- 14,809
- 103,214
- 259
Last edited:
Beautiful update bhaiMega Update
Update - 149 ~ Reunion
Ab tak…
Lily apni baat aage kehti ki tabhi Ava ke mann me ek notification aaya jise dekh woh wahi jamm ke reh gayi.
*Ding*
[Grace Martin is dead.]
'N-No!'
Ab aage…
Kaisa mehsoos hota hoga jab zindagi bhar insaan ko gham hi gham milte rahe? Jab aap apne logo ko tadapte dekho, akele pad jao, koi raasta na mile, koi raah na dikhe, koi haath badhaane ke liye aage na ho, koi sahara dene ke liye kandha na ho, koi zakhmo par marham lagane wala na ho, kuch samajh nahi aa raha ho ki kya karna hai, toh kya kare woh insaan aisi zindagi jee ke?
Kaise ubhre iss kasht se? Ava abhi kuch aisi hi sthiti me thi.
“Breaking News - Singer aur actress Natalia Martin, jinhe haal hi me ek kidnapping event se bachaya gaya tha, unki mata Grace Martin ka kal raat lagbhag 9 baje nidhan ho gaya.”
“Reports ke anusaar Grace Martin Paris ke hi hospital me bharti thi. Lagbhag dedh saal se woh coma me thi. Unhe harr sambhav ilaaj diya jaa raha tha. Lekin, kal raatri me unhone apni antim saansein li.”
“Breaking News - Hume abhi abhi khabar lagi hai ki inn sab ke peeche Hospital ki ek bohut badi galti thi. Pata laga hai ki Hospital ki security me kami paayi gayi. Jaanch ke anusaar ye saamne aaya hai ki kisi ne jaan boojh ke Grace ke medical equipments ke saath chhedh-chaadh ki thi jiske chalte Grace Martin apni jaan gawa baithi. Toh kya hai ye sab? Kya koi conspiracy? Ya Natalia Martin ke khilaaf ye koi saazish hai? Koi aapsi dushmani ya fir kisi prakaar ka badla?”
“Jaan’ne ke liye saath bane rahe. Hum aapke liye latest updates laate rahenge. France 24!”
Reporters ka jamawda laga hua tha. Cameras ki shutters ki awaaz aur journalists ke bol chaal se poore shamsaan me shor macha hua tha. Aur inhi sab ke beech-
Ava maun chup chaap baithi hui thi. Uski aankhon ke saamne uski maa Grace ka casket rakha hua tha. Grace, christianity ko belong karti thi. Aur, isliye uska antim sanskaar bhi usi dharm ke anusaar ho raha tha.
Casket ke andar death bed par laiti Grace iss duniya se ab jaa chuki thi. Dedh saal tak zindagi aur maut ke iss sangharsh me woh haar chuki thi. Lekin, fir bhi aisa lag raha tha jaise uske chehre par muskaan thi.
Jaise woh khush thi ki ab uske kaaran uski beti ko aur kasht nahi jhelna padega. Ava ne jiske liye itna sab kiya, ab wahi duniya se jaa chuka tha. Kaisa system? Kaise points? Sab kuch jaise dhara ka dhara reh gaya uske liye.
Ava ke liye toh praanvayu hi uski maa thi. Kaise jiyegi ab woh? Ye daulat, shauharat, paisa, rutba, tarakki. Kiske liye kamayegi ab woh? Kise dikhayegi ye safalta? Jab koi bacha hi nahi uski zindagi me.
Woh shoonya ho chuki thi. Andar se bhi aur baahar se bhi. Itne ant tak woh ladi, lekin haath kya laga? Kuch bhi nahi. Reporters apne news channel ko footage dilwaane me lage the toh wahi aam janta formality nibha rahi thi.
Natalia ke ird gird security bhaari maatra me janta ko uss se dur rakhe hue thi. Dekhte hi dekhte, Grace ke antim sanskaar ki vidhiyaan bhi shuru ho gayi. Aur Ava ke mann me kal ki ghatna flashback ke roop me chalne lagi.
Kal-! Kal use notification aaya tha Death flag ka. Usne Grace ko bhi mark kar ke rakha hua tha. Taaki, apni maa ki zindagi aur maut ki khabar use pal pal milti rahi. Usne kabhi jeevan me nahi socha tha ki system ke zariye use iss khabar ke baare me pata chalega.
Jab tak woh waha pohuchi, tab tak sab kuch samaapt ho chuka tha. Use pata chala ki raat me kisi ne jaan boojh ke uski Maa ke medical equipments hata diye the.
Security camera me check kiya toh pata laga ki koi aadmi tha jo nurse ki uniform me tha. Aur, usi ne iss vardaat ko anjaam diya tha.
Hospital waale bas haath jod Ava ke saamne khade reh gaye. Galti unki security me hui thi. Par, ye sab hua kaise? Aur kaun tha inn sab ke peeche?
Sweetie!!!
Ya yu kahe ki Crimson dwaara nirdesh par amal karne wali Sweetie. Ava ne snipers ko hatwa zaroor liya tha lekin Crimson ne apna ek aadmi hospital ke andar hi nurse ke roop me bheja hua tha.
Uska kaam sirf yahi tha. Grace Martin ke medical equipments hatana. Badi baat ye thi ki woh aadmi ek din nahi balki ussi din se uss hospital me kaam kar raha tha jis din se Crimson ne Grace Martin ko udhar dhoonda tha.
Ava ne baahri khatro ko toh dur kar diya tha. Lekin, hospital me pehle se kaam kar raha woh aadmi uski nazro se bach ke nikal gaya.
Crimson jaanta tha ki Ava use daga degi. Use dhoka degi. Aur, isliye usne woh aadmi pehle se waha lagwa diya tha. Baaki ka kaam toh Sweetie ne kar diya tha.
Cruise me Veer ke hamle se pehle hi Crimson ne Sweetie ko do baatein samjhaayi thi.
“Sweetie! Ho sakta hai mera ye plan bigad jaaye. Isliye, take this-!”
Usne ek chaavi hawa me uchhaalte hue Sweetie ki or feki. Ye motorboat ki chaavi thi.
“Agar kuch gadbad hoti hai, toh iss motor boat ke zariye yaha se nikal jaana. After all, I don’t want you to die here. Right? My Sweetie!?”
Sweetie ne kiya bhi wahi tha. Jab Cruise toot ke bikhar chuka tha toh woh wahi motorboat ke zariye waha se nikalne me qamyab thi.
Ek dusra kaam aur diya tha Crimson ne. Chaavi ke saath saath ek phone bhi Sweetie ke haatho me thamaya tha usne.
“Jab yaha se niklogi. Iska matlab yahi hoga ki plan me gadbadi ho gayi hai. Tab ek kaam aur karna hoga tumhe. Phone ke draft me ek message hai aur ek contact bhi. Uss message ko uss contact par bhej dena. That will be your last work. I can trust you, right?”
“S-Sure!”
“Good!”
Sweetie ka dusra kaam tha Crimson dwaara diye gaye phone se ek contact par message bhejna. Aur uss message me bas ek hi shabd likha hua tha~
KILL!
Jo ki seedha jaake hospital me maujood usi nurse waale behroopiye ko mila. Use toh pata hi tha kya karna hai. Woh baitha hi hua tha Grace ka kaam tamaam karne ke liye. Jald se jald andhere ke baad, raat me apna kaam kar woh waha se faraar ho gaya.
Ava chaah ke bhi apni bhadaas Hospital waalo par nahi nikaal paayi. Woh sab toh system ki duniya se pare the. Kya kar lete woh? Aur kaisi bhadaas? Ab toh use kuch mehsoos bhi nahi ho raha tha. Na gussa, na khushi, na gham, ek murde ki tarah ho gayi thi woh.
Jab inn sab khabro ka silsila chal hi raha tha, toh bhala Ushant ki khabar na mile channel waalo ko aisa kaise ho sakta tha? Itna bada kaand jo hua tha waha.
Ships aksar Island ki orr jaaya karti thi. Swabhavik tha ki yeh khabar sabko pata chalni hi thi.
"Breaking News~ Abhi abhi hume khabar mili hai ki Ushant Island me 50 se upar dead bodies ke tukde paaye gaye hai."
"Sutro se pata laga hai ki Ushant ki orr kisi badi aalishan cruise me 50 se adhik log sawaar the. Ek haadsa hua aur vishal-kaay cruise ko samundar le dooba."
"Haadse ki wajah ko lekar bareeki se jaanch padtaal jaari hai. Khoonkaar sharks ke chalte hi shavo ki ye dasha hui hai. Bodies ko identify karne ka kaam jaari hai. Pata lagte hi sabhi ke parijano ko soochit kiya jayega. Tab tak ke liye, bane rahiye France 24 ke saath."
Tamaam reporters aur news channels bas inhi do news ko dikhaane me lag gaye.
Ek toh Ava ki maa ka dehaant. Aur dusra Ushant.
Veer ke liye mushqile khatam nahi hui thi. Abhi bhi woh janta ki nazro me ek criminal hi tha.
Lekin, kehte hai na jab ek darwaza band hota hai toh dooja khulta hai.
Ava, jisne Veer ko fassaya tha. Ab wahi use iss daldal se nikaal rahi thi.
Dherr saare reporters ke beech mics aur cameras se ghiri hui woh kuch bolne ke liye taiyaar thi.
Reporter 1 : Miss Natalia! Aapki maa ke dehaant ke baare me jaan ke hum sabhi ko behad dukh hai. Par kya aap iske baare me kuch kehna chaahengi? Hospital ko lekar kuch? Jo unse choonk hui?
Ava ke chehre par koi bhaav nazar nahi aa rahe the. Grace ka antim sanskar ho chuka tha. Aur, use dafna ke woh wapas laut chuki thi.
'Speak to me' gaana jo usne khaas apni maa ke liye gaya tha. Sab dhare ke dhare reh gaye. Maa toh kuch bhi sunn na paayi. Na hi kuch jaan paayi. Atyant hi dukhad ant tha yeh.
Ava : Iss baare me mein koi charcha nahi karna chahungi.
Reporter 2 : Aapki baat sahi hai Miss Natalia. Parivar ke sadasyo ko khone ke baad insaan jaldi ubhar nahi paata. Isliye mera sawaal iss se sambandhit nahi hai. Mera sawal hai aapse ki Ushant me jo kuch bhi hua tha kya usko lekar aapko kuch yaad aaya? Koi jankari haath aage lagi aapke?
Ava : Yes! I remember now!
Muh se shabd nikalte hi, reporters sabhi aapas me ek dusre ki orr dekhne lage. Ek badi khabar unke haath lagne waali thi.
Ava : I remember each and every thing. Uske liye hi mein ye conference ke liye raazi hui hu.
Reporter 2 : Ye toh bohut acchi baat hai! Kya aap bata sakti hai kya yaad aaya hai aapko?
Ava (nods) : Hmm! DGSI se bohut badi galti hui hai.
Statement nikalte hi, TV dekh rahe DGSI ke saare team members ke maathe par paseene ki boonde jhalakne lagi.
Itni badi agency thi woh. Sare aam koi unpe aarop laga raha tha. Kintu, aarop sahi bhi tha. Janta ko kya muh dikhayenge ab woh? Tamaam sawaalo se saare team members joojh rahe the.
Aur inhi me unke Head Xavier athwa Chris, Terashima se leke Andre sab shaamil the.
Iss raat Ava ka ye interview bohut saare raazo par se parda hataane waala tha.
Terashima : Dekha? Dekha aap sab ne? Mene kaha tha na ki humse zaroor koi galti hui hai. Woh-! Woh ladka! Woh ladka criminal nahi tha.
Andre : This is bad. Pata nahi ab hum ise handle kaise karenge.
Chris : Miss Natalia ka poora interview hone ke baad hi kuch clues milenge. Dekhte hai hume koi trail milti hai ya nahi iss se.
Xavier apne staff ki baatein sunn zaroor rahe the lekin unka poora dhyaan TV par hi tha.
Reporter 1 : Kya matlab? DGSI se galti? Kaisi galti?
Ava : DGSI ne jise criminal ke roop me pesh kiya hai. Woh darasal koi criminal hai hi nahi balki woh toh ek sadharan ladka hai.
Ava ke harr uttar logo ke beech aur bhi zyada confusion paida kar rahe the. Ek ke baad ek jhatke lag rahe the unhe.
Idhar DSGI me bhi Ava ke statement ke baad sab spasht ho chuka tha.
Chris : Lo! Ho gaya kaam! Ab kya karna hai Sir?
Xavier (frowns) : Shh! Keep watching!
Reporter 2 : Ye aap kaise keh sakti hai? DGSI hamaare France ki badi security agencies me se ek hai. Woh itni badi galti kaise kar sakte hai?
Ava : Ye sawaal aap unse hi kyu nahi poochte? DGSI se bohut badi galti hui hai. Ek nirdosh ko unn logo ne maut ke muh me dhakela hai. Aur itna hi nahi, balki use criminal bhi ghoshit kar diya.
Reporter 1 : Aap aisa kaise keh sakti hai? Kya saboot hai aapke paas?
Ava : Saboot? Kya mera yeh kehna saboot nahi? Woh ladka-! Jise DGSI ne Criminal bana ke rakha hua hai. Woh toh meri jaan bachaane waha aaya tha. Aur asli criminal toh koi aur hi tha.
Reporter 2 : What?
Ava ke ye sab bolte hi waha logo ki khusur pusur shuru ho gayi. Agar asli criminal koi aur tha toh abhi tak DGSI kise pakad rahi thi?
Ava : Asli criminal toh ye tha-!
Ava ne agle hi pal apni mobile screen par Crimson ki ek tasveer dikha di. Chaaro orr shor fel gaya.
Aur udhar TV par sab dekh rahi DGSI ki team ke hosh hi udd gaye.
Terashima : Ye kaun hai? Mene ise pehle kabhi nahi dekha.
Chris : Lekin, Miss Natalia keh rahi hai toh baat sach hi hogi. Sir! Hume private me Miss Natalia se baat cheet karni hogi.
Xavier : Hmm!
Reporter 1 : Ye aadmi kaun hai? Kya aap bata sakti hai?
Ava : Yahi toh hai harr hamle ke peeche. Ushant se leke woh rocket launcher blast. Issi ne mujhe kidnap kiya tha.
Reporter 2 : Toh ye baat aapne pehle kyu nahi batayi? Hume sutro se pata chala hai ki jab woh ladka execute kiya gaya toh aap waha maujood thi. Toh tab aapne ye sab kyu nahi roka? Aur bataya kyu nahi?
Ava : Mein uss haalat me nahi thi. Aur, woh ladka ghayal tha. Khoon se sana hua tha. Mein use pehchaan na paayi. Jiska mujhe khed hai. Lekin, woh sahi salamat hai. Mujhe poora yakeen hai ki ye insaan jisne mujhe kidnap kiya tha, yahi harr problem ki jadd hai.
Crimson ki photo release hote hi public me nayi sansani si mach gayi.
Xavier : Chris! Miss Natalia se milne ke liye hum abhi nikal rahe hai.
Chris : Yes Sir!
Ava ne apne statements de diye the. Dekhte hi dekhte waha DGSI bhi pohuch gayi. Aur tamaam janta ke beech unhe dherr saare sawaalo se gher liya gaya.
Reporter 1 : Janta jaan'na chaahti hai ki kya Singer Natalia ne jo kuch bhi abhi kaha. Kya woh sach hai? Kya DGSI apne kaam me fail ho gayi hai?
Xavier : Dekhiye! Chhaan been jaari hai. Aur ye baat sach hai. Mujhe bataate hue khed ho raha hai ki hum sabhi ek masterplanka shikaar ho gaye the. Jiske chalte uss nirdosh ko apni jaan gawani padi. Aur asli mujrim hamari pakad se nikal ke bhaag gaya.
Xavier ne ye kaha hi tha ki poori janta waha ki bhadak uthi. Ye mazaak chal raha tha kya?
Ava : Woh ladka zinda hai. Sahi salamat hai.
Xavier : Huh?
Terashima : W-Woh zinda hai?
Ava (nods) : Hmm! xxxxxx hospital se mujhe call aaya tha. Kisi ne use bachaya tha aur hospital me admit karwa diya tha. Chunki woh mere liye waha aaya tha isliye hosh aane par usne mera hi naam liya aur hospital ne isliye fir mujhe call kiya. Wo recover kar chuka hai. Lekin, aam janta ke beech kaise aaye? Ek nirdosh par aap sabne itne warrants jo jaari kar rakhe hai.
Ava ne bade hi chalaaki se saari sachhaayi ko ghuma diya. Ye karna aavashyak bhi tha.
Xavier : Kya aap uss ladke se contact me ho?
Ava : Hmm? Bilkul! Woh meri jaan bachane ke liye aaya tha. Aur aap sabne asli mujrim ko chhor use hi execute kar diya?
Xavier (frowns) : Magar-! Woh uska chopper? Ushant me uska surrender na karna? Ye sab kya tha?
Ava : Uss baare me mein nahi jaanti. Lekin, itna zaroor jaanti hu ki woh nirdosh hai aur apne parivaar se milne ke liye betaab hai. Asli criminal ye screen par maujood insaan hai. Isne mujhe kidnap kiya tha. Yahi tha jo gangs ko orders de raha tha.
Xavier (nods) : Hum thoda aur spasht kar le aur uske baad saare warrants hata diye jayenge. Iske saath hi iss photo waale aadmi ki chhaan been bhi jaari ho jayegi. I hope that is fine with you?
Ava : Alright!
Samjhauta ho chuka tha. DGSI ko unki bhool ka ehsaas ho gaya tha. Higher authorities se bhi unn par pressure badh raha tha. Isliye, jald se jald saare arrest warrants ko aur Veer ki execution ki news ko saari media se hata diya gaya.
Balki, ulta uski bahaduri bhare karnaamo ki news chalne lagi. Samachaar me ye bataya jaane laga ki Veer naamak ladka Ava ki jaan bachaane ke liye itni dur tak gaya tha jaha woh kisi masterplan ka shikaar hoke ghayal ho gaya.
Crimson ki photo saari news media me release kar di gayi. Logo ko jab ye samajh aaya ki asli maajra kya tha toh unhe Veer ka samarthan karne me derr nahi lagi.
Ava ke fans wese hi uski baato par yakeen kar liye the. Dekhte hi dekhte saari janta Crimson ki maang karne lagi. Aur Veer ki veerta ko saraahne lagi.
Veer jo chhipe baithe saari news dekh raha tha use khud kayi nayi nayi baatein pata chal rahi thi.
'Ava's mom-!? She passed away?'
Woh bura bhala keh ke Ava ko Island par chhor ke aaya tha. Kahi na kahi Ava ki maa ki mrityu ka use bhi dukh tha.
Magar ye samay shok jataane ka nahi tha. Samay tha yaha se nikalne ka.
DGSI se uski baat ho chuki thi. Sab kuch Ava ne karwaya tha. DGSI abhi iss shaq me thi ki woh chopper kiska tha? Aur Veer itni jaldi recover kaise ho gaya? Saath hi uska surrender na karna.
Ye kuch sawaal the jo unhe sataa rahe the. Isliye, Veer se aamne saamne baat karne ki unhone thaani.
*Tococococococo*
Helicopter ke neeche aate hi, uske andar se Veer baahar aaya.
Sab kuch news me prakaashit kiya jaa raha tha.
Hotel me maujood Tejal, Bhavna, Arohi aur Manorath ne jab ye khabar dekhi toh jaise unki khushi ka thikana na raha. Itne dino baad woh sabhi use dekh rahe the. Unke bhaavo ko shabdo me bayaa karna mushqil tha.
Tejal : M-Mom!
Khabar dekhte hi Tej apni jagah se uth khadi hui.
Bhavna : Tej! Jaldi! Chalo!
Bhavna kisi hawa ke jhonke ki tarah saree pehne pehne hi room se baahar nikal gayi.
Tejal : R-Right! Wait! Mom!
Aur Tej uske peeche peeche daud ke chal di.
Arohi : Dada jii! Chaliye!
Manorath : Haan bhai haan! Chalo chalo!
Idhar Arohi ne Manorath ko kamre ke baahar nikaal, kamra lock kiya aur unhe apne sang laate hue neeche aa gayi.
Unn sabhi ki manzil Veer ki location hi thi jo unhe news se mil chuki thi. Cab book karte hi woh sabhi waha se chal diye.
Par wahi bas nahi the. Ek aur aalishaan hotel me maujood ek ladki gumsum si baithi hui thi. Aur, uske theek saamne ek aurat khadi thi.
Woh koi aur nahi, Ashita hi thi. Aur saamne baithi ladki ~
Suhana!
Ashita : Akhir kab tak hum iss tarah hotel me rahenge? Huh?
Suhana : Why are you here? I told you to leave me alone!
Ashita : Ye sab kya laga rakha hai Suhana? Tumhare husband ka phone pichle 2 dino me 12 baar aa chuka hai. Agar mein pick karungi to tumhari saari pol khul jayegi. Sabko lata lag jayega ki tumhe split personality disorder hai.
Suhana : Prakash Uncle hai uske liye.
Ashita : And thank god that he's here. Warna agar woh na ho toh pata nahi mein tumhe kaise handle karungi. Tumhare husband ko jawaab tab se wahi de rahe hai. Lekin, mujhe lagta nahi woh ab zyada derr tak hold kar payenge ye sab.
Suhana : H-He-! He will manage. I believe in him.
Suhana ki haalat dekh, Ashita ka dil paseej utha. Woh ahista se uske bagal se aake baithi aur uska haath thaam kuch sochi,
'Agar mene iss baat ko abhi nahi rakha, toh shayad aage jaake ye aur nuksan-dayak hogi. Suhana ko mujhe realise karwana hoga. I know ye sahi state nahi hai inn sab baato ko jaan'ne ka. Lekin, mein aur derr nahi kar sakti. I'm sorry Suhana.'
Ashita : Suhana!?
Suhana : …
Ashita : Suhana???
Suhana : Ungh??
Ashita : Mujhe tumse kuch zaroori baat karni hai.
Suhana : O-Ohh!
Ashita (sighs) : Suhana! Tumhe pyaar ho gaya hai!
Aur usne keh diya. Seedhe seedhe!
Suhana : Hmm?
Ashita : Mujhe nahi pata ye pyaar ka beej tumhare andar kab boya gaya lekin, beej ankurit ho chuka hai Suhana. Usne paudhe ka roop lena shuru kar diya hai. Aur, mujhe darr hai ki kahi ye bada sa vraksh na bann jaaye. Agar aisa hua toh fir ye reversible nahi hoga. Fir tum pyaar ke daldal me fass jaogi Suhana!
Woh sab kuch sahi keh rahi thi. Parantu, Suhana uss haalat me thi hi nahi jaha woh inn pechida baato ko samajh sake. Woh toh Ashita ko aise dekh rahi thi ki jaise maano raah chalte kisi paagal insaan ko dekh rahi ho.
Suhana ne Ashita ka maatha chhua aur fir use waqai chintit nazro se dekhi,
Suhana : Kaun sa ped? Kaisa paudha? Kaha ka beej? Ashita! Tumhari tabiyat theek hai na? Should I take you to a doctor? Don't worry! I won't charge you for that.
Ashita : Ohh! God!!! This fucking stupid-!!! Aarrrghhh! Mera sarr fatt jayega. Calm down! Calm down! Suhana abhi calmly nahi soch rahi. Yes! She's not like her usual self. Tumhe dheere dheere aage badhna padega. Yes! Phew! Okay! So, meri baat suno Suhana.
Suhana (nods) : Uhh-huh! Mein sunn rahi hu!
Ashita : No! You are not listening you fucking stupid-!!! Argh!! Mein firse frustrate ho gayi. Calm down! Calm down! Ashita! Phew!
Suhana (frowns) : Are you really okay?
Ashita (screams) : Yesss! I'm fucking okay! But you are not you idiot-! Urgh! Anyways! Meri baat suno! Tumhe uss ladke se pyaar ho gaya hai. Do you understand?? Are you getting what I'm saying????
Suhana : Huh?
Ashita : Tumhe uss Veer naam ke ladke se pyaar ho gaya hai. Lekin, use bhul jao kyuki woh ab iss duniya se-
Woh abhi apni baat poori kehti ki tabhi room ka darwaza dhadalle se khula aur Prakash Uncle andar aake tapaak se bol pade,
"W-Woh Veer zinda hai! Miss Suhana! News dekhiye!"
Ashita : Ehh?
Ashita jaha confused reh gayi toh wahi Suhana tezzi me apne bistar se uth baahar room me aayi aur uski nazre seedhe TV par jaake tik gayi.
Khabar Veer ki hi chal rahi thi. Uska woh chehra, logo ke beech ghire hona, security ka uske liye jagah banaana.
Woh sab kuch apni aankhon se dekh paa rahi thi. Na jaane kya hua use jo woh seedha baahar ko apni car ki orr bhaag nikli.
Ashita : S-Suhana??? Wait!!!
Prakash Uncle : Lagta hai Miss issi news channel waali location par gayi hai.
Ashita : Aur aap…!
Prakash Uncle : Hmm?
Ashita : Uncle aap ko kya zaroorat thi ekdum se kisi ke kamre me aane ki. Do ladies andar baat kar rahi thi aur aap ho ki-
Prakash Uncle : Arrey mein woh- mein toh soochna dene aaya tha bas.
Ashita : De di soochna? Nikal gayi na woh. Ab chaliye!
Prakash Uncle : Bilkul! Abhi car laaya.
Suhana ke theek peeche Prakash Uncle Ashita ko leke bhi usi pate par chal diye.
***
Idhar Veer chaaro taraf se ghira hua tha. Adhiktar janta uska samarthan kar rahi thi. Parantu, kuch abhi bhi the jo bataayi gayi baato ka asaani se yakeen nahi kar rahe the. Nayi sacchayi ka khandan karne me lage hue the.
Sawaalo par sawaal Veer se reporters puchte jaa rahe the. Kintu, woh ek ka bhi jawaab dene ke liye nahi ruka.
Veer ke liye security iss waqt behad high thi aur woh log apna kaam poori mehnat se kar rahe the. Na jaane kab uspe kaun hamla kar de. Maamla poori tarah se shaant nahi hua tha.
Uske thoda aage badhte hi DGSI ki team uske saamne thi. Kisi jeeti jaagti hassti ke samaan prateet ho raha tha woh iss waqt.
DGSI ne uske aate hi apni kaaryavaahi shuru kar di. Terashima se leke sabhi upasthit the.
Aur ye jald hi siddh bhi ho gaya ki-
Veer!!! Criminal nahi tha.
Saare arrest warrants uss par se hatt gaye. Yaha tak ki DGSI ki orr se use maafi ke roop me kuch dhan raashi bhi uplabdh ho chuki thi.
Crimson aur Ushant ko leke tehqiqaat bhi shuru ho gayi. Aur, Veer ka jise sabse zyada intezaar tha. Woh pal bhi aa hi gaya.
"Veeeeeeeeeeerrrr!!!!"
Ek jaani pehchaani awaaz, jise sunn'ne ke liye woh kabse tadap raha tha. Jaha usne umeed hi chorr di thi ki woh ab ye awaaz kabhi nahi sunn payega.
Ye wahi awaaz thi.
Awaaz thi Bhavna ki! Uski maa ki!
Par awaaz ki goonj abhi khatam nahi hui thi jab ek aur awaaz waha uske kaano me goonj gayi,
"Veeeeeeerr!!"
Aur iss awaaz se bhi woh bhali bhaati parichit tha. Agar koi aam insaan hota, toh itne shor me inn awaazo ko sunn nahi paata. Magar, Veer ek system holder tha-! Uske senses aam insaano ke muqaable kahi zyada tha.
Ye awaaz thi Tejal ki!
Parantu, woh logo ke beech ghira hua tha. Nikle kaise inn logo ke beech se?
Jab woh inn soch vichaar me laga hua tha tabhi ek haath bheed me aage badha aur uski kalaayi ko thaama.
'Hmm?'
Jab tak woh kuch soch paata, ek zorr ke khichaav ne use bheed se ghaseetate hue baahar nikaala.
Logo ke gol ghere ko tod woh baahar nikal khichaav ke chalte ek ladki se jaa bhida. Bhidna bhi nahi kahenge. Ye toh milan tha.
Aankhein jab chaar hui toh Veer unn naino ko dekhte hi pehchaan gaya.
Arohi!!!
Dono kuch shano tak ek dusre ki aankhon me hi kho gaye. Paristhiti kitni hi jatil kyu na ho, Arohi hamesha unn sthitiyo me saralta se apna raasta khoj liya karti thi. Aaj bhi wahi hua.
Usne badi hi asaani se Veer ko bheed se baahar nikal liya tha. Woh baat alag thi ki ab ek naya ghera bann'ne jaa raha tha.
Arohi : V-Veer!
Veer : Arohi dii!?
Dono aage kuch keh paate ki tabhi Veer ke upar koi lapka. Security sachet hui magar unse derri ho gayi. Ucchalne wala shaks behad tezz tha.
Zorr ka jhatka Veer ko apni chhaathi pe mehsoos hua aur agle hi shan woh neeche zameen pe tha. Uske upar ek bhaar bhi tha.
Khushboo ne naak me jaise hi apni haazri lagayi. Veer sab samajh gaya.
Veer : Teju dii???
Tej uske upar use zorr se jakde hue thi. Shirt par uski pakad itni mazboot thi ki lag raha tha kahi shirt hi na faad de woh.
Tej uss badan se wahi khushboo lene ka prayaas kar rahi thi. Magar woh kahi maujood hi nahi thi. Kaise milti Veer ki wahi shareerik sugandh? Veer Crimson ko maar ke khoon aur samudra ke namkeen paani se sann'ne ke baad nayi shirt me aa chuka tha. Uski khaas sugandh toh ghar par hi padi hui thi. Wahi Suhana ke dwara diya gaya Las Vegas wala perfume.
Fir bhi, iss chhaathi se lagne maatr se Tej ki jaise saari chintaaye gayab ho gayi.
Woh dono ye bhul chuke the ki unhe saare news channels me darshaya jaa raha tha. Kuch derr yu hi uske upar chadhe rehne ke baad Tej ne haule se apna sarr uthaya aur use dekha,
Aankhein dekhte hi Veer bhaanp chuka tha ki ye khubsoorat aankhein kayi raato se uski talaash me pehra di hai. Naino ke neeche kam sone se woh kaalapann, Tej ki atalta ko toh darsha hi raha tha par saath hi kahi na kahi uski sundarta me bhi chaar chaand laga raha tha.
Ek ajeeb sa aakarshan tha ye.
Veer (smiles) : I'm okay!
Tej (nods) : Mmm~
Veer : Umm! Aap uthengi? Aas paas sab hume hi dekh rahe hai.
Tej : Dekhne do!
Veer : Teju dii!
Tej : ...
Veer : Teju dii! Please! Uthiye na! Jee bhar ke gale lag lena. Mene maa ki bhi awaaz suni. Kya unse nahi milne dogi aap?
Bhavna ka zikr aate hi iss baar Tej uske upar se uth gayi. Lekin, uthne se pehle woh apne Bhai ke gaal ko choomna nahi bhuli. Veer se uski pakad chhoothate hi use kisi aur ne apne aalingan me le liya.
Mazbooti me ye pakad uski apni pakad se bilkul bhi peeche nahi thi.
Veer apni maa, Bhavna ki baaho me tha.
Veer : Maa!
Bhavna ne pehle toh use kass ke jakde rakha. Uske baad turant hi sabse pehle uske shareer ka jayza liya. Aage peeche, upar neeche. Jab sab sunishchit ho gaya toh uska haath apne aap hi Veer ki shirt ke andar gaya aur uske pendant ko tatola.
Haath me pendant aate hi Bhavna ne ek raahat ki saans li. Uske baad apne bete ke haath ko upar kar usne uski kalaayi dekhi.
Veer ki kalaayi me woh kaala dhaaga abhi bhi bandha hua tha. Bhavna ne khud hi uske jaane se pehle ye baandha tha.
Kaale dhaage me darasal kuch bhi nahi tha. Woh koi jaaduyi dhaaga nahi tha. Lekin, Bhavna ka atal vishvaas tha usme. Aur, yeh kaafi tha uske liye.
Sab kuch jaanch lene ke baad fir usne apne bete ke mukh ko dekha. Wahi bhar nahi thi. Dur khadi Ava bhi sab kuch dekh rahi thi.
Jaha usne apni maa ko khoya tha toh wahi uski nazro ke saamne ek maa bete aapas me mil rahe the. Unke milan ko dekh, uske honth pal bhar ke liye upar ko uth gaye. Par unn aankhon me atyant dukhdayi peeda ki ek parat chadhi hui thi.
Ye pehli baar tha, jab saare cameras Veer ke upar focused the. Na ki khyaati praapt ki mahaan singer Natalia ke upar.
Aur, inhi shor sharaabe ke beech Ava ke qadam dheere dheere peeche ko chal diye. Woh janta ki nazro se kab gaayab ho gayi, kisi ko kuch pata hi nahi chala.
Idhar Bhavna Veer ko thaame use ghoorne me lagi thi.
Bhavna : Mein toh pehle din hi bhaanp gayi thi ki tu mujhse jhooth bol ke gaya hai.
Hamesha apne bete ko 'tum' keh ke pukaarne waali Bhavna ke muh se aaj apne aap hi 'tu' shabd nikal aaya.
Ye 'tu' shabd apnepann ko darshane ke liye tha. Bekaraari ko darshane ke liye tha. Jaise woh batlana chaah rahi thi ki uska baccha kidhar bhi kyu na chala jaaye, kitne hi meel dur kyu na bichad jaaye, rahega hamesha uske aanchal ki chhaav me hi.
Veer sirf uska tha. 'Tu' shabd saral maayno me yahi darsha raha tha. Woh jaanti thi ki uska laadla uss se jhooth bol ke gaya tha.
Veer : Aur mein bhi ye jaanta tha ki aap ye jaan gayi ho ki mein aap se jhooth bol raha hu.
Bhavna : Uske baad bhi tum jhooth bol ke gaye?
Veer badle me bas muskura diya.
Bhavna : Ek ek baat bataoge tum.
Veer (smiles) : Jaisi aapki aagya!
Bhavna ne punah use apne gale se laga liya.
*Badump* *Badump*
Uske seene se lage unn dhadkano ko sunn, apne aap hi uski aankhein bheeg uthi. Woh zinda tha. Sahi salamat tha. Iss se badi baat uske liye aur kuch nahi thi.
Bhavna ko sambhaalte hue Veer ne use Tej ke sahaare khada karwaya. Aur, Manorath ne bhi tabhi aage badh apne pote ko gale se laga liya.
Veer : Dada jii!? Aap yaha kyu aaye? Khamakha taqleef uthayi!
Manorath : Ab tu mera baap bann gaya? Hmm? Arre Bhai mera pota jab gaayab ho, uss se koi sampark nahi bann paa raha ho, toh sab ko chinta toh hoyegi hi na? Mein ghar pe kaise baith sakta hu?
Arohi : Jab se tumhara call lagna band hua tha. Tab se hi hum sab tension me the. Tumhe bohut se questions ke answers dene hai.
Veer (smiles) : Right!
Manorath : Chalo bhai! Ab jald se jald yaha se ghar chalo. Aur Arohi bitiya theek keh rahi hai. Prashno ki list taiyaar rakhi hai iss Tejal bitiya ne toh-!
Veer apne parivaar se bharat milaap me laga tha aur media ek ek pal record kar rahi thi. Saath hi DGSI waalo ka yakeen aur mazboot ho chuka tha ki Veer koi criminal nahi.
Bharat se uska parivaar aaya hua tha. Ye ek sharm ki baat thi unke liye ki baahar se aaye athiti ke saath unn sabne aisa vyavhaar kiya.
Veer ko laga tha ki usne sabhi log se mil liya. Lekin, use zara bhi andaza nahi tha ki use ye awaaz bhi yaha sunaayi degi.
"M-Move aside!!"
"J-Just a minute! Step aside-!!! P-Please!"
Awaaz sunte hi Veer ki dhadkane tezz ho gayi. Bauhe kass uthi. Uska sarr idhar udhar mud uss shaks ki talaash me lag gaya.
Woh ek jhatke me logo ke ghere se baahar nikla. Bhavna, Tej, Arohi aur Manorath sabhi use prashn bhari nazro se dekh rahe the.
Magar, Veer na ruka.
Logo ko idhar udhar kar woh jaise hi baahar nikla...
Waqt jaise tham gaya.
"Suhana!?"
Woh ye jaanta tha ki Suhana ne uski madad ke liye chopper bheja tha. Magar usne sapne me bhi ye umeed nahi ki thi woh khud yaha tak aayi thi.
Woh toh hospital me thi na? Uski chot ka kya? Tamaam sawaal Veer ke mann me use dekhte hi uth khade hue.
Par dono ke beech ek ajeeb si khamoshi chhaayi hui thi. Dono ke hi mukh adhkhule the. Aur iss chuppi ko Veer ne hi toda,
Veer : Miss Suhana!? Aap yaha?
Par Suhana jaise kisi aur hi duniya me jaa chuki thi. Veer se milne ki ajeeb si dhun use sawaar thi. Aur ab jab woh saamne tha toh use kuch samajh hi nahi aa raha tha ki kya kare. Woh bas chup-chaap yu hi khadi rahi. Aur fir turant hi...!
Uske aansu chhalak uthe.
*Click* *Click*
Cameras ki shutters ki awaaz jab uske kaano me zorr se padi toh use hosh aaya. Ye kya kar rahi thi woh? Use ehsaas hua ki woh khabar me aa rahi thi.
Na jaane kitne log ise dekh rahe honge. Yaha tak ki uska husband bhi dekh sakta tha ye sab. Woh kaise itni badi bhul kar gayi?
Iss baat ka bodh hote hi darr ke maare uske qadam peeche ho gaye. Woh jhatse mudi aur aage badhi hi thi ki-
*Badump*
Laga jaise dil ne ek dhadkan phaand li. Do mazboot haath uski kamar par bandhe use jakde hue the.
"W-Wait!"
Veer ki awaaz theek uske daaye kaan me padi. Suhana ki saansein tezz ho uthi.
Ye woh kya kar rahi thi? Nahi! Ye sab kaise ho gaya uss se? Woh baad me bhi toh mil sakti thi. Itni bekaraar kaise ho gayi woh? Milne ke liye itna bechain kyu thi woh?
Kuch samajh nahi aa raha tha uski. Jab ek message ne uske dimaag ke saare taaro ko jod sab spasht kar diya.
*Buzz*
Mobile vibrate hua. Suhana ne haath me pakda mobile kaanpte hue haatho se mod uski screen par message dekha.
Message Ashita ka tha.
Aur saaf saaf bas yahi likha hua tha~
"Dear! You have fallen in love with him."
Padhte hi Suhana ki aankhein achambhav ke maare fel gayi.
Veer ka haath tab tak uski peeth par komalta sa firr raha tha.
Veer : You recovered!? Tell me...! Kyu aayi aap yaha? Kyu kiya mere liye itna? Mujhe bohut saare sawaalo ke jawaab aap se-
Magar uski baatein adhuri reh gayi jab Suhana ne khud ko uski pakad se chhuraaya aur woh ghabraate hue daud ke waha se nikal gayi.
Veer : N-No!!! W-Wait! Miss Suhaaaana!!!?
Logo ne fir use gher liya. Suhana...! Uski nazro se ojhal ho gayi.
***
Crimson ke ant ke baad sab kuch shaant sa ho gaya tha. Veer aur anya ghar waapsi ke liye flight me baith chuke the.
Magar, Paris me idhar dur countryside ke pahaadi ilaake me ek choti par ek ladki, uchaayi se neeche dekh rahi thi.
Uske baal ahista ahista maddham hawa me lehra rahe the. Aankhon me bas niraasha hi thi. Sundar se mukh me kahi koi josh nahi, chehra kehne ko toh khubsoorat tha magar chamak jaise gaayab thi.
Agle hi pal uska perr choti ke chhor par aaya aur woh uski kagaar par khadi ho gayi.
[W-Wait!!! What are you doing?]
Uske mann me ek awaaz aayi. Par woh koi jawaab nahi de rahi thi.
[D-Dear! Stop it! What the hell are you doing? H-Hey don't scare me! Please!]
Woh awaaz vyakul thi. Ladki ne fir ahista se apne mann me uss awaaz ko jawaab diya.
'There's nothing left now! I must go as
well! Lily...!'
[W-Wait!! N-Noooooo!]
Aur usne apna perr aage badha diya.
[Noooooooooooooo!!!!!]
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Mujhe nahi lagta iss se zyada pareshani mujhe kabhi kisi update ko likhne me gayi hogi. Ye update mujhe yaad rahega. Kitne kasht jhelne pade hai ise taiyaar karne me. Update ke post time dekh ke andaza laga sakte ho aap sab. Also, yes! My mobile is gone. Previous data bohut kuch jaa chuka hai. This update is actually around 6.1k words. Yes! Ye mega update hai. Toh Dil se like thok ke jaane ka. Target wahi hai apna. 150. Aur revos rakhne ka.
Dhanyavaad.
Beautiful update bhaiUpdate - 150 ~ The Return of the Queen
Ab tak...
[D-Dear! Stop it! What the hell are you doing? H-Hey don't scare me! Please!]
Woh awaaz vyakul thi. Ladki ne fir ahista se apne mann me uss awaaz ko jawaab diya.
'There's nothing left now! I must go as well! Lily...!'
[W-Wait!! N-Noooooo!]
Aur usne apna perr aage badha diya.
[Noooooooooooooo!!!!!]
Ab aage...
Sab kuch akhir samaapt hua. Veer ke Paris ke safar par poornviram laga aur ghar waapsi ke liye woh Paris se ravana ho chuka tha. Idhar, Mumbai me uska sabhi besabri se intezar kar rahe the.
Veer ke sahi salamat milne ke baad, uski phone par Ragini se baat hui. Sirf Ragini hi nahi, Mumbai me maujood Bhumika, Shweta, Sonali, Suman, Aabha, se leke harr kisi se uski baatein hui.
Aur sabhi ye jaan ke khush the ki Veer mehfooz tha. Ragini toh betaab thi use dekhne ke liye. Magar, Veer ke liye mushqile abhi khatam kaha hui thi. Asli, daav pench toh ab ladne the use.
Sawalo ka chakravyuh jo racha jaa raha tha Tej, Arohi aur Bhavna ki iss tigdam dwara. Shabdo ki inn bhool bhulaiyaa se bhi toh mehfooz aana abhi baaki tha. Ek choonk aur saara ka saara bhaanda phoot jaana tha uska. Veer ne khud ko iske liye mann hi mann taiyaar kar liya tha. Woh jaanta tha ki jaise hi woh ghar pohuchega, ye teeno deviyaan uss par prashno ke baan leke toot padengi.
Kherr! Ye sab toh yaha ki baatein thi. Lekin, kuch aur ghatnaaye bhi hui thi. Veer ke ird gird se hatke.
Jab Veer Paris jaa raha tha, toh jaane se pehle uski mulaqat Kaera se hui thi. Jaha usne Kaera ke puraane ghar se ek diary dhoondhte hue use saunpi thi. Veer ne diary toh saunp di thi. Magar, uske parinaam kya kya hue, inn baato se woh anibhigya tha.
Woh nahi jaanta tha ki Kaera ko diary thamaane ke baad Kaera ne kya kiya, uske saath kya hua. Bas itna zaroor jaanta tha ki Kaera ki favourability uske prati ghat ke 50 ho gayi thi. Aur, mission bhi dhara ka dhara reh gaya tha.
Na hi uska koi reward mila aur na hi koi notification aaya. Par, asal me kya hua tha inn beete dino? Ye baat, toh samay hi bata sakta tha.
Mumbai...
Night ~ 11:13 PM
Ye woh samay tha jab Veer Paris ke liye nikalne wala tha. Seer Vision! Uss legendary skill ka istemaal karne ke baad, Veer diary ki yaadon me doob gaya tha.
Labyrinth me usne harr woh yaad bator ke dhoondhi thi jo diary ke andar samahit thi. Diary apne kaal me jin jin ghatnakramo ko dekhe hue thi, Veer ne unn sab ko haasil kiya tha. Use Kaera ke baare me na jaane kya kya maalum chala. Aur, kuch dino ke baad hi usne woh diary Kaera ko thamaayi thi.
Aaj usi din ki raat thi. Kaera diary leke apne ghar aa chuki thi. Apni atyant hi vyast zindagi me use din bhar uss diary ko khol ke padhne ka samay na mila.
Raat hote hi, jab woh apne kamre me bilkul jaa hi rahi thi toh peeche se uski personal maid Julia ne use awaaz lagaayi,
Julia : Miss?
Kaera : Hmm?
Julia : Are you heading to bed?
Kaera (nods) : Yes!
Julia : Okay! Have a good night, Miss!
Woh shubhraatri kehte hue mudi ki itne me Kaera ne kuch soch use pukara,
Kaera : Julia!?
Julia (turns) : Yes???
Kaera : Can you please prepare a coffee for me? I think I'll need it tonight!
Julia : Are you going to stay awake for office work?
Kaera : Not that actually! Just something else! I'll be waiting inside.
*Thud*
Aur apne kamre ka darwaza band kar woh andar chali gayi. Usne Julia ko nahi bataya ki woh diary padhne jaa rahi thi. Coffee mangwane ke peeche yahi kaaran tha.
Na hi Julia ne apni taraf se pucha ki uski Miss bhala kis liye aaj derr tak jaagne wali thi. Kaera harr baat harr kisi se saajha nahi karti thi. Aur Julia bhi ye samajhti thi ki zaroori nahi use harr baatein bataayi jaaye.
Woh apni jagah jaanti thi aur uska aadar bhi karti thi.
Kamre ke andar aate hi Kaera ne apne kapde badle aur ek silk light purple nightdress daal woh apne bed par aayi.
Tab tak Julia uske liye coffee leke bhi aa chuki thi. Coffee ko uske bed se lagi side table par rakh woh punah 'goodnight' bol apne khud ke kamre me chali gayi.
Idhar uske jaate hi Kaera ne apni almaari khol wahi diary nikaali jo Veer ne aaj use thamayi thi. Ye uske puraane ghar se mili thi. Na jaane isme aisa kya hone waala tha. Magar, woh iske andar dekhne ke liye kaafi icchuk thi.
Usne diary kholi...!
Panne kaafi puraane prateet ho rahe the. Kaera ne pehle toh bina kuch padhe hi diary ko khol kaagaz paltaate hue use jaancha. Woh bhaanp rahi thi.
Diary waqai purani thi. Itne saalo se diary ke na khulne ke kaaran, kayi saare panne aapas me chipak chuke the. Badi hi savdhani se Kaera ne unn panno ko pehle toh alag-alag kiya. Poora jayza liya ki harr panna alag hai ya nahi. Uske baad hi woh diary ke pehle page par aayi.
Pehle page par aate hi uski nazar uss naam par pad gayi. Waha likha hua tha~
Archana!
"M-Mother!!!!??"
Kaera ke komal haath panne par likhe uss naam par firr gaye. Diary uski Maa Archana ki thi?
Page aage paltaate hue usne sab kuch fir padhna chaalu kiya. Likhawat dekhte hi woh pehchaan chuki thi ki ye uski maa ki hi likhawat thi. Woh apne emotions bhuli thi. Apna ateet nahi. Bhali bhaati yaad tha use ki uski maa kis tarah likha karti thi.
Usne ek gehri saans li, aur fir padhna shuru kiya.
Kaera! Karan! Mere pyaare baccho! Tum dono ko jabse mene paaya hai, mein bata nahi sakti ki mein kitni khush-kismat hu.
Tum dono mere jigar ke tukde ho. Tumhari kam aqal maata shri se theek se diary tak likhna nahi aata. (;^ω^)
Ye meri pehli koshish hai. Kuch nahi soojh raha tha kya likhu. Fir tum dono ka khayal aaya. Tum dono toh meri saanso me baste ho. Toh socha kyu na tum dono se hi iss diary likhne ki aadat ki bhi shuruaat karu?
Tum dono ke hone se dekho...! Mujhe bahana mil gaya ki diary me kya likha jaaye. Ye tumhari maa, ab se harr roz tumhari shaitaaniyo ko isme likha karegi. Jab tum dono bade ho jaoge na tab ise tum dono ke saamne kholungi.
Ye bataane ki bachpan me tum dono ne mujhe kitna sataaya hai. (^_^メ)
Shuru ke 2-3 panne Kaera aur Karan ke hi zikr ke the. Archana ka apne baccho ke liye pyaar harr ek shabd me jhalak raha tha. Pata nahi kyu par Kaera ki aankhein apne aap hi namm ho rahi thi.
Magar, unn panno ke baad jaise vishay gambheer ho gaya.
Mera swaasth bigad raha hai. Shareer se taqat jaise khatam ho rahi hai. Iss umr me ye sab nahi hona chahiye. Abhi toh tum dono ko bada hote dekhna hai mujhe. School se, college se graduate hote dekhna hai. Apne baccho ki shaadiyaan hote dekhna hai. Tumhare baccho ko dekhna hai.
Magar, haalat din-ba-din battar hoti jaa rahi hai. Mujhe abhaas ho gaya hai. Mera bachna ab mushqil hai.
Mere preeya baccho. Kuch bhi theek nahi ho raha hai. Tumhare Papa jin baba pe vishvaas kiye hue hai, mujhe woh ab sahi nahi lag rahe.
Kaera...! Jab se tumhare liye woh ye keh ke gaye hai ki tumhe ghar par rakha jaaye, aur bahar na nikalne diya jaaye. Mera vishvaas unn par se uth chuka hai. Baccho ko panchhi ki tarah kisi pinjre me qaid kar ke nahi rakha jaata. Tum toh mera apna khoon ho.
Lekin, tumhare Papa ye maan'ne ko taiyaar nahi hai. Meri aur unki ladayi lagbhag roz hone lagi hai. Mein harr baar uss baba ka virodh karti hu aur woh mujhe sunaane lagte hai.
Woh mera vishvaas nahi kar rahe. Magar...! Mujhe apne aap par atal vishvaas hai. Mein samajh chuki hu ki woh koi dhongi hai aur hamare sirf paiso par niyat hai uski.
Mere lakh mana karne ke baad bhi Kishor meri ek baat nahi maan rahe. Agar baccho ka samay subah se leke raat tak sirf padhaayi me vyateet kar denge toh kya hi parivaarik prem ka ehsaas kar payenge woh?
Kaera ka yu alag alag teachers ke dwara padhaya jaana, use kamre me band rakhna, baahar na nikalne dena. Ye sab...! Use asal zindagi se dur le jaane laga hai.
Aur mujhe darr hai..! Kahi ek na ek din- Woh kisi machine ki tarah na bann ke reh jaaye.
Agar aisa hua, toh meri bacchi apni bhavnaaye bhul jayegi. Woh bhul jayegi ki prem kya hota hai, harsh-ullas kya hota hai, gussa-berr kya hota hai. Harr bhavnaaye, insaan ko insaan banati hai.
Mein nahi chaahti, meri bacchi insaan se ek machine bann jaaye.
Gyaan arjit karna acchi baat hai. Lekin, gyaan iss tarah arjit karna...! Prayogik nahi.
Aur isliye, jaane se pehle mein tumhare saath kuch baatein saajha karke jaana chahti hu Kaera.
Karan ki mujhe fiqr nahi. Mamla tumhara gambheer hai meri bacchi. Aur mein jaanti hu ki tumhare sambhalte hi, Karan apne aap sambhal jayega. Woh tumse bohut prem karta hai beti.
Lekin, use jalan bhi hoti hai. Prem shuru se tumhe adhik mila hai. Use nahi. Jis kaaran woh muh fulaaye baitha rehta hai. Magar...! Woh tumhara kabhi dil se bura nahi chaahega. Iss baat ki pratyabhuti mein leti hu. Fir chaahe mein rahu ya na rahu.
Aur isliye mein ye diary likh rahi hu. Umeed hai jaane se pehle mein isme harr woh baat likh paungi jo tumhari zindagi me madad karengi.
Agar tum ye diary padh rahi hogi, toh zaahir hai meri maujoodgi ab waha nahi hogi. Aasha karti hu tum safalta ki uchaaiyo ko choom rahi hogi. (^‿^)
Kaera! Harr ek shabd dhyaan se padhna. Ho sakta hai tumhe iss diary ki zaroorat hi na pade. Mein khamakha chintit ho rahi hu. Lekin, Maa hu. Ek bhi mauka haath se jaane nahi dena chaahti jaha mein tumhare liye kaam aa saku.
Isliye...! Agar tumhe zaroorat pade, toh bas iss diary ko padh lena. Inme mene mool bhavnao ko tumhare ateet ke saath mila kar samjhaya hai.
Khushi!
Duniya ka harr ek vyakti ise paane ke liye marta hai beti. Ye kya hoti hai? Kya sirf muskurana khushi hai? Nahi beti!
Ek baar ki baat hai. Tum nanhi si thi. ^_^
Aur school me tumhara ye pehla result tha. Mujhe aaj bhi yaad hai tum meri ungli pakad ke mere saath school gayi thi. Tumhara jab result aaya tha tab tumhe nahi pata tha ki kya ho raha hai.
Mein toh behad khush thi result se. Lekin, tumhari samajh me kuch nahi aa raha tha. Haha! (✿^‿^) Tum bas taktaki lagaaye hume apni pyaari aankhon se ghoor rahi thi. Tum me utni samajh hi nahi thi.
Magar, jab teacher ne tumhe chocolate de ke shabashi di, tab tumhare hontho par muskaan bikhri thi. Tumhe samajh aa chuka tha ki tumne kuch accha kiya hai.
Aur yahi...! Asli khushi hai meri bacchi.
Jab aap mehsoos karo ki aap apni zindagi apne tareeqe se jee rahe ho. Na ki kisi ke dabaav me.
Jab aap samay ke bahaav ke saath behte jao, apni kismat par bina koi krodh jataate hue.
Jab mehsoos hoye ki zindagi ki paristhitiya acchi hai.
Jab aap dusro ke saath acche sambandh rakho aur unka aanand lo.
Jab kuch paane ke liye kadi mehnat karo aur use paa lo.
Inn sab ke parinaam, khushi leke aate hai bacchi. Ise yaad rakhna.
Nirasha!
Khushiyo ke saath, dukh bhi hamesha zindagi me aate rahenge beti. Par ghabrana nahi. Nirasha kab hoti hai? Kya tumhe pata hai?
Jab tumhara premi ya khaas dost tumhe asweekriti ya dhoka de.
Kisi khaas dost ya premi ko alvida kehna.
Jab koi parinaam mann ke mutabik na aaye.
Koi khaas jab guzar jaaye aur unki yaadein aapko unki yaad dilaaye.
Ye sthitiya nirasha leke aati hai.
Tumhe shayad yaad na ho. Lekin, jab tum first class me thi na. Tab, hum sab tumhari Nani ke ghar gaye the. Tumhare Nana ji duniya se jaa chuke the. Tumhe yaad bhi nahi tha ki tum unse mili ho ya nahi. Lekin, fir bhi tum unke shav ko dekh zorr zorr se ro rahi thi.
School me kisi se jhagda hona ho ya fir tumhari khaas dost Ava, Sonia se tumhara lad jaana. Tum roti thi. Kyuki tumhe ehsaas tha ki kisi apne se tumhara mann bhed hua hai.
Ye niraasha hai Kaera! Yaad rakhna!
Krodh!
Gussa kab aata hai? Tumhe bhi bachpan me kabhi kabhi behad gussa aata tha.
Jab lage ki tumhara raasta rok diya gaya hai.
Jab lage ki koi anuchit ya galat tareeqe se pesh aa raha hai.
Jab tumhari apni cheez koi dusra tumse chhinaane ki koshish kare.
Jab lage ki koi niji jeevan me hastakshep kar raha hai.
Jab mehsoos ho ki kisi apne ko thes pohuchayi jaa rahi hai.
Jab na-insaaf ho.
Jab dhoka, asweekriti mile.
Jab koi tumhari niji aur samajik seemaaye ko laangh jaaye aur apne matlab ke liye kuch haasil karna chaahe.
Ye paristhitiya krodh ko jagaati hai. Aise waqt pe hamesha thande dimaag se kaam karna Kaera. Mujhe vishvas hai tum sahi nirnay hi logi.
Bachpan me, ek baar Sonia ne tumhara mann pasand khilauna le liya tha. Tumne uss bechari ke baal kheench ke use rote hue ghar bhaga diya tha. Ye krodh hai.
Aur ye kabhi bhi accha nahi hota. Jab bhi krodh aaye, hamesha sabse pehle khud ko shaant karne ki koshish karna. Mujhe poori umeed hai tum ye kar logi.
Darr!
Tum kabhi bhi bhoot preto ki film se dara nahi karti thi. Unhe dekhna tumhara shauk tha. Mujhe yaad hai. ^_^
Lekin...! Tumhare do asli darr hai beti. Ek baahri darr aur ek andhruni.
Baahri darr hai~ Rejection!
Meri beti ho tum! Proud ho tum khud par, tumhari apni pride hai. You are the Queen my love. Toh rejection kaise le sakti ho? Aur isliye, tum darrti ho.
Andhruni darr hai tumhara~ Claustrophobia.
Ek doctor ne mujhe ye baat batayi thi. Ek baar ki baat hai jab hum sab tumhare papa ke acche business ki safalta ki kaamna ke liye shirdi gaye hue the.
Aneko mandiro me humne darshan kiye the. Waha se nashik bhi jaana hua. Waha ek mandir tha jaha par ek gufa thi. Neeche jaati hui gehri gufa. Tum darr rahi thi. Jab hum sab neeche gaye, toh waha aur bhi log maujood the.
Jagah kam aur log zyada hone ki wajah se waha ghutan si mehsoos karne lagi thi tum. Aur, rone lagi. Gehri saansein lete hue, baahar aate hue tum achanak hi behosh ho gayi thi. Meri saansein hi atak gayi thi tumhari haalat dekh.
Daudte bhaagte hum tumhe doctor ke paas le gaye the. Aur, tab usne hume ye bataya tha ki aapki beti ko Claustrophobia hai.
Lage jab koi kaam theek se na hone waala ho.
Bhavishya ke parinaam ke baare me jab negative way me socho.
Ye sab darr paida karta hai bacchi! Kabhi bhi...! Kaisi bhi paristhiti zindagi me aaye. Darrna mat. Darr tum par shobha nahi deta. Tum meri beti ho!
Ghrina!
Tumne kabhi kisi se ghrina nahi ki. Kyuki tumhare papa harr woh cheez tumhe laa ke dete the jo auro ke paas nahi hoti thi. Aksar, bacche tumse ghrina kiya karte.
(^_^メ)
Magar ek baar tumhe bhi jalan hui thi. Nafrat bhi karne lagi thi tum. Aur gussa bhi aaya tha tumhe.
USA hum sab revisit karne gaye the. Meri shadi ke honeymoon ke baad ye dusri baar tha jab mein waha jaa rahi thi.
Karan aur tumhari, garmiyon ki chhutiyaan lag chuki thi. Hum sab waha ek kamre me ruke hue the.
Tumhare papa ke ek mitr unse milne aaye the. Aur unke sang unka ladka, Prince bhi tha jo tumhari hi hum-umr ka tha.
Tum dono hi ek dusre ko ye bataane me lage hue the ki 'mere papa ke paas zyada paisa hai.'
Haha! (^^)
Aur isi jhagde me uss ladke ne apne papa ke ek helicopter ka zikr kar diya tha.
Jo uss waqt hamare paas nahi tha. Pehli baar tumne use jalan ki bhaavna se dekha tha. Nafrat bhi thi tumhari aankhon me. Aur gussa bhi. Badle me tumne uske bhi baal kheench diye the. Fufu~ (^^)
Ye jalan hai Kaera. Ghrina! Jab bhi aisa mehsoos hoye toh hamesha yaad rakhna ki kisi aur ke paas kya hai, kitna hai...! Farq nahi padta.
Farq padta hai ki woh uss kitne me se sansaar ke uddhaar ke liye kitna de raha hai. Agar woh adhik saksham hai, toh use adhik dayavaan bhi hona chahiye.
Kabhi ye mat dekhna ki kiske paas adhik dhan hai. Ye dekhna ki kiske paas kitna hai, aur woh utne me se kitna dene ke liye tatpar hai. Tumhe tumhara jawab mil jayega.
Mene tumhe mool bhavnao ke baare me samjha diya hai beti. Iske aage bas kuch yaadon ke baare me likhungi jo hum sabne saath guzaari hai. Umeed hai ye diary tumhare kisi kaam toh aayegi. Agar na aaye, toh bas apni iss maa ki akhiri nishani samajh ise rakh lena.
Iske aage sab kuch Archana ki lekhni me kuch puraani yaadon ke kisse the.
*Tip*
Kaera ki namm aankhon se apne aap aasu gir uss diary ke panno par gir rahe the. Naina beh rahe the. Jhar rahe the.
Use nahi pata tha ye sab kyu ho raha tha magar woh chaah ke bhi inn aasuo ko rok nahi paa rahi thi.
Use turant hi samajh aaya ki woh dukhi thi.
*Flip*
Jaldbaazi me panno ko paltaate hue woh uss page par aayi jaha 'nirasha' ke baare me uski maa ne samjhaya tha. Woh firse padhna chaah rahi thi ki woh dukhi kyu thi. Ye aasu kyu beh rahe the?
Aur agle hi shan uski nazre uss line par punah tik gayi,
'Koi khaas jab guzar jaaye aur unki yaadein aapko unki yaad dilaaye.'
Padhte hi Kaera ke honth thar-thara uthe.
"M-Mamma!!!"
Jaise harr ek sawaal ka uttar maujood tha usme. Arjun jab rannbhumi me duwidha ki paristhiti me tha. Toh Shri Krishna ne unki madad ki thi.
Kuch ussi prakaar se Kaera ke liye ye diary thi. Jisme uske harr ek sawaalo ke uttar maujood the.
Itne saalo se woh zindagi ka matlab jaan'na chaah rahi thi. Aur ek diary ne uski samasyao ka hal khoj nikala. Ye diary uske liye Amrit samaan thi.
Woh raat bhar uss diary ko padhti rahi. Na hi woh soyi aur na hi usne aalas dikhaya. Poori diary usne raat bhar me padh ke samaapt kar di thi.
Jab agli subah hui, toh woh apne kamre se baahar hi nahi nikli.
Julia ne baahar se use awaaz lagayi toh pata chala ki woh office ke liye nahi jaane wali thi. Na hi koi wajah batayi Kaera ne aur na hi woh baahar aayi.
Aaj ka din toh guzar gaya. Magar, Karan ko turant hi iski bhanak lag chuki thi. Woh jaldbaazi me office jaane se pehle taiyaar hoke seedha Kaera ke floor par aaya.
Karan : Where's dii?
Julia : She has shut in herself.
Karan : What???
Julia : She doesn't want to come out. She wants to be inside alone for sometime.
Karan : What? B-But why? What happened?
Julia : I don't know, Sir Karan! I'm just as clueless as you are!
Karan : B-But-! If Dad discovers this! There'll be problems. Is she okay?
Julia (nods) : She seems okay!
Karan : What about her food?
Julia : She asks me to put her food outside her door. After eating the food, she slides the empty dishes out. This is what's been happening since the last 2 days.
Karan (frowns) : Damn it!! J-Just what happened suddenly?
Woh aage badhte hue Kaera ke kamre ke ke baahar khada hua aur usne darwaza khat-khataate hue awaaz lagayi.
Karan : Diii?
*Knock* *Knock*
Karan : D-Dii? Please answer me!
Aur kuch derr baad fir andar se Kaera ki awaaz aayi.
Kaera : Yes? What is it?
Karan : Y-Ye sab kya hai di? Aap andar kyu ho? Baahar aaiye please! Bataiye! Kya hua hai?
Kaera : Mujhe...! Akelapann chahiye kuch dino ke liye.
Karan : Lekin kyu?
Kaera : Because I need it! Leave!
Karan : B-But dii-! Dad-
Kaera : I said leave!
Na chaahte hue bhi Karan ko waha se jaana hi pada. Ek umeed lete hue ki shayad jald hi uski behan baahar aaye aur sab kuch saajha kare. Magar, aisa na hua.
Khabar Kishor tak pohuch gayi. 3 din se Kaera se na toh uski koi baat hui thi aur na hi koi messages praapt hue the. Use khabar lag chuki thi ki Kaera office ke kaamo me apni upasthiti nahi de rahi hai 3 dino se.
Ghar par aate hi Julia ne sab kuch bata diya tha. Jise jaan'ne ke baad woh ek confusion me jaa chuka tha.
Kaera ne aisa pehle kabhi nahi kiya tha. Woh taajub tha ki harr baar uski anumati lene wali uski ladki aaj bina koi khabar diye aise kaise khud ko kamre ke andar band kar li?
Darwaze par aate hue usne khat-khataya,
Kishor : Kaera?
Kaera (andar se) : Yes?
Kishor : Baahar aao!
Kaera : No!
Jawaab sunte hi Kishor ki aankhein taajub me fel gayi. Peeche khade Julia aur Karan bhi ek dusre ko dekh chintan me the. Ye pehli baar ho raha tha. Kaera ne Kishor ke aadesh ko sunane se inkaar kar diya??
Kishor : Kaera??? Mene kaha baahar aao! Mujhe tumse baat karni hai.
Kaera : Leave! I need some time. I want no-one around me.
Kishor (surprised) : Tum-!!!?
Kaera : ...
Kishor : Kya mein jaan sakta hu ye sab kya chal raha hai? Andar kyu ho tum? Kya koi baat hui hai?
Kaera : Nothing! I told you! Mujhe akelapann chahiye abhi. For sometime...!
Kishor : Kisliye?
Kaera : To discover myself!
Kishor : Huh?
Kaera : I won't be coming out for few days.
Kishor : Kaera! Ye kya harqate hai? Do you have any idea how much loss your childish actions can bring to our business?
Kaera : Childish? Right! Be it childish then!
Kishor : You-!!! Kaeraaaa!!!! Baahar aao! Abhi!!!
Kaera : ...
Kishor : Kaaaaeeerraaaa!!!!
Kaera : LEAVE!!!!
Kishor hairat ke maare stabdh reh gaya. Uski beti ne aaj pehli baar ye kiya tha. Na sirf woh uski baat nahi maan rahi thi balki...! Palat ke jawab bhi de rahi thi.
Kishor (frowns) : Karan!
Karan : H-Haan Dad!?
Kishor : Kaera ki absence me tum meetings me jaoge. Clear?
Karan : M-Mein? Lekin-! Mein harr jagah dii ki tarah itna swiftly aur efficiently work nahi kar sakta.
Kishor : Sirf yahi ki meetings ki baat kar raha hu mein. Overseas jaane ki zaroorat nahi.
Karan (nods) : O-Okay!
Kishor : Julia!?
Julia : Yes Sir??
Kishor : You'll give me each and every update!
Kehte hue woh waha se tezz qadmo ke sath nikal gaya.
Julia sarr jhukaye bas dheere se 'yes' hi keh paayi. Kaera ki pal pal ki khabar dene ke kaam ab uske upar tha.
Dekhte hi dekhte kayi din guzar chuke the. Nexacom ke profits ghat rahe the. Karan apna 100% de raha tha magar...!
Woh akela kaafi nahi tha. Baaki, companies Kaera ki absence ka fayda uthate hue apna business badha rahi thi. Business opportunities ko steal kar rahi thi.
Profit ka graph nirantar gir raha tha. Aur Kaera, khud ko yu hi apne kamre me band kiye hue thi. Woh baar baar wahi diary padhti. Aur harr baar use padhte hue use aisa lagta jaise woh ye pehli baar padh rahi hai.
Aur tabhi, use ye dhyaan bhi aaya.
'I lost it!!!!'
Woh hairaan thi. She lost her virginity. Ab use uski ahamiyat ka bodh ho raha tha. Prem ke baare me bhi diary me vistaar se likha hua tha.
Ek jhatke me use woh sab yaad aane laga. Woh raat jab woh Veer naam ke yuvak se pehli baar mili thi. Uska woh nashe me hona. Veer ka use kamre me le jaana. Aur waha uss raat ka rangeen hona.
Sochte hi uski bauhe kass uthi.
Ye sab kiski badaulat hua tha...??
Veer!!!
***
Diary ko thamaane se pehle jab Veer diary ko apne ghar leke aaya tha. Toh ye wahi din tha jab Aabha ne use haafte hue paseene se tar-batar aata dekh liya tha.
Kaera ne jo kuch bhi diary me padha tha.
Woh toh usme tha hi nahi!!!
Raat ko jab Veer ne araam lene ke baad diary kholi toh diary me maatr 2-3 panne hi bhare hue the. Archana ne sirf itna hi likha hua tha. Apne baccho ke baare me.
Uske aage poori ki poori diary safed kore panno se bhari padi thi. Archana ko toh ye bodh hi nahi tha ki bhavishya me Kaera ki aisi dasha ho jayegi.
Par fir Kaera ne jo padha woh kya tha?
'Wtf? What is this?'
Veer jhunjhlate hue mann me bola. Diary bas 3 panno tak bhari thi. Baaki sab khaali tha.
[Looks like...! She wanted to write but she passed away before doing that.]
Pari ki awaaz uske mann me aayi. Aur uske vachan satya the. Archana bohut kuch likhna chaahti thi. Magar, akaal mrityu ka woh shikaar ho baithi thi. Isliye, kuch bhi likh na paayi.
Seer Vision ko istemaal karne ke baad Veer ko diary ke saath saath Kaera ki bhi kayi yaadon ke baare me pata chala tha. Kaera ka woh shirdi, nashik, USA me jaana. Aisi kuch yaadein thi jinko usne labyrinth me se badi mushqil se paaya tha.
'Wait! Meri ek baat samajh nahi aayi Pari!'
[What is it, Master?]
'Tumne bataya ki Seer Vision mujhe uss vastu ki life history dikha dega jo jo usne apne kaal me dekhi hai. Right?'
[Right!]
'Toh fir mujhe Seer Vision ka istemaal karte waqt Miss Kaera ke shirdi, ya nashik ya fir USA ke drishya kyu nazar aaye? Tab diary toh ghar par maujood rahi hogi. Ye sab drishya diary ke ird gird nahi huye. Miss Kaera toh desh ke baahar thi. Fir mein woh sab kaise dekh paaya?'
[A very good question Master. Samjhati hu-!]
'Yes Please!'
[Diary bhale hi ghar me thi. Lekin, kabhi na kabhi unn safar ka zikr toh hua hoga na Ghar me? Diary ki maujoodgi me?]
'Ahn!!?'
Veer ka muh ye sochte hi khul gaya. Woh ye kaise bhul gaya? Bhale hi diary ghar par thi. Lekin kabhi na kabhi Archana ya Kishor ne ghar par unn trips ka zikr kisi na kisi se toh kiya hi hoga.
'Matlab woh bhi include ho gaya? Seer Vision! It was insanely strong!'
[Yes! Warna aapki halat itni kharab kaise hui? It's because the skill was too strong. Legendary skills aisi hi hoti hai Master. That's the reason why it took a toll on you.]
'I see!'
Aur ab...! Sab kuch uske haatho me tha. Kaera ke Mission ke liye zyada din shesh nahi the.
'Pari!!!'
[Yes!]
'Purchase that skill! Miss Kaera ke emotions ko wapas laane ke liye, unki aur unki mom ki yaadon ko saamne laane ke liye, mujhe ye karna hi hoga.'
Aur agle hi shan,
*Ding*
['Copycat' is now available.]
Copycat! Ek aisi skill jo dusro ki lekhni ki nakal karne me saksham thi.
Yahi woh skill thi jo Veer ne Paris jaane se pehle khareedi thi. Bina iske toh kuch bhi nahi hone waala tha.
Adhure panno ko akhir wahi toh bharne waala tha. Archana ki writing 3 panno tak seemit thi. Lekin, woh teen panne kaafi the uski lekhni ki nakal utaarne ke liye.
Veer din raat, shabdo ka sahi istemaal kar uss diary ko bharne me lag gaya. Kahi se bhi usne aisa nahi lagne diya jaise ye kisi aur ke dwara likhi gayi thi.
Copycat urja bohut kheechti thi. Upar se sahi shabdo ka chayan karna aur saare bhaav saamne rakhna. Khaas kar jab aap kisi ko bhaav ke hi baare me samjha rahe ho.
Veer jo subah ko baithata, raat tak hote hote uska shareer paseene se lath-path maalum padta. Uske haath itne stats hone ke bawajood dard karne lagte. Kisi mrit vyakti ke uss zamaane se laayi gayi uski likhawat ki nakal karna, ye behad urja leta tha.
Jab tak Veer ne diary ko harr tarah se bhar nahi diya tab tak usne apna zara bhi waqt zaaya nahi kiya.
Diary ke complete hote hi, ek kaam aur bach gaya tha ab.
Veer ne diary ko khola aur apne paas rakhi chai ke cup ko dekha. Aur agle hi shan usne woh chai ka cup diary par palta diya.
[Wh-Whaaaaatttt!??]
Pari bhauchakki reh gayi. Kintu, usne agle hi pal Veer ke mann me jhaanka aur ye pata lagte hi ki Veer ne aisa kyu kiya, usne ek raahat ki saans li.
[You are so smart, Master!]
Veer ne fir paani bhi uss diary par giraya. Aur glue ka ek diluted version bana ke uske kuch panno ko aapas me jod diya. Diluted version isliye taaki nikaalne se woh araam se nikal aaye.
'Miss Kaera intelligent hai. Zara bhi unhe shaq nahi hona chahiye ki diary me ye sab abhi likha gaya hai aur diary pehle khaali thi. Ye karna zaroori tha.'
[Indeed!]
Usne fauran hi Suman ko bulaya,
Suman : Aapne mujhe bulaya Maalik? Pichle kayi dino se aap kamre ke baahar zyada aa nahi rahe ho. Sab theek toh hai na?
Veer : Hmm! Sab theek hai Suman! Mujhe tumse ek kaam hai.
Suman : Kahiye na maalik!
Veer : Ye diary pakdo!
Suman : Diary? Kiski hai?
Veer : Woh mein tumhe nahi bata sakta. Par tumhe ek kaam saunp raha hu. Kar dogi na?
Suman : Aap aadesh dijiye Maalik! Aap kab se mujhse meri anumati puchne lage? Aisa mat kiya kariye.
Veer : Umm! Ahem! A-Alright! So...! Tumhe iss diary ko upar terrace par rakhna hai. Ise sukhana hai. Khol ke mat dekhna andar kya hai aur na hi kisi ke saamne ye diary aani chahiye.
Suman : Jii! K-Kya mein jaan sakti hu isme aisa kya hai?
Veer : Suman! Ye diary meri nahi. Aur isme aisa jaan'ne laayak kuch bhi nahi hai tumhare liye.
Suman (nods) : Mein samajh gayi!
Suman ne aage koi sawaal nahi kiye. Woh apni jagah jaanti thi. Jab diary me uske matlab ka kuch nahi tha, toh uski dilchaspi turant hi samaapt ho gayi.
Veer ke aadesh anusaar usne diary ko chhat par rakh uski nigraani theek se kari. Jab tak ki woh poore se sookh nahi gayi aur chai aur glue ki gandh nahi chali gayi.
Yahi kaaran tha jo Veer ne diary Kaera ko turant nahi thamaayi thi. Kyuki woh adhuri thi.
Par Kaera...! Inn sab se anjaan thi.
Use laga ye sab uski Maa Archana dwara diya gaya tha. Balki, sachhaayi toh yahi thi ki woh sab..! Veer ke shabd the!
Ek mahina guzar chuka tha. Akhir kaar...! Kaera apne kamre se baahar aayi. Nexacom ne kaafi losses jhele hue the inn beete dino.
Julia apni miss ko baahar aata dekh turant hi uske qareeb aayi.
Julia : Miss!? Ruchika Miss is waiting for you! You are finally out!
Ruchika ne jab Kaera ko dekha toh woh chaunk uthi. Balki, Ruchika akeli nahi thi. Julia ka bhi yahi haal tha.
Kaera kuch alag si prateet ho rahi thi. Uske chehre par alag hi tej nazar aa raha tha. Pehle se kayi guna adhik. Uski aankhein pehle se zyada dhaar-daar thi.
Ruchika : Uh! M-Miss! M-Mein woh batana aayi thi ki...! S-Some of the rival companies are stealing opportunities from us. Aapki absence me kuch companies deal nahi kar rahi. Rumours are spreading that you have stepped down from your post. Rival companies ka hi kiya dhara hai yeh sab.
Kaera ki nigaahein jaise hi Ruchika par gayi, bechari Ruchika ke badan me ek sihran daud gayi.
Kaera : They dare to do that? Then let them know...! Soon! They will be dealing with their nightmare.
Ruchika (gulps) : Y-Yes!!
Kaera turant hi waha se mud neeche ki orr chal di. Ruchika uske peeche peeche daudte hue bhaagi. Aur idhar,
Julia stabdh nigaaho se bas ghatit hote hue sab kuch dekhti rahi.
Julia : M-Miss!?
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
We have completed 150 updates. Isi ke saath Crimson arc yaha samaapt hota hai. Jitne answers dene the woh arc ke ant ke pehle sab de diye gaye hai. Baaki ke uttar hum aage ke arcs me jaanenge. Business arc rahega ab. Mujhe ek outline banaani padegi uski. Toh Dil se like thok ke jaane ka aur revos rakhne ka. Target apna wahi hai. 150. Btw ye update more than 5k words ka hai.
Dhanyavaad.![]()
Bilkul!Ek aur lajawab update
Jabardast action packed arc ke ant me ek emotional update to banta hi tha.
Ava ko toh ye karna hi tha. Regret me hai woh. Ye pehla qadam tha sab kuch sudhaarne ke liye.Veer apni begunahi sabit karne me kamyab raha. Vo bhi usi Ava ki help se jiski vajah se kahi na kahi ye sab hua..
Yes.Veer ka family reunion ek dum emotional aur heart relaxing tha. Tez bahut excited thi to Aarohi shant aur khush.
Bilkul. Arohi kahi na kahi se koi na koi solution nikal hi leti hai. Woh unn ladkiyo me se hai Jo musibato me kam hi fassti hai. Ulta dusre unn par nirbhar rehte hai. Iss case me Kavya hai jo poore se Arohi par nirbhar rehti hai. Well most of the times.Mujhe lagta hai ki inn shabdo ka sirf iss update me hi nahi puri kahani me khas mahatv hai.
Paristhiti kitni hi jatil kyu na ho aarohi rasta nikal hi leti hai.
Jaise yahan usne rasta nikal liya usi tarah Veer ki jindagi me bhi apni khas jagah bana hi legi.
Veer ke chaahne waale bohut hai. Aur honge bhi kyu nahi. Veer koi aam ladka nahi hai. Aise me ye swabhavik hai ki anek ladkiya uske pyaar me padengi. Par halaat kin ko Veer se milwaenge. Kaun hongi woh jinhe Veer bhi pyaar kare, ye toh samay batayega. Kyuki zaroori nahi harr ladki ko uska pyaar mile.Veer ki love life sirf kisi ek ke sath hona, mushkil hi lagta hai. Kyoki usse pyar karne vale bahut hai. Ragini ke sath to vo kahi aage badh gya hai, Nidhi ko apne Dil ka haal bayan karne ki koshish veer ne ki hai, Sath me Kavya, Sweta, Aarohi, Suhana, Sonia aur bhi bahut hai.
Yahi complications toh Business arc dikhayega. Kaise Veer mushqilo me padega. Agar ek ka pyaar accept karta hai toh dusri uski raah dekh rahi hogi. Love triangle, quadrilateral sab aayenge ab toh.Aise me kisi ek ke sath pyar betuka aur baki sabke sath anyay hi lagega.
Haa veer ke liye problem hogi sabko ek dusre ki sacchai batana aur sabke liye razi karna. Ye vo kaise karega ye dekhne vali baat hogi.
Suhana Las Vegas nahi jayegi. Woh waha se aa chuki hai. Uska koi kaam nahi hai ab waha. She will be back in Mumbai.Suhana pyar karne lagi hai veer se, lekin media ki vajah se mio bhi nahi payi bechari.
Khair ab inki mulakat bhi india me hi karana. Suhana ko phir se las vegas mat bhej dena Werewolf bhai.
Ye toh pehli seedhi hai bhai. Abhi tumne Ava ka dukh dekha hi kaha hai. Dekhte jao.Ava (poor girl ) pehle jitna gussa tha Ava ko lekar ab utni hi sympathy feel ho rahi hai. I think use uske kiye ki saja apni maa ko khokar mil chuki hai. Aapne Ava ke character ko kafi acha handle kiya hai. Itna kuch karne ke baad bhi ab uske liye bura lagta hai. Suicide koi solution nahi hai, dekhte hai vo kaise bachegi. Kya system ki help se yaa koi aur use bachayega
Kyuki woh desperate hai. Woh aisi harqate karti hi nahi agar Bhavna nahi aati.Jaise aapne Ava ka character justify kiya vaise aap Sweta ke character ke sath nahi kar paye.
Uska character annoying feel hota hai, itni aged hone ke baad bhi vo bahut immature lagti hai.
Bilkul galat. Tumne theek se nahi padha.Jis tarah vo bhawna ko compete karne ki koshish karti hai, jaise vo veer ko usse chinkar uspar apna ekadhikar jamana chahti hai.
Ek maa se bete ko alag karne ki bekar koshish karti hai, jabki ye possible nahi hai.
Abhi bhi lagta hai ki jo usne past me kiya uska puri tarah se afsos nahi hai use.
I hope ki aapne Sweta ke liye bhi ache plans bana ke rakhe honge.
Bohut bohut dhanyavaad. Yu hi saath bane rehne ka.And as usual kahani itni jabardast hai ki agar sabhi updates ek sath mil jaye to khana pina bhulakar pehle ise hi khatam krunga.
Waiting for next update
Thanks man.Bohot shandaar update diya hai sir....
Kiya fight ki hai veer ne crimson ka kaam pura hoa ab agee dekhte hai .....
Suhana ko veer se Pyar ho gaya hai.
Dekhte hai kya hota hai. Keep supporting.Natalia q apni jaam de Rahi hai bohot bura hoa hai uske Sath bhi vo veer ko back protect kare tu Maza aa jae well Maza aa gya sir ...,![]()
That's okay.First of all, Sorry i was unable to review on recent updates due to some issues at workplace.
Still busy for few weeks may be ....
Yes! This time Bhavna won't be lenient with him.The reunion was just a neccessity for Veer but i believe that the main game would be how Veer would manage to explain it to his family members
She has given her heart already. And now she won't accept that she has fallen in love with Veer.But suhana is just a bae. What a character development and it just peaked in this arc.
This love string is too tight for suhana.
YesHer reunion is not yet completed bcoz she was not able to express herself
Update 150 is already posted. Thanks and keep supporting.Now whats in the next update, kaera but i think u should also give some glimpse of suhana and Veer's meetup
Thanks man. Bane rehne ka.yaha apki story ke liye aata hu ... only 3 stories on xforum .. jinke liye check karta hu working main time nikal kar ... superb story ...
Thanks man.Veer is now in between sea of love.But feeling bad for Ava,hope she will stay alive and everything will be clear with Veer.So,all is well now, anyway beautiful update.
Veer to nikal liya. Usko pata hi nahi kuch.Veer ka next mission Ava ko suside krne s rokna hona chahiye.....Ava ek important character hai or sayad Kiara Wale mission k liy v Veer ko uski jarurat ho sakti hai....agar Ava mar gayi to Veer kahi uski mout ka ek Karan khud ko na samjhe....
Do system ko same missions mil sakte hai. Lekin dono system jud ke ek nahi ho sakte ya ek disha me hamesha kaam nahi kar sakte. Kyuki dono vyakti bhi alag hai. Lily aur Pari system me sahayta ke liye hai. Woh complete system nahi hai apne aap me. Missions system deta hai na ki pari ya lily.agar ava mar jati hai to us ka marna hazam nahi ho ga filhal, itni development k bad ye character itni asaani se mar jaye to ye nainsaafi ho gi is character k sath, to is liye mujhy nai lagta k ava marne wali hai. aur ye bhi ho sakta hai k veer ko ava ko save karne ka mission mil jaye. kya esa possible hai k dono systems yani pari aur lily mil kar kaam karein solo missions nah ho kar 2no ko same mission as a team mily, it'll good agar esa hota hai to
keep writing and keep updating![]()
Log lagatar puchte hai bhai. Aur uss chakkar mein ek estimate de deta hu. Halaki use complete karne me hamesha estimated time se zyada hi lag jaata hai.Werewolf Bhai..one request..don't promise timelines of updates which are hard to keep..no one disputes the time and effort put in from your side for every episode..time to lagta hi hai bhai..if you were to go over pichle 4-5 episodes ke first given day.versus.actual posting..you wud know what I mean..am equally anxious to read the next one..take.care..and hope for a dhamaka update..
Thanks.Zabardast khatarnak update yaar superb
Waiting for next update
Update toh padh lo madamAb review last update k baad hi dungi. Next update kaera wala h ...
uske baad hi review dungi.![]()
Ab se wahi karungaAapko explain krne ki zaroorat nhi sir...
jab time rhe tbhi update de aap... Pressure mat lijiye...
koi train nhi chhoot rhi kisi ki ... Bas inform kar diya kariye ki update abhi nhi aaega. Aur hum sab samajh jaenge... Zaroori nhi ki aap har ek ko reason deke samjhae... We can understand nd it's totally ok...
Cloud me rakhna padega ab mujheElectronic gadgets aise hi hote h... Mera to ye kitni baar ho chuka h... Kbhi laptop se data chala gya to kbhi phone se to kbhi pc se... Backup bna k rkhti hu ab to main...
Thanks and keep supporting.waiting for new new update... Keep writing sir ..![]()
Bilkul sahi baat boli hai.Bhai ki late night ab early morning tak jaati hai.. tab tak bhajan karo
Yrr update kab milega???
bhai next update aaj ayyega ya kal ????
Waiting for the next update
150 ke liye dhanyawad
Waiting for next update
Waiting..
Chalo ek kaam deta hu tum logo ko.Bhai update kab tak do ge
Kaam pe laga diya laundon koChalo ek kaam deta hu tum logo ko.
Mujhe ye batao ki Veer ka full status kya hai? Update karke Dena hai sab. Uske paas ab kitne points bache hai? Kaun se cards aur kaun si skills nayi add hui hai? Previous kuch updates check Karo aur mujhe batao sab kuch. Dekhta hu waiting waale log kuch karte bhi hai ya nahi. Ye sirf waiting hi likhte hai. Mera ek kaam halka ho jayega.![]()