• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,426 82.9%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 27 1.6%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 231 13.4%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 36 2.1%

  • Total voters
    1,720

Werewolf

ℌ𝔲𝔫𝔱𝔢𝔯
Supreme
16,323
110,285
259

Raj

Well-Known Member
4,588
15,507
158
Update 135 ~ Speak to me!

Ab tak...

“Rango ka mishran hai crimson.
Khoon ka rang hai crimson.
Mujhse kismat bhi haarti hai sweetie,
Kyuki mein hi hu Crimson!!”

Ladki (smiles) : Ab aage?

Crimson (smiles) : Aage kya ab sweetie. Mera shikaar… Aa chuka hai.


Ab aage...

Charles de gaulle Airport
Paris, France.


Raat 12:30 ke aas-paas ka samay tha. Veer apni destination par pohuch chuka tha. City of love ~ Paris. France ki iss adhbhut city me uske aane ki ekmaatr wajah uske bagal se chal rahi ye khubsoorat haseena thi.

Ava!!!

Message Ava ka hi aaya tha usse. Veer ko yaha aata dekh Ava khud bhi hairat me thi. Usse nahi laga tha ki Veer uske ek bulaave par aa jayega.

Veer : Toh? Kuch explain karengi aap?

Usne Ava ke bagal se chalte hue pucha. Airport ekdum khaali tha isliye Ava chehre par mask nahi lagaayi thi. Warna media ki bharmaar ho jaati.

Par Ava toh jaise abhi bolne ke mood me hi nahi thi. Woh tezz qadmo ke saath aage badhte jaa rahi thi. Usse khamosh dekh Veer ne dobaara prashn nahi kiya.

Baahar nikal Ava ne Veer ko apni luxury car me bithaaya aur khud driver seat par baith gayi.

Dono jald hi waha se nikle aur kuch hi derr me woh ab ek prakaar ke kisi set ke baahar the.

‘Hmm? Film set?’

[No Master! Ava actress nahi hai. Singer hai. Ho sakta hai ye video shoot ke liye set ho.]

Pari ki baat se Veer sehmat tha. Ava ko dekh ke lagta nahi ki woh acting profession me abhi qadam rakhne waali thi.

Ava : Come!

Usne ishaara kar car se utar Veer ko bulaaya. Veer uske peeche peeche chal diya.

Jald hi woh dono ek vanity van ke paas pohuche toh wahi khada ek guard aage badh unke paas aaya,

Guard : Miss? He is-!?

Ava : He’s my guest. He will be staying with me.

Guard : But Miss it’s against the-

Ava (glares) : I told you right? HE IS STAYING WITH ME! Any questions?

Guard : N-No-!

Guard agle hi pal sarr jhuka ke side ho gaya. Vanity van ka gate khol Ava andar ghusi aur Veer ko aane ko boli. Andar jaate jaate Veer ne dekha ki woh guard kaise gusse se usse ghoor raha tha.

Ghoore bhi kyu na? Ava jaisi god-level celebrity kisi mard ko apne aas-paas bhatakne tak nahi deti thi. Aur abhi woh Veer, ek jawan ladke ko apne saath vanity van ke andar le jaa rahi thi?

Kaise yakeen kar le woh? Aur ye privacy rules ke bhi against tha. Par Vanity van Ava ki hi thi. Sab kuch yaha jo ho raha tha woh uski mukhya paatr thi. Guard chaah ke bhi iss maamle me apni taang nahi ada saka.

Woh chaahta toh abhi ek pic leke news viral kar deta. Ava ko fir iska saamna karna padta. Lekin aise me guard ki apni naukri hi chali jaati. Behtar tha shaant raha jaaye.

*Click*

Gate band hua aur andar aate hi Ava ne ek raahat ki saans lete hue apna handbag sofe par patak diya.

Andar ghuste hi Veer sabse pehle toh taajub ho utha. Ye vanity van thi?


R

‘Such luxury!!’

[I agree!]

Agar ye ayyaashi nahi thi toh kya thi?

Ava ne jaise uske khayaal padh liye. Woh sofe par baithate hue muskura ke usse dekhi,

Ava : Do you like it?

Veer : Like it? I love it! Aisi van me insaan 24 ghante reh jaaye. Baahar hi na nikle. Van nahi, ye chalta firta mini ghar hai.

Veer ki utsukta dekh woh khush thi. Par agle hi shan uske hontho se muskaan gaayab ho gayi aur chehre par maayusi chhaa gayi. Woh khidki se baahar dekhte hue boli.

Ava : Sirf chand lamho ki khushi rehti hai Veer!

Veer shaant baithe Ava ke haav bhaav dekhta raha. Uske liye ye sab paisa, ayyaashi nayi thi. Parantu, yahi baat Ava, Kaera, Sonia, Suhana jaisi ladkiyo par laagu nahi hoti thi.

Unke liye jaise ye aam zindagi thi. Aisi zindagi jisme zyada koi excitement nahi tha.

Veer : Well? Kya keemat hogi iski lagbhag? You have any idea?

Ava : Agar tumhare Rupee me convert kare toh around 25 crores.

Keemat sunn Veer ne apni collor adjust ki aur niwala nigla.

Ava : I have a few more.

Veer : A-A few more-!?

Ava : How about this? Agar tum meri help karte ho. Toh mein tumhe ye ek gift kar dungi. Of course, ye extra gift rahega.

Koi bhi agar Veer ki jagah hota toh ye offer ek baar me sweekar kar leta. Payment ki payment toh mil hi rahi thi, saath me 25 crore ki ek vanity van?

Bhala aisa offer kaise thukraya jaa sakta hai?

Par Veer muskuraaya aur usne apna sarr naa me hilaaya.

Veer : Offer accha hai Miss Ava.

Ava (frowns) : It's Nat! Not Ava!

Veer : Hmm! Toh Miss Nat, offer waqai accha hai. But sorry!

Ava : Huh?

Veer : Mein ye van khud khareedunga apni. I don't need it as a gift.

Woh ab khud kama raha tha. Usse ab iss tarah se kisi se cheezein lene ki zaroorat nahi thi. Agar usse van pasand thi toh woh khud apne paiso se usse le lega ek din.

Ava : O-Ohh!? Matlab tum meri help ke liye ready ho?

Veer (smiles) : Of course! Itna lamba safar kar ke mein bhala yaha tak kyu aaunga nahi toh!?

Ava : Right!

Veer : But first…! You'll have to answer some of my questions.

Ava (nods) : Go on!

Veer : Why me?

Ava : Huh?

Veer : Mein hi kyu? Tamaam log hai jo aapki madad kar sakte hai fir aapne mujh jaise ek college student ko kyu choose kiya?

Ava (sighs) : It's because I have no one else.

Veer : Hmm?

Ava : Mene Divya ko call kiya tha. Socha tha last time ki tarah wo meri help kar degi. But wo last case ko hi lekar busy hai.

Veer : I see!

Ava : Fir mujhe tumhara dhyaan aaya. Mujhe pata tha ki last case ko tumne hi solve kiya tha. Divya se mene Pitcher, Nightwalker jaise high-level criminals ke baare me jaan liya tha.

Veer : Ohh?

Ava : Hmm! Mujhe laga ki agar tum unhe solve kar sakte ho. Then surely tum meri help kar paoge.

Veer (smiles) : Par aapko nahi lagta ki aap mujh jaise ek student ko bula ke yaha uski jaan khatre me daal rahi ho? Hmm?

Veer ki baat par iss baar Ava chinta me aa gayi aur nazre churaane lagi,

Ava : I- I know! I know it's risky. Lekin mein tumhari safety ka poora dhyaan rakhungi. Mene bodyguards ko hire kiya yai. Security hire ki hai. Wo tumhare saath me rahenge. Tumhaare orders maanenge.

Veer : Ohh!

Ava : Yes! Tumhe bas…! Usse pakadna hai jo mere peeche pada hai. I believe tum ye kar sakte ho. Vegas me tumne ye kiya tha. You are my last hope!

Veer ne dekha kaise hamesha attitude me rehne waali ye singer aaj kitni chinta me thi. Ava ko usne iss tarah pehle kabhi nahi dekha tha. Uska confidence hamesha sky-high rehta tha.

Lekin aaj woh ghabrayi hui thi.

Veer : Police kyu nahi?

Ava : Tum iska answer jaate ho Veer!

Veer ne ek gehri saans lii. Woh waqai jaanta tha. Akhiri baar bhi Ava ne uss waqt Police ko involve karne se mana kiya tha.

Police ka involvement matlab case public hona. Na sirf fir ye khabar media me felti, balki reporters rai ka pahaad bana ke iski galat afwaah bhi felaane lagte. Jiske chalte Ava ki image media par bigadne lagti.

Ye qadam uske badhte fame par keechad uchhaal jaata.

Veer : Toh security aur bodyguards ka kya? Kya wo aapki madad nahi kar paaye?

Ava : Agar wo successful ho gaye hote toh mein tumhe yaha kyu bulaati Veer?

Veer : I see!

Ava : Mere upar attack hua tha.

Veer : What?

Ava (nods) : Koi hai jo mujhe kidnap karna chahta hai. Uska iraada kidnap karna hai ya mujhe maarna, ye mein abhi nahi jaanti.

Veer : No no! Wait! Kya kaha? Kidnapping? Aap itni surety se kaise keh sakti ho?

Ava : Because I was attacked Veer. Fortunately, mein security ki help se bach nikli. Isliye uske turant baad mene tumse request karna theek samjha.

Veer : That's…!

Ava : Isliye wo baahar guard tumhe dekh ke itna alert ho gaya tha. I'm sorry. Uski taraf se-

Veer : No no! It's alright. Mujhe kaafi kuch clear ho gaya hai.

Ava : Hmm!

Veer : Wese aap toh Vegas me thi na? Aapki mom?

Ava : Unhe mene yahi shift kar diya hai. Unhe mein akela kaise chorr sakti hu. Paris me mera tour lamba hai. Ye bahar laga set dekh rahe ho?

Veer : Yeah!

Ava : Kal mere new music video ki last shooting hai yaha.

Veer : Wow! Congrats I guess!?

Ava (smiles) : Thank you!

Veer : Kaafi busy schedule hai.

Ava : Yes! Uske baad mera night me yaha concert bhi hai.

Veer : Well that's good!

Ava : T-Toh!? Tumhara answer? You're helping me right?

Veer kuch shan tak shaant raha. Fir Ava ko dekh bola,

Veer : Fine! I agree!

Veer ki haami sunte hi Ava ki khushi ka thikana na raha. Uske chehre par raahat saaf jhalak rahi thi.

Laga jaise kayi raato se wo bechain thi aur aaj kisi ne uski orr madad ka haath badha diya ho.

Ava : Thank you! Charlotte ki tarah mein bhi kisi ka shikaar nahi hona chaahti. I'll be in your care then.

Charlotte ka naam sunn ke Veer ko yaad aaya. Ye toh wahi young talented singer thi jo Pitcher ki Mithridatism practice ki ek shikaar ho gayi thi. Ava ki dost thi woh.

Bechaari zeher ke zariye maari gayi thi. Veer dekh paa raha tha ki Ava iss maamle ko leke bohut hi bhay me thi.

Maamla kaafi pechida tha matlab.

Veer yaha jaan boojh ke aaya tha. Anjaan shaks se ladne ke liye usse sabse zyada points ki zaroorat thi. Aur iss se behtar opportunity kya ho sakti thi uske liye?

Usse umeed thi ki jald hi usse missions milenge aur unke zariye woh points bhi ikhatta kar payega. Kyuki haal hi me usne 5000 points gawaaye the.

Woh apni jagah se utha aur usne saamne rakhe jug se paani glass me nikaal ke Ava ki orr badhaaya.

Par Ava apni nazre ferr chinta me doob gayi.

[Iss Ice princess ke dil me jagah banaane ke liye aapko mehnat karni hogi. Her favourability towards you is only 32.]

Veer ne bura nahi maana. Usne glass saamne table pe rakha aur mud ke woh baahar jaane laga.

Ava : Where are you going?

Veer : I have a duty now. Duty to protect you. Yayi bahar hi rahunga. Hope aap mere samaan ka khayal rakhengi.

Apna suitcase wahi chorr usne darwaza khola.

Ava : Y-Yes sure! But tum thake hue hoge aur-

Par Veer uski baat sunn'ne ke liye ruka hi nahi.

*Thud*

Darwaza band kar woh baahar chala gaya.

Ava andar baithi ek soch me pad gayi. Aur saamne glass ko dekhti rahi.

***

Idhar baahar aate hi Veer ne guard ko bataya ki woh bhi ek bodyguard ki hi tarah hai, toh guard bhi thoda ab uske prati narm ho gaya.

'Pari! Mere stats dikhao.'

[Ye rahe Master.]

*Ding*


IMG-20230221-193641

Veer ke saamne uske stats aa gaye.

'Hmm! Aur mere paas points kitne hai?'

[Aapke paas 15,692 points baaki hai Master.]

'Hmm!'

[Well! Pehle 19,692 points the. Fir aapne woh skill purchase kii toh aapke 5000 points deduct ho gaye. Fir Ragini Bhabhi ke saath elope karne ke aapko 1000 points aur mile.]

'I see! Aur stat ke ek point ko badhaane ke liye mujhe-'

[50 points Master. 1 point badhaane ke liye aapko 50 invest karne honge.]

'Tch! System mujhe loot raha hai sach me.'

[Aage ye aur mehnga ho jayega. It's better to invest beforehand.]

'Tum sahi ho Pari. Miss Ava ki situation ke hisaab se, Strength, Intelligence pe mujhe focus karna chahiye. Right?'

[Basically, abhi appearance ko chodh ke aap saare stats me invest kar sakte ho. Also, Master…!]

'Hmm?'

[Ab aapko ek Advanced Martial Arts skill le leni chahiye. Usse perfection par laane ke liye bhi aapko time lagega. Iss se better time nahi ho sakta.]

'Right! Please! Purchase it for me Pari.'

[At you service Master.]

*Ding*

[Advanced Martial Arts skill is available now.]

[8000 points have been deducted.]

[You are now left with 7692 Points.]

'Dil me dard ho raha hai points ko jaate dekh. Kitni mehnat se mene ye collect kiye the Pari.'

[Ye Gold-tier skill hai Master. Pehle waali Silver-tier thi. Mehngi toh hogi hi.]

'Gold-tier ke baad bhi koi tier hai?'

[Yes! Diamond-tier.]

'Tab toh mujhe Diamond-tier skill purchase karni chahiye thi na?'

[No Master! They are trash!]

'What????'

[No! I mean-! Listen! Aap wese bhi directly Diamond-tier skill nahi le sakte. Aapko pehle ye Gold-tier skill ko seekhna hoga.]

'Woh mein samjha. Lekin tumne trash kyu kaha? Gold-tier se behtar Diamond-tier hai toh woh trash kaise ho sakti hai?'

[Skill kharab nahi hai Master. Mere kehne ka matlab tha ki uspe points waste karna bewakoofi hai. Woh bohut zyada mehangi hoti hai.]

'Well~'

[Listen! Mein aapko ek hack batati hu.]

'Huh?'

[Diamond-tier skill se better Legendary Skills hoti hai. Seer vision aur Sylvia's Venom cure yaad hai na aapko?]

'Mujhe yaad hai. Unke baare me kaise bhul sakta hu.'

[Woh dono Legendary Skills thi. Diamond-tier skills ke upar hoti hai ye. Par ye mission ke through hi milti hai. Toh mera kehna ye hai ki jab best cheez available hai. Toh uss se neeche ki cheez kyu le hum?]

Veer muskuraaya.

'Samajh gaya meri Pari. Samajh gaya! Gold-tier skills utni costly nahi hoti isliye unpe kharcha karna sahi hai. Par Diamond-tier expensive hoti hai aur unpe kharcha karna efficient nahi hai. Iss se accha hai ki seedhe fir Legendary skills ko hi target kiya jaaye. Yahi na?'

[Exactly Master! See? Aap kitni jaldi samajh gaye.]

'Ab stats ko bhi dekh le zara hum?'

[Kyu nahi! Kahiye! Kispe invest karna hai?]

'Strength ko 120 se 140 pe kardo Pari.'

*Ding*

[1000 points have been deducted.]

[You are now left with 6692 Points.]

'Intelligence ko 130 se 150 pe kardo.'

*Ding*

[1000 points have been deducted.]

[You are now left with 5692 points.]

'Ye mehngayi!!'

[Anything else?]

'Endurance aur Agility. Dono ko 120 se 140 pe kardo.'

*Ding*

[2000 points have been deducted.]

[All done Master. Ye rahe aapke new stats.]


IMG-20230221-205153

Veer results se khush tha. Par bache hue points uske dil par chot kar rahe the.

'I hope mujhe yaha kam se kam enough missions mil jaaye.'

***

Raat guzri aur naya din hua. Aaj Ava ka yaha par akhiri shoot tha.

Veer subaah se hi uske ird-gird ghoomta raha.

Logo ko usne check kiya, par kahi koi gadbad dikhayi na di usse.

Iss waqt bhi woh dur khada hua tha.

Clapperboard waale ne board clap kiya, aur shooting shuru ho gayi.

Alag alag angles se shoot ko record kiya jaa raha tha. Veer Ava ke dance steps dekh uski sundarta me khoya hua tha.

Soch raha tha ki inn teeno dosto me, bhala inki kya alag kahani rahi hogi?

Inhone bhi kitne kasht sahe honge. Pita ka saath nahi raha. Maa jeevit hote hue bhi coma me hai.

Puraane dosto se berr ho gayi hai. Kisi se koi touch na raha.

Ab jab woh Ava ki sthiti ko gaur kar raha tha toh usse andaaza hua ki bechari Ava toh aur bhi zyada sehen kar rahi thi.

Woh akeli thi.

Kaera ke liye kam se kam uska chhota bhai, Raghu, Jassi, Julia aur Kishor toh the. Bhale hi Kishor ka ek bohut bada haath tha Kaera ke emotions jaane me.

Par kam se kam woh apni beti ki hifaazat toh kiye hue tha.

Sonia ke paas Suhana jaisi behan thi, ameer maa-baap aur Prakash Uncle jaise loyal supporters.

Par Ava ke paas? Uske ird-gird toh koi bhi nahi tha. Woh poori tarah se akeli thi.

Ye security, ye bodyguards par woh bharosa kaise kar sakti thi.

Akele hi usne itna paisa aur itna fame banaaya. Kitni mehnat lagi hogi usse ye sab akele khada karne me.

Sabse badi baat thi ki usne abhi tak himmat nahi haari thi. Ab bhi woh apni maa ko apne saath leke chal rahi thi.

Shoot khatam hote hi Ava ek chair par baith gayi. Raat me hi uska concert bhi tha. Schedule itna tight tha ki usse saans lene tak ki fursat nahi mil rahi thi.

Baithate hi uski nazre Veer ko dhundhne lagi. Veer kahi nazar nahi aa raha tha. Ek bechaini uske seene me janm li,

Par tabhi uski nazar dur khade ek ladke par padi.

Veer ne usse dekh ek nod di. Aur agle hi pal Ava ke hontho par ek raahat ki muskaan saj gayi.


Naber-Bebi

Woh yahi tha!

[She's strong like you.]

Pari ki awaaz idhar Veer ke mann me aayi.

'I agree Pari! Miss Ava ki willpower behad strong hai.'

*Ding*

[Ava's favourability : 34]

'Ohh?'

[Mujhe laga aapko dikha du. Kya ice break ho rahi hai? Hmm?]

Veer bas muskuraaya.

'Mein bas teeno ko ek saath firse hassi khushi dekhna chaahta hu.'

Pari achanak hi maun reh gayi. Kuch derr baad woh boli,

[You are such a kind soul Master.]

Ava ka kaam khatam hote hi, woh set ke bagal se maujood hotel me upri floor par apne kamre me change karne chali gayi.

Abhi uska ek interview tha. Jo T.V par broadcast kiya jaane waala tha.

Veer uski vyastata dekh ke hi hairaan tha.

Ava ne usse free chodha hua tha toh woh hotel ko bhi bareeki se check kar raha tha. Filhaal koi gadbad nahi thi.

Woh abhi corridor me khada hi tha jab Ava usse aati hui nazar aayi.


Pehle toh usse dekh muskuraayi.

513047cf-26c6-4641-b5e2-16844f196588

Par fir uske bagal se usse hawa ki tarah ignore kar yu nikal gayi.

Hande-Er-el-GIF-Hande-Er-el-Discover-Share-GIFs-1

'Huh?'

Veer uski iss harqat ke baare me sochta ki tabhi usne dekha,

Dur jaati Ava lift ke saamne ruki aur usse dekh punaah muskuraayi.

Aur sharaarti dhang se usse haatho ki gun dikhaate hue uspe goli chalaayi.


Hande-Er-el-GIF

Khil-khila ke fir woh lift me chali gayi.

Idhar Veer uski iss harqat se stabdh reh gaya.

'Mujhe laga tha unhone mujhe ignore kar diya.'

[She was toying with you.]

'Kam se kam unke hontho pe pal bhar ke liye muskaan toh aayi. Dekh ke accha laga ki woh mere saath playful hai Pari.'

[Yes! Aap usse safe feel karwa rahe ho. Toh zaahir hai woh dheere dheere khulti jayegi.]

'Hmm!'

***


Night ~ 8:09 PM

Samay guzra aur Ava apne iss interview se bhi fursat ho chuki thi.

Woh Veer pe bharosa rakhi hui thi.

Uska concert shuru hone waala tha. In fact, shuru ho chuka tha parantu, woh 9 minute late thi.

Fatafat make-up artists dwaara woh taiyaar hui aur stage par chali gayi.

Itni bhaari tadaad me janta waha thi, jo shor macha macha ke Natalia ka naam chillaa rahi thi.

Log posters liye usse cheenkh cheenkh ke support kar rahe the.

"Natalia~ Natalia~ Natalia~"

"We love youuuu Natttt~"

"You're the bessstttt Natalia~"

Tamaam awaazo dwaara venue bheed se khacha-khach bhara hua tha.

VIP seats ke paas hi Veer maujood tha. Ek baar fir aaj woh Ava ka fame dekh hairat me reh gaya.

Ye kamaaya tha Ava ne. Akele!

Woh khud waha baith ke uski sureeli awaaz sunn'na chaahta tha. Par aisa karne ke liye uske paas waqt nahi tha.

'Pichli baar Divya aur Miss Suhana bhi thi. I really miss them. Na jaane kya kar rahi hongi woh dono.'

Veer ko woh raat yaad aa gayi jab woh unn dono ke sang pehli baar Ava ke concert aaya hua tha. Ussi raat ko usne Zoey ko bhi alvida kaha tha. Nightwalker mansion me Emma ke sang wahi toh dusri female survivor thi.

'Na jaane woh bhi kaha hogi. Did she make it?'

[Mujhe yakeen hai woh jald hi ek model banegi Master.]

'Hmm!'

Idhar stage pe Ava ne apne hazaaro fans ko dekh ek gehri saans lii. Shor apne aap hi fir shaant ho gaya.

Log uski mantra-mugdh kar dene waali awaaz sunn'ne ke liye bekaraar the.

Ava ke peeche kuch supporting singers bhi the jo uske gaaye jaane waale kuch hisso ko dohraane ke liye khade hue the.

Aur fir usne apni awaaz ka jaadu shuru kiya,


Thinkin' through on my way (my wayyy)
Never ever will concede right now (yeah)
Breakin' through from my chains (my chains)
Always thought, gonna succeed right now (yeah)

I'll be okayyy, that's what you said,
And I just blinked it like twice and you be gone!

Ridin' through waves, withering days,
Please make it happen to my place, I don't know what to say.


Speak to me!
Your body lying there.

Speak to me!

I don't know what to say.

Speak to me.
Your body lying there.

Speak to me!!!

Gaane ke bol sunte hi logo ki aankhein paani paani ho chali.

Janta, khaas kar ladkiya emotional ho uthi. Ava ki khud ki aankho se aasu beh rahe the. Woh apna poora shat pratishat de rahi thi. Doob chuki thi gaane me.

Aisa lag raha tha woh yaha ab hai hi nahi. Kisi aur realm me jaa chuki hai.

Janta ye samajh rahi thi ki Ava apne secret boyfriend ke liye ye emotional gaana gaa rahi thi.

Par Veer jaanta tha.

Uski bauhe peeda ke maare sikudi hui thi. Muh adh-khula tha.

Ye kaisa dard ho raha tha usse apne seene me Ava ko iss qadar dekh?

Woh chinta me usse dekh raha tha.

Jaanta tha ye gaana kiske liye tha.

Uski maa Grace Martin ke liye. Gaane ke shabd keh rahe the ki mujhse baatein karo. Tumhara shareer yu hi pada hua hai. Mujhse baatein karo.

Ye uski guhaar thi. Ki uski maa coma se uthe aur uss se baatein kare. Woh gaa ke bata rahi thi ki usne kin musibato ka saamna kiya hai uske hosh me na rehne se.

Veer apni nigaahein bhaari janta par firaa raha tha. Aur harr guzarte pal uske seene me ye dard badhta hi jaa raha tha.

Yaha khade ek ko bhi ye andaaza nahi tha ki ye gaana kiske liye tha. Sab apni mann-ghadan baatein hi maan rahe the.

Lekin woh jaanta tha. Jaanta tha ki Ava kitni peeda me thi iss waqt. Woh aasu uski maa ke liye the.

Veer ne apni mutthi kassi. Usne thaan liya tha ki kaise bhi kar ke woh Ava ko iss mushqil se nijaat dilayega.

Par woh ussi sheher me ho rahi baaki gatividhiyo se anjaan tha.

***


Park de Belleville
Night ~ 8:48 PM


Kuch kilometres ki hi duri par iss raat park ki ek lohe ki bench par do log baithe hue the.

Ek kaala aadmi jo suit pehna hua tha. Aur ek japani ladki jo ek business outfit me thi.

Dono ek dusre ko nahi dekh rahe the par baat ek dusre se hi kar rahe the.

Woh dono hi French the. France ki naagrikta praapt thi unhe. Aur french bhaasha me hi vartalaap kar rahe the.

"Terashima!!!" Aadmi ne kehna shuru kiya. "Hume aaj se hi active hona hai na?"

Terashima : Mene tumhe kitni baar kaha hai Chris. Dheeme bola karo. Aur mera naam Hana hai. Terashima mera surname hai.

Chris : Toh kya hua? Japanese me surnames se hi toh pehle bulaya jaata hai na? Mein toh tumhara hi culture follow kar raha hu.

Terashima: You-!! Forget it. Let's talk about the important matter.

Chris : Tumne sawaal ka jawaab nahi diya. Hume aaj se hi active hona hai na?

Terashima : Hmm! Par asli game hone ki expectations tum kal se hi rakho. But advanced me alert rehna bhi zaroori hai.

Chris : Hmm! Toh abhi?

Terashima : Abhi hume sirf orders follow karne hai. Then we'll act according to the situation.

Chris : Fine by me! I can't wait.

Terashima : Keep your composure. Ye important hone waala hai.

Chris : Yes! Yes!

***


American Hospital of Paris~
Night ~ 10:07 PM


maxresdefault-1

Sheher ek hi tha. Magar alag alag jagaho par alag alag ghatnaaye janm le rahi thi.

Hospital ki iss ek upri floor par khidki ke bagal se ek patient apne compartment me bistar par laiti hui thi.

Uski aankhein band thi. Chehre par koi bhaav nahi.

Uske shareer se judi kayi machines nirantar kaam kar rahi thi. Na jaane kab se woh iss avastha me padi hui thi.

Deen-duniya ki khabro se vanchit thi woh.

Parantu,

Woh bhale hi shaant mudra me laiti ho. Par uske aas paas sab kuch shaant nahi tha.

Hospital ke saamne waali hi building ke ek floor par ek aadmi smoke kar raha tha.

Uss building se hospital me laiti uss patient ko dekha jaa sakta tha.

Woh dheere dheere aage chal ke khidki ke paas aaya.


268949408987274736-GIF

Aur…!

'I have found you…! Grace Martin!!!'
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Yes! The song lyrics are written by me again. Ava ke do songs ki jhalak dekh li humne. Update consists of around 4k words. Kahani wapas se schedule par aa gayi hai apne. Toh apna apna kaam karke jaane ka. Likes thokne ka aur revos rakhne ka.

Dhanyavaad! ✨
BAHUT SHAANDAAR JABARDUST FABULOUS MIND BLOWING EXCELLENT MARVELLOUS AND INTERESTING UPDATE BHAI
 

Ek anjaan humsafar

Well-Known Member
2,901
4,003
143
Update - 134 ~ Crimson Festival
Ab tak…

Agle hi pal Tamanna haatho me wo roll liye bhaagi aur apni car me baith gayi. Palak jhapakte car bhi waha se ravaana ho gayi.

‘What the fuck!!’

Veer yaha confused hi tha jab uske phone par ek message aaya aur phone vibrate hua,

*Buzzzz*

Message padhte hi Veer ke maathe par chinta ki lakeere chhaa gayi.

Message me likha tha~

“I need you! ASAP!”


Ab aage :

Harr baar ki tarah aaj subah bhi Veer ke ghar me kohraam macha hua tha. Ab toh jaise Veer ko bhi aadat lag gayi thi. Iss shorgul ki aur saath hi saath-

Apna bag pack karne ki.

Packing? Kis liye? Packing isliye kyuki bulaava jo aa chuka tha usse. Par harr baar ki tarah dil bhi tootne the.

“Kyu Veer? Ab kaha? Tum ye baar baar kyu bhala-!?”

Ragini ki udaasi bhari awaaz uske kaano me peeche se padi.

Woh hall me hi sabke saamne packing kar raha tha aur sabhi ussi par nazre gadaaye hue the. Ragini ko dekh aisa laga jaise bechari abhi ro degi. Uske chehre ke haav bhaav padhna behad hi asaan tha. Aur Bhavna wahi kar bhi rahi thi. Upar se neeche tak Ragini ki harqato ko wo parakh rahi thi.

Woh chehre par chinta aur bechaini, aankho me ek bebasi, aur yu uske jee ka machalna. Bhavna ki aankho se kuch bhi chooth kar nahi jaa raha tha.

Ragini jab jab Veer ke qareeb aati, Veer kisi patang ki tarah dheel khaa ke aur dur udd jaata. Ye toh jaise ab harr baar ka hi ho gaya tha. Parantu, ab Veer unn sab ko kaise samjhaata? System aur anya raazo ko woh baahar aane nahi de sakta tha. Woh apni jagah majboor tha. Unn sab ko surakshit rakhne ki zimmedaari bhi toh uske hi sarr thi.

Veer : Bhabhi! Mein jald aa jaunga! Aap chinta mat kariye.

Usne fatafat suitcase me apne kuch kapde aur zaroori samaan daalte hue kaha. Par peeche khadi Ragini ko uski harr baat aur bechain kar rahi thi.

Tej : Par? Par ye achanak se Paris kyu Veer? Ek minute! Kahi tum uss secret love waali lady se toh nahi milne jaa rahe na?

Veer : Hein???

Bhavna : Secret love waali lady?

Apne bete ki love life se juda sawaal sunn, Bhavna ka badan seedha ho gaya. Aur na sirf uska balki Ragini bhi bauhe sikod usse dekhne lagi.

Tej : Aur kaun? Wahi lady jisne tumhe ye itni mehngi gaadi gift kii hai!

Apni behna ki baat sunte hue Veer hassa,

Veer : Haha~ Aisa kuch bhi nahi hai. Woh waha Vegas me hai. Ya shayad Mumbai laut bhi aayi ho. Paris me mein kisi aur kaam se jaa raha hu.

Tej (frowns) : Kis kaam se?

Veer : Business ke!

Tej : Kaisa business?

Veer (shrugs) : Business Teju dii!

Tej : Kis se business karne jaa rahe ho waha?

Veer : Client hai woh dii! Badi company ka. Zaahir hai ki kisi ek insaan se toh business karunga nahi? Company ke sang hi sambhav hai na ye?

Tej : Toh aise achanak se kyu? Itni kya important meeting hai?

Veer : Kyuki unka schedule hota hai. Woh mere liye toh baithe hi nahi rahenge na?

Tej : Kis company se milne jaa rahe ho?

Veer (sighs) : Teju dii! Paris ke liye hume Visa kab nahi lagta?

Tej : Jab aap business ke liye jaa rahe- ahh!? Toh-!?

Veer muskuraaya aur usne apna phone Tej ke saamne kar screen par ek mesage dikhaaya.

Message me Veer ki flight ki ticket thi shaam ki. Mumbai se Paris. Business class. Agar business ke silsile me Paris jaana ho toh Visa ki zaroorat nahi padti thi. Aisa visitor kam se kam 90 dino tak waha theherne ke liye allowed tha.

Jab Tej ne message padha toh kahi na kahi ab usse Veer pe yakeen hona shuru ho gaya. Kyuki bina business ke kaam ke liye jaane par Visa lagta hi tha.

Aur Veer agar bina Visa ke jaa raha tha toh baat spasht thi. Woh business sambandhit kaam ke liye hi jaa raha tha.

Tej : T-Toh client kaun hai?

Veer : Mujhe kaise pata hoga dii? Company se woh kisi ko bhi milne ke liye bhej sakte hai.

Tej : Ohhh!

Bhavna : Kis vishay me business kar rahe ho?

Jab Bhavna ne ye sawaal pucha toh kuch derr ke liye Veer shaant reh gaya. Uski khamoshi dekh Tej ka shaq firse badhne laga.

Veer (smiles) : Food industry se related hi hai Maa~

Woh aur Bhavna ek dusre ko kuch shan tak dekhte rahe.

Bhavna : Bas?

Veer : Aur shayad kuch goods supply?

Bhavna : Samjhi!

Veer : Hmm!

Peeche khadi Shweta jo ab tak maun thi, woh kaise chup reh sakti thi? Sab baari baari Veer par haq jama ke uss se prashn par prashn puch rahe the. Uski privacy ki dhajjiya udaa rahe the. Yahi sahi waqt tha apna pyaar Veer ko dikhaane ka. Woh fauran aage aayi aur usne Veer ke haath ko thaama,

Shweta : P-Par Veer? Beta tum rukoge kaha? Aise akele jaa rahe ho? Itne bade desh me, itni badi city me akele kaise sab manage karoge? Tumhara khaana peena? M-Mein bhi chalti hu tumhare saath.

Aur usne apna daav khel diya. Jaha sab Veer ke muh se jankaari nikalwaane me lage hue the, wahi Shweta ne aisa kuch bhi karne ka prayaas nahi kiya. Woh jaise ye dikhaana chaah rahi thi ki Veer jaha jis kaam se jaana chaahe jaa sakta hai. Usse toh bas uske khaan-paan aur rehne ki fiqr hai.

Kahi na kahi ye kaam bhi kar gaya. Kyuki Veer ko asaani hui. Ab usse ek aur shaks ko nahi samjhaana pada. Kahi na kahi usse andar se accha bhi laga ki Shweta ko uski chinta thi.

Khaas baat ye thi ki bhale hi Shweta mauke ka fayda utha ke Veer ke qareeb aane ki koshish karti thi par uski chhahat sacchi thi. Uska lagaav aur prem koi dhong nahi tha.

Hamesha se hi uske dil me ek bete ke liye ek rikt sthaan hua karta tha. Jisse Veer ne ab apne naam se bhar diya tha. Ab toh woh uski aankho ka taara bann chuka tha. Aur Veer bhi uske pyaar ko samajhta tha. Jaanta tha ki Shweta ke sang ateet me kya guzri hai.

Toh wahi dur baithi Bhavna apni sautan ko apne bete se chipke ek alag sii muskaan liye dekh rahi thi.

Jaise hi Shweta ne Bhavna ko dekha,

Shweta : Huh!?

Usne apni pakad Veer ke haath par aur mazboot kar dii. Veer ki asli maa usse rehesyamayi muskaan liye ghoor rahi thi. Shweta bechari darr ke reh gayi. Woh abhi ek bacchi ki tarah mehsoos kar rahi thi jisse ye bhay tha ki kahi koi uska mann-pasand gudda chhina ke na bhaag jaaye.

Parantu, bagal me khadi Tej ko ye sab bilkul bhi nahi kusaa raha tha. Uska toh mann kar raha tha ki abhi Shweta ko kheech ke Veer se alag kar de. Lekin usne khud ko aisa karne se roka.

Bhavna ke sang aankh-michauli karte hue Shweta kabhi usse dekhti toh kabhi Veer ko,

Shweta : M-Mein chalti hu na betu! Mein tumhari madad karwa dungi waha. H-Haan? Okay?

Veer (smiles) : Sochne ke liye shukriya. But iski zaroorat nahi hai. Mein akele jaunga toh travel jaldi kar paunga waha. Aur jitna jaldi sab hoyega utni hi jaldi mein waapas bhi aa paunga.

Shweta (bechaini me) : P-Par-

Veer ne uska haath thaama,

Veer (smiles) : Jaldi aaunga na! Don’t worry!

Jab Veer ne uss se itne pyaar se kaha toh Shweta uski soorat me hi kahi kho gayi. Woh momm ki tarah pighal ke reh gayi. Uska dil baag baag ho utha. Jaise maano uski mehnat safal ho gayi ho. Veer ke muh se apne liye pyaar bhare shabd sunn ke hi woh sab kuch bhool gayi.

Shweta : O-Okay~

‘Phew! Inhe manaana utna kathin nahi tha.’ Veer ne ek raahat ki saas lii.

[Well! Abhi aur bhi logo ko manaana hai aapko.]

Ragini : Toh mein chali jaati hu na. Mein tumhe slow down nahi karungi Veer.

Veer : Nahi Bhabhi! Mene abhi toh kaha. Waha mujhe travel karna padega. Aapke liye convenient nahi rahega. Aur wese bhi, ab meri flight aaj ki book ho chuki hai. Ab flights milti bhi hai ya nahi kya pata.

Ragini : Tum tension mat lo, zaroor mil jayegi.

Iss se pehle ki woh aage badh mobile par tickets dekhti, Veer ne usse rok diya.

Veer (smiles) : Bhabhi~

Veer ke chehre par woh narm sii muskurahat dekh Ragini phir haar gayi. Apne nichle honth ko daato tale kutarte hue woh sarr jhuka ke khadi ho gayi. Harr baar yahi hota tha uske saath. Harr baar Veer uske saath aisa karta tha. Woh niraash thi. Gussa bhi.

Ragini ke haav bhaav padh Veer samajh gaya tha ki usse jaane se pehle apni bhabhi ko manaana behad zaroori tha.

Kherr! Bag packing samaapt hui. Aaj Bhumika aur Sonali dono hi kaam par nahi gayi. Kyuki Veer aaj kayi dino ke liye ghar se jaa raha tha, toh woh dono bhi thehri hui thi.

Aur samast parivaar Veer ke kamre me ikhatta tha. Bed par Veer, Tej, Bhumika, Aabha aur Sonali baithi hui thi. Toh wahi neeche chataayi par Ragini, Suman, Shweta aur Bhavna.

Veer : Mujhe aap sab se kuch baat karni hai. Ya yu samajh lijiye ki aap sabki madad chahiye.

Shweta : Kaisi madad betu?

Bhavna : Hmm?

Tej : Kaho Veer!

Veer ne ek gehri saans lii.

[Yes! Ye sahi samay hai Profit Path ko lay down karne ka Master. Jitni jaldi ye execute hoga, hum new profit path ko dekh payenge. Behtar hoga ki hume naya profit path waha Paris me hi mil jaaye. Toh waha ki business opportunities ko hum hathiya payenge Master.]

‘Mujhe firse wo path show karo Pari!’

[Right away Master!]

Aur Veer ke saamne punaah ek baar wahi path khul gaya.



‘Hmm! I see!’

Ragini : Kya baat hai Veer? Kaho na!

Veer : Ohhh! H-Haan! Mein keh raha tha ki kya aap sab meri madad mere business me karengi?

Aur sabse pehla response Bhavna ka hi tha.

Bhavna (smiles) : Mein soch hi rahi thi ki akhir kab tum hum se ye baatein saajha karoge. Akhir kab se isse apne zehen me dabaaye hue the?

Veer : Umm~ Woh-!

Bhavna : Koi baat nahi! Derr aaye durust aaye! Kaho! Kya karna hai hume?

Veer : Darasal! Shyaam jii se keh ke mene kuch kisaano ki maang kii hai.

Tej : Kisaan? Kis liye?

[Ekdum sahi direction me jaa rahe ho aap Master.]

Veer : Teju dii! Dada jii ne mujhe zameen dii hui hai. Uska istemaal toh karna hi tha. Woh zameen upjau hai. Waha kheti ho sakti hai. Isliye Shyaam jii se mene kisaano ko bhejne ke liye kaha hua hai.

Ragini : Toh tum ab kheti karoge Veer?

Veer : Bhabhi aisa hai ki, mera business food me hai abhi. Zara sochiye ki agar mere paas khud ki kheti ho, jaha se food truck me istemaal hone waali taaza sabziya mil sake. Aur toh aur mein unhe bazaar me supply karne lagu. Toh iss se kya hoga?

Veer Profit path ke pehle path ko achhi tarah se decode kar chuka tha. Usse pata tha kis disha me aage badhna hai aur kin logo ko aage leke badhna hai.

Uske prashn ka uttar Shweta ne diya jo neeche paalthi maare baithi hui thi,

Shweta : Betu bohut badhiya! Tumne ek efficient tareeqa khoja hai. Tum na sirf apna kharcha bachaoge balki ab aur zyada kama sakte ho. Iss se unn kisaano ko bhi ek kaam mil jayega. Unki aamdani hone lagegi jo ab tak nahi ho rahi thi. Aur toh aur tumhare customers ko jab fresh fruits, vegetables ka khaana milega toh business me badhhotri honi hi hai.

Ek business lady hone ke naate, Shweta pal bhar me hi Veer ka plan samajh gayi thi.

Veer : Jii! Yahi mera plan hai. Also, Varsha ko ped paudho ka bohut knowledge hai. Usse phuulo se banayi jaane waali sugandh aur paudho se banaayi jaane waali ayurvedic aushdhiyo ko banaana aata hai. Uss baare me bhi mene kuch soch ke rakha hai.

Ragini : Varsha? Kaun?

Bhumika : Hmm?

Veer ke sang jo aurte gayi thi Jaipur woh Parijaat ki aurto se waaqif thi. Par Bhumika, Ragini, Sonali aur Aabha nahi. Isliye ye naam unke liye naya tha.

Shweta : Tum sab unke baare me nahi jaanti. Rehne do!

Shweta na woh baat bataana theek na samjha. Ragini bas ek soch me doobi upar baithe Veer ko dekhti rahi jaise ek biwi dekhti hai jab uska pati koi anjaan mahila ka naam le.

Veer : Aur isliye- Mein ye saara kaam abhi 3 logo ko saupna chaahta hu.

Uske itna bolte hi sabhi aurte ek dusre ko dekhne lagi.

Veer (smiles) : Bhabhi!

Ragini : Huhhh!?

Veer : Aap, Teju dii aur Arohi dii!

Tej : Arohi??

Veer : Hmm! Arohi dii se abhi meri baat nahi hui hai par unhe shaamil karna chaahunga mein.

Tej : Toh mujhe kya karna hai?

Veer : Abhi mene bataya toh dii! Aap logo ko hi ye milke manage karna hoga. Kya aap sab karogi?

Ragini toh chaahti hi yahi thi. Hamesha se hi woh Veer ke kaam aana chaahti thi. Uske business me uska haath bataana chaahti thi.

Ragini (gehri saans lete hue) : Tum chinta mat karo Veer! Mein sab samajh gayi hu. Aur hum sab milke sab dekh lenge. Tumhe fiqr karne ki koi zaroorat nahi!

Veer (smiles) : Aapse yahi umeed thi mujhe!

Bhumika : V-Veer! Mujhe bhi tumse kuch kehna hai.

Veer ko dhyaan aaya ki Bhumika pichli subaah bhi yahi keh rahi thi.

Veer : Kahiye!

Bhumika : W-Woh-

Veer : Hmm!?

Bhumika : M-Mein- Mein tumhe hamari hotel dena chaahti hu.

Uske vaakya ne waha baithe sabhi ko hairat me daal diya.

Veer : Whaaaatttt??

Sabse zyaada jhatka Veer ko hi laga. Jis hotel ko varsho se maa beti ne milke badhaaya, aaj woh usse dena chaahti thi? Kyu?

Bhumika : H-Hmm! Mene bohut socha hai iss baare me. Aur mujhe ye sahi lagta hai. Agar hum sab ek parivaar ka hissa hai toh ye mera hotel, mera business nahi hona chahiye na? K-Kya ye kehna sahi nahi hoga ~ ‘Hamara Business’??

Bhumika ka masoom sa chehra jab Veer ne nazdeek se dekha, khaaskar uske gore gaalo par girti hui uski kaali zulfe toh Veer ke khud ke gaal halke laal ho chale.

‘She- She’s cute!’

[Ahem!]

Shweta : Hey Bhagwaan!

Shweta achanak khadi ho gayi.

Shweta : Ye mene pehle kyu nahi socha? Beta tumne 100 takke ki baat kahi hai. Jab hum sab saath saath hai toh ye mera tera kya? Veer! Bhumi sahi keh rahi hai.

Veer : Huh?

Shweta ka dil gad-gad ho utha. Uski beti ne itna behatreen sujhaav diya tha. Ab toh jese woh Veer ke qareeb aate hue khud ko mann me hi asaani se dekh paa rahi thi.

Veer : Par-

Shweta : Par var kuch nahi. Bilkul! Tum dono ka haq hai uspe. Jab bhumi meri bacchi hai toh tum bhi toh mere bete ho. Aur wese bhi mene toh woh hotel Pranjal ke haatho kho dii thi, Tumhi toh laaye the na usse. Toh wo toh wese hi tumhari ho gayi.

Tej dono ko iss qadar dekh vyakul ho gayi.

Tej : M-Mom!?

Wo Bhavna ko chinta me dekhi. Kya ye dono sauteli maa beti uske bhai ko chheen ke le jaane waali thi? Par Bhavna ne usse shaant rehne ka ishaara kiya.

Bhumika : Actually, Veer! H-Hum ye kar sakte hai ki- Tumhare food truck par ek label laga de.

Veer : Label?

Bhumika : Like- Owned by hotel Prestige. Iss se logo ko pata chalega ki food truck sheher ki ek badi hotel ka hissa hai. Saath hi hamari hotel ka bhi advertisement ho jayega.

Idea sunte hi Veer surprised reh gaya.

[Woah! She’s intelligent.]

Hotel Prestige Shweta aur Bhumika ki hotel ka naam tha. Agar truck par ye label chadh jaaye ki truck sheher ki jaani maani hotel prestige dwaara chalaya jaa raha hai toh zaahir hai iss se do kaam hone waale the. Hotel ka advertisement. Aur saath hi logo ko ye pata chalta ki food truck khaali food truck nahi, balki ek badi hotel ka hissa hai.

Ek teer se do shikaar.

Par itna hi nahi, Veer aur Bhumika ek dusre ke business me ab transparency rakh sakte the. Yaani woh ek dusre ka business dekh sakte the. Aur toh aur ghar par baithi Shweta bhi unse jud sakti thi. Sujhaav bohut hi zyada zabardast tha.

Shweta : Excellent idea meri bacchi! Bilkul! Hum yahi karenge!

Veer bas muskura ke reh gaya.

Aur issi ke saath Veer ne apni business planning ko apne ghar ki aurto ke upar saunp diya.

***

Kuch hi ghanto me shaam hone waali thi aur Ragini ki haalat kharab ho rakhi thi.

Jaanti thi woh ki ye kitna jokhim bada kaam tha, par ab uss se zara bhi bardaasht nahi ho raha tha. Veer ke kamre me uski safaayi ke bahaane woh darwaza andar se band kii hui thi aur idhar se udhar tehel rahi thi.

Jab achanak se darwaze par knock hui. Ragini ne khush hote hue darwaaza khola aur uske saamne Veer tha.

Veer : Aap jaanti ho ye kitna risky hai?

Ragini : Mujhse bardaasht nahi ho raha Veer! Take me now~

Veer ko uski collor se pakadte hue andar kheech usne darwaaza band kar diya.

Aur unn dono ke honth ek dusre se bhid gaye. Ragini apne labo se Veer ke labo ko chaba rahi thi. Woh itni khatarnaak kisser bann chuki thi ki Veer khud hairat me tha.

Iss se pehle Veer ne sirf Divya ko hi ek crazy kisser maana tha par Ragini ne sabhi aurto ko kissing ke maamle me ab pachhaad diya tha. Woh poora ka poora muh hi choom daalti thi. Uski kiss itni sloppy hoti thi ki thook aur laar se unn dono ke muh aksar sann jaaya karte the.

Aur ek aur ajeeb sa chaska chadha hua tha usse. Ya yu kahe ki ek fetish~

Ragini : Nnnn~ J-Jaldi do! Jaldi do na baby~

Apna muh khol, jeebh baahar nikaal woh kisi cheez ki maang karne lagi.

Veer (smiles) : Aap bohut dirty ho rahi ho aaj kal!

Ragini : Ummmm~ I want to be dirty Veer! I want to be dirty!! Lekin sirf tumhare liye! P-Pleaseeee~ De do naaaa~

Veer ke muh se jaise hi fir thook nikla woh seedha jaake Ragini ke muh me tapka aur palak jhapakte hi,

*Gulps*

Woh usse nigal gayi.

“Ahhhhhhhh~~”

Uske baad toh woh dono ek dusre par toot pade. Bistar par laiti Ragini usse baahe fela fela ke bulaayi,


Screenshot-20230211-015946


Screenshot-20230211-020037

Aur dono ke beech ek quick sex akhir ho hi gaya.

Woh dono nahi jaante the ki neeche maujood Suman peeth peeche unki madad kar rahi thi taaki dono kisi bhi tarah pakde na jaaye.

***

Jaane ka samay ho chuka tha. Sabhi udaas the, par sabse zyada Tej aur Ragini hi thi.

Bhavna uske nazdeek aayi,

Bhavna : Mere liye kuch kaam nahi bataaya?

Veer : Hai na aapke liye bhi kaam!

Bhavna : Kya?

Veer : Jab tak mein waapas na aa jau tab tak aap apni job ke liye kahi bhi baahar nahi jayengi.

Bhavna : P-Par?

Veer : Mene kaha na! Jab tak mein laut na aau aap kahi bhi baahar nahi jayengi.

Bhavna : Lekin kyu?

Veer : Bas meri baat maaniye.

Bhavna : Kya mujhe jaan ka khatra hai?

Veer maun raha. Aur uski chuppi ko Bhavna fauran hi samajh gayi.

Bhavna : Nahi jaungi! Ab khush?

Veer : Hmm!

Bhavna : Ye dahi shakkar kha lo! Shubh kaam ke liye jaa rahe ho toh isse khaa ke jao. Tumhara kaam safal hoga.

Maa ke haath se dahi shakkar kha ke Veer jaane ke liye hua toh Bhavna ne fir ek baar usse rok liya.

Veer : Ab kya hua?

Woh kuch na boli. Bas apni kalaayi par bandha usne ek kaala dhaaga utaara aur Veer ki kalaayi par baandh diya.

Veer : Ye kya hai?

Bhavna : Kuch nahi hai.

Veer : Arre? Bataiye na kya hai ye?

Bhavna : Kaha na kuch nahi hai! Jao ab!

Veer ne dhaage ko check kiya. Par woh ek sadharan dhaaga hi tha. Uski samajh me nahi aaya ki jab dhaaga mamuli tha toh uski maa baandh kyu rahi thi?

Kherr! Woh baari baari sabhi ke gale se laga. Tej uske gale se jab lagi toh usne sharmaate hue uske gaal bhi choom liye.

Tej :J-Jaldi aana! Okay?

Veer (smiles) : Hmm!

Toh wahi Bhumika sankoch ke chalte aage badhne ki himmat nahi jutaa paa rahi thi. Shweta, Bhavna ne bhi pyaar kiya usse.

Aur Veer ne jab apni baahe khud-ba-khud felaayi toh Bhumika dheere se aage badh uske gale se lag gayi.

Ravaangi kisi ko bhi nahi bhaati thi. Parantu, Veer ka jaana zaroori tha.

Unn sab ko antim baar tata bye-bye karte hue woh Ragini ke saath car me nikal gaya.

Uske jaate hi ghar agle hi pal soona soona sa ho gaya. Tej apna mood off liye andar ko jaane lagi. Toh Bhumika usse dekh boli,

Bhumika : H-Hum- Hum Veer ki help karne ke liye kuch decide kar lete hai?

Tej ne usse ek baar dekha aur chehra waapas se jhuka ke woh andar chali gayi. Bechaari Bhumika toh bas usse cheer up karne ki koshish kar rahi thi. Par shayad Tej ko ubharne me kuch samay lagne wala tha.


Baahar jo abhi bhi khadi hui thi woh thi Bhavna. Kaafi samay baad uske maathe par chinta ki lakeere chhaayi hui thi.

‘Akhir!? Jhooth bol ke jaane ki kya zaroorat pad gayi mere bacche?’

Woh apne mann me kahi. Uss raaste ko taakti rahi jaha se guzar ke Veer gaya hua tha.

6 baje ke aas paas ki flight thi. Kareeban Veer ko 30 ghante ka safar tay karna tha.

Flight par baithne se pehle Ragini ne usse bohot pyaar kiya. Bechaari ka bilkul mann nahi ho raha tha Veer se alag hone ka. Jaise tese Veer ne usse console kiya aur flight me baith ravaana ho gaya.

30 ghante ke safar ke baad woh finally Paris pohuch gaya.

Charles de gaulle airport par plane land kiya aur Veer plane se baahar aaya. Raat ke 12 ke qareeb samay ho chuka tha. Aur uske nazre kisi ki talaash me thi.

Airport par bhi naa maatr ki bheed thi. Dhundhte hi woh jaise hi thoda aage badha, usse woh shaksiyat dikhaayi degi jiske liye woh yaha tak itni dur aaya tha.

Uske saamne khubsoorti ki woh bala khadi hui thi.


00f2bc94398388bc11a34891cf199da0

Ava!!!

Ya yu kahe ki,

Natalia!!!

***


Ushant Island, France
Night ~ 12:36 AM


Iss taapu ke theek thodi dur par ek cruise samundar me thehra hua tha.

silver-moon-cruise-ship

Woh behad vishaal tha. Lights se poora jagmag ho rakha tha. Jahaaj bada zaroor tha par log sirf ginti ke hi the. Sabhi ki aankho par ek decorative mask tha.

Mand mand music ki dhun pe, haath me red wine ka glaas liye woh sabhi jhoomne lage. Jab ek aadmi ne unka dhyaan kheencha,

“Ladies and gentleman!!”

Mic par uski awaaz sunn, sab uski orr dekhe. Usne ek suit pehna hua tha. Par aankho par uske bhi wahi decorative mask tha.

“Samay aa gaya hai ki hamaare pehle food ka lutf uthaaya jaaye.”

“Yayyyyyyy~” Waha maujood sabhi cheer karne lage.

Shayad koi khaane ki dish thi? Kuch behatreen sa bhojan? Woh insaan bhi jhoomte hue aage badha.

Aam taur par ye ek bade raees logo ki party prateet ho rahi thi. Par aage jo ghatit hone waala tha usse dekh ke accho se accho ki rooh kaanp uthati.

Woh aadmi gungunaate hue cruise ki ek khuli railing ke nazdeek aaya.

“Food! Food! Food! Food!” Sabhi firse shor karne lage.

Woh punaah aage badha. Aur jese hi woh railing ke chhorr par pohucha.

Chhorr se lage ek lakdi ka plank juda hua tha. Jiske upar,

Ek vyakti khada tha. Uske haath perr bandhe hue the. Aur muh parr kapda thusa tha. Aankho se aasu nirantar behte jaa rahe the.

Woh upar waale se duaa kar raha tha. Par upar waale ne ek na suni. Kyuki agle hi shan,

*Bammmm*

Usse peeche se ek zordaar laat padi aur woh hawa me uchhalte hue samundar me jaa gira. Log daudte hue railing ke nazdeek aaye aur nazaara dekhne lage. Kuch toh apna phone nikaal record karne lage.

Unhe mazaa aa raha tha. Iss fetish ke liye hi toh woh dherro kharch karte the aur samaaj se chhup ke apni dark desires ko poora karte the.

Paani me gira aadmi chhap chhap kar ke tadapne laga. Usse terrna nahi aata tha. Aur paani me hoti halchal mehsoos karte hi agle hi pal,

*Khaaaaaaaacccccchhhhhh*

“Oooooooooo~~~”

“Buuuuuuuuuuuuu~”

“Woooohooooooooo~”

Log taaliya bajaane lagi. Uss aadmi ko samundar me maujood shark ne do tukdo me kaat ke rakh diya tha.

Samudr ka paani lahu luhaan hua aur laal rang uski upari sateh par bichh gaya.


035c186031a41e189d74ce1a4cc87a34

Jisne laat maari thi sabhi ne uske liye taali bajaayi aur apne coat ko adjust kar woh apne haath fela ke janta ke saamne jhuk gaya.

*Boooom* *Booooom*

*Swooooooosssshhh*

Uske jhukte hi peeche island se hawa me aatishbaazi hui aur aasmaan me alag alag rang bikhar gaye.

Paas khadi ek ladki uske qareeb aayi,

Ladki : Festival ki shuruaat kamaal ki hui hai. Kuch kehna chaahoge?

Aadmi ne bina kuch kahe uss ladki ko apni baaho me liya aur usse zorr se chooma.

Choomne ke baad usse side kar woh railing ke paas gaya aur ahista se bola,


“Rango ka mishran hai crimson.
Khoon ka rang hai crimson.
Mujhse kismat bhi haarti hai sweetie,
Kyuki mein hi hu Crimson!!”

Ladki (smiles) : Toh... Ab kya karna hai?

Crimson (smiles) : Kuch nahi! Mera shikaar… Aa chuka hai.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Update normal size ka hai. 4.2k words. Crimson Festival start ho chuka hai. Daba ke likes thok ke jaane ka aur revos rakhne ka. Yaha se ab jo hoga woh bawaal hi hoga.

Dhanyavaad!
Aakhir Crimson arc chaalu ho hi Gaya. Congrats, bro. Hope you are going to give us exciting & thrilling updates again sooner than later. Eagerly awaiting them🤓
 

Ajay chauhan

Active Member
1,211
7,430
159
:heh:

Dhanyavaad.

Crimson Pushkar hai? :cmouth:

Meri story khaali predict karne ke liye hi high IQ ki avashyakta hoti hai.:whistle: Lagao lagao. Dimaag lagao. :smartm:

Bomb ke saath saath readers ka bhi dimaag phatega. 🤯

Dhanyavaad. ✨

Shukriya.

Dhanyavaad bhai.

Koi toh kaaran raha hoga na. :smartm: Socho, socho.

Fir Suhana ko goli lagne hi kyu deta? :dazed:

Pushkar ke prati logo ki itni strong feelings kyu aa rahi hai? :laugh:

Ava se problem hai toh baat kare. Uski maa ke paas kyu mandra raha hai? Aisa kya kar diya Ava ne jo usko maarne pe tul gaya woh. :laugh:

Ghumaiye dimaag ko bhai. Ghumaaiye. :D Thoda brainstorming kariye. Aur uttar dhoondne ka prayaas kariye. Thanks a lot btw for the comment. Keep supporting! :five: ✨
Ab na mujhe aisi strong feeling aa rahi hai ki Crimson koi or nahi balki slogan hai jo khai main girne ke baad system milne se hawa main udd kar bach gaya

🤣🤣😜😜😜😜:D:D
 

Sanki Rajput

Abe jaa na bhosdk
5,756
14,507
174
Ju toh kaafi kuch soch ke baithe ho. :laugh:
Socha hota to puri katha likhti na socha nhi tha, jaise-jaise review likhta gaya mera mind meko aise point of view deta gaya aur mai sab pelta gaya lekin sara point of view yaha pelta to ju sadme me baad me jate mai hi chala jata pahle to :D.
Kherr hum dekhte hai kya hota hai. Already sab planned hai Crimson arc ka toh mera. Filhaal koi bhi sahi uttar nahi de paa raha hai. :nana:
Ohh but yaha mai ek baat kahna chahunga ki jo readers kah rahe hai ki Crimson pushkar hai to unke liye ju ka ek tark hai ki agar wo pushkar hai chalo maan lete hai lekin uske face ju ne chutiya angrej wali rakhi aur to aur ek direction bhi uska angrezi wali rakhi chalo ab readers ispar kahenge ki ho sakta hai uske face aur body me badalav system ke karan aaya ho but how bc itta hitech chalo koi ni ye point bilkul bekar mano aur chalta mai unke point of view se ki pushkar hi crimson hai nope meko nhi lagta but mai unke tarf se ek tark dunga ki agar wo crimson hai to haa hosakta may be jaisa readers ne kaha ki jaise veer ko system mila tha usi tarah pushkar ko bhi mil sakta hai aur ye baat tab bhi sahi ho sakti hai,aur pushkar ava ke piche isliye pada ho ya uski maa ke piche kyunki wo jab ghar se nikala gaya ho to may be ye uske hi family members ho ya grace martin iski maa. (ye meko kahne me bhi hassi areli hai:lol1: khair readers bhailogo ki tarf se bhi tark dega apan)

Aur ek baat ho sakta hai system pari ke piche aaya ho as a maan lo ki pari ko pakadne ya wagerah wagerah ho sakta kyunki issitrah to crimson ko veer ke baare me nhi pata chalta aur ye itna aasan to na hone wala tha ki achanak crimson ko veer milgaya ho aur Crimson itni asani se evil na ban sakta mat be wo system ek evil side charecter carry karta ho khair mai itti bakchodi nhi pelna chahta.
Ehh?? :?: Nahi toh!? Chirs Terashima ko line maar raha tha? Mene toh aisa kahi nahi dikhaya. Unki baato me bhi ye zaahir nahi hota. Fir aisa kyu laga ju ko? :dontknow:
:slap:mazak naam ki bhi koi cheez hoti hai.
Mein ek bohut bada spoiler dete dete bach gaya. Accha hua edit kar usse backspace maar diya. :shook:
Yahi n ki house of killers se pahle bhi crimson ka lena dena hai veer ke life me as a villian aur kaho to side villian jo ki aatish aur slogan se hi related hai am i right or not but ye possible ho sakta hai khair ispar ju bologe ki kya uss samay crimson taqatwar hoga utna ki wo underworld me to haa veer uss samay utna powerful ho sakta hai to crimson ki to baat hi alag hai wo to abhi bhi itna powerful hai veer se ki kya pata uska luck uss evil system me na jane kitta aage ho.
Par fir Grace Martin ko target kyu kiya jaa raha hai? :hinthint:
Bataya to upar personal reason par ye bhi ek betuka hi tha merliye bhi kyunki crimson pagal thodi hoga ki pagal ki tarah ye sab personal reason ke karan kar raha ho but but system crimson ko mission to de sakta hai n grace martin se related haa obviously dega kyu nhi dega wo system sidha apna raaz thodi na kholega jaise pari nhi kholti hai wo to apne missions ke dwara hi n pari tak pohochna chahega to normal ye simple ye baat bilkul 100percent sahi hai ye baat ki iss sab kand me system ka hath hai ki system ne mission dia hoga grace martin se related so, ye ju ka question clear hogaya Werewolf .
 
Last edited:

Werewolf

ℌ𝔲𝔫𝔱𝔢𝔯
Supreme
16,323
110,285
259
Ab na mujhe aisi strong feeling aa rahi hai ki Crimson koi or nahi balki slogan hai jo khai main girne ke baad system milne se hawa main udd kar bach gaya

🤣🤣😜😜😜😜:D:D

Ab to mujhe bhi strong feeling areli hai ki pushkar ke sath jo ek aur launda tha n angrez ka chodal wahi crimson hai baat khtm:roflol:
Dono galat ho. Crimson Harikiran hai. :roflol:
 
Top