- 14,332
- 101,711
- 259
Last edited:
Om Shanti to your sister.Rula diya bhai.....achha aadmi sabse bura tabhi banta hai jab uske saath bohat bura hua ho veer khud roya slogan ka past dekhke...to hum to cheej hi kya hai bhai.....swati ke saath achha nhi kiya KISHOR ne. Veer use sabak sikhaye to hi achha hai ab to. Slogan marte waqt bhi apni beti SWATI ko hi yaad karke mara. That's true Father's love for his daughter. Jab koi bhi bachha apne baap ke saamne dum todta hai........we can't imagine the scene that time...baap bechara mar jaata hai andar se pura.
Main abhi tak apni chhoti bahan ko yaad karke har waqt marta hu...bcz she left me 1 year ago...jab bade bhai ke saamne uski chhoti bahan ki body padi ho to wo bhai to mar hi jaata hai
ye ladki kon h Jo jungle me thi??Razi Konya banda badmash banke
Har badmash ki story pavegi.
Bhai shandar update.
Slogan ka past kafi sadness se bhara hua jarur raha but kahi na kahi uski revenge lene ki mentality ne uska ant kara diya.
Ye sala kishor bhi bada mc nikla slogan ki puri life darkness se bhari gyi iske karan.
Akhir me hero ne apna mission successfully complete kar liya h.
An dekhna ye h ki system ke new update ka behaviour kaisa rhta h hero ke sath but kuch bhi ho system bhi uske bhale ke liye hi karta h sab kuch. Or ye shop ke price badhane ka kya seen h bhai??
Or bhai ye ladki kon h Jo jungle me thi??
AgreeSlogan did not die ... he will be back ...
waise ... after all this hard dry work, Veer deserves some soft wet work in bed ...
we are glad ki aap is forum par apna keemti samay dekar kahani likh rahe hain. sabhi readers aur forum staff apka abhari rahega.Too Emotional To Read..
Slogan : -
Kya Galti thi uski.. jo uski beti ko usse chheen liya gaya, Kitna Khush tha wo apne jeewan me.. Ek din sab kuch khatm ho gaya..
Biwi na rahi , bachhi na rahi.. kya bcha uski jindgi me.. kiski liye wo ye sb kr rha tha.. toot gaya ek dm se Sanjeev.. aur fir jab insaan toot jata hai na sab kuch khone par tab use sirf wahi dikhta hai jo iska kashurbar ho.
Khud ke liye insan itna sab kuch karta hai.. aakhir kare bhi kyu na par dusro ke liye uske apne apne hote hain.
Kishor ne sahi kiya ?? Agar Kishor ke najriye se dekhenge to, Ha bilkul usne sahi kiya qki wo sirf ek ko hi bacha sakta tha.. usne apni beti ko bachana thik samjha.. wahi agar Sanjeev ke najriye se dekho to uski to duniya hi swati thi.. aur bhala jab samne duniya ujde to fir jism me jaan kanha bachti hai.
andhvishwasi hona is jeewan ki sabse bdi durghatna hai. par kya ye kahna sahi h ??
baba ne kaha use khud ko khush rakhkar deal karna hoga grahako ko wo bhi bina chinta ke. ye to jeewan ki sachhai hai. to is hisab se baba ki koi galti nahi.. beshaq wo dhongi hi kyu na ho usne sanjeev ko sahi raah dikhai... par par agar us din wo busy nahi hota to sb kuch esa nahi hota jo hua... jis kaaran se sanjeev ki najro me wo villain ban gaya.. aur uska anjam uski maut.
Insan Bura ya Bhala janm se nahi hota, uske haalat uski majburi use achha ya bura bnati hain.
slogan ka past dekh kar veer ko satya ka pata to lag chuka hai. par ab aage kya veer is satya ke bad khud ko bekasur ki hatya ke arop se mukt kr payega. Jaise last time aatish ka sch samne aaya wese hi aaj Slogan ka bhi satya samne aaya. dono ki hi majburiya thi is raah ko chunne ki..
Wo kahte hain na har bada aadmi mehnat ke sath bada bna ho ye jaruri nahi. unhi me se ek hai Kishor. ab tak ki kahani ke hisab se.. uske sochne ka tariqa ek selfish insan ke jaisa hai.. jo ki normal hai . har koi sirf apna bhala chahta hai.. apno ka bhala chahta hai chahe uske badle use parayo ki jaan bhi leni pade.. jo kishor ne lee hain.. abhi sirf kuch batein hi samne aayi hain. is sb se to yahi lagta hai..
About writer : -
Well.. You have a great mind, emotion, feel.. ek dam realistik feel aa jati hai jab kahani ko padti hu me.. Har ek line ke sath puri kahani aankho ke samne ek video ki tarah play ho jati hai.. esa kar pana hi ek writer ke liye kafi kathin hota hai.. par apke dwara likhi gayi is kahani me mujhe bilkul bhi dekh kar nhi lgta ap ko jyada kathinai hoti hogi is tarah ki kahani likhne me.. qki apke lekhni bahut hi saral samjhne yogya aur real life se judi hui hai.. Har ek bat ko bade dhyan se likha gaya hai taaki agar uska knhi aage connection mile to esa na lage wo bat pahle jo likhi gyi wo alag thi aur aaj alag.. jaise aaj ke update me hua.. Maali ki hatya wala scene... pahle hm use kishor ke najriye se dekh chuke hain aur aaj hmne slogan ke najriye se use dekha... kishor ke najriye wala schene turant dimag me ban gya ise padkar.. yahi kabiliyat mujhe apke lekhni ki prasansa krne ke liye majbur kar di aaj..
From My Side : -
Aap isi tarah apni lekhni ke dwara sabhi ka manoranjan karte rahe is bat ki kaamna karti hu.
you are a gem. ap jaise writer bahut hi rare hote hain.. we are glad ki aap is forum par apna keemti samay dekar kahani likh rahe hain. sabhi readers aur forum staff apka abhari rahega.
lakin ek baat abhi bhi khtak rahi H k swati k marne ki khabar kishore ne sudha ko q btayi, kahi kishore to nahi tha qatel sudha kayar sach kaho to slogan ka past jaan kr kafi dukh hoa boht hi sad or emotional story thi kher kr bhi kia sakte hain
wese slogan or atish bhao ki kahani same to same thi farq sirf itna tha k atish k maa k 7 rape HOA tha or slogan k 7 dhoka
is liye slogan kaira k peche para HOA tha ,
lakin ek baat abhi bhi khtak rahi H k swati k marne ki khabar kishore ne sudha ko q btayi, kahi kishore to nahi tha qatel sudha ka
wese to sab kuch clear kr dia tum ne lakin jo dil mai aya wo bol dia
anyway veer ka system upgrade ho gia or us ko point bhi mil gay
lakin ye larki kon thi kahi ye pari to nahi thi?
let's see what happened
Kya yah sach hai?Wo jo ladki pahaad par khadi thi pakka slogan ki beti shweta hogi jo kisi tarah bach gayi hogi aur ab baap ki maut ke baare me jaankar veer se ladne aayegi.
Saare sawaalo ke jawaab milenge NupurSharma@1994 jii! Intezaar karna hoga.Kya yah sach hai?