Nice update....Update 10 - ( The world as it is !! )
Pichle Update me aapne padha kaise Rajan ne ek haste khelte parivar ko badi behrahmi se tabah kar diya. Ansh Sandhya aur Madhu ke saath apne ghar ko jalte hue dekhta aur ek kasam khata hai jisne bhi ye kiya hai use zinda jalakar rakh kar dega.
Ab aage :
Time - ( 7:30 am )
Place - ( Ansh’s Home )
** Sccccreeeeeeeechhhhhh**
Ek gaadi Ansh ke ghar pe paas aakar rukti hai. Usme se ek mahila utarti hai jise jagah-jagah chhote aayi hui thi. Chehre pe bhi chot ke nishan dekhe jaa sakte the. Aankhein bilkul laal thi. Wo jab apne saamne ka nazara dekhti hai to ek cheekh nikalti hai. Saamne ek ghar tha jo pura jal chuka tha. Police ki fencing to dekhi jaa sakti thi lekin koi police wala waha nahi tha.
Aurat - Nahiiiiiii… ( Aur ye kehte hue wo aurat behosh hone lagti hai ) Tabhi koi use piche se thaam leta hai.
Aadmi - Raginiiii… Raginiii…
Ji haa ye aur koi nahi Ramesh aur Ragini hi the. Lekin ye zinda kaise bache ??
Author’s POV - Chaliye Chalte hai flashback me ..
Rajan ke aadmiyo ne Bridge me bomb laga rakha tha Ramesh ki car ko tabah karne ke liye. Aur jaise hi unhe car ke nazdeek aane ki khabar mili unhone bomb ko detonate ( uda ) diya aur Unki planning ke mutabik sab maare bhi jaate agar sahi waqt par ek kaale rang ka kutta daud kar unki car ke saamne aa gaya Jiski wajah se Ramesh ne car ke steering ko tezi se rotate kiya par dhamke ke wajah se unki car piche ludhakte ( roll kate hue ) hue slope se girne lagi, lekin pedo se takrane ke wajah se khai me nahi giri. Car me blast ke wajah se aag lag gayi thi. Ramesh airbag ke wajah se Ramesh baaki dono ( Ragini aur Rani ) se better halat me tha. Usne jaldi se Ragini aur Rani ko bahar nikala. Thodi dur nikalne ke baad hi Car me tezz blast hua.
![]()
Author’s POV - Agar aapke dimag ye aa raha hai ki bomb ko bridge ke bich me lagate end me kyu lagaya ? Uska reason simple hai ki bomb bridge ke niche lagaya jana tha aur uss bridge ke niche pahuchna 10kg ke TNT ke sath kaafi mushkil kaam tha aur Unhe pata tha dusri side khai hai. Koi Chance hi nahi hai ki wo bachenge isliye Rajan ke aadmiyo ne aisa plan kiya. Unka plan full proof tha. Lekin wo kehte hai na "Jaako rakhe saaiyaan maar sake na koi" .
Ramesh idhar-udhar dekhta hai aur madad ke liye pukarta hai lekin ye ilaka kaafi sunsaan tha. Ramesh apna phone check karta hai lekin uska phone car ke dashboard pe tha. Ragini ka phone bhi car me tha jo ki tabah ho gaya tha.
Ramesh - ( Ragini ke gaal ko thapthapte hue ) - Ragini… aankhein kholo Ragini..
Ramesh - ( Rote hue ) - Raniii… Raniii… Bacche aankhein kholo…
Ragini ke sir pe chot aayi thi. Rani ke haath ki muscle katt gayi thi waha se kaafi khun beh raha tha. Ramesh pagalo ki tarah rone lagta hai lekin tabhi uske mann me aawaz aati hai.
Ramesh - ( Mann me ) - Kya kar raha hai Ramesh ? Ye waqt rone ka nahi hai. Dono ko jaldi se jaldi hospital pahuchana hoga. Ramesh pahle Rani ke jakhm par patti baandhta hai taki blood loss na ho. Ramesh dono ko utha ke Road ki taraf le aata hai. Taki koi gaadi dikh jaaye.
Intezaar karte hue 2 ghante bit gaye the lekin koi gaadi nazar nahi aati. Tabhi saamne se ek tezz raftaar se sports car red ( Lamborghini ) aati hui dikhti hai. Ramesh ko pata tha use ye car rukwani padegi. Warna blood loss ke wajah se Rani ki maut ho sakti hai. Ramesh bina apne jaan ki fikar kiye road ke bich me aa gya. Car kaafi speed me thi aur Ramesh ko bhi ab apni maut karib aati hui dikh rahi thi. Lekin tabhi car brake maarti hai aur bilkul ke side se drift hote hue dur jaake rukti hai.
Ramesh jaldi se daudta hua car ke paas jata hai. Car ka darwaza khulta hai aur ek 16-17 saal ki ladki bahar nikalti hai.
Ladki - Oye Buddhe ! pagal wagal ho gaya hai kya ?! Marne ke liye meri hi gadi mili thi tujhe.
Ramesh - ( Pahle to itni kam umar ki ladki ko gaadi chalate hue dekh ke shock hota hai firr uss ladki ke saamne haath jodte hue ) - Sorry Sorry , Mujhe maaf kijiyega lekin meri biwi aur beti ( Rani aur Ragini ki taraf ishara karte hue ) Ko bhot chhot lagi hai unka hospital pahuchna bahot zaruri hai.
Ladki dekhti hai Ragini aur Rani ki taraf to sach me dono ki haalat kaafi kharab thi. Ladki ye dekh ke narm pad jaati hai. Uska bhi ek sapna tha doctor banna to aisi halat me 2 logo ko dekh ke uska dil pighal gaya.
Ladki - ( Rani ke paas jaate hue ) - Iski nabz to bahot dheeme chal rahi hai.
Wo gaadi me jaati hai aur ek first aid kid laakar Rani ke jakhm ko acche se cover kar deti hai.
Ladki - ( Ramesh se ) - Aap jaldi se inhe mere car me bithaiye.
Ramesh jaldi se dono ko car me bithata hai aur Ladki car aage badhane lagti hai.
Ramesh - ( Ladki se ) - Aage ka bridge udd gaya hai. Hume piche se hi jaana hoga.
Ladki - ( Hairaani se ) - Udd gaya ?? kaise ?
Ramesh - Aap piche se chaliye. Mai aapko raaste me batata hu..
Ladki turant U-turn lekar car ko bhagane lagti hai. Ramesh use batata hai ki kisi ne bridge ko bomb se uda diya tha. Agar Ramesh use nahi rokta to shayad apni speed ki wajah se wo bhi nadi me gir gayi hoti. Thode der baad wo log paas ke hi Hospital me pahuch jaate hai. Lekin doctors accident case ko bina police case ke lene se mana kar rahe the.
Ramesh - ( Ek Doctor se ) - Doctor shahab please humari beti ko bacha lijiye. Tab tak hum police complain kar denge.
Doctor - ( Arrogant tone me ) - Dekhiye, Ye hospital ki policy hai isme hum kuch nahi kar skte hai.
Ramesh - ( Rote hue ) - Lekin Doctor shahab tab tak bahot der ho jaayegi. Meri beti ki haalat bahot kharab hai.
Doctor - ( Usi arrogant tone me ) - Ye hospital hai, Yaha harr roz koi na koi marta hai. Tumhare liye kya hospital ki policy change kar de? Ab tumhari beti marti hai to hum kya kare?
Usne itna kaha hi tha ki kisi ne uske dono collar pakad liya. Doctor ne dekha to saamne ye wahi ladki thi jo Ramesh ke saath aayi thi. Uske top pe abhi bhi khun ki kuch dhabbe the. Wo washroom gayi thi apna face dhone aur jab wapas aayi to usne doctor aur Ramesh ki baatein suni aur ye sunte hi uska para chadh gaya…
Ladki - Tu hai kon be ? ilaaz nahi karega? Ilaaz to tera baap bhi karega !
Doctor - ( Jiska naam Shashank tha ) - Kon hai tu ladki ? Collar chhod warna…Yahi patak ke Chh…
Ladki - ( Khich ke ek thappad marti hai ) - Aage ki baat apne halak me hi rakhna warna kal ki subah dekh nahi paayega.
Dr. Shashank - Saali kutiya, Mujhe dhamki deti hai.
Ek thappad maarne wala hota hai tabhi Ramesh bich me aa jata hai wo aur uss Ladki ko cover kar leta hai jisse thappad Ramesh ke gaal pe kaan pe lagta hai. Shashank hatta katta well built tha aur Ramesh ko abhi kaafi chhot aayi hui thi. Wo girne lagta hai.
Ladki Ramesh ko uthate hue - Uncle !! Uncle !!
Ladki gusse se ghur ke dekhti hai aur firr apne phone se kisi ko call karti hai. Call ke dusre taraf se aawaz aati hai kisi aadmi ki.
Aadmi - Nandita baby ! kaha hai aap??
Nandita - Phone ka location on kar diya hai. 20 min. Ke ander pahucho.
Aadmi - ( Nandita ke tone se bhap gaya ki kuch gadbad hai ) - Nandita Baby, aap thik to hai na?
Nandita - ( Pure Cold tone me ) - 20 min.... Sirf 20 min.
Nandita sirf itna kehkar phone cut kar deti hai. Nandita Ramesh ko ek seat pe bithati hai aur fir khud uske bagal me baith jaati hai. Thik 15 min. Ke ander 10 log hospital ke ander enter karte hai. Sab ke sab black bodyguard ke uniform me the. Sabke paas automated rifles thi.
![]()
Unn sabke aage tha ek banda jo dekhne se hi sabka leader lag raha tha. Wo aas-paas nazre daudta hai aur use Nandita dikh jaati hai. Uske ishara karte hi baaki logo ne gate band kar diya. Hospital me afra-tafri mach gayi. Sab ke shor-sharabe ke bich uss leader ne apni Desert Eagle hawa me fire ki aur fir baaki sab ne ek-ek karke saare CCTV shoot down kar diye.
Leader - Sab ke sab chup! Hum yaha sirf apna kaam karne aaye hai. Kisi ko chot pahuchane nahi. Kisi ko phone karne ki koshish karne koshish mat karna signal jammed hai.
Ye dekh kar sab darr ke maare chup ho gaye. Shashank ki halat to maano ki sadak pe mare hue kutte ki tarah ho gayi. Use samajh nahi aa raha tha ye sab kya ho raha hai.
Leader- ( Nandita ke paas jaate hue ) - Nandita baby aap thik to hai?
Nandita - ( Uth kar Shashank ke paas jaate hue ) - Shashank ko ghurte hue pahle kehti hai. Ab inka ilaaz ho jaayega Doctor?
Dr. Shashank - ( Uske jaan abhi uske halak me atki hui thi ) - Ji.. Ji…Abhi karta…( Ek Compunder se ) Ee govind inhe ander lekar chalo.
Nandita - ( Jaane se pahle Shashank ko ) - Yaad rakhna Doctor ! Agar inhe kuch bhi hua to tujhe zinda dafan kar dungi.
Nandita ka gussa abhi saatve aasmaan me tha lekin abhi wo pahle in sab ka ilaaz karwana chahti thi.
Nandita - Raghu ! Uss doctor ne mujhe thappad marne ki koshish ki hai. Ilaaz karne ke baad uska haath nahi rehna chahiye.
Raghu - ( Ye sunte hi Raghu ke ander pure gusse ki lehar daud gayi ) - Aap chinta matt kijiye ! Wo haath fold karke bagal me khada ho gaya. Tab tak Ramesh ko hosh aata hai.
Ramesh - ( Idhar udhar dekhta hai ) - Rani..( Uske muh se bhot halke se aawaz nikalti hai )
Nandita - Lete rahiye Uncle…Aunty aur Rani ka ilaaz ho raha hai. Kuch nahi hoga dono ko.
Nandita - ( Raghu se ) - Uncle ke liye juice le aao. Raghu lekar aata hai. Ramesh ka mann to nahi tha lekin Nandita ke zor dene ke wajah se wo pi leta hai.
Thodi der baar ek doctor bahar aate hai. Usko dekhte hi Ramesh unke paas jata hai.
Ramesh - ( Doctor se ) - Kya hua doctor shahab ? Meri Beti aur biwi thik to hai na?
Doctor - Dekhiye, Aapki biwi to thik hai. Lekin aapki beti ka kaafi blood loss ho chuka hai. Uska blood group AB- ( AB negative ) hai jo ki bahot rare hai. Humne paas blood bank se pata kiya hai unke paas available nahi hai aur dusra blood bank kaafi dur hai. Waha se aane me kaafi waqt nikal jaayega.
Nandita - Uski zarurat nahi padegi. Aap mera blood le sakte hai mera blood group bhi AB- hai. Check Karne me time waste karne ki zarurat nahi hai.
Raghu - ( Turant hi ) - Par Nandita baby ! Aap ..
Nandita - Haath ke ishare se Raghu ko chup karwa deti hai.
Doctor - Dekhiye hume almost 2 unit blood chahiye ( approx 1 litre ) aur aap akele wo nahi de sakti hai. Aapko bhi khatra ho sakta hai.
Nandita - Aap uski chinta matt kijiye. Mai de sakti hu aur mujhe kuch nahi hoga.
Ramesh - ( Chinta se ) - Lekin …Ramesh isse aage kuch bol pata
Nandita - ( Ramesh ko samjhate hue ) - Aap chinta matt kijiye uncle. Rani ko kuch nahi hoga.
Aur itna kehte hi Nandita ander chali jati hai. Ragini ko dusre ward me shift kar dete hai. Lagbhag 2 ghante ke intezaar ke baad doctors bahar aate hai saath hi Nandita bhi. Nandita ko dard ho raha tha wo uske chehre pe dikh raha tha lekin fir bhi wo Ramesh ke paas aati hai.
Ramesh - ( Nandita se ) - Beta tum thik ho na?
Nandita - ( Ramesh ke taraf dekhte hue ) - Haa, Uncle mai thik hu! Aur Rani bhi thik hai.
Ramesh - ( Apne hath jodte hue ) - Aapka bahot bahot shukriya beta !
Nandita - ( Ramesh ke haath pakadte hue ) - Are uncle aap ye kya kar rahe hai? Mai chhoti hu aapse. Aapne abhi to mujhe beta kaha na aur abhi shukriya keh rahe hai. ( Ye kehte hue Nandita ke aankho me ek anjana sa dard tha )
Tabhi ek wardboy aata hai.
Wardboy - ( Ramesh se ) - Suniye aapki biwi ko hosh aa gaya hai.
Nandita - ( Ramesh ka mood halka karte hue ) - Chaliye Uncle, Aunty se mil ke aate hai.
Nandita jab kamre me enter karti hai to Ragini ko dekh kar thodi kho si jaati hai. Raat me jis chehre pe dhool mitti lagi hui thi. Abhi wo chehra pura saaf tha.
Ragini jab Ramesh ko dekhti hai. To turant uthne ki koshish karti hai.
Ragini - ( Ramesh se almost rote hue ) - Aa.. aap thik to hai na..?
Ramesh - ( Ragini se ) - Haa Ragini, Mai thik hu.
Ragini - ( Turant use Rani ki yaad aati hai ) - Aur Rani?? Rani kaisi hai ?
Ramesh - Rani bhi bilkul thik hai… aur wo bhi sirf inki wajah se. ( Nandita ki or ishara karte hue ). Fir Ragini ko puri baat Ramesh batata hai.
Ragini Jiski aankho me aansu aa gaye the, Bhot pyar se ishare se Nandita ko paas bulati hai. Nandita turant Ragini ke bed ke paas aakar jab baithi hai to Ragni uske chehre ko hatho me pakad ek uske forehead pe ek kiss karti hai.
Ragini - Thank you so much beta !
Nandita : Nandita Singh Chahuan - Age 16 years - Rajasthan to Ratangarh rajya ke Raja Jaswant Singh Chauhan ki poti. Akad aur Rutba inke khandan ke khun me daudta hai. Jaswant Singh ke do bete hai.
Veer Singh Chauhan - ( Nandita ke papa ) - Jab Nandita 4 saal ki thi tabhi inki hatya kar di gayi thi.
Amrita Singh Chauhan - ( Nandita ki maa ) - Nandita ko janm dete waqt hi chal basi thi.
Vikram Singh Chauhan - ( Nandita ke chacha ) - Nandita par apni jaan chidakta hai. Apno ke liye bhot hi suljha hua lekin dushmano ke liye maut ka dusra naam tha. Naa jaane kitne factories aur hotels hai inke naam. Recently inhone apna business Real estate me bhi badha diya hai.
Payal Singh Chauhan - ( Vikram ki biwi ) - Jis raat veer singh ki hatya ki gayi thi. Usi raat Nandita ko bachate hue payal ki bhi maut ho gayi. Payal uss waqt pregnant thi. Vikram Payal se bahot pyar karta tha usne fir dusri shaadi nahi ki.
Nandita ka bachapan sirf uske chacha aur Dada ke saath hi bita tha. Ek dai thi ( Sumitra - Caretaker ) jisne Nandita ko bachpan se pala tha. Nandita ko pita ka pyar to apne chacha aur Dadaji se mila lekin maa ke pyar ke liye wo humesha tadapti rahi thi. School me, jab bhi dusre baccho ko unki maa ke saath dekhti thi. Hamesha uska chehra udaas ho jata tha. Har mother’s day ke din wo apne kamre me baith kar maa ki photo pakadkar khub roti rahti thi. Amrita ke chehre ke kuch features Ragini se milte the. Isliye jab Nandita ne Ragini ko dekha to kho si gayi thi. Aur abhi jab Ragini ne uska maatha chuma to to uske aankho se aansu nikal aaye lekin usne jhat se unhe chupa liya.
Ragini - ( Ramesh se ) - Suniye ji, Aapne didi ko khabar ki ?
Ramesh - Nahi, Hum dono phone car me hi reh gaya tha.
Ragini - Aap kahi se phone kar dijiye na unhe.
Nandita - ( Turant hi ) - Uncle aap mera phone le lijiye.
Ramesh Ravi ke number pe phone karta hai lekin koi phone nahi uthata Fir Ramesh Devki ka number try karta hai lekin wo bhi switch off aa raha tha.
Ragini - Kya hua ji ?
Ramesh - Ravi aur bhabhi dono ka phone switch off aa raha tha.
Ragini - ( Chinta se ) - Sab thik to honge na ? Aap sushma chachi ko call kijiye.
Ravi Sushma chachi ke ghar phone karta hai. Kaafi der ring jaane ke baad phone utha hai.
Shushma - ( Bhot dheemi aawaz me ) - Helloo
Ramesh - Hello Chachi, Ghar pe sab kaise hai?? koi phone kyuu nahi utha raha hai?
Shushma ko just abhi abhi hosh aaya tha. Use raat ka manzar yaad aata hai. Unn logo ne to kaha tha Ramesh ko maar diya hai fir Ramesh ka phone.
Shushma - ( Rote hue ) - Ra…Ramesh..Tu thik hai na ?
Ramesh - Haa chachi, Hum sab thik hai. Rani aur Ragini bhi.... lekin aapko kaise pata??
Shushma apne ghar me thi Bed pe leti hui. Use kuch yaad nahi wo yaha kaise pahuchi. Use bss itna yaad hai jab wo uss aadmi se Devki ko bacha rahi thi to uss aadmi ne use thappad maara tha aur firr wo behosh ho gayi thi.
Shushma - ( Rote hue ) - Beta tu ghar aa jaa…
Ramesh - Kya hua chachi?...Aap thik to hai na?
Shushma - Sab khatam ho gaya beta….Tu bss jaldi se ghar aa jaa.
**Phone cut**
Shushma ke phone ki battery khatam ho gayi thi. Ramesh ke dimag me bss ek hi waakya ghum raha tha “Sab khatam ho gaya”.
Ramesh ko tension hone lagti hai. Ragini ye dekh leti hai. Ragini ka dil ghabrane lagta hai.
Ragini - Kya hua ji ?? Sab thik to hai na?
Ramesh - ( Wo Ragini ko stress nahi dena chahta tha ) - Shushma chachi ne ghar turant ghar bulaya hai.
Ramesh kitna bhi chupa le lekin Ragini ka dil samjh gaya tha ki kuch gadbad hai. Ragini bed se uthne lagti hai.
Ramesh - Kya kar rahi ho? Ragini… Tum yahi ruko mai ghar ho ke aata hai.
Ragini - Nahi, Mai bhi chalungi. Wese bhi mai ab thik hu.
Ramesh - ( Samjhate hue ) - Tumhe abhi kamzori hai Ragini, Doctor ne bed rest ke liye kaha hai, Tum yahi aaram Karo mai aata hu na.
Ramesh bhot manata hai lekin Ragini uski ek nahi sunti.
Nandita - ( Jo ye sab dekh rahi thi ) - Aunty,Uncle aap mere saath chaliye mai aap dono ko ghar chhod deti hu.
Nandita pahle bahar nikalti hai Wo dekhti hai Raghu ne Dr. Shshank ke haath ko haath ko apne ghutne se todne wala tha.
Nandita - ( Narm lehje me ) - Raghu !
Raghu - ( Piche Nandita ko dekhta hai ) - Ji baby...!
Nandita - Chhod do use!
Raghu - ( Thoda hairaan hote hue ) - Lekin Nandita baby.. Isne..
Nandita - ( Haath ke ishare se Raghu ko rokte hue....Shashank ke paas jaati hai ) - Sunn be Doctor!.. Tujhe iss wajah se chhod rahi hu kyunki teri wajah se meri maa jaisi aunty safe hai. ( Fir Shashank ke kaan me cold voice me ) - Upar jitne bhagwaan baithe hai sabse dua karna! Ki wo mujhe apni beti maan le. Agar aisa nahi hua to tere khandaan me teri chita ko aag dene wala bhi koi nahi bachega.
Nandita - ( Halki muskaan se ) - Raghu ! Mai Uncle aunty ko chhodne unke ghar jaa rahi hu. Picha karne ki zarurat nahi hai. Phone ka location on rahega. Kuch dikkat hoga to call karungi.
Raghu - ( Puri tarah se hairaan tha ) - Uski princess aaj itne pyar se baat kar rahi thi.
kahi na kahi usne Nandita ke chehre pe aayi halki smile bhi dekh li thi. Jabse Bade malik ( Veer Singh Chauhan ) ki hatya hui thi tabse to Nandita hasna hi bhul gayi thi. Vikram usse bhot pyar karta tha lekin Itna bada karobar wo akela hi sambalta tha. Ab aise me Nandita bhot baar akeli roti rahti thi kamre me aur waqt ke saath wo chid-chidi ho gayi. Aaj wo Nandita ko ese smile karta dekh khush tha.
Ramesh mana karta hai lekin Ragini aur Nandita ke aage haar maan kar use chalna padta hai. Jaise Jaise car ghar ke nazdeek pahuch rahi thi. Ragini ka jee ghabra Raha tha. Car jab ghar ke aage rukti hai to manjar Ragini aur Ramesh dekhte hai wo dekh ke dono ki halat bhot kharab ho jaati hai. Ragini ko to mano maut se bhi bura haal ho gaya tha.
** Flashback Ends **
Ragini aur Ramesh abhi apne jale hue ghar ko dekh rahe the. Unme itni himmat nahi thi ghar ke ander jaa sake.
![]()
Ragini - ( Rote hue chillati haj ) - Nahiiiiii!!!
Ragini ghar ki halat dekh kar behosh ho jaati hai. Ramesh use pakad leta hai. Nandita jaldi se car se pani ki bottle le ke aati hai. Ragini ke muh pe maarne se Ragini ko thoda hosh aata hai.
Ramesh - Ragini!…Ragini!!….Sambhalo apne aap ko.
Tabhi Shushma chachi apne ghar se bahar aati Hui.
Shushma - Raginiii !...Ramesh ise ander lekar chalo.
Ramesh Ragini ko Shushma chachi ke ghar le jata hai aur sofe pe bitha deta hai. Wo kaafi kuch puchna chahiye raha tha Shushma chachi se lekin abhi pahle use Ragini ki chinta thi.
Ramesh - ( Ragini ke Muh pe paani maarte ) - Ragini utho!!..Ragini .!!
Ragini ko hosh aane lagta hai. Ragini aankhein kholti hai. Wo Shushma ko dekhti hai aur Rone lagti hai. Shushma bhi Ragini ko gale laga leti hai.
Ragini - ( Rote hue use dimag me achanak ansh ki chavi aayi ) - Cha..Chachi…ye ye sab kaise ?? Lallaa kaha hai??
Shushma kal ko jo kuch bhi hua wo batane lagi. Ragini jaise jaise sun rahi thi wese-wese uski aankho se aansu behte jaa rahe the. Ramesh bhi sadme me tha use ye samjh aa gaya tha ki uske accident ke piche bhi wahi log the. Shushma ko bhi yahi laga tha ki Ansh uss dhamake me mara gaya. Ragini ne jaise hi ye suna ki Unhone Ansh ko maar diya. Uske dil me jo thodi bahot aas thi ki uska Lalla jinda hoga wo bhi tut gayi. Ragini behosh gayi. Nandita ne jaldi se Ragini ko pakda aur uske gaal thap thapane lagi.
Nandita - Aunty ! Aunty … Uthiye Aunty… !!
Ragini ko hosh nahi aa raha tha. Ragini ki nabz check ki jab Nandita ne to wo thodi dheemi ho gayi thi. Ramesh bhi hosh me nahi tha. Ramesh ne jab suna ki uska bhai jaisa dost, wo bhatija, uski jaan se pyari Sandhya aur Shivani ko kaise maara gaya. Ramesh ko achanak khayal aata hai Ragini ke mata-pita ka hosh aata hai. Rajiv aur Nandini bhi to the party me. ( Yaad hoga dono char dhaam ki yatra karke wapas aaye the )
Ramesh - Chachi…Maa-Papa ka kya hua?
Shushma - Unhe bhi maar diya beta ! Dono ko maar diya !
** Small Flashback **
Rajiv aur Nandini dono Seedhiyo ke Niche bane store room me chipe the. Rajiv store room ki khidki se dekh raha tha. Wo log Devki ke kamre ke taraf badh rahe the aur Shivani wahi thi. Ansh bhi Garden ki taraf bhaag raha tha. Unhe chupne ke liye time chahiye tha. Rajiv kahi na kahi ye baat samjh gaya tha. Isliye usne store room me ek aawaz ki jo ki Rajan ke sab aadmiyo ne sun liya tha. Usne pahle goliya chalayi darwaze par aur firr jab ek chhed ho gaya to usne mini grenade ander fek diya. Lekin iss distraction kr hone tak Ansh chup gaya tha aur baaki sab bhi chup gaye the.
** Flashback Ends **
Ramesh ye sunkar shocked me chala gaya. Sab kuch khatam ho chuka tha. Tabhi use Nandita ki aawaz aati hai.
Nandita - Uncle ! Uncle ! .. Aunty ki halat kharab ho rahi hai. Unhe jaldi se hospital le jaana hoga.
Ramesh - ( Jo abh hosh me hi nahi tha ) - …
Nandita - ( Thodi tezz aawaz me ) - Unclee!!
Ramesh hosh me aata hai. Nandita use samjhati hai ki abhi Ragini ko lekar hospital jaana hoga. Ramesh Ragini ko utha kar Nandita ke car me rakhta hai. Ramesh jab wapas apne ghar ke taraf dekhta hai. To sab kuch jala hua tha. Ghar ki jagah sirf ek jali hui imarat thi. Jo ghar kabhi safed roshni se jagmata tha. Aaj kaala pada hua tha. Aag to bujh gayi thi ki uski tapish abhi bhi mehsus ki jaa sakti thi.
Time : 9:30 am
Place : Train GangaNagar Express ( Rishikesh to Delhi )
Train me kafi bheed thi. 3 bacche General class me niche baithe hue the. Ek ladka aur 2 ladkiya. Ji haa ye Ansh, Sandhya aur Madhu the. Pichli raat Ansh Sandhya aur Madhu ko lekar pahle Bus-stop pahucha. Uske paas 200 rupee the jo Devki ne use diye tha kal birthday pe Chocolate khane ke liye lekin wo Ansh ko waqt nahi mila to paise uske paas hi rah gaye the. Ansh ko sirf Ravi ki baat yaad aa rahi thi “Yaha se chala jaa… Bahot durr chala jaa…!” . Ansh Bus stop par aata hai aur jo pehli bus milti hai usme Madhu aur Sandhya ko lekar baith jaata hai. Conductor paise maangne aata hai.
Conductor - Kaha jana hai?
Ansh - ( Ko samjh nahi aa raha tha kya bole )
Ansh saamne dekhta hai alag alag Jagaho ke naame likhe hue the. Ansh ungli se Rishikesh ki taraf ishara karta hai.
Conductor - ( Ye to bacche hai ) - 150 rupee lagega.
Ansh - ( Kuch nahi kehta ) - Ansh apne jeb se paise nikal ke de deta hai.
Conductor khush ho jaata hai. 50 rupee apne jeb me rakh leta hai aur baaki ticket wale box me. Ansh dekhta hai magar kuch nahi kehta.
Ansh Rishikesh pachuch jaata hai. Sandhya aur Madhu bilkul ghumsum ho gayi thi. Kuch bol bhi nahi rahi thi. Kewal Ansh ke haath ko pakad rakha tha. Ansh Bus Stop se utarta hai to use Train ki aawaz sunai deti hai wo samjh jaata hai use kaha jana hai. Ansh Platform pe jaata hai. Ansh aas-paas dekhta hai log ticket counter ke paas jaa rahe the. Ansh samjh jaata hai use bhi ticket lena hoga.
Ansh - Didi, Aap yahi ruko mai ticket le ke aata hu.
Sandhya - ( Ek baar Ansh ko dekhti hai fir hm me sar hilati hai )
Ansh jaane lagta hai lekin Madhu uska haath nahi chhodti. Sandhya ne to Ansh ka haath chhod diya tha lekin Madhu ne abhi bhi kas kar pakad rakha tha.
Ansh - ( Madhu ki or dekhte hue Madhu ke chehre ko sehlata hai ) - Mai turant aa jaaunga.
Ye sunkar Madhu apna haath dhila chhod deti hai. Ansh counter ke upar dekhta hai alag alag sehro ke naam aur price likhe the. Ansh ek sehar dekhta hai Delhi - 15 rupee . Ansh ki baari aati hai Counter pe wo delhi ke liye 3 ticket le leta hai. Ab uske paas sirf 5 rupee aur ek rumaal ( handkerchief ) thi. Ansh wapas aata hai. Madhu dubara Ansh ka haath pakad leti hai. Uski pakad se andaza lagaya jaa sakta tha wo kitni dari hui thi. Ansh abhi Sandhya aur Madhu ke saath train me baitha hua tha. Ansh bich me aur Sandhya aur Madhu uske kandho pe sar rakh kar so gayi thi.
Sab kaafi thak chuke the. Ansh ko bhi neend aa gayi thi. Train ke jhatko se Ansh ki neend subah 9:30 baje khulti hai. Train me kaafi saari aawazein aa rahi thi.
Chaii Chai!..Are bhai station kab aayega?.. Abe ee chirkut side hat… Chaii pi lo !.. Ek ghante me aane waala hai bhaishahab.
Ansh ye sab sun raha tha. Tabhi use apne kandhe pe halchal mehsus hoti hai Madhu uth chuki thi. Madhu uthte hi hadbadakar Ansh ko dekhti hai fir Ansh ke gale lag jaati hai lekin bolti kuch nahi. Ansh samjh jaata hai usne koi bura sapna dekha hoga. Ansh bhi use side se hug kar leta hai aur aage ki sochne lagta hai. Madhu bss Ansh ke arm ko kas ke pakad ke usse chipki hui thi. Sandhya bhi thodi der me uth jaati hai. Ansh dekhta hai Sandhya bhot weak lag rahi thi. Use yaad aata hai unhone kal raat se kuch nahi khaya. Ansh saamne dekhta hai use ek samose wala dikhta hai.
Ansh - ( Madhu se apne arm ko halka sa chhudata hai to Madhu uske taraf dekhti hai ) - Mai abhi aaya.
Ansh samose wale ke jaata hai.
Samose wala - Kitne chahiye ?
Ansh - Apne jeb se 5 rupee nikal ke de deta hai.
Samose wala - ( Ansh ki or dekhta hai ) - Fir 2 samose nikal ke de deta hai.
Ansh samose lekar jata hai Sadhya aur Madhu ke paas. Dono ne kal raat se kuch nahi khaya tha. Ansh dono ko ek-ek samosa de deta hai. Sandhya aur Madhu khane hi waali hoti hai ki unhe yaad aata hai ki Ansh ne bhi to kal raat se kuch nahi khaya.
Sandhya - ( Apna samosa dete hue ) - Gudde.. Mujhe bhukh nahi lagi..! Tu ye kha le.
Madhu - ( Bhi Apna samosa Ansh ko dete hue ) - Haa Ansh, Mujhe bhi nahi lagi. Tum ye bhi kha lo.
Ansh bade pyar se dono ko dekhta hai. Use pata tha dono ko bhot bhukh lagi hai lekin fir bhi wo apna samosa Ansh ko de rahi thi.
Ansh - ( Jhuth bolte hue ) - Aap dono jab so rahe the. Tabhi maine kha liya. Aap log kha lo.
Ye sun ke dono ko thoda accha lagta hai. Lekin fir bhi Sandhya nahi manti aur apne samose se thoda sa tod kar Ansh ko khilane ke liye haath aage badhati hai. Ansh Sandhya ki jid ke aage haar kar kha leta hai. Madhu bhi apne samose ko thoda sa tod kar Ansh ki or badhati hai. Ansh uski taraf dekhta hai fir uske haatho se hi kha leta hai.
Thodi der baad Announcment hoti hai..
“Yaatrigan kripya dhyan de…Train sankhya 12X56 Rishikesh to Delhi…Platform no. 3 Old delhi Station pahuch chuki hai”
Sab log utarne lagte hai. Ansh bhi uthta hai aur dono ka haath pakad ke train se utar jaata hai. Station pe bhot bheed thi. Chaaro or alag alag taraf ki aawazein aa rahi thi. Ansh sandhya aur Madhu ka haath pakad ke station ki taraf dekh raha tha.
![]()
Author’s POV - 3 bacche iss anjaan sehar me the. Kehte hai zindagi me 3 chize bhot zaruri hoti hai. Roti, kapda aur makan… Ye 3no chize hi in 3no ke paas nahi thi.
Aaj ke liye itna hi…Kya Rang lekar aayega ye naya sehar Ansh,Sandhya aur Madhu ek liye ?? Kya Ansh Sandhya aur Madhu ko protect kar paayega?? Rani ka kya hoga jab use pata chalega ki Ansh ab iss duniya me nahi raha?? Nandita ke mann me Ragini ke liye jo pyaar aaya hai uska kya hoga? Saare sawalo ke jawab jaanne ke liye bane rahe story ke saath. Likes aur comments karna na bhule.