- 14,065
- 99,753
- 259
Last edited:
Kyu ni d kharab kar rahe ho werewolf bhai aabhi se sab kahengey jagte rahoKal aayega bhai!
Kyu nind kharab kar rahe ho werewolf bhai aabhi se sab kahengey jagte raho
Kal raat me aayega bhai. Aaj nahi aana hai update. Taiyaar hi nahi hai kaha se aa jayega update!?Kyu ni d kharab kar rahe ho werewolf bhai aabhi se sab kahengey jagte raho
Dekhte hai.Bhai ek request thhi kal ki update ko suspence per mat khatam karna
Yehi tho bol raha bhai ab jab tak update nahi padhunga tab tak soo nahi paungaKal raat me aayega bhai. Aaj nahi aana hai update. Taiyaar hi nahi hai kaha se aa jayega update!?
Arre so jao bhai. Tabhi toh kal update padh paoge.Yehi tho bol raha bhai ab jab tak update nahi padhunga tab tak soo nahi paunga
Fantastic updateUpdate - 115 ~ Turn the tides (1)
Ab tak...
Purvi ne Veer ke maathe ko pyaar se choom liya.
Veer ka mobile agle hi pal vibrate hua aur screen par message saaf saaf usse dikhayi de raha tha.
'10 minutes are left for 7.'
Message tha...
Kaera ka!
'Shitttttttttt!!!!'
Ab aage...
Darr! Ek aisi anubhooti hai jis se insaan aksar bachne ki koshish karta hai. Khud ko vipreet paristhitiyo me bhi nidar dikhaane ka prayaas karta hai.
Par Veer filhaal chaah ke bhi apne upar mandra rahe bhay se khud ko nikaal nahi paa raha tha.
Kyu? Kyuki woh 20 minute late ho chuka tha. Shaam ke 7 baje Kaera ne milne ke liye usse bulaaya tha. Aur yaha 7:20 ho rahe the par Veer traffic ko haraane me nakaam tha. Mumbai ke traffic ke aage toh almighty system aur Pari ne bhi haath khade kar diye the apne. Aur ye hone wali meeting ka samay aur lamba khichta jaa raha tha.
Kaun thi Kaera? Ek multi-talented business lady jisne na keval apne akele ki dum pe poori company ki kaaya-palat kar ke rakh dii balki, anya businesses ko upar uthaane me bhi usse mahaarat haasil thi.
Woh ladki, jiska baap Kishor poore Bharat aur baahri desho me ek jaani maani shaksiyat tha. Uska rutba, uthna baithna, paisa, pehchaan, sab kuch hi alag starr pe tha. Ek aam aadmi jo jeevan me sapne dekhta tha, Kishor jesa vyakti usse roz-marra ki zindagi me jee raha tha. Koi tulna hi nahi!
Fir aisi hassti ki beti Kaera ko kese ignore kar sakta tha Veer? Saath hi akhir woh uski pehli intimate partner bhi toh thi. Veer ke andar naturally hi Kaera ko protect karne ki bhavnaaye aa jaati thi. Fir uski baat nakaarna toh dur ki baat thi.
Jese tese 7 baj ke 23 minute par woh Kaera ke ghar pohucha aur pohuchte hi uski aankhein surprise ke maare fel gayi.
[Itna bada bunglow?? Ab isse bunglow kahe ya building Master? There are more than 6 floors! Let me count...! E-Ehhh!? Freaking 8 floors!? What the hell? What is going on? ]
Pari akeli nahi thi. Veer bhi sehmat tha. 8 floor ka ghar? 8 floor ka ghar kaun banwata hai bhai?Ghar tha ya building? Bhala kitne log reh rahe the isme?
Woh abhi car se utra hi tha ki itne me usse saamne hi ek khubsoorat blonde lady dikhaayi dii.
'Check!'
*Ding*
[Name : Julia
Age : 31
Bio : Julia! Ek Russian maid! Pichle 5 saalo se Kaera ke liye kaam karti aa rahi hai. Pehle se hi Julia ke purvaj bade gharano ke servants rahe hai. Aur ye kaam unke khoon me hai. Kaera jab Moscow gayi thi Kishor ke sang toh Kishor ne khud Julia ko Kaera ke liye hire kiya tha. Ek beautiful, well-behaved, meticulous, aur amicable personality waali lady hai. Kaera ke prati poori tarah se loyal hai. Aur khud ki zyada koi icchaaye nahi rakhti.
Favourability : 39
Relationship : Familiar.]
Status padhte hi Veer taajub me reh gaya. Isliye nahi ki status koi hosh udaa dene wala tha. Balki isliye kyuki favourability aur relationship usse chakkar me daal rahe the.
'Wait! Ye favourability 39? Aur Pari? Ye relationship Familiar kyu show kar raha hai? Mein toh iss se mila tak nahi hu. Ye pehli hi baar-'
[Master~ Shayad Kaera ne aapki baatein Julia se share kii hai. Aur isliye uske mann me kuch favourable impression hai aapke prati. Yahi conclusion ho sakta hai.]
'I see! So she has heard about me!'
[Seems like it!]
Veer aage badha aur jese hi Julia ki nigaahein uss par gayi, uski aankho me ek chamak sii aa gayi.
Julia (smiles) : Young Master Veer?
Usne confirm karte hue pucha. Par Veer stabdh hote hue usse dekha.
'E-Ehhhh!??? Y-Young Master? Young Master who??? Wait! Usne mujhe hi bulaaya na Pari?'
[Hehehe~ Yes! Young Master Veer! ]
Julia ke hontho par poore samay smile saji hui thi. Aur Veer ka reaction dekh woh na keval ye samajh gayi ki yahi Veer tha balki uska reaction dekh woh mann hi mann muskura bhi uthi.
Veer : That...! About parking!?
Julia : Don't worry Young Master! Please! Pass the keys to me. Servants will do their job.
Usne ahista se kaha toh Veer ne gaadi ki chaavi usse saup dii. Aur agle hi pal wahi kuch duri pe khada ek ladka daudte hue uniform pehne aaya aur Julia ke haatho se car ki key lekar car park karne chala gaya.
[The life of debauchery, Master! The life of debauchery! ]
'Yeah! Yeah!'
Julia (smiles) : Please! Follow me! Young Miss is waiting for you for quite a long time!
Usne Veer ko jataate hue kaha. Baat sach thi. Kaera Veer ke liye 20 minute ke upar se baith ke intezaar kar rahi thi. Kaha uske liye log ghanto tak intezaar kar lete the par yaha woh Veer ke liye intezaar kar rahi thi.
Veer jese hi Julia ke sang andar enter kiya usse na jaane kya kya dekhne ko mila. Entrance pe hi 4 guards the. Aur woh bhi aise wese nahi. Ladne me saksham guards. Veer ne unke stats dekh ye pata kiya tha.
Ground floor pe jo hall tha usse dekhte hi uske hosh udd gaye. Itna vishaal jhoomar ceiling se latak raha tha ki uski keemat ka anumaan bhi karodo me hi lagaya jaa sakta tha.
Lift me ghuste hi Veer ki nazar buttons par gayi,
Veer : There's even basement?
Julia : Yes Young Master! It's for parking and emergency generators.
Veer : Umm! Y-You can drop the honorifics! Just call me Veer!
Veer ne kaha. Baar baar young master sunn'ne me usse thoda ajeeb lag raha tha isliye usne Julia ko apne naam se hi pukaarne ke liye kaha.
Julia : It's my own wish to call you like that Young Master. Please! Allow me to do so!
Veer : Th-That's...! *sigh* Fine!
Haar maante hue Veer ko maan'na pada. Julia ki khwaaish hi yahi thi. Toh ab bhala woh kese inkaar kar sakta tha?
Lift me ek madhur sangeet bajta raha aur unki lift jald hi 1st floor par aake ruki.
Veer : I-Is she mad?
Julia (smiles) : Young Master should see for himself!
'Fuckkkkkkk!!!'
[Lagta hai Kaera waqai gussa hai. Wait! Iska matlab woh emotions feel kar paa rahi hai? Hahaha! That's good master~]
Julia ke response par Veer kuch na kaha.
Chalte chalte usse bas mehngi se mehngi cheeze hi nazar aati rahi. Aur Julia usse baaki details se fill kar rahi thi.
Julia : This whole floor belongs to Miss. Young Master! She don't like to travel in lifts. That's why, her floor is right above the ground floor.
Veer : I see!
Julia : Second floor belongs to her Father! The owner of this house. A very respectable person.
Veer : And let me guess, third one belongs to Karan, right?
Julia (smiles) : That is correct!
Veer : What about the fourth one?
Julia : It has a huge gym!
Veer : Fifth?
Julia : Fifth includes the huge kitchen. This is where renowned chefs makes delicious and tempting dishes for Miss and the others.
Julia ke jawaab par Veer ki bolti hi band ho gayi.
Veer : S-Sixth?
Julia (smiles) : Sixth floor contains the Mart. Shopping Mart. It has everything there. From fresh vegetables to staples, grains and other daily needs.
'Holyyyy fuckkkkk!!!'
[Y-Ye ghar hai ya society Master?]
Bechari Pari bhi baukhla gayi thi ab toh.
Veer : Seventh?
Julia : Seventh is where servants like us resides Young Master.
Veer : And eighth?
Julia : It has a table tennis, a movie theatre, a mini hall for party and some other games.
Veer : Don't tell me there's something on the terrace too!
Julia (smiles) : Ohh of course! A swimming pool for the view. Isn't it amazing?
Woh Veer ko mazakiya dhang me chidhaate hue boli toh Veer bas haami hi bhar saka.
Ghar tha ki kya tha behanchod? Pehli floor Kaera ke naam, dusri uske baap ke aur teesri uss Karan chutiye ke. Chauthi me poora ka poora gym hi ghused diya tha. Paachvi me langar tha ki kya? Skilled se skilled chef khana banaate the udhar.
Chhatvi? Chhatvi me toh Mart hi khula hua tha. Chefs chhatvi floor se samaan lete aur neeche paachvi floor par khaana banaate aur waapas jaake so jaate jaha unke room saatvi floors par the.
Aur last floor? Saala cinema laga diye the. Table tennis? Games? Aur kuch bacha ho toh woh bhi add kar dete. Terrace pe swimming pool alag.
Ye saare vichaar Veer ke mann me hi chal rahe the.
Aisa nahi tha ki usse ye ayyaashi aur paisa pasand nahi tha. Baat sirf ye thi ki woh ek aam choti thodi rich family se belong karta tha. Aur itni ayyaashi ke liye itne paise befaaltu lagaana? Ye thoda usse ajeeb lagta tha. Karna toh woh bhi chaahta tha just to experience. Lekin antatah uska antar mann yahi kehta tha ki ye paiso ki barbaadi thi. Sadupyog nahi!
Par woh nahi jaanta tha ki jald hi Alpha Instincts uski soch ko kis tarah se badalne waale the.
Julia : Ohh! We are here!
Julia ki awaaz usse punaah hosh me laayi.
Aur andar aate hi usse ek jaana maana chehra nazar aaya. Wahi puraani soorat, wahi puraana andaaz, wahi mijaaz, aur wahi bhaav.
"You are 26 minutes late!"
Wahi parichit awaaz uske kaano me padi. Kitne samay baad woh aaj Kaera se mil raha tha. Veer ne fauran hi apni derri ke liye maafi maangi,
Veer : Really sorry! Mein-
Par uski awaaz halak me hi atak ke reh gayi jab usse aage aate hue Kaera ki haalat nazar aayi,
Kaera ne ek checked pattern ki black n white tube top aur panty pehni hui thi. Aur tube top ke upar hi behad chota ek white crop top tha.
Uska makhmal pait aur nangi twacha saaf saaf dikhayi de rahi thi. Veer ek naujavan tha. Zaahir hai Kaera jaisi haseena ko iss haalat me dekh uske andar ka josh ubaal lena shuru ho gaya tha.
Julia : Ahhh!! M-Miss!? You are still like that? Please! Get changed! How many times I've told you to~
Kaera : Huh? What?
Julia : Young Master has come! How can you!?
Kaera : So? What is it?
Kaera ki samajh me nahi aaya ki Julia uske aise kapdo par itna kyu bhadak rahi thi bhala? Veer hi toh aaya tha. Toh kapdo me kya dikkat thi?
Woh ye nahi samajh paa rahi thi ki Veer ek mard hote hue usse uss haalat me dekh raha tha. Jo ki normal behaviour nahi tha. Aur yahi Julia batlaane ki koshish kar rahi thi.
Par bechaari Kaera!! Kese samajhti itni sii baat bhala? Emotions jo nahi feel kar paati thi. Veer ke saamne sharam kya thi usse pata nahi tha. Aur ye baat Veer ne jese hi realise kii. Uska dil ro utha.
'Kya kuch bhi nahi kar sakta mein Kaera ke liye!? Kya kuch nahi kar sakta? Kab tak iss bechari ko iss qadar dekhta rahunga mein Pari? Kab tak? Ab mujhse aur dekha nahi jaata. I want to do something for her! Koi toh aisa tareeqa hoga jis se-'
Aur jese system ne bhi Veer ke mann ki baat sunn lii, kyuki agle hi shan,
*Ding*
[Mission : Reawaken Kaera.
Time limit : 1 month.
Rewards : ??? Points.
Mission failure penalty :
1) Kaera will never get her emotions back.
2) Losing Kaera.]
Mission padhte hi Veer ki mutthi dridhta me kass gayi. Penalty kya thi? Kaera kabhi bhi apne emotions ko waapas paa nahi sakegi agar mission fail hua toh?
Hargiz nahi! Veer ne khud ke mann me thaana. Woh aisa hargiz nahi hone dega. 1 mahine ke andar usse Kaera ko waapas se pehle jesa karna tha. Par sawaal tha.
Kaise?
Julia : Young Miss Please! Come with me and get changed.
Julia jabardasti usse ghaseet ke andar leke gayi aur usse taiyaar kar ke baahar laayi.
Kaera : Have a seat! Veer!
Iss baar woh kaali dress me thi. Usne Veer ko dekha aur ek tanj kassa,
Kaera : Tum Las Vegas gaye the!
Veer : Well! Yes!
Kaera : Kyu?
Veer : Kuch kaam th-
Kaera : Suhana ke saath gaye the jaha tumhari mulaqaat Ava se hui.
Uske tapaak se bolne par Veer hairat me reh gaya. Bhala Kaera ko iski khabar kese lagi?
Veer : Hmm!
Kaera : Business related work tha. Right?
Veer : Right!
Kaera : Kya seekha waha? One week se bhi zyada derr tak ruke the tum waha. So? What have you learnt?
Veer : Business ko aage kese badhaaya jaaye. I'm thinking of investing.
Kaera : Itne dino tak bas yahi seekha?
Veer : Y-Yeah! Kinda...!
Kaera : Toh Suhana hospital me kyu hai?
Ye sawal sunte hi Veer samajh gaya tha ki Kaera ka information collect karne ka connection kitna strong tha. Aur woh bas jaan boojh ke uss se ye sawaal kar rahi thi. Pata toh usse pehle se hi sab tha.
Veer : Why waste time? When you know everything!
Kaera (frowns) : You should let me know where you are going!
Veer : And why?
Kaera : Because...!
Aur iss baar woh maun reh gayi. Veer usse ye sab kyu bataaye ki woh kaha jaa raha hai, kya kar raha hai, kis se mil raha hai!?
Kaera hoti kaun thi uss se ye sab jaan'ne waali? Yahi baat woh Kaera ke muh se sunn'na chaahta tha. Par Kaera maun reh gayi. Kese bataati? Veer ke prati uski feelings andar toh thi par zubaan par samjhaane ke liye shabd nahi aa rahe the.
Julia : Young Miss! Young Master! Tea is here!
Julia itne me ek serving trolley me chai ke cups lete hue aayi aur unn dono ko dii.
Kaera ki jaha green tea thi toh wahi Veer ki normal milk tea.
Aur chai ki chuski lete lete Kaera fir ek baar usse dekhi,
Kaera : Karan ne bataya tum invest karna chaahte ho. You are thinking of a hotel?
Veer : Hmm!
Kaera : Do you want me to invest?
Veer : Kya ye possible hai?
Kaera (smiles) : Of course! No one can restrict me.
Veer : Toh? Conditions kya rahengi?
Kaera : Mein ek shareholder rahungi. I will invest. In return, mujhe annually 10% chaahiye from whatever will be the maximum earning. Aur dusri condition...!
Veer : !!??
Kaera : You will teach me different things. Lekin iss baar ye agreement official hoga. A signed contract. Do you agree?
Veer : I agree!
Veer ne bina kuch kahe hi haan keh dii. Kyuki khone laayak usme aisa kuch bhi nahi tha.
Kaera : Alright! Pehle decide karo ki kya karna hai. Agar scratch se hotel banana chaahte ho, then look for a place. Warna kisi forfeited hotel ko khareed ko changes kar sakte ho. Decide on that first. And then we'll sign the contract.
Veer ne firse haami bhari aur kuch idhar udhar ki baatein kar woh waha se nikal gaya. Neeche tak usse Julia hi chorrne aayi.
Jab woh waapas Kaera ke floor par gayi toh usne dekha ki uski Miss haath me ek kitaab pakde bade dhyaan se usse padhne me lagi hui thi.
Par kitaab ka naam padh Julia ka ka maan firse maayus ho utha.
Kitaab ka naam tha~
What is friendship?
***
Veer udhar se nikal ghar ki orr jaa raha tha jab Ragini ka call aaya aur usne Veer ko kuch samaan laane ki zimmedaari saup dii.
Market me jaa kar jab Veer samaan khareed ke lauta toh ek khubsoorat sii ladki uski orr achanak hi aa dhamki.
Ladki : Sir! Kya aapke paas 2 minute ka samay hai.
Veer : Hmm!
Ladki : Ye aapke liye.
Achanak hi uss ladki ne Veer ko ek card thamaaya,
Ladki : Woh waha Paradise hotel ki taraf se aapko ye lucky pass mila hai.
Veer : Hmm?
Ladki : Actually, hotel harr saal 3 pass banaati hai. For lucky customers. Inhe randomly hi kisi ko bhi diya jaata hai. Jisse mil jaaye. Aap teesre aur akhiri customer hai. Please! Isse accept kariye aur hotel me jaake dikhayega. Woh aapko entry turant de denge.
Veer : Ohhh! Aur fir?
Ladki : Ek kamaal ka night stay Sir! Saath hi lazeez khaana. Entertainment aur full on drinks. Koi limit nahi. Sirf ek night ke liye.
Veer : So no charge?
Ladki : Y-Yes! Free of cost hai sab Sir!
Veer (smiles) : Alright Thank you!
Ladki (smiles) : You are welcome!
Woh ladki palti aur fudakte hue waha se jaane lagi par uski muskaan turant hi hatt ke ek shaitaani muskuraahat me tabdeel ho gayi.
'Mera kaam ho gaya! Sorry boy! Mujhe nahi pata tumhare saath kya hoga. But that's not my problem!'
Woh sochte hue nikal gayi.
Idhar uske jaate hi Veer ke chehre par jo smile thi woh gaayab ho gayi.
Woh toh pehle hi check kar ke baitha hua tha usse. Aur upar se,
*Ding*
[Mission : Turn the tides.
Time Limit : 2 hours.
Rewards : ??? Points.
Mission failure penalty :
1) Losing Nidhi and Juhi
2) 10,000 Points deduction.
Location : Paradise Hotel.]
Mission padhte hi uske daant gusse ke maare aapas me pisne lage.
Losing Nidhi and Juhi? Never!
Aur woh tezz qadmo ke saath Paradise hotel ki orr chal diya. Andar ghuste hi jese hi usne pass dikhaaya, uska fauran hi aadar satkaar ke saath swaagat kiya gaya.
Ye sab kuch, ek dhong tha.
Veer ko khaana peena khilwa ke ek aalishaan room me enter karvaaya gaya. Agar Veer pehle ki tarah bina system ke hota toh aaj pakke se apna muh kaala karwa ke yaha se jaata.
Par ab? Sawaal hi paida nahi hota.
Jald hi uske room me teen khubsoorat ladkiya bhijwaayi gayi. Aur room ki landline par usse call aaya jisme usse enjoy karne ke liye kaha gaya.
Aur dekhte hi dekhte,
Veer ke ird gird ladkiya usse rujhaane me lagi hui thi. Aise handsome naujavan bohut hi kam unke haath lagte the. Aaj toh jese unn teeno ladkiyo ki chaandi ho chuki thi. Paise toh pehle hi unhe de diye gaye the. Woh teeno hi Veer ke sang raate rangeen karne ke liye taiyaar thi.
Yaha tak ki Veer ki shirt bhi ab tak utar chuki thi. Aur unn teen me se do toh uske seene ko choomne bhi lagi. Jagah jagah uski chaathi par lipstick bhari kisses ke nishaan dene par aatur ho gayi.
*Muaaaaahhhhhh*
*Muaaaaahhhhhh*
*Slurrrppppp*
"Mmmmm~"
"Fufu~ Tum kitne handsome ho~ Meri saasein tezz ho rahi hai jaanu! Mehsoos karke dekho na!"
Kehte hue ek ladki ne Veer ka haath pakad apni mast sudol chuchhi par dabwaaya.
"Aaj ki raat hum teeno tumhe woh maza dengi jisse tum saari zindagi bhula nahi paoge baby~"
*Puch*
Dusri uske gaal ko choomte hue boli.
Par Veer khamosh tha. Uske mann me kuch aur hi chal raha tha.
Veer : Tum teeno! Zara idhar hi ruko!
Kehte hue jab woh uth ke jaane laga toh ladkiya naraaz hote hue uska haath pakad usse manaane ki koshish karne lagi.
"Mat jao na Raja~"
"Kidhar jaa rahe ho hume chorr kar? Hum teen hasinaaye tumhare liye hi hai yaha babu~"
"Itna kya sharmaana baby~!? Aao na darling! Hehe~"
Veer : Nothing much! Bas ek gehri saas lene balcony me jaa raha hu. Abhi aata hu.
"P-Par~"
"Accha theek hai! Jaldi jao! Par ab aur na tadpao!"
"Abhi saari sharam utaar denge tumhari fufufu~"
Woh teeno aapas me Veer ke sharmaane par khil-khila kar hassi. Veer muskuraate hue apne kamre ki balcony ke gate ko khola aur baahar gaya.
Usne baahar aate hue balcony ke gate ko ahista se band kiya aur,
*Whooooosssshhhhh*
Uska haath agle hi pal tezz raftaar se badh bagal me latke parde ki orr gaya,
"H-Haaahhh!!?"
Parda hatt'te hi uske andar se ek aadmi saamne dikhaayi pada. Veer ke achanak hamle se uss aadmi ki gaand phat gayi. Ye ladka toh andar tha. Achanak se baahar balcony me kese aa gaya?
"Gwaaakhhhhh~"
Ek mazboot haath apne panje felaate hue fir turant hi uske gale par aake jhapta. Uss aadmi ka saas lena hi mushqil ho gaya. Aisa laga jese ek pinchis ne chote se screw ko jakad liya ho.
Aur kabhi bhi ghoom ke tod marod ke alag kar de. Woh aadmi apne kaanpte hue perro ko roka par koi fayda nahi.
Andhere me uske saamne do laalam laal aankhein uski rooh me jhaakte hue dekh rahi thi.
"Tu khud batayega ya mein dusre dhang se puchu?"
Veer ki shaant par jhakjhor kar rakh dene waali bhayanak awaaz sunn uss aadmi ke perr aur ladkhada gaye. Woh khaali Veer ki pakad se jaan gaya tha ki iss ladke ke saamne uska koi match hi nahi tha.
"B-Bataata hu!", Usne kaapte hue jawaab diya.
Idhar Veer ke mann me alag alag notifications ki dhun lag gayi,
*Ding*
[Basic Enemy Tracker was able to locate the enemy.]
*Ding*
[Basic Enemy Tracker is now deactivated. No more enemies were detected.]
*Ding*
[Map path will close now.]
Parantu, Veer ka dhyaan inn maamuli notifications par tha hi nahi. Uska poora dhyaan toh saamne khade iss chutiye par tha.
"Jaldi bol!!!!" Usne punaah gurraate hue kaha toh woh vyakti aur darr gaya.
"Huuuu~ M-Mujhe maaf kar do! M-Mujhe paise diye gaye hai. M-Mujhe nahi pata woh kaun hai. Usne apna naam galat bataaya tha. P-Par mene chupke se uska asli naam pata kar liya."
*Chataaakkkkkkk*
"Toh bata jaldi!!!!" Veer ne ek laafa usse raseed ke diya toh uss aadmi ka kaan hi jhanna gaya.
"U-Uska naam Rajat hai. M-Mene khud uske purse me rakhi ID me dekha tha. Huuuuu~ M-Mujhe jaane do! Mein haath jodta hu. Perr padta hu."
Naam sunte hi Veer ki aankho me gussa saaf jhalka. Bechaare aadmi ki gaand aur bhi zyada phat gayi. Woh mann hi mann Rajat ko gaaliya dene laga. Ki akhir kis chutiye ke kaam me fass gaya bhala woh? Iss se accha toh ande bech ke paise kama leta roz ki tarah.
"Poori baat bata!!!" Veer fir gurraaya.
Aur majbooran, sehme hue vyakti ne fauran hi poora gud gobar kar diya. Saari baat ugal ke rakh dii.
"W-Woh aadmi! W-Woh aadmi tumhe fassana chaahta hai. Kamre me ek camera laga hai. Woh...! Woh issi hotel me kisi kamre me baith ke sab kuch dekh raha hai. A-Abhi tum yaha aaye ho toh zaroor woh pareshan ho raha hoga. A-Abhi uska phone aayega jese hi tum wapas kamre me jaoge toh."
Apni aankho ko band kar Veer ne apna gussa shaant karna chaaha! Kya hi plan banaaya tha iss Rajat ke bacche ne.
"Hmm! Aur fir? Fir kya karega?"
"F-Fir? M-Mujhe nahi pata! Par... Par camera lagaya hai toh zaroor recording...! M-Mera koi dosh nahi hai. M-Mujhe maaf kardoooo~"
Veer ka maatha aur bhi zyada thanak gaya, gusse me usne apni aankhein fir band kari,
[Master~ Be calm! Focus on Sigma instincts. Please~]
Pari ki baat maan antatah usne wahi kiya. Jis naam ki usse umeed thi wahi naam saamne aaya. Rajat! Chalo! Accha hi tha. Wese bhi Veer uske hi peeche laga hua tha. Aur yaha Rajat ne khud ko thaal me paros ke Veer ke saamne apne aap ko rakh diya tha.
Ab Veer annya ka apmaan kare? Aisa toh ho nahi sakta tha? Woh acchi tarah se Rajat ko kaccha chabaane waala tha.
Las Vegas me Nightwalker, Pitcher jeso se woh bhid ke abhi haal hi me aaya tha. Aur ye ek chutiya Rajat usse dum dene par tula hua tha. Ab jab shaant mann se usne aisa socha toh usse khud par hi hassi aa gayi.
Ek jhaatu! Ek jhaatu usse hilaane ke sapne dekh raha tha aur shadiyantra rach raha tha.
There wasn't any need to restrain himself!
Veer ne apne aap se kaha. Aur uski aankhein firse khuli, par iss baar woh laal nahi thi. Unme itni gehraayi thi ki woh aadmi zyada derr Veer ki aankho me na jhaak saka.
*Swiiiirrrrllllllll*
Parde ki rod se parda fadfad karke nikla aur Veer ne uss aadmi ko parde se poora baandh daala.
"Uuummphhh~!!????"
Uske muh me bhi parda lipta diya Veer ne. Aur agle hi shan,
"Uuuunnnrrrrrmmmphhhhh!!!???"
Uss aadmi ko ek second me apne saamne jese swarg dikhayi de gaya. Kyuki Veer ne usse railing se jo palta diya,
Kamar se bandha woh banda, railing par parde ke zariye latak raha tha. Floor first thi, aur neeche bas kabaad ka dherr.
Haath perr aur muh bhi bandhe hue the. Agar yaha se gira toh haath perr me se kuch na kuch toh tootna hi tha.
Aur ab woh pacchta raha tha. Par ab pachhtaaye kya hott jab chidiya chug gayi khet?
Veer ne Sigma par focus kar apne gusse ko shaant zaroor kiya tha. Par ek cheez uske andar ab bhi barkaraar thi. Aur woh thi,
Ruthlessness!
Jo stronger Alpha Instincts ka nateeja tha. Par ussi ke sang ab ek aur cheez jud gayi thi. Aur woh thi, Sigma Instincts ki,
Calmness!
[That's it Master~ Aapko aise hi karna hai. You don't have to become a hot-headed bull. But a calculated beast!]
*Click*
Balcony ka darwaza khula aur Veer apni wahi saumya muskaan liye andar aaya.
Teeno ladkiya usse dekh firse khush ho gayi. Par unhe kya pata tha ki abhi abhi balcony ke baahar kya hua tha. Agar teeno ne Veer ka woh roop dekha hota toh teeno ki rooh kaanp uthati.
'Iska matlab woh yahi kahi hotel me hai. Pari?'
*Ding*
[Beowulf's blessings has been activated.]
"R-Raja kaha jaa rahe ho?"
Veer muskuraaya aur dheere se bola, "On a funeral!"
*Slam*
Darwaaza khula aur woh baahar nikal gaya.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Kaafi samay baad lauta hu. Jaanta hu. Par halaat hi aise the. Waapas se lay me aane ke liye samay lagega. Toh saath bane rahiyega. Iss update se harr ek update interesting hai. Toh harr baar ki tarah likes thokne ka aur apne revos rakhne ka guys. Btw, iss update ki length around 4.2k words hai.
Dhanyavaad!
Chalo maan li aap ki baat gnArre so jao bhai. Tabhi toh kal update padh paoge.