- 14,259
- 101,061
- 259
Last edited:
Kabhi kabhi to aesa lagta hai werewolf ke updates se bada en logo ka reviews hota haiAksar investigation meetinngs aise hi hold ki jaati hai. Generally case par kaam karne waale log hi rehte hai. But idhar sabhi isliye the because this was a huge case. Sab kuch chorr ke filhaal woh iss gutthi ko suljhaane me lage hue the. Danger ka level hi itna tha.
Yes! Mike told each and every detail about the mansion.
Tommy gussa isliye tha because his friend died man. Chester was hi band member.
Chester hasiya se nahi mara tha. Usse kisi aur strong aur sharp weapon se maara gaya tha. Ab ye disclose nahi kiya hai but you can guess it.
That's what makes him more scary. He looked like a normal person but actually was a serial killer.
Tommy yaha Veer ka mazaak udaa raha tha. Veer ne kaha ki NW seedha ghusa aur maar diya toh Tommy bhi haakne laga ki nahi nahi... Bhoot ne maaara hai. Haha~
Nik ki gaand jali kyuki uski jeb me koi note nahi ghus paaye. He's after money. Wahi Veer ne case solve kiya plus Veer ki Nik se patati. Uski Divya se zyada chalti hai as compared to Nik. I mean Divya ke saath bhi kuch khaas dosti nahi hai par Nik ke comparison me dono dost hi kehlaenge.
Should I tell you the story of NW?
Fine! Bata deta hu. Teenage me jab NW tha toh car me kahi jaate waqt car accident me uske 2 family members maare gaye the. Woh bach gaya tha. Par uss umr me usne pehli baar kisi ke shareer se khoon nikalte hue dekha tha. And guess what? He actually liked it. Yes! There are people like that. Ek baar firse woh khoon ko shareer se behta dekhna chaahta tha. Kese laal rang zameen par fel ke sab kuch laalam laal karta hai. Gaadha laal rang aur khoon ki woh gandh jo naak me padti hai. Paagal sa ho gaya tha woh uske peeche. Isliye usne badi himmat karke apne school me ek classmate ko maara tha. Aur usse maarne ke baad usse maza toh aaya par usse utna maza nahi aaya jitna pehli baar khoon ko dekh ke aaya tha. Fir shuru hua uski hi family ki maut ka safar. Ek ke baad ek usne unn sabko maara. Aur jab dab marr gaye toh talab aur badh gayi maarne ki. Khoon behte dekhne ki... Fir usne ye mansion ka khel shuru kiya. Issi dauraan usne as a technician aur welder ki job bhi kii thi. Metals ka usse knowledge tha. Aur isliye fir ye mansion ka nirmaan hua. Ab ye kese kiya usne ye spoiler hai.
You are not prepared for what's about to come.
Thanks man! Yes! NW ne hi boats ko idhar se udhar kiya tha. Actually jab sabhi log Mansion me aa rahe the tab NW mansion ke baahar tha. Island ki boundary par. Ghane jungle me won chhipa hua tha. Aur jese hi koi aata tha, NW uski boat peeche ki orr shift kar deta tha. Boats ko alternative tareeqe se chaalu karna koi kathin kaam nahi tha uske liye.
Iss se mujhe ek baat yaad aa gayi. Death Kiñg ju ne kaha tha room numbers ka filhaal koi role nahi hai.
Niharika ko laga tha usne baazi maar lii.
Who told you this is the end of the arc?
Bas kar re... Rulaega kya!?
Ju ke liye bhi Bc itna bada revo bhi na patak dena ki reply dene me hi kayi ghante lag jaaye. Poora update me dubki hi maar dete ho bey... Kayi baar lagta hai ki ye mene kab likha? Ju ke kaaran update firse padhna padhta hai. Fir pata lagta hai arre haan bc ye toh likha hai mene. Same goes for Rihanna kya hi detail pakadti hai re.
Thanks a lot man! For a such a detailed and massive revo. I appreciate a lot. It takes efforts to depict the update in your own terms. You guys are awesome. Keep supporting guys!
Update 103 ne hume kuch new things show ki...
Dekh rahe ho Werewolf Sir? Office se time nikal k review likh rahi hu... Extra thank you kehna mujhe...
Like really itni sab bhag daud hone k baad ek chill wala update chahiye tha. You just know at what time which update should be posted.
Ye update a bit different tha... Some new things we came to know.
Like, Purvi's family background. We got to know about Tej. She actually have a photo of Veer which she took it to frame Veer. But instead it became a memory for her. Omg!!!! How cute!!! Tej is cute!!! Very very cute...
I thought she was like a girl with rogue personality.
par aapne wo thinking clear kar di meri... She's cute in her own way. Wo pic dekh k ro rahi h... And remembering Veer... Too emotional... But cute too...
We saw Veer's mum real thoughts there... Okay so she was crying aur wo majboor h... Ok!! Mne Bhavna ko maaf kia... It shows she actually cares for him...
Then we came to know about Arohi and Kavya. To Kavya competition me second place aayi h...
I'm guessi ye wahi dance competition tha? Ok! And pragya won that competition. Am I right? Sahi jaa rahi hu na main?
Hmm... To Arohi show ni karti ye sab... See? I told you! She hides it. But shows everything with her actions. Always my favourite... Uffff! Jese wo blush karti h... She's a beauty with brains. Aur aise hi female characters mujhe bohut pasand aate h...
Suhana k relationship k kuch struggles jaane humne... Gaurav is a total loser. Wife pe dhyan nahi doge to koi aur le jaega paagal... Hehe... Suhana ki second personality.... Mujhe itni zyada hasi aayi thi jab wo shopkeeper se puch rahi thi...
how many punches it can survive?
what a smart way to put comedy...
kitni choti choti detail ko pick kar k aapne comedy ko dikhaya h... Jo ki kafi wakt se missing thi... Too good
and finally the bomb which exploded at the end...
she's here... Ohhh god! She's finally here.... Specifically main Ava ko picture me dekhne k liye bohut time se wait kar rahi thi... Aur seedhe aap usse 100 updates k baad leke aa rahe ho story me...
aisa nahi chalega aage se ...
Also last baat .. your presence of mind... Bohut aage h... Bhavna ne Tej ko Tej hi bulaya... Teju to Veer bulata h usse ... Suhana ne Sonia ko Sonu hi keh k call kia... Mne sab notice kia tha... Bach gye aap galti karne se... Aa hi gayi thi pakad me ye galti... Fir main aapko sunaati acche se... par bach gaye aap...
ab bas... Wapas job pe main ...
bye bye ... Next update me baate hongi... Love your work...
5 updates per day padh raha hu yr esi dedication agar mene apni studies me di hoti to pakke se UPSC to clear kr hi letaAage aao bhai fir dekho kya kya hota hai. Thanks btw!
उफ्फ भाषा पे जू ने इतना ज्ञान पेल दिया ।
Haan toh baat thi ki kyu English ka itna usage hota hai. Sanju bhai ne apni baat rakhi ki Chinese, Korean, Japanese, Russian janta koi bhi English ko itna preference nahi deti. Woh apni bhaasha ko zyada preference dete hai. Jo ki ek sach baat hai. Inn sabhi desho me khud ke desh ki bhaasha ko zyada preference diya jaata hai.
Pehle hum China ki baat karte hai. Ye baat hum jaante hi hai ki China USA ko apna competitor maanta hai. Right? That is one of the reasons why they don't give preference to English. Waha mandarin zyaada chalti hai. Aur chaahe dominos ho, ye pizza hut, ya koi aur company. China me unhone khud aisi companies ke alternatives bana ke waha establish kiye hue hai. Taaki USA based companies ki jeb me unki taraf se paisa na jaa paaye. Tough fight!!!
English waha koi offical language ke roop me nahi jaani jaati. Woh 3rd ya 4th preference hoti hai unki. Also, chinese people think their culture is above all. So they stick to their own comforts. Par aisa bhi nahi hai ki English hai hi nahi waha. If you'll go to stations toh announcements waha mandarin me bhi ki jaegi aur English me bhi. (That explains why English is still the universal language )
Baat karte hai Japanese logo ki... Hiroshima and Nagasaki. Kisne giraaye the bombs yaha par ye toh yaad hi hoga aapko? Of course none other than our dear USA. Jis country ne aap par bombs drop kiye hue ho aap unki language bolne ke liye itne aatur kese ho sakte ho? The hate is still there, even if they don't show it openly. The other reason is that they don't have too many languages. Japanese ke alag alag variations chalte hai waha. Hamaari tarah hazaaro languages nahi hai waha. Desh bhi chota hai woh. Toh apni language se jud ke chalte hai. They are very disciplined and follow their culture well. They will give you a job if you just know how to talk in Japanese rather than knowing English.
Russia aur Korea ki kya baat kare ab. Russia bhi USA ko competitor hi maanta hai. Aur abhi war ke chalte toh aur unke beech mann mutaav badh chuka hai. Jo rann-neeti China ne apnaayi hai. Wahi rann-neeti Russia apna raha hai. Apne culture ko follow karna aur Korea bhi yahi kar raha hai. Udhar toh tanashaahi chalti hai poori. Ek region me. ( )
Ab baat aati hai hamaare Bharat ki... Angrezi ka kaafi puraana rishta raha hai hamaare saath. Britishers ne jab invade kiya toh kya hua tha ye baat sab jaante hi hai. Wo jab ye desh chorr ke gaye toh kaafi cheeze unki aadatein, unka rehen sehen woh sab bhi woh yaha chorr ke gaye the. Train unhi ki den hai hamaare liye. Woh chorr ke gaye the, uske baad humne apne bal boote par sab kuch seekha. Angrezi unme se ek hai.
Hamare bapu ho ya neta jii, sabhi angrezi bolte the. Dushman ko haraane ke liye uski bhaasha aani chahiye. ab woh chale toh gaye, par itne saalo me unhone boht se badlaav laa diye the.
Ruling ke waqt education me fir woh sabhi wo leke aaye. You know it. The ICSE pattern. Jo ki aaj bhi kitna reputed maana jaata hai hamare yaha ye aap jaante hi hai. Education system hamaare yaha ka badal ke rakh diya poora. Sadly, humne wo route nahi apnaaya jo hume apnaana chahiye tha. We sticked to the English.
Aur yahi kaaran hai ki aaj kyu angrezi bolne waale hume cool lagte hai. Jabki aisa nahi hai. Par hamaara youth issi nazariye se dekhta hai. Jiska ek aur kaaran hai, woh hai ~ fake secularism. Secular ke naam par ye chudaan felaaye rehte hai.
Aap kabhi south me gaye hai Sanju bhai? Kabhi tamil nadu side jaaiyega. Udhar ka aadmi aapko English me jawaab de dega, ya tamil, telegu me. Par Hindi me nahi dega. Ye sawaal unse karna aap. Hamaare apne hi desh me jab poori janta hindi bolne wali nahi hai toh kya kar sakte hai hum? Woh bolenge ki tum log Tamil bolo. Hum kyu Hindi bole? Desh me hazaaro bhashaaye hai hamare bharat me. Jis kaaran se ye complications arise hote hai. Yadi japan jesa yaha hota toh no doubt hindi hi sirf aaj bol rahe hote hum sabhi.
Par angrez ne jo colonise kiya tha, English ab hamaari second preference toh hai hi, par first preference par bhi aati jaa rahi hai. Western culture ka itna bhoot sawaar hai youth pe. Koi bhi social media khol lijiye. Captions me aapko Hinglish dekhne ko milegi. Likhte toh hum Hindi hai, par fonts English me hi hote hai. Ya fir completely English.
Yahi story ko le lijiye. Aisa kyu hai? Kyuki iski aadat lag chuki hai hume aur saath hi ye bhi ki angrezi hamaare liye zaroori bhi hai. Aap sirf hindi bol ke koi IT sector me ek job interview dena. Woh hire nahi karenge. It's the sad truth. Hence the reason why we must know English. It's our compulsion.
Ab boht ho gaya. Khatam karte hai yaha.
स्वतंत्रता दिवस की शुभकामनाए।। आप सभी को।।
हद्द है, मुझे ....सच मे ....जरा भी इस तरफ ध्यान नही गया ।Aelaa...
Mujhe taajub ho raha hai ki koi bhi Natalia ko pehchaan nahi paaya? Wtf!? Apun ko toh laga tha sab pehchaan gaye honge par jiske bhi comments dekhe koi bhi pehchaan nahi paaya hai. Abe bhul gaye kya ju log? Death Kiñg hi ekmaatr sahara hai. Rihanna ju bhi pehchaan gayi hogi I think...
Awesome Updateee. Maza aagaya padhke.Update - 103 ~ A Day to Breathe Out
Ab tak...
Suhana : You fuckiinngggg know something... Tell me what the fuck you are hiding? Huh? Bolo! Kya chhupa rahi ho mujhse?
Divya : Urgghh! Jaan'na hai tumhe? Fine then!!! Ye lo!!! Tumhe yaad hai na kis liye bulaaya tha mene tumhe? Ye lo fir...
Kehte hue usne ek card feka jo seedha Suhana ke muh pe land kiya,
Haatho me pakad jab usne uss card ko dekha toh woh hairaani ke maare hil ke reh gayi,
"Whaaaaaaattttttttttttt!!!????"
Ab aage...
Mumbai...
Purvi's Home...
Morning ~ 8:32 AM
*Klink*
"Ye lo beta, chai!"
Saucer plate par chai se bhara cup rakhte hue Purvi ne kaha.
Saamne sofe par baithi hui thi Tej, aur uske hi bagal se virajmaan thi, Bhavna.
Uss din ke baad se, Purvi ne dono Maa beti ko hotel se check out karwa ke apne ghar me thehra liya tha.
Purvi ke pati wahi Mumbai me hi sthit ek sarkaari school ke principal the. Unn dono ki ek santaan bhi hai. Ek beta, jiska naam Tushar hai. Tushar Veer se keval ek saal hi chota hai aur woh medical ki padhayi hetu AIIMS me Delhi me shift ho chuka hai.
Usne fir ek cup chai ka Bhavna ki saucer plate par rakha, aur fir tray me se ek cup apne liye uthaate hue wahi dining table ki ek chair par baith gayi.
Purvi : Kuch pata laga kya fir?
Uske iss sawaal se Bhavna hairat me uski orr dekhi. Ye kya puch rahi thi woh? Bagal me Tej baithi hui thi. Fir bhi aisa sawaal? Purvi ka sawaal Veer ki khoj ke liye tha. Aur usne Tej ke saamne hi ye prashn puch liya. Zaahir tha ki Bhavna usse ajeeb nazro se dekhe,
Purvi (baat sambhaalte hue) : Ahh! Mera matlab tha ki, kuch pata laga kya kaam ke baare me? Tumne kaha tha na ki kaam chorr ke yaha par aayi ho tum. Toh koi dikkat toh nahi yadi tum yaha kuch aur din ruk jao toh?
Bhavna : R-Right! Nahi! Filhaal aisi koi pareshaani nahi hai.
Purvi (nakli hassi lete hue) : Ahahaha~ Okay!
Bhavna (awkwardly) : Hmm!
*Silence*
Dono ka yeh nakli naatak khatam hua aur ek ajeeb sii shaanti phel gayi kamre me.
Unhe laga ki akhir kaar woh Tejal se baat chhupaane me qamyaab ho gayi par...
Tej : 2 points for your acting.
Purvi : Huhh???
Bhavna : ???
Woh dono usse stabdh nazro se dekhi,
Tej : I said two points for your acting. Ye naatak khatam kar dijiye Mom, Aur maasi aap bhi. Aap dono ki hi acting bilkul bhi nahi jach rahi hai.
*Shwwwwooooooppppp*
Usne chai ki chuski lete hue kaha,
Tej : By the way, Chai acchi hai.
Purvi : T-Tej beta!
Bhavna : Tej! Tum...
Tej (dono ko dekhte hue) : Hmm! Sab pata hai mujhe. Wahi baat jo aap mujhse itne saalo se chhipaate aa rahi thi. Sab jaanti hu mein. I know ki mera ek saga chota bhai bhi hai. Aur woh bhi issi sheher me.
*Silence*
Purvi ka toh pata nahi, par Bhavna ko zaroor 440 volt ka jhatka laga tha. Jis raaz ko woh barso se chhipaate aayi, woh uske bina pata lage hi khul chuka tha?
Purvi (frowns) : Bhavna...!
Bhavna ne ek lambi saas lii aur chai ka cup waapas table par rakh diya,
Bhavna : K-Kab? Kab pata chala tumhe ye?
Raaz par se ab parda chuki khul hi chuka tha toh usse bekaar me firse dhaakne ki koi zaroorat nahi thi. Isliye, Bhavna ne shaanti se sawaal kiya,
Tej : Last year!
Bhavna : ????
Tej : Jab aap aur mein Rajasthan me the. Site par...
Tej ki nazre neeche jhuki hui thi. Jese maano woh ateet ko yaad kar rahi thi. Woh lamha jab usse apne bhai ke astitv ke baare me pehli baar pata chala tha.
Bhavna : Rajasthan me? T-Tab kese!? Mein toh...
Tej : Survey ki ek raat... Jab aap apne camp me thi...
Bhavna : Huh!!!
Tej : Mein aapse baat karne ke liye aa rahi thi. Par, jab tak aapke camp tak pohuchi, mene dekha ki...
Bhavna : !!??
Tej : Aap ro rahi thi. Seene se aap ek bacche ke chote se kapde ko bheenche hue thi. Haatho me ek photograph thi aapke. Aur, Mujhe yaad hai aapke woh bol. "Mera baccha!" "Kesa hoga tu ab?" "Dekh! Teri Maa kese tadap rahi hai yaha." "Kya tujhe yaad nahi aa rahi apni Maa ki?" "Tujhe pata bhi hai tere bina kese jee rahi hu mein?" "Par mein majboor hu mere laal. Mein majboor hu."
Bhavna achambhav me Tej ki saari baatein sunn rahi thi. Usse yaad aaya ki usne sach me uss raat yahi vaakya bole the. Toh kya Tej ne woh sab sunn liya tha?
Par yaha Tej aur Bhavna dono hi nahi jaante the ki jab woh Rajasthan se waapsi kar rahe the. Uss raat hi...
Tej toh apni birth par so chuki thi. Uss raat hi Bhavna apne bete Veer se mili thi. Jiske baare me usse pata bhi nahi tha. Ye wahi pal tha, jab Veer Suhana aur Sonia ki mom ki anguthi waale chor ko pakadne train par sawaar hoke Rajasthan aaya tha. Aur jaipur ke station se baith ke woh Suman, Aabha aur Sonali ko Mumbai leke jaa raha tha jab,
Ek aurat dusre platform par alag train me baithe paani ki bottle ke liye request kar rahi thi. Ye Bhavna hi toh thi. Jo survey ke baad se apne ghar laut rahi thi.
Par na hi Tej aur na hi Bhavna ye baat jaanti thi ki unke raaste aapas me iss tarah bhi mil chuke hai.
Bhavna khamosh reh gayi. Kya kehti ab? Sab kuch toh saamne tha.
Purvi (sighs) : Ek na ek din toh ye hona hi tha. Balki mujhe toh khushi hai ki akhir kaar Tej beta tumhe iss baat ka pata chala. Warna tumhari ye Maa na jaane kab tak ye raaz chhipaati rehti.
Bhavna : Tej mein...
Woh kehne ke liye daayi orr mudi par apne saamne usne jo dekha woh dekh ke Bhavna dang reh gayi,
Tej ki aankho se aasu beh rahe the. Kab dekha tha usne apni nidar beti ko iss tarah naino se paani ki boonde bahaate hue? Shayad Bhavna ko yaad bhi na hoga ki akhiri baar usne kab Tej ko iss qadar rote dekha tha. Par aaj...
Aaj woh ro rahi thi. Woh jaanti thi ki uski beti Tej ko zara bhi pasand nahi tha ki koi usse rota hua dekhe. Aur aaj toh...
Woh na keval uske saamne, balki apni maasi Purvi ke bhi saamne ro rahi thi. Ye ishaara tha ki uski peeda kitni zyaada thi.
Tej : K-Kyu?? Kyu kiya aapne aisa?
Bhavna ki khud ki aankho se anayas hi aasu nikal pade.
Bhavna : Beta...!!!
Tej : Kuch puch rahi hu mein... *sniff* Huh? Boliye! Kyu kiya aapne aisa?
Purvi : Tej! Meri baat suno, mein bataati hu...
Par iske pehle ki Purvi apni baat poori rakh paati, Tej apni jagah se uthi aur,
Tej : WOH SIRF AAPKA BETA HI NAHI HAI!!!!! WOH MERA SAGA BHAI BHI HAI!!!!!
Woh itni zorr se chillaayi ki waha baithi Purvi bhi avak reh gayi.
Tej : Kya soch ke aapne mujhse ye sach chhupaaya tha??? Haaaaannn??? Tell meee!!!!! Aapki himmat kese hui mujhse mere hi bhai ka astistv chhupaane ki???? Boliyeeee!!!!
Bhavna ki aankho se aasuo ki dharaaye behna shuru ho chuki thi. Aur uska shareer kaanpne laga,
Purvi ne jese hi ye dekha woh agle hi pal aage badh Bhavna ko thaam ke uske bagal se baith gayi.
Purvi (frowns) : Tej! Meri baat suno...
Tej ne apni maa ki haalat jab dekhi toh usse bhi ye ehsaas hua ki woh kuch zyaada hi bol gayi thi. Agle hi shan woh waha se palti aur apne kamre me jaake,
*THUUUUUDDDDDD*
Usne zorr se darwaaza band kar liya,
Purvi : Teeeeeejjjj!!!!
Purvi ne usse pukaara par, Bhavna ne uska haath thaam liya.
Bhavna : Rehne do Purvi! Rehne do! Usse akela rehne do thodi derr! Mein hi ek acchi Maa na bann saki. Isme uss bechaari ka koi dosh nahi... *sniff* koi dosh nahi!!!
Purvi (frowns) : Bhavna....!!!
Idhar kamre ke andar Tej darwaaze se tike zorr zorr se ro rahi thi. Na jaane kab iske pehle woh iss tarah royi thi. Usse khud bhi yaad nahi tha.
Woh itni kamzor toh nahi thi. Fir kyu? Harr baar jab bhi baat uske bichhde bhai se sambandhit aati thi toh kyu woh iss tarah toot sii jaati thi? Itni kamzor pad jaati thi? Woh toh mili bhi nahi thi uss se theek se.
Khud ke bhaar ko bed par patakte hue usne apna phone khola aur saamne screen par ek tasveer dekh, uske aasu aur zorr se behne lage,
'Kyuuu??? Aisa mere saath hi kyu hota hai??? And why it had to be you?? Do you have any idea that your Mom and big sis exists too?'
Siski bharte hue usne screen par komalta se haath ferra.
Screen par ek image maujood thi. Aur ye kisi aur ki nahi balki Veer ki hi thi.
Ye photo Tej ne apne phone se tab lii thi jab Egypt ke survey me Veer underground site me waha rakhe gupt samaan ko haath laga raha tha.
Ittefaaq se Tej ne usse tab dekh liya tha. Aur fauran hi usne apna phone nikaal ke ye photo click kar lii thi, ye soch ke ki baad me woh usse chori ke maamle me range haath pakad legi.
Par... Par ye photo dhari ki dhari reh gayi. Kyuki Veer ne uss samaan ko chhuune ke baad usse wese hi chorr diya tha. Usne kuch bhi nahi churaaya tha.
Lekin kisne socha tha ki Tej apni kheechi gayi iss tasveer ko aaj iss qadar apne seene se laga ke roegi? Usne khud bhi ye nahi socha tha kabhi.
'Vikram... Huh...!!?? Mein tumhe dhoondh ke rahungi. Chaahe kuch bhi ho jaaye.'
Woh khud se bol wahi laiti rahi. Na jaane kya chal raha tha uske mann me.
***
Idhar Mumbai me hi, Veer ke puraane ghar me Arohi aur Kavya apni baato me lagi hui thi.
Kavya bed par laiti ceiling ki orr apne dono haath felaaye apni shikaayate jata rahi thi, aur wahi Arohi Kavya ke college ka work kar rahi thi.
Kavya : Uggghhh!!! Agli baar ka competition mein hi jeetungi dekhna aap.
Arohi : Tum jeet jaati, agar woh Pragya participate nahi kari hoti toh.
Kavya : Wahi!!!! Hehehehe~ Par apne last year ke baad wo college toh leave kar hi dengi. Tab mein apne last year me finally first place le sakungi.
Arohi : Stupid! Abhi hi haraane ki koshish kyu nahi karti tum?
Kavya : Because she's better than me.
Arohi : Excuses...!
Kavya : Noooooo ~ Mene sach kaha. Lekin woh sab chorriye. Ye Veer bhaiya kab foreign se lautenge? Kuch bataaya kya aapko?
Arohi ne Kavya ke sawaal par sarr naa me hila diya,
Kavya : Uggghhhh!!! Ye Veer bhaiya bhi na. Harr baar bina bataaye lambi trips par nikal jaate hai. Hmph~ I hate him.
Arohi : Accha? Kuch din pehle woh kaun tha jo apne necklace ko baar baar dekh ke "I love you Veer bhaiya" chillaa raha tha? I guess koi toh tha. Hmm....!? Par kaun?
Kavya (blushes) : Ahhhh!!! W-Wo toh mein aise hi bas... Wait!!! Aap bhi toh... Aap bhi toh jaan boojh ke baar baar apne baalo ko kaan ke peeche karti ho na? Uss din bhi Kritika ke saamne jaan bujh ke aapne kiya tha taaki woh aapse aapki kaan ki baaliyo ke baare me puche. Jo ki usne pucha bhi tha. Weren't you showing off dii???
Arohi (blushes) : Wh-Whaatttt???
Woh achanak hi jhep sii gayi,
Arohi (blushes) : Wh-Whaaat rubbish!!!???
Kavya : Mujhse jhooth nahi bol sakti aap. Choti behan hu aapki. Sab pata hai mujhe. Mein toh atleast... Atleast... *blushes* openly sab kuch karti hu. Par aap toh... Sabse chhipte hue show off karti ho.
Arohi (blushes) : Y-Youuuu!!!! Jao nahi bana rahi mein tumhari ye drawing vrawing... Stupid!!!
Kavya : Kyaaaaaaa???? Ab aap... Ab aap uska gussa meri drawing par nikaalogi?
Arohi : It's your college work. Make it by your own.
Kavya : Par aap jaanti ho ki aapki drawing mujhse acchi hai.
Arohi : Haan toh ye abhi abhi kahe gaye shabdo ko bolne se pehle dhyaan me rakhna tha.
Kavya : Uggghhhhh!! Sorry na...!
Jab Arohi ne apni choti behan ki rondu shaqal dekhi toh ek lambi aah chorr woh waapas se uske kaam me lag gayi.
Arohi (sighs) : Fine!
Kavya : Ehehehehe~ I know! You are the best!
Arohi (khuspusaate hue) : Stupid....!
Kehte hue uska haath apne aap anayaas hi baalo ko kaan ke peeche karne ke liye chala gaya aur...
Uske kaan ki baaliya uski ungli se jaa takraayi. Jo sharm usne chhipa lii thi, agle hi shan gaalo ki wahi laali aur bhi badh gayi.
'Stupid...!'
Firse uske andar se awaaz aayi. Par iss baar keval mann me, aur kisi aur ke liye...
***
Las Vegas...
Forum shops at caesars...
Evening ~ 5:46 PM
Shaam ka samay ho raha tha. Mausam bhi haseen tha. Kul milaake ghoomne firrne ke liye ek perfect time.
Aur Aaj Veer aur Suhana wahi karne nikle the.
Itne dino se jo kuch bhi magazmaari unhone jheli thi, uss se baahar nikaalne ke liye ek breather lena zaroori tha.
Aur shopping se behtar aur kya hi ho sakta tha. Ek kaaran aur bhi tha shopping karne ka. Jo ki Divya ke dwaara dikhaaye gaye uss card me maujood tha.
Suhana aur Veer Divya ki ek dusri car leke khud hi yaha aaye hue the. Chuki investigation department me filhaal abhi koi kaam nahi tha unhe, aur saath hi teesre criminal ko lekar koi details nahi mil paayi thi, toh dono hi shoppi ke liye aa gaye.
Forum shops at caesars. Jo ki Vegas ki best jagah thi khareed-dari ke liye. Wese toh aur bhi behad acchi acchi jagah thi waha par ye sabse mashoor, aur ek must visit place thi.
Suhana hi gaadi chala rahi thi aur Veer baitha hua tha uske bagal se. Aur kuch hi derr me woh jagah ke saamne the.
Suhana : Hum pohuch gaye.
Veer : Hmm? Ohh! Ye jagah kaafi...
Veer ne dur se hi jagah ko dekhte hue kaha,
Suhana : Badi hai?
Veer : Hmm! Saath hi mehngi bhi lag rahi hai.
Suhana : Of course mehngi hai. Sabse mehngi hai ye shopping ke liye. One of the finest places to shop. Last time mein aayi thi toh kaafi kuch khareeda tha mene.
Veer : I see! Toh aap pehle yaha aa chuki hai?
Suhana : Of course! Now come! Be quick! Let's go!
Woh dono hi baahar nikle, aur entrance par pohuche.
Entrance dekhte hi Veer vismit sa hoke wahi sthir khada reh gaya.
Aur uske muh se apne aap hi nikal gaya,
"W-Woooowwww!!!"
Suhana (smiles) : Looks nice right?
Veer : It's actually amazing!
Suhana : Haha~ Let's go! Hamaare paas zyada waqt nahi hai. 8 baje tak hume waha bhi pohuchna hai.
Veer ne haami bhari. Aur woh dono andar chal diye. Andar brands ke showrooms aise maujood the jese chaupaati me alag alag khaane ke thele lage ho.
Aur brands bhi aise aise ki jinka sirf naam hi kaafi tha apni value bataane ke liye.
Gucci, H & M, versace, na jaane kya kya...
Aisi aisi brands maujood thi jo Veer apne desh me shayad hi kisi mall me mushqil se dekh paata tha.
Veer : This...
Suhana : Ye kuch bhi nahi hai. Aao andar chale.
Abhi woh aage badhe hi the ki usse wahi thehrna pada,
*Ring* *Ring*
Suhana ka phone baj utha.
Aur screen par naam tha,
Gaurav!!!!
Apni bauhe sikodte hue woh screen ko dekhi aur fir Veer ko,
Suhana : Umm?!! Give me a second okay?
Veer : Sure!!!
Aur idhar woh thoda distance lete hue aage aayi aur baat karne lagi,
Suhana : Hello??
Gaurav : Tum lauti nahi abhi tak? Aur kya baat hai? Itni busy ho gayi apni dost ke saath ki ek phone tak nahi kiya apne husband ko?
Bas! Ye jese akhiri shabd the jo Suhana abhi iss waqt sunn'na chaahti thi. Gaand ghis ghis ke kese woh log yaha kuch din survive kiye hai unn criminals ke beech me, ye baat keval wahi jaante the. Aur yaha uska pati ye soch raha tha ki woh yaha mazze kar rahi hai.
Pal bhar ke liye Suhana ke muh me gaali aayi thi. Lekin usne apne aap ko control kar liya,
Suhana : What do you mean? Mein yaha koi enjoy karne nahi aayi hu Gaurav! I'm here for work.
Gaurav : Accha? Haha! Arre bhai aisa kya work aa gaya?
Suhana (lambi saans chorrte hue) : Dekho! Mein abhi busy hu. Hum baad me baat karenge.
Gaurav : Busy? Bhala kis liye? Aisa kya ho raha hai waha? Aur zara apni friend Divya se toh baat karao. Kaafi samay se uss se baat nahi hui hai.
Suhana (mann me) : This... This idiot...
Suhana : Gaurav!!! Woh yaha nahi hai. Okay? Ab mein rakh rahi hu.
Gaurav : Nahi hai? Toh tum kaha ho?
Suhana : Mein shopping ke liye aayi hu.
Gaurav : Akele?
Suhana : Nahi! Veer hai saath me.
Gaurav : Veer? Kaun Veer?
Suhana : Huh? Mene tumhe bataya tha na? Veer! Sonu se jiski pehchaan hai? Uski car se jiska accident hua tha? Kuch yaad aaya?
Gaurav : Huh? Ohhhhh! Woh!!?? Haan!!! Ek minute!!! Toh tum uske saath waha kya kar rahi ho?
Suhana : What? Aane se pehle bataya toh tha ki ek friend ke saath jaa rahi hu mein Vegas.
Gaurav : What the hell Suhana? Woh kaha se tumhara friend ban gaya? Aur tumne ye toh nahi bataya tha mujhe ki tum uske saath jaa rahi ho. Matlab tum jabse ek anjaan ladke ke saath....
Suhana : Gauraavvv!!!! Tumhe meri baate sunn'ne ke liye waqt rahe tab toh jaanoge na.
Gaurav : Tum...
Suhana : Tumhe bataane waali thi. Par tumhara toh dhyaan hi nahi tha meri baato par. Jab tumse kaha ki mein jaa rahi hu. Your response was ~ "Yeah yeah! Go!"
Gaurav : Woh isliye kyuki mein meeting me tha Suhana.
Suhana : I don't care Gaurav!!! I don't care!
Gaurav : Youuuu!!!!
Suhana : Aur ab tum free hue ho toh ab yaad aayi meri? Socha ki ab apni patni se do chaar baate toh kar lu uska dil behlaane ke liye,
Gaurav : Tum jaanti ho mein busy tha...
Suhana : Aur mein toh paagalo ki tarah yaha gaand ghis rahi hu na?
Gaurav Suhana ke muh se abhadr shabd sunte hi thoda jhep gaya. Aisa nahi tha ki woh pehli baar uske muh se gaali sunn raha tha. Par bas baat ye thi ki Suhana tabhi aisi bhaasha ka prayog karti thi jab woh behad hi gusse me hoti thi.
Gaurav : Suhana...!
Suhana : Gaurav!! Mein abhi bilkul bhi mood me nahi hu kuch bhi baat karne ke liye. I'm here to freshen up myself a bit. So leave me alone. Is that clear?
Gaurav : Suhana tum...
Par iss se pehle ki woh kuch keh paata,
*Call ends*
Phone cut ho chuka tha.
Mann me gaaliya liye Suhana peeche ko aayi. Usme dekha ki Veer ek statue ko nihaar raha tha.
Gussa shaant kar woh Veer ke paas gayi aur uss se chalne ke liye boli,
Veer : Ho gayi baat?
Suhana : Y-Yeah! Chalo!
Veer : Hmm? Sab theek toh hai na?
Uski sawaal par Suhana ne Veer ko shan bhar ke liye dekha aur fir haan me sarr hila diya.
Veer : Aisa laga ki aap pareshaan ho. So I just... You know...
Veer ka bas itna kehna hi tha ki,
Suhana : Arrrghhh!!! Fucking hell!!!!! What does he think of himself?????? Am I his servant or whaaaattttt???? That stupid idiotic rat.... Aaarrrghhhh!!!!!
Veer : E-Ehhhhh!!??
Uska ye roop dekh Veer ko PTSD sa mehsoos ho raha tha.
'Ohhh fuccckkkkk!!! Y-Ye inhe kya hua?'
[Seems like Suhana ki dusri personality trigger ho rahi hai Master!]
'F-Fuuuccckkkkkk!!! Wait!!! Woh aise kyu dekh rahi hai mujhe? Shittttt!!!! That's scary!!!!'
Suhana ajeeb sii muskaan liye Veer ka haath pakdi aur usse ghaseetate hue andar le gayi,
'Ohhhh fuuuucckkkkk!!!!'
[ ]
Woh jese hi ek shop me ghusi,
Uska gussa saatve aasmaan par tha.
Shop me maujood employee uske paas aaya aur vinamrata se pucha,
Employee : Yes! Ma'am! What can I do for you?
Suhana ne apni ek ungli peeche uss employee ki orr point kii,
Suhana : That!!!!
Toh peeche jab Employee ne dekha toh paaya ki ek bada sa teddy waha latka hua tha.
Employee : Ohhh that? Haha~ That will cost you for...
Suhana : Bring me that!!!!
Employee : Huh? O-Okay!!!
Woh employee waha se teddy nikaal ke uske paas laaya,
Employee : Ma'am! This is created by our finest of craftsmen. The quality of the fur is...
Suhana : How durable is this?
Employee : Huh???
Suhana : How much punches it can survive?
Employee : Wh-Whaaattttt???
'Ohhhhh fuccckkk!!!!! Fuck fuck fuck....!!!!'
Idhar Veer Suhana ke peeche khade hoke jab sab dekh raha tha toh bechaare ke shareer me raungte khade ho gaye the.
Suhana ki dusri personality baahar aa chuki thi. She was pissed. Definitely pissed.
Woh ek teddy maang rahi thi. Jaha employee usse ye samjha raha tha ki teddy ka fur acchi quality ka tha toh Suhana ko inn sab baato se matlab hi nahi tha.
Woh toh ye puch rahi thi ki ye teddy kitne ghoose seh sakta tha? Zara sochiye ki aap ki ek gift ki dukaan hai. Aur koi khubsoorat lady aapke paas aake aap se puche ki aapki shop ka teddy kitne ghoose le sakta hai? Toh aapka muh kesa hoga?
Kuch aise hi bhaav abhi uss employee ke chehre par the.
Par iske pehle ki woh kuch keh paata,
Veer : We're leaving!!! Thank you for your time!!!!
'Fuuuuckkkkk!!!!'
Veer ne Suhana ke haath ko thaama aur usse kheech ke baahar le aaya.
Usne usse ek bench par wahi baithaaya aur uska gussa shaant karne ke liye woh chal diya wahi par lagi ek ice cream ki badi sii shop me,
Par jese hi woh aage aaya, saamne ka nazaara dekh ke hi woh chaka chaundh reh gaya.
Kya khubsoorti thi iss jagah ki.
Yadi mall ho toh aisa...
[Ek din aapke paas iss se bhi accha mall hoga. A much bigger one!]
'Pari...!!!'
Kuch bhi ho jaaye, Pari kabhi bhi motivation dena band nahi karti thi.
Veer dekh raha tha unn jagaho ko,
Kya khoob tareeqe se statues ka istemaal kiya gaya tha.
'Hmmm? Wese idea bura nahi hai. Yadi inn statues me hamaare desh ke shurveero ki aakriti rahe toh?'
[That's a nice idea Master! Isse sticky note me add kijiye. Hum apna khud ka mall banaenge iss theme par. I'll support you... Always! ]
'Hahahaha~ We still have a long way to go. By the way mere points ka kya? Itne kam points Nightwalker ke mission ke liye kyu?'
[Mene bataya tha na master. Mission jitne acche tareeqe se poora hoga, points uss hisaab se milenge.]
'Toh mene iss baar kya galti kar dii?'
[3 people died.]
'Ohhhhhh!!!'
[Mil gaya answer?]
'Yup Anyways! Let's go!!!'
Usne ice cream khareedi, aur Suhana ke paas leke gaya. Aur waqai, Suhana ka gussa kuch hadd tak shaant ho chuka tha.
Suhana ne na keval khud dherr saari shoping kii balki Veer ke liye bhi usne kaafi kuch khareed ke usse dilwaaya.
Khaaskar ek accha sa suit, jisse Veer ne pehen ke wahi change kar liya tha. Aur usne khud bhi ek khubsoorat sii dress pehni hui thi.
Kyuki unhe yaha se ab jaana tha apni doosri manzil ki orr,
*Thud*
Car ka darwaaza band hua,
Suhana : Chale?
Veer : Hmm!!!
Aur woh dono hi waha se nikal gaye,
Downtown ki orr. Kyuki yahi unki manzil thi.
Akhir issi ke liye toh woh shopping karne bhi aaye the. Divya ne jo kal card Suhana ko fek ke diya tha, uske sang ek flyer bhi tha.
Jo tha...
Aur akhir me jo card usne feka tha Suhana ke muh pe woh tha, ek invitation card.
Aur, Invitation tha...
Natalia Martin ka...
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
This update was to tone down the gritty and intense situation, as the name suggests. Next update me aap jaante hi hai ki kis se mulaqaat hone waali hai hamaari. Toh like thokne ka aur revos rakhne ka guys.
Dhanyavaad!
Shaandaar....Jabardast....ZindabadUpdate - 102 ~ Exposed (2)
Ab tak...
Veer : I have decoded everything!!!
Tommy : Okay! Tell us!
Veer ne haami bhar seedhe ek picture dikhaayi projector ke jisse dekh waha baithe sabke maatho par silvatein confusion ke maare aa padi,
Tommy apni jagah se uth khada hua,
Tommy : Are you kidding me??? Is this a joke?
Par Veer ne usse koi jawaab na diya.
Ab aage...
Investigation Department ~
Vegas ke iss department me, department ke Head Nolan, athwa waha kaam karne wale sabhi pramukh sadasya, sab ke sab waha maujood the aur apni apni jagah par baithe hue the. Beech me hi ek behad badi sii round table rakhi hui thi, jis par kuch files bikhri hui thi aur unke liye paani ki kuch personal bottles bhi rakhi hui thi.
Nik, Divya aur Suhana jo department ka hissa nahi the, woh bhi unhi sab ke beech baithe the. Aur keval yahi nahi, viraajmaan logo me hi Emma, Tommy aur Zoey bhi saath thi.
Aur unn sab ke saamne projector ke paas khada hua tha...
Veer!!!
Jiski nazre waha baithi tamaam janta par tiki hui thi. Aur unki Veer par.
Nightwalker ke mansion ka poore chapter ko ek full stop lag chuka tha. Par House of the Killers ko nahi. Saath hi Nightwalker ka sach baahar aana baaki tha abhi. Aur issi ke liye Veer yaha tha. Usne na sirf Nightwalker ko pakda tha balki mansion aur Nightwalker se jude sabhi raaz bhi haasil kar liye the.
Ab samay tha, unn sabhi raazo ko ek-ek kar ke kholne ka aur logo ke saamne laane ka...
Divya kursi par baithe Veer par hi nigaahein gadaayi hui thi.
Toh wahi Suhana bhi Veer ko jigyasa bhari nazro se dekh rahi thi.
Aur fir Veer ne khamoshi todi,
Veer : I'm here to disclose all the secrets that I've found.
Nolan (nods) : Go on!
Veer : We all know what happened with us, right?
Mansion ki poori ghatna Mike ne apni zubaani me department ko suna dii thi. Sab ye jaan gaye the waha maut ka kesa nanga naach khela gaya tha. Kitni hi khatarnaak sthiti rahi hogi waha par.
Veer ke sawaal par sabhi ne waha sarr haan me hilaaya.
Par Tommy jo kaanp raha tha woh rote hue achanak hi khada hoke chillaane laga,
Tommy : Fucking hang that motherfucking bastard... *sniff* Aaarrrghhhhhh!!! I will kill him. He killed Chester, my buddy... *sniff* What will I say to his parents? *sniff* I'm screwed... *sniff*
Woh ekdum se bekaabu ho utha, uska emotional breakdown ho gaya achanak. Mike jo uske bagal se baitha tha usne Tommy ko pakad uski peeth par haath ferr usse shaant karaaya aur kuch seconds ke baad jab shaanti fir se chhaa gayi toh Veer ne punah apni baatein rakhi,
Veer : Chester was killed brutally.
Tommy : *sniff* *sniff*
Mike : But it's not possible to do a kill like that with just a mere sickle Veer.
Veer : He might have used some other weapon, Senior Mike.
Mike : That... I see. It's possible!
Nolan : Hmm! We will look into that later. Our team and forensic ones can take care of those things. You tell us what information you acheived about Nightwalker? How did Chester died when the room was locked from the inside? And how did you find the treasure?
Nolan ke sawaal se sabhi ki nazre ek baar fir Veer par tik gayi. Veer ne aisa namumkin kaam jo kar dikhaya tha. Usne ye bhi pata laga liya tha ki kese Chester room ke andar maara gaya tha, kaha aur kese usse treasure jo ki 10 million dollars ki worth ka tha woh mila, Nightwalker kyu aur kese inn kaamo ko anjaam de raha tha ye bhi. Aur na jaane kya kya usse maalum tha jiske liye shayad waha baithe log taiyaar bhi nahi the.
Nightwalker bhi pakda jaa chuka tha. Investigation department waale usse saath hi lekar aaye the. Aur ab woh police ki custody me tha. Uska asli chehra bhi saamne aa chuka tha jaha dikhne me woh bilkul hi ek normal insaan ki hi tarah tha. Koi bhi dekh ke ye nahi bata sakta tha ki woh itna bada khoonkhaar hatyaara tha. Shayad sahi kehte hai log,
Never judge a book by its cover.
Veer ne Nolan ko dekha aur pucha,
Veer : What do you want to know first?
Nolan : Tell me, how he got killed when the door was locked from the inside??
Veer ne ek lambi saans lii aur badi hi asaani se jawaab diya,
Veer : It's simple! Nightwalker came inside, killed Chester and went outside.
*Silence*
Log waha aise ho gaye jese unhe saanp soongh gaya. Kya kaha Veer ne abhi abhi? Nightwalker andar kamre me aaya, Chester ko maara, aur fir waapas nikal gaya? Huh? Mazaak chal raha tha kya? Veer pagla gaya tha kya? Woh sabhi Veer ko aise dekhne lage jese saamne khade kisi namoone ko dekh rahe ho.
Aur sabse pehle toh Tommy hi behka,
Tommy : No No No No!!! Let me tell you the truth. Chester was killed by a ghost guys. You know... Ghost can travel through the walls. Yup! That's it guys. This guy, Veer is just trolling everyone. Hahahaha~
Wo hassa aur akasmaat hi,
Tommy : YOU FUCKERRR!!! DO YOU HAVE ANY IDEA WHAT THE HELL YOU ARE SPOUTING??? WE ARE HERE TO HEAR THE SECRET HOW THAT MOTHERFUCKER KILLED MY FRIEND, NOT TO HEAR YOU TALKING BULLSHIT. IF YOU SPEND ONE MORE SEC DOING THAT, I'M TELLING YOU, I'M GONNA BEAT THE SHIT OUTTA YOU... YOU... Ughhhh!!
Iss se pehle ki woh uth ke apna gussa Veer pe nikaal paata, Mike ne usse pakad waapas se seat par patak ke baitha diya.
Mike : Calm down! And behave properly, this ain't your home.
Sab Tommy ko ghoorne lage aur harr ek ki aankhein apne upar paa kar Tommy ko na chaahte hue bhi shaant hona pada.
Nolan : Explain properly!
Veer : It's just as I said. He came inside, killed Chester, and went outside.
Aur Nik jo wahi baitha hua tha usse jese mauka mil gaya, Veer ki sabke saamne dhone ka,
Nik : Hah~ Bullshit! How can someone just come inside without opening the door? There is only one way to enter the room. No one can enter that room without opening the door. Mike told us everything after all. Sir, He is just wasting our time. I bet he didn't find anything--
Nik Nolan ki taraf jhukte hue bola. Uski baat sahi bhi thi. Bina kamre ko khole andar jaaya hi nahi jaa sakta tha. Kyuki ek hi raasta tha bas andar jaane ka. Mike ne bataya tha sabhi ko ki kahi koi bhi secret passage nahi tha. Toh Chester ka yu marr jaana? Woh bhi Nightwalker ka andar aake maarna? Namumkin tha ye poori tarah se.
Par...
Veer : When did I say he didn't open the door?
Nik : Huhhh??
Nik hairaani me Veer ki orr dekha.
Veer : He opened the door, went inside, killed Chester, and came outside. Simple!
Ab toh waha baithi Divya ki bhi bauhe sikudne lagi thi confusion ke maare. Yaha tak ki Mike bhi thoda chintit nazar aa raha tha. Kahi Nolan Veer ko lataad na de.
Veer ka kehna tha ki Nightwalker ne darwaza khola, andar gaya aur Chester ko maar ke waapas baahar aa gaya.
Ye toh saraasar bakwaas thi.
Suhana bhi Veer ko dekh rahi thi. Kuch chinta me bhi thi woh...
Nik : Are you even listening to the shit you are saying?
Veer : I'm telling the truth.
Divya : V-Veer!? Don't stretch this too long. We really want to know. Just tell us.
Veer ne Divya ko dekha, jese maani wo usse tease kar raha tha. Fir usne Nolan ko dekha,
Veer : Ohhh! You wanna know!?
Nik bhi baithe hue jese Veer ko prashn bhari nigaaho se dekhne laga. Woh toh bas mauka dhundh raha tha ki kab Veer koi bachkaani harqat kare aur woh firse uski udaa sake.
'Ye nauseekhiya bhala kya hi raaz jaan paaya hoga?'
Nik apne mann me yahi soch raha tha.
Par idhar Veer inn sab bachkaani harqato se upar uth chuka tha.
'What I'm about to tell them, will blow their minds.'
Sochte hue usne apne haath ko dekha, uske badan ke ruye khade hue the.
[You're still getting goosebumps, Master! Sach me... Ye log taiyaar nahi hai. Aur ye Nightwalker toh sirf dusra hi killler tha Master! Kya ye log aane waali musibato ke liye taiyaar bhi hai ya nahi? I'm getting scared.]
'Don't know!'
Veer ne Nolan se ishaare me permission maangi toh Nolan ne sarr haami me bhara, aur uss se sweekriti milte hi, Veer ne apne bagal me kursi par baithe ek vyakti ko dekha jo laptop par kaam kar raha tha.
Veer ka ishara jese hi usse mila, usne gallery se ek image khol dii, jo saamne projector par ujaagar ho gayi.
Aur usse dekhte hi, sabhi ke maatho par rekhaaye sajj gayi.
Veer : This is the answer to your questions. And now I will unravel the truth.
Nolan : !!??
Mike : That's...!!!
Zoey / Emma : ...
Divya : This is.. What are you implying Veer?
Suhana : V-Veer...!!!
Tommy : Are you kidding me??? This is not a joke.
Par idhar, Tommy ko chorr sabhi serious the.
Veer : Everyone!!! There is a reason why those room numbers were not in order.
Nolan : What do you mean?
Veer : Those room numbers weren't just room numbers...
Uske itna kehte hi, sabse pehle Divya ne react kiya,
Divya : N-No!!! It's can't be... This...!!!
Woh apni seat tak se uth gayi. Uske shareer ke raungte khade ho chuke the. Kyuki saamne jo picture screen par maujood thi,
Wo thi...
Divya : T-They were....
Veer : YES! ATOMIC NUMBERS!!!!
*Booooooooooommmm*
Maano ek visfot hua waha baithe sabhi logo ke mastishq me.
Mike ka muh khula ka khula reh gaya toh wahi Nolan hairat angez me wahi jamm ke reh gaya. Par ye toh abhi kuch nahi tha.
Tommy : Whattt? What the fuck are you talking abo--
Lekin uski baat ko Veer ne beech me hi kaat diya, jab uski nazar seedhe Zoey par gayi,
Veer : What was Chester's room number?
Zoey (jhepte hue) : H-Huh!! That... It... It was 50.
Aur Zoey ke muh se itna nikalte hi Veer ne screen par doosri slide pesh kar dii.
Divya ne kuch baat pakad lii thi. Par usse abhi aur jhatka lagna baaki tha.
Tommy : But... But... What does that have to do with Chester getting killed?
Thik hai ki Veer ne ye raaz khol diya tha ki woh room numbers atomic numbers the par Chester ka marrna iss sab se kese mel khaa raha tha bhala?
Aur iss sawaal ka uttar bhi Veer ne agli slide dikha ke de diya.
Jese hi unhone woh dekha, waha baithe sab ke andar ke taar hil ke reh gaye. Divya ki toh rooh hi kaanp gayi.
Tommy, Zoey aur Emma sab hakke bakke hoke bas screen dekh rahe the. Woh kuch kehne laayak hi nahi bache the.
Screen par likha tha~
Nolan : That... That means...
Veer : Yes!!!! He melted it.
*Booooooooooommmm*
Ek aur visfot hua unke dimaag ke andar.
Mike : B-But how....!???
Veer : Tin! Melting point of tin is approx 232° C. He melted it by using gas burner. The ones which we use in campings.
Veer ki baat sunn unke poore jism me raungte khade ho gaye. Reedh ki haddi tak ek sihran daud gayi.
Nightwalker ne darwaaze ke ek metal bar ki boundary ko gas burner ke saamne ek nozzle laga ke pighlaaya...
Aur pighalte hi, usne uss bar ko kheech ke baahar nikaala. Andar haath daal ke usne kamre ki chatakni ko khola...
*Click*
Aur woh Chester ke room me hathiyaar leke ghusa.
*Slaaaaaaaaashhhhhhhhhh*
*Hhhhaaacccckkkkkkkkkkkk*
Chester ko kaatata raha jab tak woh do tukdo me na batt gaya. Aas paas bikhra khoon pocha,
Kambal se uske shareer ko dhaka, aur baahar aaya.
Waapas se haath daal ke andar se kundi band kii aur gas burner se dobaara uss metal bar ko pighla ke weld kar diya.
*Booooooooooommmm*
Ek aur zordaar jhatka unko laga jab Veer ke muh se ye sab vistaar me suna. Aisa lag raha tha jese unhone bhoot dekh liya tha koi apni aankho ke saamne.
Jese bilkul maatam sa chhaa gaya tha. Koi awaaz nahi nikal rahi thi unke muh se. Aankhein bhay ke maare feli hui thi, shareer khauf aur darr ke maare kaanp raha tha. Aur honth aapas me kasse hue the. Ekdum band.
Ab unhe iss baat ka andaaza laga tha ki woh kitne bade criminals ke saath deal kar rahe the. Aur ye House of Killers koi choti moti gang ka hissa nahi thi. Ab jaake iss baat se woh dhang se avgat hue the.
Divya ladkhada ke apni seat par gir padi. Darr ke maare uski aankhein phel chuki thi.
Jitne bhi room numbers the. Metals me Tin ho tha waha jiska melting point sabse kam tha. Aur gas can burner se usse melt karna koi bhaari kaam nahi tha.
Chester ki maut tabhi tay ho gayi thi. Jis waqt usne room number 50 chuna tha.
He died there only.
Veer ne jab Nightwalker ko baandhne ke baad check kiya tha toh,
*Ding*
[Name : Noah White.]
Alias Name : Nightwalker.
Age : 34
Bio : Noah White aka Nightwalker is a member of the House of the Killers. He likes paintings. He takes drugs from Jim, exchanges them with the expensive wines and beers. He has a fetish to kill people and see their blood coming out. Has killed his own family members, and others with a total count of 93 people. His mansion's key cards sells for only 8 people twice in a row per month. He was a technician and a welder before.
Favourability : -45
Relationship : Enemies.]
Jab Veer ne ye padha tha tab usne inn details par kuch khaas dhyaan nahi diya tha. Waha se nikalte waqt usse khaali gas burners ke cans bhi dikhe the. Par usne dhyaan nahi diya tha.
Aur woh Mike ko apni peeth par laad ke upar le gaya tha.
Parantu Mike ko ek kamre me litaane ke baad jab woh Chester ke kamre se guzar raha tha. Toh neeche pade hue darwaaze par jese hi uski nazar gayi,
'Check'
*Ding*
[A metal door with a welded metal bar.]
'Huh? Ye pehle toh nahi tha!'
Jab Veer ne apne kamre ke darwaaze ko check kiya tha tab to description me likh ke aaya tha,
[A metal door.]
Aur ab...
Lekin tabhi...!
'Huhhh???'
Veer ke mann me Nightwalker ka bio ek baar punaah saamne aaya.
'He was a Technician and a Welder before.'
Welder... Welder... Metal door with Welded Metal bar ....
'This...!!!!'
Aur isliye... Veer ke badan me ruye khade hue the. Usse itne zyaada goosebumps aaye the.
Woh ladkhada ke gir gaya tha wahi. Jis shaatir dimaag se Nightwalker ne Chester ko maara tha. Veer ke soch ke hi raungte khade ho gaye the.
'Ek second... Technician...! Huh??'
Aur tabhi usse Nightwalker ke saath ladaayi ka scene yaad aaya. Kese Nightwalker ne current ki taaro ka istemal uss par kia tha.
'N-Noooo!!!'
Now, everything was making sense.
'So he was planning this all.'
Veer apni saari baato ko bata ke jab shaant hua toh waha par logo ke chehre dekhne laayak the. Woh sab besudh se baithe Veer ko dekh rahe the. Keval unki saaso ki hi awaaz aa rahi thi.
Mike : But where's the treasure???
Veer ne Mike ke sawaal ka jawaab nahi diya. Balki usne Zoey ko dekha aur pucha,
Veer : And your room number was...
Zoey : M-My... Mine was... 79... Huh??
Bolne ke baad uski nazre turant hi uss periodic table par gayi. Aur jese hi usne dekha...
Uska badan thitur utha. Kaanpte hue usne apne haath se seene par apne top ko kass ke bheench liya.
Kyuki agli slide me saamne tha...
Zoey (kaapte hue) : Th-This....
79, Atomic number of Gold!!! Yaani sona... Zoey ke room me tha? Jis room me woh itni derr tak thi ussi room me 10 million dollars ka sona chhipa hua tha!???
Veer ko jab pata chala tha ki Nightwalker me aise Chester ko maara tha toh woh fauran hi Zoey ke kamre ki orr bhaaga tha.
Yadi Chester ka room door Tin se bana tha toh fir, Zoey ke room ka darwaaza toh..
79!!!! Gold se bana hona chahiye tha.
Apne room se teeno logo ko neeche bhej woh Zoey ki room ki orr bhaaga,
Aur...
'Check'
*Ding*
[A Metal door.]
Par koi fayda nahi. Veer ne scratch kar upar ki parat hataani chaahi. Kahi aisa toh nahi iss swarn par koi coating chadhi hui thi? Par koi fayda nahi. Ye metal door sone ka nahi tha.
Ek antim baar search karne ke liye woh room me gaya.
Aur ghuste hi jese hi usne saamne dekha...
*Ding*
'No... So I was right!!!!!!'
"Veer??? Veeeerrr???"
Veer apne hosh me firse aaya jab Mike ne usse pukaara.
Mike : The treasure?
Veer ne Mike ko dekha, Aur eka-ek,
Usne taali bajaayi,
Tabhi, Darwaza khula, aur do ladke kisi bhaari sii cheez ko pakad ke lekar aaye aur table par rakh diye. Poori cheez ek laal kapde se dhaki hui thi.
Nolan : Don't tell me....
*Flaaaaaaaappppppppp*
Veer ne ek baar me uss par se woh laal kapda hata diya tha. Aur unke saamne tha...
Poora sone ka bana hua flower vase. Uski chamakti roshni unki aankho me pad iss baat ka saboot de rahi thi ki woh ekdum asli aur ucchh koti ka sona tha.
Zoey apni jagah se bhauchakii hoke khadi ho gayi,
Zoey : But this wasn't there before...
Divya : Veer!! Don't you fucking tell me...
Veer (smiles) : Oh yes indeed...
Divya : *gulps*
Veer (grins) : He melted it!!!
*Booooooooooommmm*
Aur iss akhiri visfot ke saath Veer ne sab kuch unke saamne khol ke rakh diya.
Nightwalker ne sone ke biscuits bhi pighla ke usse vase ke andar bhar diya tha.
Kisne kaha tha ki Golden bars sirf solid state me hi maujood thi Mansion me? Woh apne liquified state me bhi toh ho sakti thi?
Aur yahi tha raaz. Issi kaaran se uss pighle hue sone ne flower vase ka aakaar le liya tha. Nightwalker ne jaan boojh ke uske upar fir mitti daali, aur fir ek do phool bhi laga diye the.
Saath hi usne jaan boojh ke darwaaze ko gold se nahi banwaaya tha. Woh bewakoof nahi tha. Yadi woh aisa karta aur Veer ki tarah kli ye andaza laga leta ki bars darwaze me hai toh woh sabhi tob yu hi khazana chura lete.
Aur isliye usne golden bars ko iss tarah chhupaaya. Kisi ka shaq jaana hi nahi tha flower vase pe kyuki itne bade golden bars flower vase ke muh ke andar kese ghuste bhala?
Par kya yahi kehna tab waajib hota jab sona pighla hua ho? Shayad nahi!?
Mike : But what about those paintings???
Veer : Those were just a deception Senior Mike.
Mike : A-Ahhh!!!
Emma : What about our boats???
Veer : Isn't it obvious? He hid them!!!
Emma : That's...
Nolan : There were cameras too...
Veer : Yes!!! Whoever were watching us, they have probably been alerted. So oir next Target is them only.
*Clap* *Clap* *Clap*
Agle hi pal, Nolan ne taaliyaa bajaani shuru kar dii,
Nolan : Incredible!! In all my years of duty, I've never seen a young man like you unraveling mystery like this. You have brought us pride and respect. You will get reward for this gentleman. The findings... You'll get some Percentage of this treasure.
Veer (smiles) : Not just me. Senior Mile helped me a lot too. He should be equally rewarded.
Mike : Ahhh!! V-Veer... There's no need to--
Nolan : A wise gentleman! I like it. Okay then. I'll hand over both of your names.
Itna bol Nolan waha se nikal gaya aur Veer aur Mike dono ke liye hi tareefo ke pul baandhe jaane lage.
Veer ek dil ka saccha insaan tha. Usse kiske saath kesa behave karna hai ye bakhoobi aata tha. Usse reward ke roop me dhan raashi milne waali thi. Toh usne Mike ka naam bhi aage kar diya.
Aur kyu na kare? Jab koi nahi tha uske saath Island par jaane ke liye, tab bina kisi swaarth ke Mike ne apna naam aage badhaaya tha.
Toh jab inaam batt raha ho toh Mike ka naam toh usme aana hi tha. Idhar Mike hi nahi, sabhi ke mann me Veer ke prati izzat kaafi badh gayi.
Par aise bhi log the jo ekdum hi jal bhun gaye the iss baat pe... Aur unhi me se ek tha hamaara bandar...
Nik!!!
Woh toh daant peese Veer aur Mike ko ghoor raha tha. Aisi gaand jal rahi thi uski ki chunune kaat rahe the usse pichwade me...
Kherr! Ant bhala toh sab bhala.
Ye discussion samaapt hua, mritak logo ke mata pita ko inform kar diya gaya tha, unke liye toh maatam bann gaya tha.
Zoey bina kuch kahe hi waha se nikal chuki thi. Shayad ye sab hazam karna uske liye kuch zyaada hi tha. Usse apne mann ko sambhaalne ke liye waqt chahiye tha.
Wahi Emma Veer ke paas aayi aur uss se sirf itna boli,
"Meet me tonight here only. Outside the department @ 8:30."
Aur woh chali gayi.
***
Time ~ 8:17 PM
Raatri ka samay ho chuka tha. Aur koi bhi abhi Ghar nahi gaya tha. Veer, Suhana, Divya Nik sab yahi maujood the department me aur baaki ki chhaan been me lage hue the.
Mike ke sang Veer baahar aaya aur raaste par dono tehelne lage. Itna sab kuch aaj unhone jaana tha. Na jaane aage kya hone wala tha unke saath.
Mike ne cigarette ka dabba jeb se nikaala aur Veer ki orr badhaaya,
Toh Veer ne muskuraate hue dabbe se ek cigarette nikaal lii.
*Click*
Lighter jala ke Mike ne Veer ki cigarette ko aanch dii aur fir usne apni jalaayi,
Ek kash hawa me chorrte hue fir woh bola,
Mike : It was outstanding Veer! You did a splendid job.
Veer : You are being too humble.
Mike : No! You are being too modest.
Veer : Haha~ That's you over-praising me.
Mike : I'm just telling the truth.
Veer (smiles) : Alright! I'll take that...
Mike : Yes! After all you disclosed everything...
Veer : Disclose huh!!
Mike : Hmmm?
Veer tabhi achanak aage badhne laga, Mike ko wahi akela chorr ke,
Mike : Where are you heading to?
Veer ne bina peeche mude hi jawaab diya,
"To disclose someone else's secret."
Mike : Huh?!?
Mike ki samajh nahi aaya ki Veer aur kiske raaz kholne ki baat kar raha tha bhala?
Fir bhi, woh Veer ko akela chorr usse uski privacy dete hue, apni cigarette phek andar department me chala gaya.
***
Mumbai...
Night ~ 8:29 PM
Ek aurat stylish sii saree pehne idhar se udhar ho rahi thi. Gusse me bhi thi woh aur thodi vyakul bhi.
Saamne ki seat par ek naujavaan ladka baitha hua tha jo computer ke keyboard par apne haath fatafat chalaaye jaa raha tha.
Tabhi peeche se uss aurat ki awaaz aayi,
"Hua????"
"Try kar raha hu madam. Ye sahi toh hai na?"
"Bilkul!! Sab sahi hai. Tum bas apna kaam furti me karo."
Aur jii haa, ye koi aur nahi...
Mardo se nafrat karne waali, Niharika hi thi.
Aur uske saamne seat par baitha woh ladka tha, ek hacker!!!
Jo Veer ke phone ko hack karne ki koshish kar raha tha.
Niharika : Kuch hua?
Ladka : Try kar raha hu madam. Yadi log in credentials sahi hai toh other devices se log in karna possible hai. Cloud and all... You know...
Niharika : Okay! Jaldi karo...
Uski bechaini badhti hi jaa rahi thi. Par saath hi uske andar jeetne ka ek junoon bhi tha. Yadi woh Veer ke phone se woh video le leti hai toh fir toh woh Veer se apne talwe chatwa sakti thi. Soch kar hi uska excitement aur badh raha tha.
Usne key logger install kiya tha Veer ke phone me. Ek tarah ka aisa app jo aapki keys ko record karta tha. Yaani aapke haath mobile ke keyboard par kitni baar kaha kaha chal rahe hai, kaun sa shabd zyaada use ho raha hai, otp, ya pin wagarah daalte samay kaun se numbers ko dabaaya jaa raha hai. Inn sab ka record rakhta tha.
Beshaq! Ek khatarnak app tha ye...
Niharika ke mann hi mann me laddu phoot rahe the jab achanak hi,
*Ring* *Ring*
Uska phone baja,
'Huh?'
Aur usne screen dekhi apne phone ki...
Par jese hi usne screen par nazre gadaayi, uski rooh kaanp gayi. Screen par likha tha~
Incoming call
Bastard....
Issi naam se usne Veer ka number save kiya hua tha.
Aur wo padhte hi... Uski sitti pitti gul ho gayi.
'Th-This bastard!!! Why now???'
Kaapte hue usne phone pick kiya,
Niharika : H-Hello...!?
Veer : So my slave is getting naughty huh?
Niharika : Wh-Whaaattt?
Veer : Ho gaya hack?
Niharika (jhepte hue) : Huhhhhh!!!!
Veer : Tumhe kya lagta hai? Tum mujhse zyada smart ho? Yadi hoti toh meri slave na hoti... Kya hua? Bolti band ho gayi kya?
Niharika : ....
Veer : Confused ho? Ki kese mujhe pata chala? My dear slave!!! Jis din tumne mere phone key logger install kiya tha na, uss din hi mujhe pata chal gaya tha. Aur jis data se tum hack karne ki koshish kar rahi ho.... It's fake...
Niharika : W-Wo...wo... Wo...
Agle hi shan, Veer ki awaaz achanak hi ekdum buland aur itni intimidating ho gayi,
Veer : Don't play with fire! Waha aaunga toh bhaag nahi paogi....
*Thud*
Sunte hi Niharika ke haath se uska phone chhutak ke gira aur woh dagmaga ke bistar par gir padi. Poora chehra uska paseene se bheeg gaya darr ke chalte...
Aur tabhi, saamne baithe hue ladke ne kaha,
Ladka : Madam! Data sach me sahi hai na?
Bechaara ladka. Niharika ye sunte hi itni aag baboola ho gayi, uska gussa saatve aasmaan par pohuch gaya aur woh zorr se chillaayi,
Niharika : Nikal jaao!!! Nikal jao yaha se!!!
Ladka : H-Huhh?? Madam?
Niharika : Nikalte ho ya nahi??? You bastard!!!
Iss se pehle ki Niharika usse kuch utha ke phek ke maarti, woh bechaara ladka gaand phati ke maare bhaag gaya waha se.
'Tch!!!! Worthless men!!!!'
Mardo ko gaali bak, Woh wahi padi padi apni saasein durust karne lagi. Veer ke shabd uske mann me goonjte rahe...
***
Las Vegas
Investigation Department
Time : 8:38 PM
Idhar Veer ne jese hi Niharika se baat kar phone kaata, bagal se usse ek jaana maana shaks aata hua nazar aaya,
Emma!!!
8:30 ka milne ka bola tha usne. Luckily, Veer baahar hi tha.
Emma : It's good that you're here.
Veer : So? What's the matter?
Emma : I wanted to tell you something.
Veer : Finally opening up huh?
Emma : Y-Yeaahhh!!
Veer : !!!?
Emma : Actually... Actually, I went there illegally. I... I stole a yacht from a rich person. That's why I didn't tell you giys earlier.
Veer : Ohhhh! That's it?
Emma : Y-Yeah!
Sharmindagi ke maare Emma ne sarr jhuka liya. Baat zara sii thi. Par shayad Emma ke liye badi thi.
Usne ek ameer vyakti ki yacht churaayi thi mansion me aane ke liye. Aur isliye wo ye kisi ko batana nahi chahti thi.
Emma (blushes) : Can I... Can I come with you?
Veer : Huh? I'm not from here. I'm from India.
Emma : Wh-Whaaaattt???
Veer (smiles) : Yes!
Emma : O-Okkaaayy!! So you don't need any assistant? What work you do there?
Veer : I have a business.
Emma : Then how about a assistant? I... I can work for you ...
Veer kuch kehta tabhi usne dekha ki Department se Nolan baahar nikal apni car me baith raha hai. Saath hi ek khubsoorat mahil uske liye darwaaza bhi khol rahi thi. Jo ki uske secretary thi.
Veer : Man! I do need a professional secretary though.
Veer ki nigaaho ko follow kar Emma ne uss orr dekha.
Emma : A professional secretary huh!? I think it's time to leave then...
Veer : Hmm? Ohhh!
Emma bina kuch kahe Veer ko bas kuch palo ke liye dekhi aur waha se palat ke woh nikal gayi.
Idhar Veer uske jaate hi department me jab andar aaya... Toh Suhana aur Divya aapas me behas kar rahi thi,
Suhana : You fuckiinngggg know something... Tell me what the fuck you are hiding? Huh? Bolo! Kya chhupa rahi ho mujhse?
Divya : Urgghh! Jaan'na hai tumhe? Fine then!!! Ye lo!!! Tumhe yaad hai na kis liye bulaaya tha mene tumhe? Ye lo fir...
Kehte hue usne ek card feka jo seedha Suhana ke muh pe land kiya,
Haatho me pakad jab usne uss card ko dekha toh woh hairaani ke maare hil ke reh gayi,
"Whaaaaaaattttttttttttt!!!????"
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
This update consists of more than 4.8k words. This took a lot of my time. Toh like thokne ka dil se aur revos rakhne ka.
Dhanyavaad!