• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,301 83.2%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 26 1.7%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 202 12.9%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 35 2.2%

  • Total voters
    1,564

Zoro x

🌹🌹
1,689
5,419
143
Update - 99 ~ A Night at the Mansion (1)

Ab tak...

Divya : The second criminal...!!!!!

Veer : Huh???

Suhana : !!????

Aur agle hi pal... Usne table par ek paper patalte hue rakha. Ye wahi printout tha...

Usse dekhte hi Suhana ka badan kaanp utha.

Saamne printout me jo tha, wo tha...

Ek wanted paper!!!!

Divya : And his name is...

Veer : ?????

"THE NIGHTWALKER!!!!"


Ab aage...

[Is this the one? Master! Please! Be extra careful. Isse dekh ke mujhe bilkul bhi sahi nahi lag raha hai.]

'Tum akeli nahi ho Pari! I'm getting the same vibes. Yaha kuch boht hi bhayanak humse chhupa hua hai. Kuch aisa, jiske liye shayad hum taiyaar nahi.'

[Mein uss Nik ko kabhi maaf nahi karungi. I will never. Sab kuch uske hi kaaran hua hai. I hate that couple.]

'Nahi Pari! Ye toh hona hi tha. I guess maybe mujhe yaha next mission mil jaaye? Tum jaanti hi ho hume points ki kitni zaroorat hai.'

[Maaasttterrr~ Aap sirf points ke liye apni jaan daav pe nahi laga sakte. Missions ka kya hai? Woh toh milte rahenge. I cannot lose you like this okay? Aap sunn rahe ho na?]

'I'm listening Pari! Par, Aisa kaun sa waqt tha meri zindagi me jidhar mene risks nahi liye? Mera jeevan khatro se hi bhara tha Pari. Abhi bhi bhara hai. Aur aage bhi bhara rahega. Ye baat toh mein tab hi jaan gaya tha jab tum mere andar aayi thi."

[I-I'm so sorry. :verysad: ]

'Pagli! Mein tumhe dosh nahi de raha. Tumhare aane se hi toh mein firse zinda hua hu. I can never blame you. No matter what! You are my soul, Pari.'

[M-Maaaasssttteeerrr! (╥﹏╥)]

Pari aur Veer ke beech bhavnaatmak baate chal hi rahi thi jab,

"I'm dropping you both here. You better survive. I won't come here to pick your dead meat."

Saamne se pilot ne Veer se kaha. Helicopter me woh savaar tha. Aur uske bagal se baitha hua tha, Mike. Jo investigation department se hi tha.

Neeche unke ek hi drishya tha. Ek khubsoorat island!!!

Helicopter thoda neeche hua aur utarne ke liye airstairs ko hawa me neeche gira diya gaya.

'Fuck! Meri phat rahi hai utarne me. Mene kabhi kiya nahi ye.'

[Masterrrr! Don't worry! Bas pakad mazboot rakhna apni. Stay strong maaasterr~]

'Yeahhh!'

Mike ki dekha dekhi kar Veer stairs se utarna shuru kiya aur...

*Plop*

Dono ne zameen par girte hue apne qadam rakhe.

"I'm fucking leaving!! Good luck!!!"

Upar se pilot ne zorr se chillaaya, par helicopter ki ghoomti hui blades ki awaaz ke aage uski awaaz theek se sunaayi na de saki Veer aur Mike ko. Aur copter waha se nikal gaya.

Ek lambi aah chorr Veer ne apne saamne dekha. Uske saamne ye khaufnaak sa island maujood tha. Dur dur tak ped paudho ke alawa kuch nahi dikh raha tha usse.

Sooraj dhal chuka tha, andhera barkaraar tha. Chaand par ghane kaale baadalo ki chaadar bichhi hui thi. Aur mand mand chalti thandi hawaein, jo Veer ke badan me ruye khade kar rahi thi.

Yaha se aage ka raasta usse aur Mike ko akele hi tay karna tha. Wo dono iss island ke chorr par akele khade hue the.

Investigation department ki taraf se copter unhe yaha chorr ke nikal chuka tha. Kuch khaas shabd toh nahi kahe the pilot ne uss se kuch derr pehle. Private detectives se jude logo ko waqai kuch zyaada hi hate de rahe the ye investigation waale.

Kherr! Veer aur Mike aage badhe. Unke paas kaafi samaan tha utility ka. Chaahe emergency torch ho, knife ho, ya kuch bhi. Taiyaari ke saath woh yaha aaye the. Yaha aane se pehle kaafi bawaal bhi hua tha. Jesa ki Pari ne Nik ka zikr kiya.

Ek prakaar se Veer uske hi kaaran yaha tha. Investigation department ke Head Nolan ne saaf saaf Nik ko chetaavni de dii thi ki unke department se ab iss case ko lekar koi bhi apni taang nahi adayega. Unhone ye bhi keh daala tha ki ab tum log hi apni taraf se bhejo kisi ko. Bada shauk hai na private detectives hone ke baad public cases solve karna ka?

Toh lo fir. Diya case! Jao! Risk uthao! Aur saabit karo.

Nateeja? Nik ne Veer ko aage kar diya. Woh bewakoof nahi tha jo khud aisi khatarnak jagah jaake apni hi gaand marwaaye. Aur woh Divya ko bhi nahi bhejne waala tha. Suhana ko bhi nahi bhejta woh. Toh bacha kaun?

Of course! None other than Veer!!!

Aur Veer se toh uski koi pehchaan bhi nahi thi. Divya bhi bada hi flirt kar rahi thi Veer se. Isliye Veer ko khatre me daalne se pehle ek baar bhi usne Veer ke baare me nahi socha. Jalan sach me kutti cheez hoti hai.

Par Mike aisa nahi tha. Jab usne dekha ki kese Veer ko akele maut ke kuye me dhakela jaa raha hai. Toh uss se raha nahi gaya. Veer ka toh koi lena dena hi nahi tha iss case se. Usse faaltu me bali ka bakra banaya jaa raha tha. Isliye usne apna naam bhi aage kar diya. Beshaq, uske iss faisle se kaafi vivaad khada hua par ant me uski baat unhe maan'ni hi padi. Akhir uski marzi thi ye.

Woh Veer ko aise akele nahi jaane de sakta tha. Veer andar hi andar Mike ke prati abhaari tha. Kuch log insaaniyat ke aur dil ke boht hi acche the yaha. Jese Mike...

[I fucking hate that man soooo much!! Humne kya bigaada hai uska?]

"Shhhhh! Mene kaha na Pari! It's inevitable! Ye hona hi tha."

[But still...]

"Shhh!!! Let's get going."

Veer ne Pari ko shaant kiya.

Bagal me chal raha Mike tabhi uss se bola,

Mike (smiles) : Don't worry bro! We'll handle this.

Wo Veer ka confidence badhaane ki koshish kar raha tha.

Veer (smiles) : Sure!

Kuch bhi ho jaaye, Veer Mike ko marrne nahi de sakta tha. Apne mann me hi usne ek commitment baandha.

Yaha aane se pehle Suhana ne bhi kaafi virodh kiya tha. Suhana Veer ko yaha help ke liye laayi thi. Usse marwaane nahi. Jese tese Veer ne usse shaant kar diya tha. Par woh jaanta tha Suhana abhi kitni bechain ho rahi hogi. Jab woh copter me baith ke nikal raha tha tabhi uska chehra dekhne laayak tha. Sach kaha jaaye toh pehli baar Veer ne Suhana ke chehre par apne prati woh bhaav dekhe the.

She never showed but she really cares for him. Yaha tak ki Divya bhi kuch chinta me thi. Shayad uska ravaiyya badal raha tha.

Mike aur Veer aage badhe, haatho me torch thi unke. Ghane ped paudho ke patte hataate hue wo Island me aur bheetar ghuse. Aur jese hi ialand ke beecho beech aaye. Saamne ka nazara dekh unke hosh udd gaye.

Island ke beecho beech unke saamne tha...



Disneyland-Haunted-Mansion

Ek khubsoorat par utna hi daraawna sa Mansion.

Badi hi ajeeb sii anubhooti karwa raha tha ye Mansion. Sundar tha, bada bhi tha, par uss mansion me kuch aisi baat thi jo Veer ko aage qadam badhaane se pehle chetaavni de rahi thi.

Ajeeb baat ye thi ki mansion ki lights jal rahi thi. Island me electricity ka koi source nahi tha. Matlab basement me generators pakke se maujood the.

Veer : What do you think?

Mike : Well! I never imagined there would be such a huge mansion hiding in here. And guess what? Lights are on.

Veer : Then that means...

Mike : Yeah! Someone else is inside.

Veer : Other participants?

Mike : Maybe! Or maybe not!

Mansion ki jalti hui lights yahi ishaara kar rahi thi ki koi na koi andar maujood tha.

Mike : We must find whoever it is. We will definitely catch Senior Connor's murderer.

Veer : Hope so...

Mike : Shall we head inside?

Veer : Alright!

Entrance ki orr woh badhe. Entrance par ek bhi guard maujood nahi tha. Koi security nahi thi. Lohe ka bada sa gate tha jisse khol woh andar aaye.

Mansion ke saamne chota sa lawn tha jaha ghaas lagi hui thi, bagal me ek chariot rakha tha safed rang ka par koi ghoda nahi bandha tha uss se.

Andhere me poora Mansion vishaal pedo se ghira hua tha aur woh dono main gate pe pohuch gaye.

Mike ne apne jeb se ek card nikaala aur Veer ko dekha.

Veer (nods) : Do it!

Aur darwaaze ke hi side me ek patla sa slit gap maujood tha. Mike ne jese hi card andar slit me daala toh...

*Click*

Darwaaze se awaaz aayi. Aur woh unlock ho gaya.

Mike : It actually worked.

Veer : The info was true then...

Jankari sach thi matlab. Connor ke akhiri video se unhe iss jagah ka pata chala tha. Ab sawaal ye tha ki Mike ko woh card kese aur kaha se mila? Iski jankaari bhi usne video me hi dii thi.

Slot machines ki street me hi ek aadmi tha jo ye cards bechta tha. Wahi lottery waali slot machines. Yaha sab kuch khufiya tareeqe se hota tha. Uss bechaare ko ye bhi nahi pata tha ki ye cards kis liye hai. Usse bas bechne diye gaye the aur cards bik rahe the, iss baat se hi khush tha woh.

Police usse yu hi giraftaar nahi kar sakti thi. Uss bechaare ko toh ye bhi nahi pata tha ki ye cards kaun bhijwata hai usse. Kyuki delivery wala toh deliver kar ke chala jaata tha.

Inn cards ka istemal island me maujood iss darwaaze ko kholne ke liye hi tha. Koi soch bhi sakta tha aisa? Kuch boht hi badi planning chal rahi thi peeth peeche.

Darwaaza khol jese hi woh andar aaye, andar ka nazaara kuch aisa tha.



b-o-w-qin-mansion-hall-render-01j

Upar ceiling se chandelier latak raha tha. Andhera tha par jagah jagah candles jal rahi thi. Kahi kuch lights bhi jal rahi thi.

Aur ye main hall bhi nahi tha. Ye toh sub hall ki tarah tha. Neeche bada sa carpet biccha hua tha jo saamne darwaaze ki orr jaake khatam ho raha tha.

Shayad wahi main hall ka entrance tha.

Mike : Let's go!

Veer : Yeah!!!

Mike aur Veer apne dil ki tezz dhadkano ko thaam aage badhe. Hall ka gate bhi khula hua tha.

Jese hi unhone gate khola, unhe ek hallway nazar aaya.



19265474208-792f4e133e-b

Jagah jagah paintings lagi hui thi deewaaro par, jo kisi ke ateet ko baya kar rahi thi. Neeche biccha khubsoorat sa kaaleen. Iss area me lighting sub hall ke muqaable zyada thi.

Wo andar ki orr gaye aur jese hi wo enter kiye,

Veer : Huhh???

Unhe waha 6 log aur dikhaayi diye. Jinme se 4 ladke the aur 2 ladkiya.

"What the hell? More people are coming? But that's actually good."

Sofe pe baitha ek ladka unme se bola.

Veer : These guys...

Tabhi ek ladki jo kareeb 27-28 saal ki lag rahi thi woh uth ke aayi aur Veer aur Mike ke ird gird ghoomne lagi. Fir boli,

Ladki : You guys! Are you here for the bars too??

Veer : Y-Yeaahhh!!!

Uss ladki ne sawaal kiya. Kya Veer log bhi idhar bars ke liye aaye the? Veer ne jawaab haan me diya.

Bars!!! Samjhe? Golden bars!!! Bole toh sone ke biscuits.

Mansion me 10 million dollars worth ke golden bars maujood the. Alag alag jagaho par. 10 million bole toh kareeb kareeb 79 crores, 84 lakh, 55 hazaar ke aas paas ka rokda.

Aur shayad yaha maujood baaki log bhi issi ki talaash me the.

Ladki : Ohhh! I'm Emma by the way. A nurse by profession.

Mike : Nice to meet you! I'm Mike. Just a graduate. And he's Veer, my friend.

Mike ne apni identity jaan boojh ke chhupa lii.

Emma : Veer? Strange name! But you are hot though. I will give you that. *wink*

Emma khubsoorat thi. Par Veer ko usme koi interest nahi tha. Uski nazre jiski taraf gayi woh koi aur hi thi.



IMG-20220725-002231

Black denim jacket daale woh bookshelf ke paas khadi hui thi. Aur unhe hi dekh rahi thi. Khaaskar Veer ko. Ek sundar vyakti dusre sundar vyakti ki taraf aakarshit hota hai. Ye baat sach thi.

Khubsoorti ka uska koi jawaab nahi tha. Sonia aur Kaera ki takkar ki thi woh yadi chehre ki khubsoorti ki baat ki jaaye toh.

Usse dekhte hi...

*Ding*

[Name : Zoey Clarkson

Age : 27
Bio : Zoey ek model hai. Par paiso ki tangi ki wajah se woh apni life me aage nahi badh paa rahi hai. Khubsoorat hone ke bawajood usse Model contracts zyaada mil nahi paa rahe kyuki woh nudity ya intimate photoshoots pe nahi utarna chahti. Financial condition kaafi gir chuki hai. Kisi se gupt jankari usse mili hai ki island ke iss Mansion me khazana chhupa hai. Woh apna luck azmaane aayi hai yaha. Ghar me uska koi nahi hai. Toh apni jaan ki parvaah kiye bina woh ek akhiri baar apni kismat azmaana chaahti hai.

Favourability : 4
Relationship : Strangers.]

'I see!!!'

Emma dekh rahi thi ki Veer Zoey ko nihaar raha tha aur Zoey bhi usse dekh rahi thi. Ye dekhte hi andar hi andar woh jal bhun gayi.

Woh bhi yaha maujood thi. Fir uski sundarta par koi kyu dhyaan nahi de raha tha? Aisa nahi tha ki Emma sundar nahi thi. Bas, Zoey ke saamne woh thodi feeki lag rahi thi. Zoey kuch zyada hi aakarshak thi.

Mike : And who are they?

Emma : The girl over there. She's Zoey! A model. And these guys are, Jacob, Tommy, Chester, and Ronnie.

Ek ek karke Emma ne unka parichay diya.

Emma : We got familiar just few minutes ago.

[Dekha master!!!! Ye bilkul wesa hi hai jesa Connor ne bataya tha. Alag alag log yaha aate hai. Aur raat guzaarte hai. Golden bars ko dhundne ke liye jo yaha kahi na kahi chhupe hue hai. Par raat me hi...]

'Yeahhh!!! The NIGHTWALKER!!!'

[Yes Master~ Abhi 7:30 hua hai time. Connor ne bataya tha raat 9 baje se shuru hota hai sab.]

'Hmm~ Hamaare paas dedh ghante hai yaha ki territory ko dimaag me baithaane ke liye. Pari!!!'

[Don't worry Master! Path Tracker on hi hai. Mansion boht bada hai. Mene off nahi kiya hai usse.]

'Good job!!!'

Connor ne jab video banaya tha, tab uska connection department se cut ho chuka tha. Mansion me network nahi milta hai. Dusri bhaasha me, phone calls nahi lagaaye jaa sakte aur na hi receive kiye jaa sakte hai.

Iska matlab, Divya aur Nik ko jo video mili woh NIGHTWALKER ne khud hi bheji thi unhe shayad.

Veer aur Mike ko ye raat apne hi bal bute par guzaarni thi. Veer ne harr ek ke naam dimaag me baitha liye the.

Emma jo nurse thi, Zoey ek model. Jacob ek fashion designer ka assistant tha. Tommy aur Chester ka group band tha aur Ronnie ek choti si company ka employee. Sabhi paiso ki tangi ki wajah se hi yaha the.

Mann me dherr saare sawaal aa rahe honge. Ki yadi ye crime yaha ho raha hai, toh police seedha dhaava kyu nahi bol deti yaha? Par jitna asaan ye dikhta tha utna tha nahi.

Ye Mansion band rehta tha. Keval chuni gayi dates par hi khulta tha ye. Aur aaj woh chuni gayi dates me se ek date thi.

Mike ne jo Card use kiya tha kuch derr pehle usme date mentioned thi. Aaj ki date.

Aur toh aur... Govt. police ki madad karne se katra rahi thi. Police department me restrictions thi kuch. Yaani ye jo kaam ho raha tha woh tha toh illegal. Par legally iss par koi rok nahi lagayi Jaa rahi thi.

Ye ek boht badi baat thi.

Emma : So? What are we gonna do?

Jacob : The NIGHTWALKER is real right? I heard rumours about him.

Emma : What do you mean?

Ronnie : The NIGHTWALKER!! He's a protector of the treasure. I have heard about him. He kills those people who try to steal the treasure.

Emma : Wh-Whaaattttt??!

Emma ko iss baare me koi jankari nahi thi ki yaha koi Nightwalker naam jesa bhi kuch tha. Woh toh yaha paisa kamane aayi thi. Kya matlab Nightwalker unhe maar deta hai jo khazana lene aate hai? Emma ki ab phat rahi thi.

Tommy : Of course! What were you expecting? Will someone allow you to steal his treasure just like that? We have to survive this night. A killer will be roaming here freely to kill the one amongst us who tries to steal the treasure.

Chester : Yeah!!! It's just like that. Do or die.

Emma : Whaaatttttt??? N-No waayyy! I-I'm fucking leaving. I don't wanna die.

Emma ne jab ye baat suni toh darr ke maare uske perr kaapne lage. Tommy ne kaha tha ki raat me ek killer mansion me ghoomta hai. Aur unn logo ko maut ke ghaat utaar deta hai jo bhi raat me uski nazro ke saamne aate hai.

Emma bhaagte hue baahar nikalne ko hui par jese hi woh main hall ke gate par pohuchi aur usse kholi...

Uski ghabraahat aur bhi badh gayi. Main hall ka gate band ho chuka tha.

Emma (screams) : Fucking open the goddamn door.... Aaaarrghhhhh!!! Open it!!!! I DON'T WANNA DIE HERE! I WANT TO LEAVE!!!

Par darwaaza nahi khula. Tabhi ek awaaz aayi aur unn sab ko sunaayi dii. Awaaz buland thi par usme ek kharaash thi, Daraavni thi woh awaaz.


"Welcome to the Nightwalker mansion!
You chose to come here. You purchased the card. Now you cannot leave the mansion until tomorrow morning."

"Rules are pretty simple!!! Survive the night! 10 million worth of gold bars are hidden in this mansion. If any of you can find them, you can take them away."

"Game will begin sharp @ 9 PM"

"Remember! You can only search the Mansion for half an hour during intervals. In other words, 9-9:30 will be your search time. After 9:30 Nightwalker will walk through the mansion. If he finds anyone of you roaming. YOU WILL BE KILLED."

"He will walk till 12 AM. Then, again you can search the Mansion for half an hour. After 12:30 he will walk till 3 AM. Again a half hour will be alloted. And last time will be Nightwalker walking from 3:30 AM till 6 AM"

"There are many rooms on both the floors. You can choose whichever you want."

"It's 8:00 PM now. You have 1 hour. You can do whatever you want to do. Remember the time. Sharp 9 PM."

"Good luck!"


Aur awaaz band ho gayi. Awaaz aayi toh intercom se hi thi par Veer ko kahi koi intercom nazar nahi aaya.

[Maaasterrrr~]

Pari ki ek chinta janak awaaz Veer ke mann me goonji,

'Don't worry Pari!! Mein apna dhyaan acche se rakhunga.'

[Yes please!!! Mujhse jitna hoga mein aapki madad karungi.]

Uss awaaz ke band hote hi sabhi ek dusre ko dekhne me lage hue the.

Emma (screams) : WHAT THE HELL IS THIS? YOU ARE TELLING ME A KILLER IS THERE IN THIS MANSION WITH US????

Ronnie : Seems like it.

Emma : This is bullshit... How the fuck can I search the bars if someone is roaming outside to kill me?

Rules simple the. Theek 9 baje maut ka ye khel shuru hona tha. Teen interval diye gaye the. 9 se 9:30, 12 se 12:30, aur 3 se 3:30 tak ka samay. Yaani kul milaake dedh ghante.

Iss dedh ghante ke samay me aapko bars dhundne the. Yadi aap dhundh sakte ho toh dhundho. Par baaki ke samay me, Nightwalker poore mansion me ghoomega. Yadi koi bhi usse nazar aaya toh...

Maut!!!

Veer thoda chintit tha. Emma ki toh phat ke hi chaar ho chuki thi. Par baaki sabhi kaafi relaxed lag rahe the.

Chester : Huhh? That's it??? Man!! This is so easy. We can search for half an hour and when that time ends. We can head back to our room. Simple right?

Zoey : Is that Nightwalker even real?

Zoey ne pehli baar kuch kaha. Veer aur uski nazre ek baar fir takra gayi.

Mike : Hmm! Yes! I can say for sure that the Nightwalker is real. It's not a myth or legend. He's here.

Tommy : Wait!!! What if he's one of us???

Zoey confirm kar rahi thi ki ye Nightwalker sach me hai bhi ya nahi? Kahi ye koi afvaah toh nahi hai? Mike ne bhi Connor ki video dekhi thi. Beshaq, Nightwalker ka mask bhi dekha tha usne uss video me. Isme koi shaq nahi tha ki woh hai. Aur issi Mansion me hai. Shayad woh awaaz bhi ussi ki thi? Kisse pata? Par itna zaroor pata tha ki woh hai yaha par.

Par Tommy ki baat ne ek baar fir unhe chinta me daal diya. Kahi unhi me se ek Nightwalker toh nahi tha?

Mike : I don't think it's plausible. Nightwalker is someone else. Maybe the one who told us about the details? Or maybe someone else? And if he's among us, then we can easily identify him. Whoever will be absent during our group meeting. Only he/she can be one.

Mike ne samjhaate hue kaha. Uska kehna tha ki yadi aapas me se koi Nightwalker nikalta bhi hai toh bhi usse asaani se pakda jaa sakta hai. Group meeting ke dauraan jo bhi unke beech gaayab rahega. Uske upar hi shaq jaega.

Jacob : We should select a room first. We can keep our bags there. And then how about taking a stroll in the Mansion? That way we can get familiar with our surroundings.

Chester : Definitely! Sounds good!!!

Jacob ki raay sabhi maan gaye. Uska kehna tha ki jo ye ek ghante ka samay mila tha. Kyu na hum uss ghante me apne apne room select kar usme samaan rakh de aur baahar nikal ke Mansion ka ek chakkar lagaaye taaki hume pata chal sake kaun sii jagah kidhar par hai.

Idea bura nahi tha. Aur yadi Jacob ye baat nahi bhi rakhta toh bhi Veer ek chakkar mansion ka maarta hi.

Zoey : Alright!

Tommy : Yes!!! That's it guys. Let's meet here after 15 minutes.

Ronnie : Okay!

Emma : J-Jacob, Can I stay in the room beside yours?

Jacob : Ohh sure!!!
Ronnie, Jacob, Tommy, Emma, Chester ye sabhi upar chadhe aur baayi orr mud ke baayi taraf hallway me chale gaye.

Toh wahi Veer aur Mike aage badhe, unke peeche Zoey thi.

Jese hi woh waha pohuche unke saamne do corridor ke liye raste the. Ek baayi orr jaa raha tha jaha woh sabhi abhi gaye hue the. Aur ek daayi orr.



200801-loftus-hall-haunted-sale6

Veer : Which one?

Mike (smiles) : I always do my things right!

Veer (smiles) : Let's go then!!!

Mike ke kehne par dono aage badhe aur daayi orr mud gaye. Khaas baat ye thi ki Zoey bhi unke peeche thi.

Veer ne peeche palat usse dekha toh ek baar fir unn dono ki aankhein ek dusre se mili. Par dono ne hi kuch kaha nahi. Veer ki pride aur attitude usse conversation strike karne se rok rahi thi. Alpha male instincts active the uske. Ab woh unn ladko me se nahi tha jo laundiyo ke peeche bhaag ke unki chaate.

Ladkiya khud-ba-khud uske paas aati thi. Uski pehchaan hi ab aisi thi.

Mike toh friendly tha hi. Usne hi baat shuru kii,

Mike : You are not going with them?

Mike ne pucha. Zaahir hai ki Zoey unke saath khadi hui thi. Par fir bhi woh abhi veer aur uske saath aa rahi thi.

Zoey : I trust you guys more than them.

Veer : !!!???

Mike : Hahaha~ I see! So that's how it is. Veer! I'm choosing this one.

Mike ne ek room ke darwaaze ke baahar rukte hue kaha.

Veer : Alright! I'll choose the one next to you.

Woh aage badha aur jese hi room ke baahar ruka woh toh uska dhyaan darwaazo aur room numbers pe gaya.

Veer : Hmm?

Darwaaze ki banawat alag kism ki thi. Rectangular Bars bane hue the darwaaze me.

'Iss Nightwalker ko golden bars ka itna shauk hai ki darwaaze par bhi bars banwa diye!? Haha~'

[Yeah!!!]

Jis prakaar se rectangular bars ek chocolate me hote hai. Kuch ussi prakaar darwaaze ka structure tha. Veer ne jese hi darwaaza khola usse aashcharya hua.

'Ohhhh~'

Darwaaza kaafi bhaari tha.

'Hmm? That's weird!'

[Room number?]

'Yeahhh!!! Pari!!! Mike ka room number mere se ek kam ya zyada hona chahiye. Uska room mere bagal se hi hai. Par uska room number toh kuch aur hi tha. Yaha ki numbering lagta badi hi ajeeb hai.'

[I agree master! Yaha ki kaun sii cheez ajeeb nahi hai? Fucking everything!]

'Hahahaha~ Ye baat bhi sahi hai.'

Zoey Veer ke peeche se nikalte hue aage gayi aur Veer ke bagal waale room me ghus gayi. Ghusne se pehle ek baar usne Veer ko zaroor dekha.

[Hehehe~ She's interested in you.]

'Ohhh shut up! Favourability tumne dekhi nahi kya? 4 thi.'

[Toh fir woh aapke saath kyu aayi? Woh bhi aapke bagal waale room me? *sniff *sniff* I smell curiosity here.]

'Hahaha~ Tum overthink kar rahi ho Pari. Usne kaha toh. Woh humpe zyada bharosa kar rahi hai. Aur dusri baat, mene pehle Mike ke bagal wala room le liya. Toh woh zaahir hai ki mere next wala hi room choose karegi. Bhala akele hoke woh humse dur waala room kyu lena chaahegi?'

[Hmm... But still! I can tell... I'm a girl too.]

'Naah!!!'

Veer ne apna bag andar room me rakha. Room accha tha. Par uske bawajood scary vibes de raha tha.

Bag rakh sabhi ussi hall me ikhatta hue. 15 minute baad milne ka decide kiya tha unhone.

Sabhi ekatr hue aur sabhi ne mansion me ghoomna shuru kiya ek saath. Mansion itna bada tha ki sabhi stabdh the ye jaanke.

Aur ghoomte ghoomte unki asli gaand tab phati jab unhe pata chala ki washroom ek hi tha poore Mansion me.

Woh bhi ground floor par. Woh sabhi toh upar wali floor par the. Upar se kitchen bhi ekdum end me tha. Pani ki supply toh yahi thi. Ye toh dikkat waali baat thi.

Ghoomte ghoomte woh ek aise hisse par pohuche jaha ajeebo gareeb paintings latki hui thi.



5706355407-daa3e1e358-b

Veer unn paintings ke nazdeek pohucha...

'These are weird!! Check!!!'



d2d61c3072ab87ae80f585b562195f21

*Ding*

[One of the paintings collected by Noah.]

'Noah?? Ye Noah kaun hai? Yaha ka maalik? Ya past me jo yaha tha?'

[I don't know master! Par aap bas apna dhyaan rakho. Don't care for Money or anything else. I want you to be safe. That's it.]

'Tum toh meri maa bann rahi ho Pari! Haha~'

[Because I love you. You know that. Aur aap jaante hi ho mera kya haal hota hai. Why don't you understand?]

'Wese...'

[Hmm?]

'Kya meri maa waqai meri chinta karti hai? Asli maa...'

[Don't get emotional. She definitely loves you.]

'Unki taraf se abhi tak koi response nahi aaya hai Pari. Unhe Pendant dikhane ke baad bhi.'

[Thoda intezaar kijiye. Woh zaroor aapko dhundhne aaengi.]

'Kaash....!'

Poora mansion ghoomne ke baad.

Neeche rakhi badi sii ghadi ka ghanta baj chuka tha.

*Ding Dong*

Ghadi se chidiya nikal kuku kuku kar rahi thi. 9 baj chuke the. Intercom se iss baar koi awaaz sunaayi nahi dii thi.

Aadhe ghante tak unlogo ne dhundha par kahi koi khazana nahi mila.

Zoey : We didn't try harder. What if money is hidden in the basement? Or maybe behind the paintings? You know what I mean?

Tommy : Definitely! We will do that in our next shift.

Aur yahi soch sabhi apne apne kamre me chale gaye.

Kyuki Nightwalker ke ghoomne ka samay shuru ho chuka tha.

Sab ne andar se apne room ko lock kar liya. Raat me woh ghoomta tha, tabhi uska naam pada tha. Nightwalker!!!

Khauf ke maare sab andar dubak gaye. Veer bistar par lete kuch soch raha tha jab achanak hi...

"Eeeeaaarrrrrrrrrrrrrgggggghhhhhhhh"

Ek raungte khade kar dene waali cheenkh poore mansion me goonj gayi.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad! Like thokne ka aur comments karne ka. Matlab revos chhaapne ka. 😁
Keep supporting! ✨
बहुत ही शानदार लाजवाब अपडेट भाई
 

Ashwathama

अहङ्कारं बलं दर्पं कामं क्रोधं च संश्रिताः 🕸
708
4,360
123
divya ko rough chodna hai veer ko isse jyada koi demand nahi 😍..
ek to divya line maar rahi hai veer pe aur uska pati kuch jyada hi ghamandi hai ..isliye aisa idea aaya dimaag me .
DARK WOLFKING की बातो से मै सहमत हुँ । मै तो कहता हूँ दिव्या के चुतिया पति के सामने ही दिव्या को कुतिया बना कर, वीर उसकी कमर तोड़ जुताई करे । वो भी कुतिया शैली मे ।
 
Last edited:

Zoro x

🌹🌹
1,689
5,419
143
Mega Update
Century Special

Update - 100 ~ A Night at the Mansion (2)

[Note : This update contains blood and gore elements.]
Ab tak...

Sab ne andar se apne room ko lock kar liya. Raat me woh ghoomta tha, tabhi uska naam pada tha. Nightwalker!!!

Khauf ke maare sab andar dubak gaye. Veer bistar par lete kuch soch raha tha jab achanak hi...

"Eeeeaaarrrrrrrrrrrrrgggggghhhhhhhh"

Ek raungte khade kar dene waali cheenkh poore mansion me goonj gayi.


Ab aage...

"Tension mat lo... He'll be fine!!"

Awaaz thi Divya ki jo khadi hoke Suhana ko dekh rahi thi. Suhana ghar ki khidki ke paas khade hoke baahar aasmaan ko ghoor rahi thi. Divya ke ghar me keval wahi dono the. Nik kisi kaam se baahar gaya hua tha.

Suhana ka mann itna vichlit tha ki bechaari bechaini ke chalte kuch bhi nahi bol paa rahi thi.

Par akhir kab tak maun rehti woh? Ek lambi saans lene ke baad usne bolna shuru kiya,

Suhana : Kyu kiya Nik ne aisa?

Divya : Huh? Kya? What did he d-

Suhana : Don't fuck with me DIVYAAA!!

Wo achanak hi chillaa uthi,

Divya : S-Suhana--!?

Suhana (palatate hue) : Don't fuck with me!! Kya mein jaanti nahi hu? Nolan ne kaha tha Nik ko ki woh apni team se kisi ko bheje. Uski himmat kese hui Veer ka naam aage karne ki?

Divya : Suhana wait! I know mera husband-

Suhana : Ek number ka chutiya hai!!!

Divya : H-Huhh??

Suhana : He's a fucking idiot! And you know that too. Tumhare kehne par mein Veer ko yaha laayi. Only because you asked me to... Uss din usne tumhari jaan bhi bachaayi. Itna sab kuch kaafi tha prove karne ke liye ki woh ek normal average insaan nahi hai. He knows some methods. Par uske baad bhi tumne...

Divya (bauhe sikodte hue) : Suhana! I can agree to some things. Par iska ye matlab nahi ki tum mere husband Nik ko aise--

Suhana : Bhaad me gaya tumhara Nik!! Gaand me lelo usse apni.

Divya : Y-You--

Usne ghoor ke Suhana ko dekha.


IMG-20220730-012259

Suhana : Hmph~ Kya mein jaanti nahi? Nik tumhe investigation ki field me leke aaya tha. Par tumne uski hi field me aake usse maat dedi. Ab isme tumhari kya galti yadi tum uss se zyada hoshiyaar ho toh? Lekin Nik thehra ek mard. Wo kese bardaasht karta ki uski patni uss se zyada kama rahi hai? Tabhi toh harr public cases me apni taang adaata hai woh. Ye dikhane ke liye ki wahi sabse maahir hai. Hmph~ Idiotic thinking!

Divya (frowns) : Suhana! You're going overboa--

Suhana : I'm telling you! Yadi usse kuch hua toh saara ka saara blame mein tum par hi daalne wali hu. Keep that in mind.

Divya (gusse me) : What the fuck Suhana?? Tum ek aerre gerre teesre ladke ke liye hamaari bachpan ki dosti ko yu daav pe laga dogi?

Suhana (uchi awaaz me) : Don't you ever call him like that. Woh koi aerra gerra nahi hai. You hear me? Wahi tha jisne meri sabse badi tension ko dur kiya tha. Aatish ko maar ke. And what did I do in return?

Divya : ...

Suhana : Usne in fact mujhpe favour kiya tha. Par badle me mene uspe favours chadha diye. Tumhari ye buri aadat jo lag gayi hai mujhe. Sometimes... Sometimes I just pity him and regret my decision. He never complains about it. He does whatever I ask him to do. And never asks for anything in return.

Divya : ??!

Suhana : Aur... Aur yaha mein usse apni zimmedari par leke aayi hu. Yadi usse kuch ho gaya toh kya muh dikhaungi uske chaahne waalo ko? Tumhe zara bhi khabar hai uske ghar ki?

Divya : Wh-What?

Suhana : Tumhe nahi pata. Of course! Haha~ Toh mein bataati hu tumhe. Uske baare me...

Uske baad Suhana ne Veer ka saara ateet bata daala. Jitna usse pata tha utna hi. Divya ne jab Veer ke baare me jaana ki woh bechaara ghar se nikaal diya gaya tha aur apni asli Maa ki talaash me tha. Toh apne aap uske mann me Veer ke prati ek hamdardi jaag gayi.

Divya : I-I see! Mujhe nahi pata tha ki Veer...

Suhana : You better take back your words.

Divya : You go first. Nik ke baare me tumne abhi jo bhi bola.

Suhana : Huh? Fuck off! Mene sirf aur sirf sach kaha. Tum kitna hi khud se jhooth bol lo. Andar hi andar tum jaanti ho ki your husband is not a good match for you. A toad simply wishing to eat the meat of a swan. Hmph~

Suhana ne ye keh ke Nik ki poori izzat ki dhajjiya udaa dii thi. Saath hi Divya ki bhi. Uska kehna tha ki Nik wo langoor tha jiske haath me angoor tha.

Sach kaha jaaye toh waqai Nik shaqal se itna handsome aur smart nahi tha. Divya ke bagal se usse yadi khada karo toh koi bhi ye nahi kahega ki woh pati patni hai.

Suhana ki ye baat dil me zorr se chubhi Divya ke. Par wo bhi kaha peeche rehne waali thi?

Divya (smiles) : Hmph! Oh really? Then I can say the same thing for you.

Suhana : Huhhh? A-At least Gaurav is still better than Nik.

Divya : Ghanta better hai. Don't give me that lame excuse. Mujhse behtar koi nahi jaanta tumhare aur Gaurav ke baare me.

Suhana : I...

Divya (smiles) : Kahi isliye toh tumne Veer ko apne paas nahi rakha hai? Hmm? Getting bored of your husband Suhana? Haan?

Suhana : Sh-Shut up!!!!

Divya : Look how you're denying haha~

Suhana jaanti thi Divya se muh ladaana matlab bhains ke aage been bajane jese tha. Na wo apni baato se peeche hattne waali thi aur na hi uski koi baat sunn'ne waali thi.

Suhana : Uss se contact karne ka koi tareeqa bhi nahi hai. Koi network hi nahi mil raha hai. Damn it!!!!

Divya : He will be fine. Don't worry!!

Divya ne keh toh diya par andar hi andar woh bechaari khud vyaakul thi. Suhana idhar kuch na boli. Bas khamosh thi. Lekin uska mann nahi.

'You better come back alive. Veer!!!'

***

Time : 9:46 PM

Idhar sunsaan island ke mansion me alag ghatnaaye ghatit ho rahi thi. Aadha ghanta beet chuka tha. Ye woh samay tha jab Veer aur baakiyo ko milke khazana dhundna tha.

Par sab ke sab nakamyab the. Uss aadhe ghante me unhe kuch bhi haath na laga. Sabhi apne apne rooms me waapas laut ke aa chuke the. Room ki banavat bhi badi hi vichitr thi.

Keval ek single bed tha jispar ek aadmi hi lait sakta tha. Yadi ek se zyada laitna ho toh thoda adjust karne ki zaroorat padti thi. Deewar par jagah jagah paintings lagi hui thi. Ek lamp tha bagal me, upar ventilation ke liye ek gol akaar me gap tha. Aur ek behad bada sa flower vase tha jisme koi phool maujood nahi tha. Thodi boht lights aur ek fan. Bas! Zyada kuch nahi.

Aur ek khaas baat ye thi ki room keval aur keval andar se hi lock ho sakta tha. Uski kundi sirf andar hi maujood thi. Yaani yadi aapne andar se kundi band kii toh jab tak aap usse kholo na, baahar waala vyakti andar nahi aa sakta tha.

Ab sawaal uthata tha ki jab Nightwalker ghoom hi raha tha toh kyu na sabhi ek saath ho jaaye? Aise me kese maar paega woh? Par sabhi iss faisle se raazi nahi the.

Kaaran? Pehla kaaran ye ki sabhi ko ek dusre par bharosa nahi tha. Pehli baar hi woh mile the. Kese yakeen kar sakte the itni asaani se? Kya pata unhi me se ek Nightwalker toh ho?

Aur dusra kaaran ki woh sabhi aapas me competitor the ek dusre ke. Bilkul! Yadi saath me rahenge toh akele me chhaan been kese karenge? Aur yadi kisi ek ko khazana mila aur baaki sabhi uss par jhapat liye toh? Yahi do kaaran the jiske chalte sabhi apne aap me rehna chaahte the. Aur apne apne kamre ko chun ke hi usme theherne ka faisla liya.

Par kya iss waqt sabhi apne apne kamre me hi maujood the?? Shayad nahi!?

"J-Jacob! Do you really think there isn't any Nightwalker?"

Awaaz thi Emma ki, jo ahista ahista darr darr ke chalte hue Jacob ke peeche peeche aa rahi thi.

Jacob : Of course! I think it's just a rumour! They do that so that people won't have enough time to search for the treasure.

Jaha sabhi apne apne rooms me the. Jacob aur Emma apne rooms se baahar nikal ke treasure dhundne nikle the. Jacob akela jaa raha tha par Emma ne ussi waqt usse room se nikalte hue dekh liya tha jab wo corridor me jhaak ke check kar rahi thi.

Nateeja? Woh bhi darrte darrte uske peeche peeche chal padi. Jacob ka kehna tha ki Nightwalker maatr ek afwaah thi. Aisa isliye kehte hai log taaki koi fir uske khazane ko dhund na sake. Par kya ye waqai afwaah thi?

Jacob : I'll find the treasure before them and then I'll leave this fucking island! Hahaha~

Woh hasste hue aage badha. Uska mann Veer aur baaki sabhi ko chidha raha tha. Woh chutiyo ki tarah rules follow karke andar baithe hue the aur yaha woh unn sab ke pehle hi khazana dhundh ke rafu chakkar hone waala tha.

Emma : W-Waittt! J-Jacob, where are you going? Are you going to the second floor? W-Wait! We haven't checked that area. I-It's so dark here. I-I can't see you! Don't move too fast!!! J-Jaaacccoobbbb!!!

Jacob tezzi se aage badhte hue dusre maale par jaane laga. Ye woh floor thi jisse Veer aur baaki sabhi ne milke check nahi kiya tha. Kyuki poori floor andhere me dhaki hui thi. Upar koi lights nahi thi. Emma bechaari upar chadh ke aa toh gayi par uski aankhein iss andhere me uska saath nahi de rahi thi.

Usse kuch bhi nazar nahi aa raha tha siwae khidkiyo se aati aasmaan ki thodi boht roshni ke.


Mansion-Hall-Screenshot03-1920x1080-e9e73bfaefa17befd85839cd470d6f3b

Emma : J-Jaacooobbb???

Jacob kaafi aage nikal chuka tha. Ek corridor me wo jaake ghus gaya. Uska maan'na tha ki khazana aisi hi kisi jagah me hoga. Aur woh sabhi bewakoofo ki tarah neeche dhundh rahe the.

Emma ki awaaz uss floor par goonj uthi. Par Jacob ka koi jawaab na aaya.

Jab Emma apne phone ki torch jala ke thoda aage badhi toh usne dekha saamne ek corridor maujood tha. Par uske dusre chhorr par poora ka poora ghapp andhera tha. Corridor ke uss orr kya tha kuch bhi nazar nahi aa raha tha.

Emma : J-Jaaacoooobbbb!! Wh-Where are youuu??? Answer me! Are you in there???

Usne andar jaane se pehle ek baar fir awaaz lagaayi. Uska jee ab ghabra raha tha. Kyuki Jacob koi bhi uttar nahi de raha tha.

Emma : J-Jaaaaccccoooobbbb????

Aur tabhi,

*Sccchllliiiiinnnnggggggg*

Ek awaaz uske kaano me padi. Awaaz saamne uss corridor ke dusre chhorr se hi aayi thi jidhar sab kuch andhkaar me dooba hua tha.

Emma : A-Ahhhh??? J-Jacccoobb? Is that you??

Woh sehmi sii awaaz me pukaari. Lekin ek baar fir, Jacob ka koi uttar na aaya. Saamne torch maarte hue wo dekhne ki koshish kar rahi thi. Par mobile ki torch ki roshni akhir kitni dur tak jaati?

Aur agle hi pal,

*Click*

Uss corridor ki achanak se lights jal uthi.

Emma : H-Huhhhh?

Emma ka muh taajub me khula ka khula reh gaya. Corridor ki deewaare chatak laal rang ke wallpaper se dhaki hui thi. Upar ek ke baad ek chandelier latke hue the jo roshni se jagmaga rahe the.


images-3

Corridor ke baahar hi dono taraf soldiers ke armour suits khaali pade hue the. Par saamne...

Emma : J-Jaaacoobbb? Jacob don't jest with me. I'm scared. Answer me!!!

Akasmaat hi saamne ki orr dhua utha. Dhue ka rang alag tha. Aur saamne Emma ko kuch nazar aaya. Andhere ke ekdum beecho beech...



IMG-20220728-142440

Emma : H-Huhh? J-Jacob??? Is that you?

Usne apni aankhein sikodte hue jese hi dhyaan se dekha. Emma ke shareer se jese uski aatma nikal gayi. Beech me jisse wo Jacob samajh rahi thi. Woh Jacob nahi tha. Uske saamne uss dhue me tha...



IMG-20220728-143400

Nightwalker!!!

Par iske pehle ki woh react kar paati, uske perro ki taraf kuch ucchal ke ludakta hua aaya.

Maano jese kisi ne badi sii gend pheki ho. Woh jo bhi tha, wo ludakte hue aake uski lambi nagn taango se takraaya. Emma ko perr me mehsoos hua jese gend par baal lage hue the. Usne kaanpte hue apne perro ki orr sarr jhukaya aur jese hi usne apne neeche dekha. Uski rooh kaanp gayi aur poora badan thanda pad gaya.

"Eeeeaaaarrrrrrrrrgggghhhhhhhhhhhhh!!!"

Wo itni zorr se cheenkhi ki uski awaaz poore mansion me goonj uthi.

Neeche uske perro par...

Jisse wo gend samajh rahi thi woh asal me gend nahi thi. Balki...

Jacob ka dhad se alag kata hua sarr tha.

Jacob ki mundi ki aankhein ekdum khuli thi aur unn aankho ki putliya Emma ko hi ghoor rahi thi, jese marrte waqt usse pata hi nahi chala ki uske saath kya hua. Muh khula, aur kate hue gale se khoon ki nadiya beh rahi rahi thi. Andhruni nasse uske gale se latak rahi thi.

Emma zorr se cheekhte hue waha se palti aur haafte hue poori tezzi me bhaagi, uske peeche hi...

*Dhammm* *Dhaammmm* *Dhaaaammm*

Nightwalker apna daraavna mask pehne, chamakti hui aankho ke sang bhaari kadam lete hue daud ke uski taraf hi aane laga. Uska harr bhaari qadam poore floor par kampan fela raha tha. Jisse Emma bhali bhaati mehsoos kar paa rahi thi.

Peeche uss bade se aadmi ko, uss khaufnaak mask ko dekhte hi Emma ke shareer ke raungte khade ho chuke the. Uska dil itni tezz dhadak raha tha maano jese baahar hi aa jaega.

"Nooooooooooooo~ Eeeaaaaarrrrrgghhh!!!"

Wo chillaate hue neeche ki orr bhaagi. Peeche se usse Nightwalker ke bhaagne ki awaaz saaf saaf sunaayi de rahi thi. Wo uske qareeb aata jaa raha tha.

*Schliiiiiinnnnngggggg*

*Krrrrriiiiiiiinnnnnggggggg*

Na jaane kaun sa hathiyaar liya tha woh. Par itna zaroor spasht tha ki ussi hathiyaar se usne Jacob ka sarr dhad se alag kiya tha. Aur wahi hathiyaar woh hawa me andha-dhundh paagalo jese chalaate hue uske peeche bhookhe jangli bhediye ki tarah aa raha tha. Usse maarne...

Kisi bhi waqt uski maut usse lene aa sakti thi. Par woh bhaagti rahi. Wo 1st floor par aayi wahi paintings waale hall me. Aur waha se nikalte hue uski jaan halak me aa gayi. Usse pal bhar ke liye aisa laga jese harr ek painting usse hi dekh rahi thi. Uski maut ka nanga naach dekh rahi thi jese woh.



images-4

Aankhein band kar, apni jaan bachaane ki iccha shakti baandhe wo daudte hue apne corridor ke liye bhaagi,

"Eeeeeaaaaaaaaaaaaaaaa~"

Aur uski jese hi ye cheenkh nikli, mansion me sabko sunaayi de gayi.

Veer jo apne room me laita hua mansion ke baare me hi soch raha tha. Cheenkh sunte hi uske mann me...

*Ding*

[Mission : Catch The Nightwalker!
Rewards : 1) ??? Points.
2) ??? Fame Points.

Time Limit : Before 6 AM.
Mission failure penalty : 4000 Points Deduction.]

Wo turant hi uth ke baith gaya.

'Pari!!!'

[Right! Something happened Master!!]

Veer ne sarr haan me hilaaya aur foran hi woh uth ke baahar aaya. Baahar aate hi usne apne agal bagal nazar daali toh dekha ki Mike aur Zoey bhi cheenkh sunn ke kamre ke baahar aa chuke the.

Teeno ne ek dusre ko dekh haami bhari aur bina kuch kahe hi, wo left waale corridor ki orr bhaage. Jidhar baaki sabhi thehre hue the.

Daudte hue woh jese hi unke rooms tak pohuche toh paaya ki Ronnie, Chester, Tommy teeno hi kamre ke baahar the.

Mike : What happened?

Chester : Didn't you hear the scream?

Mike : We all heard it. That's why we came to check.

Zoey : Where's Emma???

Zoey ke puchne par unn sabhi ne Emma ka room check kiya toh paaya ki Emma ka room khula hua tha. Andar koi bhi nahi tha. Aur room keval andar se hi lock ho sakta tha.

Chester : Shiiittttt!!! She's not here! Where did she go?? We should move and check out.

Tabhi Tommy peeche se bhaagta hua hai,

Tommy : G-Guyysss!!! *huff* *huff* Jacob too!! Jacob isn't in his room.

Mike : Damnnnn it!!!! Veer?

Mike ne Veer ko dekha. Veer ishara samajh chuka tha. Mike chhaan been karne ke liye keh raha tha.

Par iss se pehle ki woh Emma aur Jacob ko dhundhne nikal paate,

"Eeeaaaaaaaaaaaaaaaaaaa~"

Firse wahi cheenkh unhe sunaayi dii. Iss baar behad qareeb se. Aur agle hi pal, Emma andhere me se nikalte hue bhaagti hui unke qareeb aayi.

Aur seedha aake Veer ki baaho me kood gayi. Uske baal bikhre hue the. Gaalo par aasuo ki boonde saji hui thi. Aur uska poora huiya hi khauf ke maare bigda hua tha. Poora badan uska darr se thitur raha tha.

Veer : ??

Chester : E-Emma??? What happened??? Why were you screaming? No! Where were you? Where's Jacob?

Emma (rote hue) : I saw it... I saw it... Huuuuuuuuuu~ H-He killed him... He killed Jacob... *sniff* *sniff*

Emma apna muh Veer ki chaathi me chhupaaye badbadaye jaa rahi thi. Par uski baat sabhi ne sunn lii thi. Aur unn sabhi ko ek bada jhatka laga tha. Jacob!! Marr chuka tha. Ye baat kehna galat nahi hoga ki Jacob ki maut ke baare me jaan ke unke khud ke raungte khade ho gaye the.

Zoey : I... I think we should first head inside. Remember!? It's Nightwalker's time right now!!!

Emma : He's... He's behind me... He's coming... He'll kill me!!! H-He will kill me... I-I will die... *sniff* I don't want to die...

Veer ne uske kandhe par apne dono haath rakhe aur uski aankho me dekha,

Veer : Calm down!!! Okay?

Emma : Ahhh!? I... *cries* I don't wanna die!! I don't... *sniff*

Tommy : Let's go in my room!

Mike : Right!!!

Abhi sabse pehla kaam jo zaroori tha woh tha ek kamre ke andar hona. Kyuki ye samay Nightwalker ka tha. Baahar rehna khatre se khaali nahi tha.

Tommy ki baat maan sabhi uske kamre me chal diye. Aur Tommy ne andar se door band kar diya.

Single bed par beech me Emma baithi hui thi. Uski ek orr Veer tha toh dusri orr Zoey. Ladki hone ke naate Zoey hi usse acche se comfort de sakti thi iss mahaul me. Veer ke bagal se Tommy khud baitha hua tha. Aur Mike, Ronnie avum Chester deewaar se tik ke haath baandhe khade hue the.

Mike : Now tell us what exactly happened?

Uske baad Emma ne kaanpte hue poori vardaat ka varnan diya. Jisse sunn waha maujood harr insaan andar tak hil ke reh gaya.
Khaas kar jab unhe Jacob ke kate hue sarr ke baare me jaan'ne ko mila.

Aise khaufnaak mahaul me jis baat ki least expectation thi ki kam se kam ye na hoye. Par unki kismat kharaab, wo bhi ho gaya.

*Rumble* *Rumble*

Baahar baadal zorr se garje aur muslaadhaar baarish shuru ho gayi. Bijli chamki aur kamre ki khidki se uski cham-chamaati roshni andar kamre me aa padi,

*Kadkadkadkadkad*



giphy-1

"Aaahhhhhhhhhhh!!!!"

Bijli kadakne aur badal garajne ki awaaz se Emma aur darr ke maare Veer ke seene se lipat gayi. Ye awaazein iss kaali raat ko aur bhi daraavni bana rahi thi. Pata nahi kyu, par Veer ke gale se lage rehne me hi wo khud ko salamaat mehsoos kar rahi thi.

Zoey bagal se usse dekh rahi thi. Woh bhi thi yaha. Par Emma usse chorr Veer ki baaho me kood rahi thi. Jo Zoey bhaanp chuki thi.

Veer kuch na bola. Uski nazre ek baar punah Zoey se takraayi, uske baad usne kehna shuru kiya.

Veer : I have a question for you all.

Tommy : What is it?

Veer : How did you guys arrive here?

Tommy : Huh?

Chester : I don't know about others. But me and Tommy are in a music band together. Tommy's father loves fishing so he owns a runabout boat. We came here by that only.

Chester ne apne aur Tommy ke aane ka saadhan bataaya ki woh ek runabout boat se aaye the. Runabout boat kuch aisi thi ~


Runabout-Boats-1

Veer (Ronnie ko dekhte hue) : What about you?

Ronnie : I came by a motor boat.

Veer ne haami bhari aur fir Zoey ko dekha jo zameen ki orr dekh rahi thi. Aur bina Veer ko dekh woh boli,

Zoey : I rented a jet ski and came here.

Akhiri bachi thi Emma par woh bataane ko taiyaar nahi thi ki woh yaha kese aayi.

Emma : I'm... I'm sorry! It's personal! I-I cannot tell you...

Chester : What about you Veer?

Veer (smiles) : Mike's friend is rich. He owns a copter.

Chester : Damnnn! You guys came here by a helicopter???

Tommy : That's cool!

Ronnie : Then that leaves Emma only. Guys! Jacob got killed when he was with Emma. And now she's not even telling us how did she arrive here. You do the math!!!

Aisa kehke Ronnie ne seedha vaar Emma pe kiya. Zaahir tha ki uska shaq Emma par jaana hi tha. Emma aur Jacob saath me the aur ab Jacob marr chuka tha. Emma ye bhi nahi bata rahi thi ki wo kese yaha par aayi thi. Toh? Shaq ki sui Emma par jaake toh rukni hi thi.

Emma ne jab apne upar shanka ki nazre mehsoos kari toh woh ro padi,

Emma : Wh-Whaaaatttt??? N-Nooooo!!!! I didn't kill Jacob... I didn't... *cries* Trust me!!! How... How can I?? V-Veerrr??? M-Mikke??? T-Trust me!!! I didn't kill him... He was killed by that Nightwalker. He's real!!! He's out there to hunt us down. *sniff* *sniff* I-I didn't...

Veer ne uski peeth par haath ferra, Emma uski aankho me dekhi,

Veer : I know you didn't! Don't worry!

Emma : Ahh! Th-Thank you~

Uske naino se aasu chhalak uthe. Par Ronnie Veer ki baat se sehmat nahi tha.

Ronnie : How can you be so sure? She's the only one who's the most suspicious here.

Veer : Then she can stay with me. If I got killed, then that will prove she's the one. Right?

Ronnie : Y-Youuuu~

Veer ne Ronnie ki bolti band kar dii. Usne saaf saaf keh diya ki Emma uske saath reh sakti hai aur yadi woh marra toh Emma ek qaatil hai ye prove ho jaega. Par yadi woh nahi marra toh Emma ka innocence bhi prove ho jaega.

Emma bechaari Veer ko dekh aur zorr zorr se rone lagi aur uski chaathi me sama gayi. Zoey chup chaap uske bagal se sab kuch hota dekh rahi thi.

Ronnie : Do whatever you want. Tch!!!

Veer : But I have something to tell you guys. Mike???

Mike : Yeah?

Veer : We didn't see any boats out there when we arrive here right?

Mike : Yes! There weren't any.

*Booooooooooommmm*

Ye sunte hi unn sabhi ke mann me ek visfot hua. Sabhi ka chehra darr ke maare peela pad gaya.

Behas shuru ho gayi. Wo ghabraane lage. Veer aur Mike hi the jo akhiri me aaye the. Aur yaha aate waqt unhe koi bhi boat samudr me nazar nahi aayi thi siwae paani ki ufanti lehro ke alaawa.

Mike : Guys! Guys! Listen! Don't worry! I can take you out from here. We need to calm down first. Okay? And we need to find what happened with Jacob.

Emma : I'm... I'm not going there again. I'm not!!

Mike : You can stay with Veer. Veer? Do you have any problem with that?

Veer : None!

Mike : Alright! It's all clear then. Me, Chester and Tommy. We three will go and look for Jacob. I want to see with my own eyes what happened to him. And Veer, Emma, Zoey and Ronnie. How about you guys check the basement?

Mike ne sujhaaya. Jo ki sahi tha. Do hi jagah thi Mansion ki jaha ab tak unn logo ne apne qadam nahi rakhe the. 2nd floor aur basement. Emma waapas upar jaane se darr rahi thi roh Mike ne Veer ki team ko basement me tehqiqaat karne ki zimmedaari saup dii.

Ronnie : Fine!

Zoey : It's okay!

Mike : Then it's decided. After 12, we'll move out immediately.

Jab tak 12 nahi baj gaya tab tak woh sabhi Tommy ke kamre me hi thehre hue the. 12 bajte hi ground floor ki woh clock ki ghanti firse baji,

*Ding* *Dong*

Aur sabhi ek dusre ko akhiri baar dekh Tommy ke kamre se nikal gaye.

Veer basement ki disha me jaa hi raha tha jab achanak hi peeche se Mike ne usko awaaz dii,

Mike : Veeeerrrr!!!

Veer : Hmm?

Aur Mike ne apne haatho se kuch feka. Veer ne apne dono haatho se usse catch kiya.

Mike : Hold onto that. If something happens. Contact me!!!

Aur wo palat ke Chester aur Tommy ke saath 2nd floor ki disha me nikal gaya. Veer ke haatho me tha ~ Ek walkie talkie.

[Nicely done!!! Ye kaafi kaam aaega Master.]

'Indeed!'

Aur Veer, Zoey, Emma aur Ronnie ke sang chal diya. Neeche basement ki orr.

Aur basement me jese hi unlogo ne qadam rakhe. Saamne ka nazaara dekh unke badan ke ruye khade ho gaye.

Itna lamba hallway tha. Aisa lag raha tha ki iska chhorr hai bhi ya nahi? Par itna hi nahi. Agal bagal se kai mod bhi the jo dusre hallways se mil rahe the. Aisa lag raha tha poori ki poori ek colony basi hui hai yaha.

Jagah jagah inverters aur generators bhi maujood the. Lights ceiling par lagi hui thi aur floor paani se geeli padi hui thi.

Emma : I don't wanna go in there... I don't wanna... P-Please? Can we go back?

Veer : No!!! We must check this area out.

Aur wo aage badhe. Ronnie unke peeche peeche chal raha tha. Emma Veer ki baazu thaame uss se satt ke chal rahi thi. Toh wahi Zoey unke aage thi. Phook phook kar qadam aage badha rahe the woh.

Wahi dusri orr Mike 2nd floor par jaa raha tha. Aage wahi chal raha tha. Aur uske peeche Chester aur Tommy. Woh bina peeche dekhe baat karte jaa raha tha. Par kuch derr woh shaant raha. Jab wo corridor tak pohuch gaya toh bola,

Mike : Stay behind me guys. Okay?

Par peeche se usse koi jawaab na aaya. Jab usne palat ke dekha toh... Uske peeche koi nahi tha. Chester aur Tommy usse akela chorr waha se kab nau do gyaarah ho chuke the, usse pata hi na laga.

'Tch!!! These bastards!!!'

Mann me hi unko gaali bak, Mike ne apni torch jalaayi aur corridor ke andar chal diya. Laalach sach me buri bala hoti thi.

Mike ko uske khud ke haal par chorr idhar Chester aur Tommy beech raaste se hi katt liye the.

Tommy : Chester? Do you think we did the right thing? I mean leaving him alone.

Chester : Shut the fuck up man! We are here to get our pockets filled. Not to pick up dead bodies. Let them do those chores.

Toh Chester tha jisne Tommy ko pakad ke raasta badal liya tha. Uski soch hi bata rahi thi woh kya karne nikla tha. Woh yaha paise kamane aaye the. Laasho ko uthaane nahi.

Wo dono hi khazana dhundne nikal gaye. Par pichli hi baar ki tarah iss baar bhi kisi ke haath kuch na aaya. Saath hi ab ek darr baitha hua tha sabhi ke andar. Unke hi beech ka ek sadasya maut ke ghaat utar chuka tha. Agla number unka khud ka ho sakta tha.

Idhar basement me Ronnie peeche chalte chalte achanak hi ek mod me mud gaya. Iss orr se sewer ke liye pipes nikle hue the jiski smell ke chalte Veer Emma aur Zoey andar nahi ghuse.

Par Ronnie mauka dekh ke palti maar liya. Andar ghuste ghuste achanak hi uski nazar ek lakdi ke box par padi. Usne usse khola. Aur jese hi andar dekha, Ronnie ki aankhein khushi ke maare felti chali gayi.

Andar sone ke chamakte hue biscuits pade hue the.

"Holy fucking shitttt!!!! I-I found it. Hahahaha~ I knew it. I knew the treasure won't be in the building. It's lying here in filthy sewage. Hahaha~ Fuck! I'm rich now!!!"

Woh khud se hi baat karne laga jab,

"R-Ronnieeeee?!?"

Emma ki pukaarne ki awaaz usse sunaayi di. Wo sab kuch band kar waapas bhaaga. Aur mod se nikalte hue usne dekha sabhi uska intezaar kar rahe the.

Zoey : Where were you???

Ronnie : Ahahaha~ I was just checking that sewage area. Nothing's there.

Zoey : Okay! Let's move on!

Aur pichli baar ki tarah ye aadha ghanta bhi keval chhaan been me guzar gaya. Udhar Mike ka haal behaal tha jab usne Jacob ki laash ki haalat dekhi. Laash ko Jacob ne wese hi rehne diya. Bas jitna ho sakta tha utna check kiya. Ye uska koi pehli baar nahi tha.

Dekh ke usse pata lag chuka tha ki kisi sharp object se gale ko kaata gaya hai. Wo bhi ek slash me. Hathiyaar ki dhaar boht hi zyaada rahi hogi.

"It's more serious than I thought. This is brutal. Damn it!!!"

***

Time : 12:35 AM

Pichla aadha ghanta unka barbaad chala gaya. Lekin Ronnie ka nahi. Usse toh jese jiski talaash thi woh usse mil chuka tha.

Veer ke sang uske bistar par Emma baithi hui thi. Dono hi khamosh the jab Veer ne iss shaanti ko bhang kiya,

Veer : Why do you trust me so much?

Emma : Ah! I-I don't know. I feel secure around you. I don't know why...

[Master!!! Hum iske chakkar me yaha bandh ke reh gaye hai.]

'Yeah! Kuch karta hu.'

Veer apna dimaag chalane laga. Usse pata tha Nightwalker koi aur hi tha. Unme se nahi. Veer ne sabhi ko check kar liya tha. Par usse kisi ke bhi status me alias name Nightwalker nazar nahi aaya. Emma ke me bhi nahi. Yaha tak usne Muke ko bhi check kiya tha. Aur itna hi nahi usne apne room me rakhi cheezo ko bhi check kiya tha. Par usse sab kuch normal hi laga.

Pal bhar ke liye Veer ke zehen me ye bhi khayaal aaya tha ki kahi darwaaze me toh woh golden bars nahi chipke? Kahi wahi toh nahi? Par jab usne darwaaza check kiya,

*Ding*

[A Metal Door.]

Toh usse kuch bhi haath na laga. Mission mil chuka tha. Usse kese bhi karke room ke baahar nikalna tha.

***

Idhar Zoey bagal waale kamre me abhi kuch minutes pehle hi andar aayi thi jab usne dekha ki uski water bottle me paani khatam ho chuka tha.

'Shitttt!!!!'

Par usse boht zorr se pyaas lagi thi. Washroom toh woh interval me ho aayi thi. Par paani bharna bhool gayi. Uska gala zorro se sookh raha tha. Himmat baandh ke usne bottle haath me lii aur room khol woh chal dii neeche.

Wo abhi stairs tak pohuchi hi thi jab usne dekha left waale corridor se nikal ke koi neeche jaa raha tha.

'Huhhh? That... R-Ronnie??? Why is he-!?'

Woh Ronnie tha. Mann me shanka liye woh Ronnie ke peeche peeche dabe paav chal padi. Dil toh uska bhi ghabra raha tha boht. Par woh chalti gayi. Ruki nahi!!

Ronnie basement me jab ghusa toh Zoey ka jee aur ghabraane laga.

'Basement? Why is he going to the basement again? Didn't we check it just now?'

Ronnie badi hi furti me bhaag raha tha. Jiske chalte Zoey ko peecha karne me dikkat ho rahi thi. Wo pakdi bhi nahi jaa sakti thi. Dabe paav jo chalna tha.

'Sh-Shittttt!!!! I lost him!!!'

Zoey jab tak hallway me aayi, usse Ronnie kahi nahi dikhaayi diya.

Ronnie mann me khushi ke laddu liye poori tarah se excited apne kamre se jhola leke aaya tha. Yaani apna backpack. Woh fatafat ussi lakdi ke box ke paas gaya. Aur usse khola,

Beshaq, saare gold bars wahi maujood the.

"Hehehe~ Fuck Fuck Fuck!!! I'm fucking filthy rich now!!!"

Wo saare gold bars bator ke apne bag me bhara aur sab kuch bhar lene ke baad woh palta. Aur aage badha.

Par...

Par aage badhte waqt, usse apne do perro ki jagah... Chaar perro ki awaaz aa rahi thi.

Ronnie : H-Huhhh??

*Badump*

Uska dil zorr se dhadka. Woh rukk gaya. Apne gale ke thook ko nigalte hue usne dheere dheere apni mundi peeche paltaayi. Aur jese hi usne apne peeche dekha... Uske peeche ka manzar tha,



f074

*Thud*

Ronnie ke haath se uska bag chhutak kar neeche gir gaya. Aadhe gold bars nikal ke neeche floors par bikhar gaye. Uski awaaz halak me hi atak ke reh gayi.

Badan thar tharaane laga.

***

Idhar basement ke hallway me Zoey Ronnie ko dhund rahi thi jab usse ek mod se kuch awaaz aayi. Ye wahi sewer waali jagah thi. Idhar ki lights bhi band thi. Andhera itna tha ki kuch dikhaayi nahi de raha tha.

Apne mobile ki flashlight jala ke woh aage badhi. Aur abhi woh kuch dur hi chali thi jab, saamne ka nazaara dekh uski hawaaiya udd gayi.

Ek kata sarr dala hua tha. Khoon aise beh raha raha tha jese kisi ne paani ke gubbaare me ek cheera laga diya ho.

Aur usse dekhte hi,

*Gwak*

Zoey ko achanak se akbakayi aayi, ulti uski halak tak pohuchi par muh par haath rakh usne khud ka dhadakta dil sambhala. Aur agle hi shan usse apne peeche kisi ke hone ka ehsaas hua.

Wo turant hi tezzi me palti...

Aur...

Andhere me se usse kuch aata hua nazar aaya. Uske kad se kayi inch aur upar.

Jese hi Zoey ne wo dekha...



wp2987626

"Aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa~"

Uski cheenkh poore basement me goonj gayi.

Woh bhaagi, baahar nikalne ke liye.

*Schhlliiiiiiinnngggggggg*

Ek tezz awaaz uske kaano me padi. Palat ke usne bhaagte hue dekha toh jese hi Nightwalker ujaale me aaya, Zoey ne dekha uske haath me khoon se sani hasiya maujood thi. Uski rooh kaanp gayi.

Zoey ne waha se sarpat daud lagaayi. Woh haafte haafte jese hi hallway me pohuchi toh achanak hi geele floor ke chalte fisal ke gir gayi.

"Ahhhhnnnnnnnn~"

Jab uthne ke kiye hui toh...

Zoey : N-Noooooo!!! I can't die... I can't... Not just yet... I...

Uski aankho se aasu chhalak uthe. Saamne Nightwalker apna wahi mask pehne uske saamne khada tha.

Uska haath hawa me upar utha aur hasiya Zoey ki gardan ko kaatne hi waali thi jab,

*Kllliiiiinnnngggggggg*

Uski hasiya kisi se takra ke ek jagah ruk gayi.

Zoey toh apni maut ka intezaar kar rahi thi. Par jab usne apni aankhein khol ke dekhi toh uske theek saamne Veer khada hua tha. Uske haatho me ek lohe ki rod thi. Ek rod jo ground floor par chimney ke paas rakhi hui thi.

Usne apni himmat kho dii thi. Par Veer toh uske liye jese doobte ko tinke ka sahaara tha.

Uske aasu aur zorr se behne lage,

"Z-Zoeeeyyyyy!!!!"

Peeche se usse Emma ki awaaz sunaayi dii. Jo apne haatho me ek lakdi ka tukda pakdi sehmi sii waha khadi hui thi. Zoey ne khud ko uthaaya aur Emma ke nazdeek aayi.

Veer ne jab Nightwalker ko saamne dekha toh uske khud ke badan me raungte khade ho gaye the. Woh mask... Woh mask bhale hi sundar tha. Par sundar se zyaada woh darr ki anubhooti karwa raha tha.

Nightwalker ne apni hasiya peeche kheech Veer ko dekha aur zorr se uske kandhe par vaar kiya,

*Whoooooosssshhhh*

Side me dodge kar Veer bacha aur jese hi usne Nightwalker ko maarna chaaha, Nightwalker Veer ke upar se focus chorr full speed me Emma aur Zoey ki taraf bhaaga.

Emma bechaari ki toh ye dekh ke hi phat ke chaar ho gayi. Uske haath se lakdi ka woh tukda gir pada. Perr kamzor pad gaye. Nightwalker shaatir tha. Jo Veer ko yu chorr diya.

'Shhhitttttt!!!!!'

*Ding*

[Beowulf's Blessings has been turned ON.]

*Whoooooosssshhhh*

Veer ke senses badhe, woh aage sprint kiya. Par Nightwalker ne Veer ko qareeb aate mehsoos kar liya.

Emma aur Zoey jaha khadi thi, unke bagal ki hi deewaar se dherr saare lohe ke poles jo aksar tent ke kaamo me lagte hai wo lade hue the.

Nightwalker Veer ki speed dekh ke hi taajub me tha. Veer ke vaar se bachne ke liye usne apna direction halka sa badla aur Zoey aur Emma ke bagal ke gap se nikal gaya. Par jaate jaate...

*Clinnngggg*

Usne unn poles par apne haath chala diye.

[Maaastttterrrr~]

'Fuuuccckkkkk!!!'

Dherr saare poles hawa me neeche gire aur Zoey aur Emma ne dono ko ek dusre ko gale laga ke apni aankhein band kar lii.

*Klaaangggg* *Klaaaangggg*

Aur kuch seconds tak bas poles ke girne ki hi awaaz aati rahi. Par Zoey aur Emma ko kuch bhi feel na hua.

Zoey : Huhh??

Emma : ???

Jab unhone aankhein khol dekha toh... Hairaani ke maare unka muh khula ka khula reh gaya. Dekha ki Veer apne haath felaaye unn dono ko cover kiya hua tha. Woh ek shield bann ke unhe protect kiya.

Dono ye dekhti hi namm aankhein liye ro padi. Zoey bhi. Itna kuch kaafi tha usse rulaane ke liye. Hamdardi aur chinta ke chalte woh dono Veer se lipat gayi. Dekhne lagi ki woh theek bhi hai ya nahi.

[Maaastttteeerrrr~]

'I'm okay Pari!!!'

[Noooo you are not!!!! I can feel it. Aapki peeth dard me hai.]

'Ye maamuli hai. It's alright!'

[I should have switched to Bone Reaper.]

'Nahi Pari!!! You did great. Tumne ekdum sahi samay par Beowulf activate kiya. Warna shayad mein samay par nahi pohuch paata. Aur Bone Reaper ki abhi zaroorat nahi. Beowulf hi theek hai.'

[B-But...]

'That bastard!!! Na keval woh shaatir hai balki tezz bhi hai.'

[Don't worry! We'll definitely catch him.]

Veer Zoey aur Emma andar gaye. Sewer area me. Veer ko kuch check karna tha. Aur unhone dekha ki neeche gold bars bikhre hue the.

Lekin jese hi Veer ne jhukte hue ek gold bar uthaaya. Uska sunehra rang uske haatho me paani ki tarah chipakne laga.

Zoey : T-They are fake!!!????

Zoey aur Emma ko yakeen nahi ho raha tha.

Veer : Yes! They are...

Sach kehte hai. Harr chamakne waali cheez sona nahi hoti. Ronnie bechaara toh bekaar me hi maara gaya.

Ronnie ki maut ki khabar sansani ki tarah unke beech fel gayi. Aur ab, jo bhay pehle tha wo ab chauguna unke andar sama chuka tha.

***

Time : 2:13 AM

Firse ek baar wo sabhi ek hi room me the. Veer ke room me. Dono ladkiyo ko sabse bada sadma laga tha. Akhir wahi dono thi jinhone laash ko itne qareeb se dekha tha. Mike ke alaawa.

Bechaari Emma toh bhaaga daudi me behosh ho chuki thi. Par usse kisi ne nahi uthaaya. Zoey khud tensed thi.

Aur baaki sabhi maun the. Apni apni soch me doobe hue the.

Veer apne mann me Pari se baate kar raha tha.

'47... Hmm!! Mera 47... Zoey ka 79... Hmm! Chester ka 50... Tommy 29... Ronnie ka kya tha Pari?'

[24.]

'I see!!! Aur Jacob ka... Yeah... 26... Emma ka I think, 22 tha. Hmmmm~ Mike ka toh mere bagal se hai, 28.'

Pari aur Veer room numbers par charcha kar rahe the.

'Kya tumhe kuch odd lag raha hai kya Pari?'

[Nothing master! It's odd! Par mujhe kuch bhi nahi soojh raha hai. Lekin, Mene do baatein zaroor notice kii hai.]

'Tell me!'

[Pehli ye ki master, jab jab koi maara gaya hai, tab tab woh log pair me the. Matlab pehli baar me Emma aur Jacob the. Jisme se Jacob maara gaya. Aur dusri baar me bhi, Zoey aur Ronnie the.]

'Ye ittefaaq bhi toh ho sakta hai.'

[Haan! Ho sakta hai. Par aapne notice kiya? Mere khayaal se uski tactic yahi hai ki do logo ko alag karna aur fir ek ek karke unki jaan lena. Aapne dekha nahi? Wo hum teen logo ko saath dekh waha se kese bhaag gaya.]

'Hmm! Aur dusri cheez kya notice kii?'

[Mujhe nahi pata ye important hai ya nahi. Par jaha jaha jo jo paintings mujhe nazar aayi hai. Aapne dekha nahi? Sabhi ke sabhi insaan jo paintings me maujood the. Unke chehre par ek bhi muskan nahi thi. Ekdum feeling-less jese.]

'I see!!'

***

*Ding* *Dong*

3 baj chuke the. Ye akhiri aadha ghante the unke liye. Yadi iss baar bhi kuch na mila. Toh khaali haath hi jaana padega yaha se. Aur kya pata? Jaa paa bhi paate ho ya nahi?

Emma behosh thi. Usse aisi haalat me nahi chorra jaa sakta tha. Veer ne Zoey ko uske sang rakha. Zoey ne bhi ab haar maan lii thi. Usse paise se ab koi matlab nahi tha. Veer ke hi room me woh darwaaza andar se lock kiye Emma ke bagal se baith gayi.

Aur idhar baaki ab punah nikal chuke the.

Chester aur Tommy me se, Tommy ghabra chuka tha. Isliye woh apne kamre me theher gaya. Chester ko usne boht manaaya par Chester na maana.

'Hahaha~ Nightwalker? What Nightwalker??? Even if Nightwalker comes after me, I'll still be able to survive.'

Wo apne guroor me khud se bola. Jese woh jaanta tha kuch.

Wo bina kisi se darre khullam khulla ghoom raha tha mansion me. Painting hall me woh pohucha.

Usne dekha ki ajeeb sa frame tanga hua tha. Deewaar me chaukor gap tha aur uske agal bagal photo frame.

"Hmm?"

Usne nazre ferr lii. Kuch aur paintings dekhi usne. Shayad inhi me kuch chhipa hua tha.

Par eka-ek jab uski nazar punah uss frame pae padi. Usne dekha...

Jaha pehle uss frame ke wo aar paar dekh paa raha tha. Ab uss frame me...

Uss jagah par... Nightwalker khada hua tha.

Apni hasiya liye.

Uske baad ka varnan karne ki zaroorat nahi. Chester waha se aise bhaaga jese kisi race me daud raha tha woh. Peeche Nightwalker bhaagta hua hasiya hawa me chalaate hue aa raha tha.

Chester bhaagta hua apne kamre me ghusa aur usne seedha andar se gate lock kar liya.

"Hahahahahaa ~ You fucker!!!! You can't get in here. Fuck off bitch!!!! You bastard!!! Hahaha~"

Wo andar se hi Nightwalker ko chidhaane laga.

Aur baahar ek sannaata chha gaya. Chester sahi tha. Room ke andar bhala Nightwalker kese aa sakta tha? Nateeja? Nightwalker ko dusre shikaar ke liye jaana pada.

***

Time : 3:28 AM

2 minute baaki the, jab Veer aur baaki sabhi ikhatta hue.

Mike : Is everyone here?

Tommy : N-Noooo!!! Chester is not here!

Mike : Where is he?

Tommy : He told me he will look outside.

Mike : Let's go and check his room!

Woh sabhi Chester ke room me pohuche toh Chester ka room band tha. Matlab koi andar tha. Chester hi toh tha.

Unhone darwaaza peeta aur awaaz lagaayi.

Par...

Andar se koi awaaz na aayi!!!!
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Ye update more than 7.1k words ka hai. Ab tak ka sabse bada update. Boht mehnat kii hai iss par guys. Toh dil se like thokne ka aur revos rakhne ka. Aur bakchodi ni pelni ka ki beech me scene chorr diya. Jitna ho sakta tha utna dikhaya hai. Saari baatein next me sort out ho chuki hongi.

Dhanyavaad! ✨
बहुत ही शानदार लाजवाब अपडेट भाई
ये नाइटवोकर तो एक के बाद एक मार रहा हैं
अब तो टाइम भी ओवर हों गया हैं

बहुत मजेदार अपडेट भाई
 

Sanki Rajput

Abe jaa na bhosdk
5,728
14,469
174
.....
DARK WOLFKING की बातो से मै सहमत हुँ । मै तो कहता हूँ दिव्या के चुतिया पति के सामने ही दिव्या को कुतिया बना कर, वीर उसकी कमर तोड़ जुताई करे । वो भी कुतिया शैली मे ।
Werewolf ek kaam Krna inki baato ko sun to tum divya ki jutayi aur thukayi dono yahi thread pe live krwa dena :akshay:
 

Werewolf

ʀᴏɢᴜᴇ ɴɪɴᴊᴀ
Supreme
13,765
98,353
259
Aur haa, mistakes batana to bhul hi gayi main... :evillaugh: Grammatical errors mile h bas... :angrysad:
:smoking:
I couldn't find anything other than those.
Also ye sticky threads kese h??? I mean jo main soch rahi hu vahi h na? Sticky hote h ye?? Front page se remove ni hote... Right?? To sticky threads me stories kese aati h? Iska procedure kya h??? Randomly hota h kya?
Sticky threads ke apne alag rules hai. Aise hi story ko nahi laga sakte.

Also, do you really think I need sticky threads? :heh: It's the other way around. :Munch:
 

Zoro x

🌹🌹
1,689
5,419
143
Update - 101 ~ Exposed (1)
[Note : Contains gore and blood elements.]


Ab tak...

Mike : Where is he?

Tommy : He told me he will look outside.

Mike : Let's go and check his room!

Woh sabhi Chester ke room me pohuche toh Chester ka room band tha. Matlab koi andar tha. Chester hi toh tha.

Unhone darwaaza peeta aur awaaz lagaayi.

Par...

Andar se koi awaaz na aayi!!!!


Ab aage...

"Cheeessssstttteeerrrrrrrr!!!!!!"

"Open the goddam door!!!!"

*Baaammmmm* *Baaammmmmm*

Darwaaze ko Veer, Mike aur Tommy baahar se peet rahe the. Par andar se abhi bhi koi jawaab nahi aaya.

"Shiiiittttt!!!"

Woh teeno door pe haath maarte rahe. Lekin koi halchal hone ki awaaz bhi nahi sunaayi dii unhe bheetar se.

Mike (bauhe sikodte hue) : Something is wrong.

Tommy : If the door is locked from the inside. Then it's obvious someone is inside. And who else could it be other than Chester?

Veer : Let's break it!

Tommy : Wh-Whaaaattttt??? Are you kidding me?

Veer : No! I'm not! Just help me out.

Bas yahi ek upaay bacha tha unke paas. Andar koi na koi toh maujood tha. Warna darwaza apne aap kese band ho sakta tha? Toh upaay yahi tha ki darwaaze ko hi tod diya jaaye.

Tommy ne Veer ko hairat-angez me dekha. Jese woh kisi bewakoof ko dekh raha tha. Itna bhaari door, bhala dhakka dene se kese toot sakta tha?

Mike : We don't have any other option. We can try at least. It's 3:30 already. Nightwalker's time has started. We should hurry up.

Wo ye nahi jaante the ki Veer ke paas kya tha. Isliye unhe ye darwaaza todna asambhav sa lag raha tha. Unhe nahi pata tha ki Veer ke akele me kitne logo ka bal tha.

Par wo sare aam akele darwaaza nahi tod sakta tha. Aisa karne se uss par kayi sawaal khade ho jaate. Ek aadh lene ki zaroorat thi usse. Aur isliye, Veer ne unn dono ko bhi dhakka dene kaha.

Mike ko lagega ki Veer aur Tommy ne zorr se dhakka diya hai. Tommy ko lagega ki Veer aur Mike ne zorr se dhakka diya hai. Par sach toh yahi hai ki...

Veer ke akele ke hi vaar se darwaaza khulna tha. Unki madad lena toh keval apni kaabiliyat ko chhupaane ka ek zariya tha.

Woh sabhi jese hi dhakka dene ke liye taiyaar hue,

*Ding*

[Beowulf's Blessings has been turned ON]

Apni aankho ki laali chhupaane ke liye Veer ne apni palke band kar lii.

Uske sang Mike, Tommy peeche run leke daude aur teeno ne saath milkar zorr se darwaaze par dhakka maara.

*Baaaaaammmmmmmmmmmm*

Kuch toh hua. Darwaaze ka ek hinge dheela pad gaya.

*Baaaaaaaaaammmmmmmmmm*

Iss baar darwaaze ka pehla hinge poori tarah se nikal gaya.

Aur,

*Baaaaaaammmmmmmmmmmmm*

*Baaaaaaaammmmmmmmmmmm*

4-5 aur dhakko me poora ka poora darwaaza hi hinge se ukhad gaya. All thanks to Beowulf's Blessings and Veer's stats.

*Dhadaaammmmmm*

Teeno hi kamre ke andar dhakka dene ke kaaran floor par gir pade. Unn sabki nazre sabse pehle bed par gayi.

Tommy : Ugghh!!! What the fuck? This motherfucker is sleeping here???

Tommy gusse me gurraaya. Itni chinta liye woh sabhi paagalo ki tarah usse pukaar rahe the aur woh tha ki yaha chenn se so raha tha? Himmat kese hui uski?

Chester araam se bed par dala hua tha. Ek kambal odhe. Baahar se uska sarr, perr aur haath hi dikhaayi pad rahe the kambal ke.

Tabhi Mike ki bauhe kass uthi, maathe par silvatein chha gayi. Shayad kuch...

Mike : I smell something...!?

Par iss se pehle ki woh apni baat poori rakh paata, Tommy gusse me uth ke apne dost ke upar se kambal hata diya,

Tommy : You fucker, get up this insta-- huhh???

*Flllllaaaaaaaapppppppp*

Kambal jese hi hata...

Saamne ka manzar dekh teeno ke badan thande pad gaye. Shareer ke raungte khade ho gaye. Dil ki dhadkan aisa laga jese pal bhar ke liye wahi ruk gayi. Ghutno me kamzori aa gayi,

Tommy ke andar jese aatma ne shareer ka tyaag kar diya. Woh toh dekhte hi bechaara ussi pal ladkhada ke behosh ho gaya. Wo peeche ludka,

Mike : Shiiitttt!!!

Aur idhar, Mike ne fauran aage badh usse apne haatho se pakad sambhaala. Aur usse side me deewaar se tikaaya. Usne sarr utha ke Veer ko dekha,

Mike : Veer! We must- huhhh???

Par jab usne Veer ko dekha toh bhaanpa ki Veer ko usne aise pehle kabhi nahi dekha tha. Veer khauf ke maare saamne nazre gadaaye hue tha. Uski aankho me ek chamak nami ke kaaran janm le chuki thi.

Achanak hi usse akbakayi aayi. Muh par ek haath rakh woh turant hi peeche muda aur deewaar par apna dusra haath tikaaye lambi lambi saansein lene laga.

*Badump* *Badump* *Badump*

Dil itni zorr se dhadak raha tha ki Veer ko khud dhadkano ki awaaz sunaayi de rahi thi.

Mike : V-Veeeerrr???

Veer : It's... It's okay!!! I'm fine! J-Just give me a second.

Mike : Alright! But make it quick. Only you and I can do this. Together!

Veer : Y-Yeaahhh!

[Maaaasttttteerrrrr~]

Aisa kese ho sakta tha ki Veer pareshani me ho aur Pari ko chinta na hoye? Beshaq! Veer ke iss ravaiyye par turant hi Pari uske mann me usse pukaarne lagi.

'It's okay Pari!!!'

[It's not... :angrysad: ]

Pari jaanti thi Veer kin halaato se guzar raha tha. Kyuki bed par...

Bed par Chester laita toh hua tha. Par...

Uska shareer...

Uska shareer do hisso me bata hua tha. Poori ki poori tarah se kata hua tha. Pait se uski atadiya baahar ko nikli hui thi aur poora bed neeche lahu luhaan ho chuka tha. Andhruni maas aur ango ko aankho ke saamne dekh acche se acche insaan ko ulti aa jaaye aur uske perr ladkhada jaaye. Koi hairat ki baat nahi thi.

*Sccchllliiiiinnnnggggggg*

*Kllliiiiinnnngggggggg*

Veer ko Nightwalker ki woh haath me pakdi hasiya yaad aayi. Na jaane kese kaat ke alag kiya hoga usne Chester ko. Aari se lakdi ki tarah usne Chester ko kaata hoga. Soch ke hi Veer ke badan ke raungte khade ho gaye.

Par uss se bhi badi baat thi. Woh kuch aur thi. Veer ko woh manzar yaad aa gaya. Woh bhi toh kuch issi prakaar maara gaya tha na?

Golu!!!! Uski maut bhi behad dardnaak thi.

Aur ab Chester. Ye pehli baar tha jo Veer Nightwalker ke dwara bichhayi gayi laasho ko apni aankho ke saamne dekh raha tha. Koi insaan itni darindagi se kese maar sakta tha kisi ko? Veer ko jo baat sabse zyada darra rahi thi woh ye thi ki,

Nightwalker ne ek shan bhi nahi socha kisi ke badan ko do tukdo me kaatne se pehle. Seedha kaat daala. Jese insaan nahi, koi sabzi ho.

It was an absolute brutality.

Mike : Veeerrrr?

Mike ki punaah awaaz se wo apne hosh me aaya.

[Maaaasttteeerrrr~ don't worry. I'm with you!]

Pari ki baat sunn, aur apni himmat waapas baandh woh palta, Mike ko dekh usne haami bhari. Aur unn dono ne Tommy ko thaama. Veer aur Mike usse apne room ki orr le gaye. Chester ka room unhone wese hi chorr diya. Woh kuch bhi nahi kar sakte the iss maamle me.

Idhar Zoey aur Emma ne room khola aur Tommy ko behosh dekh woh dono tension me aa gayi. Jab Chester ki maut ki khabar unhe mili toh Emma toh poori tarah se ro padi.

Ek darr baith gaya usme. Ki jese ab woh nahi bachegi. Agla shikaar jese ab wahi hone waali thi.

Woh chillaane lagi, jese tese Veer aur Mike ne usse shaant kiya. Zoey khud andar tak hili hui thi. Par antatah woh chup thi.

Aur Mike gusse me. Ek detective tha woh. Chester ke room me ghuste hi jo dhaas usne hawa me soonghi...

Loha!!! Yaani iron. Jo hamaare khoon me maujood hota hai. Itne saal kaam karne ke baad Mike ko kaafi tajurba ho chuka tha. Khoon ki gandh vatavaran me jo faili hui thi, usne ek baar me pakad lii thi. Yaha tak ki Veer ko bhi pehle hi pata lag chuka tha.

Jese hi usne Beowulf activate kiya tha. Andar se khoon ki gandh usse pehle hi aa gayi thi.

Par ab jo ho chuka tha usse badla nahi jaa sakta tha. Unke beech se, ek aur shaks maara jaa chuka tha. Yadi aise hi chalta raha toh...

"Damn it! Damn it! Daammnmn ittt!!!"

*Baaaaaaammmmmm*

Mike ne gusse me aake deewaar par zorr se haath maara. Ek detective hoke, uski naak ke neeche se Nightwalker uske bando ko maar raha tha aur woh yaha haath par haath dhare baitha hua tha.

Veer aur woh ek dusre ke bagal se khade hue the uske hi room me. Tommy behosh haalat me bed par wall se tik ke baitha tha. Aur uske hi bagal se Emma aur Zoey jo ek dusre se chipki ek dusre ko sambhaalne ki koshish kar rahi thi. Zoey toh fir bhi theek thi, par Emma ka haal behaal tha.

Mike ne jeb se cigarette nikaali,

*Kliinkkk*

Lighter se cigarette jalaayi aur ek kash lagaaya aur cigarette ka packet Veer ki taraf aage badhaya,

Mike : You smoke?

Veer ne packet ko dekha aur ek cigarette usme se nikaali,

Veer : I can!

Detoxification ON thi. Veer ko koi tension nahi thi.

Lighter se cigarette jalaate hue wo dono khidki ki taraf pohuche, jiske sheeshe par baahar se baarish ki badi badi boonde pad rahi thi. Aur andar se cigarette ka dhua. Saath hi Bijli ki chamak sheeshe se hote hue kamre me aa rahi thi.

Unhone dono ladkiyo ko ye nahi bataya tha ki Chester kis tareeqe se marra tha. Ye maut alag thi. Isme sarr nahi kata tha. Balki poora ka poora pait hi cheer diya tha Nightwalker ne. Aisa rooh jhanjhor kar rakh dene waala kaam kiya tha.

Idhar Veer ne Mike ko bagal se dekha,

Veer : Chester got killed.

Mike (kash lagaate hue) : Yes!

Veer : What now?

Mike : We must find the killer. Before dawn. Otherwise we will all die here.

Veer : Senior Connor mentioned something in his video right? The cameras! We are being recorded.

Mike : Found 4 of them.

Veer : Huhhh??

Veer ne hairat me Mike ko dekha. Stabdh hona swabhavik tha. Connor ne mention kiya tha video me ki yaha par logo ki activities record kari jaati thi. Iska matlab kahi na kahi cameras lage hue the. Aur Mike ne seedhe seedhe hi Veer ko jawab de diya ki usne 4 cameras already dhundh liye the.

Veer : Where?

Mike : Found one on the ground floor, Second in my room, third one in the corridor, and fourth one...

Veer : ???

Mike : ... is right above our head. Between the fan.

Uske shabd sunn Veer ko ek jhatka laga. Ek camera upar pankhe ke beech me laga hua tha. Veer ne khud iss par gaur nahi kiya tha. Woh abhi dekhne hi wala tha upar ki,

Mike : D-Don't!!!! Don't look.

Mike ke kehne par usne sarr jhuka liya.

Veer : But Chester was killed when the room was locked from the inside.

Mike : Yes!

Veer : How is that even possible?

Mike : That's what I'm not getting.

Aisa kese ho sakta tha? Andar aane jaane ka raasta ek tha. Toh jab kamra andar se locked tha toh Chester marra kese bhala? Dono Veer aur Mike ka dimaag ghoom chuka tha.

Mike : Did you notice one more thing?

Veer : That he got killed during the search time?

Mike : Exactly!

Aur Chester ki hatya bhi kayi sawaal khade kar rahi thi. Banda search time me maara gaya. Akhir kaise????

Veer ne ek lambi aah chorri par tabhi uske mastishq se ek jhakjhor kar rakh dene waala vichaar hoke guzra. Jiske chalte uske haath se cigarette phisal kar neeche gir gayi.

Mike : ???

Veer : N-Noooo!

Mike : What?

Veer ne Mike ko dekha,

Veer : The voice!!!! The voice told us that search time will be allotted to us. But... But it never said that Nightwalker won't kill us during those hours.

Mike (jhepte hue) : That's... N-Nooo... But Nightwalker's time is different then how can he...!?

Veer : You forgot one thing!!

Mike : Huhhh?

Veer : It also said... If the Nightwalker saw you roaming, he will kill you.

Toh ye baat thi. Veer ki baat jab Mike ne suni toh woh andar se hil gaya. Veer ne ek raaz se parda utha diya tha.

Uss awaaz ne ye zaroor kaha tha ki search time diya jaega. Par awaaz ne aisa toh kahi nahi bola tha ki uss search ke dauraan Nightwalker kisi ko bhi nahi maarega? Ye toh Veer aur uski team ne apne aap assume kar liya tha ki iss time Nightwalker nahi maarega.

Awaaz ne toh sirf yahi bataya tha ki Nightwalker apne time par ghoomega. Par iska ye matlab nahi tha ki woh search ke time me maarega nahi. Beshaq, woh uss dauraan ghoomega nahi. Par uss dauraan chhipega bhi nahi.

Dusre shabdo me, Nightwalker ne unn sabhi ko chutiya banaaya tha. Apne shabdo ke istemaal se.

"Daaamnnn itttt!!!! This baastaardddd!!!!"

Aur Mike ka gussa aur bekaabu ho gaya. Ye toh laazmi tha.

Iska matlab saaf tha. Chester ne ghoomte waqt Nightwalker ko zaroor dekha hoga. Nateeja? Uski maut!!!

Par sawaal jo unhe sabse zyada pareshan kar raha tha woh tha room ka andar se band hona.

Veer : I'm going out.

Veer ne ek taq jawaab diya,

Mike : "WE" are going out Veer. YOU and ME. BOTH!!!

[Maaasteeerrr ~ Hum Mike ke saath nahi reh sakte. Hume Nightwalker se akele me bhidna hoga. Mission khatam hone ke liye bhi zyada samay nahi bacha hai.]

'I know Pari!!!'

Veer : We will go seperately. We both have our walkie talkie. If something happens, we can just call each other out.

Mike ne kuch shan tak Veer ko dekha aur fir haami bhari. Woh Veer ki baat se sehmat tha. Bhale hi ye tareeqa risky tha par yahi sahi approach thi.

Alag alag hone se Nightwalker ki talaash jaldi hone waali thi, aur Nightwalker akele aadmi ko dekh zaroor khud ko baahar nikaalne wala tha. Yahi sahi tareeqa tha.

Mike, Emma aur Zoey ko jata ke waha se baahar nikla,

Mike : You take left. I'll take the right.

Veer : Alright!

Aur woh daayi corridor ki taraf chal diya.

Idhar Veer ne bhi Emma aur Zoey ko jab jataaya ki woh bhi jaa raha hai toh dono vyaakul ho uthi,

Emma : Nooooooooooooo~ You can't!!! He will kill you. He will...

Zoey : Th-That's right... You shouldn't go out there. It's dangerous. We all can just spend the night here in one room. Then we can leave tomorrow.

Veer : Do you really believe he will let us leave? Just like that?

Veer ke sawaal par Zoey ki bolti band ho gayi. Zoey ka kehna tha ki wo sabhi ek hi room me saari raat ruk jaaye aur subah hote hi woh nikal jaenge. Par... Par kya Nightwalker waqai unhe jaane dene waala tha?

Veer : I'm going.

Emma : Nooooooooooo~

Zoey : S-Stay safe... And...

Veer : ???

Zoey : You will come alive...

Veer (smiles) : I will!

Aur ek akhiri baar unn dono ko peeche mud ke dekh Veer waha se palta, Zoey ne room andar se lock kiya aur Veer corridor me aa gaya.

***

Ab aar ya paar ki ladaayi thi. Aankh micholi, aur lukan chhupaayi ka ye khel boht ho chuka tha. Ab seedha bhidant thi.

Ya toh Veer sahi salaamat nikalne wala tha ya fir Nightwalker.

Veer ke kadam badhne toh left corridor ki orr chahiye the, par wo right corridor me jaane laga,

[Huh? M-Master?? O-Ohhhhhhh!!!! I see~]

Pari bhi pal bhar ke liye confused reh gayi. Par Veer ke mann me usne jab jhaank ke dekha toh wo sab samajh gayi.

Nightwalker Veer se bhid chuka tha. Woh jaan gaya tha ki Veer ko yadi usne firse face kiya toh Veer seedhe ladaayi par utar aaega.

Toh aise me jab 2 insaan, Mike aur Veer akele akele mansion me ghoom rahe ho toh kis par pehle hamla karna theek rahega?

Jawaab saaf tha.

Mike!!!

Aur isliye,

Veer ne apni raftaar badhaayi, tezz kadmo ke saath wo Mike ka peecha karne laga.

Beshaq, uska anumaan ekdum sateek tha.

Mike upar ke floor se chhaan been kar jab basement ki orr badha. Basement me ghuste hi uski bauhe chinta me sikud gayi.

Zameen par pehle ke muqaable paani kuch zyaada hi tha. Mike ke talwe paani me doob chuke the.

Aur Veer theek uske peeche tha.

[Master~ Apne shoes utaar dijiye, paani me chalne se awaaz kam hogi aise me.]

'Alright!'

Shoes ko utaar Veer peeche peeche Mike ke chalta raha aur abhi kuch hi dur tak woh aaya hoga ki...

Saamne basement ke hallway me se andhere me halki roshni aayi, dhuaa uthne laga...

Aur dhue me se...

Ek daraavna mask nikal ke aaya... Fir ek haath dikhaayi diya... Jisme khoon se latpat hasiya thi...

Nightwalker!

Mike : So it's you!!!!

Mike ne apni kamar se ek handgun nikaali aur saamne Nightwalker ki orr aim kii,

Mike : Drop your act now. You have been charged under the violent commitments of brutal murders. Raise your hands, drop your weapon, and hand yourself over.

Ye tactic kaam nahi aane waali thi. Mike bhi ye jaanta tha. Aur wahi hua,

Nightwalker suddenly, bagal ke hallway me ghusa...

Mike : Shiiittttt!

Mike usse pakadne aage dauda,

*Chhappp* *Chhhappp* *Chhhhaapppp*

Paani me uske daudne ki awaaz basement me goonjne lagi,

Peeche se Veer bhi dabe paav liye aage badha.

Par jese hi Mike uss hallway me aaya, usse Nightwalker kahi nazar nahi aaya.

Mike : Fuckkk!!! Where did he go?

Woh gun ko dono haatho se pakad aage badhta raha. Ab neeche paani bhi khatam ho chuka tha. Iss area me sookha tha.

Aur abhi woh dhundh hi raha tha jab,

*Thud*

Achanak hi uske sarr par ek zorr ka phatka aake laga.

Mike ke muh se kuch bhi nahi nikal paaya aur woh behosh hoke wahi gir pada. Uske bagal se, Nightwalker apni hasiya liye khada tha.

Hasiya ko hawa me utha wo Mike ke shareer ko dekhne laga. Pehle kaun sa ang kaata jaaye? Mundi? Ya pait? Ya haath perr? Ya jeebh? Ya fir kaan?

Uska haath zorr se neeche aaya hi tha Mike ki mundi kaatne ke liye ki tabhi,

*Whoooooosssshhhh*

*Cllllllaaaaannnnggggggggg*

Haath par zorr se kuch aake laga aur uske haath se hasiya chhooth ke dur jaa giri.

Fauran hi usne mud ke aag baboola aankho se dekha...

Saamne Veer khada hua tha. Aur ussi ne ek bottle fek ke uske haath se hasiya girayi thi.

Veer bhaaga... Nightwalker ki taraf... Full speed me...

Hawkeye ne apna kaam kar diya tha. Ab baari thi...

*Ding*

[Beowulf's Blessings has been turned ON.]

Veer ko tezzi se apni orr aata dekh Nightwalker dusri disha me bhaaga. Woh waapas se uss area me aa gaye jidhar floor par paani maujood tha.

*Chhappp* *chhapp* *chhappp*

Basement me unke kadmo ki awaaz goonjne lagi.

"I'm gonna catch you bastard!! Iss baar tu kahi nahi bhaag paayega."

Veer gurraaya aur ekdum Nightwalker ke peeche pohuch usne haath aage badha ke pakda hi tha ki,

*Whoooooosssshhhh*

Nightwalker achanak palta, usne apna haath ulta kar Veer ke chehre par chalaaya. Aur idhar reflexes ke chalte Veer ne turant duck kar liya.

*Swoooossssssshhhhhh*

Dono aamne saamne the ab.

Aur bina kahe hi,

*Chhap* *chhhapppp* *chhhappp*

Unn dono ne daud ke ek dusre ki mutthi aapas me kassi, Nightwalker ne laat bhi uthaayi saathi hi, Veer ke pait par maarna chaaha par...

*Deflect*

Veer ne apne haath se uski laat deflect kar dii.

"One inch punch!!!!!"

Aur Veer ki fist Nightwalker ke apne pait par aake padi.

*Baaaaaaaammmmmmmmmm*

Kya hi impact tha. Hawa me uchhalte hue woh peeche ki orr jaa gira,

*Chhhapaaaakkkkkkk*

Paani me uske kapde geele ho chale.

[Nice one Master!!!]

Nightwalker ki aankhein ekdum gusse se laal ho chuki thi. Par eka-ek woh utha, aur wahi rakhe lakdi ke boxes par chadha. Uska haath peeche gaya aur usne kahi se ek wire kheech ke nikaala,

[Maaaasttteerrrr~ N-Noooo!!!! Jump on the box!!!!! Quick!!]

Aur woh wire Nightwalker ne seedha neeche paani se bhare floor par fek diya.

*Zaaapppppp* *zaappppp* *zapppp*

Bijli aur paani ka jab milan hota hai toh kya hota hai ye bataane ki zaroorat nahi thi.

Ek tezz current poore paani se bhare floor me fel gaya. Kya hi shaatir tha saala ye Nightwalker.

Par Pari ne Veer ko pehle hi sachet kar diya tha.

*Thud*

Back flip maar ke Veer khud ek box par chadh chuka tha.

"Youuu fuckkerrr!!!!" Veer zorr se chillaaya aur,

*Whoooooosssshhhh*

Usne Nightwalker ke paas maujood boxes ki orr chhalaang lagaayi.

*Baaammmmm*

Aur shuru ho gayi unki haathapaayi. Ek dusre ke kapde pakad, dono hi ek dusre ko current se bhare paani me fekne ki koshish kar rahe the.

Veer stats ke according zyada strong tha. Aur isliye,

Nightwalker Veer ko dhakel nahi paa raha tha. Veer ne usse dhakka dete hue box ki edge tak kiya aur,

Nightwalker : I WON'T FAIL... NEVER...

Veer : Heh~ So you can talk huh?

Nightwalker ne Veer ko apne sang uske kapde pakad kheecha toh Veer ne ek jhatke apne shareer se woh sweatshirt hi nikaal dii,

Aur...

*Chhhapaaaakkkkkkk*

"Aaaaaaaaaaaaarrrrgggghhhhhhhhh"

Poore basement me ek zordaar dard se bhari cheenkh goonj gayi. Nightwalker uss current se fele paani me dhapaak se jaa gira.

Current itna nahi tha ki uski maut ho jaaye par itna zaroor tha ki aadmi behosh ho jaaye.

Current lagne ke kuch hi seconds ke andar Veer ne wire kheech liya. Aur Nightwalker behosh udhar hi paani me dala raha.

[Phew~ We did it Master!]

Veer lambi lambi saasein lete hue khud ko durust karne laga. Uske gaal pe ek cut laga tha jis se halka khoon beh raha tha. Baaki aur koi kharoch nahi aayi thi usse.

Akhir kaar, Hatyaao ke iss khel ko virhaam lag chuka tha.

*Ding*

[Beowulf's Blessings has been turned OFF.]

*Ding*

[Mission : Capture The Nightwalker has been completed.]

[1000 Points have been rewarded.]

[500 Fame points have been rewarded.]

Points kam the. Waqai! Par Veer ka interest abhi kisi aur cheez me hi tha,

'Check!!'

*Ding*

Veer ne Nightwalker ko check kiya. Par kuch khaas na mila usse. Jo jaan'na tha woh toh nahi mila.

Nightwalker ko usne rassi dhundh poori tarah se baandh diya ki woh kahi bhi bhaag na paaye. Mike ko usne apni peeth par uthaaya.

Aur woh chal diya upar ki orr,

Usne ek kamre me Mike ko litaaya. Aur abhi woh Zoey aur Emma ko jataane hi jaa raha tha ki ab sab kuch surakshit hai ki woh Chester ke room ke baahar se punah guzra...

Neeche darwaaza pada hua tha wesi hi haalat me, aur andar Chester ki laash jo dekhi tak nahi jaa sakti thi. Woh sab wese ka wesa hi maujood tha.

'Hmm?'

Veer ne kuch akasmat hi notice kiya,

'Ye... Wait a minute... Pehle toh ye aisa nahi tha? Then why is it...'

Aur fir uski nazar kahi aur gayi...

'Huhhhhh???????'

[Maaasssttterrrrr!!!!!!!!!!]

Uske baad... Veer ke raungte aise khade hue ki woh ladkhada ke wahi zameen par gir pada.

Aise goosebumps toh usse Slogan se ladte time bhi nahi aaye the.

Yaha tak ki Pari ka dimaag bhi kaam karna band kar chuka tha. Woh khud jese sadme me jaa chuki thi. Aur maun reh gayi.

Veer ka toh jese astitv hi hil ke reh gaya tha.

'N-Noooooooo!!!! I-It can't be!!!!! H-How did he...!!????'

Woh dauda, Zoey aur Emma ki orr. Apne kamre ki taraf. Usne unn dono ko baahar nikaal neeche ground floor par jaane ko kaha.

Aur fir woh bhaag ke Zoey ke room me gaya. Jese woh kuch talaash raha ho...

Aur agle hi pal,

*Craaaaaaasssshhhhhhhhhhhh*

[This... Mastterrrrr!!!!!]

Pari jhep gayi.

'So I was right!!!!! That motherfucker...!!!!'

***

After few hours...

Mansion me ho raha ye maut ka nanga naach khatam ho chuka tha. Subaah ho chuki thi, baarish tham chuki thi aur aasmaan se baadal hatt chuke the. Aisa lag raha tha waqai buraai par acchai ki jeet hui thi.

Mike, Veer aur anya ko lene investigation department se copter aaya hua tha.

Woh sabhi usme baith waha se ravaana huye aur waapas pohuche.

Helicopter jese hi land kiya, Veer ko utarte hi dur khadi Suhana aur Divya nazar aayi.

Yaha tak ki Nik bhi khada tha.

Suhana achanak se daud ke bechaini me aage aayi. Pal bhar ke liye Veer bhi hairat me reh gaya.

Lekin achanak hi Suhana ko jese dhyaan aaya aur uske kadam dheere ho gaye. Woh Veer ke paas pohuchi, aur jo haath woh pehle uske gaalo par rakhne waali thi woh haath uske seene par jaake tik gaya.

Suhana : T-Tum theek toh ho na?

Veer (surprised) : Well! Hmm!

Suhana : Th-That's good!!!

Pehli baar Suhana ko iss qadar dekh Veer sach me dang tha. Aisa usne pehle kabhi nahi kiya tha. Fir aaj kyu?

Wahi Divya ko jhatka sabse bada tab laga tha jab usse ye khabar lagi thi ki Veer ne poora ka poora case solve kar daala hai.

Aur ab usse apni aankho ke saamne dekh wo duwidha me thi.



IMG-20220804-231159

Ab toh aur 100 sawaal uske mann me uth chuke the. Filhaal unhe side me rakh woh aage badhi,

Aur usne muskuraate hue Veer ko welcome kiya,



IMG-20220804-231141

Divya (smiles) : It's good to see you return.

Veer : ...

Divya : Department wants an explanation.

Veer : Alright!!!

Kuch derr baad...

Investigation department ke office me ek bade se room me woh maujood the.

Sab ke sab. Nolan se leke Mike, Zoey, Emma, Tommy... Sab! Sab udhar maujood the.

Aur saamne projector ke liye badi si screen lagi hui thi.

Veer ekdum saamne khada hua tha. Aur usne bolna shuru kiya,

Veer : I have decoded everything!!!

Tommy : Okay! Tell us!

Veer ne haami bhar seedhe ek picture dikhaayi projector ke jisse dekh waha baithe sabke maatho par silvatein confusion ke maare aa padi,

Tommy apni jagah se uth khada hua,

Tommy : Are you kidding me??? Is this a joke?

Par Veer ne usse koi jawaab na diya.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Moderation hua firse yaha par. Ye update 6k words ke upar jaana tha. Par mene isse do bhaag me vibhaajit kiya hai. Kyuki next part me mein do matter aur samaapt kar sakunga. Baaki, likes thokne ka aur revos rakhne ka guys.
Dhanyavaad! ✨
बहुत ही शानदार लाजवाब अपडेट भाई
मजा आ गया भाई
 

Ladies man

Active Member
500
1,653
123
Ding werewolf bhai mistakes ki baat kare tho waise spelling mistake is ingnorable but mein privious update ke kuch unslove questions ko yaad dilana chahunga update 30 suman bhot si baton se vachan badh thi kya kya veer woh sab slove karega haveli ya mahal ka raaz raaz hi rahega
 

Werewolf

ʀᴏɢᴜᴇ ɴɪɴᴊᴀ
Supreme
13,765
98,353
259
Ding werewolf bhai mistakes ki baat kare tho waise spelling mistake is ingnorable but mein privious update ke kuch unslove questions ko yaad dilana chahunga update 30 suman bhot si baton se vachan badh thi kya kya veer woh sab slove karega haveli ya mahal ka raaz raaz hi rahega
:approve: Woh sab kuch village arc me hai. Sab raaz khulenge.
Veer ke locket se leke saare raaz. :declare:
 

Sanki Rajput

Abe jaa na bhosdk
5,728
14,469
174
..
Click HERE:declare: to go to Index.

Aaj ek kissa hua. :shy: Kuch kaam se shaam ko gaya hua tha. Raaste me jab apun bike par traffic me fassa hua tha. Tab, bagal me school ka ek auto aake khada hua. Andar sab chulbuli ladkiya baithi hui thi. :shy:
Ek ladki ne dekha aur boli,
"Hi!"
le me (surprised) : Hello!
ladki (smiles) : Nahi nahi, Hi karo.
me : Sirf hello se kaam nahi chalega?
ladki : Nahi nahi bilkul nahi. Ehehehe~
me : Hi!
ladki : Aise nahi, haath mila ke,

apna haath nikaal woh mujhse haath milaayi, aur usse dekh baaki ladkiya bhi, "Ehehehe~ Hi!!! Hello! Hi! Hi!!"
wahi khade khade signal pe apun 5-6 ladkiyo se haath mila daala. Ab unn nadaano ko kaun samjhaaye. School me thi fuljhadiya. Thodi badi hoti toh batata mein kya hoti hai flirting. :shy: :shy:
Acha kiya unpar rahem kiya ju ne :sip:
 
Top