If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
subah ka waqt hai.....BHUVIKA har subah ki tarah aaj bhi sair par nikli hai........
har din BHUVIKA alag alag disha me,raston par ghumne nikalti thi....
aaj jis raaste par wo nikli thi,usse wahan se kuch hi door ek chota sa pahad dikha jiski aur wo nikal gayi.........
aur kuch hi door me wo pahad ki choti par thi.
BHUVIKA- waah...apratim...kitna sundar nazara hai............aisa lag raha hai jaise prakriti ne hari chaadar odh li hai....
arre ye yahan.....!!!!!!!
BHUVIKA jo ki ek disha me aage badh rahi thi,uski nazar achanak usse kuch hi door pahad ke side me bane ek bade se patthar par padi jispar dhyan ki mudra me MADDOX baitha hua tha.....
BHUVIKA uski taraf chal padi......
wahin dhyan ki awastha me baithe MADDOX ke KAAL CHAKRA ne usse bata diya tha ki BHUVIKA uske paas aa rahi hai...
aur ye jaankar MADDOX ke chehre par ek muskaan naach gayi......
MADDOX- ab toh mujhe lagta hai ki aap mera picha karti hain.........
BHUVIKA jo ki MADDOX ke aas paas faile KAAL CHAKRA ko gour se dekh rahi thi,MADDOX ki awaaz sun hadbada gayi....
BHUVIKA- kya matlab hai aapka???hum aapka koi peecha vicha nahi kar rahe hain aur naahi hume aisa karne ka koi shouk hai........hum toh...........
MADDOX- arre relax yaar....mai toh bus mazak kar raha tha.....
BHUVIKA- acha...par ek baat bataiye,aap sach me DHYAN me baithte hain ya aise hi aankh band kiye hote hain....
MADDOX- hahaha...mai toh dhyaan me hi baithta hun...par aapko jo sahin lage wo samajh lijiye.........
ab agar aap ki ijazat ho toh kya mai aapse kuch puch sakta hun???
BHUVIKA- puchiye?
MADDOX- aap us din bol rahi thi naa ki abhi tak aapko apna manchaha ladka nahi mila...
toh aapko kaisa ladka pasand hai VIVAH ke liye.....
??
BHUVIKA- aur ye aapko kyun jaanana hai?
INHE SHOUK HAI DUSRO KI PASAND NAAPASAND JAANENE KA........
ye awaaz MADDOX aur BHUVIKA ke peeche ki taraf se aayi thi.....awaaz sunte hi dono peeche ghum gaye.....
jahan apne peeche khade shaksh ko dekhkar BHUVIKA khush ho gayi wahan MADDOX ka mooh ban gaya......
NISHKALIKA- haan,aaj maine bhi socha ki apni gudiya ki hi tarah thodi sair kar lun....
BHUVIKA- bohot acha socha aapne.par sair par aana hi tha toh mujhe kyun nahi bataya aapne..mai thodi der rook jaati,fir hum dono ek saath aate.....
NISHKALIKA- mai tumhare kaksh gayi thi par tum nikal chuki thi..toh mai tumhare peeche peeche aa gayi......
BHUVIKA- chaliye fir,thoda aage se ghum kar aate hain......
NISHKALIKA- aap chaliye,mai zara MADDOX se kuch baat kar ke aati hun.....
BHUVIKA- toh unhe bhi apne saath le chalte hain naa........
BHUVIKA ki baat sun MADDOX khush ho gaya tha par isse pehle ki wo kuch kehta NISHKALIKA bol uthi......
NISHKALIKA- MADDOX ko abhi kuch kaam se jaana hoga BHUVIKA.....wahi toh mujhe unhe samjhana hai..tum aage chalo,mai aati hun...
BHUVIKA- theek hai,par jaldi aana......
ye bolkar BHUVIKA aage nikal gayi.....
wahin un dono ke saamne khada MADDOX andar hi andar NISHKALIKA se kudh raha tha par wo kar bhi kya sakta tha.....
NISHKALIKA- bohot ghussa aa raha hoga na tumhe mujhpar........
MADDOX NISHKALIKA ke sawaal par hadbada gaya......
MADDOX- nahhi ttoh.........mujhe bhala kyun ghussa aane laga tumpe......
NISHKALIKA- mere aane se meri behen ki pasand jo naa jaan paaye tum...
MADDOX- nahi wo toh mai............
NISHKALIKA- maine pehle hi kaha tha MADDOX ki meri behen se door raho...mai tumhari gustakhiyan sirf DEVIL LORD ki wajah se jhel rahi hun.....
warna tum NISHKALIKA ke keher se bach nahi sakte.........
MADDOX- apna ye ghamand apne paas rakho NISHKALIKA..mat bhoolo ki agar tumhare andar aloukik shaktiyan hai toh mere andar bhi hain......
ek baar toh aazma chuki ho,agar dil nahi bhara toh dobara koshish kar lo.....
NISHKALIKA- apne taakat ko ucchit waqt ke liye bacha kar rakho MADDOX.apne bhai ke mout ke badle ke baare me socho,meri behen ke baare me nahi.....
MADDOX- ho gaya tumhara.......
ye bol kar MADDOX jaane laga....
NISHKALIKA- ab yahan ho toh kuch kaam bhi kar lo.yaa fir sirf ek bojh ki tarah pade rahoge....
NISHKALIKA ki baat sunkar MADDOX ka dimag kharab ho gaya.........
MADDOX- tune mujhe samjha kya hai???mai yahan DEVIL LORD ki wajah se aaya hun....
warna teri shakl dekhne ka mujhe koi shouk nahi..........
ek baar,bas ek baar aur taana maar ke dekh..tere guroor aur tere is grah ko tabah na kar diya toh mera bhi naam MADDOX nahi..
ye saari baatein MADDOX ne bohot ghusse me kahi thi,uske kaal chakra uske sharir se nikal kar aas paas failne lage..
us MOUNTAIN ke aas paas ke saare ped poude un kaal chakra ke chapet me aakar kaale padne lage....
NISHKALIKA ko bhi ehsaas ho gaya ki usne kuch zyada hi bol diya hai...wo chahti toh MADDOX se lad sakti thi par wo aisa karna nahi chahti thi...
ek toh usse DEVIL LORD se aisa karne ki ijazat nahi mili thi aur dusra usse pata tha ki uski aur MADDOX ki ladhai me sabse zyada nuksan uske PLANET ko pahunchega.....
NISHKALIKA- in ped aur poudhon ko apna krodh dikhakar kya faayda MADDOX.....maine pehle bhi kaha hai ki apne saare ghusse ko bacha kar rakho apne dushman ke liye...
aur agar fir bhi tumhara dil nahi maan raha hai toh mai tumse yudh karne ko taiyar hun,par soch lo,isse tum DEVIL LORD ki nazaron me gunehgaar kehlaaoge.....
DEVIL LORD ka naam sunte hi MADDOX ka ghussa shant padne laga......
aur jaise jaise uska ghussa shant hone laga,uske kaal chakra wapas uske sharir ke andar wapas chala gaya.....
NISHKALIKA- har saal ki tarah is saal bhi hamare grah me YUDH PRATIYOGITA ka aayojan hone waala hai.hum chaahte hain ki is pratiyogita ki taiyari tum dekho......
MADDOX- mai kyun?
NISHKALIKA- taaki is pratiyogita ka star aur badhaya jaa sake........
MADDOX ne kuch bhi nahi bola aur gayab ho gaya......
NISHKALIKA- ek baar tumhara kaam ho jaaye,DEVIL LORD ka aadesh pura ho jaaye,fir tumhe bataungi ki NISHKALIKA kya cheez hai.....
NISHKALIKA ne ye baat apne man me boli aur uski behen ke paas jaane ke liye gaayab ho gayi.....
PLANET- MONSLICKEL
PLACE-ASMODEUS PALACE
sadiyon ke baad aapke chehre par is tarah ki muskan dekh raha hun FATHER.....
ye baat BEELZEBUB ne apne pita ASMODEUS ko dekhkar kahin thi jiske chehre par is waqt ek gehri muskan thi.....
ASMODEUS- is tarah ki muskaan se tumhara kya matlab hai BEELZEBUB........
ASMODEUS- hmm.baat toh tumhari sach hai.aaj kaafi waqt ke baad mai sach me khush hun.....
BEELZEBUB- kya mai iska kaaran jaan sakta hun....
ASMODEUS- jis tarah ka parakram kal mere BHAI ne dikhaya,wo wakayi kaabile taarif hai....
aise johar ko dekh kar khush hona laazmi hai....
BEELZEBUB ko apne PITA dwara VIKRAM ki taarif karna pasand nahi aaya.....
BEELZEBUB- khush!!!!aapko ghussa nahi aa raha ki aapke bhai ne apka tilism tod diya...
usne WARRIORS WORLD ke jadon se paap ko khatm kar diya...
WARRIORS WORLD is bramhaand ka sabse shaktishali grah hai,usse aapki kaali takaton me har pal atyadhik maatra me nikhar aata tha jo ab nahi aa paayega...
aur ye sab aapke bhai ki wajah se hua hai....
ASMODEUS- surya ka kaam hota hai prakash dena..
uski garmi kisiko achi lagti hai toh kisi ko buri par kisi ki mahatvakaanksha ke anusar wo chamakna toh nahi chhod sakta naa.
ye uska kaam hai jo usse nirantarta se karna hai..thik waise hi raat ka kaam hai andhera failana....
wo andhera jo surya ke itne tej ke baawajud naa sirf apna samrajya sthapit karta hai balki use lagatar badhata bhi jaata hai.....
mera bhai SURYA ki tarah hai aur mai ANDHERE ki tarah.uska apna kaam hai aur mera apna.....
usse apna kaam karne se mai rok nahi sakta aur naa hi usme itna saamarthya hai ki wo mere kaam ko rok sake.....samjhe.....
BEELZEBUB- kuch kuch....par mai.......
ASMODEUS- ijazat hai....par apni seema mat laanghna...
isse pehle ki BEELZUZUB apni baat apne FATHER ke saamne rakhta,ASMODEUS ne apni baat kehdi....
BEELZUBUB ek baar apne pitah ke aage jhuka aur gayab ho gaya......
PLANET- EARTH.....
PLACE- COLLEGE.....
hey guyz..........kya baat hai???aaj sab saath hi pahunche.....
SHANAYA-hey V.J.......
ANJALI-hey V.J........
RONIT-haan yaar....aaj toh sabki timing match kar gayi.....
mai just college pahuncha tha..mai jab parking me pahuncha toh AVANTIKA aur SHANAYA bhi apni car park kar rahe the...
mujhe dekh kar wo meri taraf aane lage....
aur mere bike stand karte hi mere baazu me ek aur bike rooki jisme RONIT aur ANJALI the........
meri hi ka jawab sabhi ne diya tha siwaye AVANTIKA ke....
kal WARRIORS WORLD se lautne ke baad se hi AVANTIKA ne mujhse baat nahi ki thi...
kal hame waapas aate aate kaafi late ho gaya tha...RONIT & PARTY ke WARRIORS WORLD aate hi maine meri hi tarah un teeno ke bhi CLONES bana diye the isiliye hamare gharon me sab kuch normal hi tha.......
AVANTIKA mere kal ke faisle ke baad se hi mujhse naaraz thi aur uski narazgi ab tak kaayam thi.....
par abhi mai usse kuch bol nahi sakta tha kyunki SHANAYA bhi humare saath thi.....
SHANAYA- han,toh fir kaha chalen,class ya canteen....!!!!!
ANJALI- class hi chalte hain.first lecture start hone hi waala hai......
RONIT- chalo fir.......
MAI- aaj kal tu ANJALI ki kuch zyada hi baat nahi maanane lag gaya hai....
RONIT- abbe,isme baat maanane waali kya baat hai...class ka time ho gaya hai,toh pehle class hi jaayenge naa.....
MAI- kaisa b.f hai tu..ANJALI ko pyas lag rahi hai,aur tune dhyan bhi nahi diya..
wo canteen jaana chahti thi bas tere liye hi wo pehle class jaana chahti hai kyunki usse pata hai ki tu ECONOMICS me thoda weak hai........
meri baat sunkar RONIT turant ANJALI ki taraf palta....
ANJALI kuch bolne hi waali thi par RONIT uske kuch kehne se pehle hi shuru ho gaya...
RONIT- ANJU,tumhe pyas lagi thi aur tumne mujhe bataya bhi nahi....chalo jaldi canteen,class baad me hoti rahegi....
ANJALI- arre meri baat........
RONIT- jo bhi kehna hai paani peene ke baad kehna.....
ANJLAI- arre mujhe koi pyas nahi lagi hai...
RONIT- kya!!!!lekin V.J toh.......
idhar mai aur SHANAYA aur mai hase jaa rahe the.hasi toh AVANTIKA ko bhi aa rahi thi par usne khudko control kiya hua tha....
aur jaise hi RONIT ne meri taraf dekha,usse sab samajh me aa gaya...
MAI- kyun beta,ab class ke liye late nahi ho rahi hai tujhe......
RONIT- teri toh mai...........
par isse pehle ki RONIT mujh tak pahunchta,mai class ki taraf bhaag gaya....
ab tak AVANTIKA ne jo apni hasi daba kar rakhi thi,mere jaate hi wo bhi khulkar hasne lagi.......
first 3 lectures humne without break attend kiye......
aur third lecture ke baad hum paanchon ki mandli ne canteen me dera daala....
RONIT - yaar,aaj toh saare lectures bohot boring the....
MAI- abbe,tujhe kis din lectures ache lagte hain.......
RONIT- dekhna beta a+ aayega mera.....
MAI- haan,3,4 saal lagatar first year me mehnat kar,A+ zaroor aayega.....
meri baat sunkar sab has diye siwaay ..........
khair,issi tarah hum kuch der tak ek dusre ki taang khichte rahe.is douran AVANTIKA ne mujhse ek baar bhi baat nahi ki thi aur na hi mere jokes par usne koi reaction diya tha...aur is baat ko ANJALI aur RONIT ne bhi note kiya tha...
SHANAYA- guyz,mai kya kehti hun,bohot dino se bahar dinner nahi kiya hai??toh aaj raat kisi resturant me chalen kya?
?
ANJALI- good idea babes....chalte hain...what say guyz....
?
MAI- thik hai chalte hain,par resturant me nahi,dhaabe par......
SHANAYA- dhaabe par.....par wahan ka khaana hyginic nahi hota....
RONIT- arre kuch nahi hota.......balki resturant se 100 times zyada maza dhaabe me aata hai.....
hum teeno toh zyadatar dhaabe me hi khaana khaate hain.....
SHANAYA- ok then.dhaabe par hi chalte hain.....
AVANTIKA- guys,mai nahi aaungi.....
SHANAYA- kyun???
AVANTIKA- aise hi,man nahi hai......
SHANAYA- tera man nahi hai...!!!par tujhe toh dhaabe ka khana bohot pasand hai naa....
AVANTIKA- hai toh bas aaj mood nahi hai...
RONIT- toh kaun sa hame abhi jaana hai..raat ko jaana hai tab tak tumhara mood bhi ban jaayega....
par AVANTIKA mana karti rahi aur mere baaki ke dost usse manate rahe....
MAI- guyz guyz,ab usse nahi jaana hai toh usse force mat karo.aur yaar,dhaabe pe toh hume raat ko jaana hai,par filhal toh kuch pet puja yahin par ho jaaye....
RONIT- haan yaar,bhook toh lagi hai....bolo sab,kya kya khaoge???
maine RONIT aur ANJALI ko dekhkar kuch ishara kiya jisse wo dono samajh gaye....
ANJALI- tujhe kuch order karne nahi aata...chal mai bhi chalti hun.SHANAYA,tu bhi chal na...
MAI- maine jo bhi kiya uske liye mujhe bilkul bhi afsos nahi hai AVNI.......kisi ek nirdosh ke liye bhi mai jaan ki baazi laga sakta hun fir wahan toh baat pure PLANET ke logon ki thi...
tumhe toh khush hona chahiye ki maine apne liye nahi balki itne saare logon ke liye risk liya tha....
khud ke liye toh jaanwar bhi jeete hain,agar hum bhi apne baare me hi sochen toh humme aur jaanwaro me kya fark???
maine jo bhi kaha,usse ek baar thande dimag se sochna AVNI.aur agar meri baat sahi lage toh aaj dinner par aane ke liye haan keh dena....
iske baad hamare beech koi baat nahi hui.kuch der baad hamare dost aa gaye...
SHANAYA- waise kaun sa dhaaba jaayenge....
RONIT- NIRMAL DHABA...... south mumbai ka famous dhaaba hai....wahin jaayenge...
SHANAYA- ye hui naa baat...toh fir thik hai...hum 8 baje tak ready ho jaayenge....
iske baad kuch khaas nahi hua...hum sab ne 2 lectures aur attend kiye aur fir apne apne ghar nikal gaye....
AT NIGHT:-
AVANTIKA/SHANAYA-hey guyzz.........
HUM- hey......
ANJALI- wow yaar,u both are looking so pretty.....
SHANAYA- same 2 u darling..u too are looking gorgeus.....
dinner me jaane ke liye maine dad se unki SUV maang li thi aur ussi me hum teeno sharp 8 baje AVANTIKA ke ghar ke baahar pahunch gaye the.....
AVANTIKA aur SHANAYA gate par hi khade the...
kyunki hum dhaabe par jaa rahe the,isliye teeno ne hi long outfit pehne the....aur in dresses me teeno ladkiyan keher dhaa rahi thi.....
AVANTIKA aur SHANAYA,dono ANJALI ke saath piche baith gaye....
maine gaadi bhaga di aur kuch hi der me hum dhaabe ke saamne the....
ye dhaba thoda baahari ilake me tha.yahan par har kism ke log aate the....
aur aaj bhi dhaabe ke baahar khatiye par kaafi saare bande bandiyan baithe hue the...
maine car park ki aur hum sab utar kar dhaabe me pahunch gaye....
jitne bhi bande wahan baithe the,sabki nazar hamari teeno girls par theher gayi thi....
koi taarif ki nazar se dekh raha tha,toh koi hawas ke.....
unhi hawas bhari nazaron me se kuch nazar ek 4 ladkon ke group ka bhi tha jo humse kuch hi door par baithe hue the aur lagatar hamari girls ko check out kar rahe the....
SHANAYA- ye jagah toh full hai.....hum kahan baithenge...
abhi SHANAYA ne bola hi tha ki 2 ladke 2 khatiya liye hamare saamne aaye aur khatiya laga gaye....
SHANAYA- arre ye kaise???
RONIT- arre bola toh tha naa ki hum yahan aate rehte hain....
yahan ka saara staaf hame ache se jaanta hai......
SHANAYA - tabhi......
hum sab dono khatiya par baith gaye.....
wahin humse kuch hi door me jo 4 ladkon ka group baitha tha,wo abhi bhi hamari taraf hi dekh raha tha....
humare baithethe hi un ladkon me baat chit shuru ho gayi....
1ST LADKA- yaar kya totte hain naa.....
2ND- haan yaar..ek dum rabdi hain rabdi.....
3ND- saali aaj ki daaru ne bhi abhi tak apna asar nahi dikhaya par inhe dekhte hi suroor sa chaa gaya hai.....
4TH- mera toh man kar raha hai ki abhi utha lun dono ko.....
1ST- toh roka kisne hai???chal utha lete hain....
2ND- abbe bakwas band kar.dekh nahi raha kya unke saath do hatte katte bodyguards bhi hain....
3RD- haan yaar par kuch karo yaaron.mujhse toh sabar hi nahi ho raha....
4TH- ek kaam karte hain.....!!!!
fir usne baaki teeno ko kuch kaha jisse sunkar unhone haan me apni mundi hilayi....
idhar humne khaane ka order de diya tha.....
SHANAYA- yaar pehle hand wash waigairah toh kar len.....
yahan par wash rooms kis taraf hain???....
ANJALI- uski zaroorat nahi hai..
ye bolkar ANJALI ne apne purse me se hand sanitizer nikal kar SHANAYA ki taraf badha diya.....
SHANAYA- ye toh thik hai par fir bhi washroom toh jaana hi padega..
ye kehkar SHANAYA ne ANJALI ke kaan me bathroom lagne ki baat kahi...
ANJALI- wo dekho,us taraf girls ka hai.ANJALI ne ek taraf point kar diya.....
ANJALI ne jis taraf point kiya tha,wo dhaabe ke side se hote hue thoda peeche ki aur tha...
AVANTIKA- chal mai bhi chalti hun......
dono uth kar wash room ki taraf nikal gaye...
aur unke peeche peeche hi wo chaaron ladke bhi ek ke baad ek uthkar chal pade....
par kuch hi der me...........
AHHH........
AHHHHHH........
AHHHHHHHHH..........
AHHHHHHHHHHHHH............
abhi SHANAYA aur AVANTIKA ko washroom ki taraf gaye hue kuch hi time hua hoga ki hamare kaano me ye dard bhari awaaz padii...
ye awaaz ladkon ki thi jisse sirf humne hi nahi wahan baithe sabhi ne suni thi....
abhi koi us taraf jaakar maamle ka pata lagata ki tabhi wo chaar ladke jo SHANAYA aur AVNATIKA ke piche gaye the,wo fati tooti haalat me langdate par phir bhi thoda tez bhagte hue aaye...
wo chaaron ruke nahi aur side dhaabe ke bahar ki taraf bhaage aur apni car me baith bhaag nikle.....
un chaaron ke peeche peeche hi SHANAYA aur AVANTIKA bhi nikle par wo dono akele nahi the..unke saath me ek ladka bhi tha....
ANJALI- kya hua babes...tum dono se just pehle 4 ladke nikle the jinki haalat theek nahi thi aur ye kaun hai???
AVANTIKA- arre wo ladke jo abhi bhaage hain,humare washroom se nikalte hi unhone hume gher liya tha....
wo hamare saath battamizi karne ki koshish kar rahe the......
hume toh samajh hi nahi aa raha tha ki hum kya karen par tabhi ye wahan pahunch gaye aur inhone hi unhe maar maar kar bhaga diya.....
RONIT- un saalon ki toh.....thanks bhai,aapne hamari frnz ki help ki...
UNKNOWN- arre nahi bhai,ye toh mera farz tha.......
RONIT- by the way,i'm RONIT....she is ANJALI aur ye hai VIKRAM.......
UNKNOWN- hey guyzz...i'm AKSHAY.....
AKSHAY ne hum sabse baari baari haath milaya...
MAI- kamaal hai...naam bhi AKSHAY hai aur kaam bhi AKSHAY KUMAR waale hi karte ho....
meri baat par hum sab has diye....
jab usne hame bataya ki wo akela hi hai toh humne usse join karne ke liye kaha jisse usne maan liya....
baaton hi baaton me usne bataya ki wo manali se hai........
aur jab humara khaana aaya tab..........
AKSHAY- guyzzz..humari pehli mulakat ko aur khaas banane ke liye mere paas kuch hai...!!!
wait ek sec......
ye kehkar wo utha aur kahin chala gaya aur jab louta toh uske haathon me ek bottle thi....
usne wo bottle hamare saamne rakh di.....
RONIT- ye kya hai?
AKSHAY- ye hamari taraf milne waala ek khaas kism ka drink hai....aur isse khaas moukon par hi piya jaata hai......
AKSHAY ki baat sunkar mere frnz ek dusre ki taraf dekhne lage....
AKSHAY- kya hua??any problem...!!!
ANJALI- actually,humme se koi bhi drink nahi karta.....
AKSHAY- drink matlab???oh,i see.....u mean ALCOHOL?
arre yaar,ye koi hard drink nahi hai,soft drink hai...
hamare yahan ek KALOT naam ka fruit hota hai,ussise bana hai.....
RONIT- oh aisa hai,fir toh zaroor piyenge....
MAI- dikhao toh zara......
maine AKSHAY ke haathon se wo bottle hi aur usse dekhne laga...
bottle dekhne ke baad maine wo bottle saamne rakh di....
humne kuch glass mangwaaye,jisme us drink ko serve kiya gaya...
RONIT- arre waah,iska taste toh bada sahi hai.....
RONIT ki baat par sabne haami bhari........
kuch hi der me hum sabne milkar wo puri bottle khatm kar di.......
uske baad hum sabne khaana khaaya.is douran kuch khaas nahi hua....
AKSHAY- ok guyss,kaafi late ho gaya hai..mai chalta hun ab..kabhi manali aao,toh milenge....
apna khaana khatm karne ke baad AKSHAY ne ye baat kahi....
waise khaana toh sabhi ka khatm ho gaya tha bas RONIT bhai sahab abhi bhi khaa rahe the..
sabne AKSHAY se haath milakar bye kaha...
MAI- chalo,mai tumhe bahar tak chhod kar aata hun......
AKSHAY- iski kya zaroorat hai...
MAI- bilkul zaroorat hai......tumne hamare frnz ki madad ki,itni achi drink pilayi,itna toh banta hi hai...
RONIT- yaar,thodi der rook jaa na,mai khaalun,fir mai bhi saath chalta hun...
MAI- rehne de..tu khaa,mai chhod kar aata hun.....
mai aur AKSHAY parking ki taraf chal diye...
AKSHAY- thanks buddy...ab mai chalta hun...
ye kehkar AKSHAY ne meri taraf haath badha diya jisse maine thaam liya....
par jab usne haath wapas kheenchne ki koshish ki toh nahi kar paaya kyunki maine uska haath chhoda nahi tha.....
AKSHAY- kya hua yaar.haath toh chhodo....
MAI- pehle apni cheez toh wapas lete jao...
AKSHAY- meri cheez?
?
MAI- hmm....aur ye bolkar maine apna dusra haath aage kar diya aur uske agle hi pal mere haath me jo aaya usse dekhkar AKSHAY chownk gaya....
MAI- kya hua,lo.........
AKSHAY ne meri taraf hairat se dekhte hue mere dusre haath me jo chiz thi,wo le li....
AKSHAY- par isse toh abhi kuch der pehle...!!!!!
MAI- nahi piya tha.....
isse toh maine haath me pakadte hi gayab kar diya tha.....
WAPAS AA JAO...........
meri baat sun AKSHAY kuch bole ya kare,isse pehle hi uske kaano me ye awaaz gunj gayi...
AKSHAY aakhon me hairat liye hue hi gaayab ho gaya......
MAI- ye kya hai BHAI,itni jadli wapas bula liya usse..
khair mai jaanta hun ki tu ab bhi mujhe sun raha hoga,toh sun aur apni hairat se baahar aa....
humne jo piya,wo sach me manali ki ek khaas drink thi,KAAL DRAV nahi mere natkhat bhatije BEELZEBUB.........
Really v.j bhai mast update hain aur saari story mast hain aur bohat acche se likha hain aapne aur sare aeen bohat acchay order me aur bihat acche se pesh kiye ha . Avni ko aaj tayag aur balidan ka matlab pata chala to bully bhai ko unki harkat se choot mili.
AB TAK AAPNE PADHA KI EK TARAF JAHAN RONIT AND FRIENDS MIRROR KE PUCHE GAYE TEESRE SAWAL KA GALAT JAWAB DETE HAIN WAHIN VIKRAM APNI CHUNOTI JOKI AUR KUCH NAHI BALKI USKA HI NEGETIVE ROOP THA,USKE SAAMNE KHADA HAI
AB AAGE:-
FINAL CHAPTER
(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION)
MEGA UPDATE-107
PART-4
PLANET-MIRRORS WORLD
ADVENTURE CONTINOUS
KAASH........JO ROOP MAINE IKHTIYAR KIYA HAI,WO TUMHARI ASLIYAT HOTI TOH AAJ TUM AUR ASMODEUS EK SAATH MILKAR IS BRAMHAAND PAR RAAJ KAR RAHE HOTE....
mere saamne khade mere BLACK ENERGY ke roop ke mooh se ye baat nikli jisse sunkar mere chehre par smile aa gayi...
MAI-raaj toh hum dono bhayiyon ka ab bhi hai..is bramhaand ke har kone me uski bhi energy waas karti hai aur meri bhi....
aur rahi baat hum dono bhaiyon ke saath hone ki toh hum dono toh humesha saath hi hain thik nadi ke un do kinaron ki tarah jo hamesha saath saath hi rehti hai par kabhi ek nahi ho sakti.....
CLONE-bilkul ho sakti hai..aur uska tarika hai mera ye roop jisse agar tum apna lo toh dono kinare ek ho jaayenge....
MAI-is baat ko ghuma dete hain naa....ASMDOEUS bhi toh mera roop mera tarika ikhtiyar kar sakta hai...
aur yahi sahi bhi hoga kyunki uske ragon me behta BLACK ENERGY mere ragon me behte WHITE ENERGY se hi toh bana hai....
CLONE-mai jaanta tha ki tumhara aisa hi kuch jawab hoga...
MAI- phir bhi bewakufon ki tarah apna paksh rakhne lage...mujhe afsos ho raha hai ki tum mera roop ho....
meri taakat ko toh copy kar liya par mere dimag aur uski soch ko nahi.....tumhe khud ko upgrade karne ki zaroorat hai bacche.....
CLONE- tum bhul rahe ho ki mere andar tumhari saari shaktiyan hain par saath hi mere andar BLACK ENERGY ka bhi bhandaar hai....
kisse upgrade hone ki zaroorat hai,ye kuch hi der me tumhe pata chal jaayega.....
CLONE ki baat sun mai halka sa muskura diya aur agle hi pal.......
SHMMMMMMM...SHMMMMMM..............
CLONE ne mere upar ek saath kayi saare agni astra chhode aur ye astra usne apne haathon se nahi balki apni aankhon se chhode the...
par mai toh issi ke intazar me tha....jaisa ki maine bataya tha ki aakraman karne ke liye mai pehle se naa toh koi astra ka istemal kar sakta tha aur naahi koi SPELL uccharit kar sakta tha...
par khudko defend karne ke liye mai kuch bhi kar sakta tha aur ab uska samay aa gaya tha....
jo agni astra tezi se meri taraf badh rahe the,mai unhe ek tak dekhne laga...
mere aisa karne se wo agni astra apna roop badalne lage..
jahan abhi tak wo ek bhaale ke roop me meri taraf badh rahe the,wahin ab unhone ek dusre se judkar khudko ek circle ka aakar dena shuru kar diya tha ya fir ye kahun ki maine unko us aakar me badal diya tha.....
mere paas aate aate naa sirf un agni astron ne puri tarah se ek bade se circle ka roop le liya tha balki unki raftaar bhi kaafi kam ho gayi thi....
aur jaise hi wo aag ke circles mujhe chhune ko hue,mai t urant neeche ho gaya..
mere neeche hote hi wo circles mere sir ke upar se hote hue mujhe cross karne lage par isse pehle ki wo mujhe cross karte,mai jhat se wapas upar uth gaya...
mere upar uthte hi ab mera sir us circle ke baach me tha...
circle ke beech me aane ke baad maine us aag ke circle ko rok diya....
wahin mera CLONE jo meri chaal ko samajhne ki koshish kar raha tha,us aag ke circle ke rookne ke agle hi pal usse sab samajh me aa gaya..
toh hua ye ki us aag ke circle ko rokne ke baad mai us circle ko apne chaaron taraf ek bade se maala ki tarah lapete hue aage badhne laga..
mere aage badhte hi wo aag ka circle bhi bina mujhe chue mujhe chaaron taraf se ghere hue aage badh gaya.....
mera negtive roop dhaaran kiye hue mera CLONE meri chaal samajh gaya tha....
wo jaan gaya tha ki maine uski prahar ko ussike taraf mod diya hai....
aur saath saath wo meri neeti ko bhi samajh gaya tha..wo samajh gaya tha ki kyunki mai abhi ussike chhode hue astra ke ghere me hun,isiliye filhal wo mujhpar koi dusra waar nahi kar sakta..
kyunki uska kiya har waar us aag ke ghere ko chukar ussime sama jaayega....aur isiliye........
usne apna haath aage kiya..uske aisa karte hi uske haathon se ek neeli rang ki ray nikli aur meri rataf badh gayi..
ye ray us aag ke circle ko bujhane ke liye thi jo mujhe ghere hue chal rahi thi....wo neeli ray tezi se meri taraf lapki aur agle hi pal....
DHAPP............
ye awaaz aur kisi ki nahi balki mere hi negetive roop ke body se aayi thi....
reason.....neeli ray ke aag ke circle se takrane se mere aas paas ek tez prakash fail gaya....
ye tez prakash us nili ray ke mere aag ke circle se takrakar usse khatm hone se nahi hua tha balki nili ray aur aag ke circle ke chuwan se bane ek nayi ray jo ki ek kism ka astra tha,uski wajah se hua tha......
darasal jis aag ke circle ne mujhe ghera hua tha,us ghere ke andar ki taraf par maine apni shakti ki kuch urja ko lapet diya tha....
neeli ray ke aag ke circle ke takrane par meri shakti se bani urja activate ho gayi aur us aag ke ghere ko cheerte hue wo shakti urja mere negetive roop ke chhode gaye neeli ray se takrayi jisse mere har taraf prakash fail gaya.....
par wo prakash ka daayra tezi se aur zyada badhne laga..mere negetive roop ko laga ki ye sab bas shaktiyon ke aapas me takrane ki wajah se ho raha hai aur yahin wo dhoka khaa gaya.....
wo prakash ka daayra jo ki asal me ek FAANS ASTRA tha,wo badhta hua aage badhta gaya aur jaise hi us prakash ne mere negetive roop ko chhua....
THAAP ki awaaz ke saath usse ek jhatka laga aur isse pehle ki wo kuch samajhta,us prakash ne jo ki ek FAASN astra the usne usse khudme lapet liya...
ab mera negetive roop ek adrishya bandhan me bandha hua tha....
par mujhe maalum tha ki is bandhan ko todna uske liye koi badi baat nahi thi isiliye........
isse pehle ki mera negetive roop us bandhan se khudko azaad karne ke liye koi SPELL bole......
BANDHYAM SVAZAKTI
IMPRISON OWN ENERGY
maine is SPELL ko uccharit kiya.....aur agle hi pal.....
VIMUKTI
RELEASE
ye SPELL mere negetive roop ne bola tha....uske SPELL bolte hi wo adrishya bandhan jisne usse baandha hua tha,wo wapas khulne lagi par tabhi.....
meri SPELL ne apna kaam karna shuru kar diya....jaise hi wo bandhan khulne lagi,mere SPELL ne wapas us bandhan ko dhakka dekar wapas mere negetive roop ko baandh diya...
ye sab dekh ek pal ke liye mera CLONE shocked ho gaya par agle hi pal uske chehre par ek kutil muskaan naach gayi...
CLONE-waah,kya baat hai....
?apni shakti se jo ki is waqt mere bhi andar hai,ussise mere har taraf ek jail bana diya....
par teri ye chaal mujhse kahin zyada teri liye nuksaandaayi hai....kyunki thik jaise mai is ghere me kaid hun,tu bhi is mayavi paani me kaid hai....
aur ek baat tujhe bata dun,jis maayavi paani me tu is waqt khada hai,wo teri chunoutiyon ki aakhri sidhi hai.....
par afsos,tu kabhi is chunouti ko paar hi nahi kar paayega aur hamesha ke liye mere saath is paani ki anthin duniya me khokar reh jaayega.....
yahan se nikalne ke liye tujhe mujhe maarna hoga par tu aisa nahi kar sakta kyunki mujhme teri jitni hi shakti hai..
agar mai mar sakta hun toh bas us urja se jo ki tere andar hai par jaise hi tune us urja ko baahar nikala,toh uska sparsh is laal paani se ho jaayega aur aisa hote hi tu ye chunouti haar jaayega...
HAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHA...............
apni baat keh mera negetive roop zor zor se hasne laga....
HAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAAAA..
ye hasi mere negetive roop ki nahi balki meri thi jisse sun CLONE ki naa sirf hasi rook gayi balki wo aascharyachakit hokar mujhe dekhne laga....
MAI-tujhe meri shakti toh mil gayi par dimag ka kya???mera dimag na toh tu copy kar sakta hai aur naa tera rachaita......
aur raha sawal mere yahan se baahar nikalne ka,toh aise chote mote chakravyuh se bhi agar mai baahar nahi nikal paaya toh laanat hai mujhpar......
apni baat keh mai aage nikal gaya..kyunki wo jail maine banaya tha,toh uske andar jaana mere liye koi badi baat nahi thi..
mai bina kisi mushkil ke us adrishya jail ke andar chala gaya aur thik mere CLONE ke saamne jaakar khada ho gaya....
jahan mere chehre par muskaan thi wahin mera CLONE ye samajhne ki koshish kar raha tha ki mai kya karne waala hun....
?
MAI- zyada mat soch..jo bhi hoga,wo hote hi tujhe pata chal jaayega...
apne aap ko mere saamne laane se pehle jo dialouge mere negetive roop ne bola tha,maine bhi ussiki tarah ki baat usse kahi...
aur isse pehle ki mera CLONE kuch kehta ya fir react karta.....
mai aage badha aur jhat se apne CLONE ke gale lag gaya....
ye koi normal hug nahi tha,maine apni puri taakat se usse gale lagaya tha...
aur koi hota toh meri giraft ki wajah se kab ka mar gaya hota par kyunki saamne waale bande ke andar meri hi shaktiyan thi,isiliye usse kuch khaas fark nahi pada...
par mujhe khudko yun zor se gale lagata dekh wo khudko mujhse chhudane ki koshish karne laga par meri shakti aur saath saath us adhrishya bandhan ki wajah se wo kaamiyab nahi ho paaya...
aur tabhi........
VIMUKTI......
RELEASE.....
ENTER......
PRAVIZATI.....
jo SPELL kuch der pehle mere CLONE ne kaha tha,wo ab maine kaha aur mere SPELL ke uccharit karte hi.......
NAHIIIIIIIIIIIIIIIII........................
BOOMMMMMMMM................
pehli awaaz ya fir ye kahun ki wo cheekh mere giraft me chatpata rahe mere negetive roop mere CLONE ki thi...
toh hua ye ki mere SPELL uccharit karte hi mere body se meri LORD OF ANGELS ki urja baahar nikli par kyunki is waqt mai apne CLONE ke body se sata hua tha,isiliye us urja ka sparsh laal paani se nahi hua...
meri urja mujhse chipke khade mere CLONE ki body ko chune lagi aur tabhi maine PRAVIZATI ka SPELL bola jisse meri urja sidhe mere CLONE ke andar ghus gayi.....
ab meri urja toh koi WHITE ENERGY ka dhaarak bhi ek second ke liye tak nahi jhel sakta toh fir mere ssamne wala toh BLACK ENERGY ka dhaarak tha....
mere urja ke uske sharir ke andar ghuste hi ek tez dhamaka hua aur fir sab shaant.....
us dhamake ke saath pehli chiz ka ant ho gaya aur dusri chiz apne ant ko lapet rahi thi....
pehli chiz matlab mera negetive roop jo ab khatm ho chuka tha aur uske khatm hote hi meri urja wapas mere andar sama gayi...
kyunki mere negetive roop ko maarkar maine apni chunouti ko pura kar liya tha isiliye meri urja ke laal paani ko chune ke baawjud kuch nahi hua..
dusri cheez matlab wo LAAL PAANI jo ab tezi se wapas khud ko sockh rahi thi.....
kuch hi palon me us laal paani ne khudko puri tarah se sokhte hue wapas mujhe ussi jagah par laakar khada kar diya jahan mai is chunouti ke shuru hone se pehle khada tha....
chunouti ko paar kar us maayavi samandar se nikal maine chain ki saans ki hi thi ki tabhi.......
mujhse kuch door par ek roshni chamki aur uske dusre hi pal wahan kuch ban gaya jisse dekh mere chehre par muskaan naach gayi...
mai chalte hue us jagah pahunch gaya jahan abhi abhi kuch bana tha...
jo roshni chamki thi aur usse jo chiz bani thi wo aur kuch nahi balki ek MAGIC DOOR tha jiske dusri taraf ek chiz dikh rahi thi jisse dekhkar mere chehre par muskaan aa gayi thi....
mai chalte hue us MAGIC DOOR ke dusri taraf aa gaya..mere dusri taraf aate hi wo MAGIC DOOR band ho gaya.....
mai abhi bhi ek tak us chiz dekh raha tha...kuch der tak usse dekhne ke baad mere honth hile......
MAI- FINALLY MERI SWORD MERE SAAMNE HAI.....
BACK TO FRIENDS:-
CHOUTHA SAWAL-AISA KYA HAI JISSE TUM DENE KE BAAD BHI RAKH SAKTE HO?
?
MIRROR ne apna choutha sawal mere doston ke saamne rakh diya tha par ye kya????mere dost toh zamin par pade tharthara rahe the....
apni shakti ke kuch ansh ke nikalne ki wajah se jo asahaniya dard unhe hua tha,ab wo dard ek naa khatm hone waali thakan me badal gaya tha jiski wajah se mere dost zamin par pade lambi lambi saansen bhi le rahe the aur tharthara bhi rahe the...
chaaron ne khade hone ki koshish bhi khi par unke pairon ne unke sharir ke bojh ko uthane se mana kar diya tha.....
in sab ke beech MIRROR ka pucha gaya sawal sirf aadha hi un sabke dimag me gaya aur adha unke upar se nikal chuka tha....
ye sab DHANUR bhi us mayavi parde ke through dekh rahe the.chinta ki rekhayen unke chehre par saaf dekhi jaa sakti thi....
wo jaan gaye the ki mere doston ne MIRROR ke dwara puche gey sawal ko dhang se suna tak nahi hai toh fir jawab dena toh bohot door ki baat hai.....
wo ye bhi jante the ki MIRROR apna sawal dobara nahi dohrayegi aur agar jaldi hi mere doston ne jawab dene shuru nahi kiye toh unke teen mouke unse chhin liye jaayenge...
aur isiliye......
DHANUR-mai jaanta hun ki is waqt tum sab ki haalat kaisi hai???khud hi ki shakti ke cheen jaane se tum sab andar tak hil gaye ho...
kintu aisa toh hona hi tha....puraskar jitna bada hota hai,usse paane ki keemat bhi utni hi kathin hoti hai.....
tum sab jis maksad se yahan aaye ho.agar us maksad me kaamiyab hona hai toh utho aur apne man ko shaant kar MIRROR ke puche gaye sawal ka jawab do.......
wo kya hai jisse tum dene ke baad bhi rakh sakte ho???yahi hai tum sab ka sawal...ab apna dhyan kendrit karo taaki is sawal ke jawab ko de sako......
DHANUR ki baat sun mere doston ko MIRROR ka pucha sawal jsika aadha hissa un sab ke sir ke upar se nikal gaya tha,wo ab clear ho gaya tha par ab bhi wo is condition me nahi the ki apne man ko shaant kar is sawal ka jawab dhund saken....
ye sab dekh DHANUR ek baar firse kuch kehne hi waale the ki........
MIRROR-baar baar bataye jaane ke baawajud tum sab har prashn ke uttar ko dene me bohot zyada vilamb kar rahe ho.....
isiliye ab tum sabko tumhare har mouke ka upyog karne ke liye kewal 60 pal milenge...
agar 60 palon me bhi tumne jawab nahi diya toh tumhara wo mouka radh ho jaayega....
aur agle mouke ke 60 pal shuru ho jaayenge...
is sawal ke tumhare pehle mouke ke liye tum sabne atyadhik samay le liya hai isiliye tumhara pehla mouka radh kiya jaata hai..
tumhare dusre mouke ke 60 pal shuru hote hain ab..........
ab ye ek naya niyam laagu ho gaya tha jo kahin na kahin sahi bhi tha..MIRROR ke lagatar aagah karne ke baawajud mere dost bohot zyada waqt le rahe the...
aise me MIRROR ka koi naya aur kada niyam banana toh banta hi tha....jaisa ke MIRROR ne bataya ki un sab k pehla mouka khatm ho chuka tha aur ab bas do mouke bache the...
MIRROR ke ghoshna ke baad se hi DHANUR lagatar mere doston ko sawal ko samajhne aur jawab dene ke liye protsahit kar rahe the....
mere dost bhi ab is time limit me apne dimag ke jitne ghode dauda sakte the,wo sab douda rahe the par unhe MIRROR ke sawal ka koi jawab sujh hi nahi raha tha aur tabhi.....
MIRROR- dusre mouke 60 pal samapt hue....tum sabke teesre aur aakhri mouke ke 60 pal shuru hote hai ab.....
MIRROR ki awaaz aur baat sun mere doston ko ek jhatka laga...
jo thakawat aur kamzori wo sab mehsoos kar rahe the,wo ek jhatke me gaayab ho gayi...
aisa hone ki do wajah thi..pehli toh yahi ki wo sab bina koi jawab diye haarna nahi chahte the aur dusri wajah thi dar...
dar dobara us dard se guzarne ka jisse wo sab abhi abhi guzre the....mere chaaron dost tezi se apne dimag ke ghode doudate hue MIRROR ke sawal ke jawab ko talashne ki koshish kar hi rahe the ki tabhi RONIT ke dimag ke dimag me jaise ek bijli si koundhi par isse pehle ki wo kuch kehta......
MOKALSAR-jawab hai khushi......
RONIT se pehle MOKALSAR ne jawab de diya....
par MOKALSAR ke mooh se jawab sun jahan ek taraf AKSHAANT aur SHAILA ummid lagaya MIRROR ki taraf dekhne lage wahin RONIT ne apna maatha peet liya.......
hamesha ki tarah MOKALSAR ke jawab dene ke baad kuch der tak khamoshi rahi aur fir.....
MIRROR-GALAT JAWAB.......
SAHI JAWAB HAI
VACHAN............
jahan MIRROR ke dwara galat jawab sun AKSHAANT.MOKALSAR aur SHAILA nirash ho gaye the wahin sahi jawab sun teeno shocked ho gaye.....
reason...ye jawab MIRROR ne nahi RONIT ne diya tha..aur jawab dene ke baad afsos waali nazaron se mere doston ki taraf dekh raha tha....
RONIT- agar aapko kisi faisle se taklif ho,par fir bhi saamne waali ki khushi ke liye aap us faisle ko maan jaaye toh wo khushi aap sirf saamne waale ko hi de sakte hain,khud nahi rakh sakte....
aise me KHUSHI kaise jawab hua??
MIRROR-jabki VACHAN hi ek aisi chiz hai jisse aap dete toh saamne waale ko ho par wo rehti aap hi ke paas hai...
RONIT ki baat ko MIRROR ne pura kiya......
AKSHAANT- jab tumhe jawab pata tha toh bola kyun nahi.....
RONIT- jaise hi mere dimag me ye jawab aaya,thik ussi waqt MOKALSAR ne bina vichar vimarsh kiye jawab de diya....
RONIT ki baat sun MOKALSAR ka sir neeche ho gaya.....
MOKALSAR- mujhe maaf kar do..mujhe sayam.......AHHHHHHHHHHHH............
AHHHHHHHHHHHH............
AHHHHHHHHHHHH............
AHHHHHHHHHHHH............
MOKALSAR ki baat puri hoti usse pehle hi uske saath saath baaki ke teeno ki bhi dard bhari cheekh har taraf gunj uthi....
us maayavi rope ne jisne mere doston ko lapet rakha tha,usne apna kaam kar diya tha....ab mere doston ki shakti ka aadha bhaag us rope ne unse kheench liya tha...
is baar dard itna zyada tha ki mere chaaron dost us dard ko naa jhel pakar behosh ho gaye...
par ye behoshi me milne waali chain bhi mere doston ke nasib me nahi thi kyunki unke behosh hote hi rope se ek current nikli jiske mere doston par padte hi chaaron ko ek jhatke me hosh aa gaya...
is waqt dard ki lakeeren mere doston ke chahre par saaf dekhi jaa sakti thi par wahain mere doston ko sab kuch dhundala dhundala sa dikh raha tha....
wo chaaron bohot zor zor se saansen le rahe the maano milon lambi doud lagakar aaye hon...aur aise me mere doston par zara sa bhi rehem naa dikahate hue.....
MIRROR-PAANCHVA SAWAAL.......
wo kya hai?
jo andha bhi hai,
behera bhi hai,
aur gunga bhi hai
par bolta hamesha sach hai.....
is antim sawal ke pehle mouke ke 60 pal shuru hote hain ab!!!!!
pichli baar toh mere doston ne kamsekam sawal ka aadha hissa suna bhi tha,par is baar un sab ki haalat itni zyada kharab thi ki MIRROR dwara pucha gaya aakhri sawal ka koi bhi bhaag unke kaano tak jaise pahuncha hi nahi tha....
sabhi apni bachi hui shakti ko samet kar khudko kaabu me karne ki koshish kar rahe the...
aur insab ke beech unke pehle mouke ke liye diye gaye 60 pal nikalte jaa rahe the..
aur is baat se DHANUR awgat bhi the aur pareshaan bhi...wo is baat ka bhi andaza ho gaya tha ki mere doston ne apne is BUDHI MANTHAN ke chunouti ka aakhri sawal jispar un chaaron ki puri niyati nirbhar hai,wo suna tak nahi hoga aur isiliye.....
DHANUR-wo kya hai jo andha bhi hai,
behera bhi hai,
aur gunga bhi hai
par bolta hamesha sach hai.....
!!!!!
DHANUR ne is paheli ko lagatar do baar dohraya...
iske alawa unhone kuch bhi nahi kaha kyunki wo jaante the ki is waqt koi bhi motivational baat mere doston par kuch khaas asar nahi karegi...
wahin mere dost jo ki apne aap ko sambhalne me lage hue the,unhe bhi abhaas ho gaya tha ki MIRROR ne apna aakhri sawal bol diya hai jo unhone nahi suna hai....
aur is vichar ke man me ubharte hi sabhi ghabra se gaye the..wo jaante the ki is antim sawal par unki zindagi tiki hui hai...
kya karen kya naa karen,issi gutthi ko wo chaaron suljhaane ki koshish kar hi rahe the ki itne me un sab ke kaano me DHANUR ki tez awaaz gunji jisme unhone paheli dohraayi thi....
paheli ke dobara kaano me padte hi sabhi ke chehron par rahat ke bhaav aaye par ye rahat shanik hi thi....
ab paheli toh sabne sunli thi par suljhana abhi baaki tha aur ye asaan nahi hone waala tha....
par fir bhi chaaron ne kisi tarah khudko andar se mazboot kar paheli ke jawab ke baare me sochna shuru hi kiya tha ki....
MIRROR- pehle mouke ke 60 pal samapt hue.....dusre mouke ke 60 pal shuru hote hain ab.....
chaaron ne khudko andar se mazboot banakar paheli ka answer dene ke liye focus kiya hi tha ki MIRROR se nikli awaaz sunkar charon ke manobal ek baar firse gir gaye....
ye baat parde par DHANUR ne bhi notice ki thi isiliye...
DHANUR- ye mat socho ki ek mouka chala gaya..ye socho ki ab bhi tum sab ke paas do aur mouke hain jinka matlab hai do zindagi....
in do zindagiyon ke beech tum sab ka bhavishya latak raha hai...ab afsos karna chhodo aur in baaki ke bache do mouko ka pura laabh uthao....
DHANUR ki baaton se aur waqt ke fisalte lamho ki ehmiyat samajh kar mere chaaron dost ek baar firse khudme confidence bhar paheli ke answer ke baare me sochne lag gaye..
par har beetate waqt ke saath saath mere doston ka confidence wapas girne laga tha....
abhi unsab ko sochte hue kuch hi pal guzre the ki...
MIRROR- dusre mouke ke 60 pal samapt hue.....teesre avum antim mouke ke 60 pal shuru hote hain ab.....
ek baar fir ye awaaz har taraf gunj uthi par is awaaz ke gunjte hi mere doston ke dilon ki dhadkan maano rook si gayi....
jahan ek taraf SHAILA,MOKALSAR aur AKSHAANT ne toh jaise ummid hi chhod di thi wahin RONIT dusre mouke ke khatm hone ki baat sunkar bhi sochne me laga hua..
haarne ke dar se tention lene ka koi faayda nahi hai,yahi soch ko apna mulmantra bana kar RONIT paheli ko sujhaane me laga raha....
par kareeb 40 seconds nikalne ke baad bhi jab RONIT kisi natije par nahi pahuncha toh uska confidence ladkhadane laga...
wahin SHAILA MOKALSAR aur AKSHAANT toh pehle hi haar maan chuke the......
SHAILA-itne saare pratidwandiyon ko haraane ke baad maine kabhi nahi socha tha ki ek din mai ek AAYINE ek DARPAN se haar jaaungi......
SHAILA ki baat par koi apni pratikriya deta ki tabhi.....
MIRROR- antim 10 pal shesh hain......
MIRROR ki awaaz gunjte hi sabhi ko ek jhatka laga par is jhatke ke kaaran do hisso me bate hue the..
ek hissa tha SHAILA,MOKALSAR aur AKSHAANT ka jinhe jhatka MIRROR ki kahi gayi baat se laga tha...
wahin dusre hisse me akela RONIT tha jisse jhatka lagne ka kaaran MIRROR ki kahi gayi baat nahi balki SHAILA ki kahi gayi baat thi...
REASON.....aayiye khud jaan lijiye......
RONIT-arre ye mere dimag me pehle kyun nahi aaya.....thank u SHAILA....anjaane me hi sahi,jawab toh tumne khudhi de diya...
RONIT ki baat kisi ko samajh me nahi aayi par abhi RONIT ko un sab ko explain karne ka waqt nahi tha isiliye....
RONIT-jawab hai DARPAN,AAIYNA,MIRROR.......
darpan naahi dekh sakta hai,na hi bol sakta hai aur naahi sun sakta hai par fir bhi hamesha sach bolta hai........
RONIT ki baat sun mere baaki ke teeno doston ko shock laga.....ussi shocking expression ko carry karte hue un teeno ne pehle RONIT ko dekha aur uske un teeno ki nazaren MIRROR ki taraf palat gayi....
wahin hamesha ki tarah RONIT ke jawab dene ke baad hamesha ki tarah kuch der tak khamoshi chaayi rahi aur uske baad.....
MIRROR-SAHI JAWAB......CHUNOUTI PURN HUI......
MIRROR ki baat sunkar mere doston ke man me khushi ki leher doud gayi..teeno prashanshniya bhaav liye RONIT ko dekhne lage....
par tabhi.........
AHHHH....AHHHH......AHHHHH.....AHHHH......
ye awaaz bhi mere doston ke mooh se hi nili thi par is baar ye cheekh nahi bas ek halki si awaaz thi aur reason....
jo shaktiyan MIRROR ne mere doston ki jo shaktiyan us mayavi rope ke maadhyam se kheench li thi,usse usne ussi rope ke maadhyam se mere doston ko waapas kar di thi...
apni shakti ke wapas apne sharir me sancharit hone ki wajah se mere doston ke mooh se ye awaaz nikli thi...
par jaise hi mere doston ki shakti unke sharir me wapas gayi,sabhi ki thakan bhi puri tarike se gaayab ho gayi....
wahin mere doston ko unki shakti louta wo maayavi rope bhi gaayab ho chuki thi...
rope ke gaayab hote hi mere chaaron dost ek dusre ke gale lag ek dusre ko badhayi de rahe the ke tabhi....
jahan MIRROR tha,wahan par tez prakash fail gaya aur us prakash ke kirano ne ek baar firse mere doston ko kheench liya aur kuch hi der me mere dost ek nayi jagah par khade the..
ye jagah ek khaali hall jaisa tha jiske dono side me 2,2 rooms bane hue the........
pehle toh mere doston ki nazar us hall me hi ghumti rahi par jaise hi unki nazar ghumte hue un chaar rooms me gayi,toh chaaron chownk gaye..
reason......har room ke upar mere ek ek dost ka naam likha hua tha....par saath hi ussi naam ke upar har room me do common words likhe hue the.....aur wo do words the...