- 14,065
- 99,754
- 259
Last edited:
Are nahi nahi ! Dost hai sabhi. Pith me chura ghopenge.Golabaari apan karwa dega ......chalega n
Ye seedha saada aadmi kaun hai?Siraj bhai aur Shubham bhai , Divyanka ko lekar mere pichhe pade hai aur ab yaha usi naam se milta hua Divya bhi paida ho gaye hai. Koi baat nahi dekh lunga sabhi ko. Sidhe saade aadmi ko badnam kar rahe hai ye sabhi.
Superbb UpdateeeUpdate - 104 ~ The Grand Concert
Ab tak...
Akhir issi ke liye toh woh shopping karne bhi aaye the. Divya ne jo call card Suhana ko fek ke diya tha, uske sang ek flyer bhi tha.
Jo tha...
Aur akhir me jo card usne feka tha Suhana ke muh pe woh tha, ek invitation card.
Aur, Invitation tha...
Natalia Martin ka...
Ab aage...
Las Vegas...
Downtown...
Evening ~ 7:54 PM
*Screeeeeeeeeeeccccchhhhhh*
Car aake seedha ruki. Andar maujood the Veer aur Suhana jo abhi abhi Forum shops at Caesers se aa rahe the. Dono hi acche kapde pehne hue the.
*Thud*
Woh baahar nikle aur car ka darwaza band hua.
Veer : Kaha hai Miss Divya?
Suhana : Usne kaha tha ki woh entrance ke baahar ek club hai waha milegi. Dekho aas paas, koi club wagarah dikh raha hai kya?
Veer ne nazre ghumaayi toh paas hi usse ek club dikhaayi diya.
Veer : Call karna better hoga I guess.
Suhana : Hmm! Wait a minute!
Veer ki baat maan kar Suhana ne Divya ko call lagaaya aur baat karte hi unhe pata chala ki woh ussi club me thi, jaha Veer dekh raha tha.
Suhana : Andar hi hai woh waha uss waale club me. Let's go!
Dono hi bheetar ki orr chal diye. Lagbhag 8 baj rahe the aur club ke andar ka mahaul masti aur jagmagaati dj lights se bhara pada tha.
Thirakte log, loud speakers par bajte angrezi gaane, cocktails enjoy karte log, sofe par baithe VIPs aur adh nange kapdo me naachti ladkiya.
Veer aur Suhana unn logo ke beech se nikalne ke liye aage badhe tabhi itne me ek nashe me dhutt gori ladki Veer ki chhaathi se aake chipak gayi.
Apni patli kamar ko woh yu matkaate hue, apni nasheeli aankho se usse rijhaane lagi,
Veer ki nazre uss ladki ko upar se neeche tak scan kar rahi thi. Ladki khubsoorat toh thi. Par, Veer ke mann me ek hi baat nikli,
'I have zero interest in you, girl!'
[Hahahaha~]
Aur uski iss baat par Pari bhi hass uthi. Veer ko 36 kaam the. Yadi woh aisi aisi harr ek ladkiyo par girne laga toh woh kahi ka nahi reh paega. Aur wese bhi, Kaera, Sonia, Suhana, Ragini jaisi ladies ke muqaable iss ladki ki sundarta feeki maalum pad rahi thi.
Bas ek nazar daal usne apni nazre mod li, aur idhar Suhana ne jab ye sab dekha toh woh Veer ki kalaayi thaam usse kheech kar aage badh gayi,
Suhana : Tumhe mazza toh bada aa raha hoga, hai na?
Veer : Hmm? Kyu bhala?
Suhana : Saamne se ladki aake chipak rahi thi. Itne bhole kyu bann rahe ho?
Veer : Uski jagah agar koi aur aake chipakta toh shayad mazza aa jaata.
Jese hi usne ye kaha, Suhana chalte chalte achanak hi ruk gayi aur peeche palat ke uski aankho me dekhi.
Kehna kya chaah raha tha ye ladka? Kahi woh...!?
Kahi woh ye toh nahi kehna chaah raha tha ki uss ladki ki jagah Suhana khud hoti toh...!!
Dono ka ye eye contact 5 se 6 seconds ke liye bana raha. Na Veer ne kuch kaha aur na hi Suhana ne. Ek ajeeb sa atmosphere janm le raha tha unn dono ke beech.
Lekin, Suhana ne agle hi pal uss atmosphere ko bhang kar diya. Woh waapas mudi aur Veer ke haath ko thaam andar ki orr usse le jaane lagi.
Bina kuch kahe hi, unn dono ke beech kuch na kuch baatein toh zaroor ho chuki thi. Sirf ek dusre ke naino se. Jese Suhana parakhna chaah rahi thi ki kya Veer ka ishaara uski orr tha? Aur Veer ye dekhna chaah raha tha ki kya Suhana ne uski baato ko apne upar liya tha? Aur yadi liya tha toh woh kya karne wali thi? Parantu, naino ki kashmakash zyaada derr na chali. Dono hi ek rikt sthaan par aa kar atak chuke the.
Iss rikt sthaan ko bharne ke liye dono ko hi apne mann ki baatein saamne rakhne ki zaroorat thi. Jo dono hi nahi karne waale the.
Woh punaah aage badhe aur andar jese hi woh pohuche, woh ek naye hall me pravesh kar gaye.
Lights aur bhi dim thi yaha, ye ek prakaar se rest room ki tarah tha. Baahar ka shor yaha kam sunaayi de raha tha. Jagah jagah mirrors lage hue the jidhar anya ladkiya khadi hoke apna apna make-up theek karne me lagi hui thi.
Aur unhi me se ek jagah khadi hui thi,
Divya!!!
Veer : Woh rahi aapki dear friend.
Usne ishaara karte hue kaha. Suhana ne nazre daudaati hue dekha toh Divya waha khadi mirror me khud ko sawaar rahi thi.
Aur Veer jese hi aage badha, Divya ne mirror me se unn dono ko aate dekh liya.
Woh aaiyne me Veer ko ghoor rahi thi.
Suhana : Chale bhi ab?
Divya : Hmm! Kyu nahi!? Let's go!
Suhana : Toh isliye tumne mujhe yaha bulaaya tha haan?
Divya : Phone par bataya toh tha na mene.
Suhana : Tumne kaha tha ki ek client ne tumhe contact kiya hai. Tumne ye nahi bataaya tha ki woh client kaun tha. The fact that it turned out to be her... Ava!!!!
Divya : Ab usse Natalia kehke bulao Suhana. Celebrity se kam nahi hai ab woh. Iss ek saal me poori music industry par keher barsa ke rakh diya hai usne. Jidhar dekho bas ussi ke gaane chhaa rahe hai aaj kal.
Suhana ye sunn ek chinta me doob gayi.
Divya : Ab kya sochne lagi?
Suhana : I just don't get it. Last time mene usse bachpan me hi dekha tha. Sonu ke sang. Aur mujhe tab aisa kuch bhi yaad nahi tha ki woh singing me talented hai. Aur ab...
Divya : People change Divya. Usne mehnat toh kari hi hogi. Iss tarah ki awaaz aur itni fan following. Sirf paisa fekne se nahi mil jaati.
Suhana : ...
Veer : Umm! Hum chal rahe hai na?
Divya (smiles) : Of course!
Muskuraate hue woh Veer ke bagal se aayi aur teeno hi baahar ki orr nikalne lage,
Chalte chalte hi Divya dheere se Veer ke paas aayi aur,
Divya : Hey!!! Kaisi lag rahi hu mein?
Veer ne uss par upar se neeche nazar daali aur usse ye maan'na hi pada ki Divya ki personality bhale hi kaisi bhi thi, par aaj lag toh ekdum pataka rahi thi.
Veer : Good!
Divya (smiles) : Bas good? Am I not looking hot?
Veer : Ahem! You do actually...!
Veer ki honesty par woh usse muskuraate hue dekhi, ye muskaan sach me aisa laga jese ekdum sacchi thi.
'Is this the real you?' Veer ke mann me uski awaaz aayi.
Yaha se ravaana hote hi woh pohuch gaye downtown me, jaha Natalia ka music concert rakha gaya tha.
Baahar logo ki line toh aise lagi thi, prateet ho raha tha jese poora Vegas hi yaha utar aaya tha.
Veer : What the...!?
Divya : Dekh rahi ho craze Suhana? Ye wahi Ava hai jo Sonia ke saath bachpan me khelti thi. Fans dekh rahi ho uske? Hahaha~ I don't even remember last time mene kab itni bheed dekhi thi ek saath.
Suhana : Andar chalo warna aur dikkat hoegi hume.
Jese hi Veer andar jaane ke liye hua toh achanak hi uske peripheral vision me ek jaana maana shaks dikhaayi diya.
'Huhhhh!?? Zoeyyy??'
Suhana : Veer??? Kaha kho gaye?
Veer : Aap dono andar chaliye mein aata hu.
Suhana : Arre par...!?
Veer itna bol waha se uss bheed me alag disha me ghus gaya aur ek pal me hi tamaam janta ke beech kahi gaayab ho gaya.
Divya : Woh aa jaega. Let's go!
Suhana : Nahi!!! Usse aa jaane dete hai fir...
Divya : Accha baba! Ek kaam karte hai iss entrance ke andar toh chal dete hai? Yaha boht bheed ho rahi hai. Andar hum uska wait kar lenge.
Suhana ne haami bhari aur woh dono hi andar chali gayi. Woh Veer ko yu akela nahi chorrna chaahti thi.
Idhar Veer bhaari bharkam bheed me Zoey ko peeche peeche follow karte hue uske paas badi mushqil se pohucha aur usne peeche se hi Zoey ka haath thaam usse palta diya,
Veer : What are you doing here?
Zoey : Wha-!?
Wo palti aur Veer ko saamne dekh hairaan reh gayi.
Zoey : Veeeerrr!!!!!
Veer : Yeah! You here?
Zoey : Ahhh! I...
Uska sarr neeche jhuk gaya.
Veer : What happened?
Zoey : It's... I just came here to return the dress. There's a famous shop here. And when I was passing by... I got lost! Too many people... You know...
Apne kandhe uchkaate hue woh thoda uncomfortable way me boli,
Veer : Returning dress? Why so?
Zoey apni ek behad sundar sii dress ko return karne aayi thi. Jo ki yahi ek shop se lii gayi thi.
Zoey : Because I rented it... Ahahaha~
Woh sharminda hote hue boli. Baat saaf thi. Woh wese hi paiso ko lekar tangi me thi. Mansion me bhi usne apni kismat azmaana chaaha tha par uske haath kuch na laga. Ulta jaan aur gawa baithi thi woh.
Zoey ne ek dress yaha se rent par lii thi, ye soch ke ki fashion modeling ke photoshoot ke dauraan, uski ye photos bade bade magazine photographers tak shayad pohuch jaaye aur woh usse apne saath kaam karne ke liye bulaaye.
Par jesa usne socha tha wesa kuch na hua. Unn photographers ne Zoey ko kam se kam semi nude hone ka keh diya tha. Zoey unn chand ladkiyo me se ek thi jo nudity me apna haath nahi daalna chaahti thi. Aksar usse log taane maarte the ki model bann'ne ke sapne dekhna woh chorr de.
Jo ladki nudity accept nahi kar sakti woh kya khaak model banegi. Sach kaha jaaye toh fashion ki duniya me aisi nagnata ko normal hi maana jaata hai. Zoey ek aisi model bann'na chaahti thi jo bina nudity ke bhi, keval apni khubsoorti aur figure ke bal par poori fashion industry ko dominate kar ke rakh de.
Par afsos, hum jesa chaahte hai zaroori nahi ki wesa hi ho. Usse ek push ki zaroorat thi bas. Bas thoda paisa kharch karne ki zaroorat hi. Lekin dikkat bhi toh yahi thi. Uske paas paisa nahi tha.
Veer Zoey ka status jaanta tha. Aur usne ek baar me hi sab bhaanp liya tha.
Zoey : I... I must go now! I cannot miss my train. Otherwise I won't be able to afford any more tickets. Ahaha~
Wo firse nakli hassi dete hue hassi aur mudi,
Veer : Wait!!!
Zoey : Huh?
Veer ne usse rok liya. Peeche mud jab usne Veer ko dekha toh...
Veer apni blazer ki jeb se kuch nikaal raha tha.
Usne ek kaagaz ka panna nikaala aur Zoey ke haath me thama diya.
[Ehhhh? M-Maasterrrr???]
Kuch pal toh Zoey idhar Veer ko hi dekhti rahi lekin jab usne neeche uss kaagaz par gaur kiya toh uski aankhein achambhav ke maare fel uthi,
Zoey : Wh-Whaaatttt??? N-Noooo!!! What are you doing?
Woh kaagaz koi aisa wesa kaagaz nahi tha. Cheque tha woh. Wahi cheque jo Veer ko reward ke roop me investigation department se mila tha. Nightwalker ko jo pakdaaya tha usne.
Kayi hazaaro dollars ka cheque tha woh. Aur ye reward Veer ka tha.
Veer : Have it!! You need it more than me.
Zoey : What?? No!!! I can't take this. Not at all!!!
Aur usne woh waapas usse thamaane ki koshish kari, par Veer na maana. Jab uski ek na chali toh woh Veer ki zidd ke aage haar hi gayi,
Zoey : B-But... No! I just can't...
Zoey ki apni ek pride thi. Yadi wo paise chaahti toh nudity me ghus kar na jaane kitne kama leti. Par usne aisa nahi kiya. Toh bhala woh Veer ke haath se ye paise free me kese le sakti thi? Iss baat ko Veer samajh chuka tha. Isliye,
Veer (smiles) : Then you can repay me. One day when you'll become a famous model. At that time think of me... You'll find me in Mumbai, India. I hope by that time, I would have made a name of myself.
Veer ne uski saari problem ek sentence me solve kar dii. Usne Zoey ko udhaar ke roop me ye paise diye. Beshaq, ab Zoey ki pride ko utna dhakka nahi laga tha. Uske zehen me bhi yahi baat thi ab ki woh udhaar le rahi thi. Na ki free me usse ye paise taras khaa ke diye jaa rahe the.
Aasuo ki komal komal boonde apne aap uski aankho se nikal padi, wo rote hue dhundhli aankho se apne haath me uss cheque ko dekh rahi thi.
Zoey : I'll remember this. I'll definitely repay you back some day. I promise...!
Par jab tak usne apni nazre upar kar Veer ko dekha, tab tak Veer palat ke dur jaa chuka tha. Usne bina mude hi apna haath hawa me uthaaya aur goodbye ka ishaara kar woh dobaara se uss bheed me kho gaya.
Zoey apni aankho se aasu poch ek antim baar Veer jis orr gaya uss disha me dekhi aur apni suitcase utha ke woh palat ke nikal gayi.
***
Idhar Veer jese hi kuch qadam hi aage badha tha jab,
*Ding*
[Zoey's favourability has been increased by 40.]
[Master! Pehle mein surprised thi. Par at the end, aapne ek sahi kaam kiya. She needed that cheque.]
'Pari! Kayi baar hume rishte bhi banaane padte hai.'
[Par Master agar future me Zoey aapka kiya hua ye favour bhul gayi aur kabhi bhi aapko repay nahi kiya toh?]
'Toh kya? Toh kuch nahi Pari! Woh kahavat toh suni hi hogi. Neki kar, dariya me daal.'
[Thats... Indeed! Master!]
Veer muskuraaya aur aage badh concert ke venue ki entrance me ghus gaya.
***
"Kaha reh gaye the tum???"
Ghuste hi usse bagal se Suhana ki awaaz sunaayi dii. Dono Divya aur woh uska hi intezaar kar rahi thi.
Veer (smiles) : Emergency!!!
Suhana : Kyaaaa?? Aur piyo dherr saara paani car me baithe baithe... Arre mall me bhi toh...
Divya : Enough!!!! Suhana! Hum pehle hi late hai. Let's go!
Divya usse kheech ke lete hue aage badhi, aur idhar Suhana peeche palat ke Veer ko apni aankhein sikodte hue dekhi jese kehna chaah rahi ho ki ye lecture woh baad me sunaaegi usse.
Veer andar hi andar mand mand muskuraaya. Kabhi kabhi ye Suhana ekdum bacchiyo jese behave karne lagti thi. Aisa lagta tha jese uski dusri personality maano baahar aa rahi ho.
Veer, Divya aur Suhana jese hi venue me enter kiye, woh andar ka nazaara dekh ke hi dang reh gaye.
Concert itna bhavya tha ki kehne ke liye shabd nahi the unke paas.
Dherr saari jagmagaati lights, aasmaan tak unki rays feli hui thi, smoke pipes se dhua uth raha tha, bhaari maatra me log thirak rahe the, saamne behad badi sii screen me Natalia dikhaayi de rahi thi jo stage ke beecho beech behad khubsoorat dress pehne khadi hui thi.
Shayad woh gaana shuru karne hi waali thi.
Veer aur baaki sab excited logo ke beech se apna raasta khojte hue aage badhe. Vip seats ki orr, jo sabse aage maujood thi. Woh late the. Warna unhe aise bheed ke beech me se nahi aana padta.
Par Veer unn logo ke beech se guzarte waqt...
*Ding*
Uski aankho me achanak pal bhar ke liye laali chhaayi. Aur usne aas paas idhar se udhar nazre firaate hue dekha. Uski aankhein baaj ki tarah logo ko scan karne lagi.
Woh ek pal bhi bekaar nahi jaane dena chaahta tha. Nightwalker ke mansion me hoke aane ke baad usne system ko aur efficiently aur fast use karna shuru kar diya tha. Woh jaanta tha ye kitna zaroori tha.
Suhana jo aage chal rahi thi woh achanak se peeche mudi, aur jese hi usne Veer ko dekha,
Veer ki aankhein waapas se normal ho chuki thi.
Suhana : Hmm? Is something wrong?
Veer : Nothing! Keep moving!
Suhana : Hmm!
Aur Suhana ke firse mudte hi,
*Ding*
Unn aankho me laali firse janm le uthi.
Sab kuch itni tezzi se hua ki Suhana ko pata bhi nahi chala ki Veer ne abhi abhi uske bagal se khade hoke Beowulf activate karke inn chand seconds me hi apne aas paas ka jayza bhi le liya tha. Ye sab kuch seconds me hua. Woh itna tezz ho chuka tha system use karne me. Pari bhi jese uski saari mann ki baate samajhti thi. Ek pal nahi laga usse Veer ke thoughts ko poora karne me.
Within seconds, Pari ne Beowulf activate kiya aur waapas se deactivate kar diya. Aur Suhana ke mudne ke baad firse activate kar diya. Veer aur Pari ke beech koi baat bhi nahi hui. Jese Pari ab apne Master ke liye aur fast aur efficient ho chuki thi. Sab kuch bina kahe hi ho gaya. Unhe aapas me baat karne ki zaroorat hi nahi padi.
Filhaal, Veer ko aas paas se aisa kuch bhi nahi sunaayi diya jo charcha ya chinta ka vishay bane aur na hi usse kuch aisa dikhayi diya. Jo ki ek raahat waali baat thi. Aur isliye usne Beowulf deactivate kar diya.
Woh jese tese uss bheed se nikal aage aaye. Ekdum aage. Saamne Lambe lambe white sofe rakhe hue the. Keval Vip logo ke liye. Aur kayi saare Vip pehle se hi waha baithe the. Woh Veer, Suhana aur Divya ko hi dekh rahe the.
Baahar do guards the jo VIP invitations check kar rahe the. Divya ne invitation card unn guards ko thamaaya aur guards ne unhe andar jaane de diya.
Divya apne sofe ke upar lage tag me apne naam ke paas pohuchi aur Veer aur Suhana ko ishara kar usne aage bulaaya.
Teeno uss sofe par baith gaye.
Aur udhar upar bade se stage par Guitarist, drummer aur anya musicians Natalia ke ird gird apni jagah par baithe instruments set karna shuru karne lage.
*Booooooooooommmm*
Stage ke saamne se fireworks upar hawa me ude, janta ka shor tatha hooting shuru hui,
Aur Veer ne jese hi nazdeek se A
Natalia ko dekha, woh wahi jamm ke reh gaya.
'Huhhh!!!'
[Okay! I admit. She's gorgeous!]
Aur Pari ne bhi apni haami bhar dii.
Natalia behad khubsoorat thi. Veer ne kabhi nahi socha tha ki usse Kaera aur Sonia jesi ke level ki koi ladki itni jaldi usse issi janm me dekhne ko mil jaegi.
*Badump*
Uska dil ek dhadkan jese phaand gaya.
Aur agle hi shan,
'Check!'
Veer ne Natalia ko check kiya. Lekin jese hi usne check kiya, Natalia ki aankhein turant hi Veer par tikk gayi. Woh stage se seedha usse ghoor rahi thi.
'Hhuhhh??? Whattt??'
Par fir Veer ne dhyaan diya, ki Natalia ne sirf usse hi nahi, Divya aur Suhana ko bhi dekha. Aur ek halki sii nod dii bas.
Uske baad usne fir gaana shuru kiya.
I know it's fading, going away from my hands,
It never was there, had fooled me till the end.
Feelings of mine.... Yet keepin' meeee aliiiiiiive!
Nobody wants to see the pain behiiiiiiinnnd...
Closed my heart, and now I'm on my miiiiinnd...
Slippin' away from my grip...
There goes my wish...
And, letting go I no longer need that vile paaaassstttttttt....
Natalia ki awaaz poore venue me goonj uthi.
Janta ka shor umad utha.
Koi instruments nahi baje the. Sirf aur sirf uski awaaz hi thi. Aur jis tarah se usne ye gaaya tha. Uss awaaz ke peeche ek alag hi dard tha. Aur kya hi kamaal ki powerful voice thi. Par saath hi utni hi madhur.
Uski awaaz itni alag thi ki sunte hi Veer ke shareer ke raungte khade ho gaye. Uski aankhein apne aap band ho gayi. Aur sirf Veer hi nahi tha. Suhana aur Divya ka bhi yahi haal tha.
Suhana ye bhi jaan gayi thi ab ki kyu itni zyaada bheed thi Natalia ke liye. She was too good! Live stage par aise live gaana. Koi notes miss nahi ho rahe the. Harr ek high note ekdum sahi laga tha uska. Aur awaaz zara bhi nhi ladkhadaayi unn high notes ko lagaane me.
Kitni practice chaahiye hoti thi iske liye ye baat Suhana bhali bhaati jaanti thi. Akhir uski contact me bhi kayi bade singers the. Par Natalia ki aaj iss awaaz live sunn'ne ke baad jese woh saare singers ab pheeke maalum pad rahe the.
Ye gaana Natalia ne abhi release nahi kiya tha. Ye sirf aane waale gaane ki kuch panktiya thi jo usne concert shuru karne se pehle gaayi aur excitement ke chalte janta udhar utne me hi paagal ho uthi.
Such was her craze!!!
Uske baad fir music aayi, fir jaake thoda mahaul party jesa hua aur vibe bani.
Suhana : Ek ghante ke upar ho gaya hai. Hum kab tak yaha baithe rahenge?
Divya : Meri baat ho chuki hai uss se. Usne kaha tha ki... Concert ke baad hi dinner me hume uske saath join karna hai. Aur udhar hi wo saari baatein bataegi.
Suhana : Matlab poora concert bhar yaha baithna hoga?
Divya : What is it? Tumhe toh glad hona chahiye. Finall getting to witness Natalia. Fufufu~ Should I call Sonia? Batau usse uski bachpan ki friend ke concert me baithe hai humlog. Hmm?
Suhana (aankh dikhaate hue) : You better not!!!
Divya : Hahahaha~
Suhana beech me thi. Veer aur Divya uske bagal se baithe huye the aur apne aap hi uska haath Veer ki jaangh par anayaas hi chala gaya.
Veer par uska dhyaan nahi tha. Aisa lag raha tha jese woh kisi baat ko kekar chintit thi.
Veer : What's up?
Suhana : ????
Veer : Mene pucha kya hua? Kya soch rahi ho aap?
Suhana : Ahh! Wo mein...
Veer : Hmm?
Suhana : I just... Tum jaante ho ki Ava... I mean Natalia Sonu ki childhood friend rahi hai. Par uske jaane ke baad se hamaare aur uske beech contact jese khatam sa hi ho gaya hai. Aaj usse yaha aise dekh ke bas shocked hu thoda. I never saw her singing in the past...
Veer : Tab woh boht choti rahi hongi... Maybe India se jaane ke baad unhone apne passion ko follow kiya ho?
Suhana : Yeah!!! Maybe...
***
Samay guzra aur dekhte hi dekhte ye vishaal concert apne ant ke qareeb pohucha.
Dekhte hi dekhte saari janta apne apne ghar ke liye jaldbaazi me nikalne lagi. Concert behad hit tha. Par Veer aur dono sundariya waapas jaane ki bajaaye venue ke bagal waale gate se baahar gaye.
Udhar hi ek behad badi 5 star hotel thi. Aur uske hi campus me dherr saari bheed ikhatta hui padi thi.
Photographers se leke reporters toh wahi haatho me phone liye Natalia ke fans...
Natalia hotel se baahar nikal rahi thi. Uski kaali cham chamaati dress stairs par lathadte hue peeche peeche aa rahi thi.
Woh campus tak aayi toh uske chehre par flashes ki bauchhaar shuru ho gayi.
*Click* *Click* *Click*
Par woh seedha apni vanity van ki orr chali gayi.
Aur idhar bodyguards ne saari janta aur tamaam reporters athwa photographers ko wahi rok liya.
Natalia ne apne kapde change kiye aur ek top aur uske upar black jacket daal woh hotel me waapas chali gayi.
***
Idhar Veer ki toli andar jaane ka wait kar rahe the. Natalia ke bodyguards ne unhe baahar thehra ke rakha hua tha kyuki tab tak Natalia change karne me lagi hui thi.
Suhana : What the hell?? Sonu ki childhood friend hai woh. Aur dekho toh... Humko anjaan samajh ke wait karwa rahi hai. I just...
Divya : People change Suhana... People change...
Suhana : Just like you, right?
Divya : Ugghh!! Y-Youuuu...
Suhana : Hmph!!!
Veer bas muskuraa raha tha. Usse pata tha Suhana aisi situations me pakke se trigger ho jaati hai. Aur wahi hua. Suhana ka ego hurt hua tha. Kese nahi badbadaaegi woh?
Kuch derr ke intezaar ke baad hi unhe andar jaane ke kiye allowed kar diya gaya.
Aur jese hi woh andar pohuche...
Natalia wahi baithi hui thi. Ek table ke paas ek seat par. Dinner yahi hona tha.
Usne teeno ko aate hue dekha aur bas ek halki sii muskaan ke saath boli,
"Welcome!!! Have a seat!!!"
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Some updates takes time. Remember this well. I had to make my own lyrics for that Natalia's song. Searching for accurate relevant images takes time as well. Toh likes thok ke jaane ka aur revos rakhne ka.
Dhanyavaad!
Hmm.Bechari ko real name bhi na pata.
Bhavna itni asaani se sach nahi bataegi bhai.
Village arc me emotional scenes aaenge.
Exactly! She can make other girls jealous just by her actions.
Kaera is in Mumbai. We'll see her and Sonia soon.
They are indeed plotting something. Thanks a lot bhai! Keep supporting!
Sorry for the late reply. I have been too busy lately.
Kamaal karte ho. Hum toh Divya ke alawa bhi sabhi ki pics daalte aa rahe hai. Par ju ka dabse zyada khaas attention Divya par hi gaya hai.Notice aap nahi Mai kar raha hu...jab se Divya aayi hai tabhi se uska photo hame dikhaye jaa rahe hai.
Khud check kijiye
:Troll:दिव्या मैडम का तस्वीर देखा हमने । पैंतीस साल के उम्र में भी कहर ढा रही है ।
Sorry Tab wo kaam ju akele kro bhaiya,apan pith piche waar krne walo me se na hai......agar saamne se Krna ho to apan raaji haiAre nahi nahi ! Dost hai sabhi. Pith me chura ghopenge.
Bahot khoob shaandaar update bhaiUpdate - 104 ~ The Grand Concert

And you are lovely as always.You are superb as always
Saara past toh dikha diya gaya hai. Siwae Natalia ka.Are Natalia to ava Nikli veer kaera ,Sonia se milna fir vegas me ava milna kya in teeno ke Beach me kuch hai Mistry
Dhanyavaad Naik bhai!Bahot khoob shaandaar update bhai
Veer n Zoey ki filhal madad kerdi yeh kehker ki future m jab uske paas paise ho tab lauta dena ab dekhna yeh ki aisa hoga ya nahi Zoey paisa lauta ti h ya nahi ya fir wahi kahawat Neki Kar Dariya m Daal
Baherhal yeh log Natalie k concert ko enjoy kerke ab uske saath bethe h dekhte h kia baate hoti h
Badhiya shaandaar lajawab update bhai
Sound effect words plays an important role too.Pahle to apan yahi bolna chahega ki ju jo ye sound affection wagera daalte ho n words me wo bohot hi jyada realistic feel laati hai man......yahi choti choti chise to realistic wala feel lati hai jaise cars ki rukne ki sound, cars ke door band hone ke sound,boleto cars ki start hone ki sound just amazing I say !!
Divya obviously interested hai Veer me. Upar se Veer ke looks ek uske liye plus point raha hai. Aur inn plus points me aur points ab jud gaye hai Veer ki cool personality ke kaaran aur uski fighting skills aur intelligence ke baare me jaan'ne ke baad.Ab aate thoda aage ke scenes me to yaar ye Sanju bhaya sahi kah rahe the ye Divya hot to hai aheemm-ahemm, sorry haa ye bhul jaana...to aate hai divya pe to yaar ek baat batana kahi future wife me ye bhi to na hai n yaa sex wagera ke scene me...... mind mat Krna apan to majak kr rela tha aur ye bhi pata hai spoiler bol ke taal hi doge ye baat ju lekin ye baat to hai divya veer ke prati ab attract ho rahi hai......uski wo flirt krne ki adaye uski smile aur uske wo sawalo me to mughe kahi na dikhi lekin haa ye jarur notice kiya ki wo veer ki traf kuch jyada hi attract ho rahi hai just like ki wo kuch jyada hi intrest le rahi hai veer me akhir veer ki personality hi ek alag level ki hogayi hai
They are indeed.Khair ab aate aage ke scenes par jaha ju ne ye divya aur suhana ke chote bache to na kahunga haa ye kah sakta hu ye dono n kisi do billiya jaise jhagarti hai n waise jhagarne lagti hai aur fir kuch second me sulah bhi literally both are true best buddy I mean best friends.......
Itne din se uske saath hai. Ek connection bann gaya hai uska Veer ke sang. Aur usse Veer ke baare me jaan'ne ko mil raha hai. Usse pata lag raha hai ki Veer asal me kitna intelligent hai aur kitna cool banda hai. Pehle jaha woh uss par bhadakti rehti thi ab woh gussa gaayab sa ho raha hai. But ju ne ek baat notice kii ya nahi ki? Kisi ne nahi ki shayad. Suhana is from a rich family. Veer isn't. Matlab Suhana ki family upper level ki hai ekdum. Toh usme shuru me kitna guroor tha. Yaad hai? Jab uski mom ki anguthi chori hui thi? Kese Veer ko neecha dikhati thi woh.And ye suhana ke harqate to ab aur bhi cute hoti jaa rahi hai and uski ankho se ghurne wali adaye haaye kya hi nakhs lekr ghuri hogi wo veer tha sah gaya agar koi aur rahta to kasam se churiya chal jaati unn nain-e-nakhs se dil par......khair wo ab kuch jyada hi care krne lagi veer ke liye jo saaf saaf dikh bhi raha tha jab wo veer ke liye wait krne ko kaha usne and wo ruki bhi.......mai to kah raha abhi se ki isskee husband ko tapka do aur veer ke pale baandh do isko
Nahi! Actually concert tha Natalia ka toh usne apne songs gaaye the. Sirf yahi ek song nahi tha. Ye uska unreleased song hai jiska usne sirf chorus gaa ke concert ki shuruaat kii. Remember suhana's words? "ek ghante se upar ho gaya aur kitni derr baithna hai yaha?" Toh ek ghante tak Natalia was singing some of her best songs live.Khair wo concert me jab entry hui yaar gajab ka scenes tha ek trah se alag hi level pe tha wo concert jara socho ye to bas trailer tha yaa teaser tha song ke release hone ka lekin jab wo song release hoga tab to jo concert hoga yaa jo manzar hoga n wo dekhne laayak hoga
Dhanyavaad bhai! Yes! Uska poora song likha hai mene. We might see multiple of her songs throughout this journey. Writing lyrics takes up a lot of time. You can't just write anything.but but but ye sab lyrics to apne likhe Werewolf bhaya to ye saare taarife to aaapke hi hone chahiye na ki Natalia ki....so,man you are just amazing matlab ju ne iss story me ab ek aur chis apne se jor hi diya jo tha wo music ki lyrics jo bhalle hi abhi chand hi line thi lekin kya hi lamhe ussne jhinjhor iss dimag me......bhai yaar kya hi kahu jab wo lyrics apan ne padha n to aisa laga jaise bite kal ke kuch lamhe hi saamne aagaye ho mere lekin wo lyrics me to saaf saaf bayan kr rahi thi jab Natalia ne usse gaaya tab wo apne bite hue palo ko usme gungunana chahti ho aisa laga and akhiri baar yahi kahunga Werewolf bhai ki ye lyrics gajab ka tha just epic level but ye abhi adhura tha and I am waiting for whole lyrics....
Let's see wo aati hai ya nahi? Who knows...And ab aate hai veer par to ussne jab apne mmile hue cheque ko Zoey ko de diya n to mughe future scenes mere mind me bann ne lage jaise wo future me confirm aayegi hi yaa kaho to wo veer milegi hi aur jab wo uss samay veer milegi tab ka scene kuch alag hi rang jamayega
Natalia ki kesi personality hai ye next update define kar dega.Ab aate Natalia ke personality par to jaise wo mughe weird si feeling aayi matlab ajjib waise wali nhi mera matlab tha jaise ki ye teeno dosto me n ek baat to common si rahi jarur hai ki teeno apne bachpan yaaa bite hue lamho ko bohot jyada miss krte hai had se jjyada khaskar apni kaera uski to baat hi alag hai wo queen hai story ki aisa lagta hai mughe par may be not she is khair Natalia ki personality kuch alag hi hogi I think kuch different attitude sa hoga ussme and pride to hogi hi aakhir koi mamuli singer thodi n hai wo
Yes! She's cool headed. You can derive it from here...Aur ye Natalia ka face expression,uske wo emotion jo uske chehre par thi wo kuch alag hi thi jaise.....jaise ki Kaera rahti hai uske expression,shaant rahna waisa feel hua mughe jaise dono me ye common sa ho
Kaera ka dost nahi tha. Sonia ka dost tha. Pushkar. Woh marr chuka hai.And ek baat to aur bhul gaya yaar Kaera ka ek dost tha n Bachpan me wo ladka kya naam tha uska jo bhi tha uuska naam uski death hogayi thi,and I think ki Khair ye sab kya lekr baith gaya par mughe lagta hai Kaera ki personality saare charecters se bohot uppar hai mtlab Queen level type hai wo
Sonali? You mean Sonia!? Sonia ko nahi pata abhi ki Natalia yaha Vegas me Veer aur Suhana ke saath hai. Usse bas itna pasand hai ki Suhana Vegas gayi hai Veer ko leke for some business purposes. I mean Suhana ne yahi bahana bataya hai sabhi ko. (Except Gaurav ko.) Gaurav ko Suhana ne ye bataya hai ki woh Divya se milne jaa rahi hai for some important purpose. That's it.And ab aate hai agar ye baat really Sonali ko pata chali n ki ye dono aur veer Natalia seile hai to kya reaction hoga Sonali ka ye to confused sa hu Khair ye to hone se raha par ye batana jarur bhaya
waaah!!! Kya baat!Ab aate hai Natalia par to uski adaaye haaye kya hi gajab ki thi isspar to line banti hai meri traf se
"Teri wo nain d jhulfe,
Teri wo matakati hui.....haaye aage na bol pau iske agar tere unn Kashish se bhari ankho me dubba hua na hota,
Teri wo har adaaye jaise Khanjar ka kaam kar rahi thi iss dil-e-gadab par aur wo Khanjar to bechara jaise sarma ke baith sa gaya tha !! "
Boht boht dhanyavaad man! Par ju abhi khud pe focus zyada karo. Araam farmao aur heal karo. Thanks for such a big review. Apun bhi naye naye experiments karte rehta hai stories ko lekar. Apun jo bhi kahani utaarega idhar. Sab bomb rahengi. Bane rehne ka man! Keep supporting!Haa Werewolf to ye lines thi kuch aur nhi to ab aate hai teri taarife thodi kar lu to suru krte hai tere lekhni jo hamesha ki trah alag level pe jaa rahi no dout ki isme koi dout ho but but yaar ye Natalia ke jo tune scenes daale n wo alag hi tha just ossm yaar tune to Khair ab ek hi baat mai bolna chahunga ki mughe pata hai ki ju next update 105 me bohot bada jhatka dene wale ho sabko........jo june khud bhi confirm kr hi diye hai pahle hi
Khair akhiri baar bolunga yahi ki teri skill marvellous se ab aur bhi uppar ke level pe jaa rahi hai so, keeep going in bhai and keep entertaining us !!
Take care bhaya........