+1 Baap baap hota haiAB TAK AAPNE PADHA KI JAIRAJ AND FAMILY KO PATA CHAL JAATA HAI KI VIKRAM DELHI ME HAI WAHIN GOD GODS MESSENGER SE VIKRAM AUR ASMODEUS KE BAARE ME BAAT KARTE HAIN
AB AAGE:-
FINAL CHAPTER
(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION)
UPDATE-94
PLANET-EARTH
PLACE-MINAKSHI MANSION
AUNTY,BHOOK LAG RAHI HAI......
..............................
HELLO,KYA HUA???BHOOT DEKH LIYA KYA!!!!
CENTRAL MINISTER se baat khatm hone aur fir apne bete se milne ke excitement se baahar aane ke baad jaise hi MINU aur JAIRAJ ke saath teeno family bahar hall me jaane ke liye hue,thik ussi waqt RONIT kamre me enter hua aur apni baat kahi....
RONIT ke hosh me aane aur fir uske aur VIKRAM ke beech jo hua uske baad se RONIT ne kisi se bhi dhang se baat nahi ki thi....
wo gumsum aur khaamosh sa ho gaya tha...sabhi usse chear up karne ki koshish me lage rehte the par uske behaviour me koi badlaav nahi aaya tha....
MINU ko pata tha ki uski banayi dishes RONIT ko hamesha se hi bohot pasand thi,isiliye wo uske liye kuch na kuch banati rehti thi par RONIT ne usse bhi khaana band kar diya tha...
par aaj itne time ke baad RONIT ne saamne se MINU ko khaane ke liye kaha ye sun aur dekhkar teeno families shocked se chup ho gaye the...
par jaldi hi sab apne apne shock se baahar aa gaye aur aisa hote hi shock ki jagah khushi ne ya fir ye kahun ki double khushi ne le li...
ek khushi toh unhe pehle hi VIKRAM ki location ke baare me jaankar ho chuki thi aur dusri RONIT ko back to normal dekhkar ho rahi thi....
sab bohot khush the par phir achanak sabke manme ek thought aaya jiske aate hi sab thode nervous ho gaye...
sab ye sochkar nervous feel karne lage ki jab RONIT ko VIKRAM ke baare me pata chalega toh wo kaise react karega....???!!!!
last time jab wo dono aamne saamne the,tab jo hua ya fir ye kahun ki jo sabne assume kiya usse yaad kar unke zehen me aisa thought aana normal tha...
ye toh the puri family members ke thought,ab jaante hain ki unke saamne khade RONIT ke dimag me kya chal raha hai...!!!
MINAKSHI MANSION aane se pehle RONIT ne raaste me hi ye tay kar liya tha ki ab wo normal rahega..
jo hua usse naa toh wo badal sakta hai aur naahi uske baare me kuch kar sakta hai toh kamsekam normal hokar wo apni family ko kuch khushi do de hi sakta hai...
RONIT ne ye bhi soch liya tha ki kaise bhi karke wo VIKRAM ke paas jaayega aur usse maafi maang kar ghar wapas le aayega..
AVANTIKA ki baaton se aur khaas kar ye jaankar ki AVANTIKA DELHI padhne jaa rahi hai RONIT ko ye confirm sa lagne laga tha ki ho naa ho V.J bhi delhi me hi hai...
wo jaanta tha ki puri family ko is waqt VIKRAM ki kitni zaroorat hai.....
par ab jab RONIT VIKRAM ke mom,dad aur apne baaki family members ko dekh raha tha,toh sabke chehre par aate kayi saare alag alag expressions ko dekhkar usse doubt hua...
ab RONIT jitna bhi impulsive kyun naa ho,usse train toh V.J ne hi kiya tha aur issi wajah se hi usne aur ANJALI ne V.J aur AVANTIKA ka roop liye hue BHUVIKA aur BEELZEBUB jaise behad shaktishali DEVILS ko bhi taad liya tha toh fir normal human beings ko read karna toh RONIT ke liye mamuli baat thi....
RONIT situation ko figure out kar hi raha tha ki.....
MINU- aaj kitne dino ke baad mere bache ne kuch khaane ki zidh ki hai....chal tu mere saath,aaj tere liye teri saari favouite dishes me banaungi aur tujhe khaana padega....
MINU ne RONIT ke gaal ko sehlate hue apni baat kahi aur usse kandhe se pakadkar aage badhne ko hui par RONIT aage nahi badha aur.....
RONIT-pehle ye bataiye ki yahan chal kya raha tha???aap itne dino ke baad apne pairon me khadi hain,fresh lag rahi hain,baaki sab bhi kaafi excited dikh rahe hain....
MINU- tu bhi kya kya sochne lag jaata hai...aaj kitne dino ke baad tu wapas pehle jaisa lag raha hai...aaj teri awaaz sunkar aisa laga jaise humara beta hume wapas mil gaya hai...
jahan MINU ki baat ko teeno families ne support kiya wahin RONIT ko pata tha ki sab jhooth bol rahe the aur jab MINU ne apni aakhri baat kahi toh achanak RONIT ke dimag ki batti jali....
RONIT man me- HUMARA BETA HUME WAPAS MIL GAYA HAI.....ye meri baat kar rahe hain ya VIKRAM........
VIKRAM naam ke dimag me gunjte hi RONIT ko apne saare question ke answer mil gaye...
itne dino ke baad yun achanak MINU AUNTY ka fresh lagna,saare gharwaalon ki aankhon me bhi khushi jhalakna,ye toh sirf tabhi ho sakta hai jab sabko VIKRAM ke baare me kuch pata chala ho....
theory ka logic clear hote hi RONIT ko apne yaar ki aur yaad aane lagi..usse wo saari baatein bhi yaad aane lagi jo VIKRAM usse training dete waqt bataya karta tha....
usse yaad tha ki VIKRAM ne ek baar usse kaha tha ki kabhi kabhi jhooth ke piche hi sach chuppa hua hota hai....bas dekhne ki nazar chahiye....
aur abhi bhi wahi hua...MINU aunty ne jhooth kaha par us jhooth me unka sach bhi kahin na kahin shaamil tha jisse RONIT ne samajh liya aur......
RONIT- V.J......aap sabko V.J ke baare me kuch pata chala hai naa....
RONIT ki baat sunkar sabhi hadbada gaye....
par isse pehle ki koi aur ya MINU kuch kehti
RONIT- AUNTY.....aapko meri kasam...yahi baat hai naa....
apni kasam dekar RONIT ne MINU ko sach batane me majboor kar diya tha...
MINU- haan beta....VICKY ke baare me hume pata chala hai aur mai aur tere uncle usse lene hi jaa rahe the...
MINU ki baat sunkar RONIT ki khushi ka thikana na raha par saath hi wo naaraz bhi tha...
RONIT- toh aap sab mujhse itni badi baat chuppa kyun rahe the???
MINU- beta wo last time jo tere aur VICKY ke beech hua toh....
MINU apni baat puri karti usse pehle hi.....
RONIT- BHAI HAI WO MERA.....
RONIT ne ye baat thodi loud boli thi par uski baat sunkar jahan sab thode shocked ke saath saath bohot khush bhi the....
RONIT- aap aisa soch bhi kaise sakti hain aunty...!!!maana ki maine aapki kokh se janam nahi liya hai,V.J ka sibling nahi hun mai par naa aap kahin se bhi meri mom se kam hain aur V.J.....
wo toh mere sage bhai se bhi badhkar hai....uske liye toh mai haste haste jaan de bhi sakta hun aur le bhi sakta hun....
hum dono ke beech jhagde hon ya fir kuch bhi ho,isse humara rishta toh nahi badal jaayega naa...
mom,kya aap V.J se naaraz hain.....???
RONIT ne apni mom se ye baat puchi....
R/MOM- mai kyun naaraz rahungi...jaise wo tera bhai hai waise hi mera bhi beta hai...aur apne bete se bhi bhala koi maa naaraz hoti hai kya???
RONIT- exactly.....aunty,u hurt me....
ye bolte waqt RONIT ke aankhon me paani aa gaya jisse dekh MINU ne jhat se RONIT ko gale se laga liya...
MINU- sorry beta...really sorry.....mai bhul gayi thi ki tum dono alag alag hokar bhi ek ho....
RONIT MINU se alag hua aur......
RONIT- its ok aunty....par ab jab mujhe asal baat ka pata chal chuka hai,toh meri bhook bhi badh chuki hai...
RONIT ki baat sunkar sabhi has diye...
MINU- tu baith,mai kuch bana kar laati hunn...
MINU aage badhne ko hui par RONIT ne unhe firse rok diya....
RONIT- mujhe khaane ki bhook nahi hai aunty,apne bhai se milne ki,usse ghar waapas laane ki bhook hai.....
RONIT ki baat sunkar MINU ne pyar se uske gaal ko sehlaya hi tha ki......
RONIT- aap DELHI jaa rahe hain naa V.J ko laane?????
RONIT ki is baat ko sunkar sabhi bohot zyada shocked ho gaye....
JAIRAJ- tujhe kaise pata ki VICKY DELHI me hai????
MINU- aur beta agar tujhe pehle se pata tha toh hume bataya kyun nahi!!!???
RONIT- aunty,mujhe aaj hi pata chala hai ki V.J DELHI me hai...
JAIRAJ- par tujhe kisne bataya???
RONIT- bas pata chal gaya.....
RONIT ne ye nahi bataya ki AVNI ke through usse V.J ki location mili hai warna sab AVNI se naaraz hote ki usne unhe pehle kyun nahi bataya....
ye sab chhodiye,ye batayiye ki DELHI ke liye kab nikalna hai....???
JAIRAJ- kab kya???abhi nikalte hain....par beta mai soch raha hun ki kahin tumhe dekhkar VICKY........
JAIRAJ ki baat khatm hone se pehle hi....
RONIT- firse naaraz naa ho jaaye,yahi naa!!!
RONIT ne JAIRAJ ki baat puri ki...
JAIRAJ ne kuch nahi kaha bas RONIT ki taraf dekhne lage....
RONIT- hone do naaraz....mai mana lunga....par mai jaunga matlab jaaunga..chaahiye toh aap dono rook jaao,mai usse lekar aata hun....
JAIRAJ ne apni biwi ki taraf dekha..MINU ne bhi apni palken haan me hila di...
JAIRAJ- thik hai fir...hum teeno chalte hain....
BAAKI SAB- aur hum!!!!!
JAIRAJ- sabka jaana thik nahi hai...hum teeno hi jaate hain aur usse lekar aate hain...
par sabhi aane ki zidh karne lage.JAIRAJ ne sabhi ko badi mushkil se manaya.....
par jab sab bade baat kar rahe the tab RONIT ke dimag me kuch aaya aur wo baahar aa gaya...usne apna mobile nikala aur ek number dial kiya...
ring hui aur jab kuch der baad call recieve hua toh.....
RONIT- hello AVNI.....
ji haan doston,RONIT ne AVANTIKA ko phone kiya tha...kyun,chaliye pata karte hain...
AVANTIKA- hmm.bolo....
AVANTIKA ne sidhe sapat tarike se pucha...
RONIT- sorry AVNI....maine jaisa tumhare aur V.J ke saath behave kiya,mujhe nahi karna chahiye tha...i'am really sorry....
apni baat bolte waqt RONIT ka gala bhar gaya tha jisse AVANTIKA ne saaf mehsoos kiya tha....
AVANTIKA- its ok....
AVANTIKA ne is baar softly kaha...
RONIT- tumhari ek help chahiye???!!!
AVANTIKA-V.J DELHI me hi hai kya,yahi puchna chahte ho naa....haan,wo wahin hai...
RONIT- ye mujhe pata hai AVNI...darasal mai,MINU AUNTY aur JAIRAJ UNCLE DELHI jaa rahe hain...hume ye toh pata hai ki V.J DELHI me hai,par itni badi DELHI me usse hum dhundenge kahan???
tumse yahi jaanana tha ki kya tum bata sakti ho ki V.J kahan mil sakta hai???
RONIT ki baat sunkar AVANTIKA ke chehre par smile aa gayi...
fir AVANTIKA ne RONIT ko ek adress diya jisse sunane ke baad.....
RONIT- par wahan wo kya karta hai???
AVANTIKA- jao,jab dekhoge toh pata chal jaayega....aur haan,THANK YOU.....
AVANTIKA ke mooh se thank you sunkar RONIT ko ajeeb laga..
RONIT- help toh tumne meri ki hai..thanks toh mujhe bolna chahiye...tum kyun bol rahi ho....????
AVANTIKA-agar waapsi me V.J bhi tumhare saath aaya,toh bataungi....all the best....
RONIT ne ajeeb sa face banate hue phone hang up kiya.....
RONIT- V.J ki sangat me ye bhi ussi ki tarah ho gayi hai....EK PAHELI........
RONIT jab hall me aaya tab tak matter solve ho chuka tha....gharwaale nahi jaane ke liye taiyar ho gaye the....par sabne MINU aur JAIRAJ se promise liya ki kaise bhi karke wo VIKRAM ko ghar wapas lekar hi aayen...
sabse promise karke RONIT,MINU aur JAIRAJ airport ki taraf nikal pade....
WAHIN DUSRI TARAF......
AVANTIKA- plz GOD,jaisa mai soch rahi hun,kaash waisa hi ho....
PRESENT YET FLASH BACK:-
PLANET- GLUTO
PLACE- PALACE HALL
AAJ AAKHIR MULAKAT HO HI GAYI HUMARI....
SHAILA jo ki apne raj singhasan me baithi hui thi,wo achanak gunje is tez awaaz se chownk uthi....
SHAILA ne apne saamne dekha jahan is waqt ek kaali akriti hawa me tair si rahi thi...
SHAILA- kaun ho tum...saamne aao...
us kaali aakriti ne dheere dheere ek roop lena shuru kiya aur kuch hi palon baad SHAILA ke saamne ek behad hi khubsoorat ladki khadi thi jiske libas halke sweth aur halke kaale the...
LADKI- lo ,mai saamne aa gayi..ab!!!!
SHAILA- sawal ab bhi nahi badla....kaun ho tum???
LADKI- BHUVIKA.....
SHAILA- aur is tarah beech darbaar me aane ka kya arth hai???
BHUVIKA- mai yahan tumhe tumhari aukaad yaad dilane aayi hun....
BHUVIKA ki baat sunkar SHAILA aur wahan moujud sabhi sabha sadon ko ghussa aa gaya...
MANTRI- hamari raani ka apmaan karne ki tum........
ahhhh.......
isse aage wo kuch keh nahi paaya kyunki uski baat puri hone se pehle hi uska sharir hawa me uth gaya aur phir tezi se wapas zamin par gira jis wajah se uske mooh se karah si phuti....
ye dekh saare sabha sad thode dar se gaye wahin SHAILA ka krodh kaafi badh gaya...
SHAILA- tujhe tera anth yahan kheench laaya hai....
ye bol SHAILA ne miyan se apni talwar kheenchi aur BHUVIKA ki taraf chalaang laga di.....
SHAILA ka sharir hawa ko chirta hua aage badhne laga...talwar ke mooth par apne haath sakht kar SHAILA BHUVIKA ke sir ke upar pahunch chuki thi....
jahan SHAILA ne pure vegh se apni talwar ghumayi wahin BHUVIKA chup chaap SHAILA ko ghurti hui khadi rahi aur tabhi.......
SHAILA ka mooh ashcharyata ki adhikta se khool gaya...wo kabhi apne haath ko dekhti toh kabhi uske sharir ko...
haath isiliye kyunki uske haath se uski talwar gayab ho chuki thi aur sharir ko isiliye kyunki uska sharir hawa me rook sa gaya tha ya fir ye kahun ki uske sharir ko hawa me hi baandh sa diya gaya tha....
BHUVIKA ne apne haath aage kiye aur agle hi pal.....
mmmmmm...mmmm...............
ye awaaz SHAILA ke mooh se nikal rahi thi aur wajah!!!!!BHUVIKA ke haath aage karte hi SHAILA ka sharir ek jhatke se age ki taraf gira par girne se pehle hi SHAILA ki gardan BHUVIKA ke haathon me fas chuki thi...
BHUVIKA halka sa hi pressure lagaye hue thi par SHAILA ke liye ye bhi bohot zyada tha....
uska dum ghutne laga...
SHAILA ne bohot haath pair chalaye par BHUVIKA ki pakad se azaad nahi ho paayi...
aur jab bhi SHAILA apne ghutne ya haath se BHUVIKA pe prahar karti,uske haath aur pair BHUVIKA ko chhune se pehle hi rook jaate ya fir ye kahun ki unhe koi adrishya taakat rok deti....
wahin jo kuch bhi ho raha tha usse dekhkar kisi bhi sabhasad ki himmat nahi ho rahi thi BHUVIKA ke saamne aane ki....
kuch pal ke sangharsh ke baad SHAILA ka chehra laal padne laga.uske ang dheele padne lage..uski aankhen band honi lagi par tabhi.....
BHUVIKA ne apne haath ko jisse usne SHAILA ka gala dabaya hua tha usse jhatka diya aur agle hi pal SHAILA ka sharir udta hua peeche ki taraf gaya aur.....
BHAAD.........
ye awaaz SHAILA ke sharir ke uske singhasan se takrane ki wajah se aayi thi....
apne hi singhasan se takraane ke baad SHAILA ka sharir saamne bane sidhiyon se ludhakta hua neeche farsh par gir gaya....
SHAILA koi kamseen naazuk ladki toh thi nahi jo ek takraaw ki kshati bhi naa jhel paaye....
par BHUVIKA ne jo uska gala dabaya tha uski wajah se usse sense me aane me thoda waqt laga....
is beech BHUVIKA ne kuch nahi kiya.wo chup chaap khadi rahi....kuch der baad jab SHAILA ko kuch theek laga toh wo ek jhatke me khadi ho gayi...
BHUVIKA- teri himmat kaise hui us singhasan me baithne ki jispar sirf meri didi ka hak tha hai aur hamesha rahega...
BHUVIKA ki baat SHAILA ke dimag ke upar se gayi...darasal usne kabhi bhi BHUVIKA ko pehle dekha nahi tha..
us din jab NISHKALIKA mar rahi thi,us din SHAILA ka pura focus NISHKALIKA ke upar hi tha isiliye us din bhi usne BHUVIKA par gaur nahi kiya tha....
SHAILA- tumhari behan????
BHUVIKA- NISHKALIKA.......
NISHKALIKA ka naam sun SHAILA ko jhatka laga....usne kabhi nahi socha tha ki NISHKALIKA ki koi behen bhi hogi ur wo bhi itni taakatwar....
BHUVIKA- meri behen ko maarkar tune acha nahi kiya SHAILA.....par fikr mat kar,NISHKALIKA naa sahi par uski behen tujhe tere apraadh ka dand degi.....
SHAILA- NISHKALIKA ek buri sha......
ahhhhh.........mmmmmmm
SHAILA apni baat khatm kare usse pehle hi BHUVIKA ne apna haath aage kiya aur agle hi pal SHAILA ke sharir ko bijli ka ek tez jhatka laga..
bilji ka jhatke se SHAILA ka sharir sidha ho akad sa gaya aur tabhi BHUVIKA ne fir apna ek haath aage kiya...
BHUVIKA ke aisa karte hi SHAILA ka sharir tezi se aage badhne laga aur agle hi pal SHAILA ki gardan ek baar firse BHUVIKA ke ungliyon ki giraft me thi...
BHUVIKA- meri behen ke baare me kuch bhi galat bolne ka sochna bhi nahi ladki....teri toh itni bhi haisiyat nahi ki uska ya mera naam tak le sake.....
jahan BHUVIKA apna zeher ugal rahi thi wahin SHAILA ka dum ghutne lag gaya tha...SHAILA ko lagne laga tha ki uska aakhri samay aa gaya hai....
BHUVIKA ki apaar shakti ko bhi mehsoos kar rahi thi SHAILA ....
SHAILA ke is soch ko kahin na kahin BHUVIKA ne bhi padh liya....
BHUVIKA- mai tujhe maarungi nahii......mout toh tere liye bohot choti saza hogi...pal bhar me hi tere saare kashton se tujhe nijaat mil jaayega....
aur mai aisa hone nahi dungi..tujhe toh mai pal pal maarungi....jaanti hai kaise???
jis GLUTO ki tu RANI bankar ghumti hai naa,ab tu issi GLUTO me ek gulaam bankar rahegi...
jis mahal me tu shaan se sir uthakar ghumti hai ussi mahal ke saare farsh sir jhukaar dhoyegi...aaj aur abhi se tu meri gulaam hai...
BHUVIKA ne apni ungliyon ki pakad kaafi kam kar di thi taaki SHAILA hosh me rahe aur uski baat sun sake fir bhi uski pakad SHAILA ke nazariye se sakht hi thi...
BHUVIKA ki baat sunkar SHAILA ne kaha....
SHAILA- aisa hone se pehle mai khud apni jaan de dungi....SHAILA ko mout manzoor hai,gulaami nahi....
BHUVIKA- aur isiliye tujhe mout nahi mil sakti..tujhe wahi milega jisse tujhe bohot zyada taklif ho...aur wo hai gulami...
jis mehel ki tu raani thi aaj se tu ussi mahal ki noukar hai....
SHAILA- aisa kabhi bhi nahi hoga....
CHHOD DE USSE.....
BHUVIKA kuch kehti usse pehle hi ye awaaz pure sabha me gunj uthi....
jahan BHUVIKA ne saamne dekha toh uske chehre par ek khatarnaak muskaan naach uthi wahin SHAILA ka laal hua chera peela padh gaya....
BHUVIKA- kya baat hai???RAANI se apni baat manwaane ke liye mai toh pyaado ka istemal karne ki soch rahi thi,par yahan toh istemaal hone ke liye khud saamne se chal kar RAJA aa gaya...
aao AKSHAANT,aao........aaj tumhe dekh tumhari priyatama se zyada khushi mujhe ho rahi hai.....
AKSHAANT- maine kaha chhodo usse....
ye bol AKSHAANT ne apne dono haath ko jod aage jhatka diya..AKSHAANT ke haathon se ek current ray nikli aur BHUVIKA ki taraf lapak padi par isse pehle ki wo ray BHUVIKA ko chhu bhi paati.....
AHHHHHH........
ye awaaz AKSHAANT ke mooh se niklli thi...wajah,uska chhoda gaya ray BHUVIKA ke paas pahunchkar mood gaya aur double tezi se AKSHAANT ko jaakar laga....
AKSHAANT ne aisa kuch hone ki ummid nahi ki thi...ray ke lagte hi usse ek jhatka laga aur wo niche gir gaya par agle hi pal wo wapas khada ho gaya aur apne agle waar ke liye apne haath aage kar diye par usse pehle...
BHUVIKA- mai tumhare saath zaroor khelti par mere paas waqt nahi hai...
STABHAYATI GATI......
STOP MOVEMENT......
BHUVIKA ke ye SPELL bolte hi AKSHAANT ka sharir halka hawa me uth sidha hokar akad gaya....ab kuch karna toh door AKSHAANT naa hil paa raha tha aur naahi kuch bol paa raha tha...
apna kaam khatm kar BHUVIKA ne SHAILA ko neeche utara aur uske chehra ko AKSHAANT ki taraf kiya....AKSHAANT ki haalat dekh kar SHAILA ki aakhen bheeg gayin....
BHUVIKA- suna hai pyar karne waale apne pyaar ki jaan bachane ke liye kuch bhi kar guzarte hain...unhe kisi bhi baat ki fikr nahi hoti....
is baat ko aazmaane ka waqt aa gaya hai...ab agar tune meri baat nahi maani toh....
ye bolkar BHUVIKA ne apne haath ki ungliyon ko halka ghumaya aur....
MMMMMMM....MMMMMMMM......
ye ghuti ghuti si awaaz AKSHAANT ke gale se nikalne lagi.wo bol toh nahi paa raha tha par uske aankhon ne beintahan dard aaram se dekha jaa sakta tha...
SHAILA ne jab ye dekha toh wo bhaag kar AKSHAANT ki taraf gayi par isse pehle ki AKSHAANT ke paas pahunchti,AKSHAANt ke chaaro taraf aag ki lapte uth gayin jisne naa sirf SHAILA ka raasta roka par un lapton me se kuch lapton ne ek force ka roop liya aur SHAILA ko dhakka dekar wapas BHUVIKA ke pairon ke paas gira diya.....
BHUVIKA- tu kabhi bhi uske paas nahi pahunch paayegi.wo tere aakhon ke saamne rahega par fir bhi tu usse chhu bhi nahi paayegi...
aaj se aur abhi se is mahal me ek bhi noukar kaam nahi karega..yahan ka saara kaam tu karegi....aur agar tune aisa nahi kiya toh AKSHAANT jaan se jaayega aur uske baad teri puri praja maregi.....
SHAILA ne kuch nahi kaha bas uski aankhon se aansu nikalne lage....
BHUVIKA- DEVIL'S......haazir ho........
BHUVIKA ke awaaz dete hi uske saamne saikdon ki sankhya me DEVILS prakat hone lage jo uske saamne apna sir jhukaaye khade the....
saare sabha sad ab bhi wahan moujud the aur bohot darfe hue the....
BHUVIKA- is grah me aaj se andhere kaa raaj hoga...is grah ke saare hisso ke GRAH DWAAR band kar do...meri behen ke raaj ke waqt jaisa chalta tha,aaj se yahan punah waisa hi chalega...
jahan DEVILS ne apna sir jhukaya aur gayab ho gaye wahin saare sabhasad bhi haan me mundi hilate hue baahar ki taraf tezi se nikal gaye....
BHUVIKA- naukraani,gulaam itne mehnge vastra nahi pehente....
BHUVIKA ne apna haath ghumaya aur agle hi pal SHAILA ke sharir ke shaahi vastra gayab ho chuke the aur unki jagah ek phata sa kapda uska pehna libas ban chuka tha....
SHAILA ab bhi halke halke aansu baha rahi thi....
BHUVIKA- itni der ho gayi tere saath itna kuch ho gaya...naa toh tune apne BHAGWAAN ko yaad kiya aur naahi uske BETE ko...
BHUVIKA ki baat sun SHAILA ne jalti hui aankhon se uski taraf dekha.
BHUVIKA- waise iska koi laabh hota nahi..kyunki teri madad karne koi nahi aayega...
BHUVIKA ki baat sunkar is baar SHAILAke chehre par ghusse ke saath saath ek smile bhi aa gayi thi....
SHAILA- yaad unhe kiya jaata hai jisse hum bhool chuke hon....jo hamare rag rag me hain,unhe kya yaad karna....
aaj beshak tune mujhe hara diya hai,par is jeet ko apna sampurn vijay samajhne ki galti mat karna....
mujhe ye toh nahi pata ki VIKRAM ab tak kyun nahi aaya par itna maalum hai ki wo aayega zaroor....
aur jis din aisa hoga,us din mai dekhungi ki tu kitni taakatwar hai...uski ek jhalak tujhe tere astitv par shak karne par agar majboor naa kar de toh mera naam bhi SHAILA nahi...
MMMM........MMMMMMM......MMMMMM.....
SHAILA ki baat sunkar BHUVIKA ko krodh aaya par usse pata tha ki SHAILA ko agar taklif pahuchaani hai toh dard AKSHAANT ko dena hoga...
aur isiliye BHUVIKA ne AKSHAANT ko dekh apni ungliyan ghumayi jisse AKSHAANT ke akde sharir me daraar si padne lagi aur aise me usse bohot zyada dard feel hone laga...
AKSHAANT ki haalat dekh SHAILA ki hasi,uska ghussa sab gayab ho gaye aur wo fir ek asahaye ki tarah aansu tapkaane lagi....
BHUVIKA- ye bebasi hi teri asli pehchaan hai..isse mat bhoola kar tu....filhal ke liye mujhe jaana hoga par jab mai wapas aaun toh mujhe mera mahal saaf suthra chahiye warna tere aashiq ki mai haalat kharab kar dungi....
mahal toh pura saaf hi tha aur isse pehle ki SHAILA BHUVIKA ki baat ka matlab samajh paati,usse sab samajh aa gaya...
toh hua ye ki apni baat keh BHUVIKA ne...
KALUSAAM.....
DIRT........
BHUVIKA ke SPELL bolte hi pure mahal ka farsh ganda hokar kaala pad gaya.....
SHAILA ko dekh BHUVIKA ne ek zehrili muskaan di aur gayab ho gayi....
SHAILA ne apni nam aakhon ko band kiya aur....
SHAILA- itna kuch ho gaya aur tum nahi aaye...kahan ho tum???jahan bhi ho,jaldi aao VIKRAMMMMMMMMMM...............
aur meri aankh khul gayi......matab FLASHBACK KHATM PRESENT CHALU.....maine apne aas paas dekha...fir wahi 200 feet gehra paani jiske satah par mai baitha hua tha,chaaron taraf machliyan jo mere aankh khulte hi bhaag khadi huin.....
jo scene abhi chal raha tha,wo mai pehle bhi kayi baar dekh chuka hun par aaj mujhe SHAILA ka dard apne andar tak mehsoos ho raha tha....
khair,mai apna aasan chhod khada hua aur apne pairon ko satah par jama khudko halka push kiya aur agle hi pal mera sharir paani ko cheerta hua baahar nikal aaya...
MAI- saali is jhand zindagi ki panouti khatm hi nahi hoti...
tabhi mere andar se awaaz aayi....
saale zindagi toh meri jhand ho rakhi hai..tere jaisa panouti jo mujhe lag rakha hai....
mai apne aap me budbuda hi raha tha ki mere andar ke ch****** ne hugna shuru kar diya....ab isse bahas karna mere bas ki naa hai isiliye mai chup chaap gayab ho gaya.....
PLACE- DELHI
YE CUSTOM WAALE BHI NAA..AISE CHECK KARTE HAIN JAISE HUM AATANKWAADI HAI...
AUR ASLI AATANKWAADI AARAM SE GHUS JAATE HAIN.....CHALIJE JI,AB KAHAN CHALEN???KAHA HAI HAMARA BETA????
shaam ke kareeb 7 baj rahe the jab JAIRAJ ki chartered plane DELHI airport par land hui...par kyunki JAIRAJ and company khudki plane me aaye the isiliye dobara unhe customs se hokar guzarna pada jis wajah se un sab ko cheak out kar bahar aane me thoda extra time lag gaya.....
MINU apne bete se milne ke liye,usse gale lagane ke liye,usse wapas ghar lejaane ke liye itni excited thi ki ye sab formalities karte karte unhe ghussa aa raha tha jis wajah se wo apna frustration nikal rahi thi....
par aakhir me apna sawaal puch jab MINU ne apne husband ki taraf dekha toh JAIRAJ ko confused sa paaya.....
MINU- kya hua???kya soch rahe hain aap???
JAIRAJ- yahi soch raha hun ki ab jaayen kahan???hum yahan aa toh gaye hain par mujhe ye nahi pata ki hamara beta rehta kahan hain ya wo milega kahan???
MINU- kya????aapko pata nahi ki VICKY kahan rehta hai???par aapne toh phone par uske baare me puri baat ki thi naa....!!!!
JAIRAJ- phone par sirf ye pata chala tha ki hamara beta yahan DELHI me hai..aur kuch nahi...
apne bete se milne ke excitement me hum bina uske residence ke baare me jaane hi yahan aa gaye...
maine apne kuch logon ko VICKY ki pics send ki hain aur pata lagane ke liye kaha hai par itne short period me VICKY ki exact location milna impossible hai...
MINU- toh ab????
MINU ne ye baat bohot hi udaas lehje me kahi thi....
par isse pehle ki JAIRAJ kuch kehte.....
RONIT- toh ab ye ki hum jaate hain aur V.J se milte hain....
RONIT ki baat sunkar JAIRAJ aur MINU sawal aur confusion bhari nazaron se RONIT ki taraf dekhne lage...
RONIT- mujhe pata hai ki V.J kahan milega...
DONO-SACH!!!!!par tujhe kaise pata????
RONIT- waise hi jaise is baat ka pata tha ki V.J DELHI me hai....ab baaki ki baatein chhodiye aur jaldi chaliye,mujhe apne bhai se milna hai....
JAIRAJ ke DELHI me bhi offices aur hotels the jahan se unhe lene ke liye car aayi hui thi....
RONIT,JAIRAJ aur MINU khushi khushi car me baith gaye...
RONIT-HOTEL CUISINE UNLIMITED...yahi le chal bhai....
RONIT ke mooh se is jagah ka naam sun JAIRAJ aur MINU hairan se ho gaye...
MINU- mera beta wahan kya kar raha hai...kya wahin raehta hai wo????
RONIT- koi idea nahi hai aunty..aur hume is hotel ke reception par nahi balki hotel ke andar bane resturant me jaana hai...
RONIT ki baat sunkar MINU aur JAIRAJ ko fir jhatka laga....
par isse pehle ki wo kuch kehte....
RONIT- mujhe bhi koi idea nahi hai..mujhe bas itna pata hai ki agar hume V.J abhi kahin mil sakta hai toh wo is hotel ke issi resturant me hi mil sakta hai....
fir kisine kuch nahi kaha aur unki car apne destination ki taraf chal padi.....
PLACE- HOTEL CUISINE UNLIMITED
HERE WE GO......THATS UR EPITITE FILLER....
CHICKEN SALAD,CASSEROLE,THE YUM FISH PIE,TAGINE & AT LAST MY PERS. FAV. LASAGNE....WILL THAT BE ALL....????
raat ke 8 baj rahe hain jo ki mere job hours ka waqt hai.ek mature couple jinka order mai just lekar aaya tha,usse serve karte hue maine apni baat kahi....
AADMI- no young lad...that will be all...but i must say,u have a very charming personality...tumhe dekh kar koi nahi keh sakta ki tum ek waiter ho....
MAI man me- tujhe dekhkar bhi koi nahi bol sakta ki tere jeb me paise hain...saale sab CH****** hi kyun milte hain mujhe...abbe khaana khaa,aur thusna hai toh bata,laa deta hun,nigal aur nikal.....
andar ek aag jo ubal si maar rahi thi par wahin mera chehra jispe mai ek jhuthi smile liye apne saamne baithe mahanubhav CH***e ko dekh raha tha....
MAI- thanks 4 the compilment sir.....
AADMI- you know what??today is your lucky day...mai bhi ek resturants ka chain kholne waala hun....& i have an offer 4 you....
you join my resturant and that too not as a waiter but as the manager of one of my resturant....
us bande ne apni baat khatm ki hi thi ki uski wife usse boli....
WIFE- arre bina qualification ya interview liye itni badi post aap isse kaise de sakte hain....????ek baar milkar aise decisions nahi liye jaate.....
MAI man me-ghante ka bada post...saali bol toh aise rahi hai jaise NASA me astrounot ke liye selection ki baat ho rahi hai....
AADMI- mujhe bande ki parakh hai my sweet wife..tention mat lo,i know he will do fine...kyun young boy,what do you say???ye tumhare liye ek life changing oppurtunity hai..INTERESTED?????
NOT INTERESETED............
ye awaaz V.J ki nahi thi,ye uske peeche se aayi thi.... jahan wo husband wife ne palat kar awaaz ke disha me dekhne lage wahin mera dil dhakk kar gaya....
jasbaaton ke samandar mere andar tufan uthane lage...pair halke halke kaampne lage.....palatne ki himmat nahi ho rahi thi par palatna toh tha hi aur mai dheere dheere palta.....
aur palatne ke baad jo maine dekha usse dekh mere dil ki dhadkan ek second ke liye rook si gayi......
aaj kareeb 7 mahine baad mai apne mom aur dad ko dekh raha tha....par meri dhadkan ke skip karne ka reason bas mom dad ko dekhna nahi tha balki unki condition ko dekhne ki wajah se tha...
both were looking terribely wiery.....dad ki daadhi nikal aayi thi,aakhen jinme is waqt ghussa aur dard ka mila jula expresion tha,uski wo chamak jo har waqt rehti thi,wo kahin kho sa gayi thi....
aur mom........unke baare me kya bataun????pura sharir kamzor padh chuka tha...najaane wo kaise apne pairon par khadi thi....???chehra bhi pura sookh chuka tha...aur is waqt toh unki haalat aur kharaab dikh rahi thi....
aankhon me aansu ke samandar liye unki body shock se kaamp rahi thi..aisa hi shock dad ko bhi laga tha aur wo bhi halke halke kaamp rahe the
SHOCK.....REASON...........apne bete ko white uniform me ek waiter ke roop me dekhne ka SHOCK......
mere dad ke jinke khud ke najaane kitne hotels hain,unka beta ek hotel ke resturant me kaam kar raha hai is baat ka SHOCK.....
INDIA ke leading industrialist ka beta pichle 7 mahino se garibi ki zindagi guzar raha hai,is baat ka SHOCK......
jaise hi mai palta,mere waiter ke getup ko dekh kar dad aur mom ki aankhen shock aur dard ki adhikta se pathra si gayi thi...
mom toh waisi hi rahi par dad jaldi se hosh me aa gaye....aur hosh me aate hi unke jabde bheench gaye....
saala itni taakat ki puri duniya ko ek jhatke me khatm kar sakta hun,par dad ko ghusse me dekh meri andar tak se fat gayi..... tabhi toh kehte hain ki........
BAAP BAAP HOTA HAI.....
dad tezi se aage badhe aur........
CHATAAKH.............
mujhe koi fark toh nahi pada par mera ek gaal laal ho gaya...
mere dimag me ghusse ka ek tufaan sa utha par ek adrishya cheez se takrakar wo tufan khatm hone laga....
jahan thappad padne ke baad mai apne hi maansik haalat ko samajhne ki koshish me laga hua tha....wahin zindagi me pehli baar mujhpar haath uthane ke baad dad ke aansu jo unki aankhon me rooke hue the,wo chhalak pade.....
DAD- khudko aisi haalat me dikhane se acha toh tu pehle hume maar deta toh thik rehta...
dad isse aage kuch nahi keh paaye aur unki nazar ghumkar us aadmi pe thairi jisne mujhe job offer ki thi....
wo aadmi bhi dad ko aankhen phaade dekh raha tha...same haalat uski biwi ki bhi thi....
ab aisa kaun sa businessman hoga jo JAIRAJ SINGH ko nahi jaanta ho....aur JAIRAJ SINGH ko apni aankhon ke saamne dekhna wo bhi is tarah se kisi ke liye bhi shocking tha....
shock sirf us aadmi ko nahi laga tha...restuarant me aaye sabhi customers jinki sankhya zyada nahi thi,wo bhi kaafi shocked hokar jo ho raha tha wo dekh rahe the...
DAD- aap mere bete ko job denge????
ye jaankar ki mai JAIRAJ SINGH ka beta hun,us aadmi ki jitni bachi thi,wo hawa bhi nikal gayi....
AADMI- sir wo.......
par isse aage wo kuch keh nahi paaya.dad ne apna haath aage kar usse bolne se rok diya....
kuch der tak us bande ko ghurne ke baad dad meri taraf wapas mude hi the ki....
AUNTY..............
is awaaz se jahan dad turant palte wahin mere dimag ki nase fatne lagi..REASON,MOM faint hokar neeche girne hi waali thi ki RONIT jo ki mom se thoda peeche khada tha,usne ye hote hue dekh liya aur tezi se aage aaya..
isse pehle ki mom neeche girti,RONIT ne unhe thaam liya....RONIT ne mom ko girne se bacha toh liya tha par mom behosh ho chuki thi.
mom bohot zyada weakness ke baawjud yahan tak meri khaatir aayi thi par kamzori unpar haawi hoti jaa rahi thi aur jab unhone mujhe waiter ke kapdo me dekha toh unhe mentally ek tez jhatka laga...
kuch der tak toh wo shock ki wajah se stabhd si khadi rahi par jaise hi wo wapas reality me aayi,behosh ho gayin....
RONIT.....resturant me kadam rakhte hi sabse pehle mujhpar nazar RONIT ki hi gayi thi...
aur usse mujhe aise dekhkar jo taklif hui thi,wo agar mom dad se zyada nahi thi toh kam bhi nahi thi....
jahan mom dad mere paas aa gaye the wahan wo jad sa hokar door khada reh gaya tha par jab dad ne mujhe thappad maara tab wo wapas hosh me aaya tha...
wo mere paas aane hi waala tha par isse pehle hi mom girne lagi jisse usne naa sirf dekh liya balki mom ko farsh par girne se pehle bacha bhi liya.....
is waqt RONIT mom ke sir ko apni godh me rakhkar ro raha tha .dad ne doctor ko call karne ke liye apna mobile nikala hi tha ki....
mere haathon se ek adrishya ray nikli aur mom ke sir me sama gayi....aisa hote hi mom ke sharir ko ek jhatka laga aur unki aankhen khul gayi....
unki behoshi hi nahi,unke sharir ki saari kamzori bhi khatm ho chuki thi...jahan mom ko hosh me aate dekh dad ne call kaat diya wahin RONIT meri taraf dekhne laga....
usse pata chal chuka tha ki ye maine kiya hai....
uthete hi mom ki nazar mujhpar gayi....mom jhat se uthkar khadi ho gayin..yun speed se mom ko uthete dekh dad shocked ho gaye...
MOM-apni maa ke gale nahi lagega....
7 mahino ke baad aaj MAA ki awaaz sun raha tha..dilon ki gehrayi ko ek sukoon sa mil gaya tha...
mai dheere dheere aage badha..kuch tha jo mujhe rok raha tha aur kuch tha jo usse rok raha tha jo mujhe rok raha tha....
mai mom ke thik saamne khada ho gaya...is waqt mera chehra bhaav shunya tha....mai bas ek tak apni kom ko dekhe jaa raha tha...
mujhe samajh hi nahi aa raha tha ki mai kya karun???unke gale lag jaaun,unke pairon me gir jaaun,ya fir ek baar firse gaayab ho jaaun...
mere andar ka chhupa shaitan mujhe gayab hone ke liye keh raha tha par mujhe aisa lag raha tha jaise us shaitan par ek lagaam hai...mai uski baat maanane se mana kar sakta hun aur.......
MAI man me- NAHI....MAI KAHIN NAHI JAAUNGAA......
mere aisa bolte hi mere andar ho rahi hulchal jaise shaant si ho gayi....
MAI- MOM.......
mere itna kehne ki der thi....mom jhat se mere gale lag gayi aur tez rone lagi...waise toh mere ghar chhodne ke baad se hi mom kaafi royin thi par aaj unke rone me ek sukoon tha...
kuch der baad unki rulayi sisakne me badal gayi aur jab unke andar ka gubaar nikal gaya toh....
MOM- ye kapde nikal.....mai tujhe ek second ke liye bhi in kapdon me nahi dekh sakti....
MAI- mom mai....
MOM- kya mom???maine kaha naa...nikal matlab nikal.....
abhi mai kuch kehta usse pehle hi....
DAD- arre apne hotel ke restuarant ka dress code hi toh pehna hai..isme kya galat hai..pehenane do....
dad jo ki mere aur mom ke gale milne ke baad hi humse thoda door hokar kisi se phone me baat karne lag gaye the,mom ki baat sun hamare paas aaye aur apni baat kahi...
par unki baat ka matlab humme se kisi ko samajh nahi aaya aur isse pehle ki koi unse kuch puchta....
DAD- aaiye sir....
resturant ke entrance se ek aadmi aa raha tha jisse dekhkar dad ne ye kaha...
mom aur RONIT ke liye toh wo banda naya tha par mere liye nahi...wo aadmi aur koi nahi is hotel ka maalik tha....
OWNER- ye lijiye sir.....
us owner ne kuch kaagzaat dad ki taraf badha diye....
DAD- payment ho chuka hai....
OWNER- haan,mai check kar chuka hun..aaj se ye hotel aur ye resturant aapka....
DAD- mera nahi mere bete ka...
ye bol dad ne wo papers meri taraf badha diye jisse maine hold kar liya...
X OWNER- congrats son....
ye bol owner nikal gaya.....saare customers toh pehle hi jaa chuke the aur aaj ke liye resturant ko close bhi kar diya gaya tha...is waqt resturant me humare alaawa aur koi nahi tha....
mom aur RONIT pehle toh thoda surprised hue par fir khush ho gaye....
DAD- ab toh koi shikwa nahi hai naa..ye hotel toh issika hai..aur apne hi hotel me kaam karne me kaisi sharam....
mom dad ke gale lag gayi....aaj mere ghar chhodne ke baad first time dono ne wahi purane dhang se ek dusre ko hug kiya tha...
ek mukkammal jode ki tarah.......
in sab ke beech RONIT ke tak meri taraf dekh raha tha..dekh toh mai bhi uski taraf dekh raha tha par maine usse ye zaahir nahi hone diya...
par is baat ko dad ne notice kar liya aur unhone dheere se mom ke kaan me kuch kaha....
MOM- tum dono ke beech us din kya hua tha ye hum nahi jaante aur jaanana bhi nahi chaahte...hum dono baahar jaa rahe hain...
tum dono apne differences khatm karo aur jab bhi tum dono baahar aao toh mujhe pehle ki tarah apne dono bete ek saath chahiye....
ye bol mom aur dad baahar nikal gaye aur reh gaye sirf mai aur RONIT.....
jahan mujhe apni taraf naa dekhta dekh RONIT ko lag raha tha ki mai ab bhi usse naaraz hun wahin mujhe ek bechaini si ho rahi thi....
mai RONIT ki taklif,uski tadap mehsoos kar paa raha tha...mai usse baat karna chaah raha tha par mere andar moujud shaitan mujhe aisa karne se rok raha tha....
maine ek baar RONIT ki taraf dekha aur uski side se hota hua aage nikalne laga par tabhi......
RONIT.........
bina dekhe mai
CHAL SAKTA HUN
AGAR TU SAATH HAI....
gir bhi gaya toh
SAMBHAL SAKTA HUN
AGAR TU SAATH HAI....
ek teri zindagi se
kitni hi zindagiyan
BASI HAI
sab khush hain
jo tere chehre par
HASI HAI
mere kaleje me bhi
thandak PAD JAAYEGI
AGAR TU SAATH HAI....
ye zindagi maut se bhi
LADH JAAYEGI
AGAR TU SAATH HAI....
mere khayalon me
yaadon ke PEHRE HAIN
zakhm bhar hi nahi rahe,
chot hi itne GEHRE HAIN
mujhe haraane waalo ko
mai bhi HARA DUNGA,
AGAR TU SAATH HAI....
mere dushmano ko unki
aukaad DIKHA DUNGA,
AGAR TU SAATH HAI....
bohot taklif me hun yaar
ab aur BARDASHT NAHI HOTA
aankhen hi padh le dost,zuban
se aur DARKHWAST NAHI HOTA
aur kuch nahi toh kamsekam
apne gum hi BAANT LUNGA
AGAR TU SAATH HAI....
dard me hi sahi,jaise bhi ho
ye zindagi KAAT LUNGA
AGAR TU SAATH HAI....
MAI- MAI SAATH HUN......CHAL.........
maine apna haath aage badhaya par RONIT ne mera haath hata aage badha aur kaske mere gale lag gaya....
MAI man me-GHANTE KI KAALI SHAKTIYON.... BINA WAZAN KI DOSTI BHI BHAARI PAD GAYI.......
AAJ KE LIYE ITNA HI.........
AAPKA APNA V...J........
Awesomeupdate.mixchers of shock withAB TAK AAPNE PADHA KI KIS TARAH SHAILA AUR AKSHAANT APNE HI MAHAL ME KAID HO JAATE HAIN WAHIN VIKRAM APNE MOM DAD AUR RONIT KE SAATH WAPAS JAANE KE LIYE READY HO JAATA HAI....
FINAL CHAPTER
(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION)
UPDATE-95
PLANET- EARTH
PLACE-MINAKSHI MANSION
MOM DAD........YE KYA TARIKA HAI....AAP DONO EK SAATH DO DO BAATEIN BHUL GAYE....
meri baat sunkar mom aur dad jo ki abhi bhi aadhe neend me hi the,wo apni aadhi khuli aankhon se ek dusre ki taraf dekhne lage...ab jab ek dusre se koi jawab nahi mila toh....
DAD- kya tarika???aur kaun si do baat?
MAI- pehli baat ki ab mai koi chota baccha nahi raha aur dusri ye ki ab aap dono mere bachpan ke time jaise jawan nahi rahe...
aap dono ne puri raat yun aadhe baithe aadhe lete position me guzar di...aise me toh aapki body akad jaayegi....
MOM- aisa kuch nahi.......ahhhh......
MOM ke mooh se ek karaah nikal gayi..wajah...jaise hi wo uthne ko huin toh unki kamar jo raat bhar weird position me rehne ki wajah se akad gayi thi,usme pain hua....
maine mom ko sahara dekar uthaya aur jab dad ki taraf dekha toh mujhe hasi aa gayi par mai hasa nahi....
dad bhi apne kamar ko apne haathon se press kar rahe the par mujhe khudki taraf dekhta dekh unhone apne haath hata liye....
MAI- dad,dard hai toh hai..chupaane se kya faayda...aap dono aaram se yahin so jaayiye..mai chala gym....
dada aur mom kuch kehna chahte the par maine dono ko bolne nahi diya...maine mom ko apne bed par sula diya..dad toh already bed par hi the wo bhi mom ke side me thik se let gaye...
maine dono ko warning diya ki aaj wo dono sirf rest karenge....mom ke liye no kitchen aur dad ke liye no office....ye bol mai room se nikal gaya aur chal pada gym ki taraf....
chaliye jab tak mai gym me pahunchta hun,aap sabko bata deta hun ki kal mere aur RONIT ke hotel se jo ki ab hamara hi tha, nikalne ke baad kya kya hua???
A SMALL FLASHBACK FROM YESTERDAY TILL NOW....
mujhe aur RONIT ko saath saath baahar aate dekh mom dad khush ho gaye..jahan mom ne baari baari se mera aur RONIT ka maatha chuma wahin DAD ne hum dono ko hug kiya....
ek ghante ki drive ke baad hum airport me the....is dauran mom dad ne mujhse mere pichle 7 mahino ki activity ke baare me sab kuch pucha..
unhe ye toh pata chal gaya tha ki mai kahan job karta tha,wo ye jaanana chahte the ki mai rehta kahan tha...travel kaise karta tha wagairah wagairah...
maine unhe bas itna kaha ki mujhe ek quarter saste me mil gaya tha aur mai paidal ya auto se travel karta tha...
meri baat sunkar mom dad ek baar firse sad ho gaye par mujhse dobara milne aur apne saath wapas le jaane ki khushi ke saamne unki udasi zyada der tak tik nahi paayi....
mom dad ko toh maine jhuth bolkar tarka diya tha par RONIT ko ye pata tha ki mai jhooth bol raha hun....
wo jaanta tha ki naa mujhe rehne ke liye jagah chahiye aur naahi mujhe travelling karne ke liye kisi chiz ki zaroorat hai...
usse ye bhi andaza ho gaya tha ye jo job mai kar raha tha wo mera ek cover hi tha...
cover jisse mai sabke nazar me normal dikh sakta tha....par do sawaal aise the jo RONIT ke zehen me lagatar chal rahe the....
pehla toh yahi ki AVANTIKA ne usse thanks kyun kaha aur wajah puchne par ye shart kyun rakhi ki agar wo V.J ko saath laane me kaamiyab rahe tab wo uske kahe thanks ka reason batayegi...
aur dusra sawal....!!!!wo aap kuch der baad RONIT ki zubaani hi sun lijiyega.....
khair,airport pahunch apni plane me baith hum sab wapas MUMBAI aa gaye..ghar pahunchte pahunchte hume raat ke 1 baj gaye the par.....
jaise hi hum chaaron hall me ghuse,hamari teeno family hume wahan humare intazar me baithi mili....
NAANU,NAANI,meri gudiya AASHI,MAMA ,MAAMI,sabhi wahan moujud the....
mera dil itne dino baad dabko dekh kar bohot khush tha par dimag ko kaabu paane ki koshish me emotions par bhi kaabu paana hota hai,is wajah se mai normal hi raha...
mila mai sabse but normally....mujhe aise dekh sabko thoda dukh toh hua par mom dad ki hi tarah mere wapas aane ki khushi us dukh se kahin upar thi...
jab SAVITA AUNTY mere paas aayin toh mai thoda nervous hua tha..REASON....last time jo maine unke bete ke saath kiya tha aur uske baad jo harkat ki thi wo aaj bhi mere zehen me taaza thi...
ek toh waise hi mera dimag thoda out of control tha uspar aunty ka mere saamne aana,mujhe samajh me hi nahi aa raha tha ki mai kaise react karun par......
iski zaroorat hi nahi padi....mere paas aakar SAVITA AUNTY ne mera maatha chuma aur mujhe gale laga liya...mai unka pyar,mujhe gale lagate hi unke nikalne waale aansuon ko mehsoos kar sakta tha....
maine kuch kaha toh nahi par wo un do logon me se ek thi jinhe dekhkar mai muskuraya tha....aur mujhe muskurata dekh mere saare gharwaale bohot khush hue the....
jaisa ki maine bataya ki SAVITA AUNTY un do logon me se ek thi jinhe dekh mai muskuraya tha....
unke alawa NEHA AUNTY (ANJALI'S MOM) jab mere paas aayin toh maine saamne se unhe gale laga liya tha....unke dard sa dard aur kisiko naa tha...
kahin naa kahin unki haalat ka zimmedar mai bhi tha....itna tez dimag hokar bhi mai ASMODEUS se ek baazi haar gaya tha....
haara mai aur saza meri dost ko mili..mere pure pariwar ko mili.....khair,NEHA AUNTY aur HARPREET UNCLE se milne ke baad mai apne room me chala gaya.....
jahan sabhi gharwaale mujhe normally dekh rahe the,wahin R0NIT maatra hi aisa tha jo mere saare haav bhaav ko dhyaan se note kar raha tha...
sabse milte waqt RONIT mere chehre ko gaur se dekh raha tha....usse andaza ho raha tha ki mai khudko control kar raha hun....
par kyun,ye wo samajh nahi paa raha tha par ek natije par wo confirm ho gaya tha aur wo ye ki mere saath kuch bohot bura hua hai...
kuch aisa jo usne kabhi socha nahi tha....aur usse ye bhi pata tha ki mujhse wo kuch pata nahi kar paayega par uske zehen me ek chehra ghum raha tha jo usse saari sachayi bata sakta tha...AVANTIKA........
yahan mai apne rooms me tangi meri RONIT aur ANJALI ki photos dekh hi raha tha ki mom aur dad mere paasaaye...
dono ne zidh ki ki aaj wo mere saath soyenge....maine mana kiya par wo dono nahi maane....aakhir me haar maan mai bed par let gaya....
jahan dad mere right side bed par sirahane me baith mera sir sehlaane lage wahin mom mere pair ke paas baith kar mere pair dabane lagin....
maine dono ko ye sab naa karne dene liye uthna chaha par pehle toh dad ne mere sir par haath rakh mujhe uthne nahi diya par fir bhi mai jab naa maana toh mom ne apni kasam de di...
maine ek lambi saans chhodi aur chupchaap let gaya...pichle 7 mahino se mai raat ko soya nahi tha..har raat mai ek jagah jaakar dhyan me baithta tha par aaj aisa posiible nahi tha....
dusri taraf mom dad ka yun care mere dimag ke andar khalbali sa machane laga aur khudko control me rakhne ke liye mai lete lete hi dhyan awastha me chala gaya....
har din ki tarah subah ke 4 baje mera dhyan toot gaya..par jab maine apne left right dekha toh fir ek jasbaaton ka samandar mere andar utha par maine khudko control kar liya...
ek side dad mere sir par haath rakhe rakhe baithe baithe hi so gaye the wahin dusri taraf mom toh bed par thi hi nahi...
wo bed ke neeche baith mere pairon ko dabate dabate mere pairon ke upar hi so gayi thi....
maine un dono ko uthane ka socha par fir mai rook gaya..agar abhi mai dono ko uthata toh fir mai jahan jaane waala tha wahan jaa nahi paata....
isiliye mai ussi position se lete lete gaayab ho gaya.....jis kaam se gaya tha wo kiya aur fir wapas jaise leta hua tha ussi position me aakar let gaya....
maine mom dad dono ko halka halka hilaya,wo dono jis position me soye the,usme unki neend waise hi kacchi thi,mere hilane se dono ki neend toot gayi aur uske baad ka conversation mai bata chuka hun....
FLASHBACK ENDS:-
TUJHE KABSE IN SABKI ZAROORAT PADNE LAGI.......
MAI- ledron ki basti me koi toh fit hona chahiye naa....
mujhe gym me aaye ek ghanta ho gaya tha...mai weight lifting kar hi raha tha ki itne me mere piche se ye awaaz aayi...ye aur koi nahi RONIT tha.....
RONIT- saale,ledra hoga tu?....tabhi toh apni haddiyan mazboot karne ke liye tujhe gymming ki zaroorat pad rahi hai....
MAI- beta jo gym hum karte hain wo sirf hum hi kar sakte hain....thik waise hi jaise teri bakwaas sirf tu hi kar sakta hai....
RONIT- ghante ka tum hi kar sakte ho..jo tu kar raha hai wo toh har koi karta hai....
MAI- paani me laath aur hawa me baat soch samajh kar karna chahiye baalak....ek kaam kar,isse sirf ek baar utha ke dikha....
maine apne weight lifter jisse mai bench press maar raga tha,uski taraf ishara kar RONIT se kaha....
mere aisa kehne ka reason jaanane ke liye RONIT bhi curious tha.usse ache se pata tha ki mai koi baat bewajah nahi kehta...
apne haath ko jhatakte hue RONIT weight lifter ke paas aaya aur bench par let gaya....agle hi pal........
mmmmmm....mmmmmmm.....mmmmmmm...
pehle thoda fir thoda zyada aur fir RONIT ne apni puri taakat laga di par fir bhi wo WEIGHT LIFTER ko utha nahi paaya....
ek minute tak apni puri jaan lagaane ke baad RONIT thak haar kar sidha khada ho gaya...
kamar par haath,chehre par thakaan aur aankhon me avishwaas liye wo meri taraf dekh raha tha....
MAI- apni sadi hui shakal ko aur kitna kharab karega.....nikal yahan se,mujhe gym karna hai....
par RONIT gaya nahi,wahin khada raha aur....
RONIT- pehle ye bata ki isse mai lift kyun nahi kar paaya...weight toh bas 200 kg hi dikha raha hai...itna toh mai apni ek ungli se utha sakta hun fir apni puri taakat lagakar bhi mai isse kaise nahi utha paaya....
MAI- ohho...scientist ko theory jaanana hai taaki koi naya invention kar sake....abbe,jab maine kaha ki tere bas ki naa hai toh chup chaap maan lena chahiye naa...
par nahi,hum toh apni dedh hoshiyaari dikha ke rahenge...kyunki kuch sikhe naa sikhe par apni bail buddhi dikhana toh humne paida hote saath sikh liya tha..kyun?
waise toh meri baat sunkar RONIT ko ghussa hona chahiye tha,par hua ulta..maine jis tarike se apni shakal bana bana kar baatein kahi thi usse sunkar RONIT ki hasi chhut gayi aur usse hasta dekh mai aur chidh gaya....
MAI- hihihihihi....hihihihihi.....daant niporna ho gaya ho toh nikal ab.....
RONIT- pehle ye bata ki mai isse utha kyun nahi paaya warna mai nahi jaane waala...
maine pehle kuch der RONIT ko ghur kar dekhta raha par saale par mere ghurne ka koi asar nahi pada isiliye......
MAI- universe me jitne bhi heavy metals hain,maine un sab ke wazan ko ek invisible energy me badal kar is weight lifter me daal diya hai....abhi iska wazan kisi planet ke wazan se bhi zyada hai.....
ye bolkar maine ek jhatke me us weight lifter ko utha liya....
mai toh wapas weight lift karne me lag gaya par meri baat sunkar RONIT ka mooh khulla ka khulla reh gaya.....
RONIT- agar iska weight inta zyada hai toh floor par koi asar kyun nahi ho raha hai..itne wazan ke saath toh yahan ki puri zameen yahan tak ki jahan tak iska impact hoga,wahan tak ki zameen dhas jaani chahiye....
MAI- iske andar jo weight energy maine daali hai,wo tabhi asar me aati hai jab isse uthaya jaata hai.zameen par aate hi iska weight normal ho jaata hai....
RONIT- WOWW.....AMAZING BHAI.....
MAI- kaash mai bhi tere baare me aisa kuch kabhi keh paata....hamesha bail buddhi ka bail buddhi hi rahega....
RONIT is baar bhi meri baat par has diya aur haste haste baahar nikal gaya......
jahan mai wapas gym karne me lag gaya wahin RONIT bike lekar kahin nikal gaya....
PLACE- AHUJA MANSION
GOOD MORNING MOM......
GOOD MORNING BETA.....kya baat hai,aaj kal tu bohot jaldi uth jaati hai.....!!!!!tune jogging bhi start kardi hai.....
subah ka waqt hai.....subha jaldi uth AVANTIKA kuch der tak room me rahi jaise wo har roz rehti hai,uske baad
ghar se baahar aa jogging par nikal gayi aur just louti thi......
AVANTIKA hall me pahunchi hi thi ki uski mom ki nazar uspar padh gayi......
AVANTIKA- toh ye toh achi baat hai naa mom.....
A/MOM- bohot achi baat hai beta..mai toh isiliye puch rahi hun kyunki pehle tu aisi nahi thi fir achanak yun change!!!!!
AVANTIKA- offo mom...pehle mai health consious nahi thi...ab hun,simple.....
THODA SA HEALTH CONSIOUS APNI BEHEN KO BHI BANA DE.....
ye awaaz SHANAYA ki MOM ka tha jo AVANTIKA ki taraf aa rahi thi......
AVANTIKA- SHANAYA ko kya hua???achi khaasi fit toh hai....
S/MOM- kahan se fit hai....?ek toh late uthati hai,uspar ghar ka khaana toh jaise madam ko pasand hi nahi hai..baahar ka hi khaati hai..aise me toh uski tabiyat bigad jaayegi....
AVANTIKA- kuch nahi hoga usse...wo baahar ka zaroor khaati hai par unhyginic nahi khaati....acha mom,mai thoda baahar tehel rahi hun....
A/MOM- arre ab kahan chali....?abhi toh jogging karke aayi hai....
AVANTIKA- wo actually mom target calories burn karne ke liye thoda aur chalna padega...mai aati hun...
ye bol bina kisiki koi baat sune AVANTIKA fatafat ghar se baahar nikal gayi...abhi AVANTIKA ne apne ghar ke gate se kadam baahar nikale hi the ki.......
HI AVNI........
AVANTIKA ka face is awaaz ki taraf hi tha jo ki aur kisika nahi RONIT ki tha....RONIT ko apne saamne dekh AVANTIKA ke chehre par smile aa gayi....
AVANTIKA- so mission accomplished,right!!!tum V.J ko wapas le hi aaye.....
RONIT- tumhe kaise pata???
AVANTIKA- V.J jitna toh nahi,par jaanti toh mai bhi tumhe ache se hi hun....V.J agar nahi aaya hota toh tum yahan mere paas wo bhi subah subah nahi aaye hote.....
RONIT- matlab!!!!
AVANTIKA- mere thank you kehne ka reason jaanane aaye ho naa...?!!!!!
RONIT- haan...par saath me mai kuch aur bhi jsike baare me mujhe jaanana hai.....
AVANTIKA- hmm....thik hai...waise tumse zyada is pal ka maine intazar kiya hai...
RONIT - waqt!!!!kaisa waqt?
AVANTIKA- tumhe sach batane ka aur......
RONIT- aur!!!!
AVANTIKA- tumhe mera ek kaam karna hai..actually mera nahi jo kaam tumhe karna hai wo V.J ka hai aur wo kaam bohot zaroori hai.....
RONIT- mai kuch samjha nahi.....
AVANTIKA- sab samajh jaaoge.....chalo,walk par chalte hain.....
RONIT ne apni bike wahin side me stand kar di aur fir wo aur AVANTIKA paidal hi aage badhne lage.....
kuch der tak dono ke beech khamoshi rahi..jahan AVANTIKA ye soch rahi thi ki kya usse RONIT ko sab kuch batana chahiye kyunki wo jaanti thi ki V.J ke saath jo hua wo sunkar RONIT ko bohot zyada taklif hogi...
wahin RONIT ke dimag me V.J ke gaayab hone ke baad ke sabhi lamhe ek ke baad ghumne lage the...wo jaanana chahta tha ki LORD OF ANGELS hone ke baawajud V.J ke saath aisa kya hua jo wo unki madad ke liye nahi aa paaya.....
RONIT ne AVANTIKA ki taraf dekha toh usse gehri soch me dooba paaya....
RONIT- AVNI,mujhe sab kuch jaanana hai,sab kuch....
AVANTIKA kuch der tak RONIT ko dekhti rahi fir....
AVANTIKA- isse tumhe taklif ho sakti hai..bohot taklif.....
RONIT- jo taklif mai mehsoos kar chuka hun,usse zyada toh nahi hogi naa....
AVANTIKA ne ek gehri saans li aur RONIT ko sab kuch shuru se batana shuru kiya....
kaise wo VIKRAM aur ALESENDRA FOUNTAIN OF LIGHT ke saamne gaye..wahan kaise pehli baar VIKRAM ka saamna uske BHAI ASMODEUS aur bhatije BEELZEBUB se hua....
kis tarah V.J zakhmi ho maut ke kagaar tak pahunch gaya tha..kaise sitiuation ko aur mushkil banane ke liye ASMODEUS ne AVANTIKA ke sharir me zeher chhoda...
kis tarah V.J ki jaan bachi..bhavishyavani ka milna,uske baad un dono ka COURIOUS pahunchna....COURIOUS ka shraap aur kaise V.J ne COURIOUS waasiyon ko shraap mukt kiyaaa...
ASMODEUS ka plan....kaise PARIVARTAK ka ismtemaal kar ASMODEUS ne COURIOUS ke samay chakra ko pure bramhaand se tez kar diya..
AVANTIKA ne RONIT ko bataya ki kaise ASMODEUS ne COURIN PHAL ke andar apna khoon milaya aur jaise hi VIKRAM ne us phal ka sewan kiya,uski pehchaan usse alag ho gayi.......
VIKRAM ki haalat aur us haalat ke sach ko jaankar RONIT ek jagah baith gaya....jaise AVANTIKA ne kaha tha,usse bohot taklif hone lagi....
VIKRAM ne itna kuch saha wo bhi akele ye sochkar hi uska dard badhta jaa raha tha...
AVANTIKA ne bhi usse kuch der rone diya....kuch der baad jab RONIT ki taklif kuch kam hui toh.....
RONIT- V.J apne hosh me hi nahi tha aur isiliye usne mujhpar us din haath uthaya tha.....
AVANTIKA- galat....itna kuch hone ke baad bhi VIKRAM ne apne hosh ko kisi tarah sambhal kar rakha tha....
ASMODEUS ke khoon ki wajah se VIKRAM ko turant pura badal jaana chahiye tha..usse bhi paap ke raaste me nikal jaana chahiye tha par VIKRAM ne kisi tarah aisa hone nahi diya..
jis din usne tumpar haath uthaya tha,ussi din ya fir ye kahun usse kuch der pehle hi usse uski pehchaan chhini thi....PAAP uske sir par haawi tha...
itne kharab condition me hone ke baawjud usne kisi tarah apna dimag chalaya...
tumhe maarna,uthakar room se baahar fek dena,ye uska plan tha....wo chahata tha ki pure gharwaalon ko pata chale ki usne tumhare saath aisa kiya hai.....
jisse gharwaale uspe naaraz hon aur wo ghar chhodkar chala jaaye....kyunki wo jaanta tha ki agar wo ghar par raha toh zaroor gharwaalon ke saath kuch galat kar dega isiliye usne ye faisla liya.....
aur jaisa wo chahta tha,thik waisa hi hua....aunty ne usse ghar se nikal jaane ke liye kaha jisse usne ek second me maan liya aur chala gaya.....
RONIT- mere bhai ke saath itna kuch ho gaya aur mujhe khabar tak nahi.....isiliye wo DELHI........
RONIT apni aage ki baat kehte kehte rook gaya...usse apna wo sawal yaad aa gaya jo wo AVANTIKA se kal se puchna chahta tha....
RONIT- mujhe ek baat samajh nahi aayi....
AVANTIKA- kaun si baat???
RONIT- usse pehle ye batao ki kya V.J thik ho gaya hai..i mean ASMODEUS ka khoon kya ab uske andar nahi hai...
AVANTIKA- hai...ASMODEUS ka khoon ab bhi V.J ke andar hai....
RONIT- agar V.J isiliye hum sab se door gaya tha taaki uski wajah se humme se kisi ko nuksaan nahi pahunche toh fir hume uska pata chal kaise gaya???
i mean ye sach hai ki usne khud hume apne baare me nahi bataya par ye bhi ek sach hai ki agar V.J nahi chahta ki hum usse milen toh duniya me aisi koi taakat nahi hai jo hume usse mila de....
ya toh wo hamare ustak pahunchne se pehle hi gayab ho jaata or in first place,wo aisa kuch karta ki hum tak uski khabar pahunchti hi nahi.....
RONIT ki baat sunkar AVANTIKA ke chehre par smile aa gayi.....
AVANTIKA- i must say,tumhara dimag kaafi chalne laga hai....
AVANTIKA ne tarrif ki par RONIT ka mooh ban gaya....
RONIT-waah,ek taraf tum ho jo mere dimag ki taarif kar rahi ho aur ek taraf wo khadus V.J hai jisne mujhe yahan aane se pehle bail budhhi ke naam se samaanit kiya hai.....
RONIT ki baat sun AVANTIKA khilkhila kar has padi.....
AVANTIKA- maine kaha naa ki abhi wo ASMODEUS ke khoon ke prabhaav se baahar nahi aaya hai....
RONIT- fir.....
AVANTIKA- isiliye maine tumse kaha tha ki agar tum V.J ko wapas laane me kaamiyab hue toh mai tumhe apne thanks kehne ki wajah bataungi.....
V.J ghar chhod kar isiliye gaya tha kyunki uske andar ka shaitan us waqt uspar haawi tha jisse sabse zyada nuksaan V.J ke gharwaalon ko matlab tum sab ko hota par...
V.J ka tumhare saath yahan aane ka matlab hai ki usne apne andar ke shaitan ko kuch hadh tak kaabu me karna sikh liya hai....
aur aisi haalat me ab baahar waalon ko V.J ke andar chhupe shaitan se khatra hai,gharwaalon ko nahi....
gharwaalon ki wajah se wo khudko control me rakh paayega aur isliye V.J tumsab ke saath wapas aa gaya....
isiliye maine tumhe thanks kaha tha kyunki V.J ke wapas aane ka matlab hai wo pehle se thik hai....
RONIT- thik hai,perfect nahi...aur mai V.J ko pehle ki tarah perfect dekhna chahta hun....
AVANTIKA-sirf tum nahi,pura UNIVERSE usse thik dekhna chahta hai kyunki UNIVERSE me shaanti banaye rakhna,ye V.J ki zimmedari hai jisse wo pichle 7 mahino se nahi kar paa raha hai.....
RONIT- par ye hoga kaise?
AVANTIKA- ussi tarike ya fir ye kahun ki ussi CHIZ ke paas jaakar jisse V.J ki haalat sudhri hai.....
RONIT- matlab!!!!
AVANTIKA- maine tumse kaha tha naa ki tumhe V.J ka ek kaam karna hai...ye wahi kaam hai jiske pure hone se shayad hume V.J ko theek karne ka koi idea mil sake....par....
RONIT- par!!!par kya?
AVANTIKA- par isme bohot khatra hai...tumhari jaan bhi jaa sakti hai....
RONIT-ANJU ke roop me meri jaan pehle hi jaa chuki hai..ab bas mere paas mera BHAI hi toh bacha hai,uske liye agar ye dhadkan band bhi ho jaaye toh koi gum nahi....
AVANTIKA kuch der tak RONIT ko dekhti rahi fir......
AVANTIKA- hume kahin jaana hoga....par wahan se aane me waqt lag sakta hai isiliye pehle apne apne ghar chalte hain..ghar waalon se kuch bahana banakar tumhare ghar ke paas jo garden hai wahan 10 baje milte hain.....
RONIT- cool.....
baat karte karte AVANTIKA aur RONIT ghumte hue wapas AVANTIKA ke ghar ke saamne pahunch chuke the......
AVANTIKA ko bye aur 10 baje milne ka bol RONIT apne bike me baith apne ghar nikal gaya aur AVANTIKA apne.....
10 AM IN GARDEN:-
RONIT- toh ab?
AVANTIKA- SECRILLA..... hume wahan jaana hoga....
SECRILLA FOREST ka naam sunkar RONIT ko shock laga....
RONIT kuch kehne hi wala tha ki....
AVANTIKA- sab bataungi par wahan pahunchkar...SECRILLA ke sarhad ke saamne ki jagah yaad hai tumhe....
RONIT- haan...
AVANTIKA- ussi jagah pahunchne ke liye DOOR kholo.....
RONIT ko AVANTIKA ki ye baat bhi samajh nahi aayi...par SECRILLA pahunchne tak ke liye usne kuch bhi puchna thik nahi samjha aur.....
agle hi pal RONIT ka ek haath hawa me tha jisse ek ray nikli..ray AVANTIKA aur RONIT ke saamne gol gol ghumne lagi aur dekhte hi dekhte us ray ne ek magical door ka roop le liya jiske dusri taraf SECRILLA ki wahi sarhad thi jahan unhe jaana tha....
AVANTIKA aur RONIT us DOOR se hote hue dusri taraf
chale gaye..unke cross karte hi DOOR band ho gaya....
RONIT- ab toh batao ki hum yahan kyun aaye hain aur jab hume SECRILLA jaana hai toh tumne mujhe yahan FOREST ke baahar kyun DOOR ki opening rakhne ke liye kaha?
AVANTIKA- V.J ke theek hone ka solution hume SECRILLA ke andar hi milega.....
RONIT- yahan kaise?
AVANTIKA- MERCIA RIVER yaad hai.....V.J pichle 7 mahino se MERCIA RIVER ke andar ghanton tak dhyaan awastha me baithata hai...
aur mujhe lagta hai ki MERCIA RIVER ke paani se hi V.J apne andar ke shaitan ko,negetive energy ko control karne me kaamiyab hua hai.....samjhe.....!!!!
RONIT- kuch kuch?
AVANTIKA-baaki ka bhi samajh jaaoge.uske liye hume MERICIA RIVER ke paas jaana hoga....
par usse pehle hume hamare saamne jo SECRILLA ki sarhad hai,uske problem ko solve karna padega.....
RONIT- yahan kaisi problem?
AVANTIKA- ussi problem ki wajah se hi toh maine tumhe SECRILLA ke andar DOOR ki opening rakhne se roka tha.....
darasal BHUVIKA aur BEELZEBUB ne is FOREST ki sarhad ke chaaro taraf apni shakti tarange failayi hui hai....
jaise hi humne SARHAD cross kiya,unhe pata chal jaayega.....
BHUVIKA aur BEELZEBUB ka naam sunkar pehle toh RONIT ko behad ghussa aaya par kuch hi pal baad uska ghussa tention me badal gaya....
bhale hi RONIT BEELZEBUB aur BHUVIKA se badla lena chahta ho,par wo ye bhi jaanta tha ki wo is laayak nahi hai....
apne josh ke chakkar me pichli baar usne apni mohobbat kho di thi.RONIT soch raha tha ki agar is baar bhi usne pichle baar jaisa react kiya toh shayad is baar AVANTIKA bhi naa bach paaye.....
aur wo apne jaisi haalat apne BHAI ka kaise hone de sakta tha aur isiliye.....
RONIT- wo dono bohot khatarnaak hain AVNI...hume wapas jaana chahiye....hum koi aur tarika dhund lenge....
RONIT ki baat sunkar AVANTIKA ke chehre par smile aa gayi....
AVANTIKA- kya hua,dar gaye....
RONIT- haan,dar gaya par apne liye nahi V.J ke liye..maine toh apna pyar kho diya par agar tumhe kuch ho gaya toh mai V.J ko kya mooh dikhaunga.....
AVANTIKA- tumhari yahi problem hai...tum apni samajhdaari hamesha galat waqt par dikhate ho.....
RONIT- matlab???
AVANTIKA- matlab ye samajhdaari tumhe ANJALI ke waqt dikhani thi...aur jahan tak mera sawaal hai,BHUVIKA aur BEELZEBUB mera kuch nahi bigad sakte.....
RONIT ko AVANTIKA ki baaton ka matlab samajh nahi paaya..wo isse figure out karne ki koshish kar hi raha tha ki.......
RONIT- AVNI..............
RONIT ke mooh se AVANTIKA ke naam ki cheekh nikal gayi aur wajah....AVANTIKA ne ek dum casually chalte hue SECRILLA ke sarhad ko cross kar diya tha.....
AVANTIKA- kya hua??chilla kyun raha hai???tere saamne hi toh hun.....
abhi RONIT kuch kehta usse pehle hi......un dono ke chaaron taraf tez hawa chalne lagi....ab tak jahan achi khaasi dhoop khili hui thi,wahan ab halka andhera chaane laga...aur tabhi...........
do tez bijli AVANTIKA se kuch door saamne giri jisse do kaale dhuen ke gubaar uthe aur jab wo gubbar chaten toh RONIT aur AVANTIKA ke saamne BEELZEBUB aur BHUVIKA khade the.....
un dono ko apne saamne dekh jahan AVANTIKA normal hi rahi wahin RONIT ke man me dar ne ghar kar liya....
wo tezi se aage aaya aur AVANTIKA ke saamne khada ho gaya par AVANTIKA ne usse kandhe se pakad side me kar diya....
BHUVIKA- socha nahi tha ki itni jaldi tujhe maarne ka mouka milega....
AVANTIKA- sidhe mujhse request kar leti,mai pehle hi tere saamne aa jaati.....
aapko yaad hoga doston ke BHUVIKA ne ASMODEUS se AVANTIKA ko maarne ki baat kahi thi aur ASMODEUS ne use kuch kaha tha jiske baad BHUVIKA aur BEELZEBUB gaayab hokar kahin pahunche the aur ek SPELL bola tha....
wo dono yahin aaye the..ASMODEUS ne unse kaha tha ki ek naa ek din AVANTIKA yahan zaroor aayegi aur jab aisa ho tab wo AVANTIKA ko maar sakte hain....
isiliye BEELZEBUB aur BHUVIKA yahan aaye the taaki is jagah ko apni shakti tarango se baandh sake jisse jab bhi AVANTIKA yahan aaye toh unhe pata chal jaaye.....
BHUVIKA-naa tere paas koi shakti hai aur naa hi koi aur taakat...fir bhi itna ghamand...
BEELZEBUB- par kuch hi shano baad jab tu zamin par giri mout ke kagaar par hogi,tab teri saath saath tera ghamand bhi khatm ho jaayega....
AVANTIKA- tune thik kaha BHUVIKA ki mere paas koi shakti nahi hai,par mujhe kisi taakat,kisi shakti ki zaroorat bhi nahi hai,jaanti hai kyun,kyunki mai khud ek SHAKTI hun....
aisi SHAKTI jisse takrane ki aukaad tere bas ki nahi hai.....
aur BEELZEBUB,jab tera BAAP mujhe nahi maar sakta toh tu kis khet ki muli hai....
apne FATHER ke baare me sun BEELZEBUB ko ghussa aa gaya....uske haath me current rays dikhne lage par isse pehle ki wo un rays ko AVANTIKA par chhodta....
RONIT- tum dono ko jo karna hai mere saath karo par AVANTIKA ko chhod do....
RONIT ki awaaz me ek laachari thi jisse mehsoos kar BHUVIKA aur BEELZEBUB has diye.....
BHUVIKA- teri awaaz me ek akad hua karti thi,wo kahan gayi?
BEELZEBUB- lagta hai iski premika ke saath saath iski akad ne bhi dum tod diya....
BHUVIKA aur BEELZEBUB ki baat sunkar RONIT ko bohot tez ghussa aaya par AVANTIKA ki khaatir wo apne ghusse ko pi gaya....
AVANTIKA- isse pyar,fikr kehte hain naalayakon par tumhare jaise gawaar ye nahi samjh sakte...aur jis akad ki tum baat kar rahe ho naa,chalo,tumhe usse bhi mila dete hain.....
AVANTIKA ki baat sun RONIT kuch kehne hi waala tha ki.......
AVANTIKA ne apna ek haath RONIT ke sir par rakha aur agle hi pal AVANTIKA ki aakhen band ho gayi....
SHAKTIYEM STHAANANTARAM
POWER TRANSFER
AVANTIKA ke mooh se SPELL sun RONIT ko jhatka laga par isse pehle ki wo koi pratikriya de paata
AHHHH.......
RONIT ke mooh se ek halki karah footi aur agle hi pal uska sharir vibrate hone laga....
jaise hi RONIT ka shirir vibrate hone laga,AVANTIKA ne apna haath uske sir se hata liya aur apni aankhen khol di.....
AVANTIKA ke haath hatate hi RONIT ke vibrations khatm ho gaye par......
RONIT- ye sab abhi kya hua....?aur muje mera sharir itna bhaari bhaari sa kyun lag raha hai...?
AVANTIKA RONIT ke kaan me- abhi ke liye itna jaan lo ki tumhare andar in dono se kayi guna zyada shaktiyan hain...
par sirf kuch hi minutes ke liye....isiliye jo bhi ghussa tumhare andar in dono ke liye hai,wo in dono par nikal do....par yaad rahe ,inhe jaan se nahi maarna hai.....abhi iska waqt nahi aaya.....
jahan RONIT aakhon me hairat liye AVANTIKA ko dekhe jaa raha tha wahin BEELZEBUB aur BHUVIKA aaram se khade the....
unhe laga ki AVANTIKA kuch bhi karle par un dono ka kuch bigad nahi sakti.....
AVANTIKA-tumhe sab pata chal jaayega par abhi tumhare paas zyada waqt nahi hai..tumhare andar ki shakti ko tum zyada der tak control nahi kar paaoge isiliye waqt rehte unka istemaal kar lo.....
ab RONIT ne bhi baaki ki bataon ko baad ke liye taal diya aur BHUVIKA aur BEELZEBUB ki taraf palta.....
par is baar RONIT ke chehre par bebasi nahi baki aatmavishwas tha......
RONIT- bohot taakat hai naa tum dono ke andar...chalo,aaj tum dono ko mai tumhari aukad dikhata hun.....
BEELZEBUB- arre,iski akad toh wapas aa gayai..lagta hai.....AHHHHHHHHHH........
isse aage BEELZEBUB kuch keh nahi paaya....toh hua ye ki RONIT ne ghur kar BEELZEBUB ko dekha....RONIT ke aankhon se ek adrishya par bohot hi strong ray nikli aur BEELZEBUB ki taraf badhi...
BEELZEBUB toh RONIT ko bohot lightly le raha tha isiliye usne zyada dhyan nahi aur....
un adrishya rays ne BEELZEBUB ko lapet liya....aisa hote hi BEELZEBUB ke sharir ko ek tez jhatka laga aur wo tadapne laga....
BEELZEBUB se BHUVIKA judi hui thi....BEELZEBUB ke dard se usse bhi taklif hui par khud ko control me rakh BHUVIKA ne ek anergy beam RONIT ke upar chhoda....
us energy beam ki speed aur taakat bohot zyada thi..isse pehle ki RONIT kuch karta....
BOOM......
wo beam RONIT ke chest ke beech takraya aur aisa hote hi ek tez dhamaka hua.....
dhamaka dekh BHUVIKA ke chehre par ek smile aa gayi par agle hi pal.....
dhamake se faila dhuan turant gayab ho gaya aur jab vision clear hua toh saamne ka nazara dekh BHUVIKA ki aankhen hairat se faile gayi....
RONIT aur uske piche AVANTIKA araam se muskurate hue khade the....us energy beam se un dono ko koi nuksaan nahi hua tha....
BHUVIKA ne zamin aur hawa ka awahan kiya aur dono ki shakti se ek ray banakar RONIT ke upar chhod diya...
BHUVIKA ke last prahar se RONIT ko apne andar ki shaktiyon ka knowledge ho gaya tha....isiliye is baar jab BHUVIKA ne uspar waar kiya toh RONIT ne bas apna haath aage kiya aur BHUVIKA ki taraf chalne laga....
BHUVIKA ke chhoda gaye ray ne jaise hi RONIT ke hatheli se chua,wo gayab ho gaya...
zamin par pada BEELZUBUB aur uske baaju me khadi BHUVIKA ye sab dekh chownk gaye.....
RONIT- bas itna hi dum hai....bohot ghamand hai naa tum dono ko apni shaktiyon par,ye dekho,
AVARTA SHAKTIYEMM....
LOCK THE POWERS.....
RONIT ke SPELL bolne ke baad kuch nahi hua aur aisa hote dekh BHUVIKA hasne lagi....BEELZEBUB bhi ab khada ho chuka tha aur uske chehre par bhi khilli udane waali hasi thi.....
par agle hi pal.......
BHUVIKA aur uske saath BEELZEUBUB ke chehre ke expressions badal chuke the..hasi ki jagah shock ne le li thi.....wahin ab RONIT ke chehre par muskurahat thi.....
toh hua ye ki BEELZEBUB ne haste haste hi ek SPELL bol apna haath aage kiya par kuch bhi nahi hua....
BEELZEBUB ke SPELL ne kaam hi nahi kiya....BEELZEBUB ke baad BHUVIKA ne bhi ek ghaatak SPELL uchharit kar apna haath aage kiya par BEELZEBUB ki hi tarah BHUVIKA ka SPELL bhi kaam nahi kiya....
jahan ye dekh wo dono shock me the wahin RONIT aur AVANTIKA ke chehre par smile thi.....
AVANTIKA- tumhare paas zyada waqt nahi hai RONIT...jaldi karo....
RONIT ko bhi apna sharir wapas halka halka vibrate hote mehsoos ho chuka tha isiliye....
RONIT ne apne dono haath aage kiye aur
UDVAHANI VIBHADA
ROPE OF PAIN
RONIT ke haath se do chamakte hue rope ki shakal liye rays nikle aur agle hi pal un RAYS ne BEELZEBUB aur BHUVIKA ko lapet liya aur aisa hote hi.....
AHHHH.......
AHHHHH........
BEELZEBUB aur BHUVIKA ke mooh se behad dard bhari cheekhen gunjane lagi...ye cheekhen itni zyada tez thi ki pura SECRILLA FOREST un dono ki awaaz ko mehsoos kar raha tha.....
RONIT- jaante ho ye kaisa dard hai jo tum dono mehsoos kar rahe ho....???ye dard un logon ka hai jinhe tum dono ne aaj tak maara hai ya tadpaaya hai....
tum dono wahi dard mehsoos kar rahe ho jo tumne nirdosh logon ko diya hai.....
BEELZEBUB aur BHUVIKA dono hi RONIT ki awaaz sun toh rahe the par un dono ki samajhne ki shakti lagbhag khatm ho gayi thi...
un dono ki shakti bandh zaroor gayi thi par thi toh wo un dono ke paas hi...dard ki atyadhikta se BHUVIKA aur BEELZEBUB ke sharir jagah jagah se fat rahe the par unki shaktiyon ki wajah se unke sharir wapas theek bhi ho jaa rahe the....
sharir ke fatne aur fir wapas thik hone ki kriya ke beech BEELZEBUB aur BHUVIKA ka dard itna zyada tha ki un dono ki aakhen band hone lagi.....
wahin un dono ke saamne khade RONIT ki body bhi ab bohot zyada vibrate kar rahi thi...RONIT ke sir par behoshi chaane lagi thi par RONIT khudko sambhale hua tha..
wo jaanta tha ki uska SPELL tab tak hi kaam karega jab tak RONIT hosh me hai....
tabhi............
ek saath do chizen hui......
pehli- BEELZEBUB aur BHUVIKA ke sharir ko ek tez jhatka laga aur dono gayab ho gaye...
dusri- un dono ke gaayab hone ke agle hi pal RONIT bhi behosh hokar girne laga...
par uske neeche girne se pehle hi AVANTIKA ne RONIT ke sir ke neeche apna haath rakh diya....
uske baad AVANTIKA ne apna dusra haath RONIT ke sir ke upar rakha...RONIT ke sir se hote hue wo shaktiyan jo AVANTIKA ne usse di thi,wo wapas AVANTIKA me sama gayin....
kuch der tak RONIT behosh hi raha par fir dheere dheere uski aankhen khul gayi...
hosh me loutne ke baad bhi RONIT ko kuch der laga apni situation ko samajhne me aur jab RONIT ne AVANTIKA ko dekha toh uske dimag me kuch der pehle hui saari ghatnayen ghumi aur wo ek jhatke me khada ho gaya....
kuch der tak RONIT ek tak AVANTIKA ko dekhta raha..uski aankhon me bohot se sawaal aa jaa rahe the...
wahin AVANTIKA bhi RONIT ki haalat samajh rahi thi par wo chup thi..RONIT ke bolne ka intazar kar rahi thi.....
kuch der tak AVANTIKA ko dekhne ke baad RONIT ke honth hile......
RONIT- KAUN HO TUM?
AVANTIKA- mai AVANTIKA hi hun RONIT.....
RONIT- fir tumhare andar itni shaktiyan.........
par isse aage RONIT kuch bol nahi paaya...bolna chhodo uska toh dimag hi fuse ho chuka tha.....
RONIT ke sawaal khatm hone se pehle hi AVANTIKA ke baaju me teen tez roshniyan hui aur jab wo roshniyan kam hui toh wahan par teeno GOD'S MESSENGER khade the....
AVANTIKA-MAAYA VAAKYAM
MAGICAL WORDS
is spell ka use pehle bhi ho chuka hai...ek baar ST SEBASTIAN ke dwara aur ek baar VIKRAM dwara..is SPELL ko apne secrets kehne se pehle bola jaata hai...isse koi bhi baahar ka banda us secret baat ko chaah kar bhi sun nahi paata..
RONIT teeno MESSENGERS ko dekh hi raha tha ki........
ST SEBASTIAN- ABHI KE LIYE AVANTIKA HI HAIN HUMARI.............
..........LORD OF ANGELS...........
AAJ KE LIYE ITNA HI......
AAPKA APNA V...J........
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF RONIT KO VIKRAM KI HAALAT KE BAARE ME JAANKAR DUKH HOTA HAI WAHIN DUSRI TARAF ST SEBASTIAN AVANTIKA KO LORD OF ANGELS KEHKAR SAMBHODIT KARTE HAIN
AB AAGE:-
FINAL CHAPTER
(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION)
UPDATE-96
PLANET-MONSLICKEL
PLACE-ASMODEUS PALACE
AAO AAO MERE BACHON.....MERA SIR FAKR SE UNCHA KARNE KI KAISI SHABASHI DUN????...
ASMODEUS ke is baat ya fir ye kahun ki uske taunt ko sunkar uske saamne khade BHUVIKA aur BEELZEBUB ka sir sharm se jhuk gaye.....
aapko sabko yaad hoga ki ROPE OF PAIN me jakde BEELZEBUB aur BHUVIKA achanak gaayab ho gaye the...
wo dono khud gayab nahi hue the balki unhe ASMODEUS ne gaayab kar apne paas bula liya tha....
ASMODEUS- kya hua???sir jhukaye kyun khade ho???apni naakami me sharm aa rahi hai yaa apne ghamand ke tootane par....!!!!???
par BHUVIKA aur BEELZEBUB ab bhi bina ek shabd kahe apna apna sir jhukaaye khade the....
ASMODEUS un dono ke man me umad rahe sawaalon ko ache se padh paa raha tha...isiliye......
ASMODEUS- apne sharm ka naatak chhod jo sawaal tum dono ke man me ufaan maar rahe hain,wo pucho ho dafa ho jaao mere saamne se.....
is baar BHUVIKA aur BEELZEBUB ne dheere dheere apna sir upar uthaya aur.....
BEELZEBUB- FATHER.....aapse toh kuch bhi chhupa nahi hai....ye jo bhi hua,wo kaise ho sakta hai????
hum dono milkar bhi RONIT ka saamna nahi kar paaye...!!!
BHUVIKA- hum dono hi RONIT ke saamarthya se parichit hain..usme itna dum nahi ki hume hara sake aur wo bhi itni sahajta se....
ho naa ho ye sab us AVANTIKA ne kiya hai,par kaise????uske paas itni shakiyan kahan se aayin????aisi shaktiyan jinka saamna karna toh door hum uske saamne kuch shan bhi khade tak nahi reh paaye....
ASMODEUS- ye toh mai bhi jaanana chahta hun ki AVANTIKA ke paas itni shaktiyan aayin toh aayi kaise????
ASMODEUS ki baat sunkar BHUVIKA aur BEELZEBUB ko jhatka laga...
aisa kuch jisse ASMODEUS anjaan ho,wo bhi tab jab usne khud BHUVIKA aur BEELZEBUB ko AVANTIKA dwara RONIT ko diye shakti se ladhte hue dekha tha,ye baat unhe hazam nahi ho paa rahi thi.....
BEELZEBUB- aapko nahi pata FATHER???par ye kaise ho sakta hai????
ASMODEUS- is bramhaand ka ek maatr sach yahi hai ki yahan kuch bhi ho sakta hai...khaas karke tab jab kisi baat kisi vishay me MAI aur VIKRAM jude hue hon....
BEELZEBUB- par yahan baat toh AVANTIKA ki hai naa....
ASMODEUS- VIKRAM aur AVANTIKA ek hi dhaage me piroye do moti hain...AVANTIKA ke paas beshak koi maayavi ya aloukik shakti nahi hai par usse iski zaroorat hi nahi hai...
jab tak VIKRAM jeevit hai tak tak AVANTIKA ek abedhya kile ki tarah hai jisse bheda nahi jaa sakta.....
ASMODEUS ke mooh se AVANTIKA ki taarif sunkar BEELZEBUB aur BHUVIKA dono ko acha nahi laga.....
BEELZEBUB- FATHER.....AVANTIKA ne aapka bhi apmaan kiya tha....usne kaha ki.....
ASMODEUS- JAB TERA BAAP MUJHE NAHI MAAR SAKTA TOH TU KIS KHET KI MULI HAI.....
BEELZEBUB ki adhuri baat ASMODEUS ne puri kar di.....
BHUVIKA- ji DEVIL LORD,usne aapka apmaan karne hetu inhi shabdon ka prayog kiya tha...
BHUVIKA aur BEELZEBUB ko laga ki ab ASMODEUS bhadkega par jo baat ASMODEUS ne kahi,usse sunkar dono ko ek aur jhatka laga.....
ASMODEUS-sach kadwa hi hota hai aur sach ko kabhi apmaan ki shreni me nahi rakha jaata....
AVANTIKA ne jo kaha wo shat pratishat satya hai aur satya se lajjit nahi hua jaata.....
BEELZEBUB- par FATHER,aapne toh ISLA me AVANTIKA ke sharir me shakrun vish ko sthanantarit (transfer) kiya tha naa....
ASMODEUS-ye yaad raha ki maine AVANTIKA ke sharir me vish milaya tha kintu ye yaad nahi raha ki kin paristithiyon me mai aisa karne me kaamiyab hua tha.....
us waqt VIKRAM ka sharir murchit tha..itna hi nahi uski aloukik shaktiyan bhi uske sharir se nikalte rakht ke saath kamzor padh gayi thi....
isiliye us waqt AVANTIKA ka kawach jo usse paida hote saath hi mil gaya tha,wo bhi kamzor ho gaya tha aur isiliye mai uske sharir me VISH daal paaya tha....
par abhi aisa kuch bhi nahi hai....is waqt AVANTIKA ke paas naa sirf uske khud ka abhedya surakhsa kawach hai,par uske saath saath VIKRAM ki apaar shaktiyan bhi usse judi hui hai....
aise me usse maarna toh door,haani pahunchana bhi asambhav hai....
BHUVIKA- agar aisa hai toh jab humne AVANTIKA ko maarne ki baat kahi,toh aapne hume mana kyun nahi kiya????
ASMODEUS- ek aam ladki se tumhe itni shaktishaali bana diya uske baad bhi tumhari murkhata bhare faislon ko mai thik karta rahun????
AVANTIKA ko agar haani pahuchaya jaa sakta toh tumhare kahne se pehle hi maine tumhe aisa karne ke liye keh diya hota....
par tum dono hi itne murkh ho ki jab tak saari baat kisi bacche ko samjhaane ke jaise hi tumhe bhi naa samjhaya jaaye,tab tak tumhara mastishk sunya hi rehta hai....
jitni haani tum VIKRAM ko pahucha sakti thi,utni pahuncha chuki ho...isse zyada tum kuch nahi kar sakti par ye baat tumhari buddhi me pravesh hi nahi karti toh mai kya kar sakta hun....
jahan ASMODEUS ki baat sunkar ek baar firse BHUVIKA ka chehra sharm se jhuk gaya tha wahin BEELZEBUB ke dimag me ek dusre sawaal ne janm le liya tha...
aur jaise hi ASMODEUS ne apni baat khatm ki tabhi........
BEELZEBUB- FATHER???kya mai kuch puch sakta hun????
ASMODEUS ko BEELZEBUB ke sawaal ke baare me pata tha fir bhi usne uske sawaal ko sunane ke liye apne sir ko ek halki si jumbish di.....
BEELZEBUB- hume satya se parichit karane ke liye aapne hume AVANTIKA ko maarne ke liye haan kaha kintu aapne SECRILLA hi kyun chuna aisa karne ke liye....!!!???
aur AVANTIKA wahan kar kya rahi thi????
ASMODEUS toh BEELZEBUB ke puche gaye sawaal ke baare me pehle se jaanta tha isiliye wo normal hi raha par par BHUVIKA is sawaal ko sun jigyasa bhari nazaron se ASMODEUS ke taraf dekhne lagi....
ASMODEUS- pichle saath mahino se VIKRAM puri raat SECRILLA me MERCIA RIVER ke paani ke upar dhyaan awastha me bitata aaya hai aur praatah hote hi wo ussi paani ke andar chala jaata hai dobara dhyaan me baithne ke liye.....
mujhe jaanana tha ki wo aisa kyun karta hai???VIKRAM ke saath jo hua hai usse kewal AVANTIKA hi jaanti hai aur uske upar wo VIKRAM ki shakti bhi hai.
mujhe andesha tha ki ek naa ek din VIKRAM ke piche piche AVANTIKA bhi zaroor SECRILLA pahunchegi.....
isiliye maine tum dono ko us jagah par apni shakti tarange chhodne ko kaha tha jisse jab bhi wahan koi aaye toh tumhe pata chal jaaye....
BEELZEBUB- VIKRAM MERCIA RIVER ke upar aur bhitar dhyaan lagata hai,iska kaaran jaanana aapke liye toh maamuli baat hai FATHER.....
aur khaas kar tab jab aapka khoon VIKRAM ke bhitar hai....unke dimag me chal rahi saari baatein toh aapko aapke khun ki wajah se pata chal hi jaati hongi....
ASMODEUS- yahi toh samasya hai...pehle kuch din tak mai uski har soch padh paa raha tha par jabse wo MERCIA RIVER ke andar dhyaan lagane baitha hai,tab se mai aisa karne me asamarth hun....
kisi tarah VIKRAM ne apne vicharon ko apne dimag me aane se rokne ki kala sikh li hai....
BHUVIKA- agar ye sab MERCIA RIVER ki wajah se hua hai,toh hume us river ko hi khatm kar dena chahiye....
naa rahega baans,naa bajegi baasuri.....
BHUVIKA ki baat sunkar ASMODEUS ko hasi aa gayi.....
ASMODEUS- jao,ye bhi karke dekh lo...par ek baat yaad rakhna,is baar mai tumhe nahi bachaunga.....
ASMODEUS ki baat sunkar BHUVIKA ko apni galti ka ehsaas hua..usse yaad aaya ki wo firse wahi galti kar rahi hai jo usne AVANTIKA ke waqt ki thi..bina sach jaane faisla lene ki galti......
jab ASMODEUS ko gyaat hua ki BHUVIKA ko apni galti ka ehsaas ho gaya hai tab usne aage kehna shuru kiya.....
ASMODEUS- VIKRAM ke MERCIA RIVER me dhyaan lagaane ke baad se hi us RIVER ke chaaron taraf ek abhedya kawach ban gaya hai....
ek aisa kawach jisse bheda nahi jaa sakta...har din jab tak VIKRAM us river tak nahi pahunchta,mai usse dekh paata hun,par jaise hi wo us RIVER ke paani ko chhuta hai,mujhe VIKRAM dikhna band ho jaata hai...
is gutthi ko sidhi tarah suljhaya nahi jaa sakta..isiliye maine AVANTIKA ka sahara lene ki sochi....
maine socha tha ki jab tum dono uske saamne jaaoge,toh tumhari aakhon se mai wahan ka saara drishya dekh paaunga par aisa ho nahi paaya.....
AVANTIKA ke paas maatra khudko aur apne aas paas waalon ko bachane ke liye ek surakhsha kawach tha,par aakarman shakti ka uske paas hona ab ek nayi paheli ban gayi hai....
tum dono ko wahan se waapas laane ke baad mujhe wahan ka drishya dikhna bhi band ho gaya hai.....
BEELZEBUB- toh ab?????
ASMODEUS- SAMAY...ek naa ek din SAMAY sabhi raazon se parda utha hi deta hai..is raaz se bhi aaj nahi toh kal parda uth hi jaayega.....
BHUVIKA- ab hamare liye kya aadesh hai???
ASMODEUS- yahi ki dobara apni murkhta ka parichay mat dena....jaa sakte ho.....
BHUVIKA aur BEELZEBUB ne apna sir ek baar firse ASMODEUS ke aage jhukaya aur gaayab ho gaye.....
ASMODEUS- AISI CHAAL KO KAISE ROKA JAAYE JO DIKH HI NAHI RAHA????
PLANET- EARTH
PLACE- SECRILLA
JAANTI HUN KI BAAT THODI SHOCKING HAI,PAR ITNE BHAYANAK REACTIONS TOH MAT DE.......
apni baat bol AVANTIKA ne RONIT ke kandhe ko hilaya,tab jaakar uska mooh band hua aur wo apni khayalon ki duniya se reality me wapas aaya.....
par ab bhi RONIT ek tak AVANTIKA ko dekh raha tha aur jo sach kuch der pehle ST SEBASTIAN ne usse bataya tha,usse hazam karne ki koshish kar raha tha....
AVANTIKA ka RONIT ko ye sach khud batane ki jagah ST SEBASTIAN ke mooh se bulwane ka reason ye tha ki wo jaanti thi ki agar usne ye baat batayi toh RONIT vishwas nahi karega...
baat jo itni badi thi...isiliye RONIT ke uski shaktiyon ke baare me sawal puchte hi AVANTIKA ne teeno MESSENGERS ko man hi man yaad kiya aur uske aisa karte hi GOD'S MESSENGERS wahan prakat hue aur apni baat keh dobara gaayab ho gaye......
kuch der laga fir jaise hi RONIT ne AVANTIKA ke sach ko digest kiya......par sawaal toh uske man me ab bhi the..isiliye......
RONIT- par kaise???i mean ye koi exam toh hai nahi ki topper ne exam nahi diya toh koi aur top kar lega....
VIKRAM LORD OF ANGELS hai kyunki wo parmeshwar putr hai par tum kaise?????
AVANTIKA- jaanti hun is baat ko digest karna mushkil hai par yahi sach hai,par adhura sach....
RONIT- ab ye kya baat hui??adhura sach matlab!!!!
AVANTIKA- mere andar LORD OF ANGELS ki saari urja hai,par mai unka LORD OF ANGELS matlab VIKRAM ki tarah istemaal nahi kar sakti....
RONIT- mujhe abhi bhi tumhari koi bhi baat samajh nahi aa rahi hai.....
AVANTIKA- do minute dimag aur man dono ko shaant rakh meri puri baat sun,sab samajh me aa jaayega....
LORD OF ANGELS ki urja ka pura istemaal karne ke liye VIKRAM ke dimag jaise dimag ki zaroorat padti hai...
ek aisa dimag jo kisi bhi insaan se carodon guna tez chalta hai...jiske andar ek second ke souve hisse me hi naa sirf bade se bade faisle lene ka hunar hota hai,balki us faisle ko haqiqat ka roop dene ki shamata bhi hoti hai....
is pure universe me VIKRAM jaisa dimag sirf uske BHAI ke paas hai aur kisi ke paas nahi....
par jaisa ki maine bataya tha ki COURIOUS me ASMODEUS ne chhal se V.J ke dimag ko apne khoon dwara control me kar liya tha...
ASMODEUS ne VIKRAM ke dimag ko hi isiliye nishana banaya kyunki iske alawa ASMODEUS ke paas koi aur option nahi tha....
kyunki koi bhi kaali shakti VIKRAM ko nuksaan nahi pahuncha sakti...balki har kaali shakti V.J ke sharir me sama kar WHITE ENERGY me tabdil ho jaati hai....
par jaise hi ASMODEUS ka khoon V.J ke dimag me pahuncha,us khoon ne V.J ke dimag ko dheere dheere apne bas me karna shuru kiya....
jaise jaise ASMODEUS ke khoon ka asar V.J ke dimag me hone laga,waise waise V.J ki urja uski pehchaan usse door hone lagi....
par jaisa ki maine bataya,V.J ka dimag ek second se bhi kam waqt me bade se bade faisle le sakta hai,toh V.J ne apne dimag par ASMODEUS ke haawi hone se pehle hi turant ek faisla liya.....
isse pehle ki V.J ki urja usse door jaati,usne us urja ko mere andar transfer kar diya....
RONIT- yahi toh mera main do questions me se ek hai....tum itni badi shakti ko kaise sambhal paa rahi ho...
mujhe us shakti ke bas ek halke se ansh ko kuch der sambhalne me itni taklif hui aur tum us shakti ko pichle 7 mahino se lagatar sambhal rahi ho???kaise????
AVANTIKA- kyunki mera janm hi isiliye hua hai..mai naa sirf VIKRAM ki shakti hun,balki WO TIJORI BHI HUN JISME VIKRAM APNI SHAKTIYAN RAKH SAKTA HAI....
mujhe bhi is baat ka pata nahi tha,jab V.J ne apni shaktiyan mujhe sounpi tab mujhe is baat ka pata chala....
RONIT- my goodness...jis waqt ASMODEUS ka khoon V.J ke dimag ko apne kabze me kar raha tha,us waqt bhi V.J ne itne aage ka soch liya tha....
AVANTIKA- itna hi nahi,V.J ne kisi tarah bina apne dimag pe zor daale ye bhi pata kar liya ki MERCIA RIVER me wo apne dimag ko niyantrit kar sakta hai....
RONIT- par ye usne kaise kiya?????
AVANTIKA- yahi toh pata lagane hum yahan aaye hain..shayad isse ye bhi pata chal jaaye ki V.J ke dimag se ASMODEUS ke khoon ko kaise nikal jaaye.....
RONIT- hmm....par ek sawal reh gaya.....
AVANTIKA- yahi naa ki jab mai V.J ki shaktiyan istemaal nahi kar sakti toh maine tumhare andar uski shaktiyon ki urja kaise chhodi....
RONIT- haan...
AVANTIKA-V.J ki urja samandar ki tarah hai...aur samandar se ek jug paani nikalne se samandar ko koi fark nahi padta...
thik waise hi maine V.J ki urja ka ek maamuli sa bhaag tumhare andar transfer kiya wo bhi kuch samay ke liye....
ab ek bank ke paison ko uska branch use toh kar hi sakta hai naa....
AVANTIKA ki baat sunkar RONIT aur khud AVANTIKA has diye....
RONIT- toh ab???
AVANTIKA-hume MERCIA RIVER ke paas jaana hoga....hamare problem ka solution wahin hai....
RONIT ne MERCIA RIVER ke saamne ke view ko yaad kar apna haath aage kiya...RONIT aur AVANTIKA ke saamne ek MAGIC DOOR khul gaya jisse hote hue dono MERCIA RIVER ke bank ke paas pahunch gaye.....
MERCIA RIVER.......jisse DIVINE RIVER bhi kaha jaata hai..agar is RIVER ke baare me yaad naa ho toh UPDATE 60 padh len....
RONIT- ab kya karen?????
par AVANTIKA ne RONIT ki baat ka koi jawab nahi diya..MERCIA RIVER ke saamne aate hi AVANTIKA apne seene me haath rakh usse press kar rahi thi.....
RONIT- kya hua AVNI??? are u alright??!!!
AVANTIKA- hmm....yahan aate hi mai apne andar ek hulchal feel kar rahi hun....
aisa lag raha hai jaise V.J ki urja baahar aana chahti hai....
RONIT- toh le aao baahar usse..shayad koi clue mil jaaye...
AVANTIKA- mai aisa nahi kar sakti...V.J ki urja 1000 surya ke tej se bhi adhik shaktishaali hai...agar usse aise hi khula chhod diya jaaye toh har taraf tabahi mach jayegi.....
RONIT- par kuch toh karna padega naa...mai ek kaam karta hun,paani me utar kar dekhta hun..shayad paani ke andar kuch ho jisse hume madad mile.....
par AVANTIKA ne RONIT ke suggestion par kuch nahi kaha ur kuch sochne lagi...kuch der sochne ke baad.....
AVANTIKA- apna ek pair aage badhao..par dheere se.....
RONIT ko AVANTIKA ki baat ka matlab samajh nahi aaya par usne filhal kuch nahi pucha....
RONIT aur AVANTIKA is waqt nadi ke chhor se kuch kadam door khade the...RONIT aage badha aur jaise hi usne apna ek pair paani me rakhne ke liye badhaya........
AHHHH.........
DHOOB............
paani se ek adrishya ray nikli aur us ray ne RONIT ke us pair ko lapet liya jo paani me jaane ke liye aage badha tha...
us ray me bohot tez electric current thi...uske pair ko lapetethe hi RONIT ko ek tez jhatka laga jis wajah se uske mooh se aah nikal gayi..
par wo ray yahin nahi rooki....us ray ne RONIT ko hawa me uthakar patak diya.....
RONIT ke neeche girte hi AVANTIKA turant uske paas pahunch gayi....
AVANTIKA-RONIT......tum thik ho....
RONIT- kya pata????saala body me abhi tak jhatke lag rahe hain...
kuch der tak ussi position me pade rehne ke baad RONIT khada ho gaya....
AVANTIKA- hmm..mujhe laga hi tha ki aisa kuch hoga....
RONIT- toh kurbaani ke liye mai hi mila tha kya????
AVANTIKA- maine toh tumhe pehle hi kaha tha ki yahan khatra hai..aur ye jo hua wo toh bas ek sample tha,asli khatra toh paani ke andar hai....
RONIT- par saala ye tha kya????
AVANTIKA- V.J ke yahan dhyan lagane ki wajah se uske sharir se nikalne waali tarangon se ye puri jagah ek adrishya suraksha ghere me badal gayi hai...
oh shit.....ye mai kaise bhul gayi.......
AVANTIKA ko achanak jaise kuch yaad aaya tha......
RONIT- kya bhul gayi......
AVANTIKA-toh isiliye V.J yahan aata tha....
RONIT- tu kya bole jaa rahi hai..mujhe bhi kuch batayegi ki tu kis baare me baat kar rahi hai???
AVANTIKA-MERCIA RIVER ke asli prabhav ke baare me......aaj bhi agar kisi pavitra cheez ko is paani me dubaya jaaye toh iski divyata us cheez me chali jaati hai.....
V.J GOD ka beta hai..usse zyada pavitra aur kaun hoga....???V.J ke is RIVER ke andar lagatar jaane se is paani ki divyata bhi V.J ke andar lagatar jaa rahi hai aur ussi divyata ke prabhav se V.J ke dimag me moujud ASMODEUS ke khoon ka asar kam ho gaya hai ya fir V.J khudko control kar paane me kaamiyab ho paa raha hai....
par saath hi V.J ki dhyan shakti ki wajah se uske alawa is paani me koi nahi ghus sakta.....
RONIT- matlab,hamara yahan aana waste ho gaya....
AVANTIKA- bilkul nahi..yahan aayen hain toh koi naa koi solution toh lekar hi jaayenge...
RONIT- par kaise????
AVANTIKA- tere saath is paani me V.J bhi jaayega????
RONIT- tu bhale hi V.J ki puri shaktiyon ko use nahi kar sakti,par tu aaj kal bilkul uske jaise hi ghuma firakar baat karne lagi hai...
RONIT ki baat sunkar AVANTIKA muskura uthi....
RONIT- ab muskurana chhod aur bata ki kya karen????
par is baar bhi AVANTIKA ne kuch kaha nahi bas apne dil par haath rakh apni aakhen band kar li.....
AVANTIKA ke aisa karte hi uske DIL waali jagah par ek tez roshni hui aur us roshni ke beech safed dhuen ki shakal lekar ek aakriti ban gayi.....
us aakriti ke bante hi AVANTIKA ki aankhen khul gayi.....
AVANTIKA ki aankh khulte hi RONIT usse kuch puchna chahta par usse pehle hi.....
AVANTIKA- ye V.J ki urja hai......shayad isse kaam ban jaaye......!!!!
RONIT ko ab bhi AVANTIKA ka plan samajh nahi aaya tha par isse pehle ki wo AVANTIKA se kuch puchta,AVANTIKA ne us aakruti ya fir ye kahun ki V.J ki urja ko RONIT ki taraf ishara kiya.....
aur agl hi pal..........
RONIT- ye kya hai??isne mujhe gher kyun liya hai????
toh hua ye ki AVANTIKA ke ishara karte hi us urja bhari aakruti ne RONIT ko chaaro taraf se gher liya....aisa lag raha tha maano RONIT ne us aakruti ko odh liya hai...
us aakruti ne RONIT ko chaaron taraf se ghera zaroor tha par usse chua nahi tha...aur wajah,V.J ki urja ka touch RONIT bardasht nahi kar paata...
AVANTIKA- ab paani ki taraf jaa...shayad ab tujhe kuch naa ho!!!!
RONIT-shayad....!!!!!
AVANTIKA ne apne kandhe uchka diye....
RONIT- saali ye dosti kya kya karwati hai....???
RONIT ne ek lambi saans chhodi aur paani ki taraf chal pada..uske saath saath hi usse cover kiye hue V.J ki urjaatmak aakruti bhi chal rahi thi...
aur jaise hi RONIT ne paani me apna pehla kadam rakha,uski khushi ka thikana nahi raha...reason,is baar usse kuch nahi hua tha...
usne palat kar AVANTIKA ki taraf dekha jiske chehre par bhi is waqt santushti ke bhaav the....
AVANTIKA- RONIT tumhe nadi ke beech jaana hai....aur wahan se exact neeche ki taraf tairna hai....V.J ussi jagah par paani ke gehraayi ke last point par dhyaan lagata hai...
RONIT- wo jagah kitni gehraayi me hai???
AVANTIKA- exact toh nahi keh sakti par near about 150 to 200 feet....kya tum ye kar paaoge...???
RONIT- haan,training ke waqt ladhte hue bhi 30 minute tak toh mai saans rok leta tha....mere khayal se utna time kaafi wahan jaakar waapas aane ke liye...
par wahan last point par jaakar mai karunga kya???
AVANTIKA- ye toh mujhe bhi nahi pata...par itna guaranty ke sath keh sakti hun ki wahan tumhe koi na koi kaam ki cheez zaroor milehgi...
agar tumhe kuch important lage,toh usse apne saath le aana....
RONIT- thik hai....
ye bol RONIT paani ke andar jaane ke liye palta hi tha ki....
AVANTIKA- RONIT....wahan andar kuch bhi ho sakta hai....ye mat bhoolna ki wahan V.J kyun jaata hai..ASMODEUS ki shaktiyon ke presuure ko control karne ke liye....
isiliye wahan neeche zarror V.J ki dhyan ki urja se nikalne waali shaktiyon ke saath saath ASMODEUS ki wo shaktiyan bhi nikal kar moujud hongi jisse V.J ne khud ko control karne se rok rakha hai.....
aur wo shaktiyan behad khatarnaak ho sakti hain.....isiliye dhyan se.....
RONIT- mere saath toh V.J ki urja hai..mujhe kuch nahi hoga???
AVANTIKA- exactly...tumhare saath V.J ki urja hai isiliye ASMODEUS ki shaktiyan tumhara sidhe taur par kuch bigaad nahi paayengi...par wo chup bhi nahi baithengi...
isliye apna dimag khula rakhna....kuch bhi ho jaaye,thande dimag se soch kar faisla karna...aur koi bhi important ya kuch alag si chiz dikhe,toh usse apne saath le aana.....
RONIT ne apna sir haan me hilaya aur wapas mud paani me dive laga di....
AVANTIKA- GOD,please help him.....
jahan AVANTIKA apne finger cross karke idhar udhar bechaini se tahalne lagi wahin...
RONIT-wow yaar,kitna saaf paani hai......
RONIT paani me tairta hua aage badha aur kuch hi der me wo MERCIA RIVER ke beech me tha...centre me pahunch RONIT ne apni saans kheenchi aur agli hi pal RONIT ka sharir paani ke andar tha....
MERCIA RIVER ko beech se chirta hua RONIT ka sharir neeche ki taraf jaa raha tha...
neeche jaate jaate paani ki shudhta aur swacchata ko nihaarta hua RONIT man hi man is paani ki duniya ki taarif karte karte aage badh raha tha....
RONIT aadhe se zyada safar tay kar chuka tha....RONIT ne apni aakhon se dekhne ke range ko bhi badha liya tha...RONIT bina koi tention apne manzil ke kareeb pahunch hi raha tha ki.....
RONIT- arre,itne saaf paani ke beech ye maila bawandar kaisa....?????
toh hua ye ki RONIT ab paani ke last point se kuch feet hi door tha ki usse apne niche ek jagah ek bawandar dikha jiska colour mitti ki tarah tha....
RONIT sidhe us bawandar ke paas naa jaate hue us bawandar waali jagah ke thoda right side jaakar rook gaya aur us bawandar ko dhyaan se dekhne laga...
kuch hi seconds me RONIT ko us bawandar ke baare me pata chal gaya jisse figure out karte hi wo shock ho gaya...
RONIT- oye teri....ye bawandar nahi machliyan hain.....
kuch yaad aaya doston..ye wahi machliyan hai jo V.J ke dhyaan lagate waqt usse ghere rehti thi aur is waqt wo saari machliyan ek bohot bada jhund banakar us jagah ke tezi se chakkar kaat rahi thi jis jagah par V.J baith kar dhyan lagaya karta tha....
un machliyon ka colour halka mitti jaisa tha jis wajah se unke ghumte waqt wo mitti se uthne waale bawandar ki tarah dikh rahe the....
jaise hi RONIT ko pata chala ki uske saamne ghum rahi cheez bawandar nahi machliyan hain toh wo un machliyon ke paas jaane laga par tabhi......
machliyan jo bohot tezi se ek hi jagah par gol gol ghum rahi thi,unhe ye abhaas ho gaya ki koi unke paas aa raha hai....aur agle hi pal un saari machliyon ne ek naya formation banaya...
dekhte hi dekhte un machliyon ne ek diwal ka roop le liya.....aisa lag raha tha maano wo machliyan RONIT ko rok rahi hon aage badhne se.....
RONIT ye sab dekhkar shocked ho gaya..par abhi uske paas zyada der tak shock me rehne ke liye time nahi tha isiliye wo aage badhne laga....
RONIT ko naa rookta dekh un machliyon me se kuch machliyon ne teer ka formation le liya aur agle hi pal......
kamaan se chhute teer ki gati se hi wo machliyan RONIT ki taraf aane lagi....
par RONIT ne kuch bhi nahi kiya..wo ek jagah par sidha hokar rook gaya aur tabhi....
paani ke andar hi bijli si chamki aur agle hi pal wo saari machliyan jo RONIT ko maarne aa rahi thi,wo mar chuki thi.....
toh hua ye ki RONIT se takraane se pehle hi un machliyon ko V.J ki us urja se takrana pada jo is waqt adrishya thi....
V.J ki urja se takraate hi wo saari machliyan mar gayin....aur agle hi pal.....
ussi urja se jo is waqt RONIT ko ghere hue thi,ek tez ray nikli aur jaakar saamne khadi machliyon ke diwal se takraayi....
is prahar se aadhi se zyada machiyon ne dum tod diya aur baaki ki machliyan bhaag gayi....
ab saamne ka nazara ek dum saaf tha par jo chiz RONIT ke saamne aayi,usse dekhkar RONIT ko ek baar firse shock laga.....
is waqt us jagah par jahan V.J dhyan ki awashta me baiththa tha,wahan ek shark ki size ki machli baithi hui thi jiske sharir se halki halki white light nikal rahi thi.....
par sabse shocking baat ye thi ki ek bade shark ke size ki wo machli jo is waqt RONIT ke aankhon ke saamne thi,wo asal me un choti choti machliyon me se ek thi jo abhi thodi der pehle bawandar ka roop lekar gol gol ghum rahi thi.....
RONIT- saala ye kya panga hai....????zaroorat se zyada toh nahi khaa liya isne jo itni faile gayi....
ab tak RONIT us machli ko ghur kar dekh raha tha
par tabhi uska dhyan apne chaaron taraf faile urja ki taraf gaya jo ab dheere dheere visible hone lage the...ab is naye parivartan ko RONIT samajhne ki koshish kar hi raha tha ki........
uaannnmmmmmmm.........
ek ajeeb si awaaz RONIT ke kaano se takrayi ya fir ye kahun ki paani ke vibarations uske sharir se takraaye jisse ye awaaz aa rahi thi....
aur jab RONIT ne saamne dekha toh turant alert ho gaya...reason........wo SHARK numa machli is waqt RONIT ko hi dekh rahi ya fir ye kahun ghur rahi thi....
ussi ke sharir se ye vibrations nikal rahi thi jisse wo ajeeb awaaz baahar aa rahi thi....un vibrations ka asar bohot zyada tha,agar RONIT ke chaaron taraf V.J ki urja nahi hoti toh wo un vibrations ki chapet me aa chuka hota....
RONIT us machli ke kareeb jaane ki soch hi raha tha ki tabhi.......
bijili ki tezi se wo machli RONIT ki taraf badhi.....uski speed itni tez aur impactful thi ki us puri jagah me me bhukamp sa aa gaya...
isse pehle ki RONIT kuch react karta
........BOOM..........
.......RONITTT........
ye awaaz AVANTIKA ki thi..jab se RONIT paani ke andar gaya tha,tabhi se AVANTIKA paani ke us jagah ko ghur rahi thi jiske exact neeche is waqt RONIT gaya tha....
guzarte waqt ke saath AVANTIKA ki bechaini badhti hi jaa rahi thi ki tabhi........
paani ke beech ek tez blast hua....is blast se RIVER ke beech ke hisse ka paani kai meter tak upar uchal gaya aur isiliye AVANTIKA ke mooh se RONIT ki cheekh nikal gayi thi....
wahin niche......
RONIT- haash..bhala ho V.J ki urja ka,bach gaya....
toh hua ye ki us machli aur RONIT ke beech V.J ki urja thi...wo machli sidhi ussi urja se takrayi aur door jhitak gayi....
RONIT ko toh kuch bhi nahi hua par impact bohot powerful tha jis wajah se dhamaka hua....
RONIT-arre arre,ye saali toh fir se aa rahi hai...
BOOM......BOOMMM....BOMMM........
us machli ne dobara RONIT par humla kiya par natija wahi nikla...V.J ki urja se takrakar wo door jhitak gayi....
isse us machli ko ghussa sa aa gaya....usne lagatar kayi baar V.J ki urja ko todne ki koshish ki par naakamiyab rahi par uske prayason se paani me kayi dhamake hue...
aur un dhamakon ka asar paani ke baahar tak gaya.....bohot zyada maatra me paani bahar uchalne laga jisse dekh AVANTIKA ki tention aur badh gayi....
AVANTIKA ko is baat ki koi tention nahi thi RONIT ko paani ke andar kisi waar se koi nuksaan hoga,usse pata tha ki V.J ki urja ko koi bhed nahi sakta...
usse is baat ki tention thi ki RONIT ke saath kisi prakar ka koi chhal naa ho jaaye.....aur hua bhi wahi........
kuch der tak lagatar attack karne ke baad wo machli ek jagah shaant khadi ho gayi aur RONIT ki taraf dekhne lagi...
wahin jabse us machli ne RONIT par humla kiya tha,tab RONIT ne uske skin se nikalti white light ko dhyan se dekhe jaa raha tha.....
us white light me bhi wahi urja thi jo is waqt RONIT ko ghere hue thi....par us white light ke beech me halki halki black lines bhi thi jisse figure our karte hi RONIT samajh gaya tha ki ye lines actual me kya hain????
ASMODEUS ke khoon se nikalne waali urja jisse V.J ne control kiya tha..RONIT ko ye bhi andaza ho chuka tha ki ho naa ho,is machli ne V.J ki urja ko nigal liya hai...
par V.J ki urja ke sparsh se hi isse mar jaana chahiye tha par ye zinda hai aur wo bhi ek naye aur vikraal roop dhaaran kar..
aur ye sab sambhav ho paaya hai ussi negetive energy ki wajah se jo V.J ki urja ko lapete hue thi..us energy ne us machli ko naa sirf jeevit rakha balki usse expand kar shaktishaali bhi bana diya......
pata nahi kyun par RONIT ko feel ho raha tha ki ho naa ho,issi machli se usse aur AVANTIKA ko koi clue milega.....
RONIT ye sab soch hi raha tha ki tabhi.....
ANJALI.........
paani ke andar hone ke baawajud RONIT us paani ko rok nahi paaya jo is waqt uski aankhon se nikal rahe the....
dil me ek tez dard ko jhelte hue RONIT apne saamne ke nazaare ko dekh raha tha......
darasal baat ye thi ki jis jagah wo machli khadi thi,is waqt us jagah ANJALI khadi thi....
ANJALI.....RONIT ki mohobbat......uski zindagi jisse mout ne gale laga liya tha....par is waqt wahi ANJALI jo ki behad khubsoorat dikh rahi thi,RONIT se kuch door uske saamne khadi thi.....
safed roshni se nahayi hui ANJALI RONIT ki taraf dekhe jaa rahi thi....ANJALI ne apna haath aage kiya maano RONIT ko apne paas bula rahi ho.....
RONIT bhi kisi anjaani taakat se vashibhoot sa hokar ANJALi ki taraf tair pada par tabhi......
ANJALI.......................
ek baar firse RONIT ke mooh se ye awaaz nikli par is baar RONIT ki awaaz me khushi nahi dard tha,ghussa tha.....
reason.....wo SHARK nooma machli jo ki gaayab ho chuki thi,wo firse prakat ho chuki thi....aur is waqt wo ANJALI ke charon taraf ghum rahi thi...
thik ussi tarah se jaise ek SHARK apne shikar ko apne jabdon me jakadne se pehle uske chaaron taraf ghumti hai...
ANJALI- mujhe bachalo RONIT......mai firse tumse juda nahi hona chahti..mai marna nahi chahti RONIT.....please mujhe bacha lo....
ANJALI ki guhaar sunkar RONIT ka ghussa badh gaya..wo tezi se aage badha par isse pehle ki wo ANJALI ya us SHARK ke paas pahunchta.......
RONIT ke sharir ko ek jhatka laga aur wo rook gaya....usne phir koshish ki par naakamiyab raha...usse aisa lag raha tha ki uske saamne koi adrishya diwar ho jo usse aage badhne se rok rahi ho....
ANJALI- ye V.J ki urja hai RONIT jo tumhe aage badhne se,apni mohobbat ko bachane se rok rahi hai...mujh tak pahunchne ke liye tumhe is V.J ki urja ko khud se alag karna hoga.....
RONIT- par mai ye karunga kaise???
ANJALI- dil se,apni puri iccha se is urja ko thukra do....ye tumhe chhod kar chali jaayegi...fir tum mujh tak pahunch mujhe bacha sakte ho aur uske baad sirf hum honge aur hamara pyar hoga....
AHHHH........
ANJU...........
ANJALI ke haathon se khoon nikal raha tha jisse usse bohot zyada dard ho raha tha..toh hua ye ki ANJALI ki baat khatm hote hi us SHARK numa machli ne ANJALI ke haathon me apne daath gada diye par bas ek second ke liye...
aisa hote hi ANJALI ek haathon se khoon nikalne laga aur uske mooh se cheekh nikal gayi....
wahin RONIT ANJALI ke baaton ke baare me soch raha tha..wo soch raha tha ki kya usse V.J ki urja ka tyag karna chahiye ki tabhi uske kaano me ANJALI ki cheekh gunji..
aur jab usne is cheekh ki wajah dekhi toh uska dimag ghum gaya..usne soch liya ki wo V.J ki urja ka tyag kar dega...
RONIT apni aakhen band kar V.J ki urja ko jaane ke liye kehne hi waala tha ki....
ANJALI-jaldi karo RONIT....V.J ke wajah se hi hum dono alag hue the...aur aaj bhi wahi hamare beech diwaar ban raha hai..is diwar ko girakar apni anju ko bacha lo RONIT.....
RONIT apni aakhen band kar V.J ki urja ka tyag karne hi waala tha ki itne me uske kaano me ANJALI ki baat gunji....
aur ANJALI ki baat sunkar RONIT ki aankhen ek jhatke me khul gayi....
RONIT ek baat ache se jaanta tha ki kuch bhi ho jaaye,ANJALI V.J ke baare me kabhi kuch galat nahi bol sakti....
aur is soch ke RONIT ke dimag me ubharte hi usse AVANTIKA ki kahi gayi baat yaad aayi....
ASMODEUS KI SHAKTIYAN TUMHARA SIDHE TAUR PAR KUCH NAHI BIGAD PAAYENGI..PAR WO CHUP BHI NAHI BAITHENGI.....ISILIYE APNA DIMAG KHULA RAKHNA......
RONIT man me- oye teri ki...matlab ye sab jhooth hai.......
RONIT ne saamne dekha jahan ANJALI chilla chilla kar RONI000t se V.J ki urja ka tyag karne ki request kar rahi thi...
RONIT- tum meri ANJALI nahi ho sakti....tum ASMODEUS ki maaya ho....mai V.J ki urja ka tyag nahi karunga.....
NAHI.............
yahan RONIT ki baat khatm hui wahan ANJALI ki cheekh gunj gayi aur aisa hote hi ANJALI roshni me tabdil ho uske aas paas ghumte SHARK ke andar sama gayi
ANJALI ke khudme samate hi us SHARK ke body se ek baar fir vibrations nikle aur wo dugni tezi se RONIT ki taraf lapki....
par ab RONIT ne is khel ko khatm karne ka soch liya tha....
jaise hi wo SHARK RONIT ke kareeb pahunchi,RONIT ne apni ankhen band kar V.J ki urja ko SHARK ko lapetne ke liye nivedan kiya aur agle hi pal......
uuaaannmmmm.........
SHARK ke mooh se ajeeb ajeeb awaazen aane lagi...is waqt SHARK ki puri body ko V.J ki urja ne khudme lapet liya tha aur dheere dheere wo urja SHARK par kasne lagi thi jis wajah se SHARK ko taklif hone lagi aur wo awaazen karne lagi.....
kuch der tak aisa chalta raha par fir achanak......
BOOM..............
is baar ka dhamaka pehle se zyada impactful tha par V.J ki urja ne us dhamake ke impact ko observe kar liya jisse RONIT ko koi nuksaan nahi hua......
par phir bhi dhamake ki wajah se RONIT ne apni aakhen band kar li thi...thodi der baad jab RONIT ne apni aakhen kholi tab.....
RONIT- ab ye kya bala hai?????paas jaakar dekhta hun......
jahan kuch der pehle wo SHARK V.J ki urja ke lapete me aakar tadap raha tha,ab us jagah par ek roshni jagmaga rahi thi....
aur jaise hi RONIT us roshni ke paas gaya,usse ek naya jhatka laga....wo roshni darasal ek paani ke bulbule se aa rahi thi..par RONIT ke shock hone ka reason wo paani ka bulbula nahi balki us bulbule ke andar ki chiz thi....
darasal us paani ke bulbule ke andar kuch likha hua tha....aur jab RONIT ne us likhawat ko gaur se dekha tob usse jhatka laga...
us bulbule ke andar likha tha AVANTIKA.....
par RONIT ne zyada nahi socha..aur us bulbule ke neeche apna haath rakha...
RONIT ko ye dekhkar ek baar fir shock laga ki wo bulbula uske haathon me chipak sa gaya tha maano wo khud aisa chahta ho....
us paani ke bulbule ko apne hatheli ke upar rakhe rakhe RONIT upar ki taraf tairne laga...
wahin RIVER ke side khadi AVANTIKA kabhi paani ki taraf dekhti toh kabhi apne haathon me bandhi ghadi ki taraf..
RONIT ne usse kaha tha ki wo
aadhe ghante tak apni saansen rok sakta hai aur aadha ghanta khatm hone me kuch hi minutes baaki the...
har guzarte pal ke saath uski bechaini badhti chali jaa rahi thi...AVANTIKA ne apni aakhen band ki aur RONIT ki salamati ki dua maangi..
pray karne ke baad jaise hi AVANTIKA ne apni aakhen kholi.......
uski khushi ka thikana nahi raha...usse paani ke upar RONIT ka chehre dikhayi de gaya..is waqt RONIT zor zor se haanf apni saanson ko dusrust karne me laga hua tha...
AVANTIKA ne man hi man GOD ko thanks kaha..apni khushi ke beech uski nazar RONIT ke right hand ki hatheli ki taraf gayi jisse RONIT halka uthaye hue tha..
uski hatheli me jo bhi chiz thi usse halki halki roshni nikal rahi thi jisse AVANTIKA ki nazaron ne bhi dekh liya tha...
us chamakti cheez ko dekh AVANTIKA ko yakin ho gaya ki ho naa ho ye wahi cheez hai jisse usse V.J ke thik hone ka clue milega..
aur is baat ke zehen me uthte hi AVANTIKA ki khushi ka thikana nahi raha.....wo besabri se RONIT ki taraf dekhne lagi jo is waqt apne right hand ko hakla hawa me utha apne left haath se tairte hue uski taraf aa raha tha....
aur kuch hi der me RONIT RIVER ke tath ke paas pahunch chuka tha jiski gehrayi bas uske ghutno tak thi....
jahan RONIT chalta hua AVANTIKA ki taraf aane laga wahin AVANTIKA jigyasa bhari aakhon se RONIT ke hatheli ke upar us jagmati chiz ko dekh rahi thi..
aur jaise hi RONIT AVANTIKA ke kareeb pahuncha.......
paani ka wo bulbula jo ab tak RONIT ke hatheli ke upar tha,wo hawa me udta hua AVANTIKA ke saamne rook gaya...
aisa hone par AVANTIKA ko bhi RONIT ki hi tarah shock laga aur reason bhi same tha...
AVANTIKA ko us chamakte paani ke bulbule ke andar apna naam likha hua dikha...
wo sawal bhari nazare liye RONIT ki taraf dekhne lagi....
RONIT- mujhe mat dekh yaar..mujhe iske baare me kuch idea nahi hai...tune jaise kaha tha maine waisa kiya aur uska result ye nikla...
ye bulbula jiske andar tera naam hai....
AVANTIKA- par ye tujhe mila kahan??aur wahan andar hua kya tha???yahan baahar paani me kuch dhamake bhi hue the....
fir RONIT ne jo bhi wahan paani ke neeche hua,wo sab AVANTIKA ko bataya jisse sunkar AVANTIKA ko zyada shock nahi laga kyunki usse andaza tha ki aisa hi kuch hoga....
khair,RONIT ki saari baat sunane ke baad AVANTIKA ki nazar wapas uske saamne hawa me rook us paani ke bulbule par theher gayi..
wo us bulbule ko dhyan se dekh samajhne ki koshish kar hi rahi thi ki.....
RONIT-AVNI...tera haath dekh....
RONIT ki baat sun jaise hi AVANTIKA ki nazar apne right hand par gayi toh usse ek jhatka laga...
reason,uske haath se bhi waise hi roshni nikal rahi thi jaise us paani ke bulbule se nikal rahi thi....
kuch der tak apne haathon ko confusion ke saath dekhne ke baad achanak AVANTIKA ke dimag ki batti jali aur uske mooh se nikla....
AVANTIKA- BHAVISHYAWAANI........
AVANTIKA ke mooh se bhavishwaani sunkar ek pal ke liye RONIT bhi chownka par fir usse ISLA ke FOUNTAIN ke andar AVANTIKA ko mile bhavishwaani ke baare me yaad aaya jiske baare me AVANTIKA usse bata chuki thi....
wahin AVANTIKA apne haath me ubharte roshni waali jagah ko sehlate sehlate sochne lagi ki aage kya kiya jaaye.....
ek baar firse uski nazar us paani ke bulbule ki taraf chali gayi jsike andar ussika naam likha hua tha....
kuch sochkar AVANTIKA ne apna left haath aage kiya..aisa karte hi wo paani ka bulbula AVANTIKA ki hatheli ke upar aa gaya...
AVANTIKA apne hatheli ko apne right hand ke kareeb lekar aayi jahan se roshni nikal rahi thi....
jaise jaise wo paani ka bulbula aur uska right hand paas aa rahe the,AVANTIKA ko aisa lag raha tha maano dono ek dusre ko kisi chumbak ki tarah kheench rahe hon...
aur jaise hi AVANTIKA ki left hatheli uske right hand ko touch hui......
AVANTIKA ke sharir ko ek tez jhatka laga..reason.....paani ka wo bulbula jo uske left hatheli par tha,wo uske right hand ko chute hi fath gaya..us bulbule ke andar paani se hi AVANTIKA ka naam likha hua tha...
bulbule ke fathte hi wo paani AVANTIKA ke right hand par gir gaya.....aur aisa hote hi AVANTIKA ko jhatka laga par uske age hi pal......
AVANTIKA ke haath ki roshni aur badh gayi aur dekhte hi dekhte wo roshni baahar aane lagi...
baahar aate hi us roshni ne dobara ussi charre ka roop le liye jaisa AVANTIKA ke haath me samane se pehle tha....
bas fark sirf itna tha ki is baar jo charra uske saamne tha,wo paani se bana hua tha...
wo roshni ka charra hawa me uth gaya aur ek jagah jaakar rook gaya par wo apni jagah par gol gol ghum raha tha........
RONIT ko toh kuch samajh nahi aaya par AVANTIKA samajh gayi thi ki BHAVISHYAWAANI ka waqt aa gaya hai.......
wahin kuch der tak apni jagah par ghumne ke baad achanak wo paani se bhara roshni ka charra ruk gaya aur agle hi pal uske andar se ek unchi bhaari bharkam awaaz gunji......
BHAVISHWAANI...............
mere sparsh se rakht ki
jakad DHEELI HOGI....
par sampoorn upchaar
us paani se hoga,
jisme mohobbat me nikli
namkeen paani MILI HOGI....
AAJ KE LIYE ITNA HI.....
AAPKA APNA V...J........
VJ bro AAP ne ek update me kaha tha ki agar hero ki do herone hongi to vo havas hai chahe jaise bhi describe Karo . story me rohit ki gf ki death ho jati hai suppose ki rohit ko kisi aur me uski gf Nazar aayi ya koi aur ronit k piche hath dho k pad gayi Rohit pahle na kahta hai fir bohot sochne samajhane ke bad han kah deta hai to Kya ye havas hai .