- 14,511
- 102,275
- 259
Last edited:
Superb updateUpdate - 72 ~ Divorce!Ab tak...
'Nahi!!!! I cannot... I don't love him! Wo mera bas ek student hai. Aam students ki tarah. Aur mein ek teacher. Hamaare beech ek profesional rishta hai. Formal relationship. Nothing else. There's nothing between us. From now on... I will treat him just like any other student. That's right! Aisa hi hona chahiye! Yes! I'm right! Of course!!!!'
Apne aasuo ko poch wo kuch derr baad washroom se baahar nikal gayi.
Aur Veer ke mann me tabhi firse ek ghanti baji,
*Ding*
[Nidhi's favourability has been reduced to 40.]
Ab aage...
Kal Nidhi ma'am se mulaqaat ke baad, Veer ke liye kuch bhi faldaayak nahi tha. Na keval Veer Nidhi ma'am ke sang apna rishta sudhaarne me nakaam tha. Balki, Nidhi ma'am ki favourability uske prati aur bhi gir chuki thi. 58 se seedha 40 par aa chuki thi favourability. Wo aur udaas thi uss se.
Nidhi ne decide kar liya tha ki wo Veer se ab zyaada matlab nahi rakhegi, na hi zyaada milegi aur na hi zyaada baat karegi. Ek professional rishta hi bana ke rakhegi wo khud ke aur uske beech.
Veer jaanta tha sab kuch. Wo jaanta tha ki Nidhi ma'am ke mann me uske liye kuch toh hai. Par wo unn feelings ko accept nahi karna chaahti. Wo ye bhi jaanta tha ki ab Nidhi ma'am uss se dur bhaagengi. Uss se kam baat karengi. Ye bahaana dengi ki wo ek student teacher hai aur unhe itna friendly nahi hona chahiye. Usne toh pehle hi aane waale incidents ke baare me imagine kar liya tha.
Par ye sab jaante hue bhi Veer abhi pissed tha.
Wo pissed tha isliye kyuki Nidhi apne emotions ko accept nahi kar rahi thi. Ek taraf Kaera thi jo apne emotions ko feel karne ke liye athak prayaas kar rahi thi. Toh wahi Nidhi thi jiske paas emotions hote hue bhi, wo unhe dhaak kar apni feelings ko chhupa rahi thi. Aur yahi baat Veer ko disappoint kar rahi thi.
Still, wo shaant tha. He was calm. Thanks to his 95 intelligence. Usne saari baatein parakh lii thi. Aur unhe kese deal karna tha ye bhi soch liya tha. Nidhi ma'am bhale hi uss se dur bhaage. Veer ne decide kar liya tha ki ek din wo unhe unke emotions ke aage harwa ke rahega. Aur wo din dur nahi jis din Nidhi khud aake uss se apne dil ki baat kahegi.
Par filhaal, uska attention iss waqt kahi aur zaroori tha. Naha dhone ke baad wo apne room se nikla aur main hall me aaya jaha Suman, Ragini, Aabha aur Sonali sabhi uska hi intezaar kar rahi thi.
Ragini : Baitho Veer!
Ragini ne usse ishaare karte hue baithne ko kaha.
Veer baitha. Wo toh pehle se hi jaanta tha ki Ragini ne yaha sabhi ko subah subah kyu bulaaya tha. Bas wo intezaar kar raha tha.
Ragini : Jaise Dada jii ne apna nirnay liya aur wo apni zimmedari se muqt ho gaye...
Kehte hue usne ek nazar sab par daali fir ek lambi saas lete hue continue kii,
Ragini : Wese hi mene bhi apne jeevan ka faisla le liya hai. Aap sab ko mein apna maanti hu. Apna parivaar maanti hu. Iss ghar ke sadasya hai aap sab. Aur isliye, mein aaj aap sab ke saath apna nirnay saajha karna chaahti hu.
Suman ne ek nod dete hue Ragini ko ishaara kiya ki hum sab sunn rahe hai. Aap kehte jaaiye.
Ragini (nods) : Kaafi kuch soch vichaar karne ke baad, khud se lakh baar sawaal karne ke baad, mein finally iss nirnay par pohuch chuki hu ki...
Sabki nazre uske upar hi tiki hui thi iss waqt. Ragini bhi baari baari sabhi ko dekh rahi thi. Uske baad bina koi sankoch kiye wo boli,
Ragini : Ki... Mein Vivek ko DIVORCE de rahi hu!!!
*Silence*
Aur kuch derr tak bas khaamoshi chhaayi rahi. Koi kuch nahi bola. Veer bas muskuraaya jaise usse pata tha ki Ragini yahi faisla legi.
Na jaane kitni raato ko wo jab jab apne kamre ki orr jaata tha tab tab Ragini ke kamre ke andar se uski rone ki awaaz usse aksar sunaayi de jaaya karti thi. Kamre me sikud kar na jaane kitni raatein roke guzaari thi Ragini ne. Par ab aur nahi. Zindagi me aage bhi badhna tha usse.
Aur Veer jaanta tha ki Ragini issi qadam ko chunegi. Still, yadi wo iska ulta faisla bhi leti toh bhi Veer uska saath deta. Kyuki ab tak Ragini uske sang uske harr kadam par saath de rahi thi. Badle me itna toh karna banta hi tha.
Suman aankho me chamak liye forun hi uth ke aayi aur Ragini ke kandhe par haath rakh uske bagal se baith gayi,
"Aapne ekdum sahi nirnay liya hai Ragini jii! Mein boht khush hu aapke iss faisle se. Ab aap khul ke apna jeevan vyateet kar sakti hai. Aapko ab koi bandish nahi. Yadi aap waapas jaati toh zaahir hai ki aap uss niraasha se kabhi baahar nahi nikal paati. Par ab... Ab sab kuch behtar ho sakta hai."
Suman ki baat sunn Ragini muskuraayi par uske chehre pe waapas se maayusi chha gayi thi. Uski udaasi ko mehsoos karte hue Suman fir boli,
"Aur... Aur mujhe vishvaas hai ki koi aapse behad pyaar karne waala aapke jeevan me jald hi khushiyo ke rang bhar dega. Dekhna..."
Suman ne Veer ko dekhte hue ye baat boli.
'Hmm?'
Suman : Kyu hai na? Veer ji!?
Veer : !?? Haan! O-Of course!
Ragini stabdh nigaaho se Veer ko dekhi aur fir halki muskaan liye neeche dekhne lagi. Uske gaal halke gulaabi the, na jaane kya soch rahi thi.
Par itna zaroor tha ki wo pehle se kaafi behtar mehsoos kar rahi thi.
Aabha aur Sonali toh bas chup chaap baithi rahi shuru se ant tak. Unke kehne ya na kehne se wese bhi kuch nahi hone waala tha. Aur na hi wo itni experienced thi inn maamlo me.
***
Veer's old home...
Veer ke puraane ghar me iss waqt apne kamre me Pranjal baithe hue tha. Diary me na jaane kya likh raha tha.
Par uske chehre ke bhaav bade hi khaufnaak the iss waqt.
'Veeeeerrr!!!! How dare you...!!!!? Hmm~ Nice... Nice... I see!! Toh aisa hai sab kuch haan? Veer!!!! Tumhe aisa nahi karna chahiye tha. Na keval tumne mera mazaak banaaya balki, meri poori planning par tumne paani fer ke rakh diya... DAMN YOUUUU VEEERRRR!!! MEIN TUJHE CHORRUNGA NAHIIII!!!'
Pranjal jo apne gusse ko qaabu me karne ki koshish kar raha tha, uska gussa harr guzarte pal badhta hi jaa raha tha. Jese hi wo aankhein band karta, uske saamne wahi banquet me hua sharmindagi waala nazaara saamne aa jaata. Kitna embarassed hona pada tha usse waha. Aaj tak apni poori zindagi me Pranjal ne kabhi itni sharmindagi mehsoos nahi kii thi.
Aur ye sab kiski wajah se hua tha? Khaali ek Veer ki wajah se. Wo Veer, jisse Pranjal bachpan se ullu banaata aaya tha, aaj usme itni himmat aa gayi thi ki wo palat ke uska mazaak bana sake? Wo bhi sab ke saamne?
Pranjal ka khoon khaul raha tha uss manzar ko yaad kar kar ke.
Par Pranjal bhi koi kaccha khilaadi nahi tha. Wo aisa saanp tha jo apne ande ek hi bil me kabhi nahi rakhta tha. Dusre shabdo me, uske paas kayi paitre the. Yadi Veer ne uske plan ka pardafaash bhi kar diya tha toh bhi uske paas kayi upaay the.
In fact, Pranjal ab aur chaukanna ho gaya tha. Usse pata lag chuka tha ki Veer active hai inn maamlo me aur ab boht hi bareeki se jaal bichhaana padega.
'Hmm~ Badla toh mein lunga Veer! Tumne ye wese accha kiya jo mujhe aagah kar diya. Harr ek beizzati ka badla lunga mein. Ab tak mein choti macchliyo ko pakadne me laga hua tha. Par ab mujhe sabse pehle badi macchli pakad ke usse paani me se nikaalna padega. Uske baad... I'll deal with you!!! Kyuki, pehle paisa zaroori hai. Once I'll have that... Tumse nipatna fir chutkiyo ka khel hoga mere liye.'
Sochte hue usne diary me zorr se apna pen panno me khos diya.
***
Aatish' Hideout 5...
Time : 8:13 PM
"Kya sab aa gaye?"
Ye awaaz thi Slogan ki jo kursi par baithe hue tha. Chehre ki chinta saaf bata rahi thi ki wo yaha kuch serious discuss karne hi aaya tha.
Warehouse tha ye Aatish ka ek prakaar se. Uska adda number 5. Aksar wo badi deals yahi kiya karta tha. Kyuki, ye jagah kaafi safe thi.
Slogan ke samaksh baithe Steve ne haa me gardan hilaayi aur apni baat rakhi,
"Aa gaye hai sab Dada. Aap bataiye. Jo bhi orders honge mein wo sab aadmiyo ko samjha dunga."
Slogan : Hmm! Uske pehle... Ye glass bharwao pehle.
Steve : Jii! Balhaar, idhar aao!!!!!
Steve ne Balhaar ko zorr se chillaaya toh wo peeche se aaya aur uske haath me ek jug tha.
Steve aur Slogan dono hi baatein kar rahe the. Aur Balhaar nazre neeche kiye glass me beer bhar raha tha.
Par tabhi jese jis baat ka usse darr tha wahi hua,
Steve : Hmm? Tum toh right handed the na? Ye baaye haath se kyu serve kar rahe ho?
Ye sunte hi Balhaar ke chehre se uska rang udd gaya. Waqai! Steve boht sharp tha. Aise hi nahi usko apna right hand bana ke rakha hua tha Slogan ne. Steve ki baat sunn iss baar Slogan ne bhi usse dekha. Aur dono ki nazro ko apne upar mehsoos kar, Balhaar ke paseene chhootne lage the.
But thanks to Veer, ki usne pehle hi usse iss baare me aagah kar diya tha. So he came prepared. Usse pata tha ki usse kya bolna tha.
Balhaar : Steve bhai! Jis din hum sabhi uss Veer ko pakad ke laaye the. Aur, fir baad me unki gang aa gayi thi. Tab adde se bhaagte time mein aur mere aadmi unke aadmiyo se bhid gaye the. Aur... Ussi ladaayi me... Ye sab ho gaya. Mera haath mud gaya.
Steve : Ohhh! Toh ab tak treatment kyu nahi liya?
Balhaar : Jab tak uss Veer ki khatiya na khadi kar du tab tak mujhe chenn nahi aayega Steve bhai. Ussi ke kaaran ye sab hua hai.
Slogan : Theek hai! Tum jaa sakte ho.
Balhaar : Jii!
Aur Balhaar peeche jaa ke khada ho gaya. Slogan ko pata nahi kyu, par kuch theek nahi laga.
Slogan : Steve! Hume kuch karna hoga. Jald hi.
Steve : Kahiye Dada!
Slogan : Wo jagah...
Slogan ne seedha Steve ki aankho me dekhte hue kaha. Steve bas do shabd sunte hi maun reh chuka tha.
Steve : Kya wahi par...!?
Slogan : Haa wahi par...
Steve : Samajh gaya Dada! Par aap waha par saara intezaam karoge kese? Uss ladki ko...!?
Slogan : Plan aisa hai ki...
Slogan apni saari baatein rakhta jaa raha tha par usse nahi pata tha ki Balhaar wahi peeche khada hua kya kuch nahi kar raha tha.
Slogan apne jeevan kaal me itni deaths ko escape kiya hua tha ki usse khatre ka abhaas ho jaata tha. Aise hi nahi wo itne saal tak zinda tha. Itne bade khatro se ladne ke bawajood wo harr baar zinda bach jaata tha. Kyuki usse experience tha. Wo khatre ko bhaanp leta tha.
Aaj bhi Steve se baatein karte hue, usse kuch ajeeb laga. Toh usne forun hi kaha,
Slogan : STEVE!!
Steve : Jii Dada!
Slogan : Iss Balhaar ko baahar jaane ko kaho.
Steve : Balhaaaarrr!!! Baahar jao!
Balhaar : Jii Steve bhai!
Wo bina kuch kahe baahar nikal gaya. Jese usse jo chaahiye tha, wo usse mil chuka tha. Uske chehre par ek kutil muskaan thi.
Steve : Kya hua Dada? Kuch baat hai kya?
Slogan : Nahi! Ye Balhaar...
Steve : Balhaar apna hi aadmi hai Dada. Aatish bhau ke andar hi wo saalo se kaam karta aaya hai. Wo gaddaari nahi karega, jaha tak mujhe lagta hai. Par kya aapko kuch doubt hai?
Slogan : Hmm! Iss Balhaar ki poori jankaari lo. Mobile phone se leke sab kuch. Mujhe kuch theek nahi lag raha.
Steve : Jesa aap kahe!
Aur issi ke saath Slogan ne wo meeting wahi samaapt kar dii. Aaj usse kuch gadbad mehsoos ho rahi thi. Aur isliye usne Steve ko bhi uss Balhaar ki info nikaalne ka kaam saup diya.
Par kis jagah ki baat kar rahe the ye Steve aur Slogan? Ho na ho, Slogan kuch bada hi soch ke aage badh raha tha. Kuch aisa jo iss baar usse uske maqsad tak pohucha sakta tha.
***
Ragini's PoV...
Aaj! Aaj mene apne jeevan ka ek boht hi aham faisla liya tha. Vivek se Talaak!
Mein harr raat jaagti aur mere khayaalo me wo mazar mandraata rehta tha.
"M-Mujhe chorr do... Mujhe mat maaro!"
Vivek ke wo shabd jo usne uss gunde se kahe the jab uss gunde ne ye pucha tha ki kiski jaan lu? Toh Vivek mera apna pati apni jaan ki bheekh maang raha tha. Bina meri koi parvaah kiye.
Kya kuch nahi kiya tha mene uske liye? Uss se pyaar kiya. Uske kehne hi pe mein do saal tak ruki rahi hamaari shaadi ke liye. Mere Dad T.V.S ke showrooms ke maalik the toh mene uski automobiles ki company me kitni madad karwayi thi unn se.
Of course mein ye sab baato ko ginti thodi thi. Kyuki mein sab kuch hamaare liye hi toh kar rahi thi. Shaadi hue abhi hume kuch hi mahine toh hue the. Uske kehne par mein abhi Maa bhi nahi bani thi.
Kyuki wo chaahta tha ki abhi hum life ko aur enjoy kare thoda. Aur mein bhi maan gayi thi.
Usse chaahiye thi property. Toh devar Pranjal ke saath milkar wo dono kuch khichdi pakaate rehte the aur mujhe bina bataaye hi harr baar plan me shaamil kar lete the. Mein bhi yahi samajhti thi ki ye jo bhi matter hai jald hi nipat jaega aur mein apna pyaara jeevan uske sang vyateet karungi.
Veer! Mera devar! Uske khilaaf hi hum sab shadiyantra rachte the. Mein toh bas naam ke liye unke plan me hua karti thi. Mujhe toh sab kuch aksar baad me pata chalta tha ki ye sab akhir karte kya the. Shuru me mujhe aisa lagta tha ki shayad Veer waqai ek bhondu insaan hai. Par mein galat thi.
Uss raat jab mene saari umeed chorr dii thi. Uss raat wahi Veer kisi farishte ki tarah mujhe bachaane aaya tha. Mein... Jo uske khilaaf rehti thi. Mujhe bachaane aaya tha woh. Uss raat mujhe pata lag chuka tha ki ek saccha asli insaan kesa hota hai. Wo tha Veer! Vivek nahi! Vivek ne toh mere dil ko choor choor kar ke rakh diya tha. Saare armaan mere, mere sapne, sab kuch ek hi jhatke me usne bikher ke rakh diye the.
Aur mein kathputli ki tarah uske haatho me naachti rahi. Kaash mujhe ye baatein pehle samajh aa jaati. Kherr! Galti toh insaan se hi hoti hai na? Mujhse bhi hui. Aur ab mein usse sudhaarungi.
Aaj hi na keval mene vakeel ko bula liya tha balki mein Veer aur baaki sabhi ke sang seedha apne mata pita ko leke Vivek ke ghar bhi gayi thi.
Itni kaha suni hui, kaafi derr tak mujhe uske gharwaale manaate rahe. Mere Mom Dad boht supporting the. Unhone poora decision mere pe chorr diya tha. Aaj wo Vivek gusse me mujhe chillaata raha, toh kabhi rote hue gidgidaata raha. Par mein tass se mass na hui. Saala aise insaan pe kese bharosa kar sakti thi mein.
Pata nahi kyu, par meri nazre Vivek ko chorr aaj Veer pe zyaada jaa rahi thi. Wo khaamosh sa bas mere harr faisle me mera saath de raha tha. Ye hoti hai maturity. Sach kahu toh Veer ek gentleman tha.
Haan thoda natkhat tha, aksar wo baatein bhi keh deta tha jo aurto ke liye appropriate nahi hoti thi. Par... Dheere dheere usme change aa raha tha. Aur boht hi behtar change aa raha tha. All in all, he knew how to treat a woman.
Vivek ke parivaar ke lakh manaane par bhi mein na maani aur mene divorce ke paper par sign kar diye the. Shayad Vivek ko bhi pata tha ki ab wo mujhe kabhi nahi mana sakta, toh usne bhi bemann papers par sign kar diye.
Ab toh bas formalities hi bachi thi. Jo kuch din me hi ho jaane waali thi. Main cheez toh sign hi the aur dono taraf ki razamandi.
Uss ghar me toh jese maatam sa chha gaya tha. Ghar ke do sadasya ghar jo chorr chuke the. Mein aur Veer. Do bhi nahi, teen. Veer ki asli maa bhi toh nahi thi. Mujhe unke baare me koi jaankaari nahi thi. Kitni hi ajeeb baat thi. Unse related koi bhi cheez nahi thi ghar me. Na koi photo, na koi zikr unka. Na jaane bechaare Veer ko kitni tadpan hoti hogi apni Maa ko lekar. Bechaare ko kabhi Maa ka pyaar nahi mil paaya tha. Maa ka kya kabhi theek se usse parivaar ka pyaar nahi mila.
Isliye mene usse apne sang rakhne ki sochi thi. I'll give him a familial love.
Aaj mein behad khush thi. Thoda maayus bhi thi par uss se bhi zyada khushi thi. Aisa lag raha tha jese kisi ne dil se kaafi wajni bhaar ko utha liya ho.
Ab mein azaad thi. Ab mein unn raato ko hamesha hamesha ke liye bhulna chaahti thi.
Aur isliye, aaj mene sab kuch hata diya. Saree utaar dii, mangal sutra hata diya, maang me se sindoor hata diya, apne haatho se choodiya nikaal dii. Aaj mein bas ek shining black top aur blue jeans me thi.
Mein bilkul college ki ladki lag rahi thi. Aisa lag raha tha ki mein Arohi aur Kavya ki college ki saheli hu. Jese hi mein iss roop me baahar aayi, meri nazre Veer ke chehre par hi thi. Kesa reaction hoga uska?
Aur jese hi usne mujhe dekha...
'Hahahahahaha~' Meri mann hi mann hassi chooth gayi. He was so cute. Fufu~
Uska muh khula hua tha. Wo aankhein phaade mujhe dekh raha tha. Mein bhi jese nayj naveli girlfriend ki tarah poora ghumte hue usse apna look dikha rahi thi.
'Just stop it! What was I even doing!?'
"K-Kaisi lag rahi hu mein?" Mere sawaal par wo maun reh gaya tha. Fir thkda hadbadaate hue jawaab diya tha usne.
"B-Bhabhi!?? You look wonderful!!!"
"Is that so?? Fufu~"
Usne meri tareef kii thi. Pata nahi kyu, par uske muh se tareef sunte hi mera mann prafullit ho utha tha. Vivek ko jab bhi mein aise dikhaaya karti thi apna look toh woh bas ek look deta tha aur bas yahi kehta tha, 'You look good!'
Harr baar uska same dialogue rehta tha. Par Veer!? I could feel ki usne dil se kaha tha.
"Veer!!! Aaj mein xxxxxxx cafe jaana chaahti hu. Will you take me?"
Mene uss se pucha. Mera waha jaane ka ek hi maqsad tha.
"O-Okay! Chaliye!"
Wo raazi bhi ho gaya. Kitna sweet tha Veer. Kabhi mujhe mana nahi karta tha. Hehe~
Wo car ki orr jaa hi raha tha toh mene usse mana kar diya.
"Nahi Veer! Hum bike pe chalenge!"
"Ehhh!?"
"Bike pe! Tum jaldi bike nikalo."
"Umm... Well! Okay!"
Usne firse mujhe mana nahi kiya. I really wanted to give him a hug. How can he be so sweet?
Wahi Vivek... To be honest usse bike chalaana hi nahi aata tha. Aaj tak mein uske saath bike par kabhi nahi baithi thi. Hamesha car me hi rehta tha woh.
Aaj mein Veer ke theek peeche baithi hui thi uski bike me. Aah! Bike se yaad aaya, ye bike mene hi toh usse gift kii thi. He loves this bike so much. Bhale hi utni mehngi nahi thi par Veer boht care karta tha bike kii.
Mein uske peeche baithi, aur pata nahi kyu par mene apne dono haath aaj uske seene me daal diye. Aur uss se bhi badi baat ki mujhe aisa karte waqt kuch bhi galat nahi laga.
Veer shayad meri iss harqat se thoda hadbada gaya tha par bola kuch nahi.
Kuch hi derr me hum uss cafe ke saamne the. Mere yaha aane ke do hi kaaran the. Pehla ye ki yaha cocktails aur mocktails dono hi boht acchi milti thi. Dusra... Well! Dusra kaaran bhi jald hi aane waala tha.
Andar aane se pehle hi Veer ne mere liye door khola.
'Oh Veer!!! How considerate of you!'
Usne mere liye door khola. Vivek toh inn baato par kabhi dhyaan hi nahi deta tha.
Andar aate hi humne dekha. Cafe me harr jagah couples hi couples the. Haatho me haath liye wo ek dusre se baatein karne me lage hue the. Mand mand music baj raha rha. Cafe ka ambiance ekdum romantic tha.
Aur apni table par aate hi...
'Huh!?? Did he just...!?'
Veer ne mere liye kursi kheechi. Taaki pehle mein baith saku.
'Don't do this Veer. Aur kitna sweet banoge!??' mein mann me chillaayi.
Veer mere just saamne baitha hua tha aur wo thoda uncomfortable lag raha tha. Par meri khaatir wo ye sab kar raha tha. Really! He was too sweet.
Uske baad wo utha aur order dene gaya. Wo meri pasand jaanta tha. Usse puchne ki bhi zaroorat nahi padi. Wahi Vivek, mujh se hi order dene ko keh deta tha. Usse farq nahi padta tha ki mein kya pee rahi hu, meri choices kya hai. Sach me, dono me kitna difference tha. Veer was like a husband figure. Really, kitni lucky hogi wo ladki jisse Veer jaisa ladka milega.
*Sigh*
Mene ek aah bhari. Young hona kitna accha tha. Sadly, mein apne college ke dino se kayi saal aage aa chuki thi. If only I could go back in time...
Then!?
Then what?
Who would I have chosen?
Iss sawaal ko sochte hi meri nazar Veer pe chali gayi jo waha khade hoke order de raha tha.
Aur usse dekh uske baare me sochte hi mere gaal surkh laal pad gaye.
'Ragini!?? What are you even thinking?'
Unn baato ko mene dimaag se nikaal diya. Veer order deke aaya aur saamne baith gaya. Mein usse hi nihaar rahi thi. Aur wo meri nazro se bach kar idhar udhar dekh raha tha. Hehehe~ Shayad sharma raha tha.
It was so fun to tease him.
Jald hi hamaara order bhi aa gaya. Usne watermelon flavour ki ek mocktail mangwaai thi. No alcohol!
Aur mene cocktail! My favourite... Sex on the Beach!
Nahi nahi! Ye cocktail ka naam tha. Kuch aur nahi! Iska flavour mujhe personally pasand tha.
Veer jaanta tha. Mene usse bataaya tha pehle, mujhe yaad hai. Aur usse ab tak yaad tha.
Sip sip karte hue hum apni apni drinks pee rahe the. Par bechaara Veer mujhse nazre hi nahi mila paa raha tha. Hehe~
Uska ek aur kaaran tha. Kyuki, aaj mene black crop top pehna hua tha. Mera poora nanga pait khule aam nazar aa raha tha. Veer ne mujhe kabhi aise nahi dekhta tha. Of course, he was dumbfounded.
Pata nahi kyu, mujhe usse aur sataane ka mann karne laga.
"Veeer~ Idhar aao na! Mere bagal se baitho na!"
I called him. Aur wo mujhe dekhne ke baad firse mujhe inkaar kiye bina hi aake baith gaya. Oh god! Why was he so cute?
"A-Aaj aap khush ho Bhabhi?" Usne pucha.
"Hmm~ Behad! Aaj mere dil se ek bojh jese kam ho gaya." Mene jawaab diya.
Par ab samay aa gaya tha. Mere dusre maqsad ka...
Jis maqsad se mein yaha aayi thi.
Mene cafe ke baahar dekha. Road ke uss side hi boht badi sharaab ki dukaan thi. Mujhe pata tha koi waha aane wala tha. Uska hi intezaar tha mujhe...
Aur jese mein sahi thi.
Uski car aake waha ruki aur wo baahar nikla.
Kaun? Koi aur nahi, meri wahi pati... Pati nahi, ex-pati... Vivek!!!
Aur dukaan me jaake usne ek badi bottle sharaab ki lii aur car ke paas aake bonnet pe tik ke wo poori bottle gatakne laga.
I knew it!!! Mujhe pata tha wo aaega.
Aur tabhi...
"Veer!" I called him.
"Huh!?"
"Apna haath do." Mene uss se demand kiya.
"Ehh!? Mera haath!?"
"Hmm~"
Usne apna haath table ke upar rakha aur uske aisa karte hi...
Mene uska haath thaama aur apne peeche se le jaate hue seedhe apni nangi kamar par uska haath rakh diya.
"Bh-Bhabhiiiiiiii!!????" Wo hadbadaaya. Par mene uska haath ek pal ke liye bhi apne se juda nahi hone diya.
'Yesssssss!!! This was the touch I missed.. I was right!!!!'
Aur tabhi, jis cheez ke ghatit hone ka mujhe intezaar tha. Wo ho gayi.
Vivek ki nazar hamaare cafe ki window par padi. Aur hume dekhte hi...
*Craaaaasssssshhhhhhh*
Uski aankhein aag babula ho chuki thi. Hehehe~
Yessssss!!! I wanted to see him like that.
Mene Veer ka haath aur zorr se kass ke apni kamar me laga liya aur Vivek ko dekhne lagi.
Veer toh sabse anjaan tha. Wo sharma raha tha. Toh wahi Vivek... Uska seena gusse me upar neeche ho raha tha.
Aur wo agle hi pal waha se bhaag ke nikal gaya.
'Yesssssss!!! Ohhh god! This feeling!!! His face.... I feel so good!!!!!'
I achieved what I wanted to achieve.
Aur yaha ye buddhu Veer... Hehe~ Kitna sharma raha tha.
Ye buddhu sochta tha ki mein apne kamre me uss Vivek ke liye roti thi. Arre shuru me zaroor roti thi. Par keval Vivek hi ek kaaran nahi tha. Mein toh iss pagle ke liye roti thi.
Because I knew...
I FELL FOR HIM!!
Isliye roti thi. Ki ye galat hai, wagarah wagarah. Vivek ke wo gande laanchan mujhe yaad aa jaate. Par uske bawajood... I fell for this guy.
Aur yadi Vivek itna claim maarta hi tha. That I was having some illicit relationship with Veer.
So why not!??
I'll show him... This time!
Fir mene Veer ko dekha aur uski chin pakad apni orr aage kari.
Aur uske gaal par apni lipstick ke nishaan laga diye.
Not on those damn juicy lips. Unhe bhi chakhungi. Par ek ek seedhi chadhungi mein...
After all, Veer kahi bhaage thodi jaa raha tha.
"Right Veer?"
"Hmm? Kya?"
"Fufu~ Nothing!"
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Kuch 3 se 4 updates kahani me mellow scenes chalenge. Romantic scenes, somewhere erotica and some different PoVs. But boht hi jald action aane waala hai. I'm doing some work. Some hard work on those. Prepare rehne ka action ke liye. Isliye abhi inn mellow scenes ko enjoy kariye. Kyuki palak jhapakte hi thrill start ho jaega.
Anyways! Like karne ka aur revos rakhne ka.
Dhanyavaad!
Bhai laajawab, dil 6u liya is update ne....!Mega UpdateAb tak...
[Koi itna diler ho sakta hai? Batao?]
Update - 76 ~ SLOGAN!!!
[This update contains gore as well as some disturbing scenes. Please, proceed accordingly.]
Bullet Matthew ke muh ko cheerte hue uske palate ko phaadte hue uske sarr ke peeche se nikal gayi.
*Thud*
Matthew ka shareer bejaan zameen par gir pada. Aur Veer waha ek pal na ruka.
Wo seedha andar kii orr bhaaga. It was time for his main enemy. SLOGAN!!!!
Kahi bui kyu na bhaag jaaye Slogan. Veer uska pata laga lene waala tha. Kyuki usse pata tha ki usse kese dhudna hai Slogan ko.
'I'm coming for you... *smiles* "
Ab aage...
Laal....! Laal rang...!
Khoon!!!
Apne kaanpte hue khoon se sane haanth par rumaal baandhte hue Slogan jungle ke beecho beech andar aa chuka tha. Uska laal laal khoon, haath se raaste me boond boond tapakte jaa raha tha.
Aur yaha aate hi uske saamne gehri khaayi thi. Behad gehri khaayi. Jo jungle ko do bhaago me baate huye thi. Par badqismati se, doosre chorr par jaane ka koi raasta nahi tha.
*Huff* *Huff* *Huff*
Haafte hue wo thakaan ke maare ek bade se patthar par tik ke baith gaya jo zameen me hi dhassa hua tha. Uski saasein boht tezz ho chuki thi.
Unhe durust karne wo yahi baitha aur saamne khaayi ki orr dekhne laga.
Pehle, yaha ek lakdi ka pul hua karta tha. Ek bridge. Jo jungle ke dono bhaago ko jodta tha. Par ab uss pul ka koi naam-o-nishaan nahi tha. Harr jagah bas ghaas, ped aur paudho se hi bhara hua tha jungle. Badi badi bel jo kaafi lambaayi tak bikhri hui thi.
Ye sab dekh Slogan ki aankho me achaanak hi aasu aa gaye. Ye wahi jagah thi. Wahi jagah!!!!
***
20 years ago...
Ye samay tha varsha ritu ke baad ke mausam ka. July, August ke maah me jab zorro se baarish hoti thi, uske baad vataavaran me halki thand sii fel jaati thi.
"Aaahhh~" Mitti par jab bhi baarish ki boonde padti thi, toh woh saundhi saundhi, mehek poore vataavaran ko sugandhit kar deti thi.
Aaj mein ek talaash me nikla tha. Kisi ko dhundne. Boht suna tha inn mahaan vyakti ke baare me. Aur ussi suna suni me mein apne mann ki jigyaasa ko khatam karne ke liye aaj ravaana ho raha tha.
"Sambhal kar jaiyega! Samajh gaye?"
Mein jab apni pant ki button laga raha tha toh meri pyaari patni, Sudha ne aakar mujhse kaha.
"Arre tum chinta kyu karti ho? Kal tak aa jaunga! Aur kal nahi aa paaya toh parso toh kisi bhi haal me aa jaunga."
"F-Fir bhi, a-aap sambhal kar jaana. Aur jitna jaldi ho sake. Ghar laut aana."
Sudha ki chinta dekh mene usse apne seene se laga liya. Mera parivaar ek madhyam vargeeya parivaar tha. Ek middle class family. Uss zamaane me.
Kapdo ka vyapaar shuru kiya tha naya naya. Toh saara paisa vyapaar me laga diya tha. Jis kaaran se ghar ki aarthik sthiti thodi tang chal rahi thi iss waqt. Aur dikkat yahi thi ki mera vyapaar sahi nahi chal raha tha.
Ussi ke nivaaran ke liye mein iss mahaan vyakti se milne jaa raha tha. Aur ek kaaran aur bhi tha.
Mene apni nazre ferr, meri bacchi ki orr dekha. Meri ekmaatr bacchi.
Swati!!! Meri laadli!!!
"Swati~ Pita jii jaa rahe hai tumhaare." Sudha mere seene se alag hote hue Swati ko dekh boli.
Toh Swati, jo kaagaz me chitr bana rahi thi wo langdaate langdaate mere paas aayi aur mujhse chipak gayi.
"Pita jii~ Jaldi aana!!!" Mene Swati ko muskura ke dekha aur pyaar se apni bacchi ke sarr par haath fera.
Kaash meri bacchi pehle jaisi hoti. Sadak haadse ke baad se uska ek perr bilkul hi mud chuka tha. Isliye, wo sadhaaran roop se nahi chal paati thi. Thoda langdaati thi. Meri phool jaisi pyaari bacchi ke liye mein kuch bhi karne ko taiyaar tha.
Phool se yaad aaya, meri bacchi Chitrakala me boht maahir thi. Usse sabse zyaada phool pasand the. Aksar kaagaz me alag alag sundar phulo ke chitr banaaya karti thi. Aur mein usse aksar naye naye rang laake deta tha.
Uske gaalo ko choom kar mein ghar se baahar nikla. Kitne doctors ko nahi dikhaaya tha mene Swati ko. Par sab ka jawaab yahi rehta, ki ab bacchi ke perr ka kuch nahi ho sakta. Saari zindagi wo aisi hi rahegi.
Par mein aisa nahi hone dena chaahta tha. Meri bacchi saari zindagi langda ke chalegi? Bilkul nahi! Kuch bhi ho jaaye, mein usse uska puraana jeevan lauta ke rahunga.
Aur mein nikal pada...
Sheher se dur, kaafi dur aane ke baad, raah chalte logo se kayi baar puchne ke baad mein uss jungle me gaya. Thoda bhatka beech beech me, par baad me mujhe wo mil hi gaya.
Lakdi ka wo jarjar pul. Jo khaayi ke upar bana hua tha. Aur jungle ke dono bhaago ko jodta tha.
'Ye pul toh boht hi kamzor prateet hota hai. Kahi gir vir gaya toh kya hoga?'
Sochte hue mein sambhalte hue aage badha aur pul ki rassi ko pakad pakad dheere dheere kadam badhaaye mene.
Par, kuch bhi nahi hua. Hahaha~
Mein toh khamakha ghabra raha tha. Ye pul toh boht bhaar seh sakta tha. Bilkul! Yaha se log nikalte hi honge praayah toh isme koi shaq hi nahi ki ye jarjar hoga.
Jungle ke dusre chorr par aate hi mein nikal pada apni talaash me. Par aashcharya ki baat thi ki mujhe koi taqleef nahi gayi. Jagah jagah lakdi ke board lage hue the jo mudne ki disha bata rahe the.
Aur jese hi mein ant tak pohucha. Mene dekha ki,
Jagah jagah kuttiya bani hui thi rehne kii. Aur aisa lag raha tha ki jungle me hi kayi log basne aa gaye hai.
"Y-Ye sab??" Mein toh mantramugdh hoke reh gaya tha.
"Kya kaam hai baccha? Mein dekh sakta hu. Tum meri hi talaash me aaye ho. Hai na?"
Tabhi, mere kaano me ek aadmi ki awaaz padi jisse sunn ke mere raungte khade ho gaye. Saamne ek bade se patthar par ek kareeb 55-60 saal ke buzurg aadmi baithe hue the. Bilkul, saaf safed dhoti kapda pehne hue.
"J-Jii! A-Aapko kese pata chala?" Mene pucha.
Unke agal bagal neeche sab haath jod ke baithe hue the. Aur kuttiya ke paas, kuch bacche the jo aapas me khel rahe the. Kuch phal khaa rahe the, toh kuch andar hi so rahe the.
"Mujhe harr baat ka gyaan rehta hai putr! Tum batao! Mein jaanta hu tum samasya me ho. Par fir bhi, mein tumhaare muh se sunn'na chaahta hu."
Mere toh harr pal shareer me ruye khade hote jaa rahe the. Inn sajjan purush ko toh sab pata tha. Inhi ki toh talaash me mein aaya tha yaha. Aakhir mil hi gaye wo mujhe.
Mein haath jod ke unke perro ke paas aaya,
"Guru jii!!! Aap se kya chhupaana. Aur aap toh sab jaante hi honge. Aapko toh ye bhi pata tha ki mein aapko dhundne aaya tha. Meri samasya ka nivaaran bataiye guru jii! Mein aapke perr padta hu. Meri madad kariye... Meri madad kariye..."
Aur mein bebas ho utha.
"Arre baccha!!!" Unhone mujhe pakad ke uthaaya, "Ye kya karte ho? Shaant! Sab samasya ka hal bataunga. Par pehle shaant. Aur ab vistaar me batao."
"J-Jii!" Mein shaant hua aur bolna shuru kiya.
Mene jab apni poori baat guru jii ko bataayi toh wo kuch derr soch me pad gaye. Mein thoda ghabraane laga. Kya wo meri madad kar toh paenge na? Mene boht suna tha ki guru jii ne bade se bade chamatkar kar ke dikhaaye the. Toh meri bacchi ki taang toh wo chutkiyo me sudhaar denge. Hai na? Aur mere girte vyapaar ka bhi hal bata denge.
"Hmm~ Mein toh jaanta tha ye hoga. Baccha! Tumhaare vyapaar me tumhaari galti hai."
"H-Huh?? M-Meri galti? Meri kya galti guru jii!?"
"Tum mann se dhandha nahi kar rahe ho. Harr waqt chinta me doobe rehto ho. Apne graahako se namr vyavhaar me baatein karo. Aur hamesha khush raho. Fir dekhna tumhaare vyavhaar me kitni tarakki aati hai."
Kehte hue unhone mujhe ek phool de diya. Mene bade hi sambhaal kar usse apne rumaal me rakh liya.
"Aur meri bacchi, Swati ka kya guru jii?"
"Hmm! Bacchi ko tumhe yaha laana hoga. Kyuki mein keval kudrat me hi rehta hu baccha! Shehri hawa mujhe pasand nahi. Usse yaha leke aao. Uska perr mein sahi kar dunga."
Ye baat sunn jese mein wahi jamm ke reh gaya. Ek aas! Ek aas jo mere andar ab tak bachi hui thi wo jese guru jii ki baat sunn yakeen me badal gayi.
Meri Swati firse theek ho sakti thi. Jo kaam doctor na kar sake wo guru jii karne waale the.
"Guruuuu jiiiiiiii!!!!!" Mein unke perro par gir pada.
Mein bhaavuk ho gaya. Aur wahi baithe kuch derr baith guru jii ke saath samay guzaara. Jese jese mein unse baatein karta jaa raha tha. Mein jese naya gyaan praapt kar raha tha.
Unki baat maan mein waha se nikla. Aur ghar pohuchne me mujhe poora ek din beet gaya.
Mene unki dakshina me jitna mein de sakta tha utna de diya. Unka kehna tha ki wo paiso ka ek rupaya nahi lete. Jo ki sach tha. Saare paise unn gareeb anaath baccho ki dekhbhaal aur khaan paan me jaate the. Aur ussi me wo sabhi bhi khaate the aur apna jeevan jeete the.
Guru jii ki baat maan, mene wahi kiya. Dhandhe par dhyaan diya. Aur chamatkar hi ho gaya. Mera dhandha jo rukk sa gaya tha wo ekdum se dhadalle se upar uth gaya. Bikri chaugana ho gayi thi.
Aur tabhi, ek din...
Jab mein apni godaam se shutter band kar baahar nikla tabhi ek Cielo mere paas aakar ruki.
Mein bas usse hi dekhta raha. Kam se kam 5-6 lakh ki toh hogi hi. Aur tabhi sheesha neeche hua aur mein andar kya dekhta hu??
"Arreeee???? K-Kishor??? Tum????"
Kishor! Mere school me saath me padha hua tha. Hum school khatam hone ke baad se boht hi kam milte the. Uski apni alag duniya thi. Uska vyapaar itna bada tha ki kehne ke kiye mere paas shabd nahi the.
Andar suit pehne baitha hua tha woh. Kitna bada aadmi bann chuka tha woh. Aaj tak mein uske bangle ke andar bhi nahi gaya tha kabhi. Bas baahar se dekha hua tha.
"Sanjeev!!!" Wo muskuraya aur bola, "Kaafi dino baad mil rahe hai hum. Kaisa chal raha hai dhandha?"
Usne andar se hi pucha. Mene bura nahi maana. Wo mujhse baat kar raha tha itna sab hone ke bawajood, wahi kaafi tha. Kam se kam wo mujhe pehchaan'ne se katra toh nahi raha tha. Warna aaj kal ke raees log apne hi kal ko bhul jaate the.
"Dhandhe me ekdum se munaafa dekhne ko mil raha hai. Sab kuch Guru jii ki den hai!" Mene kaha.
"Guru jii?"
"Haan! Guru jii! Boht hi siddh purush hai. Mahaan vyakti. Chamatkaar karte hai woh. Mera dhandha ruka hua tha. Unke ek upaay se sab kuch jaise badal gaya. Haha~"
Meri baat sunn mene pal bhar ke liye uski aankho me chamak dekhi.
"Toh... Ye... Ye kaha rehte hai Guru jii? Kaha milenge? Kya naam hai inka?"
"Mein bata nahi sakta. Tumhe khud jaana padega Kishor unse milne yadi milna hai toh. Kya baat hai? Kya tumhe bhi koi samasya hai kya? Mujhe toh nahi lagta tum kisi pareshani me hoge. Bhagwan ka diya sab kuch hai tumhaare paas."
"N-Nahii! Mujhe... Darasal! Mujhe apni beti ke baare me... Uska bhavishya jaan'na tha."
"Ohhh! Matlab Kaera bitiya ke baare me? Arre ye kaam toh Guru jii chutkiyo me karte hai."
"Sach me?"
"Haan haan! Mene khud aankho se dekha hai Kishor! Tum mere saath padhe likhe ho isliye tumse ye baat saajha kar diya. Warna, Guru jii ke kaarnaamo ki baatein boht hi kam log bataate hai. Kyuki, Guru jii ne mana kar ke rakha hua hai. Unhe shehri hawa pasand nahi. Isliye wo inn sab se dur rehte hai."
"Ohhh!" Wo kuch derr socha aur fir bola, "Kya tum mujhe inn guru jii se milwaane le chaloge? Badle me meri taraf se ek offer hai tumhaare liye."
"Huh?"
"Tum mere dost ho Sanjeev. Hum dono pehle se ek dusre ko jaante hai. Tumhaare mann me bhi aage badhne ki iccha hogi. Apna vyapaar bada karne ki?"
Usne mujhse pucha. Aur firse bola,
"Mein kya kehta hu? Mene haal hi me ek factory khareedi hai. Wo factory karz ke maare band ho gayi thi. Mein apna paisa lagaunga aur kapde ke liye machines lagwa dunga. Tum ye jo thok me dukaano me kapde bhejte ho. Iss se accha ye nahi ki tum khud ki ek pehchaan banao? Ek brand!!! Fir tum aise me kuch dukaano me nahi, balki alag alag shehro me apne kapde bhej paoge. Kya kehte ho? Usme se 30% mera. Baaki poora 70% tumhaara rahega. Aur jo investment mein abhi karunga. Usse tum samay rehte dheere dheere chuka dena. Koi byaaj nahi lunga."
Kishor ka diya gaya offer sunn mein toh sann reh gaya tha. Guru jii se ek baar mil ke hi aaya tha aur karishma dekho. Kishor khud aake mujhe offer de raha tha.
"Ahahaha~ K-Kyu nahi? B-Bilkul! Mujhe manzoor hai Kishor! Aur tumhe Guru jii se milna hai na? Tum chalo mere saath. Mein issi shanivaar ko nikalne waala hu, apni bitiya Swati ko lekar. Bolo? Kya tum chaloge?"
"Toh theek hai. Toh meri beti Kaera... Kya usse bhi leke chalna hoga?"
"Bilkul! Aur chinta mat karo. Swati bhi rahegi toh Kaera beti bore nahi hoegi. Haha~"
Wo muskuraaya, mera haath milaaya aur usne mujhe shanivaar ko apne ghar par bulaaya saath chalne ke liye.
Aaj mein khushi se fula nahi sama raha tha. Ek ke baad ek khushkhabri mujhe milti hi jaa rahi thi. Aur jald hi ek aur milne waali thi shayad. Meri bacchi Swati firse sahi dhang se chalne waali thi.
Mein ghar pohucha aur jaate se hi mene Sudha ko pakad ke usse gol gol ghumaane laga.
"Hahahaha~"
"Arre arre?? Ye... Ye kya kar rahe ho aap? Mein gir jaungi. Aur kya hua? Kuch bataiye toh sahi?"
Jese hi mene Sudha ko saari baat bataayi wo bhi khushi me mere saath jhoomne lagi. Hamaara parivaar ab se bas khush-haal jeevan jeene waala tha. Mein, Sudha aur Swati!
Sudha meri sab kuch thi. Aur Swati bhi. Ye dono hi meri jaan thi. Ek ke bina bhi mein jee nahi sakta tha.
Dekhte hi dekhte, shanivaar aaya aur mein Swati ko leke nikal gaya. Kishor ke ghar pohuchte hi mein toh dang reh gaya. Jitna bangla baahar se bhavya dikhta tha. Andar se toh aur hi gajab ka tha.
Sofe par baithe the mein aur Swati. Aur fir...
Kishor, ek shirt pant me baahar aaya aur uski beti Kaera ek pyaari sii frock pehne.
Thodi boht baatein hui aur fir Kishor ne Madhav, jo uske ghar me kaam karta tha usse kuch samjhaaya kaam ke baare me aur hum sabhi nikal pade.
Jungle tak baahri road tak ka safar humne Kishor ki gaadi me kiya. Swati itna khush thi car me baithne par ki mene waada kar liya ki mein bhi ek din car lunga. Usme Sudha aur Swati ko sang baitha ke yu ghumunga.
Hum sabhi jab utre toh andar ki orr mein unhe le jaane laga.
"Sambhal kar aana theek? Wo darasal, Guru jii rehte hi aisi jagah hai ki kya kare." Mene kaha.
Aur akhir hum uss pul par pohuche. Dheere dheere ahista ahista hum aage badhe. Jesa ki mene kaha tha. Pul mazboot tha. Bas dikhne me jarjar lagta tha. Haha~
Hum sahi salaamat andar pohuch gaye. Thodi derr araam karne kuch neeche lage pattharo par baith gaye. Beech beech me mein aur Kishor apni apni betiyo ko goad me le lete the.
"Swati Didi? Ye aap kya bana rahi ho?"
Kaera ne meri bacchi se pucha jo lakdi se zameen par kuch bana rahi thi.
"Mein? Mein ye phool bana rahi hu. Kesa hai?"
"Boht sundar hai!!!" Kaera muskuraayi toh Swati bhi khilkhilaate hue uske sang aur khul ke baat karne lagi.
Aur idhar Kishor...
*huff* *huff* *huff*
Haaf raha tha. Toh meri hassi chooth gayi, "Hahaha~ Kyu businessman jii? Itne me hi thak gaye? Kaha gaya wo school ke zamaane ka josh? Isliye zyaada car me nahi ghumna chaahiye. Warna shareer ko chalaane ki aadat khatam ho jaati hai." Mene kaha.
"Aisa... Aisa nahi hai! *huff* Wo toh bas... Kaafi din baad... Aise... Aise aaya hua na. Isliye!"
"Hahaha~" mein fir hassa aur sarr hilaate hue hum sabhi ek baar fir uthe aur andar jaane lage.
Jese hi hum waha pohuche toh waha kayi log maujood the.
"Ye lijiye paise! Ye toh aapko rakhne hi honge mein kuch bhi nahi jaanta. Warna mein kabhi dobaara Guru jii se milne nahi aaunga."
Kehte hue ek aadmi ne noto ki gaddi se bhara ek chota suitcase Guru jii ke chele ke saamne kar diya.
"Par... Par Guru jii ko paisa nahi chahiye."
"Arre mein jaanta hu. Par yaha inn baccho ke liye toh mein kuch kar hi sakta hu na?"
Aur itna bol wo na jaane kitne paise the usme par poora suitcase wo Guru jii ke chele Raman ko thama gaya. Aur waha se haath jod ke nikal gaya.
Mein toh dang reh gaya tha. Itna paisa de gaya woh ek jhatke me? Jaise paisa nahi, haath ka mel ho.
Raman ne hume dekha aur usne fir maayusi bhara chehra banaaya aur bola,
"Maaf kariyega! Par aaj aap log Guru jii se nahi mil sakte."
"Huh? N-Nahi mil sakte se kya matlab hai? Hum boht dur se aaye hai." Mene bola.
"Baat woh nahi hai. Guru jii kisi ka ilaaj kar rahe hai. Aur ye boht hi gambheer ilaaj hai. Unhe aaj poori raat lag jaegi."
"H-Huhhh??? A-Aisa k-kya?? Fir..."
"Maaf karna! Aapko taqleef hui. Par harr ek Zindagi zaroori hai."
Uski baat sunn mujhe andaaza laga ki kisi ki Zindagi ka sawaal tha. Guru jii ilaaj me vyast the. Par... Par meri Swati ka kya?
"Toh? Toh hum yahi ruk jaate hai. Guru jii kal toh Swati ka ilaaj kar paenge na?"
"Dekhiye! Aap khamakha taqleef le rahe hai. Aap jaaiye! Aisa kijiye, aaj ki raat jungle ke baahar jaake kisi hotel ya baahar road me budhi mahila ke ghar me guzaar lijiye. Aur subah aa jaaiyega?"
Mera mann toh nahi tha par uski baat maan'ne ke alaawa aur koi chaara nahi tha.
Tabhi achanak hi kuttiya ka darwaza khula aur Guru jii ne andar se hi jhaaka.
"G-Guruuu jiii!!!" Mein apni jagah se chillaaya.
"Ssshhh~" unhone shaant rehne ke liye kaha. Unhone sirf mujhe dekha aur Kishor ko.
Kyuki, Kaera aur Swati dono hi dusri kuttiya ke paas baithi hui thi.
"Mein jaanta hu tum boht besabar ho Sanjeev!! Aur mein tumhe bhi jaanta hu. Kishor!!!"
Ek baar fir, Kishor ke saath saath mein dang reh gaya. Guru jii ko sab pata rehta tha.
"Par sthiti boht hi naazuk hai idhar. Tum dono abhi waapas laut jao. Kishor!!!"
"Guru jii! Meri beti Kaera! Uska bhavishya... Yadi aap aaj nahi bata sakte toh kya? Mere ghar par... Aap aaenge? Kabhi baad me?"
"Hmm! Theek hai! Mein aaunga. Aaj tum dono mere yaha se khaali haath jaa rahe ho isliye... Mein sheher aaunga. Aur Sanjeev, tumhari beti ka ilaaj bhi tabhi karunga."
Aur itna bol wo andar chale gaye. Idhar Raman ne meri beti ko bula ke usse ek phool thaamaaya aur hum sabhi bemann waapas lautne lage.
Par ek baat ki khushi thi. Wo ye ki, Guru jii sheher aane waale the.
Hum dekhte hi dekhte pul ke paas pohuche. Swati kaafi thak chuki thi. Kaera bhi.
"A-Arree?? P-Pita jiiii!!!" Wo chillaayi.
"Kya huaaa?"
"Pita jii! Unka diya hua phool!!! Kahi... Kahi gir gaya shayad. Mene frock ke jeb me hi rakha tha."
"Ohh hooo~ Tum bhi na... Tum chalo. Mein dekh ke aata hu. Nahi mila toh unse ek dusra maang launga."
Mene Kishor ko Swati ko le jaane diya aur mein daudata bhaagta hua uss phool ko raaste me dhundne laga.
Aur beshaq, kuch hi duri par mujhe wo zameen par pada hua mil gaya. Uska acche se saaf kar uske perr pad mene usse haath me thaama aur waapas aaya.
Waapas aaya hi tha ki mene dekha Swati aur baaki sabhi pul ke dusre side bas pohuchne hi waale the.
Mein aage badha aur tabhi...
*Khaaaaaacchhhhhhhhhhh*
"H-Huhhh???"
"Aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa........!!!!!!"
"Eaaaaarrrrrrggghhhhhhhhh......!!!!!!"
"N-Nahi!"
Kishor, Kaera aur Swati jis pul se jaa rahe the. Wo...
Uska chorr unki taraf se jo kassa hua tha. Wo toot gaya!!!!
Kishor sabse aage tha. Uske side se Kaera aur Swati peeche.
Pul ek jhatke me neeche gaya aur Kishor samet Kaera aur Swati bhi...
"Swaaaaatiiiiiiiiiiiii!!!!!!" Mein chillaaya...
Perro tale zameen khisak gayi thi mere. Kaleja baahar aane ko ho raha tha. Dil aise dhadak raha tha jese abhi phat ke baahar aa jaega. Saas atak gayi thi pal bhar ke liye meri...
Par...
Par shayad ye kismat thi.
Kyuki...
Kishor aage tha aur girte waqt wo bach gaya. Par Kaera aur Swati nahi. Kishor aadha hawa me neeche latka hua tha. Aur usne ek haath se Kaera ko thaame hue tha. Aur dusre se... Meri Swati ko.
"Maaaaaaaaaaaaa..... Pitaaaaaaa jiiiiiiiiii~" Swati chillaayi.
"Swaaaaaaaaatttiiiiiiii!!!!!" Mein apne ghutno par gir pada.
"P-Papaaaaaaa~" Kaera aasu bahaate hue jese hi neeche ki orr khaayi me dekhi. Wo behosh ho gayi.
"Ugggghhhhhh!!!!" Kishor bolne ki haalat me nahi tha. Uska poora chehra laal hua jaa raha tha.
Uske dono baazuo me itni taaqat nahi thi ki wo ek baar me dono ko upar kheech sake. Kyuki, wo khud bhi aadha latka hua tha.
"N-Nahiiii~" Mere shareer me raungte khade ho gaye. Meri bacchi!!!
M-Mein mein... Kya karu?? Kya karu?? Kya kar sakta tha mein? Pul toot chuka tha. Dusri orr kese jaata?
Nahiiiiii!!!
"K-Kishoooorrrrrr!!!!! Upar... Upar kheecho... Jaldi... Meri bacchi ko... Kaera ko... Jaldiiii!!!!" Mein bas chilla hi sakta tha.
Apna poora gala phaad ke mein chillaata raha. Apne aap aasu behne lage meri aankho se. Aisa lag raha tha kisi bhi waqt behosh ho jaunga. Meri bacchi!!! Swati!!!
Samay, ret ki tarah phisalta jaa raha tha. Aur wese hi Kishor ke haatho se Kaera aur Swati bhi.
"N-Nahiiii!!! Kishorrrrr!!! Unn dono ko upar kheech haramkhor.... Kya kar raha hai tuuuu????" Mein iss baar gusse me chillaaya.
Aur tabhi...
"Huh??? Ye Kishor kya bol raha hai? Nahi!!! N-Nahiii!!! Nahiiiiiiiiiiiiiiii"
Dusri orr se Kishor meri orr dekha. Uski aankho me aasu the. Aur wo kuch bol raha tha. Boht dheere.
Par jese mein uske chehre haav bhaav aur uski harqat se padh paa raha tha ki wo kya keh raha tha.
"M-Mujhe maaf kar dena Sanjeev!!!"
'Nahi!!! Ye nahi ho sakta. Ye Kishor aise samay par mazaak kyu kar raha hai? Ye paagal hai kya? Isse toh dono bacchiyo ko upar kheechna chaahiye. Y-Ye meri taraf dekh ke ro kyu raha hai? Y-Ye pagal ho gaya hai.'
Kishor ka toh nahi pata. Par mein zaroor paagal ho raha tha. Mera dimaag kaam karna band karne laga tha.
Aur tabhi...
"Eaaaaaaarrrrrrrrrrggghhhhhhhhhhh.."
"Huh!!!!"
Ek goonj poore jungle me fel gayi. Aas paas ke pakshi pedo se udd ke bhaag gaye. Mere shareer se jaise praan nikal chuke the.
Khatam! Sab kuch khatam!!!
Mein andar se marr chuka tha. Aur mein wahi aankhein khole bas ghutno ke bal baitha raha. Kishor kya bol raha tha mujhe kuch sunaayi nahi de raha tha.
Meri bacchi Swati!!!!
Kishor ne apna haath... Jo usse pakde hue tha...
Chorr diya tha....
Swati ki cheenkh... Wo aakhiri cheenkh thi...
Kishor!!!! Usne apne dusre haath se Kaera ko pakda aur dono haath se pakad usse upar kheecha. Apni peeth par laada aur waha se bhaagte hue nikal gaya.
Mein... Mujhe pata nahi, ye kya anubhuti thi. Aisa lag raha tha mein sab kuch kho chuka hu. Mein zinda bhi nahi hu. Murda laash ban chuka tha jese mein.
Swati... Swati... Meri bacchi... Gayi!!! K-Khaayi me...
"Aaaaaaaaaaaaaaaaaaarrrrghhh~"
Meri cheenkh jungle me goonj gayi. Mein waapas andar ki orr bhaaga. Guru jii ke paas. Andar pohucha toh...
Waha koi nahi tha. Ek shaks ka naam-o-nishaan nahi tha.
'Y-Ye kya ho gaya???? K-Kaha gaye s-sab??? S-Sab toh idhar... idhar hi the...!! K-Kaha gaye sab????'
"Gurrruuu jiiiii!!!!" Mein chillaata raha. Par mujhe koi na mile. Sab ke sab gaayab ho chuke the.
Mein paagal ho raha tha. Paseene se poore kapde bheege hue the. Kisi bhi waqt mujhe dil ka daura bhi aa sakta tha.
Meri bacchi!!!! Swati ke baare me soch mein raasta dhundne laga. Neeche jaane ke liye.
Kahi na kahi se toh koi raasta milega hi. Raat hone ko aa gayi thi.
Mein dhundta raha. Girta raha, bhidta raha. Kharoche mere shareer par bikhar gayi. Par mein ruka nahi. Bhaagta raha.
Jese tese kar, mein latak latak ke, jaanleva raasto se neeche pohucha. Aur Swati ko dhundne laga. Mein jaanta tha ki upar itni uchaayi se girne par kya hota tha. Fir bhi, mein praarthna karta raha.
'Hey bhagwaan! Meri bacchi... Meri bacchi ko bacha lena. Usse kuch na hua ho. Usse bacha lena... Usse bacha lena... Usse bacha lena...'
Iski ratt lagaaye, mein badhta raha. Raat ho chuki thi. Theek se kuch nazar nahi aa raha tha. Aur tabhi... Mujhe kuch awaazein sunaayi dii.
*Crrrrunnnchhhhh*
*Muuuunnncccchhhh*
"H-Huhhhh??" Mene jhaak ke dur dekha toh...
Meri rooh kaanp gayi. Aur mera vishvaash, ussi pal bhagwaan par se uth gaya.
Mein kisi murde ke bhaati wahi jamm gaya tha. Mujhe itna bada jhatka laga tha ki mujhe taajub ho raha tha ki mein hosh me kese tha ab tak?
Saamne... Dur...
Lakadbagghe... W-Wo... Wo... Wo kuch khaa rahe the.
M-Meri nazre jese hi neeche gayi.
*Badump* *Badump*
Mera dil baahar aane ko ho gaya. W-Wo...
Swati!!!
Meri aankho ke saamne meri zindagi ujad chuki thi. Meri bacchi!!!! Uski itni dardnaak maut dekh mein paagal ho chala.
Mann kiya ki unke beech jau aur unn lakadbaggho se bhid uthu aur marr jau saath me.
M-Mujhse kuch bhi dekha na gaya. Mere perr kaanpne lage. Par mein Behosh nahi hua. Mein jaanta tha yadi yaha mein gira, toh... Toh ghar par Sudha ka kya hoga?
Mein bhaaga!!! Sudha!!! Usko kaun sambhaalega? Girte padte chot khaate mein jese tese pohucha. Mein hairaan tha ki abhi tak mera maansik swaasth theek kese tha?
Mene darwaaza peeta. Par Sudha ne nahi khola.
Mene fir peet peet ke darwaaza tod diya. Aur todte hi jhatke se mein andar aaya.
Par andar aate hi mera chehra kisi cheez se takraaya.
Aankhein khol mene dekha toh...
'Huh?? P-Perr???'
Meri nazre upar gayi aur...
'N-Nahiiiiii! Nahiii! Nahi nahi nahi nahi... Nahiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii!!!!!!!!'
Sudha... Wo...
Wo upar pankhe se latak rahi thi.
Kishor ke ghar se... Kisi ne saari baat usse bata dii thi.
Aur bas... Mera insaani shareer itna hi jhel sakta tha. Mein ussi waqt behosh ho gaya.
Mein mahino tak aspataal me bharti raha. Iss haadse ko mahino guzar chuke the.
Mein na kuch bolta tha na kuch karta tha. Meri do jaan jaa chuki thi. Sudha Swati ke jaane ka gham seh na paayi aur mujhe chorr chali gayi.
Yaha mein sapne sajaata tha. Car me unhe ghumaane ke. Dhandha badhaane ke.
"Kyu Sudha?? Kyu chali gayi mujhe chorr ke??? Kyuuuuu???" Mein subukta raha.
Wahi dusri orr... Mein kyu zinda tha?
Haan! Mein bhi marr jaata hu. Haan! Yahi sahi rahega! Mein zeher kha leta hu. Nahi nahi! Mein phaasi laga leta hu. Nahi!!! Khud ko jala lu? Nahi!!! Haan! Mein bhi uss pul se kood ke marr jaata hu. Hmm~
Par tabhi... Mujhe uska khayaal aaya.
KISHOR!!!!
Aur kuch hi hafto ke baad, mein uske bangle ke baahar maujood tha.
Sab kuch issi ke kaaran hua tha. Na wo meri bacchi ke haath ko chorrta na meri Swati mujhse juda hoti. Aur na hi meri pyaari Sudha... Mujhe chorr kar jaati. Badi mushqil se apni himmat baandh paaya tha mein. Apna badla lene ki. Warna mein khudkhushi kar chuka hota.
Mere paas itni haisiyat nahi thi abhi aur na hi itni aukaat thi ki mein Kishor ko maar saku. Par...
Usse ek jhatka toh de hi sakta tha.
Mein andar ghusa. Uske ghar se mein ab parichit tha. Baahar ek maali gamlo me rang laga raha tha.
Apne jeb me chhupi hui chhuri ko mene nikaala aur apne peeche kar liya.
Mein deewaar phaand ke andar aa gaya. Maali gaana gunguna raha tha. Meri Swati... Usse phool kitne pasand the. Chali gayi woh. Chali gayi...
'Nahi!!! Mein iss waqt bhaavuk nahi ho sakta.'
Soch mein aage badha aur uss maali ke muh ko thaam...
"Mmmphhhh????"
Mene uski awaaz dabaayi aur...
*Spllluuuuuurrrttttttttt*
Churri uske seene me ghused dii.
Firse nikaali aur fir ghused dii. Usse ek pal na diya mene virodh karne ka.
Rang jo neeche pada tha brush ke saath. Mene uthaaya aur tabhi meri nazar wahi pade ek angrezi newspaper par padi.
Jiski headlines me kuch shabd likhe hue the.
"Protesters jailed due to inappropriate Slogans."
Aur mujhe jaise naam mil chuka tha.
Mein baahar nikla. Aur wahi rukk gaya. Andar Kaera ki chillaane ki awaaz mujhe kuch derr me hi sunaayi de gayi.
Mene apni jagah badli aur deewar ke upar chadh jhaak ke andar dekha toh paaya ki...
"Huh!???"
'Guru jii?? W-Wo yaha kya kar rahe the? Aur uss din wo achanak gaayab kese ho gaye the sab ke sab jungle me.' Mere mann me sawaal mandra rahe the. Aur mene tay kar liya, ki mein unka peecha karunga.
Andar Kishor ki haalat kharaab thi. Andar deewaar par ek hi cheez likhi hui thi...
"Killed By Slogan!!!"
Aur mein waha se nikal ek mod pe chhip gaya.
Ye mere badle ki pehli shuruaat thi. Jab tak mein Kishor ko wahi dard, wahi peeda usse nahi de dunga. Tab tak mera gussa shaant nahi hoga.
Kuch derr baad Guru jii aur wo Raman baahar nikle, mein chehre par gamcha baandh unka peecha kiya.
Bus me wo chadhe toh mein bhi chadh gaya. Na jaane kidhar jaa rahe the. Par sheher se thodi dur ek jagah bus aa kar ruki.
Mein unse chhip kar unka peecha karta raha aur fir ek jagah jaa kar wo baith gaye. Deewaar se chhip kar mein unki baatein sunn'ne laga.
"Gajab ho gaya Guru jii! Maan gaye aap ko. Uss Kaera ke chakkar me kitne paise aith liye aapne hahaha~"
"Hmm!"
"Par uska kya hua Guru jii?"
"Kiska?"
"Wo ek Sanjeev naam ka tha na?"
"Kya pata? Mujhe kya karna? Paise se matlab hai hume."
"Wo apni beti ko leke aaya tha na uss din!? Guru ji?"
"Hmm! Usse waha se uss din bhagaana zaroori tha. Saala itne paise aaye the uss din. Mein baith ke andar ginn raha tha aur ye namune ussi samay aa gaye. Hume wo ilaaka jald se jald khaali karna hi tha. Isliye usko ye bol diya tha mene ki mein sheher aaunga. Aur wo toh mein aaya hi... Hahaha~ Uss din mene jhaak ke jab Kishor ko dekha tha. Tab hi samajh gaya tha ki ye raees hai. Haatho me mehngi ghadi, mehnge joote, pant shirt. Toh usko toh lootna banta hi tha na."
"Hmm! Kya baat hai! Unn baccho ka kya?"
"Baccho ka kya?"
"Hum unke naam pe hi paise lete hai na..."
"Haan toh? Wo toh anaath waale hai. Unhe kuch derr ke liye mein apne ilaake me le aata hu. Bas! Baat khatam! Unko saare de baithunga toh mere paas kya bachega? Hahahaha~"
"Hahahaha~"
'Keh do ki ye jhooth hai. Keh do koi ki ye jhooth tha jo mene suna tha.' Mein unn dono ki baat sunn ke sann reh gaya tha.
Na jaane kitne aur jhatke mujhe lagne baaki the.
Mere haath perr kaanp rahe the. Iss baar darr se nahi. Gusse se.
"Accha tum suno! Mein andar ghar me hu. Ye kuch paise leke jao. Waha wo anaath aashram ka jo pradhaan hai. Usse de dena. Theek hai."
"Theek hai Guru jii!"
Raman gaya. Aur Guru jii andar gaye. Aur mein...
Mein apni churri nikaal ke andar chal diya Guru jii ke ghar ki orr...
Wo meri aahat se pare apne kaam me lage hue the. Aur mein dheere dheere badhta raha.
Unhe jhatke se dabocha aur...
"Maar daalunga tujhe aaj meinnn... Haraaam khorrrrrr!!! Aaaaaaaaa~"
Aur...
*Spluuuurrrtttttttt*
*Splurrrrttttttt*
*Ssssspppplluuurrrttttt*
Chaaku pe chaaku maarta raha mein. Gusse me uske seene me. Ye koi Guru jii nahi tha. Ye toh dhongi tha. Isne mera sab kuch loot liya tha.
Tab tak maarta raha mein usse jab tak mere chehre par uske seene se uchle khoon ke daag na chadh gaye.
Aur mein... Apne andar badle ki aag liye. Waha se faraar ho gaya.
Ek saal baad jab mein lauta toh meri mulaqaat uss se hui.
"Kya naam hai tumhara?"
"A-Aashu!!!"
Mein muskuraaya, "Aaj se tum mere saath kaam karoge."
"Mujhe badla lena hai."
"Mujhe bhi... Tum chinta mat karo bacche. Mein tumhe tumhara badla dilwaunga."
Aur mene ek baat seekhi apne iss mukaam ko banaate banaate.
TUM KHUD HI, KHUD KE BHAGWAAN HOTE HO. KOI AUR NAHI!!!!!!
'Kishor!!!! Jaise tumne mujhe dard diya. Mujhse mera sab kuch chheen liya. Wese hi... Wese hi mein bhi tumhaare saath wahi karunga. Wahiii!!!'
***
20 years later...
Kuch aisi thi Slogan ki daastaan...
Haath ko dabaaye wo khoon band karne ki koshish kar raha tha par koi fayda nahi ho raha tha.
'Mujhe yaha se jald se jald... Huh????'
Wo soch hi raha tha jab usse ped paudho me kuch halchal sii hoti nazar aayi aur uski awaaz aayi.
Slogan : K-Kaun hai????
Wo uth ke khada ho gaya. Aur abhi wo aage badh paata tabhi...
*Poooooooooooooowwwww*
"Aaaaarrrghhhhhhhh"
Ek punch right side se achanak hi aake uske gaal par pada. Aur wo seedha zameen par jaa gira.
Upar uth usne dekha toh...
VEER!!!!!!
Slogan : T-Tuuuuu????? Tu idhar....!!!!!
Veer (smiles) : Haan mein!!!
Slogan ne apna jeb tatol revolver nikaala aur bina kuch kahe seedhe Veer ko shoot kar diya.
*BAAAAANNNGGGGGGGG*
Par...
*Whoooooooosssshhhhh*
Slogan : Huhhhhhh???????
Veer ek jhatke me apni position se hatt gaya.
Slogan (screams) : Kaha gaya Veeer??? Saaaamne aaaa!!!!! Aaj mein kisi se nahi darrne wala.... Baahar nikal!!!!
Aur uski khwaaish jese veer ne sunn lii, peeche se ek zordaar kick aayi aur uski back par padi.
"Ugggghhhhhnnnn"
Wo firse gira.
Veer : Aaj tu... Kutte ki maut marega!!!
Slogan (uthate hue) : Ek baat yaad rakhna Veer!!!!!! Underworld me... Insaan ki jaan ek macchar ki jaan ke samaan hoti hai. Tu mera kuch...
*BAAAANGGGGGG*
Slogan : Haaaaahhhh??!? Gwaaakkkkkhhhhhh....
Wo bol raha tha par...
Veer ne fire kar diya tha. Bullet Slogan ke pait ko cheerte hue andar sama gayi.
Uske haath se gun chhitak kar gir gayi aur wo khud ladkhadaate hue uss khaayi ki orr jaane laga.
*BAAAANGGGGGG*
"Haaaaaahhhh huuuuuu~"
Peeche se ek aur bullet jo ki Veer ki akhiri bullet thi wo aake uske shareer me ghus gayi.
Wo ladkhadaate hue fir bhi badhta raha. Bilkul wese hi... Jese uski pyaari Swati ladkhadaaya karti thi.
"Swaaatiiii... Haaaahh haaahhh haaahh S-Sudhaaa..."
Slogan ka plan Kaera ko issi tarah pul se giraane ka tha. Apna badla lene ke liye. Par... Ye uski badqismati thi jo uska paala Veer se pad gaya.
Wo lambi lambi saas lete hue badhta raha. Chorr par pohuchte hi usne apni shirt ki jeb se ek brush nikaala.
Ye wahi brush tha, jis se uski Swati chitra banaaya karti thi. Aur yahi kaaran tha ki Slogan floral shirts pehna karta tha. Phulo waali. Kyuki Swati ko wo pasand the.
Chorr tak aate hi uska perr phisla...
Veer aage badha par tab tak...
"S-Swatiii~" Slogan ka shareer ussi gehri khaayi me gir gaya.
Veer daudate hue aake neeche jhaaka. Toh usse bas, Slogan ka shareer, gehre andhere me gaayab hota hua nazar aaya.
*Ding*
[Mission : Kill Slogan at all cost has been completed.]
[3000 points have been rewarded.]
*Ding*
[System has reached level 6.]
*Ding*
[System's layout has been upgraded]
[Shop prices and Quest hunt prices has been increased.]
*Ding*
[Past illustration has been upgraded.
Bio - You can now see the past. No need to read it.]
[Past illustration function is invoked.]
[Do you want to see Slogan's past???]
Bina koi derr kiye Veer ne Yes ko select kar diya.
Aur ek ke baad ek, Slogan ki saari memories, uska past system ne sab dikha diya. Veer keval maun raha. Par uski aankho se aasu, apne aap nikal rahe the.
[It's been quite a bit time... Master!!!?]
Wahi dusri orr... Jungle ki road waale ilaake par. Jaha halki uchi chotiyaan thi dusri side par ussi ke upri ilaake par...
Ek ladki khadi hui thi. Hawa me lehraate baal aur agle hi pal...
Wo andhere me wahi mudte hue lupt ho gayi.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Ye 6k words ke upar tha. Aur poora past dikha diya hai. Hope kaafi cheeze clear ho gayi hongi.
Toh, like thokne ka yaara aur revos rakhne ka. Bhulne ka nahi. Aur yahi pe samaapt hota hai Slogan Arc. Famiglia arc chalega ab. Aur kuch updates ke baad House of Killers arc shuru hoega.
Bane rahiyega.
Dhanyavaad!![]()
Thanks a lot bhai!Ek sikari ka sikar karna kafi mushkil hota hai pr yha veer ne Har possibility ko acche se samjha or uska counter attack bhi ready rakha hua hai or sabse amazing baat ki aaj full moon hai or veer ko missions bhi mil chuka hai 4 ghante me slogan ko khatm karne ka, dada- Tu to gyo, veer ko underestimate karne ka natija sirf barbadi hai uske dushmano ke liye pr vo Kon hai jiske bare me slogan soch rha tha Kon nhi ho sakta, abhi to slogan thoda confuse hai veer or us mysterious person ko lekar lagta hai agla arc usi ka hoga, Chalo dekhte hai kya hota hai aage... Steve kutte ki maut mara gya or marne ke baad slogan ne apni laat mar kar use gaadi se bahar feka Jiski vo itne dino se seva kr rha tha...
Bhavna or bhumika dono pahuch gye hai Apne apartment me ab dekhte hai bhavna Ji kab apni taraf se btati hai bhumika ko uske bhai ke bare me... Superb update bhai sandar jabarjast lajvab amazing
Haan! Ye pucha na ab sahi question.Werewolf bhaya kya Aap bta sakte hain ki jab veer transform hoga to kya uske punchh (tail) bhi hogi kya![]()
Ye toh spoiler hai bhai! Wo aadmi jo bhi hai. Iska raaz baad me khulega.Exactly doubt mera bhi yahi hai ki koun hai woh Admi. A little Correction, Daughter of Bhavna is some one else not Bhumika. Anyway, let us wait for the update No. 76. The Picture will be a bit clear, I hope.
Already given. Padh hi liya hoga.Prateeksha agle ucch koti ke
Agle bhag ka
Dhekna h ki veer mahodya jo apne apko hunt matlb dikhati bata rahe h bhediya banke
Sikhar pura kaise karte h
Aur kis prakaar karte h
Isiliye ap siigra ati sigra agla bhag dene ki kirpa kare
Dhanyawad apka shub chintak..
Ha ha ha sudh hindi likhna bahut muskil h..
Update bro update
Dhanyavaad bhai!It was master peace bhaya mind blowing superb update bhai veer ko underestimate kiya tha na usi ka anjam chuka rha hai slogan, maithiv ek Damdar opponent sabit hua veer ke samne pr Usne bhi underestimate kiya veer ko, yha 2nd time me veer apne skill ko Lagbhag puri tarah control kr rha hai pr still abhi Bahut kuchh Sikhna baki hai veer ko in asession ke bare me, ab 2 bullet baki hai or time bhi kafi nikal gya hai ab slogan ke pichhe gya hai pr slogan ne bhi ab tk kuchh na kuchh dhundh liya hoga veer se mukabla karne ke liye... Awesome update bhai
Badaam khao!Thanks bhai pr naam bhulne ya kahe mix hone ki samasya mere se bahut hoti hai...
Thanks bhai!Bhai kamal ki update thi or bhai update 74 main slogan ny aik or person k bary main socha tha k kahin woh to nahi yani k slogan ka koi or b enemy hai yn kuch or hai
Bhai! Sabr ka phal meetha hota hai.Werewolf bhai aapke update ki liye do dino ka intezar bhi aisa lagta hai jaise 7-8 din ho gaye hai...
Bahut mushkil hota hai ...
Waste nahi hui bhai! Slogan gone already!Ye vala update b ghamasan hona chahiye bhai vrna Suhana ko bta duga ki aapne uski glock ki bullets waste ki hain
Veer ne kar diya apna kaam!The chase is on. Slogan ko aaj uski takkar ka koi mila he jo uski hi tarah mind games khela he uske sath. Slogan ko yakeen nahi ho raha ki usko esa din dekhna padd raha he. Par reality jo he wo he. Aaj to slogan urf sanjeev ka shayad last day bhi ho sakta he. Par wo pura try karega esa na ho. Wahi raghu aur jassi apna kaam kar rahe he. Uski baat bhi sahi he ki slogan ke pass ese military grade ke weapons aaye kaha se ????? Wahi karan ke sath betha veer apna hisab barabar karne ke mood me he. Uska hath me knife se stab, kaera ka rona, sab kuch yaad he use aur sab ka hisab bhi hoga.
Uska reaction dekhne laayak hoga.Yahi pe mujhe laga tha ki veer ko weapon dega koi na koi. Suhana ne ye kaam kiya to usko sab pata hoga hi. Iss mission ke baad to wo veer ke uper 36 experiment karegi.![]()
Ab jo thi uske paas wo de dii Suhana ne.Glock 19 di he. Vese Glock 36 deti to jyada achha rehtaya fir kimber 1911 de deti. Veer ne bhi achha use kiya he. Aur yahi uske mann me sawal bhi he hi suhana ke prati.
Suhana ka past bhi ab samay pe samne aayega. Suhana main lead nahi hogi par veer ke liye important rahegi wo. Kya pata aage chal ke veer benelli M4 leke hi sab pe chadh jaye.
Jinpe kaafi samay se spotlight nahi padi. Wo agle 2 update me limelight me dikhenge.Jassi ne apne instinct se apne sathiyo ki jaan bachai. Slogan to ghusa jangal me. Piche veer bhi ghusa he. Karan ko of course wo ese sath nahi le jayega.
Wahi inn sab se door kaera na Jane kya kar rahi hogi waha ??
Yes!Beowulf blessings to aaj apne charam pe he. Aur iska fayda bhi bharpur uthaya veer ne. Matthew ke sath achha combat raha aur iss scene ko bhi aapne bahut badhiya likha he. Veer ki sense bhi kafi badh chuki he. Pari ki baat sunn ke distraction use kiya aur result samne he. Matthew ko puri tarah outsmart kar diya veer ne apne surroundings use karke. Ese jangal me stealth approach bahut kaam aata he. Matthew ko bhi maar diya aur ab bari he slogan ki. Aur veer ke face pe wahi devil smile he.
Veer apex predator jesa bann gaya he Beowulf blessings ke baad. Aur uper se alpha male ke traits. Ese me veer se dangerous koi nahi iss waqt. Ab slogan ki bari he.
Sonia ko pata hai ya nahi, ye agle updates me dikhaaya jaega. Bane rahiyega yaara!Uske baad suman ke sath bistar bhi todna he ghar jake. Suman bhi taiyar rahegi uske Malik ki sewa karne ke liye.
Vese Sonia ko nahi pata hoga iss ke bare me. Right ?????
Waiting for next update.
![]()
Thanks a lot! Keep supporting bro!Awesome update Werewolf bhai.
Vice versa nahi thi bro!Ye baat vice versa thi.
Koi na ho jata he.
Thanks bro!Bhai bht hi emotions sy bhara update tha yaqin mano 1 Pall ko laga slogan axha banda hai per usny hmary hero k 7 panga liya tha uski saza to banti thi chalo ab phir 2 din wait next update k liye
Dhanyavaad bhai!Just marvelous and super fantabulous update Werewolf bhai....
Slogan ka past padhkar kafi bura laga aur ab veer ko kishor ne jo Swati ke saath galat kiya hai uske liye usse saja dena chahiye taki usko eshsas ho ki galat karna kabhi sahi nahi hota hai....
Veer jaanta hai kasht ki asli paribhaasha. Toh of course uska emotional hona toh banta hi tha.Rula diya bhai.....achha aadmi sabse bura tabhi banta hai jab uske saath bohat bura hua hoveer khud roya slogan ka past dekhke...to hum to cheej hi kya hai bhai.....
That's so true!!! Slogan ne kitne sapne sajaaye the Swati ke liye. Sudha ke kiye. Sab kuch chhin gaya uss se.bhai.....swati ke saath achha nhi kiya KISHOR ne. Veer use sabak sikhaye to hi achha hai ab to. Slogan marte waqt bhi apni beti SWATI ko hi yaad karke mara. That's true Father's love for his daughter. Jab koi bhi bachha apne baap ke saamne dum todta hai........we can't imagine the scene that time...baap bechara mar jaata hai andar se pura.
That's so sad bhai. I can not even imagine. And I don't even want to. It's too sad. Take care yaara!Main abhi tak apni chhoti bahan ko yaad karke har waqt marta hu...bcz she left me 1 year ago...jab bade bhai ke saamne uski chhoti bahan ki body padi ho to wo bhai to mar hi jaata hai![]()
Hmm! Par Isme Kaera ka kya dosh? Yadi Slogan badla leta toh Kaera bechaari nirdosh maari jaati.bhai slogan ka past janker bada hee dukh laga bhai swati us ke sath to galat ho gya bhai
Kishor se badla to babta tha slogan ka
Dhanyavaad bhai! Keep supporting!दर्दनाक अतीत दर्दनाक मौत
स्लोगन समाप्त
वीर में अभी भी भावनायें शेष हैं
बढ़िया रहा यह अपडेट
Exactly!!!Bhai shandar update.
Slogan ka past kafi sadness se bhara hua jarur raha but kahi na kahi uski revenge lene ki mentality ne uska ant kara diya.
Kishor toh majboor tha. Uske saamne aisi choices thi jo shayad kabhi kisi ko na mile. Usne wahi kiya jo harr insaan uski jagah karta. Apni beti ko bachaana.Ye sala kishor bhi bada mc nikla slogan ki puri life darkness se bhari gyi iske karan
System ka level badh raha hai toh journey ab tough hoti jaegi. Prices badh chuke hai shop keAkhir me hero ne apna mission successfully complete kar liya h.
An dekhna ye h ki system ke new update ka behaviour kaisa rhta h hero ke sath but kuch bhi ho system bhi uske bhale ke liye hi karta h sab kuch. Or ye shop ke price badhane ka kya seen h bhai??
Ye spoiler hai. Baad me khulaasa hoga iska.Or bhai ye ladki kon h Jo jungle me thi?
Ye toh uski dastaan thi. Samay kab kesa mod le aaye kisi ko kya pata.Slogan yah sirf ek naam nhi hai yah ek majboor baap or pati ka paida kiya hua darinda hai Jo apni beti or patni ko na bcha saka pr use paida karne me jitna dosh sanjeev ka tha usse koi hjar guna dosh Kishor ka tha... Slogan ka past dekh kr sach me anshu aa gye Bhai pr isme us Mali ka kya hath tha Jise sanjeev ne mar diya or yhi se sanjeev ke villan banne ki suruvat hoti hai pr Jaisa bhi tha takkar ka dushman tha bhai...
Ye spoiler hai. Aage pata lagega kaun thi wo ladki aur kaun tha wo aadmi.Jaha se dushmani ki suruvat hui thi Vahi se khatm hui pr kya sach me ye dushmani khatm ho gyi Ya ye to suruvat lagti hai jo hua abhi...
Vo us mountain pr khadi ladki Kon thi kya vo villan logis ki serni me aayegi Ya heroin logis ki... Akhir itni raat ko vha kya kar rhi thi Vo Janna chahta hai forum...![]()
Pata lag jaega agle update me.Veer ka system update Ho gya, mission accomplished Ho gya or sath hi Bahut si skills bhi upgreat Ho gyi hai, pari ne ye kyo kaha
It's been quite a bit time... Master!!!?
Kya Iska mtlb ham ye nikale ki jo pichhle Upgread se pahle pari ka behavior tha Vo vapas aa gya hai ya kuchh aur...
Dhanyavaad bhai!Awesome update bhai superb mind blowing jabarjast with amazing writing skills bhai...
Hein??? Ye chain of command kaun sa naya arc aaega story me jo mujhe hi nahi pata?Yeah! Vo sadhu ya kahe dhongi baba ka kaam slogan ne tmam kiya tha past me or yha Bahut hi Kamal ke dhairya ka parichay dekr likha hai aapne... Isme koi do ray nahi hai...
Slogan ke sath ek ladki thi jab veer ka pahli baar samna hua tha usse vo kyA Ab aayegi 'chain of command' me kahi ye jungle vali Vahi ladki to nhi... Hamne to kafi bareeki se pdha hai ab Dekhte hai iska sambandh kaise fit karte ho past se ya kahe veer ke past se...
Anyways, dhanyavaad yaara!Superb Werewolf bhaya
Ohhh! Nice thinking!Iska ek alternative yah bhi ho sakta hai ki veer suhana, kaera or karan ko Slogan ka past btaye pr Kishor ne kya kiya tha yah bhi... Jisse ho sakta hai unko slogan ke dwara kiye gye Har kaam ka reason samajhne me asani hogi... Mera to yhi manna hai kyo Werewolf bhaya
Sahi kaha mitr! Dhanyavaad!प्रणाम भाई साहब....
हर इंसान अच्छा होता हैं बस कभी कभी उस के हालात उसे बुरा बना देते हैं.....
भावुक अपडेट.....![]()
Of course! He will get back at it.Slogan did not die ... he will be back ...
waise ... after all this hard dry work, Veer deserves some soft wet work in bed ...
Dhanyavaad!Fan bana diya aapane ....keep it up![]()
Dhanyavaad bhai!Bro sach main kishor ne galat kiya or mujhe slogan keliye bura lag raha hai bhale hi wo jesa bhi par apni beti keliye ek pyaar karne wala jimmedar pita bhi tha
Ab samaj aaya ki ki slogan kishor ko kese janta hai
Baki bohot shaandar update tha
Ye spoiler hai. I cannot tell right now.Bro kya veer apni dono maa or dono behno ke sath sex karega ya nahi
Wo ladki kaun thi ye aage pata chalega.Shaandaar update kaafi dard bhara jeevan the salogan ka. ab veer kya kishore se badla lega aur wo ladki kya swati ki aatma thi?
Bhai yahi ek regret mujhe bhi hai.Werewolf Bhai Meray pass words nhi hain his say main express kar Sako itna amazing update hay ye. Masterpiece mind blowing. Kash main animator hota to apki story to animate kar sakta it's simply fantabulous. Kamal LIKHA hay Bhai amazing.
Thanks bro! Wo jaan'ne ke liye bane rehna hoga.Fantastic update kishor bahut ghatiya kisam k insan he....veer finally killed slogan but suspense ye hai ki wo ladki kon thi jo gayab ho gayi swati ki atma...![]()
Bahn ka loda kishor bosdika machar ki jhant londu saaala tatto ka shuadagar. Iski ma ki chut madarchod haramjaada. Slogan was right yarr. Koi bhi hota bo slogan ke raste par hi jata.
Story hi aisi hai. Thanks btw!Wonderful update......
Beautiful writing....
You are surpassing yourself update by update.