- 14,812
- 103,218
- 259
Last edited:
Loving it bro the action is awesomeMega Update
Update - 139 ~ Caught in the crossfire (2)
Ab tak...
Prakash : Bilkul!
Suhana apne anguthe ko daato tale dabaayi rahi aur fir kuch soch ke boli,
Suhana : Uncle!!!
Prakash : Hmm?
Suhana : Hum Paris chal rahe hai. Abhi!!!
Prakash : Ehhh!??
Ab aage...
Shaam dhal chuki thi aur raatri ka samay ho raha tha. Veer ke ghar sab apne apne kaamo me lage hue the.
Hall ka darwaza tabhi khula aur Tej andar aayi. Uski haalat dekhte hi sabhi usse aashcharya chakit nazro se dekhe.
Hall me Kavya aur Arohi bhi thi. Woh dono hi tab se yahi ruk gayi thi aur yahi haal Purvi ka bhi tha. Tej aur Kavya ki zidd ke chalte usse bhi ghaseet liya gaya aur ghar par hi rok liya gaya.
Purvi : Arre baap re! Kis se kushti ladd ke aa rahi ho madam jii?
Apni maasi ka mazaak bhara prashn sunn Tej ke gaal sharm se laal ho gaye.
Tej (blushes) : B-Bas aise hi!
Bhavna : Maasi ko jawaab do Tej. Ye dhool-mitti kapdo par kaise lag gayi?
Tej (sighs) : Zameen par unn sab kisaan logo ke saath mitti ko parakh rahi thi. Fir unhone list di samaan ki.
Bhavna (smiles) : Samajh gayi!
Tej : List se kuch samaan leke aayi. Khaad se leke beej yahi sab. Wahi Mom…! Fertilizers, insecticides, pesticides jo hote hai. Abhi toh bas shuruaat hui hai. Toh wahi sab unke saath rakhwate-rakhwate kapde kab gande ho gaye mujhe pata hi nahi chala.
Purvi (smiles) : Ladki mehnat kar rahi hai.
Bhavna (smiles) : Toh ye toh achhi baat hai na!?
Purvi (smile and nods) : Mmm-Hmm!
Bhavna : Beta? Ragini nahi aayi? Tum dono saath me gaye the na?
Tej (nods) : Hmm! Unhe eyebrows banwani thi. Toh mene unhe parlour me drop kar diya. Woh boli ki ‘Mein cab kar ke aa jaungi, tum nikal jao.’ Toh mein aa gayi.
Bhavna : Theek hai! Tum haath-muh dho ke change kar lo.
Tej apni maa ki baat maan washroom me chali gayi.
Purvi : Arre bhai, ab hume bhi jaane do ghar koi.
Kavya : Bilkul nahi! Aap bhi hamari tarah yahi rukogi.
Purvi : Beta tumhare mausa jii se mere bagerr kuch na hoga. Mann hi mann mujhe khari-khoti suna rahe honge. Ki kuch ghante ke liye gayi thi aur wahi ruk ke reh gayi. Khaana-peena kaise manage karenge woh?
Kavya : Zomato zindabaad!!!! Hehehe~
Purvi (sighs) : Tum bacche bhi na~
Inki baatein yaha chaalu thi toh wahi Sonali aur Bhumika ab tak ghar nahi lauti thi. Woh food truck aur hotel me hi thi. Parantu, unki kami ki poorti ke liye Arohi aur Kavya zaroor maujood thi.
Arohi pehle se hi college ke placements campus me teen companies me placed ho chuki thi. Par ek ko bhi usne accept nahi kiya tha. Veer ne usse apne saath kaam karne ki request ki thi.
Uski ek request par Arohi ne khushi khushi hi ye saare offers reject kar diye the.
Apne bhai ke liye kaam karne se behtar aur kya ho sakta tha uske liye? Woh khush thi.
Tej jab haath-muh dho ke aayi toh dining table par baith woh araam farmaane lagi. Par usse ek chinta khaaye jaa rahi thi jo uski Maa ki nazro se bach ke na jaa saki.
Bhavna : Kya soch rahi ho?
Tej (glances) : Veer ka phone band aa raha hai.
Bhavna : Battery khatam ho gayi hogi. Ya kisi kaam me hoga toh band kar liya hoga.
Tej : Jab se woh gaya hai tab se meri baat nahi hui hai.
Bhavna : Meri baat kal din me hui thi uss se.
Tej achanak hi peeth seedhe kar ke baith gayi.
Tej : Kyaaaaa?? Aapki baat ho gayi? Kya kaha usne? Kab aa raha hai?
Bhavna : Tab woh kisi mall me tha. Keh raha tha ki ‘Aap sab logo ke liye kuch gifts dekh raha hu.’
Tej : Aapko kehna tha na toh ki gifts ki koi zaroorat nahi hai. Bas jaldi se laut aao aur kya.
Kavya : Nahi didi! Gifts toh bhaiya se lungi mein. Ek toh bina bataaye ekdum se jaate hai aur fir gifts bhi na laaye? Mein toh-
Arohi : Kavyaaa! Shhhh!!!
Kavya : Par dii?
Arohi : Shhhh!!!
Kavya muh phula ke chup ho gayi par Bhavna muskura uthi.
Bhavna : Mene usse yahi kaha tha ki ‘Beta jaldi aana!’
Tabhi itne me andar se Shweta haatho me chaaval se bhari thaal leke aayi aur baith ke unhe beente hue boli,
Shweta : Mein acche se jaanti hu apne bete ko. Woh jab bhi kahi jaata hai toh laut ke sab ke liye kuch na kuch laata hi hai. Akhiri baar jab woh Las Vegas gaya tha tab bhi laaya tha.
Usne bade hi garv se apni chaathi chaudi kar bola. Jaise dikhana chaah rahi ho ki woh Veer ko aur behtar dhang se jaanti hai.
Shweta ke muh se ‘Mera beta’ sunte hi pal bhar ke liye Bhavna ke honth upar uthe par waapas se fir sthir ho gaye.
Kintu, mann me ek khayaal bhi aaya.
‘Las Vegas? Uske aane ke baad uske muh se hi sunn’na behtar hoga shayad.’
Kavya jo sofe par baithi thi woh Shweta ki thaali me chaaval dekhte hi chehek uthi.
Kavya : Arre waah! Dinner me aaj Veg pulaav bann raha hai Badi Tai ji??
Shweta ka haath ‘Badi Tai jii’ sunte hi ruk gaya. Maathe par jaise gusse ki nass bhi thanki. Uske bas me hota toh abhi chaaval ka haatho se hi buraada bana deti. Par gusse ko peete hue farzi muskaan liye woh boli,
Shweta : Ahaha! Haan beta! Veg Pulaav hi bann raha hai. Aur Badi Tai jii kehne ki zaroorat nahi beta. Sirf Tai ji hi bohut hai. Haan?
Kavya : Hmm?
Shweta ne nazre Bhavna par ferri. Dono ki hi nigaahein aapas me fir takraayi. Bhavna ke honth punaah uthe aur ek halki si muskaan unn par aayi, jisse dekh Shweta ne apne daant pees liye. Jab se Kavya ne Badi Tai ji bulana shuru kiya tha tab se dono ke beech ye nigaaho ki takraar aksar jaari thi.
Waha se uthate hue Bhavna fir Tej ke qareeb pohuchi jo abhi bhi apne khayalaato me kahi ghum thi.
Bhavna : Kya baat hai?
Tej : M-Mom!?
Bhavna : Bolo!
Tej : Agar aap bura na maano toh ek sawaal puchu?
Bhavna : Hmm!
Tej : Ho sakta hai aapko ajeeb lage lekin please, if possible then iska jawaab dijiyega.
Bhavna : Pucho beta!
Tej (ahista se) : I’m struggling to express myself Mom. Veer jab bhi aas-paas hota hai, mein tension me aa jaati hu. I want to show him ki uski badi behan uske kitna kaam aa sakti hai. Lekin uske saamne darr lagta hai. Kahi kuch galat bol gayi toh? Kahi meri koi baat usse buri lag gayi toh? Kahi kuch gadbad kar di mene toh?
Bhavna : …!
Tej : Uske saamne sharam bhi bohut aati hai mujhe. Pata nahi kyu. Mein apni sharm chhipa ke uss se conversation karti hu par andar se meri kya haalat hoti hai ye mein hi jaanti hu. Darr lagta hai ki kahi woh mujhe ek clingy, irritating behan ke roop me na dekh le.
Bhavna : …
Tej : Kya karu? Hamare beech ye invisible awkwardness kyu hai? Ya sirf mujhe hi aisa lag raha hai? Meri kuch samajh nahi aa raha! Meri baatein koi sense bhi bana rahi hai ya nahi? A-Aap ko ye stupidity lagega sab. I-I…! I just want ki hamare beech sab kuch smooth rahe. Jaise Arohi aur uske beech hota hai. Jaise baaki behno se woh easily baatein kar leta hai.
Bhavna muskuraayi aur usne pyaar se Tej ke sarr pe haath fera.
Bhavna : Tumhe banaavti bann’ne ki koi zaroorat hi nahi meri bacchi.
Tej : Huh?
Bhavna (smiles) : Just be yourself! Jaise tum mujhse pesh aati ho. Jaise tum sabhi se pesh aati ho. Be yourself! Uss se aise hi baat karo jaise tum usse saalo se jaanti ho. And give him what he needs the most.
Tej : …wh-what he needs the most!? B-But what?
Bhavna agle hi pal haami bharte hue Tej ke kaan ki orr jhuki aur haule se boli,
“A Sibling’s love!”
Usne fir Tej se aur kuch na kaha. Kitchen ki dehleez par khadi Aabha ko dekha aur puchi,
Bhavna : Aabha? Suman akeli hai kitchen me?
Aabha : J-Jii!
Bhavna : Tum baahar baitho, mein madad karwa deti hu.
Aabha (nods) : Mmm~
Wo andar ko chali gayi. Aur idhar Tej ek baar fir apne khayalo me doob gayi. Iss baar apni Maa ki kahi gayi baat uske mann me mandra rahi thi.
***
France
Night ~ 11:36 PM
*Tocotocotocotoco*
Hawa me chopper apni udaan bhara hua tha. Andar baitha Veer uchhaayi se France ki khubsoorti ko dekh paa raha tha.
Hawa se uske baal zorro se lehra rahe the. Jald hi Eric aur woh Ushant Islands par pohuchne waale the.
Beech me unhe kayi baar fuel tank ko bharwana pada tha. Eric khud France ka nagrik tha isliye apne dosto ki sahayta se usne jaise-tese fuel ka jugaad karwa liya tha.
Par safar kaafi lamba tha. 20 ghante ke upar guzar gaye the unhe travel karte hue. Pichli raat ko nikle the woh aur ab firse derr raat ho chuki thi.
Raat me Veer ne stats badhaaye the jo ab ek raat guzarne ke baad badh chuke the. Ab woh Crimson se bhidne ke liye thoda aur taiyaar tha.
‘Hang in there, Ava!’
Par woh akela nahi tha. Iss hawayi yaatra me kuch aur log bhi shaamil the. Chris, Terashima aur Andre teeno Senior Police Officer aur unki team ke saath plane me baith nikal chuke the.
Chris : Ab woh bachne wala nahi. Airport ka plane use kar ke usne galti kar di hai.
Andre : Right! Par hume pehle celebrity Natalia ko rescue karwana hai.
Chris : Meri samajh me nahi aata ki airport ki security kar kya rahi thi jab Natalia ko gang waha par leke pohuchi toh!?
Andre : Airport par security zakhmi paayi gayi hai. Gun shots fire kiye gaye hai.
Ye sunte hi Chris ka gussa aur badh gaya.
Chris : That bastard…!
Police officers se leke sabhi apni apni seat par baithe hue the. Woh bhi josh se bharpoor, Island par criminal ko pakadne ke liye taiyaar the.
Terashima apni seat se uthi aur airplane ke cockpit me gayi jaha 2 pilots plane udaane me lage hue the.
Terashima : Location kya hai?
Pilot 1 : Don’t worry ma’am! Tracing team ne trace kar liya hai unka route. Mein lagatar unke touch me hu. Unka plane Ushant Islands par land hua hai.
Pilot 2 : Right! Hum kuch hi derr me waha pohuch jayenge.
Terashima ye sunn cockpit se baahar aayi,
Terashima : Destination Ushant Island hai!
Chris : Ushant huh!
Andre : Bhaagne ki ab koi jagah nahi uske paas. Satarkta se hume aage badhna hoga.
Terashima : Right! Hume dhyaan dena hai ki Natalia uski hostage hai. Kaise bhi kar ke pehle Natalia ko waha se safely rescue karwana hai.
Andre (nods) : Hmm!
Chris : Hum teen teams me divide honge. Team A, Team B aur Team C. Kisi ko koi dikkat?
Andre : Nope!
Chris : Team A rescue operation ko anjaam degi. Singer Natalia kaha par hai aur kaise bachana hai ye Team A hi dekhegi. Team A me mein rahunga aur mere saath kuch police officers.
Senior Officer : Theek hai! Mere saath yaha 30 inspectors hai. Tum 10 ko le jaa sakte ho.
Chris : Right! Team C ka kaam rahega criminal aur gang ke liye trap bichhaana. Location dekh ke Team C iss kaam ko turant anjaam degi. Officer! Isme aap ke saath Andre rahega aur 10 inspectors.
Senior Officer : Theek hai!
Chris : Terashima?
Terashima : Yahi na ki mein Team B ko lead karungi? Aur mera kaam hai criminal ko trap tak laana jo Team C bichha ke rakhegi. Hai na?
Chris (smiles) : Exactly!
Senior Officer : Hmph! Mene seeking helicopter ke liye bhi keh diya hai. Ushant Island ghane ped paudho se ghira hua hai. Agar woh chhipta bhi hai, toh raat ke andhere me helicopter hamara hathiyaar banega. Bach ke jaane waala nahi hai ab woh.
Chris : Alright then! ‘Operation Save Natalia’ starts now.
***
French department for Lighthouses and Lightships~
Ushant Island ek kaafi khubsoorat aur bade islands me se ek raha hai France ke liye.
Ushant par ek lighthouse bhi sthit tha, jo apni khubsoorti aur samudri tat se lage hone ke kaaran jaana jaata tha.
France ke iss Department me cabin ke andar ek aadmi apni kursi par pasre apne phone par baat karne me laga hua tha.
"Haan baby! Arre aaj jaldi aaunga na. Tum taiyaar rehna. Hehe!"
"Haan bas kuch derr me nikal jaunga baby!"
"Baby aaj jam ke karenge. Hehehe~"
Woh apni maashuqa se batiyaane me laga tha jab achanak se uske cabin ka darwaza zorr se khula aur ek dahaad bhari awaaz uske kaano me padi,
"Tu phir phone pe laga hai? Complaint aayi hai mujhe sailors se ki Ushant ka Lighthouse band pada hua hai. Check kiya kya bey tune ki nahi??? 10 minute ke andar mere paas details honi chahiye saari meri table pe."
Zorr se apne senior ki awaaz sunte hi woh aadmi hadbada ke utha,
"B-Baby mein jald hi aata hu. A-Abhi kaam hai thoda sa. Bye!"
Woh seedhe baith turant hi apne computer par lag gaya. Uska senior usse lataad ke gaya tha. Uski mashuqa ne bhi daant sunn lii thi. Bechare ka dimaag kharab ho gaya.
'Ye madarchod sailor log. Saala istemaal inko GPS, radar reflector hi karna hota hai. Par Lighthouse band pada dekh ke bas chugli karni hai. Ungli karni hai betichodo ko.'
'Madarchod GPS istemal karte ho toh lighthouse band hai ya chalu, tumhari gaand me keeda kyu kaat'ta hai? Gaand me ghusedoge kya lighthouse? Complaint rakh di betichodo ne. Saalo ki naav hi doob jaaye agli baar hmph!'
Woh kheejte hue apne system par lag gaya. Usne lighthouse se communicate karni ki koshish ki toh usse ek jhatka laga.
Lighthouse se pichle 3 din se koi communication nahi hua tha aur na hi koi signal aaya tha.
France me kayi Lighthouse the. Jinse sampark ka kaam yahi department kiya karta tha. Inka kaam zyada kuch rehta nahi tha. Cabin me baithe baithe ye bas tankha khaate the apni. Isliye dhyaan bhi kam hi dete the.
Aadmi ne jab ye dekha ki pichle teen din se communication zero ho rakha hai. Uske badan me sihran daud gayi. Apne senior se woh bohut hi buri tarah daant khaane wala tha aaj.
'Baby!! Aaj lagta hai time ho jayega aane me.'
Sochte hue woh ek paper par details note down karne laga.
Harr lighthouse par ek Lighthouse keeper maujood hota tha.
Lighthouse keeper ka kaam rehta tha ki woh lighthouse ki dekh-bhaal kare. Lights se leke uske lens, clockwork mechanism, maintanence se leke uski saaf-safayi tak. Aur department ko samay samay par signals bhejte hue waha ka haal chaal batana. Sab ek lighthouse keeper hi karta tha.
Parantu, department ke logo ko kya pata tha ki Ushant ke lighthouse ka keeper...!
Crimson Festival me sharks ka pehla ahaar bann chuka tha.
Ab toh na hi woh milne waala tha. Aur na hi uski laash.
***
Ushant Islands.
Idhar Veer aur Eric Island par pohuch chuke the.
Eric : Hum pohuch gaye. Woh dekho neeche. Airstrip bhi hai Island par. Aur wo raha airplane. Zaroor ussi me Singer Natalia ko pakad ke laaye honge wo log.
Veer chopper me baithe-baithe neeche dikh rahi cheezon ko scan kar raha tha. Raat ka andhera hone ki wajah se usse kuch khaas nazar nahi aaya.
Parantu, kaafi cheezein jaise ki airplane aur sadak usse dikhaayi de rahi thi. Usne airplane ko check kiya toh pata chala ki ye airplane Paris ke airport ka tha.
Veer : Landing aisi jagah karna jaha chopper ko nazro se chhipaya jaa sake.
Eric : Alright! Thoda aage le leta hu. Aur wo dekho-
Eric ne ishaara kar Island ki sabse pramukh cheez dikhaayi.
Ushant ka Lighthouse.
Eric : Lighthouse dekh rahe ho?
Veer : Hmm!
Eric : Uske theek peeche ek building hai. Jisme Lighthouse ke liye supplies ko rakha jaata hai aur rehne, odhne, khaane, peene ki saamagri bhi rehti hai waha.
Veer : That means wo sabhi zaroor building me honge.
Eric : Yes! Absolutely! Lekin hamaare chopper ki awaaz se woh satark ho gaye ho shayad. Wese toh hum kaafi dur hai unse. Lekin phir bhi-
Veer : Don’t worry! Mein satark rahunga!
Eric : Haan~ Mein wahi kehna chaah raha tha.
Eric ko chopper ke liye tabhi ghane ped paudho ke beech ek khaali sapaat jagah nazar aayi.
Eric : Accha hua chopper me raat ke liye spotlight lagi hai haha! Warna ye jagah hamari nazro se chooth ke nikal jaati.
Aur usne fauran hi savdhani se chopper ko dheere dheere waha land karwa diya.
Chopper ki pankhi band hote hi Veer uss se baahar aaya. Usne dekha ki peeche ke seat ki neeche kaafi samaan rakha hua tha.
Veer : Gun?
Eric (smiles) : Safety ke liye.
Veer : Aur ye!? Blade? Itni badi?
Eric : Ye reciprocating blade hai. Metals kaatne me madad karti hai. Mujhe helicopters ka poora A to Z gyaan hai haha! Repairing bhi mein hi karta hu. Kabhi kabhi ye blade kaam aati hai.
Veer (nods) : I see!
Veer ne haath aage badhate hue wo badi si blade utha li aur apne kandhe par rakh li.
Eric : Y-Ye tum-!?
Veer (smiles) : Safety ke liye.
Usne uska hi dialogue uss par de maara.
Eric (sighs) : Fine! Tumhare saath mein bhi chalta hu. Gun hai mere paas. Lekin mein logo ko jaan se nahi maarunga. Bas darrane ke liye air fire kar sakta hu ya fir non-lethal shots maar sakta hu unpe. Magar, mein baahar hi rahunga.
Veer : That's okay!
Eric : Aur tum bhi khoon-kharaabe se bachna. Sirf Singer Natalia ko churrana hai. Logo ko maarna nahi hai.
Veer : I know!
Dono waha se nikle. Eric ne apne muh par ek kaala kapda baandh liya. Veer ne uski harqato ko dekha toh Eric bol pada,
Eric : What? Public enemy tum bane ho. Mein nahi! Mujhe toh apna chehra dhakna hi padega na.
Veer : Right! Right!
Lighthouse se guzarte waqt Veer Lighthouse ke saamne ruka.
Eric : Kya hua?
Aur bina Eric ko jawaab diye, Veer ne Lighthouse ki entrance ka darwaaza ek laat maarte hue tod ke bikher diya.
Uski tabadtod laat ki shakti dekhte hi Eric ki aankhein phati ki phati reh gayi.
Eric : Wh-Whatttt????
Veer ahista se Lighthouse ke andar ghusa, toh usne dekha ki lambe-oonche tower ki tarah tha woh. Sarr upar kar usne dekha ki kaise ghumaav-daar seedhiya gol ghoomte-ghoomte upar ki orr gayi hui thi.
Usne fir neeche apne aas paas dekha. Aur apne kandhe se blade hataate hue woh ghumaav-daar seedhiyo ki madad se blade ko beecho-beech set karne laga.
Eric : Y-Ye kya kar rahe ho tum?
Veer : Safety measure!
Eric : Huh?
Eric ki kuch samajh nahi aa raha tha ki akhir Veer karna kya chaah raha tha. Blade ko aise beech me lagaane ka kya matlab tha?
Usne dekha ki Veer ne blade ki dhaar ko upar ki disha ki orr kiya hua tha.
Eric bhale hi na samajh paaye lekin Pari sab kuch samajh gayi thi.
[Master- This...!]
'Haan Pari! Mujhe lagta hai woh yahi hai.'
[System wala vyakti!!]
'Right!'
Pari aage kuch na boli. Usse apne Master par bharosa tha. Baahar nikalte hi Veer ne dekha ki Lighthouse ke theek saamne ek sakra rasta gaya hua tha jo aage jaake kisi badi jagah par khula hua tha. Raste ke agal-bagal vishaal puraane pathharo se bani deewaar thi.
Eric : Ye raasta aage jaa ke band hai. Tum waha jaoge na toh samudra ka bohut hi khubsoorat nazara dekhne ko milega. Sunset ke samay waha se prakrati ki khubsoorti dekhne ka maza hi alag hota hai.
Veer : I see! Par filhaal hamare paas uske liye samay nahi.
Eric : Hmm! Agar aaj hum baahar nikle toh mein yaha pe tumhe baad me laa sakta hu sunset ke liye haha! Let's go now!
Dono waha se nikle aur Lighthouse ke peeche ki building ke sameep pohuche.
Veer : Tum yahi ruko! Mein andar jaata hu.
Eric (nods) : Hmm! S-Sambhal ke jaana! Wese to mujhe tumhe yaha lana hi nahi chahiye tha. Prakash Sir mujhe chhorne waale nahi hai. Lekin fir bhi-
Veer : Tum meri chinta mat karo. Tum bas apne aap ko safe rakhna. Kuch hi derr me Natalia hamare saath hogi.
Eric : Aisa bhi ho sakta hai ki unhone hume aate hue sunn liya ho. Aur ambush bana ke rakhe ho. Don't fall for that...!
Veer (nods) : Hmm! Aur suno! Jab mein tumhe dekh ek ungli se ishara karu toh iska matlab hai mein tumhe chopper ko yaha laane ke liye keh raha hu.
Eric : Ohh!
Veer : Aur jab do ungli se ishara karu toh samajh jana ki fire karne ke liye keh raha hu.
Eric (nods) : Theek hai!
Veer ke expressions agle hi pal serious ho gaye. Aur woh building me ghus gaya.
Peeche khada Eric apne aap se hi sawaal kiye jaa raha tha. Wo yaha Veer ko laaya hi kyu? Koi bhi bata sakta tha ki ye maut ke muh me ghusne ke barabar tha. Fir kyu?
Woh bechara ye nahi janta tha ki isme uski koi galti nahi thi. Kamaal tha toh woh tha Intimidating Presence ka.
Jisse Veer equip kiye baithe hue tha.
Veer ke aas-paas hone maatr se Eric ko usse dekh ek Raja ke hone ka ehsaas ho raha tha. Chaahte hue bhi woh Veer ki ek bhi request ko mana na kar saka.
Idhar Veer Eric ko baahar chhodh building ke andar pravesh kiya.
Safed rang ki ye building kaafi badi thi. Ek ground floor, first floor aur second floor tak kul level the building me.
'Ye toh kaafi badi hai.'
[Right Master! Basically, ye pehle ke samay ke hisaab se banayi gayi hai.]
'What do you mean?'
[Pehle GPS wagarah kaha hote the. Ships ko sahi disha dikhaane ka kaam Lighthouse hi kiya karta tha.]
'I know that!'
[Toh pehle Lighthouses bohut zyada istemaal kiye jaate the. Lighthouse keeper ka parivaar bhi uske saath hi rehta tha. Shipwrecks ke dauran aksar ghayal sailors ko thehrane ke liye jagah ki zaroorat toh hoti hi thi.]
'Hmm!'
[Ye building tab unn baato ko dhyaan me rakh ke banayi gayi thi.]
'Isliye itni badi hai.'
[Yes Master.]
'I'm sure Ava ko woh sab upar hi le gaye honge.'
[Master! Be careful! Dono floors ko savdhani se explore karna. Hum galti se bhi nazar me aaye toh kaam bigad jayega.]
'Don't worry! Just leave that to me!'
Aur Veer apni badhi hui Agility ke chalte pehle se bhi tezz cover lete hue ek jagah se dusri jagah jaa jaa kar upar seedhiyo me chadhne laga.
First floor par aate hi Veer ne daaye-baaye pehle sab kuch bhaanpa. Ekdum shaanti si chhaayi hui thi.
Kahi koi dikhayi nahi de raha tha. Upar se raat ka ghapp andhera. Corridor me line se kuch kamre bhi bane hue the.
'Ye kisi chote school building ki tarah lag raha hai.'
[Well! Ye kamre emergency me sailors ke rukne ke liye banaye gaye the.]
'Just where is she?'
Woh aage badh hi raha tha jab Mission fir upgrade hua aur,
*Ding*
[Mission location upgraded.]
[Location : Second floor.]
Aur Veer ko uska jawaab mil gaya.
'Second floor huh!'
[Now be careful. Wo gang members honge upar. Stealth ka istemaal karna hoga. Jitna hum nazro se bach ke andar jayenge utna behtar hoga.]
'Right!'
Veer pehle maale se dusre maale ki orr badha. Aur seedhi pe hi usse ek aadmi gun liye khada hua dikhayi diya.
Deewar ki aadh liye Veer khud ko chhipaaye hue tha. Woh aadmi harr 5-6 minute me upar ki orr jaata tha. Kuch derr waha rukta aur fir neeche aa jaata. Fir kuch derr yaha rukta.
Veer sahi samay ka intezaar kar raha tha. Iss baar jaise hi woh aadmi palat ke upar jaane ke liye hua toh-
*Whoosh*
Tezz raftaar me uss par koi peeche se aake lapka. Uske muh ko haatho se dhaka. Bhay ke maare aadmi ki aankhein fel gayi.
Chillaane se pehle ya koi harqat karne se pehle hi,
*Ding*
LIMBO!!!
*Crack*
Aur uss aadmi ka haath achanak hi ajeeb disha me mud gaya.
Dard ki karaah nikaalne se pehle hi uski gardan par ek vaar hua aur uski aankhon ke saamne andhera chha gaya.
'One down!'
Veer ne turant hi uss gang member ko seedhiyo se kheecha aur neeche pehle maale par laate hue ek kamre ke andar usse lita diya.
Usne dekha ki kaise gang member apne chehre par bandana scarf baandhe hue tha aur sarr par cap lagaaye hue tha. Apna huiya chhipaane ke liye.
Veer ne apne mehnge kapde utaar ke feke aur uss aadmi ke kapde apne upar daal liye. Kuch tight se the par kaam bann gaya.
Usne bhi chehre par bandana scarf baandha, cap lagaayi aur uski gun thaamte hue woh upar second maale par chadh gaya.
Upar aate hi Veer ne baaye se daaye nazre ghumaayi. Woh muda aur waapas neeche aa gaya.
Upar kayi gang members tainaat the. Na hi kisi ne uss par dhyaan diya aur na kisi ne usse dekha.
Par ek nazar maarte hi Veer ko upar ka andaaza lag gaya tha. Gang members ke subconscious mind ko yahi laga ki Veer unka hi saathi tha. Isliye uss par dhyaan nahi gaya kisi ka.
Upar se ghapp andhere me bas 2 hi bulb the jo jal rahe the. Veer ke liye andhera aaj uski madad karne wala tha.
'Kareeb 8 log the. Right?'
[That's right! Ye sirf baahar ke corridor me hai. Zaroor andar jis kamre me woh Ava ko rakhe hue hai waha bhi kayi log honge.]
'Of course!'
[Terrace par bhi ho sakte hai. Aur ye bhi possible hai ki unhone hamare chopper ko dekh liya ho. Eric ki baat sahi hai. Ambush ho sakti hai hamare liye.]
'Hmm! Mujhe Ava ka room dhundhna hoga.'
Yaha Veer savdhani barat'te hue aage badh raha tha aur udhar baahar airstrip par ek aur plane land kar chuka tha.
"C'mon quick!!! Be fast!!! Officers!!! Charge!!!"
Senior officer aur Andre 10 officers ke saath nikal gaye. Chris aur Terashima ne ek dusre ko dekha, haami bhari aur building ki orr badhe. Baaki bache 20 officers bhi unke peeche chal diye.
Yaha Veer andhere ka fayda uthaate hue harr qadam phook-phook ke rakh raha tha.
[Master! Ab agar inme se ek-do bhi gaayab hue toh unhe shaq ho jayega.]
Veer corridor me aage jaata aur wapas mud neeche ki orr chala jaata. Taaki gang members ko lage ki unka aadmi unki hi tarah pehra de raha hai.
Iss baar upar aate hi usne gang member se li hui gun uthaayi, dur ki ceiling par aim kiya aur,
*Ding*
HAWKEYE!
*Bang*
Achanak hi bulb kayi tukdo me phoot gaya. Gang members tab tak react karte ki tabhi,
*Bang*
Akhiri bacha bulb bhi phoot gaya. Aur dusra maala poora andhere me doob gaya.
Aur fir shuru hua, Veer ka tandav!
Neeche khade Eric ne jab gunshot ki awaaz suni toh woh ghabra gaya. Par fir andar se jab aadmiyo ki awaazein usse sunaayi di toh usse yakeen ho gaya ki Veer sahi salamat tha abhi ke liye.
Bechaare Eric ko wese hi zyada kuch nazar nahi aa raha tha. Wo bas Veer ke ishaare ke liye ruka hua tha.
"Aaaarggghhh!! K-Kaun hai?? Fire!!! Fire!!! Koi lights on karo! Jaldi!!"
"Urrrghhh!!"
*Bang* *Bang* *Bang*
Gang members andha-dhundh firing karne lage.
Unki khud ki goliyaan unhe aapas me lagne lagi. Toh ye dekh unme se ek chillaaya aur firing rokne ke liye bola.
Baahar hue achanak shor se kamre ke andar maujood gang members turant hi daud ke baahar aaye. Kamre ka darwaza khulte hi andar ki roshni baahar corridor me thodi feli toh woh sabhi darwaaze ke paas ikhatta ho gaye.
Toh wahi terrace par khade log bhi afra-tafri me neeche aaye. Unhe pata tha ki koi aa raha hai par unhe ye nahi pata tha ki achanak se iss tarah koi aayega jisse woh dekh hi na paaye.
"Tum!!! Jao andar aur waha rakhe bulbs me se do utha ke lao aur bulb change karo. Jaldi!"
Unke leader ne ek se bola. Member bhaagte hue andar gaya. Ava bechaari haath perr me rassiyo se bandhi wahi ek kone me stabdh nigaaho se shor ko sunn rahi thi.
Koi usse bachaane aaya tha?
Member light bulbs ka dibba uthaate hue baahar ko aaya. Wo sabhi apne mobile ki flash lights se dekhne me lage hue the.
Unhone dekha ki toota hua bulb jo wire se latak raha tha woh daaye baaye hil raha tha. Matlab waha se koi hoke nikla tha.
"Huhhh!! K-Kaun hai? Saamne aao!! Warna accha nahi hoga."
Jo banda bulb replace karne aaya uske saath 2 aur bande the. Lekin jagah tak aate hi,
*Bang* *Bang* *Bang*
"Aaaaaarggghhhhh!!!"
Teeno ke hi perro par goli aake lagi aur teeno wahi pasar gaye. Gang members dikkat me aa gaye.
Toh wahi neeche se Chris apni team ko leke dabe paav haatho me gun liye upar chadh raha tha.
Chris : Aate jao! Aate jao! Shhh!! Upar fight ho rahi hai. Ye log aapas me kyu lad rahe hai?
Inspector : Kahi humse pehle toh koi nahi aa gaya?
Chris : Pata nahi! Cover leke aage badho. Aur cover me hi rehna.
Woh sabhi upar aaye toh unke aane ki awaaz bhale hi gang members ko sunayi na di parantu Veer ke kaan awaaz sunte hi khade ho gaye.
'Police?'
[They are here for Ava! Master! Aap pe label laga hai. Aap inki nazro me nahi aa sakte.]
'Tch! This is bad Pari!'
[Ye accha bhi hai. Ab gang members aur Police force aapas me bhid jayegi. Aur hum apna kaam mauka dekh ke kar sakte hai.]
Veer ne haami bhari. Usse pata tha Ava ussi khule darwaze waale kamre me hi thi.
Uski aankhein turant hi laal hui. Woh aage badhne hi wala tha jab achanak se hawa me usse theek apne peeche se ek gandh aati maalum padi.
*Sniff*
Usse soonghte hi Veer ki aankhein alert ke maare fel gayi.
'Blood!?'
*Whoosh*
Woh saamne ki orr uchka aur roll kiya. Aur tabhi,
*BAMMMMMMMM*
Jaha woh khada hua tha waha ki zameen par bichhe kuch tiles toot kar ukhad ke hawa me ucchal gaye.
Veer (frowns) : I knew it!!!
Uske saamne firse wahi tha...!
Crimson!
Apne haath se chaaku par laga khoon pochhte hue Crimson ne ungli se usse jhatkaara.
Crimson (smiles) : Maan'na padega. Tumhare senses sharp hai.
Chaaku usne apne hi haath par jaan boojh ke chalaayi thi. Woh Veer ki smelling sense ko check kar raha tha. Dekhna chaah raha tha ki kya blood ko soongh Veer react karne me kitna samay leta hai.
Veer (growls) : Tum...!
Crimson : Hahahaha! Harr bar ye 'tum' kehna kab band karoge Veer?
Woh hassa. Par uske chehre se agle hi pal mazaakiya bhaav gaayab ho gaye.
Crimson : I'm Crimson!!
Veer : !!!??
Crimson : Yes! Tum sahi soch rahe ho. Crimson Festival mere hi naam par hai.
Veer (frowns) : So, it's clear you are behind this.
Crimson : Hahahaha! Of course! Of course!
Veer : Why are you doing this? Agar mujhe maarna hai toh Natalia ke peeche kyu pade ho?
Crimson : Hahahaha! Tumhe bataane ka koi matlab nahi. Tum wese bhi kuch derr me marrne waale ho. Lekin tumhe abhi kuch derr zinda rakhna hoga. Warna mera purpose kaise poora hoga? *smiles*
Veer : What!? *frowns* You are again planning something!!!
Crimson : Haan lekin iska matlab ye nahi ki mein tumhaare saath kuch derr mazze nahi kar sakta. Right? Hahahaha!
Woh hassa aur agle hi shan,
*Swoosh*
Tezz hawa ki tarah woh aage aaya. Uski ek laat seedhe Veer ke kaan par padne ko aayi.
Veer ne ek jhatke me apna haath upar utha ke apna kaan block kiya aur,
* BAAAAMMMMMM*
Impact se woh terrace ki orr jaati seedhiyo par ucchalte hue girne ko hua. Uska shareer upside down tha.
Girne se pehle hi usne apna ek haath stairs par tikaaya aur back-hand spring maar woh khada ho gaya.
Crimson : Hoo~ Not bad! Tumhare acrobatics toh kamaal ke hai.
Veer ki aankhein laal thi.
'Pari! Akhir woh mere peeche kaise aa gaya? Mujhe uske aane ka pata tak nahi laga.'
[He must be using some kind of stealth skill. Ye uski koi dusri skill hogi Master.]
'Uski skill ko dhoondhne ka kaam mein tum par chhorrta hu.'
[I'm on it!]
Veer seedhe upar ki orr gaya aur terrace par aaya. Waha rukna theek nahi tha. Gang members aur Police ki ladaayi shuru ho chuki thi.
Unse dur rehna hi sahi tha.
Crimson ahista se chalte hue aaya aur usne terrace ka darwaza band kar diya.
Crimson (smiles) : Let's start the show.
Aur dono aapas me bhid gaye.
Unke punches ki speed aam aadmi comprehend hi nahi kar sakta tha.
*Whoosh* *Whoosh* *Bam*
Dono hi vaar karte, defend bhi karte aur dodge bhi karte.
Veer ko abhi bhi utna hi dard ho raha tha jitna pehli fight me usse hua tha. Ye endurance na badhaane ka nateeja tha.
Lekin ab woh hamlo ko aur clearly dekh paa raha tha. Aur Crimson ko apne punches block karne par majboor kar raha tha.
'He's a little stronger than me!'
[Don't worry! Just hold on!]
Fir bhi, Veer utna strong nahi tha ki Crimson ko overpower kar sake.
Ek laat aayi jisse woh samay pe defend na kar saka.
Peeche hawa me shareer uska uda aur terrace ki boundary waali deewaar se Veer jaa bhida.
"Urggghhh!!"
Veer ne mud ke neeche dekha toh paaya ki Eric wahi chhupa hua tha.
Apne haath se Veer ne ishaara kiya. Par neeche baithe Eric ko ghanta kuch dikhaayi de raha tha.
Aankhein meeste hue usne dekhna chaaha.
Eric : Ohh Fuckkk! Behanchod! Kuch dikh nahi raha. Abey ek ungli hai ki do?
Idhar Veer usse mann hi mann kossne me laga hua tha.
Eric ne bas mundi haan me hilaayi aur waha se bhaaga.
"Fuck!! Mein chopper laa raha hu. Hope usne ek ungli ka hi ishaara kiya tha."
Upar Veer jaise hi palta firse destruction shuru ho gaya. Crimson aur uske hamlo se deewaro se eete aise toot ke nikal rahi thi jaise maano putthe ke cardboards se bani hui ho.
Mauka dekhta hi Veer ne do vaar apne upar liye, woh Crimson ke peeche aaya aur uski kamar par apne haath baandhte hi,
"Haaaarrrrrgggghhhhh!!!"
Hawa me usse utha ke peeche ki orr le gaya aur,
*Boooooommmmm*
Zordaar awaaz waha goonj gayi. Crimson apne sarr ke bal floor par gira tha.
"Y-You! You bastard!!! Haaaaaarrrghhhhh!!!"
Uski rage bhadak uthi. Veer pe woh aise barsa jaise bhooka sher memne ko dekh uspe hamla karta hai.
[Master! He's using a card. Beowulf ki tarah ye card bhi usse buff deta hai. Beowulf band mat karna warna aap maare jaoge.]
Crimson ka aura badal chuka tha. Uski aankhein aag baboola thi.
Idhar neeche Terashima building ke baahar se sab kuch sunn paa rahi thi.
Terashima : Andar ke halaat theek nahi lag rahe. Aap sab log andar jaiye. Bas aap me se koi 2 inspectors mere saath rukiye.
Uski baat maan bache 8 inspectors upar chale gaye.
Aur waha se tab tak Eric apna chopper leke building ki disha me badh chuka tha.
Andre aur senior officer jo trap biccha ke baithe hue the unhone jab chopper ko udte jaate dekha toh woh tension me aa gaye.
Senior Officer : Ye toh wahi helicopter hai na jisme baith ke woh ladka bhaag nikla tha?
Andre : Shayad wahi hai!
Senior Officer : Toh hum yaha kya kar rahe hai? Chalo! Kahi woh bhaag ke na nikal jaaye.
Andre : Nahi! Abhi koi signal nahi aaya hai. Matlab situation hamare control me hai. Also, aapne dekha nahi? Woh ek chopper hai. Helicopter nahi. Matlab usme koi artillery nahi lagi hai.
Senior Officer : Ohh!
Andre (nods) : Hume apni ambush par dhyaan dena chahiye.
Senior Officer : Theek hai!
***
Building ke upar tabahi machi hui thi. Crimson Veer ko pakad pakad ke deewaaro se bhed raha tha. Terrace ke darwaaze par woh Veer ko fek usse bhi tod chuka tha.
Veer ki body bloodied ho chuki thi. Haafte hue Beowulf ke chalte woh bas tika hua tha.
Agar Beowulf na hota toh Veer ka ab tak bharta bann gaya hota.
Jagah jagah se usse khoon nikalne laga tha. Jab jab woh bhidne ke liye hota, toh Beowulf se turant hi Bone Reaper ko switch kar leta.
Aur issi ki wajah se uski haddiya abhi tak bachi hui thi. Warna unka choorma bann jaana tha.
Saath hi baar baar switch karne se Beowulf's Blessings ki timing bhi uski bachi hui thi.
Lekin zyaada nahi.
[Master!! This is bad!! Beowulf's Blessings ki time limit khatam hone waali hai. Sirf 1:30 minutes hi bache hue hai.]
Ye sunte hi Veer ghabraaya. Woh boundary par aadha latka hua tha. Toote hue pillar ki rod tak toot chuki thi. Usne rod haath me li toh usse ehsaas hua ki ye tooti hui thi.
Crimson uss par vaar karne aa raha tha. Usne jaise hi apna punch launch kiya,
*Swoooossshhhhh*
*Ding*
HAWKEYE!!!
Veer ne haath me pakdi rod seedhe uski aankhon par nishana laga ke maarni chaahi.
Parantu,
*Dodge*
[Whaaaatttttt?????]
Pari ke hosh udd gaye. Crimson ne itni paas se Hawkeye se kiya vaar bhi dodge kar liya tha.
[J-Just what is he using????]
Crimson ne Veer ko uske gale se pakda aur,
*Booooommmmmmmmm*
Itni zorr se usse zameen pe patka ki zameen dhass gayi.
Ek aur vaar aur Veer terrace se gir ke seedha dusre maale par pohuch jaata.
*Puaaakkkkk*
Muh se dherr saara uske khoon nikla.
[Maaaastttteerrrrr!!!!]
*Cough* *Cough*
Crimson : Mujhe maarega tu? Haan? Mujhe??
Uska sarr pakad Crimson zameen par usse zorr se bhidaane laga.
*Baaaaammmmm*
*Baaaaammmmm*
*Baaaaammmmm*
[Noooooooooo!!!!]
Crimson : Tujhme utni aukaat nahi Veer ki tu mera muqaabla kar sake. Samjha na?
Veer ke sarr ke peeche se khoon behna shuru ho chuka tha. Haddi Bone Reaper se bhale hi protected ho. Par chamdi nahi thi.
Saath hi concussion hone ka bhi darr tha.
Adhkhuli aankho se Veer usse dekh raha tha. Usne agle hi pal apne peeche se gang member ki wahi gun nikaali aur-
*BAAAANNNGGGG*
Magar,
*Dodge*
[It can't be-!!!!!]
Crimson (smiles) : You think your puny trick will work on me huh?
Udhar hawa me Eric apna chopper liye jaise hi building ke nazdeek pohucha, saamne ka haal dekh uske hosh udd gaye.
Chopper ki light ki madad se woh dekh paa raha tha ki kaise ek aadmi Veer ke upar baithe usse kootne me laga hua tha.
Chopper ko building ke ekdum bagal se udaate hue Eric ne control ek haath se sambhaala.
Eric : Shit shit shit!
Apni gun nikaali aur-
*BANNNNGGGGGG*
Crimson ke sarr ki orr fire kar di. Parantu ek baar fir-
*Dodge*
Usne bullet dodge kar li thi. Pari ke saath saath Eric bhi hairaan tha.
Agle hi pal Crimson ka gussa aur matthe chadh gaya,
Crimson : You little fucker-
Veer ko khoon se sane chorr woh utha. Palat ke usne Eric ko dekha aur fir-
Eric ki aankhein bhay ke maare fel gayi jab usne uss aadmi ko seedha apni orr daudte hue aate dekha.
Woh react kar paata ki tabhi uss aadmi ne terrace se aisi chhalaang lagaayi ki agle hi pal woh chopper ke andar tha.
Eric ki bolti band ho gayi.
Agle hi shan ek mazboot pakad ne uske gale ko pakda.
Eric : *Gwaakhhh*
Crimson : Bohut maza aata hai peeche se vaar karte hue haan?
Eric : Y-You...! You are-!!
Crimson : Don't worry! I'll give you a nice death.
Uska gala pakad usse hawa me uthaate hue Crimson chopper ki entrance tak aaya. Chopper ab bhi hawa me hi tha.
Eric ke baal chopper ke upar lagi tezz ghoomti blades ke chalte idhar se udhar hone lage.
Jeevan me pehli baar aaj usse maut ka ehsaas hua.
Crimson (smiles) : Don't panic. Bas tumhe thoda sa upar karunga. Aur game over.
Uski baat sunte hi Eric ke badan se uski aatma nikal gayi jaise.
Dheere dheere Crimson haivaano wali muskaan liye Eric ko ek haath se pakde upar uthaane laga.
Eric ka badan aise chhatpata raha tha jaise bin paani ke macchli chhatpatati hai.
Teen inch!
Do inch!
Ek inch tak le jaate hi abhi Crimson usse upar kar uska ant karne hi wala tha jab,
*BAAAAAMMMMMMMM*
Ek tezz laat aisi aake padi usse ki woh darwaze ke baahar gir latak gaya aur Eric bhi gira parantu,
Ek haath ne usse upar kheench liya. Chopper ka stable control tabhi bigad gaya.
'Shitt!!!'
[Masterrrr!!!]
Eric : V-Veeeer!!?
Veer ne Eric ko darwaaze ke paas laaya aur,
*BAAAAMMMMMMM*
Usse zorr se ek laat di, jiske chalte Eric chopper se nikal building ki terrace par jaa gira.
Woh roll karte hue deewaar se jaa bhida aur turant hi behosh ho gaya.
'Sorry mate!'
Chopper apna balance kho chuka tha. Veer se chopper udaana nahi aata tha.
Crimson tab tak upar chadh raha tha. Neeche khadi building ke baahar Terashima aur 2 officer hairaani me hawa me ho rahe iss kaand ko dekh rahe the.
Chopper gol gol ghoomne laga aur tabhi,
*BAAAAAMMMMMM*
Chopper ka pichla hissa uss sakre raaste ke agal bagal bani pattharo wali deewaar se takraaya aur agla hissa aage udte hue seedha Lighthouse ke sarr se jaa bhida.
Crimson : Bastard-!!!
Crimson upar chadha hi tha ki,
"Haaaaaarrrghhhhh!!!!"
Veer uss leke kood gaya.
*BOOOOOOOOOOOOMMMM*
Lighthouse ka chhajja tod woh dono andar gire.
Dono ke shareer hawa me the aur dono hi tezz raftaar se itni uchhaayi se neeche gir rahe the.
Veer ka badan neeche the aur Crimson ka uske upar. Woh hawa me bhi punches par punches uss par barsaaye jaa raha tha. Aur Veer unn punches ko sehen karta jaa raha tha.
Toh wahi Terashima aur inspectors ki aankhein darr ke maare phat gayi jab unhone dekha ki upar se chopper seedha unke upar hi aake gir raha tha.
Terashima (screams) : GET AWAAAAYYYYYY!!!
Aur,
*BOOOOOOOMMMMMM*
Ek bhaari blast ho gaya.
Aur yaha Lighthouse me gir rahe Veer aur Crimson aapas me jhapte hue the.
[Maaaastttteerrrrr ~]
Jab agle hi shan,
Veer ne Crimson ki collor pakdi aur,
*Whoosh*
Usse palta ke neeche kar diya.
Crimson ki aankhein pehli baar darr ke maare badi ho chali,
Kyuki neeche,
*Khhhhhaaaaaccccchhhhhhhh*
"Aaaaaaaaaaaaaarrrrrrggghhh!"
Ek dard bhari cheenkh Lighthouse ke andar goonj gayi.
Crimson ki baah aadhe se zyaada chir chuki thi.
Ye wahi blade thi. Jisse Veer ne building me ghusne se pehle set ki thi.
Aur Veer apna wazan liye uski collor pakad ussi pe latka hua tha.
[Master! Isse yahi chhoriye. Woh phass chuka hai. Let's go to Ava!]
Apne qadam zameen par tikaate hue Veer waha se baahar aaya.
Toh wahi Andre aur Senior Officer dur se sab dekh chuke the.
Senior Officer : Good god!! That blast!
Andre : Shayad hamari force ne chopper ko uda diya hai. Woh ab trap ki taraf Terashima dwara aata hi hoga.
Terashima blast ke kaaran dur jaa ke udd gayi thi. Toh wahi do inspectors impact se behosh ho chuke the.
*Cough* *Cough*
Veer ko achanak hi building se bhaagte hue uski orr koi aata nazar aaya.
Veer : Avaaaaa!!!!!
Ava : Ahhhnn!??
Ava uske paas aate hi uske haath pakad khadi ho gayi.
Veer : You!???
Ava (haafte hue) : Police saved me!! Chris helped me get out!!! Lekin woh hurt ho chuka hai. P-Par tum yaha-!?? Whyyyy??
Veer : I came to save you!!!
Ava (stabdh hote hue) : Y-Youuuu!!!
Veer : ...
Ava : Whyyyyyyyy!!??
Veer : Why? I promised you! I'll be your bodyguard. Didn't I-!?
Ava : Y-Youuu!!! Y-Ye khoon!? Ye kya haal bana rakha hai apna? Wh-What happened??? You are hurt! Quick! Police! Police ke paas-!!!
Veer : Nahi Ava! Police mere peeche hai. Ye lambi kahani hai. For now you just go~
Ava ne dhyaan bhi nahi diya Veer usse 'Ava' keh ke sambodhit kar raha tha.
Woh uske chehre me hi kho gayi. Par Crimson ki karaahti awaaz ne Veer ka dhyaan kheencha.
Veer : There's no time! G-Get away from here. Situation critical hai. Goooo!!!
Ava : Whaaaattt??? Nooooo!!! Tumhe akele chhorr ke-!!?? No waaayyy!
Veer : I'll explain later! J-Just goooo!!!
Na chaahte hue bhi Ava ko waha se nikalna pada.
Crimson jab Lighthouse ke baahar aaya toh uska chehra gusse se laal tha. Par Veer uski haalat dekh dang reh gaya.
Crimson ka ek haath...! ... gaayab tha!!
[H-He...! He fucking cut his own hand!]
Woh hamla kar paata tabhi ek bullet aayi aur uske seene ko cheerte hue nikal gayi.
Uski aankhein hairaani me phati ki phati reh gayi. Kisi ne fir se Crimson par peeche kahi dur se vaar kiya tha.
"YOUUUU FUCCCKKKKKEEERRR!"
Woh garja aur Veer ko antim baar dekh dusri disha ki orr bhaaga.
Veer mauka dekh khud bhaagta ki tabhi,
"Hands up!!"
Ek awaaz ne uske qadam rok diye.
Peeche palat ke dekha toh-
Terashima apne haatho me gun liye khadi hui thi.
Terashima : I knew it was you all along!
Veer ne apne haath khade kar diye.
Veer : W-Wait!!! Wait!! Mein koi criminal nahi! Trust me!
Terashima : Shut the fuck up!!!! Harr criminal pakde jaane par yahi kehta hai. Now tell me!!! Kaun kaun shaamil hai iss khel me?
Veer : Wh-What!!? N-Noo! Trust me! Hey listen! DGSI ko koi galat fehmi hui hai.
Terashima : Hmph~ Hume pukhta khabar mili thi. It was you who took the pass.
Veer : ???
Terashima : Woh tum hi the jisne Natalia ko kidnap kiya.
Veer : N-Nahi!!
Terashima : Woh tumhi the jo usse yaha par leke aaye.
Veer : N-Nooo! Don't you see? Mein Natalia ka bodyguard hu. Y-You can check and ask her.
Terashima : Hmph! Kahaniya banaane se kuch nahi hoga. Surrender! NOW!!!
Veer : Tch!
[Woh yakeen karne waale nahi hai.]
Terashima ne kuch derr intezaar karte hi apne earpiece me message bhej diya.
"I have him. But he's not cooperating!"
Message milte hi Andre ne uska message DGSI ko forward kiya.
Aur udhar DGSI aur anya agency ke members jo sab saath me baithe hue the unhone waha se faisla suna diya.
"Change the arrest warrant to Dead or Alive."
Aur Andre ko message jaise hi mila aur Terashima ko woh forward kar diya.
"Agar co-operate nahi kar raha hai toh taango pe goli maar do."
Terashima : Woh pehle se hi bohut ghaayal hai. Mujhe nahi lagta ki ek bullet perr pe woh-
Woh abhi bol rahi thi jab achanak hi uske upar ki pattharo ki wahi deewaar achanak se giri.
Ye wahi deewaar thi jis se chopper peeche se takra gaya tha.
'Ohhh shitttt!!'
Veer : Move away!!
Veer ne jaise hi woh dekha. Woh Terashima ki orr lapka-
Terashima : Y-Youuuuu-!!!
*BAAAANGGGGGG*
Aur usne goli chala di.
*Splurt*
Bullet Veer ke kandhe par aayi aur chamdi ko cheerte hue andar ghus gayi.
Par samay par Terashima ko pakad usne turant hi usse waha se dur phek diya.
Aur upar ki deewaaro se kuch patthar lagataar Veer ke upar girte chale gaye.
[Maaaaaasssstttttttttteeeerrrr!!!!]
Terashima ki body jaa ke thos deewar se jab bhidi toh sarr par impact hone ki wajah se uske hosh jaane lage.
Akhiri drishya jo usne dekha woh ye tha ki jaha woh khadi hui thi, waha dherr saare bade bade patthar girte jaa rahe the.
Usse realize hua,
'Wh-Why did you-!!? S-Sav...e... m..e...!?'
Par uski aankhein agle hi shan band ho gayi.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Phew! Update likhte likhte meri haalat kharab ho gayi. Yeah! Screen ko overtime de diya toh meri aankhein jal rahi hai. Ye update 8.1k words ka hai. Mene sab kuch dikhaya hai isme. Jitna dikha sakta tha. Aur bohut mehnat ki hai iske liye. Toh bhulne ka nahi guys. Apna apna kaam karke jaane ka. Like ko daba ke thokne ka revos rakhne ka. Agle 2 update bhi bohut bhaiyankar hone waale hai.
Dhanyavaad!![]()
Bhai kiya kamal ka twit dala hy Ava ka yaar dimag ki taren hil gaiUpdate - 141 ~ The Last Breath
Ab tak...
Magar, agle hi second woh saaya waha se gaayab ho gaya.
Aur idhar,
Raghu : Kya baat hai? Tu kuch pareshaan lag raha hai?
Jassi : Huh? N-Nahi! Kuch nahi! Chal!
'Akhir wo kya tha??? I'm sure mene uchaayi par wo saaya dekha tha. Kya wo koi jaanvar tha? Samajh nahi aa raha.' Jassi apne mann ki gutthi me uljha reh gaya.
Ab aage...
Ushant Islands~
“Urrrrghhhh~”
Ek dard bhari karaah unn bhaari vishaal pattharo ke neeche se aayi. Veer unke neeche daba hua tha.
Haddiya to Bone Reaper ke chalte sahi salamat thi parantu, unn pattharo ke bhaar se ho rahe dard ko kaise kam kiya jaa sakta tha?
Woh toh accha tha jo Veer ne neeche dabne se pehle turant Bone Reaper equip kar liya tha. Warna uski haddiyo ka choorma bann jaana tha.
[Master-!? Are you okay?]
Pari ki ek chinta-janak awaaz uske mann me aayi.
'Y-Yeah!'
Veer ne keh toh diya magar woh jaanti thi ki uske Master bilkul bhi theek nahi the.
Veer ke perro par bhaar bohut adhik tha. Ek perr bacha hua tha lekin dusra pattharo ke neeche tha. Uska seena aur ek haath bhi buri tarah unn pattharo ki chapet me aa chuke the.
'Meri fiqr mat karo. Mein kaise bhi kar ke baahar aa jaunga. Tum ye batao kya tumne kuch observe kiya?'
[I think I have figured it out Master.]
Pari kuch sochte hue boli.
'What is it?'
[Shayad mujhe pata lag gaya hai ki ye sab akhir chal kya raha hai.]
'Tell me!'
[Ye toh pakka hai ki aapko frame kiya gaya hai. Kisne kiya hai? Toh aapka guess bhi sahi hai. Uss Crimson ne hi hume fassaya hai.]
'I know that. Lekin kyu aur kaise?'
[Kyu ka jawaab mere paas abhi nahi hai Master. Lekin kaise? Uska zaroor hai. Hear me out!]
'Mein sunn raha hu!'
[I think ye Crimson-!]
'??'
[Ye Crimson hi House of the Killers ka rachayita hai. Isne hi House of the Killers jaise bade khatarnaak organisation ko banaaya hai.]
'Koi proof Pari?'
[Proof nahi hai. But meri thinking bohut strongly uski orr point out kar rahi hai. Kyuki ye Las Vegas me bhi tha.]
'Yeah!'
[Agar usse maarna hota to woh wahi maar deta. Toh maara kyu nahi? Answer is simple! He wanted to frame you! DGSI ko issi ne shayad aapke khilaaf galat info di hai.]
'Ohhh!'
[Remember the fake police?]
Pari ke bataane par Veer ko yaad aaya. Jab unn alleys me smoke bomb feka gaya tha aur Ava ka bodyguard jo zakhmi hua tha. Woh fake police ke kaaran hi hua tha.
'Shit!!! Mujhe yaad hai. Woh fake police-!!'
[Woh issi ne bheji hongi Master. Ye Terashima log tab waha hum par nigrani rakh rahe honge. Unhone jab police ko hamla karte dekha to unhe galat message chala gaya. Oh no!!! Ye mene pehle kyu nahi realize kiya?]
[Master! Isliye wo hamare peeche hai. Jab unhone dekha ki police shoot kar rahi hai toh unhe confirm ho gaya ki hum suspect hai. But these fuckers didn't know that they were fake police officers.]
'Iska matlab woh fake police ka hamla sirf mujhe suspect confirm karwane ke liye tha!?'
[Yes!!! Lekin kuch aur bhi hai-! Wo ye assume kar rahe hai ki Ava ko hum laaye hai. But that's not true. Unke haath kuch aur bhi laga hai Master. Crimson ne unhe koi aur jankaari bhi di hai. Lekin mujhe aur analyse karne ke liye samay chahiye. I'm sorry!]
'Nahi Pari! Tumne wese hi bohut kar diya hai. It's enough and- arrggh!!!'
[Maaasterrr!!!]
Veer ka dard ab badh raha tha.
[It hurts Master. I know! But please~ Stay Calm.]
Pari ki awaaz uske andar goonji toh wo apni saanson ko durust karne laga. Pari jaanti thi ki uske Master iss waqt kis haal me the. Uske bawajood woh khud ko shaant rakhi hui thi.
Yahi thi uski personality. Agar iss waqt Pari ki koi aur personality hoti toh pakke se panic mode me chali jaati. Magar, ye Pari alag thi.
[Yes! Breathe in, Breathe out!!!]
Veer lambi-lambi, gehri par santulit saansein lene laga.
[Mene aapke kandhe par lagi bullet waale ghaav ke blood flow ko rok diya hai. Blood loss se bachaane ke liye. But sorry, I cannot remove your pain.]
[Mein ek samay par aapki body me ek kaam kar sakti hu. Right now I’m focusing on your blood flow. Sorry Master! Agar mein aur capable hoti toh aapki sensory nerves par bhi dhyaan de deti. Kam se kam kuch dard kam ho jaata.]
‘You are more than capable Pari!’
[Master...!]
‘Mera dard bhale hi kam ho jaata, par damage ko toh nahi roka jaa sakta na?’
[Y-Yes Master! Body to aapki damage tab bhi hoti.]
‘Then what’s the point? It’s okay Pari! Dard se mujhe darr nahi lagta.'
[That’s-]
[Ye sab uss Crimson ke kaaran. He damaged your body too much. I can feel the pain too. Andhruni chot zyaada hai. Muscles aur tissues me baitha woh dard-!]
[But we will pay him back. Don't worry! As long as I’m here. I won’t let you die. Now listen to me-]
'Pari!!! Tum kitna kuch karti ho mere liye-!' Veer ne usse bolte waqt beech se hi kaat diya.
Uske achanak se aise bol sunn Pari maun reh gayi.
[???]
Veer ke mann me tabhi Bhavna ka khayaal aaya. Mall me jab uski mulaqat Louis se hui thi, toh Bhavna se phone par uski baat hui thi.
Aur uss call ke baad se Veer ki ghar pe kisi se bhi baat nahi ho paayi thi. Samay hi nahi mila tha usse.
'Ghar par sab chinta kar rahe honge.'
Ye soch usne ek gehri lambi saans li.
'Mein ab ek stupid move try karne jaa raha hu. Par wahi mujhe yaha se nikaal payega.'
[What?]
Usne apna ek perr apne dusre perr ke upar tike bhaari patthar par lagaaya aur agle hi shan-
"Haaaaaaaaarrrrrrgggghhh-!!!!"
[Maaaasterrrr!!!]
Woh apni sirf physical strength ka istemaal kar usse hataane ki koshish karne laga. Kintu, Pari bechain ho uthi.
[Don't do it! Please! N-No-!!! At this rate-]
Uska poora perr kaanp raha tha. Perr ki saari nasse phatne ko ho rahi thi. Usne apni bhar taaqat lagaayi.
[What are you doing?? Stop it!!!!! Agar aise hi strain badhta gaya toh-]
Magar woh na ruka.
"Nnnngghhhh-!!!"
Uska poora muh laal hone laga. Aur agle hi pal,
"Aaaaaaaaarrrggghhhh!!!"
*Splurt*
[Nooooooo!!!]
Veer ke perr me ghutne ke neeche, peeche ka maans ka hissa phat gaya.
Aise jaise tarbooj phatata hai. Muscle Tearing. Kisi ek jagah adhik strain se, adhik pressure se andhruni maanspeshiyo ke phatne ka darr rehta tha.
Veer ke saath bhi wahi hua tha. Usne apne jeevan me kabhi itna zorr nahi lagaya tha. Isse karne ke liye insaan ko kitna jazba chahiye hota tha, ye baat Pari bakhubi jaanti thi.
Apne Master ke uss jazbe ko dekh woh stabdh bhi thi par saath hi unki aisi haalat dekh usse dard bhi ho raha tha.
Zameen par khoon bikhar gaya. Veer ke perr ke peeche ka maans ka hissa latakne laga. Uske honth daato tale dabe hue the. Woh dard sehen karne ka prayaas kar raha tha.
Agle hi shan, bina samay gavaaye usne apna dusra perr zameen par tikaaya aur uski sahaayta se woh apne haatho ko churraane me lag gaya.
Dekhte hi dekhte usne ek ek karke sabse bhaari pattharo ko alag kar diya. Aur neeche se sarak-sarak ke woh jaise taise baahar aa gaya.
Atyant buri tarah ghayal ho chuka tha woh. Pari uske perr se nikalte khoon ko rokne me lagi hui thi. Kandhe aur perr dono hi jagaho ke blood loss par wo dhyaan de rahi thi.
[M-Master-!]
'Eric ko mein nahi le jaa paunga. Woh log usse kuch nahi karenge. Zyada se zyada jail me daalenge. Wese bhi wo behosh hai. Usse pehle infirmary le jayenge. Itna samay mere liye kaafi hoga Miss Suhana se keh ke usse baahar churraane ke liye.'
Veer ko tabhi building ki floor par se qadmo ki awaaz sunaayi padi. Aur unhe sunn uski bauhe chintan me sikud gayi.
[Yaha rukna theek nahi.]
Usne mud ke dekha to wahi raasta tha ab uske saamne jiske baare me Eric ne bataaya tha. Ye wahi raasta tha jiske agal-bagal pattharo ki deewaare thi. Parantu, woh sirf sunset ki sightseeing ke liye tha. Aage jaake raasta band tha.
Fir neeche samudra hi bas tha.
'Kuch derr hum waha chhip sakte hai. Kyuki building ki taraf jaana bewakoofi hogi.'
[Mmm!]
Ye soch woh aage badh gaya.
*huff* *huff*
Woh langda-langda ke chal raha tha. Uski saansein ukhdi-ukhdi aa rahi thi. Adhkhuli aankhein liye woh jaise-taise bas ghaseet raha tha khud ko.
Uski iss haalat ko dekh Pari jaise andar hi andar tootati jaa rahi thi. Par woh nishabd rahi.
Apne chotil kandhe par haath rakh woh haafte hue aage badhta raha.
Dheere-dheere woh raaste ke chhor par pohuch raha tha. Kaafi ujaala aa raha tha waha se. Chaand ki roshni thi uss khuli jagah par.
'Bas aa hi gaye!' Aur wo chhor par pohuch gaya.
Par waha pohuchte hi, usse apni zindagi ke sabse bade jhatko me se ek jhatka laga.
Uski aankhein felti chali gayi. Pari ka bhi wahi haal tha.
Kandhe par rakha haath uska apne aap neeche gir latak gaya. Aisa lag raha tha jaise wo kisi jung me apna sab kuch kho diya ho.
Kyuki agle hi shan, uske saamne ka manzar tha-
10 armed police officers apne hathiyaar liye. Ek seeking helicopter jo uske waha pohuchte hi hawa me udaan bhar uss par spotlight tainaat kar diya.
Andre aur Senior police officer jo helicopter me baithe usse ghoor rahe the.
[N-No-!! It cant be-!! Master-!!!]
Anjaane me woh ussi trap me aa chuka tha jo Andre aur team biccha ke baithe the. Ye Team C thi jinhe Chris ne Veer ko pakadne ka kaam saunpa tha.
Helicopter me khade Senior officer ne mic liya aur announce kar bola,
Senior Officer : Apne aap ko hamare hawale kar do. Yahi accha hoga tumhare liye.
Veer ne sarr upar kar uss Senior Officer ko helicopter me baithe dekha aur bola,
Veer : Apne aap ko hawaale kar du? Kis liye? Kisi ki madad karne ke liye? Ya kisi ki jaan bachaane ke jurm me?
Officer 1 : Ye kya bakwas kar raha hai?
Officer 2 : Pakad gaya hai na! Shayad pagal ho gaya hai!
Senior Officer ka munda wese hi thanka hua tha. Veer ka jawaab jaise usse aur gussa dila gaya.
Senior Officer : Bewakoof ladke! Tumko ghera jaa chuka hai. Apni galti maan lo aur surrender kar do. Chalaaki ki to goliyo se boon diye jaoge.
Veer : Tum logo ko koi galat fehmi hui hai. Apni agent Terashima se pucho! Ya fir Singer Natalia se. Mein unka bodyguard-
*BANG*
Veer abhi aage kuch kehta ki tabhi ek bullet uske perro ke paas aake zameen me dhass gayi.
Senior Officer : Apne saare hathiyaar feko. Aur haath upar kar khud ko hawaale karo.
[Woh maan'ne waale nahi hai Master. Just surrender!]
Veer ne apni baayi orr dekha. Ek lohe ki bench lagi hui thi baithne ke liye. Ahista-ahista woh uss orr chal diya.
Uske chalte hi dherr saari laser lights uske badan par tik gayi. Senior officer ne usse chetaavni di par Veer ko bench par baithata dekh usne apne officers ko shoot karne se rok liya.
Senior Officer : Surrender karte ho ya?
Veer : Surrender? Kis baat ke liye? Jab mene kuch kiya hi nahi toh-!?
Senior Officer : Tumhe last warning di jaa rahi hai. Tumhare khilaaf sab kuch hai hamaare paas. Surrender kardo warna-
[M-Master! Surrender kar dijiye! Warna yaha se nahi nikal payenge. Aur ye log maan'ne waale nahi hai. Kuch bohut badi galat fehmi hui hai. Crimson ne khel khela hai.]
'Surrender? Bina galti kiye? Never in my life I will surrender!'
[Maaaaastttteerrr! Samajhne ki koshish kariye!]
Veer ne punaah upar udd rahe uss helicopter me dekha. Aur tab jaake usse apne jeevan ka dusra sabse bada jhatka laga. Senior officer aur Andre ke alawa koi aur bhi tha jo maujood tha.
'It's you-!!!!!?'
Uski aankhon ki putliyaan achambhav ke maare felti chali gayi. Pari ki khud ki rooh kaanp gayi jab usne helicopter me khadi uss ladki ko dekha toh.
[N-No-!! It can't be-!!]
Aur Veer ko saara maajra samajh aa gaya. Uska sarr fauran hi jhuka aur uske facial expressions chhip gaye.
Woh ladki kahi aur hi dekh rahi thi. Kuch pal baad hi waha ek hassi zorr se goonj uthi. Veer pagalo ki tarah hassne laga tha.
Officer 1 : Y-Ye kya-!?
Officer 2 : Pakde jaane ke darr se paagal ho gaya hai.
Officer 1 : Sir? Kya hum usse seedha jaake nahi pakad sakte?
Senior Officer : Nahi! Uske paas hathiyaar ho sakte hai. Kahi bomb wagarah na rakha ho. Keep your distance. Surrender karwa ke hi maanenge hum.
Veer idhar bas hassta raha. Uski aankhein uss ladki ki aankhon se takraayi. Aur ek kadvaahat Veer ke dil me fel gayi.
Woh sarr jhukaaya.
Senior Officer : Agar tumne co-operate nahi kiya. Toh mein fire ka order de dunga.
‘Pari!’
[Huh?]
'Beowulf's Blessings ka kitna samay baaki hai?'
[Sirf 5 seconds hi bache hai uske Master.]
‘Alright then! Pari! Mein jo ab karne jaa raha hu…! It’s a bad move!’
[Wh-What? Ye aap kya-!?]
Pari ne agle hi shan Veer ke dimaag me jhaanka aur ye pata karte hi ki woh kya karne jaa raha tha, uska sanshay bhayankar darr me badal gaya. Aur pehli baar aaj,
[YOU FUCKING IDIOTIC STUPID MASTERRRR!]
Woh uss par baras uthi. Veer jaanta tha Pari ki ye personality kitni shaant thi. Par aaj woh uss par garaj rahi thi. Uss par gussa ho rahi thi, uss se naraaz thi, niraash thi aur sabse mehatvpoorn-
Uski parvaah thi usse. Aaj usme bhay bhi tha aur ghabrahat bhi.
[Why don’t you fucking understand? There will be no Pari without you. I will cease to exist. Aap me saanse hai toh ye Pari hai. Aap me jaan hai toh mujh me jaan hai. Aap zinda ho toh mein hu. Samajhte kyu nahi ho? For fuck sake just surrender. Aap ko nahi kho sakti mein. Why don’t you fucking understand this small thing? YOU ARE THE MOST IMPORTANT TO ME!!!]
Aur usne keh diya. Pari se ab raha na gaya. Usne apna ek raaz saamne rakh diya. Agar Veer apni jaan gawaata hai, toh Pari khud apna astitv hamesha hamesha ke liye kho degi. Veer se hi Pari khud hai.
Veer kuch derr tak shaant raha. Pari ka itna bada raaz bataana ye saboot tha ki woh kitni zyaada bechain thi iss waqt. Magar Veer ne uska jawaab na diya. Aur apni baat ko punaah rakha,
‘I knew it. Kahi na kahi mein ye expect kar hi raha tha. Par yaad hai na jab tum pehli baar mere shareer me aayi thi? I’m sure tum kisi aur ko apna host bana sakti ho. Aise me-’
[YOU FUCKING STOP THIS BULLSHIT OKAY? Mene kaha na! Woh sirf one time use ke liye energy thi. Ab mein uss tarah space me move nahi kar sakti.]
Lekin usne Pari ki baat ko beech me hi kaat diya,
‘Meri baat suno Pari! Mere jaate hi…! Consume my energy! I hope tumhe kam se kam kuch na kuch toh mil hi jayega mere shareer se. That will be enough for you to travel in air. Right? Tum ek naya host dhoondh sakti ho. Ek naya shareer! Koi mujh jaise stupid se behtar haha!’
[STOP IT! PLEEAAASEEE! I BEG YOU! YOU ARE NOT STUPID. You are my Master. Surrender yourself now!!!]
Iss baar uski awaaz ruwaasi thi. Veer khud iss baar aashcharya me reh gaya.
‘T-Tum-!!? Tum ro rahi ho? Haha! Mujhe nahi pata tha meri Pari mere liye kabhi royegi. It’s good to know before dying.’
[P-Pleaaasseee~ Listen to me! They won't kill you. J-Just surrender.]
'No! I won't! Ye bohut bada setup tha Pari. Tum bhi realise kar chuki ho. Hai na? It's almost impossible to get out of it. I think Miss Suhana bhi meri help nahi kar payengi-!'
[N-Nooo-]
Pari ki awaaz me lad-khadahat thi.
‘I’m sorry Pari!!’
[???]
‘Mein kabhi ek accha host na bann paaya tumhare liye. Kaash hamara safar aur lamba hota. Kitni baatein jaan’na tha tumhare baare me. Aur ghar me sab log. Woh abhi bhi soch rahe honge mein business tour par hu. Kaash sabse ek baar acche se mil paata. Juhi my cutie. Uske liye ek chocolate factory ka vaada kiya tha mene apne aap se.’
Bol woh apni kalaayi me bandhe uss kaale dhaage ko dekhne laga jo uski maa ne pehnaaya tha.
‘Maa! Ye dhaaga mujhe bacha na saka. Still! I love you! It will be a great memory to die with…!’
Usse apni maa ke bol bhi yaad aaye jo usne phone ke waqt kahe the.
“Jaldi aana beta!”
‘Shayad-!!! Ab nahi aa paunga Maa!!’
[N-NO!! Ye kya keh rahe ho aap? J-Just stop! I can’t let you go away like that. Mene kaha na aapke jaate hi mein nahi rahungi. Chaahe mujhe kitni bhi energy hi kyu na mil jaaye. A-Aap aisa kaise kar sakte ho mere saath? YOU UNGRATEFUL BASTARDDD! STOP IT NOW! PLEAASEEE!!]
Woh sarr jhukaye-jhukaye hi muskuraaya.
‘Pari I admit-!’
[!!??]
Uski aankho se iss baar ek aasu ki boond nikal uske gaalo se behte hue neeche giri.
‘I ADMIT…! TODAY! I HAVE LOST!’
Uske hontho par muskaan ab bhi barkaraar thi. Ye muskaan thi uss bodh ki. Uss aatm-samarpan ki. Aatm-samarpan unn saamne khade hue logo ke prati nahi. Aatm-samarpan sachhayi ke prati.
Woh jaan chuka tha ki aaj zindagi aur maut ke iss khel me woh haar chuka tha. Bhale hi derr se usse bodh hua par ho chuka tha.
Woh ek bohut hi badi saazish me phass chuka tha. Itni badi ki ab uss se baahar aana lagbhag naamumkin tha.
[N-No! You can’t die like that. M-Mein aapko kuch nahi hone dungi. Listen! I have a plan! Let’s just surrender first. Th-Then-]
‘Tumhe lagta hai mein surrender karunga?’
Uska sawaal sunn Pari maun reh gayi. Woh jaanti thi iska jawaab. Veer ke shareer me aane se pehle hi Veer ne kitni taqleefe jheli thi. Ajay aur uske saathiyo ne milke usse kitna maara tha. Uski koi galti bhi nahi thi tab. Parantu adhmare hone ke bawajood, usne apna sarr nahi jhukaaya tha. Maar khaata raha lekin jhuka nahi.
Jab woh bina system ke tab nahi jhuka, toh aaj inn namoono ke saamne kaise ghutne tek sakta tha woh? Bhale hi usne ek Raja ki tarah janm nahi liya tha. Par ek Raja, ek Baadshah ki tarah marr toh sakta tha.
Idhar Senior officer ne agle hi pal mic pe announce kar diya.
Senior officer : Since, you're not cooperating we're going to execute you-!
‘Pari!’ Veer fir muskuraya. ‘Humara waqt khatam ho raha hai. Saamne khade log meri maut ka intezaar kar rahe hai. So, let me say this one last thing to you.’
[!??]
Woh apne akhiri shabd kehne jaa raha tha. Pari hamesha usse shaant rehne kehti thi. Lekin abhi uski khud ki dhadkane kisi train ke maafiq chal rahi thi. Itna darr usse kabhi mehsoos nahi hua tha. Samay ret ki tarah uski mutthi se fisal raha tha. Aisa lag raha tha woh apni sabse keemti cheez kuch hi palo me khone jaa rahi hai.
‘Pari!’
[H-Huh!!]
‘Tumne mujhe ek naya jeevan diya. Tum mera hausla bann ke mera saath nibhaati rahi. Tumne harr waqt pe meri madad ki. Shayad ye meri acchi kismat thi jo tum mujhe mili. Warna mujh jaise insaan ko toh koi dekhna pasand bhi nahi karta tha.’
[M-Master!]
‘Tumhare kaaran mein kitne pyaare logo se mila. Miss Kaera, Miss Sonia, Miss Suhana. Maa se dobaara mil paaya. Teju dii! Maasi! Shweta Maa! Bhumika Dii! Arohi, Kavya, Dada jii! Suman aur baaki sab. Karan! Nidhi ma’am! Sab se…! You gave me motivation. Unfortunately, ab ye safar yahi khatam hota hai!’
[N-Nooo!]
‘Aur ek akhiri baat-’
[??]
‘I love you Pari!’
Bas! Veer ne fir aage kuch na kaha. Lekin woh Pari ki rundhe gale se nikalti hui zorr-zorr se sisakne ki awaaz sunn paa raha tha.
Achanak hi Veer ke agal bagal ka aura badalne laga.
*Ding*
[Intimidating Presence has been equipped.]
Iss baar usne sarr utha ke upar dekha. Helicopter hawa me ab bhi tainaat tha aur uski spotlight Veer par hi tiki hui thi.
Tamaam guns ki laser sights se laser ke laal-laal bindu uske shareer ke alag-alag ango ke pharchatte udaane ke liye taiyaar the.
Light house samudri tat se lage hone ke kaaran, waha ka vatavaran tezz hawaao se ghira hua tha.
Veer ke baal hawao ke saath lehra rahe the aur khoon se lathpath hone ke bawajood woh adab ke saath uss lohe ki bench par baitha hua tha.
Itne logo me woh akela tha, par wahi tha ek jiska aura sabse zyada taqatwar tha. Jo tej uski aankho me tha, waha khada harr aadmi ye dekh thoda bhay me chala gaya.
Tamaam logo ke hone ke bawajood bhi abhi unhe iss ek ladke ko dekh andar se darr mehsoos ho raha tha.
Ek aankh khuli ek band, sarr se behta khoon, kandhe par lagi goli, jagah jagah choto ke khooni ghaav, bikhre ghane baal aur perr se latakta hua maans. Kuch yahi chhavi thi Veer ki abhi.
Fir bhi waha khada aadmi uske iss roop se darr raha tha. Veer kisi ghaayal sher ki tarah lag raha tha unhe.
Uski nazre harr ek aadmi ko dekhte hue guzri aur fir usne ek buland awaaz me kaha,
“EVEN IF I DIE TODAY! I WON’T DIE BY THE HANDS OF YOU LAPDOGS.”
Uski awaaz light house ke poore samudri tat par goonj gayi. Log usse dekh uska mazaak udaane lage. Woh khud ko confidence dene ke liye ye kar rahe the. Andar se woh sabhi jaante the ki unke shareer ke ruye khade hue the.
“Hahaha! Ye ladka paagal ho gaya hai.”
“Shayad isse apni sthiti ke baare me pata nahi hai. Haha!”
“Itne logo ke beech ghire hone ke baad bhi iski aqal ab bhi thikaane nahi aayi.”
Woh ek dusre se French me bolne lage.
Veer nahi jaanta tha ki Crimson yaha maujood tha bhi ya nahi. Lekin fir bhi usne bolna jaari rakha,
“CRIMSON!!!!! AGAR AAJ MEIN MARTA HU, TOH MERI LAASH KO DEKH KE SUNISHCHIT KAR LENA KI WOH MERI HI LAASH HAI…! WARNA AGAR MEIN YAHA SE ZINDA BACHA…! TOH TUMHE WO MAUT DUNGA JO SANSAAR NE PEHLE KABHI NAHI DEKHI HOGI!!”
Kehte hue achanak hi Veer bench ki back rest par apna ek haath rakhe apne wazan ko leke peeche jhuka.
Bench uske wazan ke kaaran apni pichli do taango ke bal peeche ko jhool gayi. Par iske pehle ki woh peeche girta, Veer ne apna wazan aage ko jhuka diya.
Aur iss baar bench waapas se apni position par aayi lekin ab Veer ka bhaar aage hone ki wajah se bench iss baar apni agli do taango par jhool gayi.
Iss se pehle ki Veer aage ki orr girta, usne punaah apna wazan peeche kar diya aur yu lagataar aage peeche karne ke baad, bench bhi uske bhaar ke chalte peeche jaati aur fir aage aati.
Aisa lag raha tha Veer ek rocking chair par baitha ho. Bench ke yu aage peeche dolne ke kaaran Veer ne ek motion bana liya tha.
Waha khade logo ne jab usse ye karte dekha toh hairat me reh gaye.
Ek armed police cop Veer par gun aim kiye upar helicopter me baithe senior officer ki orr dekha aur pucha,
“S-Sir? Kya hum shoot kare?”
Senior officer : Nahi! Behtar hoga hum isse zinda pakde. Agar zinda na pakad paaye, agar woh hamaare liye khatra banta hai, tabhi shoot karna hai. Let’s just see woh kya kar raha hai. Wese bhi woh yaha se kahi bhaag nahi sakta. Situation hamare haatho me hai.
Officer 1 : Okay Sir!
Sabhi Veer ki harqato ko jigyaasa se dekh rahe the. Aur bas uske surrender karne ka wait kar rahe the.
Senior officer ne mic haatho me liya aur Veer ko firse chetaavni di.
“Tumhare paas bas 30 seconds hai! Seedhe tareeqe se apne aap ko kanoon ke hawaale kar do. Warna-”
Par Veer toh jaise uski chetaavni ko ek kaan se sunn dusre se nikaal raha tha. Uska poora dhyaan uss helicopter me baithi uss ladki par tha.
Uska shareer ab bhi aage peeche jhool raha tha. 20 seconds guzar gaye.
10 seconds bachte hi officer ne mic par countdown karna shuru kar diya.
“Ten”
Veer abhi bhi bench par jhool raha tha.
“Nine”
Koi jawaab nahi!!
“Eight”
Veer ki aankhein uss ladki par hi thi.
“Seven”
Ab bhi koi harqat nahi.
“Six”
Par 6 hote hi, jaise hi iss baar uski bench aage ko apni do taango par jhooli,
“Five”
*DING*
Achanak uski aankhein crimson laal ho gayi.
[Beowulf’s Blessings has been activated.]
Neeche apne perr tikaate hi, uska haath jo bench ki back rest par tha, usne poori taaqat se usse aage kheencha aur agle hi pal,
*Wuh-psssh*
Woh bench hawa me 360° flip hone lagi. Time jaise slow motion me chala gaya. Samay achanak se dheeme ho gaya unn sab ke liye.
Bench hawa me flip ho rahi thi, aur ussi ke saath Veer ka haath usse pakadne ke liye taiyaar ho raha tha. Saath hi uske hontho par haiwaano waali ek muskaan chadhti jaa rahi thi.
Aur waha khade logo ki aankhein hairat ke maare felti jaa rahi thi.
Bench ke sahi angle par flip hote hi Veer ne agle hi shan uss poori bench ko apni hatheli khol ek haath se jhatt-se usse jakad liya aur uske dono perr zameen par sthirta se tik gaye.
*Whoosh*
Woh turant baayi orr palta.
Sab kuch itni jaldi hua ki logo ki aankhein saamne hue drishya ko process hi nahi kar paayi.
Ab waha khade kuch logo ke dimaag ko samajh aa raha tha ki kyu ye ladka bench par aage-peeche dol raha tha. Veer yu hi nahi aisa kar raha tha. Woh jo motion bana raha tha woh tha~
Periodic motion.
Uss bench par usne hi ye motion banaaya tha. Apne perro ko zameen ke virudhh le jaake apne bhaar se bench ko jaan-boojh ke aage peeche kiya gaya tha. Newton ke second law ke chalte woh asaani se dol sakta tha agar ye rocking chair hoti.
Par woh rocking chair nahi thi. Isliye Veer ko apne bhaar ka istemaal karna pada.
Periodic motion bann’ne ke kaaran jab Veer ne usse fir ekdum se apni Beowulf ki taaqat se kheencha, toh bhaari lohe ki bench yuhi hawa me flip ho gayi. Aur uske flip hote hi Veer ne usse thaam liya.
Uss ek chote se pal me unn sabhi ki saansein atak gayi thi. Senior officer ne jaise hi ye dekha woh chillaaya,
“THIS BASTARD!!! SHOOOOOOTTTTT!!!”
Woh dahaad lagaaya aur uske garajte hi,
*BANG* *BANG* *BANG*
*RATATATATATATA*
*BANG* *BANG* *BANG*
Dhada-dhad kar ke goliyaan barasna shuru ho gayi. Par tab tak Veer hawa ke jhoke ki tarah kayi feet ek jhatke me laangh chuka tha.
“THIS MOTHEFUCER!! KILLLL HIMMMM!! SHOOOOT THATTT BASTARDDD DOWNNN!!”
Helicopter hawa me muda aur uske neeche lagi gatling gun ne andha-dhundh firing shuru kar di.
Goliyo ki bauchhaar se waha ki deewaare aur chattaane ke chithade uddne lage. Veer ki gati itni tezz thi ki woh aage badhta jaa raha tha aur goliyaan uske nikalne ke baad khaali zameen se bhid rahi thi.
Officer ka countdown bhale hi beech me band ho gaya ho, lekin Veer ke Beowulf ka countdown chalu tha. Maatra 2 seconds hi baaki the uske deactivate hone ke liye. Ye uska akhiri daav tha.
Dimaag lagaate hue cops ne aim Veer ke aage kiya aur iska abhaas hote hi,
Veer ne apne haath me li hui uss bench se apne aap ko dhak liya. Bench usne dikhaave ke liye thodi uthaayi thi.
*BANG* *BANG* *BANG*
*KLANG* *KLANG* *KLANG*
Bullets jaa ke uss bench se takraane lagi, par kuch thi jinse Veer khud ko bacha na paaya.
*Squelch*
“Arghh!”
Ek uske perr ko cheer ke andar ghus gayi.
*Squelch*
“Urghh!”
Aur dusri uski baah ko.
Fir bhi woh ruka nahi. Senior officer ko jaise hi iss baat ka abhaas hua ki Veer ka maqsad kya hai, uski aankhein bhay ke maare fel gayi.
“Th-This bastard!!! K-Kill him!! KEEP SHOOTING! Bach ke bhaagne na paaye woh. BLOCK HIS PATH.”
Par tab tak derr ho chuki thi.
2 aur bullets Veer ke shareer ko lagi. Beowulf band hone waala tha, magar uske band hone se pehle hi, Veer ne uss uchaayi se ek lambi chhalaang maar di.
*DING*
[Beowulf’s Blessings has been deactivated.]
Ye sab kuch unhi 5 seconds me hua.
“NOOOOOOOOO!!!”
Senior officer apna gala phaad gusse me chillaaya.
Idhar samudri tat ke neeche khaayi thi. Sagar ki ufanti lehre uss chattaan se aake bhid rahi thi. Veer usme kood gaya.
“SEARCH HIM!! Zinda bachne ne paaye woh. He must be killed now! SEARCH EVERYTHING! KEEP SHOOTING!”
Helicopter udd ke aage badha aur Veer ke doobne waali jagah par lagataar paani me fire karne laga.
Bullets paani me ghus friction ke chalte dheemi ho rahi thi aur apni trace chorrte hue andar jaane lagi.
Veer ke shareer par ek antim bullet uske seedhe seene ko aake cheer di.
Woh neeche girta gaya. Bullets ab uss tak na pohuch paayi. Dheere dheere uski aankhein band hone lagi. It was the end.
[MAAAAAASTEEERRRR!!!]
Aankhein band hone se pehle uske mann me bas ek hi khayaal aaya,
‘Just why?? Ava!!’
Aur uski aankhein band ho gayi.
***
Idhar upar udte helicopter me uss ladki ke baal hawa me lehra rahe the.
Tabhi uske mann me ek awaaz aayi,
*DING*
‘I’m sorry…! Veer!’
Aur udhar Mumbai me Ragini ke ghar me, apne kamre me laiti Bhavna achanak bechaini ke chalte bistar par uth ke baith gayi.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi.
Update consists of 5k words. Ab agla update tab hi aayega jab iss update par atleast 140 likes aayenge. Update 139 pe 147 likes hai. Toh itna to mein yaha expect kar hi sakta hu.
Dhanyavaad!
Nice background episode. But who is the unknown caller and why so many people have system and why the systems don't know about each otherMega Update
Update - 143 ~ Luring the wolf with the hen
[Note : Update ko rush me bilkul mat padhna. Itminaan se samay leke dhyaan se padhna. Warna sarr ke upar se jayega.]
Ab tak...
Uske mann me ek notification saaf saaf jhalak raha tha.
[Accumulated points : 18000]
[2000 points are required more to activate the Legendary Scroll ~ Maisie's cure!]
[Maisie's Cure - The scroll gives host the proper medication guidelines and surgery methodologies to recover any person from coma.]
"I'm sorry-!!! I'm sorry Veer!!! I never wanted to do it-!!! *sniff* Mamma!!! *sniff* Speak to me!!! P-Please-!!!"
Ab aage...
A few months ago...
(Kuch mahine pehle...)
Kisi underground basement me sofe pe ek aadmi baitha hua tha. Ceiling par pankha halki gati me ghoom raha tha. Shor tha toh bas ussi pankhe ka, baaki harr jagah ek khamoshi chhayi hui thi.
Uske haath me ek wine ka glass tha toh dusre me cigarette. Ye koi aur nahi, Crimson hi tha jiske mann me kuch baatein ghoom rahi thi,
‘Why don’t you be my right hand? You’ve got potential!’
‘So you chose to betray me huh? Surprised? Mujhe kaise pata chala? You can’t lie to me you know!’
‘One of my preys is arriving there. Dhyaan rahe! Usse kuch hone na paaye!’
‘I can kill you anytime! Don't test my patience.’
Ye awaazein, ye bol uske dimaag me mandra rahe the.
Aur achanak hi,
*Crack*
Uske haatho me maujood wine ke glass ke tukde-tukde ho gaye. Wine uske haath ko bhigo ke zameen par gir gayi. Woh gusse me utha,
"Tujhe lagta hai tu koi bhagwan hai? Mein tujhe dikhaunga ki asli baazigar kaun hai. Just you wait-!"
Woh krodh me garja.
"Aur ye bhi pata laga lunga ki tu hai kaun asal me madarchod!!!"
*Crash*
Table par ek laat usne maari toh wine ki bottle aur glass sab toot ke bikhar gaye. Aur basement me punaah wahi khamoshi chhaa gayi.
***
Clark County Detention Center,
Las Vegas.
Night ~ 11 : 49 PM
Kuch din guzar jaane ke baad, Vegas ki iss jail me raat ke samay sab kuch pehle ki tarah hi tha. Qaidi log apne-apne cell me waqt kaat rahe the. Patrolling karne waale officers roz ki tarah apni duty par the.
Kahi bhi koi gadbad ki aashanka nazar nahi aa rahi thi jab achanak se,
*Pssssssssssssss*
Detention Center ki entrance ke paas hi chaaro orr dhua felne laga.
"Ye kya ho raha hai? Officers!!!"
Satark hote hue sabhi mauke pe pohuche aur dhue ke source ko dhundne lage. Lekin, unke yaha aate hi,
*Pssssssssssssss*
*Pssssssssssssss*
Harr jagah dhua uthne laga. Smoke bombs ek ke baad ek apna kaam karne me lag gaye. Aur saare detention center me afra-tafri mach gayi.
"Officers be alert!!!"
Par unn smoke bombs ke beech kuch aise bombs bhi feke gaye the, jinme behosh karne waali gas maujood thi.
Ek ke baad ek officers behosh hoke girte chale gaye. Jab tak unhe iss baat ka ehsaas hua ki gas me behoshi ka koi padaarth hai tab tak gas apna kaam kar chuki thi.
Security cameras dhue ke chalte kuch catch na kar paaye. Jail cells ke andar maujood apraadhi log bhi aashcharya me pad gaye. Unhe nahi pata tha ki baahar hall me kya ho raha tha. Tabhi achanak hi,
*Clang*
Ek cell ka gate zorr se awaaz kar ke khul gaya.
"H-Huhhh!?"
Jail ke andar baitha aadmi stabdh reh gaya. Ye sab ho kya raha tha? Aur uske jail ke cell ka darwaaza kisne khola? Usse samajh tak na aaya.
Par mauka dekhte hi woh bhaaga. Jail se chhootne ka iss se behtar mauka aur kya ho sakta tha?
'Fuck it! I'm free now! Hahaha!'
Aur ye shaks jo tha, woh koi aur nahi, wahi tha.
Jim! Yaani ki,
Jim the Slippery.
Ussi ke saath-saath baaki saare jail cells ke darwaaze khul gaye. Aur ek ek karke saare apraadhi baahar bhaagne lage.
"Hahahaha!!! Bhaago!! Bhaago! Iss se pehle ki extra unit aake hume pakad le."
Alert ke sirens bajne lage the. Bhaagne ka shor fela hua tha. Security cameras ko monitor karne waale logo ne turant hi extra units ko inform kar diya tha.
Yaha saare jail cells ke akhir me ek cell aur tha. Jiske andar baitha aadmi dheere se utha aur baahar aaya.
Uske chehre par ek behad hi bhayanak muskaan saji hui thi. Aisi muskurahat jisse dekh insaan darr jaaye. Badan par phate hue aur maile kapde the.
Woh paagalo ki tarah hasste hue bhaag kar entrance ke paas aaya.
"Ehehehehehehe! Hehehehe!"
Uski hassi badi hi vichitr aur khaufnaak si thi. Aisi jisse sunn aadmi ke raungte khade ho jaaye. Agle hi pal, uss khaske aadmi ki nigaahein dhue ki taraf daudi aur usse koi waha khada nazar aaya,
Usse dekhte hi aadmi ke honth ajeeb dhang se aur upar fel gaye aur muskaan pehle se bhi daraavni ho gayi.
"Ehehehehehe! Tum bhi hum me se ek ho? Ehehehe! Mere patients-!!! Hehehehe! Mein aaya-!!!"
Woh na jaane kya badbadaya aur waha se uchhalte koodte hue bhaag gaya.
Koi bhi hota toh usse iss waqt dekh paagal hi samajhta. Par dhue me khada woh aadmi usse dekhne ke baad ek shock me jaa chuka tha.
Kyuki abhi abhi uske mann me ek awaaz aayi thi.
*Ding*
[No information available.]
Uss shaks ki aankhein phati ki phati hui thi. Ye Crimson hi tha.
Wahi tha jo detention center se unn apradhiyo ko bhagaaya tha. Wahi tha jisne ye saare bombs fek ke iss ghatna ko anjaam diya tha. Uska maqsad yaha sirf Jim the slippery ko churraane ka tha.
Par na jaane uske haath kya lag gaya tha aaj.
'Y-Ye-! Woh aadmi!'
Uske hosh ude hue the. Tabhi uske mann me ek awaaz punaah aayi,
[Yes! Woh aadmi ke paas system tha. Tumhari tarah!]
Spasht hote hi Crimson ko ek bada jhatka laga.
Kya kare? Uske peeche jaaye ya fir!?
[Yaha kyu khade ho? Jo karna hai jaldi karo!]
Par system ki baat sunte hi woh waha se tezz qadmo ke saath baahar nikal gaya.
Idhar Detention Center se bhaagte hue Jim alleys me ghus chuka tha.
*huff* *huff*
Haafte hue woh pakde jaane se bachne ke liye tezz gati me bhaag raha tha.
Andhere me doobi unn sakri galliyo me woh daud hi raha tha jab,
"Heugh!!!"
Achanak se kisi ne uski shirt ki collor ko peeche se pakda jiske chalte shirt uske gale par phande ki tarah kass gayi.
Fir apne aap hi uss shaks ne usse chorr diya. Jim ne jab palat ke dekha toh paaya ki andhere me koi khada hua tha.
Jim : K-Kaun? Kaun ho tum?
Woh apne gale ko sehlaate hue ghabrahat me pucha. Uske saamne Crimson tha. Parantu, andhere ke chalte Jim bechara uska muh nahi dekh saka.
Crimson : Mein kaun hu tumhe ye jaan'ne ki zaroorat nahi. Tumhe bas itna jaan'na hai ki mene hi tumhe jail se churraaya hai.
Jim : Heh! Toh? Toh ab tum chaahte ho mein tumhaare talve chaatu? Agar tum mujhe nahi bhi churraate toh bhi mein-
Crimson : Kaise bhi kar ke baahar nikal aata!
Jim (hairaani me) : Huh!!!?
Crimson : Yahi kehna chaah rahe the na?
Jim : T-Tum-!!! Kaun ho tum??
Crimson (smiles) : Jim the Slippery. Police se bach nikal ke bhaagne ke liye maana jaane waala mashoor criminal. Ladkiya, daaru aur drugs dealing me maahir. Taskari toh tumhare khoon me daudti hai. Kyu? Hai na?
Crimson ke itna kehte hi Jim ki aankhein bhay ke maare fel gayi. Saamne khada vyakti usse acche se jaanta tha. Usse aisa laga jaise woh iss aadmi ke saamne nanga khada hua tha. Jaise uss se kuch bhi chhipaya nahi jaa sakta tha.
Crimson : Bolo! Kya mein sahi hu?
Jim : Hmph! T-Toh kya? Y-Ye toh sab jaante hai mere baare me.
Crimson (smiles) : Kya ye bhi jaante hai ki iss se pehle tum grave body collector jaise illegal kaam me bhi shaamil the?
Iss baar Jim ke perr ladkhada gaye.
Jim (kaanpte hue) : T-Tum!!? Tumhe kaise pata? N-Nahiii!! Kaun? K-Kaun ho tum? Jawaab do!!!
Crimson (smiles) : Apni position ko samjho Jim! Tum maut se bas ek qadam dur khade ho.
Jim (frowns) : K-Kya chahiye tumhe?
Crimson : Kuch nahi!
Jim : K-Kya?
Crimson (smiles) : Tum azaad ho. Bas mere liye ek chota sa kaam karna hoga.
Jim : Bolo!
Crimson : Tum drugs dealing karte ho ya sharaab ka business, ya fir kuch aur. Mujhe iss se koi matlab nahi. Jo karna hai karo.
Jim : Hmm?
Crimson ne muskuraate hue agle hi pal jeb se kuch nikaal ke uski orr feka. Hadbada ke Jim ne usse haatho me thaama.
Jim : Y-Ye kya hai?
Usne apne haatho me pakde uss cheez ko tatol ke dekha. Ek card tha. Kisi credit card ki tarah.
Crimson (smiles) : Tumhe ye bechna hai. Police ya kisi ko bhi iski khabar lagni nahi chaahiye. Ye sirf tumhe kisi aise shop dealer ko bechna hai jo khud kisi illegal kaam me ho. Aur usse bhi kuch nahi batana hai. Samajh gaye?
Jim : P-Par ye hai kya?
Crimson : Jitna kaha gaya hai utna karo. Tumhe baad me samajh aa jayega.
Jim : Tch!!! Theek hai. Kaam ho jayega!
Crimson : Ye raha number. Iss number pe hi mujhe contact karna.
Jim : Th-Theek hai!
Crimson : Apni gang ko ikhatta kar lo. Time kam hai. Tumhare saath aur bhi do log judne waale hai!
Jim : K-Kaun?
Par Crimson bina kuch kahe hi waha se palat ke jaane laga.
Jim : H-Hey!! Jawaab do! Kaun do log?
Crimson (smiles) : Tumhe pata lag jayega. Go now! Aur haan! Welcome to the House of the Killers.
Kehte hue woh waha unn andheri galliyo me kahi gaayab ho gaya. Jim bas uss card ko taakta reh gaya. Bina samay gawaaye fir woh waha se bhaag nikla.
Aur idhar Crimson jeb me haath daale apne naye plan ko execute karta jaa raha tha.
Jin do logo ki woh baat kar raha tha woh koi aur nahi the. Woh wahi mashoor serial killers the-
Nightwalker aur Pitcher!!!
Alley se baahar aate hi ek luxury red car uske saamne khadi hui thi. Driving seat par ek khubsoorat ladki virajmaan thi.
Crimson (smiles) : Ahn! My sweetie! You arrived.
Sweetie : Yes! Toh? Ab kya?
Crimson ne wesa hi ek aur card nikaal ke Sweetie ki orr feka toh usne card ko catch kar liya.
Sweetie : Ye kya hai?
Crimson (smiles) : Maut ka aamantran! Inki copies banwani hai. Tumhare phone pe address diya hua hai. Jao aur iss card ki multiple copies banwaane keh do. Chip wahi rehni chahiye usme.
Sweetie : Kisi tarah ka entry card hai?
Crimson ne muskura ke haan me sarr hilaaya.
Sweetie : Well! Theek hai! Meri pagaar?
Usne itna kaha hi tha ki agle hi shan noto ki do badi badi gaddiya uski goad me thi.
Crimson : Go now!
Sweetie ek kutil muskaan liye unn noto ko apne hontho se choomi aur jitni tezzi me woh yaha aayi thi. Utni hi tezzi me waha se nikal bhi gayi.
Main road par aate hue Crimson cigarette ka kash lagaate hue upar unn bade bade hoardings ke bagal se lagi screen ko dekhne me lage hue tha.
Jisme jaani maani Singer Natalia Martin ke interview ki kuch snippets chal rahi thi.
Na jaane usse kya soojha par usne mann me hi,
'Check!'
*Ding*
[No information available.]
Crimson ki aankhein ek baar fir hairat ke maare fel gayi. Uske haantho se cigarette chhutak ke gir gayi.
Uska system TV screen ko toh check karta hi tha. Parantu, tv me dikhaayi dene waali cheez ko bhi check kar ke batla sakta tha.
[This is a surprise. Nahi laga tha ki Natalia Martin ke paas bhi system hoga. That explains her sudden rise in the industry. What now? What will be your action?]
Uske system ne uss se pucha.
Par Crimson ke mann me kisi aur ke hi bol goonj rahe the. Uss anjaan shaks ke-
‘One of my preys is arriving there. Dhyaan rahe! Usse kuch hone na paaye!’
Na jaane ye kaun tha par Crimson ko yakeen tha ki woh ateet me jis insaan se mila tha. Ye wahi vyakti tha.
Usse zindagi me aaj tak kisi se kabhi itna darr mehsoos nahi hua tha. Magar ye insaan usse maut ki anubhooti karwa raha tha.
Uske perro tale chal rahe kuch cheete ek rakha bana ke jaa rahe the. Aag baboola hote hue Crimson ne apna perr patka aur unme se ek cheeta uske perr ke neeche kuchal ke marr gaya.
"Sahi kehte hai. Insaan ki zindagi ek cheeti ke samaan hoti hai."
[What now?]
'One lf his preys is arriving here? Tab toh ek teer se do nishaane ho gaye.'
[We have Natalia too now!]
'Ohhh! Hahaha! My bad! Teen nishaane!'
[Jail me mile uss system waale aadmi ke baare me mat socho abhi. Aur uss caller ke baare me socho. Woh zyada dangerous maalum pad raha hai. He's scheming something.]
'I know! Aur ussi ke liye toh ye sab taiyaar kar raha hu. I must have my own force.'
Woh apne basement me laut ke aaya toh kuch hi derr me Sweetie bhi uske saamne haazir thi.
Crimson : Kaam ho gaya?
Sweetie : Hmm! Card ki copies jald hi mil jayengi. Par ye sab hai kis liye?
Crimson : Tumhara kaam hai mera kaha gaya order follow karna. Nothing else. Samajh rahi ho na?
Sweetie : Y-Yes!
Crimson : Singer Natalia Martin ke upar nazar rakhwao. Dhyaan rahe kahi se bhi usse pata na lag paaye. Aur logo ke beech ye khabar faila do ki Island par dherr saara treasure maujood hai ek mansion me. Saath hi Investigation department me ek spy plant kar do, jo hume pal pal khabar dete rahe.
Sweetie : Treasure? Singer Natalia!? Lekin-!!!? Theek hai!
Sweetie sawaal puchti par woh apni jagah jaanti thi. Bina koi prashn kiye woh raazi ho gayi aur firse baahar nikal gayi.
Aur aise shuru hua, House of the Killers ka karnaama.
Jim the Slippery apne drug dealing aur kaale karmo me jut gaya. Saath hi usne alleys me maujood slot machines ka vyapaar karne waalo ke beech kisi ek dukaan me unn cards ko bhijwana bhi shuru kar diya.
Ye wahi card the, jiska istemaal kar ke Nightwalker ke mansion me ghusa jaata tha. Sweetie uski copies banwa banwa ke Jim tak supply karti. Aur Jim unn cards ko alley me maujood uss dukaan me bhijwata.
Island par Nightwalker ka Mansion aur bhi bhawya bana diya gaya. Usse jo chahiye tha woh usse milne laga tha. Zinda kaatne ke liye insaan. Treasure ki feli khabar sunn, log alleys me jaate, uss card ko khareedte aur baad me island par jaate.
Jaha Nightwalker unke sang raat me maut ka khel khelne ke liye taiyaar rehta. Saath hi wines, drugs import aur export kar deals bhi karta.
Toh wahi Pitcher bhi iss tigdi ka hissa tha. Alag alag hotels me uski maut ki parties organise hoti. Mithridatism ki vidya liye woh ek se ek celebrities ko maut ke ghaat utaarta aur apni fetish ko santusht karta.
Crimson yaha unn fetish waale logo ko dhundhta jo live killing dekhne ke liye dherro paisa lutaate.
Unhe ikhatta kar woh Nightwalker, Pitcher ke through dark web me live killing dikhwata.
Inn chand mahino me usne itna paisa kama liya tha ki ab uski khud ki IT companies ki kuch buildings bhi thi. Itna investment kar chuka tha woh.
Uski force taiyaar hoti jaa rahi thi.
Khaas baat ye thi ki Jim, Nightwalker aur Pitcher, teeno ko hi Crimson ke baare me koi jankaari nahi thi.
Woh jaante the ki koi aadmi tha jo unka dhandha karwaane me madad kar raha tha. Par woh kaun tha? Iss baat se woh anibhigya the.
Kintu, jo sabse zyaada usse tang kare hue tha woh tha wahi-
Woh unknown caller. Aur uski baatein-
‘I can kill you anytime! Don't test my patience.’
Ek baar fir woh awaaz apne mann me sunn uska gussa saatve aasmaan par pohuch gaya.
*Crash*
Agal bagal padi cheezo ko usne gusse me bikher diya.
"Tu mujhe maarega behanchod!!!? Jald hi-!! Jald hi tera chehra mere saamne hoga. Kaun hai tu, tera maqsad kya hai sab pata laga lunga mein."
Woh abhi uss caller ko yaad kar hi raha tha ki itne me ussi caller ka usse phone aa gaya.
Aur crimson ke call uthaate hi waha se fir wahi awaaz aayi,
"Tum nahi maane! Hai na? I gave you a warning though. Ye antim warning de raha hu. Veer-!!! Mera shikaar hai. Waha aane waala hai. Usse kuch bhi hone na paaye. You got that!?"
Bas! Aur call cut ho gaya. Magar Crimson ke chehre par woh kapti muskaan felte hi jaa rahi thi.
"Veeer!!!?? Huh!!! Hahahahahaha!! Toh Veer naam hai uska!!!!"
[Kya plan hai next? You want to kill him!]
'Of course! Hahahaha! Shikaari ke shikaar ko hum churaaenge. Aur baad me uss shikaari ko bhi dhad dabochenge.'
[Be careful!]
'Aane do uss chooze ko.'
Aur issi beech, ek kaand aur hua. Pitcher ne Ava ki dost Charlotte ko maut ke ghaat utaar diya.
Sansani bann ke news fel gayi. Ava ko ye pata lagte hi ek dhakka laga. Bhale hi Charlotte uske itna qareeb nahi thi. Lekin, uss se hi-hello uski bani rehti thi.
Aur ab Crimson taiyaar tha apna dusra daav khelne ke liye.
Ava urf Natalia Martin akeli hotel me ek record company se mil ke parking me khadi apni car me baithne jaa hi rahi thi jab usse peeche se ek awaaz sunaayi di,
"Natalia Martin!!"
Ava ne palat ke dekha toh uske saamne Crimson maujood tha.
Ava : ???
Crimson (smiles) : Kaisa lag raha hai system ka istemal karte hue safalta ki uchhaiyo par pohuchne me?
Ava ek haafi lete hue stabdh hoke 2 qadam peeche ho gayi.
Ava : Who-!? Who are you?
Usne khud bhi uss aadmi ko check kiya magar,
*Ding*
[No information available.]
Ava ki aankhein phati ki phati reh gayi.
Ava : K-Kaun ho tum? Kya baat kar rahe ho meri kuch samajh me nahi aa raha.
Crimson ne jab punaah usse check kiya toh woh dang reh gaya. Kyuki iss baar,
*Ding*
[Name : Natalia Martin
Status : Business woman/ Singer/ Celebrity
Age : 25
Bio : Natalia Martin, ek singer hai. Kaafi saalo se mehnat kar ke woh aaj iss mukaam pe pohuchi hai. Kuch record companies ke sang ties hai. Abhi struggle kaafi hai lekin safalta mehnat se milti jaa rahi hai.
Favourability : 3
Relationship : Strangers.]
Crimson ne jaise hi ye padha woh zorr-zorr se hassne laga.
Crimson : Hahahahahahahaha!!!
Ava : Y-You-!!
Woh hasste hue uske qareeb aaya. Ava sachet hote hue ek qadam peeche hui.
Ava ke kaano ke nazdeek aake woh bola,
Crimson : System sirf tumhaare paas nahi hai Miss Natalia!!!
Ava uss se dur hatt usse bhayanak gusse me ghoori,
Ava : Kaun ho tum? Aur kya chaahte ho? Iska matlab tumhaare paas bhi-!!?
Crimson : Meet me upstairs.
Woh jeb me haath daale palat gaya.
Crimson (smiles) : Don't worry! Iss hotel ki aadhi partnership meri hai. Half owner mein hi hu iska. Meet me at the 4th floor.
Aur woh waha se upar nikal gaya.
Ava bas bhauchakki si wahi khadi rahi.
'Ye sab kya ho raha hai?'
[I don't know miss. There shouldn't have been more than 1 system. Lekin shayad lagta hai ki-!]
Ava ke mann me ek pyaari si female voice usse samjhaate hue boli,
'Forget it! Yaani mein akeli nahi hu jiske paas ye system hai. I must be careful then.'
[Yes.]
Woh upar ko chali gayi. 4th floor par aate hi Crimson uske saamne bade hi araam se jeb me haath daale khada hua tha.
Ek badi si jagah thi aur woh dono hi bas akele the waha.
Ava (frowns) : Say!
Crimson : Mere liye ek chota sa kaam karna hai tumhe.
Ava : What is it?
Crimson : Samay aane par mein bata dunga. Kaho? Do you agree?
Ava : Heh! Why should I? Tum hote kaun ho-!?
Crimson (smiles) : Grace Martin!
Apni maa ka naam sunte hi Ava ki aankhein bhay me fel gayi. Uska haath turant hi peeche apni jeans ki orr gaya aur ek hand gun nikaalte hue usne Crimson par taan di.
Ava : DON'T YOU DARE-!!
Crimson ahista ahista uske nazdeek aaya aur bola,
Crimson : Kya hoga jab Grace Martin... Your only family... Zinda na bach paaye toh?
Ava : Y-You-!!!
Crimson : Veer!!!
Ava : ??
Crimson : Ye naam hai uss ladke ka jiske saath meri dushmani hai.
Usne jhooth bolte hue jeb se cigarette ke dabbe se ek cigarette nikaali aur kash lagaane laga.
Crimson : Woh Las Vegas jald hi aane waala hai. Mein chaahta hu tum nazar rakho uspe.
Ava : Huh!!?
Crimson (smiles) : Status toh tum apna badal hi sakti ho. Hai na? Jaise abhi thodi derr pehle badla.
Ava : Y-You-!!?
Crimson (smiles) : Tumhara koi nuksaan bhi nahi hai. Right? Why don't you collaborate with me girl? Hum dono ek dusre ke kaam aa sakte hai you know.
Ava : Fuck off!
Woh bhaagte hue uski orr aayi,
*Swoooossshhhhh*
Ek laat Crimson ke sarr ki orr tezz gati se ghoomte hue aayi par woh turant hi jhuk gaya.
*Baaaaaaaaammmmm*
Neeche jhukte hi usne ek punch Ava ke pait ki orr maara jisse Ava ne split second me apne haatho se block kar liya tha. Parantu, uske bawajood uska shareer kayi qadam peeche jaa ke ladkhada ke girte girte bacha.
Crimson (smiles) : Ohh! You wanna fight?
Aur dono hi aapas me bhid gaye. Ava ki haalat buri hoti jaa rahi thi. Par na jaane usse kya hua, woh agle hi shan bhayanak krodh me aa gayi.
*Bam*
*Bam*
*Bam*
Ek ke baad ek hits uske shareer par lagte jaa rahe the.
7 hits.
8 hits.
9 hits.
10 hits.
“What???” Crimson ke badan par daswa lagataar hit jab uske seene par laga toh agle hi pal uske seene ka kuch hissa phat gaya. Akasmaat hi uss hisse se khoon behna shuru ho gaya.
Woh hairat-angez me Ava ko dekha jo daudti hui uski hi orr aa rahi thi.
[Iss ladki ke paas koi card hai. Sambhal ke!]
Ek ladki ne uske badan se khoon nikaal diya? Uska gussa sarr chadh ke bol utha. Bhaagti hui Ava ko usne ek jhatke me uske gale se pakda aur,
*BAMMMMMMMMMM*
Wahi rakhi table par usse patak diya.
“Nnghhhh~”
Crismon : You should know your place! Behtar yahi hoga ki meri baat maan lo. Warna Grace Martin-
Na chaahte hue bhi Ava ko apne haath khade karne hi pade. Usse raazi hona hi pada. Uski maa uski sabse badi kamzori thi.
Woh apne ghar lauti toh uss anjaan vyakti ka usse call aaya. Wahi ajanabi jisne usse Slogan ke paas bhejne ka kaarya saupa tha.
Ava : Hello?
? : Hmm! Toh tum uss se bhi mil li ho! Right?
Ava : T-Tum!! Kaun ho? Kyu mujh pe nazar rakhe hue ho? Kya chaahte ho mujhse?
? : Hey! Hey! Mein toh tumhari bhalaayi ke liye hi keh raha hu. Don’t you want to know? Kya tum jaan’na nahi chaahti? Kaun woh hatyaara hai jisne tumhaare Dad ko maara? Hmm?
Ava ki mutthi zorr se kass gayi. Daant peeste hue woh boli,
Ava : What do you want exactly?
? : Mene tumse do maange rakhi thi. Yaad hai na?
Ava : Y-Yes! Tell me! What do I have to do?
? (smiles) : That’s like a good girl. Collaborate with him.
Ava : Kya?
? : Suna nahi? Tum abhi abhi kisi se mil ke aayi ho na?
Ava : That’s-
? : Collaborate with him. Jo woh keh raha hai woh karo. And then, I’ll tell you who your father’s killer is…
Ava : I-
? : Don’t worry! Mein apne vaade nahi todta. Ye tumhara akhiri kaam hai. Do it!
Ava (growls) : F-Fine!
***
Idhar mauto ka silsila jaari tha, toh wahi Veer Suhana ke sang Las Vegas pohuch chuka tha. Ye wahi waqt tha.
Bhavya hotel me Pitcher ki ek party chal rahi thi. Log masks pehne dance ka lutf le rahe the. Magar, issi party me ek sadasya galti se andar ghus aaya.
Ya kahe ki usse kuch gadbad mehsoos hui aur talaashi karne ke liye woh khud andar aa gaya.
Aur ye shaks tha~ Daniel!!
Jisne Pitcher ko dekha, jisne waha maujood masks pehne logo ko dekha. Aur jisne, usse bhi dekha jo gir ke apne muh se jhaag baha rahi thi. Ek aur anya celebrity. Pitcher ki shikaar. Jo marr chuki thi.
Ghabra ke woh bhaaga, par uski nigaaho ne kisi ek ko aur dekha.
Crimson!!
Jo haivaano waali muskaan liye usse hi ghoor raha tha. Daniel nahi jaanta tha ki uss bechaare ko pehle hi check kar liya gaya tha. Woh Investigation Department ka senior detective hai ye saari info Crimson ko dikh chuki thi.
Woh bhaaga. Apni jaan bachaane ke liye. Yaha pe itna bada kaand chal raha tha. Koi ek nahi, kayi log iss khel me shaamil the. Usse andaaza lag gaya tha. Woh khatre ko bhaanp chuka tha par tabhi,
*Splurt*
“Huh??”
Daniel ke qadam wahi tham gaye. Uski aankhein badi ho chali. Aisa laga maano jaise usne koi bhoot dekh liya ho.
Peeche palat ke dekha toh, usne paaya ki-
Wahi aadmi, yaani Crimson uske peeche khada hua tha. Uske haath me maujood chaaku pehle hi Daniel ki peeth me dhass chuka tha.
Crimson (smiles) : Sweet Dreams!
Daniel : Y-You!!!
Daniel ki saansein ukhadne lagi aur Crimson ne chaaku uski peeth se kheench ke nikaal di.
Zameen par girte hue Daniel apna phone nikaal call karne laga par,
*BAAAAMMMMMM*
Crimson ki laat padte hi phone ke chithde udd gaye. Aur woh usse ussi haalat me chhor waapas chala gaya.
Marrne se pehle Daniel ne ek kaam kiya. Aur woh tha wahi dying message chhorna.
Heinous thoughts destroys the mind. Often the glee tuns into, Unhappiness.
Sorrow remains but shall be forgotten. Emergence of a new beginning prevails.
Opulent, rich thoughts fills the mind once more. Fend off the fiend this time.
Kindle the fire in yourself. Intensify it. Lure the evil out of it. Lecherous demons shall be punished.
Escape if you realize you cannot handle it. Remember, there ain't a single one, if you do get caught,
Soul shall burn.
Aur yahi woh message tha jisse Divya ne decode kiya tha. Jiska arth tha - House of Killers.
Yahi woh samay tha jab, Investigation Department apne action me aayi. Veer aur Suhana Department me hai, iski khabar turant hi Sweetie ko lag gayi.
Department me spy jo baitha hua tha ek. Crimson ne hi toh bithaya tha Sweetie se keh ke. Woh harr pal ki khabar bhejta jaa raha tha.
Yeh khabar Sweetie ne Crimson tak pohuchaayi.
Toh wahi Crimson ne Ava tak. Ava jaan chuki thi ki Suhana ke sang Veer naam ka shaks Las Vegas pohuch chuka tha. Uska kaam tha iss shaks par nazar rakhna.
Yahi woh samay tha jab Jim the Slippery ko bhi Veer ne Las Vegas ki alleys me drug dealing karte waqt dhad dabocha tha. Jab usne Divya ko pehli baar apni fighting skills ka namoona dikhaya tha.
Yahi woh samay tha jab Veer aur Mike uss card tak pohuche aur usse khareed ke woh Island ki khoj kar paaye.
Yahi woh samay tha jab Veer ne Nightwalker jaise bade serial killer ko pakad ke department ke saamne pesh kiya tha.
Ek ke baad ek Veer Crimson ki banaayi force ki dhajjiya udaata jaa raha tha.
Kintu, fir bhi Crimson patience rakhe hue tha.
Jiske peeche ek hi kaaran tha,
[Agar usse maarna hi hai. Toh maar kyu nahi dete tum? Woh tumse kamzor hai.]
‘Abhi nahi System! Abhi nahi! Abhi maar dunga toh mujhe profit kaise hoyega? Mission ki possibility kitni hai?’
*Ding*
[Mission possibility : 60%]
Ye Crimson ki skill thi. Veer ko maarna tab hi qifaayat mand saabit ho sakta tha jab woh Mission milne ke baad usse maare. Lekin, abhi mission milne ki sambhaavna sirf 60% hi thi.
‘100% karne ke liye mujhe aur kya karna hoga?’
[Tum aur woh Veer jitna hi ek dusre ke raaste me aaoge, jitna ek dusre ke kaamo me hastakshep karoge, utna hi system usse ek obstacle maanta jayega. Aur jald hi ye possibility 100% tak pohuch jayegi. Fir mission mil hi jayega. Usse maarne ka.]
‘Hmm! Ek gadbad ho gayi hai. Mujhe nahi pata tha Veer Investigation Department ke liye yaha aayega. Dikkat ho gayi hai. Crimson Festival ki taiyaari shuru karni hogi. Uske pehle usse ek trailer dena zaroori hai.’
Bas dikkat ek thi. Bechaara Pitcher nahi jaanta tha ki Ava Crimson ke saath mil ke kaam kar rahi thi. Aur Ava ye nahi jaanti thi ki Crimson hi House of the Killers ka rachaita tha.
Pitcher ne Ava ko maut ka invitation bhej diya tha jo woh aksar harr celebrity ko bhejta tha. Invitation toh party ka hota tha parantu, party jaisa waha kuch nahi hota tha.
Aur yahi woh samay tha jab Ava ne Divya ko apne concert ke invitation ka card bheja.
Iss se uske do kaam hone waale the. Card bhejne waale ka raaz Divya aur department ke zariye saamne aa jaata aur Veer ke aane se woh uss par ab nazar rakh sakti thi.
Yahi woh samay tha jab Divya, Veer aur Suhana pehli baar Ava ke concert me gaye the aur Veer pehli baar uss se mila tha.
Na sirf usne Pitcher ko pakadwaya tha balki Ava ke liye bhi raaste se ek samsasya ko dur kar diya tha.
Crimson ki poori tigdi ko Veer ne barbaad kar ke rakh diya tha. Suhana ke sang woh hotel aaya hua tha. Balcony me woh khada hua tha jab usse koi dikha.
Yahi woh waqt tha jab Veer ne pehli baar Crimson ko dekha.
Yahi woh waqt tha jab Suhana aur uske peeche gang pad gayi thi. Crimson jo trailer dene ki baat kar raha tha woh yahi tha. Suhana ka Veer ko bachaane ke liye goli lagna aur Crimson ka Veer ko yu wahi chhor bas system ke baare me raaz bataate hue chale jaana.
Kyuki abhi bhi, possibility sirf 70% hi hui thi. Dono ko ek dusre ke raaste me aur aane ki zaroorat thi.
***
Par kya ye sab yahi samaapt ho gaya? Hargiz nahi! Investigation department poore zorr-shor se tehqiqaat karne me jut chuka tha.
Aur derr nahi lagni thi unhe Crimson ko dhundhne ke liye.
[Ab kya? Department jald hi tumhe trace kar lega.]
Crimson Paris me apni hotel ke kamre me baitha hua ek soch me dooba hua tha. Aage kuaa tha toh peeche khaayi. El taraf woh unknown caller toh doosri taraf uske peeche lagi Investigation Department kib team.
‘Mein chaahu toh abhi unn namoono ko maar du. Lekin aise me mera samay bhi barbaad hoga. Mein expose bhi zyada ho jaunga. Aur ye log maan’ne waale nahi hai. Akhir kitno ko maarunga mein? Gatar me macchar ki tarah ye firse naye naye jhund me aate hi jayenge.’
[Toh-]
Woh muskuraaya.
‘Samay aa gaya hai ki mein apna teesra aur akhiri daav khelu.’
Aur usne apna phone uthaate hue ek call laga diya.
*Ring* *Ring*
DGSI ke Head ke cabin me telephone par call aaya. Xavier jo apni seat par baithe kuch reports ko padhne me laga hua tha usne call uthaaya.
Xavier : Hello?
Crimson : Paris me ek bohut bada hamla hone waala hai.
Sunte hi Xavier apni seat se uth khada hua.
Xavier : K-Kaun? Kaun ho tum? Kya bol rahe ho?
Crimson (smiles) : Kaun hu, kaha se hu, ye sab sawaal puch kar samay zaaya kyu kar rahe ho. Zaroori soochna de raha hu. Paris me jald hi bohut bada terror attack hone waala hai.
Xavier : Y-Ye kya bakwaas kar rahe ho? Kaun ho tum? Tumhe andaaza bhi hai kis se baat ho rahi hai tumhari?
Crimson : DGSI ke Head, Mister Xavier se. Right?
Xavier : T-Tum-??
Crimson (smiles) : Woh firse dohraane waala hai. Woh firse ghatit hone waala hai.
Xavier : K-Kya ghatit hone waala hai? Kya kehna chaah rahe ho tum?
Xavier ne hadbadaate hue apni team me se phone call ko record karne ke liye ishaara kiya.
Crimson (smiles) : Call record kar rahe ho? Baad me trace bhi karoge. Hai na?
Xavier : Seedhe seedhe jawaab dete ho ya-?
Crimson : Shhh! Apni aukaat me raho Xavier!!
Xavier (gusse me) : Youuuuu-!!!!
Crimson : Aur chup-chaap meri baat suno. House of the Killers Paris me ghatit hone jaa raha hai.
Xavier : H-House? K-Kya? Ye kya bol rahe ho?
Crimson : House of the Killers ka leader jald hi Paris me aayega aur saare sheher me hahakaar fela ke rakh dega. Kayi mauto ko anjaam dega woh.
Xavier : Kaun? Kiski baat kar rahe ho tum? Hello?
Crimson : Agar meri baat ka yakeen na ho. Toh Las Vegas ke investigation department se House of the Killers ki report maang lena. Woh bhugte hue baithe hai. Umeed hai ek sheher dusre sheher ki madad kar hi dega. Aur mujhe apna shubh-chintak hi samajhna. Agla call mein kuch din baad lagaunga. Hope tab tak reports aa chuki hongi.
Xavier : H-Hello? Hello!!!!
Par call tab tak cut ho chuka tha.
Xavier ke poore chehre par paseene ki boondi saji hui thi.
"Jald se jald Las Vegas ke Investigation Department ke Head se mujhe contact karwao. Jaldi-!!!!!"
Woh zorr se garja toh kaam karne waale log fauran hi uss kaam me lag gaye.
Kuch hi derr me Xavier aur Nolan ek dusre ke contact me the.
Request rakhte hue DGSI ne reports ki maang rakhi toh badle me Investigation Department ne kuch hi dino me waha se HOK ki report bhej di.
Report padhte hi poora DGSI staff hakka-bakka reh chuka tha.
Itna bada game?
Itna bada maut ka khel khela gaya tha Las Vegas me?
Report me kahi par bhi Veer ka naam nahi tha. Uski privacy aur apni izzat bachaane ke liye Investigation Department ne Veer ka naam report me nahi daala tha. Kyuki woh department ka hissa nahi tha.
Xavier (screams) : Abhi ke abhi!!! Agent Chris aur Agent Terashima ko bulao. Abhi-!!!!
Meeting shuru hui aur woh sabhi ek table ke ird-gird baithe hue the.
Chris : Kya khabar pukhta hai Sir?
Xavier : Nahi! Lekin, hume alert rehna hoga. Hum isse nazar-andaaz nahi kar sakte hai.
Terashima : Right! Report ke hisaab se teen procedure me ye kiya jaata hai.
Xavier : Hmm!
Terashima : Yaani pehle woh card liya jaata hai. Fir logo ko island bulaaya jaata hai ya leke jaaya jaata hai. Right?
Xavier (nods) : Hmm!
Terashima : Aur ye celebrities ke saath kiya jaata hai. Aur fir waha pe maut!!
Chris : Hmm!
Xavier : Aur isliye tum dono undercover rahoge. Andre tumhare saath rahega. Recording ka kaam usse saupa hai mene.
Chris : Okay!
Woh sabhi baithe hi the, jab punaah Xavier ka telephone baj utha. Call ussi ka tha-
Crimson (smiles) : Kya ab meri baat pe yakeen ho gaya?
Xavier : T-Tum firse-!?
Crimson : Savdhaan kar raha hu. Mujhe toh tumhe thank you kehna chahiye. Alert raho. Nigrani rakho. Jald hi woh apne mission ko anjaam dega.
Xavier : Tum-!!!
Par firse, call cut ho gaya.
Terashima : Hume planning karni chahiye.
Idhar DGSI ki planning shuru hui aur udhar Crimson ne Ava ko Las Vegas se Paris bulwa liya.
Ava (growls) : Ab kya maqsad hai tumhara!!!?
Crimson : Veer ko message karo aur uss se kaho ki tum musibat me ho. Don't mention anything. Kaho ki help chahiye ASAP.
Majboori ke chalte usse woh karna pada. Yahi woh message tha jo Veer ko Ava dwaara aaya tha.
Jiske chalte Veer Ava ke liye Paris tak aaya.
Crimson : Apna maqsad mein tumhe bata hi chuka hu.
Ava : B-But he's innocent-
Crimson (frowns) : Tumhe kab se uss se itna lagaav ho gaya? Just do your work. Raat me tumhe usse alley me le jaana hai. Waha slot machines hongi.
Ava : Kyuuu??!
Crimson (smiles) : DGSI Veer par nigraani rakhegi. Aur tabhi mein apni gang aur nakli police force ko bhejunga. Woh waha hamla kar DGSI ko galat sanket de dengi. Jis se unhe ye lagega ki Veer pe hamla karna allowed hai. Zaahir hai tab woh bhaag ke niklega. Aur tumhe-!!! Usse meri owned uss building me laana hai.
Ava krodh me usse ghoorti rahi. Par chaah ke bhi kuch na kar saki. Kyuki Sweetie ne Crimson ko Grace Martin ke hospital ka pata de hi diya tha. Aur Crimson Grace ko dhundh chuka tha.
Alag alag buildings pe snipers bithwa ke Grace ko target kar ke rakha hua tha.
Ava apne bandhe haatho se sab kuch karne par majboor hoti gayi. Yaha tak ki uss unknown caller ne bhi usse Crimson ke saath kaam karne ke liye kaha hua tha. Kaise bhaagti inn sab se bach ke?
[Plan is good.]
Crimson ke mann me awaaz aayi.
Ye big game racha tha usne. Investigation Department jab uske peeche pada hi hua tha toh kyu na unhe unke target tak pohucha diya jaaye?
Issi tarah usne Veer ko fassa diya tha. Veer ka naam House of the Killers ka rachayita ghoshit hone waala tha.
Aur wahi hua bhi,
Ava usse nirdesh anusaar unn alleys me leke gayi.
Veer ke na dekhte hue woh khud ko nervous dikhaati jo Andre sab kuch record kar raha tha.
Terashima : Dekho! Natalia kaise darr rahi hai.
Andre : Right! Zaroor dhamka ke rakha gaya hai. This motherfucker-!!!
Utne me hi Crimson ki fake police waha ghusi aur idhar Terashima aur Chris ko galat jankaari haath me lag gayi.
Andre : Wh-What?? Cops usse shoot kar rahe hai? Matlab hum usse maar sakte hai?
Chris : Let's go!!!
Yahi woh waqt tha jab Ava waha se bhaagte hue Crimson ki owned IT building me gayi. Uske peeche jo gang members lage the unhe pata tha kya karna hai.
Ava chup chaap khadi rahi aur gang waalo ne usse baandh diya.
Fir woh rocket launcher ka blast. Veer ka bike utha ke bhaagna. Yahi sab toh ghatit hua tha.
Bilkul wesa hi ho raha tha jesa Crimson ne DGSI ko bataya tha. Jesa department se bheji gayi reports me likha hua tha.
Veer ne alleys me se woh pass khareeda hi tha. Las vegas me bhi card khareeda gaya tha. Chris aur Terashima ko unka pehla saboot mil chuka tha.
Dhamaake ke baad Veer ka island ki orr bhaagna aur celebrity Natalia ki kidnapping.
Aur ye tha dusra saboot jo unhe mil chuka tha.
Sab juch dohraya hi toh jaa raha tha. Matlab House of the Killers sach me racha jaa raha tha firse.
Koi sandeh nahi tha isme ki Veer hi ab-
House of the Killers ka rachayita tha.
Crimson apni tarqeeb me qamyaab ho chuka tha.
Bas ek cheez chorr ke.
*Bang*
Kisi ne uss par goli chala di thi peeche se.
Majbooran Veer ko chhor usse waha se bhaagna pada.
*Bang*
Ek aur bullet aayi aur uske seene par thodi si chot karte hue ghis ke nikal gayi.
Crimson uss source ka peeche karta gaya. Par tab tak goli chalaane waala vyakti bhaag chuka tha.
"Damn it!!! Madarchod hai kaun???"
Apne basement me pohuchte hi Sweetie uska waha intezaar kar rahi thi.
Sweetie : You are hurt.
Par usne koi jawaab na diya. Koi tha jo usse maarne ki koshish kar raha tha. Par kaun?
[Kahi ye wahi caller toh nahi?]
'Ho sakta hai! Lekin filhaal Veer ko Island leke jaana hai. Tabhi toh uspe aarop lagwa paunga mein. Uss par aarop lagte hi DGSI aur Investigation Department mera peecha chorr denge. Aur aarop lagne ke baad hi mission ki possibility jald hi 100% pohuch jayegi. Aur tab-!!! Mein usse maar paunga!!!'
Aur wesa hi hua. Veer harr taraf se fass chuka tha. Itni badi scheme uske peeth peeche uske liye rachi gayi thi uss bechaare ko andaaza bhi nahi tha.
Par Veer ne aenn mauke par baazi palat di.
Crimson ki Mission possibility 99% tak pohuchte hi,
Veer ne khud ko qurbaan kar diya.
Crimson ka saara khel dhara ka dhara reh gaya. HOK toh gaya hi saath hi Veer ko maarne ka jo mission milne waala tha, woh bhi ab gaya. Kyuki Veer jaa chuka tha.
Sthiti aisi thi jaise khade lund pe kisi ne laat maar di ho.
Aur isliye woh-
"Kaha gaya woh?? Where is he-!!!??"
Ava ka gala pakde uss par gussa nikaal raha tha. Itni badi machli uske haath se yu hi nikal gayi thi. Aur ye Ava dekhti rahi.
Parantu,
*BAAAAAMMMMMM*
Ek laat padte hi woh dur jaa gira.
Woh jaanta tha ye ladki Ava koi strong card rakhe hue thi. Wese hi uski condition sahi nahi thi.
[Don't fight her! You don't have an arm. Bullet tumne nikaal li hai lekin wound heal nahi hua hai. You need rest.]
Majbooran Crimson ko Grace Martin ko taak rahe snipers hataane hi pade.
Accha hua jo woh nahi bhida uss samay Ava se-
Kyuki woh nahi jaanta tha ki Ava kya rakhi hui thi.
Uske paas jo card tha woh tha-
*Ding*
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
It's big brain time. Ye update dimaag ki taare khol dega. Haha! Update consists of 7k words approximately. Dekhte hai kitne dots ko connect kar paate hai. Agla update hume Veer ki jankaari dega. Target abhi bhi wahi hai. 140. Toh like thokne ka aur revos rakhne ka.
Dhanyavaad!![]()
Ab agla update aane me time hoga, to socha isiko dobara padh liya jaye. Ab jab dobara padha to review bhi dobara banta hai.Update - 150 ~ The Return of the Queen
Ab tak...
[D-Dear! Stop it! What the hell are you doing? H-Hey don't scare me! Please!]
Woh awaaz vyakul thi. Ladki ne fir ahista se apne mann me uss awaaz ko jawaab diya.
'There's nothing left now! I must go as well! Lily...!'
[W-Wait!! N-Noooooo!]
Aur usne apna perr aage badha diya.
[Noooooooooooooo!!!!!]
Ab aage...
Sab kuch akhir samaapt hua. Veer ke Paris ke safar par poornviram laga aur ghar waapsi ke liye woh Paris se ravana ho chuka tha. Idhar, Mumbai me uska sabhi besabri se intezar kar rahe the.
Veer ke sahi salamat milne ke baad, uski phone par Ragini se baat hui. Sirf Ragini hi nahi, Mumbai me maujood Bhumika, Shweta, Sonali, Suman, Aabha, se leke harr kisi se uski baatein hui.
Aur sabhi ye jaan ke khush the ki Veer mehfooz tha. Ragini toh betaab thi use dekhne ke liye. Magar, Veer ke liye mushqile abhi khatam kaha hui thi. Asli, daav pench toh ab ladne the use.
Sawalo ka chakravyuh jo racha jaa raha tha Tej, Arohi aur Bhavna ki iss tigdam dwara. Shabdo ki inn bhool bhulaiyaa se bhi toh mehfooz aana abhi baaki tha. Ek choonk aur saara ka saara bhaanda phoot jaana tha uska. Veer ne khud ko iske liye mann hi mann taiyaar kar liya tha. Woh jaanta tha ki jaise hi woh ghar pohuchega, ye teeno deviyaan uss par prashno ke baan leke toot padengi.
Kherr! Ye sab toh yaha ki baatein thi. Lekin, kuch aur ghatnaaye bhi hui thi. Veer ke ird gird se hatke.
Jab Veer Paris jaa raha tha, toh jaane se pehle uski mulaqat Kaera se hui thi. Jaha usne Kaera ke puraane ghar se ek diary dhoondhte hue use saunpi thi. Veer ne diary toh saunp di thi. Magar, uske parinaam kya kya hue, inn baato se woh anibhigya tha.
Woh nahi jaanta tha ki Kaera ko diary thamaane ke baad Kaera ne kya kiya, uske saath kya hua. Bas itna zaroor jaanta tha ki Kaera ki favourability uske prati ghat ke 50 ho gayi thi. Aur, mission bhi dhara ka dhara reh gaya tha.
Na hi uska koi reward mila aur na hi koi notification aaya. Par, asal me kya hua tha inn beete dino? Ye baat, toh samay hi bata sakta tha.
Mumbai...
Night ~ 11:13 PM
Ye woh samay tha jab Veer Paris ke liye nikalne wala tha. Seer Vision! Uss legendary skill ka istemaal karne ke baad, Veer diary ki yaadon me doob gaya tha.
Labyrinth me usne harr woh yaad bator ke dhoondhi thi jo diary ke andar samahit thi. Diary apne kaal me jin jin ghatnakramo ko dekhe hue thi, Veer ne unn sab ko haasil kiya tha. Use Kaera ke baare me na jaane kya kya maalum chala. Aur, kuch dino ke baad hi usne woh diary Kaera ko thamaayi thi.
Aaj usi din ki raat thi. Kaera diary leke apne ghar aa chuki thi. Apni atyant hi vyast zindagi me use din bhar uss diary ko khol ke padhne ka samay na mila.
Raat hote hi, jab woh apne kamre me bilkul jaa hi rahi thi toh peeche se uski personal maid Julia ne use awaaz lagaayi,
Julia : Miss?
Kaera : Hmm?
Julia : Are you heading to bed?
Kaera (nods) : Yes!
Julia : Okay! Have a good night, Miss!
Woh shubhraatri kehte hue mudi ki itne me Kaera ne kuch soch use pukara,
Kaera : Julia!?
Julia (turns) : Yes???
Kaera : Can you please prepare a coffee for me? I think I'll need it tonight!
Julia : Are you going to stay awake for office work?
Kaera : Not that actually! Just something else! I'll be waiting inside.
*Thud*
Aur apne kamre ka darwaza band kar woh andar chali gayi. Usne Julia ko nahi bataya ki woh diary padhne jaa rahi thi. Coffee mangwane ke peeche yahi kaaran tha.
Na hi Julia ne apni taraf se pucha ki uski Miss bhala kis liye aaj derr tak jaagne wali thi. Kaera harr baat harr kisi se saajha nahi karti thi. Aur Julia bhi ye samajhti thi ki zaroori nahi use harr baatein bataayi jaaye.
Woh apni jagah jaanti thi aur uska aadar bhi karti thi.
Kamre ke andar aate hi Kaera ne apne kapde badle aur ek silk light purple nightdress daal woh apne bed par aayi.
Tab tak Julia uske liye coffee leke bhi aa chuki thi. Coffee ko uske bed se lagi side table par rakh woh punah 'goodnight' bol apne khud ke kamre me chali gayi.
Idhar uske jaate hi Kaera ne apni almaari khol wahi diary nikaali jo Veer ne aaj use thamayi thi. Ye uske puraane ghar se mili thi. Na jaane isme aisa kya hone waala tha. Magar, woh iske andar dekhne ke liye kaafi icchuk thi.
Usne diary kholi...!
Panne kaafi puraane prateet ho rahe the. Kaera ne pehle toh bina kuch padhe hi diary ko khol kaagaz paltaate hue use jaancha. Woh bhaanp rahi thi.
Diary waqai purani thi. Itne saalo se diary ke na khulne ke kaaran, kayi saare panne aapas me chipak chuke the. Badi hi savdhani se Kaera ne unn panno ko pehle toh alag-alag kiya. Poora jayza liya ki harr panna alag hai ya nahi. Uske baad hi woh diary ke pehle page par aayi.
Pehle page par aate hi uski nazar uss naam par pad gayi. Waha likha hua tha~
Archana!
"M-Mother!!!!??"
Kaera ke komal haath panne par likhe uss naam par firr gaye. Diary uski Maa Archana ki thi?
Page aage paltaate hue usne sab kuch fir padhna chaalu kiya. Likhawat dekhte hi woh pehchaan chuki thi ki ye uski maa ki hi likhawat thi. Woh apne emotions bhuli thi. Apna ateet nahi. Bhali bhaati yaad tha use ki uski maa kis tarah likha karti thi.
Usne ek gehri saans li, aur fir padhna shuru kiya.
Kaera! Karan! Mere pyaare baccho! Tum dono ko jabse mene paaya hai, mein bata nahi sakti ki mein kitni khush-kismat hu.
Tum dono mere jigar ke tukde ho. Tumhari kam aqal maata shri se theek se diary tak likhna nahi aata. (;^ω^)
Ye meri pehli koshish hai. Kuch nahi soojh raha tha kya likhu. Fir tum dono ka khayal aaya. Tum dono toh meri saanso me baste ho. Toh socha kyu na tum dono se hi iss diary likhne ki aadat ki bhi shuruaat karu?
Tum dono ke hone se dekho...! Mujhe bahana mil gaya ki diary me kya likha jaaye. Ye tumhari maa, ab se harr roz tumhari shaitaaniyo ko isme likha karegi. Jab tum dono bade ho jaoge na tab ise tum dono ke saamne kholungi.
Ye bataane ki bachpan me tum dono ne mujhe kitna sataaya hai. (^_^メ)
Shuru ke 2-3 panne Kaera aur Karan ke hi zikr ke the. Archana ka apne baccho ke liye pyaar harr ek shabd me jhalak raha tha. Pata nahi kyu par Kaera ki aankhein apne aap hi namm ho rahi thi.
Magar, unn panno ke baad jaise vishay gambheer ho gaya.
Mera swaasth bigad raha hai. Shareer se taqat jaise khatam ho rahi hai. Iss umr me ye sab nahi hona chahiye. Abhi toh tum dono ko bada hote dekhna hai mujhe. School se, college se graduate hote dekhna hai. Apne baccho ki shaadiyaan hote dekhna hai. Tumhare baccho ko dekhna hai.
Magar, haalat din-ba-din battar hoti jaa rahi hai. Mujhe abhaas ho gaya hai. Mera bachna ab mushqil hai.
Mere preeya baccho. Kuch bhi theek nahi ho raha hai. Tumhare Papa jin baba pe vishvaas kiye hue hai, mujhe woh ab sahi nahi lag rahe.
Kaera...! Jab se tumhare liye woh ye keh ke gaye hai ki tumhe ghar par rakha jaaye, aur bahar na nikalne diya jaaye. Mera vishvaas unn par se uth chuka hai. Baccho ko panchhi ki tarah kisi pinjre me qaid kar ke nahi rakha jaata. Tum toh mera apna khoon ho.
Lekin, tumhare Papa ye maan'ne ko taiyaar nahi hai. Meri aur unki ladayi lagbhag roz hone lagi hai. Mein harr baar uss baba ka virodh karti hu aur woh mujhe sunaane lagte hai.
Woh mera vishvaas nahi kar rahe. Magar...! Mujhe apne aap par atal vishvaas hai. Mein samajh chuki hu ki woh koi dhongi hai aur hamare sirf paiso par niyat hai uski.
Mere lakh mana karne ke baad bhi Kishor meri ek baat nahi maan rahe. Agar baccho ka samay subah se leke raat tak sirf padhaayi me vyateet kar denge toh kya hi parivaarik prem ka ehsaas kar payenge woh?
Kaera ka yu alag alag teachers ke dwara padhaya jaana, use kamre me band rakhna, baahar na nikalne dena. Ye sab...! Use asal zindagi se dur le jaane laga hai.
Aur mujhe darr hai..! Kahi ek na ek din- Woh kisi machine ki tarah na bann ke reh jaaye.
Agar aisa hua, toh meri bacchi apni bhavnaaye bhul jayegi. Woh bhul jayegi ki prem kya hota hai, harsh-ullas kya hota hai, gussa-berr kya hota hai. Harr bhavnaaye, insaan ko insaan banati hai.
Mein nahi chaahti, meri bacchi insaan se ek machine bann jaaye.
Gyaan arjit karna acchi baat hai. Lekin, gyaan iss tarah arjit karna...! Prayogik nahi.
Aur isliye, jaane se pehle mein tumhare saath kuch baatein saajha karke jaana chahti hu Kaera.
Karan ki mujhe fiqr nahi. Mamla tumhara gambheer hai meri bacchi. Aur mein jaanti hu ki tumhare sambhalte hi, Karan apne aap sambhal jayega. Woh tumse bohut prem karta hai beti.
Lekin, use jalan bhi hoti hai. Prem shuru se tumhe adhik mila hai. Use nahi. Jis kaaran woh muh fulaaye baitha rehta hai. Magar...! Woh tumhara kabhi dil se bura nahi chaahega. Iss baat ki pratyabhuti mein leti hu. Fir chaahe mein rahu ya na rahu.
Aur isliye mein ye diary likh rahi hu. Umeed hai jaane se pehle mein isme harr woh baat likh paungi jo tumhari zindagi me madad karengi.
Agar tum ye diary padh rahi hogi, toh zaahir hai meri maujoodgi ab waha nahi hogi. Aasha karti hu tum safalta ki uchaaiyo ko choom rahi hogi. (^‿^)
Kaera! Harr ek shabd dhyaan se padhna. Ho sakta hai tumhe iss diary ki zaroorat hi na pade. Mein khamakha chintit ho rahi hu. Lekin, Maa hu. Ek bhi mauka haath se jaane nahi dena chaahti jaha mein tumhare liye kaam aa saku.
Isliye...! Agar tumhe zaroorat pade, toh bas iss diary ko padh lena. Inme mene mool bhavnao ko tumhare ateet ke saath mila kar samjhaya hai.
Khushi!
Duniya ka harr ek vyakti ise paane ke liye marta hai beti. Ye kya hoti hai? Kya sirf muskurana khushi hai? Nahi beti!
Ek baar ki baat hai. Tum nanhi si thi. ^_^
Aur school me tumhara ye pehla result tha. Mujhe aaj bhi yaad hai tum meri ungli pakad ke mere saath school gayi thi. Tumhara jab result aaya tha tab tumhe nahi pata tha ki kya ho raha hai.
Mein toh behad khush thi result se. Lekin, tumhari samajh me kuch nahi aa raha tha. Haha! (✿^‿^) Tum bas taktaki lagaaye hume apni pyaari aankhon se ghoor rahi thi. Tum me utni samajh hi nahi thi.
Magar, jab teacher ne tumhe chocolate de ke shabashi di, tab tumhare hontho par muskaan bikhri thi. Tumhe samajh aa chuka tha ki tumne kuch accha kiya hai.
Aur yahi...! Asli khushi hai meri bacchi.
Jab aap mehsoos karo ki aap apni zindagi apne tareeqe se jee rahe ho. Na ki kisi ke dabaav me.
Jab aap samay ke bahaav ke saath behte jao, apni kismat par bina koi krodh jataate hue.
Jab mehsoos hoye ki zindagi ki paristhitiya acchi hai.
Jab aap dusro ke saath acche sambandh rakho aur unka aanand lo.
Jab kuch paane ke liye kadi mehnat karo aur use paa lo.
Inn sab ke parinaam, khushi leke aate hai bacchi. Ise yaad rakhna.
Nirasha!
Khushiyo ke saath, dukh bhi hamesha zindagi me aate rahenge beti. Par ghabrana nahi. Nirasha kab hoti hai? Kya tumhe pata hai?
Jab tumhara premi ya khaas dost tumhe asweekriti ya dhoka de.
Kisi khaas dost ya premi ko alvida kehna.
Jab koi parinaam mann ke mutabik na aaye.
Koi khaas jab guzar jaaye aur unki yaadein aapko unki yaad dilaaye.
Ye sthitiya nirasha leke aati hai.
Tumhe shayad yaad na ho. Lekin, jab tum first class me thi na. Tab, hum sab tumhari Nani ke ghar gaye the. Tumhare Nana ji duniya se jaa chuke the. Tumhe yaad bhi nahi tha ki tum unse mili ho ya nahi. Lekin, fir bhi tum unke shav ko dekh zorr zorr se ro rahi thi.
School me kisi se jhagda hona ho ya fir tumhari khaas dost Ava, Sonia se tumhara lad jaana. Tum roti thi. Kyuki tumhe ehsaas tha ki kisi apne se tumhara mann bhed hua hai.
Ye niraasha hai Kaera! Yaad rakhna!
Krodh!
Gussa kab aata hai? Tumhe bhi bachpan me kabhi kabhi behad gussa aata tha.
Jab lage ki tumhara raasta rok diya gaya hai.
Jab lage ki koi anuchit ya galat tareeqe se pesh aa raha hai.
Jab tumhari apni cheez koi dusra tumse chhinaane ki koshish kare.
Jab lage ki koi niji jeevan me hastakshep kar raha hai.
Jab mehsoos ho ki kisi apne ko thes pohuchayi jaa rahi hai.
Jab na-insaaf ho.
Jab dhoka, asweekriti mile.
Jab koi tumhari niji aur samajik seemaaye ko laangh jaaye aur apne matlab ke liye kuch haasil karna chaahe.
Ye paristhitiya krodh ko jagaati hai. Aise waqt pe hamesha thande dimaag se kaam karna Kaera. Mujhe vishvas hai tum sahi nirnay hi logi.
Bachpan me, ek baar Sonia ne tumhara mann pasand khilauna le liya tha. Tumne uss bechari ke baal kheench ke use rote hue ghar bhaga diya tha. Ye krodh hai.
Aur ye kabhi bhi accha nahi hota. Jab bhi krodh aaye, hamesha sabse pehle khud ko shaant karne ki koshish karna. Mujhe poori umeed hai tum ye kar logi.
Darr!
Tum kabhi bhi bhoot preto ki film se dara nahi karti thi. Unhe dekhna tumhara shauk tha. Mujhe yaad hai. ^_^
Lekin...! Tumhare do asli darr hai beti. Ek baahri darr aur ek andhruni.
Baahri darr hai~ Rejection!
Meri beti ho tum! Proud ho tum khud par, tumhari apni pride hai. You are the Queen my love. Toh rejection kaise le sakti ho? Aur isliye, tum darrti ho.
Andhruni darr hai tumhara~ Claustrophobia.
Ek doctor ne mujhe ye baat batayi thi. Ek baar ki baat hai jab hum sab tumhare papa ke acche business ki safalta ki kaamna ke liye shirdi gaye hue the.
Aneko mandiro me humne darshan kiye the. Waha se nashik bhi jaana hua. Waha ek mandir tha jaha par ek gufa thi. Neeche jaati hui gehri gufa. Tum darr rahi thi. Jab hum sab neeche gaye, toh waha aur bhi log maujood the.
Jagah kam aur log zyada hone ki wajah se waha ghutan si mehsoos karne lagi thi tum. Aur, rone lagi. Gehri saansein lete hue, baahar aate hue tum achanak hi behosh ho gayi thi. Meri saansein hi atak gayi thi tumhari haalat dekh.
Daudte bhaagte hum tumhe doctor ke paas le gaye the. Aur, tab usne hume ye bataya tha ki aapki beti ko Claustrophobia hai.
Lage jab koi kaam theek se na hone waala ho.
Bhavishya ke parinaam ke baare me jab negative way me socho.
Ye sab darr paida karta hai bacchi! Kabhi bhi...! Kaisi bhi paristhiti zindagi me aaye. Darrna mat. Darr tum par shobha nahi deta. Tum meri beti ho!
Ghrina!
Tumne kabhi kisi se ghrina nahi ki. Kyuki tumhare papa harr woh cheez tumhe laa ke dete the jo auro ke paas nahi hoti thi. Aksar, bacche tumse ghrina kiya karte.
(^_^メ)
Magar ek baar tumhe bhi jalan hui thi. Nafrat bhi karne lagi thi tum. Aur gussa bhi aaya tha tumhe.
USA hum sab revisit karne gaye the. Meri shadi ke honeymoon ke baad ye dusri baar tha jab mein waha jaa rahi thi.
Karan aur tumhari, garmiyon ki chhutiyaan lag chuki thi. Hum sab waha ek kamre me ruke hue the.
Tumhare papa ke ek mitr unse milne aaye the. Aur unke sang unka ladka, Prince bhi tha jo tumhari hi hum-umr ka tha.
Tum dono hi ek dusre ko ye bataane me lage hue the ki 'mere papa ke paas zyada paisa hai.'
Haha! (^^)
Aur isi jhagde me uss ladke ne apne papa ke ek helicopter ka zikr kar diya tha.
Jo uss waqt hamare paas nahi tha. Pehli baar tumne use jalan ki bhaavna se dekha tha. Nafrat bhi thi tumhari aankhon me. Aur gussa bhi. Badle me tumne uske bhi baal kheench diye the. Fufu~ (^^)
Ye jalan hai Kaera. Ghrina! Jab bhi aisa mehsoos hoye toh hamesha yaad rakhna ki kisi aur ke paas kya hai, kitna hai...! Farq nahi padta.
Farq padta hai ki woh uss kitne me se sansaar ke uddhaar ke liye kitna de raha hai. Agar woh adhik saksham hai, toh use adhik dayavaan bhi hona chahiye.
Kabhi ye mat dekhna ki kiske paas adhik dhan hai. Ye dekhna ki kiske paas kitna hai, aur woh utne me se kitna dene ke liye tatpar hai. Tumhe tumhara jawab mil jayega.
Mene tumhe mool bhavnao ke baare me samjha diya hai beti. Iske aage bas kuch yaadon ke baare me likhungi jo hum sabne saath guzaari hai. Umeed hai ye diary tumhare kisi kaam toh aayegi. Agar na aaye, toh bas apni iss maa ki akhiri nishani samajh ise rakh lena.
Iske aage sab kuch Archana ki lekhni me kuch puraani yaadon ke kisse the.
*Tip*
Kaera ki namm aankhon se apne aap aasu gir uss diary ke panno par gir rahe the. Naina beh rahe the. Jhar rahe the.
Use nahi pata tha ye sab kyu ho raha tha magar woh chaah ke bhi inn aasuo ko rok nahi paa rahi thi.
Use turant hi samajh aaya ki woh dukhi thi.
*Flip*
Jaldbaazi me panno ko paltaate hue woh uss page par aayi jaha 'nirasha' ke baare me uski maa ne samjhaya tha. Woh firse padhna chaah rahi thi ki woh dukhi kyu thi. Ye aasu kyu beh rahe the?
Aur agle hi shan uski nazre uss line par punah tik gayi,
'Koi khaas jab guzar jaaye aur unki yaadein aapko unki yaad dilaaye.'
Padhte hi Kaera ke honth thar-thara uthe.
"M-Mamma!!!"
Jaise harr ek sawaal ka uttar maujood tha usme. Arjun jab rannbhumi me duwidha ki paristhiti me tha. Toh Shri Krishna ne unki madad ki thi.
Kuch ussi prakaar se Kaera ke liye ye diary thi. Jisme uske harr ek sawaalo ke uttar maujood the.
Itne saalo se woh zindagi ka matlab jaan'na chaah rahi thi. Aur ek diary ne uski samasyao ka hal khoj nikala. Ye diary uske liye Amrit samaan thi.
Woh raat bhar uss diary ko padhti rahi. Na hi woh soyi aur na hi usne aalas dikhaya. Poori diary usne raat bhar me padh ke samaapt kar di thi.
Jab agli subah hui, toh woh apne kamre se baahar hi nahi nikli.
Julia ne baahar se use awaaz lagayi toh pata chala ki woh office ke liye nahi jaane wali thi. Na hi koi wajah batayi Kaera ne aur na hi woh baahar aayi.
Aaj ka din toh guzar gaya. Magar, Karan ko turant hi iski bhanak lag chuki thi. Woh jaldbaazi me office jaane se pehle taiyaar hoke seedha Kaera ke floor par aaya.
Karan : Where's dii?
Julia : She has shut in herself.
Karan : What???
Julia : She doesn't want to come out. She wants to be inside alone for sometime.
Karan : What? B-But why? What happened?
Julia : I don't know, Sir Karan! I'm just as clueless as you are!
Karan : B-But-! If Dad discovers this! There'll be problems. Is she okay?
Julia (nods) : She seems okay!
Karan : What about her food?
Julia : She asks me to put her food outside her door. After eating the food, she slides the empty dishes out. This is what's been happening since the last 2 days.
Karan (frowns) : Damn it!! J-Just what happened suddenly?
Woh aage badhte hue Kaera ke kamre ke ke baahar khada hua aur usne darwaza khat-khataate hue awaaz lagayi.
Karan : Diii?
*Knock* *Knock*
Karan : D-Dii? Please answer me!
Aur kuch derr baad fir andar se Kaera ki awaaz aayi.
Kaera : Yes? What is it?
Karan : Y-Ye sab kya hai di? Aap andar kyu ho? Baahar aaiye please! Bataiye! Kya hua hai?
Kaera : Mujhe...! Akelapann chahiye kuch dino ke liye.
Karan : Lekin kyu?
Kaera : Because I need it! Leave!
Karan : B-But dii-! Dad-
Kaera : I said leave!
Na chaahte hue bhi Karan ko waha se jaana hi pada. Ek umeed lete hue ki shayad jald hi uski behan baahar aaye aur sab kuch saajha kare. Magar, aisa na hua.
Khabar Kishor tak pohuch gayi. 3 din se Kaera se na toh uski koi baat hui thi aur na hi koi messages praapt hue the. Use khabar lag chuki thi ki Kaera office ke kaamo me apni upasthiti nahi de rahi hai 3 dino se.
Ghar par aate hi Julia ne sab kuch bata diya tha. Jise jaan'ne ke baad woh ek confusion me jaa chuka tha.
Kaera ne aisa pehle kabhi nahi kiya tha. Woh taajub tha ki harr baar uski anumati lene wali uski ladki aaj bina koi khabar diye aise kaise khud ko kamre ke andar band kar li?
Darwaze par aate hue usne khat-khataya,
Kishor : Kaera?
Kaera (andar se) : Yes?
Kishor : Baahar aao!
Kaera : No!
Jawaab sunte hi Kishor ki aankhein taajub me fel gayi. Peeche khade Julia aur Karan bhi ek dusre ko dekh chintan me the. Ye pehli baar ho raha tha. Kaera ne Kishor ke aadesh ko sunane se inkaar kar diya??
Kishor : Kaera??? Mene kaha baahar aao! Mujhe tumse baat karni hai.
Kaera : Leave! I need some time. I want no-one around me.
Kishor (surprised) : Tum-!!!?
Kaera : ...
Kishor : Kya mein jaan sakta hu ye sab kya chal raha hai? Andar kyu ho tum? Kya koi baat hui hai?
Kaera : Nothing! I told you! Mujhe akelapann chahiye abhi. For sometime...!
Kishor : Kisliye?
Kaera : To discover myself!
Kishor : Huh?
Kaera : I won't be coming out for few days.
Kishor : Kaera! Ye kya harqate hai? Do you have any idea how much loss your childish actions can bring to our business?
Kaera : Childish? Right! Be it childish then!
Kishor : You-!!! Kaeraaaa!!!! Baahar aao! Abhi!!!
Kaera : ...
Kishor : Kaaaaeeerraaaa!!!!
Kaera : LEAVE!!!!
Kishor hairat ke maare stabdh reh gaya. Uski beti ne aaj pehli baar ye kiya tha. Na sirf woh uski baat nahi maan rahi thi balki...! Palat ke jawab bhi de rahi thi.
Kishor (frowns) : Karan!
Karan : H-Haan Dad!?
Kishor : Kaera ki absence me tum meetings me jaoge. Clear?
Karan : M-Mein? Lekin-! Mein harr jagah dii ki tarah itna swiftly aur efficiently work nahi kar sakta.
Kishor : Sirf yahi ki meetings ki baat kar raha hu mein. Overseas jaane ki zaroorat nahi.
Karan (nods) : O-Okay!
Kishor : Julia!?
Julia : Yes Sir??
Kishor : You'll give me each and every update!
Kehte hue woh waha se tezz qadmo ke sath nikal gaya.
Julia sarr jhukaye bas dheere se 'yes' hi keh paayi. Kaera ki pal pal ki khabar dene ke kaam ab uske upar tha.
Dekhte hi dekhte kayi din guzar chuke the. Nexacom ke profits ghat rahe the. Karan apna 100% de raha tha magar...!
Woh akela kaafi nahi tha. Baaki, companies Kaera ki absence ka fayda uthate hue apna business badha rahi thi. Business opportunities ko steal kar rahi thi.
Profit ka graph nirantar gir raha tha. Aur Kaera, khud ko yu hi apne kamre me band kiye hue thi. Woh baar baar wahi diary padhti. Aur harr baar use padhte hue use aisa lagta jaise woh ye pehli baar padh rahi hai.
Aur tabhi, use ye dhyaan bhi aaya.
'I lost it!!!!'
Woh hairaan thi. She lost her virginity. Ab use uski ahamiyat ka bodh ho raha tha. Prem ke baare me bhi diary me vistaar se likha hua tha.
Ek jhatke me use woh sab yaad aane laga. Woh raat jab woh Veer naam ke yuvak se pehli baar mili thi. Uska woh nashe me hona. Veer ka use kamre me le jaana. Aur waha uss raat ka rangeen hona.
Sochte hi uski bauhe kass uthi.
Ye sab kiski badaulat hua tha...??
Veer!!!
***
Diary ko thamaane se pehle jab Veer diary ko apne ghar leke aaya tha. Toh ye wahi din tha jab Aabha ne use haafte hue paseene se tar-batar aata dekh liya tha.
Kaera ne jo kuch bhi diary me padha tha.
Woh toh usme tha hi nahi!!!
Raat ko jab Veer ne araam lene ke baad diary kholi toh diary me maatr 2-3 panne hi bhare hue the. Archana ne sirf itna hi likha hua tha. Apne baccho ke baare me.
Uske aage poori ki poori diary safed kore panno se bhari padi thi. Archana ko toh ye bodh hi nahi tha ki bhavishya me Kaera ki aisi dasha ho jayegi.
Par fir Kaera ne jo padha woh kya tha?
'Wtf? What is this?'
Veer jhunjhlate hue mann me bola. Diary bas 3 panno tak bhari thi. Baaki sab khaali tha.
[Looks like...! She wanted to write but she passed away before doing that.]
Pari ki awaaz uske mann me aayi. Aur uske vachan satya the. Archana bohut kuch likhna chaahti thi. Magar, akaal mrityu ka woh shikaar ho baithi thi. Isliye, kuch bhi likh na paayi.
Seer Vision ko istemaal karne ke baad Veer ko diary ke saath saath Kaera ki bhi kayi yaadon ke baare me pata chala tha. Kaera ka woh shirdi, nashik, USA me jaana. Aisi kuch yaadein thi jinko usne labyrinth me se badi mushqil se paaya tha.
'Wait! Meri ek baat samajh nahi aayi Pari!'
[What is it, Master?]
'Tumne bataya ki Seer Vision mujhe uss vastu ki life history dikha dega jo jo usne apne kaal me dekhi hai. Right?'
[Right!]
'Toh fir mujhe Seer Vision ka istemaal karte waqt Miss Kaera ke shirdi, ya nashik ya fir USA ke drishya kyu nazar aaye? Tab diary toh ghar par maujood rahi hogi. Ye sab drishya diary ke ird gird nahi huye. Miss Kaera toh desh ke baahar thi. Fir mein woh sab kaise dekh paaya?'
[A very good question Master. Samjhati hu-!]
'Yes Please!'
[Diary bhale hi ghar me thi. Lekin, kabhi na kabhi unn safar ka zikr toh hua hoga na Ghar me? Diary ki maujoodgi me?]
'Ahn!!?'
Veer ka muh ye sochte hi khul gaya. Woh ye kaise bhul gaya? Bhale hi diary ghar par thi. Lekin kabhi na kabhi Archana ya Kishor ne ghar par unn trips ka zikr kisi na kisi se toh kiya hi hoga.
'Matlab woh bhi include ho gaya? Seer Vision! It was insanely strong!'
[Yes! Warna aapki halat itni kharab kaise hui? It's because the skill was too strong. Legendary skills aisi hi hoti hai Master. That's the reason why it took a toll on you.]
'I see!'
Aur ab...! Sab kuch uske haatho me tha. Kaera ke Mission ke liye zyada din shesh nahi the.
'Pari!!!'
[Yes!]
'Purchase that skill! Miss Kaera ke emotions ko wapas laane ke liye, unki aur unki mom ki yaadon ko saamne laane ke liye, mujhe ye karna hi hoga.'
Aur agle hi shan,
*Ding*
['Copycat' is now available.]
Copycat! Ek aisi skill jo dusro ki lekhni ki nakal karne me saksham thi.
Yahi woh skill thi jo Veer ne Paris jaane se pehle khareedi thi. Bina iske toh kuch bhi nahi hone waala tha.
Adhure panno ko akhir wahi toh bharne waala tha. Archana ki writing 3 panno tak seemit thi. Lekin, woh teen panne kaafi the uski lekhni ki nakal utaarne ke liye.
Veer din raat, shabdo ka sahi istemaal kar uss diary ko bharne me lag gaya. Kahi se bhi usne aisa nahi lagne diya jaise ye kisi aur ke dwara likhi gayi thi.
Copycat urja bohut kheechti thi. Upar se sahi shabdo ka chayan karna aur saare bhaav saamne rakhna. Khaas kar jab aap kisi ko bhaav ke hi baare me samjha rahe ho.
Veer jo subah ko baithata, raat tak hote hote uska shareer paseene se lath-path maalum padta. Uske haath itne stats hone ke bawajood dard karne lagte. Kisi mrit vyakti ke uss zamaane se laayi gayi uski likhawat ki nakal karna, ye behad urja leta tha.
Jab tak Veer ne diary ko harr tarah se bhar nahi diya tab tak usne apna zara bhi waqt zaaya nahi kiya.
Diary ke complete hote hi, ek kaam aur bach gaya tha ab.
Veer ne diary ko khola aur apne paas rakhi chai ke cup ko dekha. Aur agle hi shan usne woh chai ka cup diary par palta diya.
[Wh-Whaaaaatttt!??]
Pari bhauchakki reh gayi. Kintu, usne agle hi pal Veer ke mann me jhaanka aur ye pata lagte hi ki Veer ne aisa kyu kiya, usne ek raahat ki saans li.
[You are so smart, Master!]
Veer ne fir paani bhi uss diary par giraya. Aur glue ka ek diluted version bana ke uske kuch panno ko aapas me jod diya. Diluted version isliye taaki nikaalne se woh araam se nikal aaye.
'Miss Kaera intelligent hai. Zara bhi unhe shaq nahi hona chahiye ki diary me ye sab abhi likha gaya hai aur diary pehle khaali thi. Ye karna zaroori tha.'
[Indeed!]
Usne fauran hi Suman ko bulaya,
Suman : Aapne mujhe bulaya Maalik? Pichle kayi dino se aap kamre ke baahar zyada aa nahi rahe ho. Sab theek toh hai na?
Veer : Hmm! Sab theek hai Suman! Mujhe tumse ek kaam hai.
Suman : Kahiye na maalik!
Veer : Ye diary pakdo!
Suman : Diary? Kiski hai?
Veer : Woh mein tumhe nahi bata sakta. Par tumhe ek kaam saunp raha hu. Kar dogi na?
Suman : Aap aadesh dijiye Maalik! Aap kab se mujhse meri anumati puchne lage? Aisa mat kiya kariye.
Veer : Umm! Ahem! A-Alright! So...! Tumhe iss diary ko upar terrace par rakhna hai. Ise sukhana hai. Khol ke mat dekhna andar kya hai aur na hi kisi ke saamne ye diary aani chahiye.
Suman : Jii! K-Kya mein jaan sakti hu isme aisa kya hai?
Veer : Suman! Ye diary meri nahi. Aur isme aisa jaan'ne laayak kuch bhi nahi hai tumhare liye.
Suman (nods) : Mein samajh gayi!
Suman ne aage koi sawaal nahi kiye. Woh apni jagah jaanti thi. Jab diary me uske matlab ka kuch nahi tha, toh uski dilchaspi turant hi samaapt ho gayi.
Veer ke aadesh anusaar usne diary ko chhat par rakh uski nigraani theek se kari. Jab tak ki woh poore se sookh nahi gayi aur chai aur glue ki gandh nahi chali gayi.
Yahi kaaran tha jo Veer ne diary Kaera ko turant nahi thamaayi thi. Kyuki woh adhuri thi.
Par Kaera...! Inn sab se anjaan thi.
Use laga ye sab uski Maa Archana dwara diya gaya tha. Balki, sachhaayi toh yahi thi ki woh sab..! Veer ke shabd the!
Ek mahina guzar chuka tha. Akhir kaar...! Kaera apne kamre se baahar aayi. Nexacom ne kaafi losses jhele hue the inn beete dino.
Julia apni miss ko baahar aata dekh turant hi uske qareeb aayi.
Julia : Miss!? Ruchika Miss is waiting for you! You are finally out!
Ruchika ne jab Kaera ko dekha toh woh chaunk uthi. Balki, Ruchika akeli nahi thi. Julia ka bhi yahi haal tha.
Kaera kuch alag si prateet ho rahi thi. Uske chehre par alag hi tej nazar aa raha tha. Pehle se kayi guna adhik. Uski aankhein pehle se zyada dhaar-daar thi.
Ruchika : Uh! M-Miss! M-Mein woh batana aayi thi ki...! S-Some of the rival companies are stealing opportunities from us. Aapki absence me kuch companies deal nahi kar rahi. Rumours are spreading that you have stepped down from your post. Rival companies ka hi kiya dhara hai yeh sab.
Kaera ki nigaahein jaise hi Ruchika par gayi, bechari Ruchika ke badan me ek sihran daud gayi.
Kaera : They dare to do that? Then let them know...! Soon! They will be dealing with their nightmare.
Ruchika (gulps) : Y-Yes!!
Kaera turant hi waha se mud neeche ki orr chal di. Ruchika uske peeche peeche daudte hue bhaagi. Aur idhar,
Julia stabdh nigaaho se bas ghatit hote hue sab kuch dekhti rahi.
Julia : M-Miss!?
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
We have completed 150 updates. Isi ke saath Crimson arc yaha samaapt hota hai. Jitne answers dene the woh arc ke ant ke pehle sab de diye gaye hai. Baaki ke uttar hum aage ke arcs me jaanenge. Business arc rahega ab. Mujhe ek outline banaani padegi uski. Toh Dil se like thok ke jaane ka aur revos rakhne ka. Target apna wahi hai. 150. Btw ye update more than 5k words ka hai.
Dhanyavaad.![]()