- 14,070
- 99,778
- 259
Last edited:
Kuch kiya hoga to idhar thodi bateyga? Under Age chakkar mein ban hone ka chance kaun lega.....
बहुत ही शानदार लाजवाब अपडेट भाईUpdate - 103 ~ A Day to Breathe Out
Ab tak...
Suhana : You fuckiinngggg know something... Tell me what the fuck you are hiding? Huh? Bolo! Kya chhupa rahi ho mujhse?
Divya : Urgghh! Jaan'na hai tumhe? Fine then!!! Ye lo!!! Tumhe yaad hai na kis liye bulaaya tha mene tumhe? Ye lo fir...
Kehte hue usne ek card feka jo seedha Suhana ke muh pe land kiya,
Haatho me pakad jab usne uss card ko dekha toh woh hairaani ke maare hil ke reh gayi,
"Whaaaaaaattttttttttttt!!!????"
Ab aage...
Mumbai...
Purvi's Home...
Morning ~ 8:32 AM
*Klink*
"Ye lo beta, chai!"
Saucer plate par chai se bhara cup rakhte hue Purvi ne kaha.
Saamne sofe par baithi hui thi Tej, aur uske hi bagal se virajmaan thi, Bhavna.
Uss din ke baad se, Purvi ne dono Maa beti ko hotel se check out karwa ke apne ghar me thehra liya tha.
Purvi ke pati wahi Mumbai me hi sthit ek sarkaari school ke principal the. Unn dono ki ek santaan bhi hai. Ek beta, jiska naam Tushar hai. Tushar Veer se keval ek saal hi chota hai aur woh medical ki padhayi hetu AIIMS me Delhi me shift ho chuka hai.
Usne fir ek cup chai ka Bhavna ki saucer plate par rakha, aur fir tray me se ek cup apne liye uthaate hue wahi dining table ki ek chair par baith gayi.
Purvi : Kuch pata laga kya fir?
Uske iss sawaal se Bhavna hairat me uski orr dekhi. Ye kya puch rahi thi woh? Bagal me Tej baithi hui thi. Fir bhi aisa sawaal? Purvi ka sawaal Veer ki khoj ke liye tha. Aur usne Tej ke saamne hi ye prashn puch liya. Zaahir tha ki Bhavna usse ajeeb nazro se dekhe,
Purvi (baat sambhaalte hue) : Ahh! Mera matlab tha ki, kuch pata laga kya kaam ke baare me? Tumne kaha tha na ki kaam chorr ke yaha par aayi ho tum. Toh koi dikkat toh nahi yadi tum yaha kuch aur din ruk jao toh?
Bhavna : R-Right! Nahi! Filhaal aisi koi pareshaani nahi hai.
Purvi (nakli hassi lete hue) : Ahahaha~ Okay!
Bhavna (awkwardly) : Hmm!
*Silence*
Dono ka yeh nakli naatak khatam hua aur ek ajeeb sii shaanti phel gayi kamre me.
Unhe laga ki akhir kaar woh Tejal se baat chhupaane me qamyaab ho gayi par...
Tej : 2 points for your acting.
Purvi : Huhh???
Bhavna : ???
Woh dono usse stabdh nazro se dekhi,
Tej : I said two points for your acting. Ye naatak khatam kar dijiye Mom, Aur maasi aap bhi. Aap dono ki hi acting bilkul bhi nahi jach rahi hai.
*Shwwwwooooooppppp*
Usne chai ki chuski lete hue kaha,
Tej : By the way, Chai acchi hai.
Purvi : T-Tej beta!
Bhavna : Tej! Tum...
Tej (dono ko dekhte hue) : Hmm! Sab pata hai mujhe. Wahi baat jo aap mujhse itne saalo se chhipaate aa rahi thi. Sab jaanti hu mein. I know ki mera ek saga chota bhai bhi hai. Aur woh bhi issi sheher me.
*Silence*
Purvi ka toh pata nahi, par Bhavna ko zaroor 440 volt ka jhatka laga tha. Jis raaz ko woh barso se chhipaate aayi, woh uske bina pata lage hi khul chuka tha?
Purvi (frowns) : Bhavna...!
Bhavna ne ek lambi saas lii aur chai ka cup waapas table par rakh diya,
Bhavna : K-Kab? Kab pata chala tumhe ye?
Raaz par se ab parda chuki khul hi chuka tha toh usse bekaar me firse dhaakne ki koi zaroorat nahi thi. Isliye, Bhavna ne shaanti se sawaal kiya,
Tej : Last year!
Bhavna : ????
Tej : Jab aap aur mein Rajasthan me the. Site par...
Tej ki nazre neeche jhuki hui thi. Jese maano woh ateet ko yaad kar rahi thi. Woh lamha jab usse apne bhai ke astitv ke baare me pehli baar pata chala tha.
Bhavna : Rajasthan me? T-Tab kese!? Mein toh...
Tej : Survey ki ek raat... Jab aap apne camp me thi...
Bhavna : Huh!!!
Tej : Mein aapse baat karne ke liye aa rahi thi. Par, jab tak aapke camp tak pohuchi, mene dekha ki...
Bhavna : !!??
Tej : Aap ro rahi thi. Seene se aap ek bacche ke chote se kapde ko bheenche hue thi. Haatho me ek photograph thi aapke. Aur, Mujhe yaad hai aapke woh bol. "Mera baccha!" "Kesa hoga tu ab?" "Dekh! Teri Maa kese tadap rahi hai yaha." "Kya tujhe yaad nahi aa rahi apni Maa ki?" "Tujhe pata bhi hai tere bina kese jee rahi hu mein?" "Par mein majboor hu mere laal. Mein majboor hu."
Bhavna achambhav me Tej ki saari baatein sunn rahi thi. Usse yaad aaya ki usne sach me uss raat yahi vaakya bole the. Toh kya Tej ne woh sab sunn liya tha?
Par yaha Tej aur Bhavna dono hi nahi jaante the ki jab woh Rajasthan se waapsi kar rahe the. Uss raat hi...
Tej toh apni birth par so chuki thi. Uss raat hi Bhavna apne bete Veer se mili thi. Jiske baare me usse pata bhi nahi tha. Ye wahi pal tha, jab Veer Suhana aur Sonia ki mom ki anguthi waale chor ko pakadne train par sawaar hoke Rajasthan aaya tha. Aur jaipur ke station se baith ke woh Suman, Aabha aur Sonali ko Mumbai leke jaa raha tha jab,
Ek aurat dusre platform par alag train me baithe paani ki bottle ke liye request kar rahi thi. Ye Bhavna hi toh thi. Jo survey ke baad se apne ghar laut rahi thi.
Par na hi Tej aur na hi Bhavna ye baat jaanti thi ki unke raaste aapas me iss tarah bhi mil chuke hai.
Bhavna khamosh reh gayi. Kya kehti ab? Sab kuch toh saamne tha.
Purvi (sighs) : Ek na ek din toh ye hona hi tha. Balki mujhe toh khushi hai ki akhir kaar Tej beta tumhe iss baat ka pata chala. Warna tumhari ye Maa na jaane kab tak ye raaz chhipaati rehti.
Bhavna : Tej mein...
Woh kehne ke liye daayi orr mudi par apne saamne usne jo dekha woh dekh ke Bhavna dang reh gayi,
Tej ki aankho se aasu beh rahe the. Kab dekha tha usne apni nidar beti ko iss tarah naino se paani ki boonde bahaate hue? Shayad Bhavna ko yaad bhi na hoga ki akhiri baar usne kab Tej ko iss qadar rote dekha tha. Par aaj...
Aaj woh ro rahi thi. Woh jaanti thi ki uski beti Tej ko zara bhi pasand nahi tha ki koi usse rota hua dekhe. Aur aaj toh...
Woh na keval uske saamne, balki apni maasi Purvi ke bhi saamne ro rahi thi. Ye ishaara tha ki uski peeda kitni zyaada thi.
Tej : K-Kyu?? Kyu kiya aapne aisa?
Bhavna ki khud ki aankho se anayas hi aasu nikal pade.
Bhavna : Beta...!!!
Tej : Kuch puch rahi hu mein... *sniff* Huh? Boliye! Kyu kiya aapne aisa?
Purvi : Tej! Meri baat suno, mein bataati hu...
Par iske pehle ki Purvi apni baat poori rakh paati, Tej apni jagah se uthi aur,
Tej : WOH SIRF AAPKA BETA HI NAHI HAI!!!!! WOH MERA SAGA BHAI BHI HAI!!!!!
Woh itni zorr se chillaayi ki waha baithi Purvi bhi avak reh gayi.
Tej : Kya soch ke aapne mujhse ye sach chhupaaya tha??? Haaaaannn??? Tell meee!!!!! Aapki himmat kese hui mujhse mere hi bhai ka astistv chhupaane ki???? Boliyeeee!!!!
Bhavna ki aankho se aasuo ki dharaaye behna shuru ho chuki thi. Aur uska shareer kaanpne laga,
Purvi ne jese hi ye dekha woh agle hi pal aage badh Bhavna ko thaam ke uske bagal se baith gayi.
Purvi (frowns) : Tej! Meri baat suno...
Tej ne apni maa ki haalat jab dekhi toh usse bhi ye ehsaas hua ki woh kuch zyaada hi bol gayi thi. Agle hi shan woh waha se palti aur apne kamre me jaake,
*THUUUUUDDDDDD*
Usne zorr se darwaaza band kar liya,
Purvi : Teeeeeejjjj!!!!
Purvi ne usse pukaara par, Bhavna ne uska haath thaam liya.
Bhavna : Rehne do Purvi! Rehne do! Usse akela rehne do thodi derr! Mein hi ek acchi Maa na bann saki. Isme uss bechaari ka koi dosh nahi... *sniff* koi dosh nahi!!!
Purvi (frowns) : Bhavna....!!!
Idhar kamre ke andar Tej darwaaze se tike zorr zorr se ro rahi thi. Na jaane kab iske pehle woh iss tarah royi thi. Usse khud bhi yaad nahi tha.
Woh itni kamzor toh nahi thi. Fir kyu? Harr baar jab bhi baat uske bichhde bhai se sambandhit aati thi toh kyu woh iss tarah toot sii jaati thi? Itni kamzor pad jaati thi? Woh toh mili bhi nahi thi uss se theek se.
Khud ke bhaar ko bed par patakte hue usne apna phone khola aur saamne screen par ek tasveer dekh, uske aasu aur zorr se behne lage,
'Kyuuu??? Aisa mere saath hi kyu hota hai??? And why it had to be you?? Do you have any idea that your Mom and big sis exists too?'
Siski bharte hue usne screen par komalta se haath ferra.
Screen par ek image maujood thi. Aur ye kisi aur ki nahi balki Veer ki hi thi.
Ye photo Tej ne apne phone se tab lii thi jab Egypt ke survey me Veer underground site me waha rakhe gupt samaan ko haath laga raha tha.
Ittefaaq se Tej ne usse tab dekh liya tha. Aur fauran hi usne apna phone nikaal ke ye photo click kar lii thi, ye soch ke ki baad me woh usse chori ke maamle me range haath pakad legi.
Par... Par ye photo dhari ki dhari reh gayi. Kyuki Veer ne uss samaan ko chhuune ke baad usse wese hi chorr diya tha. Usne kuch bhi nahi churaaya tha.
Lekin kisne socha tha ki Tej apni kheechi gayi iss tasveer ko aaj iss qadar apne seene se laga ke roegi? Usne khud bhi ye nahi socha tha kabhi.
'Vikram... Huh...!!?? Mein tumhe dhoondh ke rahungi. Chaahe kuch bhi ho jaaye.'
Woh khud se bol wahi laiti rahi. Na jaane kya chal raha tha uske mann me.
***
Idhar Mumbai me hi, Veer ke puraane ghar me Arohi aur Kavya apni baato me lagi hui thi.
Kavya bed par laiti ceiling ki orr apne dono haath felaaye apni shikaayate jata rahi thi, aur wahi Arohi Kavya ke college ka work kar rahi thi.
Kavya : Uggghhh!!! Agli baar ka competition mein hi jeetungi dekhna aap.
Arohi : Tum jeet jaati, agar woh Pragya participate nahi kari hoti toh.
Kavya : Wahi!!!! Hehehehe~ Par apne last year ke baad wo college toh leave kar hi dengi. Tab mein apne last year me finally first place le sakungi.
Arohi : Stupid! Abhi hi haraane ki koshish kyu nahi karti tum?
Kavya : Because she's better than me.
Arohi : Excuses...!
Kavya : Noooooo ~ Mene sach kaha. Lekin woh sab chorriye. Ye Veer bhaiya kab foreign se lautenge? Kuch bataaya kya aapko?
Arohi ne Kavya ke sawaal par sarr naa me hila diya,
Kavya : Uggghhhh!!! Ye Veer bhaiya bhi na. Harr baar bina bataaye lambi trips par nikal jaate hai. Hmph~ I hate him.
Arohi : Accha? Kuch din pehle woh kaun tha jo apne necklace ko baar baar dekh ke "I love you Veer bhaiya" chillaa raha tha? I guess koi toh tha. Hmm....!? Par kaun?
Kavya (blushes) : Ahhhh!!! W-Wo toh mein aise hi bas... Wait!!! Aap bhi toh... Aap bhi toh jaan boojh ke baar baar apne baalo ko kaan ke peeche karti ho na? Uss din bhi Kritika ke saamne jaan bujh ke aapne kiya tha taaki woh aapse aapki kaan ki baaliyo ke baare me puche. Jo ki usne pucha bhi tha. Weren't you showing off dii???
Arohi (blushes) : Wh-Whaatttt???
Woh achanak hi jhep sii gayi,
Arohi (blushes) : Wh-Whaaat rubbish!!!???
Kavya : Mujhse jhooth nahi bol sakti aap. Choti behan hu aapki. Sab pata hai mujhe. Mein toh atleast... Atleast... *blushes* openly sab kuch karti hu. Par aap toh... Sabse chhipte hue show off karti ho.
Arohi (blushes) : Y-Youuuu!!!! Jao nahi bana rahi mein tumhari ye drawing vrawing... Stupid!!!
Kavya : Kyaaaaaaa???? Ab aap... Ab aap uska gussa meri drawing par nikaalogi?
Arohi : It's your college work. Make it by your own.
Kavya : Par aap jaanti ho ki aapki drawing mujhse acchi hai.
Arohi : Haan toh ye abhi abhi kahe gaye shabdo ko bolne se pehle dhyaan me rakhna tha.
Kavya : Uggghhhhh!! Sorry na...!
Jab Arohi ne apni choti behan ki rondu shaqal dekhi toh ek lambi aah chorr woh waapas se uske kaam me lag gayi.
Arohi (sighs) : Fine!
Kavya : Ehehehehe~ I know! You are the best!
Arohi (khuspusaate hue) : Stupid....!
Kehte hue uska haath apne aap anayaas hi baalo ko kaan ke peeche karne ke liye chala gaya aur...
Uske kaan ki baaliya uski ungli se jaa takraayi. Jo sharm usne chhipa lii thi, agle hi shan gaalo ki wahi laali aur bhi badh gayi.
'Stupid...!'
Firse uske andar se awaaz aayi. Par iss baar keval mann me, aur kisi aur ke liye...
***
Las Vegas...
Forum shops at caesars...
Evening ~ 5:46 PM
Shaam ka samay ho raha tha. Mausam bhi haseen tha. Kul milaake ghoomne firrne ke liye ek perfect time.
Aur Aaj Veer aur Suhana wahi karne nikle the.
Itne dino se jo kuch bhi magazmaari unhone jheli thi, uss se baahar nikaalne ke liye ek breather lena zaroori tha.
Aur shopping se behtar aur kya hi ho sakta tha. Ek kaaran aur bhi tha shopping karne ka. Jo ki Divya ke dwaara dikhaaye gaye uss card me maujood tha.
Suhana aur Veer Divya ki ek dusri car leke khud hi yaha aaye hue the. Chuki investigation department me filhaal abhi koi kaam nahi tha unhe, aur saath hi teesre criminal ko lekar koi details nahi mil paayi thi, toh dono hi shoppi ke liye aa gaye.
Forum shops at caesars. Jo ki Vegas ki best jagah thi khareed-dari ke liye. Wese toh aur bhi behad acchi acchi jagah thi waha par ye sabse mashoor, aur ek must visit place thi.
Suhana hi gaadi chala rahi thi aur Veer baitha hua tha uske bagal se. Aur kuch hi derr me woh jagah ke saamne the.
Suhana : Hum pohuch gaye.
Veer : Hmm? Ohh! Ye jagah kaafi...
Veer ne dur se hi jagah ko dekhte hue kaha,
Suhana : Badi hai?
Veer : Hmm! Saath hi mehngi bhi lag rahi hai.
Suhana : Of course mehngi hai. Sabse mehngi hai ye shopping ke liye. One of the finest places to shop. Last time mein aayi thi toh kaafi kuch khareeda tha mene.
Veer : I see! Toh aap pehle yaha aa chuki hai?
Suhana : Of course! Now come! Be quick! Let's go!
Woh dono hi baahar nikle, aur entrance par pohuche.
Entrance dekhte hi Veer vismit sa hoke wahi sthir khada reh gaya.
Aur uske muh se apne aap hi nikal gaya,
"W-Woooowwww!!!"
Suhana (smiles) : Looks nice right?
Veer : It's actually amazing!
Suhana : Haha~ Let's go! Hamaare paas zyada waqt nahi hai. 8 baje tak hume waha bhi pohuchna hai.
Veer ne haami bhari. Aur woh dono andar chal diye. Andar brands ke showrooms aise maujood the jese chaupaati me alag alag khaane ke thele lage ho.
Aur brands bhi aise aise ki jinka sirf naam hi kaafi tha apni value bataane ke liye.
Gucci, H & M, versace, na jaane kya kya...
Aisi aisi brands maujood thi jo Veer apne desh me shayad hi kisi mall me mushqil se dekh paata tha.
Veer : This...
Suhana : Ye kuch bhi nahi hai. Aao andar chale.
Abhi woh aage badhe hi the ki usse wahi thehrna pada,
*Ring* *Ring*
Suhana ka phone baj utha.
Aur screen par naam tha,
Gaurav!!!!
Apni bauhe sikodte hue woh screen ko dekhi aur fir Veer ko,
Suhana : Umm?!! Give me a second okay?
Veer : Sure!!!
Aur idhar woh thoda distance lete hue aage aayi aur baat karne lagi,
Suhana : Hello??
Gaurav : Tum lauti nahi abhi tak? Aur kya baat hai? Itni busy ho gayi apni dost ke saath ki ek phone tak nahi kiya apne husband ko?
Bas! Ye jese akhiri shabd the jo Suhana abhi iss waqt sunn'na chaahti thi. Gaand ghis ghis ke kese woh log yaha kuch din survive kiye hai unn criminals ke beech me, ye baat keval wahi jaante the. Aur yaha uska pati ye soch raha tha ki woh yaha mazze kar rahi hai.
Pal bhar ke liye Suhana ke muh me gaali aayi thi. Lekin usne apne aap ko control kar liya,
Suhana : What do you mean? Mein yaha koi enjoy karne nahi aayi hu Gaurav! I'm here for work.
Gaurav : Accha? Haha! Arre bhai aisa kya work aa gaya?
Suhana (lambi saans chorrte hue) : Dekho! Mein abhi busy hu. Hum baad me baat karenge.
Gaurav : Busy? Bhala kis liye? Aisa kya ho raha hai waha? Aur zara apni friend Divya se toh baat karao. Kaafi samay se uss se baat nahi hui hai.
Suhana (mann me) : This... This idiot...
Suhana : Gaurav!!! Woh yaha nahi hai. Okay? Ab mein rakh rahi hu.
Gaurav : Nahi hai? Toh tum kaha ho?
Suhana : Mein shopping ke liye aayi hu.
Gaurav : Akele?
Suhana : Nahi! Veer hai saath me.
Gaurav : Veer? Kaun Veer?
Suhana : Huh? Mene tumhe bataya tha na? Veer! Sonu se jiski pehchaan hai? Uski car se jiska accident hua tha? Kuch yaad aaya?
Gaurav : Huh? Ohhhhh! Woh!!?? Haan!!! Ek minute!!! Toh tum uske saath waha kya kar rahi ho?
Suhana : What? Aane se pehle bataya toh tha ki ek friend ke saath jaa rahi hu mein Vegas.
Gaurav : What the hell Suhana? Woh kaha se tumhara friend ban gaya? Aur tumne ye toh nahi bataya tha mujhe ki tum uske saath jaa rahi ho. Matlab tum jabse ek anjaan ladke ke saath....
Suhana : Gauraavvv!!!! Tumhe meri baate sunn'ne ke liye waqt rahe tab toh jaanoge na.
Gaurav : Tum...
Suhana : Tumhe bataane waali thi. Par tumhara toh dhyaan hi nahi tha meri baato par. Jab tumse kaha ki mein jaa rahi hu. Your response was ~ "Yeah yeah! Go!"
Gaurav : Woh isliye kyuki mein meeting me tha Suhana.
Suhana : I don't care Gaurav!!! I don't care!
Gaurav : Youuuu!!!!
Suhana : Aur ab tum free hue ho toh ab yaad aayi meri? Socha ki ab apni patni se do chaar baate toh kar lu uska dil behlaane ke liye,
Gaurav : Tum jaanti ho mein busy tha...
Suhana : Aur mein toh paagalo ki tarah yaha gaand ghis rahi hu na?
Gaurav Suhana ke muh se abhadr shabd sunte hi thoda jhep gaya. Aisa nahi tha ki woh pehli baar uske muh se gaali sunn raha tha. Par bas baat ye thi ki Suhana tabhi aisi bhaasha ka prayog karti thi jab woh behad hi gusse me hoti thi.
Gaurav : Suhana...!
Suhana : Gaurav!! Mein abhi bilkul bhi mood me nahi hu kuch bhi baat karne ke liye. I'm here to freshen up myself a bit. So leave me alone. Is that clear?
Gaurav : Suhana tum...
Par iss se pehle ki woh kuch keh paata,
*Call ends*
Phone cut ho chuka tha.
Mann me gaaliya liye Suhana peeche ko aayi. Usme dekha ki Veer ek statue ko nihaar raha tha.
Gussa shaant kar woh Veer ke paas gayi aur uss se chalne ke liye boli,
Veer : Ho gayi baat?
Suhana : Y-Yeah! Chalo!
Veer : Hmm? Sab theek toh hai na?
Uski sawaal par Suhana ne Veer ko shan bhar ke liye dekha aur fir haan me sarr hila diya.
Veer : Aisa laga ki aap pareshaan ho. So I just... You know...
Veer ka bas itna kehna hi tha ki,
Suhana : Arrrghhh!!! Fucking hell!!!!! What does he think of himself?????? Am I his servant or whaaaattttt???? That stupid idiotic rat.... Aaarrrghhhh!!!!!
Veer : E-Ehhhhh!!??
Uska ye roop dekh Veer ko PTSD sa mehsoos ho raha tha.
'Ohhh fuccckkkkk!!! Y-Ye inhe kya hua?'
[Seems like Suhana ki dusri personality trigger ho rahi hai Master!]
'F-Fuuuccckkkkkk!!! Wait!!! Woh aise kyu dekh rahi hai mujhe? Shittttt!!!! That's scary!!!!'
Suhana ajeeb sii muskaan liye Veer ka haath pakdi aur usse ghaseetate hue andar le gayi,
'Ohhhh fuuuucckkkkk!!!!'
[ ]
Woh jese hi ek shop me ghusi,
Uska gussa saatve aasmaan par tha.
Shop me maujood employee uske paas aaya aur vinamrata se pucha,
Employee : Yes! Ma'am! What can I do for you?
Suhana ne apni ek ungli peeche uss employee ki orr point kii,
Suhana : That!!!!
Toh peeche jab Employee ne dekha toh paaya ki ek bada sa teddy waha latka hua tha.
Employee : Ohhh that? Haha~ That will cost you for...
Suhana : Bring me that!!!!
Employee : Huh? O-Okay!!!
Woh employee waha se teddy nikaal ke uske paas laaya,
Employee : Ma'am! This is created by our finest of craftsmen. The quality of the fur is...
Suhana : How durable is this?
Employee : Huh???
Suhana : How much punches it can survive?
Employee : Wh-Whaaattttt???
'Ohhhhh fuccckkk!!!!! Fuck fuck fuck....!!!!'
Idhar Veer Suhana ke peeche khade hoke jab sab dekh raha tha toh bechaare ke shareer me raungte khade ho gaye the.
Suhana ki dusri personality baahar aa chuki thi. She was pissed. Definitely pissed.
Woh ek teddy maang rahi thi. Jaha employee usse ye samjha raha tha ki teddy ka fur acchi quality ka tha toh Suhana ko inn sab baato se matlab hi nahi tha.
Woh toh ye puch rahi thi ki ye teddy kitne ghoose seh sakta tha? Zara sochiye ki aap ki ek gift ki dukaan hai. Aur koi khubsoorat lady aapke paas aake aap se puche ki aapki shop ka teddy kitne ghoose le sakta hai? Toh aapka muh kesa hoga?
Kuch aise hi bhaav abhi uss employee ke chehre par the.
Par iske pehle ki woh kuch keh paata,
Veer : We're leaving!!! Thank you for your time!!!!
'Fuuuuckkkkk!!!!'
Veer ne Suhana ke haath ko thaama aur usse kheech ke baahar le aaya.
Usne usse ek bench par wahi baithaaya aur uska gussa shaant karne ke liye woh chal diya wahi par lagi ek ice cream ki badi sii shop me,
Par jese hi woh aage aaya, saamne ka nazaara dekh ke hi woh chaka chaundh reh gaya.
Kya khubsoorti thi iss jagah ki.
Yadi mall ho toh aisa...
[Ek din aapke paas iss se bhi accha mall hoga. A much bigger one!]
'Pari...!!!'
Kuch bhi ho jaaye, Pari kabhi bhi motivation dena band nahi karti thi.
Veer dekh raha tha unn jagaho ko,
Kya khoob tareeqe se statues ka istemaal kiya gaya tha.
'Hmmm? Wese idea bura nahi hai. Yadi inn statues me hamaare desh ke shurveero ki aakriti rahe toh?'
[That's a nice idea Master! Isse sticky note me add kijiye. Hum apna khud ka mall banaenge iss theme par. I'll support you... Always! ]
'Hahahaha~ We still have a long way to go. By the way mere points ka kya? Itne kam points Nightwalker ke mission ke liye kyu?'
[Mene bataya tha na master. Mission jitne acche tareeqe se poora hoga, points uss hisaab se milenge.]
'Toh mene iss baar kya galti kar dii?'
[3 people died.]
'Ohhhhhh!!!'
[Mil gaya answer?]
'Yup Anyways! Let's go!!!'
Usne ice cream khareedi, aur Suhana ke paas leke gaya. Aur waqai, Suhana ka gussa kuch hadd tak shaant ho chuka tha.
Suhana ne na keval khud dherr saari shoping kii balki Veer ke liye bhi usne kaafi kuch khareed ke usse dilwaaya.
Khaaskar ek accha sa suit, jisse Veer ne pehen ke wahi change kar liya tha. Aur usne khud bhi ek khubsoorat sii dress pehni hui thi.
Kyuki unhe yaha se ab jaana tha apni doosri manzil ki orr,
*Thud*
Car ka darwaaza band hua,
Suhana : Chale?
Veer : Hmm!!!
Aur woh dono hi waha se nikal gaye,
Downtown ki orr. Kyuki yahi unki manzil thi.
Akhir issi ke liye toh woh shopping karne bhi aaye the. Divya ne jo kal card Suhana ko fek ke diya tha, uske sang ek flyer bhi tha.
Jo tha...
Aur akhir me jo card usne feka tha Suhana ke muh pe woh tha, ek invitation card.
Aur, Invitation tha...
Natalia Martin ka...
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
This update was to tone down the gritty and intense situation, as the name suggests. Next update me aap jaante hi hai ki kis se mulaqaat hone waali hai hamaari. Toh like thokne ka aur revos rakhne ka guys.
Dhanyavaad!
बहुत ही शानदार लाजवाब अपडेट भाईUpdate - 104 ~ The Grand Concert
Ab tak...
Akhir issi ke liye toh woh shopping karne bhi aaye the. Divya ne jo call card Suhana ko fek ke diya tha, uske sang ek flyer bhi tha.
Jo tha...
Aur akhir me jo card usne feka tha Suhana ke muh pe woh tha, ek invitation card.
Aur, Invitation tha...
Natalia Martin ka...
Ab aage...
Las Vegas...
Downtown...
Evening ~ 7:54 PM
*Screeeeeeeeeeeccccchhhhhh*
Car aake seedha ruki. Andar maujood the Veer aur Suhana jo abhi abhi Forum shops at Caesers se aa rahe the. Dono hi acche kapde pehne hue the.
*Thud*
Woh baahar nikle aur car ka darwaza band hua.
Veer : Kaha hai Miss Divya?
Suhana : Usne kaha tha ki woh entrance ke baahar ek club hai waha milegi. Dekho aas paas, koi club wagarah dikh raha hai kya?
Veer ne nazre ghumaayi toh paas hi usse ek club dikhaayi diya.
Veer : Call karna better hoga I guess.
Suhana : Hmm! Wait a minute!
Veer ki baat maan kar Suhana ne Divya ko call lagaaya aur baat karte hi unhe pata chala ki woh ussi club me thi, jaha Veer dekh raha tha.
Suhana : Andar hi hai woh waha uss waale club me. Let's go!
Dono hi bheetar ki orr chal diye. Lagbhag 8 baj rahe the aur club ke andar ka mahaul masti aur jagmagaati dj lights se bhara pada tha.
Thirakte log, loud speakers par bajte angrezi gaane, cocktails enjoy karte log, sofe par baithe VIPs aur adh nange kapdo me naachti ladkiya.
Veer aur Suhana unn logo ke beech se nikalne ke liye aage badhe tabhi itne me ek nashe me dhutt gori ladki Veer ki chhaathi se aake chipak gayi.
Apni patli kamar ko woh yu matkaate hue, apni nasheeli aankho se usse rijhaane lagi,
Veer ki nazre uss ladki ko upar se neeche tak scan kar rahi thi. Ladki khubsoorat toh thi. Par, Veer ke mann me ek hi baat nikli,
'I have zero interest in you, girl!'
[Hahahaha~]
Aur uski iss baat par Pari bhi hass uthi. Veer ko 36 kaam the. Yadi woh aisi aisi harr ek ladkiyo par girne laga toh woh kahi ka nahi reh paega. Aur wese bhi, Kaera, Sonia, Suhana, Ragini jaisi ladies ke muqaable iss ladki ki sundarta feeki maalum pad rahi thi.
Bas ek nazar daal usne apni nazre mod li, aur idhar Suhana ne jab ye sab dekha toh woh Veer ki kalaayi thaam usse kheech kar aage badh gayi,
Suhana : Tumhe mazza toh bada aa raha hoga, hai na?
Veer : Hmm? Kyu bhala?
Suhana : Saamne se ladki aake chipak rahi thi. Itne bhole kyu bann rahe ho?
Veer : Uski jagah agar koi aur aake chipakta toh shayad mazza aa jaata.
Jese hi usne ye kaha, Suhana chalte chalte achanak hi ruk gayi aur peeche palat ke uski aankho me dekhi.
Kehna kya chaah raha tha ye ladka? Kahi woh...!?
Kahi woh ye toh nahi kehna chaah raha tha ki uss ladki ki jagah Suhana khud hoti toh...!!
Dono ka ye eye contact 5 se 6 seconds ke liye bana raha. Na Veer ne kuch kaha aur na hi Suhana ne. Ek ajeeb sa atmosphere janm le raha tha unn dono ke beech.
Lekin, Suhana ne agle hi pal uss atmosphere ko bhang kar diya. Woh waapas mudi aur Veer ke haath ko thaam andar ki orr usse le jaane lagi.
Bina kuch kahe hi, unn dono ke beech kuch na kuch baatein toh zaroor ho chuki thi. Sirf ek dusre ke naino se. Jese Suhana parakhna chaah rahi thi ki kya Veer ka ishaara uski orr tha? Aur Veer ye dekhna chaah raha tha ki kya Suhana ne uski baato ko apne upar liya tha? Aur yadi liya tha toh woh kya karne wali thi? Parantu, naino ki kashmakash zyaada derr na chali. Dono hi ek rikt sthaan par aa kar atak chuke the.
Iss rikt sthaan ko bharne ke liye dono ko hi apne mann ki baatein saamne rakhne ki zaroorat thi. Jo dono hi nahi karne waale the.
Woh punaah aage badhe aur andar jese hi woh pohuche, woh ek naye hall me pravesh kar gaye.
Lights aur bhi dim thi yaha, ye ek prakaar se rest room ki tarah tha. Baahar ka shor yaha kam sunaayi de raha tha. Jagah jagah mirrors lage hue the jidhar anya ladkiya khadi hoke apna apna make-up theek karne me lagi hui thi.
Aur unhi me se ek jagah khadi hui thi,
Divya!!!
Veer : Woh rahi aapki dear friend.
Usne ishaara karte hue kaha. Suhana ne nazre daudaati hue dekha toh Divya waha khadi mirror me khud ko sawaar rahi thi.
Aur Veer jese hi aage badha, Divya ne mirror me se unn dono ko aate dekh liya.
Woh aaiyne me Veer ko ghoor rahi thi.
Suhana : Chale bhi ab?
Divya : Hmm! Kyu nahi!? Let's go!
Suhana : Toh isliye tumne mujhe yaha bulaaya tha haan?
Divya : Phone par bataya toh tha na mene.
Suhana : Tumne kaha tha ki ek client ne tumhe contact kiya hai. Tumne ye nahi bataaya tha ki woh client kaun tha. The fact that it turned out to be her... Ava!!!!
Divya : Ab usse Natalia kehke bulao Suhana. Celebrity se kam nahi hai ab woh. Iss ek saal me poori music industry par keher barsa ke rakh diya hai usne. Jidhar dekho bas ussi ke gaane chhaa rahe hai aaj kal.
Suhana ye sunn ek chinta me doob gayi.
Divya : Ab kya sochne lagi?
Suhana : I just don't get it. Last time mene usse bachpan me hi dekha tha. Sonu ke sang. Aur mujhe tab aisa kuch bhi yaad nahi tha ki woh singing me talented hai. Aur ab...
Divya : People change Divya. Usne mehnat toh kari hi hogi. Iss tarah ki awaaz aur itni fan following. Sirf paisa fekne se nahi mil jaati.
Suhana : ...
Veer : Umm! Hum chal rahe hai na?
Divya (smiles) : Of course!
Muskuraate hue woh Veer ke bagal se aayi aur teeno hi baahar ki orr nikalne lage,
Chalte chalte hi Divya dheere se Veer ke paas aayi aur,
Divya : Hey!!! Kaisi lag rahi hu mein?
Veer ne uss par upar se neeche nazar daali aur usse ye maan'na hi pada ki Divya ki personality bhale hi kaisi bhi thi, par aaj lag toh ekdum pataka rahi thi.
Veer : Good!
Divya (smiles) : Bas good? Am I not looking hot?
Veer : Ahem! You do actually...!
Veer ki honesty par woh usse muskuraate hue dekhi, ye muskaan sach me aisa laga jese ekdum sacchi thi.
'Is this the real you?' Veer ke mann me uski awaaz aayi.
Yaha se ravaana hote hi woh pohuch gaye downtown me, jaha Natalia ka music concert rakha gaya tha.
Baahar logo ki line toh aise lagi thi, prateet ho raha tha jese poora Vegas hi yaha utar aaya tha.
Veer : What the...!?
Divya : Dekh rahi ho craze Suhana? Ye wahi Ava hai jo Sonia ke saath bachpan me khelti thi. Fans dekh rahi ho uske? Hahaha~ I don't even remember last time mene kab itni bheed dekhi thi ek saath.
Suhana : Andar chalo warna aur dikkat hoegi hume.
Jese hi Veer andar jaane ke liye hua toh achanak hi uske peripheral vision me ek jaana maana shaks dikhaayi diya.
'Huhhhh!?? Zoeyyy??'
Suhana : Veer??? Kaha kho gaye?
Veer : Aap dono andar chaliye mein aata hu.
Suhana : Arre par...!?
Veer itna bol waha se uss bheed me alag disha me ghus gaya aur ek pal me hi tamaam janta ke beech kahi gaayab ho gaya.
Divya : Woh aa jaega. Let's go!
Suhana : Nahi!!! Usse aa jaane dete hai fir...
Divya : Accha baba! Ek kaam karte hai iss entrance ke andar toh chal dete hai? Yaha boht bheed ho rahi hai. Andar hum uska wait kar lenge.
Suhana ne haami bhari aur woh dono hi andar chali gayi. Woh Veer ko yu akela nahi chorrna chaahti thi.
Idhar Veer bhaari bharkam bheed me Zoey ko peeche peeche follow karte hue uske paas badi mushqil se pohucha aur usne peeche se hi Zoey ka haath thaam usse palta diya,
Veer : What are you doing here?
Zoey : Wha-!?
Wo palti aur Veer ko saamne dekh hairaan reh gayi.
Zoey : Veeeerrr!!!!!
Veer : Yeah! You here?
Zoey : Ahhh! I...
Uska sarr neeche jhuk gaya.
Veer : What happened?
Zoey : It's... I just came here to return the dress. There's a famous shop here. And when I was passing by... I got lost! Too many people... You know...
Apne kandhe uchkaate hue woh thoda uncomfortable way me boli,
Veer : Returning dress? Why so?
Zoey apni ek behad sundar sii dress ko return karne aayi thi. Jo ki yahi ek shop se lii gayi thi.
Zoey : Because I rented it... Ahahaha~
Woh sharminda hote hue boli. Baat saaf thi. Woh wese hi paiso ko lekar tangi me thi. Mansion me bhi usne apni kismat azmaana chaaha tha par uske haath kuch na laga. Ulta jaan aur gawa baithi thi woh.
Zoey ne ek dress yaha se rent par lii thi, ye soch ke ki fashion modeling ke photoshoot ke dauraan, uski ye photos bade bade magazine photographers tak shayad pohuch jaaye aur woh usse apne saath kaam karne ke liye bulaaye.
Par jesa usne socha tha wesa kuch na hua. Unn photographers ne Zoey ko kam se kam semi nude hone ka keh diya tha. Zoey unn chand ladkiyo me se ek thi jo nudity me apna haath nahi daalna chaahti thi. Aksar usse log taane maarte the ki model bann'ne ke sapne dekhna woh chorr de.
Jo ladki nudity accept nahi kar sakti woh kya khaak model banegi. Sach kaha jaaye toh fashion ki duniya me aisi nagnata ko normal hi maana jaata hai. Zoey ek aisi model bann'na chaahti thi jo bina nudity ke bhi, keval apni khubsoorti aur figure ke bal par poori fashion industry ko dominate kar ke rakh de.
Par afsos, hum jesa chaahte hai zaroori nahi ki wesa hi ho. Usse ek push ki zaroorat thi bas. Bas thoda paisa kharch karne ki zaroorat hi. Lekin dikkat bhi toh yahi thi. Uske paas paisa nahi tha.
Veer Zoey ka status jaanta tha. Aur usne ek baar me hi sab bhaanp liya tha.
Zoey : I... I must go now! I cannot miss my train. Otherwise I won't be able to afford any more tickets. Ahaha~
Wo firse nakli hassi dete hue hassi aur mudi,
Veer : Wait!!!
Zoey : Huh?
Veer ne usse rok liya. Peeche mud jab usne Veer ko dekha toh...
Veer apni blazer ki jeb se kuch nikaal raha tha.
Usne ek kaagaz ka panna nikaala aur Zoey ke haath me thama diya.
[Ehhhh? M-Maasterrrr???]
Kuch pal toh Zoey idhar Veer ko hi dekhti rahi lekin jab usne neeche uss kaagaz par gaur kiya toh uski aankhein achambhav ke maare fel uthi,
Zoey : Wh-Whaaatttt??? N-Noooo!!! What are you doing?
Woh kaagaz koi aisa wesa kaagaz nahi tha. Cheque tha woh. Wahi cheque jo Veer ko reward ke roop me investigation department se mila tha. Nightwalker ko jo pakdaaya tha usne.
Kayi hazaaro dollars ka cheque tha woh. Aur ye reward Veer ka tha.
Veer : Have it!! You need it more than me.
Zoey : What?? No!!! I can't take this. Not at all!!!
Aur usne woh waapas usse thamaane ki koshish kari, par Veer na maana. Jab uski ek na chali toh woh Veer ki zidd ke aage haar hi gayi,
Zoey : B-But... No! I just can't...
Zoey ki apni ek pride thi. Yadi wo paise chaahti toh nudity me ghus kar na jaane kitne kama leti. Par usne aisa nahi kiya. Toh bhala woh Veer ke haath se ye paise free me kese le sakti thi? Iss baat ko Veer samajh chuka tha. Isliye,
Veer (smiles) : Then you can repay me. One day when you'll become a famous model. At that time think of me... You'll find me in Mumbai, India. I hope by that time, I would have made a name of myself.
Veer ne uski saari problem ek sentence me solve kar dii. Usne Zoey ko udhaar ke roop me ye paise diye. Beshaq, ab Zoey ki pride ko utna dhakka nahi laga tha. Uske zehen me bhi yahi baat thi ab ki woh udhaar le rahi thi. Na ki free me usse ye paise taras khaa ke diye jaa rahe the.
Aasuo ki komal komal boonde apne aap uski aankho se nikal padi, wo rote hue dhundhli aankho se apne haath me uss cheque ko dekh rahi thi.
Zoey : I'll remember this. I'll definitely repay you back some day. I promise...!
Par jab tak usne apni nazre upar kar Veer ko dekha, tab tak Veer palat ke dur jaa chuka tha. Usne bina mude hi apna haath hawa me uthaaya aur goodbye ka ishaara kar woh dobaara se uss bheed me kho gaya.
Zoey apni aankho se aasu poch ek antim baar Veer jis orr gaya uss disha me dekhi aur apni suitcase utha ke woh palat ke nikal gayi.
***
Idhar Veer jese hi kuch qadam hi aage badha tha jab,
*Ding*
[Zoey's favourability has been increased by 40.]
[Master! Pehle mein surprised thi. Par at the end, aapne ek sahi kaam kiya. She needed that cheque.]
'Pari! Kayi baar hume rishte bhi banaane padte hai.'
[Par Master agar future me Zoey aapka kiya hua ye favour bhul gayi aur kabhi bhi aapko repay nahi kiya toh?]
'Toh kya? Toh kuch nahi Pari! Woh kahavat toh suni hi hogi. Neki kar, dariya me daal.'
[Thats... Indeed! Master!]
Veer muskuraaya aur aage badh concert ke venue ki entrance me ghus gaya.
***
"Kaha reh gaye the tum???"
Ghuste hi usse bagal se Suhana ki awaaz sunaayi dii. Dono Divya aur woh uska hi intezaar kar rahi thi.
Veer (smiles) : Emergency!!!
Suhana : Kyaaaa?? Aur piyo dherr saara paani car me baithe baithe... Arre mall me bhi toh...
Divya : Enough!!!! Suhana! Hum pehle hi late hai. Let's go!
Divya usse kheech ke lete hue aage badhi, aur idhar Suhana peeche palat ke Veer ko apni aankhein sikodte hue dekhi jese kehna chaah rahi ho ki ye lecture woh baad me sunaaegi usse.
Veer andar hi andar mand mand muskuraaya. Kabhi kabhi ye Suhana ekdum bacchiyo jese behave karne lagti thi. Aisa lagta tha jese uski dusri personality maano baahar aa rahi ho.
Veer, Divya aur Suhana jese hi venue me enter kiye, woh andar ka nazaara dekh ke hi dang reh gaye.
Concert itna bhavya tha ki kehne ke liye shabd nahi the unke paas.
Dherr saari jagmagaati lights, aasmaan tak unki rays feli hui thi, smoke pipes se dhua uth raha tha, bhaari maatra me log thirak rahe the, saamne behad badi sii screen me Natalia dikhaayi de rahi thi jo stage ke beecho beech behad khubsoorat dress pehne khadi hui thi.
Shayad woh gaana shuru karne hi waali thi.
Veer aur baaki sab excited logo ke beech se apna raasta khojte hue aage badhe. Vip seats ki orr, jo sabse aage maujood thi. Woh late the. Warna unhe aise bheed ke beech me se nahi aana padta.
Par Veer unn logo ke beech se guzarte waqt...
*Ding*
Uski aankho me achanak pal bhar ke liye laali chhaayi. Aur usne aas paas idhar se udhar nazre firaate hue dekha. Uski aankhein baaj ki tarah logo ko scan karne lagi.
Woh ek pal bhi bekaar nahi jaane dena chaahta tha. Nightwalker ke mansion me hoke aane ke baad usne system ko aur efficiently aur fast use karna shuru kar diya tha. Woh jaanta tha ye kitna zaroori tha.
Suhana jo aage chal rahi thi woh achanak se peeche mudi, aur jese hi usne Veer ko dekha,
Veer ki aankhein waapas se normal ho chuki thi.
Suhana : Hmm? Is something wrong?
Veer : Nothing! Keep moving!
Suhana : Hmm!
Aur Suhana ke firse mudte hi,
*Ding*
Unn aankho me laali firse janm le uthi.
Sab kuch itni tezzi se hua ki Suhana ko pata bhi nahi chala ki Veer ne abhi abhi uske bagal se khade hoke Beowulf activate karke inn chand seconds me hi apne aas paas ka jayza bhi le liya tha. Ye sab kuch seconds me hua. Woh itna tezz ho chuka tha system use karne me. Pari bhi jese uski saari mann ki baate samajhti thi. Ek pal nahi laga usse Veer ke thoughts ko poora karne me.
Within seconds, Pari ne Beowulf activate kiya aur waapas se deactivate kar diya. Aur Suhana ke mudne ke baad firse activate kar diya. Veer aur Pari ke beech koi baat bhi nahi hui. Jese Pari ab apne Master ke liye aur fast aur efficient ho chuki thi. Sab kuch bina kahe hi ho gaya. Unhe aapas me baat karne ki zaroorat hi nahi padi.
Filhaal, Veer ko aas paas se aisa kuch bhi nahi sunaayi diya jo charcha ya chinta ka vishay bane aur na hi usse kuch aisa dikhayi diya. Jo ki ek raahat waali baat thi. Aur isliye usne Beowulf deactivate kar diya.
Woh jese tese uss bheed se nikal aage aaye. Ekdum aage. Saamne Lambe lambe white sofe rakhe hue the. Keval Vip logo ke liye. Aur kayi saare Vip pehle se hi waha baithe the. Woh Veer, Suhana aur Divya ko hi dekh rahe the.
Baahar do guards the jo VIP invitations check kar rahe the. Divya ne invitation card unn guards ko thamaaya aur guards ne unhe andar jaane de diya.
Divya apne sofe ke upar lage tag me apne naam ke paas pohuchi aur Veer aur Suhana ko ishara kar usne aage bulaaya.
Teeno uss sofe par baith gaye.
Aur udhar upar bade se stage par Guitarist, drummer aur anya musicians Natalia ke ird gird apni jagah par baithe instruments set karna shuru karne lage.
*Booooooooooommmm*
Stage ke saamne se fireworks upar hawa me ude, janta ka shor tatha hooting shuru hui,
Aur Veer ne jese hi nazdeek se A
Natalia ko dekha, woh wahi jamm ke reh gaya.
'Huhhh!!!'
[Okay! I admit. She's gorgeous!]
Aur Pari ne bhi apni haami bhar dii.
Natalia behad khubsoorat thi. Veer ne kabhi nahi socha tha ki usse Kaera aur Sonia jesi ke level ki koi ladki itni jaldi usse issi janm me dekhne ko mil jaegi.
*Badump*
Uska dil ek dhadkan jese phaand gaya.
Aur agle hi shan,
'Check!'
Veer ne Natalia ko check kiya. Lekin jese hi usne check kiya, Natalia ki aankhein turant hi Veer par tikk gayi. Woh stage se seedha usse ghoor rahi thi.
'Hhuhhh??? Whattt??'
Par fir Veer ne dhyaan diya, ki Natalia ne sirf usse hi nahi, Divya aur Suhana ko bhi dekha. Aur ek halki sii nod dii bas.
Uske baad usne fir gaana shuru kiya.
I know it's fading, going away from my hands,
It never was there, had fooled me till the end.
Feelings of mine.... Yet keepin' meeee aliiiiiiive!
Nobody wants to see the pain behiiiiiiinnnd...
Closed my heart, and now I'm on my miiiiinnd...
Slippin' away from my grip...
There goes my wish...
And, letting go I no longer need that vile paaaassstttttttt....
Natalia ki awaaz poore venue me goonj uthi.
Janta ka shor umad utha.
Koi instruments nahi baje the. Sirf aur sirf uski awaaz hi thi. Aur jis tarah se usne ye gaaya tha. Uss awaaz ke peeche ek alag hi dard tha. Aur kya hi kamaal ki powerful voice thi. Par saath hi utni hi madhur.
Uski awaaz itni alag thi ki sunte hi Veer ke shareer ke raungte khade ho gaye. Uski aankhein apne aap band ho gayi. Aur sirf Veer hi nahi tha. Suhana aur Divya ka bhi yahi haal tha.
Suhana ye bhi jaan gayi thi ab ki kyu itni zyaada bheed thi Natalia ke liye. She was too good! Live stage par aise live gaana. Koi notes miss nahi ho rahe the. Harr ek high note ekdum sahi laga tha uska. Aur awaaz zara bhi nhi ladkhadaayi unn high notes ko lagaane me.
Kitni practice chaahiye hoti thi iske liye ye baat Suhana bhali bhaati jaanti thi. Akhir uski contact me bhi kayi bade singers the. Par Natalia ki aaj iss awaaz live sunn'ne ke baad jese woh saare singers ab pheeke maalum pad rahe the.
Ye gaana Natalia ne abhi release nahi kiya tha. Ye sirf aane waale gaane ki kuch panktiya thi jo usne concert shuru karne se pehle gaayi aur excitement ke chalte janta udhar utne me hi paagal ho uthi.
Such was her craze!!!
Uske baad fir music aayi, fir jaake thoda mahaul party jesa hua aur vibe bani.
Suhana : Ek ghante ke upar ho gaya hai. Hum kab tak yaha baithe rahenge?
Divya : Meri baat ho chuki hai uss se. Usne kaha tha ki... Concert ke baad hi dinner me hume uske saath join karna hai. Aur udhar hi wo saari baatein bataegi.
Suhana : Matlab poora concert bhar yaha baithna hoga?
Divya : What is it? Tumhe toh glad hona chahiye. Finall getting to witness Natalia. Fufufu~ Should I call Sonia? Batau usse uski bachpan ki friend ke concert me baithe hai humlog. Hmm?
Suhana (aankh dikhaate hue) : You better not!!!
Divya : Hahahaha~
Suhana beech me thi. Veer aur Divya uske bagal se baithe huye the aur apne aap hi uska haath Veer ki jaangh par anayaas hi chala gaya.
Veer par uska dhyaan nahi tha. Aisa lag raha tha jese woh kisi baat ko kekar chintit thi.
Veer : What's up?
Suhana : ????
Veer : Mene pucha kya hua? Kya soch rahi ho aap?
Suhana : Ahh! Wo mein...
Veer : Hmm?
Suhana : I just... Tum jaante ho ki Ava... I mean Natalia Sonu ki childhood friend rahi hai. Par uske jaane ke baad se hamaare aur uske beech contact jese khatam sa hi ho gaya hai. Aaj usse yaha aise dekh ke bas shocked hu thoda. I never saw her singing in the past...
Veer : Tab woh boht choti rahi hongi... Maybe India se jaane ke baad unhone apne passion ko follow kiya ho?
Suhana : Yeah!!! Maybe...
***
Samay guzra aur dekhte hi dekhte ye vishaal concert apne ant ke qareeb pohucha.
Dekhte hi dekhte saari janta apne apne ghar ke liye jaldbaazi me nikalne lagi. Concert behad hit tha. Par Veer aur dono sundariya waapas jaane ki bajaaye venue ke bagal waale gate se baahar gaye.
Udhar hi ek behad badi 5 star hotel thi. Aur uske hi campus me dherr saari bheed ikhatta hui padi thi.
Photographers se leke reporters toh wahi haatho me phone liye Natalia ke fans...
Natalia hotel se baahar nikal rahi thi. Uski kaali cham chamaati dress stairs par lathadte hue peeche peeche aa rahi thi.
Woh campus tak aayi toh uske chehre par flashes ki bauchhaar shuru ho gayi.
*Click* *Click* *Click*
Par woh seedha apni vanity van ki orr chali gayi.
Aur idhar bodyguards ne saari janta aur tamaam reporters athwa photographers ko wahi rok liya.
Natalia ne apne kapde change kiye aur ek top aur uske upar black jacket daal woh hotel me waapas chali gayi.
***
Idhar Veer ki toli andar jaane ka wait kar rahe the. Natalia ke bodyguards ne unhe baahar thehra ke rakha hua tha kyuki tab tak Natalia change karne me lagi hui thi.
Suhana : What the hell?? Sonu ki childhood friend hai woh. Aur dekho toh... Humko anjaan samajh ke wait karwa rahi hai. I just...
Divya : People change Suhana... People change...
Suhana : Just like you, right?
Divya : Ugghh!! Y-Youuuu...
Suhana : Hmph!!!
Veer bas muskuraa raha tha. Usse pata tha Suhana aisi situations me pakke se trigger ho jaati hai. Aur wahi hua. Suhana ka ego hurt hua tha. Kese nahi badbadaaegi woh?
Kuch derr ke intezaar ke baad hi unhe andar jaane ke kiye allowed kar diya gaya.
Aur jese hi woh andar pohuche...
Natalia wahi baithi hui thi. Ek table ke paas ek seat par. Dinner yahi hona tha.
Usne teeno ko aate hue dekha aur bas ek halki sii muskaan ke saath boli,
"Welcome!!! Have a seat!!!"
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Some updates takes time. Remember this well. I had to make my own lyrics for that Natalia's song. Searching for accurate relevant images takes time as well. Toh likes thok ke jaane ka aur revos rakhne ka.
Dhanyavaad!
is matter me kuch keh bhi nahi sakta n..Click HERE to go to Index.
Aaj ek kissa hua. Kuch kaam se shaam ko gaya hua tha. Raaste me jab apun bike par traffic me fassa hua tha. Tab, bagal me school ka ek auto aake khada hua. Andar sab chulbuli ladkiya baithi hui thi.
Ek ladki ne dekha aur boli,
"Hi!"
le me (surprised) : Hello!
ladki (smiles) : Nahi nahi, Hi karo.
me : Sirf hello se kaam nahi chalega?
ladki : Nahi nahi bilkul nahi. Ehehehe~
me : Hi!
ladki : Aise nahi, haath mila ke,
apna haath nikaal woh mujhse haath milaayi, aur usse dekh baaki ladkiya bhi, "Ehehehe~ Hi!!! Hello! Hi! Hi!!"
wahi khade khade signal pe apun 5-6 ladkiyo se haath mila daala. Ab unn nadaano ko kaun samjhaaye. School me thi fuljhadiya. Thodi badi hoti toh batata mein kya hoti hai flirting.
Click HERE to go to Index.
Aaj ek kissa hua. Kuch kaam se shaam ko gaya hua tha. Raaste me jab apun bike par traffic me fassa hua tha. Tab, bagal me school ka ek auto aake khada hua. Andar sab chulbuli ladkiya baithi hui thi.
Ek ladki ne dekha aur boli,
"Hi!"
le me (surprised) : Hello!
ladki (smiles) : Nahi nahi, Hi karo.
me : Sirf hello se kaam nahi chalega?
ladki : Nahi nahi bilkul nahi. Ehehehe~
me : Hi!
ladki : Aise nahi, haath mila ke,
apna haath nikaal woh mujhse haath milaayi, aur usse dekh baaki ladkiya bhi, "Ehehehe~ Hi!!! Hello! Hi! Hi!!"
wahi khade khade signal pe apun 5-6 ladkiyo se haath mila daala. Ab unn nadaano ko kaun samjhaaye. School me thi fuljhadiya. Thodi badi hoti toh batata mein kya hoti hai flirting.