krish1152
Well-Known Member
- 5,606
- 16,361
- 188
Maine dekha h, achi kahaniyo ka pahla update hamesha boring hi hota hain
PART – I [ UNFOLD THE MYSTERY ] CHAPTER – 1
“THE TRIP” UPDATE #1 [THE BEGINNING]“Let’s gather up students, it’s time to leave”.
Ek kadak awaaz ne sabhi students jo ki annual budget se bhi zyada important discussion mein lage hue the unhe shant kar diya. Ye awaz thi hamare School Ke Sports Teacher ANIL MANEK ki jo ki hamare is school trip ke teacher-in-charge bhi the.
To chaliye thoda jaan lete hain is jagah aur of course “THE TRIP” ke baare mein.
PLACE :- SCOTTISH INTERNATIONAL SCHOOL (JAIPUR , RAJASTHAN)
( The best school in Jaipur and to be fair in whole of Rajasthan. Do hi tareeke hain is School mein padhne ke , pehla , paise se ameer ho jao , dusra knowledge aur intelligence se. Basically yahan ki sirf admission aur monthly fees dene mein hi pran halak mein aa jayein ek middle-class family ke to baaki ke expenses to chhod hi do. Haan ek tareeka ye hai ki aapka baalak ya baalika bahut hoshiyar ho to scholarship se baat ban sakti hai par usmein bhi a number of seats hi available hoti hain matlab spasht shabdon mein kahein to scholarship se entry lene ke liye Gala Kaat competition hai yahaan.
Jo ki kahin na kahin jayaz bhi hai. Bhai best faculty ke saath aur mind-blowing environment mein padhne ke liye kuch to karna padega na.)
BACK TO THE STORY:-
To ye school ki class 11th ke liye ek Trip ka ayojan kiya gaya hai to Ladakh . Aur sabhi students iske liye super-excited bhi hain. Wait, wait sabhi nahi ek ke chehre ka rang uda hua hai. Oh! Ye to apna hero hai to chaliye jaan lete hain apni is kahani ke naayak ke baare mein;
[ ABHIMANYU VEER , currently in class 11th yahi naam hai apne nayak ka. Aap agar soch rahen hain ki Rajasthan mein Veer caste hoti hogi isliye inka last name Veer hai to janab aap galat hain. I mean kya pata Shayad hoti hogi but inke case mein esa na hai. Good-looks , 5.7 feet height, athletic body , well-developed muscles ye kucch physical characteristics hain bhai ke. Academics mein basically GOD hi mana jaata hai school mein, or ye iski ek tarah se majboori bhi hai, yaad hai na upar kya kaha tha maine , do hi tareeke hain bhaiye yahan padhne ke, or ye bhai second category mein aate hain.
Father – LATE COMMANDER JAIDEV RATHORE
Mother – LATE SANJANA RATHORE
To jaisa apne dekha ki apna hero orphan hai , kuchh saal pehle inke dad ki aur uske 1 month baad hi inki mom ki death ho gayi thi. Apne dad se nafrat karte hain, Reason yaar abhi to story shuru hui hai thoda ruko pata chalega. Aur agar kahin inke dad ki baat bhi ho rahi to ye wahan rehna bhi pasand nahi karte. Last year ke I.C.S.E. board mein AIR-1 laaye the prabhu. Sports mein koi khaas interest na hai inko , sirf football ko chhodke, Reason–
ARYAN SINGHVI, Apne hero ka best buddy bole to langotiya yaar, in dono ke parents bhi best friends the and ye dono bhi hain. ABHIMANYU ke baare mein ARYAN se zyaada koi nahi jaanta, yes vo khud to janta hi hoga, obvious hai. Academics mein kaafi badiya score rehta hai ARYAN ka. Ab topper ka best friend hai to uski izzat to rakhni padegi na. Haan to Football means ARYAN ka pehla pyaar. Is bhai ke bade bhaiya state team mein khelte hain or inki bhi kuch isi prakar ki ichha hai. Badiya khelte hain par of course hero is even better. To kyunki ARYAN football khelte hain isliye inke force karne and to be exact inke emotional blackmail karne ke kaaran hero ko bhi khelna padta hai. ]
BACK TO THE STORY :-
ARYAN – abe kyun esa muh bana rakha hai jaise Ladakh nahi Bermuda Triangle pe leja rahen ho tujhe.
AV (Apne hero ka nickname in school and even everywhere) – Tu chup kar idhar main tension mein hun aur tujhe bakwaas karni hai.
ARYAN – Abbe saala, tu tension leta bhi hai maine to socha tha sirf deta hai, Gajab.
AV – Yaar tujhe to pata hai na Maa ki diary ke baare mein , Ladakh and all isliye thoda tensed hoon.
ARYAN – Chill kar yaar, jo hoga dekha jayegaa or isi bahane kya pata kuchh pata hi chal jaye. Waise kyaa socha hai us diary ka.....
Bechare ki baat bhi puri na hui thi ke ANIL SIR ne dahad maar di aur ye bhai ka muh sil gaya.
ANIL SIR – Bachon baate band time waste mat karo aur bus mein baitho.
To kuchh selected students hi jaa rahe the is trip ke liye. 20 hi students hain { 5-5 har stream se }. Yahan se Delhi tak bus mein and then flight to Ladakh. 20,000 rupees liye gaye hain per head as the trip charge bachon se.
(Aap sab soch rahe honge ki hero to orphan hai aur isliye paise ki kadki to hogi hi uske pass. Sahi soch rahen hai. To hero ne ek trip ke liye itte paise kahe diye. Ye kuchh updates baad clear ho jayegaa. Esa samajhlo ki ye hero ke liye faayeda ka hi sauda tha.)
To ANIL SIR ki baat ko maante hue Sab bache baith gaye bus mein. And the bus followed the route to Delhi’s Indira Gandhi International Airport . Kuchh 4-4:30 ghante lag gaye the inhe yahan pahunchne mein. Thodi formalities ke baad sabne flight board kar li thi. Flight mein baithne ke baad bhi AV kuchh pareshaan tha. To ARYAN use chill out karne ke liye apne world-class jokes suna raha tha. Haan ye to main bhul hi gaya ARYAN ke jokes matlab Ek baar to Saanp ka Zeher bhi dam tod de. Inki isi quality ke chalte ek baar inki taraf ghoor kar dekha AV ne, jispar mare hue suar jaisa muh bana liya inhone.
Kuchh kaam na ata dekh ARYAN ne use kiya Brahmastra yaani AV ki maa ke baare mein baatein. Yahi ek kaam tha jo karte hue na to AV bor hota tha na hi thakta tha. Inki har pareshaani ka Ram Baan Ilaaj hai yeh. And As I said earlier ARYAN knows AV better than anyone else. So here it is. Nateejtan AV ab kaafi had tak relax tha but diary ke baare mein to abhi bhi soch hi raha tha. Ye inki mom Sanjana ji ki diary thi jiska cover gatte ka nahi lakdi ka tha jiske upar carvings thi aur top par likha tha apne Hero ka naam. Na na ABHIMANYU nahi sirf VEER. Esa kyun, ruko jara sabar karo. And isko AV kabhi bhi apne se door nahi karta tha. He considered that his mom is with him in the form of the diary. Aakhiri Nishani like something. Aur sochte-sochte ye diary ke upar likhe uske title ya naam ke baare mein chintan manan kar rahe the jo tha,
“ UNFOLD THE MYSTERY ”
(1165 WORDS)
Me bhi dekhna chahunga kya hota. Let's go
PART – I [ UNFOLD THE MYSTERY ] CHAPTER – 1
“THE TRIP” UPDATE #2 [DREAM–GIRL]“SAB DHYAN SE SUNO AGAR KISINE BHI INDISCIPLINE CREATE KIYA TO YAAD RAKHNA BAHUT BURA PEETUNGA”
Yeh the hamare RAJNEESH SIR , AV's favourite teacher. To MR. RAJNEESH KAUSHAL, basically he’s someone like a nariyal. Jaisa ki sabne suna hi hoga woh muhavra, naram kadak and all. Yeh usi type ke hain. Inke saamne INDISCIPLINE matlab attempt to suicide. Yeh ek baar shuru hote hain toh baalakon ko gande kapdon ki tarah dhoten hai. But kabhi bhi kisi ki baat ko dil pe nahi lete. Aaj tak kisi bhi bache ke parents ko ya fir Principal ko kisi bhi tarah ki complaint nahi ki hai inhone. Inka khauf Principal se bhi zyada hai school mein. Waise to ye sabhi students ke liye dahashat aur maut ka doosra naam hain but AV inse tanik bhi na darta. Aisa nahi ki inki baat nahi manta wo bhai to sabhi teachers ki bahut respect karta hai aur inki kuchh jyada hi. But the thing is that AV inka favourite student hai aur uske mazaak ho ya sharartein ye mind nahi karte ulta enjoy karte hain.
Haan to inki taraf se aayi is dhamki se sabhi students sakte mein the but AV and ARYAN chill the , ARYAN kyun , bhai best friends hone ka kuchh to fayda uthayega hi. Jab bhi ARYAN koi harkat karta hai to AV hi use RAJNEESH sir ke krodh se protect karta hai.
To yahan par hero and company pahunch chuke hain Kushok Bakula Rimpochee Airport (LEH). Kul 7-8 ghante ki journey ke baad Jaipur to Leh ka safar pura hua. To yahan se fir thoda bus ka safar hua and then they all reached hotel. Kul 12 kamre book kiye gaye the inke liye. 1-1 RAJNEESH and ANIL SIR ke liye. Baaki students ke liye. Kul 10 boys and 10 girls group mein the and 2-2 bachon ko room share karna tha. And obviously AV and ARYAN were together. To bhaiya ab in becharon ko thoda aaram karne do thak gaye honge.
NEXT MORNING :-
“ HI AV ”
Ek badi hi khubsurat ladki ke muh se chashni se bhi mithi awaz mein nikle ye shabd jinhe sunkar or use dekhkar AV ke muh se bhi nikal gaya HAYE!!!!
Ye janab to madam ko ghoorte hi rehte agar ARYAN babu inke pair par na marte.
To chaliye aap bhi jaan lijiye hamari story ki one and only heroine ko. Presenting,
MAHIRA SHARMA : AV ki DREAM-GIRL. Ek line mein describe karun toh KHUBSURTI KI PARAKASHTHA. She is too beautiful. Yeh Khubsurat bhi hain aur Khubseerat bhi. She loves to help others whenever she can. Jaanwaron se khaas lagaw hai aur inke paas ek puppy bhi hai - “BRUNO”. Yeh hamare AV ka pyaar hain, bachpan ka. But kya AV inka pyaar hain?? I DON’T KNOW. Matlab I Know but aapko nahi bataunga. AV inse pyaar karta hai yeh baat sirf ARYAN jaanta hai aur isliye ye madam ko napasand karta hai. Are kuch ulta sidha mat sochna woh kya hai na ki Mahira ka boyfriend already hai aur wo hai AV ka sabse bada Rival (intro deta hun abhi). Toh AV jab bhi in dono ko saath dekhta hai to senty ho jata hai, dil toot jata hai lounde ka. And ARYAN babu thehre sache aur ghanishth mitra to apne bhai saman dost ke dukh ke karan ko kese pasand karenge.
Toh ham kahan the, Hann yaad aya,
RAHUL RAJVANSH : AV se jalta hai, kyun, arre yaar bataya toh ki AV is the best and RAHUL is one of the rest. Toh jalan laazmi hai but yeh thode tedhe khopdi wale hain. Inko hajam hi na hota agar inke rehte koi aur aage nikal jaaye. Basically apne Bapu jaise hain. Aur hann yahi hai MAHIRA ka so-called boyfriend. So-Called isliye kyunki yeh janab to usse bahut pyar , oh sorry sorry , pyar nahi hawas rakhte hain. But MAHIRA inse ghanta pyaar na karti. Who kya hai na ki RAHUL ka bapu yaani DEV RAJVANSH ek tarah se Jaipur ka raja hai, Jaipur kya Rajasthan ka hi laga lo. Yeh chahe to do minute mein sarkaar gira den, centre ki nahi state ki bhai. To ab MAHIRA itni sundar hai ki daily londe use propose karte rehte the and she was very irritated with all this. To Madam ko RAHUL ne bhi propose kiya and She said yesss. Kyun ab jab RAHUL ka baap raja hai to yeh bhi to rajkumar hua, Rajkumar Rao nahi Prince. To bhaiye ka khauf hai school main. Jabse yeh baat faili ki yeh dono relationship mein hain kisi bhi lounde ki himmat na hui MAHIRA se baat karne ki except the one and only AV. But the fact is that RAHUL inko haath bhi na laga sakta, allowed hi nahi hai us bechare ko.
To hamare AV bhau to inse I LOVE YOU isliye bhi na kehte kyunki inko lagta hai ki MAHIRA RAHUL se sacha pyaar karti hai. Bade Bhole hain bechare. Par aap kahenge ki agar AV itna hi smart hai to wo ye kaise nahi dekh pata ki MAHIRA RAHULWA se Love karti hai ya nahi?? Are simple hai, LADKI KA CHAKKAR BABU BHAI LADKI KA CHAKKAR. Haan toh MAHIRA is a big fan of AV. Bhai majaak nahi kar raha. I.C.S.E. board ka All India topper hai woh , Last do saal se NATIONAL LEVEL FOOTBALL CHAMPIONSHIP (INTERSCHOOL) ka best player bhi and above that last year ka Student Of The Year bhi. Fan following gajab hai lounde ki.
Back To The Story :-
AV – HI MAHI (AV inhe pyaar se MAHI bulata hai, is naam se sirf AV aur madam ke mom-dad hi ise bulate hain, bechare Rahulwa ko bhi allowed na hai).
MAHI –To kya plan hai yahan ghumne ka?
(Aapko bata doon ki AV planning master hai aur is baat se iske section ke saare bache waakif hai. School Programmes and even trips ki planning bhi kai baar kar chuke hain yeh.)
AV – Pata nahi. Is baar to ANIL SIR bhi saath hain na. To yeh department to woh nahi denge kisi or ko .
MAHI – Haan yeh bhi hai. Aryan tum itne shaant kyun ho. Tum waise to bahut bolte ho par mere saamne bilkul chup rahte ho. Kyun??
ARYAN (Krodh main hain janab) – Wo bas aise hi. Kuch nahi.
AV – are ise chhodo yeh Aisa hi hai. Ladkiyon se baat karna nahi aata isko. Thoda shy hai.
ARYAN (Man Mein) – Dhokebaaz, kamine, kutte ladki dikhi to dost ko bhul gaya.
Ab tak sabhi students and dono teachers bhi aa gaye the.
Anil Sir – Beta pehle sab log Chalke breakfast karte hain then aage ka discuss karenge.
To chaliye jab tak yeh log bhojan kar rahe hain main rest kar leta hoon……… So after a While,
ANIL SIR – So students first of all We’ll visit THIKSEY MONASTERY today. Aapko bata dun ki yeh Monastery bahut famous hai Buddhist culture ko janne ke liye. Over 500 monks are there in this. Aap log bhi wahan ke paintings, scriptures and statues se Buddhist culture ke baare mein kaafi kuchh jaan sakte hain.
Ab aapko bata doon ki ek kaam mein hamare hero-heroine ki choice same hai aur wo hai ki dono ko aesi cultural aur religious knowledge gain karne ka kuchh jyada hi shounk hai. And as expected MAHIRA ke face se pata chal raha hai ki who kafi excited hai is sab ke liye. But ye kya AV ka face to fir se wo Bermuda Triangle jane jaisa ho chuka hai. Achha to yeh kuchh soch rahe hain, kya kya,
AV (Man Mein) – Mom ki diary mein bhi to isi Monastery ka zikr tha aur wo Monk ka kya naam tha haan yaad aya,
MONK AKKRUM RINPOCHE …….
To dekhte hain AV kya us mystery ka pata laga payega aur kya hoga anjaam MONK AKKRUM aur AV ki pehli mulakaat ka…
Keep Reading.
(1304 WORDS)
Bhai uska yahi andaaj to gajab hain kahani padne me maja ata h.Bro aadhe se jyada update aapki majak me chala jata hai
Story line kafi achi hai use bich me aise apni extra comic conversation dal kar kyu bigad rahe ho ise to update padhne me bhi maja nahi aata aapne likha hai 1247 word use kiye aisa lekin usme se majak me kitne gaye vo count karo aapko pata chal jayega ki aadha update to aapki bina hasi wale majak me chala gaya hai
Please bro mind mat karna jo muje laga vo mene bataya yaha me kuch ho writer ki story padhta hu jese VJ4U, JAY SUTHAR, RAJ CHAUHAN, AP316 jese kuch uske baad aapki story line achi lagi lekin usme muje kami lagi vo mene aapko bataya baki aapki story hai jese aap chahe likh sakte hai please don't mind bro and sorry for my this review
Haaye kya baat hain yarr maja aa gaya ye update padkar par ek cheej hain jo dimag ka bhosda kar deti hain aur voh koi comment do to niche hindimaja aur na jane kaha kaha ki chudai videos chalne lagti hain.
PART – I [ UNFOLD THE MYSTERY ] CHAPTER – 2
“THE JOURNEY BEGINS” UPDATE #8 [THE SOLUTION]NEXT MORNING :-
LOCATION :- AV’s HOUSE
AAJ 4 SAAL BAAD IS KAMRE MEIN JAUNGAA. JAANA TO NAHI CHAHTA PAR WAAH RE MERI KISMAT TU MUJHE TAKLIF DIYE BINA TO RAHEGI NAHI. HAINA.
Ye the AV jo apne ghar mein ek kamre ke baahar khade apni soch mein gum the. Is kamre ke baahar taala laga hua tha. Darwaaza kaafi purana tha aur saaf pata chal raha tha ki kaafi samay se iss darwaaze ko khola nahi gaya hai.
To jyaada suspense na banate hue bata deta hun ki ye AV ke bachpan ka kamraa hai. Isne ye 4 saal pehle hi jab SANJANA JI ki death hui thi uske kucchh din baad hi band kar diya tha. Jab bhi wo is kamre mein jaata tha to uski apni maa ke saath judi yaadein use bahut pareshan karti thi isiliye AV ne is kamre ko band karne ka faisla kiya. So aap samajh hi gaye honge ki isi kamre mein hai us puzzle ka solution , jo AV raat ko hi samajh gaya tha.
BACK TO STORY :-
AV ne dhadakte dil ke saath us darwaaze ko khola. Jaise-jaise wo andar kadam badha raha tha , uska past uski aankhon ke saamne ek film ki tarah chal raha tha. AV ne nazar bharkar kamre ki har ek cheez ko dekha.
Halanki har cheez par dhool ki parat jami hui thi aur chaaron taraf jaale bhi the but AV sab cheezon ko hatate hue pahuncha us kamre mein pade bed ke saamne. SAAMNE DIWAR PAR EK LOHE KI BANI SHIELD LATKI HUI THI BUT WO AUR KISI NAHI BALKI “SURAJ” KI SHAPE KI HI THI.
Ji haan sahi samjhe yahi hai us paheli ka dusra suraj. AV ne us shield roopi Suraj ke upar se dhool saaf ki and then jaakar khidki khol di. And as a result jaise hi Us shield ke upar Suraj ki roshni padi wo halka glow karne lagi and uske center mein ek dhundhla nishaan dikhne laga. AV ne wahan dhyaan se dekha to paaya ki wo ek keyhole tha. Haan to yahi tha us antique chaabi ka taala. Usne jaise hi us chaabi ki madad se us shield ko khola to wo beech mein se do hisson mein bat gayi and neeche gir gayi.
Aur us shield ke saath hi neeche giri do cheezen – ek letter and ek locket joki same to same AV ke kandhe par bane nishaan jaisa tha. AV ne dono cheezon ko uthaya aur bahar aa gaya.
Aaiye jaante hain ki letter mein kya likha hai,
LETTER :-
VEER,
Tum soch rahe hoge ki tumhari zindagi mein ye sab kya ho raha hai. Tumne ab tak Ladakh jaakar MONK aur RAJAN se mulakaat kar li hogi. Aur tum ye bhi soch rahe hoge ki tumhe vo sab cheezen wahaan jaane par hi kyon mili, jabki vo tumhare ghar par bhi pahunchayi ja sakti thi. Iska kaaran tumhe apne aap hi bhavishya mein mil jaayegaa. Abhi ke liye tum itna samajh lo ki tum dushmano se ghire hue ho jo ki tumhari jaan lene ke liye tayaar baithe hain. Tum abhi apne baare mein naa ke barabar hi jaante ho. Lekin jald hi tumhe sara sach pata chal jaayega. Ek baat yaad rakhna ki kabhi bhi kisi par bhi bharosa mat karna, chahe wo koyi bhi ho, jab tak tum apni manzil tak nahi pahunch jaaye, tum surakshit nahi ho. Haan ek baat aur jab tumhe apni sachayi pata chale to nirash mat hona. Jo locket tumhe is letter ke saath mila hai wahi tumhaari asli pehchaan hai, use hamesha sambhaal kar rakhna aur kuchh bhi ho jaaye kisi ko bhi tumhare kandhe par bane nishaan ke baare mein pata nahi chalna chahiye. Ab tumhe apne aage ke safar ke liye apne aapko takatwar banana padega aur uske liye tumhe guruji se shiksha leni padegi. Tum ...... aashram chale jaayo, joki Jaipur mein hi hai aur wahaan par AACHARYA RAMDAS JI ko ye locket dikha dena , wo tumhara aage ka margdarshan karenge. Tumhe apne maksad mein kamyaab hona hoga , nahi to bahut kuchh galat ho jayegaa. Main dua karunga ki tum kaamyab ho.
Ye letter padhkar AV hairan-pareshaan ho gaya. Use kuchh samajh to aaya nahi but uski pareshaani ki wajah kuchh aur hi thi, aur wo thi ki us letter ke upar naam ABHIMANYU nahi balki VEER likha hua tha. Aap kahenge ki isme kya badi baat hai. Aur saath hi aap soch rahe honge ki ye do-do naam ka kya raaz hai, aaiye aapko bata deta hoon.
AV ko uski Maa hamesha VEER hi bulati thi. Ek baar iska karan puchne par unhone AV ko bataya ki wo uska naam VEER rakhna chahti thi par uske papa ne uska naam ABHIMANYU rakha. Isiliye apni mom ki death ke baad usne apne naam mein VEER jod liya tha. But yahaan par AV hairan isliye tha kyonki uski Maa ke alawa use VEER koi bhi nahi bulata tha jabki ye letter clearly ek aadmi ne hi likha tha.
( Aapko ek baat aur bata doon ki wo diary jo AV ke paas hai wo asal mein uski Mom ki nahi hai. Wo use apne Mom-Dad ke room se mili thi aur uske upar VEER likha hua tha isiliye usne socha ki wo diary uski mom ki hi hai. Ek baat aur , us diary mein kya hai ye aapko dhire-dhire pata chalega. But haan aap itna to samajh hi gaye honge ki usmein Ladakh jaana hi first cheez thi aur wahaan kya-kya hua ye bhi aap jaante hi hain).
AV abhi bhi confused tha lekin wo school ke liye late ho raha tha isiliye usne socha ki wo baad mein is sab ke baare mein shega.
LOCATION :- MAHIRA’s HOUSE (IN HER ROOM)
“ baar-baar uska chehra kyon nazar aa raha hai. Ese to main pagal ho jaaungi.”
Ye thi MAHIRA jo ye sab apne man mein keh rahi thi. But ye kis baare mein soch rahi hai?
To iska jawaab chhipa hai kal raat mein. Asal mein jab kal raat MAHIRA sone ki koshish kar rahi thi to baar-baar uski aankhon ke saamne AV ka chehra aa raha tha, jo use bahut sukoon bhi de raha tha. Wo samajh nahi paa rahi thi ki uske saath kya ho raha hai. Isiliye use kaafi der baad neend aayi. Aaj subah bhi wo der se hi sokar uthi aur abhi bhi lagatar use AV ke baare mein hi khyaal aa rahe the. Asal mein in kucch dinon mein MAHIRA AV ke kaafi close ho gayi thi, jabki pehle wo sirf formal hello-hye tak hi seemit rehte the. MAHIRA ko AV ke saath bitaye waqt ki yaad aa rahi thi, AV ka behaviour use kaafi attract kar raha tha.
Filhaal ke liye apni soch ko rokte hue wo bhi jaldi se school ke liye tayaar hone lagi.
LOCATION :- SCOTTISH INTERNATIONAL SCHOOL
“Kaafi jaldi nahi aa gaya tu esa kya Japan se aa raha hai seedha.”
Ye aur kisi ke nahi balki ARYAN babu ke hi vachan the jo unhone AV ko dekhkar kahe. Kaaran, ye tha ki aaj subah us letter ke chakkar mein AV school pahunchne mein thoda late ho gaya tha and ARYAN uska niche ground mein hi kaafi der se wait kar raha tha.
AV – Aa to gaya na aur time par hi aaya hun, teri tarah yahan jaldi aakar saaf safayi nahi karni hoti mujhe.
ARYAN – Ek to tera wait karo upar se bakwaas bhi suno. Kalyug ghor kalyug .
AV – Chup kar dramebaaz aur class mein chal waise bhi teri favourite teacher ka period hai.
Is baat par ARYAN ka muh ban gaya. Reason –
VANDANA ROY , AV ki class-teacher. Ye Chemistry ki teacher hain aur kaafi strict and gusse waali bhi. Special baat ye hai ki inhe ARYAN se khaas lagaw hai, matlab ye ki ARYAN class mein sabse zyaada shor machane waala baalak hai, aur disturbance create karna uske liye saans lene se bhi zyaada jaruri hai, isiliye MISS VANDANA iske prati zyaada hi strict rehti hain aur ARYAN inse darta bhi hai.
BACK TO STORY:-
To jaise hi ARYAN and AV class mein enter hue dono ka dil khush ho gaya, aur dono ke chehre par smile aa gayi. Kyon, kyonki dono ko darshan ho gaye the apni-apni lifeline ke. Ek taraf ARYAN jahan furti se jaakar ANKITA ke saath baith gaya wahin AV to abhi bhi MAHIRA ko apni aankhon mein utaar raha tha. MAHIRA ne jab AV ko use ghoorte hue dekha to uske gaal laal ho gaye aur usne apni nazren jhuka li. Ek aur shaks bhi tha jo ye sab dekh raha tha aur saath hi jal bhi raha tha, aap samajh hi gaye honge ye RAHUL hi tha.
( Ek baat bata doon ki ARYAN hamesha ANKITA ke saath hi baitha karta hai. Wahin AV ki seat fix hai, AV and ARYAN ke bachpan ke saathi ke saath, Kaun :-
KABIR :- AV and ARYAN ka baalpan se mitr. Ye ek anaath hai aur shuru se hi ek orphanage mein rehta hai. Academics mein average hi hai, but sports mein champion. Athletics ho ya Cricket ho ya fir Basketball he is the best in his school. Kayi tournaments ko jeet chuke hain ye ab tak. AV, ARYAN and KABIR, inki dosti poore school mein famous hai, jab ye teeno saath mein hote hain to koi bhi inse panga nahi leta. Kyonki 6 mahine pehle hi ARYAN ka kisi se panga ho gaya tha aur achhi khaasi dhulayi bhi shuru hi gayi thi, but sahi waqt par ye dono wahaan pahunch gaye aur phir in teenon ne milkar 10 ladkon ko patak diya tha. Haan ek baat ye bhi ki KABIR bhi jaanta hai ki AV MAHIRA se mohabbat karta hai. AV ya ARYAN ne use bataya nahi hai, but AV ki harkaton se ye samajh gaye the ki uske dil mein kya hai. Ab hamesha MAHIRA ko dekh kar muskurata hi rahega to itna to pata chal hi jaayega na. )
BACK TO PRESENT:-
Par aaj ye sitting arrangement change hone waala tha. Kyon , kyonki hamesha RAHULWA ke saath baithne waali MAHIRA aaj akeli baithi thi. Aaj jab subah wo school pahunchi to RAHUL ne us se baat karne ki koshish ki par of course ignorance naam ki cheez hoti hai aur MAHIRA ne behatreen example pesh kiya us cheez ka. To abhi MAHIRA ko akele baithe dekh kar jahaan AV ke man mein laddoo foot rahe the wahin KABIR bhi muskurata hua soch raha tha ki AV ab kahaan virajmaan hoga. Asal mein usne bhi subah ki MAHRA-RAHUL waali ghatna dekh li thi aur use AV ke liye raasta banta hua nazra aa raha tha. Aur sacha dost hone ke naate dua kar raha tha ki AV thodi himmat dikha kar MAHIRA se apne dil ki baat keh hi de.
Haan to MAHIRA ke jaadu mein khoye hue hi AV pahunch gaya uske bench ke paas , aur,
AV – HI MAHI, kya main yahaan baith sakta hun?
Ek pal ko to wo chaunki kyonki usne AV ko hamesha KABIR ke saath hi baithe dekha tha, lekin fir,
MAHI – HI, haan baitho na, usmein puchne waali kya baat hai.
Bas yahi thi wo jannat jo AV ko chahiye thi, bina ek pal gavaaye jhat se baith gaya MAHI ke saath mein. AV ki jald baazi dekh kar ek smile aa gayi thi MAHI aur sath hi KABIR ke face par bhi, wahin dusri aur ARYAN to duniya se be-khabar apni personal duniya ANKITA mein khoya hua tha. Lekin RAHUL to garam hua jaa raha tha , aur lag raha tah ki kabhi bhi blast ho jaayega.
Abhi AV MAHI se kuchh bolne waala hi tha ki, itne mein VANDANA MAM class mein enter hui aur sabhi balakon aur baalikaayon ne kucch der ke liye apne muh ko sil liya. Poora time hi AV MAHI ko chor nazron se dekh raha tha, aur ek-do baar MAHI ne bhi use esa karte dekh liya tha aur uski is harkat par halka sharma bhi rahi thi.
Ese hi classes chal rahi thi, aur AV ka kaam bhi chalu hi tha. Isi beech RAJNEESH SIR ( SUBJECT – MATHS ) , ke period mein wo ek bache ki class laga rahe the , aur usi douran unke dwara us baalak ko kucch pashu-pakshiyon ke naam se sambodhit karne par saari class hasne lagi aur MAHI ke chehre par bhi ek smile aa gayi , aur uski smile ko dekh kar AV ke muh se achanak hi nikal gaya – HAAYE.
Jab MAHI ne ye suna to ek baar AV ki taraf dekha aur fir sharmane lagi.
Isi tarah inka school over ho gaya , aur is beech AV and MAHI ki koi khaas baat nahi hui thi. Wahin KABIR kaafi khush tha aaj AV ko itne time baad hasta hua dekh kar. Kyonki hamesha hi MAHI ko RAHUL ke saath dekh kar dukhi hota rehta tha wo , par aaj to baat hi alag thi.
LOCATION :- AV’s HOUSE
School se waapis lautne ke baad AV jab sab kaamo se free hua to fir se wo us letter ke baare mein sochne laga. Use kuch bhi nahi soojh raha tha to usne decide kiya ki kal wo School naa jaakar AACHARYA RAMDAS JI se milne jaayegaa. Aur isi tarah ye din bhi samapt ho gaya.
NEXT MORNING :-
AV jaldi-jaldi tayaar hua aur sab kaam niptakar nikal pada us aashram ki taraf. Asal mein ye ek bahut famous aashram tha to iska address dhundna koi badi baat nahi thi. AV ne bhi ek-do logon se iske baare mein pucha to use bhi address mil gaya.
LOCATION :- AASHRAM
“Kya aap bata sakte hain ki AACHARYA RAMDAS JI kahaan milenge?”
Aashram mein pahunchkar ye sawaal pucha ARYAN ne ek sadhu se to usne ek kutiya ki taraf ishara kar diya. Jab AV us kutiya ke andar pahuncha to usme dekha ki ek sadhu, bhagwe kapdon mein dhyan mein baitha hua tha. AV ne ye dekh kar unhe aawaaz lagayi,
AV – Pranaam Aacharya.
AACHARYA (aankhen kholte hue) – Aayushman bhava putra. Kaho kaise aana hua?
AV – Aacharya mujhe aapko kuchh dikhana tha.
AACHARYA – Kya??
Tabhi AV ne wo locket apni jeb se nikal kar AACHARYA ko dikhaya. Wo locket dekh kar AACHARYA ki aankhen badi ho gayi. Aur wo AV ke haath se wo locket lekar dekhne lage jaise uski jaanch kar rahe hon. Aur agle hi pal unhone paas rakha chaaku uthakar AV ki gardan par rakh diya aur kaha,
AACHARYA – Sach – sach batao ki ye locket tumhare paas kaise aaya?
Kya kaaran hai jo AACHARYA ne wo locket dekh kar iss tarah react kiya jaise koi saadhu aam taur par nahi karta. Pata chalega agle update mein. Tab tak ke liye bye-bye.
(2451 WORDS)
Pahli baat apni mom ka birthday sukha sukha jaane diya writer atleast hamko emotional hi kar dete.
PART – I [ UNFOLD THE MYSTERY ] CHAPTER – 2
“ THE JOURNEY BEGINS ” UPDATE #9 [MAHIRA’S BIRTHDAY]RECAP :- AB TAK AAPNE DEKHA KI AV LETTER KE MUTABIK HI AASHRAM MEIN PAHUNCH JAATA HAI. PAR JAISE HI WO AACHARYA RAMDAS JI KO WO LOCKET DIKHAATA HAI TO WO AV KI GARDAN PAR CHAAKU RAKH DETE HAIN.
AB AAGE :-
LOCATION :- AASHRAM
AACHARYA – Jawaab do kaun ho tum aur kahaan se aaya ye locket tumhare paas?
AACHARYA ka reaction dekh kar ek baar to AV hadbada gaya, lekin fir usne apne aap ko sambhalte hue vo letter hi AACHARYA ko pakda diya. Letter ko padhte vakt AACHARYA ke face par kayi expressions aa rahe the but ek expression stable tha aur vo tha – Shock.
Letter pura padhne ke baad kabhi vo AV ko dekhte to kabhi fir se letter ko , jaise confirm kar rahe ho ki ye sab sach hai.
AACHARYA – Kya tum sach me VEER ho.
AV – Ji AACHARYA.
AACHARYA ne aage badhkar AV ko gale se laga liya aur unki aankhen nam ho gayi. AV soch raha tha ki kesa aadmi hai, kabhi chaku chalata hai or kabhi gale lagata hai. Kucchh der tak ese hi rehne ke baad vo alag ho gaye.
AACHARYA – To tum samajh hi gaye hoge ki tumhe mere paas kisliye bheja gaya hai.
AV – Ji usmein kisi prakaar ki shiksha lene ke baare mein likha gaya tha.
AACHARYA – Haan main tumhe pracheen yudh-kala ki shiksha dunga taaki tum aane waale khatron ka saamna kar sako.
AV – Dhanyawaad AACHARYA.
AACHARYA – AACHARYA nahi ab se tum mujhe Guru kahoge.
AV – Ji Guruvar.
Iske baad unhone AV se kucchh aur baatein ki aur use bataya ki use har roz shaam ko yahaan aana hoga. Aur agar late ho jaaye to raat ke liye vo yahin ruk sakta hai. Iske baad AV wahaan se chala gaya lekin AACHARYA wahin khade muskurate hue kuchh soch rahe the, kya–
“Aakhir tum itne varshon ke intezaar ke baad waapis aa hi gaye. Bas ab dekhna ye hoga ki kya tum vo sab dobara waapis le paaoge jo tumse chheen liya gaya tha.”
LOCATION :- HOTEL PARADISE [ MUMBAI ]
Yahaan ek kamre mein do aadmi kucch baat kar rahe hain. Ek aadmi aaram se sofe par pasarkar baitha hua hai (AADMI 1), jabki dusra apna sar jhukaye khada hai (AADMI 2). Aaspas kaafi pehelwaan jaise log hai joki sabhi suit-boot mein hain. Kamre ke baahar bhi achhi khaasi security maujood hai. Saaf pata chal raha hai ki jaroor ye koi taaktwar party hai. Aaiye dekhte hain inki baat-cheet, I mean sunte hain,
AADMI 1 – Dekho seedhi si baat ye hai ki tum kisi kaam ke nahi ho. Jo galti tumne 16 saal pehle ki thi wahi ab phir karke aa rhe ho. Pata nahi maine tum jaise kutton ko kyon pala hua hai.
Arre ye AADMI 2 to wahi hai jo us din jungle mein RAJAN ke paas gaya tha, aur usne suicide kar liya tha. Oh! To matlab ye AADMI 1 hi iska boss (najayaz baap , as said by RAJAN),
AADMI 2 – Maalik usne mujhe dekhte hi khudko goli maar li warna main use pakadne hi gaya ….
Iski baat poori hi na hui thi ki AADMI 1 ne iske kaan ke neeche tabla baja diya, aur iski fat ke chaar ho gayi,
AADMI 1 – Mujhe naa sun ne ki aadat nahi hai, aur ye tu bahut acchhi tarah se jaanta hai, mujhe wo kutta chahiye , agar kal ko wo waapis aa gaya na yahaan to meri itne saal ki mehnat par paani fir jaayega.
(Ji sahi samjhe ye AV ki hi baat kar raha hai, aur agar aap soch rahe hain ki ye ek bache ko kyon nahi pakad paa rahe to main bata dun ki ye log jise dhoond rahe hai uska naam sirf VEER tha, but ab vo ABHIMANYU hai, isliye inse naa ho paayega , aur yahi reason hai ki JAIDEV-SANJANA ke jaane ke baad bhi AV zinda hai, balki main to ye kahunga ki agar wo dono iske saath hote to AV zaroor marta.)
Itna kehne ke baad AADMI 1 ne dusre ko baahar jaane ka ishara kiya aur vo bhi sar jhukaye hi nikal gaya. Hotel se bahar aane ke baad usne apna gussa bahar khade apne aadmiyon par utara aur zor se chillaya,
AADMI 2 – Kab tak bachega mujhse tu, ek na ek din tujhe mar kar hi dum loonga, ye mera waada hai aur DEVEN RAJVANSH apna wada har haal mein poora karta hai.....
LOCATION :- MAHIRA’s HOUSE (IN HER ROOM)
Yahaan MAHIRA usi ladki kee tasveer ko dekh rahi hai aur aansoon baha rahi hai, tabhi uske mom-dad room mein aa jaate hain aur wo jhat se tasveer ko pillow ko neeche rakh kar aansoon ponch leti hai, but vo Maa-Baap hi kya jo apne bachon ka dukh na dekh paayein.
Wo dono jaakar MAHIRA ke paas baith gaye.
RAGINI – Beta kyun baar-baar use yaad karke aansoo bahati rehti hai. Wo waapis nahi aayegi ab.
MAHI (rote hue) – Mai kya karun maa mujhe unki bahut yaad aati hai. Kaash wo aaj Zinda hoti.
MAHENDRA – MAHI jo chale jaate hain na wo kabhi waapis nahi aate , lekin tu khud hi soch beta kya wo tujhe ese dekh kar khush hoti hogi?
MAHI kucchh nahi bol rahi thi par uski aankhon mein dukh ke alawa ek aur cheez thi, aur wo tha nischay, dridh – nischay apna badla lene ka, us ladki ka badla lene ka. Kuchh der tak MAHI ko samjhane ke baad wo dono waapis chale jaate hain.
Idhar MAHI apne aap se hi keh rahi thi ,
DIDI aap chinta mat karo , main aapko insaaf dila kar rahungi , Us SARTHAK (ANKITA’s Brother) aur RAHUL ko saja nahi dilwayi to mera naam bhi MAHI nahi.
Chalo isko yahin chhodte hain aur chalte hain , inke paas
LOCATION :- N.K. COMPLEX (SUYASH’S OFFICE )
To ye hain SUYASH SINGHVI, ARYAN ke father saab. Is samay ye apne office mein baithe kuchh kaam kar rahe hain, tabhi inke paas ek call aata hai inke assistant ka,
SHEKHAR – Good afternoon sir.
SUYASH – Afternoon SHEKHAR. Bolo kya hua.
SHEKHAR – Sir koi aapse milne aaya hai.
SUYASH – Tumhe pata hai na bina appointment main kisi se nahi milta.
SHEKHAR – Maine unhe ye baat batayi lekin unhone kaha ki wo aapko jaante hain. Aur apna naam batane ko kaha.
SUYASH – Kya naam hai unka?
SHEKHAR – MAHENDRA SHARMA.
Ye naam sun ne ke baad SUYASH ek baar ko to shock ho gaya lekin fir usne unhe andar bula liya. SUYASH ke shock hone ki wajah ye thi ki ek time par JAIDEV–SUYASH aur MAHENDRA bahut achhe dost hua karte the but JAIDEV ki maut ke baad MAHENDRA ne unse kabhi baat nahi ki. Ek baar SUYASH ne unse milne ki koshish bhi ki but nahi mil paaye. To itne saal baad aaj achanak se prakat kaahe ho gaye?
Ye soch hi rahe the ki itne mein darwaaza khulta hai or MAHENDRA andar aa gaya.
MAHENDRA ke chehre par khushi saaf jhalak rahi thi , apne puraane dost se milne ki but SUYASH kuchh khaas khush nahi hua.
Inki mulaakat ke baare mein agle update mein jaan ne ko milega kyonki inki baat– cheet kholegi story ka pehla raaz.
To is din aur kuchh khaas nahi hua bas shaam ko AV pahunch gaya AASHRAM mein. Pehle din AACHRYA ne us se halki fulki exercise, running hi karwayi but dhyaan lagane par focus karne ko kaha. Aur bhi jaruri baatein batayi unhone AV ko jiske baad wo ghar ki taraf chala gaya. AV sab kuchh jan na chahata tha apne baare mein but abhi use koi raasta nazar nahi aa raha tha, usne AACHRYA se bhi puchha but unhone wahi evergreen dialogue chipka diya “ WAQT AANE PAR APNE AAP PATA CHAL JAAYEGA.”
NEXT MORNING :-
AV ne subah uthkar dhyaan lagaya , thik waise hi jaise AACHARYA ne use bataya tha, ab ye koi halwa kaam to hai nahi , isiliye AV ki timing abhi kam hi thi, but starting ho chuki thi.
LOCATION :- SCOTTISH INTERNATIONAL SCHOOL
“ OHO, AAJ SURAJ KAHAAN SE NIKLA HAI , TU MUJHSE PEHLE SCHOOL MEIN , IMPOSSIBLE ”
To ye the ARYAN babu jo AV ko apne pahunchne se se pehle hi school pahuncha mein dekh kar aascharya chakit ho gaye. But surprisingly AV ne iski baat ka koi jawaab nahi diya.
ARYAN – Tune maun vrat to nahi rakha na. Waise bina bhounke tu rah to nahi sakta.
AV – Dekh aaj mera mood bahut sahi hai, isliye bakwaas mat kar or chup – chaap apni jagah par jaakar baith jaa.
ARYAN – Tera naukar nahi hun main , main to yahin baithunga.
But tabhi ANKITA class mein aa gayi, aur AV ko ghoorkar dekha, jo inki aadat thi, lekin ARYAN sir apni baat se palat te hue bhaagkar ANKITA ke saath baith gaye.
Lekin ab aap soch rahe honge ki AV ka mood achha kyon hai to wo isliye kyonki aaj uski Mom ka birthday hai, joki har saal wo celebrate karta hai.
To iske baad MAHIRA class mein aayi aur AV ke saath hi baithi. Aaj bhi AV MAHIRA Ko chor nazron se dekhta raha aur RAHULWA in dono ko dekhkar chidta raha par aaj uske chehre par beintehaan gussa tha. Aage chalkar zaroor ye koi kaand karega.
Isi tarah inka school off ho gaya and ab AV ki yahi routine ban gayi thi ki subah uthkar dhyaan lagana , then School jaana (ya fir ye kahun ki MAHIRA ko ghoorne jaana) , then to the AASHRAM.
Ab time aa gaya hai thoda skip button dabane ka.
AFTER 1 MONTH :-
LOCATION :- AASHRAM
TANN, TANN
DHABB, DHABB
AAH, AAH
Confused ho gaye kya, ruko samjhata hoon ki ho kya raha hai. To ye ho raha hai AV ka pehla test. Aaj jab AV AASHRAM pahuncha to AACHARYA ne use bataya ki aaj tak usne jo bhi sikha hai uska test hoga. AV iske liye kaafi excited tha. Ab tak usne talwaarbaazi aur thodi fighting techniques bhi seekh li thi. Matlab abhi jyaada nahi par haan 7–8 bando ko aaram se dho sakta tha ye.
To yahi tha aaj ka iska test ek saath do talwaar baazon aur do fighters ko harana tha. Aapko bata doon ki ye chaaron isi AASHRAM ke shishya hain. Aur haan ye bhi apni–apni skills mein master hain.
To fight shuru hui pehle dono talwaarbaaz bhaagte hie aage aaye hain, AV pehle waale ko dodge karta hua doosre ki talwar ko shield se rok deta hai. Fir ek saath do talwaaron ko use karta hua dono ki talwaaron ke saath takra jaata hai.
Usi samay wo donon ke pet par ek saath laat jad deta hai aur dono karahte hue gir jaate hain. Itne mein baaki ke dono fighters bhaagte hue aage aate hain. AV bhi apni talwaare drop kar deta hai. Pehle waale ko ek punch jadne ke baad dusre ke kandhe par jor daalte hue halka jhatka de deta hai. Ye ek special technique thi jisme saamne waale fighter ki muscles ko halka twist kar diya jaata hai, lekin usko dard haddi dislocate hone jitna hi hota hai. Wo karahta hua neeche gir jaata hai. Itne mein baaki teeno uth jaate hain aur ek saath aage badhte hain. Ab AV jaldi se khel khatam karna chahta tha. Isliye wo pehle waale ke ghutne par jordar waar karta hai or uska haal behaal ho jata hai. Bechara khada bhi na ho pa raha tha. Agle waale ke saath bhi yahi hota hai and then last waale ko utha kar patak deta hain aur pichhe se jaakar uski gardan daboch leta hai. It results in Tap Out and the winner is AV.
AACHARYA AV ke pradarshan se bahut khush the aur baaki ke shishya bas muh faade dekh rahe the. Iske baad AACHARYA AV ko shabaashi aur aashirwaad dete hain aur wo ghar ki taraf rawana ho jaata hai.
NEXT MORNING :-
LOCATION :- SCOTTISH INTERNATIONAL SCHOOL
Aaj kuchh khaas hai, kya? MAHIRA ka birthday. Aapko bata dun ki Is 1 mahine mein AV or MAHIRA kaafi close aa gaye the. Dono ki baat–cheet bhi badh gayi thi. Dono roz ek saath baith te the. Ab ARYAN ko bhi sab pata chal gaya tha RAHUL se break-up ke baare mein and wo bhi ab MAHIRA se normal ho gaya tha.
“ YE TUMHE CHOT KAISE LAGI. CHHOTE BACHE HO KYA. APNA DHYAAN BHI NAHI RAKH SAKTE. ”
Ye awaaz thi MAHIRA ki jisne ye baat AV ko dekh kar kahi. Darasal kal ki fight ke dauran AV ke haath par chot lag gayi thi aur abhi wahan patti bandhi hui thi.
Jis tarah MAHIRA ne AV ki chot ko dekh kar ye care dikhayi , uske kaaran wo fula nahi sama raha tha. Bole to dil naach utha lounde ka. Wo bas ek tak MAHIRA ko dekh raha tha aur khush ho raha tha.
MAHI – Jawaab kyon nahi dete aur ye bandar ki tarah has kyon rahe ho.
AV – Haan vo kuchh nahi bas thoda cut lag gaya tha aur kucchh nahi.
MAHI – Tum apna dhyaan rakha karo agar tumhe kuchh ho gaya to,
MAHI bolte–bolte beech mein hi ruk gayi , use ehsaas hua ki wo kya bolne jaa rahi thi aur is baat par AV se nazren churane lagi.
AV to is baat par aur bhi zyadaa khush ho gaya aur smile karne laga. Tabhi teacher class mein aa gaye aur inki padhayi shuru ho gayi. But filhaal MAHI kaafi gusse mein thi kyonki subah se sabne use birthday wish kar diya tha but AV ne use wish nahi kiya tha. Is baat par uska chehra bilkul laal hua pada tha. Aur AV uske expressions dekh kar man hi man has raha tha. Inki classes isi tarah chalti rahi. Beech–beech mein AV ne MAHIRA se baat karne ki koshish ki but MAHIRA ne har baar use ek Khatarnak look dekar chup kara diya.
Jab inka school off hua to AV,ARYAN aur KABIR ek saath khade the, tabhi wahaan MAHIRA aayi or AV ko dekh kar kaha ,
MAHI – Tum , tum na mujhse kabhi baat mat karna, gande, huhh.
Aur gusse me tilmilati hui chali gayi. Pichhe chhod gayi in teeno ko haste hue.
KABIR – Tu na bahot bada kameena hai, saale kyon tang kar raha hai use, bola kyon nahi happy birthday.
AV – Beta esa hai ki jab shaam ko use vo surprise milega na, to jo khushi uske chehre par hogi uske liye itna to chalta hai.
ARYAN – Tujhe jo karna hai kar, par agar tune aaj use propose na kiya na to fir tu gaya.
Iske baad sabhi apne–apne ghar ki taraf chal diye. Aaj AV ko AASHRAM nahi jaana tha kal ki fight ke baad use ek din ki chhuti mil gayi thi.
TIME :- 7:30 p.m.
LOCATION :- MAHIRA’S HOUSE (IN HER ROOM) :-
( Haan aapko ek baat bata doon ki MAHIRA ke ghar par birthday celebrations nahi honge. Last year bhi nahi hue the. Iska kaaran aapko aage chalkar pata chalega. )
Is time MAHIRA apne bed par baithi hui gusse mein badbada rahi thi –
Gande, ek baar bhi wish nahi kiya, dekhna kabhi tumse baat nahi karungi. Par tumse baat kiye bina reh bhi to nahi sakti. Kab samjhoge mere dil ki baat. Main tumse bahut pyaar karti hun. Tumhari caring, tumhara attitude, tumhari baatein sab mujhe bahut pasand hai. I LOVE YOU.
Ye bolkar MAHIRA apna muh takiye mein chhupakar sharmane lagti hai.
Tabhi uske mobile ki ring bajti hai, wo ARYAN ka call tha.
MAHIRA – HI ARYAN.
ARYAN – MAHIRA, meri baat suno, wo AV ka naa accident ho gaya hai, wo jo tumhare ghar ke paas garden hai na wahaan par. Dekho main abhi door hun , tum wahaan jaakar dekho naa.
MAHIRA to ye baat sunkar jad si ho gayi thi, uski aankhon se pani behne laga. Lekin use hosh me laate hue ARYAN ne kaha,
ARYAN – MAHIRA jaldi karo time waste mat karo, jao.
Bas tabhi MAHIRA ban gayi Usain Boult aur bhagti hui chal di. Neeche hall mein hi uski Mom baithi thi,
RAGINI – Beta kahaan ja rahi hai itni jaldi me.
MAHIRA – Mom paas mein hi jaa rahi hun jaldi aa jaungi.
Iske baad wo fatafat bhaagte hue us park ke paas pahunchi , ab tak halka andhera hona shuru ho gaya tha aur chaaron taraf street lights bhi jal rahi thi. But surprisingly garden ke andar poora andhera tha. Ye dekh kar halka hairan hui MAHIRA but fir andar ki taraf badh gayi.
Surprise, surprise, jaise-jaise MAHIRA aage badh rahi thi, waise hi sequence mein garden ke andar lights jalti jaa rahi thi. Ek taraf MAHIRA chinta mein thi wahin dusri taraf ye sab dekh kar hairan bhi. Tabhi pure ground mein ujala ho gaya aur chaaron taraf purple colour theme se decoration ki hui thi. Kyon??? Kyonki ye MAHIRA ka fav Colour hai. Tabhi ground mein HAPPY BIRTHDAY song bajne laga aur MAHIRA ke saamne ki taraf se AV chala aa raha tha haathon mein purple colour ke flowers ka bouquet lekar.
Wo MAHIRA ke kareeb pahunch kar bouquet uski taraf karte hue kehta hai,
HAPPY BIRTHDAY MAHI.
MAHI aankhon mein khushi aur hairangi liye ye sab dekh rahi thi, usne haath aage badhakar wo bouquet le liya aur bas THANK YOU kaha.
Tabhi uske chehre par gusse ke bhaav aa gaye,
MAHI – To ye tum dono ki planning thi, bas yahi bahana mila tha mujhe yahaan bulane ka pata bhi hai main kitna dar gayi thi. Tum sach me bahut gande ho. Bandar.
MAHI ke expressions dekh kar AV ko bahut hasi aa rahi thi but wo kisi tarah control kar raha tha.
AV – Sorry, sorry dekho bura mat mano, mujhe tumhe yahaan bulane ka koi aur idea nahi soojha, to bas isiliye, dekho apna mood kharab mat karo. Aur chalo abhi to aur surprise baaki hain.
Surprise ke baare mein sunkar wo khush ho jaati hai or AV ke saath chalne lagti hai.
( Aapko bata dun ki ye ground 8:00 baje band ho jaata hai isiliye yahaan koi aur nahi hai, but yahaan ka security guard ARYAN ke pitaji ko bahut maanta hai, kyonki unhone uski bahut help ki hai, charity and all, isiliye ARYAN ki request par usne in dono ke liye gate khula rakha.)
Iske baad AV & MAHI aage badhte hue pahunchte hain ek table ke paas. Ye table ground ke center mein rakha hua tha. Aur sab kuchh purple colour ka hi tha. Tabhi AV ne cake ka box khola aur use dekh kar MAHI shocked ho gayi. Kyon?
( Because jab ye log LADAKH gaye the tab wahaan par ek cake shop par MAHI ne yahi cake dekha tha aur use bahut pasand aaya tha. AV ne ye baat notice kar li thi aur us cake ki ek pic le li thi and order dekar same wahi cake banwa liya. )
MAHI aankhon mein khushi liye ye sab enjoy kar rahi thi. Tabhi AV ne uske saamne knife rakh diya. Fir cake cutting ceremony sampoorn hui, then in dono ne ek dusre ko cake khilaya. Is sabke dauran MAHI ke chehre par ek smile bani hui thi aur AV use dekh kar ghayal hua jaa raha tha.
AV – Haaye ab itna bhi zulm mat karo is gareeb par ki ye apna hosh hi kho baithe.
MAHI – Kya bol rahe ho tum?
AV – Ek to itni jaanlewa smile deti ho aur upar se samajhti bhi nahi.
Ab ye sunkar MAHI ke gaal laal ho gaye aur wo aankhen neeche karke sharmane lagi. Tabhi,
MAHI – Tumne koyi gift to diya hi nahi , laayo mera gift do.
AV – Ab gift ki kya zaroorat hai, main hoon na tumhara gift.
MAHI ( aankhen dikhati hui ) – Gift do.
AV – Achha baba deta hoon, ye lo.
Ye kehkar AV ne ek chhota sa box MAHI ko pakda diya. Jab MAHI ne wo khola to usmein ek locket tha aadhe dil ka aur uske upar AV likha hua tha. MAHI Shocked hoakr AV ko dekhne lagi.
AV – MAHI main tumse , main tumse.....
MAHI – Aage bhi bolo.
AV – MAHI main tumse kuchh kehna chahta hoon.
MAHI – Kaho......
To bhailog milte hain next update mein, aage ke scene ke saath, aur haan next update mein saamne aayega JAIDEV se juda ek raaz. Tab tak ke liye bye-bye and take care.
YOURS RD....
(3377 WORDS)
Haaye bhale hi kahani sahi par av is mamle lucky nikla saala ""jisko hamne chaha usne bhi hamko chaahi"" aisa hona haluwa nahi hainAV – MAHI, main tumse kabse ye baat kehna chahta tha par kabhi himmat hi nahi hui. MAHI maine jabse tumhe dekha hai, sirf tumhare baare mein sochta hun. Tum me wo sab kuchh hai jo ek perfect ladki mein hona chahiye. Tumhari smile, tumhari baatein , tumhara gussa sab kuchh , mujhe mere poore hone ka ehsaas dilata hai.
MERE MUSKURANE KI, WAJAH TUM HO,
MAIN JEE RAHA HUN AAJ, WAJAH TUM HO
MUJHE MUJHSE MILANE KI, WAJAH TUM HO
MERA DIL MERA NA RAHA, WAJAH TUM HO
AB ZINDAGI KI KHAWAHISH, SIRF TUM HO.
Iske baad AV ne apne ghutne par aate hue (typical propose position) kaha,
I LOVE YOU MAHI. I LOVE YOU FROM THE BOTTOM OF MY HEART. YOU’VE BEEN THE REASON OF ALL MY HAPPINESS, WILL YOU LET ME BE THE REASON OF YOURS FROM NOW? WILL YOU BE MINE FOREVER?
AV ne ye sab MAHI ki aankhon mein aankhein dalkar kaha. Aur is samay MAHI ke chehre ki smile bata rahi thi uski khushi, ya kahun ki aseem khushi. Aaj apne birthday ke din use apni life ka best gift mila tha. AV ne apna haath MAHI ki taraf badhaya aur MAHI ne jhat se use tham liya aur bas itna hi kaha,
MAHI – YES. I LOVE YOU TOO AV.
Bas AV pahunch gaya saatve aasmaan mein. Itni khushi, itni khushi ki control hi na ho rahi thi lounde se. Wo utha aur jhat se MAHI ko gale laga liya. Ye dono kitni hi der tak gale lage rahe jaise ek doosre mein sama jaana chahte hon. Tabhi AV ne MAHI ko khudse alag kiya aur uske chehre ko dekhne laga. MAHI AV ke iss tarah dekhne se sharma rahi thi aur uske gaal bhi laal hone lage the. Tabhi achanak,
MAHI – Are main to bhool hi gayi Maa ko thodi der ka bol kar aayi thi aur abhi itni der ho gayi. Main chalti hoon, haan.
AV (mazakiya andaaz mein) – Are re re kaisi girlfriend mili hai do minute pyaar se baat bhi nahi karti.
MAHI uski girlfriend waali baat par aur bhi sharma gayi aur wahaan se bhaagti hui chali gayi. Tabhi wo ruki aur pichhe mudkar boli,
MAHI – Tum bahut kharab ho, bandar. Huhhh.
Aur fir wahaan se chali gayi. AV pichhe khada MAHI ke baare mein sochkar mand-mand muskura raha tha. Aur fir wahaan se samaan lekar ghar ki or nikal gaya.
(Ab se MAHIRA ko MAHI hi likhunga, aakhir ab official heroine jo ban gayi hai wo.)
Chaliye ab chalte hain flashback mein or jaan lete hain SUYASH aur MAHENDRA ki mulakat ke baare mein b
वाव क्या बात है
PART – I [ UNFOLD THE MYSTERY ] CHAPTER – 3
“ WHO IS AV??? “ UPDATE #18 [ THE SEARCH BEGINS ]RECAP :- AB TAK AAPNE PADHA KI DEVEN SUICIDE KAR LETA HAI. WAHIN MARTE MARTE BHI AV KO DO BAHUT BADE JHATKE DE JAATA HAI.
AB AAGE :-
Aaj DEVEN ko mare 5 din beet chuke the. AV ko hospital se discharge mil chuka tha aur jo chotein usse lagi thi wo bhi thik ho chuki thi.
Idhar ACP AKRAM ne badi kushalta se DEVEN ki maut ka case handle kar liya tha aur RAHUL ke kubool kar lene se ki ussiki wajah se DEVEN ne suicide kiya iss maamle ka khaatma ho gaya tha. RAHUL ne bhi SARTHAK ko gair kanooni tareeke se bachane ki baat aur saath hi jo kuchh bhi galat kaam aaj tak usne kiye the wo sab police ke saamne kubool kar liye the. Bas ab uski Adalat mein peshi honi thi.
Doosri taraf ACP ne SARTHAK par RAHUL par attempt to murder ka case bhi thok diya tha. Ab iss maamle mein to Video Recording ka pakka suboot bhi tha to uska lambe taur par andar jaana nischit tha.
In sab cheezon ke kaaran JAIPUR mein filhaal ke liye AV par se poori tarah se khatra tal chuka tha. Ab bas usse intezaar tha to uss insaan se milne ka jiske zariye wo apni sachayi jaan paayega. Aur uske liye usse jaane tha DELHI. (Jaisa ki Diary mein kaha gaya tha).
EVENING TIME :-
LOCATION :- AV’s HOUSE
Iss samay yahaan AV ke saath maujood hai DEVA. Kisliye, aaiye batata hoon. Asal mein AV ko ab DELHI jaakar jald se jald apne sawaalon ke jawaab lene the. Par saath hi saath usse apni behan ke baare mein bhi pata lagana tha. Aur iska ekmatra raasta tha uss Doctor ko khojna jisne SANJANA ki delivery ki thi. AV ke paas SANJANA ki uss samay ki medical reports maujood thi. Aur usmein se usne uss doctor ka naam pata chal chuka tha.
Ab bas uski current location pata karni thi aur isiliye AV ne DEVA ko yahaan bulaya tha.
DEVA – Haan bolo itni jaldi mein kyun bulaya. Koyi problem ho gayi hai kya?
AV – Wo mujhe tumse ek kaam tha. Agar tumhe koyi dikkat na ho to karoge?
DEVA – Haan haan bilkul. Tumhaari wajah se mera bhai aaj mere saath hai. Tum bolo kya karna hai. (Hua yun ki DEVEN ke marne ke baad KABIR DEVA ke saath hi rehne chala gaya tha.)
AV – DEVA ye koyi AMRITA SINGH karke doctor thi jo paanch saal pehle yahaan CITY HOSPITAL mein kaam karti thi. Iske baare mein tumhe pata lagana hai. Bas address wagerah dhoondna hai aur kuchh nahi.
DEVA – Ho jaayega.
AV – Thik hai, filhaal to main kuchh din ke liye baahar jaa raha hoon. Aate hi tumhe phone karunga.
Fir DEVA wahaan se chalta bana. Ab ye kaam to ho gaya tha bas ab intezaar tha agli subah ka jab AV DELHI ke liye nikalne waala tha. Flight ki tickets to usne pehle hi book karwa li thi aur saath hi MAHI ko bhi apne programme ke baare mein bata diya tha.
NEXT DAY :-
AV subah sahi samay par nikal chuka tha apne ghar se airport ke liye. Uske flight 9 baje ki thi jisko board karne mein usse koyi pareshaani nahi uthani padi. Nirdharit samay mein safar poora hua aur AV pahunch chuka tha,
LOCATION :- INDIRA GANDHI INTERNATIONAL AIRPORT ( DELHI )
So, flight land kar chuki thi aur apna hero airport se baahar aa raha tha. Par tabhi wo kisi se takra gaya. Jab AV ne uss aadmi ka chehra dekha to usse laga ki wo uss aadmi ko pehle bhi kahin dekh chuka hai. Par isse ek bhram samajhkar wo baahar aa gaya.
Lekin wo aadmi to jaise apni sud bud kho chuka tha. Aankhein aakhiri hadh tak faili huyi thi aur saath hi maathe par paseene ki kuchh boondein bhi chhalak gayi thi. Pehli nazar mein to usne AV ko pehchana nahi tha par gaur se dekhne par jab usse yaad aaya ki AV kaun hai to uska halak sookh gaya.
Ye aadmi aur koyi nahi balki DCP NARESH PANDEY hi the jo kuchh official kaam se baahar gaye huye the aur aaj hi waapis DELHI laute the. Par inhe kya pata tha ki yahaan pahunchne par inhe itna bada jhatka lagne waala tha. Par ab aage aage DCP saahab ki zindagi mein jo toofan aane waala tha uska andaaza ho chuka tha inhe.
LOCATION :- KADAMB VILLA ( DWARKA )
Yahi tha wo thikaana jiske baare mein AV ne Diary mein padha tha. Aur is ghar ke baahar name plate par likha hua tha RET. COL. NISHANT KADAMB. Aur yahi tha wo naam jo aaj AV ko bataane waala tha uski asli pehchaan aur saath hi khulne waale the wo sabhi Raaz jo ab tak ke safar mein AV ke saamne aaye the.
[ INTRO :- NISHANT KADAMB – Age – 46. Ret. COLONEL. Army mei karyarat the par ek shootout mein heart ke paas goli lagne ke kaaran premature retirement lena pada. Par ab bhi apne desh se utna hi pyaar karte hain aur koshish yahi rehti hai kuchh na kuchh desh ki bhalayi ke liye karte hi rahen.
NAMRATA KADAMB – Age – 45. School teacher hain.
DRISHTI KADAMB – Age – 20. Bas abhi – abhi graduation complete ki hai ]
AV ne aage badhkar bell bajayi aur kuchh der baad ek 19 – 20 saal ki ladki ne darwaaza khola. Wo AV ko sawaaliya nazron se dekh rahi thi aur iss se pehle ki wo koyi sawaal karti,
AV – NISHANT KADAMB JI, mujhe unse milna hai, aap bula dengi unhe.
Uss ladki ne ek nazar AV ko dekha aur fir andar chali gayi. Kuchh hi palon baad ek madhyam umra ke vyakti jo ab bhi fully fit lag rahe the wo darwaaze par aa gaye. AV samajh gaya ki yahi NISHANT hai. Usne pehle to unhe greet kiya aur fir kaha ki wo unse kuchh zaroori baat karna chahta hai. Unhone bhi usse andar aane ko kaha. Ghar bahut hi sundar tareeke sajaya hua tha aur wahin sitting mein sofa maujood tha jahaan iss samay wo ladki aur ek aurat baithi huyin thi. Baithne ke baad unhone kaha,
NISHANT – Haan beta bolo kya baat karni hai tumhe?
Ispar AV ne kuchh nahi kaha bas apne bag se wo Diary nikaal kar saamne table par rakh di. Wo diary dekh kar to jaise unki aankhen baahar hi aa gayi. Wo kabhi AV ko dekhte to kabhi diary ko. Shayad wo mahila bhi maamla samajh gayi thi aur unke chehre par bhi hairaangi ke bhaav the. Kuchh der chup rehne ke baad,
NISHANT – Tum , tum…
AV – VEER hoon.
Bas itna hi sun na tha ki unki aankhon se aansun chhalak gaye. Wo bina der kiye uthe aur AV ko gale laga liya. Ab ye to uss bechare ke liye bhi unexpected tha. Kya hi react karta lounda. Wahin uss aurat ki aankhon mein bhi aansoon the aur saath hi chehre par khushi jhalak rahi thi. Doosri taraf wo ladki aankhen faadkar saamne jo ho raha tha usse dekh rahi thi.
Idhar jaise hi NISHANT ne AV ko chhoda wo aurat aage aakar uske gale lag gayi aur rone lagi. Kuchh der baad wo shaant huyi aur baith gayi. Aur AV NISHANT ji ki taraf sawaaliya nazron se dekhne laga. Wo bhi uska matlab samajh gaye the, isiliye,
NISHANT – Jaanta hoon tum kya soch rahe ho. Ki pehli mulaakat mein koyi aise to nahi milta par hairaan mat ho, MAMA HOON MAIN TUMHAARA.
Aur ye tha AV par aur saath hi uss ladki par ek bahut bada bomb. AV to hang ho chuka tha. Usse to yakeen hi nahi ho raha tha ki uska koyi rishtedaar bhi hoga.Par ye to pehla hi jhatka tha abhi to kayi baatein aisi thi jo usse hairaan karne waali thi.
AV – Mama.. par kaise. Maa ne to kabhi nahi bataya ki unka koyi rishtedaar bhi hai.
NISHANT – Maa, kiski baat kar rahe ho.
AV – Abhi keh rahe the ki aap mere Mama hain aur apni behan ke baare mein hi puchh rahe hain. SANJANA RATHORE inhi ki baat kar raha hoon main.
NISHANT – Wo tumhaari Maa nahi hai. Tumhe JAIDEV ne bataya nahi.
AV DEVEN ke kiye khulaase se pehle hi shock mein tha par kahin na kahin usse lag raha tha ki shayad wo jhooth keh raha hoga par ab to usse wo aasha bhi dhundhli hoti nazar aa rahi thi.
AV – Aap kehna kya chahte hain. Kya nahi bataya Papa ne mujhe.
Ab NISHANT Maamla thoda thoda samajh raha tha,
NISHANT – Pehle mere sawaal ka jawaab do. Kya jaante ho tum apne baare mein?
AV – Shayad sab kuchh ya shayad kuchh bhi nahi. LADAKH mein RAJAN se mila, fir JAIPUR mein AACHARYA RAMDAS JI se mila fir AJMER mein KESHAV Uncle se mila par sabhi gol gol baatein hi karte rahe. Mujhe kisi ne bhi sach nahi bataya. Aur fir un dono ka mujhe Chhote Maalik kehna. Aur diary mein mera naam VEER kyun likha hai jabki mera naam ABHIMANYU hai. Kya matlab hai iss sabka. Aur DEVEN ne marte huye kaha ki mere Maa Papa mere sage nahi hain. Kya sach hai. Bataiye mujhe. Aur ab aap mat kehna ki waqt aane par pata chal jaayega.
AV ki baat sunkar NISHANT ji ke chehre par gusse ke bhaav aa gaye,
NISHANT – Matlab JAIDEV ne tumhe kuchh nahi bataya?
AV – Paanch saal pehle death ho gayi thi unki aur Maa ki.
Ye ek bahut bada shock tha NISHANT ji ke liye. Unhe samajh nahi aa raha tha ki wo kya bolen. Par wo jaante the ki ab unhe hi AV ko sab kuchh batana padega.
NISHANT – Hmmm main sab samajh gaya ke kya hua hai. Sabse pehle to ye jaan lo ki SANJANA aur JAIDEV tumhaare Maa Baap nahi the. Unhe zimmedaari mili thi tumhe safe rakhne ki. Tum galat ho tumhara naam ABHIMANYU isliye rakha gaya tha taaki tumhaari pehchaan chhupaayi jaa sake. Tumhara asli naam VEER SURYAVANSHI hai. Tum aaj ki tareekh mein Hindustan ke sabse ameer insaan ho.
Ye baat kisi missile se kam nahi thi AV par. Kahaan to usse aksar apni chhoti chhoti zaroorton ke liye pareshaan hona padta tha aur kahaan ye usse Hindustan ka sabse ameer praani bata rahe the. Abhi wo kuchh kehta uss se pehle hi,
NISHANT – Pehle meri poori baat sun lo fir hi kuchh kehna. Jab tum do saal ke the tab tumhe bachate huye tumhaare maa baap ki jaan chali gayi. Tab JAIDEV ko tumhaari zimmedari saunpi gayi thi. Usse tumhe kisi surakshit jagah par le jaane ka kaam mila tha. Taaki jab tum bade ho jaao tab wo tumhe sab sach bata sake aur tum wo sab jo tumse chheen liya gaya tha wo tumhe waapis mil sake. Ye Diary jo tumhaare paas hai ye tumhaare Papa ke best friend ne lihi thi taaki iske zariye tum aage badh sako.
Aur jin bhi logon se tum ab tak mile wo sab tumhaare Pita ke wafaadar the aur tumhaare liye apni jaan bhi de sakte hain. AACHARYA RAMDAS Ji tumhaare pitaji ko apne bete jaisa hi maante the isiliye wo bhi iss sabme shaamil the. Tumne poochha tha na ki koyi bhi tumhe sach kyon nahi bata raha tha. To iska kaaran ye tha ki wo sach tumhe bataane ka kaam bhi JAIDEV ka hi tha. Tum aaj tak usse apna pita samajhte rahe ho aur yadi wo tumhe sab batata to ye hi behtar rehta. Yahi sochkar kisi ko bhi tumhe wo sab batane se mana kiya gaya tha.
Itna kehkar NISHANT chup ho gaye, par AV ke dimag ki nasein fati jaa rahi thi. Sabse zyada pareshaan to usse NISHANT ki wo baat kar rahi thi jismein usne kaha ke tumhe bachate huye tumhaare Mata Pita ki Jaan chali gayi. Ab usse samajh aa raha tha MONK AKKRUM RINPOCHE ne kyun kaha tha ki tumhaare Mata Pita ki kurbaani bekaar nahi jaani chahiye. (UPDATE –3)
Par uske man mein sab kuchh jaan ne ki ichha thi. Usse jaan na tha ki ye sab uske saath kyon hua aur kisne kiya.
AV – Mujhe sab kuchh shuru se bataiye.
NISHANT – Theek hai. Suno….
Chaliye isse batane dijiye main aapko bata deta hoon,
FLASHBACK :-
Sabse pehle thoda Intro ho jaaye;
KAILASH SURYAVANSHI – AV KE DADAJI.
GAURI SURYAVANSHI – AV KI DADIJI. (DEAD).
SUSHILA SURYAVANSHI – KAILASH KI DOOSRI BIWI.
ANMOL SURYAVANSHI – AV KE FATHER. (DEAD).
DIVYA SURYAVANSHI – AV KI MAA. (DEAD).
ARMAAN SURYAVANSHI – AV KA SAUTELA CHACHA. [ KAMINI – WIFE OF ARMAAN. ] [ Iska ek beta hai – SANJAY ].
So, intro over, kahani shuru.
Sabse pehle ye jaan lijiye ke AV ke dadaji khaandani raees the. MAHARASHTRA ke sabse ameer gharano mein unka shumar tha. Fir AV ke pita ki mehnat aur lagan se unhone apni sampatti ko ek alag hi star par pahuncha diya. Unhone khud ka business shuru kiya tha jo ki unhone apne dost ke saath milkar aasman ki unchaiyon tak pahuncha diya. Aur saath hi kayi Hotel Chains , Real Estate , Diamond Market wagerah mein bhi invest kiya aur hefty returns wahaan se bhi paaye.
To jaisa ki aapne dekha ki AV ke dadaji ki pehli patni yaani AV ki dadi ki maut ho chuki hai. Aur unki maut ke baad unhone doosri shaadi kar li thi. SUSHILA ek laalchi aur swarthi kism ki aurat thi. Wo yahi chahti thi ki saari jaaydaad joki ANMOL ki khud ki kamayi huyi thi wo bhi uske bete ARMAAN ko hi mile. Bachpan se hi inhone ARMAAN ko yahi sikhaya ki ANMOL uska dushman hai. Aur fir galat sangat mein padkar ARMAAN ek alag hi level ka kameena ban gaya.
Jab AV ka janm hua tab ANMOL bahut khush tha aur apne Pitaji se baat karke usne apni saari jaaydad AV ke naam likhwa di aur jab tak wo 21 saal ka nahi ho jaata tab tak uss sabka caretaker ANMOL ko hona tha. Is cheez se SUSHILA ki sulag gayi aur usne ARMAAN ko bhadkana shuru kar diya.
Ab wo bhi neech to tha hi. Isiliye usne bhi planning shuru kar di. Aur do saal baad usse bhi mauka mil hi gaya. Uss din ANMOL ka Security Incharge kisi kaam se baahar gaya hua tha. Aur ANMOL ko maarne ka iss se behtar mauka kya ho sakta tha. ARMAAN ne apna asli rang dikha diya aur ANMOL ,
DIVYA , AV aur saath hi ek aur shaks jiske baare mein aapko thodi der mein Bataunga, un sabko maarne ki koshish ki. Uska mukhya target AV tha, kyonki property ka asli maalik wahi tha. ANMOL ne Uss shakhs ko aur AV ko JAIDEV ke saath ghar ke pichhle darwaaze se bhaga diya. Kaha to usne DIVYA se bhi tha par wo apne pati ko akela chhodke jaane ko taiyaar na thi.
Haan , JAIDEV ki baat rahi to aapko bata doon ki wo ek anaath tha par KAILASH ne usse paala tha aur ANMOL ne usse apna bhai maana tha. JAIDEV un dono ko apna bhagwaan maanta tha. Especially ANMOL ko, kyonki uski aur SANJANA ki shaadi bhi ANMOL ne hi karwaayi thi. SANJANA ek ameer ghar ki ladki thi aur JAIDEV se pyaar karti thi par uske gharwaale kaahe uski shaadi ek anaath se karwaate. Tab ANMOL ne JAIDEV ke naam bahut si property likh di thi. Isiliye un dono ki shaadi ho paayi.
Haan to, JAIDEV & SANJANA, AV aur uss shakhs ko lekar wahaan se bhaag nikle. Idhar ARMAAN ne ANMOL aur DIVYA ko maar diya. Aur jab usse pata chala ki AV ko lekar JAIDEV bhaag gaya hai tab usne DEVEN joki ussike ke liye kaam karta tha, usse JAIDEV ke peechhe bhej diya taaki wo AV ko khatam kar sake. Jab usne JAIDEV ko pakad liya tabhi wahaan NISHANT KADAMB joki AV ke MAMA the wo pahunch gaye. Wahaan huyi jhadap mein JAIDEV & SANJANA AV ko lekar wahaan se bhaag gaye par wo shakhs NISHANT ke saath hi reh gaya.
Ji yahi thi wo galti jiska zikr BOSS yaani ARMAAN ne DEVEN ko phone par kiya tha aur DEVEN ne RAJAN SOORI ke marne ke baad kiya tha.
Iske baad JAIDEV JAIPUR chala gaya. Tab usse pata nahi tha ki DEVEN bhi JAIPUR se hi hai. Wo wahaan isliye gaya tha kyonki JAIPUR mein ANMOL ki kuchh zameen jaaydad thi jo usne JAIDEV ke naam kar di thi. Jab DEVEN ko JAIDEV ka pata chala tab usne uske parivaar ki info nikaali. Usse laga ki AV JAIDEV ka hi beta hai kyonki JAIDEV aise hi khule aam to VEER ko DEVEN ke hi shehar mein nahi laayega. Isiliye usne JAIDEV ko kayi baar maarne ki koshish ki taaki wo dar kar sach bata de. Par usne kuchh nahi bataya. Aur fir JAMMU mein huye uss Ambush mein joki DEVEN ke hi aadmiyon ne karwaaya tha usski maut ho gayi.
Wahin NISHANT apne pariwaar aur uss shakhs ke saath mein DELHI aa gaye. Taaki wo ARMAAN ki nazron se door reh saken. Aur hua bhi yahi, pehle to ARMAAN , unke baare mein kuchh zyada jaanta bhi nahi tha, aur baad mein usse ye bilkul pata nahi chala ki JAIDEV ke ilawa aur koyi bhi ANMOL & DIVYA ki maut ki sachayi jaanta hai.
AV ke Dadaji yaani ke KAILASH ji ANMOL ki.maut se toot gaye. Jis samay usski maut huyi wo teerth par gaye huye the aur baad mein unke saamne isse ek haadse ke roop mein dikhaya gaya. Wo zinda to hain par sirf iss umeed mein ki wo ek baar apne pote VEER se mil paayenge. Kyonki kaha gaya tha ki car accident ke baad AV aur uss shakhs ki bodies nahi mili thi.
( Guys ye thi wo kahani jiski wajah se ye sab ho raha hai. Haan ye to maine aapko batayi par jab NISHANT ne AV ko kahani sunaayi to kahin bhi uss shakhs ka zikr nahi kiya.)
BACK TO PRESENT :-
Saari baat ke dauraan AV ki aankhon se lagatar aansoon beh rahe the. Pehle hi wo jab JAIDEV aur SANJANA ki maut huyi thi tab emotionally kaafi toot chuka tha kyonki uske paas koyi bhi aesa nahi tha jo usse sambhale. Aur ab dobara uss jaisi baatein sunkar uske sabr ka baandh toot gaya tha. Wo apne ghutnon mein muh chhipaaye fafak fafak kar ro raha tha. NISHANT aur NAMRATA ki aankhon se bhi aansoon beh rahe the. Wahin ye sab sunkar DRISHTI ki aankhen bhi nam thi. Wo bhi hamesha se hi ek bhai ke liye tarasti aayi thi. Uski hamesha se ichha thi ki koyi ho jisse wo bhi rakhi baandh sake. Aur aaj uski wish poori ho rahi thi par kin haalaton mein.
Kaafi der baad jab AV shaant hua tab usne NISHANT se sawaal kiya,
AV – Ye sab jo kuchh bhi ho raha hai, mera un sab logon se milna aur ye diary, ye sab kisne kiya?
NISHANT – Jab tumhe lekar JAIDEV JAIPUR chala gaya uske baad tumhare papa ke dost PRATAP ji mujhse milne aaye the. Unhone bataya ki ARMAAN ne unpar nazar rakhne ke liye kuchh logon ko rakha hua hai. Isiliye wo tumse milne sidhe nahi jaa sakte the. Isiliye pehle unhone wo diary likhi aur fir ussike mutaabik tumhare Papa ke kuchh wafaadar logon ko un jagahon par bhej diya. Iss se kabhi bhi ARMAAN ya DEVEN ko kuchh pata nahi chalta.
AV – Ek aur sawaal ye ki diary ke last mein likha hai ki koyi mera intezaar kar raha hai. Uska kya matlab hai? (Update – 15)
Ye sawaal sunkar NISHANT Ji aur NAMRATA Ji ke chehre par ek muskaan aa gayi aur tabhi doorbell baji. Usski awaaz sunkar unki muskaan gehri ho gayi. Jab unhone darwaaza khola to ek AV ke hi umar ki ladki andar aayi. Usse dekh kar AV ke dil mein ajeeb se bhaav utpann ho rahe the. Wo uss ladki se judaav mehsoos kar paa raha tha. Jab usski nazar AV par padi to usne NISHANT Ji se poocha,
LADKI – Ye kaun hai MAMAJI.
NISHANT – VEER…...
Bas itna hi kaha NISHANT ne aur uss ladki aankhon mein aansoon aa gaye. Wo bhaagkar AV ke gale lag gayi. Pehle to AV chaunka par fir apne aap hi uski aankhein band ho gayi aur haath uss ladki ki peeth par kas gaye. Kuchh der baad jab wo ladki alag huyi to AV NISHANT Ji ki taraf dekhne laga aur wo bhi uska matlab samajh gaye,
NISHANT –
YE TUMHAARI JUDWAA BEHEN HAI SHRUTI……....
Aaj ke liye itna hi…
YOUR’S RD.
Are re us kutte ne bas itna hi bola mujhe usne av ko koi bahut bada raaz bataya hai. Par nahi voh raaz janane ke liye to abhi apne av bhai ko aur mahnat karni h
PART – I [ UNFOLD THE MYSTERY ] CHAPTER – 3
“ WHO IS AV??? “ UPDATE #17 [AV vs DEVEN {Final Segment}] RECAP :- AB TAK AAPNE PADHA KI AV KE PLAN KE MUTAABIK RAKA USE KIDNAP KARNE KA NAATAK KARTA HAI. PLAN LAGHBHAG KAAMYAB BHI HO JAATA HAI PAR TABHI WAHAN SARTHAK MAHI KO LEKAR AA JATA HAI. TABHI ACHANAK RAHUL DEVEN KE SAR PAR BANDOOK RAKH DETA HAI.
AB AAGE :-
LOCATION :- RAJVANSH MAHAL
DEVEN RAHUL ko fati aankhon se dekh raha tha aur jo ho raha tha usse hazam karne ki nakaam koshish mein laga tha. Tabhi AV apne ladkhadate kadmon se uthkar DEVEN ke saamne jaakar khada ho gaya.
AV – Ab bata kaun kisse maarega?
DEVEN se kuchh bolte nahi bana. Usse to abhi bhi vishwas nahi ho raha tha ki ye sach mein ho raha hai,
AV – Bol apne kutton se ki apna wazan halka kar len thak gaye honge.
DEVEN ne apne aadmiyon ko ishara kiya aur unhone bandooke fenk di. RAKA & DEVA ne jhat se position badli aur ab saara control inke paas tha. Saath hi RAKA ne baahar maujood apne aadmiyon ko message bhi kar diya ki wo sab andar aa jaayen.
Jaise hi MAHI ko uss gunde ne chhoda wo bhaagkar AV ke gale lag gayi aur subakne lagi. Usse shaant karane ke baad AV ne apna rukh DEVEN ki taraf kiya,
AV – Puchhega nahi ki tera pyara beta aesa kyon kar raha hai?
Chaliye main aapko bata deta hoon,
( Asal mein 10 din pehle jab DEVEN ne MAHENDRA ko kidnap kiya tha uss din AV ko RAKA ne ek aesi khabar di jis se DEVEN ke khilaaf ek turup ka ikka mil gaya usse. Hua yun ki uss din jab RAKA DEVEN se milne uske ghar gaya tha to usne DEVEN ko apni biwi ki tasveer ke saamne khade kuchh kehte huye suna aur RAKA ne usski video bana li. Aur yahi video AV ko de di. Usmein kahi gayi baat sunkar AV ke chehre par ek teekhi muskaan aa gayi.
AV ne RAKA ko kehkar RAHUL ko milne ke liye bulaaya. Ab agar wo khud se jaata to RAHUL waise hi bhaag jaata. Aur fir AV ne RAHUL ko wo video dikhaaya. Usse dekhne ke baad RAHUL ke dimaag mein blast hone lage aur uski aankhon mein aansoon aa gaye. Chaliye main bata deta hoon ki usmein kya tha,
Usmein DEVEN ne shayad apni zindagi mein kiye sabse bade gunaah ki baat khud kubooli thi. Aur wo ye ki DEVEN ne apne haathon se apni biwi ka khoon kiya tha. Ji haan, maine INTRODUCTION mein bhi iss baat ka hint diya tha. Darasal ab se kuchh saal pehle tab DEVEN ko uski biwi ne ek ladki ka rape karte dekh liya tha. Aur uske baad DEVEN ne uss ladki ka murder bhi kar diya tha. DEVEN ki biwi ko uske gunaahon aur kaale kaarnaamo ki koyi jaankari nahi thi. Aur jab usne apni aankhon ke saamne ye sab hote dekha to usne DEVEN ko sazaa dilwaane ki thaan li.
Jab DEVEN ko pata laga ki wo Police ko ye sab batane waali hai to uska khoon sookh gaya. Ab koyi aam aadmi hota to police uski kya hi sunti par DEVEN ke sasurji Central Minister the aur agar wo police complaint register karwaati to DEVEN ko sazaa hona tay tha. Isiliye usne apni biwi ka hi katl kar diya. Aur baad mein usse ek accident ka roop de diya.
Ye sach jaankar RAHUL ki haalat bahut kharaab ho gayi. Asliyat mein RAHUL is duniya mein sabse zyada pyaar apni maa se hi karta tha aur unki death ke baad se wo DEVEN ke sanidhya mein bigadne lag gaya. Jab uski Maa zinda thi tab hamesha hi wo usse sachayi ka hi paath padhati thi. Par jab itne saal Ravan ke saath raha to bigadna tay hi tha RAHUL ka. Usse ab apne baap se bhi aur khudse bhi nafrat hone lagi thi ke wo apni Maa ki di huyi seekh bhi yaad nahi rakh paaya.
Bas fir kya tha AV ne RAHUL ko apni kahani bhi batayi aur saath hi RAKA ki bhi. Aur usne RAHUL se kaha ki agar DEVEN koyi nayi chaal chale tab hi RAHUL saamne aaye aur jaise hi SARTHAK MAHI ko lekar wahaan pahuncha to RAHUL bhi harkat mein aa gaya.)
Saath hi ye bhi jaan lijiye ki SARTHAK baahar kaise aaya,
( DEVEN ko jab pata chala ki SARTHAK ko AV ne fasaya hai, tab wo samajh gaya ki AV ke khilaaf wo SARTHAK ko mohre ki tarah istemaal kar sakta hai.Taaki AV aur MAHI ko maarne ke baad uska ilzaam SARTHAK par daal sake. Isiliye usne Jailor se baat karke SARTHAK ko jail se nikalwa diya. Aur fir usse apna plan samjhaya. Jab RAKA ne kaha ki wo AV ko kidnap karne waala hai to DEVEN ne SARTHAK ko MAHI ko kidnap karne ke liye kaha. Taaki wo in dono ko ek saath maar sake).
BACK TO STORY :-
DEVEN se to kuchh bolte nahi ban raha tha, usne ek baar RAHUL ki taraf dekha to wo apni aankhon mein angaare liye DEVEN ko hi dekh raha tha. Ab AV ka bhi sabr jawaab de raha tha. Usne ek baar aankhen band ki aur tabhi uske saamne uske papa ki maut, maa aur behan ki maut saath hi jo kuchh KANIKA ke saath hua wo sab ek film ki tarah chalne laga.
Aur tabhi usne aankhen kholi aur DEVEN par jhapat pada. Wo andhadhun DEVEN ke muh par mukke barsa raha tha. Uska chehra tamatar ki tarah bilkul laal tha aur saath hi aankhon mein bhi ek aag dikh rahi thi. DEVEN bas maar khaate huye karah raha tha. Usne kabhi nahi socha tha ki who ek din ese bebas bhi hoga.
Tabhi uska mobile jo paas hi gira pada tha bajne laga aur uski screen par ek naam flash hua – “BOSS”. AV ne ek dafa mobile ki taraf dekha aur fir DEVEN ki taraf. Usne RAKA se gun lekar DEVEN ke sar par rakh di aur kaha,
AV – Phone uthakar speaker pe daal aur agar koyi bhi bakwaas ki naa to samajh le fir.
DEVEN ne apni tooti footi haalat mein phone uthaya aur speaker on kar diya,
DEVEN – Hello.
BOSS – Hello ki maa ki aankh. Saale tujhe ek kaam diya tha aur tu wo bhi nahi kar paaya. Dekh mujhe wo ladka chahiye tu kaise bhi dhoond usse warna tera wo haal karunga ke teri rooh kaanp jaayegi.
Idhar DEVEN se kuchh bolte nahi ban raha tha. Ab kehta bhi kya ki wo ladka jisse wo paglon ki tarah saalon se dhoond raha tha aaj wohi usse maarne aa gaya hai.
BOSS – Abbe mar gaya kya ya zuban kat gayi hai?
DEVEN – N..na..nahi BOSS main koshish kar raha hoon jaldi hi usse dhoond loonga. Aap chinta mat kijiye.
BOSS – Hahaha.. Chinta, wo to tujhe karni hai. Jaldi dhoond usse Zinda rahega.
Aur issi ke saath usne phone cut kar diya,
AV – Ab fatafat se apne BOSS ke baare mein sab bhonk de warna….
Beech mein hi,
DEVEN – Main jaanta hoon ke aaj mera marna tay hai main tujhe sab bata doonga tab bhi marunga aur nahi Bataunga tab bhi. Par itna yaad rakh ki tu uska pata kabhi nahi laga paayega aur wo tujhe dhoond nikaalega aur khatam kar dega.
Ek baar fir se AV ne usse dhona shuru kar diya. Aur uski dono bazuon ko pakadkar ghuma diya, iske saath hi ek Kadakkk ki aawaz huyi jo iss baat ka suboot tha ki DEVEN ki dono bazu ab shaheed ho chuki thi. Usne DEVEN ka gala pakadkar uthaya aur kaha,
AV – Abhi bhi keh raha hoon bata de uske baare mein , kaun hai wo aur kya dushmani hai uski mujhse?
Par iske jawaab mein DEVEN ne kuchh nahi kaha balki hasne laga, aur fir,
DEVEN – Abbe tu usse khud hi dhoond le na mujhse kyon puchh raha hai. Par chal jaate jaate tujhe ek khush khabri deta jaata hoon,
---------------------------------------
---------------------------------------
Ye DEVEN ne do dhamakedaar khulaase kiye jinmein se pehle ko sunkar jahaan AV had se zyada hairaan ho gaya par saath hi uski khushi dekhte hi banti thi. Par jaise hi DEVEN ne doosri baat kahi uske dimaag mein visfot hone shuru ho gaye aur wo wahin sofe par dhamm se gir gaya. Wahaan khade sabhi log hairaan ho gaye aur MAHI ko apne kaano par vishwaas hi nahi ho raha tha. Par tabhi DEVEN ne apni jeb se ek tablet nikaali aur usse nigal liya. Kuchh hi seconds mein DEVEN zameen par tha aur uske muh se nikal rahi jhaag aur uska neela padta shareer iss baat ki gawahi de raha tha ki usne zehar kha liya hai.
Aur iske saath hi AV ki aankhen bhi bojhil hone lagi aur wo behosh ho gaya par wo girta uss se pehle hi MAHI ne daudkar uske sar ko apni god mein rakh liya.
AFTER FEW HOURS :-
LOCATION :- CITY HOSPITAL
Yahaan AV behoshi ke aalam mein leta hua hai ek bed par. Aur uske paas hi stool par baithi hai MAHI jiska ek haath AV ke baalon mein hai aur doosre haath se usne AV ka ek haath thama hua hai. AV ki dheere dheere aankhen khulne lagi aur aankhen khulte hi uske dimaag mein DEVEN ki kahi aakhiri baat goonj uthi aur uske sar mein tezz dard ka ehsaas hone laga par tabhi usne apni nazren ghumaayi to MAHI ka chehra dekh kar uska man shaant hone laga. MAHI iss samay so chuki thi aur hawa ki wajah se uske baalon ki ek lat baar baar uske chehre par aa rahi thi aur ye AV ke kaam mein rukawat paida kar rahi thi. Kaam wahi MAHI ka deedar karne ka. Usne halke haath se uss lat ko MAHI ke kaan ke peeche kiya aur uske chehre par pyaar se haath ferne laga.
Uske haathon ka ehsaas hote hi MAHI kasmasane lagi aur uski aankhen khul gayi. AV ko hosh mein aaya dekh kar uski khushi ka thikaana nahi raha aur usne AV ke chehre ko thaamkar uspar chumbanon ki bauchhar kar di. Aur uski aankhon mein aansoon aa gaye. Jab SARTHAK AV ko maar raha tha tab MAHI ko laga ki wo usse kho degi par ab usse sahi salamat dekh kar uski aseemit khushi asantulit ho rahi thi.
( Achha main aapko bata doon ki MAHI ne apne ghar par phone karke keh diya ahi ki uski friend ka accident ho gaya hai aur wo uss se milne aayi hai. Isiliye uske maa papa tension free hain. )
AV ne bhi usse pyaar se shaant karwaya aur kaha,
AV – Ab sab theek hai MAHI. Chup ho jaao. Aur main yahaan kaise aaya aur kitni der se main yahaan hun?
MAHI – Wo tum wahaan par behosh ho gayae the tab tumhe yahaan hospital mein le aaye. Doctor ne kaha ki shock ki wajah se tum behosh ho gaye the. Aur abhi poore teen ghante baad tumhe hosh aaya hai. Jaante bhi ho meri kya haalat ho gayi thi. Agar tumhe kuchh ho jaata to main bhi zinda nahi ….
AV ne beech mein hi uske muh par haath rakh diya aur dono ek doosre ki aankhon mein dekhne lage. Ye dono ek doosre mein khoye hue the tabhi kamre ka darwaaza khula aur RAKA ke saath ACP AKRAM bhi andar aaye. AV ka haal chaal puchhne ke baad,
ACP – Dekho DEVEN ne zehar khaa liya tha. Aur main bhi isse ek suicide case hi dikhaaunga. Par suicide ka kaaran to media mein batana padega. Kyonki ab wo koyi mamooli aadmi to tha nahi Isiliye ye baat abhi badhegi.
AV – Hmmm, aap ye kahiyega ki RAHUL ko ye pata lag gaya tha ki DEVEN ne uski Maa ka katl kiya aur RAHUL ne uss se apna rishta tod liya. Aur iss kaaran usse apni galtiyon ka ehsaas hua aur usne suicide kar liya.
ACP – Thik hai. Lekin RAHUL ka kya karna hai.
AV – Wo khud hi apni galtiyon ko sudhaarna chahta hai. Aur jo kuchh usne SARTHAK ko bachane ke liye kiya tha wo sab baatein wo khud hi police station mein kubool karega. Aur haan wo SARTHAK mujhe nahi lagta ki uske liye itni hi saza kaafi hogi. Wo sudharne waali cheez nahi hai aur naahi usse apne gunaahon ka guilt hai isiliye aapko ek video doonga , usmein wo RAHUL ko goli maar raha hai, so attempt to murder ke charges bhi lag jaayenge uspar.
RAKA – Par tumhaare paas uski wo video bhi to hai jismein usne paanch aadmiyon ko maara tha, uske zariye usse faansi dilwa sakte ho.
AV – Wahi to main nahi chahta. Marke to wo aazad ho jaayega. Usse to saari zindagi jail ki chaar deewari mein sadna hai. Aur ACP Sahab aap zara dekhiyega ki uski khaatir daari mein koyi kami na ho jail mein.
ACP – Thik hai. Main ab sambhaal loonga. Tum aaram karo aur ab koyi bahaduri ke kartab mat karna.
Aur ye kehkar wo wahaan se baahar chale gaye par RAKA ko AV ne wahin rok liya,
AV – Dekho RAKA tumne is sabme meri bahut madad ki uske liye thanks. Lekin meri ek request hai ki kya tum aage bhi meri madad karoge. Abhi mujhe nahi pata ki wo kaun hai jise DEVEN apna BOSS keh raha tha lekin jald hi main uska pata laga loonga aur usse khatam karne ke liye mujhe tumhaari zaroorat padegi. Koyi zabardasti nahi hai tumhaari marzi hai chaho to mana kar sakte ho.
RAKA – Main zaroor tumhaari madad karoonga. Tumne mujhe sahi raasta dikhaya hai aur meri biwi ki jaan bhi bachayi aur uske gunehgar ko saza bhi di. Jab bhi yumhe meri zaroorat ho keh dena main aa jaaunga.
Itna kehkar wo bhi chalta bana aur for AV ne MAHI ki taraf dekha jo usse hi ghoor rahi thi,
AV – Kya hua?
MAHI – Abhi abhi to uss DEVEN aur RAHUL se peechha chhoota hai aur ab tum naya dushman le aaye beech mein. Agar tumhe kuchh ho gaya to?
AV – Tum aesa kyon soch rahi ho. Mujhe kuchh nahi hoga. Mujhe jaan na hai ki sachayi kya hai. Kya DEVEN ki kahi baatein sach thi aur agar sach thi to fir KAHAAN HAI MERI BEHAN AUR KAUN HOON MAIN?
To chaliye ab isse aaram karne deta hain par,
Kya kaaran hai AV ke iss sawaal ka , to iska jawaab hai DEVEN ke dwara marte waqt bole gaye wo aakhiri shabd jo kuchh yun the,
KHUSH KHABRI YE HAI KI TERI BEHEN ZINDA HAI, MARI HUI PAIDA NAHI HUI THI WO BALKI EK MARI HUI BACHI SE BADAL DI GAYI THI.
( Ye tha AV ki khushi ka kaaran).
ARRE SORRY SORRY, WO KAHAAN SE TERI BEHEN HO GAYI, WO TO JAIDEV KI BETI THI, AUR TU, TU TO EK LAAWARIS HAI. HAAN JAIDEV AUR SANJANA TERE MAA – BAAP NAHI THE, KOYI ASTITV NAHI HAI TERA, LAAWARIS HAI TU LAAWARIS.
( AV ke shock ka kaaran).
So guys, here’s the update. Jaanta hoon ki regular update nahi de paa raha hoon par sachmein schedule bahut tight hai. Koshish karunga ki next update jald hi aa jaaye.
YOUR'S RD.
(2469 WORDS.)
Kya baat hain yarr to ab next update kab de rahe ho yarr.