• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ATTITUDE.....( MAGIC + ROMANCE )(Completed)

Jitu kumar

Active Member
1,946
6,493
143
AB TAK AAPNE PADHA KI KIS TARAH SHAILA AUR AKSHAANT APNE HI MAHAL ME KAID HO JAATE HAIN WAHIN VIKRAM APNE MOM DAD AUR RONIT KE SAATH WAPAS JAANE KE LIYE READY HO JAATA HAI....






FINAL CHAPTER





(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION)




UPDATE-95





PLANET- EARTH





PLACE-MINAKSHI MANSION





MOM DAD........YE KYA TARIKA HAI....AAP DONO EK SAATH DO DO BAATEIN BHUL GAYE....



meri baat sunkar mom aur dad jo ki abhi bhi aadhe neend me hi the,wo apni aadhi khuli aankhon se ek dusre ki taraf dekhne lage...ab jab ek dusre se koi jawab nahi mila toh....



DAD- kya tarika???aur kaun si do baat?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png




MAI- pehli baat ki ab mai koi chota baccha nahi raha aur dusri ye ki ab aap dono mere bachpan ke time jaise jawan nahi rahe...

aap dono ne puri raat yun aadhe baithe aadhe lete position me guzar di...aise me toh aapki body akad jaayegi....


MOM- aisa kuch nahi.......ahhhh......



MOM ke mooh se ek karaah nikal gayi..wajah...jaise hi wo uthne ko huin toh unki kamar jo raat bhar weird position me rehne ki wajah se akad gayi thi,usme pain hua....

maine mom ko sahara dekar uthaya aur jab dad ki taraf dekha toh mujhe hasi aa gayi par mai hasa nahi....

dad bhi apne kamar ko apne haathon se press kar rahe the par mujhe khudki taraf dekhta dekh unhone apne haath hata liye....


MAI- dad,dard hai toh hai..chupaane se kya faayda...aap dono aaram se yahin so jaayiye..mai chala gym....

dada aur mom kuch kehna chahte the par maine dono ko bolne nahi diya...maine mom ko apne bed par sula diya..dad toh already bed par hi the wo bhi mom ke side me thik se let gaye...

maine dono ko warning diya ki aaj wo dono sirf rest karenge....mom ke liye no kitchen aur dad ke liye no office....ye bol mai room se nikal gaya aur chal pada gym ki taraf....



chaliye jab tak mai gym me pahunchta hun,aap sabko bata deta hun ki kal mere aur RONIT ke hotel se jo ki ab hamara hi tha, nikalne ke baad kya kya hua???



A SMALL FLASHBACK FROM YESTERDAY TILL NOW....





mujhe aur RONIT ko saath saath baahar aate dekh mom dad khush ho gaye..jahan mom ne baari baari se mera aur RONIT ka maatha chuma wahin DAD ne hum dono ko hug kiya....

ek ghante ki drive ke baad hum airport me the....is dauran mom dad ne mujhse mere pichle 7 mahino ki activity ke baare me sab kuch pucha..

unhe ye toh pata chal gaya tha ki mai kahan job karta tha,wo ye jaanana chahte the ki mai rehta kahan tha...travel kaise karta tha wagairah wagairah...

maine unhe bas itna kaha ki mujhe ek quarter saste me mil gaya tha aur mai paidal ya auto se travel karta tha...

meri baat sunkar mom dad ek baar firse sad ho gaye par mujhse dobara milne aur apne saath wapas le jaane ki khushi ke saamne unki udasi zyada der tak tik nahi paayi....

mom dad ko toh maine jhuth bolkar tarka diya tha par RONIT ko ye pata tha ki mai jhooth bol raha hun....

wo jaanta tha ki naa mujhe rehne ke liye jagah chahiye aur naahi mujhe travelling karne ke liye kisi chiz ki zaroorat hai...

usse ye bhi andaza ho gaya tha ye jo job mai kar raha tha wo mera ek cover hi tha...

cover jisse mai sabke nazar me normal dikh sakta tha....par do sawaal aise the jo RONIT ke zehen me lagatar chal rahe the....



pehla toh yahi ki AVANTIKA ne usse thanks kyun kaha aur wajah puchne par ye shart kyun rakhi ki agar wo V.J ko saath laane me kaamiyab rahe tab wo uske kahe thanks ka reason batayegi...



aur dusra sawal....!!!!wo aap kuch der baad RONIT ki zubaani hi sun lijiyega.....



khair,airport pahunch apni plane me baith hum sab wapas MUMBAI aa gaye..ghar pahunchte pahunchte hume raat ke 1 baj gaye the par.....

jaise hi hum chaaron hall me ghuse,hamari teeno family hume wahan humare intazar me baithi mili....

NAANU,NAANI,meri gudiya AASHI,MAMA ,MAAMI,sabhi wahan moujud the....

mera dil itne dino baad dabko dekh kar bohot khush tha par dimag ko kaabu paane ki koshish me emotions par bhi kaabu paana hota hai,is wajah se mai normal hi raha...

mila mai sabse but normally....mujhe aise dekh sabko thoda dukh toh hua par mom dad ki hi tarah mere wapas aane ki khushi us dukh se kahin upar thi...

jab SAVITA AUNTY mere paas aayin toh mai thoda nervous hua tha..REASON....last time jo maine unke bete ke saath kiya tha aur uske baad jo harkat ki thi wo aaj bhi mere zehen me taaza thi...

ek toh waise hi mera dimag thoda out of control tha uspar aunty ka mere saamne aana,mujhe samajh me hi nahi aa raha tha ki mai kaise react karun par......

iski zaroorat hi nahi padi....mere paas aakar SAVITA AUNTY ne mera maatha chuma aur mujhe gale laga liya...mai unka pyar,mujhe gale lagate hi unke nikalne waale aansuon ko mehsoos kar sakta tha....

maine kuch kaha toh nahi par wo un do logon me se ek thi jinhe dekhkar mai muskuraya tha....aur mujhe muskurata dekh mere saare gharwaale bohot khush hue the....

jaisa ki maine bataya ki SAVITA AUNTY un do logon me se ek thi jinhe dekh mai muskuraya tha....

unke alawa NEHA AUNTY (ANJALI'S MOM) jab mere paas aayin toh maine saamne se unhe gale laga liya tha....unke dard sa dard aur kisiko naa tha...

kahin naa kahin unki haalat ka zimmedar mai bhi tha....itna tez dimag hokar bhi mai ASMODEUS se ek baazi haar gaya tha....

haara mai aur saza meri dost ko mili..mere pure pariwar ko mili.....khair,NEHA AUNTY aur HARPREET UNCLE se milne ke baad mai apne room me chala gaya.....

jahan sabhi gharwaale mujhe normally dekh rahe the,wahin R0NIT maatra hi aisa tha jo mere saare haav bhaav ko dhyaan se note kar raha tha...

sabse milte waqt RONIT mere chehre ko gaur se dekh raha tha....usse andaza ho raha tha ki mai khudko control kar raha hun....

par kyun,ye wo samajh nahi paa raha tha par ek natije par wo confirm ho gaya tha aur wo ye ki mere saath kuch bohot bura hua hai...

kuch aisa jo usne kabhi socha nahi tha....aur usse ye bhi pata tha ki mujhse wo kuch pata nahi kar paayega par uske zehen me ek chehra ghum raha tha jo usse saari sachayi bata sakta tha...AVANTIKA........

yahan mai apne rooms me tangi meri RONIT aur ANJALI ki photos dekh hi raha tha ki mom aur dad mere paasaaye...

dono ne zidh ki ki aaj wo mere saath soyenge....maine mana kiya par wo dono nahi maane....aakhir me haar maan mai bed par let gaya....

jahan dad mere right side bed par sirahane me baith mera sir sehlaane lage wahin mom mere pair ke paas baith kar mere pair dabane lagin....

maine dono ko ye sab naa karne dene liye uthna chaha par pehle toh dad ne mere sir par haath rakh mujhe uthne nahi diya par fir bhi mai jab naa maana toh mom ne apni kasam de di...

maine ek lambi saans chhodi aur chupchaap let gaya...pichle 7 mahino se mai raat ko soya nahi tha..har raat mai ek jagah jaakar dhyan me baithta tha par aaj aisa posiible nahi tha....

dusri taraf mom dad ka yun care mere dimag ke andar khalbali sa machane laga aur khudko control me rakhne ke liye mai lete lete hi dhyan awastha me chala gaya....



har din ki tarah subah ke 4 baje mera dhyan toot gaya..par jab maine apne left right dekha toh fir ek jasbaaton ka samandar mere andar utha par maine khudko control kar liya...

ek side dad mere sir par haath rakhe rakhe baithe baithe hi so gaye the wahin dusri taraf mom toh bed par thi hi nahi...

wo bed ke neeche baith mere pairon ko dabate dabate mere pairon ke upar hi so gayi thi....

maine un dono ko uthane ka socha par fir mai rook gaya..agar abhi mai dono ko uthata toh fir mai jahan jaane waala tha wahan jaa nahi paata....

isiliye mai ussi position se lete lete gaayab ho gaya.....jis kaam se gaya tha wo kiya aur fir wapas jaise leta hua tha ussi position me aakar let gaya....

maine mom dad dono ko halka halka hilaya,wo dono jis position me soye the,usme unki neend waise hi kacchi thi,mere hilane se dono ki neend toot gayi aur uske baad ka conversation mai bata chuka hun....




FLASHBACK ENDS:-





TUJHE KABSE IN SABKI ZAROORAT PADNE LAGI.......



MAI- ledron ki basti me koi toh fit hona chahiye naa....



mujhe gym me aaye ek ghanta ho gaya tha...mai weight lifting kar hi raha tha ki itne me mere piche se ye awaaz aayi...ye aur koi nahi RONIT tha.....



RONIT- saale,ledra hoga tu?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png
....tabhi toh apni haddiyan mazboot karne ke liye tujhe gymming ki zaroorat pad rahi hai....

MAI- beta jo gym hum karte hain wo sirf hum hi kar sakte hain....thik waise hi jaise teri bakwaas sirf tu hi kar sakta hai....

RONIT- ghante ka tum hi kar sakte ho..jo tu kar raha hai wo toh har koi karta hai....

MAI- paani me laath aur hawa me baat soch samajh kar karna chahiye baalak....ek kaam kar,isse sirf ek baar utha ke dikha....



maine apne weight lifter jisse mai bench press maar raga tha,uski taraf ishara kar RONIT se kaha....

mere aisa kehne ka reason jaanane ke liye RONIT bhi curious tha.usse ache se pata tha ki mai koi baat bewajah nahi kehta...

apne haath ko jhatakte hue RONIT weight lifter ke paas aaya aur bench par let gaya....agle hi pal........



mmmmmm....mmmmmmm.....mmmmmmm...



pehle thoda fir thoda zyada aur fir RONIT ne apni puri taakat laga di par fir bhi wo WEIGHT LIFTER ko utha nahi paaya....

ek minute tak apni puri jaan lagaane ke baad RONIT thak haar kar sidha khada ho gaya...

kamar par haath,chehre par thakaan aur aankhon me avishwaas liye wo meri taraf dekh raha tha....



MAI- apni sadi hui shakal ko aur kitna kharab karega.....nikal yahan se,mujhe gym karna hai....



par RONIT gaya nahi,wahin khada raha aur....



RONIT- pehle ye bata ki isse mai lift kyun nahi kar paaya...weight toh bas 200 kg hi dikha raha hai...itna toh mai apni ek ungli se utha sakta hun fir apni puri taakat lagakar bhi mai isse kaise nahi utha paaya....

MAI- ohho...scientist ko theory jaanana hai taaki koi naya invention kar sake....abbe,jab maine kaha ki tere bas ki naa hai toh chup chaap maan lena chahiye naa...

par nahi,hum toh apni dedh hoshiyaari dikha ke rahenge...kyunki kuch sikhe naa sikhe par apni bail buddhi dikhana toh humne paida hote saath sikh liya tha..kyun?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png




waise toh meri baat sunkar RONIT ko ghussa hona chahiye tha,par hua ulta..maine jis tarike se apni shakal bana bana kar baatein kahi thi usse sunkar RONIT ki hasi chhut gayi aur usse hasta dekh mai aur chidh gaya....



MAI- hihihihihi....hihihihihi.....daant niporna ho gaya ho toh nikal ab.....

RONIT- pehle ye bata ki mai isse utha kyun nahi paaya warna mai nahi jaane waala...



maine pehle kuch der RONIT ko ghur kar dekhta raha par saale par mere ghurne ka koi asar nahi pada isiliye......



MAI- universe me jitne bhi heavy metals hain,maine un sab ke wazan ko ek invisible energy me badal kar is weight lifter me daal diya hai....abhi iska wazan kisi planet ke wazan se bhi zyada hai.....



ye bolkar maine ek jhatke me us weight lifter ko utha liya....



mai toh wapas weight lift karne me lag gaya par meri baat sunkar RONIT ka mooh khulla ka khulla reh gaya.....



RONIT- agar iska weight inta zyada hai toh floor par koi asar kyun nahi ho raha hai..itne wazan ke saath toh yahan ki puri zameen yahan tak ki jahan tak iska impact hoga,wahan tak ki zameen dhas jaani chahiye....



MAI- iske andar jo weight energy maine daali hai,wo tabhi asar me aati hai jab isse uthaya jaata hai.zameen par aate hi iska weight normal ho jaata hai....


RONIT- WOWW.....AMAZING BHAI.....



MAI- kaash mai bhi tere baare me aisa kuch kabhi keh paata....hamesha bail buddhi ka bail buddhi hi rahega....



RONIT is baar bhi meri baat par has diya aur haste haste baahar nikal gaya......



jahan mai wapas gym karne me lag gaya wahin RONIT bike lekar kahin nikal gaya....





PLACE- AHUJA MANSION




GOOD MORNING MOM......

GOOD MORNING BETA.....kya baat hai,aaj kal tu bohot jaldi uth jaati hai.....!!!!!tune jogging bhi start kardi hai.....



subah ka waqt hai.....subha jaldi uth AVANTIKA kuch der tak room me rahi jaise wo har roz rehti hai,uske baad
ghar se baahar aa jogging par nikal gayi aur just louti thi......

AVANTIKA hall me pahunchi hi thi ki uski mom ki nazar uspar padh gayi......



AVANTIKA- toh ye toh achi baat hai naa mom.....

A/MOM- bohot achi baat hai beta..mai toh isiliye puch rahi hun kyunki pehle tu aisi nahi thi fir achanak yun change!!!!!

AVANTIKA- offo mom...pehle mai health consious nahi thi...ab hun,simple.....



THODA SA HEALTH CONSIOUS APNI BEHEN KO BHI BANA DE.....



ye awaaz SHANAYA ki MOM ka tha jo AVANTIKA ki taraf aa rahi thi......



AVANTIKA- SHANAYA ko kya hua???achi khaasi fit toh hai....

S/MOM- kahan se fit hai....
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png
?ek toh late uthati hai,uspar ghar ka khaana toh jaise madam ko pasand hi nahi hai..baahar ka hi khaati hai..aise me toh uski tabiyat bigad jaayegi....


AVANTIKA- kuch nahi hoga usse...wo baahar ka zaroor khaati hai par unhyginic nahi khaati....acha mom,mai thoda baahar tehel rahi hun....

A/MOM- arre ab kahan chali....
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png
?abhi toh jogging karke aayi hai....

AVANTIKA- wo actually mom target calories burn karne ke liye thoda aur chalna padega...mai aati hun...



ye bol bina kisiki koi baat sune AVANTIKA fatafat ghar se baahar nikal gayi...abhi AVANTIKA ne apne ghar ke gate se kadam baahar nikale hi the ki.......



HI AVNI........



AVANTIKA ka face is awaaz ki taraf hi tha jo ki aur kisika nahi RONIT ki tha....RONIT ko apne saamne dekh AVANTIKA ke chehre par smile aa gayi....



AVANTIKA- so mission accomplished,right!!!tum V.J ko wapas le hi aaye.....

RONIT- tumhe kaise pata???

AVANTIKA- V.J jitna toh nahi,par jaanti toh mai bhi tumhe ache se hi hun....V.J agar nahi aaya hota toh tum yahan mere paas wo bhi subah subah nahi aaye hote.....

RONIT- matlab!!!!

AVANTIKA- mere thank you kehne ka reason jaanane aaye ho naa...
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png
?!!!!!

RONIT- haan...par saath me mai kuch aur bhi jsike baare me mujhe jaanana hai.....

AVANTIKA- hmm....thik hai...waise tumse zyada is pal ka maine intazar kiya hai...

RONIT - waqt!!!!kaisa waqt?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


AVANTIKA- tumhe sach batane ka aur......

RONIT- aur!!!!

AVANTIKA- tumhe mera ek kaam karna hai..actually mera nahi jo kaam tumhe karna hai wo V.J ka hai aur wo kaam bohot zaroori hai.....

RONIT- mai kuch samjha nahi.....

AVANTIKA- sab samajh jaaoge.....chalo,walk par chalte hain.....



RONIT ne apni bike wahin side me stand kar di aur fir wo aur AVANTIKA paidal hi aage badhne lage.....

kuch der tak dono ke beech khamoshi rahi..jahan AVANTIKA ye soch rahi thi ki kya usse RONIT ko sab kuch batana chahiye kyunki wo jaanti thi ki V.J ke saath jo hua wo sunkar RONIT ko bohot zyada taklif hogi...

wahin RONIT ke dimag me V.J ke gaayab hone ke baad ke sabhi lamhe ek ke baad ghumne lage the...wo jaanana chahta tha ki LORD OF ANGELS hone ke baawajud V.J ke saath aisa kya hua jo wo unki madad ke liye nahi aa paaya.....

RONIT ne AVANTIKA ki taraf dekha toh usse gehri soch me dooba paaya....



RONIT- AVNI,mujhe sab kuch jaanana hai,sab kuch....

AVANTIKA kuch der tak RONIT ko dekhti rahi fir....



AVANTIKA- isse tumhe taklif ho sakti hai..bohot taklif.....

RONIT- jo taklif mai mehsoos kar chuka hun,usse zyada toh nahi hogi naa....



AVANTIKA ne ek gehri saans li aur RONIT ko sab kuch shuru se batana shuru kiya....



kaise wo VIKRAM aur ALESENDRA FOUNTAIN OF LIGHT ke saamne gaye..wahan kaise pehli baar VIKRAM ka saamna uske BHAI ASMODEUS aur bhatije BEELZEBUB se hua....

kis tarah V.J zakhmi ho maut ke kagaar tak pahunch gaya tha..kaise sitiuation ko aur mushkil banane ke liye ASMODEUS ne AVANTIKA ke sharir me zeher chhoda...

kis tarah V.J ki jaan bachi..bhavishyavani ka milna,uske baad un dono ka COURIOUS pahunchna....COURIOUS ka shraap aur kaise V.J ne COURIOUS waasiyon ko shraap mukt kiyaaa...

ASMODEUS ka plan....kaise PARIVARTAK ka ismtemaal kar ASMODEUS ne COURIOUS ke samay chakra ko pure bramhaand se tez kar diya..

AVANTIKA ne RONIT ko bataya ki kaise ASMODEUS ne COURIN PHAL ke andar apna khoon milaya aur jaise hi VIKRAM ne us phal ka sewan kiya,uski pehchaan usse alag ho gayi.......



VIKRAM ki haalat aur us haalat ke sach ko jaankar RONIT ek jagah baith gaya....jaise AVANTIKA ne kaha tha,usse bohot taklif hone lagi....

VIKRAM ne itna kuch saha wo bhi akele ye sochkar hi uska dard badhta jaa raha tha...

AVANTIKA ne bhi usse kuch der rone diya....kuch der baad jab RONIT ki taklif kuch kam hui toh.....



RONIT- V.J apne hosh me hi nahi tha aur isiliye usne mujhpar us din haath uthaya tha.....

AVANTIKA- galat....itna kuch hone ke baad bhi VIKRAM ne apne hosh ko kisi tarah sambhal kar rakha tha....

ASMODEUS ke khoon ki wajah se VIKRAM ko turant pura badal jaana chahiye tha..usse bhi paap ke raaste me nikal jaana chahiye tha par VIKRAM ne kisi tarah aisa hone nahi diya..

jis din usne tumpar haath uthaya tha,ussi din ya fir ye kahun usse kuch der pehle hi usse uski pehchaan chhini thi....PAAP uske sir par haawi tha...

itne kharab condition me hone ke baawjud usne kisi tarah apna dimag chalaya...

tumhe maarna,uthakar room se baahar fek dena,ye uska plan tha....wo chahata tha ki pure gharwaalon ko pata chale ki usne tumhare saath aisa kiya hai.....

jisse gharwaale uspe naaraz hon aur wo ghar chhodkar chala jaaye....kyunki wo jaanta tha ki agar wo ghar par raha toh zaroor gharwaalon ke saath kuch galat kar dega isiliye usne ye faisla liya.....

aur jaisa wo chahta tha,thik waisa hi hua....aunty ne usse ghar se nikal jaane ke liye kaha jisse usne ek second me maan liya aur chala gaya.....



RONIT- mere bhai ke saath itna kuch ho gaya aur mujhe khabar tak nahi.....isiliye wo DELHI........


RONIT apni aage ki baat kehte kehte rook gaya...usse apna wo sawal yaad aa gaya jo wo AVANTIKA se kal se puchna chahta tha....



RONIT- mujhe ek baat samajh nahi aayi....

AVANTIKA- kaun si baat???



RONIT- usse pehle ye batao ki kya V.J thik ho gaya hai..i mean ASMODEUS ka khoon kya ab uske andar nahi hai...

AVANTIKA- hai...ASMODEUS ka khoon ab bhi V.J ke andar hai....

RONIT- agar V.J isiliye hum sab se door gaya tha taaki uski wajah se humme se kisi ko nuksaan nahi pahunche toh fir hume uska pata chal kaise gaya???

i mean ye sach hai ki usne khud hume apne baare me nahi bataya par ye bhi ek sach hai ki agar V.J nahi chahta ki hum usse milen toh duniya me aisi koi taakat nahi hai jo hume usse mila de....

ya toh wo hamare ustak pahunchne se pehle hi gayab ho jaata or in first place,wo aisa kuch karta ki hum tak uski khabar pahunchti hi nahi.....



RONIT ki baat sunkar AVANTIKA ke chehre par smile aa gayi.....



AVANTIKA- i must say,tumhara dimag kaafi chalne laga hai....



AVANTIKA ne tarrif ki par RONIT ka mooh ban gaya....



RONIT-waah,ek taraf tum ho jo mere dimag ki taarif kar rahi ho aur ek taraf wo khadus V.J hai jisne mujhe yahan aane se pehle bail budhhi ke naam se samaanit kiya hai.....



RONIT ki baat sun AVANTIKA khilkhila kar has padi.....


AVANTIKA- maine kaha naa ki abhi wo ASMODEUS ke khoon ke prabhaav se baahar nahi aaya hai....

RONIT- fir.....

AVANTIKA- isiliye maine tumse kaha tha ki agar tum V.J ko wapas laane me kaamiyab hue toh mai tumhe apne thanks kehne ki wajah bataungi.....

V.J ghar chhod kar isiliye gaya tha kyunki uske andar ka shaitan us waqt uspar haawi tha jisse sabse zyada nuksaan V.J ke gharwaalon ko matlab tum sab ko hota par...

V.J ka tumhare saath yahan aane ka matlab hai ki usne apne andar ke shaitan ko kuch hadh tak kaabu me karna sikh liya hai....

aur aisi haalat me ab baahar waalon ko V.J ke andar chhupe shaitan se khatra hai,gharwaalon ko nahi....

gharwaalon ki wajah se wo khudko control me rakh paayega aur isliye V.J tumsab ke saath wapas aa gaya....

isiliye maine tumhe thanks kaha tha kyunki V.J ke wapas aane ka matlab hai wo pehle se thik hai....

RONIT- thik hai,perfect nahi...aur mai V.J ko pehle ki tarah perfect dekhna chahta hun....

AVANTIKA-sirf tum nahi,pura UNIVERSE usse thik dekhna chahta hai kyunki UNIVERSE me shaanti banaye rakhna,ye V.J ki zimmedari hai jisse wo pichle 7 mahino se nahi kar paa raha hai.....

RONIT- par ye hoga kaise?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


AVANTIKA- ussi tarike ya fir ye kahun ki ussi CHIZ ke paas jaakar jisse V.J ki haalat sudhri hai.....

RONIT- matlab!!!!

AVANTIKA- maine tumse kaha tha naa ki tumhe V.J ka ek kaam karna hai...ye wahi kaam hai jiske pure hone se shayad hume V.J ko theek karne ka koi idea mil sake....par....

RONIT- par!!!par kya?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png




AVANTIKA- par isme bohot khatra hai...tumhari jaan bhi jaa sakti hai....



RONIT-ANJU ke roop me meri jaan pehle hi jaa chuki hai..ab bas mere paas mera BHAI hi toh bacha hai,uske liye agar ye dhadkan band bhi ho jaaye toh koi gum nahi....



AVANTIKA kuch der tak RONIT ko dekhti rahi fir......



AVANTIKA- hume kahin jaana hoga....par wahan se aane me waqt lag sakta hai isiliye pehle apne apne ghar chalte hain..ghar waalon se kuch bahana banakar tumhare ghar ke paas jo garden hai wahan 10 baje milte hain.....

RONIT- cool.....



baat karte karte AVANTIKA aur RONIT ghumte hue wapas AVANTIKA ke ghar ke saamne pahunch chuke the......

AVANTIKA ko bye aur 10 baje milne ka bol RONIT apne bike me baith apne ghar nikal gaya aur AVANTIKA apne.....




10 AM IN GARDEN:-




RONIT- toh ab?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png




AVANTIKA- SECRILLA..... hume wahan jaana hoga....



SECRILLA FOREST ka naam sunkar RONIT ko shock laga....

RONIT kuch kehne hi wala tha ki....



AVANTIKA- sab bataungi par wahan pahunchkar...SECRILLA ke sarhad ke saamne ki jagah yaad hai tumhe....

RONIT- haan...

AVANTIKA- ussi jagah pahunchne ke liye DOOR kholo.....



RONIT ko AVANTIKA ki ye baat bhi samajh nahi aayi...par SECRILLA pahunchne tak ke liye usne kuch bhi puchna thik nahi samjha aur.....

agle hi pal RONIT ka ek haath hawa me tha jisse ek ray nikli..ray AVANTIKA aur RONIT ke saamne gol gol ghumne lagi aur dekhte hi dekhte us ray ne ek magical door ka roop le liya jiske dusri taraf SECRILLA ki wahi sarhad thi jahan unhe jaana tha....

AVANTIKA aur RONIT us DOOR se hote hue dusri taraf

chale gaye..unke cross karte hi DOOR band ho gaya....

RONIT- ab toh batao ki hum yahan kyun aaye hain aur jab hume SECRILLA jaana hai toh tumne mujhe yahan FOREST ke baahar kyun DOOR ki opening rakhne ke liye kaha?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


AVANTIKA- V.J ke theek hone ka solution hume SECRILLA ke andar hi milega.....

RONIT- yahan kaise?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


AVANTIKA- MERCIA RIVER yaad hai.....V.J pichle 7 mahino se MERCIA RIVER ke andar ghanton tak dhyaan awastha me baithata hai...

aur mujhe lagta hai ki MERCIA RIVER ke paani se hi V.J apne andar ke shaitan ko,negetive energy ko control karne me kaamiyab hua hai.....samjhe.....!!!!


RONIT- kuch kuch?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


AVANTIKA-baaki ka bhi samajh jaaoge.uske liye hume MERICIA RIVER ke paas jaana hoga....

par usse pehle hume hamare saamne jo SECRILLA ki sarhad hai,uske problem ko solve karna padega.....

RONIT- yahan kaisi problem?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


AVANTIKA- ussi problem ki wajah se hi toh maine tumhe SECRILLA ke andar DOOR ki opening rakhne se roka tha.....

darasal BHUVIKA aur BEELZEBUB ne is FOREST ki sarhad ke chaaro taraf apni shakti tarange failayi hui hai....

jaise hi humne SARHAD cross kiya,unhe pata chal jaayega.....


BHUVIKA aur BEELZEBUB ka naam sunkar pehle toh RONIT ko behad ghussa aaya par kuch hi pal baad uska ghussa tention me badal gaya....

bhale hi RONIT BEELZEBUB aur BHUVIKA se badla lena chahta ho,par wo ye bhi jaanta tha ki wo is laayak nahi hai....

apne josh ke chakkar me pichli baar usne apni mohobbat kho di thi.RONIT soch raha tha ki agar is baar bhi usne pichle baar jaisa react kiya toh shayad is baar AVANTIKA bhi naa bach paaye.....

aur wo apne jaisi haalat apne BHAI ka kaise hone de sakta tha aur isiliye.....



RONIT- wo dono bohot khatarnaak hain AVNI...hume wapas jaana chahiye....hum koi aur tarika dhund lenge....



RONIT ki baat sunkar AVANTIKA ke chehre par smile aa gayi....



AVANTIKA- kya hua,dar gaye....

RONIT- haan,dar gaya par apne liye nahi V.J ke liye..maine toh apna pyar kho diya par agar tumhe kuch ho gaya toh mai V.J ko kya mooh dikhaunga.....

AVANTIKA- tumhari yahi problem hai...tum apni samajhdaari hamesha galat waqt par dikhate ho.....

RONIT- matlab???

AVANTIKA- matlab ye samajhdaari tumhe ANJALI ke waqt dikhani thi...aur jahan tak mera sawaal hai,BHUVIKA aur BEELZEBUB mera kuch nahi bigad sakte.....

RONIT ko AVANTIKA ki baaton ka matlab samajh nahi paaya..wo isse figure out karne ki koshish kar hi raha tha ki.......



RONIT- AVNI..............



RONIT ke mooh se AVANTIKA ke naam ki cheekh nikal gayi aur wajah....AVANTIKA ne ek dum casually chalte hue SECRILLA ke sarhad ko cross kar diya tha.....



AVANTIKA- kya hua??chilla kyun raha hai???tere saamne hi toh hun.....



abhi RONIT kuch kehta usse pehle hi......un dono ke chaaron taraf tez hawa chalne lagi....ab tak jahan achi khaasi dhoop khili hui thi,wahan ab halka andhera chaane laga...aur tabhi...........

do tez bijli AVANTIKA se kuch door saamne giri jisse do kaale dhuen ke gubaar uthe aur jab wo gubbar chaten toh RONIT aur AVANTIKA ke saamne BEELZEBUB aur BHUVIKA khade the.....

un dono ko apne saamne dekh jahan AVANTIKA normal hi rahi wahin RONIT ke man me dar ne ghar kar liya....

wo tezi se aage aaya aur AVANTIKA ke saamne khada ho gaya par AVANTIKA ne usse kandhe se pakad side me kar diya....



BHUVIKA- socha nahi tha ki itni jaldi tujhe maarne ka mouka milega....

AVANTIKA- sidhe mujhse request kar leti,mai pehle hi tere saamne aa jaati.....



aapko yaad hoga doston ke BHUVIKA ne ASMODEUS se AVANTIKA ko maarne ki baat kahi thi aur ASMODEUS ne use kuch kaha tha jiske baad BHUVIKA aur BEELZEBUB gaayab hokar kahin pahunche the aur ek SPELL bola tha....

wo dono yahin aaye the..ASMODEUS ne unse kaha tha ki ek naa ek din AVANTIKA yahan zaroor aayegi aur jab aisa ho tab wo AVANTIKA ko maar sakte hain....

isiliye BEELZEBUB aur BHUVIKA yahan aaye the taaki is jagah ko apni shakti tarango se baandh sake jisse jab bhi AVANTIKA yahan aaye toh unhe pata chal jaaye.....



BHUVIKA-naa tere paas koi shakti hai aur naa hi koi aur taakat...fir bhi itna ghamand...

BEELZEBUB- par kuch hi shano baad jab tu zamin par giri mout ke kagaar par hogi,tab teri saath saath tera ghamand bhi khatm ho jaayega....

AVANTIKA- tune thik kaha BHUVIKA ki mere paas koi shakti nahi hai,par mujhe kisi taakat,kisi shakti ki zaroorat bhi nahi hai,jaanti hai kyun,kyunki mai khud ek SHAKTI hun....

aisi SHAKTI jisse takrane ki aukaad tere bas ki nahi hai.....

aur BEELZEBUB,jab tera BAAP mujhe nahi maar sakta toh tu kis khet ki muli hai....



apne FATHER ke baare me sun BEELZEBUB ko ghussa aa gaya....uske haath me current rays dikhne lage par isse pehle ki wo un rays ko AVANTIKA par chhodta....



RONIT- tum dono ko jo karna hai mere saath karo par AVANTIKA ko chhod do....



RONIT ki awaaz me ek laachari thi jisse mehsoos kar BHUVIKA aur BEELZEBUB has diye.....

BHUVIKA- teri awaaz me ek akad hua karti thi,wo kahan gayi?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


BEELZEBUB- lagta hai iski premika ke saath saath iski akad ne bhi dum tod diya....



BHUVIKA aur BEELZEBUB ki baat sunkar RONIT ko bohot tez ghussa aaya par AVANTIKA ki khaatir wo apne ghusse ko pi gaya....



AVANTIKA- isse pyar,fikr kehte hain naalayakon par tumhare jaise gawaar ye nahi samjh sakte...aur jis akad ki tum baat kar rahe ho naa,chalo,tumhe usse bhi mila dete hain.....

AVANTIKA ki baat sun RONIT kuch kehne hi waala tha ki.......



AVANTIKA ne apna ek haath RONIT ke sir par rakha aur agle hi pal AVANTIKA ki aakhen band ho gayi....




SHAKTIYEM STHAANANTARAM

POWER TRANSFER



AVANTIKA ke mooh se SPELL sun RONIT ko jhatka laga par isse pehle ki wo koi pratikriya de paata



AHHHH.......



RONIT ke mooh se ek halki karah footi aur agle hi pal uska sharir vibrate hone laga....

jaise hi RONIT ka shirir vibrate hone laga,AVANTIKA ne apna haath uske sir se hata liya aur apni aankhen khol di.....

AVANTIKA ke haath hatate hi RONIT ke vibrations khatm ho gaye par......



RONIT- ye sab abhi kya hua....
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png
?aur muje mera sharir itna bhaari bhaari sa kyun lag raha hai...
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png
?



AVANTIKA RONIT ke kaan me- abhi ke liye itna jaan lo ki tumhare andar in dono se kayi guna zyada shaktiyan hain...

par sirf kuch hi minutes ke liye....isiliye jo bhi ghussa tumhare andar in dono ke liye hai,wo in dono par nikal do....par yaad rahe ,inhe jaan se nahi maarna hai.....abhi iska waqt nahi aaya.....

jahan RONIT aakhon me hairat liye AVANTIKA ko dekhe jaa raha tha wahin BEELZEBUB aur BHUVIKA aaram se khade the....

unhe laga ki AVANTIKA kuch bhi karle par un dono ka kuch bigad nahi sakti.....

AVANTIKA-tumhe sab pata chal jaayega par abhi tumhare paas zyada waqt nahi hai..tumhare andar ki shakti ko tum zyada der tak control nahi kar paaoge isiliye waqt rehte unka istemaal kar lo.....

ab RONIT ne bhi baaki ki bataon ko baad ke liye taal diya aur BHUVIKA aur BEELZEBUB ki taraf palta.....

par is baar RONIT ke chehre par bebasi nahi baki aatmavishwas tha......



RONIT- bohot taakat hai naa tum dono ke andar...chalo,aaj tum dono ko mai tumhari aukad dikhata hun.....




BEELZEBUB- arre,iski akad toh wapas aa gayai..lagta hai.....AHHHHHHHHHH........



isse aage BEELZEBUB kuch keh nahi paaya....toh hua ye ki RONIT ne ghur kar BEELZEBUB ko dekha....RONIT ke aankhon se ek adrishya par bohot hi strong ray nikli aur BEELZEBUB ki taraf badhi...

BEELZEBUB toh RONIT ko bohot lightly le raha tha isiliye usne zyada dhyan nahi aur....

un adrishya rays ne BEELZEBUB ko lapet liya....aisa hote hi BEELZEBUB ke sharir ko ek tez jhatka laga aur wo tadapne laga....

BEELZEBUB se BHUVIKA judi hui thi....BEELZEBUB ke dard se usse bhi taklif hui par khud ko control me rakh BHUVIKA ne ek anergy beam RONIT ke upar chhoda....

us energy beam ki speed aur taakat bohot zyada thi..isse pehle ki RONIT kuch karta....



BOOM......



wo beam RONIT ke chest ke beech takraya aur aisa hote hi ek tez dhamaka hua.....

dhamaka dekh BHUVIKA ke chehre par ek smile aa gayi par agle hi pal.....



dhamake se faila dhuan turant gayab ho gaya aur jab vision clear hua toh saamne ka nazara dekh BHUVIKA ki aankhen hairat se faile gayi....

RONIT aur uske piche AVANTIKA araam se muskurate hue khade the....us energy beam se un dono ko koi nuksaan nahi hua tha....

BHUVIKA ne zamin aur hawa ka awahan kiya aur dono ki shakti se ek ray banakar RONIT ke upar chhod diya...

BHUVIKA ke last prahar se RONIT ko apne andar ki shaktiyon ka knowledge ho gaya tha....isiliye is baar jab BHUVIKA ne uspar waar kiya toh RONIT ne bas apna haath aage kiya aur BHUVIKA ki taraf chalne laga....

BHUVIKA ke chhoda gaye ray ne jaise hi RONIT ke hatheli se chua,wo gayab ho gaya...

zamin par pada BEELZUBUB aur uske baaju me khadi BHUVIKA ye sab dekh chownk gaye.....



RONIT- bas itna hi dum hai....bohot ghamand hai naa tum dono ko apni shaktiyon par,ye dekho,



AVARTA SHAKTIYEMM....

LOCK THE POWERS.....



RONIT ke SPELL bolne ke baad kuch nahi hua aur aisa hote dekh BHUVIKA hasne lagi....BEELZEBUB bhi ab khada ho chuka tha aur uske chehre par bhi khilli udane waali hasi thi.....



par agle hi pal.......



BHUVIKA aur uske saath BEELZEUBUB ke chehre ke expressions badal chuke the..hasi ki jagah shock ne le li thi.....wahin ab RONIT ke chehre par muskurahat thi.....

toh hua ye ki BEELZEBUB ne haste haste hi ek SPELL bol apna haath aage kiya par kuch bhi nahi hua....

BEELZEBUB ke SPELL ne kaam hi nahi kiya....BEELZEBUB ke baad BHUVIKA ne bhi ek ghaatak SPELL uchharit kar apna haath aage kiya par BEELZEBUB ki hi tarah BHUVIKA ka SPELL bhi kaam nahi kiya....

jahan ye dekh wo dono shock me the wahin RONIT aur AVANTIKA ke chehre par smile thi.....



AVANTIKA- tumhare paas zyada waqt nahi hai RONIT...jaldi karo....

RONIT ko bhi apna sharir wapas halka halka vibrate hote mehsoos ho chuka tha isiliye....

RONIT ne apne dono haath aage kiye aur



UDVAHANI VIBHADA

ROPE OF PAIN



RONIT ke haath se do chamakte hue rope ki shakal liye rays nikle aur agle hi pal un RAYS ne BEELZEBUB aur BHUVIKA ko lapet liya aur aisa hote hi.....



AHHHH.......

AHHHHH........



BEELZEBUB aur BHUVIKA ke mooh se behad dard bhari cheekhen gunjane lagi...ye cheekhen itni zyada tez thi ki pura SECRILLA FOREST un dono ki awaaz ko mehsoos kar raha tha.....

RONIT- jaante ho ye kaisa dard hai jo tum dono mehsoos kar rahe ho....???ye dard un logon ka hai jinhe tum dono ne aaj tak maara hai ya tadpaaya hai....

tum dono wahi dard mehsoos kar rahe ho jo tumne nirdosh logon ko diya hai.....

BEELZEBUB aur BHUVIKA dono hi RONIT ki awaaz sun toh rahe the par un dono ki samajhne ki shakti lagbhag khatm ho gayi thi...

un dono ki shakti bandh zaroor gayi thi par thi toh wo un dono ke paas hi...dard ki atyadhikta se BHUVIKA aur BEELZEBUB ke sharir jagah jagah se fat rahe the par unki shaktiyon ki wajah se unke sharir wapas theek bhi ho jaa rahe the....

sharir ke fatne aur fir wapas thik hone ki kriya ke beech BEELZEBUB aur BHUVIKA ka dard itna zyada tha ki un dono ki aakhen band hone lagi.....

wahin un dono ke saamne khade RONIT ki body bhi ab bohot zyada vibrate kar rahi thi...RONIT ke sir par behoshi chaane lagi thi par RONIT khudko sambhale hua tha..

wo jaanta tha ki uska SPELL tab tak hi kaam karega jab tak RONIT hosh me hai....



tabhi............

ek saath do chizen hui......



pehli- BEELZEBUB aur BHUVIKA ke sharir ko ek tez jhatka laga aur dono gayab ho gaye...

dusri- un dono ke gaayab hone ke agle hi pal RONIT bhi behosh hokar girne laga...



par uske neeche girne se pehle hi AVANTIKA ne RONIT ke sir ke neeche apna haath rakh diya....

uske baad AVANTIKA ne apna dusra haath RONIT ke sir ke upar rakha...RONIT ke sir se hote hue wo shaktiyan jo AVANTIKA ne usse di thi,wo wapas AVANTIKA me sama gayin....

kuch der tak RONIT behosh hi raha par fir dheere dheere uski aankhen khul gayi...

hosh me loutne ke baad bhi RONIT ko kuch der laga apni situation ko samajhne me aur jab RONIT ne AVANTIKA ko dekha toh uske dimag me kuch der pehle hui saari ghatnayen ghumi aur wo ek jhatke me khada ho gaya....

kuch der tak RONIT ek tak AVANTIKA ko dekhta raha..uski aankhon me bohot se sawaal aa jaa rahe the...

wahin AVANTIKA bhi RONIT ki haalat samajh rahi thi par wo chup thi..RONIT ke bolne ka intazar kar rahi thi.....

kuch der tak AVANTIKA ko dekhne ke baad RONIT ke honth hile......



RONIT- KAUN HO TUM?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


AVANTIKA- mai AVANTIKA hi hun RONIT.....

RONIT- fir tumhare andar itni shaktiyan.........



par isse aage RONIT kuch bol nahi paaya...bolna chhodo uska toh dimag hi fuse ho chuka tha.....

RONIT ke sawaal khatm hone se pehle hi AVANTIKA ke baaju me teen tez roshniyan hui aur jab wo roshniyan kam hui toh wahan par teeno GOD'S MESSENGER khade the....

AVANTIKA-MAAYA VAAKYAM

MAGICAL WORDS


is spell ka use pehle bhi ho chuka hai...ek baar ST SEBASTIAN ke dwara aur ek baar VIKRAM dwara..is SPELL ko apne secrets kehne se pehle bola jaata hai...isse koi bhi baahar ka banda us secret baat ko chaah kar bhi sun nahi paata..

RONIT teeno MESSENGERS ko dekh hi raha tha ki........




ST SEBASTIAN- ABHI KE LIYE AVANTIKA HI HAIN HUMARI.............



..........LORD OF ANGELS...........







AAJ KE LIYE ITNA HI......









AAPKA APNA V...J........
Awesome update bhai,
behad hi shandaar, lajawab aur amazing update hai bhai,
itna tagda jhatka diya hai aapne bhai,
Avantika Lord of Angels hai,
ab dekhte hai aage kya hota hai
 
  • Like
Reactions: Abhaych and Fighter

23n24

Member
433
1,544
138
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF RONIT AND FRIENDS MIRROR WORLD KI AAKHRI CHUNOUTI TAK PAHUNCH GAYE HAIN WAHIN DUSRI TARAF VIKRAM NE BHI ASMODEUS KE MAAYAJAAL KO TOD DIYA HAI AUR SAATH HI USSE USKI TALWAR BHI MIL GAYI HAI
AB AAGE:-






FINAL CHAPTER






(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION)





MEGA UPDATE-108




FINAL PART






PLANET-MIRRORS WORLD





FINAL ADVENTURES






KUCH DER AUR SABR KAR LE,TUJHE TERI MANZIL TAK ZAROOR PAHUNCHA DUNGA...



maine apne seene ke upar halka sehlaate hue apni baat kahi....kyun???kuch der me aapko pata chal jaayega.....

khair,mai MAGIC DOOR ke dusri taraf toh aa gaya tha,par abhi tak maine apne kadam apne SWORD ki taraf nahi badhaye the....

SWORD is waqt mujhse kuch door ek diwal par tangi hui thi aur mai jaanta tha ki talwar par mere haathon ka sparsh hote hi kya hone wala hai...

ASMODEUS ke banayi jis maayavi duniya ke cbunoutiyon ko maine paar kiya tha,wo us chunouti ke saamne kuch nahi thi jiska saamna mujhe ab karna tha....

par is chunouti ko paar karne ke alawa mere paas aur kuch chaara bhi nahi tha...

ek lambi saans chhodte hue maine apne kadam aage badhaye aur tabhi.....


mere kadam aage badhate hi talwar tez chamakne lagi aur thik waisa hi prakash mere seene ke beech bhi hone laga par maine in sab chizon par dhyan naa dete hue aage badhne laga aur chalte hue thik meri SWORD ke saamne pahunch gaya....

ek pal SWORD ko dekhne ke baad mere haath usse sparsh karne ke liye aage badh gaye aur jaise hi mere haathon ka sparsh SWORD se hua...........!!!!!

jo roshni SWORD se aa rahi thi wo aur tez ho gayi aur ussi roshni ki aad lete hue SWORD gayab ho gayi....

SWORD ka gaayab hona hi wo baat thi jiske baare me maine kuch der pehle kaha tha..mai jaanta tha ki mere sparsh karte hi SWORD gayab ho jaayegi.....

aur jo baat nahi pata thi,wo bhi SWORD ko sparsh karte hi pata chal gayi thi....kya??ye bhi kuch der me aapko pata chal jaayega...

par mujhpar us tez roshni ka koi asar nahi hua tha..maine SWORD ko gaayab hote hue dekha tha......

aur SWORD ke gayab hone ke baad bhi uski energy mai mehsoos kar paar raha tha isiliye SWORD ke gayab hone ke agle hi pal mai bhi uski energy ko follow karte hue gayab ho gaya......



KAAL PAASH.........wo bandhan jisse AGRASENA bandhe hue the.....us bandhan me hone ke baad se aaj pehli baar tha jab AGRASENA ke chehre par muskaan thi....

aur us muskaan ki wajah thi unki SWORD jo is waqt unke saamne hawa me tair rahi thi...

kuch der tak hawa me tairne ke baad wo SWORD AGRASENA ke thik saaamne aakar khadi ho gayi aur agle hi pal.......

SWORD se ek tez beam nikli jiske KAAL PAASH ke bandhan par padte hi wo bandhan ek jhatke me toot gaya aur aisa hote hi AGRASENA azaad ho gaye...

azaad hote hi AGRASENA ne apne haath aage kiye aur agle hi pal SWORD tezi se aage badhi aur AGRASENA ke haathon me aa gayi..

SWORD ko sparsh karte hi AGRSENA ki shakti 1000 guna tak badh gayi thi....unke chehre par wahi tej lout aaya tha jo bandhan me bandhane se pehle hua karta tha....

BEELZEBUB ne AGRASENA ko chhal se unki SWORD se alag karke unhe haraya tha par agar wo SWORD ke saath AGRASENA se ladhta toh nishchit hi ek shan bhi nahi lagta usse AGRASENA se haarne me.....

shakti ke badhne ki wajah se KAALPASH me bandhe rehne ki wajah se jo kamzori AGRASENA ko mehsoos ho rahi thi,wo khatm ho chuki thi....

jahan ek taraf SWORD ko dekhkar aur wapas haasil karkar AGRASENA behad khush the wahin jaise hi unhone SWORD ko sparsh kiya toh wo ek pal ke liye chownk bhi gaye the...

par ye SHOCK bas ek pal ke liye hi tha kyunki agle hi pal AGRASENA ko jis baat par shock laga tha,ab ussi baat par unke chehre par ek muskaan naach gayi....aur agle hi pal......



AGRASENA ke saamne ek tez roshni fail gayi aur kuch der baad jab wo roshni ghati toh unke saamne mai khada tha......

yahi wo baat thi jisse jaankar AGRASENA shocked hue the...SWORD ke sparsh karte SWORD ne unhe mere aagaman ke baare me bata diya tha.....



AGRASENA-TOH AAKHIRKAAR PARMESHWAR PUTR LORD OF ANGELS APNI AMANAT KO LENE AA HI GAYE......

apni baat keh AGRASENA apne ghutno par jhukne ko hue par maine aage badhkar unhe aisa karne se rok diya....



MAI-PARMESHWAR ke nirmaan kiye sabse amulya ratno me se ek hain aap....aapko mere aage jhukne ki koi zaroorat nahi hai....

ye mera soubhagya hai ki mai aapke saamne khada hun.....

meri baat sun AGRASENA ke chehre par aayi khushi double ho gayi.....



AGRASENA-aapne jo bhi kaha wo aapka badappan darshaata hai LORD.....

aapke saamne khada hona hi kisi ke liye bhi bohot badi baat hai....aapse bhet karne ke liye,aapko aapki amanat soumpne ke liye mai najaane kitni sadiyon se aapki pratiksha kar raha hun....



MAI- isiliye aapne is SWORD ko mujhe soumpne ke liye ye shart rakkhi ki isse paane ke liye mujhe issise aapko maarna hoga????!!!!



meri baat sun AGRASENA ka sir neeche jhuk gaya.....unhe laga ki mujhe unka yun shart rakhna wo bhi meri hi jaagir ko mujhe soumpne ke liye acha nahi laga aur isiliye.....



AGRASENA- shama kijiyega LORD......par aisa karna mere liye atti awashyak tha...

aap hi ki tarah kisi zamane me aapka bhai ASMODEUS bhi WHITE ENERGY ka waaris tha....

par badalte waqt ke saath wo bhi badal gaya...usne apni ussi WHITE SHAKTIYON ka galat faayda uthate hue khudme bramhaand ki samast kaali urja ko sametna shuru kiya....

aur dekhte hi dekhte wo CREATURE OF JUDGEMENT se DEVILS LORD ban gaya....

shakti ke is durupiyog ki wajah se hi mujhe ye kadam uthana pada....ye SWORD bhale hi PARMESHWAR PUTR ke liye jo ki aap hai bani ho kintu GOD ne isse mujhe soumpa tha...

mujhe is SWORD ko sirf GOD ke putr ko nahi dena tha balki usse dena tha jo GOD ke putr kehlaane ke laayak ho.....

kaali shakti ki halki bhi milawat uske andar naa ho.....aur isiliye maine ye shart rakhi.....

is SWORD ke mere paas rehte mujhe maara nahi jaa sakta,iske baawajud aapko isse haasil karne ke liye issise mujhe maarna hoga....

aur aisa karne ke liye.......



MAI- mujhe praman dena hoga ki mai hi WHITE ENERGY ka laayak aur asli waaris hun......



AGRASENA ki baat ko maine pura kiya jisse sunkar AGRASENA ne muskurate hue haan me apna sir hilaya....



MAI- ek aur baat bhi hai jo tumne abhi tak nahi batayi....

AGRASENA- ab aapse kya chupa hai LORD....ek aur kaam bhi hai jo aapko is SWORD ko hasil karne se pehle karna hoga aur wo ye ki aapko apni shakti se is SWORD ko neeche zamin par girana hoga.....

isse yakin dilana hoga ki



MAI- mai isse haasil karne ke kaabil hun.....



ek baar firse maine AGRASENA ki baat ko pura kiya....



AGRASENA- ji........

MAI- toh fir intazar kis baat ka....?????shuru karen!!!!!!

AGRASENA-awashya.......

aur agle hi pal..............






BACK TO FRIENDS:-






EK BAAR FIRSE TUM SAB EK DUSRE SE ALAG HONE WAALE HO...US KAMRE ME KYA HAI,YE KOI NAHI JAANTA PAR WAHAN JO BHI HOGA,USKA SAAMNA TUM SAB KO AKELE AKELE HI KARNA HOGA..

JO GALTIYAN TUM SAB NE BUDDHI MANTHAN
KI CHUNOUTI KE WAQT KI THI,UNHE YAAD RAKHNA TAAKI WAISI KOI GALTI IS CHUNOUTI ME NAA DOHRAAO.....



mere dost jaise hi apne apne naam ke room ke saamne pahunche,thik tabhi unke kaano me DHANUR ki awaaz gunj uthi.....

apne apne sir ko haan me hilate hue mere chaaron doston ne ek dusre ki taraf dekha..

sabhi ne aakhon hi aakhon me ek dusre ko all the best kaha aur fir sabne apna apna sir saamne room ke band darwaze ki taraf kar liya.....

ek lambi saans chhodte hue un chaaron ne apna haath aage kiya aur jaise hi un sab ke haath ne darwaze ko chua,sabhi darwaze bina koi awaaz kiye khulte chale gaye...

par is baar darwaze ke khulne ke baad bhi naahi koi tez roshni hui aur naahi mere doston ko andar kheencha gaya.....

sabhi ne apne apne kadam apne apne room ke room ke andar badha diye aur jaise hi mere chaaron dost apne apne room ke andar pahunche,sabhi ke aascharya ka koi thikana nahi raha....

wahin mere doston ke apne apne room ke andar jaate hi DHANUR ke saamne ka parda chaar bhaagon me bat gaya jisse wo ab ek saath chaaron room ko dekh paa rahe the....

aur jaise hi DHANUR ki nazar un chaaron rooms par gayi......



ADHBHUDH...........



ye shabd sirf DHANUR ke mooh se nahi nikle the,balki mere chaaron doston ke mooh se bhi ye shabd room ke andar ka mahoul dekhkar hi nikal gaya tha......



reason......RONIT jis room me ghusa tha,wo room asal me room nahi tha,balki wo V.J ke ghar ka lawn tha......

wahin AKSHAANT aur MOKALSAR jin do rooms me ghuse the,wo bhi koi room naa hokar un dono ke bachpan ka gaanv tha...

SHAILA jis room me ghusi thi wo uske bachpan ka ghar tha.....

mere chaaron dost apne apne saamne ke drishya ko aankhen faade dekh rahe the aur samajhne ki koshish kar rahe the....

wahin DHANUR ko andaza ho gaya tha ki antim chunouti me zaroor kuch maayavi aur anokha hone waala hai.....

sabhi apni apni soch me magan the ki tabhi....



mere doston ke saamne ke nazare me kuch add hua jisse dekhkar jahan ek taraf AKSHAANT aur MOKALSAR ke chehre par muskaan naach gayi wahin dusri taraf SHAILA aur RONIT ki aankhon me dard dikhne laga....



reason.......AKSHAANT aur MOKALSAR ke saamne is waqt unke bachpan ke gaavn ka ek maidan tha jahan wo khela karte the,aur is waqt ussi maidan me do bacche prakat hue the...

ye bache aur koi nahi AKSHAANT aur MOKALSAR hi the.....

aur is waqt wo dono bachhe ek kapde ki banayi gendh ko paane ke liye ek dusre se ladh rahe the......

apne baalya kaal aur usme ki gayi unki shararaton ko ek baar firse apne aakhon ke saamne dekh un dono ke chehron par muskaan naach gayi.....

wahin SHAILA jiske saamne is waqt uske bachpan ka ghar tha,achanak us ghar ke darwaze ko kholte hue ek bacchi baahar nikli aur us bacchi ke peeche peeche ek aadmi bhi uska naam pukarte hue baahar aaya..

ye bachi aur koi nahi SHAILA hi thi aur jo aadmi uske peeche piche baahar aaye the,wo SHAILA ke pitah..

apne pitah ko ek baar firse apne saamne dekh SHAILA ki aakhen bhar aayi thi.....

wahin chouthe room me jahan is waqt RONIT tha,is waqt uske saamne jo nazara tha,usme bhi naye kirdaar jud gaye the...

RONIT apne saamne V.J ke ghar ko dekh sitiuation ko samajhne ki koshish kar hi raha tha ki itne me uske kaano me do aawaz gunji...

awaaz mere ghar ke hall se aayi thi...aur us awaaz ke piche piche do bacche bhaagte hue mere ghar ke hall se baahar lawn ki taraf aaye...

ye do bache aur koi nahi BABA RONIT aur BABY ANJALI the jo apne nanhe nanhe kadmo se bhaagte hue RONIT ke saamne aakar ek jagah baith gaye...

baithne ke baad jahan ANJALI uske saamne rakhe phoolon ko chu chukar dekhne lagi wahin RONIT lawn ke ghaans ko ukhad ukhad kar ANJALI ke upar daalne laga....

apne bachpan ki is yaad ko jisse ANJALI ke jaane ke baad RONIT ne apne man ke kisi kone me daba sa diya tha,wo aaj phir se baahar aa gaya...

aur ye sab dekh SHAILA ki hi tarah RONIT ki aakhen bhi bhar aayin....

jahan ek taraf mere chaaron dost is waqt apne apne saamne ke nazare me kho se gaye the wahi unse alag DHANUR mere doston ke saamne ke nazare aur us nazare se aaye mere doston ke chehre ke expresions ko dekh ye samajhne ki koshish kar rahe the ki aakhir chunouti hai kya???




RONITS ROOM:-




BABY ANJALI-tu hamesha mujhe tang kyun karta rehta hai????

BABA RONIT-aur tu jo meri shikayat har waqt meri mummy papa se karti rehti hai,wo????

BABY ANJALI-haan toh tu hamesha badmaashi jo karta rehta hai.....

BABA RONIT-toh usse tujhe kya???mai jo chaahe karun.....

BABY ANJALI- fir mai toh bataungi.....

BABA RONIT- toh fir mai bhi aisa karunga...



ye bol BABA RONIT jisne BABY ANJALI se baat karte karte dher saari ghaans ukhad li thi,wo sab ek saath ANJALI ke upar fek di aur bhaag nikla....

BABA RONIT ke is harkat se BABY ANJALI ghussa hokar usse maarne ke liye uske piche bhaagi.....

wahin ye sab nazara dekh RONIT toh jaise apne purane waqt me kahin kho sa gaya tha.......ki tabhi.......



AHHHH.................

ANJALI..................



toh hua ye ki BABA RONIT ke piche bhaagti BABY ANJALI ka pair achanak mood gaya jisse wo gir gayi aur girte hi uske mooh se AHHH.... ki awaaz nikal gayi jisse hamare RONIT bhaisahab ke joki ANJALI ke bachpan ke roop ko hi dekh raha tha,uske mooh se ANJALI ke naam ki cheekh nikal gayi........

RONIT doudta hua aage badha aur jaise hi usne BABY ANJALI ko uthane ke liye aona haath aage badhaya,uska haath BABY ANJALI ke sharir ke aar paar ho gaya...

par tabhi BABA RONIT joki mere ghar ke andar chala gaya tha,wo baahar aaya aur usne BABY ANJALI ko sahara dekar uthaya....

wahin BABY ANJALI ko naa chupaane se RONIT ke chehre par ek fiki muskaan naach gayi....



RONIT-mujhsa badnasib aur kaun hoga?????asliyat me toh maine tujhe kho hi diya hai par is maayavi chall me bhi mai tujhe chhu naa paaya......

ye bol RONIT piche palat gaya par tabhi........





AKSHAANT'S ROOM:-





AKSHAANT-ye drishya kaise badal gaya..arre ye toh mere baba hain....aur inke saath ye do bacche!!!!!arre ye toh mai aur MOKALSAR hain.....

AKSHAANT ke saamne jo maaya thi jisme is waqt uska gaanv ka maidan dikh raha tha,uska drsihya change ho chuka tha...

jahan kuch der pehle tak AKSHAANT aur MOKALSAR kapde se bani gendh se khel rahe the,wo achanak gayab ho gaye aur wahin ab achanak AKSHAANT ko teen log aate hue dikhe.....

ye teeno aur koi nahi balki AKSHAANT ke pitaji aur unke dono taraf se dono haath thaame BABA MOKALSAR aur BABA AKSHAANT the....

ye scene dekhkar pehle toh AKSHAANT chownk gaya par agle hi pal usse jaise kuch yaad aaya....



AKSHAANT- ye toh wahi samay hai jab mujhe aur MOKALSAR ko BABA ne yudh prashikshan dena aarambh kiya tha....



AKSHAANT apni soch me goom hi tha ki tabhi.....




A/FATHER- bachon,aaj se mai tum dono ko yudh kala sikhaunga.....



apne pitah ki awaaz sunkar AKSHAANT apni soch se baahar aa gaya.....



wahin BABA AKSHAANT aur BABA MOKALSAR ussi baat ko sunkar khushi se ucchalne lage....

un teeno ke saamne khade AKSHAANT ko bhi wo dour yaad aa gaya jab wo aur MOKALSAR lagatar apne pitah se un dono ko yudh kala sikhane ki zidh kiya karte the aur fir ek din apne bacchon ki zidh ke saamne haar maan kar unhone dono ko yudh kala sikhane ke liye haan keh diya tha...

AKSHAANT ko ehsaas ho gaya ki saamne chal raha scene ussi waqt ka hai jab pehli baar usne aur MOKALSAR ne yudh kala ki practice ki thi....

AKSHAANT muskurate hue ussi waqt ko ek baar firse apne saamne dekh khush ho raha tha...

is waqt uske saamne uske pitah usse aur MOKALSAR ko yudh kala ke basics ke baare me bata rahe the par AKSHAANT aur MOKALSAR apne pehle shashtra prashikshan ke liye betaab ho rahe the......

fir dekhte hi dekhte AKSHAANT ke saamne wo waqt bhi aaya jab usne aur MOKALSAR ne pehli baar talwar uthayi thi.....

apni un behatarin yaadon ko ek baar firse dekhkar AKSHAANT ke chehre par muskurahat aa gayi thi ki tabhi......



AKSHAANT- arre ye toh............



isse zyada AKSHAANT kuch keh nahi paaya par uski aankhon ne uske dil ki baat ki gawahi de di....

thodi der pehle tak AKSHAANT ki jin aakhon me khushi ki chamak thi,wahin ab unhi aakhon me dard ki lakire tair rahi thi....



reason....AKHSHAANT ke aankhon ek saamne chal raha scene badal chuka tha.....aur ab jo scene uske aankhon ke saamne tha,wo scene ya fir ye kahun ki wo yaad AKSHAANT ke baalya kaal ki sabse kadwi yaad thi.....

is waqt AKSHAANT aur MOKSALSAR ek pahad ki choti par the aur talwar baazi ki prashikshan kar rahe the....

waise toh ye scene kuch bura nahi tha par AKSHAANT ko maalum tha ki iske baad kya hone waala hai...

aur jo hone waala tha,usse hi ek baar firse mehsoos karke AKSHAANT bechain ho gaya tha...

jo hone waala tha usse rokne ke liye AKSHAANT aage badha taaki BABA AKSHAANT aur BABA MOKALSAR ko us jagah se kheench kar door kar sake par jaise hi AKSHAANT apne aur apne dost ke baalya avatar ke paas pahuncha aur un dono ko pakadne ke liye apna haath aage badhaya.....

uske saath bhi wahi hua jo RONIT ek saath hua tha....uska haath uske aur uske dost ke baalya avtaron ke aar paar chala gaya.....

aur thik RONIT ki hi tarah wo bhi bebes bhari aakhon se un dono ko dekhne laga..

is waqt BABA AKSHAANT aur MOKALSAR badi tezi se talwarbaazi kar rahe the...

MOKALSAR talwarbaazi ke saath saath ek gymnast ki tarah chalang laga kar idhar se udhar koodata jaa raha tha aur aisa karte karte wo kab pahad ke antim chhor tak pahunch gaya,ye naa toh usse pata chala aur naahi uske saamne khade BABA AKSHAANT ko...

dono apne me hi magan hokar talwar baazi kar rahe the...

tabhi achanak BABA MOKALSAR ki hi tarah BABA AKSHAANT ne bhi saamne ki taraf chalang lagate hue apni talwar chalayi jiske jawab me MOKALSAR ne bhi apni puri traakat lagate hue ek back flip liya par yahi usse galti ho gayi.....

BABA MOKALSAR waise bhi mountain ke edge me khada tha,back flip maarne ki ajah se uska pair ussi edge ke last point par rakhe ek pathhar par pada jo halka chikna tha.....

pathar par pair padte hi MOKALSAR ka balance bigda aur........





MOKALSAR..............

MOKALSAR..............



ek saath do cheeken nikli....



pehli cheekh BABA AKSHAANT ki thi aur dusri ye scene dekh rahe AKSHAANT ki....

par scene dekh rahe AKSHAANT ke haath me kuch tha nahi isiliye aakhon me aansu liye wo bas saamne dekhta raha wahin BABA AKSHAANT doudte hue pahadi ke last point par pahuncha aur dhadakte dil se neeche ki taraf dekhne laga......

aur tabhi.......



AKSHAANT.......mai yahan hun...mujhe bacha le mere bhai..........

ye awaaz AKSHAANT jahan khada tha,usse kuch neeche see aayi thi....

awaaz ke kaano me gunjte hi BABA AKSHAANT ki aakhen jinme aansu bhar gaye the,wo dobara chamak uthe...

dhyan se awaaz waali jagah par dekhne par BABA AKSHAANT ko BABA MOKALSAR ek ped ki tehni se latka hua dikha....



BABA AKSHAANT- tu chinta mat kar mere bhai..mai aa raha hun....

BABA MOKALSAR- jaldi aa..mere haath fisal rahe hain..mai zyada der tak is tehni ko pakad nahi paaunga....

paahadi ke last point par jahan is waqt BABA AKSHAANT khada tha,wahan se neeche utarne ke liye halke halke gadhe bane hue the.........

AKSHAANT unhi gadhon me pair jamate hue neeche utarne laga..wahin BABA MOKALSAR BABA AKSHAANT ko jaldi se usse bachane ke liye awaaz diye jaa raha tha...

BABA AKSHAANT bhi jitni jaldi ho sake,utni jaldi neeche utarta hua us jagah par pahunch gaya jo us ped ke level par thi jispar BABA MOKALSAR latka hua tha...

AKSHAANT us ped par chadh gaya aur dheere dheere sarakte hue aage badhne laga....

par problem ab bhi utni hi thi..kyunki BABA MOKALSAR jis ped ki tehni ke sahare jhool raha tha,wo tehni ped se bohot zyada aage tak nikli hui thi....

itna hi nahi,wo tehni thodi patli thi..usne ledekar BABA MOKALSAR ka bhaar sambhale hue tha aur agar BABA AKSHAANT bhi us tehni par apna wazan daalta toh wo tehni toot jaati......

kuch nayi yukti talashte hue achanak BABA AKSHAANT ki nazar uske neeche se gaye ek bade se tenhi par padi jo ki thoda patla tha....

wo us tehni ko dekh hi raha tha ki....



BABA MOKALSAR- jaldi kar AKSHAANT...mai aur zyada is tehni ko nahi pakad paaunga....

BABA MOKALSAR ki awaaz se AKSHAANT jo dekh raha tha,usse uska focus hat gaya.

BABA AKSHAANT thoda niche hue aur usne apni talwar se jo usne abhi bhi apne paas rakhi hui thi,usse nikala aur tehni ke ek chhor par waar kiya jisse tehni aadhi se zyada toot gayi...

BABA AKSHAANT ne apne haathon ko jhatakte hue tehni ko pura tod diya aur usse pakad kar wapas upar utha aur apne haath jisme tehni thi aage ki taraf badha diye....

wo tehni BABA MOKALSAR se kuch ek feet door tak pahunch gayi thi...



BABA AKSHAANT-MOKALSAR,sharir ko halka sa jhatka de aur is tehni ko pakad le...mai tujhe kheench lunga....

apne dost ki baat sun BABA MOKALSAR ne bine ek baar bhi us tehni ko dekhe apne sharir ko ek halka sa jhatka diya aur agle hi pal.......



MOKALSAR..........................



ye cheekh BABA AKSHAANT ke mooh se nikli thi....



reason......tehni ka wo sira jo MOKALSAR ke saamne tha,wo gila tha...aur jaise hi BABA MOKALSAR ne khudko jhatka dete hue us tehni ke aakhri sire ko pakda,toh fislan ki wajah se uska haath slip ho gaya aur agle hi pal BABA MOKSALSAR neeche girta chala gaya aur BABA AKSHAANT ke mooh se cheekh nikal gayi....

neeche girta hue BABA MOKALSAR ki body ek ke baad ek 5,6 pedon se takrayi aur fir ek ped jiske laten nikle hue the,usme jaakar fas gayi...

lagatar pedon se takrane ki wajah se BABA MOKALSAR ke pair aur haath toot gaye the aur wo behosh ho gaya tha...

wahin BABA MOKALSAR ke girne ke baad BABA AKSHAANT kuch der tak wahin ped par baitha hua rota raha par fir wahan se wapas upar chaddh apne ghar ki taraf nikal gaya..

ghar pahunch usne jo kuch bhi hua tha wo sab apne pitah ko bata diya.....

BABA AKSHAANt ki baat sun uske pitah kuch logon ko lekar us jagah par phunche jahan BABA MOKALSAR gira hua tha...

kuch der tak khojne ke baad AKSHAANT ek pitah ko BABA MOKALSAR ek ped par pada hua mila....

jaanch karne par jab pata chala ki BABA MOKALSAR mara nahi hai toh sabhi ne chain ki saans li....

BABA MOKALSAR ke murchit sharir ko utha AKSHAANT ke pitah ghar wapas aa gaye...

jahan ek taraf ye dekhkar ki BABA MOKALSAR zinda hai,BABA AKSHAANT khush hua wahin dusri taraf ye jaankar ki uske dost ke haath pair toot gaye hain,wo nirash ho gaya....

BABA AKSHAANT ko ye sab kahin na akahin ussiki galti lag rahi thi...

wo soch raha tha ki agar us tehni ko apne dost ki taraf badhane se pehle ek baar usne check kar liya hota toh ye sab nahi hota...

ye sab scenes AKSHAANT ke aakhon ke aage chal rahe the jinhe dekhkar uska wo barso purana dukh ek baar firse taaza ho gaya...

bhigi palkon ke saath AKSHAANT peeche palat gaya par tabhi..........





MOKALSAR'S ROOM:-





MOKALSAR-ye toh AKSHAANT ke baba hain....aur inke saath ye do bacche!!!!!arre ye toh mai aur AKSHAANT hain.....

darasal MOKALSAR ke saamne bhi wahi scene chal raha tha jo AKSHAANT ke saamne chal raha tha......

aur MOKALSAR bhi apne aur apne dost ke baalya kaal ko aur us waqt ko dekhkar khush ho gaya tha..

dheere dheere MOKALSAR ke aakhon ke saamne bhi wahi sab scenes chalne lage jo AKHSHAANT ke saamne chale the.....

aur fir uske aankhon ke saamne wo scene bhi chalne laga jab wo us ped se latka hua tha aur usse bachane ke liye AKSHAANT apni jaan ki parwah na karte hue khaayi se niche utar gaya...

MOKALSAR dekh raha tha ki kaise BABA AKSHANT ne ussi ped ki jisse wo latka hua tha, ek patli si tehni ko toda aur usse pakadne ke liye MOKALSAR ko kaha...

kaise us tehni ko pakadte hi uska haath fisal gaya aur wo neeche girne laga...

wo dekh raha tha ki kaise uska sharir kayi saare pedon se takraya aur fir aakhir me jaakar ek ped me fas gaya....

MOKALSAR ko khudko khayi se girta dekh itna dukh nahi ho raha tha jitna BABA AKSHAANT ko rota dekh kar ho raha tha...

MOKALSAR ko BABA AKSHAANT ka rona dekha nahi gaya aur uski aankhen chalak padin.....

bhigi palkon ke saath MOKALSAR peeche palat gaya par tabhi..........






SHAILA'S ROOM:-





BABY SHAILA-baba,mujhe doodh pasand nahi....mai nahi piyungi.....

ye bolkar BABY SHAILA phir se apne ghar ke aangan me idhar udhar bhaagne lagi.....

wahin SHAILA ki baat sunkar uske baba haath me doodh ka glass liye ek jagah par khade ho gaye....

S/BABA-thik hai fir...mat pee tu doodh..lekin aaj se tera mithayi khaana bhi band....mai saari mithayi bahaar logon ko baant kar aata hun....



ye bol SHAILA ke baba palte hi the ki BABY SHAILA jhat se unke aage aakar khadi ho gayi....



BABY SHAILA-nahi baba....aap meri mithayi kisi aur ko kaise de sakte hain...???

BABA- bilkul de sakta hun aur dunga bhi..jab tu meri baat nahi sunti toh mai kyun teri sunu...!!!mai toh saari mithayi baant kar hi rahunga....

BABA SHAILA- nahi naa baba....aur maine kab doodh pine se mana kiya....

BABA-acha..toh kya tere bhooth ne mana kiya tha...????

SHAILA- kisi ne bhi mana nahi kiya...zaroor aapko koi bhram ho gaya hai...laayiye,dijiye mera doodh.....


ye bol BABY SHAILA ne jhat se doodh ka glass apne pitah ke haath se liye aur ek saans me pi gayi..

par doodh pine ke baad uska mooh ban gaya jisse dekhkar suke pitah hans diye...

apne baal roop aur pitah ka ye drishya saamne khadi SHAILA dekh rahi thi..jahan kuch der pehle tak uske chehre par dard dikh raha tha,wahin us drishya ko dekh ab wo muskura rahi thi..

par ye muskurahat bas kuch lamho ki thi kyunki agle hi pal drishya badal gaya aur jo drishya SHAILA ke saamne aaya usse dekh ek pal me hi uski aankhen jhalak uthi.....



reason....is waqt jo naya drishya SHAILA ke saamne tha aur wo aur kuch nahi balki ussi raat ka tha jis raat NISHKALIKA chupke se uske baba ke shayan kaksh me ghussi aur uske sote hue baba ki neend me hi hatya kar di........

jaise hi NISHKALIKA ne khanjar SHAILA ke pitaji ke seene me ghusaya.......



BABAAAAAAAAAAAAAAAAAA..................



drishya dekh rahi SHAILA ke mooh se apne pitah ke naam ki cheekh nikal gayi.....

par SHAILA jaanti thi ki wo pal toh kab ka beet chuka tha aur jo chal raha tha wo ek maaya thi...

bhigi palkon ke saath SHAILA peeche palat gayi par tabhi..........






BACK TO HERO:-





SHAKTIYEM SPARSHAM

POWER TOUCH




chunouti shuru ho chuki thi...AGRASENA ne apne SWORD ko aage kar apna pehla SPELL bol diya tha.....

SPELL ke bolte hi SWORD se uski urja baahar aayi aur mere taraf aane lagi...

mai jaanta tha ki AGRASENA ke SPELL ki wajah se jo ye urja baahar aayi hai,isme bhi LORD OF ANGELS ke goon hain aur saath hi ye ek chumbak bhi hai....

iske mujhe chuute hi ye meri urja ko kheenchna shuru kar degi par ye jaanane ke baawajud mai apni jagah par khada raha..

aur jaise hi wo urja mujhtak pahunchi,maine khudko ek SHADOW me badal liya jiski wajah se wo urja mere sharir ko naa chukar mere aar paar hone lagi par jaise hi wo urja mere sharir ke bheetari angon se hokar dusri taraf se nikalne ko hui,mere shadow ne wapas sharir ka roop le liya....

aisa hone ki wajah se wo urja mere andar hi reh gayi...

wo urja mujhe nuksaan sirf baahar se hi kar sakti thi,andar se nahi aur isiliye hi maine ye yukti nikali thi...

bina mujhe sparsh kiye mere andar jaane aur sidhe meri andruni urja ko chune ki wajah se wo urja bhi meri urja ke saath mil gayi....



ADHBHUDH.......



ye baat AGRASENA ke mooh se nikli thi...wo bhi meri yukti ko samajh gaye the......

kuch der tak prashansaniya bhaav se mujhe dekhne ke baad.......



AGRASENA-apni amanat se do do haath ho jaaye......



ye bolkar bina mera reply sune AGRASENA ne SWORD ko meri taraf ucchal diya.....

aur agle hi pal.........



hawa me tairti hui wo SWORD mujhse kuch feet door aakar rook gayi aur aisa hote hi SWORD ke andar se ek ke baad ek 10 yodha baahar aaye aur kamaal ki baat ye thi ki un sab yodhaon ke haath me meri hi SWORD thi.........

apni nayi chaal chal AGRASENA muskura uthe aur apne waist par apne dono haath tika meri taraf dekhne lage...

waise muskaan toh mere chehre par bhi thi.....mai muskurate hue mujhe ghere un 10 yodhaon ko dekh raha tha.....

mai jaanta tha ki bhale hi mere saamne khade wo 10 log yodha hain,par ab jo yudh wo mujhse karenge,wo yudh asal me mujhse wo log nahi balki meri talwar karegi...

un yodhaon ke har prahar me meri SWORD ki shakti aur tezi mili hogi par fir bhi mai aaram se khada raha....

wahin wo 10 yodha mujhe chaaron taraf se ghere hue kuch der tak gol gol ghumte rahe par fir achanak......

mere peeche khade 2 yodha tezi se meri taraf aage badhe aur agle hi pal unki talwar tezi se mere dono shoulders ko nishana banakar chal pade aur......



soobhhhhh.............

kadak.......



pehli awaaz talwar chalne ki thi par ye waar khaali gaya kyunki jaise hi wo dono SWORD mere kandhe ke pas pahunche,maine apne aakar ko 3 guna tak patla kar liya jiski wajah se dono talwar bas hawa ko hi chir sake....

par unke talwar ke niche pahunchne se pehle hi mai bijli ki tezi se piche ghuma aur mere dono haath un dono yodhaon ke ek ek side ke shoulder par pade jisse unki shoulder ki haddi toot gayi.....

aur jaise hi ye hua,wo dono yodha ek roshni me badal kar gayab ho gaye aur dono talwar bhi wapas meri original SWORD jo ki hawa me rooki hui thi,uske andar sama gaye.....

wahin jaise hi wo dono yodhna gaayab hue,baaki ke bacche 8 yodha ek saath meri taraf lapke par isse pehle ki wo sab 1 feet bhi aage aa paate......



kadak,kadak,kadak,kadak,kadak,kadak,kadak,kadak........



kul 8 baar kadak ki awaaz aayi aur issike saath wo 8 yodha roshni me badal gaayab ho gaye aur un sab ki talwar wapas asli SWORD ke andar sama gayi.....



toh hua ye ki jaise hi wo 8 mujhe maarne ke liye aage badhe,mai waqt ko bhi maat deta hua ek ek ke piche pahunchta gaya aur saath hi ek ek jhatke me un sab ke gardan todta chala gaya...

SWORD ke is prahar ke viphal hone ke baad wo tez chamki aur aage badh thik mere saamne aakar khadi ho gayi.....

mai samajh gaya tha ki ab ye khud mujhe ladegi taaki meri yogyata ko parakh sake....

mere saamne aate hi talwar ek baar firse chali aur agle hi pal.......



soobh....soobh.....soobh.....soobh.....



ek ke baad ek SWORD ne mujhpar lagatar humle karna shuru kar diya...SWORD ki speed itni zyada thi ki hum dono se kuch door khade AGRASENA ko toh SWORD dikh hi nahi rahi thi...

wahin mai SWORD ke har waar ko aaram se dogde deta chala aa raha tha....par mere lagatar dogde dene ki wajah se SWORD ki speed aur badhti jaa rahi thi aur achanak.....



THAAPPP........



ye awaaz mere hatheli ke piche ki taraf SWORD ke mooth lagne ki wajah se aayi thi......



toh hua ye ki SWORD lagatar mujhpar tezi se waar kar rahi thi aur achanak mere seene ko nishana banakar SWORD meri taraf tezi se badhi.....

maine ye dekh liya tha isiliye isse pehle ki SWORD mere nazdeek pahunchti,mai side ho gaya....

par ye SWORD ki ek chaal thi..mere paas pahunchne se pehle hi usne apna waar badal diya aur ek jhatke me ulti ho gayi aur ghumte hue meri taraf badhi...

SWORD ke is achanak badle hue waar se bachne ke liye mai bhi dusri side hone ko hua aur mai kaamiyab bhi ho hi gaya tha par aakhri samay me talwar ki mooth mere hatheli ke back side se takra gayi...

ab ye koi maamuli talwar ki mooth toh thi nahi...uske takraate hi mere haath ko ek jhatka laga....isse mujhe kuch khaas fark toh nahi pada par haan,mai ab tak isse bas ek khel ki tarah aaram se khel raha tha par ab mere chehre ki muskaan gayab ho chuki thi aur mai ek tak SWORD ko dekhne laga....

aur jaise hi agle waar ke niyat se SWORD tezi se meri taraf lapki toh SWORD ki speed se khudko 100 guna tez karte hue mai uske piche pahunch gaya aur uske mooth ko pakad liya....

mere mooth ko pakadte hi SWORD chatpatane lagi par mujhe isse koi fark nahi pada...

kuch der tak SWORD ko pakde rehne ke baad uske mooth par apne muthi ki giraft aur tight karte maine ek jhatke me SWORD ko zameen me jad tak gada diya....

par tabhi.........



mere SWORD ko zameen me jad tak gadane ki wajah se mere aas paas ki zameen kuch palon ke liye hil gayi thi.....

wahin zameen me jad tak SWORD ko gadane ke baad jab maine apna haath uske mooth se hataya toh SWORD firse upar aane lagi par tabhi maine apna right pair SWORD ke mooth ke upar rakha aur usse wapas zamin me dhasata chala gaya.....

SWORD ek baar phir se puri zameen me dhas chuki thi par maine apna pair abhi bhi uski mooth par rakha hua tha....

SWORD apne aap ko baahar nikalne ki puri koshish kar rahi thi par kaamiyab nahi ho paa rahi thi...

SWORD toh apni jagah par hi thi par uske zamin ke andar chatpatane ki wajah se mere aas paas ki zameen ek baar firse hilne lagi aur is baar thoda zor se....

AGRASENA bhi khade khade ladkhadane lage the....wahin kuch der tak lagatar baahar aane ki naakaam koshish karne ke baad SWROD shaant ho gayi aur aisa hote hi zameen ka hila bhi band ho gaya......

AGRASENA- pratham chunouti purn hui....aapko toh sirf SWORD ko neeche girana tha par aapne toh isse zamin ke andar hi gaad diya.aapne SWORD ko saabit kar diya ki aap iske laayak hain.....



AGRASENA ki baat sun mai muskuraya aur agle hi pal maine apna pair SWORD ki mooth ke upar se hata diya.....par mere pair ke hatane ke baad bhi SWORD zamin ke andar hi rahi......

maine apna haath aage kiya aur mere aisa karte hi SWORD ek jhatke me zamin se baahar aayi aur uske baahar aate hi maine usse pakad liya.....

par ab bhi SWORD me halki halki vibrations ho rahe the...kyun???kuch der me aapko pata chal jaayega.....



AGRASENA-ab dusri avum antim chunouti....aapko is SWORD se mujhe maarna hoga????

AGRASENA ki baat sun mai muskuraya aur tabhi.....



SOOBH............



meri talwar ek jhatke me ghumi aur agle hi pal AGRASENA ka sir uske dhadh se alag hokar zameen me gir chuka tha......

par ye kya???????

sir ke katne ke agle hi pal AGRASENA ki sir jo zameen me pada hua tha,wo hawa me utha aur wapas jaakar AGRASENA ke dhad se jaakar jud gaya......

AGRASENA- ye itna bhi asaan..........



SOOBH........



AGRASENA isse aage nahi bol paaye kyunki unke vaakya khatm hone se pehle hi meri talwar ek baar fir chali aur ek baar firse AGRASENA ka sir unke dhad se alag ho gaya...

par ek baar firse wahi ghatna kram dohraane laga....AGRASENA ka sir wapas hawa me uthne laga par isse pehle ki wo sir AGRASENA ke dhad se judta.....

mere haathon se ek ray nikli aur.....



BOOM.............



mere haathon se nikli ray AGRASENA ke dhad se takrayi jisse ek tez dhamaka hua aur us dhamake me AGRASENA ka dhad nasht ho gaya...

par isse AGRASENA ke sir par koi asar nahi hua..wo hawa me aage badhi aur kuch pal pehle tak jahan par AGRASENA ka dhad tha,uske upar wali jagah par aakar sthir ho gayi aur agle hi pal........



sir ke sthir hote hi uske neeche ek roshni failne lagi aur dekhte hi dekhte us roshni ne ek aakar lena shuru kar diya aur kuch hi der me wo aakar AGRASENA ka dhad ban gaya aur jaise hi AGRASENA ka dhad uske sir se juda,AGRASENA zinda ho gaye....



AGRASENA- ye itna bhi asaan nahi hone waala hai LORD.....

MAI- mujhe pata hai...mai toh bas time paas kar raha hun....



ye bol maine apni aakhen band ki aur kuch dekhne laga..jo dekhna tha dekhne ke baad maine apni aakhen kholi aur......



MAI- jaldi karo doston.....jab tak tum sab ki chunouti puri nahi ho jaati,mai kuch nahi kar sakta.........






BACK TO FRIENDS:-





RONIT'S ROOM-



RONIT........



RONIT piche palta hi tha ki achanak uske kaano me ye awaz gunji jisse sunkar usse tez jhatka laga aur wo turant wapas piche palat gaya...

patalthe hi ek baar firse RONIT ke aankhon se aansu nikal pade par is baar ye aansu gum ke nahi balki khushi ke the.....

bhari aankhen par chehre par muskaan liye RONIT apne naam pukarne waali ko dekh raha tha.....



RONIT-ANJALI.............



ANJALI,jo is waqt RONIT ke saamne khadi thi...wo safed kapdon me ek pari ki tarah dikh rahi thi..jiski aankhon me RONIT ke liye beshumar pyar jhalak raha tha.....

RONIT aur ANJALI ek dusre ke aankhon me ek tak dekhe ja rahe the....



RONIT-magic me illusion ke jhuth se hi sahi,kamsekam mai tumhe saamne se dekh toh paaya.....



RONIT ki baat sunkar ANJALI ke chehre par muskaan aa gayi.....



ANJALI- haan ye sach hai ki mai is maayavi duniya ka illusion hun,par ye jhooth sach ho sakta hai.....



ANJALI ki baat RONIT ko samajh me nahi aayi...wo aankhon me sawal liye ANJALI ko dekhne laga....



ANJALI-jis taalab se tum shaktiyan prapt karne aaye ho,usme SOUL ko loutane ki bhi shakti hai......

aur isiliye hi us taalab ke paani ne mujhe yahan bheja hai....agar tum chaaho toh wo paani meri soul ko tumhe louta sakta hai....
aur sharir ka nirman toh VIKRAM kar hi dega....

iska sidha sa matlab ye hai ki tum apni ANJALI ko dobara paa sakte ho.....



ANJALI ki baat sun RONIT ki khushi ka thikana naa raha.....



RONIT- kya ye ho sakta hai????kya tum sach me wapas lout sakti ho!!!!

ANJALI-tumse maine kabhi jhuth bola hai kya RONIT????



RONIT ANJALI ko gale lagane ke liye jhat se aage badha par fir wahi hua,RONIT ka haath ANJALI ke aar paar chala gaya.....



ANJALI-ek baar mai wapas lout aaun,fir hamesha tumhari baahon me hi rahungi....

RONIT-tumhe wapas laane ke liye kya karna hoga???

ANJALI- wo dekho....



ye bol ANJALI ne ek taraf point kiya..jahan ANJALI ne point kiya tha,us jagah par ek darwaza ban gaya aur jaise hi RONIT ki nazar us darwaze ke dusri taraf gayi......



RONIT- arre wahan toh!!!!

ANJALI- wahi jagah hai jahan se tum is chunouti me utarne ke liye andar aaye the....



ANJALI ne RONIT ki baat ko pura kiya...

ANJALI- tu is CHUNOUTI ko bhul jaa aur us darwaze se hote hue wapas baahar nikal jaa.....

aisa karte hi ye jagah meri soul ko tumhare hawale kar degi.....

RONIT-oh.....



RONIT kuch sochne me laga hi tha ki....



ANJALI- kya hua RONIT......????kya ye chunouti aur shaktiyan tumhare liye mujhse bhi zyada important hai......????

RONIT- nahi ANJALI......tumse zyada important toh mai khud bhi nahi hun....

ANJALI- toh zyada soch mat......aur chal mere saath...hum dono saath saath us darwaze ko cross karte hain....



RONIT ne haan me apna sir hilaya aur ANJALI ke saath aage badh gaya....

ANJALI aur RONIT ek dusre ke aankhon me aakhen daale aage badh rahe the....

wo EXIT darwaza ab un dono se kuch hi kadam door tha.....RONIT ANJALI ke saath chalte hue us darwaze ke saamne pahunch chuka tha aur usse paar karne ke liye apna right pair upar hawa me utha bhi chuka tha ki tabhi..........





AKSHAANT'S ROOM:-




AKSHAANT mere bhai......



AKSHAANT palta hi tha ki ek dard bhari awaaz uske kaano me gunji......

awaaz sunkar AKSHAANT wapas palta par palatne par jo drishya uske aankhon ke saamne the usse dekh kar usse jhatka laga....



reason....jo drishya kuch der pehle chal raha tha,wo wapas shuru ho gaya tha par is baar do fark the....



pehla ya ki kuch der pehle BABA AKSHAANT jahan leta hua tha,ussi tehni par is waqt wo khud leta hua tha aur usse thodi door tehni par BABA MOKALSAR ki jagah MOKALSAR latka hua tha...

jo awaaz AKSHAANT ke kaano par padi thi wo bhi MOKALSAR ki hi thi aur wo ab bhi AKSHAANT ki taraf hi dekh raha tha...

dusra ye ki BABA M0KALSAR ke neeche khayi nahi thi balki ek darwaza dikh raha tha jiske dusri taraf ussi talaab ka exit tha jisse hokar wo is maayvi duniya me aaye the....

AKSHAANT in sab chizon ko samajhne ki koshish kar hi raha tha ki....



MOKALSAR-AKSHAANT..mai jaanta hun mujhe naa girne se naa bacha paane ka doshi tu aaj bhi khudko hi maanta hai....

par aaj tu us soch ko hamesha ke liye badal sakta hai......



AKSHAANT- matlab??kaise aur ye sab kya hai????

MOKALSAR- hamare parakram ko dekhte hue is mayavi uniya ne hume puraskrit karne ka nirnay liya hai....

neeche jo darwaza dikh raha hai naa,usme hum dono ko ek saath chalang lagana hoga...aisa karte hi hamari bachpan ki wo dukhad ghatna wapas badal jaayegi....

aur tu mujhe naa bacha paane ke dosh se khudko hamesha ke liye mukt ho jaayega....



AKSHAANT- sach!!!!aisa ho sakta hai????

MOKALSAR- bilkul ho sakta hai..bas tu kuch der ke liye yahan ki CHUNOUTI ko bhool jaa...

tu bas wahan se mere upar chalang laga de....

hum dono ek saath hamare neeche bane darwaze kood jaayenge...

aur jaise hi hum darwaze ke us paar pahunchenge,samay chakra badal jaayega aur hamari wo buri yaad bhi mit jaayegi....



MOKALSAR ki baat sunkar AKSHAANT khush ho gaya.....usne man hi man MOKSALSAR ke kahe anusar karne ka nirnay le liya..

apna pura balance tehni par dekar AKSHAANT ne MOKALSAR ke upar chalang lagane ki position le li....

chalaang lagane se pehle AKSHAANT ne apne body ko halka pull kiya hi tha ki tabhi.......





MOKALSARS ROOM:-




DAR MAT BHAI....TUJHE KUCH NAHI HOGA........



MOKALSAR piche palta hi tha ki tabhi uske kaano me ye awaaz gunji jisse sunkar wo chownk gaya...

MOKALSAR ke chownkne ki wajah sirf wo awaaz nahi thi balki abhi ka drishya bhi tha....

darasal MOKALSAR jo ek second pehle apne pairon par khada tha,ab wo ek ped ki tehni se latka hua tha.....

aur ye tehni wahi thi jispar wo kuch der pehle drishya me latka tha....

aur toh aur jo awaaz aayi thi wo uske upar se nahi balki neeche se aayi thi jisse sun jaise hi MOKALSAR ne neeche dekha,toh chownk gaya....



reason.....AKSHAANT jisse upar hona chahiye tha wo neeche ki ek tehni jo pehle nahi thi,uspar latka hua tha aur uske neeche ek darwaza bana hua tha jiske dusri taraf is maayavi duniya ka exit tha....

MOKALSAR is nayi maaya ko samajhne ki koshish kar hi raha tha ki.....



AKSHAANT- zyada soch mat mere bhai...yahi hum dono ki chunouti hai.....

bachpan ke is kadwi yaad ko hum dono ko ek baar firse jeena hoga......

par agar hum dono hamare neeche jo darwaza hai,usse ek saath paar karne me kaamiyab hue toh naa sirf is chunouti ko paar kar lenge balki bachpan ki us kadwi ghatna ko bhi badal paayenge......



MOKALSAR- ye kaise chunouti hai???

AKSHAANT-jitna asaan lag raha hai utna hai nahi...tune meri baat dhyan se nahi suni hai...hum dono ko ek saath ek hi samay par us darwaze ke paar jaana hoga..naa ek pal pehle aur na ek pal baadme...

aur hamare paas zyada waqt bhi nahi hai....agar hum jaldi se nahi kude toh darwaza band ho jaayega aur hum ye chunouti haar jaayenge....

teri hadbadi ki wajah se pichli chunouti hum haar hi gaye the aur is baar agar tune vilamb kiya toh hum nischit hi haar jaayenge....



AKSHAANT ki baat sun MOKALSAR ko apne pichle chunouti ke douran kiya gaya galti yaad aa gaya..

usse laga ki AKSHAANT thik bol raha hai aur isiliye usne neeche koodne ka nirnay kar liya....



MOKSALSAR- taiyar reh..mai kood raha hun.....

AKSHAANT- tu chinta mat kar..aur CHUNOUTI ko bhi bhul jaa taaki tera dimag khul sake aur kood jaa....

ek lambi saans kheench MOKALSAR ne apne haath ki giraft tehni se kamzor ki hi thi ki tabhi.......





SHAILA'S ROOM:-




GUDIYA.............



SHAILA jo palti hi thi,wo ye awaaz sunkar chownk gayi aur jaise hi wo palti,toh nuske aashcharya ka thikana naa raha....

is waqt uske pitah uske saamne muskurate hue khade usse dekh rahe the...

SHAILA jhat se aage badhi taaki apne pitah ko gale laga sake par uske saath bhi wahi hua jo RONIT ke saath hua tha....uske haath uske pitah ke aar paar ho gaye jisse wo nirash ho gayi.......



S/DAD- nirash mat ho gudiya....tu abhi mujhe nahi chhu paa rahi hai,par agar tu chaahe toh aage chalkar zaroor chhu paayegi.....

SHAILA- mai samjhi nahi baba....

S/DAD-matlab mai puran jeevit ho sakta hun par tabhi jab tu chaahe....!!!!



apne pitha ki baat sunkar SHAILA shocked bhi hui aur khush bhi...



SHAILA-kya aap sach keh rahe hain pitaji??????agar ye sambhav hai toh mai kuch bhi kar jaaungi aapko punah jeevit karne ke liye.....



SHAILA ki baat sunkar uske pitah muskura diye.....



S/DAD-iske liye tujhe koi bada kaam karne ki zaroorat nahi hai...bas tu is CHUNOUTI ko bhul jaa.....

SHAILA- matlab????

S/DAD- wo dekh...



ye kehkar SHAILA ke dad ne ek taraf point kiya aur jaise hi SHAILA ki nazar us taraf gayi toh wo shocked ho gayi...

uske dad ke point kiye hue jagah par ek darwaza bana hua tha jiske dusri taraf is mayavi jagah ka exit tha....



SHAILA- wo darwaza!!!!

S/DAD-mujhe wapas zinda karne ki chaabi hai....

SHAILA ki baat ko uske dad ne pura kiya par SHAILA ko ab bhi kuch samajh nahi aa raha tha aur isiliye.......



S/DAD-tujhe us darwaze se hokar dusri taraf jaana hoga...aisa karte hi ye mayavi jagah tujhe khush ho jaayegi aur badle me meri aatma tujhe soump degi jisse mai fir se jeevit ho sakunga....



SHAILA ki baat sunkar SHAILA ki khushi ka thikana naa raha....



SHAILA-kya aisa sach me ho sakta hai pitaji????

S/DAD-bilkul ho sakta hai...ab vilamb mat kar aur chal....

ye keh SHAILA ke pitaji aage aage chalne lage aur unke piche piche SHAILA chal padi....

SHAILA chalte hue darwaze ke nazdeek pahunch chuki thi aur usne usse paar karne ke liye apna ek pair bhi aage badha diya tha par tabhi............





DHANUR'S ROOM:-




INME SE KISI KO BHI MERI AWAAZ SUNAYI NAHI DE RAHI HAI.......



jo scenes mere chaaron doston ke room me chal rahe the,wo DHANUR dekh rahe the aur lagatar kuch na kuch bole bhi jaa rahe the par unki awaaz un chaaron ko sunayi nahi de rahi thi jisse DHANUR samajh gaye the ki is mayavi jagah ne unki awaaz ko block kar diya hai....

wo chup chaap drishya dekhne ke alawa aur kuch nahi sakte the......





ALL FOUR ROOMS:-




CHUNOUTI KO BHOOL JAA................




RONIT aur SHAILA jinhone apne apne kadam hawa me utha liye the darwaze ko cross karne ke liye....

AKSHAANT jisne apne aap ko pull kiya hua tha jhatke se chalaang lagane ke liye aur MOKALSAR jisne apne haath dheele chhodne shuru kar diye the AKHSAANT ke upar girne ke liye........



thik ussi waqt mere chaaron doston ke dimag me ye shabdon ki maala jo unke partners ne kahi thi,strike hui aur agle hi pal......



RONIT aur SHAILA ne apna pair wapas kheench liya..AKHSAANT wapas tehni me normal hokar baith gaya aur MOKAALSAR ne firse tehni ko mazbooti se pakad liya....

un chaaron ke aisa karte hi unke saamne waale kuch kehne ke liye apna mooh kholne hi waale the ki.....



CHAARON DOST-ye bas ek bhram hai aur kuch nahi.....hum apni CHUNOUTI chhodkar nahi jaayenge...



ANTIM CHUNOUTI PURN HUI.........



jaise hi mere doston ke mooh se ye baat ye fir ye kahun ki unke faisle nikle,tabhi ye awaaz unke kaano me gunj uthi aur dekhte hi dekhte unke saamne moujud maaya gaayab hone lagi aur kuch hi palon me wo pura illusion khatm ho gaya aur aisa hote hi.......



mere dost wapas ussi MAGICAL DIMENSION me aa gaye jahan se unhone apne chunoutiyon ki shuruat ki thi.....

DHANUR bhi wahin khade the.....

ek dusre ko apne samaksh dekh mere dost khush ho gaye aur chaaron ne ek group hug kiya.....



DHANUR-bohot khub bacchon,bohot khub.....tum sabne jis dhairya se is antim chunouti ko paar kiya hai wo nissandeha,taarif ke kaabil hai......

dushman se ladhna toh asaan hota hai kintu jab mukabla apno se ho toh kaarya asambhav jaisa kathin ho jaata hai....

par tum sab ne jis tarah se is bhram ko samjha aur usse kaata,usse tumne saabit kar diya hai ki tum sab apaar shaktiyon ko paane ke kaabil ho.......

DHANUR ki baat sunkar mere chaaron doston ne unke saamne apne haath jode aur....



RONIT-aapke bina sujhav aur sahayata ke hum in chunoutiyon ko kabhi paa nahi kar paate....

RONIT ki baat ka baaki teeno ne bhi samarthan kiya.....

wahin DHANUR bas muskura diye par tabhi....



SHAILA- arre ye kya ho raha hai????

RONIT- haan yaar..kahin koi naya panga toh nahi hone wala????arre ye prakash kaisa????



toh hua ye ki achanak wo jagah jahan mere dost aur DHANUR khade the,wo hilne lagi thi...

kuch der tak hilne ke baad us jagah par ek tez prakash fail gaya jisse mere doston ki aankhen band ho gayi...

kuch der tak aisa hi raha par fir dheere dheere roshni kam hone lagi...roshni ke kam hone ke baad jaise hi mere doston ne apni aankhen kholi toh shocked reh gaye.....



reason.....is waqt wo wahin khade the jahan se unhone shuruat ki thi matlab taalab ke saamne......


RONIT-oye teri......



ye shock abhi khatm hi nahi hua tha ki mere doston ko dusra shock laga.....

reason...mere doston ke dusri taraf is waqt MIRRORS WORD ke teeno MIRRORS hawa me khade hue the.....

un mirrors ko apne saamne dekh mere dost hadbada gaye the aur isse pehle ki wo kuch kehte....



MIRRORS-tum sab ne apni sabhi chunoutiyan safalta purvak puri ki.....isiliye.......



MIRRORS ne aage kuch nahi kaha......balki agle hi pal,unke andar se teen beams ek saath nikli aur theek mere doston ke seene ke beech padi....

aisa hote hi mere doston ke sharir hawa me uthne lage par tabhi......

chaar aur beams nikli par ye beams MIRRORS se nahi balki talaab se nikli thi...

wo beams bhi mere doston ke peeth par padi aur aisa hote hi mere doston ke sharir wapas zamin par aane lage.....

is douran mere doston ki aakhen band ho gayi thi.....

kuch der tak aisa hota raha uske baad talab ki aur mirrors ki beam ek saath gayab ho gayi.....

beams ki wajah se bohot tez roshni ho gayi thi isiliye mere dost dikh nahi rahe the par beams ke gayab hote hi wo dikhne lage aur jab DHANUR ki nazar mere doston par gayi toh unke chehre par muskaan aa gayi....



reason.....mere doston ki aakhen toh is waqt band thi par unke sharir bohot tez chamak rahe the....

ye chamak us urja se aa rahi thi jo ab mere doston ke andar thi.....

mere doston ke chehre ki chamak bhi ab pehle se 1000 guna tak badh gayi thi....kuch der tak yunhi aankh band rakhne ke baad mere doston ki aakhen khul gayi...
apne sharir ke tej aur apne andar ki urja ko mere dost mehsoos kar paa rahe the....

unhe aisa lag raha tha jaise ek bohot badi shakti ka shroth unke andar beh raha hai aur agar wo ishara bas karen toh wo shakti pure bramhaand ko hila sakti hai....

apne andar aur sharir me aaye is badlaav se wo khush bhi the aur hairan bhi.....

kuch der tak khudme hi khoye rehne ke baad un sab ki nazar pehle unke saamne khade DHANUR par gayi aur fir MIRRORS par....

apni shaktiyon ke baare me janane ke liye wo MIRRORS se iske baare me puchne hi waale the ki........



ARRE YE KYA HO RAHA HAI?????



ye baat meer chaaron doston ke mooh se ek saath nikli thi....

reason????kuch hi der me pata chal jaayega......





BACK TO HERO:-




KYA HUA????AAP AUR PRAYAS KYUN NAHI KAR RAHE MUJHE MAARNE KI????



do prayason ke baad mai AGRASENA ke saamne aaram se khada ho gaya..maine unpar aur koi waar nahi kiya jisse dekh AGRASENA ne mujhse ye swal pucha tha....



MAI- aap bhi toh naa mujhse bachne ka prayas kar rahe hain aur naahi saamne se aakraman.....?????!!!!!

AGRASENA-aakraman mai isiliye nahi kar raha kyunki mai is laayak nahi...aur khud ka bachav mai isiliye nahi kar raha kyunki mujhe iski zaroorat hi nahi....

is talwar se mai mar nahi sakta......

MAI-sirf tab tak jab tak mai aap par issi talwar se agla waar nahi karta..mere agle waar se aap bach nahi paayenge.....



meri baat sunkar AGRASENA ke chehre par muskaan aa gayi....



AGRASENA- aur kya mai jaan sakta hun ki aisa kyun????

MAI- thoda rukiye..pata chal jaayega...



ye bol maine apni aakhen ek baar firse band kar li....AGRASENA ne bhi iske baad mujhse kuch nahi pucha...

meri aankhen kuch der tak band rahi par tabhi........

mere chehre par ek muskaan naach gayi aur uske agle hi pal meri aankhen khul gayi.....

maine ek baar AGRASENA ko dekha aur.....

maine SWORD ko ek disha me fek diya....SWORD tezi se ek disha ki taraf badh gayi.....aage badhte hue kuch hi palon me meri SWORD apne manzil ki taraf pahunch gayi aur agle hi pal.......

apni manzil par pahunch SWORD ek tez roshni ke gole me convert ho gayi aur us roshni ke gole se 4 tez kirane nikli aur aage badh gayi aur sidhe jaakar apne apne targets se takrayi.....

ye targets aur koi nahi THE THREE MIRRORS aur TAALAB the.......

aur yahi wo reason tha doston jiski wajah se mere dost shocked hue the....MIRRORS aur TAALAB par jaise hi mere SWORD ki rays touch hui,MIRRORS ke aakar change hone lage aur saath hi TAALAB ki bhi.....



jahan ek taraf MIRRORS urja me badal gaye wahin TAALAB dhuen me badalne laga aur dekhte hi dekhte wo dhuan MIRRORS ki urja ko khudme lapetne laga.....

jaise hi us dhuen ne urja ko lapeta,urja ko samete wo dhuan sidhe mere SWORD se bani roshni me sama gaya aur aisa hote hi wo roshni wapas meri SWORD me badal gayi wapas meri taraf tezi se aane lagi.....

jab ye sab ho raha tha,toh MIRROR aur TAALAB ki jagah par itni roshni ho gayi thi ki mere dost aur DHANUR ko apni aakhen band karni padi thi aur jab ye roshni ghati aur sabhi ne apni aakhen kholi toh shocked reh gaye....



reason......taalab bhi gaayab ho chuka tha aur MIRRORS bhi.....

kisi ko kuch bhi samajh me nahi aaya ki aakhir hua toh hua kya????

wahin dusri taraf SWORD tezi se meri taraf aa rahi thi....



MAI- taiyar hain......



par meri baat AGRASENA ko samajh me nahi aayi par isse pehle ki wo kuch kehte........




KHACH...........................



meri SWORD mere haath me wapas aa chuki thi aur isiliye mera haath ek baar fir ghuma aur agle hi pal AGRASENA ka sir unke dhad se alag hokar gir chuka tha.....

par sir ke katne ke agle pal hi wo sir wapas uske dhad se judne ko hua par isse pehle ki aisa ho paata....

maine apni SWORD aage kar di aur.....



ZUGANATI SHAKTIYEM........

EJECT POWER.......



mere SPELL bolte hi meri SWORD ki nok tez chamakne lagi aur agle hi pal.....

ussi nok se do alag alag cheezen nikli...

pehli,dhuan joki asal me wahi maayavi TAALAB tha aur

dusri,white ray joki asal me THE THREE MIRRORS the....

dhuan jaakar AGRASENA ke dhad se lipat gaya aur ray sidhe jaakar AGRASENA ke sir se jaakar takraya aur aisa hote hi.......


BOOM


AGRASENA ka dhad aur sir vibrate hone lage aur dekhte hi dekhte dono blast ho gaye par is baar blast hone ke baad kli parivartan nahi aaya tha jiska matlab AGRASENA ki shart puri hui......



toh asal baat ye thi doston ki aapko yaad hoga ki MIRRORS WORLD AGRASENA ne SWORD ki shakti se hi banaya tha.....

par jab MIRRORS WORLD ki sthapana ki gayi thi tab AGRASENA ne SWORD ko khudse nahi joda tha......

isiliye THE THREE MIRRORS aur TALAAB bhi AGRASENA se nahi jude the par wo SWORD ka hi ek hissa the....

aur jaise hi maine pehli baar SWORD ka sparsh kiya tha,toh mujhe uske baaki ke bhaagon joki TAALAB aur MIRRORS the,unke baare me pata chal gaya tha.....

aur sath hi ye bhi pata chal gaya tha ki wo bhaag AGRASENA se nahi jude hain....kuch dr pehle jab maine apni aakhen band ki thi toh wo isiliye ki thi ki mai dekhna chah raha tha ki mere doston ki chunouti kahan tak pahunchi thi...

kyunki bina mere doston ki chunouti pure kiye mai taalab aur mirrors ko talwar se nahi jod sakta tha..

aur jaise hi mere doston ki chunoutiyan khatm huin aur unhe shaktiyan mili,maine TAALAB aur MIIRORS ka roop badal unki shaktiyon ko wapas SWORD se mila diya....

aur jaise hi maine SWORD se AGRASENA ka sir kaata,maine TAALAB aur MIRRORS ki shaktiyon ko unke dono bhaagon par chhod diya jisse unke sir aur sharir ka samooh naash ho gaya.....



jaise hi AGRASENA ka sharir khatm hua,mere saamne ek tez roshni hui aur ussi roshni ke beech ek ANGEL prakat hue.....



MAI-apne purane aur asli roop me swagat hai ANGEL AGRASENA......



ji haan doston ye ANGEL aur koi nahi AGRASENA hi the jo ki is waqt ek ANGEL ke spirit form me the.....

AGRASENA ne mere aage haath jode aur....



AGRASENA-mujhe meri pehchaan wapas dilane ke liye shukriya LORD.....jo sharir mujhe mila tha,wo bas aapki amanat aap tak pahunchane ke liye hi tha....

mere sharir ko khatm kar aapne mujhe mere kartavya se bhi azaad kiya hai....ab mai wapas GOD ke paas jaa sakta hun......



MAI-aapki lagan sarahaniya hai AGRASENA....aapki nishta atulniya hai....



meri baat sun AGRASENA ne apna sir jhuka liya....



MAI-aap jaa sakte hain....



mere kehte hi ek baar AGRASENA mere aage firse jhuke aur agle hi pal wo gayab ho chuke the....par tabhi.....



mere saamne ek tez roshni hui aur jab wo roshni hati toh mere saamne AVANATIKA khadi thi....

mujhe dekh wo doudte hue mere paas aayi aur mere gale lag gayi.....



MAI- asli prize toh ab mila......



meri baat sun AVANTIKA muskurate hue mujhse alag hui.....

AVANTIKA- chalen....

MAI-ek aakhri kaam bacha hai..wo karlen,fir chalte hain.........

AVANTIKA aankhon me sawal liye mujhe dekhne lagi...maine kuch kaha nahi bas AVANTIKA se thoda door hat gaya aur aglehi pal........

MAI-baahar aao........

Maine apne seene par haath rakh kaha aur mere aisa bolte hi.....

Mere seene ke beech ek tez roshni hui aur tabhi....

Meri BOOK mere andar se baahar aa gayi...baahar aakar book mere saamne rook gayi aur agle hi pal usne khudko khol diya....

Book ke khulte hi meri SPEAR usse nikalkar baahar aa gayi jisse maine pakad liya....

Par mere haathon me aate hi SPEAR firse waise hi vibrate hone lagi jaise us din hui thi jab uspar uski shakti ka aadha hissa matlab diamonds lage the....(update 79)

aisi hi kuch vibrations mere dusre jaath me pakde SWORD se bhi ho rahe the jaisa ki maine kuch der pehle bataya tha....

Par mai jaanta tha ki aisa kyun ho raha hai...SPEAR ke vibrate honi ki wajah thi uski excess power instability..

diamonds ke spear se alag hone se pehle jo unme sjakiyan thi wo alag hone ke baad saare sorcerers ki shaktiyon ko sokh sokh kar aur badh gayi thi aur jab wo diamonds numa shaktiyan wapas SPEAR se jude toh unki shaktiyan pehle se kahin zyada thi jiski wajah se SPEAR unstable ho gayi thi....

Wahin dusri taraf SWORD ke vibrate hone ki wajah less power consumption tha.....

Jaisa ki maine bataya tha ki sword ki shakti ka bhaag MIRRORS aur TAALAB me tha par unke alag hone ki wajah se wo power bat gaua tha aur ab jab wo dono powers puri tarah khatm ho chuki hain toh unhi powers ke abhav ki wajah se SWORD vibrate ho rahi thi.....

Par mujhe in dono ki stability ka ilaj maalum tha aur isiliye......

SHAKTI KZATAM....

JOIN POWER.....


Maine SWORD aur SPEAR dono ko hawa me ucchal diya aur is SPELL ko uccharit kiya aur agle hi pal....

SPEAR aur SWORD ek duare se takra gaye aur aisa hote hi har taraf tez roshni faile gayi aur jab roshni ghati toh SPEAR gayab ho chuki thi ya fir ye kahun ki usne apna roop badal liya tha....

SPEAR ke gayan hote hi SWORD nere haath me aa gayi...ab SWORD bilkul vibrate nahi kar rahi thi....

Maine sword ko dekha jiske beecho beech mere SPEAR ka noshan tez chamak raha tha jiska matlab tha ki SPEAR ne khudko aur khudki shaktiyon ko SWORD ko soump diya tha..

Maine SWORD ko aage kiyq..mere aisa karte hi SWORD meri book me chali gayi aur agle hi pal meri book wapas mere andar jaa chuki thi....

Apna kaam khatm kar jab mai.palta toh AVANTIKA ko mujhe muskurakar dekhte paaya.....

MAI- koi sawaal hai????

AVANTIKA ne waise hi muskurate hue naa me apna sir hila diya....uske aisa karne par mai muskurays..aage badh yska maatha chum....

MAI-ab chalen!!!!





Ais baar bhi AVANTIKA ne kuch kaha nahi bas haan me apna sir hila diya...

maine AVANTIKA ka haath thaama aur agle hi pal hum dono gayab ho chuke the....




AVANTIKA- arre hum yahan kaise????aur ye toh!!!!!



MAI-wahi do talwar hai jo us waqt bhi tangi hui thi jab hum chakravyuh me ghusne waale the...



AVANTIKA ki baat maine puri ki....darasal gayab hokar mai AVANTIKA ko lekar ussi diwal ke saamne pahuncha jiske aage ke darwaze se hokar hum dono ASMODEUS ke chakravyuh me ghusse the...



AVANTIKA- yahan toh abhi bhi do do SWORD hain par asli SWORD toh tumhe mil gayi naa.fir bhi kaise???

MAI- wo isiliye kyunki jo 2 SWORDS tangi hain,wo dono hi nakli hain....

AVANTIKA- what???

MAI- hmmmm..isiliye maine kaha tha ki koi bhi darwaza chun lo....

AVANTIKA-ohh......

MAI- maine socha jab yahan ke sabhi sawalon ke jawab mil chuke hain,toh is maaya ke baare me bhi pata hona chahiye isiliye tumhe pehle yahan lekar aaya...



AVANTIKA meri baat sunkar muskura di....mai ek baar firse AVANTIKA ko lekar gaayab ho gaya.....





BACK TO FRIENDS:-





RONIT-yaar ye MIRRORS aur TALAAB kahan gaye????

SHAILA-shayad unke kaam khatm ho gaye the isiliye gaayab ho gaye.....

AKSHAANT- haan aisa ho sakta hai....!!!!



YA FIR NAHI BHI HO SAKTA HAI....




ye awaaz mere doson ke piche se aayi thi..awaaz sun jab sab palte toh saamne waalon ko dekh khush ho gaye....



RONIT-V.J,AVNI,humne kar dikhaya....



ye bol RONIT aur baaki ke teeno aage badhe aur mujhe aur AVANTIKA ke saath milkar sabhi ne ek group hug kiya.....

sabhi ke body bohot glow kar rahe the jisse dekhkar.....



AVANTIKA- ye tum chaaron ki body itni chamak kyun rahi hai????

AKSHAANT-shaayad shakti aur urja ki wajah se..par aisa toh hum sabhi ke saamne nahi jaa sakte naa....

RONIT- bhai,mujhe toh kuch zyada hi urja aur shakti mehsoos ho rahi hai...mai control nahi kar paa raha hun....



maine kuch nahi kaha aur baari baari sabke sir par haath rakha.....

mere aisa karte hi sabhi ke body ki chamak aur unke andar ki urja ka prabhav kam ho gaya...

dekhte hi dekhte chaaron pehle ki tarah normal dikhne lage...



MAI- shakti,urja toh tum sab ko mil gayi par usse control karne ka hunar sikhna abhi baaki hai....thoda waqt lagega,tab tak apne dimag ko sayaamiit aur control me rakho..

jitna zyada excited aur uttejit hoge,utna zyada tumhari urja aur shakti tumpar haawi hogi....

meri baat sun sabhi ne haan me apna sir hilaya....



MAI-DHANUR,aapne mere doston ka jo maargdarshan kiya,uski liye mai dil se aapko dhanyawaad kehta hun.....


DHANUR-aisa bolkar mujhe paap ka bhaagidaar mat banaiye LORD...kisi bhi tarah aapke kaam aana,ye mere liye soubhagya ki baat hai....

aur waise bhi mai aapke mitron ke yudh koushal se bohot prabhavit hua hun aur isiliye mai in sab ko kuch dena chahta hun..agar aapki ijazat ho toh....!!!!



maine haan me apne sir ko halki si jumbish di.....

DHANUR ne apna haath aage kiya aur agle hi pal unke haathon me ek dhanush aa gaya.....

us dhanush ko unhone RONIT ki taraf badaha diya jisse RONIT ne khushi khushi le liya...

issi tarah DHANUR ne aur teen dhanush prakat kiye aur mere baaki ke teen doston ko de diye....



DHANUR- ye koi aam dhanush nahi hai....isse chalane ke liye teer ki zaroorat nahi padti...

bas pratyancha chadhao aur chhod do....teer apne aap prakat hokar apne manzil ki taraf badh jaayega....

is dhansuh se nikla hua har teer kaali aur safed shakti ke har astra ko kaat sakta hai....aur isse saath lekar chalne ki awashyakta bhi nahi hai....

jab bhi isse smaran karoge ye prakat ho jaayegi aur istemaal ke baad gayab......



DHANUR ki baat sun mere dost behad khush ho gaye...

unhone apne apne dhanush ko dekh man me gaayab hone ko kaha aur agle hi pal dhanush gayab ho chuki thi.....



DHANUR-LORD,mera yahan ka kaarya samapt hua....aage ke liye ab aap hi mera mera maargdarshan karen...



maine kuch kaha nahi bas apna haath aage kar diya.....mere haath se ek tez roshni nikli aur DHANUR me sama gayi.....

ab DHANUR ko bhi apne andar bohot shaktoyon ka aabhas ho raha tha...



MAI-ye shaktiyan aapka inaam bhi hain aur aapka hak bhi...is bramhaand me jitne bhi WHITE ENERGY waale grah hain,wahan ke har jaadugar,har yodha ko aur nikharne ki zimmedari aapki hai...

saath hi un grahon par WHITE ENERGY ka hi waas rahe,iska bhi aap hi dhyan rakhenge...

aur mai jaanta hun ki aap ye kartavya bakhubi nibha sakte hain....aap issi shan se apni yatra aarambh karen....



meri baat sun DHANUR apne pehle apne ghutno par aaye aur fir agle hi pal gayab ho gaye.....



RONIT- toh ab!!!!!



MAI- ab kuch din tak tum sab apni apni shaktiyon ko control karna,sayammit karna sikhoge.....aur uske baad......



SHAILA- uske baad?????




MAI-SHADOW WORLD........






AAJ KE LIYE ITNA HI......









AAPKA APNA V...J......
Amazing update. aakhri chunoti ekdam superb thi.fullon paisa vasool.speechless update
 
  • Like
Reactions: Fighter and vj4u
Top