• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ATTITUDE.....( MAGIC + ROMANCE )(Completed)

Hunterrrr69

Well-Known Member
2,016
4,802
159
Raat ko brother.. megaupdate hai wo bhi ab tak ks sabse pechida waala,likhne me kaafi waqt lagega....
Okay bro waiting
 

23n24

Member
433
1,544
138
AB TAK AAPNE PADHA KI RONIT MERCIA RIVER KE ANDAR SE CLUE LAANE ME SAFAL HO JAATA HAI AUR WO CLUE AUR KUCH NAHI BALKI EK BHAVISHWAANI HAI....
AB AAGE:-





FINAL CHAPTER






(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION)




UPDATE-97





PLANET- GLUTO





PLACE- PALACE HALL





KAHAN HO VIKRAM?????ITNA SAMAY BEET GAYA,KYA TUMHE AB TAK HUMARI TAKLIF MEHSOOS NAHI HUI ....???



aaj SHAILA ko apne hi mahal me daasi bane pure ek saal ho gaye the....in ek saal me usne GOD aur VIKRAM ko din raat yaad kiya tha...

uski dua me uski salamati nahi,balki AKSHAANT aur uske grah ke logon ki bhalayi ki guhaar hoti thi......

ek varsh tak dil hi dil me prarthana karne ke baad aaj SHAILA chilla chilla ka apni vyatha bol rahi thi......



SHAILA- is zillat bhari zindagi se toh mout hi behtar hai..par mera durbhaagya ki mai mar bhi nahi sakti....

agar maine aatmahatya kar li toh wo dusht ladki iska badla meri praja se legi....wo AKSHAANT ko bhi nahi bakshegi jo abhi bhi kitne kasht me hai....

ye kaisi vidambana hai ki mere pyar ke mere aankhon ke saamne kasht me hote hue bhi mai usse bachana toh chhod chuu tak nahi sakti.....

mai ye toh nahi jaanti ki tum abhi tak hume bachane kyun nahi aaye,shayad hamari hi tarah tum bhi kisi mushkil me ho,kintu har baadha ko paar kar tumhe hume bachane aana hi hoga VIKRAM.......

aisi vikat paristhithi me tum hamse mooh nahi mod sakte.....mai har din tumhe pukarungi VIKRAM....

ek naa ek din toh meri guhaar,meri awaaz,meri tadap tumhe sunayi degi....



ITNA SAMAY NIKALNE KE PASHCHAAT BHI TUMHE UMMID HAI KI WO TUMHE BACHANE AAYEGA.....!!!!



ye awaaz SHAILA ke piche se aayi thi....wo jaanti thi ki ye awaaz kiski hai par SHAILA piche nahi palti...usne waise hi baithe hue apni baat kahi......



SHAILA- ummid par toh duniya kaayam hai BHUVIKA......fir mai toh usse ummid lagaye baithi hun jiska dusra naam hi ummid hai.....



ab tak BHUVIKA chalte hue SHAILA ke saamne aa gayi thi.....



BHUVIKA- RAANI se noukraani ban gayi,par aaj bhi tere awaaz ki akad nahi gayi....haan!!!



BHUVIKA ki baat sun SHAILA ke chehre par ek smile aa gayi.....



SHAILA- jab bhaade ki shaktiyon ke gumaan me tu apne aap ko mahashaktishali samajhne ka bhram paal ghamand kar sakti hai,toh maine toh apni saari shaktiyan kadi mehnet se haasil ki hain..

aur ussi mehnet ke fal swaroop mujhe GLUTO ki RANI banaya gaya tha....ghamand toh hoga naa.....



AHHH............AHHHH............



ye dard bhari karah SHAILA ke mooh se nahi balki AKSHAANT ke mooh se nikal rahi thi....jisse sunkar SHAILA ka muskurata hua chehra gum me badal gaya...

toh hua ye ki SHAILA ki baat sunkar BHUVIKA ko aaya ghussa,aur har baar ki tarah BHUVIKA ne SHAILA ke jism ke badle uske dil par waar karna sahi samjha..matlab AKSHAANT par.....

jo ki is waqt thik waise hi hawa me akda hua khada tha jaisa BHUVIKA usse 1 saal pehle chhod kar gayi thi....

BHUVIKA ne apna haath aage kiya...uske aisa karte hi AKSHAANT ki maans peshiyon me khichaav aane laga jisse usse dard hua....

apne premi ke dard ko dekh SHAILA ke chehre me jo parivartan aaya tha usse BHUVIKA ko bohot accha laga....



BHUVIKA- ye mat bhulna ki teri hasi ko rone me badalna mujhe aata hai....dobara mere aage adab se baat karna warna tere priyatam ka haal aur bura kar dungi......



SHAILA asahaya si sir neeche kar baithi thi....usse apni majburi par bohot krodh aa raha tha...wo khudko kos hi rahi thi ki.....



SHAILA ke sharir ko ek jhatka laga...usse is jhatke ka matlab samajh nahi aaya par najaane kyun par achanak usse apne andar ek sheetalta,ek sukoon mehsoos hone lagi thi....

ye wahi waqt tha doston jab AVANTIKA ke saamne BHAVISHWAANI ne khudko khola tha....



darasal baat ye thi ki yudh prashikshan sikhate waqt SHAILA aur baaki ke saare logon ko VIKRAM ne khudse jod liya tha....

par ASMODEUS ke rakht ke prabhav me aane ke baad VIKRAM ka sabhi se connection toot gaya tha.....

par BHAVISHYAWANI ke urja ki wajah se jo ki asal me LORD OF ANGELS ki hi urja thi,ek pal ke liye wo connection wapas SHAILA se jud gaya.....

aur issi wajah se SHAILA ka man halka sa ho gaya tha....SHAILA ko ab bhi apne andar aaye parivartan ka asli matlab samajh nahi aaya tha par najaane kyun usse lag raha tha ki hona ho,ye sab VIKRAM ki wajah se hi hua hai....

aur ye khayal aate hi SHAILA ki goom ho chuki muskurahat wapas aa gayi...

is waqt SHAILA ka chehra neeche tha,isiliye BHUVIKA ko wo muskurahat nahi dikhi...

kuch waqt tak SHAILA ko dekhne ke paschat BHUVIKA gayab ho gayi..uske gaayab hote hi SHAILA ka khushal chehra upar utha....



SHAILA- nadi kitna bhi bada ho jaaye,samandar ke saamne uski koi aukaad nahi....aakhir me usse samandar me milna hi hota hai....

BHUVIKA tera bhi teri behen ki tarah VIKRAM naam ke samandar se milne ka waqt sameep hai....





PLANET- ISLA/WARRIORS WORLD




PLACE- GRAH SETU





EK BAAT BATAO PUTRI.....JAB SE HUM SAB IS GRAH SETU ME FASE HAIN,HUM ME SE AISA KOI NAHI HAI JISKE MAN ME HAMARE BHAVISHYA KE LIYE SAWAL NA UTHA HO.....

SAMAY HI ITNA BEET CHUKA HAI...NA VIKRAM KHUD AAYE AUR NAA HI UNKI KOI KHABAR....AISE ME MAN ME NAKARATMAK VICHAR KA AANA AAM BAAT HAI...

KINTU TUMHARE MUKH KA TEJ,TUMHARA VISHWAS AB BHI PURNATAH KAAYAM HAI....

KYA TUMHE EK SHAN KE LIYE BHI AISA NAHI LAGA KI SHAYAD VIKRAM HUME AZAAD KARNE KE LIYE NAHI AANE WAALE....????



apne pitah ki baat sunkar ALESENDRA muskura di.....

waise KING SOLOMON ki baat kuch hadh tak sahi hi thi.....itna lambe samay tak ek hi jagah fase rehne se kisi ke man me bhi aashanka paida hona laazmi si baat hai...

aisa me lagatar ummid ka diya jalaye har waqt chehre par muskaan liye rehna bohot badi baat hoti hai....

aisi shraddha bohot kam logon me hoti hai jo ALESENDRA me thi.....



ALESENDRA- jab saans lete waqt is baat par shak nahi rehta ki agle pal saans le paayenge ya nahi toh is baat par kaise shak kiya jaa sakta hai ki zindagi bachane waala hume bachane aayega ya nahi....

zindagi dena ISHWAR ka kaam hai aur us zindagi ki raksha karne ka daayitv uske putra ka....VIKRAM par sandeh karna ISHWAR par sandeh karne jaisa hai pitaji....



KING SOLOMON aur unke baaju me unki biwi khadi hokar ALESENDRA ki baatein ya fir ye kahun ki ek abedhya kille ki tarah uske bharose ko sun khush ho gaye.....



KING SOLOMON- tumhare aatmavishwaas se bhari baaton ko sunkar humare man me panap raha sandeh ka baadal bhi chhat gaya putri....

QUEEN ASHLEY- haan putri..bhale hi VIKRAM ko aane me kitni hi der kyun naa ho,par ab hum pure vishwas ke saath unke aagman ki pratiskha karenge.....



apne pitha aur maa ki baat sunkar ALESENDRA ke chehre par muskurahat aa gayi...

ALESENDRA ki nazaren yunhi ghumte ghumte DEFENDER ki taraf gayi aur DEFENDER ko dekh ALESENDRA ke maathe par sawalon ke bal aa gaye....

wo chalte hue DEFENDER ki paas pahnch gayi...

is waqt DEFENDER ki aakhen band thi par unke chehre par muskaan thi....issi muskaan ko dekh ALESENDRA DEFENDER ke paas aayi thi taaki wo is muskurahat ka kaaran jaan sake....!!!!!

DEFENDER ko bhi is baat ka ehsaas ho chuka tha ki koi unke paas khada hai isiliye unhone apni aakhen khol di...apne saamne ALESENDRA ko dekh DEFENDER ki smile aur badh gayi..

reason...dhyan se bahar aakar wo ALESENDRA ko hi bulane waale the par usse pehle hi ALESENDRA unke saamne thi....



DEFENDER- mai tumhe hi bulane wala tha putri.....acha hua ki tum swayam mere paas aa gayi.....


ALESENDRA- aadesh den DEFENDER????

DEFENDER- mujhe is GRAH SETU se baahar jaana hoga.......



DEFENDER ki baat sunkar ALESENDRA chownki....



ALESENDRA- kya baahar ka khatra samapt ho gaya???

DEFENDER- nahi....par mera jaana awashayak hai.....



ALESENDRA DEFENDER se unke is faisle ka kaaran jaanana chahti thi kintu fir bhi wo chup rahi...

par DEFENDER ALESENDRA ke man me umad rahe sawaalon se bhali bhaati parichit the...


DEFENDER- pichle baar jab mere chehre par khushi aur dukh dono ke bhaav aa jaa rahe teh,aur jab tumne mujhse iska kaaran pucha tha toh maine kya uttar diya tha???

ALESENDRA- yahi ki VIKRAM ke saath kuch chhal hua hai jisse unki LORD OF ANGELS ki urja unse door ho gayi hai issi wajah se aap dukhi the aur khush isliye the kyunki wo urja ab AVANTIKA ke andar moujud hai aur surakshit hai....

DEFENDER- hmm...aur aaj bhi mere chehre par aaye khushi ke bhaav ko dekh kar hi tum mere saamne ho taaki iska kaaran jaan sako...haina???

ALESENDRA- ji DEFENDER.....



fir DEFENDER ne ALESENDRA ko apne khush hone ka raaz bataya aur ye bhi bataya ki wo kyun GRAH SETU se baahar jaa rahe hain....



ALESENDRA- DEFENDER ki baat sunkar ALESENDRA khush bhi hui aur thodi chintit bhi.....


ALESENDRA- ye toh bohot khushi ke baat hai par jo haalaat hain,kya unme aapka baahar jaana uchit hai....

DEFENDER-nishchint raho putri..mujhe kuch nahi hoga...aur waise bhi mera baahar jaana awashayak hai.....

tum bas is baat ka khayal rakhna ki meri anupastithi se yahan koi chintit naa ho..apne maata pitha aur LORD CRUSEDAR se bas itna kehna ki mai kisi aawashayak kaarya se baahar gaya hun.....



ALESENDRA- jaisa aap kahen DEFENDER.....



DEFENDER GRAH SETU ke pravesh dwaar ke saamne khade ho gaye...DEFENDER ke pravesh dwar ke saamne pahunchte hi ek second ke liye pravesh dwar khul gaya...

aisa hote hi DEFENDER turant baahar aa gaye....DEFENDER ke baahar aate hi wo pravesh dwar band ho gaya....

aaj ek varsh pashchaat DEFENDER ISLA ko dekh rahe the...is waqt ISLA andhere me dooba hua tha....

aur iska kaaran tha ki pure ISLA ko aur WARRIORS WORLD ko BEELZEBUB aur BHUVIKA ne apne kaale jaadu ke madad se baandh diya tha...

jis wajah se surya ki sakaratmak shakti ISLA aur WARRIORS WORLD me nahi pad paa rahi thi....

DEFENDER ISLA ko dekh hi rahe the ki.......

DEFENDER se kuch hi door unke saamne ek zor ki bijli kadki aur agle hi pal us bijli ke beech me se ek kaala saaya baahar aaya...

par us kaale saaye ko dekhkar DEFENDER ke chehre par koi expression nahi aaye maano wo jaante the ki aisa kuch hone waala hai...

wo kaala saaya DEFENDER se kuch kadam door aakar rook gaya...



KAALA SAAYA- maine ummid nahi ki thi ki tum apne bill se baahar aane ka saahas dikhaoge....

DEFENDER- maine bhi ummid nahi ki thi ki ASMODEUS ne tumhe yahan ka chowkidaar niyukt kiya hoga BEELZEBUB.....



DEFENDER ki baat sunkar BEELZEBUB ke chehre par krodh ki silwaten doud gayi....


BEELZEBUB- dekh raha hun ki ek varsh tak kaayaron ki tarah chhupe rehne ke baad bhi tumhare zubaan ko zung nahi laga hai....

ummid karta hun ki tumhari zuban ki hi tarah tumhari shaktiyan bhi thik thaak chalengi kyunki aise hi tumhe maarne me mujhe maza nahi aayega....

DEFENDER- mera kaam mere grah ke logon ki salamati hai BEELZEBUB.aur mujhse hi unke houslen jude hue hain....

unki salamati aur ummid ke liye mujhe bhi chupna pada....aur rahi baat meri shaktiyon ki toh aazma kar dekh lo.....



VISPURATI VIBJUTI

VIBRATE POWER



DEFENDER ne bina samay gawayen apna pehla SPELL bol diya....

DEFENDER ke SPELL bolte hi BEELZEBUB ke chaaron taraf hawa ke tez aur behad shaktishali vibrations hone lage...

ye VIBRATIONS itne strong the ki BEELZEBUB ke pair ladkhada gaye...kuch pal ke liye BEELZEBUB ko apni shaaririk shaktiyan kamzor si padti hui mehsoos huin...

BEELZEBUB ne apni aakhen band ki aur apni aantrik urja ko mehsoos karne laga..aisa karte hi BEELZEBUB ki kamzori khatm hone lagi aur jab aisa hua........



ANUVARTITA

REVERT



BEELZEBUB ke SPELL bolte hi uske sharir se dher saari kaali shaktiyan ek pressure ke saath nikli aur sidhe jaakar hawa me ho rahe vibrations se takrayin......

aur jaise hi aisa hua,hawa ki vibrations khatm ho gayin......

BEELZEBUB ne bhale hi DEFENDER ke SPELL ko kaat diya ho par DEFENDER ke bole gaye SPELL ke impact ko dekhkar wo hairan tha....

har SPELL ki taakat usse bolne waale ke upar hoti hai...SPELL ki taakat se hi usse bolne waale ki takat ka andaza ho jaata hai...

BEELZEBUB ko ummid nahi thi ki DEFENDER itna shaktishali hoga.....


DEFENDER- bohot acche BEELZEBUB.....dum toh hai tumme par tumhare pitah waali baat nahi hai...wo sochne me itna samay vyarth nahi karta.....



BEELZEBUB- mere pitah jaisi baat is bramhaand me kisi ki nahi hai..tumhare VIKRAM me hi nahi.....

DEFENDER- sahi waqt aane do,tumhari ye galat fehmi bhi door ho jaayegi bacche....


BEELZEBUB- wo waqt jab aayega tab aayega,par afsos tum us waqt ko dekhne ke liye jivit nahi bachoge....

DEFENDER- meri zindagi ki ghadiyan khatm karne ka dum tujhme nahi hai BEELZEBUB...chaahe toh koshish karke dekh le.....



MAAYA JAKDAM

MAGIC CLENCH



BEELZEBUB ke SPELL bolte hi DEFENDER ko ek adrishya taakat ne jakad liya......aur aisa hote dekh BEELZEBUB ke chehre par ek muskaan naach gayi....



BEELZEBUB- ab kya karega DEFENDER..ab mai aaram se tera sir tere dhad se alag kar dunga aur tu chatpane ke alawa aur kuch nahi kar paayega...

BEELZEBUB ki baat ka DEFENDER ne koi jawab nahi diya..DEFENDER ne bas apni aankhen band ki aur.....



PARIVARJITA

DEVOID



DEFENDER ke SPELL bolte hi wo adrishya taakat jisne unhe jakad rakha tha,wo hat gayi...

jahan free hote hi DEFENDER ne apne haath ko jhatka wahin unhe apne SPELL ko itni asaani se kaatatha dekh BEELZEBUB shocked ho gaya.....

BEELZEBUB ke hairani se bhare chehre ko dekh kar DEFENDER ke chehre par muskaan aa gayi.....



DEFENDER- tumhe kya laga ki bas tum hi SPELLS ko kaatna jaante ho...????



DEFENDER ki baat sunkar BEELZEBUB ko ghussa aa gaya....



BEELZEBUB- ab bas..bohot hua khel....ab tujhe marna padega....



BEELZEBUB ne apni aakhen band ki aur apni saari shaktiyon ko apne dono haathon me laane laga...

BEELZEBUB ke aisa karne se mousam aur kharab hone laga....abhi tak har taraf halka halka andhera tha,par ab mousam aur dark hone laga tha...

DEFENDER bhi samajh gaye ki BEELZEBUB apni puri shakti se unpar waar karne wala hai aur agar aisa ho gaya toh wo bach nahi paayenge......

isse pehle ki BEELZEBUB apna SPELL uccharit kare,DEFENDER ko apni safety ke liye kuch na kuch karna tha isiliye.....





PARMESHWAR KAWACHAM PRAKATAM

GODS BARRIER APPEAR




SAMPOORN VINASHAM



COMPLETE DISRUCTION




jaise hi DEFENDER ne SPELL bola uske agle hi pal BEELZEBUB ne bhi napna SPELL uchharit kar diya.....

BEELZEBUB ke SPELL bolte hi uske haathon se dher saari maatra me kaali rays nikli aur ek zordar garjana karte hue DEFENDER ki taraf badhi.....

aur jaise hi wo kaali rays DEFENDER ke kareeb pahunchi........



BOOMMMMM........



ek tez dhamaka hua..is dhamake ka impact itna zyada tha koi BEELZEBUB ke sharir ko bhi ek tez jhakta laga aur wo niche gir gaya....

jahan DEFENDER khade the,is waqt wahan kuch bhi nahi dikh raha tha kyunki wahan dhul hi dhul faila hua tha....

kuch der baad jab dhul chatta toh wahan ka nazara clear hua aur saamne ke nazaare ko dekh BEELZEBUB ke chehre par smile aa gayi...



reason....DEFENDER ka sharir neeche zamin par pada hua tha....antim baar DEFENDER ko dekhne ki icha liye BEELZEBUB chalte hue unke kareeb pahuncha par jaise hi wo DEFENDER ke paas aaya uski aankhen hairat se faile gayi.....



reason.....DEFENDER zinda the aur is waqt dheere dheere khade ho rahe the..

darasal DEFENDER BEELZEBUB ki SPELL ki wajah se nahi gire the balki khudke kahe gaye SPELL ki wajah se gire the...

DEFENDER ne jis SPELL ko bola tha us SPELL ko bolne aur istemal karne ki shamata sirf GODS MESEENGER ko thi..

par kyunki VIKRAM ne DEFENDER ko shaktiyan pradan ki thi isiliye DEFENDER bhi is SPELL ko bol sakte the par uske impact ko wo puri taraf jhel nahi paaye aur SPELL ki wajah se unke sharir se nikli urja se aayi kamzori ki wajah se wo gir gaye....

VIKRAM ki wajah se wo ye SPELL ka successfully use toh kar gaye the par is SPELL ka unke upar ek side effect bhi hua tha....

aur wo ye ki ab jis kawach se wo chaaron taraf se ghire hue the,ab wo chahkar bhi usse nikal nahi sakte the..ab ye kawach unke liye ek kism ka jail ho gaya tha....

is sach se DEFENDER bhi awgat the iske baawajud unhone iska uchharan kiya tha....

DEFENDER ab khade ho chuke the par ab bhi unke chehre par kamzori saaf jhalak rahi thi.BEELZEBUB jo ki unke saamne khada tha wo ab bhi aankh faade DEFENDER ko dekh raha tha....

jab DEFENDER ki nazar BEELZEBUB par gayi toh wo hans pade....



DEFENDER- aise kya dekh raha hai BEELZEBUB..mai tere SPELL ki wajah se niche nahi gira tha balki tere spell ko kaatne ke liye bole gaye apne SPELL ki urja se gira tha....


BEELZEBUB- asambhav.....

DEFENDER- asambhav!!!haan asambhav toh hai aur jaanta hai kya???tera is kawach ko bhedna......chaahe toh koshish karke dekh le....

BEELZEBUB ne DEFENDER ke kawach ko todne ke liye ek ke baad kayi saare SPELLS bole par koi faayeda nahi hua..

kawach waisa ka waisa hi intact raha.....jaisa ki maine bataya tha ki SPELLS ka asar uske bolne waale ke shaktiyon ke upar nirbhar karta hai,isiliye SPELLS usse bolne waale ki urja nichod usse thaka bhi dete hain...

back to back itne saare SPELLS bolne ki wajah se BEELZEBUB ke upar bhi thakan hone lagi thi.....



DEFENDER-maine kaha tha naa BEELZEBUB,is kawach ko todna tumhare liye asambhav hai....wapas loutne ke siwa tumhare paas aur koi chaara nahi hai.....



BEELZEBUB ne apni aankhen band ki aur apne right hand ko apne dil ke upar rakha..

BEELZEBUB ke sharir se black energy ki ek moti ray nikalkar DEFENDER ke chaaron taraf faile gayi.....

chaaron taraf failne ke baad wo kaali rays gayab ho gayi.....



BEELZEBUB- abhi toh mai jaa raha hun DEFENDER..par mai wapas aaunga...

mere sharir ki suchna shakti ne tumhare kawach ko charon taraf se ghera hua hai...jis lamhe tum apne kawach se baahar aaye,meri in rays se mujhe iski suchna mil jaayegi aur ussi shan mai tumhare saamne prakat ho jaaunga....

aur jis din hamara dobara aamna saamna hua,wo din tumhare zindagi ka aakhri din hoga...

BEELZEBUB ne apni baat bohot krodh me kahi thi par uski baat sunkar DEFENDER ke chehre par smile aa gayi.....



DEFENDER- mai tumse ek waada karta hun BEELZEBUB....aur wo ye ki jis din bhi humara dobara saamna hua,us din mai tumhare waar ka jawab tak nahi dunga par iske baawajud tum mera kuch nahi bigad paaoge...

mujhe maarna toh door agar tumne mujhe neeche tak gira diya toh mai tumhara gulaam ban jaaunga....



BEELZEBUB ne ek baar ghur kar DEFENDER ko dekha aur gaayab ho gaya.....



DEFENDER- ISLA aur WARRIORS WORLD aapki pratiksha kar rahe hain..jaldi aaiyega LORD OF ANGELS.......





PLANET- EARTH




PLACE- SECRILLA





TUJHE KUCH SAMAJH ME AAYA KYA???KYUNKI MERE TOH SIR KE UPAR SE GAYA....


AVANTIKA- no clue yaar...mere bhi sir ke upar se nikal gaya.....



bhavishwani puri hote hi wo paani se bana charra wapas AVANTIKA ke haath me chala gaya tha....

AVANTIKA aur RONIT kaafi der tak us bhavishwaani ki baat ya fir ye kahun ki uski di gayi paheli ko samajhne ki koshish karte rahe par sab bekar.....

unhe kuch bhi samajh nahi aa raha tha....



AVANTIKA- filhal ke liye sochna band karte hain...waise bhi aaj ka pura din kaafi stress full raha hai....filhal ghar chalte hain....

RONIT- cool......



RONIT ne ussi jagah ke liye MAGIC DOOR khol diya jahan se wo yahan aane ke liye nikle the...

AVANTIKA aur RONIT DOOR se hote hue us jagah par pahunch gaye...

is waqt shaam ke 7 baj rahe the......



RONIT- kaafi late ho gaya hai..hume ghar jaana chahiye.....

AVANTIKA- haan,chal....



AVANTIKA apni car lekar aayi thi jabki RONIT paidal hi yahan aaya tha.uska ghar paas me hi tha...

garden se bahar aakar jaise hi RONIT ne AVANTIKA ko bye kaha.....



AVANTIKA- chal tujhe chhod deti hun....

RONIT- mai paidal chale jaaunga..mera ghar paas me hi hai.....tu jaa tere ghar waale tention le rahe honge....

AVANTIKA-nahi wo mai ghar par bata kar aayi thi ii raat tak aaungi..aur waise bhi mai abhi apne ghar nahi V.J ke ghar jaa rahi hun.....

RONIT-V.J ke ghar..kyun????

AVANTIKA- kyun matlab???mera sasural hai...mai nahi jaaungi toh aur kaun jaayega....???



AVANTIKA ne sidhe sapat tarike se apni baat kahi par uski baat sunke RONIT ko hasi aa gayi....

RONIT- abhi se sasural.....!!!!!badi besabri hai tujhe....

AVANTIKA-bilkul hai...mera bas chale toh abhi V.J se shaadi kar lun par us khadus ka dimag abhi khiska hua hai...propose karungi toh mana kar dega....

RONIT- aisa....toh ek kaam karte hain,mai aunty aur uncle ko tere aur V.J ke baare me bata deta hun..wo usse mana lenge...

AVANTIKA- bata de..par tujhe pata hai ki abhi V.J ke dimag me short circuit hua hai..kahin teri baaton se bhadak kar tujhe dho naa de......

RONIT- haan yaar,ye baat bhi hai..idea cancel....chal mai bhi tere saath chalta hun..mai bhi V.J se mil lunga....



AVANTIKA aur RONIT AVANTIKA ki car me baith V.J ke ghar ki taraf chal pade....

AVANTIKA V.J ke ghar sirf isiliye nahi jaa rahi thi kyunki usse abhi milne ka man ho raha tha...

uske V.J ke ghar jaane ke piche ek aur kaaran bhi tha...darasal baat ye thi ki jab se AVANTIKA SECRILLA se wapas aayi thi,tabhi se usse uske andar kuch mehsoos ho raha tha...

usse aisa lag raha tha jaise V.J ki urja usse kuch batana chahti hai par wo usse samajh nahi paa rahi hai....

V.J ki urja bhale hi abhi AVANTIKA ke andar thi fir bhi jab jab V.J AVANTIKA ke saamne aata tha tab AVANTIKA ke andar ki urja zyada active ho jaati thi.....

aur AVANTIKA ko kuch na kuch pata chalta tha....exams ke waqt jab V.J aur AVANTIKA ka aamna saamna hua tha tab AVANTIKA ko GRAH SETU aur GLUTO ke baare me pata chal gaya tha.....

agli baar DELHI me mulakat ke baad jab AVANTIKA wapas MUMBAI aayi thi tab bhi V.J se milne ke baad urja ke active hone asar bacha hua tha....

AVANTIKA ko pura bharosa tha ki jo baat V.J ki urja AVANTIKA ko batana chahti hai,wo V.J ke saamne aate hi usse clear ho jaayega.....

ye sab baatein sochte sochte AVANTIKA aur ki car V.J ke ghar me entry kar gayi......

car park kar jaise hi AVANTIKA car se baahar aayi........



AVANTIKA- oh shit.......



AVANTIKA ke mooh se nikle ye shabd sunkar RONIT aakhon me sawaal liye uski taraf dekhne laga.......



AVANTIKA- gaadi me baitho...batati hun....



AVANTIKA turant wapas gaadi me baith gayi..RONIT bhi confused si shakal liye wapas apni seat par baith AVANTIKA ki taraf dekhne laga.....

AVANTIKA ne turant car ghuma li.....

darasal baat ye thi ki V.J ki shakti aseem thi...V.J jahan bhi hota tha,uske aas paas ki sab jagah uski shakti ke daayre me aati thi....

aur issi baat ka asar abhi abhi hua.....jaise hi AVANTIKA ne apne kadam gaadis e baahar rakhe,V.J ki urja jo ki AVANTIKA ke andar thi,wo V.J ki shaktiyon ke contact me aa gayi..

aisa hote hi AVANTIKA ko us baat ke baare me pata chal gaya jis baat ko V.J ki urja kuch der se AVANTIKA ko batana chahti thi....



RONIT- batayegi bhi ki kya hua aur hum kahan jaa rahe hain.....???



AVANTIKA ne RONIT ko V.J ki urja aur us urja ka usse sanket dene ke baare me bata diya..AVANTIKA ne usse bataya ki wo V.J ke ghar kyun jaa rahi thi...

aur ye bhi ki V.J ke ghar ke lawn me kadam rakhte hi usse us sanket ki wajah pata chal gayi......



RONIT- par V.J ki urja tujhe kya batana chahti thi,wo toh bata????

AVANTIKA- kuch der rook.sab pata chal jaayega....



AVANTIKA apni car ko tez bhagate hue aage badhi aur ussi garden ke paas aakar rooki jahan se wo dono SECRILLA gaye the aur wapas aaye the....



RONIT- hum toh wahin aa gaye jahan kuch der pehle the...

par AVANTIKA ne RONIT ki baat ke jawab me bas itna kaha ki....



AVANTIKA- chal andar..sab pata chal jaayega....



AVANTIKA aur RONIT MAGIC DOOR se purane garden me aaye the jo ki hamesha band hi rehta tha par is waqt wo dono naye garden me aaye the jahan abhi kaafi log the...

shaam ke waqt is garden me logon ka sair karna aam baat thi....

AVANTIKA bechaini se ek aur aage badhti chali gayi....

RONIT bhi uske piche piche chup chaap chal raha tha....

AVANTIKA khudse hi chal toh rahi thi par actual me V.J ki urja usse guide si kar rahi thi....

kuch der tak chalne ke baad ek bench ke paas aakar AVANTIKA rook gayi.....



AVANTIKA ke saamne bench par ek ladki baithi hui thi jiske aankhon me is waqt aansu the.....wo aankhon me aansu aur dar liye idhar udhar dekh rahi thi....

aur jaise hi us ladki ki nazar AVANTIKA par padi.....uski dar bhari aankhon me ek chamak aa gayi..wo bench se uth khadi huyi....

wahin RONIT ki nazar abhi tak us ladki par nahi pade the..wo AVANTIKA ke paas aaya aur...



RONIT-ab batayegi bhi ki hum yahan kyun aaye hain???

AVANTIKA ane kuch kaha nahi bas saamne bench ki taraf ishara kar diya...

AVANTIKA ki ungli ka picha kar jaise hi RONIT ki nazar saamne gayi,ek pal ke liye RONIT ko pehle toh jhatka laga par agle hi pal uski aankhon me ghussa tairne laga....

AVANTIKA aur wo ladki toh ek tak ek dusre ko dekhne me busy the isiliye un dono ka RONIT ki taraf dhyan nahi tha...



RONIT-subah toh tu bach gayi par is baar mai tujhe nahi chhodunga BHUVIKA......



RONIT ki baat AVANTIKA ke kaano se takrayi par isse pehle ki wo usse rokti,RONIT tezi se aage badha aur......



ummmm.....ummmmmm.....ummmmm.......



RONIT ne us ladki ke gale ko pakad usse hawa me utha diya....wo ladki dard se chatpatane lagi thi....

AVANATIKA turant RONIT ke paas pahunchi....

AVANTIKA- uska gala chhodo RONIT....wo mar jaayegi..

Par RONIT ne jaise AVANTIKA ki baat suni hi nahi..uske haath ki pakad ab bhi sakht hi thi...qahin us ladki ki aankhen bhi ab band hone lagi thi...

AVANTIKA- tumhe ANJALI ki kasam hai....usse chhodo RONIT.

AVANTIKA ke mooh se ANJALI ki kasam sunte hi RONIT ki haath ki pakad dheeli ho gayi...

Us ladki ke gale ko chhod wo avishwas bhari nazaron se AVANTIKA ko dekh raha tha....uske chehre par abhi bhi bohot ghussa dikh raha tha...

wahin wo ladki zor zor se saans lete hue khus ko theek karne ki koshish kar rahi thi...

AVANTIKA ne RONIT ka baazu pakda aur usse thoda door le gayi....

Fir AVANTIKA ne kuch kaha ya fir ye kahun ki ek aisa khulasa kiya jisse sunkar RONIT ke chehre par jo ghusse ke expressions the wo tyrant second me gayab ho gaye...

usse AVANTIKA ki baat par yakin hi nahi ho raha tha...AVANTIKA bhi jaanti thi ki uski kahi baat par yakin karna RONIT ke liye kya kisike liye bhi bohot mushkil hai...


AVANTIKA- ye sach hai RONIT...aur iske baare me isse bhi nahi pata.....




YE LADKI BHUVIKA NAHI BALKI USKI BEHEN

ANALIA HAI








AAJ KE LIYE ITNA HAI......






AAPKA APNA V..J.......
Lajawab update. Ekdam naya twist
 

23n24

Member
433
1,544
138
AB TAK AAPNE PADHA KI BEELZEBUB SE LADHAYI KE WAQT DEFENDER KHUDKO EK KAWACH NUMA KAID ME FASA LETE HAIN WAHIN BHUVIKA ANALIA KO BHVIKA KI BEHEN BATAKAR EK BOHOT BADA KHULASA KARTI HAI
AB AAGE:-





FINAL CHAPTER








(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION)





UPDATE-98





PLANET- SHADOW WORLD





PLACE-OPEN GROUND






HEY PARMESHWAR....HUM TOH SABHI ASHA KHO CHUKE THE..KINTU JIS DIN AAPKE DOOTH ST.SEBASTIAN YAHAN AAYE AUR HUME BATAYA KI BOHOT JALD HUME BACHANE KE LIYE HAMARA UDDHARKARTA AANE WAALA HAI,TOH HUMARI KHUSHI KA THIKANA NAA RAHA....

HUMARI MARTI HUI UMMID FIR SE JIVIT HO UTHI....HUM DIL SE HUMARE SWAMI KA INTAZAR KAR RAHE THE KINTU........



USSE PEHLE TUM SABKI MULAKAT MUJHSE HO GAYI.....



is awaaz ko sun saare SHADOWS jo ki kisi zamane me SAMAY SANCHALOKON ke naam se jaane jaate the palte......

aur apne saamne khade shaksh ko dekh kar un sab ke chehre utar gaye......



UNKNOWN- arre mujhe dekh tum sabka chehra kyun utar gaya....
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png
?lagta hai mujhe dekh tum sab ko khushi nahi hui...!!!!!



1ST SHADOW- andhere ko dekh ujale ko kabhi khushi nahi hoti BHUVIKA.......



ji haan doston,SHADOWS ke saamne khadi shakhs aur koi nahi balki BHUVIKA hai.....

ab uska yahan kya kaam,ye toh aap sab ko aage padhkar hi pata chalega....
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png
?



BHUVIKA- MAHA RANI BHUVIKA....apni RANI ka naam tamiz se lo samjhe.....warna aisi haalat karungi ki tumhari aatma ke saath saath YELUPTUS me dafan tumhari praanhin sharir tak tadap uthegi......



2ND SHADOW- jis dard ki tum baat kar rahi ho wo tum hume pehle bhi de chuki ho.....hum aise taklifon se nahi darte BHUVIKA.....

1ST SHADOW- aur tum jis taakat ke dum par itna ghamand kar rahi hi ho naa,agar hum apne waastavik roop me hote toh tumhari taakat aur tumhare ghamand ko shan bhar me samapt kar dete....

hum SAMAY SANCHALAK hain....humari shaktiyan khud GOD se hain....tumhare jaise bhaade ki shaktiyon se aur wo bhi kaali shaktiyan jinka ek na ek din sarvanash hona nishchit hai,hum nahi darte.....

aur..........



AHHH.....AHHHH..........




isse aage wo SHADOW kuch keh nahi paaye...SHADOWS ki baat sunkar BHUVIKA ko ghussa aa gaya tha.....

is waqt saare SHADOWS ek group me khade the....aur isse pehle ki SHADOW kuch kahe,BHUVIKA ne saamne khade un dono SHADOWS ko jo uska apmaan kar rahe the,unpar apni kaali shaktiyon se nirmit kaaton bhari rays chhod di....

waise toh SHADOW ka koi sharir nahi tha par in rays me aatmaon ko taklif pahunchane ki shakti thi.....

un rays dono SHADOWS ko charon taraf se gher liya aur un rays se nikalte dhardhar kaanton ne SHADOWS ko chubhona shuru kiya jis wajah se un dono ke mooh se dard bhari aah nilkalne lagi...

wo rays kuch samay tak un SHADOWS ko taklif pahunchati rahi aur jaise hi dard ki atyadhikta ki wajah se wo dono SHADOW neeche giri,BHUVIKA ne apni chhodi ray wapas kheench li.....

baaki ke saare SHADOWS apne chehre par bebasi liye apne dono saathiyon ko dekh rahe the....



BHUVIKA- aaj ke liye itna kaafi hai ya abhi bhi man nahi bhara!!!!!



wo dono SHADOWS jo is waqt zameen par pade apne dard ko zabt karne ki koshish kar rahe the,BHUVIKA ki baat sun uski taraf ek fiki muskaan liye dekhne lage.....



1ST SHADOW- tumhe lagta hai ki is dard se hume koi fark padega....



AAHHHH....

AHHHHH....

AHHHHH.....


is baar ye dard bhari cheekh har SHADOW ke mooh se nikli thi....reason...ussi agni ki wajah se jo in sab ke neeche prajwalit hui thi...

ye wahi agni ya fir ye kahun ki wahi saza hai jo saare SAMAY SANCHALAK khudko dete aa rahe hain....

jab tak wo agni un sab ke neeche prajwalit hoti rahi,saare SHADOWS dard se cheekhte rahe wahin unke saamne khadi BHUVIKA aankhon me aascharya liye ye sab dekh rahi thi..

ye pehli baar nahi tha jab BHUVIKA ye sab hote hue dekh rahi thi...jab se ASMODEUS ne usse SHADOW world ki RANI banaya hai ya fir ye kahun ki usse SHADOW WORLD me jaane ki permission di hai ( iske piche ek khaas reason hai jo baad me pata chalega )...

tab se hi wo SHADOWS ko issi agni dwara tadapte hue dekh rahi hai...par jab bhi wo is drishya ko dekhti hai toh aashcharya me padh jaati hai...

BHUVIKA ko ye baat pata thi ki agni se jalne ka faisla khud SHADOWS ka hai par wo ye jaanana chahti thi ki khud ke saath aisa karne ke piche SHADOWS ka kya kaaran ho sakta hai?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png
?

jahan BHUVIKA apni soch me goom thi wahin agni ab bujh chuki thi aur saare SHADOWS ki pida bhi kuch hadh tak kam ho chuki thi....aur jaise hi unki peeda kam hui....



1ST SHADOW- abhi abhi jis agni dwara tumne hume jalte hue dekha hai,us agni ko hum sab ne khud prajwalit kiya hai...

hum khud hi us agni dwara diye pida ko saharsh jhelte aa rahe hain wo bhi tab se jab tumhara janm tak nahi hua tha....

aisa kasht jiski tum kalpana bhi nahi kar sakti aur wo bhi har din har pahar lagatar....

tumhe lagta hai ki jo aisi pida ko swayam khud par laakar jhelte hain unhe tumhare dwara saza se koi fark padega..kabhi nahi....

BHUVIKA- bhale fark pade naa pade..par tum logon ko kasht dekar mujhe bada sukoon milta hai....

par agar tum mujhe ye bata do ki tum sab ne khudke liye aisi saza kyun chuni toh mere dwara tum sab ko pida dene se bach sakte ho...

2ND SHADOW- aur ye jaankar tumhe kya laabh?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


BHUVIKA- laabh naa sahi par kamsekam meri utsukta toh mitegi....

1ST SHADOW- waise toh humari khud ko di gayi saza waali baat koi bohot bada raaz nahi hai kintu agar isse tumhe shaanti milti hai toh hum kuch bhi nahi batane waale....

tumhe pahunchne waale kisi bhi tarah ke sukoon ke hum k kaaran nahi ban sakte....




SHADOWS ki baat sunkar BHUVIKA ko firse ghussa aa gaya...



BHUVIKA- toh fir dard ke ek anthhin ehsaas aur safar ke liye taiyar ho jaao....



apni baat keh BHUVIKA ne mantra uccharan karne ke liye apne dono haath failaye hi the ki....



JITNA DARD DENA HAI DE DENA...PAR USSE PEHLE APNI JIGYASA SHAANT KAR LO....



ye awaaz BHUVIKA ke piche se aayi thi...aur ye awaaz aur kisi ki nahi balki BEELZEBUB ki thi...



BHUVIKA- tumhe inki khud ko dene waali saza ke baare me kaisa pata???YELUPTUS me inke baare me jaankari dete waqt toh tumne is baare me kuch nahi bataya tha....

BEELZEBUB- wo isiliye kyunki us waqt mujhe khud is baare me gyat nahi tha....COURIOUS se loutne ke baad jab mai wapas FATHER ke paas gaya tha tab maine unse is baare me pucha tha...

aur tab pehli baar FATHER ne is raaz ke upar se parda hataya tha....us waqt tumhe FATHER ne pehli baar yahan bheja tha isiliye tumhe iske baare me pata nahi hai....

BHUVIKA- hmm....toh fir batao ki in sab ne khud ke liye ye saza kyun chuni???

BEELZEBUB- ye sach hai ki jis aag se ye tadapte hain,ye inki khud ke liye nirdharit ek saza hai kintu ye sirf aadha sach hai...

asal baat kuch aur hai.....



BEELZEBUB ne ye baat SAMAY SANCHALAKON ki taraf dekh kar kahi thi..BEELZEBUB ki baat sunkar SHADOWS ko shock laga......

wo bhi jaanana chahte the ki BEELZEBUB kya jaanta hai..
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png




BHUVIKA- aadha sach matlab?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


BEELZEBUB- aadha sach isiliye kyunki jis aag se ye khudko jalate aa rahe hain,ussi aag ki wajah se inka astitv bhi zinda hai....



jahan BHUVIKA ko BEELZEBUB ki baat ka matlab samajh me nahi aaya wahin SHADOWS ke shock ka level aur badh gaya...

unhone ye nahi socha tha ki unke raaz ko ASMODEUS jaanta hoga.....



BHUVIKA- mujhe tumhari koi baat samajh me nahi aa rahi....

BEELZEBUB- samjhata hun...darasal jo aag in SHADOWS ke neeche prajwalit hoti hai,wo koi aam aag nahi hai balki jeeven bachane waali agni hai.....

tumhe ye toh pata hi hai ki in sab ka sharir YELUPTUS ki zamin ke andar dafan hai....kintu sharir kitna hi mazboot kyun naa ho,par bina aatma ke uska samooh patan annivaarya hai....

inhe apne sharir se alag hue sadiyan beet chuki hain..uske baawajud inka sharir ab bhi YELUPTUS ke andar surakshit hai..aur iska kaaran wahi agni hai jo in sab ke neeche prajwalit hoti hai....

wo agni asal me ek dhaage jaisa hai jo inke sharir ko inki aatma se jode rakhta hai...jab in sab ki aatma inke sharir ke bheetar thi,tab bhi ye agni inke andar thi....

par sharir aur aatma ke saath me hone ke kaaran wo agni inhe dard nahi pahunchati thi balki ussi agni se inki urja nirantar kaayam rehti thi....

par ab jab aisa nahi hai,toh yahi agni inhe dard pahunchati hai....

BHUVIKA- toh ye inki saza kaise hui???dard me hi sahi,in sab ne khud ko vardan hi diya hai naa..kyunki aisa karne se inke sharir bache hue hain???

BEELZEBUB- haan ye satya hai ki issi agni se inke sharir bache hue hain,kintu issi agni ki wajah se ye moksh prapt nahi kar paa rahe hain....

aur iska kaaran ye hai ki ye jaante hain ki inke samooh naash se PARIVARTAK bhi nasht ho jaayega aur aisa hote hi bramhaand ke saare grahon ki chaal aur disha badal jaayegi..

yahi nahi har grah ki gati aur waqt par bhi prabhav padega..agar ek vaakya me kahun toh inke marte hi pura bramhaand bhi khatm ho jaayega....

is agni ki wajah se ye mar toh nahi paa rahe hain par saath saath jee bhi nahi paa rahe hain...

toh hua na inka dard inka avishaap bhi aur vardan bhi....


BHUVIKA- kya baat hai???agar tum mujhe ye sab nahi bataate toh aisa bhi kuch ho sakta hai iski mai kalpana bhi nahi kar paati....



jaise hi BEELZEBUB ki baat khatm hui,itni der se shaant khade SHADOWS me se ek ne apna mooh khola......



1ST SHADOW- tumhare kathan se pata chalta hai ki ASMODEUS ko is sab ke baare me pehle se gyaat tha....fir usne kuch kyun nahi kiya???

BEELZEBUB-unhe bhala is sab se kya matlab???unhone jo chaha wo haasil kiya...(parivartak).....

ab tum sab khudko bachao ya maaro isse unhe koi nuksaan nahi...is bramhaand ke rehne naa rehne se tumhe fark padta hai,mere FATHER ko nahi.....

BHUVIKA- waise yahan se nikalne ke baad mai tumhare paas hi aane waali thi....

ye jaanane ke liye ki DEFENDER ko tum kaise khatm nahi kar paaye.....ye toh tumhare liye bohot aasaan hona chahiye tha....

BEELZEBUB- nahi BHUVIKA....pichle baar hum dono me se kisika bhi DEFENDER se zyada der tak mukabala nahi hua tha....

uske gaayab hone par humne ye socha ki wo humse dar gaya hai kintu asal me us waqt usse apne dono grahon ko bachana tha isiliye wo gaayab ho gaya tha...

humne jitna socha tha DEFENDER usse kayi guna zyada shaktishaali hai....

isiliye hi toh mujhe usse maarne ke liye apna aakhri astr ka istemaal karna pada....

par isse pehle hi usne apne chaahron taraf ek abhedhya kawach bana diya jisse mai tod nahi paaya....

BHUVIKA- hmm.ye sab toh maine bhi dekha tha kintu mujhe ek baat samajh me nahi aayi....

BEELZEBUB- kaun si baat???

BHUVIKA- yahi ki wo grah setu se baahar aaya hi kyun????mere kehne ka arth hai ki isse usse kya laabh hua?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


BEELZEBUB- ye toh mai bhi jaanana chahta hun. Kintu chinta mat karo..maine uske kawach ke charon taraf apni tarange faila di hai..jaise hi wo apne kawach se baahar aaya,mujhe pata chal jaayega aur agle hi pal mai uske saamne pahuch jaaunga.....

aur usse mrityu dene se pehle mai sab jaan lunga......

BHUVIKA- hmm...thik hai....chalo jis kaam se aayi thi wo toh kar lun....



BHUVIKA ki baat sunkar BEELZEBUB has diya......BEEZEBUB ko haste dekh BHUVIKA bhi has di...


dono hi hawa me tairte hue aage badhe..ek jagah pahunch dono rook gaye....jis kaam se BHUVIKA aayi thi wo kar dono gayab ho gaye......






PLANET-EARTH




PLACE- GARDEN




ANALIA,TUM THIK HO NAA.....





ANALIA jo ab bhi lambi lambi saansen le rahi thi,wo is waqt AVANTIKA ke kisi sawaal ka jawab dene ki haalat me nahi thi....

AVANTIKA bhi is baat ko samajh rahi thi isiliye usne aage kuch bhi nahi pucha..wo bas ANALIA ke peeth ko sehlane lagi....

wahin un dono se thodi door khada RONIT toh apne hi khayalon me goom tha....usse samajh nahi aa raha tha ki wo kaise react kare....

RONIT is waqt ye soch raha tha ki usse apna dukh bohot bada lagta tha...usse lagta tha ki GOD ne uske saath hi itni zyadati kyun ki....

par ab wo is baat ko samajh raha tha ki GOD ne uske saath koi zyadati nahi ki..infact GOD kabhi bhi apne bacchon ke saath kuch galat karne ka nahi soch sakte...

par is universe me GOD ke alawa bhi ek power source hai jo pure universe ko apne iccha anusar chalana chahti hai...

aur jab koi uske hisab se nahi chalta aur uske faislon ke khilaf jaata hai toh wo usse saza deti hai....

RONIT ek tak ANALIA ko dekhe jaa raha tha....wo soch raha tha ki is maasoom ko toh ye tak maalum nahi ki iske saath kaisa khel khela gaya hai.....

aur wo bhi iske janm lene se pehle..RONIT ke kaano me ab bhi AVANTIKA ki wo baatein gunj rahi thi jo usne ANALIA ke baare me usse batayi thi....

AVANTIKA ne jab RONIT ko bataya ki unke saamne khadi ladki BHUVIKA nahi balki uski judwa behen hai toh RONIT ko yakin nahi hua...

uske baad AVANTIKA ne RONIT ko ANALIA aur BHUVIKA ki puri asliyat batayi jisse sunkar RONIT ka dimag ghum gaya....

aapko yaad hoga doston ki COURIOUS ke logon ko shrap mukt karte hi V.J ki shaktiyan wapas aa gayi thi....

aur jaise hi V.J ki shaktiyan wapas aayin,usse do cheezen pata chali..

ek toh ASMODEUS ka wo shadyantra jiski wajah se uska wajood usse alag hone waala tha aur iske saath saath V.J ko ek aur baat pata chali thi jisse jaankar wo ASMODEUS ke dimag ki taarif karne se khud ko rok nahi paaya tha...

wo baat yahi thi doston.....V.J ko pata chal gaya tha ki BHUVIKA ki asli sagi behen NISHKALIKA nahi balki ANALIA hai...aur apne astitv ko khone se pehle usne is baare me AVANTIKA ko bhi bata diya tha....

ab aapke zehen me sawal uth sakta hai ye kaise ho sakta hai bhala,kahan COURIOUS aur kahan GLUTO....

uske upar BHUVIKA ka janm ANALIA ke janm ke hazaron saal baad hua tha...aur wo bhi ussi maa ki kokh se jis kokh se NISHKALIKA ne janm liya tha....

fir ANALIA aur BHUVIKA ka behen hona kaise sambhav hai..toh doston maine pehle bhi kaha tha ki jis kisse me ASMODEUS aur VIKRAM shaamil hon wahan kuch bhi ho sakta hai..

par isse zyada mai aapko is baare me filhal nahi bata paaunga. aap sab ko is matter ko samajne ke liye,iski haqiqat se roobaraoo hone ke liye abhi thoda intazar karna padega....

precisely kahun toh wait till the CENTURY UPDATE....



khair,ANALIA ab thik thi..par thik hote hi wo aankhon me dar liye RONIT ko dekh rahi thi...

khudke liye ANALIA ki aankhon me dar dekh RONIT ko accha nahi laga..wo jaanta tha ki ANALIA ek simple si ladki hai jisse anjaane me hi sahi,usne taklif pahuncha di thi...

par RONIT abhi ANALIA ko kuch kehna nahi chahta tha..wo chahta tha ki pehle AVANTIKA ANALIA se baat kar uske dar ko door kare...



AVANTIKA- tumhe darne ki zaroorat nahi hai ANALIA,RONIT tumhe kuch nahi karega....

ANALIA- par unhone humara gal kyun dabaya..???kya humne anjaane me unke saath kuch galat kiya hai....agar kiya hai toh kripiya hume maaf kar dijiye....



ANALIA ki bholi bhaali baat sunkar RONIT ka man glani se bhar gaya....



AVANTIKA- tum kyun maafi maang rahi ho ANALIA....
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png
?tum toh pehli baar yahan aayi ho naa.pehli baar isse mil rahi ho..fir tum bhala kaise iske saath kuch bura kar sakti ho???

ANALIA- haan wo toh hai..par jab ye hamara gala daba rahe the tab ye itne ghusse me the ki hume laga ki shayad anjaane me humse koi galti ho gayi hai...



AVANTIKA aur RONIT dono hi ANALIA ki saadgi bhari baaton ko sunkar soch me pad gaye...

dono soch rahe the ki kitna fark hai dono behno me...ek ke man me sirf badle ki bhaavna hai wo bhi ek galat kaaran ko lekar...

aur dusre ke man me tyag ki,maafi ki bhaavna hai jabki uski koi galti hi nahi hai...



RONIT- mujhe maaf kardo ANALIA......darasal maine tumhe koi aur samajh kar aisa kiya tha?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


ANALIA- aap maafi mat maangiye...hum aapse maafi maangte hain ki hamare chehre ko dekh aap jaise ache insaan ke dil ko taklif pahunchi....

RONIT- abhi kuch de pehle hi maine tumhara gala dabaya tha..fir tum kaise mujhe ek accha insaan keh sakti ho???

ANALIA- kyunki aap inke saath hain....



ANALIA ne AVANTIKA ki taraf ishara kar apni baat kahi...



RONIT- toh???

ANALIA- inki aur humare kashtharta (V.J) ki wajah se hi toh humara grah itne saalon ki tadap se aazad ho paaya hai....

hume bachane ke liye in dono ko swayam BHAGWAN ne chuna tha....aur aap inke saath hain iska arth ye hai ki aap inke mitr hain...

jisse bhagwan ne hamare uddhar ke liye chuna ho,aise manushya ka mitr toh acha hi hoga naa....

AVANTIKA- tumne bilkul thik kaha ANALIA...ye mere mitr hain..par tumhare kashtharta ke ye sabse ghanisht mitr hain....



ye jaankar ki RONIT VIKRAM ka best friend hai ANALIA bohot khush ho gayi....



AVANTIKA-ek baat batao ANALIA,tum yahan kaise?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png




itne der se AVANTIKA ke dimag me jo sawaal chal raha tha,wo usne ANALIA se pucha???



ANALIA- sabse pehle toh hum aapka dhanyawaad karna chahte hain....hum jaante hain ki aap ne jo humare liye kiya uske badle me maatr ek dhanyawaad kaafi nahi hai,kintu iske alawa humare paas aapo dene ke liye kuch nahi hai....



ye bol ANALIA ne AVANTIKA ke saamne apne haath jod liye....par ANALIA ke aisa karte hi AVANTIKA ne jhat se uska haath pakad wapas neeche kar diya...



AVANTIKA- tumne hi toh abhi kaha tha naa ki tumhe aur tumhare grah ko bachane ke liye hume bhagwan ne chuna tha....

toh fir dhanyawaad kaisa???hum wahi kar rahe the jisse karne ke liye hume bhagwan ne aadesh diya tha....ab ye sab chhodo aur jo maine tumse pucha hai uska jawab do..tum yahan kaise aayi?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png



ANALIA- wo darasal aap dono ne hamari itni badi madad ki aur fir bina humse mile wapas chale gaye..hume apna aabhar prakat karne ka mouka bhi nahi diya..isiliye aap dono se milkar aapko dhanyawaad karne ke liye hum yahan chale aaye....



ANALIA ki baaton aur un baaton ko kehte waqt uske chehre ko AVANTIKA bade gaur se dekh rahi thi....

usse andaza ho gaya tha ki ANALIA ne adhuri baat batayi hai..baaki ki baat jo ki asal baat hai wo usse chhupa gayi hai....

par AVANTIKA ne is baat ko filhal ke liye taal diya....



AVANTIKA- itni badi prithvi me tumhe ye kaise pata chala ki hum tumhe yahin par milenge?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


RONIT- haan,ye toh mai bhi jaanana chahta hun....

ANALIA- wo darasal jis COURIS vriksh par ASMODEUS ne kaala jaadu kiya tha,jiske phal ko khaakar LORD OF ANGELS ne us vriksh ke andar apni safed urja chhodi aur usse wapas pavitr kiya,ussi vriksh ki madad se hum yahan pahunch paaye hain....

AVANTIKA- mai abhi bhi nahi samjhi ki tum kya keh rahi ho?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


ANALIA- darasal baat ye hai ki apni jis safed urja se LORD OF ANGELS ne COURIS vriksh ko shraapmukt kiya tha,wahi urja ab COURIS vrikhsh ke andar bhi behti hai....

jo ki asal me LORD OF ANGELS ki urja hai...aur issi wajah se wo vriksh bhi LORD OF ANGELS se jud chuka hai......

shayad ye LORD ne isiliye kiya tha taaki dobara koi chaahe bhi toh hamare grah ke upar koi kaala jaadu na kar paaye aur naa hi kisi anya tarike se dushit kar paaye...

aapke hamare grah se jaane ke kuch der baad tak ussi vriksh ke phal ko khaane se hum sab COURIS waasi LORD OF ANGELS ko mehsoos kar paa rahe the...

hum sabhi unka dhanyawaad karne hetu unse milne aane waale the kintu aisa karna thik nahi hota...

hum apne grah ko jo ki najaane kitne sadiyon ke baad wapas pehle jaisa shraap mukt hua tha,usse chhodna nahi chahte the...

aur waise bhi,jaise humari urja ka shroth COURIS viriksh me phalne waala phal hai,ussi tarah hamare grah ke urja ka shroth bhi hum hain....

hum sab ke ek saath jaane se hamare saath saath hamari urja bhi hamare grah se chali jaati jiska parinaam acha nahi hota....

isiliye sabne ye faisla kiya ki un sab ki taraf se mai yahan aaun aur LORD OF ANGELS se sabki taraf se dhanyawaad kahun...

RONIT- tum hi kyun?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png

mera matlab tumse bade bhi toh kayi log wahan honge naa????unme se bhi toh koi na koi yahan aa sakta tha naa???

ANALIA-haan aa sakte the..par mai isiliye aayi kyunki mai hi wo thi jisse sapne me dekh LORD ko hamare grah ke kasht ke baare me pata chala tha....

AVANTIKA- sawaal toh ab bhi wahi hai..ki tum yahan pahunchi kaise?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


ANALIA-LORD tak pahunchne ka raasta bhi COURIS vriksh ka phal tha....kyunki usse khaate hi hum kuch palon ke liye LORD ki urja se jud jaate the....

aur ussi dauran apni aantarik shakti ki madad se mai us jagah par pahunch sakti thi jis jagah par mujhe LORD ki urja mehsoos hoti thi.....

fir jab maine tay kiya ki aaj mai yana LORD ke paas aaungi aur issi soch ko sach banane hetu jab maine COURIN phal ka sevan kiya....

pata nahi kyun par mujhe LORD OF ANGELS ki urja mehsoos hona band ho gayi....maine jab ye baat sabko batayi toh un sab ne bhi PHAL ka sewan kiya par koi natija nahi nikla...

kisi ko bhi LORD OF ANGELS ki urja mehsoos nahi ho paa rahi thi...ab hum kuch nahi kar sakte the..
hum sab bohot nirash ho gaye the.....

nirasha ke saath saath hume ye dar bhi satane laga tha ki kahin kuch anisht toh nahi ho gaya....par LORD OF ANGELS ko bhala kya taklif ho sakti hai ye sochkar hum khud ko mana lete the.....

aise hi din beetane lage....hum sab har din is ummid ke saath ki aaj LORD ki urja ko hum mehsoos kar paayenge,hum PHAL ka sewan karte par koi faayda nahi hota....

kintu kuch din pashchat hume wapas LORD ki urja mehsoos hone lagi.hum sab behad khush ho gaye kintu ye khushi bhi kuch hi palon ke liye thi..

kaaran....hum LORD ki urja mehsoos toh kar paa rahe the kintu sirf shan bhar ke liye...

aur itna samay kaafi nahi tha.....LORD tak pahunchne ke liye hume unse aur adhik der tak judne ki awashaykta thi...

hum lagatar COURIN PHAL ka sewan karne lage is ummid ke saath ki hume thodi zyada der tak LORD ki urja mehsoos ho taaki hum us urja ke kendr ko khud se jodkar un tak pahunch saken par aisa hua nahi...

kintu aaj itne samay ke baad hume unki urja thodi zyada der ke liye mehoos hui..aur aisa hote hi humne unki urja ko apne aantarik shakti se jod diya....

par pata nahi kaise LORD ke saamne pahunchne ke bajaaye hum is udyaan me pahunch gaye....



(ANALIA jab yahan pahunchi toh ye wahi time tha jab AVANTIKA aur RONIT yahan se gaayab hokar SECRILLA gaye the)



ANALIA-hume laga ki LORD yahi kahin honge par kaafi der tak dhundne ke baad bhi jab hume wo nahi mile toh hume bohot bura laga..

humne apni saari aantarik shakti yahan aane me laga di thi isiliye ab hum yahan se jaa bhi nahi sakte the....isiliye hum yahan is jagah baith kar kaafi der se ro rahe the...

upar waale se prarthana kar rahe the ki hamari madad kare..humari toh saari aas hi toot gayi thi ki itne me humari nazar aap par padh gayi.....



par tabhi ANALIA ko jaise kuch yaad aaya....



ANALIA- par aap yahan kaise????aur LORD OF ANGELS kahan hain????unhe toh pata chal hi gaya hoga ki COURIOUS se koi yahan aaya hai..bhala unse kuch thodi na chhupta hai....



ANALIA ke sawal par pehle toh AVANTIKA aur RONIT ne ek dusre ki taraf dekha...

dono hi soch rahe the ki ANALIA ko sach batayen yaa nahi.....

sach na batane ki dono ke hi paas do do wajah thi...



pehli ye ki V.J ki condition ke baare me jaankar ANALIA ko dukh pahunchta..

aur dusri ye ki V.J ki condition ke baare me sunkar shayad ANALIA ke mann me ye dar baith jaaye ki jab LORD OF ANGELS hi surakshit nahi hain toh fir unke saath dobara kuch galat hona kaun si badi baat hai..

par in dono soch ke upar ek soch aur thi jo in dono sochon par bhaari thi...

aur wo ye ki ANALIA bina apni parwaah ke apne grah se laakhon light years door prithvi par bas V.J se milne usse thanks kehne aayi hai....

bina is baat ke baare me soche ya fikr kiye ki agar V.J yahan usse naa mila toh shayad aisa koi bhi dusra nahi hai jo usse wapas uske grah me pahuncha paaye....

aur isiliye......



AVANTIKA-filhal V.J nahi aaya hai yahan..aur usse is baat ka abhaas tak nahi hai ki tum yahan aayi ho....



AVANTIKA ki baat sunkar ANALIA chownki...



ANALIA- par ye kaise mumkin hai..jis tarah se COURIS vriksh ke maadhyam se hum unse jude hue hain,ussi tarah wo bhi toh VRIKSH ke maadhyam se humse jude hue honge naa..

aakhir unhi ki urja hi toh abhi hum saare COURIOUS waasiyon ke andar beh rahi hai...

AVANTIKA- tum sab ke andar LORD OF ANGELS ki urja beh rahi hai ANALIA,VIKRAM ki nahi....

ANALIA- hum samjhe nahi..dono toh ek hi hain naa...!!!!

AVANTIKA- ab nahi....VIKRAM se uski urja alag ho gayi hai..aur ye ussi waqt hua tha jis din se tum sab ko uski urja mehsoos hona band ho gayi thi...



AVANTIKA ki baat ko sunkar ANALIA ko samajh nahi aaya ki wo kaise react kare..wo thagi si AVANTIKA ko dekh rahi thi ya fir ye kahun ki uski baaton ko samajhne ki koshish kar rahi thi....



ANALIA- hume abhi bhi samajh nahi aa raha ki aap kya keh rahi hain...LORD OF ANGELS se unki pehchaan kaise chhin sakti hai....
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png




fir AVANTIKA ne shuru se ANALIA ko sab kuch bataya....jaise jaise AVANTIKA saari baat batae jaa rahi thi,ANALIA ke aakhon se aansuon ki dhaar si nikalne lagi thi..

khaas kar ke is baat ko jaankar ki VIKRAM ki ye haalat unhi ko bachane ki wajah se hui hai...

ANALIA soch rahi thi ki naa toh VIKRAM COURIOUS aate,aur naahi unse unki pehchan alag hoti...

ANALIA ke aansuon ko dekhkar AVANTIKA bhi ye samajhne lagi thi ki kahin na kahin ANALIA khudko aur apne planet ko VIKRAM ka gunahgaar maan rahi hai....



AVANTIKA- ANALIA,agar tum ye soch rahi ho ki tum aur tumhare grah ke log VIKRAM ki is haalat ke zimmedar hain toh tum galat ho...

ache logon ko buri shaktiyon se bachana,unki bigdi haalat ko sudharna hi VIKRAM ka farz hai...isiliye hi uska janm hua hai...

aur kabhi kabhi apne farz ko nibhate waqt kuch kurbaniyan deni padti hain..ye kurbaniyan bhi us farz ka hi ek bhaag hai...

toh apne aap ko dosh dena band karo..aur fikr mat karo,bohot jald VIKRAM ko unki pehchaan,unka ohda wapas mil jaayega....



AVANTIKA ki baat sunkar ANALIA ko thoda chain aaya par tabhi uske man me ek dusre sawaal ne ghar kar liya....



ANALIA- par kuch samay se hum sab unki urja ko mehsoos kar paa rahe the...aur aaj toh kaafi der tak humne unki urja ko mehsoos kiya isiliye toh hum yahan unse milne aa paaye..

agar unki urja unke paas nahi hai toh fir hum kisse mehsoos kar rahe the...



AVANTIKA- tum VIKRAM ke urja ko hi mehsoos kar rahi thi..par wo urja is waqt VIKRAM ke paas nahi balki mere paas hai....



AVANTIKA ki is baat ko sunkar ANALIA buri tarah chownki....



ANALIA- kya!!!!par ye kaise sambhav hai....
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png




AVANTIKA- sambhav hai ANALIA..kyunki mai V.J ki shakti hun...



iske baad AVANTIKA ne ANALIA ko apna sach bataya aur ye bhi bataya ki V.J ne kis tarah apni urja ko uske hawale kiya tha...



AVANTIKA ki saari baaton ko sun ANALIA kuch der tak ek tak AVANTIKA ko dekhti rahi...

uske man me kuch chal raha tha jis wajah se uske aankhon me kuch tha jo AVANTIKA pehchaan nahi paa rahi thi....par tabhi....



ANALIA AVANTIKA ke aage jhukti chali gayi....



AVANTIKA- arre ye kya kar rahi ho...
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


ANALIA- chaahe jis bhi roop me ho,par is waqt LORD OF ANGELS ki urja mere saamne hai..mai ussi ko naman kar rahi hun....

AVANTIKA- iski koi zaroorat nahi.....



ye kehkar jaise hi AVANTIKA ne ANALIA ko uthane ke liye uske kandhe ko chhua....



AVANTIKA-OH SHIT........



AVANTIKA ki awaaz kuch tez thi jisse sunkar RONIT bhi chownk gaya...RONIT ko yaad aaya ki kuch der pehle bhi AVANTIKA ne oh shit kaha tha aur uska result ANALIA ke roop me ek bohot bade jhatke ke roop me laga..

aur ek baar firse AVANTIKA ne wahi shabd kahen hai,iska matlab abhi firse ek aur jhatke ki baari hai.....

jahan AVANTIKA ANALIA ko uthane ke baad ek tak usse dekh rahi thi wahin ANALIA bhi AVANTIKA ko dekh rahi thi....



AVANTIKA- ANALIA,sach batao,tum yahan kyun aayi ho????aur agar tumne jhooth kaha toh mai tumhe bina VIKRAM se milaye bina wapas bhej dungi....



is baar AVANTIKA ki awaaz thodi kadak thi.

AVANTIKA ki baat sunkar RONIT chownka par wo chup hi raha..wo jaanta tha ki AVANTIKA bina wajah aise behave nahi karegi...

ANALIA bhi AVANTIKA ki baat aur baat sunkar pehle toh shocked hui par fir uske chehre par dar ke bhaav aa gaye...



AVANTIKA- sach bolne se daro mat.....sach bologi toh mai waada karti hun ki mai kuch nahi kahungi par agar jhooth bola toh mujhse bura koi nahi hoga..

is baar AVANTIKA ki awaaz me aur sakhti thi jisse sunkar ANALIA ka dar aur badh gaya...

par AVANTIKA ke waade ki wajah se usse thoda housla bhi aaya tha aur isiliye.....




ANALIA- HUM VIKRAM SE PREM KARTE HAIN........








AAJ KE LIYE ITNA HI






AAPKA APNA V..J.....
Hatsoff amazing trun.sayad ye analia hi hogi.jiske dura vikram phir se god of angel wapas banega.
 

23n24

Member
433
1,544
138
AB TAK AAPNE PADHA KI BHUVIKA KO BEELZEBUB SAMAY SANCHALAKON KE KHUD KO DENE WAALI SAZA KA RAAZ BATATA HAI WAHIN ANALIA AVANTIKA AUR RONIT KE SAAMNE YE KHULASA KARTI HAI KI WO VIKRAM SE PYAR KARTI HAI
AB AAGE:-








FINAL CHAPTER







(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION)







UPDATE-99









PLANET- EARTH







PLACE- GARDEN








WHAT!!!!!!!!



ANALIA ki baat sunkar RONIT itni zor se cheekha ki aas paas ke logon ki nazar bhi uspar chali gayi....

wahin ANALIA ne toh apni baat kehkar sir jhuka liya tha.usne apni dil ki baat keh toh di par ab uska wahi dil aage ke anjaam ke baare me soch kar zor zo se dhadak raha tha...

ab apne pyaar ka confession karna wo bhi us ladke ke liye jiski g.f abhi ussike saamne khadi ho,aur G.F bhi kaisi,jiske andar is bramhaand ke LORD OF ANGELS ki urja tak ko khud me sametne ki shakti ho,toh dar lagna toh laazmni hi hai....

wahin is scene ki mukhya bindu matlab AVANTIKA toh ANALIA ke confession ke baad se hi kisi gehri soch me chali gayi thi..

RONIT ki cheekh toh jaise usne jaise suni hi nahi thi....

kuch der tak apni soch me goom rehne ke baad jab AVANTIKA waastavikta me waapas aayi toh uska dhyan aur nazar ANALIA ki taraf gaya jo is waqt sir jhukaye khadi thi...

AVANTIKA ko ehsaas ho gaya ki uske darane ki wajah se ANALIA ne sach toh bata diya par ab wo ghabra rahi hai....

AVANTIKA jaanti thi ki ANALIA WHITE ENERGY ka ek bohot purana aur respectable shorth hai....

wo us grah se belong karti hai jis grah ki acchayi pure bramhaand ko sakaratmak urja deti hai...isiliye AVANTIKA ko ANALIA ka yun usse darna accha nahi laga....

AVANTIKA- ANALIA,tumhe drane ki zaroorat nahi hai....mai tumse bilkul naaraz hun..infact mai khush hun ki tumne darte hue hi sahi par apne dil ki baat sach sach batadi...

AVANTIKA ki baat sunkar jahan ANALIA ne chain ki saans li wahin RONIT ke liye ye dusra jhatka tha...

usse samajh nahi aaya ki AVANTIKA ANALIA ki baat ko itna casually kaise le rahi hai...aur isiliye.....



RONIT-AVANTIKA......kuch baat karni hai mujhe tumse...ANALIA......tum yahin rooko,hum aate hain....



ab ANALIA kya kehti...usne chupchaap haan me apna sir hila diya wahin AVANTIKA samajh rahi thi ki RONIT usse kya baat karna chahta hai aur usse bhi RONIT se akele me hi ya fir ye kahun ki ANALIA se door jaakar hi baat karna thik laga isiliye wo aur RONIT chalte hue thoda aage nikal gaye....



RONIT- are u out of your mind...tumhari tabiyat toh thik hai naa..ya fir ANALIA ki baat ka jhatka zyada zor se lag gaya tumhe....



ANALIA se kuch door agar RONIT ne dabi hui par stressfull awaaz me AVANTIKA se apne sawaal puche....



par AVANTIKA RONIT ke sawaal par jawab dene ke bajaaye has di...



RONIT- ab toh sure ho gaya hai ki tumhara dimag hil gaya hai....saala ab kya karun,tujhe doctor ke paas bhi nahi lejaa sakta....

tune itni zyada maatra me WHITE ENERGY ka stock rakha hua hai ki kahin uska zara sa bhi impact doctor ko lag gaya toh bechara wahin nipat jaayega....

AVANTIKA- maar khaani hai.....

RONIT- haan ye thik rahega..mai naa tere sir par zor se maarta hun shaayad tab tera dimag wapas kaam karna shuru kar de...

AVANTIKA- tu kya bakwaas kiye jaa raha hai????mera nahi tera dimag thikane par nahi hai....

RONIT- mere dimag ko kuch nahi hua...tera dimag sahi jagah se khisak gaya hai....wahan kya bol rahi thi tu usse........

mai tumse bilkul naaraz hun..infact mai khush hun ki tumne darte hue hi sahi par apne dil ki baat sach sach batadi...



RONIT ne AVANTIKA ki kahi hui baat itna mooh bana banakar kahi jisse dekh AVANTIKA ko hasi aa gayi....



RONIT- lo ab has rahi hai....arre usne kisi random ladke ke liye apni feeling express nahi ki tere boyfriend ke liye ki hai....

uspe bhadakna chhod tu usse itni casual hokar baat kar rahi hai..teri jagah agar ANJU........



ANJALI shabd ke aage bolne se pehle RONIT kuch seconds ke liye chup ho gaya....usse ANJALI ka chehra yaad aa gaya tha jisse usse taklif hui...

AVANTIKA bhi is baat se anjaan nahi thi par wo chup hi rahi...kuch seconds ke halt ke baad apne emotions ko kaabu kar RONIT ne apni baat aage badhayi.....



RONIT-agar teri jagah ANJU hoti aur koi ladki mujhse pyaar karne ki baat kehti toh ANJU us ladki ka mooh tod deti....

usse tab tak maarti jab tak uske dimag se pyar ka bhoot nahi utar jaata...



AVANTIKA- yahi toh aap maat khaa gaye RONIT sir...pyar dil se kiya jaata hai,dimag se nahi..



PYAR SE,WAAR SE,MAAR SE,HAAR SE,
LADHAYI SE,JUDAYI SE,RISHTE ME BEWAFAYI SE.....



in short kisi bhi wajah se pyar khatm nahi hota....aur jo khatm ho jaaye wo pyar nahi hota....

ANJU kisi aisi ladki ko maar kar jo tujhe pyar karti hai,apni frustration toh mita sakti thi,par agar us ladki ke dil me sach me tere liye pyar ki bhaavna hoti,toh ANJU kya GOD bhi us bhawna ko uske dil se nikal nahi paate....



RONIT AVANTIKA ki baat bade dhyan se sun raha tha..bol toh AVANTIKA hi rahi thi,par RONIT ko firse aisa lag raha tha jaise uske saamne uska dost khada hokar apni baat rakh raha hai...

wahi confidence,wahi solidity,wahi tarika..is waqt RONIT ko AVANTIKA aur V.J do nahi balki ek lag rahe the aur isiliye.....



RONIT- aaj kal jab bhi tujhse baat karta hun samajh me nahi aata ki mere saamne tu hi hai ya fir tera roop liye V.J khada hai...

AVANTIKA- mai aur V.J toh ek hi hain...

RONIT- exactly.....aur isiliye toh puch raha hun ki kya tujhe ye jaankar bura nahi laga ki ANALIA bhi V.J se pyar karti hai....

AVANTIKA- tu bachpan se hi ANJU se dil hi dil me pyar karte aaya hai naa....



AVANTIKA ki baat sunkar pehle toh RONIT chownka par fir usse yaad aaya ki V.J ki urja jo ki is waqt AVANTIKA ke enadr hai,uski wajah se AVANTIKA ko V.J aur usse judi uski purani yaadon ke baare me sab kuch pata hoga.....



RONIT- haan.. par usse mere sawal ka kya lena dena....!!!!????

AVANTIKA- lena dena hai....tu pehle ye bata ki jab tujhe ye pata tha ki bachpan me ANJALI ke dil me V.J ke liye feelings thi,ye jaanane ke baad bhi kya tere dil me ANJU ke liye feelings thi...???

RONIT- haan thi....sirf isiliye kyunki ANJALI ke man me mere liye us waqt feelings nahi thi,mai kyun apni feelings........



RONIT apni baat puri karta,usse pehle hi uske dimag me AVANTIKA ke sawaal puchne ka maksad click kar gaya aur isiliye wo bolte bolte rook gaya.....



AVANTIKA- tu kyun apni feelings dabayega...yahi kehna chahta tha naa????



RONIT ne haan me apna sir hilaya..



AVANTIKA- thik waisa hi case abhi bhi toh hai naa...V.J mujhse pyar karta hai,mai usse pyar karti hun...

par iska ye matlab toh nahi hai naa ki kisi third person ke man me hum dono me se kisike liye feelings nahi aa sakti...

ab ANALIA ke man me V.J ke liye feelings hai toh hai...ANALIA hi kyun,najaane kitni hi ladkiyan hongi jinke man me V.J ke liye feelings hongi....

toh kya mai sabse jaakar ladhti rahun..unki feelings hai,wahi deal karen,mujhe kya???

RONIT- aur agar kabhi aisa hua ki V.J ke man me bhi kisi aur ne ghar kar liya toh!!!aise me kya tu comfortable feel kar paayegi...

kya us ladki ko eceept kar paayegi???

AVANTIKA-V.J sirf mera hai RONIT...sirf mera.....hamari jodi beshak GOD ne banayi hai,par agar ab wo khud bhi chaahe toh is jodi ko naa toh tod sakta hai ya fir kisi third person ko beech me laakar twist paida kar sakta hai...

and u know why???kyunki MOHOBBAT khud apne aap me KHUDA hai...jo sirf do logon ke beech panapta hai...


RONIT- aur agar koi teesra beech me aa gaya toh!!!

AVANTIKA- fir wo MOHOBBAT kaha rahi...wo toh HAWAS ho gayi....fir chaahe jaisa bhi explanation do apne point ko proove karne ke liye,wo feeling kuch bhi ho sakti hai par MOHOBBAT nahi ho sakti.....

(ATTITUDE GUYS)



RONIT- wow....kya baat hai....

AVANTIKA- ab chalen..wo bechari kab se akeli khadi hai....

RONIT- haan chal..par yaar ek baat ab bhi samajh nahi aayi???!!!!tune bataya tha ki tum dono bohot kam waqt tak COURIOUS me rahe the...

aur jahan tak mai andaza laga sakta hun,us kam waqt me bhi V.J ne is ladki ke saath personally akele me koi quality time toh bitaya nahi hoga...fir isse V.J se pyar kaise ho gaya????

AVANTIKA- ye toh mai bhi jaanana chahti hun....chal ussise puchte hain.....



jab se wo dono gaye the,ANALIA ki nazar un par hi thi...is waqt bhi wo un dono ko hi dekh rahi thi...

aapas me baat karte hue AVANTIKA aur RONIT ANALIA ke paas pahunch gaye....



ANALIA- aap humse naaraz nahi hain....



AVANTIKA ke saamne aate hi ANALIA ne usse sawal kiya???



AVANTIKA- nahi....

ANALIA- kya hum jaan sakte hain kyun???aap toh LORD se pyar karti hain naa...

RONIT- nahi tum nahi jaan sakti..actually tum jaan toh jaaogi par samajh nahi paaogi..ye aise aise bhaari bharkam logic ke ball fekegi ki samajhne se pehle hi tum out ho jaaogi...



isse pehle ki AVANTIKA ANALIA ko jawab deti RONIT bol pada jisse sunkar jahan AVANTIKA has padi wahin ANALIA ko kuch samajh nahi aaya...



ANALIA- hum samjhe nahi.....

RONIT- samajha bhi den toh bhi samajh nahi paaogi isiliye jaane do...



ANALIA ko RONIT ki baat bhi samajh nahi aayi par fir bhi usne apni mundi haan me hila di....


AVANTIKA- acha ANALIA ye batao ki tumhe VIKRAM se pyar kab hua???mera matlab hai hum toh kuch hi der tak tumhare grah me the aur us waqt bhi VIKRAM ne tumhare saath bilkul waqt nahi bitaya tha fir tumhare man me uske liye itne gehre jasbaat kaise paida hue????

ANALIA- ye toh hum bhi nahi jaante..jab humne pehli baar unhe dekha tabhi se hume unke prati ek baari eehsaas mehsoos hua..jitne waqt tak wo hamare grah me the,shraap ki wajah se hume jo dard hota tha,wo bhi hume mehsoos nahi ho raha tha....

fir jab wo chale gaye toh humare hriday me ek tees si uthi..unke jaane ke kayi dino baad tak bhi jab hum sirf unhi ke baare me sochte rahe tab hume ehsaas hua ki hum unse prem karne lage hain...

hum unse aapko chhenana nahi chahte hain..hum toh bas unse milkar ek baar unhe apne hriday ki baat kehna chahte hain..

AVANTIKA- cheenana!!!!koi mujhse VIKRAM ko nahi chheen sakta ANALIA kyunki VIKRAM se hi mai hun aur mujhse hi VIKRAM hai....

hum dono ka wajud hi ek dusre se milkar pura hota hai..rahi baat tumhare jasbaaton ki toh wo tum beshak VIKRAM se keh sakti ho..

mai tumhe nahi rokungi par abhi nahi..abhi VIKRAM us haalat me nahi hai ki tumhare kya,kisi ke bhi jasbaat ko samajh sake....

ANALIA- kya hum unse mil sakte hain...???

AVANTIKA- haan bilkul....par abhi nahi..abhi raat ho gayi hai..abhi uske ghar jaana thik nahi hoga...

tum ek kaam karo,mere saath mere ghar chalo,kal subah hum VIKRAM se milne uske ghar jaayenge...



AVANTIKA ki baat ANALIA khushi khushi maan gayi....



AVANTIKA- chal fir kal morning 10 baje V.J ke ghar me milte hain....

RONIT- thik hai..aur sun isse V.J ke baare me bata dena..

ANALIA- LORD ke baare me aur kya batana hai..unki urja unse chhin gayi hai,ye toh aap hume bata hi chuki hain....

AVANTIKA- yahan se chalo..batati hun...



RONIT ko bye bol AVANTIKA aur ANALIA garden se baahar nikal car ke paas aa gaye...



AVANTIKA- baitho.....

ANALIA- ye kya vastu hai.....???



ANALIA ne car ki taraf ungli dikhate hue kaha...



AVANTIKA- ye car hai..ek tarike ka waahan...

ANALIA- arre waah..par iska pashu kahan hain....

AVANTIKA- pashu!!!wo kisliye????

ANALIA- isse chalane ke liye....

AVANTIKA- isse chalane ke liye kisi pashu ki zaroorat nahi padti...

ANALIA- fir ye kaise chalta hai????

AVANTIKA- baitho,batati hun....

ANALIA aur AVANTIKA car me baith gaye..AVANTIKA ne car start karke aage badha di...



ANALIA bade jigyasa se car ke har chiz ko chhu chhu kar dekh rahi thi...AVANTIKA ne usse car ke baare me sab kuch bataya jisse sunkar ANALIA shocked ho gayi...

kuch der tak yunhi idhar udhar ki baat karne ke baad ANALIA ko achanak RONIT ki kahi baat yaad aayi...



ANALIA- wo RONITJI kis baare me baat kar rahe the???

AVANTIKA-darasal baat ye hai ki V.J ki urja chhinane ki jo wajah hai uski wajah se V.J ke behaviour mera matlab uske swabhav me badlaav aaya hai..

wo sidhi tarah kisi se baat nahi karta...har baat ka ulta hi jawab deta hai isiliye agar tumhare saath bhi wo aisa bartaav kare toh dil par mat lena.....

ANALIA- wo hamare sankat harta hain...bhala unki baat ka hum bura kaise maan sakte hain.....

AVANTIKA- good then..toh chalo,pehle tumhare liye kuch kapde le lete hain....

ANALIA- kyun hamare kapdon me kya kharabi hai....

AVANTIKA- kharabi kuch nahi hai..bas ye kapde hamari duniya me fit nahi baithte...



darasal ANALIA ne ek white lamba gown ke jaise dress pehna hua tha aur is kapde me usse ghar lejaana AVANTIKA ko unappropriate laga....

isiliye sabse pehle AVANTIKA ANALIA ko lekar ek butique gayi aur ANALIA ke liye kuch dresses kharide...



ANALIA- ye aapne kaise kaise vastra khariden hain hamare liye...hume bilkul pasand nahi aaye....

AVANTIKA- tum yahan ki nahi ho isiliye aisa keh rahi ho..par yahan ke log aise hi kapde pehente hain...

aur jab tak tum yahan ho tab tak tumhe bhi yahan ke logon ki hi tarah kapde pehenane padenge.....

dresses lene ke baad AVANTIKA ne raaste me ANALIA ko bata diya tha ki wo uske ghar me zyada kisise baat naa kare....bas itna bataye ki wo AVANTIKA ke kisi friend ki behen hai jo mumbai ghumne aayi hai.....



AVANTIKA- arre mai toh bhul hi gayi,tum toh subah se yaha ho naa...kuch khaaya bhi nahi hoga tumne....aur tum toh COURIN phal ko chhodkar kuch khaati bhi nahi ho....ab kya karen???

ANALIA- chinta mat kijiye..waise toh hum COURIOUS waasi din me do baar PHAL ka sevan karte hain kintu ek baar PHAL khaane ke baad hum sab ek maah tak bina kuch khaaye reh sakte hain...

AVANTIKA- really...!!!!ek mahine tak nahi khaane se bhi tumhe kuch nahi hoga!!!!

ANALIA- humare sharir ki urja thodi kam ho jaayegi...par ye koi badi baat nahi hai....hum theek rahenge....

AVANTIKA man me- ummid hai ki V.J jaldi theek ho jaaye.....



ANALIA ko dobara apne ghar me kya kehna hai ye samjha kar AVANTIKA usse lekar apne ghar pahunchi...jaisa ki socha tha AVANTIKA ne ANALIA ko intro apne ghar me apne friend ki behen ke roop me bataya...

ANALIA ki language shudh hindi thi jisse sunkar gharwaalon ko pehle toh ajeeb laga par jab AVANTIKA ne bataya ki ANALIA bachpan se hi ayurvedh padh rahi hai aur ussi wajah se uski language itni strong ho gayi hai toh sab normal ho gaye...

SHANAYA bhi bohot jaldi ANALIA se ghul mil gayi....dono chit chat karne me lag gayin...




AVANTIKAS ROOM



SHANAYA- waise babes...tu hai badi beautiful....

ANALIA- BOOTYFULL.arthath.....!!!



ANALIA ke mooh se BOOTYFUL sunkar SHANAYA ke saath saath AVANTIKA bhi has di....



SHANAYA- bootyfull nahi beautiful..matlab khubsoorat.....

ANALIA- ohh..waise sundar toh aap bhi bohot hain..mai toh kahungi ki aap sundarta ki parikashtha hain...

aur ho bhi kyun naa,aap AVANTIKAJI ki behen jo hain.....

SHANAYA- parikashtha as in...???matlab???

AVANTIKA- parikashtha matlab last level...what she means to say is that u have the last level beauty....

SHANAYA- oh really...!!!thank u babes...

AVANTIKA- ek dusre ki taarif ho gayi ho toh so jaayen...kaafi late ho gaya hai...

SHANAYA- all right then...good night girls...

AVANTIKA- good night....

ANALIA- shubhraatri.......



jahan ANALIA aur SHANAYA turant so gaye wahin RONIT apne dost ki aur AVANTIKA apne pyaar ko theek karne ki kuch der tak dua karte rahe aur fir dono ne apni apni aakhen band kar li is baat se anjaan ki kal KAHANI FIRSE GHUMNE WAALI HAI....






PLANET- CROSS WORLD





PLACE-INSIDE CAVE




Seikilos epitaph,
Seikilos epitaph.........



eikon e lithos
eimi tithesi me
Seikilos entha
nemes athanatou
sema polukhronion.

Anou lupou,
inhe zen anaitei
Dionysius of aa





ASMODEUS.....

ASMODEUS......

ASMODEUS.....




BLACK OPOSTLES.......jo ki is waqt ek bade se cube ko jisme se alag alag rang ki roshni nikal rahi thi,usse chaaron taraf se ghere ek ancient language me
is gaana ko zor zor se gaa rahe the..

ya fir ye kahun ki ye saath BLACK OPOSTLES kaafi waqt se is gaane ko gaa rahe the....



(BLACK OPOSTLES KE BAARE ME JAANANE KE LIYE UPDATE 17 PADHE)



gaana khatm hote hi wo sab kuch der tak apne haathon us cube ke saamne rakhte the maano aag ki tarah us cube se apne haathon ko sekh rahe hon aur kuch der baad wapas apne dono haath faila kar ek dusre ke kandon me rakh jhoomte hue wo dobara issi gaane ko gaana shuru karte the...

abhi abhi unka gaana khatm hua tha aur wo saath OPOSTLES apne haath aage kar cube ke saamne kiye hue the...

kuch der tak aisa karne ke baad jaise hi unhone apne apne haath wapas kheench ek dusre ke kandhon par rakhe taaki dobara gaana shuru kar saken tabhi......



KYA WO TAIYAR HAI?????



ye awaaz pure cave me gunj gayi..awaaz ke gunjte hi saathon dark opostles jinki peeth awaaz ke taraf thi,wo ghum gaye..

par unhone apne saamne khade awaaz ke maalik ko nahi dekha ya fir ye kahun ki dekhne ki koshish tak nahi ki...

palatateh hi wo seven DARK OPOSTLES apne ghutno par jhuk gaye jisse ye saaf pata chal raha tha ki unhe pata tha ki unke saamne kaun khada tha....



HI HAIL ASMODEUS......



us gufa ke andar un seven DARK OPOSTLES ki awaaz ek saath gunji....

apne LORD ko greet karne ke baad wo sab dobara CUBE ki taraf mood gaye aur ek baar firse uske saamne apna haath kiya..

par is baar un sab ke CUBE ke saamne haath karte hi wo CUBE hawa me uth gaya aur waise hi hawa me tairta hua wo CUBE ASMODEUS ke paas pahunch rook gaya...



OPOSTLES-YE TAIYAR HAI.....



CUBE ke rookte hi ek baar firse us gufa me un opostles ki awaaz gunj uthi....

jahan ASMODEUS ki aankhon me us cube ko dekhkar ek chamak thi wahin uske saath aaye BEELZEBUB ki aankhon me dher saare sawaal the....

darasal BEELZEBUB pehle bhi kayi baar CROSS WORLD aa chuka hai par fir bhi do chizon se ab tak anjaan hai...



pehli toh ye ki CROSS WORLD hai kahan????BEELZEBUB ko is bramhaand ke har BLACK aur WHITE WORLDS ke baare me pata hai par wo aaj tak ye nahi jaan paaya ki CROSS WORLD hai kahan...???

jitne baar bhi wo yahan aaya hai,ASMODEUS ke saath hi aaya hai ya fir ye kahun ki ASMODEUS hi usko har baar yahan lekar aaya hai...

har grah tak pahunchne ke liye jin grah binduon se hokar guzarna hota hai,CROSS WORLD tak pahunchne ke liye BEELZEBUB ko wo grah bindu kabhi dikhe hi nahi...

usne bohot koshish ki yahan aane ke maarg ke baare me pata lagane ki par kabhi laga nahi paaya...



aur dusri baat hai khud DARK OPOSTLES....DARK OPOSTLES ki haqiqat se BEELZEBUB ab tak anjaan hai...usse bilkul bhi idea nahi hai ki ASMODEUS ke ye SEVEN DARK OPOSTLES aakhir hain kya chiz....???

darasal DARK OPOSTLES BEELZEBUB ke janm ke pehle se hi ASMODEUS ke saath hain...jab se BEELZEBUB ne DARK OPOSTLES ko dekha hai,tabhi se wo unke baare me sab kuch jaanana chahta hai....

aur khaas kar aaj jo song DARK OPOSTLES gaa rahe the,usse sunkar uski jigyasa aur badh gayi thi....

actually pure song ke baare me nahi,bas song me istamal hua pehle do word ke baare me BEELZEBUB jaanana chahta tha....

kyunki pehle do words ke baad jo song DARK OPOSTLES gaa rahe the wo BEELZEBUB pehle bhi kayi baar sun chuka tha, wo jaanta tha ki wo song ek BLACK ENERGY ABSORVER hai...

wo song asal me ek ENCHANTMENT hai,ek BLACK SPELL hai jiske uccharit hote hi bramhaand me faili har burayi,har negetive energy ki power ASMODEUS ko nirantar milti rehti hai....

par aaj us song me do words add hue the,(Seikilos epitaph)jisse uccharit karne ke baad hi DARK APOSTLES song gaa rahe the.....

BEELZEBUB issi baare me janana chahta tha par usse lag raha tha ki agar wo ASMODEUS se kuch puchega toh har baar ki tarah ASMODEUS usse taal dega..

par man ki adhirta ka kya karen,ye zuban ko khol hi deti hai...BEELZEBUB ne ek baar firse ASMODEUS se CROSS WORLDS ka,DARK OPOSTLES ka aur song se pehle uccharit hue un do words ka matlab jaanane ki sochi....

wo kuch puchne hi waala tha ki.....




ASMODEUS-VAKAM ZAYAM PRAKATAM

HIDDEN LIFE APPEAR




ASMODEUS ke SPELL bolte hi uske saamne hawa me rooka CUBE jisse alag alag colours ki roshniyan nikal rahi thi,wo roshniyan aur tez chamakne lagi....

kuch der tak yunhi tez chamakne ke baad wo CUBE do bhaagon me batne laga.....

CUBE ke beech teen WHITE rays thi jisse dekhkar BEELZEBUB shocked ho gaya...

reason- un WHITE rays me bohot adhik maatra me WHITE ENERGY thi jisse BEELZEBUB feel kar paa raha tha...

BHUVIKA ki wajah se ab BEELZEBUB bhi WHITE ENERGY ko aaram se jhel leta tha warna jitni maatra me un WHITE RAYS me WHITE ENERGY thi,agar pehle waala BEELZEBUB hota toh dard ki atyadhikta se behosh ho chuka hota.....

khair,jaise hi wo WHITE RAYS us cube ke beech se baahar nikle,CUBE wapas jud gaya...

wo teeno WHITE RAYS hawa me tairte hue ASMODEUS ki taraf aaye...

ASMODEUS ne apna ek haath aage kar diya tha jiske upar wo teeno WHITE RAYS aakar rook gayi...



PRAVESHAM

ENTER.....



ASMODEUS ke dobara SPELL bolte hi wo teeno rays ek ke baad ek ASMODEUS ke andar chale gaye.....

jaise hi teeno rays ASMODEUS ke andar gaye,ASMODEUS ko us jagah par jahan se rays andar gaye the,ek jhatka laga par usne pratyaksh me kuch bhi zaahir nahi hone diya...

ASMODEUS ne apna haath aage kiya...wo cube wapas hawa me tairta hua wapas apni jagah par chala gaya....



ASMODEUS- tum sab ko pata hai ki tumhe kya karna hai???



DARK OPOSTLES ne ASMODEUS ki baat sun apna sir haan me hilaya aur agle hi pal.....

saare DARK OPOSTLES ek ke baad kaale dhuen me tabdil hokar us CUBE me samane lage..

kuch hi palon baad us gufa me ASMODEUS aur uske bete ke alawa aur koi nahi tha...



ASMODEUS- tum kuch puchne waale the???



BEELZEBUB jo aakhne faade jo bhi hua usse samajhne ki koshish kar raha tha,ASMODEUS ki awaaz sunkar apni soch se baahar aaya...



BEELZEBUB- haan,kya,haan...wo FATHER darasal mai.....


ASMODEUS- is GRAH ke baare me,DARK OPOSTLES ke baare me,wo jo gaa rahe the uske aage wo jo naye do shabd ka prayaog kar rahe the,uske baare me,mere andar samane waali teeno urja ke baare me,DARK OPOSTLES CUBE ke andar kyun gaye,yahi sab jaanana chahte ho naa....


BEELZEBUB- yes FATHER.....

ASMODEUS- ye jaante hue bhi ki tumne pehle bhi kayi baar is grah aur DARK OPOSTLES ke baare me mujhse pucha hai par aaj tak maine tumhe naa toh tumhe is GRAH ke baare me kuch bataya hai aur naa hi DARK OPOSTLES ke baare me....



ASMODEUS ki baat sunkar BEELZEBUB nirash ho gaya....usse laga ki aaj bhi ASMODEUS usse kuch nahi batayega....



ASMODEUS- is GRAH ke baare me toh mai tumhe kuch nahi bata sakta par haan,tumhare man me umad rahe kuch sawaalon ke jawab dekar tumhari jigyasa ko kuch kam zaroor kar sakta hun....



ASMODEUS ki baat sunkar BEELZEBUB ki aankhon me chamak aa gaya....



ASMODEUS-Seikilos epitaph.....yahi wo do shabd hain jo mere OPOSTLES gaane se pehle bol rahe the....

un do shabdon ka matlab POWER THE CUBE hai....us gaane ke baare me toh tum jaante hi ho....wo gaana asal me ek aisa mantra hai jisse meri shaktiyon me nirantar izafa hota hai...

par agar us gaane ko ya fir ye kahun us ENCHANTMENT ko bolne se pehle agar Seikilos epitaph in shabon ka istemaal kiya jaaye toh is bramhaand ki saari kaali aur safed urja ke kan us CUBE me samate hain,jisse wo aur sashakht ban jaata hai....

BEELZEBUB-par kisliye...aur us CUBE ko shashakt karne ki kya awashaykta hai???

ASMODEUS- sahi samay aane do..pata chal jaayega.....

BEELZEBUB-aur wo WHITE RAYS jo us CUBE se nikalkar aapme samayi..wo kya thi???

ASMODEUS- uska uttar bhi mai tumhe abhi nahi de sakta..par haan,itna bata sakta hun ki un teeno RAYS me se ek RAY tumhare liye thi....



ASMODEUS ki baat sunkar BEELZEBUB chownka....



BEELZEBUB- mere liye matlab???aur agar wo mere liye thi toh aapne mujhe kyun nahi di...

ASMODEUS- surya ki kirane..usse milne wala prakash bhi har kisika hota hai kintu kya koi bhi surya ko apne paas rakh sakta hai???

nahi...wo jal jaayega...thik waise hi wo RAY tumhare liye zaroor hai kintu tum usse jhel nahi paaoge...

BEELZEBUB-kintu wo hai kya???

ASMODEUS- agar batana hota toh kya mai sab kuch ek saath nahi bata deta???us ray ke baare me jaanane ka bhi abhi sahi samay nahi aaya hai....

BEELZEBUB- aur DARK OPOSTLES ke baare me..kya unke baare me mai jaan sakta hun...

ASMODEUS- DARK OPOSTLES meri shakti ke rakhwaale hain...unhi ke maadhyam se meri shakti badhti hai...

BEELZEBUB- ye toh mai jaanta hun..mai ye jaanana chahta hun ki DARK OPOSTLES asal me hainn kaun??mera matlab hai ki bramhaand me faili KAALI URJA ke saath saath SAFED URJA bhi moujud hai....

aapne hi bataya tha ki pehle sirf SAFED URJA thi...KAALI URJA ka nirman toh aapne kiya hai..aur wo bhi SAFED URJA ke bhitar se...

manushya ke man me panapne waale paap ke kaaran unki SAFED URJA ke andar KAALI URJA paida hoti hai...

kintu wo rehti toh SAFED URJA ke bheetar hi hai...un SAFED URJA ke bhitar se KAALI URJA ko nikalna aapke siwa aur kisi se kaise sambhav ho sakta hai???



ASMODEUS jo ki BEELZEBUB ke sawal ko pehle se jaanta tha par fir bhi apne putra ke sawal ki khatm hone ki pratiskhsa kar raha tha...aur jaise hi BEELZEBUB ka sawaal khatm hua,ASMODEUS ne apna right hand saamne hawa me ghumaya...

aur agle hi pal hawa me ek drishya dikhne laga ya fir ye kahun ki DARK OPPOSTLES ki sacchayi dikhne lagi jisse dekhkar BEELZEBUB ko ab tak ka sabse bada jhatka laga....wo ek tak apne father ko dekhne laga....

jo drishya BEELZEBUB ne dekha tha aur hajam karne ki koshish kar raha tha, ussi drishya ko ASMODEUS ne bol kar confirm kiya....



ASMODEUS- BRAMHAAND KE AARAMBH ME DARK OPOSTLES BHI MERI HI TARAH ANGELS THE....







AAJ KE LIYE ITNA HI......






AAPKA APNA V...J.....
Superb update bhai
 

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,758
40,382
189
  • Like
Reactions: Dark Devil

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,758
40,382
189
Awesome update bhai
Analia ko avni apne saath le gayi
Ye confirm ho gya ki vj aur avni k
beech wo Nai aa payegi
Kya analia ki Shaadi rohit se hogi (my assumption)

Dark opostles k baare mein kuch to pata Chala
Aakhir asmodemous ka Kya plan hai
BeezleBub k liye wo ray kya karegi
Vj aur analia mein Kya bàat hogi

Waiting for the next update
thanks brother.. sab pata chal jaayega.. wait kijiyew aur saath bane rahiye
 
  • Like
Reactions: Dark Devil

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,758
40,382
189
Boss me vikky se aage dikhane ke liye nahi kah raha hoon aap baat ko ghalat samjhay hain to mai kuch nahi kar sakta meray kahne ka matlab yah hai ki Asmodeus ki planning god ki planning ko har baar fail sa kar deta hain aur apni manmani kar raha hai. To us pe kaha thaa magar aapko mera dushtikon bura laga to koi baat nahi. Aur acchai ka matlab vikky nahi hain har ek jis se Asmodeus ka ladai hui hai jaisay defender wagera sai aur woh har manmani kare jaa raha hain jaisay god uske aage bebas hai Agar bebas hai.to god kaisay aur Phir ansh ka bhi faida nahi

Super update hai bhai

Excellent update bhai... Fantastic mind blowing

Kamal ki update thi
Ab dekhta han ka kahani konsa naya moor leti hy
Qur ASMODEUS to apni Shakti ko bharhata hi ja raha hy Ab kahani main seriousness ati ja rahi hy

Awesome Fantastic Update
Thanks brothers.. yunhi saath bane rahiye
 
Top