen khul gayi thi aur mai ek tak uski taraf dekh raha tha....
AVANTIKA ne apne dono haathon se mere dono gaalon ko thaama aur.......
AVANTIKA- I LOVE U.......
MAI- I LOVE U TOO.......
AAJ KE LIYE ITNA HI....
AAPKA APNA V..J......