• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller AV.... UNLOCK THE MYSTERY

Status
Not open for further replies.

Naik

Well-Known Member
21,558
77,442
258
PART – I [ UNFOLD THE MYSTERY ]
CHAPTER – 3
“ WHO IS AV??? “
UPDATE #18 [ THE SEARCH BEGINS ]
RECAP :- AB TAK AAPNE PADHA KI DEVEN SUICIDE KAR LETA HAI. WAHIN MARTE MARTE BHI AV KO DO BAHUT BADE JHATKE DE JAATA HAI.

AB AAGE :-

Aaj DEVEN ko mare 5 din beet chuke the. AV ko hospital se discharge mil chuka tha aur jo chotein usse lagi thi wo bhi thik ho chuki thi.

Idhar ACP AKRAM ne badi kushalta se DEVEN ki maut ka case handle kar liya tha aur RAHUL ke kubool kar lene se ki ussiki wajah se DEVEN ne suicide kiya iss maamle ka khaatma ho gaya tha. RAHUL ne bhi SARTHAK ko gair kanooni tareeke se bachane ki baat aur saath hi jo kuchh bhi galat kaam aaj tak usne kiye the wo sab police ke saamne kubool kar liye the. Bas ab uski Adalat mein peshi honi thi.

Doosri taraf ACP ne SARTHAK par RAHUL par attempt to murder ka case bhi thok diya tha. Ab iss maamle mein to Video Recording ka pakka suboot bhi tha to uska lambe taur par andar jaana nischit tha.

In sab cheezon ke kaaran JAIPUR mein filhaal ke liye AV par se poori tarah se khatra tal chuka tha. Ab bas usse intezaar tha to uss insaan se milne ka jiske zariye wo apni sachayi jaan paayega. Aur uske liye usse jaane tha DELHI. (Jaisa ki Diary mein kaha gaya tha).

EVENING TIME :-

LOCATION :- AV’s HOUSE


Iss samay yahaan AV ke saath maujood hai DEVA. Kisliye, aaiye batata hoon. Asal mein AV ko ab DELHI jaakar jald se jald apne sawaalon ke jawaab lene the. Par saath hi saath usse apni behan ke baare mein bhi pata lagana tha. Aur iska ekmatra raasta tha uss Doctor ko khojna jisne SANJANA ki delivery ki thi. AV ke paas SANJANA ki uss samay ki medical reports maujood thi. Aur usmein se usne uss doctor ka naam pata chal chuka tha.

Ab bas uski current location pata karni thi aur isiliye AV ne DEVA ko yahaan bulaya tha.

DEVA – Haan bolo itni jaldi mein kyun bulaya. Koyi problem ho gayi hai kya?

AV – Wo mujhe tumse ek kaam tha. Agar tumhe koyi dikkat na ho to karoge?

DEVA – Haan haan bilkul. Tumhaari wajah se mera bhai aaj mere saath hai. Tum bolo kya karna hai. (Hua yun ki DEVEN ke marne ke baad KABIR DEVA ke saath hi rehne chala gaya tha.)

AV – DEVA ye koyi AMRITA SINGH karke doctor thi jo paanch saal pehle yahaan CITY HOSPITAL mein kaam karti thi. Iske baare mein tumhe pata lagana hai. Bas address wagerah dhoondna hai aur kuchh nahi.

DEVA – Ho jaayega.

AV – Thik hai, filhaal to main kuchh din ke liye baahar jaa raha hoon. Aate hi tumhe phone karunga.

Fir DEVA wahaan se chalta bana. Ab ye kaam to ho gaya tha bas ab intezaar tha agli subah ka jab AV DELHI ke liye nikalne waala tha. Flight ki tickets to usne pehle hi book karwa li thi aur saath hi MAHI ko bhi apne programme ke baare mein bata diya tha.

NEXT DAY :-

AV subah sahi samay par nikal chuka tha apne ghar se airport ke liye. Uske flight 9 baje ki thi jisko board karne mein usse koyi pareshaani nahi uthani padi. Nirdharit samay mein safar poora hua aur AV pahunch chuka tha,

LOCATION :- INDIRA GANDHI INTERNATIONAL AIRPORT ( DELHI )

So, flight land kar chuki thi aur apna hero airport se baahar aa raha tha. Par tabhi wo kisi se takra gaya. Jab AV ne uss aadmi ka chehra dekha to usse laga ki wo uss aadmi ko pehle bhi kahin dekh chuka hai. Par isse ek bhram samajhkar wo baahar aa gaya.

Lekin wo aadmi to jaise apni sud bud kho chuka tha. Aankhein aakhiri hadh tak faili huyi thi aur saath hi maathe par paseene ki kuchh boondein bhi chhalak gayi thi. Pehli nazar mein to usne AV ko pehchana nahi tha par gaur se dekhne par jab usse yaad aaya ki AV kaun hai to uska halak sookh gaya.

Ye aadmi aur koyi nahi balki DCP NARESH PANDEY hi the jo kuchh official kaam se baahar gaye huye the aur aaj hi waapis DELHI laute the. Par inhe kya pata tha ki yahaan pahunchne par inhe itna bada jhatka lagne waala tha. Par ab aage aage DCP saahab ki zindagi mein jo toofan aane waala tha uska andaaza ho chuka tha inhe.

LOCATION :- KADAMB VILLA ( DWARKA )

Yahi tha wo thikaana jiske baare mein AV ne Diary mein padha tha. Aur is ghar ke baahar name plate par likha hua tha RET. COL. NISHANT KADAMB. Aur yahi tha wo naam jo aaj AV ko bataane waala tha uski asli pehchaan aur saath hi khulne waale the wo sabhi Raaz jo ab tak ke safar mein AV ke saamne aaye the.

[ INTRO :- NISHANT KADAMB – Age – 46. Ret. COLONEL. Army mei karyarat the par ek shootout mein heart ke paas goli lagne ke kaaran premature retirement lena pada. Par ab bhi apne desh se utna hi pyaar karte hain aur koshish yahi rehti hai kuchh na kuchh desh ki bhalayi ke liye karte hi rahen.

NAMRATA KADAMB – Age – 45. School teacher hain.

DRISHTI KADAMB – Age – 20. Bas abhi – abhi graduation complete ki hai ]

AV ne aage badhkar bell bajayi aur kuchh der baad ek 19 – 20 saal ki ladki ne darwaaza khola. Wo AV ko sawaaliya nazron se dekh rahi thi aur iss se pehle ki wo koyi sawaal karti,

AV – NISHANT KADAMB JI, mujhe unse milna hai, aap bula dengi unhe.

Uss ladki ne ek nazar AV ko dekha aur fir andar chali gayi. Kuchh hi palon baad ek madhyam umra ke vyakti jo ab bhi fully fit lag rahe the wo darwaaze par aa gaye. AV samajh gaya ki yahi NISHANT hai. Usne pehle to unhe greet kiya aur fir kaha ki wo unse kuchh zaroori baat karna chahta hai. Unhone bhi usse andar aane ko kaha. Ghar bahut hi sundar tareeke sajaya hua tha aur wahin sitting mein sofa maujood tha jahaan iss samay wo ladki aur ek aurat baithi huyin thi. Baithne ke baad unhone kaha,

NISHANT – Haan beta bolo kya baat karni hai tumhe?

Ispar AV ne kuchh nahi kaha bas apne bag se wo Diary nikaal kar saamne table par rakh di. Wo diary dekh kar to jaise unki aankhen baahar hi aa gayi. Wo kabhi AV ko dekhte to kabhi diary ko. Shayad wo mahila bhi maamla samajh gayi thi aur unke chehre par bhi hairaangi ke bhaav the. Kuchh der chup rehne ke baad,

NISHANT – Tum , tum…

AV – VEER hoon.

Bas itna hi sun na tha ki unki aankhon se aansun chhalak gaye. Wo bina der kiye uthe aur AV ko gale laga liya. Ab ye to uss bechare ke liye bhi unexpected tha. Kya hi react karta lounda. Wahin uss aurat ki aankhon mein bhi aansoon the aur saath hi chehre par khushi jhalak rahi thi. Doosri taraf wo ladki aankhen faadkar saamne jo ho raha tha usse dekh rahi thi.

Idhar jaise hi NISHANT ne AV ko chhoda wo aurat aage aakar uske gale lag gayi aur rone lagi. Kuchh der baad wo shaant huyi aur baith gayi. Aur AV NISHANT ji ki taraf sawaaliya nazron se dekhne laga. Wo bhi uska matlab samajh gaye the, isiliye,

NISHANT – Jaanta hoon tum kya soch rahe ho. Ki pehli mulaakat mein koyi aise to nahi milta par hairaan mat ho, MAMA HOON MAIN TUMHAARA.

Aur ye tha AV par aur saath hi uss ladki par ek bahut bada bomb. AV to hang ho chuka tha. Usse to yakeen hi nahi ho raha tha ki uska koyi rishtedaar bhi hoga.Par ye to pehla hi jhatka tha abhi to kayi baatein aisi thi jo usse hairaan karne waali thi.

AV – Mama.. par kaise. Maa ne to kabhi nahi bataya ki unka koyi rishtedaar bhi hai.

NISHANT – Maa, kiski baat kar rahe ho.

AV – Abhi keh rahe the ki aap mere Mama hain aur apni behan ke baare mein hi puchh rahe hain. SANJANA RATHORE inhi ki baat kar raha hoon main.

NISHANT – Wo tumhaari Maa nahi hai. Tumhe JAIDEV ne bataya nahi.

AV DEVEN ke kiye khulaase se pehle hi shock mein tha par kahin na kahin usse lag raha tha ki shayad wo jhooth keh raha hoga par ab to usse wo aasha bhi dhundhli hoti nazar aa rahi thi.

AV – Aap kehna kya chahte hain. Kya nahi bataya Papa ne mujhe.

Ab NISHANT Maamla thoda thoda samajh raha tha,

NISHANT – Pehle mere sawaal ka jawaab do. Kya jaante ho tum apne baare mein?

AV – Shayad sab kuchh ya shayad kuchh bhi nahi. LADAKH mein RAJAN se mila, fir JAIPUR mein AACHARYA RAMDAS JI se mila fir AJMER mein KESHAV Uncle se mila par sabhi gol gol baatein hi karte rahe. Mujhe kisi ne bhi sach nahi bataya. Aur fir un dono ka mujhe Chhote Maalik kehna. Aur diary mein mera naam VEER kyun likha hai jabki mera naam ABHIMANYU hai. Kya matlab hai iss sabka. Aur DEVEN ne marte huye kaha ki mere Maa Papa mere sage nahi hain. Kya sach hai. Bataiye mujhe. Aur ab aap mat kehna ki waqt aane par pata chal jaayega.

AV ki baat sunkar NISHANT ji ke chehre par gusse ke bhaav aa gaye,

NISHANT – Matlab JAIDEV ne tumhe kuchh nahi bataya?

AV – Paanch saal pehle death ho gayi thi unki aur Maa ki.

Ye ek bahut bada shock tha NISHANT ji ke liye. Unhe samajh nahi aa raha tha ki wo kya bolen. Par wo jaante the ki ab unhe hi AV ko sab kuchh batana padega.

NISHANT – Hmmm main sab samajh gaya ke kya hua hai. Sabse pehle to ye jaan lo ki SANJANA aur JAIDEV tumhaare Maa Baap nahi the. Unhe zimmedaari mili thi tumhe safe rakhne ki. Tum galat ho tumhara naam ABHIMANYU isliye rakha gaya tha taaki tumhaari pehchaan chhupaayi jaa sake. Tumhara asli naam VEER SURYAVANSHI hai. Tum aaj ki tareekh mein Hindustan ke sabse ameer insaan ho.

Ye baat kisi missile se kam nahi thi AV par. Kahaan to usse aksar apni chhoti chhoti zaroorton ke liye pareshaan hona padta tha aur kahaan ye usse Hindustan ka sabse ameer praani bata rahe the. Abhi wo kuchh kehta uss se pehle hi,

NISHANT – Pehle meri poori baat sun lo fir hi kuchh kehna. Jab tum do saal ke the tab tumhe bachate huye tumhaare maa baap ki jaan chali gayi. Tab JAIDEV ko tumhaari zimmedari saunpi gayi thi. Usse tumhe kisi surakshit jagah par le jaane ka kaam mila tha. Taaki jab tum bade ho jaao tab wo tumhe sab sach bata sake aur tum wo sab jo tumse chheen liya gaya tha wo tumhe waapis mil sake. Ye Diary jo tumhaare paas hai ye tumhaare Papa ke best friend ne lihi thi taaki iske zariye tum aage badh sako.

Aur jin bhi logon se tum ab tak mile wo sab tumhaare Pita ke wafaadar the aur tumhaare liye apni jaan bhi de sakte hain. AACHARYA RAMDAS Ji tumhaare pitaji ko apne bete jaisa hi maante the isiliye wo bhi iss sabme shaamil the. Tumne poochha tha na ki koyi bhi tumhe sach kyon nahi bata raha tha. To iska kaaran ye tha ki wo sach tumhe bataane ka kaam bhi JAIDEV ka hi tha. Tum aaj tak usse apna pita samajhte rahe ho aur yadi wo tumhe sab batata to ye hi behtar rehta. Yahi sochkar kisi ko bhi tumhe wo sab batane se mana kiya gaya tha.

Itna kehkar NISHANT chup ho gaye, par AV ke dimag ki nasein fati jaa rahi thi. Sabse zyada pareshaan to usse NISHANT ki wo baat kar rahi thi jismein usne kaha ke tumhe bachate huye tumhaare Mata Pita ki Jaan chali gayi. Ab usse samajh aa raha tha MONK AKKRUM RINPOCHE ne kyun kaha tha ki tumhaare Mata Pita ki kurbaani bekaar nahi jaani chahiye. (UPDATE –3)

Par uske man mein sab kuchh jaan ne ki ichha thi. Usse jaan na tha ki ye sab uske saath kyon hua aur kisne kiya.

AV – Mujhe sab kuchh shuru se bataiye.

NISHANT – Theek hai. Suno….

Chaliye isse batane dijiye main aapko bata deta hoon,

FLASHBACK :-

Sabse pehle thoda Intro ho jaaye;

KAILASH SURYAVANSHI – AV KE DADAJI.

GAURI SURYAVANSHI – AV KI DADIJI. (DEAD).

SUSHILA SURYAVANSHI – KAILASH KI DOOSRI BIWI.

ANMOL SURYAVANSHI – AV KE FATHER. (DEAD).

DIVYA SURYAVANSHI – AV KI MAA. (DEAD).

ARMAAN SURYAVANSHI – AV KA SAUTELA CHACHA. [ KAMINI – WIFE OF ARMAAN. ] [ Iska ek beta hai – SANJAY ].


So, intro over, kahani shuru.

Sabse pehle ye jaan lijiye ke AV ke dadaji khaandani raees the. MAHARASHTRA ke sabse ameer gharano mein unka shumar tha. Fir AV ke pita ki mehnat aur lagan se unhone apni sampatti ko ek alag hi star par pahuncha diya. Unhone khud ka business shuru kiya tha jo ki unhone apne dost ke saath milkar aasman ki unchaiyon tak pahuncha diya. Aur saath hi kayi Hotel Chains , Real Estate , Diamond Market wagerah mein bhi invest kiya aur hefty returns wahaan se bhi paaye.

To jaisa ki aapne dekha ki AV ke dadaji ki pehli patni yaani AV ki dadi ki maut ho chuki hai. Aur unki maut ke baad unhone doosri shaadi kar li thi. SUSHILA ek laalchi aur swarthi kism ki aurat thi. Wo yahi chahti thi ki saari jaaydaad joki ANMOL ki khud ki kamayi huyi thi wo bhi uske bete ARMAAN ko hi mile. Bachpan se hi inhone ARMAAN ko yahi sikhaya ki ANMOL uska dushman hai. Aur fir galat sangat mein padkar ARMAAN ek alag hi level ka kameena ban gaya.

Jab AV ka janm hua tab ANMOL bahut khush tha aur apne Pitaji se baat karke usne apni saari jaaydad AV ke naam likhwa di aur jab tak wo 21 saal ka nahi ho jaata tab tak uss sabka caretaker ANMOL ko hona tha. Is cheez se SUSHILA ki sulag gayi aur usne ARMAAN ko bhadkana shuru kar diya.

Ab wo bhi neech to tha hi. Isiliye usne bhi planning shuru kar di. Aur do saal baad usse bhi mauka mil hi gaya. Uss din ANMOL ka Security Incharge kisi kaam se baahar gaya hua tha. Aur ANMOL ko maarne ka iss se behtar mauka kya ho sakta tha. ARMAAN ne apna asli rang dikha diya aur ANMOL ,
DIVYA , AV aur saath hi ek aur shaks jiske baare mein aapko thodi der mein Bataunga, un sabko maarne ki koshish ki. Uska mukhya target AV tha, kyonki property ka asli maalik wahi tha. ANMOL ne Uss shakhs ko aur AV ko JAIDEV ke saath ghar ke pichhle darwaaze se bhaga diya. Kaha to usne DIVYA se bhi tha par wo apne pati ko akela chhodke jaane ko taiyaar na thi.

Haan , JAIDEV ki baat rahi to aapko bata doon ki wo ek anaath tha par KAILASH ne usse paala tha aur ANMOL ne usse apna bhai maana tha. JAIDEV un dono ko apna bhagwaan maanta tha. Especially ANMOL ko, kyonki uski aur SANJANA ki shaadi bhi ANMOL ne hi karwaayi thi. SANJANA ek ameer ghar ki ladki thi aur JAIDEV se pyaar karti thi par uske gharwaale kaahe uski shaadi ek anaath se karwaate. Tab ANMOL ne JAIDEV ke naam bahut si property likh di thi. Isiliye un dono ki shaadi ho paayi.

Haan to, JAIDEV & SANJANA, AV aur uss shakhs ko lekar wahaan se bhaag nikle. Idhar ARMAAN ne ANMOL aur DIVYA ko maar diya. Aur jab usse pata chala ki AV ko lekar JAIDEV bhaag gaya hai tab usne DEVEN joki ussike ke liye kaam karta tha, usse JAIDEV ke peechhe bhej diya taaki wo AV ko khatam kar sake. Jab usne JAIDEV ko pakad liya tabhi wahaan NISHANT KADAMB joki AV ke MAMA the wo pahunch gaye. Wahaan huyi jhadap mein JAIDEV & SANJANA AV ko lekar wahaan se bhaag gaye par wo shakhs NISHANT ke saath hi reh gaya.

Ji yahi thi wo galti jiska zikr BOSS yaani ARMAAN ne DEVEN ko phone par kiya tha aur DEVEN ne RAJAN SOORI ke marne ke baad kiya tha.

Iske baad JAIDEV JAIPUR chala gaya. Tab usse pata nahi tha ki DEVEN bhi JAIPUR se hi hai. Wo wahaan isliye gaya tha kyonki JAIPUR mein ANMOL ki kuchh zameen jaaydad thi jo usne JAIDEV ke naam kar di thi. Jab DEVEN ko JAIDEV ka pata chala tab usne uske parivaar ki info nikaali. Usse laga ki AV JAIDEV ka hi beta hai kyonki JAIDEV aise hi khule aam to VEER ko DEVEN ke hi shehar mein nahi laayega. Isiliye usne JAIDEV ko kayi baar maarne ki koshish ki taaki wo dar kar sach bata de. Par usne kuchh nahi bataya. Aur fir JAMMU mein huye uss Ambush mein joki DEVEN ke hi aadmiyon ne karwaaya tha usski maut ho gayi.

Wahin NISHANT apne pariwaar aur uss shakhs ke saath mein DELHI aa gaye. Taaki wo ARMAAN ki nazron se door reh saken. Aur hua bhi yahi, pehle to ARMAAN , unke baare mein kuchh zyada jaanta bhi nahi tha, aur baad mein usse ye bilkul pata nahi chala ki JAIDEV ke ilawa aur koyi bhi ANMOL & DIVYA ki maut ki sachayi jaanta hai.

AV ke Dadaji yaani ke KAILASH ji ANMOL ki.maut se toot gaye. Jis samay usski maut huyi wo teerth par gaye huye the aur baad mein unke saamne isse ek haadse ke roop mein dikhaya gaya. Wo zinda to hain par sirf iss umeed mein ki wo ek baar apne pote VEER se mil paayenge. Kyonki kaha gaya tha ki car accident ke baad AV aur uss shakhs ki bodies nahi mili thi.

( Guys ye thi wo kahani jiski wajah se ye sab ho raha hai. Haan ye to maine aapko batayi par jab NISHANT ne AV ko kahani sunaayi to kahin bhi uss shakhs ka zikr nahi kiya.)

BACK TO PRESENT :-

Saari baat ke dauraan AV ki aankhon se lagatar aansoon beh rahe the. Pehle hi wo jab JAIDEV aur SANJANA ki maut huyi thi tab emotionally kaafi toot chuka tha kyonki uske paas koyi bhi aesa nahi tha jo usse sambhale. Aur ab dobara uss jaisi baatein sunkar uske sabr ka baandh toot gaya tha. Wo apne ghutnon mein muh chhipaaye fafak fafak kar ro raha tha. NISHANT aur NAMRATA ki aankhon se bhi aansoon beh rahe the. Wahin ye sab sunkar DRISHTI ki aankhen bhi nam thi. Wo bhi hamesha se hi ek bhai ke liye tarasti aayi thi. Uski hamesha se ichha thi ki koyi ho jisse wo bhi rakhi baandh sake. Aur aaj uski wish poori ho rahi thi par kin haalaton mein.

Kaafi der baad jab AV shaant hua tab usne NISHANT se sawaal kiya,

AV – Ye sab jo kuchh bhi ho raha hai, mera un sab logon se milna aur ye diary, ye sab kisne kiya?

NISHANT – Jab tumhe lekar JAIDEV JAIPUR chala gaya uske baad tumhare papa ke dost PRATAP ji mujhse milne aaye the. Unhone bataya ki ARMAAN ne unpar nazar rakhne ke liye kuchh logon ko rakha hua hai. Isiliye wo tumse milne sidhe nahi jaa sakte the. Isiliye pehle unhone wo diary likhi aur fir ussike mutaabik tumhare Papa ke kuchh wafaadar logon ko un jagahon par bhej diya. Iss se kabhi bhi ARMAAN ya DEVEN ko kuchh pata nahi chalta.

AV – Ek aur sawaal ye ki diary ke last mein likha hai ki koyi mera intezaar kar raha hai. Uska kya matlab hai? (Update – 15)

Ye sawaal sunkar NISHANT Ji aur NAMRATA Ji ke chehre par ek muskaan aa gayi aur tabhi doorbell baji. Usski awaaz sunkar unki muskaan gehri ho gayi. Jab unhone darwaaza khola to ek AV ke hi umar ki ladki andar aayi. Usse dekh kar AV ke dil mein ajeeb se bhaav utpann ho rahe the. Wo uss ladki se judaav mehsoos kar paa raha tha. Jab usski nazar AV par padi to usne NISHANT Ji se poocha,

LADKI – Ye kaun hai MAMAJI.

NISHANT – VEER…...

Bas itna hi kaha NISHANT ne aur uss ladki aankhon mein aansoon aa gaye. Wo bhaagkar AV ke gale lag gayi. Pehle to AV chaunka par fir apne aap hi uski aankhein band ho gayi aur haath uss ladki ki peeth par kas gaye. Kuchh der baad jab wo ladki alag huyi to AV NISHANT Ji ki taraf dekhne laga aur wo bhi uska matlab samajh gaye,

NISHANT –

YE TUMHAARI JUDWAA BEHEN HAI SHRUTI……....


Aaj ke liye itna hi…

YOUR’S RD.
Bahot behtareen shaandaar
Update bhai lajawab
 

Rocky Dsouza

RD's here.....
243
1,488
123
PART – I [ UNFOLD THE MYSTERY ]
CHAPTER – 3
“ WHO IS AV??? ”
UPDATE #19 [UDAIPUR – THE NEXT STOP!!!]
RECAP :- AB TAK AAPNE PADHA KI AV KO SAARA SACH NISHANT KE ZARIYE PATA CHAL JAATA HAI. SAATH HI YE BHI KI BOSS USKA SAUTELA CHACHA ARMAAN HAI. WAHIN AV EK LADKI SE MILTA HAI JOKI USKI JUDWAA BEHAN SHRUTI HAI.

AB AAGE :-

LOCATION :- KADAMB VILLA (DWARKA , DELHI)


YE TUMHARI JUDWAA BEHEN HAI, SHRUTI…..

Yahi the wo NISHANT Ji ke shabd jinhe sun ne ke baad AV hang ho gaya. Ek pal ko to uske kadam peechhe ki taraf ladkhada gaye.

Wo awaak sa kabhi SHRUTI ki taraf dekhta to kabhi NISHANT Ji ki taraf. 5 saal se anaathon ki tarah akele zindagi guzaarne waale shakhs ke saamne ek hi din mein itne rishte ubharkar aa jaayen to aesi haalat hona laazmi hai. Aur oopar se judwaa behen, iss baat ki usse katayi umeed nahi thi.

Kuchh pal lage usse normal hone mein par fir usne SHRUTI ki taraf dekha jiski aankhon mein aansoon the par chehre par aseem khushi jhalak rahi thi. AV ke kadam swayam hi uski taraf badh gaye. AV ne apna kaanpta hua haath uske chehre par rakh diya aur agle hi pal usse apne gale se laga liya. SHRUTI ki tezz rulai foot padi. Aur wo waise hi khadi huyi subakne lagi.

Tabhi SHRUTI ke muh se wo shabd nikla jisse sun ne ke liye AV ke kaan taras gaye the,

SHRUTI – Bhai…...

Aur ye sunkar AV ki pakad uspar aur bhi mazboot ho gayi,

Wahin in dono ko dekh kar baaki teeno ki bhi aankhen nam thi. Idhar AV ki khushi ka to thikaana nahi tha. Aakhir ab wo akela nahi rehne waala tha.

NISHANT – Bass beta ab chup ho jaao. Dekho wo ab aa gaya hai na.

Kaafi der baad SHRUTI shaant huyi. Aur wo dono alag huye. Par abhi bhi dono ek doosre ki taraf hi dekhe jaa rahe the. Sab wahin baith gaye aur ye dono saath mein hi baithe the. AV ne NISHANT Ji ki taraf dekhte huye poochha,

AV – Kya ye sab jaanti hai?

NISHANT – Haan jab maine TV par DEVEN ki maut ki khabar dekhi tab kahin na kahin mujhe laga hi tha ki wo tumne hi kiya hoga. Aur tum jaldi hi yahaan aaoge. Isiliye maine isse sab kuchh bata diya tha.

Haalanki AV ki khushi ka koyi thikaana nahi tha, aaj usse apni behen jo mil gayi thi, par saath hi ab uske man mein ek dar bhi tha, ki kahin ARMAAN ke khilaaf jaakar wo SHRUTI ko khatre mein naa daal de. Abhi wo soch hi raha tha ki aage kya karna hai,

NISHANT – VEER ab aage kya karna hai?

AV – Maine socha nahi hai par filhaal to mujhe …..

Fir AV JAIDEV & SANJANA ki Beti ke baare mein aur saath hi DEVEN ke khulaase ke baare mein batata hai aur wo sab bhi agree ho jaate hain iske liye.

AV – Ab aap sab mere saath JAIPUR chal rahen hain.

Iss baat par wo sab chaunk gaye, Haalanki SHRUTI ki khushi dekhne laayak thi,

NISHANT – Lekin beta aise achanak, aur in dono ki padhayi.

AV – Bahane mat banaiye Mamaji, Didi (DRISHTI) ki graduation ho chuki to inki koi problem nahi hai aur SHRUTI ki admission wahin ho jaayegi.

NISHANT – Lekin beta iska board year hai aise admission kaise hoga?

AV – Maine kaha naa ho jaayega, bharosa rakhiye. Aur ab main aur kuchh nahi sun ne waala. Aapko meri baat maan ni padegi.

Ab unke paas bhi kehne ke liye kuchh nahi bacha tha isiliye unhe bhi maan na pada.

Idhar SHRUTI aur AV ek doosre se dheron baaten karna chahte the aur NISHANT Ji bhi ye samajh rahe the.

NISHANT – Tum dono kahin baahar ghum aayo.

Wo dono bhi khushi khushi maan gaye aur chal diye baahar hi khadi ek Scooty liye.

Wahin JAIPUR mein DEVA Ne bhi apne aadmiyon ko Doctor Madam ki khojbeen karne ke liye keh diya tha. Wo bas aasha kar raha tha ki wo RAJASTHAN mein hi ho warna usse dhoondna kaafi mushkil hone waala tha. Filhaal to DEVA ne apna kaam kar hi diya tha.

LOCATION :- UNKNOWN PLACE (MUMBAI)

Ek badi si hall numa jagah. Jismein beech mein ek Raja ki gaddi ke jaisi kursi rakhi huyi hai. Us Hall mein chaaron taraf suit boot mein khade hain kayi aadmi. Aur wahin kursi ke saamne do aadmiyon ko ghutnon par bithaaye unke sar ke oopar do aadmi khade hain. Tabhi,

*Thud* …. *Thud* …. *Thud* ..

Ye awaaz thi kisi ke kadmon ki. Ek vyakti jisne pairon mein Amedeo Testoni ke Smooth Leather Boots jinki keemat lakh rupay ke aas paas hogi pehne huye the. Cigar colour ke ye boots apni chamak wahaan bikher rahe the.

Oopar aayen to Royal Green colour ka suit aur uske neeche white colour ki shirt pehni huyi thi. Baayen haath ki kalaayi par Omega brand ki watch.

Daayen haath mein do sone ki angoothiyan jismein heere bhi jade huye the. Aur ussi haath ki ungliyon mein pakdi huyi thi ek mehengi Cigar jiske kash lagate huye wo uss Hall roopi jagah mein aa raha tha.

Jaise jaise iske kadmon ki aawaz badh rahi thi waise hi un dono ghutnon par maujood aadmiyon ki dil ki dhadkan bhi badhti jaa rahi thi.

Wo aage chalta hua un dono ki taraf ek sarsari nigaah maarta hua apni kursi par jaakar baith gaya aur un dono ko ghoorne laga.

AADMI – JAGATH, Te sahmat hote ka?
( Kya ye dono Maane )

Ye swaal kiya usne marathi mein wahin khade ek hatte katte 6 feet se oopar ke aadmi (JAGATH) se. Jiske maathe par paseene ki boonden aur aankhon mein dar saaf dikh raha tha.

JAGATH – Na .. Na .. Nahi Maalik. Nahi Maane.

Hahahaha…..

JAGATH ki baat sunkar wo aadmi zor se hasne lagta hai. Aur uski raakshasi hasi sunkar un dono ghutnon par baithe aadmiyon ki pant geeli hone lagi thi.

Fir oopar ki aur dekhte huye wo aadmi bolta hai,

AADMI – Kyun karwaate ho bhagwaan ye sab paap mujh nadaan ke haathon. Ab dekho maine kitne aaram se in dono ko kaha ki kaagazon par sign kar den par nahi hame to Imaandaari ka medal chahiye.

Fir ek nazar JAGATH ko dekhte huye,

AADMI – Dekh kya raha hai, Medal de in dono ko aakhir Imaandari ki race jeetke aayen hain.

JAGATH – J .. Ji Maalik.

Aur fir JAGATH ne aage badhkar un dono aadmiyon ko goli maar di.

Wo aadmi utha air un dono lashon ki paas aakar bola,

AADMI –

ARMAAN SE DOSTI MATLAB ZINDAGI KO KHATRA….

AUR ARMAAN SE DUSHMANI MATLAB MAUT KA KHATRA….

Bhagwaan tum dono ki aatma ko shaanti de…

Hahahahaha….

Aur itna kehkar wo wahaan se nikal gaya. Aur peechhe chhod gaya dar se kaanpte JAGATH & Party ko.

LOCATION :- GARDEN ( DWARKA )

Abhi yahaan par AV aur SHRUTI ek bench par baithe ek doosre ko apne jeewan se judi ab tak ki kahani suna rahe the.

SHRUTI kaafi dukhi thi jab AV ne usse apne baare mein sab bataya. Kyonki wo pichhle 5 saalon se akela tha par SHRUTI ke paas to ek behan thi, uske Mama Mami the jinhe wo kuchh samay pehle tak apne Maa Baap hi samajhti thi.

SHRUTI – Bhai matlab tum itne time akele rahe?

AV – Haan ghar par to akela rehta tha par waise friends the school mein aur baahar bhi.

SHRUTI – Ab aage kya karoge?

AV – Abhi to maine kuchh socha nahi hai par kya hume unse ladna chahiye. Main nahi chahta ki main ab tumhe kho doon.

SHRUTI ( uska haath thamte hue ) – Tum mujhe apni kamzori mat samjho. Usne Maa Papa ko maara tha , aur bhi pata nahi kitne hi logon ko chot pahunchayi hogi. Usse saza dena zaroori hai.

AV – Ab mere liye kuchh bhi tumse zyada zaroori nahi hai. Main tumhe risk nahi kar sakta.

SHRUTI – Tum samajhte kyun nahi ho. Main nahi chahti ki mere wajah se ye sab ho. Tumhe meri baat maan ni padegi.

AV – Thik hai par tumhe bhi ek baat maan ni padegi. Jab tak ki wo hamari zindagi se chala nahi jaata. Kisi ko bhi pata nahi chalna chahiye ki ham sage bhai behen hain. Sabko ham yahi kahenge ki tum Mamaji ki hi beti ho.

SHRUTI – Par… Thik hai mujhe manzoor hai.
Fir kuchh der tak baatein karne ke baad ye dono waapas ghar aa gaye.

Baat ki jaaye JAIPUR ki to DEVA ka kaam chaalu hi hai.

Idhar MAHI AV ko lekar chintit thi. Pichhle dino jo kuchh bhi hua uss kaaran wo kaafi dari huyi thi. Aur AV ke bina uska man bhi nahi lag raha tha. Isiliye wo wahaan AV ke Jungle waale ghar par chali gayi thi kuchh samay bitaane.

LOCATION :- PANDEY NIWAS (DELHI)

Yahaan par maujood hain DCP Saahab jo airport par AV ko dekhne ke baad se hi chintit hain, aur abhi kisi ko phone kar rahen hain.

DCP – Suno ek kaam hai, JAIPUR jaana hoga iske liye.

Phone – Ji Sir kahiye.

DCP – Ek doctor ka naam aur paanch saal puraana pata bhej raha hun tumhe. Iske baare mein pata lagao ki filhaal ye kahaan hai.

Phone – Ji sir ho jaayega. Lekin urgent hai kya?

DCP – Haan jald se jald ye kaam karo. Aaj hi nikal jaao wahaan ke liye.

Phone – OK Sir.

Aur itna kehkar usne phone rakh diya. Idhar DCP saahab sofe par baithe apni hi sochon mein gum ho gaye.

NEXT DAY :-

So, agle din suabh se hi inhone packing chaalu kar di thi kyunki aaj ye log waapis JAIPUR jaa rahe the. AV ke Mami School Teacher hain to unjone resignation ka notice joki resign karne ke 15 din pehle Dena hota hai wo school mein de diya tha. Filhaal ke liye unhone school se leave le li thi.

Subah ke samay ki hi inki flight thi jo unhone sahi samay par board bhi kar li. Nirdharit samay ke baad ye JAIPUR pahunch chuke the. Aur fir wahaan se AV babu ke ghar.
Kuchh der aaram karne ke baad AV ne SHRUTI ko apne saath chalne ko kaha, aur wo bhi chal di.

LOCATION :- AV’s HOUSE (JUNGLE)

“Wow, This place is awesome!!!”

Ye pratikriya thi SHRUTI ki iss sthaan ko dekhne ke baad. Aur ho bhi kyun naa. Aap to jaante hi hain yahaan ki sundarta. Poori jagah ko achhe se checkout kar liya tha madam ne aur abhi aaram se jhoole par baithi thi. Aur iss jagah ke baare mein AV se poochh rahi thi.

AV – Maa ( SANJANA ) ne banwaya tha ye ghar, weekend par unke saath yahaan aata tha main.

SANJANA ko yaad karke AV ki awaaz dukh se bhar gayi thi. Aur ye dekh kar SHRUTI ne AV ko gale laga liya,

“ AV ”

Par tabhi in dono ke kaano mein ye awaaz padi jisse sunkar AV ki haalat patli ho gayi, Kyonki usne pehchaan liya tha uss awaaz ki maalkin ko, joki of course MAHI hi thi. Jab in dono ne peechhe palatkar dekha to AV ka to khoon sookh gaya. Kyonki MAHI Wahaan gusse mein laal huyi padi thi aur indono ko ghoor rahi thi.

Bechara AV to ye soch raha tha ki ab SHRUTI ko MAHI ke baare mein kya bataayega, Tabhi MAHI gusse se bhinbhinate hue uske paas pahunchi aur,

MAHI – Kaun hai ye ladki?

AV – MAHI wo.. ye.. wo..

MAHI – Ye wo kya laga rakha hai, tum DELHI mein ye karne gaye the. Ab bolte kyun nahi. Dhokebaaz, gande , jaao ab issi ke saath gale lago , baat mat karna mujhse. (SHRUTI ko dekhte hue) Aur tum, kaun ho tum aur himmat kaise huyi isse haath lagane ki, ye sirf mera hai.

Wo SHRUTI ki taraf badhne ko huyi par tabhi,

AV – Wo meri behen hai MAHI.

Aur ye sunkar MAHI to jadvath si ho gayi. Muh sil gaya aur aankhen badi ho gayi. Pehle to usse ye samajh nahi aaya ki AV ki behen kahaan se aayi aur agar ye sach mein uski behen hai to abhi jo pravachan usne diya tha uska kya jawaab degi,

MAHI – Tumhari behen???

Fir usne MAHI ko poori kahaani sunaayi aur idhar SHRUTI lagi huui thi do aur do ka chaar karne mein. Aur tabhi uske chehre par ek shaitaani smile aa gayi,

SHRUTI – Bhai ye ladki kaun hai? ( Ek teekhe andaaz mein)

AV – Friend hai , Casual Friend…

SHRUTI (Bholepan se ) – Fir isne ye kyun kaha ki tum sirf iske ho?

Ab iska kya hi jawaab deta wo, isiliye man mein ganit lagane laga iss situation se nipatne ka. Tabhi,

HAHAHAHA….

Ye hasne ki awaaz padi uske kaano mein joki ofcourse SHRUTI ki hi thi. AV ki murjhaayi huyi shakal dekh kar uski apne aap hi hasi nikal gayi thi. Idhar MAHI sharma rahi thi. Apni ki uss chhoti si chuhal baazi par.

SHRUTI – Lagta hai Mamaji ko batana padega ki unka ladka bada ho gaya hai aur ab iske haath peele kar dene chahiye.

AV ( chidhkar ) – Ab Mamaji kahaan se aa gaye beech mein. Aur haath peele ladkiyon ke hote hain.

SHRUTI ( haste huye ) –Aaram se , aaram se , gussa kiya na to ghar par bata doongi tum dono ke baare mein. Samjhe.

AV – Ae tu to meri pyaari behen hai naa. Bol kya chahiye tujhe par please ghar par mat batana.

SHRUTI – Ok , mera dil bahit bada hai par fir bhi thodi bahut rishwat to deni hi padegi. Kal mujhe shopping par lekar jaaoge aur baaki baad mein sochenge.

AV – OK. Hmppphhh…

Idhar AV MAHI ko ghoor raha tha aur wo bilkul hi masoom si shakal banaaye usse dekh rahi thi. Thodi der tak in teeno ki nok jhonk chali aur fir MAHI apne aur ye dono apne ghar ki taraf nikal gaye.

Idhar AV ne SUYASH ko phone kiya,

AV – Namaste Uncle.

SUYASH – Namastey beta. Kaise ho.

AV – Main thik hoon Uncle. Wo aapse ek kaam tha.

SUYASH – Haan bolo beta.

AV – Uncle ek baar ARYAN bata raha tha ki aapke ek dost hamare school ke trustee hain.

SUYASH – Haan sahi kaha. Hai to.

AV – Uncle wo iss saal board year hai. Aur kisi ka new admission karwaana hai school mein. Kya ho jaayega.

SUYASH – Ho to jaayega. Lekin karwaana kiska hai?

AV – Uncle wo ek baar Mom ne unke bhai yaani mere Mamaji ke baare mein bataya tha. Main unhe dhoondne ki koshish kar raha tha kaafi tike se aur ab unke baare mein pata chala hai. To unki beti yaani meri behen ka admission karwaana hai kyonki wo ab yahin shift ho rahen hain.

SUYASH – Ye to bahut khushi ki baat hai beta. Main apne dost se baat kar loonga. Tum school mein application form bhar dena. Aur aata hun main unse milne.

AV – OK Uncle. Thank you.

Bas aur kuchh khaas na hua iss din aur Suraj dhal gaya aur peechhe chhod gaya in sabko ek naye din ki umeed mein.

NEXT DAY :-

LOCATION :- DEVA’s HOUSE


To aaj subah hi DEVA ne AV ko phone karke yahaan bula liya tha kyonki usse pata chal chuka tha uss doctor AMRITA SINGH ke baare mein. ( Ab agar aap soch rahen hai ki maine bataya tha ke AV ke paas to phone nahi hai. To bhai girlfriend ban ne ki deri hai adivaasi aadmi bhi mobile aur data pack khareed leta hai.)

AV – Haan bolo DEVA jaldi mein kyon bulaya?

DEVA – Uss doctor ke baare mein pata chal gaya hai.

AV (khush hote huye) – Kya pata chala?

DEVA – 5 Saal pehle wo ussi hospital mein kaam karti jiska tumne naam liya tha. Par fir pata nahi achanak usse kya hua. Itni badiya paise waali naukri chhodkar yahaan se chali gayi apne pati aur bachhon ke saath. Aur doosre shehar mein chhota sa Clinic chala rahi hai ab.

AV (Mann mein) – To jaisa maine socha tha wahi baat hai. Zaroor ye doctor kuchh gadbad hai tabhi aise achanak se yahaan se bhaag gayi thi. Iss se milna padega. Par shayad seedhi tarah se sach nahi bataayegi ye.

AV – Kaunse shehar mein ?

DEVA – UDAIPUR…...

Aaj ke liye itna hi….

YOUR’S RD.

(2701 WORDS).
 
Last edited:

Ajay

Well-Known Member
6,895
33,149
218
PART – I [ UNFOLD THE MYSTERY ]
CHAPTER – 1
“THE TRIP”
UPDATE #1 [THE BEGINNING]
“Let’s gather up students, it’s time to leave”.

Ek kadak awaaz ne sabhi students jo ki annual budget se bhi zyada important discussion mein lage hue the unhe shant kar diya. Ye awaz thi hamare School Ke Sports Teacher ANIL MANEK ki jo ki hamare is school trip ke teacher-in-charge bhi the.

To chaliye thoda jaan lete hain is jagah aur of course “THE TRIP” ke baare mein.


PLACE :- SCOTTISH INTERNATIONAL SCHOOL (JAIPUR , RAJASTHAN)

( The best school in Jaipur and to be fair in whole of Rajasthan. Do hi tareeke hain is School mein padhne ke , pehla , paise se ameer ho jao , dusra knowledge aur intelligence se. Basically yahan ki sirf admission aur monthly fees dene mein hi pran halak mein aa jayein ek middle-class family ke to baaki ke expenses to chhod hi do. Haan ek tareeka ye hai ki aapka baalak ya baalika bahut hoshiyar ho to scholarship se baat ban sakti hai par usmein bhi a number of seats hi available hoti hain matlab spasht shabdon mein kahein to scholarship se entry lene ke liye Gala Kaat competition hai yahaan.
Jo ki kahin na kahin jayaz bhi hai. Bhai best faculty ke saath aur mind-blowing environment mein padhne ke liye kuch to karna padega na.)

BACK TO THE STORY:-

To ye school ki class 11th ke liye ek Trip ka ayojan kiya gaya hai to Ladakh . Aur sabhi students iske liye super-excited bhi hain. Wait, wait sabhi nahi ek ke chehre ka rang uda hua hai. Oh! Ye to apna hero hai to chaliye jaan lete hain apni is kahani ke naayak ke baare mein;

[ ABHIMANYU VEER , currently in class 11th yahi naam hai apne nayak ka. Aap agar soch rahen hain ki Rajasthan mein Veer caste hoti hogi isliye inka last name Veer hai to janab aap galat hain. I mean kya pata Shayad hoti hogi but inke case mein esa na hai. Good-looks , 5.7 feet height, athletic body , well-developed muscles ye kucch physical characteristics hain bhai ke. Academics mein basically GOD hi mana jaata hai school mein, or ye iski ek tarah se majboori bhi hai, yaad hai na upar kya kaha tha maine , do hi tareeke hain bhaiye yahan padhne ke, or ye bhai second category mein aate hain.
Father – LATE COMMANDER JAIDEV RATHORE
Mother – LATE SANJANA RATHORE
To jaisa apne dekha ki apna hero orphan hai , kuchh saal pehle inke dad ki aur uske 1 month baad hi inki mom ki death ho gayi thi. Apne dad se nafrat karte hain, Reason yaar abhi to story shuru hui hai thoda ruko pata chalega. Aur agar kahin inke dad ki baat bhi ho rahi to ye wahan rehna bhi pasand nahi karte. Last year ke I.C.S.E. board mein AIR-1 laaye the prabhu. Sports mein koi khaas interest na hai inko , sirf football ko chhodke, Reason–

ARYAN SINGHVI, Apne hero ka best buddy bole to langotiya yaar, in dono ke parents bhi best friends the and ye dono bhi hain. ABHIMANYU ke baare mein ARYAN se zyaada koi nahi jaanta, yes vo khud to janta hi hoga, obvious hai. Academics mein kaafi badiya score rehta hai ARYAN ka. Ab topper ka best friend hai to uski izzat to rakhni padegi na. Haan to Football means ARYAN ka pehla pyaar. Is bhai ke bade bhaiya state team mein khelte hain or inki bhi kuch isi prakar ki ichha hai. Badiya khelte hain par of course hero is even better. To kyunki ARYAN football khelte hain isliye inke force karne and to be exact inke emotional blackmail karne ke kaaran hero ko bhi khelna padta hai. ]

BACK TO THE STORY :-

ARYAN – abe kyun esa muh bana rakha hai jaise Ladakh nahi Bermuda Triangle pe leja rahen ho tujhe.

AV (Apne hero ka nickname in school and even everywhere) – Tu chup kar idhar main tension mein hun aur tujhe bakwaas karni hai.

ARYAN – Abbe saala, tu tension leta bhi hai maine to socha tha sirf deta hai, Gajab.

AV – Yaar tujhe to pata hai na Maa ki diary ke baare mein , Ladakh and all isliye thoda tensed hoon.

ARYAN – Chill kar yaar, jo hoga dekha jayegaa or isi bahane kya pata kuchh pata hi chal jaye. Waise kyaa socha hai us diary ka.....

Bechare ki baat bhi puri na hui thi ke ANIL SIR ne dahad maar di aur ye bhai ka muh sil gaya.

ANIL SIR – Bachon baate band time waste mat karo aur bus mein baitho.

To kuchh selected students hi jaa rahe the is trip ke liye. 20 hi students hain { 5-5 har stream se }. Yahan se Delhi tak bus mein and then flight to Ladakh. 20,000 rupees liye gaye hain per head as the trip charge bachon se.
(Aap sab soch rahe honge ki hero to orphan hai aur isliye paise ki kadki to hogi hi uske pass. Sahi soch rahen hai. To hero ne ek trip ke liye itte paise kahe diye. Ye kuchh updates baad clear ho jayegaa. Esa samajhlo ki ye hero ke liye faayeda ka hi sauda tha.)

To ANIL SIR ki baat ko maante hue Sab bache baith gaye bus mein. And the bus followed the route to Delhi’s Indira Gandhi International Airport . Kuchh 4-4:30 ghante lag gaye the inhe yahan pahunchne mein. Thodi formalities ke baad sabne flight board kar li thi. Flight mein baithne ke baad bhi AV kuchh pareshaan tha. To ARYAN use chill out karne ke liye apne world-class jokes suna raha tha. Haan ye to main bhul hi gaya ARYAN ke jokes matlab Ek baar to Saanp ka Zeher bhi dam tod de. Inki isi quality ke chalte ek baar inki taraf ghoor kar dekha AV ne, jispar mare hue suar jaisa muh bana liya inhone.

Kuchh kaam na ata dekh ARYAN ne use kiya Brahmastra yaani AV ki maa ke baare mein baatein. Yahi ek kaam tha jo karte hue na to AV bor hota tha na hi thakta tha. Inki har pareshaani ka Ram Baan Ilaaj hai yeh. And As I said earlier ARYAN knows AV better than anyone else. So here it is. Nateejtan AV ab kaafi had tak relax tha but diary ke baare mein to abhi bhi soch hi raha tha. Ye inki mom Sanjana ji ki diary thi jiska cover gatte ka nahi lakdi ka tha jiske upar carvings thi aur top par likha tha apne Hero ka naam. Na na ABHIMANYU nahi sirf VEER. Esa kyun, ruko jara sabar karo. And isko AV kabhi bhi apne se door nahi karta tha. He considered that his mom is with him in the form of the diary. Aakhiri Nishani like something. Aur sochte-sochte ye diary ke upar likhe uske title ya naam ke baare mein chintan manan kar rahe the jo tha,

“ UNFOLD THE MYSTERY ”

(1165 WORDS)
Nice start bhai
 

Ajay

Well-Known Member
6,895
33,149
218
PART – I [ UNFOLD THE MYSTERY ]
CHAPTER – 1
“THE TRIP”
UPDATE #2 [DREAM–GIRL]
“SAB DHYAN SE SUNO AGAR KISINE BHI INDISCIPLINE CREATE KIYA TO YAAD RAKHNA BAHUT BURA PEETUNGA”

Yeh the hamare RAJNEESH SIR , AV's favourite teacher. To MR. RAJNEESH KAUSHAL, basically he’s someone like a nariyal. Jaisa ki sabne suna hi hoga woh muhavra, naram kadak and all. Yeh usi type ke hain. Inke saamne INDISCIPLINE matlab attempt to suicide. Yeh ek baar shuru hote hain toh baalakon ko gande kapdon ki tarah dhoten hai. But kabhi bhi kisi ki baat ko dil pe nahi lete. Aaj tak kisi bhi bache ke parents ko ya fir Principal ko kisi bhi tarah ki complaint nahi ki hai inhone. Inka khauf Principal se bhi zyada hai school mein. Waise to ye sabhi students ke liye dahashat aur maut ka doosra naam hain but AV inse tanik bhi na darta. Aisa nahi ki inki baat nahi manta wo bhai to sabhi teachers ki bahut respect karta hai aur inki kuchh jyada hi. But the thing is that AV inka favourite student hai aur uske mazaak ho ya sharartein ye mind nahi karte ulta enjoy karte hain.

Haan to inki taraf se aayi is dhamki se sabhi students sakte mein the but AV and ARYAN chill the , ARYAN kyun , bhai best friends hone ka kuchh to fayda uthayega hi. Jab bhi ARYAN koi harkat karta hai to AV hi use RAJNEESH sir ke krodh se protect karta hai.

To yahan par hero and company pahunch chuke hain Kushok Bakula Rimpochee Airport (LEH). Kul 7-8 ghante ki journey ke baad Jaipur to Leh ka safar pura hua. To yahan se fir thoda bus ka safar hua and then they all reached hotel. Kul 12 kamre book kiye gaye the inke liye. 1-1 RAJNEESH and ANIL SIR ke liye. Baaki students ke liye. Kul 10 boys and 10 girls group mein the and 2-2 bachon ko room share karna tha. And obviously AV and ARYAN were together. To bhaiya ab in becharon ko thoda aaram karne do thak gaye honge.

NEXT MORNING :-

“ HI AV ”
Ek badi hi khubsurat ladki ke muh se chashni se bhi mithi awaz mein nikle ye shabd jinhe sunkar or use dekhkar AV ke muh se bhi nikal gaya HAYE!!!!

Ye janab to madam ko ghoorte hi rehte agar ARYAN babu inke pair par na marte.

To chaliye aap bhi jaan lijiye hamari story ki one and only heroine ko. Presenting,

MAHIRA SHARMA : AV ki DREAM-GIRL. Ek line mein describe karun toh KHUBSURTI KI PARAKASHTHA. She is too beautiful. Yeh Khubsurat bhi hain aur Khubseerat bhi. She loves to help others whenever she can. Jaanwaron se khaas lagaw hai aur inke paas ek puppy bhi hai - “BRUNO”. Yeh hamare AV ka pyaar hain, bachpan ka. But kya AV inka pyaar hain?? I DON’T KNOW. Matlab I Know but aapko nahi bataunga. AV inse pyaar karta hai yeh baat sirf ARYAN jaanta hai aur isliye ye madam ko napasand karta hai. Are kuch ulta sidha mat sochna woh kya hai na ki Mahira ka boyfriend already hai aur wo hai AV ka sabse bada Rival (intro deta hun abhi). Toh AV jab bhi in dono ko saath dekhta hai to senty ho jata hai, dil toot jata hai lounde ka. And ARYAN babu thehre sache aur ghanishth mitra to apne bhai saman dost ke dukh ke karan ko kese pasand karenge.

Toh ham kahan the, Hann yaad aya,

RAHUL RAJVANSH : AV se jalta hai, kyun, arre yaar bataya toh ki AV is the best and RAHUL is one of the rest. Toh jalan laazmi hai but yeh thode tedhe khopdi wale hain. Inko hajam hi na hota agar inke rehte koi aur aage nikal jaaye. Basically apne Bapu jaise hain. Aur hann yahi hai MAHIRA ka so-called boyfriend. So-Called isliye kyunki yeh janab to usse bahut pyar , oh sorry sorry , pyar nahi hawas rakhte hain. But MAHIRA inse ghanta pyaar na karti. Who kya hai na ki RAHUL ka bapu yaani DEV RAJVANSH ek tarah se Jaipur ka raja hai, Jaipur kya Rajasthan ka hi laga lo. Yeh chahe to do minute mein sarkaar gira den, centre ki nahi state ki bhai. To ab MAHIRA itni sundar hai ki daily londe use propose karte rehte the and she was very irritated with all this. To Madam ko RAHUL ne bhi propose kiya and She said yesss. Kyun ab jab RAHUL ka baap raja hai to yeh bhi to rajkumar hua, Rajkumar Rao nahi Prince. To bhaiye ka khauf hai school main. Jabse yeh baat faili ki yeh dono relationship mein hain kisi bhi lounde ki himmat na hui MAHIRA se baat karne ki except the one and only AV. But the fact is that RAHUL inko haath bhi na laga sakta, allowed hi nahi hai us bechare ko.

To hamare AV bhau to inse I LOVE YOU isliye bhi na kehte kyunki inko lagta hai ki MAHIRA RAHUL se sacha pyaar karti hai. Bade Bhole hain bechare. Par aap kahenge ki agar AV itna hi smart hai to wo ye kaise nahi dekh pata ki MAHIRA RAHULWA se Love karti hai ya nahi?? Are simple hai, LADKI KA CHAKKAR BABU BHAI LADKI KA CHAKKAR. Haan toh MAHIRA is a big fan of AV. Bhai majaak nahi kar raha. I.C.S.E. board ka All India topper hai woh , Last do saal se NATIONAL LEVEL FOOTBALL CHAMPIONSHIP (INTERSCHOOL) ka best player bhi and above that last year ka Student Of The Year bhi. Fan following gajab hai lounde ki.

Back To The Story :-

AV – HI MAHI (AV inhe pyaar se MAHI bulata hai, is naam se sirf AV aur madam ke mom-dad hi ise bulate hain, bechare Rahulwa ko bhi allowed na hai).

MAHI –To kya plan hai yahan ghumne ka?
(Aapko bata doon ki AV planning master hai aur is baat se iske section ke saare bache waakif hai. School Programmes and even trips ki planning bhi kai baar kar chuke hain yeh.)

AV – Pata nahi. Is baar to ANIL SIR bhi saath hain na. To yeh department to woh nahi denge kisi or ko .

MAHI – Haan yeh bhi hai. Aryan tum itne shaant kyun ho. Tum waise to bahut bolte ho par mere saamne bilkul chup rahte ho. Kyun??

ARYAN (Krodh main hain janab) – Wo bas aise hi. Kuch nahi.

AV – are ise chhodo yeh Aisa hi hai. Ladkiyon se baat karna nahi aata isko. Thoda shy hai.

ARYAN (Man Mein) – Dhokebaaz, kamine, kutte ladki dikhi to dost ko bhul gaya.

Ab tak sabhi students and dono teachers bhi aa gaye the.
Anil Sir – Beta pehle sab log Chalke breakfast karte hain then aage ka discuss karenge.

To chaliye jab tak yeh log bhojan kar rahe hain main rest kar leta hoon……… So after a While,

ANIL SIR – So students first of all We’ll visit THIKSEY MONASTERY today. Aapko bata dun ki yeh Monastery bahut famous hai Buddhist culture ko janne ke liye. Over 500 monks are there in this. Aap log bhi wahan ke paintings, scriptures and statues se Buddhist culture ke baare mein kaafi kuchh jaan sakte hain.

Ab aapko bata doon ki ek kaam mein hamare hero-heroine ki choice same hai aur wo hai ki dono ko aesi cultural aur religious knowledge gain karne ka kuchh jyada hi shounk hai. And as expected MAHIRA ke face se pata chal raha hai ki who kafi excited hai is sab ke liye. But ye kya AV ka face to fir se wo Bermuda Triangle jane jaisa ho chuka hai. Achha to yeh kuchh soch rahe hain, kya kya,

AV (Man Mein) – Mom ki diary mein bhi to isi Monastery ka zikr tha aur wo Monk ka kya naam tha haan yaad aya,
MONK AKKRUM RINPOCHE …….

To dekhte hain AV kya us mystery ka pata laga payega aur kya hoga anjaam MONK AKKRUM aur AV ki pehli mulakaat ka…
Keep Reading.

(1304 WORDS)
Mast update bhai
 

Rocky Dsouza

RD's here.....
243
1,488
123
Emotional and heart touching update.AV ko apne mata pita k bare me pata chala.akhir me uski judwa behen shruti ka bhi .uska chacha hi dokhebaaz hai kese veer apnaa revenge lega wo interesting hoga.

awesome update

Super awesome update Rocky bhai...

Wonderful update bhai

Nice update

W

वाव क्या बात है
👌 👌 👌

Jabardast update

Nice story

Bahot behtareen shaandaar
Update bhai lajawab

Thanks for the support guys....

Issi tarah saath bane rahiye....
 
Last edited:

Ajay

Well-Known Member
6,895
33,149
218
PART – I [ UNFOLD THE MYSTERY ]
CHAPTER – 1
“THE TRIP”
UPDATE #3 [THE MEETING]
“KYA AAP BATA SAKTE HAIN KI MONK AKKRUM RINPOCHE KAHAN MILENGE”

“HAAN BETA TUM YAHAN SE RIGHT JAKAR STRAIGHT CHALE JANA LAST ROOM MASTER KA HI HAI”

Yeh the apne AV mahodaya jo kisi se Monk ke baare mein puchh rahe the. Par kyun Puchh rahe the. Shant bhai Shant bataunga main sab bataunga.

Toh AV and company pahunch chuki hai Thiksey Monastery, aur yahan aane ke baad sab balak va balikayen lag gaye photo voto khinchne mein aur dono teacher lag gaye gyan pelne mein jismein MAHIRA ke alawa kisi ki koi khas Ruchi na thi. Are ese kese maine to kaha tah ki AV ko in sab chizon mein gajab ka interest hai. Haan to sahi hi kaha tha but abhi guruji ke paas isse jyaada important kaam hai. Kya? Are yaar wahi MONK AKKRUM wala karyakram.

Toh AV miyan in sab chhatragan evam Adhyapkon se dur apni dhun mein hain. ARYAN babu ko kuchh had tak iska karan pata hai but puri tarah se nahi. Kyun? Main nahi bataunga karlo kya karloge. Are gussa mat karo suspense bhi ek cheez hoti hai.

AV ke upar kisi ka dhyan gaya ho ya na ho but yaar hamari heroine, I mean AV ki heroine ka toh chala gaya. Wo bhi jaanti hai ki AV is someone who is interested in all the things that both the teachers were telling them. But the Question is AV kahe interest nahi dikha raha . Toh hamari MAHIRA madam ne apne andar BYOMKESH BAKSHI ki aatma ko aamantrit kiya aur lag gayi jasoosi mein.

Idhar AV bhau dhoondne mein lage hain MONK miyan ko aur finally 2 lakh saal ki mehnat ke Baad inhone khoj bhi liya. ( Abbe esa kya antariksh mein chhupe baithe the. Chup bilkul chup, likhne de jaahil, flow tut jata hai ). Haan toh dekhte hain inki baatcheet, I mean sunte hain,

AV – PRANAAM MONK

MONK AR – Khush Raho. Beta tum yahan tum to shayad Jaipur se aaye ho na tumhe to bahar baaki bachon ke saath hona chahiye.

AV – Ji Monk main Jaipur se hi aaya hun par mujhe aapse kuch vyaktigat karya hai.

MONK AR (sochte hue) – Hamse kya kam hai beta aapko .

(Yahan se MAHIRA bhi sun rahi hai kaan lagakar darwaaze mein. Time to laga hi hoga madam ko AV ko dhundne mein.)

AV – SANJANA RATHORE

Bas itna hi kaha AV ne aur MONK apni jagah se khade ho gaye aur AV ko chaunk kar dekhne lage. Wahin MAHIRA bhi darwaze ke gap mein se ye sab hairan pareshaan hote hue dekh rahi thi.

MONK AR – SSSANJANA RATHORE…. Tum kese jaante ho unhe aur yahan kyun aaye ho.

AV – MONK main unka beta hun ABHIMANYU or aap shayad mujhse bhi behtar jaante hain mere yahan aane ka kaaran.

Bas ye sab to AV aese hi bol raha tha. MONK to AV ke introduction ke baad ghanta kuch nahi sun rahe the. Unke face par smile aur aankhon mein khushi saaf dekhi jaa sakti thi. Wo aage badhe aur AV ko gale se laga liya. AV ke liye ye expected tha aur wo shocked ya surprised na hua.

MONK AR – Ttum theek ho beta tum theek ho na aur aur tumhara bhai ya behen kaisi hai.

Bas itna hi sunna tha AV ne aur wo blank ho gaya. Kaan, Dil , Dimag sab jaam ho gaya bas kaam kar rahi thi to sirf aankhen , wo bhi aansun bahane ka. Bahar khadi MAHIRA to pehle hi MONK ke dwara AV ko gale lagane se Sadme me thi (kyunki bahar Dono teachers ne MONK ki lagi hui photo ka description ye kehkar diya tha ki na sirf is Monastery mein balki pure Ladakh mein he is the Highest placed MONK, bole to Ladakh ke DALAI LAMA hain ye). Aur ab AV ke ese reaction se wo coma mein hi chali gayi. Kyun, kyunki AV ko rote hue aajtak sirf uski MAA ne hi dekha tha jab wo Chhota balak tha, school mein uske jhagde , ladayi , maar-peet sab hui, chot bhi kaafi lagi par lounda aaj tak kisi ke saamne na roya. Par idhar to BRAHMAPUTRA nadi ka udgam sthal bana hua tha AV. MONK bhi AV ke reaction ko samajhne ka prayaas kar rahe the tabhi unki batti jali, To be accurate unke dimag ki batti,

MONK AR – Kya hua beta, sab thik toh hai na, bolo Sab thik to hai na

AV (Rote hue) – Nahi MONK kuchh thik nahi hai, meri behen, meri behen wo janam lene ke saath hi , wo mmarrr gayi, wo mujhe chhod ke chali gayi thi……….

MONK bhi ye sunke shunya mein chale gaye the, unhe bhi AV ke liye bahut bura lag raha tha. SANJANA & JAIDEV ki death ke baare mein wo jaante the but it was a shocker for him too. Dusri taraf MAHIRA ko bhi ye sab sunke AV ke liye bahut bura lag raha tha but use abhi bhi samajh nahi aa raha tha ki AV itne bade MONK ko kaise jaanta hai. Tabhi use school ka group usi taraf ata hua dikha aur wo wahan se hat gayi. Kai saare sawal mann mein liye.

Idhar andar room mein,

MONK AR – Nahi ABHIMANYU tum ese nirash nahi ho sakte. Tumhare upar bahut badi jimmedari hai jaisa tum kuchh kuchh jante hi hoge ye yudhh tumhe ladna hai wo bhi akele , agar tum ese nirash ho jaoge to tumhare MATA-PITA ki kurbaani vyarth chali jayegi.

AV ke dimag mein ye baat khatki , MATA-PITA ki kurbaani, and to clear his doubt he asked,

AV (aansoo ponchte hue) – Kurbaani , matlab.

MONK AR ko bhi apni galti ka ehsaas ho gaya ki wo kya bol gaye. Aur behatreen tareeke se cover-up karte hue unhone kaha,

MONK AR – wo sab chhodo ABHIMANYU abhi tum wo karya karo jiske liye kismat swayam hi tumhe yahaan layi hai. Ye lo yahi hai tumhaare safar ki shuruaat ki chaabi aur pehli sidhi bhi. Aaj Tak maine ise sambhala hai parantu yeh tumhaari amanat hai. Aaj se tumhe apne lakshaya ki aur dhyaan kendrit karna hai aur jis karya ke liye tumhaari mata ne tumpar vishwaas kiya hai use purn karan hai.

Ek LAKDI KA BOX JO KI MATHS KI BOOK ke size ka tha dete hue kahi ye baat MONK ne, jispar AV ne haath Badha ke wo box lete hue sirf itna kaha,

AV – DHANYAWAAD MONK.

Aur AV ne MONK ke paon chune ke liye pith jhukayi hi thi ke MONK ne use rokte hue gale se laga liya aur uske sar par haath rakhkar kaha,

MONK AR – Jao Tum apne karya mein safal hoge. Mera aashirwaad tumhaare saath hai.

AV ne ek baar fir MONK ko jhuk kar pranaam kiya aur bahar ki taraf chal diya. Wahin MONK AV ko jaate dekhte rahe fir upar ki or dekha jaise bhagwaan se prarthana kar rahe hon ki vo AV ko kaamyaabi den.

Idhar dusri taraf MAHIRA tab se apne sawalon se pareshaan thi, aur saath hi use AV ke liye bura bhi lag raha tha uski behen ke baare mein sunkar. Uske MOM aur DAD ke baare mein to wo pehle se hi jaanti thi par yeh ek nayi baat pata chali thi usse jo aaj se pehle sirf AV aur ARYAN hi jaante the. (Saala kahin ye AV ki behen ban ne ka toh nahi soch rahi uska dukh door karne ke liye. Ae esa mat sochiyo warna abhi to vo sirf dukhi hai baad mein usko Mental Hospital mein bhejna padega.)

Toh bhaiye ab time ho chala tha wapis jaane ka, kahan Jaipur, Abbe chup, mujhe Ladakh pasand hai main na bhejta inko waapas. Haan toh AV sabse pehle hi Bus mein apni tashrif tikaaye bethe the aur dukhi the , kaafi zyaada dukhi, kyun? Abbe maine upar apni love story to likhi nahi. MELODY KHAO KHUD JAAN JAO, I mean Padho aur Khud Jaan Jao. Toh ARYAN Babu aaye aur AV ke side mein virajmaan ho gaye. Yeh behtar jaante the ki AV kabhi bhi apne flashback mein chale jaata hai isliye unhone normally hi liya kyunki ese moko par wo ekant aur shanti hi pasand karta tha. But aaj ye sab MAHIRA bhi note kar rahi thi aur usse AV ke liye kaafi bura bhi lag raha tha. But kya kar sakte hain. Pahunche sabhi Vanar Sena ke Sainik hotel mein apne do Sena-Adhyakshon ke saath or nikal liye apne-apne kamre ki taraf.

Tum bhi nikal lo ab baaki milte hain agle update mein.

(1426 WORDS)
Nice update bhai
 
Status
Not open for further replies.
Top