- 14,065
- 99,763
- 259
Last edited:
Lagta hai Werewolf shahb apne Sanju baba ko Divya ki or kuch dekhna haiNotice aap nahi Mai kar raha hu...jab se Divya aayi hai tabhi se uska photo hame dikhaye jaa rahe hai.
Khud check kijiye
Behad hi shanadar or jabardast update bhai.Update - 103 ~ A Day to Breathe Out
Ab tak...
Suhana : You fuckiinngggg know something... Tell me what the fuck you are hiding? Huh? Bolo! Kya chhupa rahi ho mujhse?
Divya : Urgghh! Jaan'na hai tumhe? Fine then!!! Ye lo!!! Tumhe yaad hai na kis liye bulaaya tha mene tumhe? Ye lo fir...
Kehte hue usne ek card feka jo seedha Suhana ke muh pe land kiya,
Haatho me pakad jab usne uss card ko dekha toh woh hairaani ke maare hil ke reh gayi,
"Whaaaaaaattttttttttttt!!!????"
Ab aage...
Mumbai...
Purvi's Home...
Morning ~ 8:32 AM
*Klink*
"Ye lo beta, chai!"
Saucer plate par chai se bhara cup rakhte hue Purvi ne kaha.
Saamne sofe par baithi hui thi Tej, aur uske hi bagal se virajmaan thi, Bhavna.
Uss din ke baad se, Purvi ne dono Maa beti ko hotel se check out karwa ke apne ghar me thehra liya tha.
Purvi ke pati wahi Mumbai me hi sthit ek sarkaari school ke principal the. Unn dono ki ek santaan bhi hai. Ek beta, jiska naam Tushar hai. Tushar Veer se keval ek saal hi chota hai aur woh medical ki padhayi hetu AIIMS me Delhi me shift ho chuka hai.
Usne fir ek cup chai ka Bhavna ki saucer plate par rakha, aur fir tray me se ek cup apne liye uthaate hue wahi dining table ki ek chair par baith gayi.
Purvi : Kuch pata laga kya fir?
Uske iss sawaal se Bhavna hairat me uski orr dekhi. Ye kya puch rahi thi woh? Bagal me Tej baithi hui thi. Fir bhi aisa sawaal? Purvi ka sawaal Veer ki khoj ke liye tha. Aur usne Tej ke saamne hi ye prashn puch liya. Zaahir tha ki Bhavna usse ajeeb nazro se dekhe,
Purvi (baat sambhaalte hue) : Ahh! Mera matlab tha ki, kuch pata laga kya kaam ke baare me? Tumne kaha tha na ki kaam chorr ke yaha par aayi ho tum. Toh koi dikkat toh nahi yadi tum yaha kuch aur din ruk jao toh?
Bhavna : R-Right! Nahi! Filhaal aisi koi pareshaani nahi hai.
Purvi (nakli hassi lete hue) : Ahahaha~ Okay!
Bhavna (awkwardly) : Hmm!
*Silence*
Dono ka yeh nakli naatak khatam hua aur ek ajeeb sii shaanti phel gayi kamre me.
Unhe laga ki akhir kaar woh Tejal se baat chhupaane me qamyaab ho gayi par...
Tej : 2 points for your acting.
Purvi : Huhh???
Bhavna : ???
Woh dono usse stabdh nazro se dekhi,
Tej : I said two points for your acting. Ye naatak khatam kar dijiye Mom, Aur maasi aap bhi. Aap dono ki hi acting bilkul bhi nahi jach rahi hai.
*Shwwwwooooooppppp*
Usne chai ki chuski lete hue kaha,
Tej : By the way, Chai acchi hai.
Purvi : T-Tej beta!
Bhavna : Tej! Tum...
Tej (dono ko dekhte hue) : Hmm! Sab pata hai mujhe. Wahi baat jo aap mujhse itne saalo se chhipaate aa rahi thi. Sab jaanti hu mein. I know ki mera ek saga chota bhai bhi hai. Aur woh bhi issi sheher me.
*Silence*
Purvi ka toh pata nahi, par Bhavna ko zaroor 440 volt ka jhatka laga tha. Jis raaz ko woh barso se chhipaate aayi, woh uske bina pata lage hi khul chuka tha?
Purvi (frowns) : Bhavna...!
Bhavna ne ek lambi saas lii aur chai ka cup waapas table par rakh diya,
Bhavna : K-Kab? Kab pata chala tumhe ye?
Raaz par se ab parda chuki khul hi chuka tha toh usse bekaar me firse dhaakne ki koi zaroorat nahi thi. Isliye, Bhavna ne shaanti se sawaal kiya,
Tej : Last year!
Bhavna : ????
Tej : Jab aap aur mein Rajasthan me the. Site par...
Tej ki nazre neeche jhuki hui thi. Jese maano woh ateet ko yaad kar rahi thi. Woh lamha jab usse apne bhai ke astitv ke baare me pehli baar pata chala tha.
Bhavna : Rajasthan me? T-Tab kese!? Mein toh...
Tej : Survey ki ek raat... Jab aap apne camp me thi...
Bhavna : Huh!!!
Tej : Mein aapse baat karne ke liye aa rahi thi. Par, jab tak aapke camp tak pohuchi, mene dekha ki...
Bhavna : !!??
Tej : Aap ro rahi thi. Seene se aap ek bacche ke chote se kapde ko bheenche hue thi. Haatho me ek photograph thi aapke. Aur, Mujhe yaad hai aapke woh bol. "Mera baccha!" "Kesa hoga tu ab?" "Dekh! Teri Maa kese tadap rahi hai yaha." "Kya tujhe yaad nahi aa rahi apni Maa ki?" "Tujhe pata bhi hai tere bina kese jee rahi hu mein?" "Par mein majboor hu mere laal. Mein majboor hu."
Bhavna achambhav me Tej ki saari baatein sunn rahi thi. Usse yaad aaya ki usne sach me uss raat yahi vaakya bole the. Toh kya Tej ne woh sab sunn liya tha?
Par yaha Tej aur Bhavna dono hi nahi jaante the ki jab woh Rajasthan se waapsi kar rahe the. Uss raat hi...
Tej toh apni birth par so chuki thi. Uss raat hi Bhavna apne bete Veer se mili thi. Jiske baare me usse pata bhi nahi tha. Ye wahi pal tha, jab Veer Suhana aur Sonia ki mom ki anguthi waale chor ko pakadne train par sawaar hoke Rajasthan aaya tha. Aur jaipur ke station se baith ke woh Suman, Aabha aur Sonali ko Mumbai leke jaa raha tha jab,
Ek aurat dusre platform par alag train me baithe paani ki bottle ke liye request kar rahi thi. Ye Bhavna hi toh thi. Jo survey ke baad se apne ghar laut rahi thi.
Par na hi Tej aur na hi Bhavna ye baat jaanti thi ki unke raaste aapas me iss tarah bhi mil chuke hai.
Bhavna khamosh reh gayi. Kya kehti ab? Sab kuch toh saamne tha.
Purvi (sighs) : Ek na ek din toh ye hona hi tha. Balki mujhe toh khushi hai ki akhir kaar Tej beta tumhe iss baat ka pata chala. Warna tumhari ye Maa na jaane kab tak ye raaz chhipaati rehti.
Bhavna : Tej mein...
Woh kehne ke liye daayi orr mudi par apne saamne usne jo dekha woh dekh ke Bhavna dang reh gayi,
Tej ki aankho se aasu beh rahe the. Kab dekha tha usne apni nidar beti ko iss tarah naino se paani ki boonde bahaate hue? Shayad Bhavna ko yaad bhi na hoga ki akhiri baar usne kab Tej ko iss qadar rote dekha tha. Par aaj...
Aaj woh ro rahi thi. Woh jaanti thi ki uski beti Tej ko zara bhi pasand nahi tha ki koi usse rota hua dekhe. Aur aaj toh...
Woh na keval uske saamne, balki apni maasi Purvi ke bhi saamne ro rahi thi. Ye ishaara tha ki uski peeda kitni zyaada thi.
Tej : K-Kyu?? Kyu kiya aapne aisa?
Bhavna ki khud ki aankho se anayas hi aasu nikal pade.
Bhavna : Beta...!!!
Tej : Kuch puch rahi hu mein... *sniff* Huh? Boliye! Kyu kiya aapne aisa?
Purvi : Tej! Meri baat suno, mein bataati hu...
Par iske pehle ki Purvi apni baat poori rakh paati, Tej apni jagah se uthi aur,
Tej : WOH SIRF AAPKA BETA HI NAHI HAI!!!!! WOH MERA SAGA BHAI BHI HAI!!!!!
Woh itni zorr se chillaayi ki waha baithi Purvi bhi avak reh gayi.
Tej : Kya soch ke aapne mujhse ye sach chhupaaya tha??? Haaaaannn??? Tell meee!!!!! Aapki himmat kese hui mujhse mere hi bhai ka astistv chhupaane ki???? Boliyeeee!!!!
Bhavna ki aankho se aasuo ki dharaaye behna shuru ho chuki thi. Aur uska shareer kaanpne laga,
Purvi ne jese hi ye dekha woh agle hi pal aage badh Bhavna ko thaam ke uske bagal se baith gayi.
Purvi (frowns) : Tej! Meri baat suno...
Tej ne apni maa ki haalat jab dekhi toh usse bhi ye ehsaas hua ki woh kuch zyaada hi bol gayi thi. Agle hi shan woh waha se palti aur apne kamre me jaake,
*THUUUUUDDDDDD*
Usne zorr se darwaaza band kar liya,
Purvi : Teeeeeejjjj!!!!
Purvi ne usse pukaara par, Bhavna ne uska haath thaam liya.
Bhavna : Rehne do Purvi! Rehne do! Usse akela rehne do thodi derr! Mein hi ek acchi Maa na bann saki. Isme uss bechaari ka koi dosh nahi... *sniff* koi dosh nahi!!!
Purvi (frowns) : Bhavna....!!!
Idhar kamre ke andar Tej darwaaze se tike zorr zorr se ro rahi thi. Na jaane kab iske pehle woh iss tarah royi thi. Usse khud bhi yaad nahi tha.
Woh itni kamzor toh nahi thi. Fir kyu? Harr baar jab bhi baat uske bichhde bhai se sambandhit aati thi toh kyu woh iss tarah toot sii jaati thi? Itni kamzor pad jaati thi? Woh toh mili bhi nahi thi uss se theek se.
Khud ke bhaar ko bed par patakte hue usne apna phone khola aur saamne screen par ek tasveer dekh, uske aasu aur zorr se behne lage,
'Kyuuu??? Aisa mere saath hi kyu hota hai??? And why it had to be you?? Do you have any idea that your Mom and big sis exists too?'
Siski bharte hue usne screen par komalta se haath ferra.
Screen par ek image maujood thi. Aur ye kisi aur ki nahi balki Veer ki hi thi.
Ye photo Tej ne apne phone se tab lii thi jab Egypt ke survey me Veer underground site me waha rakhe gupt samaan ko haath laga raha tha.
Ittefaaq se Tej ne usse tab dekh liya tha. Aur fauran hi usne apna phone nikaal ke ye photo click kar lii thi, ye soch ke ki baad me woh usse chori ke maamle me range haath pakad legi.
Par... Par ye photo dhari ki dhari reh gayi. Kyuki Veer ne uss samaan ko chhuune ke baad usse wese hi chorr diya tha. Usne kuch bhi nahi churaaya tha.
Lekin kisne socha tha ki Tej apni kheechi gayi iss tasveer ko aaj iss qadar apne seene se laga ke roegi? Usne khud bhi ye nahi socha tha kabhi.
'Vikram... Huh...!!?? Mein tumhe dhoondh ke rahungi. Chaahe kuch bhi ho jaaye.'
Woh khud se bol wahi laiti rahi. Na jaane kya chal raha tha uske mann me.
***
Idhar Mumbai me hi, Veer ke puraane ghar me Arohi aur Kavya apni baato me lagi hui thi.
Kavya bed par laiti ceiling ki orr apne dono haath felaaye apni shikaayate jata rahi thi, aur wahi Arohi Kavya ke college ka work kar rahi thi.
Kavya : Uggghhh!!! Agli baar ka competition mein hi jeetungi dekhna aap.
Arohi : Tum jeet jaati, agar woh Pragya participate nahi kari hoti toh.
Kavya : Wahi!!!! Hehehehe~ Par apne last year ke baad wo college toh leave kar hi dengi. Tab mein apne last year me finally first place le sakungi.
Arohi : Stupid! Abhi hi haraane ki koshish kyu nahi karti tum?
Kavya : Because she's better than me.
Arohi : Excuses...!
Kavya : Noooooo ~ Mene sach kaha. Lekin woh sab chorriye. Ye Veer bhaiya kab foreign se lautenge? Kuch bataaya kya aapko?
Arohi ne Kavya ke sawaal par sarr naa me hila diya,
Kavya : Uggghhhh!!! Ye Veer bhaiya bhi na. Harr baar bina bataaye lambi trips par nikal jaate hai. Hmph~ I hate him.
Arohi : Accha? Kuch din pehle woh kaun tha jo apne necklace ko baar baar dekh ke "I love you Veer bhaiya" chillaa raha tha? I guess koi toh tha. Hmm....!? Par kaun?
Kavya (blushes) : Ahhhh!!! W-Wo toh mein aise hi bas... Wait!!! Aap bhi toh... Aap bhi toh jaan boojh ke baar baar apne baalo ko kaan ke peeche karti ho na? Uss din bhi Kritika ke saamne jaan bujh ke aapne kiya tha taaki woh aapse aapki kaan ki baaliyo ke baare me puche. Jo ki usne pucha bhi tha. Weren't you showing off dii???
Arohi (blushes) : Wh-Whaatttt???
Woh achanak hi jhep sii gayi,
Arohi (blushes) : Wh-Whaaat rubbish!!!???
Kavya : Mujhse jhooth nahi bol sakti aap. Choti behan hu aapki. Sab pata hai mujhe. Mein toh atleast... Atleast... *blushes* openly sab kuch karti hu. Par aap toh... Sabse chhipte hue show off karti ho.
Arohi (blushes) : Y-Youuuu!!!! Jao nahi bana rahi mein tumhari ye drawing vrawing... Stupid!!!
Kavya : Kyaaaaaaa???? Ab aap... Ab aap uska gussa meri drawing par nikaalogi?
Arohi : It's your college work. Make it by your own.
Kavya : Par aap jaanti ho ki aapki drawing mujhse acchi hai.
Arohi : Haan toh ye abhi abhi kahe gaye shabdo ko bolne se pehle dhyaan me rakhna tha.
Kavya : Uggghhhhh!! Sorry na...!
Jab Arohi ne apni choti behan ki rondu shaqal dekhi toh ek lambi aah chorr woh waapas se uske kaam me lag gayi.
Arohi (sighs) : Fine!
Kavya : Ehehehehe~ I know! You are the best!
Arohi (khuspusaate hue) : Stupid....!
Kehte hue uska haath apne aap anayaas hi baalo ko kaan ke peeche karne ke liye chala gaya aur...
Uske kaan ki baaliya uski ungli se jaa takraayi. Jo sharm usne chhipa lii thi, agle hi shan gaalo ki wahi laali aur bhi badh gayi.
'Stupid...!'
Firse uske andar se awaaz aayi. Par iss baar keval mann me, aur kisi aur ke liye...
***
Las Vegas...
Forum shops at caesars...
Evening ~ 5:46 PM
Shaam ka samay ho raha tha. Mausam bhi haseen tha. Kul milaake ghoomne firrne ke liye ek perfect time.
Aur Aaj Veer aur Suhana wahi karne nikle the.
Itne dino se jo kuch bhi magazmaari unhone jheli thi, uss se baahar nikaalne ke liye ek breather lena zaroori tha.
Aur shopping se behtar aur kya hi ho sakta tha. Ek kaaran aur bhi tha shopping karne ka. Jo ki Divya ke dwaara dikhaaye gaye uss card me maujood tha.
Suhana aur Veer Divya ki ek dusri car leke khud hi yaha aaye hue the. Chuki investigation department me filhaal abhi koi kaam nahi tha unhe, aur saath hi teesre criminal ko lekar koi details nahi mil paayi thi, toh dono hi shoppi ke liye aa gaye.
Forum shops at caesars. Jo ki Vegas ki best jagah thi khareed-dari ke liye. Wese toh aur bhi behad acchi acchi jagah thi waha par ye sabse mashoor, aur ek must visit place thi.
Suhana hi gaadi chala rahi thi aur Veer baitha hua tha uske bagal se. Aur kuch hi derr me woh jagah ke saamne the.
Suhana : Hum pohuch gaye.
Veer : Hmm? Ohh! Ye jagah kaafi...
Veer ne dur se hi jagah ko dekhte hue kaha,
Suhana : Badi hai?
Veer : Hmm! Saath hi mehngi bhi lag rahi hai.
Suhana : Of course mehngi hai. Sabse mehngi hai ye shopping ke liye. One of the finest places to shop. Last time mein aayi thi toh kaafi kuch khareeda tha mene.
Veer : I see! Toh aap pehle yaha aa chuki hai?
Suhana : Of course! Now come! Be quick! Let's go!
Woh dono hi baahar nikle, aur entrance par pohuche.
Entrance dekhte hi Veer vismit sa hoke wahi sthir khada reh gaya.
Aur uske muh se apne aap hi nikal gaya,
"W-Woooowwww!!!"
Suhana (smiles) : Looks nice right?
Veer : It's actually amazing!
Suhana : Haha~ Let's go! Hamaare paas zyada waqt nahi hai. 8 baje tak hume waha bhi pohuchna hai.
Veer ne haami bhari. Aur woh dono andar chal diye. Andar brands ke showrooms aise maujood the jese chaupaati me alag alag khaane ke thele lage ho.
Aur brands bhi aise aise ki jinka sirf naam hi kaafi tha apni value bataane ke liye.
Gucci, H & M, versace, na jaane kya kya...
Aisi aisi brands maujood thi jo Veer apne desh me shayad hi kisi mall me mushqil se dekh paata tha.
Veer : This...
Suhana : Ye kuch bhi nahi hai. Aao andar chale.
Abhi woh aage badhe hi the ki usse wahi thehrna pada,
*Ring* *Ring*
Suhana ka phone baj utha.
Aur screen par naam tha,
Gaurav!!!!
Apni bauhe sikodte hue woh screen ko dekhi aur fir Veer ko,
Suhana : Umm?!! Give me a second okay?
Veer : Sure!!!
Aur idhar woh thoda distance lete hue aage aayi aur baat karne lagi,
Suhana : Hello??
Gaurav : Tum lauti nahi abhi tak? Aur kya baat hai? Itni busy ho gayi apni dost ke saath ki ek phone tak nahi kiya apne husband ko?
Bas! Ye jese akhiri shabd the jo Suhana abhi iss waqt sunn'na chaahti thi. Gaand ghis ghis ke kese woh log yaha kuch din survive kiye hai unn criminals ke beech me, ye baat keval wahi jaante the. Aur yaha uska pati ye soch raha tha ki woh yaha mazze kar rahi hai.
Pal bhar ke liye Suhana ke muh me gaali aayi thi. Lekin usne apne aap ko control kar liya,
Suhana : What do you mean? Mein yaha koi enjoy karne nahi aayi hu Gaurav! I'm here for work.
Gaurav : Accha? Haha! Arre bhai aisa kya work aa gaya?
Suhana (lambi saans chorrte hue) : Dekho! Mein abhi busy hu. Hum baad me baat karenge.
Gaurav : Busy? Bhala kis liye? Aisa kya ho raha hai waha? Aur zara apni friend Divya se toh baat karao. Kaafi samay se uss se baat nahi hui hai.
Suhana (mann me) : This... This idiot...
Suhana : Gaurav!!! Woh yaha nahi hai. Okay? Ab mein rakh rahi hu.
Gaurav : Nahi hai? Toh tum kaha ho?
Suhana : Mein shopping ke liye aayi hu.
Gaurav : Akele?
Suhana : Nahi! Veer hai saath me.
Gaurav : Veer? Kaun Veer?
Suhana : Huh? Mene tumhe bataya tha na? Veer! Sonu se jiski pehchaan hai? Uski car se jiska accident hua tha? Kuch yaad aaya?
Gaurav : Huh? Ohhhhh! Woh!!?? Haan!!! Ek minute!!! Toh tum uske saath waha kya kar rahi ho?
Suhana : What? Aane se pehle bataya toh tha ki ek friend ke saath jaa rahi hu mein Vegas.
Gaurav : What the hell Suhana? Woh kaha se tumhara friend ban gaya? Aur tumne ye toh nahi bataya tha mujhe ki tum uske saath jaa rahi ho. Matlab tum jabse ek anjaan ladke ke saath....
Suhana : Gauraavvv!!!! Tumhe meri baate sunn'ne ke liye waqt rahe tab toh jaanoge na.
Gaurav : Tum...
Suhana : Tumhe bataane waali thi. Par tumhara toh dhyaan hi nahi tha meri baato par. Jab tumse kaha ki mein jaa rahi hu. Your response was ~ "Yeah yeah! Go!"
Gaurav : Woh isliye kyuki mein meeting me tha Suhana.
Suhana : I don't care Gaurav!!! I don't care!
Gaurav : Youuuu!!!!
Suhana : Aur ab tum free hue ho toh ab yaad aayi meri? Socha ki ab apni patni se do chaar baate toh kar lu uska dil behlaane ke liye,
Gaurav : Tum jaanti ho mein busy tha...
Suhana : Aur mein toh paagalo ki tarah yaha gaand ghis rahi hu na?
Gaurav Suhana ke muh se abhadr shabd sunte hi thoda jhep gaya. Aisa nahi tha ki woh pehli baar uske muh se gaali sunn raha tha. Par bas baat ye thi ki Suhana tabhi aisi bhaasha ka prayog karti thi jab woh behad hi gusse me hoti thi.
Gaurav : Suhana...!
Suhana : Gaurav!! Mein abhi bilkul bhi mood me nahi hu kuch bhi baat karne ke liye. I'm here to freshen up myself a bit. So leave me alone. Is that clear?
Gaurav : Suhana tum...
Par iss se pehle ki woh kuch keh paata,
*Call ends*
Phone cut ho chuka tha.
Mann me gaaliya liye Suhana peeche ko aayi. Usme dekha ki Veer ek statue ko nihaar raha tha.
Gussa shaant kar woh Veer ke paas gayi aur uss se chalne ke liye boli,
Veer : Ho gayi baat?
Suhana : Y-Yeah! Chalo!
Veer : Hmm? Sab theek toh hai na?
Uski sawaal par Suhana ne Veer ko shan bhar ke liye dekha aur fir haan me sarr hila diya.
Veer : Aisa laga ki aap pareshaan ho. So I just... You know...
Veer ka bas itna kehna hi tha ki,
Suhana : Arrrghhh!!! Fucking hell!!!!! What does he think of himself?????? Am I his servant or whaaaattttt???? That stupid idiotic rat.... Aaarrrghhhh!!!!!
Veer : E-Ehhhhh!!??
Uska ye roop dekh Veer ko PTSD sa mehsoos ho raha tha.
'Ohhh fuccckkkkk!!! Y-Ye inhe kya hua?'
[Seems like Suhana ki dusri personality trigger ho rahi hai Master!]
'F-Fuuuccckkkkkk!!! Wait!!! Woh aise kyu dekh rahi hai mujhe? Shittttt!!!! That's scary!!!!'
Suhana ajeeb sii muskaan liye Veer ka haath pakdi aur usse ghaseetate hue andar le gayi,
'Ohhhh fuuuucckkkkk!!!!'
[ ]
Woh jese hi ek shop me ghusi,
Uska gussa saatve aasmaan par tha.
Shop me maujood employee uske paas aaya aur vinamrata se pucha,
Employee : Yes! Ma'am! What can I do for you?
Suhana ne apni ek ungli peeche uss employee ki orr point kii,
Suhana : That!!!!
Toh peeche jab Employee ne dekha toh paaya ki ek bada sa teddy waha latka hua tha.
Employee : Ohhh that? Haha~ That will cost you for...
Suhana : Bring me that!!!!
Employee : Huh? O-Okay!!!
Woh employee waha se teddy nikaal ke uske paas laaya,
Employee : Ma'am! This is created by our finest of craftsmen. The quality of the fur is...
Suhana : How durable is this?
Employee : Huh???
Suhana : How much punches it can survive?
Employee : Wh-Whaaattttt???
'Ohhhhh fuccckkk!!!!! Fuck fuck fuck....!!!!'
Idhar Veer Suhana ke peeche khade hoke jab sab dekh raha tha toh bechaare ke shareer me raungte khade ho gaye the.
Suhana ki dusri personality baahar aa chuki thi. She was pissed. Definitely pissed.
Woh ek teddy maang rahi thi. Jaha employee usse ye samjha raha tha ki teddy ka fur acchi quality ka tha toh Suhana ko inn sab baato se matlab hi nahi tha.
Woh toh ye puch rahi thi ki ye teddy kitne ghoose seh sakta tha? Zara sochiye ki aap ki ek gift ki dukaan hai. Aur koi khubsoorat lady aapke paas aake aap se puche ki aapki shop ka teddy kitne ghoose le sakta hai? Toh aapka muh kesa hoga?
Kuch aise hi bhaav abhi uss employee ke chehre par the.
Par iske pehle ki woh kuch keh paata,
Veer : We're leaving!!! Thank you for your time!!!!
'Fuuuuckkkkk!!!!'
Veer ne Suhana ke haath ko thaama aur usse kheech ke baahar le aaya.
Usne usse ek bench par wahi baithaaya aur uska gussa shaant karne ke liye woh chal diya wahi par lagi ek ice cream ki badi sii shop me,
Par jese hi woh aage aaya, saamne ka nazaara dekh ke hi woh chaka chaundh reh gaya.
Kya khubsoorti thi iss jagah ki.
Yadi mall ho toh aisa...
[Ek din aapke paas iss se bhi accha mall hoga. A much bigger one!]
'Pari...!!!'
Kuch bhi ho jaaye, Pari kabhi bhi motivation dena band nahi karti thi.
Veer dekh raha tha unn jagaho ko,
Kya khoob tareeqe se statues ka istemaal kiya gaya tha.
'Hmmm? Wese idea bura nahi hai. Yadi inn statues me hamaare desh ke shurveero ki aakriti rahe toh?'
[That's a nice idea Master! Isse sticky note me add kijiye. Hum apna khud ka mall banaenge iss theme par. I'll support you... Always! ]
'Hahahaha~ We still have a long way to go. By the way mere points ka kya? Itne kam points Nightwalker ke mission ke liye kyu?'
[Mene bataya tha na master. Mission jitne acche tareeqe se poora hoga, points uss hisaab se milenge.]
'Toh mene iss baar kya galti kar dii?'
[3 people died.]
'Ohhhhhh!!!'
[Mil gaya answer?]
'Yup Anyways! Let's go!!!'
Usne ice cream khareedi, aur Suhana ke paas leke gaya. Aur waqai, Suhana ka gussa kuch hadd tak shaant ho chuka tha.
Suhana ne na keval khud dherr saari shoping kii balki Veer ke liye bhi usne kaafi kuch khareed ke usse dilwaaya.
Khaaskar ek accha sa suit, jisse Veer ne pehen ke wahi change kar liya tha. Aur usne khud bhi ek khubsoorat sii dress pehni hui thi.
Kyuki unhe yaha se ab jaana tha apni doosri manzil ki orr,
*Thud*
Car ka darwaaza band hua,
Suhana : Chale?
Veer : Hmm!!!
Aur woh dono hi waha se nikal gaye,
Downtown ki orr. Kyuki yahi unki manzil thi.
Akhir issi ke liye toh woh shopping karne bhi aaye the. Divya ne jo kal card Suhana ko fek ke diya tha, uske sang ek flyer bhi tha.
Jo tha...
Aur akhir me jo card usne feka tha Suhana ke muh pe woh tha, ek invitation card.
Aur, Invitation tha...
Natalia Martin ka...
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
This update was to tone down the gritty and intense situation, as the name suggests. Next update me aap jaante hi hai ki kis se mulaqaat hone waali hai hamaari. Toh like thokne ka aur revos rakhne ka guys.
Dhanyavaad!
Toh veer ki holi bhot ache bani kuch khtti mithi yaadon ke sath. Veer ko suhana ne jo packet diye usme uski maa ke details the jisse veer ke khushi ka thikana na rha lekin ek mayusi bhi ke kese yun achanak maa -2 kehte hue mil skta tha qki veer ke aise achanak maa kehna shayad mamla bigad skta tha uski behan usko accept kregi ke nahi ye bhi dhyan me rkhna zruri hai. OR sbse zruri ke maa ne veer ko chhoda kyo hmesha ke liye kbhi Milne tk na aai haa woh alg baat hai akele me veer ko yaad krke roti rhti hai lekin baat to wahi hai na chhod ke kyo gai. Shayad mujhe kuch thik se yaad nahi hai agr main sahi hu to veer ki maa kisi Raj gharane se belong krti hai? Na.. Veer ne suhana se help manga lekin suhana ne inkar kiya aise illegally documents bnane se jiske baad veer wapas chala gya. Uske baad balhaar ko slogan ki jagah bitha diya gya jiska boss khud veer hoga. Veer fame tab unlocked hone se 200 point mile or abhi uska fame Tab 600 hoga veer ab underworld me kadam rkh chuka hai toh shayad usko task bhi underworld se related hi milega. Veer ke documents suddenly kaiae ban gya ye suspense hai. Ragini ko uske premi ke trf se pehla uphaar mil gya jo ki pendant hai jisko veer ne apne hothon se khud pehnaya ragini ko or Kya chahiye uska premi usko itna tavazzo de rha hai ab iss pendant ki sahare ye viyog bhi seh jayegi. System ne naya bomb fod diya hai abhi veer average hai ab usko genius bnne ke liye apne stats me 1 point bdhaane ke liye 10 point jodne honge.. Dekhte hai Egypt tour Kya rang laati hai maa or Behan ka Kya reaction hota hai veer se Milne ke baad..Update - 79 ~ Going Abroad.Ab tak...
Car me wo iss waqt Suhana ke saath baitha hua tha. Baaki sabhi ghar ke andar the.
Suhana ne ek kaagaz ka packet usse thamaaya hua tha.
Veer : What's this?
Suhana : Kuch aisa jiski talaash me tum the. It's important. Open it. You'll know what it is.
Veer ne jese hi usse khola aur dekha. Toh uski aankhein hairaani aur khushi ke maare felti chali gayi.
Ab aage...
Iss saal ke Holi ke parv ka ant ho chuka tha. Aur iss prakaar ki Holi aaj tak Veer ne apne poore jeevan me pehle kabhi nahi kheli thi. Ye Holi usse jeevan bhar yaad rehne waali thi. Jaha iss Holi me maza tha, toh saath hi ek saza bhi thi.
Itni saari ladkiya uske ird gird jab saath me aa jaaye, toh iska kya parinaam hota tha? Iska Veer ko anumaan lag chuka tha. Khaaskar, jab Kaera aur Sonia jesi ladkiya saath me ho. Wo dono toh jagah ko yuddhbhumi me badal deti thi.
Chaos!!! Harr jagah chaos hi fel jaata tha fir toh.
Kal uske ghar Karan bhi aaya tha Holi ke liye. Wo bechaara ye soch ke aaya tha ki Veer ki koi girlfriend nahi hai toh wo uska mood theek karne ke liye, apni pehchaan ki high class ladies ke beech usse Holi khilwaane le jaayega. Issi bahaane Veer ka mood bhi theek ho jaega. Ek dost hone ke farz nibha raha tha woh.
Par jese hi wo Veer ke ghar pohucha toh, uske chehre se uska rang udd chuka tha. Veer ke agal bagal gopiya hi gopiya thi. Ye sab kya chal raha tha behanchod? Ye Veer ke paas toh gf hi nahi thi. Ye itni saari ladkiya ekdum se kaha se tapak gayi?
Aur wo bhi sab ek se ek sundar, husn ki deviyaa. Upar se uski khud ki behan Kaera? Wo yaha kya kar rahi thi?
Kaera aur Veer ko aapas me Holi khelte dekh ke hi uska dimaag kaam karna band kar chuka tha. Jese tese hosh banaaye hue tha woh.
Jis behan ke saath aaj tak woh khud theek se Holi nahi khel paaya tha wo aaj Veer ke saath Holi khel rahi thi? Karan ko pal bhar ke liye laga tha wo kisi galat ghar me aa gaya hai. Haa yahi hua hoga. Ya koi sapna dekh raha hai. Par nahi, ye sab toh sach tha.
Kaera, yaha tak ki Kaera ki bachpan ki dost Sonia, uski badi behan Suhana. Aur na jaane kitni ladkiya. Aur beech me bas ek Veer. Karan apni kismat ko hi koss sakta tha. Aur Veer ki kismat ko bhi.
Kherr! Jo bhi tha. Issi bahaane Karan ko kal apni behan ka muskuraata chehra toh dekhne mil gaya. Saath hi itne barso baad, uski behan ne khud se pahal kar ke uske gaalo par rang lagaaya. Iss se zyaada khushi ki baat kya hi ho sakti thi uske liye.
Mann toh kar raha tha uska ki ussi waqt Veer ko gopche me le jaake uski khabar le. Par jab Kaera ne khud aake uske gaal par gulaal lagaaya. Toh Karan jese apna saara gussa bhul chuka tha.
Na keval Karan, balki Manorath aur Veer ki chachi Sumitra bhi aayi thi Ragini se milne.
Bhale hi Ragini ne talaak de diya tha Vivek ko par Manorath abhi bhi usse hi apne pote ki patni maante the. Sumitra shayad glaani ke chalte milne aayi thi. Wo apne bete ki harqat par abhi bhi sharminda thi.
Ye sab toh samaapt ho chuka tha. Lekin, kal jo Suhana ne usse diya tha. Wo package. Usme rakhi cheez. Wo thi asli cheez.
Iska kab se Veer ko intezaar tha. Kab se iski talaash thi usse.
Jii haan!! Veer ki asli Maa ki details.
Kal uss diye gaye package me Veer ki Maa se judi kuch details thi. Wo haal hi me kaha gayi hui thi, kya khoj ki, aur ab kidhar pe hai? Sab kuch uss package me tha. Ek file me.
Asli surprise toh Suhana hi ne diya tha usse kal ye deke. Aur Veer ab restless tha. Ekdum betaab.
Kese nahi hoga? Uski sagi Maa...
Jinke baare me wo kuch nahi jaanta tha. Kab se unki talaash me tha woh. Kitne sawaal the uske mann me. Kyu chorr ke gayi wo usse iss haal me? Kyu kabhi nahi milne aayi uss se? Kyu bhul gayi uske baare me? Kya wo ab bhi usse yaad karti hai? Ye saare sawaalo ka jawaab ab wo unse hi jaan sakta tha. Unki apni zubaan se. Ab jab uski Maa ka pata lag chuka tha, toh Veer bilkul bhi nahi rukne waala tha.
Uske paas rukne ka koi reason bhi nahi tha. Slogan marr chuka tha. Kaera filhaal safe thi. Uska food truck Sonali dekh hi rahi thi. Aur college ke exams bhi khatam ho chuke the. Koi bhi reason aisa nahi tha jo Veer ko jaane se rok sake.
Haan, ek matter tha. Nidhi ka matter. Par Veer ne thaan liya tha. Jab wo waapas aaega tab sabse pehle Nidhi ke matter ko hi solve karega.
Aur usne tay kar liya tha ki...
Wo apni sagi Maa se milne jaega. Akhir uski ek behan bhi toh hai saath me unke. Uss se bhi toh milna hai Veer ko. Na jaane kesi dikhti hogi? Kya naam hoga uska? Kya wo Veer ko jaanti bhi hogi ya nahi? Kesa react karegi woh? Veer jese itna desperate tha unn dono se milne ke liye.
Aur apni issi trip ko anjaam dene ke liye wo aaj Suhana ke paas uske office aaya hua tha.
Suhana, uske saamne ek business outfit me baithe usse hi dekh rahi thi.
Suhana : Toh tum chaahte ho ab ye bhi mein hi karu?
Veer : Yadi mein khud kar sakta toh bhala aapke paas kyu aata?
Suhana : Nope! I'm sorry! Ye kaam itni jaldi nahi ho sakta. Mein koi bottle me se nikli jinn nahi hu jo tumhara harr kaam kar dungi.
Veer : But it's really important.
Suhana : Dekho! Tum jo ye kaam keh rahe ho na? Nahi! Pehle toh ye idea hi waahiyat hai. Kisne diya tumhe ye idea? Haan? Kaun bewakoof hai ye?
[Huh? What did she say? Master~ I didn't hear that wrong right? Isne mere idea ko waahiyat kaha? Where's my lance?]
Aur hamaari Pari bhadak uthi. Kyu na bhadke? Suhana ne uske idea ko waahiyat jo keh diya tha. Par dekha jaaye toh galti Suhana ki bhi nahi thi. Idea hi aisa tha.
Jab Pari ko pata laga ki Veer directly apni sagi Maa se milne jaa raha hai toh usse Veer ki ye approach pasand nahi aayi.
Veer directly jaa ke apni Maa se milne waala tha. Unhe sab kuch bataane waala tha. Aur unse sab kuch puchne waala tha. Apne saare sawaalo ke jawaab maangne waala tha woh. Shayad wo apni Maa ki khabar paate hi, bhaavnao me beh gaya tha aur unse jald se jald milna chaahta tha sab kuch jaan'ne ke liye.
Par Pari ko ye approach zara bhi pasand nahi aayi. Ye bhi koi tareeqa tha? Uske hisaab se ye sahi dhang nahi tha. Aur isliye usne ye idea diya tha~
An Idea to hide your identity when meeting with your mother. Hide it as much as you can.
Pari ka sujhaav tha ki Veer directly jaa ke apni identity na bataaye. Usne Veer ko saare points rakhte hue apni baat samjhaayi. Veer samajhdaar tha toh Pari ki baat sunte hi wo agree ho gaya.
Zara sochiye ki aapki Maa aapko bachpan me chorr ke chali gayi. Kabhi aapse milne nahi aayi aur unke baare me ghar par aisi koi cheez nahi hai jo ujaagar ho sake aur unke baare me kuch bata sake.
Ab aise me aap ko unki jaankaari milti hai aur aap forun waha jaake sab kuch bata dete ho. Fir aap unse apne sawaalo ke jawaab maangte ho.
Kya wo bataengi?
Nahiiiii!!!!!! Bilkul nahi!!!
Koi na koi bada reason zaroor tha jo Veer ki Maa uss se ab tak chhipa rahi thi. Tabhi toh woh usse chorr ke gayi thi. Aur ab tak milne bhi na aayi.
Pari ne yahi samjhaaya tha. Apni Maa se milo, par unhe batao nahi kaun ho. Aise me wo usse ek stranger ke roop me dekhengi.
Unse milne ke baad unse dosti karo aur unse jaano ki kya kuch hua tha unke past me. Veer ki Maa Veer ko ye sab nahi bataengi, par kisi aur se toh share kar hi sakti thi!? Aur yahi pe Pari ka plan kaam aane waala tha.
Veer ka task tha~ Ek stranger bann ke unse milna, unhe jaan'na aur unse jitna ho sake, unke ateet ki baatein ujaagar karwaana.
Par Veer aur Pari dono hi ek baat nahi jaante the. Jis Bhavna ne aaj tak apni beti tak ko sach nahi bataaya, wo ek stranger ke saath apni baatein kese share kar sakti thi?
Yaha par Veer aur Pari dono hi andhere me the. Aur wo keval abhi ek hi dikkat par focused the.
Wo dikkat thi ki...
Yadi Veer unse waha milne jaega. Toh kese milega?
Kyuki, Bhavna iss waqt apne Delhi ke ghar me thi hi nahi. Wo toh already apni dusri excavation site par nikal chuki thi. Aur wo bhi videsh.
Yadi, Veer unse ek stranger ke roop me milega, fir bhi koi na koi padd toh uske paas rehna chaahiye taaki wo apni Maa ko approach kar sake.
Aise me bas ek hi upaay tha.
Faking yourself as a young archeologist.
Ab chuki Bhavna bhaarat ki archeologist thi. Veer ke paas bhaarat sarkaar ki taraf se ek ID hona zaroori tha. Ek legal ID jo usse permit kare archeological sites me research aur khoj been ke liye.
Aur kaun kar sakta tha ye?
One and only, Suhana!
Par, iss baar Veer ko niraashajanak uttar mila Suhana se.
Suhana (sighs) : Listen! Sabse pehli baat ye illegal hai. Yadi galti se bhi kisi ne ID pehchaan lii ya tumse details maang lii toh tum kya karoge? Wo retrace karenge sab kuch. Aur fir baat mujhpe aaegi. Mein matter sambhaal lungi par mujhe free ka headache nahi chaahiye.
Veer : ...
Suhana : Aur wese bhi ye kis type ka idea hai tumhara? Ki apni hi Maa ko ye nahi bataoge ki tum unke bete ho. Wtf? Toh mene details hi kyu dii tumhe? Jao na ab! Ask all what you want. Bring her back here. Ye faaltu ke dhakochle kyu kar rahe ho?
Veer : She's hiding something. Something big.
Suhana : Huh?
Veer (stares) : Mein unhe directly ye nahi bata sakta. Otherwise, she won't tell me. Isliye... I must hide my identity. As much as I can.
Suhana (sighs) : Sorry, but mein ye nahi kar sakti. It's too risky.
Veer : Well! I understand! Alright! Thanks!
Aur Veer bina kuch aage bole, waha se muda aur jaane laga. Aisa pehli baar tha, ki Veer ne Suhana se zidd nahi kii. Ek baar ka jawaab sunte hi wo jaane laga.
Suhana : That... I...
Suhana ne kuch bolna chaaha toh Veer palta.
Veer : ??
Suhana : I... I really cannot take such risks. Otherwise, mene...
Veer : It's okay! See you later!
Itna bol Veer waha se nikal gaya. Usne peeche mud ke dekha bhi nahi. Suhana ke mann me na jaane kya chal raha tha. Wo bas Veer ko jaata hua dekhti rahi. Mann me uljhan thi. Was she concerned? About Veer? Who knows!?
***
Ab bas abhi ek kaam aur bacha tha.
Balhaar se milna.
Veer ke plan ko qamyaab karne me uska hi toh sabse bada haath tha. Aisa Haath, jo filhaal toota hua tha. Haha!
Limbo ke istemaal se, Veer ne Balhaar ki limb ko marod ke rakh diya tha. Ab Balhaar chaah ke bhi uss haath ko pehle jesa nahi kar sakta tha. Veer hi tha jo usse iss mushqil se baahar nikaal sakta tha.
Isliye, Suhana ke office se seedha Veer Slogan ke main hideout ki orr gaya.
Andar pohuchte hi waha maujood dherr saare aadmi forun hi Veer ko pehchaan gaye.
Last time, kisi ne Veer ka mazaak udaaya tha waha toh Balhaar ne kya haalat kari thi ye unn sab ko yaad tha.
Unke mann me ye baat tab se hi baith chuki thi ki yadi Balhaar unka boss tha. Toh ye saamne khada banda unke boss ka bhi boss tha. Isliye iss se bakchodi nahi.
Veer : Balhaar kaha hai?
Aadmi 1 : Wo... Wo bas aa hi rahe hai.
Aur agle hi pal Balhaar aa bhi gaya.
Balhaar : A-Arre...!? Arre Boss aap? Hahahaha~ Aaiye... Aaiye..
Jab se Balhaar ko pata chala tha ki Veer ne Slogan ko akele hunt kiya. Aur toh aur Matthew ko bhi akele nipta daala. Tab se uska attitude Veer ke prati poora 180° flip ho chuka tha.
He went from a domineering Thug to a licking Dog.
Veer : Mene tumhe zubaan dii thi. Yadi Slogan ko maarne ka plan safal hua toh mein tumhe uske resources ki saari access de dunga. Sab kuch tumhara hoga.
Balhaar (smiles) : Bilkul! bilkul! Boss! Hahahaha~
Veer : Aur mein dekh raha hu tumne already apne aadmiyo se kaafi kuch apne under me karwa liya hai.
Balhaar : Bilkul boss!!! Jo mera hai wo toh aapka hi hai. Par... Bas ye...
Veer : I know! Tumhara haath. Ussi ke liye toh mein yaha hu.
Balhaar : S-Sach? Hahaha~ Toh Boss, M-Mera haath ab theek toh ho jaega na?
Veer (smiles) : Of course! Par uss se pehle...
Balhaar : Huh?
Veer : Mene ek shart aur rakhi thi. Yaad hai na?
Balhaar : ....!?
Veer : Yahi ki aaj se... Ab tum mere under me kaam karoge. Mujhe jab jidhar bhi tumhaari zaroorat padegi. Tumhe aana hoga. Yaad hai na?
Balhaar : Huh?? B-Bilkul! Ye bhi koi kehne ki baat hai boss? Aaj se ye Balhaar aur uske aadmi Boss ke liye hi kaam karenge.
Veer (smiles) : Good!
Veer fir aage badha, aur Balhaar ka haath thaama.
Aur agle hi shan...
*Ding*
LIMBO!!!
*CRAAAACCCKKKK*
"Aaaarrrghhhhhh!!!!!!!!"
Balhaar dard se karaaha. Usse ek tezz dard mehsoos hua apne haath me. Par uske baad hi, wo dard achanak se kam hone laga.
Usne apna haath hila ke dekha aur achanak hi uske chehre par khushi ki lehar daud gayi.
Balhaar : Haah... Haha... Hahahaha~ Mera haath... M-Mera haath... Mera haath theek ho gaya. Mera haath pehle jaisa ho gaya. Dekha tum logo ne... Hahaha~ Ye dekho... Ye dekho haath mera...
Wo khush hote hi apne haath ko ghuma ghuma ke dikhaane laga.
Balhaar : B-Boss!! Iss Balhaar ke liye koi bhi kaam ho bejhijak bata dena. Kaam ho jaega.
Veer (smiles) : Of course! Chalta hu.
Aur Veer waha se apna ghar aa gaya.
***
Uske Ghar aate hi...
*Ding*
[You have established a gang under your control.]
[You have now stepped into the underworld.]
*Ding*
[Fame tab has been unlocked.]
*Ding*
[You have received 200 Fame Points.]
[Fame
Bio : Fame is the popularity tab of the host. More the fame, more it will be better. Fame represents the social standing of the host in the world. Fame points can be achieved by various means. Setting up your name in the outer world or setting up a large business can allow host to establish newer connections. Hence, increasing the Fame.]
[Current Fame : 600]
Fame tab unlock ho chuka tha. Ye Fame tab Veer ki samaaj me kya image hai usko darshaane ke liye tha.
Veer jitna zyaada apna naam duniya me kamaaega, Fame utna hi badhega aur faayda Veer ka hi hoega.
[Now Now master!! Mujhe aapko kuch important baatein bataani hai.]
'Yadi ye Fame waali baat hai toh don't worry. Mein already sab samajh chuka hu padhne ke baad.'
[No! Not this...!]
'Hmm? Fame ke baare me nahi bataana hai toh aur kya bataana chaahti ho Pari?'
[It's about your stats.]
'Stats!?'
[Yes! Aap already first limit reach kar chuke ho. Ek average person ki ideal limit.]
'Huh!? Wait! Don't tell me...!'
[Yes! Master! 100 points tak ki limit ek average person kii hai. Ek average person khud ko behtar banaate hue keval 100 tak hi reach kar sakta hai.]
'Wait!!! Tumne toh mujhe kaafi pehle bataaya tha na ki... Bruce Lee ke stats bhi 90 ke aas paas honge!? Toh ye average person ke kese 100 ki limit hai? Do you mean, Bruce Lee was an average person? Heck no!!!'
[No Master! Ye kisne kaha tha aapse ki Bruce Lee ke stats 100 se neeche honge!?]
'Huh!?? What the fuck? Tumne hi toh...'
[Ahh! That might be my other personality Master.]
'What the...!?'
[Anyways!!! Mein aapko samjhaati hu. 100 stats tak ki limit ye darshaati hai ki ek average vyakti apne aap ko behtar banaate hue keval iss point tak hi pohuch sakta hai. Iske aage nahi jaa sakta.]
'Yadi aisa hai... Then genius log...'
[Yes!! You are correct Master! Genius people ke stats above 100 rehte hai. For example, aapne abhi tak Kaera ke stats check nahi kiye. Right?]
'N-No I didn't...'
[Kabhi kariyega. I can assure you ki uska intelligence above 100 hi hoga. A sign of a genius.]
'I see! Hmm! So tumhaare kehne ka matlab hai ki mein first limit reach kar chuka hu. Aur ab mein iss limit ko cross bhi kar sakta hu.'
[Exactly Master!!!]
'And let me guess. Ye itni asaani toh hone se raha right? So tell me! Kya kuch karna hoga mujhe iss limit ko cross karne ke liye?'
[Hooo~ Master! You are getting sharp day be day. As expected from you Master!]
'Tell me Pari...!'
[Hmm~ Baat simple hai Master. Yadi stat ki limit ko cross karna hai toh...]
'Toh...!?'
[Toh points spend karne honge.]
'Bas!?'
[Baat itni hi nahi hai Master. It's...]
'Hmm? Kaho mein sunn raha hu.'
[Okay~ So... Aisa hai ki... Harr ek stat ki aapko limit cross karni hogi. Aisa isliye kyuki, aap system ko bataana chaah rahe ho ki ab aap average vyakti ke max potential se aage badhna chaahte ho.]
'I see...! So!?'
[So... Usse karne ke liye. Jis stats me aapko aage badhna hai. Unki limits cross karni hongi. And to do that, you'll have to pay a price. For example, yadi aap strength stat ki limit cross karna chaahte ho toh aapko ek amount pay karna hoga tab jaake wo 100 ki limit extend hoegi. Aur fir aap apni strength 100 ke aage badha paoge. Then, you'll belong into the genius category.]
'Samajh gaya. Toh? Kya hai amount?'
[It's...]
'Ab bata bhi do Pari!'
[It's 2000 points for a single stat.]
'Huhhhhh? Kya kaha?'
[It's... It's 2000 points master. For a single stat.]
'Fucccckkkk! Ye system mujhe lootne ke liye bana hai kya? 2000 points? Aise me mere 5 stats hai. Toh harr ek ki limit cross karne me. Fuccccckkkkk!!! 10,000 points lagenge.'
[And this is not the end. Abhi tak aapke 2 points 1 point ke baraabar hote the. Par ab aisa nahi hoega.]
'N-Nahi... Mazaak mat karna okay!?'
[I'm sorry Master! But this is how it is. Ab se aapke 10 points ek point ke barabaar honge. In other words, yadi Strength Stat ko 100 se 101 par laana hai toh aapko 10 points add karne honge.]
'Fuuuuuccccckkkk this sytemmm!!!! Damnnnn youuuu!!!!!'
***
4 Days later...
Veer iss waqt jaldbaazi me apna zaroori samaan utha utha ke ek bag me daal raha tha.
Aur uske theek peeche khadi Ragini usse hairaani me dekhe jaa rahi thi.
Ye achanak Veer ko kya ho gaya tha? Apna bag kyu pack karne laga? Kaha jaa raha tha wo iss waqt?
Ragini : V-Veerrr!?? Kaha jaa rahe ho? Ye bag kyu pack kar rahe ho?
Veer : Abhi sawaal mat puchiye Bhabhi! Boht urgent hai. Mujhe nikalna hoga.
Ragini : What!?? But...
Veer tabhi apni jagah se khada hua aur Ragini ke sameep aaya. Ragini ki aankhein uske chehre ko hi dekh rahi thi.
Veer : Mujhe meri asli Maa ka pata lag chuka hai Bhabhi.
Aur ye sunte hi Ragini ashcharya me reh gayi. Veer ki Maa!??? Sagi Maa???
Ragini : K-Kyaaaaaa!?? T-Tumhari Maa? Wait you mean...?
Veer : Jii haan Bhabhi! Meri real Mom... Sagi Maa...
Ragini : What? Kaha se? Kaise??? Kaha hai woh???
Wo behad khush thi. Hairaan bhi aur thodi utsukta se bhari hui bhi.
Veer : Mein sab baad me bataunga. Filhaal mujhe jald se jald nikalna hoga Bhabhi.
Ragini : A-Arre aise kese?? Aise achanak? Kaha jaa rahe ho? Kaha hai pe hai tumhari mamma? M-Mein bhi chalti hu tumhaare saath. Tum akele kaha bhatkoge? Tumhara dhyaan kaun rakhega? Haan? Wait!!! Mein aati hu...
Kehte hue wo hadbadi me mud ke jaane ke liye hui. Par uske mudte hi Veer ne uski komal kalaayi thaam lii. Aur Ragini wahi jamm ke reh gayi.
Veer : Bhabhi! Please! Abhi mujhe jaane dijiye. Mein foreign jaa raha hu.
Foreign shabd sunte hi Ragini palat ke Veer ko asmanjas me dekhne lagi.
Veer ne uski ye haalat dekh uske kandhe par apne dono haath rakhe aur uski orr jhukte hue bola,
Veer : I know aapke mann me dherr saare sawaal hai. Par abhi mein unn sabke jawaab nahi de sakta. Bas itna samajh lijiye ki mujhe kahi se info mili hai ki meri Maa..
Asli maa.... Wo Egypt me hai iss samay. Ek archeologist hai woh.
Ragini : E-Egypt? Archeologist?
Veer (smiles) : Jii! Ek baar unse mil lu. Fir waapas aake aapko sab kuch bataunga mein.
Ragini : Arre par... Visa ka kya? Travel me toh lagega na? Aur passport tumhara? Sab rakha hai na? Aur khaane ke liye mene toh kuch banaaya hi nahi... Aur tumhara bag ready ho gaya?
Veer : Hahaha~ Chill bhabhi!!! Chill!!! Saari cheezo ka intezaam ho chuka hai. Itne dino se yahi toh kar raha tha.
Ragini : Aur tumne ek baar bhi mujhe bataana zaroori nahi samjha?
Veer uski baat par kuch na bola. Woh Ragini ko sheeshe ke saamne le gaya. Aur uske peeche jaa ke khada ho gaya.
Dono hi Ragini aur Veer iss samay darpan me ek dusre ko nihaar rahe the.
Veer : Close your eyes!!!
Ragini : Huhhh??
Veer : Apni aankhein band kariye Bhabhi!!
Veer ke kehne par Ragini me apni aankhein band kar lii.
Aur tabhi kuch pal baad...
"Ahhhh!!!"
Hairaani me uski aankhein jhatke me khul gayi.
'This... This...!!!' Uski aankhein sheeshe me khud ko dekh aasuo ki nami se timtima rahi thi.
Uske gale me... Ek pendant tha.
Ek behad hi sundar sa pendant.
Veer ke haath abhi bhi uske nange gale ke peeche uss pendant ko baandhne me lage hue the.
Veer : Aapne pehli baar mujhse kuch maanga tha. Mein kese mana kar sakta tha? Wese ye ho sakta hai aapko pasand na aaye. Mujhe pasand aaya tha isliye mein isse le aaya.
Usne itna kaha hi tha ki Ragini ne uss pendant ko apne haatho me kass ke bheench liya,
Ragini : N-Nooooooo~ This... It's beautiful. This is perfect!!! I like it. Nooo~ I love it!!! Th-Thank you Veer!!!
Ragini ka reaction dekh veer ke chehre par apne aap muskaan aa gayi.
Veer : Haha~ Aap behad cute ho bhabhi.
Ragini (khuspusaate hue) : Meri toh chaahat bhi behadd hai Veer!
Veer : Hmm?
Ragini : Mene kaha... Thank you Veer! Thank you so much. Isse mein hamesha sambhaal ke rakhungi. I love this. Thank you~
Aur usne palat ke Veer ke gaal par apne laal honth chipka diye. Aur unki chhaap bhi chorr dii.
Veer : Ahem... That...
Ragini (smiles) : Toh... Tum abhi nikal rahe ho?
Veer : J-Jii!
Ragini : Waapas aake...
Veer : Haan haan! Saari details dena hai. I know~
Ragini (smiles) : Yes!
***
Aur kuch iss tarah Veer inn maamlo se nipta. Wo taiyaar tha... Mumbai chorrne ke liye.
Uski destination thi ~ Egypt!!!!
Bhavna bhale hi Giza Pyramids ki khoj se laut aayi thi. Par Egypt me keval yahi pyramids nahi the. Haal hi me, researchers ne ek aur pyramid khoja tha. Uske andar ki saari chhaan been karne dherro researchers aur scientists aaye hue the. Bhavna unme se ek thi.
Ye ek bade scale ka excavation tha.
Aur Veer ready tha.
Apni Maa se Finally milne ke liye. Aur apni uss behan se bhi.
'Mein aa raha hu... Maa~'
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Like thokne ka aur revos rakhne ka.
Keep supporting!
Abe tuje Natalie ke naam pe koi aur nhi mili thi jo tune Pyar Lafzo Me Kaha ki lead actress Hayat/ HandeErcel ko dikha diya.Update - 104 ~ The Grand Concert
Ab tak...
Akhir issi ke liye toh woh shopping karne bhi aaye the. Divya ne jo call card Suhana ko fek ke diya tha, uske sang ek flyer bhi tha.
Jo tha...
Aur akhir me jo card usne feka tha Suhana ke muh pe woh tha, ek invitation card.
Aur, Invitation tha...
Natalia Martin ka...
Ab aage...
Las Vegas...
Downtown...
Evening ~ 7:54 PM
*Screeeeeeeeeeeccccchhhhhh*
Car aake seedha ruki. Andar maujood the Veer aur Suhana jo abhi abhi Forum shops at Caesers se aa rahe the. Dono hi acche kapde pehne hue the.
*Thud*
Woh baahar nikle aur car ka darwaza band hua.
Veer : Kaha hai Miss Divya?
Suhana : Usne kaha tha ki woh entrance ke baahar ek club hai waha milegi. Dekho aas paas, koi club wagarah dikh raha hai kya?
Veer ne nazre ghumaayi toh paas hi usse ek club dikhaayi diya.
Veer : Call karna better hoga I guess.
Suhana : Hmm! Wait a minute!
Veer ki baat maan kar Suhana ne Divya ko call lagaaya aur baat karte hi unhe pata chala ki woh ussi club me thi, jaha Veer dekh raha tha.
Suhana : Andar hi hai woh waha uss waale club me. Let's go!
Dono hi bheetar ki orr chal diye. Lagbhag 8 baj rahe the aur club ke andar ka mahaul masti aur jagmagaati dj lights se bhara pada tha.
Thirakte log, loud speakers par bajte angrezi gaane, cocktails enjoy karte log, sofe par baithe VIPs aur adh nange kapdo me naachti ladkiya.
Veer aur Suhana unn logo ke beech se nikalne ke liye aage badhe tabhi itne me ek nashe me dhutt gori ladki Veer ki chhaathi se aake chipak gayi.
Apni patli kamar ko woh yu matkaate hue, apni nasheeli aankho se usse rijhaane lagi,
Veer ki nazre uss ladki ko upar se neeche tak scan kar rahi thi. Ladki khubsoorat toh thi. Par, Veer ke mann me ek hi baat nikli,
'I have zero interest in you, girl!'
[Hahahaha~]
Aur uski iss baat par Pari bhi hass uthi. Veer ko 36 kaam the. Yadi woh aisi aisi harr ek ladkiyo par girne laga toh woh kahi ka nahi reh paega. Aur wese bhi, Kaera, Sonia, Suhana, Ragini jaisi ladies ke muqaable iss ladki ki sundarta feeki maalum pad rahi thi.
Bas ek nazar daal usne apni nazre mod li, aur idhar Suhana ne jab ye sab dekha toh woh Veer ki kalaayi thaam usse kheech kar aage badh gayi,
Suhana : Tumhe mazza toh bada aa raha hoga, hai na?
Veer : Hmm? Kyu bhala?
Suhana : Saamne se ladki aake chipak rahi thi. Itne bhole kyu bann rahe ho?
Veer : Uski jagah agar koi aur aake chipakta toh shayad mazza aa jaata.
Jese hi usne ye kaha, Suhana chalte chalte achanak hi ruk gayi aur peeche palat ke uski aankho me dekhi.
Kehna kya chaah raha tha ye ladka? Kahi woh...!?
Kahi woh ye toh nahi kehna chaah raha tha ki uss ladki ki jagah Suhana khud hoti toh...!!
Dono ka ye eye contact 5 se 6 seconds ke liye bana raha. Na Veer ne kuch kaha aur na hi Suhana ne. Ek ajeeb sa atmosphere janm le raha tha unn dono ke beech.
Lekin, Suhana ne agle hi pal uss atmosphere ko bhang kar diya. Woh waapas mudi aur Veer ke haath ko thaam andar ki orr usse le jaane lagi.
Bina kuch kahe hi, unn dono ke beech kuch na kuch baatein toh zaroor ho chuki thi. Sirf ek dusre ke naino se. Jese Suhana parakhna chaah rahi thi ki kya Veer ka ishaara uski orr tha? Aur Veer ye dekhna chaah raha tha ki kya Suhana ne uski baato ko apne upar liya tha? Aur yadi liya tha toh woh kya karne wali thi? Parantu, naino ki kashmakash zyaada derr na chali. Dono hi ek rikt sthaan par aa kar atak chuke the.
Iss rikt sthaan ko bharne ke liye dono ko hi apne mann ki baatein saamne rakhne ki zaroorat thi. Jo dono hi nahi karne waale the.
Woh punaah aage badhe aur andar jese hi woh pohuche, woh ek naye hall me pravesh kar gaye.
Lights aur bhi dim thi yaha, ye ek prakaar se rest room ki tarah tha. Baahar ka shor yaha kam sunaayi de raha tha. Jagah jagah mirrors lage hue the jidhar anya ladkiya khadi hoke apna apna make-up theek karne me lagi hui thi.
Aur unhi me se ek jagah khadi hui thi,
Divya!!!
Veer : Woh rahi aapki dear friend.
Usne ishaara karte hue kaha. Suhana ne nazre daudaati hue dekha toh Divya waha khadi mirror me khud ko sawaar rahi thi.
Aur Veer jese hi aage badha, Divya ne mirror me se unn dono ko aate dekh liya.
Woh aaiyne me Veer ko ghoor rahi thi.
Suhana : Chale bhi ab?
Divya : Hmm! Kyu nahi!? Let's go!
Suhana : Toh isliye tumne mujhe yaha bulaaya tha haan?
Divya : Phone par bataya toh tha na mene.
Suhana : Tumne kaha tha ki ek client ne tumhe contact kiya hai. Tumne ye nahi bataaya tha ki woh client kaun tha. The fact that it turned out to be her... Ava!!!!
Divya : Ab usse Natalia kehke bulao Suhana. Celebrity se kam nahi hai ab woh. Iss ek saal me poori music industry par keher barsa ke rakh diya hai usne. Jidhar dekho bas ussi ke gaane chhaa rahe hai aaj kal.
Suhana ye sunn ek chinta me doob gayi.
Divya : Ab kya sochne lagi?
Suhana : I just don't get it. Last time mene usse bachpan me hi dekha tha. Sonu ke sang. Aur mujhe tab aisa kuch bhi yaad nahi tha ki woh singing me talented hai. Aur ab...
Divya : People change Divya. Usne mehnat toh kari hi hogi. Iss tarah ki awaaz aur itni fan following. Sirf paisa fekne se nahi mil jaati.
Suhana : ...
Veer : Umm! Hum chal rahe hai na?
Divya (smiles) : Of course!
Muskuraate hue woh Veer ke bagal se aayi aur teeno hi baahar ki orr nikalne lage,
Chalte chalte hi Divya dheere se Veer ke paas aayi aur,
Divya : Hey!!! Kaisi lag rahi hu mein?
Veer ne uss par upar se neeche nazar daali aur usse ye maan'na hi pada ki Divya ki personality bhale hi kaisi bhi thi, par aaj lag toh ekdum pataka rahi thi.
Veer : Good!
Divya (smiles) : Bas good? Am I not looking hot?
Veer : Ahem! You do actually...!
Veer ki honesty par woh usse muskuraate hue dekhi, ye muskaan sach me aisa laga jese ekdum sacchi thi.
'Is this the real you?' Veer ke mann me uski awaaz aayi.
Yaha se ravaana hote hi woh pohuch gaye downtown me, jaha Natalia ka music concert rakha gaya tha.
Baahar logo ki line toh aise lagi thi, prateet ho raha tha jese poora Vegas hi yaha utar aaya tha.
Veer : What the...!?
Divya : Dekh rahi ho craze Suhana? Ye wahi Ava hai jo Sonia ke saath bachpan me khelti thi. Fans dekh rahi ho uske? Hahaha~ I don't even remember last time mene kab itni bheed dekhi thi ek saath.
Suhana : Andar chalo warna aur dikkat hoegi hume.
Jese hi Veer andar jaane ke liye hua toh achanak hi uske peripheral vision me ek jaana maana shaks dikhaayi diya.
'Huhhhh!?? Zoeyyy??'
Suhana : Veer??? Kaha kho gaye?
Veer : Aap dono andar chaliye mein aata hu.
Suhana : Arre par...!?
Veer itna bol waha se uss bheed me alag disha me ghus gaya aur ek pal me hi tamaam janta ke beech kahi gaayab ho gaya.
Divya : Woh aa jaega. Let's go!
Suhana : Nahi!!! Usse aa jaane dete hai fir...
Divya : Accha baba! Ek kaam karte hai iss entrance ke andar toh chal dete hai? Yaha boht bheed ho rahi hai. Andar hum uska wait kar lenge.
Suhana ne haami bhari aur woh dono hi andar chali gayi. Woh Veer ko yu akela nahi chorrna chaahti thi.
Idhar Veer bhaari bharkam bheed me Zoey ko peeche peeche follow karte hue uske paas badi mushqil se pohucha aur usne peeche se hi Zoey ka haath thaam usse palta diya,
Veer : What are you doing here?
Zoey : Wha-!?
Wo palti aur Veer ko saamne dekh hairaan reh gayi.
Zoey : Veeeerrr!!!!!
Veer : Yeah! You here?
Zoey : Ahhh! I...
Uska sarr neeche jhuk gaya.
Veer : What happened?
Zoey : It's... I just came here to return the dress. There's a famous shop here. And when I was passing by... I got lost! Too many people... You know...
Apne kandhe uchkaate hue woh thoda uncomfortable way me boli,
Veer : Returning dress? Why so?
Zoey apni ek behad sundar sii dress ko return karne aayi thi. Jo ki yahi ek shop se lii gayi thi.
Zoey : Because I rented it... Ahahaha~
Woh sharminda hote hue boli. Baat saaf thi. Woh wese hi paiso ko lekar tangi me thi. Mansion me bhi usne apni kismat azmaana chaaha tha par uske haath kuch na laga. Ulta jaan aur gawa baithi thi woh.
Zoey ne ek dress yaha se rent par lii thi, ye soch ke ki fashion modeling ke photoshoot ke dauraan, uski ye photos bade bade magazine photographers tak shayad pohuch jaaye aur woh usse apne saath kaam karne ke liye bulaaye.
Par jesa usne socha tha wesa kuch na hua. Unn photographers ne Zoey ko kam se kam semi nude hone ka keh diya tha. Zoey unn chand ladkiyo me se ek thi jo nudity me apna haath nahi daalna chaahti thi. Aksar usse log taane maarte the ki model bann'ne ke sapne dekhna woh chorr de.
Jo ladki nudity accept nahi kar sakti woh kya khaak model banegi. Sach kaha jaaye toh fashion ki duniya me aisi nagnata ko normal hi maana jaata hai. Zoey ek aisi model bann'na chaahti thi jo bina nudity ke bhi, keval apni khubsoorti aur figure ke bal par poori fashion industry ko dominate kar ke rakh de.
Par afsos, hum jesa chaahte hai zaroori nahi ki wesa hi ho. Usse ek push ki zaroorat thi bas. Bas thoda paisa kharch karne ki zaroorat hi. Lekin dikkat bhi toh yahi thi. Uske paas paisa nahi tha.
Veer Zoey ka status jaanta tha. Aur usne ek baar me hi sab bhaanp liya tha.
Zoey : I... I must go now! I cannot miss my train. Otherwise I won't be able to afford any more tickets. Ahaha~
Wo firse nakli hassi dete hue hassi aur mudi,
Veer : Wait!!!
Zoey : Huh?
Veer ne usse rok liya. Peeche mud jab usne Veer ko dekha toh...
Veer apni blazer ki jeb se kuch nikaal raha tha.
Usne ek kaagaz ka panna nikaala aur Zoey ke haath me thama diya.
[Ehhhh? M-Maasterrrr???]
Kuch pal toh Zoey idhar Veer ko hi dekhti rahi lekin jab usne neeche uss kaagaz par gaur kiya toh uski aankhein achambhav ke maare fel uthi,
Zoey : Wh-Whaaatttt??? N-Noooo!!! What are you doing?
Woh kaagaz koi aisa wesa kaagaz nahi tha. Cheque tha woh. Wahi cheque jo Veer ko reward ke roop me investigation department se mila tha. Nightwalker ko jo pakdaaya tha usne.
Kayi hazaaro dollars ka cheque tha woh. Aur ye reward Veer ka tha.
Veer : Have it!! You need it more than me.
Zoey : What?? No!!! I can't take this. Not at all!!!
Aur usne woh waapas usse thamaane ki koshish kari, par Veer na maana. Jab uski ek na chali toh woh Veer ki zidd ke aage haar hi gayi,
Zoey : B-But... No! I just can't...
Zoey ki apni ek pride thi. Yadi wo paise chaahti toh nudity me ghus kar na jaane kitne kama leti. Par usne aisa nahi kiya. Toh bhala woh Veer ke haath se ye paise free me kese le sakti thi? Iss baat ko Veer samajh chuka tha. Isliye,
Veer (smiles) : Then you can repay me. One day when you'll become a famous model. At that time think of me... You'll find me in Mumbai, India. I hope by that time, I would have made a name of myself.
Veer ne uski saari problem ek sentence me solve kar dii. Usne Zoey ko udhaar ke roop me ye paise diye. Beshaq, ab Zoey ki pride ko utna dhakka nahi laga tha. Uske zehen me bhi yahi baat thi ab ki woh udhaar le rahi thi. Na ki free me usse ye paise taras khaa ke diye jaa rahe the.
Aasuo ki komal komal boonde apne aap uski aankho se nikal padi, wo rote hue dhundhli aankho se apne haath me uss cheque ko dekh rahi thi.
Zoey : I'll remember this. I'll definitely repay you back some day. I promise...!
Par jab tak usne apni nazre upar kar Veer ko dekha, tab tak Veer palat ke dur jaa chuka tha. Usne bina mude hi apna haath hawa me uthaaya aur goodbye ka ishaara kar woh dobaara se uss bheed me kho gaya.
Zoey apni aankho se aasu poch ek antim baar Veer jis orr gaya uss disha me dekhi aur apni suitcase utha ke woh palat ke nikal gayi.
***
Idhar Veer jese hi kuch qadam hi aage badha tha jab,
*Ding*
[Zoey's favourability has been increased by 40.]
[Master! Pehle mein surprised thi. Par at the end, aapne ek sahi kaam kiya. She needed that cheque.]
'Pari! Kayi baar hume rishte bhi banaane padte hai.'
[Par Master agar future me Zoey aapka kiya hua ye favour bhul gayi aur kabhi bhi aapko repay nahi kiya toh?]
'Toh kya? Toh kuch nahi Pari! Woh kahavat toh suni hi hogi. Neki kar, dariya me daal.'
[Thats... Indeed! Master!]
Veer muskuraaya aur aage badh concert ke venue ki entrance me ghus gaya.
***
"Kaha reh gaye the tum???"
Ghuste hi usse bagal se Suhana ki awaaz sunaayi dii. Dono Divya aur woh uska hi intezaar kar rahi thi.
Veer (smiles) : Emergency!!!
Suhana : Kyaaaa?? Aur piyo dherr saara paani car me baithe baithe... Arre mall me bhi toh...
Divya : Enough!!!! Suhana! Hum pehle hi late hai. Let's go!
Divya usse kheech ke lete hue aage badhi, aur idhar Suhana peeche palat ke Veer ko apni aankhein sikodte hue dekhi jese kehna chaah rahi ho ki ye lecture woh baad me sunaaegi usse.
Veer andar hi andar mand mand muskuraaya. Kabhi kabhi ye Suhana ekdum bacchiyo jese behave karne lagti thi. Aisa lagta tha jese uski dusri personality maano baahar aa rahi ho.
Veer, Divya aur Suhana jese hi venue me enter kiye, woh andar ka nazaara dekh ke hi dang reh gaye.
Concert itna bhavya tha ki kehne ke liye shabd nahi the unke paas.
Dherr saari jagmagaati lights, aasmaan tak unki rays feli hui thi, smoke pipes se dhua uth raha tha, bhaari maatra me log thirak rahe the, saamne behad badi sii screen me Natalia dikhaayi de rahi thi jo stage ke beecho beech behad khubsoorat dress pehne khadi hui thi.
Shayad woh gaana shuru karne hi waali thi.
Veer aur baaki sab excited logo ke beech se apna raasta khojte hue aage badhe. Vip seats ki orr, jo sabse aage maujood thi. Woh late the. Warna unhe aise bheed ke beech me se nahi aana padta.
Par Veer unn logo ke beech se guzarte waqt...
*Ding*
Uski aankho me achanak pal bhar ke liye laali chhaayi. Aur usne aas paas idhar se udhar nazre firaate hue dekha. Uski aankhein baaj ki tarah logo ko scan karne lagi.
Woh ek pal bhi bekaar nahi jaane dena chaahta tha. Nightwalker ke mansion me hoke aane ke baad usne system ko aur efficiently aur fast use karna shuru kar diya tha. Woh jaanta tha ye kitna zaroori tha.
Suhana jo aage chal rahi thi woh achanak se peeche mudi, aur jese hi usne Veer ko dekha,
Veer ki aankhein waapas se normal ho chuki thi.
Suhana : Hmm? Is something wrong?
Veer : Nothing! Keep moving!
Suhana : Hmm!
Aur Suhana ke firse mudte hi,
*Ding*
Unn aankho me laali firse janm le uthi.
Sab kuch itni tezzi se hua ki Suhana ko pata bhi nahi chala ki Veer ne abhi abhi uske bagal se khade hoke Beowulf activate karke inn chand seconds me hi apne aas paas ka jayza bhi le liya tha. Ye sab kuch seconds me hua. Woh itna tezz ho chuka tha system use karne me. Pari bhi jese uski saari mann ki baate samajhti thi. Ek pal nahi laga usse Veer ke thoughts ko poora karne me.
Within seconds, Pari ne Beowulf activate kiya aur waapas se deactivate kar diya. Aur Suhana ke mudne ke baad firse activate kar diya. Veer aur Pari ke beech koi baat bhi nahi hui. Jese Pari ab apne Master ke liye aur fast aur efficient ho chuki thi. Sab kuch bina kahe hi ho gaya. Unhe aapas me baat karne ki zaroorat hi nahi padi.
Filhaal, Veer ko aas paas se aisa kuch bhi nahi sunaayi diya jo charcha ya chinta ka vishay bane aur na hi usse kuch aisa dikhayi diya. Jo ki ek raahat waali baat thi. Aur isliye usne Beowulf deactivate kar diya.
Woh jese tese uss bheed se nikal aage aaye. Ekdum aage. Saamne Lambe lambe white sofe rakhe hue the. Keval Vip logo ke liye. Aur kayi saare Vip pehle se hi waha baithe the. Woh Veer, Suhana aur Divya ko hi dekh rahe the.
Baahar do guards the jo VIP invitations check kar rahe the. Divya ne invitation card unn guards ko thamaaya aur guards ne unhe andar jaane de diya.
Divya apne sofe ke upar lage tag me apne naam ke paas pohuchi aur Veer aur Suhana ko ishara kar usne aage bulaaya.
Teeno uss sofe par baith gaye.
Aur udhar upar bade se stage par Guitarist, drummer aur anya musicians Natalia ke ird gird apni jagah par baithe instruments set karna shuru karne lage.
*Booooooooooommmm*
Stage ke saamne se fireworks upar hawa me ude, janta ka shor tatha hooting shuru hui,
Aur Veer ne jese hi nazdeek se A
Natalia ko dekha, woh wahi jamm ke reh gaya.
'Huhhh!!!'
[Okay! I admit. She's gorgeous!]
Aur Pari ne bhi apni haami bhar dii.
Natalia behad khubsoorat thi. Veer ne kabhi nahi socha tha ki usse Kaera aur Sonia jesi ke level ki koi ladki itni jaldi usse issi janm me dekhne ko mil jaegi.
*Badump*
Uska dil ek dhadkan jese phaand gaya.
Aur agle hi shan,
'Check!'
Veer ne Natalia ko check kiya. Lekin jese hi usne check kiya, Natalia ki aankhein turant hi Veer par tikk gayi. Woh stage se seedha usse ghoor rahi thi.
'Hhuhhh??? Whattt??'
Par fir Veer ne dhyaan diya, ki Natalia ne sirf usse hi nahi, Divya aur Suhana ko bhi dekha. Aur ek halki sii nod dii bas.
Uske baad usne fir gaana shuru kiya.
I know it's fading, going away from my hands,
It never was there, had fooled me till the end.
Feelings of mine.... Yet keepin' meeee aliiiiiiive!
Nobody wants to see the pain behiiiiiiinnnd...
Closed my heart, and now I'm on my miiiiinnd...
Slippin' away from my grip...
There goes my wish...
And, letting go I no longer need that vile paaaassstttttttt....
Natalia ki awaaz poore venue me goonj uthi.
Janta ka shor umad utha.
Koi instruments nahi baje the. Sirf aur sirf uski awaaz hi thi. Aur jis tarah se usne ye gaaya tha. Uss awaaz ke peeche ek alag hi dard tha. Aur kya hi kamaal ki powerful voice thi. Par saath hi utni hi madhur.
Uski awaaz itni alag thi ki sunte hi Veer ke shareer ke raungte khade ho gaye. Uski aankhein apne aap band ho gayi. Aur sirf Veer hi nahi tha. Suhana aur Divya ka bhi yahi haal tha.
Suhana ye bhi jaan gayi thi ab ki kyu itni zyaada bheed thi Natalia ke liye. She was too good! Live stage par aise live gaana. Koi notes miss nahi ho rahe the. Harr ek high note ekdum sahi laga tha uska. Aur awaaz zara bhi nhi ladkhadaayi unn high notes ko lagaane me.
Kitni practice chaahiye hoti thi iske liye ye baat Suhana bhali bhaati jaanti thi. Akhir uski contact me bhi kayi bade singers the. Par Natalia ki aaj iss awaaz live sunn'ne ke baad jese woh saare singers ab pheeke maalum pad rahe the.
Ye gaana Natalia ne abhi release nahi kiya tha. Ye sirf aane waale gaane ki kuch panktiya thi jo usne concert shuru karne se pehle gaayi aur excitement ke chalte janta udhar utne me hi paagal ho uthi.
Such was her craze!!!
Uske baad fir music aayi, fir jaake thoda mahaul party jesa hua aur vibe bani.
Suhana : Ek ghante ke upar ho gaya hai. Hum kab tak yaha baithe rahenge?
Divya : Meri baat ho chuki hai uss se. Usne kaha tha ki... Concert ke baad hi dinner me hume uske saath join karna hai. Aur udhar hi wo saari baatein bataegi.
Suhana : Matlab poora concert bhar yaha baithna hoga?
Divya : What is it? Tumhe toh glad hona chahiye. Finall getting to witness Natalia. Fufufu~ Should I call Sonia? Batau usse uski bachpan ki friend ke concert me baithe hai humlog. Hmm?
Suhana (aankh dikhaate hue) : You better not!!!
Divya : Hahahaha~
Suhana beech me thi. Veer aur Divya uske bagal se baithe huye the aur apne aap hi uska haath Veer ki jaangh par anayaas hi chala gaya.
Veer par uska dhyaan nahi tha. Aisa lag raha tha jese woh kisi baat ko kekar chintit thi.
Veer : What's up?
Suhana : ????
Veer : Mene pucha kya hua? Kya soch rahi ho aap?
Suhana : Ahh! Wo mein...
Veer : Hmm?
Suhana : I just... Tum jaante ho ki Ava... I mean Natalia Sonu ki childhood friend rahi hai. Par uske jaane ke baad se hamaare aur uske beech contact jese khatam sa hi ho gaya hai. Aaj usse yaha aise dekh ke bas shocked hu thoda. I never saw her singing in the past...
Veer : Tab woh boht choti rahi hongi... Maybe India se jaane ke baad unhone apne passion ko follow kiya ho?
Suhana : Yeah!!! Maybe...
***
Samay guzra aur dekhte hi dekhte ye vishaal concert apne ant ke qareeb pohucha.
Dekhte hi dekhte saari janta apne apne ghar ke liye jaldbaazi me nikalne lagi. Concert behad hit tha. Par Veer aur dono sundariya waapas jaane ki bajaaye venue ke bagal waale gate se baahar gaye.
Udhar hi ek behad badi 5 star hotel thi. Aur uske hi campus me dherr saari bheed ikhatta hui padi thi.
Photographers se leke reporters toh wahi haatho me phone liye Natalia ke fans...
Natalia hotel se baahar nikal rahi thi. Uski kaali cham chamaati dress stairs par lathadte hue peeche peeche aa rahi thi.
Woh campus tak aayi toh uske chehre par flashes ki bauchhaar shuru ho gayi.
*Click* *Click* *Click*
Par woh seedha apni vanity van ki orr chali gayi.
Aur idhar bodyguards ne saari janta aur tamaam reporters athwa photographers ko wahi rok liya.
Natalia ne apne kapde change kiye aur ek top aur uske upar black jacket daal woh hotel me waapas chali gayi.
***
Idhar Veer ki toli andar jaane ka wait kar rahe the. Natalia ke bodyguards ne unhe baahar thehra ke rakha hua tha kyuki tab tak Natalia change karne me lagi hui thi.
Suhana : What the hell?? Sonu ki childhood friend hai woh. Aur dekho toh... Humko anjaan samajh ke wait karwa rahi hai. I just...
Divya : People change Suhana... People change...
Suhana : Just like you, right?
Divya : Ugghh!! Y-Youuuu...
Suhana : Hmph!!!
Veer bas muskuraa raha tha. Usse pata tha Suhana aisi situations me pakke se trigger ho jaati hai. Aur wahi hua. Suhana ka ego hurt hua tha. Kese nahi badbadaaegi woh?
Kuch derr ke intezaar ke baad hi unhe andar jaane ke kiye allowed kar diya gaya.
Aur jese hi woh andar pohuche...
Natalia wahi baithi hui thi. Ek table ke paas ek seat par. Dinner yahi hona tha.
Usne teeno ko aate hue dekha aur bas ek halki sii muskaan ke saath boli,
"Welcome!!! Have a seat!!!"
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Some updates takes time. Remember this well. I had to make my own lyrics for that Natalia's song. Searching for accurate relevant images takes time as well. Toh likes thok ke jaane ka aur revos rakhne ka.
Dhanyavaad!
I always hate back stories, ab chahe me koi story padh rha hu ya dekh rha, jis reason se ye update total bakwas laga because i prefer skipping the back story.Update - 67 ~ No one cares about you being second.Ab tak...
Sonia ko pata nahi kya hua par wo achanak hi zorr se darwaaza band kar baahar nikal gayi.
'Hmm?'
[Something happened...!]
Wo baahar nikli aur nikalte hi usne sabse pehle Mrinal ma'am ko dekhte hue pucha, "Where's the washroom!?"
"Yaha aage se left!" Mrinal ma'am ne bataaya toh Sonia bas tezz kadmo ke saath andar ghuss gayi aur ek baar fir...
*Slaaaammm*
Zorr se usne darwaza andar se hi band kar liya.
Ab aage...
Sonia iss waqt sheeshe ke saamne khadi hui thi.
Aankhein laal, palko par saje hue halke halke aasu jo bas zameen par tapakne hi waale the.
Thodi tezz saasein aur darpan me wo apni khud ki iss haalat ko dekh rahi thi.
Wo toh bas kuch hi dino ke liye baahar gayi thi zaroori kaam se. Keval kuch hi dino se Veer se nahi mili thi. Toh fir...
Toh fir uske kuch din apne sheher se dur rehne par itna bada badlaav kese aa gaya? Wo Kaera jo logo ko bhaav tak nahi deti thi, wo Kaera jisse harr ek cheez boring sii prateet hoti thi. Wo Kaera jisse ladko me koi interest nahi tha. Wo Kaera jo kabhi emotions nahi dikhaati thi.
Toh wo Kaera aaj yaha iss qadar Veer se kyu lipti hui thi bhala? Kyuuuuu???
Aisa kya ho gaya tha inn kuch dino me ki Kaera jaisi ladki Veer ke aalingan me giri hui thi?
Sonia ki kuch samajh nahi aa raha tha. Aaj toh wo yaha Veer ki haalat dekhne aur usse belated congratulations kehne aayi thi uske apne naye food truck ki shuruaat ke liye.
Par... Par yaha ka nazaara toh kuch aur hi tha. Uski puraani dost, jo uss se theek se baat tak nahi karti thi. Uss se kya, jo kisi se bhi dhang se baat nahi karti thi, hamesha ladke uske peeche rehte the. Aaj wo...
Aaj wo yaha ek ladke, Veer se lipat ke chipki hui thi. Jhatka toh laga tha Sonia ko. Par uss se bhi zyaada usse ye baat sata rahi thi ki...
Wo Veer se pehle mili thi. Wo gayi thi Suhana aur Prakash Uncle ke saath Veer ke college uss se pehle milne. Usne pehle Veer ki saari details nikalwaayi thi. Veer ne pehle usse bachaaya tha. Wo Veer ko pehle se jaanti thi. Fir...
FIR KYUUUUUUU!??!
Kyu Kaera aur Veer ke beech usse wo nazar aa raha tha? Wo rishta jo abhi tak uske aur Veer ke khud ke beech nahi bann paaya tha. Kyuuuu??
Zara sochiye ki aap kisi naye dost se mile. Sab kuch badhiya chal raha hai. Aap kuch din ke liye baahar gaye aur jab aap wapas aaye toh aap kya dekhte ho?
Ki aapka ek puraana mitr jo aapse ab rutha hua hai wo aapke uss naye dost ke saath hass kar ghul milkar baatein kar raha hai. Toh kesa lagega aapko? Aisa lagega na ki aapse wo cheez chheen lii gayi ho? Ki aapko kisi makkhi ke samaan nikaal kar thaal me se fek diya ho!? Lagega na!?
Kuch aisa hi ho raha tha abhi, Sonia ke saath.
Aur tezz saasein lete hue usne apni aankhein band kar lii...
*20 years ago*
"La la la la ummmm la la laa hnnn~"
Aaj vacation ka akhiri din tha. Ab mein 1st class me jaane waali thi. Aur kal, meri 1st class ka pehla din tha.
Apne baalo me ribbon baandhte hue mene sheeshe me dekha aur mamma ki make-up kit se brush utha ke apne chehre par foundation potne lagi. Mein sundar thi. Mamma jaisi. Aisa soch ke mein mamma ki nakal karne lagi.
Tabhi peeche se meri mamma aayi aur mujhe dekhte hi hassne lagi.
"Hahahaha~ Sonu?? Ye kya kar rahi hai meri bacchi?"
"Mamma ka makeup laga rahi hu~"
"Accha jii? Aur kyu bhala? Bacche kabse makeup lagaane lage?"
"Mamma lagati hai toh Sonu bhi lagaegi~"
Mene Mamma ki baat par zyaada dhyaan nahi diya. Mujhe toh make-up se matlab tha. Aur pout kar kar ke mein apne poore chehre par makeup pot rahi thi. Banta santa kuch nahi tha par mujhe toh karna tha.
Kyuki kal mera first class ka pehla din tha. Mere friends ko bhi toh pata lagna chahiye na ki mein kitni khubsoorat ho gayi hu vacation ke baad. Sab mujhe dekh ke cute bulaenge fir.
Aur harr baar ki tarah mein 1st class me bhi first aaungi. Fir second me bhi, gir third me bhi aur fir hamesha. Mamma Papa meri firse tareef karenge. Mujhe firse gifts denge. B'day party me bhi sabhi meri tareef karenge. Mein didi ko chidhaungi ki firse mere marks zyaada aaye hehe~
Aur inhi baato ke baare me soch soch kar mein so gayi.
Naya din hua, nayi shuruaat.
"Arre Namrita!?? Jaldi karo baba! Sonu ko school bhi chorrna hai."
"Aayi baba! Kar toh rahi hu. Suhana ko tiffin diya abhi abhi. Van me baitha ke hi aa rahi hu usse."
"Haan thoda jaldi karna."
Papa ne mamma ko jaldi karne ko kaha toh mamma fatafat mera tiffin bhi ready kar ke laayi aur mere bag me rakh dii.
Aur fir mere chehre ko pakdi aur mere maathe ko choomte hue boli, "Meri bacchi ka aaj pehla din hai na? Nayi class ka? Enjoy karna haan? New friends banaana!"
Mein muskuraayi aur mamma ke gaal par pappi dete hue baahar nikal kar car me baith gayi. Mujhe car behad pasand thi. Harr kisi ke paas nahi hoti thi car. Isliye mein Van me jaane se mana kar deti thi mamma ko. Mujhe accha lagta tha apne dosto ko ye dikhaana ki hamaare paas car thi.
"Shailendra! Aapka tiffin bhi rakh diya hai. Theek hai na?"
"Hmm~"
"Aapko pata hai na? Kuch din pehle hamaare bagal me naye padosi shift hue hai."
"Pata hai Namrita! Pata hai! Aur mein mil bhi aaya hu unse. Kaafi badi company ke maalik hai wo Kishor saahab. Mere jitni hi umr ke honge. Shayad hamari company se bhi badi hai unki company."
"Hmm~ Isliye aapko unse acche sambandh bana ke chalna chahiye."
"Tum toh aise keh rahi ho jese mein jaake unse jhagad ke aa jaunga. Hahahaha~"
"Bas keh rahi hu. Aap toh jaante hi hai ki aadmi kaan bharne me kitna aage rehta hai. Padosi hai ab wo hamaare. Sambandh bana ke chaliyega!"
"Jii mohtarma!! Wese... Aaj toh qayamat lag rahi ho iss neeli saree me. Haan!?"
"Dhattt! Aap bhi na..."
"Papa chalo jaldi!! Mein late ho rahi huuu~" Mein chillaayi. Na jaane kya khusur pusur kar rahe the mamma aur papa.
Aur meri baat sunn Papa forun hi aaye. Car start hote hi hum nikal pade mere school ki orr.
Papa ne mujhe chora aur bye kiya. Aur mein bhi unhe bye bol ke apni class me ghuss gayi.
Mera bag naya tha. Nayi dress, naye shoes mere, naye chamkeele ribbons. Saare bacche bas mujhe hi dekh rahe the. Hehe~
Mein apni seat par jaake baithi, apni best friend ke bagal se.
Meri best friend ~ Ava!!
Wo dikhne me meri hi tarah khubsoorat thi. Bas antar ye tha ki uski skin thodi aur zyaada safed thi aur uske baal peele the. Jaise videshi ladkiyo ke hote the. Mujhe ye baad me pata laga tha ki aisi ladkiyo ko blonde kehte the.
"Avaaa~"
"Sonu~ Tu aa gayi! Wowww! Ribbon boht acche hai~"
"Hehe~ Thank you!"
Par hamaari baatein zyaada nahi ho paayi kyuki madam aayi aur unhone sabko baitha diya.
"Baccho! Aaj aapki class me ek nayi student ka admission hua hai. Aur aaj se wo aap logo ke saath hi padhegi. Okay? Student! Please come in! Andar aao beta~"
Ma'am ne andar aate hi ek news pheki thi hamaari taraf. Class me koi naya student aaya tha. Ya yu kahe ki aayi thi.
Hum sabhi apni nazre gadaye darwaaze ki entrance par dekhne lage.
Aur ma'am ke bulaane par ek behad hi sundar sii ladki andar aayi. Hum sabke muh khule hue the usse dekh ke. Uske baal meri aur Ava ki tarah utne lambe nahi the, keval kandhe tak hi the. Aur isliye wo ribbon ki jahah sarr par red band lagayi hui thi.
Aaj uska pehla din tha toh school dress me nahi balki wo princess waali red frock pehne hue thi.
Mere paas bhi princess frock thi par itni khubsoorat nahi.
"Baccho! Ye hai Kaera! Aaj se ye aapke saath hi padhegi. Theek hai? Welcome karo sabhi. Say Welcome Kaera!"
"Welcome Kaera~" hum sabhi chillaye aur uske baad usne hume thank you kaha.
Kitna ajeeb naam tha? Kaera!? Pehli baar mene aisa koi naam suna tha.
Kherr! Fir ma'am ne hamaari bench ke aage waali bench jis par ek hi ladki baithi hui thi udhar Kaera ko baithne keh diya.
Wo aayi aur mere saamne waali bench par baith gayi.
Ava harr baar ki tarah apni baatein shuru kar uss se baat karne lagi aur baato hi baato me mujhe pata laga ki wo Ava ki hi tarah meri padosi thi.
Mein bhi khush thi. Mujhe shayad ek aur friend mil gaya tha. Par...
Par aaj sab mujhe chorr uske baare me baat kar rahe the. Mene apne ird gird dekha aur...
Aur waqai...
Sabhi uski dress ko dekh ke uski tareef kar rahe the.
Aur unki harr baatein mere kaano me pad rahi thi. Mein bhi toh saj ke aayi thi. Fir mere... Mere baare me koi baat kyu nahi kar raha tha?
Mene usse peeche se tatola, wo palti aur mujhe dekhi.
"Tumhe pata hai. Aisi same frock mere paas bhi hai. Mein kayi baar p-pehen chuki hu usko. I-Iss se bhi acchi hai wo..." Mene uss se kaha.
"Hmm!?" Par usne mujhe dekhne ke baad ignore kar diya aur apna dhyaan padhaayi par dene lagi.
'Huhhhhhh????'
Mujhe gussa aaya. Iss ladki ne meri baat sunn'ne ke baad kuch kaha kyu nahi? Mere paas iss se bhi acchi dress hai. Isse sunkar toh usse kuch kehna chahiye tha na?
'Ughhh!!!'
Mene firse usse tatola aur usse bulaaya.
"T-Tumhe pata hai? Mere paas bhi iss se accha hairband hai. Mamma laayi thi. Par mere baal t-tumhaari tarah chote nahi hai na isliye... Isliye mein nahi pehenti."
"Okay!" Wo bas itna bol waapas se mud ke apni copy me likhne lagi.
'Uggggghhhhhhhhhg!!!!'
Mujhe itna gussa aa raha tha.
"Kaera tumhari frock boht acchi hai."
"Tumhare upar red frock acchi lag rahi hai."
"Good morning students! Arre waah! New student? So pretty? What's your name? Kaera? Kitna pyaara naam hai. Aur ye frock tum par boht pyaari lag rahi hai. Arre waah! Tumhari toh handwriting bhi sundar hai. Ye lo~ Meri taraf se star. Fufu~"
Bacche, yaha tak ki teacher bhi uski tareef kar rahi thi. Ava bhi... Ava bhi unke saath milke khel rahi thi.
Meri copy ka page kab mere haatho me rehke marud gaya mujhe pata hi nahi chala.
Chutti ka time ho gaya tha. Aur ab...
Ab mere chehre par muskaan thi. Ab mein isse bataane waali thi ki mein bhi kam nahi thi.
Mein line me lag kar class se baahar aayi aur uske bagal se khadi ho gayi.
"Arre mere papa aa gaye!" Mene jaan bujh ke uske paas rehke zorr se bola taaki wo mujhe dekhe. Dekhe ki mere paas car thi...
Aur mein daud ke gayi apne papa ke paas aur car me ghus ke window se usse dekhne lagi.
Hehe~ Ab bol na? Bolti band ho gayi? Mere paas bhi aisa kuch tha jis mein show off kar sakti thi.
Par...
Tabhi ek black colour ki car aayi. Hamaari car se bhi acchi dikhne waali car. Usme se ek uncle jaisa koi baahar nikla aur jhuk ke Kaera ko welcome kar raha tha car me andar baithne ke liye.
"Aaiye Miss!"
Aur wo Kaera uss car me andar jaa ke baith gayi.
Mera muh khula ka khula tha. Mene gusse me aake apni skirt ko muh me bhar liya aur zorr se kaatne lagi.
"Paaaapaaaaa~" mein chillaayi.
"Haan kya hua?"
"Wo... Wo Kaera ke paas bhi car hai. Kyuuuuu?? Uske paas kyu hai car??? Wo uncle kaun hai???"
"Accha wo? Haha~ Kya wo bhi tumhaare school me aa gayi? Chalo acchi baat hai. Wo hamaare padosi hai. Aur wo jo uncle the wo unke yaha kaam karte hai. Madhav naam hai unka."
"Toh hamaare ghar me koi kaam karne waala kyu nahi hai?"
"Huh? Hamaare yaha bhi toh aate hai na kaam karne waale Sonu!?"
"Nahiiiii!!! Unn uncle ki tarah mujhe bhi ek uncle chahiye jo car me mujhe roz baithaaye. Uggghhhhhh~"
Aur mein rone lagi. Aaj jese muh ki khaayi thi mene. Mujhe wo ladki bilkul bhi pasand nahi aa rahi thi. Ava bhi uss se jaake mil chuki thi. Mera koi nahi tha. Sab dogle the.
Aur mein rote rote hi ghar gayi.
Agla din hua...
Agle din aaj wo Kaera sabse left ki row me first seat par baithi hui thi. Wo poori row ladko ki thi.
Uske peeche ki bench khaali thi. Toh mein aur Ava uske peeche jaake baith gaye. Aaj mein usse sabak sikhaane waali thi. Hehe~
Par iss se pehle ki mein usse sabak sikha paati. Mein peeche baithe ladko ki shaitaaniyo ka target bann chuki thi.
Wo meri choti kheechte, hamaari desk par kaagaz phekte, bottle se paani chidakte aur mein aur Ava ma'am se complaint karte. Ma'am unhe daatati par thodi derr baad fir wahi shuru ho jaata.
Aur mein rone lagi. Meri soorat poore rone waali ho chuki thi. Naak behne lagi thi, aankho se bade bade aasu aur mera chehra poora laal ho chuka tha. Mujhe rota dekh Ava bhi subukne lagi thi.
Tabhi...
Saamne se Kaera khadi hui aur peeche aayi aur unn ladko ko gusse se dekhte hue boli,
"Mene sab dekha hai. Aur ab mein principal ma'am ke paas jaa rahi hu tum logo ki complaint likhwaane. Dekhna ab! Tum dono ki kese shaamat aati hai. Seedha resticate hoege ab tum."
Kaera ne unko itna bas kaha tha ki unke poore chehre ka rang udd chuka tha. Kyu??
Kyuki hum me se koi nahi jaanta tha ki ye resticate kis bala ka naam tha? Kya hota tha iska matlab? Hum bas mann me sawaal hi liye the.
Wahi Kaera muskuraa ke bas unhe chidha ke jaane ka keh keh ke darra rahi thi unhe. Jo kuch bhi tha, Kaera ko dekh ke hum sab yahi samajh rahe the ki resticate koi boht buri cheez ka naam tha.
"Ab toh gaye tum sab bacchu! Resticate seedha! Ab pitaayi lagegi tumhari."
"Nahi! Nahi!! Mat jao Kaera. Sorrrrryyyy! Sorrrryyy! Maaf kardo. Ab hum ratticate nahi hona chahte."
"Ratticate nahi resticate!"
"Haan woi woi...ab hume reticate nahi hona."
"Hmph~ Toh sorry kaho inse. Aur kaho ki aisa kabhi nahi karoge."
"Sorry! Sorry Ava! Sorry Sonu! Sorry! Sorry~"
Mein toh bas ashcharya ke maare sab hota dekh rahi thi. Aaj mujhe pata chala tha ki...
Ki itni buri bhi nahi thi ye ladki ~ Kaera!
Aur fir departure hua...
Hum sab nikle. Aaj mene koi show off karne ki koshish nahi kii. Par aaj...
Aaj uski black car jab aayi toh usme se ek khubsoorat sii aunty baahar nikli.
"Kaera~ ♡"
Wo usse pukaarti hui hamaari taraf aayi aur uske haath ko thaam lii.
"Chalo beta! Aur tumhaari friend Sonu kaha hai?"
"Sonu ye hai Mom!"
'Huh? Mein? Friend? Kaera ki? Kya usne ghar me ye bataya tha?'
Unn aunty ne mujhe dekha aur mujhse boli,
"Accha toh tum ho Namrita jii ki beti haan? Kitni pyaari ho tum. Aaj tumhaare papa ko kaam hai. Toh aaj unhone ne mujhe aapko aapke ghar bhejne ko kaha hai. Toh chale beta?"
"Hmm~"
Mein Kaera ki car me uski Mamma ke saath sawaar ho gayi. Mene dekha ki Kaera ki mamma ka pait fula hua tha.
Ghar pohuchte hi Mamma ne gate khola, mein unke perr se jaa chipki aur mamma aur wo aunty baat karne lagi.
Tabhi mene mamma ko kheench ke neeche jhukaaya aur kaha~
"Mamma! Wo aunty ka pait fula hua hai. Andar baby hai na???"
"Haayyye! Isse itna sab kuch pata hai? Aapki beti toh boht hoshiyaar hai haha~"
"Haan beta!"
Mamma ne meri baat par sarr hilaaya toh wahi aunty ne meri tareef kii. Hehe~
Agle din mein Ava aur Kaera, apni do pagli sakha saheliyo ko wo paath padha rahi thi jiske baare me mujhe khud kuch nahi pata tha.
"Dekho~ Mamma logo ka pait fulta hai iska matlab unke andar baby hai. Kaera, tumhe nayi behan ya bhai milega jaldi se. Hehe~"
"Par Baby aata kaha se?" Ava puchi.
"Mujhe nahi pata. Nani kehti thi ki bhagwan ke ashirwad se hota hai sab kuch."
Aur aise hi samay guzarta gaya. Hum teeno ki dosti aur gehri hoti gayi. Hum teeno hi ghar se baahar nikal ek dusre ke ghar jaate aur khelte.
Kabhi kabhi toh derr raat tak ek dusre ke ghar me bane rehta the. Hum teeno ke beech ek gehra bond banta jaa raha tha. Aur mein, Kaera ko ab utna hate nahi karti thi.
Fir exams aaye aur hum sabhi ne dil laga ke exams diye.
Result aaya toh pata chala ki...
Mein second aayi thi. Aisa kabhi nahi hua tha ki mein first na aau. Bhala kisne meri jagah chheen lii?
Parents teachers meeting ke waqt mein mamma Papa ke saath teacher ke saamne khadi hui thi jab teacher ne khud bataaya ki...
"Iss baar first tumhari friend aayi hai Sonia. Matlab... Kaera!"
Ye vaakya jese mere dil pe laga tha.
Uss din mein boht royi. Boht!!
Second class aayi. Mene boht mehnat kii. Par...
First place par mera naam nahi likha tha. Iss baar bhi mein second thi. Mein firse khub royi.
Aur fir ek din...
Mene dekha ki Kaera ke ghar ke baahar behad bheed lagi hui thi. Aunty safed kapde pehne hue laiti hui thi. Meri mamma ne mujhe andar kheench liya aur bed par lita ke mujhe sulaane lagi.
Tabhi ghanti baji ghar kii aur baahar Kaera ke papa the. Wo Kaera ko ghar par chorr ke kahi jaa rahe the.
"Kya aap iska thodi derr dhyaan rakhengi?"
"Ye bhi koi kehne ki baat hai? Kaera ko yaha chorr jaaiye! Mein inko telephone kar diya hai. Ye aate hi honge. Bilkul bhi accha nahi hua..."
"J-Jii! D-Dhanyavaad!"
Wo haath jod ke chale gaye.
Kaera ekdum masoom chehra liya mere sang baithi hui thi. Mein jaanti thi kya hua tha.
Uski mamma marr chuki thi.
Mein uthi aur apni mamma ke paas gayi.
"Mamma!!!"
"Hmm?"
"Kaera... K-Kaera ki mamma... jaa chuki hai na?"
Mein nahi jaanti thi ki marrta kese hai aadmi, kyu marrta hai. Par itna jaanti thi ki ek baar insaan marr jaata tha toh fir wo kabhi waapas nahi aata tha.
"Haa beta!"
"Ab wo waapas nahi aaengi na?"
Mamma ne meri baat par dheere se sarr hilaaya.
"Mammaaa~" aur pata nahi kyu, par mein ro padi.
Mujhe dekh mamma bhi ro padi aur unn ne mujhe aur Kaera ko apne gale se laga liya.
"Tum dono behne ho samjhi? Apni behan Kaera ka dhyaan rakhogi na Sonu?"
"Hmm~"
"Acchi bacchi!"
Uske baad se hi mere andar jo ghrina thi wo kam ho gayi Kaera ke liye.
Mein uske saath aur khelna chaahti thi. Aur samay bitaana chaahti thi. Par uske baad se hi jese...
Jese uska khelna kudna band ho chuka tha. Usse ghar mew qaid kar diya gaya tha. Mein uske ghar jaati toh mujhe bas 5-10 minute milne ke baad waapas bhej diya jaata tha.
Samay guzra aur wo silsila abhi bhi jaari raha.
Mein second aati thi aur Kaera first. Ye ek routine ban chuka tha. Harr gatherings me, Mujhe bas yahi sunn'ne ko milta...
"Kaera iss baar bhi first aayi."
"Badi hi hoshiyaar bacchi hai"
"Maa ke na hone ke bawajood kitni samajhdaar hai ye."
Sab tareefo ke pul baandhte the.
"P-Papa mein bhi toh second aayi na?" Mein bas yahi keh paati.
"Hmm~"
Aur mujhe haan me sarr hila ke harr insaan ignore kar deta tha. Value thi toh keval pehle sthaan kii.
I realised ki...
NO ONE CARES ABOUT YOU BEING SECOND!!!!
Kitna hi dusra sthaan kyu na paa lo. Kabhi bhi pehle ki barabar nahi kehlaoge.
Idhar Kaera ko ghar se nikalne hi nahi dete the. Mein uske ghar ke baahar apni cycle me baithe uske ghar par lage upar window me usse dekha karti thi.
Wo roti thi. Ab toh Ava bhi jaa chuki thi yaha se.
Aur ab Kaera ko bhi band karke rakhne lage the.
Mein unke ghar jaati aur uske papa se ladke bhaag ke ghar aa jaati. Kese uncle the? Gande ekdum! Mein unhe jeebh dikha ke kabhi kabhi chidha bhi diya karti thi.
Fir mujhe samajh aaya...
Ki usse ghar par hi saari education dii jaa rahi thi. Abhi bhi wahi hota tha, mein second aur Kaera first.
Sports ke dauraan wo mujhe dikhaayi deti. Mein uss se baat karne jaati toh wo kuch nahi kehti thi.
Bas apna kaam karti aur waapas laut jaati.
I HATED IT!!!
I HATED EVERYTHING!!!
Mein ye sab nahi chaahti thi. Kaha gaya hamaara wo sunehra pal? Wo sunehra bachpan?
Fir ek din...
Ek baar essay competition hua. Mujhe yaad hai uss competition me kisi dusre school ki ek ladki first aayi thi. Aur Kaera second thi.
Pehli baar uss din mujhe kuch naya dekhne ko mila tha. Kaera uss first aane waali ladki se jaa ke mili thi. Haath milaayi thi uss se.
Aur mere dimaag me ek baat baith gayi thi. Yadi mujhe uska recognition chaahiye tha. Toh mujhe usse haraana tha.
Mere dimaag me apni mamma ki kahi baat fir goonj gayi. "Apni behan Kaera ka dhyaan rakhogi na Sonu?"
Aur bas...
Mene apna maqsad bana liya tha.
I WILL DEFEAT HER!
Aur uss din se hi mene jii jaan laga dii apni. Ki mein Kaera ko hara ke hi rahungi. Safal toh nahi ho paa rahi thi par mene haar nahi maani thi.
Wo jis college me admission lii, mene bhi ussi me liya. Wo jis competition me bhaag leti, mein bhi ussi me leti.
Mujhe yaad hai. College ka final year tha. Aur mene apni jee jaan laga dii thi. Raato ki neend udaa dii thi Kaera ko haraane ke liye.
Aur shayad bhagwaan ne meri sunn lii thi.
"Congratulations Sonia! You are the top scorer! 98.9% Wowwww!"
Ye news jaise sunn'ne ke liye mein kabse tadap rahi thi.
"A-And who's the second? Ma'am?"
"Second? Second is Kaera. With 98.5%. She had a severe cold few weeks ago. I hope she'll come today to gather her report cards."
'H-Huhhh!? Kaera ko... cold tha!??'
Aur jese firse mujhe apne muh me haar ka swaad chakhne ko mila.
Even though mene usse hara diya tha. Par mene usse iss haalat me haraaya tha. Wo bukhaar me thi aur apne exams dii. Aur yaha mein samajh rahi thi ki mene usse hara diya.
Apne nichle honth ko daato tale dabaate hue mene ma'am ko dekha aur kaha, "Can you... Can you please hide this? Can you tell her that she's the first one. She's the top scorer."
"Huh?? N-Noo! Why would I do that? And whyy???"
"P-Please! Don't worry! I'll manage everything. Just tell her. Please! It's a request!"
"That's...."
"P-Pleaaaaseeeee!!!"
"O-Okay! F-Fine!"
Aur kuch derr baad hi darwaaza khula. Wo andar aayi. Kaera!!
Usne apna report card liya. Aur usse jab pata chala ki wo top scorer thi toh usne bas sarr hilaaya aur mujhe dekh ke waapas chali gayi.
Mein ek baar fir... Roti rahi...
***
Aur harr baar ki tarah aaj bhi, Sonia ke chehre par aasu bikhre hue the.
'They are waiting outside...!'
Jaldbaazi me aasu poch usne ek banaavti smile mirror me dekhte hue apne hontho par bikheri.
Aur wo nikal gayi baahar. Waapas se Veer ke room ki taraf.
"S-Sonuuu!?"
Uski behan Suhana ne usse dekha toh pukaara par...
Sonia Suhana ko ignore kar waapas se Veer ki orr gayi.
Veer : Huh!?? A-Aap theek toh ho na?
Sonia (smiles) : Yessss!!! Mujhe kya hua bhala?
Par Veer ko abhi bhi kuch shaq ho raha tha.
'Something is wrong!'
[She was crying.]
'Huh!??'
[Uske gaalo ko dekho. Aasuo ke nishaan! She was crying inside the bathroom.]
'P-Par kyuuu? Achanak se aise?'
[I think she doesn't likes Kaera.]
'No wayyy! Miss Kaera aur wo aapas me dost hai bachpan ke. I know abhi unke beech utna accha relationship nahi hai. Par wo hate nahi karti Kaera ko. She herself told me that.'
[Hmm~ Toh kuch toh baat hai!]
'Y-Yeah!!!'
Wahi dusri orr Kaera jo Veer se bas kuch derr pehle alag hoke usse nihaar rahi thi, usne Sonia ki taraf dekha bhi nahi tha abhi tak. Uska poora focus Veer par tha.
Tabhi Sonia ko ek aur jhatka laga.
"T-That... That..." Wo ungli dikhaa ke Kaera ke haath ki orr ishaara kar rahi thi.
Veer aur Suhana ne jese hi dekha toh paaya ki Kaera ke haath me ek blazer tha.
"That's... It's the one I bought for Veer!!!!!"
Wo tezz awaaz me boli toh Suhana ko bhi dhyaan aaya. Ye toh wahi blazer tha jo Suhana aur Sonia ne milke Veer ko dilaaya tha jab wo Delhi trip par gaye the saath me. Ye bhala Kaera ke paas kya kar raha tha!?
Sonia : HOWWWW!??? HOW COME YOU HAVE THIS!??
Kaera : Mmm?
Sonia : YE... YE TUMHAARE PAAS KESE!?? HOOOWWW!???
Kaera (smiles) : It's a secret!
Usne badi hi asaani se kaha. Par Kaera ki choti sii baat Sonia ko shayad dil par jaa kar lagi thi.
Suhana : Hoooo~ Yeah yeah! That's the same.
Veer : Ye...!?
'Wait! Ye toh mene... If I remember correctly. Toh ye mene... Yeah! That night... Mene uss ladki ko diya tha ye blazer. How come...!? Miss Kaera ke paas ye..!?'
[Hmmmmmm~ ]
Kaera : I have this too~
Aur tabhi Kaera ne apne purse se ek brahmaastra nikaala.
Haatho me ek chota sa teddy liye usne wo sabhi ko dikhaaya.
Kaera (smiles) : He gave it to me! Right Veer?
Veer : Huh!? M-Mein...!?
Sonia : V-Veeeeerrr???
Suhana : Hoooooo~ Interesting~
[ ]
'Fuck! Shut up!!!!'
Sonia jese wahi khade khade shaant sii pad gayi. Uske expression kisi ko nazar nahi aa rahe the. Kyuki wo sarr jhukaaye hue thi aur uske baalo se aadha chehra uska dhakk chuka tha. Shareer me kampan ho raha tha uske...
Suhana : Oh no!! Sonu!?
Veer bewakoof nahi tha. Wo dekh paa raha tha ki Sonia ko kuch na kuch beech beech me ho raha tha. Aur tabhi usse jese yaad aaya. Jo baatein khud Suhana aur Sonia ne usse bataayi hui thi.
Ki Sonia hamesha Kaera ko haraana chaahti hai. Bas uss se ek baar aage nikalna chaahti hai taaki Kaera usse recognise kare.
Aur ab shayad Veer ko saari baat samajh aa chuki thi.
[Aah! So that's why~ ]
Veer : Miss Sonia~
Par Sonia ne koi jawaab na diya.
Veer (sighs) : Miss Sonia! Aapko kisi se khud ko compare karne ki zaroorat nahi. Aap apne aap me best ho. You don't need people who raise questions at you! You are you, Miss Sonia!!
*Badump*
Sonia ka dil zorr se dhadka.
Sonia : H-Huhhh!?
Iss baar usne sarr uthaate hue Veer ko dekha.
Veer : I don't care about anything. Chaahe aadmi first aaye ya second... I don't care... Insaan ki kaabiliyat ki pehchaan inn panno me likhe marks se nahi hoti Miss Sonia. For me, you and Miss Kaera are equal. You both are very different yet very same.
*Badump*
Sonia : S-Say that again!
Veer : Huh!? W-what? I don't care about anything?
Sonia : N-Nahi! Second last me j-jo tumne kaha.
Veer : !??? F-For me, you and Miss Kaera are equal!
Bas! Veer ka itna kehna hi tha ki fir wo hua jisse dekh waha maujood sabhi dang reh gaye.
Sonia aage badhi aur wo Veer ko chaathi me jaa ke ghuss gayi.
"Huh!??? W-Wha!?? Ughhyuuu...."
Veer : M-Miss Soniaaa???
Aur iss se pehle ki wo virodh kar paata.
*Chu~♡*
'!!???'
Sonia ke honth uske gaalo par the.
Suhana : Sonuuuuuu!???????
Kaera : ??????
Aur tabhi...
*Ding*
[Mission : Take Sonia on a date.
Rewards : ??? Points.
Time Limit : 2 weeks.]
'Huh? W-Waitttt!!!!'
[Rest in peace! ]
'Shutttttt uppppp Pariiiiiii~'
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Like thokne ka aur comments rakhne ka.
Bhai sex hi padhna hai to msg karke btana mujhe Mai puri list hi bna kr bhej dunga tumhe kahaniyo ki, padhte rahna unko, pr yha jo Chal rha hai chalne do, yah aapse gujarish hai - Aapko novel nhi padhna to bhai kisi ne bhi aapse request nhi ki padhne ke liye, aapke phone me option hai dusri story kholne ka bhai uska upyog Kare Aap...Abe tuje Natalie ke naam pe koi aur nhi mili thi jo tune Pyar Lafzo Me Kaha ki lead actress Hayat/ HandeErcel ko dikha diya.
Mene last time bi btaya tha ye xforum h, yaha pe rat ke ek baje incognito mode me log hilane hi aate h, ya fir kuch romantic padhne, teri kahani to sirf novel ki tarah sirf kahani hi h, naa kuch romance na koi sex itna padhna hota to sidha novel nhi padh lete.
Sabka apna apna test hai bhayaI always hate back stories, ab chahe me koi story padh rha hu ya dekh rha, jis reason se ye update total bakwas laga because i prefer skipping the back story.
Abe tuje Natalie ke naam pe koi aur nhi mili thi jo tune Pyar Lafzo Me Kaha ki lead actress Hayat/ HandeErcel ko dikha diya.
Mene last time bi btaya tha ye xforum h, yaha pe rat ke ek baje incognito mode me log hilane hi aate h, ya fir kuch romantic padhne, teri kahani to sirf novel ki tarah sirf kahani hi h, naa kuch romance na koi sex itna padhna hota to sidha novel nhi padh lete.
Kaun tha ye chutiya?Abe tuje Natalie ke naam pe koi aur nhi mili thi jo tune Pyar Lafzo Me Kaha ki lead actress Hayat/ HandeErcel ko dikha diya.
Mene last time bi btaya tha ye xforum h, yaha pe rat ke ek baje incognito mode me log hilane hi aate h, ya fir kuch romantic padhne, teri kahani to sirf novel ki tarah sirf kahani hi h, naa kuch romance na koi sex itna padhna hota to sidha novel nhi padh lete.
Arre ju? report maarela tha kya kisi ne?