• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,363 83.3%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 27 1.6%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 212 13.0%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 35 2.1%

  • Total voters
    1,637

Werewolf

ℌ𝔲𝔫𝔱𝔢𝔯
Supreme
14,790
103,180
259

Itachi_Uchiha

अंतःअस्ति प्रारंभः
Staff member
Sectional Moderator
7,839
27,260
204
Update - 142 ~ Necessitation

Ab tak...

Idhar upar udte helicopter me uss ladki ke baal hawa me lehra rahe the.

Tabhi uske mann me ek awaaz aayi,

*DING*

‘I’m sorry…! Veer!’

Aur udhar Mumbai me Ragini ke ghar me, apne kamre me laiti Bhavna achanak bechaini ke chalte bistar par uth ke baith gayi.


Ab aage...

*Badump* *Badump*

Bhavna ka dil zorr-zorr se dhadak raha tha. Kaleja baahar aane ko ho raha tha. Ye kaisi ajeeb si bechaini woh mehsoos kar rahi thi. Uska jee behad michla raha tha.

Achanak hi uske kamre ka darwaza khula aur haafti hui Tej andar aayi,

Tej : M-Mom!?

Bhavna : Tej?? Iss waqt yaha? Kya hua?

Subah ke 7 baj rahe the aur Tej ka iss qadar uske kamre me aana koi maamuli baat nahi thi.

Tej : Mom! Ajeeb sa mehsoos ho raha hai. Ek bure sapne ke chalte neend khul gayi. Paseena aane laga, jee ghabrane laga. Isliye yaha aa gayi.

Bhavna ki bauhe ye sunte hi chintan me sikud gayi.

Bhavna : Tum akeli nahi ho beta. Aao! Baitho!

Tej kamre ke andar aake apni Maa ke bagal se baith gayi.

Tej : Veer se abhi tak baat nahi hui hai. Mujhe ab fiqr ho rahi hai. Wo bhi to call kar sakta hai na? Kahi wo kisi musibat me toh nahi fass gaya na?

Bhavna (frowns) : Tum theek keh rahi ho beta! Itna lamba samay nahi lagna chahiye. Agar wo vyast bhi hai to kam se kam ek phone call to kar hi dena tha usse. Kuch baat zaroor hai.

Bhavna nahi chaahti thi ki uska mann uss disha me jaaye. Par na chaahte hue bhi uska mann wahi jaa raha tha. Aur, uski ghabrahat harr guzarte pal badhti hi jaa rahi thi.

'Mera beta...!' Usne apne ek haath se apne seene ko bheench liya.

Tej : Toh kya kare Mom?

Bhavna : Huh? Ho sakta hai Veer kisi ko koi alag number ya soochna de ke gaya ho. Shayad Ragini ko kuch pata ho. Sab ko uth jaane do. Fir hum baat karte hai.

Tej (nods) : Mmm!

Veer ke ghar me subah wese hi sabhi jaldi uth jaate the. Unn sabhi ke uthate hi jab saare log living room me ekatr hue toh Tej se ab aur raha na gaya,

Tej : A-Aap sab! Kya aap sab me se kisi ki Veer se baat hui hai?

Shweta sabse pehli thi jisne jawaab diya,

Shweta : Nahi! Lekin, uska phone Ragini ko zaroor aaya karta tha jab bhi woh baahar jaata tha. Ragini?

Ragini : Nahi Tai ji! Meri baat Veer se bas message pe hui thi. Mene parso pucha tha uss se ki sab theek hai waha? Toh uska reply aaya tha ki sab badhiya hai. Woh jald hi lautega.

Tej : Uske baad?

Ragini : Uske baad mene kal bhi message bheja tha. Lekin, message seen nahi hai.

Ragini ki iss khabar par woh sabhi ek chinta me doob gayi.

Bhavna : Kya woh tumhe koi aur number deke gaya hai? Emergency ke liye?

Ragini : Hmm? Nahi! Woh khud se hi call karta tha toh-!

Tej : Arohi? Kavya? Kya tum dono ki baat hui hai uss se?

Tej ka prashna sunn Arohi ne dheere se naa me sarr hila diya. Veer ki khabar se woh bhi anjaan thi.

Kavya : Didi! Veer bhaiya ne zaroor apna phone gira diya hoga kahi. Woh bhulakkad toh hai hi. Hehe! Ek baar school time me apna rumaal bhul gaye the. Toh fir mera ladkiyo wala rumaal use kiye the hahahaha!

Arohi : Kavyaaaa!!! Ye mazaak ka waqt nahi!

Arohi ki daant sunn Kavya apna chehra ferr muh fula li.

Kavya : Aap sab itna kyu darr rahe ho? Abhi Choti Tai ji ke gaav me Veer bhaiya uss ghar ki terrace se neeche nahi gire the? Kursi pe land kiye the. Unko kuch nahi hua tha. Ek baar Diwali ke time jab mein aur Arohi di ye waale ghar aa rahe the tab kuch gunde hamare peeche lag gaye the.

Tej : Gunde?

Kavya (nods) : Mmm-hmmm! Gunde! Gande waale! Par Veer Bhaiya waha hero ki tarah bachane aaye the hume. Dii yaad hai na aapko?

Arohi ko turant hi woh pal yaad aa gaya jab Veer usse bachaane aaya tha. Uska haath apne aap hi Veer dwaara di gayi unn kaan ki baaliyo par chala gaya. Aur woh ahista se apna sarr haan me hilaayi,

Arohi (nods) : Mmm!

Kintu, Bhavna ke maathe par lakeere chhaayi hui thi.

'Gunde...!?'

Woh samajh chuki thi ki uska abhi apne bete ke bohut se kisso ke baare me jaan'na baaki tha.

Kavya : Toh aap log khamakha itni tension le rahe ho. Bhaiya ka phone ghum gaya hai pakke se. Woh dekhna khud hi apni taraf se call karenge.

Usne keh toh diya, par sabhi ke ashaant mann ko saantvna dene ke liye ye kaafi nahi tha.

Ragini : Ahhh! Ek minute!! Kavya? Pichli baar Veer woh Suhana Miss ke saath gaya tha na? Woh famous Sonia..! Businesswoman!! Unki badi behan hai na? Woh dono holi me aayi thi na hamare ghar?

Tej : Sonia? Suhana? K-Kaun hai ye?

Kavya (nods) : Mm! Haan! Yaad aaya! Aayi toh thi woh dono.

Ragini : Toh unhone tumhe apna number diya tha na?

Kavya : Ahhn! W-Woh-!!

Jab Kavya nazre churaane lagi toh Arohi ne uski baah pakad li,

Arohi : Ab ye mat kehna ki tumne woh kho diya.

Kavya : Nahi!!! Woh...! Mene paper pe note down kiya tha unka number. Aur ab mujhe yaad nahi ki-

Arohi : Kaaaaavyyyaaaaaa!!

Woh zorr se usse chillaayi.

Arohi : Mene tumhe kaha hai na kitni baar ki hamesha important numbers ko apne phone me save kiya karo.

Kavya : Dii! Tab Holi thi. Mein buri tarah rang se puti hui thi. Isliye mobile ko haath nahi lagaya. Bhaiya ke room se hi copy pen laayi thi aur- arre haan!!! Bhaiya ke room me kahi padi hogi woh copy. Ruko!!!

Woh bhaagte hue andar gayi toh uske peeche-peeche Arohi bhi chal di.

Toh wahi idhar Ragini ke phone par ussi samay Nidhi ka call aa gaya.

Ragini : Hello?

Nidhi : Hello! Kaisi hai aap?

Ragini : J-Jii mein theek hu! Aap bataiye! Aaj mujhe kaise yaad kiya?

Nidhi : Veer ka phone nahi lag raha tha toh socha aapko hi laga lu. Darasal, agle mahine Holi hai. Aur exams bhi rahenge. Mene bas ye batane ke liye phone kiya hai ki Veer se kahiyega woh padhna shuru kar de. Semester ke last exams hai. Fir uska last year lag jayega.

Ragini : Ah! J-Jii! Mein keh dungi!

Nidhi (smiles) : Jii! Dekhiye! Business apni jagah hai. Par- Par ab companies aane lagengi. Veer se kahiyega wo prepare kare. Baaki, mein toh hu hi. Aap jaanti hai ki job kitni zaroori hai. Side me wo business kar sakta hai. Lekin-

Ragini : H-Haan! Aap sahi hai. M-Mein keh dungi uss se.

Nidhi : Jii! Aur usse mere paas bhi bhej dijiyega. Mein usse samjha dungi. Kuch pointers de dungi exams ke liye.

Ragini : S-Sure! Thank you!

Nidhi (smiles) : No need for that. Accha! Mein rakhti hu.

Ragini : Hmm!

Aur call cut ho gaya. Log Veer ko yaad kar rahe the. Parantu, unhe kya pata tha ki woh iss waqt kis haal me tha. Zinda tha bhi ya nahi?

***

Mumbai me Veer ke ghar bhale hi subah ke 7:30 ho rahe the. Parantu, Paris me yaha ab bhi raat ka andhera barkaraar tha.

Yaha derr raat ke 3 baje hue the. Paris ka samay Mumbai se lagbhag saadhe 4 ghante peeche tha.

Hawa me helicopter lehra raha tha. Saagar ki ufanti lehre chattaano par thapede maar rahi thi. Dheere-dheere jab badi lehre takra ke thamti toh paani kuch shan ke liye shaant ho jaata. Aur ussi ke saath uska shor bhi.

Uss ardh-paardarshi jal ke andar dekh paana jatil tha. Upar se raat ka andhera. Helicopter ki spotlight ke bawajood kahi unhe woh nazar nahi aa raha tha jiski unhe talaash thi. Aur woh tha-

Veer ka shav!

"Dhoondhte raho!!! Aasmaan kha gaya usse ya dharti nigal gayi? Paani me hi hoga. Chappa-chappa chhaan maaro."

Senior officer ki awaaz uss poore ilaake me goonj gayi.

Par talaashi ke pehle Ava urf Natalia Martin ko helicopter se neeche utaar diya gaya.

Andre : Miss Natalia. Ab aap surakshit hai. Mein Andre! DGSI ki orr se ek agent. Mere saath chaliye.

Ava ne ahista se haami bhari aur uske peeche-peeche chal di.

Raasta wahi tha jaha se Veer aaya tha. Aur waha se nikal jaise hi woh sab building ke nazdeek aaye toh Andre ghabraate hue aage badha,

Andre : Terashimaaa!!!!

Woh chillaaya aur Terashima ko zameen se uthaate hue usse jhunjhlaya. Kintu, woh hosh me nahi thi.

Uski saansein aur physical condition check karne ke baad Andre ne ek raahat ki saans li.

Toh utne me building ke dusre maale se Chris aur uski team neeche aayi. Chris ki baah me goli lagi hui thi.

Neeche aate hi Chris ki aankhein phati ki phati reh gayi jab usne apne aas-paas ka nazaara dekha.

Lighthouse ka chhajja tabaah ho chuka tha. Aur neeche, ek bade se chopper ke chithde ude hue the jo aag ki lapto me jhulas rahe the.

Chris : Good god!! K-Kya hua yaha par?

Andre : Chris!!!

Chris : Andre?

Andre : Tumhe toh chot lagi hai. Quick! Jaldi chalo!

Chris : H-Haan! Upar bache hue logo ko arrest kar liya gaya hai.

Andre : Chinta mat karo! Poora area chhaan ke hi yaha se niklenge. Pehle tumhe medical assist dena zaroori hai.

Airplane airstrip par pehle se hi khada hua tha. DGSI aur police officers dwaara Natalia ko plane ke andar baitha diya gaya.

Toh wahi jis plane me Natalia ko laaya gaya tha, uske andar bhi chhaan-been shuru kar di gayi. Kintu,

Jo pilots Natalia ko plane me yaha baitha ke laaye the, unki bas laashe hi haath lagi.

Andre : Shit!!! Ab kya kiya jaaye?

Senior officer : Le ke chalna hoga inhe. Forensic report shayad kuch bata de. Baaki, bodies par se phones aur baaki details kese retrieve karni hai woh kaam hum par chhor do.

Andre (nods) : Hmm!

Aur kaafi mehnat mashakkat ke baad ek airplane ko waha se bhej diya gaya.

Yaha se ek plane ravaana hua tha toh wahi Paris ke airport par ek airplane land ho raha tha.

Plane ke land hote hi, usme se log nikle aur airport ke baahar jaane lage.

Unhi chand logo me se ek khubsoorat aurat tezz qadmo ke saath aage badh rahi thi. Uske peeche-peeche ek aadmi tha aur ek aur aurat chal rahi thi.

"Miss! Yaha se ab kaha?"

Awaaz Prakash Uncle ki thi. Aur aage chal rahi aurat koi aur nahi balki Suhana hi thi.

Uske chehre par chinta aur ghabrahat saaf jhalak rahi thi.

"Suhana!!! Kuch bataogi ya nahi?"

Ye awaaz thi Ashita ki. Suhana ki personal psychologist. Divya toh na aa saki parantu Ashita Suhana ke peeche peeche chali aayi.

Suhana ka ravaiyya bada hi ajeeb lag raha tha usse. Uski personal psychologist hone ke naate uski harr harqato par dhyaan dena Ashita ki zimmedari thi.

Suhana : Prakash Uncle!! Hume Ava ko dhundhna hai.

Prakash : P-Par Ava Miss to kidnap ho chuki hai na Miss.

Suhana tezz raftaar se chalti jaa rahi thi. Uska peeche karne ke liye Prakash aur Ashita ko bhaagna pad raha tha.

Prakash : Aur aap abhi bhi poori tarah theek nahi hui ho.

Suhana (frowns) : Abhi sabse zyada important hai Ava ke baare me khabar lagna Uncle. Veer bhaari musibat me hai. Uska Phone nahi lag raha hai aur na hi aapke uss Eric se contact ho paa raha hai.

Ashita : Veer? Who's this Veer?

Prakash ne ek jhalak Ashita ko dekha par uske prashn ka uttar na diya.

Prakash : Aise me toh fir Ava Miss ke sabse qareebi log ya fir yaha ke investigation department jaana hi behtar hoga. Wahi se kuch detail lag payegi Miss.

Suhana : Ava ke qareebi kaun hai, ye hum nahi jaante. Investigation department hi chalna behtar hoga.


da07a010-d39a-4881-a52b-889053603036

Road taraf aate hi ek car pehle se hi unke liye lagi hui thi.

Prakash ne aage badh car ka darwaza khola aur Suhana andar baith gayi. Saath hi Ashita bhi.

Prakash aage driver ke bagal se baitha aur car waha se ravana ho gayi.

Magar abhi kuch hi kilometer ki duri tay ki thi unhone ki saamne ka nazara dekh woh sabhi chaunk gaye.

Paris ke iss jaane maane chauraahe par afra-tafri machi hui thi. News reporters idhar se udhar apne cameramans ke saath coverage ke liye bhaag rahe the.


gty-place-de-la-republique-square-panic-mt-1511115-16x9-608

Toh wahi police unhe control karne me lagi hui thi. Logo ko surakshit rakhne ke liye woh waha se jald se jald area khaali karwaane me lage hue the.

Ye ilaaka wahi tha jaha kal raat bada dhamaka hua tha. Tehqiqat karna kisse pasand nahi hota? Log apna camera leke aur reporters apna mic leke pohuch rahe the.

Police ke liye kaam badhta jaa raha tha.

Suhana : Something big has happened. Whole city is in chaos.

Ashita : Y-Ye sab!? Akhir ho kya raha hai?

Car me baithe-baithe unn sab ne dekha ki kaise news reporters harr ghatna ki jankaari dene me lage hue the.

Toh wahi janta me se kuch log aise the jo virodh ka pradarshan kar rahe the. Naare lagaate hue woh police aur France ki govt. ke khilaaf awaaz utha rahe the.


001d962a-1440

"Kya yahi hai France ki suraksha? Kya yahi hai police ki security? Aise hi itna bada hamla sheher ke beecho-beech kar diya jaata hai. Kya kar rahi thi police? Kitne log maare gaye hai. Kaha hai hamla karne waala? Kya police pakad paayi usse? Hum jawaab chaahte hai!!!"

Janta ka virodh badhta hi jaa raha tha. Aur unki awaaz ko logo tak pohuchaane ka kaam media kar rahi thi.

Police officers logo aur media ke beech ghir kar unhe bas hidaayat hi de sakte the.

"France 24 News channel se mein bol rahi hu Audrey aur hamaare saamne maujood hai police department ke jaane maane Chief. Sir! Kya kehna chaahte hai aap iss waqt? Janta police se naakhush hai. Din-dahaade hamla ho jaata hai aur police ke paas saamne rakhne ke liye koi jawaab nahi hai."

Chief ne logo ko shaant rehne ka ishaara kiya par shor tha jo kam hone ka naam hi nahi le raha tha.

"Dekhiye!! Situation kaafi critical hai aur complex bhi. Ye samay virodh ka nahi hai. Mein janta se kehna chahunga ki kripya kar woh hume apna kaam karne de. Mujrim ke peeche DGSI aur hamari force lagi hui hai. Mujhe aasha hai jald hi hum ghuspethiye ko pakad lenge. Mein aashvashan deta hu ki France ki police apna poora de rahi hai."

"Par janta ka kya Sir? Jinhone apni jaan gavaayi hai unka kya? Uss baare me aap kya kehna chaahenge? Kya aap maante hai ki aap ke department me se kahi na kahi security ko lekar chook hui hai?"

"Ji nahi! Hum harr samay alert rehte hai. Ye ek haadsa hai. Aur mujhe bohut khed hai iss baat ka ki kuch logo ne apni jaane gawa di hai. Magar hum jald hi mujrim ko pakad ke janta ke saamne pesh karenge."

Itna bol Chief waha se hatt ke jaane lage toh news reporter unka peecha karne lage. Parantu, police officers ne unhe aage badhne na diya.

"Toh jaisa ki dekha aapne. Police chief ka yahi kehna hai ki woh apna poora de rahe hai aur tehqiqaat karne me teams juti hui hai. Mera bhi yahi nivedan hai darshako se ki kripya apne apne ghar me hi rahiye. Police ko apna kaam karne dijiye. Tab tak ke liye aaiye aapko dikhaate hai, uss building ki dasha jaha par dhamaka hua tha."

Aur news reporter cameraman ke saath waha se nikal gayi.

Car me baithe jab Suhana aur baaki sab ne ye dekha toh unki haalat patli ho gayi.

Ashita : I-Itna bada haadsa ho gaya yaha?

Prakash : Aage bhaari checking lagi hai Miss. Cars ko bina check kiye aage badhne nahi de rahe hai.



images-9

Suhana : Hum clean hai. Hum par koi aarop nahi hai. It's okay. Let them do! Lekin agar time lagta hai then-!! Find another route.

Prakash : Jii! Mein aage jaake unse puch ke aata hu ki pehle hamari checking kar de. Toh hum yaha se nikal sake.

Suhana (nods) : Hmm!

Prakash gaadi se utar aage Signal ki orr chal diya. Lekin tabhi chauraahe ke upar bade bade hoardings ke paas lagi ek badi si screen par news aayi.

Suhana ki nazre fauran hi uss par tik gayi.


images-10

"Breaking News coming from the blast incident which took place yesterday. Singer and celebrity Miss Natalia Martin has been rescued by the DGSI and police force. The suspect has been executed on the spot. It has been confirmed that the suspect didn't co-operate with the police. Hence, squandering his life. Body has still not been found. However, DGSI is working diligently to search the criminal's body."

Khabar ke saat hi Veer ki wahi tasveere screen par aayi jo Andre ne slot machine waali alley me video me record ki thi.

Suhana ne jab ye suna aur dekha toh uski saansein maano atak gayi. Saaf saaf likha hua tha. Suspect was executed on the spot.

Apraadhi ko wahi par maar diya gaya. Suhana ka badan thar-thar kaanpne laga. Uski aankhein feli hui thi. Kya woh saamne jo dekh rahi thi woh sach tha?

Aur fir iska bodh hote hi ek ajeeb si anubhooti usse andar se hui. Aankhon se apne aap aasu nirantar behne lage.

Ashita : Suhana!?

Suhana toh jaise kisi aur hi duniya me jaa chuki thi. Badan me kampan rukne ka naam nahi le raha tha.

Achanak hi uske phone par call aaya, jiski awaaz ne uska dhyaan kheecha.

Bina screen me number dekhe Suhana ne call uthaaya aur phone ko kaan pe lagaya.

Toh waha se awaaz aayi,

"Umm! Suhana ma'am? Kya ye aapka number hai? Mein Veer bhaiya ki choti behan- Kavya bol rahi hu. Hello? Hello?"

Suhana ki bolti band thi. Kaise jawaab de? Aur kya jawaab de? Saamne screen par Veer ki akhiri tasveere jhalak rahi thi. Kaise kahe uss ladki se ki uska bhai marr chuka hai?

Usse mehsoos hua jaise andar se kuch behad keemti toot gaya ho. Jisse ab dobaara kabhi nahi joda jaa sakta.

Kavya : H-Hello?

Suhana : M-Mein tumhe baad me call karti hu Kavya. Okay?

Kavya : Ohh! O-Okay! Wo-! Woh Veer bhaiya ke baare me puchna tha. K-Kya aapko koi khabar hai woh kaha par hai?

Suhana : N-Nahi! Mein pata kar ke tumhe uske baare me bataati hu. Th-Theek hai?

Kavya : Okay! Thank you~ B-Bye!

Aur call cut ho gaya. Magar call cut hote hi Suhana toot ke bikhar gayi. Woh zorr zorr se rone lagi. Ashita usse achanak se iss qadar dekh ghabra gayi.

Ashita : Suhaaaanaa???

Parantu, Suhana koi jawaab nahi de rahi thi. Woh bas roti jaa rahi thi. Jhar-jhar uske aansu aankhon se beh ke gir rahe the.

'It can't be-!!! H-How can this happen?'

Yakeen nahi karna chaahti thi woh magar saamne news channel uske mann ko aur duwidha me daal raha tha.

'N-Nahi!! Aisa nahi ho sakta. It doesn't make any sense. R-Right! They haven't discovered him yet. Jab tak mein apni aankho se nahi dekh leti tab tak mein yakeen nahi karungi! Woh Aatish, Slogan, Nightwalker, Pitcher jaiso ke changul se baahar aaya hai. I know you're out there Veer...!'

Ashita : Suhanaaa?

Suhana ne agle hi shan apne aansu poche. Tab tak Prakash bhi laut ke aa chuka tha.

Prakash : Miss! Woh maan gaye hai. Check karwa ke nikalte hai.

Suhana : Plan badal chuka hai Uncle. Ab hum waha nahi jaa rahe. Ek hotel me rooms book kariye sab ke liye. Aaj raat hum wahi thehrenge. Aur kal Ava laut ke aa chuki hogi Paris me! Then we'll meet her.

Prakash : Theek hai!

'She's hiding something.'

Car checking ke baad seedhe ek hotel ki disha me chali gayi.

***


Las Vegas
Night...


Veer ke liye uske chaahne waale log lag chuke the. Harr koi uski khabar paane ke liye bechain tha.

Yaha Vegas me Divya ko ek baar punaah Nolan ne apne department bulaaya hua tha.

Andar jaate hi ek aur report uske saamne table par patak di gayi.

Nolan : Ab sthiti haath se nikal rahi hai Divya. Take a look at this.

Report ko uthaate hue jab Divya ne sab kuch padha toh woh bhauchakki reh gayi. Atyant krodh janm liya, saath hi vyaakulta bhi.

Divya : Ye France waale paagal ho gaye hai kya? Andhe hai kya? Dikhaayi nahi deta kya namoono ko??

Nolan : Tumhe ek baat aur bataani hai. Kuch din pehle France ki orr se House of the Killers ke cases ko leke ek request aayi thi.

Divya : Wh-What?

Nolan : Hmm! Unhe report chahiye thi HOK ki.

Divya : Kyaaaaa?

Nolan : Aur humne unhe bheji bhi hai report.

Divya : What? Are you in your right mind??? HOK koi normal murder case nahi hai. Ye confidential hai. Classified reports ko department dusre desh me kaise bhej sakta hai?

Nolan : Unka daawa hai ki wahi hamla unke upar hone waala tha. Unhe saboot bhi mile hai. Aur iska rachayita unn logo ne kisse tehraya hai pata hai na?

Nolan ne agle hi pal report ka akhiri panna khola toh usme Veer ki tasveer bani hui thi.

Divya ka haal behaal ho utha. Woh apni jagah par baithate hue bhayanak peeda mehsoos kar rahi thi. Usse koi raasta nazar nahi aa raha tha. Uske nain bheeg uthe.



014ab73d076f5de5c8b7a9a2b1fcbb1e

Divya : Y-Ye sab-!!!

Nolan : Hum jaante hai Veer nirdosh hai. Hum sirf ek hi kaam kar sakte hai. Aur woh hai ki apni report bana ke bheje jisme Veer ko normal citizen ke roop me dikhaaya jaaye. Jaisa ki vaastav me hai. Lekin-! Jo kuch hoga woh wahi se ho payega. Mujhe nahi lagta woh maanenge.

Divya (sobs) : A-Aap kaise!? Kaise bhej sakte ho waha reports? *sniff*

Nolan : Divya! Jab dusra desh vipda me aane waala ho aur unhone koi maang rakhi ho toh hume badle me madad karni hi padti hai. Hamara desh iss samasya se joojh chuka hai. Upar se order the ki report ko bheja jaaye taaki woh pehle se iske liye taiyaar ho sake. Hume kya pata tha ki waha Veer ko fassa diya jayega!

Divya (screams) : Magar Veer nirdosh hai!!!!

Nolan : Jaanta hu! Isliye jo bann padega, department woh karega.

Itna bol woh baahar nikal gaya. Kintu, Divya wahi gir ke subakne lagi. Iss ladke se itna lagaav ho jayega usse, usne khud kabhi nahi socha tha.

***

Agli raat mahaul kuch aur hi tha. News par Ava se sawaal jawaab kiye jaa rahe the. Usse Paris aaye kuch hi ghante hue the ki reporters uske upar chadh pade.

Tamaam sawaalo ke saamne Ava mics se ghiri hui thi.

Aur unn sabhi sawaalo ka bas usne ek hi jawaab diya,

"Mujhe theek se yaad nahi mere saath kya hua tha. Mein bhaag rahi thi. Fir pakad li gayi aur fir kahi mujhe le jaaya gaya. Mujhe koi jankaari nahi hai inn sab ke peeche kaun hai. Mein abhi ghabrayi hui hu aur abhi kuch samay akele me guzarna chaahti hu."

Bas! Ye kuch shabd kaafi the. Doctors se leke security sabhi ne reporters ko Ava se dur kar diya. Doctors Ava ki health condition check karne lage. Toh wahi kuch reporters ke sawaal jawaab dene me lag gaye.

Sab kuch jab thoda shaant hua. Toh raat me Ava hospital ke liye chal padi.

Woh akeli thi. Face par mask tha uske. Car thode sunsaan raaste se guzar hi rahi thi jab theek saamne raaste par koi beech me aa gaya.

Ava ne car side me roki aur uss se baahar nikal woh uss shaks ki orr gayi.

Saamne wahi tha!!


Crimson!!!

Par uski aankhon me bhaiyankar krodh tha. Aag baboola ho rakhi thi uski aankhein.

Crimson (garajte hue) : Kaha hai woh??? Kaha hai??

Ava (frowns) : He's dead!

Agle hi pal Ava ka gala Crimson ke mazboot haatho me tha.

Crimson : NAHI!!!!! TUMNE MARRNE KAISE DIYA USSE??? WOH MERA SHIKAAR THA!!!!

Ava : Ngghhh!!!

*BAAAAAAMMMMMMM*

Ava ki laat turant hi Crimson ke pait se takraayi aur Crimson dur jaate hue lohe ke dabbo ke beech jaa gira. Uska ek haath wese hi pehle se gaayab tha. Seene par abhi bhi khoon ke dhabbe maujood the.

Ava : *huff* *huff* Mene tumhara kaam kar diya hai. Apne aadmiyo ko waapas bulao.

Crimson karaahte hue utha aur kuch derr tak Ava ko dekhta raha.

Ava ki awaaz agle hi pal kaafi khaufnaak ho gayi.

Ava : APNE AADMIYO KO WAAPAS BULAO! ABHI!!!

Crimson : Girl!!! Awaaz neeche! Bhulo nahi ki tum kis situation me ho abhi.

Fir bhi apna phone nikaal usne ek message bheja. Aur uske message bhejte hi,

8 se 10 snipers jo apna aim Grace Martin ke ward ki khidki par lagaaye baithe the woh waha se nikal gaye.

Crimson : They are gone!

Ava : Agar aisa kuch dobaara hua, toh mein tumhaare tukde tukde kar dungi! Fir chaahe apni hi jaan kyu na gawa du!

Crimson (gusse me) : Woh mera shikaar tha!!! Meraaaa!!!! But you let him-

Ava : He didn't surrender. He chose to die. He gave away his life rather than surrendering to you.

Kehte hue uski palke neeche ko jhuk gayi.

Crimson : Y-You-!!

Ava (glances) : Aur itna gussa kyu? Tum usse maarna chaahte the. Woh jaa chuka hai. Tumhara maqsad poora hua. Why the rage?

Crimson : Tch! Apne kaam se kaam rakho! Aur tumhara haal bhi toh alag hai. Aren't you caring for him too much? He was no one to you! Why such a reaction then!? Interesting!

Ava : Fuck off!

Ava waha se mudi aur apni car me baith ravana ho gayi.

Raaste par bas Crimson hi akela khada raha.

'Veeeeeerr!! You motherfucking bastard-!!! Mene nahi socha tha ki tum maut ko gale laga loge. Tch! Plan bigad gaya hai. Sirf iss ek move ke kaaran. Mujhe kuch aur karna hoga-!!! But first-!! I must fix something!'

Woh soch waha se hawa ke jhoke ki tarah gaayab ho gaya.

*Click*

Yaha Hospital me ward ka darwaza khula. Aur Ava apni Maa Grace ke kamre me pravesh ki.

Maa ko dekhte hi, Ava apne ghutno par gir padi.

Maa ko dekh woh unke paas aayi.

"Mother-!!!"


6e176aad-6f1f-4d25-a61e-d7c8cf91403e

Kintu, Grace toh kisi murti ki tarah sthir waha laiti hui thi. Koi harqat nahi. Bas saansein chal rahi thi.

"K-Kyu? Kyu meri itni pareeksha li jaa rahi hai? Kyu mujhe woh karna pada?"

"Mother-!!! I commited a sin!!!"

"Mujhse bohut bada paap ho gaya hai mamma!!! I-I- I killed an innocent mamma!!"

Woh kaanch ki tarah toot ke bikhar gayi.


1d7aab2b-842a-4c45-890b-3ced33dd101d

"Mein bewakoof-!! Samajh na paayi!! I couldn't understand his heart. I never wanted to do it. But I did-!!! Mamma!!!"

*sniff*

"Woh yaha mujhe bachaane ke liye aaya tha. He didn't even ask me for any details. *sniff* Yet I- Yet I worked with that guy to frame him!!!"

*hic*

"Mother-!! You are my strength!! But you are my weakness too!!"

"Kaise? *sniff* Yaha tak pohuch gayi hu. Ab kaise peeche hatt sakti hu?"

Uske mann me ek notification saaf saaf jhalak raha tha.


[Accumulated points : 18000]

[2000 points are required more to activate the Legendary Scroll ~ Maisie's cure!]

[Maisie's Cure - The scroll gives host the proper medication guidelines and surgery methodologies to recover any person from coma.]


"I'm sorry-!!! I'm sorry Veer!!! I never wanted to do it-!!! *sniff* Mamma!!! *sniff* Speak to me!!! P-Please-!!!"
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Itne bade bade bawaal updates ke baad ek cooldown update zaroori tha. Update 4.6k words ka hai. Like thokne ka. Target wahi hai. 140 likes. 2 updates aur aayenge. 1 poore past ko darshayega ki Crimson ne ye sab racha kaise. HOK kaise paida hua. Veer kaise framed hua. Dusre me wapas hum present me aa jayenge.

Dhanyavaad! ✨
To yaha ek nahi balki 2-2 system Wale logo ne mil kar veer ko bali k bkr banaya. Aur wo dono veer se sayad is time bhi aage hai status me. Dono ne bahut hi long planning karke veer ke sath ye sub kiya. Ava k to smjh me aa gaya usne aisa kyu Kiya !! Lkin crimson ne aisa kyu Kiya ? Aur in dono ke paas system kaha se a gaya ? Ye baate abhi pata karni baki hai.
Veer ke bare me fihal sirf divya aur suhana ko hi pat hi aur wo dono hi bhut bure haal me hi. Mujhe Hanekawa se kuch ummid hai ab ki wo veer ke wapas aane par uska sath de skti hai.
Aur ab jb veer ko apne dusmano ko apni aakho se dekh liya hi to wo ab unhe bhut hi jldi sub 10times jyada repay karega.
Ab dekhte hai aage kya hota hai ?
 

Itachi_Uchiha

अंतःअस्ति प्रारंभः
Staff member
Sectional Moderator
7,839
27,260
204
Mega Update

Update - 143 ~ Luring the wolf with the hen

[Note : Update ko rush me bilkul mat padhna. Itminaan se samay leke dhyaan se padhna. Warna sarr ke upar se jayega.]

Ab tak...

Uske mann me ek notification saaf saaf jhalak raha tha.

[Accumulated points : 18000]

[2000 points are required more to activate the Legendary Scroll ~ Maisie's cure!]

[Maisie's Cure - The scroll gives host the proper medication guidelines and surgery methodologies to recover any person from coma.]

"I'm sorry-!!! I'm sorry Veer!!! I never wanted to do it-!!! *sniff* Mamma!!! *sniff* Speak to me!!! P-Please-!!!"


Ab aage...

A few months ago...
(Kuch mahine pehle...)


Kisi underground basement me sofe pe ek aadmi baitha hua tha. Ceiling par pankha halki gati me ghoom raha tha. Shor tha toh bas ussi pankhe ka, baaki harr jagah ek khamoshi chhayi hui thi.

My-Snarky-Self

Uske haath me ek wine ka glass tha toh dusre me cigarette. Ye koi aur nahi, Crimson hi tha jiske mann me kuch baatein ghoom rahi thi,

‘Why don’t you be my right hand? You’ve got potential!’

‘So you chose to betray me huh? Surprised? Mujhe kaise pata chala? You can’t lie to me you know!’

‘One of my preys is arriving there. Dhyaan rahe! Usse kuch hone na paaye!’

‘I can kill you anytime! Don't test my patience.’


Ye awaazein, ye bol uske dimaag me mandra rahe the.

Aur achanak hi,

*Crack*

Uske haatho me maujood wine ke glass ke tukde-tukde ho gaye. Wine uske haath ko bhigo ke zameen par gir gayi. Woh gusse me utha,

"Tujhe lagta hai tu koi bhagwan hai? Mein tujhe dikhaunga ki asli baazigar kaun hai. Just you wait-!"

Woh krodh me garja.

"Aur ye bhi pata laga lunga ki tu hai kaun asal me madarchod!!!"

*Crash*

Table par ek laat usne maari toh wine ki bottle aur glass sab toot ke bikhar gaye. Aur basement me punaah wahi khamoshi chhaa gayi.

***


Clark County Detention Center,
Las Vegas.
Night ~ 11 : 49 PM


Kuch din guzar jaane ke baad, Vegas ki iss jail me raat ke samay sab kuch pehle ki tarah hi tha. Qaidi log apne-apne cell me waqt kaat rahe the. Patrolling karne waale officers roz ki tarah apni duty par the.

Kahi bhi koi gadbad ki aashanka nazar nahi aa rahi thi jab achanak se,

*Pssssssssssssss*

Detention Center ki entrance ke paas hi chaaro orr dhua felne laga.


images-11

"Ye kya ho raha hai? Officers!!!"

Satark hote hue sabhi mauke pe pohuche aur dhue ke source ko dhundne lage. Lekin, unke yaha aate hi,

*Pssssssssssssss*

*Pssssssssssssss*

Harr jagah dhua uthne laga. Smoke bombs ek ke baad ek apna kaam karne me lag gaye. Aur saare detention center me afra-tafri mach gayi.

"Officers be alert!!!"

Par unn smoke bombs ke beech kuch aise bombs bhi feke gaye the, jinme behosh karne waali gas maujood thi.

Ek ke baad ek officers behosh hoke girte chale gaye. Jab tak unhe iss baat ka ehsaas hua ki gas me behoshi ka koi padaarth hai tab tak gas apna kaam kar chuki thi.

Security cameras dhue ke chalte kuch catch na kar paaye. Jail cells ke andar maujood apraadhi log bhi aashcharya me pad gaye. Unhe nahi pata tha ki baahar hall me kya ho raha tha. Tabhi achanak hi,

*Clang*

Ek cell ka gate zorr se awaaz kar ke khul gaya.

"H-Huhhh!?"

Jail ke andar baitha aadmi stabdh reh gaya. Ye sab ho kya raha tha? Aur uske jail ke cell ka darwaaza kisne khola? Usse samajh tak na aaya.

Par mauka dekhte hi woh bhaaga. Jail se chhootne ka iss se behtar mauka aur kya ho sakta tha?

'Fuck it! I'm free now! Hahaha!'

Aur ye shaks jo tha, woh koi aur nahi, wahi tha.

Jim! Yaani ki,

Jim the Slippery.

Ussi ke saath-saath baaki saare jail cells ke darwaaze khul gaye. Aur ek ek karke saare apraadhi baahar bhaagne lage.

"Hahahaha!!! Bhaago!! Bhaago! Iss se pehle ki extra unit aake hume pakad le."

Alert ke sirens bajne lage the. Bhaagne ka shor fela hua tha. Security cameras ko monitor karne waale logo ne turant hi extra units ko inform kar diya tha.

Yaha saare jail cells ke akhir me ek cell aur tha. Jiske andar baitha aadmi dheere se utha aur baahar aaya.

Uske chehre par ek behad hi bhayanak muskaan saji hui thi. Aisi muskurahat jisse dekh insaan darr jaaye. Badan par phate hue aur maile kapde the.

Woh paagalo ki tarah hasste hue bhaag kar entrance ke paas aaya.

"Ehehehehehehe! Hehehehe!"

Uski hassi badi hi vichitr aur khaufnaak si thi. Aisi jisse sunn aadmi ke raungte khade ho jaaye. Agle hi pal, uss khaske aadmi ki nigaahein dhue ki taraf daudi aur usse koi waha khada nazar aaya,

Usse dekhte hi aadmi ke honth ajeeb dhang se aur upar fel gaye aur muskaan pehle se bhi daraavni ho gayi.

"Ehehehehehe! Tum bhi hum me se ek ho? Ehehehe! Mere patients-!!! Hehehehe! Mein aaya-!!!"

Woh na jaane kya badbadaya aur waha se uchhalte koodte hue bhaag gaya.

Koi bhi hota toh usse iss waqt dekh paagal hi samajhta. Par dhue me khada woh aadmi usse dekhne ke baad ek shock me jaa chuka tha.

Kyuki abhi abhi uske mann me ek awaaz aayi thi.

*Ding*


[No information available.]

Uss shaks ki aankhein phati ki phati hui thi. Ye Crimson hi tha.

Wahi tha jo detention center se unn apradhiyo ko bhagaaya tha. Wahi tha jisne ye saare bombs fek ke iss ghatna ko anjaam diya tha. Uska maqsad yaha sirf Jim the slippery ko churraane ka tha.

Par na jaane uske haath kya lag gaya tha aaj.

'Y-Ye-! Woh aadmi!'


6ba56c11-b95d-4e13-8379-a2d158e72c26

Uske hosh ude hue the. Tabhi uske mann me ek awaaz punaah aayi,

[Yes! Woh aadmi ke paas system tha. Tumhari tarah!]

Spasht hote hi Crimson ko ek bada jhatka laga.

Kya kare? Uske peeche jaaye ya fir!?


[Yaha kyu khade ho? Jo karna hai jaldi karo!]

Par system ki baat sunte hi woh waha se tezz qadmo ke saath baahar nikal gaya.

Idhar Detention Center se bhaagte hue Jim alleys me ghus chuka tha.

*huff* *huff*

Haafte hue woh pakde jaane se bachne ke liye tezz gati me bhaag raha tha.

Andhere me doobi unn sakri galliyo me woh daud hi raha tha jab,

"Heugh!!!"

Achanak se kisi ne uski shirt ki collor ko peeche se pakda jiske chalte shirt uske gale par phande ki tarah kass gayi.

Fir apne aap hi uss shaks ne usse chorr diya. Jim ne jab palat ke dekha toh paaya ki andhere me koi khada hua tha.

Jim : K-Kaun? Kaun ho tum?

Woh apne gale ko sehlaate hue ghabrahat me pucha. Uske saamne Crimson tha. Parantu, andhere ke chalte Jim bechara uska muh nahi dekh saka.

Crimson : Mein kaun hu tumhe ye jaan'ne ki zaroorat nahi. Tumhe bas itna jaan'na hai ki mene hi tumhe jail se churraaya hai.

Jim : Heh! Toh? Toh ab tum chaahte ho mein tumhaare talve chaatu? Agar tum mujhe nahi bhi churraate toh bhi mein-

Crimson : Kaise bhi kar ke baahar nikal aata!

Jim (hairaani me) : Huh!!!?

Crimson : Yahi kehna chaah rahe the na?

Jim : T-Tum-!!! Kaun ho tum??

Crimson (smiles) : Jim the Slippery. Police se bach nikal ke bhaagne ke liye maana jaane waala mashoor criminal. Ladkiya, daaru aur drugs dealing me maahir. Taskari toh tumhare khoon me daudti hai. Kyu? Hai na?

Crimson ke itna kehte hi Jim ki aankhein bhay ke maare fel gayi. Saamne khada vyakti usse acche se jaanta tha. Usse aisa laga jaise woh iss aadmi ke saamne nanga khada hua tha. Jaise uss se kuch bhi chhipaya nahi jaa sakta tha.

Crimson : Bolo! Kya mein sahi hu?

Jim : Hmph! T-Toh kya? Y-Ye toh sab jaante hai mere baare me.

Crimson (smiles) : Kya ye bhi jaante hai ki iss se pehle tum grave body collector jaise illegal kaam me bhi shaamil the?

Iss baar Jim ke perr ladkhada gaye.

Jim (kaanpte hue) : T-Tum!!? Tumhe kaise pata? N-Nahiii!! Kaun? K-Kaun ho tum? Jawaab do!!!

Crimson (smiles) : Apni position ko samjho Jim! Tum maut se bas ek qadam dur khade ho.

Jim (frowns) : K-Kya chahiye tumhe?

Crimson : Kuch nahi!

Jim : K-Kya?

Crimson (smiles) : Tum azaad ho. Bas mere liye ek chota sa kaam karna hoga.

Jim : Bolo!

Crimson : Tum drugs dealing karte ho ya sharaab ka business, ya fir kuch aur. Mujhe iss se koi matlab nahi. Jo karna hai karo.

Jim : Hmm?

Crimson ne muskuraate hue agle hi pal jeb se kuch nikaal ke uski orr feka. Hadbada ke Jim ne usse haatho me thaama.

Jim : Y-Ye kya hai?

Usne apne haatho me pakde uss cheez ko tatol ke dekha. Ek card tha. Kisi credit card ki tarah.

Crimson (smiles) : Tumhe ye bechna hai. Police ya kisi ko bhi iski khabar lagni nahi chaahiye. Ye sirf tumhe kisi aise shop dealer ko bechna hai jo khud kisi illegal kaam me ho. Aur usse bhi kuch nahi batana hai. Samajh gaye?

Jim : P-Par ye hai kya?

Crimson : Jitna kaha gaya hai utna karo. Tumhe baad me samajh aa jayega.

Jim : Tch!!! Theek hai. Kaam ho jayega!

Crimson : Ye raha number. Iss number pe hi mujhe contact karna.

Jim : Th-Theek hai!

Crimson : Apni gang ko ikhatta kar lo. Time kam hai. Tumhare saath aur bhi do log judne waale hai!

Jim : K-Kaun?

Par Crimson bina kuch kahe hi waha se palat ke jaane laga.

Jim : H-Hey!! Jawaab do! Kaun do log?

Crimson (smiles) : Tumhe pata lag jayega. Go now! Aur haan! Welcome to the House of the Killers.

Kehte hue woh waha unn andheri galliyo me kahi gaayab ho gaya. Jim bas uss card ko taakta reh gaya. Bina samay gawaaye fir woh waha se bhaag nikla.

Aur idhar Crimson jeb me haath daale apne naye plan ko execute karta jaa raha tha.

Jin do logo ki woh baat kar raha tha woh koi aur nahi the. Woh wahi mashoor serial killers the-

Nightwalker aur Pitcher!!!

Alley se baahar aate hi ek luxury red car uske saamne khadi hui thi. Driving seat par ek khubsoorat ladki virajmaan thi.

Crimson (smiles) : Ahn! My sweetie! You arrived.

Sweetie : Yes! Toh? Ab kya?

Crimson ne wesa hi ek aur card nikaal ke Sweetie ki orr feka toh usne card ko catch kar liya.

Sweetie : Ye kya hai?

Crimson (smiles) : Maut ka aamantran! Inki copies banwani hai. Tumhare phone pe address diya hua hai. Jao aur iss card ki multiple copies banwaane keh do. Chip wahi rehni chahiye usme.

Sweetie : Kisi tarah ka entry card hai?

Crimson ne muskura ke haan me sarr hilaaya.

Sweetie : Well! Theek hai! Meri pagaar?

Usne itna kaha hi tha ki agle hi shan noto ki do badi badi gaddiya uski goad me thi.

Crimson : Go now!

Sweetie ek kutil muskaan liye unn noto ko apne hontho se choomi aur jitni tezzi me woh yaha aayi thi. Utni hi tezzi me waha se nikal bhi gayi.

Main road par aate hue Crimson cigarette ka kash lagaate hue upar unn bade bade hoardings ke bagal se lagi screen ko dekhne me lage hue tha.

Jisme jaani maani Singer Natalia Martin ke interview ki kuch snippets chal rahi thi.

Na jaane usse kya soojha par usne mann me hi,

'Check!'

*Ding*


[No information available.]

Crimson ki aankhein ek baar fir hairat ke maare fel gayi. Uske haantho se cigarette chhutak ke gir gayi.

Uska system TV screen ko toh check karta hi tha. Parantu, tv me dikhaayi dene waali cheez ko bhi check kar ke batla sakta tha.


[This is a surprise. Nahi laga tha ki Natalia Martin ke paas bhi system hoga. That explains her sudden rise in the industry. What now? What will be your action?]

Uske system ne uss se pucha.

Par Crimson ke mann me kisi aur ke hi bol goonj rahe the. Uss anjaan shaks ke-


‘One of my preys is arriving there. Dhyaan rahe! Usse kuch hone na paaye!’

Na jaane ye kaun tha par Crimson ko yakeen tha ki woh ateet me jis insaan se mila tha. Ye wahi vyakti tha.

Usse zindagi me aaj tak kisi se kabhi itna darr mehsoos nahi hua tha. Magar ye insaan usse maut ki anubhooti karwa raha tha.

Uske perro tale chal rahe kuch cheete ek rakha bana ke jaa rahe the. Aag baboola hote hue Crimson ne apna perr patka aur unme se ek cheeta uske perr ke neeche kuchal ke marr gaya.

"Sahi kehte hai. Insaan ki zindagi ek cheeti ke samaan hoti hai."


[What now?]

'One lf his preys is arriving here? Tab toh ek teer se do nishaane ho gaye.'

[We have Natalia too now!]

'Ohhh! Hahaha! My bad! Teen nishaane!'

[Jail me mile uss system waale aadmi ke baare me mat socho abhi. Aur uss caller ke baare me socho. Woh zyada dangerous maalum pad raha hai. He's scheming something.]

'I know! Aur ussi ke liye toh ye sab taiyaar kar raha hu. I must have my own force.'

Woh apne basement me laut ke aaya toh kuch hi derr me Sweetie bhi uske saamne haazir thi.

Crimson : Kaam ho gaya?

Sweetie : Hmm! Card ki copies jald hi mil jayengi. Par ye sab hai kis liye?

Crimson : Tumhara kaam hai mera kaha gaya order follow karna. Nothing else. Samajh rahi ho na?

Sweetie : Y-Yes!

Crimson : Singer Natalia Martin ke upar nazar rakhwao. Dhyaan rahe kahi se bhi usse pata na lag paaye. Aur logo ke beech ye khabar faila do ki Island par dherr saara treasure maujood hai ek mansion me. Saath hi Investigation department me ek spy plant kar do, jo hume pal pal khabar dete rahe.

Sweetie : Treasure? Singer Natalia!? Lekin-!!!? Theek hai!

Sweetie sawaal puchti par woh apni jagah jaanti thi. Bina koi prashn kiye woh raazi ho gayi aur firse baahar nikal gayi.

Aur aise shuru hua, House of the Killers ka karnaama.

Jim the Slippery apne drug dealing aur kaale karmo me jut gaya. Saath hi usne alleys me maujood slot machines ka vyapaar karne waalo ke beech kisi ek dukaan me unn cards ko bhijwana bhi shuru kar diya.

Ye wahi card the, jiska istemaal kar ke Nightwalker ke mansion me ghusa jaata tha. Sweetie uski copies banwa banwa ke Jim tak supply karti. Aur Jim unn cards ko alley me maujood uss dukaan me bhijwata.

Island par Nightwalker ka Mansion aur bhi bhawya bana diya gaya. Usse jo chahiye tha woh usse milne laga tha. Zinda kaatne ke liye insaan. Treasure ki feli khabar sunn, log alleys me jaate, uss card ko khareedte aur baad me island par jaate.

Jaha Nightwalker unke sang raat me maut ka khel khelne ke liye taiyaar rehta. Saath hi wines, drugs import aur export kar deals bhi karta.

Toh wahi Pitcher bhi iss tigdi ka hissa tha. Alag alag hotels me uski maut ki parties organise hoti. Mithridatism ki vidya liye woh ek se ek celebrities ko maut ke ghaat utaarta aur apni fetish ko santusht karta.

Crimson yaha unn fetish waale logo ko dhundhta jo live killing dekhne ke liye dherro paisa lutaate.

Unhe ikhatta kar woh Nightwalker, Pitcher ke through dark web me live killing dikhwata.

Inn chand mahino me usne itna paisa kama liya tha ki ab uski khud ki IT companies ki kuch buildings bhi thi. Itna investment kar chuka tha woh.

Uski force taiyaar hoti jaa rahi thi.

Khaas baat ye thi ki Jim, Nightwalker aur Pitcher, teeno ko hi Crimson ke baare me koi jankaari nahi thi.

Woh jaante the ki koi aadmi tha jo unka dhandha karwaane me madad kar raha tha. Par woh kaun tha? Iss baat se woh anibhigya the.

Kintu, jo sabse zyaada usse tang kare hue tha woh tha wahi-

Woh unknown caller. Aur uski baatein-


‘I can kill you anytime! Don't test my patience.’

Ek baar fir woh awaaz apne mann me sunn uska gussa saatve aasmaan par pohuch gaya.

*Crash*

Agal bagal padi cheezo ko usne gusse me bikher diya.

"Tu mujhe maarega behanchod!!!? Jald hi-!! Jald hi tera chehra mere saamne hoga. Kaun hai tu, tera maqsad kya hai sab pata laga lunga mein."

Woh abhi uss caller ko yaad kar hi raha tha ki itne me ussi caller ka usse phone aa gaya.

Aur crimson ke call uthaate hi waha se fir wahi awaaz aayi,

"Tum nahi maane! Hai na? I gave you a warning though. Ye antim warning de raha hu. Veer-!!! Mera shikaar hai. Waha aane waala hai. Usse kuch bhi hone na paaye. You got that!?"

Bas! Aur call cut ho gaya. Magar Crimson ke chehre par woh kapti muskaan felte hi jaa rahi thi.

"Veeer!!!?? Huh!!! Hahahahahaha!! Toh Veer naam hai uska!!!!"


[Kya plan hai next? You want to kill him!]

'Of course! Hahahaha! Shikaari ke shikaar ko hum churaaenge. Aur baad me uss shikaari ko bhi dhad dabochenge.'

[Be careful!]

'Aane do uss chooze ko.'

Aur issi beech, ek kaand aur hua. Pitcher ne Ava ki dost Charlotte ko maut ke ghaat utaar diya.

Sansani bann ke news fel gayi. Ava ko ye pata lagte hi ek dhakka laga. Bhale hi Charlotte uske itna qareeb nahi thi. Lekin, uss se hi-hello uski bani rehti thi.

Aur ab Crimson taiyaar tha apna dusra daav khelne ke liye.

Ava urf Natalia Martin akeli hotel me ek record company se mil ke parking me khadi apni car me baithne jaa hi rahi thi jab usse peeche se ek awaaz sunaayi di,

"Natalia Martin!!"

Ava ne palat ke dekha toh uske saamne Crimson maujood tha.

Ava : ???

Crimson (smiles) : Kaisa lag raha hai system ka istemal karte hue safalta ki uchhaiyo par pohuchne me?

Ava ek haafi lete hue stabdh hoke 2 qadam peeche ho gayi.

Ava : Who-!? Who are you?

Usne khud bhi uss aadmi ko check kiya magar,

*Ding*


[No information available.]

Ava ki aankhein phati ki phati reh gayi.

Ava : K-Kaun ho tum? Kya baat kar rahe ho meri kuch samajh me nahi aa raha.

Crimson ne jab punaah usse check kiya toh woh dang reh gaya. Kyuki iss baar,

*Ding*


[Name : Natalia Martin
Status : Business woman/ Singer/ Celebrity
Age : 25

Bio : Natalia Martin, ek singer hai. Kaafi saalo se mehnat kar ke woh aaj iss mukaam pe pohuchi hai. Kuch record companies ke sang ties hai. Abhi struggle kaafi hai lekin safalta mehnat se milti jaa rahi hai.

Favourability : 3
Relationship : Strangers.]


Crimson ne jaise hi ye padha woh zorr-zorr se hassne laga.

Crimson : Hahahahahahahaha!!!

Ava : Y-You-!!

Woh hasste hue uske qareeb aaya. Ava sachet hote hue ek qadam peeche hui.

Ava ke kaano ke nazdeek aake woh bola,

Crimson : System sirf tumhaare paas nahi hai Miss Natalia!!!

Ava uss se dur hatt usse bhayanak gusse me ghoori,

Ava : Kaun ho tum? Aur kya chaahte ho? Iska matlab tumhaare paas bhi-!!?

Crimson : Meet me upstairs.

Woh jeb me haath daale palat gaya.

Crimson (smiles) : Don't worry! Iss hotel ki aadhi partnership meri hai. Half owner mein hi hu iska. Meet me at the 4th floor.

Aur woh waha se upar nikal gaya.

Ava bas bhauchakki si wahi khadi rahi.

'Ye sab kya ho raha hai?'


[I don't know miss. There shouldn't have been more than 1 system. Lekin shayad lagta hai ki-!]

Ava ke mann me ek pyaari si female voice usse samjhaate hue boli,

'Forget it! Yaani mein akeli nahi hu jiske paas ye system hai. I must be careful then.'


[Yes.]

Woh upar ko chali gayi. 4th floor par aate hi Crimson uske saamne bade hi araam se jeb me haath daale khada hua tha.

Ek badi si jagah thi aur woh dono hi bas akele the waha.

Ava (frowns) : Say!

Crimson : Mere liye ek chota sa kaam karna hai tumhe.

Ava : What is it?

Crimson : Samay aane par mein bata dunga. Kaho? Do you agree?

Ava : Heh! Why should I? Tum hote kaun ho-!?

Crimson (smiles) : Grace Martin!

Apni maa ka naam sunte hi Ava ki aankhein bhay me fel gayi. Uska haath turant hi peeche apni jeans ki orr gaya aur ek hand gun nikaalte hue usne Crimson par taan di.

Ava : DON'T YOU DARE-!!

Crimson ahista ahista uske nazdeek aaya aur bola,

Crimson : Kya hoga jab Grace Martin... Your only family... Zinda na bach paaye toh?


Hande-Ercel-JPG

Ava : Y-You-!!!

Crimson : Veer!!!

Ava : ??

Crimson : Ye naam hai uss ladke ka jiske saath meri dushmani hai.

Usne jhooth bolte hue jeb se cigarette ke dabbe se ek cigarette nikaali aur kash lagaane laga.

Crimson : Woh Las Vegas jald hi aane waala hai. Mein chaahta hu tum nazar rakho uspe.

Ava : Huh!!?

Crimson (smiles) : Status toh tum apna badal hi sakti ho. Hai na? Jaise abhi thodi derr pehle badla.

Ava : Y-You-!!?

Crimson (smiles) : Tumhara koi nuksaan bhi nahi hai. Right? Why don't you collaborate with me girl? Hum dono ek dusre ke kaam aa sakte hai you know.

Ava : Fuck off!

Woh bhaagte hue uski orr aayi,

*Swoooossshhhhh*

Ek laat Crimson ke sarr ki orr tezz gati se ghoomte hue aayi par woh turant hi jhuk gaya.

*Baaaaaaaaammmmm*

Neeche jhukte hi usne ek punch Ava ke pait ki orr maara jisse Ava ne split second me apne haatho se block kar liya tha. Parantu, uske bawajood uska shareer kayi qadam peeche jaa ke ladkhada ke girte girte bacha.

Crimson (smiles) : Ohh! You wanna fight?

Aur dono hi aapas me bhid gaye. Ava ki haalat buri hoti jaa rahi thi. Par na jaane usse kya hua, woh agle hi shan bhayanak krodh me aa gayi.

*Bam*

*Bam*

*Bam*

Ek ke baad ek hits uske shareer par lagte jaa rahe the.

7 hits.

8 hits.

9 hits.

10 hits.

“What???” Crimson ke badan par daswa lagataar hit jab uske seene par laga toh agle hi pal uske seene ka kuch hissa phat gaya. Akasmaat hi uss hisse se khoon behna shuru ho gaya.

Woh hairat-angez me Ava ko dekha jo daudti hui uski hi orr aa rahi thi.


[Iss ladki ke paas koi card hai. Sambhal ke!]

Ek ladki ne uske badan se khoon nikaal diya? Uska gussa sarr chadh ke bol utha. Bhaagti hui Ava ko usne ek jhatke me uske gale se pakda aur,

*BAMMMMMMMMMM*

Wahi rakhi table par usse patak diya.

“Nnghhhh~”

Crismon : You should know your place! Behtar yahi hoga ki meri baat maan lo. Warna Grace Martin-

Na chaahte hue bhi Ava ko apne haath khade karne hi pade. Usse raazi hona hi pada. Uski maa uski sabse badi kamzori thi.

Woh apne ghar lauti toh uss anjaan vyakti ka usse call aaya. Wahi ajanabi jisne usse Slogan ke paas bhejne ka kaarya saupa tha.

Ava : Hello?

? : Hmm! Toh tum uss se bhi mil li ho! Right?

Ava : T-Tum!! Kaun ho? Kyu mujh pe nazar rakhe hue ho? Kya chaahte ho mujhse?

? : Hey! Hey! Mein toh tumhari bhalaayi ke liye hi keh raha hu. Don’t you want to know? Kya tum jaan’na nahi chaahti? Kaun woh hatyaara hai jisne tumhaare Dad ko maara? Hmm?

Ava ki mutthi zorr se kass gayi. Daant peeste hue woh boli,

Ava : What do you want exactly?

? : Mene tumse do maange rakhi thi. Yaad hai na?

Ava : Y-Yes! Tell me! What do I have to do?

? (smiles) : That’s like a good girl. Collaborate with him.

Ava : Kya?

? : Suna nahi? Tum abhi abhi kisi se mil ke aayi ho na?

Ava : That’s-

? : Collaborate with him. Jo woh keh raha hai woh karo. And then, I’ll tell you who your father’s killer is…

Ava : I-

? : Don’t worry! Mein apne vaade nahi todta. Ye tumhara akhiri kaam hai. Do it!

Ava (growls) : F-Fine!

***

Idhar mauto ka silsila jaari tha, toh wahi Veer Suhana ke sang Las Vegas pohuch chuka tha. Ye wahi waqt tha.

Bhavya hotel me Pitcher ki ek party chal rahi thi. Log masks pehne dance ka lutf le rahe the. Magar, issi party me ek sadasya galti se andar ghus aaya.

Ya kahe ki usse kuch gadbad mehsoos hui aur talaashi karne ke liye woh khud andar aa gaya.

Aur ye shaks tha~ Daniel!!

Jisne Pitcher ko dekha, jisne waha maujood masks pehne logo ko dekha. Aur jisne, usse bhi dekha jo gir ke apne muh se jhaag baha rahi thi. Ek aur anya celebrity. Pitcher ki shikaar. Jo marr chuki thi.

Ghabra ke woh bhaaga, par uski nigaaho ne kisi ek ko aur dekha.

Crimson!!

Jo haivaano waali muskaan liye usse hi ghoor raha tha. Daniel nahi jaanta tha ki uss bechaare ko pehle hi check kar liya gaya tha. Woh Investigation Department ka senior detective hai ye saari info Crimson ko dikh chuki thi.

Woh bhaaga. Apni jaan bachaane ke liye. Yaha pe itna bada kaand chal raha tha. Koi ek nahi, kayi log iss khel me shaamil the. Usse andaaza lag gaya tha. Woh khatre ko bhaanp chuka tha par tabhi,

*Splurt*

“Huh??”

Daniel ke qadam wahi tham gaye. Uski aankhein badi ho chali. Aisa laga maano jaise usne koi bhoot dekh liya ho.

Peeche palat ke dekha toh, usne paaya ki-

Wahi aadmi, yaani Crimson uske peeche khada hua tha. Uske haath me maujood chaaku pehle hi Daniel ki peeth me dhass chuka tha.

Crimson (smiles) : Sweet Dreams!

Daniel : Y-You!!!

Daniel ki saansein ukhadne lagi aur Crimson ne chaaku uski peeth se kheench ke nikaal di.

Zameen par girte hue Daniel apna phone nikaal call karne laga par,

*BAAAAMMMMMM*

Crimson ki laat padte hi phone ke chithde udd gaye. Aur woh usse ussi haalat me chhor waapas chala gaya.

Marrne se pehle Daniel ne ek kaam kiya. Aur woh tha wahi dying message chhorna.

Heinous thoughts destroys the mind. O
ften the glee tuns into, Unhappiness.

Sorrow remains but shall be forgotten. Emergence of a new beginning prevails.

Opulent, rich thoughts fills the mind once more. Fend off the fiend this time.

Kindle the fire in yourself. Intensify it. Lure the evil out of it. Lecherous demons shall be punished.

Escape if you realize you cannot handle it. Remember, there ain't a single one, if you do get caught,

Soul shall burn.


Aur yahi woh message tha jisse Divya ne decode kiya tha. Jiska arth tha - House of Killers.

Yahi woh samay tha jab, Investigation Department apne action me aayi. Veer aur Suhana Department me hai, iski khabar turant hi Sweetie ko lag gayi.

Department me spy jo baitha hua tha ek. Crimson ne hi toh bithaya tha Sweetie se keh ke. Woh harr pal ki khabar bhejta jaa raha tha.

Yeh khabar Sweetie ne Crimson tak pohuchaayi.

Toh wahi Crimson ne Ava tak. Ava jaan chuki thi ki Suhana ke sang Veer naam ka shaks Las Vegas pohuch chuka tha. Uska kaam tha iss shaks par nazar rakhna.

Yahi woh samay tha jab Jim the Slippery ko bhi Veer ne Las Vegas ki alleys me drug dealing karte waqt dhad dabocha tha. Jab usne Divya ko pehli baar apni fighting skills ka namoona dikhaya tha.

Yahi woh samay tha jab Veer aur Mike uss card tak pohuche aur usse khareed ke woh Island ki khoj kar paaye.

Yahi woh samay tha jab Veer ne Nightwalker jaise bade serial killer ko pakad ke department ke saamne pesh kiya tha.

Ek ke baad ek Veer Crimson ki banaayi force ki dhajjiya udaata jaa raha tha.

Kintu, fir bhi Crimson patience rakhe hue tha.

Jiske peeche ek hi kaaran tha,


[Agar usse maarna hi hai. Toh maar kyu nahi dete tum? Woh tumse kamzor hai.]

‘Abhi nahi System! Abhi nahi! Abhi maar dunga toh mujhe profit kaise hoyega? Mission ki possibility kitni hai?’

*Ding*


[Mission possibility : 60%]

Ye Crimson ki skill thi. Veer ko maarna tab hi qifaayat mand saabit ho sakta tha jab woh Mission milne ke baad usse maare. Lekin, abhi mission milne ki sambhaavna sirf 60% hi thi.

‘100% karne ke liye mujhe aur kya karna hoga?’


[Tum aur woh Veer jitna hi ek dusre ke raaste me aaoge, jitna ek dusre ke kaamo me hastakshep karoge, utna hi system usse ek obstacle maanta jayega. Aur jald hi ye possibility 100% tak pohuch jayegi. Fir mission mil hi jayega. Usse maarne ka.]

‘Hmm! Ek gadbad ho gayi hai. Mujhe nahi pata tha Veer Investigation Department ke liye yaha aayega. Dikkat ho gayi hai. Crimson Festival ki taiyaari shuru karni hogi. Uske pehle usse ek trailer dena zaroori hai.’

Bas dikkat ek thi. Bechaara Pitcher nahi jaanta tha ki Ava Crimson ke saath mil ke kaam kar rahi thi. Aur Ava ye nahi jaanti thi ki Crimson hi House of the Killers ka rachaita tha.

Pitcher ne Ava ko maut ka invitation bhej diya tha jo woh aksar harr celebrity ko bhejta tha. Invitation toh party ka hota tha parantu, party jaisa waha kuch nahi hota tha.

Aur yahi woh samay tha jab Ava ne Divya ko apne concert ke invitation ka card bheja.

IMG-20220814-153747

Iss se uske do kaam hone waale the. Card bhejne waale ka raaz Divya aur department ke zariye saamne aa jaata aur Veer ke aane se woh uss par ab nazar rakh sakti thi.

Yahi woh samay tha jab Divya, Veer aur Suhana pehli baar Ava ke concert me gaye the aur Veer pehli baar uss se mila tha.


Hande-Er-el

Na sirf usne Pitcher ko pakadwaya tha balki Ava ke liye bhi raaste se ek samsasya ko dur kar diya tha.

Crimson ki poori tigdi ko Veer ne barbaad kar ke rakh diya tha. Suhana ke sang woh hotel aaya hua tha. Balcony me woh khada hua tha jab usse koi dikha.

Yahi woh waqt tha jab Veer ne pehli baar Crimson ko dekha.



Yahi woh waqt tha jab Suhana aur uske peeche gang pad gayi thi. Crimson jo trailer dene ki baat kar raha tha woh yahi tha. Suhana ka Veer ko bachaane ke liye goli lagna aur Crimson ka Veer ko yu wahi chhor bas system ke baare me raaz bataate hue chale jaana.

Kyuki abhi bhi, possibility sirf 70% hi hui thi. Dono ko ek dusre ke raaste me aur aane ki zaroorat thi.

***

Par kya ye sab yahi samaapt ho gaya? Hargiz nahi! Investigation department poore zorr-shor se tehqiqaat karne me jut chuka tha.

Aur derr nahi lagni thi unhe Crimson ko dhundhne ke liye.


[Ab kya? Department jald hi tumhe trace kar lega.]

Crimson Paris me apni hotel ke kamre me baitha hua ek soch me dooba hua tha. Aage kuaa tha toh peeche khaayi. El taraf woh unknown caller toh doosri taraf uske peeche lagi Investigation Department kib team.

‘Mein chaahu toh abhi unn namoono ko maar du. Lekin aise me mera samay bhi barbaad hoga. Mein expose bhi zyada ho jaunga. Aur ye log maan’ne waale nahi hai. Akhir kitno ko maarunga mein? Gatar me macchar ki tarah ye firse naye naye jhund me aate hi jayenge.’


[Toh-]

Woh muskuraaya.

‘Samay aa gaya hai ki mein apna teesra aur akhiri daav khelu.’

Aur usne apna phone uthaate hue ek call laga diya.

*Ring* *Ring*

DGSI ke Head ke cabin me telephone par call aaya. Xavier jo apni seat par baithe kuch reports ko padhne me laga hua tha usne call uthaaya.

Xavier : Hello?

Crimson : Paris me ek bohut bada hamla hone waala hai.

Sunte hi Xavier apni seat se uth khada hua.

Xavier : K-Kaun? Kaun ho tum? Kya bol rahe ho?

Crimson (smiles) : Kaun hu, kaha se hu, ye sab sawaal puch kar samay zaaya kyu kar rahe ho. Zaroori soochna de raha hu. Paris me jald hi bohut bada terror attack hone waala hai.

Xavier : Y-Ye kya bakwaas kar rahe ho? Kaun ho tum? Tumhe andaaza bhi hai kis se baat ho rahi hai tumhari?

Crimson : DGSI ke Head, Mister Xavier se. Right?

Xavier : T-Tum-??

Crimson (smiles) : Woh firse dohraane waala hai. Woh firse ghatit hone waala hai.

Xavier : K-Kya ghatit hone waala hai? Kya kehna chaah rahe ho tum?

Xavier ne hadbadaate hue apni team me se phone call ko record karne ke liye ishaara kiya.

Crimson (smiles) : Call record kar rahe ho? Baad me trace bhi karoge. Hai na?

Xavier : Seedhe seedhe jawaab dete ho ya-?

Crimson : Shhh! Apni aukaat me raho Xavier!!

Xavier (gusse me) : Youuuuu-!!!!

Crimson : Aur chup-chaap meri baat suno. House of the Killers Paris me ghatit hone jaa raha hai.

Xavier : H-House? K-Kya? Ye kya bol rahe ho?

Crimson : House of the Killers ka leader jald hi Paris me aayega aur saare sheher me hahakaar fela ke rakh dega. Kayi mauto ko anjaam dega woh.

Xavier : Kaun? Kiski baat kar rahe ho tum? Hello?

Crimson : Agar meri baat ka yakeen na ho. Toh Las Vegas ke investigation department se House of the Killers ki report maang lena. Woh bhugte hue baithe hai. Umeed hai ek sheher dusre sheher ki madad kar hi dega. Aur mujhe apna shubh-chintak hi samajhna. Agla call mein kuch din baad lagaunga. Hope tab tak reports aa chuki hongi.

Xavier : H-Hello? Hello!!!!

Par call tab tak cut ho chuka tha.

Xavier ke poore chehre par paseene ki boondi saji hui thi.

"Jald se jald Las Vegas ke Investigation Department ke Head se mujhe contact karwao. Jaldi-!!!!!"

Woh zorr se garja toh kaam karne waale log fauran hi uss kaam me lag gaye.

Kuch hi derr me Xavier aur Nolan ek dusre ke contact me the.

Request rakhte hue DGSI ne reports ki maang rakhi toh badle me Investigation Department ne kuch hi dino me waha se HOK ki report bhej di.

Report padhte hi poora DGSI staff hakka-bakka reh chuka tha.

Itna bada game?

Itna bada maut ka khel khela gaya tha Las Vegas me?

Report me kahi par bhi Veer ka naam nahi tha. Uski privacy aur apni izzat bachaane ke liye Investigation Department ne Veer ka naam report me nahi daala tha. Kyuki woh department ka hissa nahi tha.

Xavier (screams) : Abhi ke abhi!!! Agent Chris aur Agent Terashima ko bulao. Abhi-!!!!

Meeting shuru hui aur woh sabhi ek table ke ird-gird baithe hue the.

Chris : Kya khabar pukhta hai Sir?

Xavier : Nahi! Lekin, hume alert rehna hoga. Hum isse nazar-andaaz nahi kar sakte hai.

Terashima : Right! Report ke hisaab se teen procedure me ye kiya jaata hai.

Xavier : Hmm!

Terashima : Yaani pehle woh card liya jaata hai. Fir logo ko island bulaaya jaata hai ya leke jaaya jaata hai. Right?

Xavier (nods) : Hmm!

Terashima : Aur ye celebrities ke saath kiya jaata hai. Aur fir waha pe maut!!

Chris : Hmm!

Xavier : Aur isliye tum dono undercover rahoge. Andre tumhare saath rahega. Recording ka kaam usse saupa hai mene.

Chris : Okay!

Woh sabhi baithe hi the, jab punaah Xavier ka telephone baj utha. Call ussi ka tha-

Crimson (smiles) : Kya ab meri baat pe yakeen ho gaya?

Xavier : T-Tum firse-!?

Crimson : Savdhaan kar raha hu. Mujhe toh tumhe thank you kehna chahiye. Alert raho. Nigrani rakho. Jald hi woh apne mission ko anjaam dega.

Xavier : Tum-!!!

Par firse, call cut ho gaya.

Terashima : Hume planning karni chahiye.

Idhar DGSI ki planning shuru hui aur udhar Crimson ne Ava ko Las Vegas se Paris bulwa liya.

Ava (growls) : Ab kya maqsad hai tumhara!!!?

Crimson : Veer ko message karo aur uss se kaho ki tum musibat me ho. Don't mention anything. Kaho ki help chahiye ASAP.

Majboori ke chalte usse woh karna pada. Yahi woh message tha jo Veer ko Ava dwaara aaya tha.

Jiske chalte Veer Ava ke liye Paris tak aaya.

Crimson : Apna maqsad mein tumhe bata hi chuka hu.

Ava : B-But he's innocent-

Crimson (frowns) : Tumhe kab se uss se itna lagaav ho gaya? Just do your work. Raat me tumhe usse alley me le jaana hai. Waha slot machines hongi.

Ava : Kyuuu??!

Crimson (smiles) : DGSI Veer par nigraani rakhegi. Aur tabhi mein apni gang aur nakli police force ko bhejunga. Woh waha hamla kar DGSI ko galat sanket de dengi. Jis se unhe ye lagega ki Veer pe hamla karna allowed hai. Zaahir hai tab woh bhaag ke niklega. Aur tumhe-!!! Usse meri owned uss building me laana hai.

Ava krodh me usse ghoorti rahi. Par chaah ke bhi kuch na kar saki. Kyuki Sweetie ne Crimson ko Grace Martin ke hospital ka pata de hi diya tha. Aur Crimson Grace ko dhundh chuka tha.

Alag alag buildings pe snipers bithwa ke Grace ko target kar ke rakha hua tha.

Ava apne bandhe haatho se sab kuch karne par majboor hoti gayi. Yaha tak ki uss unknown caller ne bhi usse Crimson ke saath kaam karne ke liye kaha hua tha. Kaise bhaagti inn sab se bach ke?


[Plan is good.]

Crimson ke mann me awaaz aayi.

Ye big game racha tha usne. Investigation Department jab uske peeche pada hi hua tha toh kyu na unhe unke target tak pohucha diya jaaye?

Issi tarah usne Veer ko fassa diya tha. Veer ka naam House of the Killers ka rachayita ghoshit hone waala tha.

Aur wahi hua bhi,

Ava usse nirdesh anusaar unn alleys me leke gayi.

Veer ke na dekhte hue woh khud ko nervous dikhaati jo Andre sab kuch record kar raha tha.

Terashima : Dekho! Natalia kaise darr rahi hai.

Andre : Right! Zaroor dhamka ke rakha gaya hai. This motherfucker-!!!

Utne me hi Crimson ki fake police waha ghusi aur idhar Terashima aur Chris ko galat jankaari haath me lag gayi.

Andre : Wh-What?? Cops usse shoot kar rahe hai? Matlab hum usse maar sakte hai?

Chris : Let's go!!!

Yahi woh waqt tha jab Ava waha se bhaagte hue Crimson ki owned IT building me gayi. Uske peeche jo gang members lage the unhe pata tha kya karna hai.

Ava chup chaap khadi rahi aur gang waalo ne usse baandh diya.

Fir woh rocket launcher ka blast. Veer ka bike utha ke bhaagna. Yahi sab toh ghatit hua tha.

Bilkul wesa hi ho raha tha jesa Crimson ne DGSI ko bataya tha. Jesa department se bheji gayi reports me likha hua tha.

Veer ne alleys me se woh pass khareeda hi tha. Las vegas me bhi card khareeda gaya tha. Chris aur Terashima ko unka pehla saboot mil chuka tha.

Dhamaake ke baad Veer ka island ki orr bhaagna aur celebrity Natalia ki kidnapping.

Aur ye tha dusra saboot jo unhe mil chuka tha.

Sab juch dohraya hi toh jaa raha tha. Matlab House of the Killers sach me racha jaa raha tha firse.

Koi sandeh nahi tha isme ki Veer hi ab-

House of the Killers ka rachayita tha.

Crimson apni tarqeeb me qamyaab ho chuka tha.

Bas ek cheez chorr ke.

*Bang*

Kisi ne uss par goli chala di thi peeche se.

Majbooran Veer ko chhor usse waha se bhaagna pada.

*Bang*

Ek aur bullet aayi aur uske seene par thodi si chot karte hue ghis ke nikal gayi.

Crimson uss source ka peeche karta gaya. Par tab tak goli chalaane waala vyakti bhaag chuka tha.

"Damn it!!! Madarchod hai kaun???"

Apne basement me pohuchte hi Sweetie uska waha intezaar kar rahi thi.

Sweetie : You are hurt.


422281205609931-GIF

Par usne koi jawaab na diya. Koi tha jo usse maarne ki koshish kar raha tha. Par kaun?

[Kahi ye wahi caller toh nahi?]

'Ho sakta hai! Lekin filhaal Veer ko Island leke jaana hai. Tabhi toh uspe aarop lagwa paunga mein. Uss par aarop lagte hi DGSI aur Investigation Department mera peecha chorr denge. Aur aarop lagne ke baad hi mission ki possibility jald hi 100% pohuch jayegi. Aur tab-!!! Mein usse maar paunga!!!'

Aur wesa hi hua. Veer harr taraf se fass chuka tha. Itni badi scheme uske peeth peeche uske liye rachi gayi thi uss bechaare ko andaaza bhi nahi tha.

Par Veer ne aenn mauke par baazi palat di.

Crimson ki Mission possibility 99% tak pohuchte hi,

Veer ne khud ko qurbaan kar diya.

Crimson ka saara khel dhara ka dhara reh gaya. HOK toh gaya hi saath hi Veer ko maarne ka jo mission milne waala tha, woh bhi ab gaya. Kyuki Veer jaa chuka tha.

Sthiti aisi thi jaise khade lund pe kisi ne laat maar di ho.

Aur isliye woh-

"Kaha gaya woh?? Where is he-!!!??"

Ava ka gala pakde uss par gussa nikaal raha tha. Itni badi machli uske haath se yu hi nikal gayi thi. Aur ye Ava dekhti rahi.

Parantu,

*BAAAAAMMMMMM*

Ek laat padte hi woh dur jaa gira.

Woh jaanta tha ye ladki Ava koi strong card rakhe hue thi. Wese hi uski condition sahi nahi thi.


[Don't fight her! You don't have an arm. Bullet tumne nikaal li hai lekin wound heal nahi hua hai. You need rest.]

Majbooran Crimson ko Grace Martin ko taak rahe snipers hataane hi pade.

Accha hua jo woh nahi bhida uss samay Ava se-

Kyuki woh nahi jaanta tha ki Ava kya rakhi hui thi.

Uske paas jo card tha woh tha-

*Ding*


Vinona-s-mark
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
It's big brain time. Ye update dimaag ki taare khol dega. Haha! Update consists of 7k words approximately. Dekhte hai kitne dots ko connect kar paate hai. Agla update hume Veer ki jankaari dega. Target abhi bhi wahi hai. 140. Toh like thokne ka aur revos rakhne ka.
Dhanyavaad! ✨
Wowww........... Kya bawal update tha maja hi aa gaya. Ye is foram ki fihal ki next story hai is baat me koi shak nhi hai. Batao sari chije kaha se le kar kaha Tak connect hua. To fihal yaha par total ab tak 5 log system Wale samne aaye hai.
1. Veer
2. Crimson
3. Ava
4. Unknown caller
5. Wo jail se bhagne wala.

Jinme fihal sbse weak veer hai. Uske baad Ava lakin sayad ab wo crimson se jyada strong ho cuki hai. Wo bas us unknown caller ki wajah se aur points earn krne ke liye veer ko marne me uska sath de rahi thi. Bas anter ye hi ki crimson use marne ke liye mission ka wait kar Raha tha. Jabki Ava ko wo mission phle hi mil gaya aur usne use maar kar apna kaam kar diya.
Lakin kya in system walo ko marne se kya points chappar fad kar milte hai ? Aisa hi hoga warna normal aur un logo me anter hi kya reh jayega.
Aur ye unknown caller hi Chinatown wala system ka owner hoga. Lakin o veer se kab Mila ? Aur wo uske piche kab se pada hi jo uske liye wo itna lamba plan banaye hue hai.
Jarur aage jb Chinatown arc start hoga to aap waps se hum sub ko past me le kar ki ghtnaye yaad dilaoge aur use story se link kar doge.
Mujhe ju ki yhi baat to sbse awam lagti hai. Aua ju is kaam me bahut mahir bhi ho.
Khair dekhte hai ab aage kya hot hi ?
 

Itachi_Uchiha

अंतःअस्ति प्रारंभः
Staff member
Sectional Moderator
7,839
27,260
204
Update - 144 ~ The News

Ab tak...

[Don't fight her! You don't have an arm. Bullet tumne nikaal li hai lekin wound heal nahi hua hai. You need rest.]

Majbooran Crimson ko Grace Martin ko taak rahe snipers hataane hi pade.

Accha hua jo woh nahi bhida uss samay Ava se-

Kyuki woh nahi jaanta tha ki Ava ki kya rakhi hui thi.

Uske paas jo card tha woh tha-

*Ding*

Vinona-s-mark


Ab aage...

Sonia’s House, Mumbai
Night ~ 10 : 12 PM


Apne bhavya aalishan bangle ke bade se kamre me Sonia apni night dress me bed par laiti ek magazine padh rahi thi.


img-victoria-justice-110401728440

Side table par hi ek kaanch ka glass tha jisme thodi si red wine maujood thi.

*Knock* *Knock*

Uske darwaze par tabhi khat-khatahat hui.

“Come in!” Aur Sonia ne andar se hi nirdesh diya.

Darwaza khulte hi ek ladki kamre ke andar pravesh ki.

Sonia : Suchi! Aao! I was waiting for you! Sorry to call you at this hour.

Suchi : No! It’s fine Miss!

Ladki ka naam Suchi tha. Woh ek navy blue color ka business outfit pehni hui thi. Haami bharte hue woh fir aage aayi.

Kamre me bas halki-halki roshni ho rakhi thi. Night lamps aur fragrant candles se hi room raushan tha.

Sonia : Any news?

Suchi (nods) : Yes Miss! Miss Suhana, Miss Kaera, Miss Ava, sabhi ke baare me news hai. Which one would you like to hear first?

Sonia : Let’s start with ‘dii’ first.

Suchi (nods) : Yes! Woh Las Vegas se Paris gayi hui hai.

Sonia (frowns) : Dii Paris gayi hai? Woh bhi iss haalat me? Mene unhe kaha tha ki jald se jald ghar lautna. Ab samajh aaya kyu woh mujhe promise nahi de rahi thi. Paris achanak kyu jaana hua?

Suchi : I’m sorry Miss! Abhi ye nahi pata chala hai ki woh Paris kyu gayi hai. Bohut jaldi me gayi hai. Kuch baat hai shayad. Lekin, hum jald hi pata laga lenge ki woh kyu waha gayi hai. Aur mere hisaab se mujhe anumaan hai iska. Mein aage apni baat me rakhti hu.

Sonia (frowns) : I see! Kya unke saath Prakash Uncle bhi hai?

Suchi (nods) : Yes Miss! Aur ek lady bhi hai. Filhaal, uss lady ke baare me koi info nahi hai. Magar, pata lag jayega jald hi.

Sonia : Hmm! Agar Prakash Uncle unke saath hai toh mujhe chinta karne ki zaroorat nahi. She’ll be fine! What about Kaera?

Suchi : Nexacom Industries Limited abhi kuch pareshaniyo se joojh rahi hai.

Sonia : Hmm?

Nexacom Industries Limited. Ye woh company thi jiska poore India me dabdaba toh tha hi saath hi videsho me bhi apni chhaap chhori hui thi. Dusre shabdo me, Kishore yaani ki Kaera ke pita ki company.



Screenshot-2023-04-03-123843

India ki sabse jaani-maani ek multinational conglomerate. Business itna vividh tha ki anya kayi business sectors isme shaamil the.

Energy, Telecommunications, Mass-media, Infrastructure, Textiles, Information Technology services, Goods supplies se leke na jaane kaha kaha haath daale hui thi Nexacom.

Sponsorships aur partnerships me hi itna aage rehti thi Nexacom ki aaye din akhbaaro me charcha ka vishay bani rehti thi.

Aur iss safalta ke peeche ka raaz kya tha?

Kaera!



feb-2015

Jisne apni buddhimatta aur soojh-boojh se company ki kaaya palat di thi. Kishore ne apne pita ki madad se ye empire khada zaroor kiya tha magar Kaera thi jo company ke profit percentage ko alag starr pe leke jaati thi.

Kintu, abhi yahi company kuch samasyao se joojh rahi thi. Kishore apni company ka Chairman aur Managing director toh tha hi magar uski anupasthiti me Kaera bhi ek Chairman aur MD ka role hi adaa karti thi. Company ki dusri owner wahi thi.

Toh kya haal hoga aisi company ka agar Kaera, company ke mehatvpoorn nirnay lene waali leader apne kaam se chutti lele?

Sonia : Nexacom problem me hai? Aisa kya hua?

Suchi : Miss Kaera kaafi dino se kahi gayab hai. Na hi unki koi news aa rahi hai aur na hi kahi par woh spot hui hai. Recent ki sabhi important deals aur meetings me Nexacom ki taraf se koi aur hi aaya hai attend karne.

Sonia (frowns) : Ye nahi ho sakta. Kaera business ko leke ekdum serious rehti hai. Woh kabhi aisa kar hi nahi sakti. Unless…

Suchi : ??

Sonia : Something must have happened. Kaha par hai woh?

Suchi : Mere hisaab se woh apne ghar par hi hai. Ya ho sakta hai woh kahi gayi ho. Woh kahi bhi spot nahi hui hai toh pehle case ki probability zyada hai.

Sonia : I see!

Kaera ki hi tarah Sonia bhi apni company me wahi role adaa karti thi. India ki jaani-maani automobiles companies me se ek Elite motors uske pita Shailendra ki bohut badi companies me se ek thi.



Screenshot-2023-04-03-120345

Sonia ke sang Suhana bhi kabhi kabhi uski madad karwaya karti thi. Parantu, Suhana kisi ek company par kendrit nahi rehti thi. Woh Elite motors me bhi yogdaan deti, toh kabhi apni khud ki companies aur partnerships par dhyaan deti.

Aur itna hi nahi, uske pati Gaurav ki IT based company ke chakkar bhi woh laga leti thi kabhi kabhi. Kul mila ke usse kayi jagah se profits hote the. Aneko businesses me woh bhaag li hui thi. Jiske chalte uska bade-bade prasiddh logo se connection bhi utna hi mazboot tha.

Elite motors sampoorn automobiles services se leke luxury cars services, unki manufacturing, accesories aur apne khud ke product bhi designs karti thi.

Isme koi sandeh ki baat hi nahi thi ki Kaera ke baad agar India me influential logo ki soochi taiyaar hoti toh usme Sonia ka naam zaroor shaamil hota. Aur jis hisaab se woh tarakki ki orr company ko badha rahi thi shayad Kaera ke theek neeche hi uska naam hota.

Sonia ne Suchi ki batayi gayi jankari ko dimaag me rakha aur aage puchi,

Sonia : And what about Ava?

Suchi : Ye news ho sakta hai aapko shocking lage Miss.

Sonia : Shocking? Kyu?

Suchi : Miss Ava bhi Paris gayi hui thi recently apne new song ke video shoot ke liye.

Sonia : Isme shocking kya Suchi?

Suchi : She…! She was kidnapped.

Khabar sunte hi bistar par laiti Sonia achanak hi uth ke baith gayi.

Sonia (gasps) : What???

Suchi (nods) : Jii!

Suchi aage badhte hue aayi aur usne apne haatho me pakda hua tablet Sonia ko thamaya.

Suchi : She was kidnapped. Par ab woh safe hai. Pehle criminal ki picture France ke news channel par broadcast hui thi. Lekin pata nahi kyu abhi kuch hi ghante pehle unhone saari criminal ki pictures ko news channel aur YouTube channels se bhi hata diya hai. Pata nahi kyu?

Sonia : That’s-!!! Ava theek toh hai na? Kaha hai woh?

Suchi : Woh safe hai Miss! DGSI France ki agency hai internal security ke liye. Unhone Miss Ava ko safely rescue kar liya hai.

Sonia (sighs) : Thank god!

Suchi : Aur jaisa ki mene pehle kaha tha ki mera ek anumaan hai kyu Miss Suhana Paris gayi hai. Woh yahi hai ki shayad Miss Suhana Miss Ava ke baare me hi jankari lene gayi hai.

Sonia : Ah! Right! Aisa ho sakta hai. But still-

Suchi : Rahi baat ki kyu France ne Criminal ki pictures ko hataya? Toh uske baare me bhi mein jald hi pata lagwa lungi Miss.

Sonia : Hmm! Mujhe dii se baat karni hogi.

Suchi : And that is all, Miss.

Sonia (nods) : Mmm! Thank you Suchi!

Suchi : It’s my job Miss!

Sonia : Aur chinta mat karo. Tumhari baat mujhe yaad hai. Tumhare baare me kisi ko kuch pata nahi chalega jab tak tum nahi chahogi.

Suchi : Thank you Miss!

Sonia (smiles) : I know how to treat my employees. You can leave now.

Suchi (nods) : Mmm!

Aur Suchi jis tarah shaanti se kamre me aayi thi, ussi tarah baahar ko nikal gayi.

Suchi! Na sirf ek honhaar ladki thi balki apne kaarya ke prati nishtha-vaan bhi thi aur samarpit bhi.

Sonia bhale hi Kaera se hamesha peeche rahi ho. Kintu, woh bodi nahi thi. Bewakoof nahi thi. Jaanti thi ki uski badi behan Suhana Prakash Uncle ke saath milke kayi baatein uss se chhipaaye hue hai.

Aur isliye, usne Suchi ko hire kiya hua tha. Secretary ka kaam toh Prakash Uncle hi karte the.

Parantu, logo aur unke vyavsaay ke baare me khufiya jankari ikhatta karna, iss kaam ke liye Sonia ne Suchi ko zimmedari di hui thi.

Aur woh apna kaam bohut acche dhang se kar rahi thi.

Suchi ko yu hi nahi apna personal information seeker banaya hua tha Sonia ne. Suchi ki ek khaas baat thi.

Aur woh ye thi ki woh-

Ruchika ki badi behan thi.

Wahi Ruchika, jo Kaera ki personal secretary hai.

Jaan-boojh ke Sonia ne Suchi ka chayan kiya. Par ye bhi ek kismat ka khel tha.

Kyuki, Suchi kayi saal pehle hi apne ghar se bhaag chuki thi. Uski apni ek kahani thi. Uski apni ek zubaani thi.

Kuch kaaran the jinke chalte woh limelight me nahi aana chaah rahi thi abhi. Aur yahi vachan Sonia ne usse diya hua tha.

Jab tak Suchi khud nahi chaahegi tab tak uski jankaari uske parivaar waalo aur samaaj ko nahi di jayegi.

Idhar Suchi ke jaate hi Sonia apni kisi soch me ghum ho gayi.

'Tumse bhi kitne samay se mulaqat nahi hui….! Veer!'

***


Paris,
Night ~ 9 : 18 PM


Suchi ne jo khabar Sonia ko di thi woh ekdum pukhta thi. Jhoothi nahi.

Usne theek bataya tha ki criminal ki photos news channel me pehle broadcast ki gayi thi. Parantu, ab?

Ab unhe hata diya gaya tha. Matlab Veer ki photos ko ab news me nahi dikhaya jaa raha tha.

Bas khabaro ka silsila hi jaari tha.

Kyu?

Kyuki, Las Vegas ke Investigation Department ne apni report darj kar di thi.

Dhanyavaad ho Divya, Mike aur Nolan ka jinhone ye maang rakhi.

Investigation Department ki report me saaf-saaf batla diya gaya tha ki Veer koi criminal nahi balki House of the Killers ko pakdaane waale sehkaariyo me se ek hai.

Uski aham bhumika ke chalte hi Vegas me HOK ko thikaane lagaya gaya tha.

Ye report milte hi DGSI ko ek bohut bada jhatka laga tha.

Las Vegas ne HOK ki report pehle bhej ke France ke upar ek ehsaan kiya tha. Badle me ye swabhaavik tha ki France bhi zaroorat ke samay Las Vegas ke kaam aaye.

France kabhi nahi chaahega ki Vegas se uski koi berr rahe.

Aur isliye, Investigation department ne apni maang rakhi. Ya yu kahe ki Divya, Nolan aur Mike ne apni maang rakhi ki Veer ki photos saari news media se hata di jaaye.

Jab tak Veer ke khilaaf 100% saboot na ho tab tak usse mujrim kaise thehraya jaa sakta hai? Kaise uske upar itne bade aarop lagaye jaa sakte hai?

DGSI ne baat ko samajh fauran hi saari tasveero ko hata diya. Veer ke upar laga ek laanchan abhi kam se kam dhundhla ho gaya tha. Mita nahi tha. Par abhi ke liye dhundhla hi sahi.

Magar, ye jhatka toh kuch bhi nahi tha. Asli jhatka toh unhe tab laga jab Terashima hosh me aayi.

DGSI ke Head, Xavier hospital ke ek normal ward me Terashima ke saamne khade hue the.

Xavier : Kya kaha tumne?

Terashima : H-He…! He saved me!

Terashima ki kahi gayi baat jaise kisi bomb ki tarah aake unke upar fati.

Unki dimaag ki taare hi short-circuit ho chuki thi.

Bhala mujrim kyu apne peeche lage vyaktiyo ki jaan bachayega?

Parantu, Terashima ki zubaani toh kuch aur hi bayaa kar rahi thi. Usse hosh me aaye abhi kuch ghante hi beete the aur uss se sawaal jawaab karne ke liye Xavier aur anya uske saamne the.

Chris aur Eric bhi ek-ek ward me bharti the.

Xavier : Uss ladke ne tumhari jaan bachaayi? Tum jaanti ho na ye kitna bada case hai? Mazaak ka waqt nahi hai ye. Nurse? Kahi sarr pe zyada chot aa gayi hai kya iske?

Nurse : Huh?

Terashima : I'm telling the truth!!!!

Jab usne thodi tezz awaaz me bola toh ward me ek khamoshi chhaa gayi. Sabhi ka dhyaan punah Terashima par chala gaya.

Uski palke jhuki hui thi, jaise maano woh uss pal ko yaad kar rahi ho.

*Bang*

Woh goli ki goonj uske kaano me fel gayi, jo usne apne haatho se chalaayi thi uss shaks pe.

Veer pe…!

Sab kuch tasveer bann-bann ke uske dimaag me aata jaa raha tha.

Terashima (nods) : I remember everything. Mujhe sab yaad hai.

Agle hi pal na jaane kyu par uski aankhein bheeg gayi.

Andre : T-Terashima?

Andre hairaan reh gaya. Terashima kabhi roti nahi thi. Agent bann'ne ke baad woh itna serious rehti thi ki uske emotions bohut hi kam jhalakte the. Par aaj-

Terashima : Mujhe yaad hai. Mein usse warning de rahi thi. Surrender karne ke liye. Uske baad tumse baat hui thi Andre. Tumne kaha tha ki shoot kar sakte hai.

Andre : H-Haan! Mujhe toh Sir se hi message aaya tha.

Terashima : Aur mein uspe aim hi ki hui thi. Lekin, mein jaha khadi thi. Waha woh stone walls me lage patthar…! Woh toot ke mere upar gir pade.

Andre : !!!?

Terashima : Aur tabhi woh ladka..! Mere upar kooda. Mujhe laga woh mujh par hamla karne aa raha hai isliye mene…! Usse shoot kar diya.

Xavier : Toh ye baat hai.

Terashima : Hmm! Lekin, woh mujhe bachaane ke liye aage badha tha. Aur uske baad, saare patthar uss bechaare ke upar girte chale gaye. Usne mujhe bachaya. A-Aur mene usse-

Andre : Asli khel toh usne hamare saath khela tha. Abhi tak uski body nahi mili hai. Case toh ulajhta hi jaa raha hai.

Terashima (uthate hue) : Uski body nahi mili? P-Par wo toh pattharo ke neeche tha na? K-Kya hua usse?

Andre : Wo waha se nikal aaya tha. Sir! Ab kya? Ye maamla toh aur pecheeda ho gaya hai.

Xavier : Mujhe ab bhi yakeen nahi ho raha.

Terashima (niraasha se) : Agar wo mujrim hai, to usne mujhe kyu bachaya Sir? Ye jaante hue ki mein ek agent hu aur usse pakadne ke liye aayi hu.

Andre : Terashima ki baat me dam hai Sir. Upar se Vegas ke department se jo report aayi hai usme woh ladka ek normal citizen hai jisne HOK ko pakdawaya hai.

Terashima : That's-!!! Woh mujhse keh bhi raha tha ki hume koi galat-fehmi hui hai.

Andre : Mujhe kehna toh nahi chahiye Sir. Par sh-shayad-!!! Humse bohut badi galti ho gayi hai iss baar.

Terashima : Agar woh ladka innocent nikla toh hum kabhi bhi iss paap se khud ko mukt nahi kar payenge Sir.

Xavier ke chehre par agle hi pal paseena jhalakne laga.

Xavier : Accha hua jo samay pe woh photos hatwa di mene.

Andre : Sir, woh bench par jab baitha tha tab Crimson kar ke kuch keh raha tha. Ye shabd yaad hai mujhe.

Xavier : Crimson?

Terashima : K-Kahi woh caller hi toh nahi? Jisne hume info di? Kahi aisa toh nahi ki hum uski chaal me fass gaye? Kahi wahi toh ye aadmi nahi? Crimson shabd uss se hi related toh nahi?

Terashima ki baatein sunn dono hi shaant reh gaye. Agar aisa hota hai toh kya muh dikhayenge woh Vegas ke Investigation Department ko?

Aur agar uss ladke ke desh ki sarkaar ko ye baat pata lag gayi. Toh kya jawaab denge unhe?

Xavier : Andre!! Terashima ko araam karne do! Mere saath baahar aao.

Andre : Yes Sir!!!

Terashima ko yu hi uske ward me araam karne ke liye chhor woh dono hi baahar chale gaye.

Aur idhar bechari Terashima ek baar fir apne khyalato me doob gayi. Uss se pehli baar itni badi galti kaise ho gayi? Kaise woh ek nirdosh ko pehchaan na paayi?



R

Harr koi iss samay Veer ke baare me sochne me laga hua tha. Fir chaahe uske chaahne waale ho, uske shubh-chintak, usse galat samajhne waale ya fir uske dushman.

***

Yaha ye sawaal-jawaab chal rahe the toh wahi issi sheher me koi aur bhi tha jo yahi sawaal-jawaab karne kisi aur ke paas aaya hua tha. Bas, tareeqa thoda alag tha.

*BAMMM*

Table par zorr se haatho ko patakne ki awaaz aayi aur ek aurat behad gusse me apni kursi se khadi ho gayi.

Suhana! Uski aankhein gusse me laal aur aasuo se namm thi.



ERUZHCNWk-AAa1-VJ

Suhana : Mein tumse kuch puch rahi hu!! Jawaab do!!!

Aur uske saamne thi,

Ava!!

Ava ne apni nazre churaate hue chehra ferr liya. Aankhein toh uski bhi bheegi hui thi.



1b8ed8ed5396695ce168788d50eee3bc

Ava : Mein apna jawaab rakh chuki hu Suhana!

Suhana : Woh mere sawaal ka jawaab nahi. Seedhe-seedhe batao mujhe kaha hai woh? Aur ye news…! Ye sab kya chal raha hai? Kyu tumne usse yaha bulaaya? I WANT TO KNOW EVERYTHING!!!!



ER4-FFr-KWk-AA7f-UM

Ava : I-I…! I called him for protection.

Suhana (screams) : Ye jaante hue bhi ki Divya abhi busy hai? Kis haq se tumne usse akele yaha bulaaya? Tumhe koi khabar bhi hai ki uske ghar par kya haalat ho rahi hogi uske parivar ki? They fucking don't know anything!!!

Chillaate hue Suhana ne table par rakhe saare kaanch ke glass bikher ke neeche gira diye.

Ava : I..!

Suhana : Uski choti behan ka call aaya tha mere paas. Kya jawaab du usse mein? Woh puch rahi hai mujhse ki bhaiya kaha hai!! Kya bolu uss se mein? FUCKING TELL ME!!!

Jab Ava ko ye pata chala ki Veer ka parivaar uski raah dekh raha hai, toh jaise glaani ka bada sa patthar uske upar aake gir pada.

Ab jaake usse bodh hua.

Woh akeli thi. Par uski tarah sansaar me harr koi akela nahi tha. Unke paas unka parivaar tha. Ava bechari dedh saal se akeli thi.

Jaise woh ye baat bhul hi gayi thi ki Veer koi awaara ladka nahi, balki kisi ke parivaar ki jaan hai. Kisi ki amaanat hai. Kisi ka sahaara hai. Kisi ka saathi toh kisi ka pyaar.

Bodh hote hi uski aankho se apne aap hi aansu panapne lage.



222b482e3ea6842cdcbc5491b806002f

Suhana (growls) : TELL ME!! WHERE… IS… HE… NOW!!!!

Ava : M-Mujhe nahi pata! I don't know anything!

Usne ek baar fir muh ferr liya. Woh kaise sachhaayi bata sakti thi? Chaah ke bhi muh se kuch ugal nahi sakti thi.

Ava : Mujhe nahi pata kuch. Mujhe theek se kuch yaad nahi. Waha kya ho raha tha mein nahi jaanti. I-I don't know-

Suhana : Toh kaha gaya woh??? Kyu ye DGSI waale gaandu uske peeche pade the? Kyu uski tasveer b-baar baar…! Baar baar-

Aur wo ro padi.

Suhana (sobs) : *sniff* Kyu uski tasveer baar baar news pe aa rahi thi? *sniff* Bolo? K-Kyu??? Jawaab do? Kyu likh ke aa raha tha ki criminal has been executed. Kya matlab hua iska??

Ava : I-I don't know!!! I don't remember. Shayad unhe koi galat-fehmi ho gayi.

Usne abhi itna kaha hi tha ki Suhana ne agle hi shan uski dress ki collor ke hisse ko pakda aur zorr se jakad usse kheench liya,

Ava : !!!!

Suhana ki aankhein bhayanak hi buri tarah gusse me feli hui thi.

Suhana : Ye mein akhiri warning de rahi hu tumhe Miss Ava Grace Martin!!! Agar tumne ab mujhe kuch nahi bataya, toh mein bhul jaungi ki tum Sonu ki koi dost bhi thi.

Ava chaahti toh badi hi asaani se khud ko chhura leti. System ke aage Suhana ki ye pakad baccho ki pakad jaisi thi. Parantu, usne aisa kuch bhi nahi kiya. Woh Suhana ki giraft me hi bani rahi.

Ava : Mujhe nahi pata Suhana! M-Mein kisi kamre me thi. Bandhi hui thi. Baahar kya ho raha tha mein nahi jaanti.

Suhana ka iss baar maatha thanak utha. Woh jaanti thi ki Ava kuch na kuch zaroor jaanti hai. Magar bata nahi rahi. Woh agle hi pal itni zorr se garji ki baahar khadi Ashita aur Prakash Uncle tak ko uski awaaz sunaayi de gayi,

Suhana (screams) : AVA GRACE MARTIN!!! TUMHARI YE MAJAAL-! TUM SACH SACH BATAATI HO YA-

"MARR CHUKA HAI WOH!!!!"

Ava ke bol poore kamre me goonj gaye.

Achanak hi waha ek sannaata chha gaya!

Suhana kisi moorti ki tarah bann ke wahi jamm gayi.


ER4-FFr-JXUAIFFZ5

Ava ke kapde par uski pakad bhi dheeli hoke chooth gayi. Uski aankhon ne jaise apna focus kho diya.

Woh jaise shoonya hoke reh gayi. Uska mastishk kaam karna hi band kar diya jaise kuch palo ke liye.

Aur iss baar Ava ki awaaz oonchi ho gayi. Rote hue woh chillaayi,

Ava (screams) : Marr chuka hai woh. HE'S DEAD!!! AND GONE!!!

Subakte hue woh bhi dobaara apni kursi par girte hue rone lagi.

Budbudaate hue abhi bhi uske hontho se ahista-ahista lafz baahar nikal rahe the.

Ava : H-He's gone-!!! Gone! No more with us-!!!

Suhana jo baar-baar ratt lagaaye hue thi jawaab jaan'ne ki, usse uska jawaab Ava ne de diya tha.

Kintu, Suhana ke liye ye jhatka jitna dikhaayi de raha tha uss se kahi zyada bada tha vaastav me. Ghaat aisi pohuchi thi usse andhruni starr par ki usse khud abhaas nahi tha iss baat ka.

Agle hi shan usse aisa laga jaise uske badan se poori urja kisi ne kheench li ho.

Woh ladkhadayi, aur kursi ke saath-saath hi woh khud bhi zameen par girke behosh gayi.

"Suhaaanaaa!!!!"

Ava ki akhiri awaaz thi jo usne behoshi me jaane se pehle suni. Uske baad andhkaar sa chhaa gaya.

***

Bhedo ke jhund ko jab charwaane ke liye unhe kheto me le jaaya jaata hai, toh unke saath unka ek gadariya hota hai.

Unki rehnumaayi ke liye. Unke netratva ke liye. Jo harr samay unki dekh-rekh aur parvaah karta hai.

Par agar wahi gadariya achanak khud kahi gaayab ho jaaye ya kho jaaye toh?

Toh, saari bhede titar-bitar ho jaati hai. Unki samajh nahi aata kya kare. Gadariye ke liye weh vyakul ho uthati hai. Bechain hoke machalne lagti hai.

Aur Veer ka parivaar iss waqt inhi bhed ke samaan ho chuka tha.

Lagbhag 3 hafte guzar chuke the Bhavna ki akhiri waqt baat hue Veer se.

Teen hafte! Maano ab mahina hi hone jaa raha tha kuch hi dino me.

Uske ghar me jo mahaul abhi bana hua tha woh dekha nahi jaa sakta tha.

Harr koi itna pareshaan aur vyaakul tha ki samajh nahi aa raha tha kya kare.

Kavya ka phone udhar Suhana ab utha nahi rahi thi.

Bhavna, Arohi, Tej aur Shweta toh Paris jaane ke liye tickets ka bandobast bhi karne lage the.

Par ek aur sansani fela dene waali khabar unke haath lagi.

Paris me sabhi flights ko rok diya gaya tha. International ki incoming flights sab band kar di gayi thi.

Unhe ye bhi pata chala ki ek bohut bada Terrorist attack hua tha Paris me.

Ye khabar paate hi jaise unki saansein atak gayi thi.

Jo nahi sochna chaahiye wahi khayaal mann me aa rahe the.

Kahi Veer ussi haadse me toh-!?

Par, sakaraatmak sochte hue aur bechain dil ko baar-baar tasalli dete hue unn sabhi ne khud ko sambhaala.

Kavya bechari jo sabse pehle khoob nidar hoke bina chinta ke Veer ke baare me sabko hidayat de rahi thi. Woh ab khud hi sabse zyada rone me lagi hui thi.

Veer ki orr se na hi koi khabar aa rahi thi aur na hi kahi aur se kuch pata chal raha tha.

Veer ke Dada ji waale ghar me bhi ye baat pata lag gayi. Manorath jo Veer ko dil se chaahte the woh fauran hi Bhavna ke nirnay se taiyaar ho gaye.

Aur nirnay ye tha ki-

Bhale hi woh Paris nahi jaa sakte toh kya? Par France ke koi aur sheher to jaa hi sakte the na?

Decide ho chuka tha ki woh Paris ki jagah Strasbourg jayenge. Aur waha se train se Paris ka raasta lagbhag 2 ghante ka hi tha. Toh Paris me jaa ke Veer ke baare me pata laga lenge.

Jaane waale logo me se ek swayam Bhavna thi. Uske sang Tej, Arohi aur Manorath khud.

Ek bade ki aavashyakta thi unhe jo unhe sambhaal sake. Bhavna khud bhi iss waqt dusro ko sambhaalne ki sthiti me nahi thi.

Shweta aane ki zidd karne lagi thi magar ghar par fir sabhi javaan ladkiya hi reh jaati.

Isliye usse ghar par rehne ke liye jaise-taise manaaya gaya.

Chaaro hi Veer ko dhundhne nikal chuke the. Aur Strasbourg pohuch bhi chuke the. Yaha tak ki unn logo ne Paris tak ka raasta bhi tay kar liya tha.

Par news me kahi bhi Veer ki tasveere nahi thi. Sab kuch hata diya gaya tha. Social media se leke YouTube athwa kisi bhi sites par kahi koi nishaan nahi tha uska.

Aur aaj ki issi raat, Ava ke wahi music video ke upload hone ki khushi me aalishaan hotel me ek choti si party rakhi gayi thi.

Staff team se leke sabhi log maujood the. Haadsa hue lagbhag 3 hafte guzar chuke the toh ye music video France ki saari janta aur Aga ke fans ke liye ek refreshment tha. Ek breather tha unke liye.

Yeh gaana logo ke liye aisa tha jaise maano kisi registaan me bhatke vyakti ko paani ka talaab mil gaya ho.

Kuch minutes hi hue the gaana post hue ki likes aur views ki barsaat shuru ho chuki thi.

Dinner ka aayojan bhi tha. Sabhi acche dhang se taiyaar khaane aur peene ka lutf utha rahe the.

Par kisi ki aankhein thi, jo ab bhi namm thi. Itni khushi, itni safalta ke bawajood, uss lady ko koi khushi mehsoos nahi ho rahi thi.

Woh Ava hi thi.

Ab jaake Veer ki saari baatein usse yaad aa rahi thi.

Kaise woh alleys me yu hi sirf uske liye jaane ke liye taiyaar ho gaya tha.

Usse khud ke aur uske hue vartalaap yaad aa rahe the,


'Tum…! Tum mere liye aaye. Tumhare hone se mujhe safe feel ho raha hai.'

'Well! Mene aapko kaha hua hai. Jab tak aapke peeche pade uss insaan ka pata nahi laga leta, tab tak aapko protect karunga.'

'Come na! Yaha malls mene explore nahi kiye. Kahi chalte hai?'

'Agar aap yahi chaahti hai toh-'

'That's nice!!! Kya hum waha chal sakte hai?'

'Don't worry! Mein personally jaunga unke saath. Unhe kuch nahi hoga.'

'Yes! I understand. It was my fault.'

'It's okay! As long as you're safe. Nothing else matters right now.'

'See??? Hahahaha! I won!!! Mene kaha tha na?'

'Yeah yeah! Dekha mene. You sure are lucky *smiles*'

'Like what you see?'


'M-Mein aata hu. *blushes* Wait for me!'

Harr ek baat usse yaad aa rahi thi. Veer ki chhavi uske dil-o-dimaag me mandra rahi thi.

Uski woh strong back jisse leke woh uske saamne chal raha tha. Bina ye jaane hue ki woh swayam hi uski maut me shaamil thi.

Ava ke gaalo se aansu beh beh ke girne lage.

Hotel ki 7th floor par khidki ke paas khadi woh bas auro se dur ro rahi thi.


IMG-20230403-230444

Par usse nahi pata tha ki-

Ussi building ke bagal waali building ki terrace se andhere me khade usse koi ghoor raha tha.

Uske badan par ek safed shirt thi jo tezz hawaao me awaaz kar lehra rahi thi.

Unhi hawao me uske baal bhi bikhre hue the.

Aur uski befiqr nazre building ke andar maujood Ava par hi tiki hui thi.

Agle hi pal, Ava ki aankhein phati ki phati reh gayi. Uski saansein aur dhadkane tezz ho uthi. Seena zorr-zorr se upar neeche hone laga.

Kyuki uske mann me ek ghanti baji thi,

*Ding*



e

Ava ke poore badan me sihran daud gayi. Woh kisi chidiya ki tarah harr taraf gardan modte hue apne chaaro orr dekhne lagi.

'V-Veer!!!!?'

Agle hi pal uski nazre bagal se lagi building ke uss terrace par gayi.

Par, usne jo saamne dekha toh-

Siwae aasmaan me chamakte chaand ke alaawa waha koi nahi tha.

Terrace khaali thi.

'Veer!!!????'
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Update consists of 4.7k words. Chuki, Crimson arc bas ab 5-6 updates me khatam hai toh yaha dekh sakte ho ki kaise business arc apni entry le raha hai. Baaki, likes thokne ka aur revos rakhne ka. Target is 150 for this one. Keep supporting!

Dhanyavaad! ✨
Jaisa ki hona hi tha. Hmara veer jind hai. Aakhir wo mar bhi kaise skta hai agar aisa hua to story hi khtam ho jayegi.
Uske janane wale sare log bhut hi jyada tention me hai. Sub parsan hi aur almost half log to use mara hua bhi maan chuke hai. Lakin wo wapas aa gaya. But ek baat ky use pata chal gaya hi ki Ava ke paas bhi system hai ya nahi ?
Khri ab tk to pata chal hi gaya hoga. Aur sayad next update me wo kise jinda bach in hi sub ke bare me bataya jayega. Lakin ab jo wo repay kark sbko wo dekhne me bhut jyad maja aayega.
So let's see what happens??
 

Itachi_Uchiha

अंतःअस्ति प्रारंभः
Staff member
Sectional Moderator
7,839
27,260
204
Update - 145 ~ X

Ab tak...

Ava ke poore badan me sihran daud gayi. Woh kisi chidiya ki tarah harr taraf gardan modte hue apne chaaro orr dekhne lagi.

'V-Veer!!!!?'

Agle hi pal uski nazre bagal se lagi building ke uss terrace par gayi.

Par, usne jo saamne dekha toh-

Siwae aasmaan me chamakte chaand ke alaawa waha koi nahi tha.

Terrace khaali thi.

'Veer!!!????'


Ab aage...

Andhkaar!

Kya hota hai? Kya prakaash ka na hona andhkaar hai?

Maut!

Kya hoti hai?

Kya saans na le paana mrityu hai? Kuch sunn na paana, dekh na paana, bol na paana, mehsoos na kar paana. Kya yahi hai maut?

Agar vyakti inme se kuch bhi kar na paaye, ye bhi pata na ho ki uski dhadkane chal rahi hai ya nahi? Toh kya usse mrat ghoshit kiya jaa sakta hai?

Uss soch ka kya jo waha ab bhi maujood hai? Woh soch jo duniya bhar ke gyaan ko samajhne ke liye saksham hai.

Veer ki soch iss waqt issi sthiti se guzar rahi thi. Chaaro orr andhkaar fela hua tha.

Na hi wo apne shareer ko mehsoos kar paa raha tha aur na hi kuch dekh ya sunn paa raha tha.

Kaisa mehsoos hota hoga jab aapke saamne andhera chhaa jaaye. Aap jaante ho aapki soch ab bhi kaam kar rahi hai. Aap ye bhi samajh paa rahe ho ki aap andhkaar me doobe hue ho. Par kaisa mehsoos hoga jab ye bodh hoye ki sirf sochne ke alaawa aap aur kuch nahi kar sakte.

Koi awaaz nahi, koi drishya nahi, koi anubhooti nahi. Kaisa lagega tab?

Veer abhi issi sthiti me tha.

Aisa lag raha tha jaise woh kisi antariksh me ghoom raha hai. Farq sirf itna tha ki yaha koi taare nahi the aur na hi koi roshni.

Jab woh apne mann ke vichaaro me ladte ladte maansik roop se thak gaya, aur iss paristhiti se baahar nikalne ka koi hal khoj na saka, tabhi usse kuch dhundh si nazar aayi.


e5e79f4d-5006-464e-a05b-743a486a533b-screenshot

'Huh?'

Aur fir ek dhwani,

[....ster!!!]

[.....errrr!!!!!]

'Huh?'

Veer ki saansein tej ho uthi. Yeh awaaz woh bhali-bhati jaanta tha.

Aur agle hi shan, uska shareer kisi chumbak ki tarah khichta chala gaya. Uski consciousness drift hone lagi.

"Aaaarrrghhhh!!!"

Laga jaise woh aseem raftaar me antariksh me udd raha hai.

Theek uske turant baad hi,

'Uhh!!?'

Sab kuch akasmaat shaant ho gaya. Andhkaar toh abhi bhi tha. Magar ab,

Uska seena upar neeche ho raha tha. Woh saans le raha tha.

Uski naak me aas paas ke vatavaran ki praanvayu aane lagi. Samudra ki lehro ka shor sunaayi dene laga.

Ek ek karke harr senses uske apna apna kaam karne lage. Woh zinda tha.

Saath hi,

[Maaaasttttteeerrrrr!!!]

Woh awaaz bhi usse sunaayi di.

Palke jhapki aur dheere dheere Veer ki aankhon ke saamne kuch drishya aane lage.

'Urgh!'

Ek andhruni karaah uski nikli. Aankhein dard kar rahi thi. Usse fir kuch nazar aaya.

Apni baayi orr dekhte hi kuch aisa nazaara uske saamne tha.


blue-moon-cave-572f63075f9b58c34c820622

Akaash me chandrama apni roshni bikhere chamak raha tha. Derr raat ho rakhi thi.

[Master!!! Thank god! Finally! Can you hear me?]

Veer ne mann hi mann haami bhari.

Poora badan uska dard kar raha tha. Lag raha tha jaise uske shareer ke tukde tukde kar ke zameen par bikher diye ho.

Jab usne aas-paas ka jayza liya toh usse anumaan ho gaya ki woh samudra me maujood chattaano ke nichle hisse me bani kisi gufa me tha.

Uska shareer chattaan ki deewaar se hi tika hua tha. Peeche usse kuch gadd raha tha. Apne haath ko tatol ke usne uss cheez ko sehlaaya toh paaya ki ye wahi gun thi.

Jo usne Ushant Island me uss ek gang member ko behosh kar ke chhinaayi thi.

Abhi woh kuch harqat karta ki tabhi usse kuch awaaz sunaayi di. Kisi ke qadmo ki awaaz thi. Dheere dheere ye awaaz uske nazdeek aa rahi thi.

Veer turant hi sachet ho gaya. Khatre ki bhanak lagte hi usne sarr utha ke saamne dekha.

Ek bade se shareer ki chhaaya aakriti uske saamne thi. Usse dekhte hi,

'Check!!!'

*Ding*

[No information available.]

Notification dekhte hi Veer ki aankhein bhay ke maare fel gayi.

'Crimson???'

Uski aadat bann chuki tha harr nazdeek maujood insaan ko check karna.

Notification ka bodh hote hi,

*Swoooshhhh*

Woh apni jagah se ekdum se ucchla.

[Master-!!! No-!!! Wait!!]

Par Pari ki baat sunn'ne me usse derri ho gayi. Woh tab tak hawa me kood chuka tha.

Saamne khada vyakti uske iss tarah achanak hamle se achambhav me reh gaya.

"Y-You-!!!!"

Veer kisi ghaayal sher ki tarah uss aadmi par lapka aur uske vishaal shareer ke upar chadh gaya.

Furti me uska haath peeche kamar par gaya, aur haath me gun aate hi Veer ne bandook uss aadmi ki khopdi par upar se taan di.

Magar,

Trigger nahi daba paaya. Kyuki,

Veer ki aankh ke theek saamne ek paini sui bas 0.5 cm ki duri par tainaat thi.

Jaha Veer uss aadmi ki peeth par chadh uske sarr par aim lagaya tha. Toh wahi uss aadmi ne jhatse kahi se lagbhag 15 cm lambi ek sui nikaal ke Veer ki aankh ki putli ke saamne kar di thi.

Veer ki aankhein adh-khuli thi. Saansein bhi ukhdi-ukhdi le raha tha woh. Yu jaldbaazi me ucchalne se uske shareer ka dard bhadha aur jagah jagah se khoon nikalne laga. Parantu, uske baad bhi woh tass se mass na hua.

Aadmi : Such will power-!!!

Haafte hue woh uss aadmi ke upar hi chadha hua tha.

Aadmi : Ladke!!! Neeche aao!! Issi waqt! Warna apni aankh kho doge. Tumhari bandook me goli nahi hai!

Ye toh Crimson nahi tha. Aadmi ki awaaz sunte hi Veer ne forun hi trigger daba diya.

*Click* *Click*

Par uss aadmi ki baat satya thi.

Gun me waqai bullets nahi thi.

'Tsk!'

Veer jaise hi neeche aaya woh ladkhada ke gir pada.

[Master!!!!]

Uske girte hi saamne khade shaks ka chehra gufa me chaand ki aati roshni ke saamne aaya. Veer ne dekha ki qareeban 50 kuch ki umr ka vyakti uske saamne tha.

Bhayanak badi kad-kaathi. Lambe ghane baal jo adhiktar kaale the magar kuch safed baal bhi unme shaamil the.

Badi badi daadhi aur lambi latakti hui mooche.

Ghaayal Veer usse bas satarkta me ghoor raha tha. Iss haalat me bhi woh ladne se bhaag nahi raha tha.

Aadmi ne apne haath me li hui badi si sui ko apni kamar ke peeche ek kapde ke bag me rakh liya.

[Master! Don't worry! He's our benefactor. Usne hi aapki jaan bachaayi hai.]

'What?'

Pari ki baat sunn, Veer hairat me uss aadmi ko dekha.

Aadmi : Taajub hua? System ne sach bata diya? Mein tumhara dushman nahi ladke.

Aadmi ne chinese bhaasha me bola. Jiske jawaab me Veer ne bhi chinese me hi baat ki,

Veer : Kaun ho tum?

Aadmi : Tum mujhe 'Renshu' keh ke bula sakte ho.

Renshu apna vishaal shareer liye wahi bane ek patthar par baitha. Kamar par latki ek bottle gourd usne nikaali aur usme se paani peene laga.

Pyaas bhujte hi usne bottle gourd Veer ki orr feki.

Veer ne ek haath se uss bottle ko catch kiya. Ye natural water bottles hoti thi jinhe bottle gourd ki sabzi se banaaya jaata tha.

Renshu : Paani hai! Tum 2 din se behosh the. Pee lo!

Veer ne kuch shan tak Renshu ko dekha aur fir apne haath me uss natural water bottle ko.

[It's okay Master! Drink it.]

Pari ki sahanubhuti se Veer ne fir koi virodh nahi dikhaya.

Usne paani piya. Ab harr jagah usse dard mehsoos ho raha tha. Josh josh me woh ucchal ke Renshu pe chadh toh gaya tha par uske chalte uske shareer ke ghaav firse khul gaye the. Khoon fir behne laga tha.

Renshu wahi se kuch qadmo ki duri par lakdiya ikhatta kar aag jalaane chala gaya. Derr raat ho rahi thi aur thand thodi badh chuki thi.

Renshu : Ladke!!! Tumhe pata hai tumhare behosh hone ke baad kya kya hua hai?

Veer ko sab jaise yaad aaya. Ushant Island ki woh vardaate.

Veer : R-Right-!! Mein! Kya hua tha?

Iss baar usne Hindi me bola aur uska jawaab Renshu ne bhi Hindi me hi diya,

Renshu : 2 din tak Island ke aas-paas chhaan been chali hai. Tumhari laash ko dhundhne ki. Kuch derr pehle hi woh sab yaha se nikle hai.

Yaani Veer 2 din se behosh tha. Aur waha DGSI aur police force do din tak Island ke tat par chhaan been karte rahe.

Veer : Hum unse kitni dur hai?

Renshu : Kareeb 2 KM dur. Chinta ki zaroorat nahi. Ye jagah surakshit hai ladke.

Dono ke liye koi bhi language barrier nahi tha. Woh harr bhaasha me baat kar sakte the. Aur DGSI logo ke jaane ke baad shayad isliye ab Renshu bina kisi fiqr ke aag jala raha tha.

Veer : Mein 2 din se behosh tha?

Renshu : Poore 2 din aur 3 raat.

Veer : That's-!!

Renshu : Mein sab kuch samjhane nahi baitha tumhare liye. Apne system se pucho. Woh tumhe samjha dega. Ya…! Samjha degi!?

Veer ne Pari ko awaaz lagayi toh andar se Pari ki awaaz aayi. Woh toh tatpar hi baithi thi sab kuch bataane ke liye.

[Master-!!]

'Pari! Kya hua tha akhir? Mujhe yaad hai, mein-! Crimson se ladayi kar raha tha. Uske baad-! Right! Ava!! She-!'

[First of all-]

'!!??'

[Don't you fucking do that ever again!!]

Pari ki awaaz bilkul wesi hi thi. Ruwaasi. Jab usne antim baar uss se baat ki thi. Awaaz bilkul wesi hi thi.

'I-'

[Stop! A-Aur meri baat suniye pehle-!]

[Kya soch ke aapne aisa kiya haan? Who told you to do that? Aapne ek baar bhi mere baare me nahi socha? I told you. Didn't I? Mein firse koi energy se space travel nahi kar sakti. Once you die. I die as well. Aur uske baad bhi aapne-]

'I-I… I'm sorry Pari!'

Apne Master ke muh se sorry sunn, Pari turant hi shaant ho gayi.

[J-Just keep in mind from now on. Ahinda se aap aisa kuch nahi karenge.]

'Yes!'

[Aur rahi baat kya hua tha? Then allow me to explain.]

'Hmm!'

Veer kisi bacche ki tarah tha abhi jo apni maa se daant kha raha tha. Pari uski laparwahi par bhadak rahi thi. Magar zyada derr apne Master se gussa kaise reh sakti thi.

[Sabse pehli baat Master. Jo aadmi aapke saamne hai. Usne hi aapki jaan bachaayi hai.]

'Renshu?'

[Yes. Jab aap paani me gire the toh Renshu hi tha jo aapke shareer ko saath leke waha se dur leke aaya.]

'I see! Magar police ne dekha nahi? Hum underwater aaye? Mein bach kaise gaya?'

[Aap underwater kuch seconds ke liye hi the. Renshu aapko neeche ke raaste se laaya hai. Aur fir tairte tairte yaha iss gufa me. It was so hard. Kayi baar bache hai. Then, he removed the water you swallowed, and the bullets as well. Fir dressing hui aur ab jaake aapko hosh aaya hai.]

'I see!'

[And that witch-!!!]

'Huh?'

[AVA GRACE MARTIN! The witch framed us. Usne hume dhoka diya Master. Woh uss Crimson ke saath mili hui thi.]

Veer ko andaaza toh tab hi ho gaya tha jab usne Ava ko helicopter me baithe dekha tha. Uska kuch na kehna. Woh khamoshi sab kuch bayaa kar gayi thi. Veer sab jaan gaya tha. Par ek baat se abhi bhi anibhigya tha woh.

[Also, she has a system.]

Aur Pari ne keh diya. Ye jaante hi Veer ko ek bada jhatka laga.

'Kya????'

Woh ye jaanta tha ki Ava ne usse dhoka diya hai. Par uske paas system tha? Ye bhala kaise ho sakta tha?

'N-No! Ye namumkin hai. Mene check kiya tha aur-'

Pari ne tabhi uske mann me screen ke saamne kuch rakh diya.

*Ding*

[Skill : Camouflage.
Bio : Allows the host to set a fake status according to their will. Favourability can also be altered.]

Skill ka description padhte hi Veer hakka bakka reh gaya.

'N-Nahi!!'

[Shuru se ant tak, woh aapke saath game khel rahi thi.]

'N-No!'

Ek ajeeb si peeda Veer ke dil me janm li. Aur baar baar ek hi sawaal pe uski sui aake atak rahi thi.

Akhir kyu?

Kyu kiya Ava ne uske saath ye sab? Kya bigada tha usne Ava ka? Woh toh yaha uski madad ke liye aaya tha na? Toh fir kyu?

Pari ne jaise apne Master ki peeda ko mehsoos kar liya. Andar hi andar Veer ki iss haalat ko dekh Pari ka khud ka seena chhalni ho raha tha.

Parantu, apne Master ko satya se avgat karana zaroori tha.

'T-Tumhe kaise pata chala Pari?'

Veer ki awaaz ahista se Pari ko sunaayi padi.

[Jab aap paani me waha se kood rahe the. Aapki nazre police officers par thi. Par meri nazre, Ava par tiki hui thi.]

'??'

[She was leaning down towards the door of the helicopter. Woh jhuk ke aapke girte shareer ko bade hi dhyaan se dekh rahi thi. Uski aankhon me woh glaze.... The moment I saw it- I knew what was happening.]

'Magar-'

Veer punaah apni baat rakh paata ki tabhi Pari ne ek aur jankaari uske saamne pesh kar di.

*Ding*

[Skill : Death Flag.
Bio : Allows the host to set a target on any living being. A Death Flag will then be raised indicating the being's life and death condition. As long as the Flag is up, being will be considered alive. Once the Flag falls, it means the being is dead.

Range : 1 KM (Upgradable upto 2 times.)

Note : Host must remain within the range to check the condition.]

Aaj Veer ka imtihaan tha. Usse jhatke pe jhatke lag rahe the. Harr baat usse stabdh kar ke chhodh rahi thi.

[That explains why she was leaning down to see you.]

'P-Pari!!! Tumne ye sab kaise itne kam time me-?'

[Yes. I did it. Also, I'm sorry Master.]

'Sorry? K-Kyu?'

[Aapki heartbeat rokne ke liye.]

'What?'

[I'm sorry! Lekin, Ava kitni hi smart kyu na ho. I'm still smarter than her.]

'???'

[Death Flag, woh skill hai Master jo aapko ye bataati hai ki koi zinda hai ya nahi. Ava ne aapke upar Death Flag lagaya tha. Taaki, usse pata chal sake ki aap zinda rahoge ya nahi.]

Abhi bhi Veer ko ye sab sach hazam nahi ho raha tha. Par yahi satya tha.

'Ava ne!? Mujh par? K-Kab?'

[Kabhi bhi kar sakti hai Master woh. But I think mujhe pata hai usne kab kiya tha.]

'K-Kab?'

[Remember the time when we went to her concert?]

Veer ne tabhi apni yaadon me jhaak ke dekha. Aur uske haath ek khaas pal laga. Jaha woh Las Vegas me Suhana aur Divya ke saath Ava ke concert me gaya tha. Ava ne hi toh invitation bheja tha.

[Kya hua tha jab aapne usse check kiya tha?]

Veer ko jaise hi dhyaan aaya, uske badan me raungte khade ho gaye.

Jab usne Ava ko check kiya tha, toh stage par maujood Ava ne ek jhatke me uski orr dekha tha. Tab Veer aur Pari dono hi hairaan reh gaye the. Lekin, uske baad jab Ava ne Suhana aur Divya ko bhi dekh haami bhari thi toh Veer ne uss baat ko apne dimaag se nikaal diya tha.

[Yes! Now you remember. I think that was the time when she marked you.]

Veer ke hosh udte hi jaa rahe the. Ye saari sacchaayi ek saath hazam karna behad kathin tha.

Ab ek ek karke Ava ke saath guzaare harr pal usse yaad aa rahe the.


whattsap-handemiyy

Ab usse samajh aa raha tha kyu woh haath se goli maarne ka ishaara karti thi. Woh sirf mazaakiya dhang nahi tha uska.

Hande-Er-el-GIF

She was after his life, all along. Aur woh sanket the uske.

Woh alley me le jaana, fake police, protection ke liye invitation. Sab kuch frame kiya gaya tha.

Veer ka sarr apne aap hi neeche jhuk gaya. Uske ghane baalo ne uski aankhon ko dhak liya. Renshu dur baithe side-eye kar Veer ke expressions padhne ki koshish kar raha tha. Kintu, woh nakaam raha.

[As I said, woh bhale hi smart ho. Magar mujhse smart nahi ho sakti. Death Flag me apna ek fault hai Master. After all, it's just a Gold Tier Skill. Nothing much.]

'???'

[Aur woh fault ye hai ki Death Flag sirf targeted person ki heartbeat ko check karke notification deti hai. Basically, kisi ki heartbeat band ho gayi toh woh dead maana jaata hai. Right?]

'Aur isliye tumne meri heartbeat-!?'

[Yes. Sorry. Mene bataya tha aapko ki mein ek time par ek hi cheez par focus kar sakti hu. Pehle aapke blood loss ko rok rahi thi. Lekin, Ava ko galat notification dene ke liye mujhe blood loss se focus hata ke heartbeat par dhyaan lagana pada.]

'I see!'

[Woh abhi yahi samajh rahi hogi ki aap marr chuke ho.]

'Why did she-?'

[Zaroor uss Crimson ke saath mili hui hai woh Master.]

Veer ki mutthi achanak hi kass uthi.

[Time to time mene Beowulf activate kiya hua tha. It gives 50% more healing. Isliye aap jald hi hosh me aa gaye.]

'Ohh!'

[Yes! So, Beowulf ka use karte rahiye. Energy zaroor lega woh lekin aap heal jaldi hoge.]

'Pari!'

[Umm?]

'Thank you so much! Mene laparwahi ki par tumne fir bhi mujhe-'

[Yahi mera kaam hai Master. And didn't I tell you?]

'???'

[As long as I'm here. I won't let you die.]

Iss baar Veer ke honth halke se muskaan me fel gaye. Aur gaal se ek ashru ki boond fisal ke beh gayi. Kintu, aankhein ab bhi baalo se dhaki hui thi.

'Kyu kiya Ava ne mere saath aisa? Mission??'

[Ho sakta hai. Dusra case ye bhi ho sakta hai ki woh majboor ho. Lekin, fir bhi-! Mein usse maaf nahi karne wali.]

Veer ne koi jawaab na diya. Uske chehre par kya bhaav the ye koi nahi jaanta tha.

[Aur ek baat bataani hai Master.]

'What is it?'

Tabhi ek aur notification Veer ke mann me jhalka,

*Ding*

[Mission - 'Get to Ava as soon as possible' is failed.]

[2500 Points will be deducted.]

'Ah!!!'

[Aap puch rahe the na ki mission ki penalty sirf 5000 points kyu hai? Toh ye raha jawaab. Ava kabhi mushqil me thi hi nahi Master.]

'Aur uske baad bhi system bewakoof bann gaya?'

[Yes. Almost actually. Ava sirf acting kar rahi thi. Kahi na kahi system ne bhaanp liya tha ki kuch gadbad hai lekin pin-point nahi kar paaya. Isliye penalty me sirf 5000 points hi the.]

'Aur agar woh asliyat me mushqil me hoti toh?'

[Toh penalty points kam se kam 10,000 toh hote hi.]

'Ab mujhe sab samajh aa raha hai Pari.'

[Yes. Isliye mission fail hone par penalty sirf 2500 points ki lagi hai. System ne realise kar liya tha ki ye sab framing hai.]

'I see! Mere paas itne points toh nahi hai Pari. Kya zaroori hai abhi deduct hoye saare points?'

[Don't worry. System update ho chuka hai Master. Aap points collect karke fir penalty bhar sakte hai.]

Veer ne ye sunn ek raahat ki saans li.

'That's a relief.'

Veer ki nigaahein fir dur baithe Renshu par tik gayi.

[Master. Mujhe nahi lagta woh hamara dushman hai.]

'Hmm!'

Ab jaake Veer ko samajh aa raha tha. Ava ka yu singer hona. Usse ye bhi yaad aaya ki Suhana itna kyu pareshaan thi concert ke dauraan. Bachpan me kabhi Ava ne singing me koi ruchi nahi dikhayi thi. Toh achanak itne kam samay me itni safalta paana. Upar se aise darje ki singing.

Sab samajh aa gaya tha Veer ko.

[Kahi na kahi mene Renshu ki skills ka andaaza bhi laga liya hai. This guy must have some survival skills, medical skills and some identifying skills.]

Renshu itne me uth ke Veer ke nazdeek aaya aur uske shareer par jagah jagah bandhi pattiyo ko kholne laga.

Veer bas chup chaap uski harqato ka aaklan kar raha tha. Uske mann me abhi aneko sawaal ghoom rahe the.

Apni potli se nayi pattiya Renshu ne nikaali aur Veer ke badan par ghaav waali jagaho par baandh di.

Veer : Urgh!!! Why help me?

Renshu : Kyuki yahi mera kaam hai. Sansaar ke sanrakshan ke liye, tum jaiso ka zinda rehna zaroori hai.

Veer : Huh?

Renshu : It's my duty. I must protect those who can help in sustaining peace.

Veer (frowns) : Oh really? Toh meri jagah Crimson ko kyu nahi bachaya?

Renshu : Kya yahi naam hai uska?

Veer : Tumhe uska naam bhi nahi pata?

Renshu ne naa me sarr hila diya.

Renshu : Bilkul nahi! Mein uss se pehle kabhi nahi mila. Bhala mujhe kaise uska naam pata hoga. Ladke! Ek system dhaarak vyakti dusre system dhaarak vyakti ko check nahi kar sakta.

Veer : Ohh!

Veer ko ek aur nayi jankaari haath lagi. Matlab ek system owner dusre system owner ko check nahi kar sakta tha. Ava ko woh isliye check kar paaya tha kyuki Ava Camouflage skill rakhi hui thi. Ab sab kuch sense bana raha tha.

Veer : Agar aisa hai toh fir Crimson ko kaise mere baare me-?

Renshu : Baahri source bhi hote hai ladke.

Veer : Mera naam Veer hai.

Renshu (nods) : Hmm!

Veer : Tumne abhi bhi mere sawaal ka jawaab nahi diya. Agar, system owners ko bachaana hi tumhara kaam hai toh meri jagah Crimson ko kyu nahi bachaya?

Renshu : Mene tumse kaha na. Mein unhe bachata hu jo shaanti ke santulan ko banaaye rakhne ke yogya ho. Woh Crimson...! Mujhe uss se koi umeed nahi. You are the one who matters.

Veer : Bina matlab ke tumne meri madad nahi kari hogi. So tell me. What do you want from me?

Renshu : Samajhdar ho! Par abhi ye samay nahi. Sahi waqt pe tumhe pata chal jayega ki favour kab return karna hai. For now, just rest. And heal your wounds.

Veer shaant ho gaya. Kuch derr baad usne apni baat rakhi,

Veer : Tumhare paas phone hai? Mujhe ek call karna hai.

Renshu ne naa me gardan hilaayi.

Veer : Whattt??? Tumhare paas phone bhi nahi hai?

*Whistle*

Agle hi shan Renshu ne ek zordaar seeti maari. Aur kuch hi palo me waha ek kabootar apne pankh fadfadate hue gufa ke andar pravesh kiya.

[Ah! It's a pigeon.]

Kabootar andar aake seedha Renshu ke kandhe par baith gaya. Aur fir neeche utar Veer ko tak-taki laga ke dekhne laga.

Apne jhole me se Renshu ne ek kaagaz ka tukda nikaala aur syaahi waala ek pen. Kaagaz par kuch likha aur fir usse roll karte hue woh kabootar ke perr me baandhne laga.

Veer uski harr harqat ko padh raha tha.

'This guy seems a bit old-fashioned.'

[Old fashioned ho ya na ho. Lekin, uske paas pigeon ko tame karne ki bhi skill hai. I see.]

Jaha Veer nayi nayi jankaari praapt kar stabdh hota jaa raha tha toh wahi Pari pehle se 10 guna aur satark ho chuki thi. Woh apna poora dhyaan system owners ki skills aur cards ko identify karne me laga rahi thi.

Veer : Tumhe system ke baare me itni jankaari kaise hai?

Renshu kuch derr ke liye maun raha. Woh Veer ko taakta raha aur Veer usse. Fir ek gehri saans lete hue usna batana shuru kiya.

Renshu : Tumhe bataane me koi harz nahi hai. Toh suno.

Veer : Hmm?

Renshu : Sansaar me kul 30 System dhaaran karne waale log the.

Veer : 30???

Veer ko ek aur bada jhatka laga. Pari ne toh shuruaat me uss se kaha tha ki wahi ekmaatr hai. Fir ye sab?

Renshu : Aur ab sirf 18 bache hai.

Veer : You mean-!!!?

Renshu ne jaise hi haami bhari toh Veer ke badan me ek sihran daud gayi.

Veer : Baaki 12 logo ka kya hua?

Renshu : Woh marr gaye. Ya maar diye gaye.

Veer : A-Aur ab?

Renshu : Isliye mene tumhe bachaya hai. Santulan banaaye rakhne ke liye. Tumhara zinda rehna zaroori hai.

Veer (frowns) : Tumhe kaise pata chala ki mein aur Crimson aapas me bhidenge. Aur mera ye haal hoga?

Renshu (sighs) : Mujhe ek call aaya tha.

Veer : Huh?

Renshu : Sach kahu!!! Toh koi hai...! Koi hai jo shayad iss shatranj ke khel me hum sabko pyaade ki tarah istemaal kar raha hai. Aisa mera mann keh raha hai.

Veer : Phone se tumhara kya matlab hai?

Renshu : Uss phone call se hi mujhe pata laga ki tum jaisa naujavan yaha musibat me aane waala hai. Woh aadmi ye bhi jaanta tha ki mein tum jaise logo ko bachaane ke liye hi kaam karta hu.

[That's strange Master.]

Veer : Iska matlab Crimson par woh goli-

Renshu : Woh goli mene hi chalaayi thi. Mujhe laga tha tum usse shayad shikast dedo. Lekin, woh tum par haawi tha.

Veer : Kaun hai woh unknown?

Renshu : Abhi ke liye-

Veer : ??

Renshu : Mein usse 'X' keh ke bulaata hu. Koi toh hai, jo ham sab se zyada jaanta hai inn sab ke baare me.

Veer : X!!?

Renshu : Hmm! Sandesh bhej diya hai mene. Jald hi ek helicopter yaha aa jayega. Lekin 2 din lagenge. Tab tak hume yahi rukna hoga. Aur tum-!!! Ab zyada hiloge nahi.

Toh isliye shayad usne woh kabootar ke perr me sandesh baandh ke bheja tha. Ye saari information Veer ke liye bohut zyada thi. Apne mastishk ko araam dene ke liye Veer aankhein band kar araam karne laga.

Yaha se nikalne me abhi usse samay tha.

Dekhte hi dekhte kaafi waqt beet chuka tha. Renshu aur woh Paris aa chuke the. Aur yaha aate hi Veer ne sabse pehla jo kaam tha woh tha apne ghar waalo ko soochna dena.

Usse gaayab hue ab hafte ho chuke the. Paris aane me bhi usse zyada hi samay lag gaya tha. Uska shareer lagbhag 70% heal ho chuka tha.

Pichli ek raat full moon ki raat thi. Beowulf ke stat percentages full moon me double ho jaate the. Jaha usse normally 50% healing me baddhotri milti thi toh wahi full moon me ye 100% ho jaati thi. Matlab duguni.

Jis kaaran woh kaafi jaldi heal ho gaya. Jis vyatha me woh pehle tha, udhar se aane me warna usse mahine se upar lag jaata.

***

3 hafte ho chuke the. Paris me Bhavna sang sabhi log ek hotel ke kamre me maujood the. Yaha ki sthiti dekh ke iss waqt unke andar ki bechaini ka varnan nahi kiya jaa sakta tha.

Ek Maa apne bete ki khabar paane ke liye tadap rahi thi. Behne apne bhai ke baare me jaan’ne ke liye vyaakul thi. Ek buzurg apne pote ke haal-chaal ke baare me jaan’ne ke liye icchuk the.

Magar koi khabar haath nahi lag rahi thi. Tej Paris ke hi logo ke social media par unke kuch open accounts me chhaan-been karne me lagi hui thi.

Bhavna : Kuch pata chala beta?

Tej : Dekh rahi hu Mom!

Woh abhi kuch accounts ko dekhi hi thi ki kisi ek ladke ke open account me usse woh dikh gaya jo usse bilkul nahi dikhna chaahiye tha.

Uske hi bagal se baithi Arohi bhi sab dekh rahi thi. Saamne dali post ko jaise hi usne padha. Arohi bechaari ke haath se uska mobile chhutak ke neeche gir gaya. Woh kisi murti ki tarah apni jagah par jamm gayi.

Paris me janta kitne virodh me thi ye sirf Paris hi nahi poora France jaanta tha. Achanak se kisi criminal ki photos harr platforms se hata di jaaye toh kya karegi janta aise me?

Vidroh! DGSI ke iss action se jaise aam janta aur gusse me aa padi. Bhale hi Veer ki photos daalne par karyavaahi honi thi. Magar, janta ne uska hal bhi dhoondh nikala tha.

Koi na koi, fake accounts bana ke Veer ki wahi news aur photos daalne me laga hua tha. Taaki, janta tak khabar barabar bani rahi ki yahi woh shaks hai jisne unke sheher me aatanki hamla kiya hai. Ye bach ke jaane na paaye.

Arohi aur Tej ke saamne wahi khabar thi jo hafto pehle news channels par release hui thi.

Bhavna ne jaise unke haav-bhaav padh liye,

Bhavna : K-Kya hua?

Par koi jawaab na mila. Tej ke haath ki ungliyaan laptop ke touch pad par rakhi hui kaanp rahi thi.

Arohi aur woh, dono hi bhaybheet aankhein faade murti ki tarah wahi baithi hui thi.

Bhavna tezz qadmo ke saath unke paas aayi aur jaise hi usne screen par maujood khabar ko dekha. Pal bhar ke liye toh usse kuch samajh na aaya. Fir jaise bodh hua. Aur abhaas ka fir bada sa patthar jaise uske sarr ke upar aake gira.

Apne muh ko saree ke chhor se dhakte hue woh ladkhada ke wahi gir padi

“N-Nahi!!!”

Arohi ki aankhein apne aap hi bheeg gayi. Naino me aansu panapne lage. Veer ke akhiri shabd uske dimaag me goonjne lage.


“Arohi di!! Aap se mujhe kaam hai. Kya aap ghar aa jaogi? Teju di aur baaki sab aapko yaha sab samjha dengi. Aur Kavya ko bhi le aana. Warna baad me woh muh fula ke baith jayegi.”

Uske baad se uski baat Veer se nahi hui thi. Woh Paris jaa chuka tha. Aur ab ye khabar…!

Arohi ka dimaag jaise kaam karna band kar chuka tha. Tej ka haal aur bhi bura tha. Woh becchari wese hi baat karne ke liye kitne dino se tadap rahi thi. Kintu, uske saamne toh-

Uske bhai ki maut ki khabar jhalak rahi thi.

Ab sab dorr aapas me judti jaa rahi thi. Kyu phone nahi lag raha tha. Kyu usne Bhavna se ghar par rehne ke liye zidd ki thi. Sab kuch Bhavna ko samajh aa raha tha.

Manorath ye drishya dekh aage badhe. Unki kuch samajh nahi aa raha tha. Ye sab iss tarah se kyu pesh aa rahe the?

Par abhi woh aage badhi hi the ki Tej ka phone baj utha.

Ghanti bajti jaa rahi thi magar Tej ko jaise duniya ka ab koi shor sunaayi nahi de raha tha.

Arohi ka haath apne aap phone par gaya, usne call uthaaya aur phone apne kaan se laga liya. Aur tabhi, dusri orr se ek awaaz aayi,

“Teju dii!”

Pal bhar ke liye laga jaise Arohi kisi sapne me thi. Uske dil ne kayi dhadkane ek saath phaand li. Haath kaanpne lage.

Arohi : Veeeeeeeeerrrr????

Aur uske iss shor se Tej aur Bhavna dono hi hosh me aa gayi. Bhavna ne fauran hi Arohi se mobile chhina ke apne kaano me lagaaya.

Bhavna : H-Hellooo???

Toh fir ek awaaz waha se aayi,

“M-Maa?”

Aur bas! Bhavna ki tezz dhadkane aur tezz hui magar uss awaaz ko sunte hi uski saansein fir durust hone lagi. Aur aankhon se nirantar aansu behne lage. Ye awaaz sunn’ne ke liye uske kaan taras gaye the.

Bhavna : V-Veeeeeer? B-Beta???

Veer : Umm! Mein theek hu. Surakshit hu. Aap chinta mat kariye!

Bhavna jaise muh se shabd baahar hi nahi nikaal paa rahi thi. Tej ne phone lete hue apne kaan se lagaya aur boli,

Tej : V-Veeeeer????

Veer : Teju dii!

Aur Tej ka bhi yahi haal tha. Woh ro padi.

Tej : K-Kaha ho tum? Ye khabar! Y-Ye sab kya hai? Hum sab Paris me hai!!

Veer : Aap sab Paris me ho? Mene Maa se kaha tha na ki ghar se baahar mat nikalna, jab tak mein laut nahi aata then-

Tej : SHUT UP!!!

Veer : Huh?

Tej : Shut up! *sniff* Bolo kaha ho tum!! Jaldi!!!

Veer : Mein-

Tej : Don’t you fucking dare!! Tell me!!! *sniff*

Veer : Aap sab jaha par hai. Wahi rukiye. Mein kuch hi dino me aapke saamne hounga. Ghabrana nahi Teju di. Haan? Maa ko sambhaalna!

Tej : T-Tum kya keh rahe ho? Veeeeeer!!!

Veer : Mera aapke paas rehna abhi theek nahi. Jo khabar aapne padhi hai. Woh ek badi misunderstanding hai Teju di. You believe me na? Then trust me. Mere baare me koi bhi topic mat uthana public me. Mein sab samjha dunga baad me-

Tej : N-Nooooo!!

Veer : Abhi aapko bas wahi rehna hai. Don’t get out okay? Mein jald hi lautunga. Don’t worry!

Tej : N-Nahiiiiii! Veeeeeerrrrr!!

Par tab tak call cut chuka tha.

Idhar Veer ki nazre call cut karne ke baad uss saamne hotel ki building par tik gayi.

7th floor par, ek khubsoorat celebrity, aur singer khidki se lag ke khadi hui thi.

Veer ke baal raat me tezz hawao me lehra rahe the.

Theek uske peeche kuch duri par Renshu khada hua tha. Veer ka aura woh mehsoos kar paa raha tha.

‘The air has changed around him. It- It feels heavy.’

Renshu ki bauhe thode aashcharya me uthi hui thi.

Veer ki aankhon me koi bhaav nahi jhalak rahe the. Renshu ne usse kapde diye the. Iss samay woh ek white shirt pehna hua tha, jo tezz hawao me lehra rahi thi.

Pari ki awaaz tabhi uske mann me aayi,

[Uddyamen hi sidhyanti, kaaryaani na manorathe,
Na hi suptasya singhasya, pravishanti mukhe mragah.]

'!!!?'

[Yaani ki, koi bhi kaarya kadi mehnat ke bina po
ora nahi kiya jaa sakta Master. Sirf sochne bhar se kaarya poore nahi hote. Unke liye prayatn bhi karna padta hai. Kabhi bhi sote hue sher ke muh me hiran khud nahi aata. Usse shikaar karna padta hai.]

'Pariiiiii!!!!'

[Y-Yes!!!]

'Get ready!!! We're going on a hunt!!!'

Aur woh agle hi shan uss building se tezz raftaar me gaayab ho gaya.

Aur yaha dur hotel ki building me khadi Ava bas uss building ki khaali terrace ko dekhti reh gayi.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Update consists of 5.5k words. Emergency ke chalte ye update late aaya hai. Length kaafi badi hai. Kul 5 updates aur baaki hai iss arc ke. Target is still the same. 150. Likes thokne ka revos rakhna ka. Agla update jald dene ki koshish rahegi. Since this one came late.

Dhanyavaad! ✨
To aaj ke is update se hme is story ke future ke bare me bhut kuch pata chal gaya hai. Ya yu kahe ki hum kafi kuch anumaan laga skte hai.

:-To total 30 system hai.

Aakhir ye system kab se is duniya me hai. Aur inko banaya kisne ya ye aaye kaha se? Sare system ka nature kisa hai ? Unme kon strong kon weak hi ? Aur bhi system se releted details janani baki hai. Jinke bare me hme aage hi pata chlega.

:- in total 30 me se 12 system khtam ho gaye hai.

Lakin wo khtam kaise hue ? System agar purane time se chle aa rahe hi to wo paas down kaise hote hi kisi dusre ki body me ? Aur fir system distroy kaise hote hai ?
Aur jo 12 system khtam hue wo kaise hue ? Kya wo sub ache the ?
Ye sub bhi hme aage hi dekhne ko milega.

:- total system Wale 18 log bache hai.

Jinme se ab tak 6 log samne aaye hai. Baki ke 18 logo k samne aana baki hai. Unme kitne ache hi ye bhi dekhna pdega.

fir ye jo unknown caller wala hai ky uska system sbse strong hi ? Tabhi to wo sayad apne kisi skill ki help se future ki bhi kuch bate pridict kar skta hai. Aur wo veer ko marn cahta hai to wo veer ko bacha kyu Raha hai. Sath me wo use stong kya bane rah hi. Kahi wo veer me strong banane ka will power dekhta ho aur wo use stong ban kar fir use maar kar maja lena caht ho ?

aise hi aur bhi bhut se swal hai jink jwab to sayad bhi ju ko bhi pur pat na ho.
khir dekhte hai ab crimson aur Ava ka kya hota hi.
 

Ringsongking

Member
435
1,418
123
Mega Update

Update - 154 ~ The Prestige's Ordeal

Ab tak...

Kintu, samasya kabhi na aaye aisa kaise ho sakta tha. Jaha abhi sab kuch accha chal raha tha ki itne me hi Bhumika ko ek call aaya. Usne call receive kar jab baat suni toh uski aankhein hairat me fel gayi.

Phone cut karte hi woh Veer ko dekhi,

Bhumika : Veer!! Ek problem ho gayi hai.

Magar woh akeli nahi thi. Truck se Prachi daudte hue aayi aur jaldbazi me boli,

Prachi : Ek nahi-! Do problem hai!!

Veer : Huh!!???


Ab aage...

Kehte hai ki bhagwan jab deta hai toh chhappar faad ke deta hai. Magar, kayi baar aisa bhi hota hai ki ek musibat ki jagah kaho anek musibatein saath me hi aa jaaye.

Veer iss samay isi duwidha me tha. Ek taraf woh Bhumika ko dekh raha tha jo chinta me uske saamne khadi thi toh wahi dusri taraf Prachi ko jo food truck se nikal ke jaldbaazi me aayi thi.

Samasyao ne darwaza khat-khata diya tha. Akhir, chal kya raha tha yaha? Veer ne pehle Bhumika se hi puchna sahi samjha.

Veer : Pehle aap bataiye! Kya hua hai?

Bhumika (frowns) : Veer! Ek bohut badi problem ho gayi hai.

Veer : Hotel me kuch-!?

Bhumika (nods) : Haan!

Veer : Kya dikkat hai?

Bhumika : Woh- Woh Head Chef-!!!

Veer : Head Chef?

Bhumika : Hmm! He's very troublesome to deal with. Pehle bhi woh kayi baar aisa kar chuka hai.

Veer : Kya kiya hai usne?

Bhumika : Baaki chefs ko bhadkana. Pay increase karne ke liye. Mein pehle hi 2 baar payment badha chuki hu. Magar-!! Oh no! Firse call aa raha hai. Veer! Mujhe jaana hoga!

Veer (nods) : Ek kaam kariye. Aap pohuchiye, mein aapke peeche peeche aata hu.

Bhumika : Alright!

Bhumika jaldbaazi me daudte hue waha se apni car ki orr nikli. Par, aisi sthiti me uska akela jaana theek nahi tha. Isliye,

Veer : Arohi dii?

Arohi (nods) : Mmm~ I got it!

Woh toh jaise bina kuch kahe hi samajh gayi. Bina Veer ko jawaab diye woh waha se tezz qadmo ke saath Bhumika ke peeche peeche chal di. Aur idhar Veer ke hontho par ek halki si muskaan saj gayi. Woh fir Prachi ki orr muda,

Veer : Ab tum batao! Kya hua hai?

Prachi : W-Woh-!

Veer : Ghabrane ki zaroorat nahi. Khul ke batao!

Prachi : Okay! Actually, baat ye hai ki- Ab aap toh jaante ho ki aapke kitne food trucks hai. Magar, aap harr ek ko daily dekhne nahi aa sakte. Right?

Veer : Mmm-hmm!

Prachi : Toh aaye din workers badalte rehte hai. Koi jaata hai toh koi naya aa jaata hai.

Veer : So?

Prachi : So, hua ye hai ki- Sir! Kaushik naam ka ek ladka hai.

Veer : Kaushik?

Prachi (nods) : Hmm! Woh morning waala breakfast ka jo ek aur food truck hai usme rehta hai. Uske saath ek aur ladka hai. Uske saath wala ladka accha hai lekin ye Kaushik-

Veer : Kuch kiya hai kya?

Prachi : N-Nahi!

Veer : Toh?

Prachi : Ab ho sakta hai mein zyada soch rahi hu. P-Par Sonali di jo hai-

Veer : Sonali ka kya?

Prachi : Sir, woh Kaushik aaj kal har roz shaam ko yaha aata hai aur fir Sonali di se meethi meethi baatein karta hai.

Veer : Hmm?

Prachi : Aur Sonali di use bas daant deti hai magar- Mujhe lagta hai jaise Kaushik ki baatein unhe pasand bhi aati hai.

Veer : I see! So, what's the problem?

Prachi : Problem ye hai ki- Mujhe lagta hai ki woh Kaushik kuch theek nahi hai.

Veer : Aisa kyu bhala? Agar woh theek nahi tha toh use hire kisne kiya?

Prachi : Sonali di ne hi. Uske kaam me koi dikkat nahi hai Sir.

Veer : Fir kya dikkat hai? Behaviour?

Prachi : Haan! Ho sakta hai mein kuch zyada overthink kar rahi hu. Mujhe jo laga woh mene aapko bata diya. Mujhe woh ladka theek nahi lagta.

Veer : Theek nahi lagta as in? Kya kuch gadbad kar raha hai? Ya kar sakta hai?

Prachi : Actually-

Veer : Prachi! Tumhe hich-kichane ki zaroorat nahi. Owner mein hu. Tum kaho! Tumhara koi kuch nahi ukhaad sakta. Just say!

Prachi : O-Okay! Shayad Kaushik-

Veer : Hmm?

Prachi : Sonali di ko paana chaahta hai.

Veer : Kya Sonali ko Kaushik pasand hai?

Prachi : Shayad haan! Like woh daant lagati hai use. Seedhe muh baat nahi karti par mene unko uski baato par muskuraate dekha hai.

Prachi ki baat par Veer ko thodi hairani hui. Sonali kisi ladke ki baato par muskura rahi thi?

Use Suman ko kahi gayi apni hi baat yaad aa gayi~

'Agar woh kisi aur ko chaahegi, toh mein use jaane dunga!'

Veer ko yaad hai ki usne isi kaaran kabhi Sonali ko Suman aur Aabha ki tarah apna slave nahi maana tha. Kyuki, ho sakta tha ki Sonali use apne maalik ke roop me sweekaar na kare. Ho sakta tha ki use koi aur ladka pasand aa jaaye.

Shayad aaj woh din aa chuka tha. Veer ne ek gehri saans li.

Veer : Agar use pasand hai. Toh kya dikkat hai?

Veer ko kehte hue pata nahi kyu accha nahi lag raha tha lekin fir bhi usne keh diya. Prachi ne jab ye suna toh woh hairat me use ghoor ke dekhi.

Prachi : A-Aap ko parvaah nahi?

Veer : Hmm? Isme parvaah kaisi? Sonali ko agar koi pasand hai toh acchi baat hai na woh toh-!?

Prachi : Eh? I-I thought-!!

Bechari Prachi duwidha me fas ke reh gayi. Use laga tha ki Veer aur Sonali ke beech kuch chal raha tha isliye woh bhaagi bhaagi daud ke ye baat use bataane aayi thi. Par yaha toh aisa prateet ho raha tha jaise Veer aur Sonali ke beech kuch tha hi nahi.

Woh toh ye soch ke aayi thi ki woh unn dono ke pyaar ko bacha legi. Par-

Veer : Sonali samajhdar hai. In case kuch gadbad tumhe lagti hai toh mujhe call kar dena.

Prachi : Mene aapko abhi toh bataya. Woh ladka theek nahi hai.

Veer : Hmm! Mene sunn liya hai Prachi. Par tumhare paas abhi kuch proof bhi nahi hai. Isliye keh raha hu, kuch gadbad lage toh mujhe call kar dena. You have my number, right?

Prachi : H-Haan!

Veer : I'll leave then!

Prachi : B-But-!!

Veer uski baat sune bagerr hi food truck ki orr chal diya. Andar Sonali dishes banaane me lagi hui thi.

Toh wahi road ke uss paar ek aur food truck khada hua tha. Jisme Kaushik aur ek aur worker maujood the.

Kaushik Sonali ko dekh apne lund ko masalne me laga hua tha. Aur uska saath driving seat par baitha tha.

Worker : Dekh! Mein abhi bhi keh raha hu. Woh teri pohuch ke baahar ki ladki hai. Upar se owner ki koi rishtedar lagti hai mujhe toh. Tujhse nahi patne waali.

Kaushik : Abe, tu jaanta hi kya hai ladkiyo ke baare me. Dekhta jaa bas tu. Gaav ki chhori hai. Chaahta toh mein uss Prachi ko set kar sakta tha. Magar, woh yahi Mumbai ki hai. Uss saali ko mere upar kuch shaq sa hai.

Worker : Woh ladki samajhdar hai!

Kaushik : Lekin, ye Sonali gaav se hai. Ise sheher ka utna gyaan nahi. Ise set karna asaan hai. Saali ko chodne me kya maza aayega. Lita lita ke chodunga.

Worker : Mein abhi bhi keh raha hu. Uss se dur hi reh.

Kaushik : Kya jhandu aadmi hai bey tu? Kabhi choot maari hai?

Worker : Nahi!

Kaushik : Bas yahi toh dikkat hai tumhari. Abe jaise ek nashedi insaan bina nashe ke reh nahi sakta na? Wese hi ye lund hai. Ek baar ye choot ka swaad chakh le na toh bina choot maare nahi rehta.

Worker : Choot ke chakkar me lene ke dene bhi pad jaate hai. Aur isliye, mein apne kaam se hi matlab rakhta hu.

Kaushik : Haan toh tu wahi kar. Mere kaam me taang mat ada. Mere lund ko choot ki zaroorat hai. Agar ye set ho gayi, toh fir kehne hi kya. Naukri bhi karte raho, free ki choot bhi maarte jao. Hahahaha! Pagaar ki pagaar. Upar se food truck ke maalik ki sambandhi hai woh. Sab set hai.

Worker (sighs) : Tu jaane aur tera kaam jaane.

Kaushik apne saathi ki baato ko ek kaan se sunn dusre kaan se nikal diya. Tabhi, uski nazar Veer par padi jo Sonali ke food truck me jaa raha tha.

Kaushik : Iski maa ka- Jaldi, gaadi waha laga.

Worker : Kyu? Kya hua?

Kaushik : Abe yahi owner hai na?

Worker (squints) : H-Haan shayad-! Haan yahi hai. Veer Sir!

Kaushik : Haan toh gaadi laga waha. Turant!

Worker : Haan haan!

Kaushik ke saathi ne food truck chaalu kar aage badhaya aur U-turn lete hue woh road ke iss side par aa gaya jaha Sonali ka food truck maujood tha.

Jab tak ye log yaha aa rahe the tab tak Veer aur Sonali ke beech alag vartalaap chal raha tha.

Veer : Sab theek toh chal raha hai na?

Sonali : Hmm? Aaj tumhe itna parvaah kaise hone lagi? Aise toh kabhi jhaakne nahi aate.

Veer : Kya mein puch nahi sakta?

Sonali : Puch sakte ho! Bilkul puch sakte ho. Sab kuch tumhara hi toh hai. Jo chaahe karo! Bhala mein kaun hoti hu-?

Veer (sighs) : Mera matlab ye hai ki kahi koi gadbad toh nahi hai. Koi dikkat toh nahi hai na? Sab theek hai?

Sonali ne do pal ke liye use dekha fir muh fula ke mudte hue boli,

Sonali : Hmm! Sab theek hai!

Veer (nods) : Alright! Agar koi- Agar koi problem ho toh mujhse share kar sakti ho. Okay?

Sonali (confused) : Tumhari tabiyat toh theek hai na?

Veer : I-!! Leave it! Apna dhyaan rakhna. Aur, apne aas paas ke logo ka bhi.

Sonali : Huhh!? Kya matlab? Aaj subah subah kahi sarr bhidwa ke aaye ho kya? Kaisi behki behki baatein kar rahe ho?

Veer kuch keh paata ki itne me Kaushik apne saathi ke sang truck leke haazir tha.

Window se nikal ke hi woh haath hilaate hue chillaaya,

Kaushik : Arre! Haha! Sir! Aaj mile ho aap! Warna kabhi darshan hi nahi hue aap ke toh batao.

Uske aate hi,

'Check!'

Veer ne usko poori tarah se scan kar liya. Kahi koi gadbad nazar nahi aayi. Kaushik ek aam ladka hi tha. Thoda awara-gardi karne waala tha magar kaam uska theek tha. Koi chor, gunda, mawali nahi tha woh. Jab Veer ne ye dekha ki kahi kuch gadbad nahi hai. Toh usne ek raahat ki saans li.

Kya iska matlab Prachi bewajah hi chintit ho rahi thi?

Prachi, jo theek unke saath khadi hui thi woh Kaushik ko aata dekh ke hi tension me aa gayi.

Veer ne idhar Kaushik ke aate hi uski baat ka jawaab diya,

Veer : Ohh! Naye ho?

Kaushik : Ji Sir!

Veer : Kya naam?

Kaushik : Ji Kaushik!

Veer : Alright! Acche se kaam karna.

Kaushik : Aap fiqr mat karo Sir! Mein apna kaam poori lagan se karta hu. Lekin, aaj aap se ek permission lena chaahta hu. Umeed hai aap mana nahi karoge.

Veer : Kaisi permission?

Kaushik : Woh kya hai na, kuch dino pehle pradarshani lagi hai yahi paas me. Mujhe jaana tha zara.

Veer (nods) : Theek hai! Tum jaldi jaa sakte ho.

Kaushik : Na na na na! S-Sirf mein nahi!

Veer : Toh?

Kaushik : Ahem! Woh kya hai na! Ab akela mein kya karunga Sir waha. Saath me koi hona chahiye na? Sundar si pradarshani ko dekhne ke liye ek sundari bhi toh honi chahiye na saath me? Hai na?

Veer : Bilkul!

Veer ne keh toh diya magar uske chehre par koi bhaav nahi the. Woh Kaushik ko aise dekh raha tha jaise kisi namoone ko dekh raha ho.

[Oh my~ Look at this worthless ant! A toad wishing to eat swan meat.]

Pari ke muh se bhi Kaushik ke liye beizzati hi nikli. Do kaudi ka ladka uske Master se hi unki hi bandi ko ghumaane ki permission maang raha tha. What a joke!

Magar-

Sonali ne jab Kaushik ki baatein suni, toh woh hass padi.

'Hmm?'

[Oh! Lagta hai~ Tumne apna swaad ise nahi chakhaya. What a mistake you have made my baby~ Isliye kehti hu. Forget all this. Come to me! Surrender to me! Call me 'Mommy' and I will make you the most powerful man in this world.]

'Please stop!!!'

Veer Pari se baat karne ke mood me nahi tha abhi. Sonali ne Kaushik ki baat sunn Veer ko dekha jaise maano woh dekhna chaah rahi ho ki Veer kaise react karta hai.

Veer (sighs) : No! This is work time. Tum khud jaana chaahte ho, koi manahi nahi hai. Jaa sakte ho. Par, staff me se kisi aur ko apne sang le jaana? Ye mein allow nahi kar sakta. Shaam hone waali hai aur ab rush hours rahenge. So, it's a strict 'NO' from my side.

Veer ka jawaab sunte hi jaise Kaushik ke muh pe 12 baj gaye. Kintu, usne aisa dikhaya nahi. Farzi muskan liye woh hassa aur punah bola,

Kaushik : Hahahaha! Arre kya Sir? Subah se din tak itna toh kaam kiya hai humne. Aur mein jaanta hu, sundari ka bhi ghoomne ka mann hoga. Ahem! Mera matlab hai Sonali ji ka! *winks*

Kaushik Sonali ko hi sundari keh ke itni derr se sambodhit kar raha tha. Jiske chalte, Sonali bas nazre ferr muskuraaye jaa rahi thi. Ye ladka roz uske paas kisi na kisi bahane se aaya karta aur roz apni fizool baato se use entertain karta.

Par kahi na kahi, ab uski fizool baatein hi Sonali ko jaise pasand aane lagi thi. Galti uski nahi thi. Balki, galti kisi ki bhi nahi thi.

Gaav ki ek aam ladki hone ke kaaran, Sonali ke standards ladko ko lekar behad hi low the. Shuru se hi woh apne baap Pushpendra aur uske bete Amit jaiso ko dekhti aayi thi. Jo ek number ke nalle, jaahil, gawaar aur nashedi aadmi the.

Aisi biraadri me rehne ke baad, Sonali ko ladke me bas itna hi chahiye rehta tha ki koi use sukhi rakh sake. Uski qadr kare. Bas!! Yahi the uske standards aur uski maangein.

Veer jaisa ladka uski expectations se bhi kahi zyada tha. Upar se uski khud ki maa, aur bhabhi apni taangein fela ke apne aap ko Veer ke prati samarpit kar chuki thi. Kahi na kahi, Sonali ke antarmann me ye dhaarna thi ki Veer bhala use kyu chaahega?

Uske paas toh ladkiyo ki line lagi hui thi. Magar maajra toh kuch aur hi tha, jo bechari woh nahi jaanti thi. Kisi aur ladke ka aana aur Sonali se iss tarah rubaru hona. Ye Veer ko na jaane kyu magar zara bhi pasand nahi aa raha tha.

Kaushik ke aamantran par usne turant hi naahi jataayi,

Veer : Nahi! Sonali ko kaam hai aur woh kahi nahi jayegi.

Kaushik : Arre ye kya baat hui Sir? Thoda hamare baare me bhi sochiye!

Veer : Nahi! Mene kaha na ki Sonali nahi-

Kintu,

Sonali : Kyu nahi? Kab se mein bhi subah se lage lage thak gayi thi. Pradarshani mujhe bhi dekhni thi. Na jaane kab se nahi dekhi. Isi bahaane thodi kamar bhi seedhi ho jayegi.

Veer : S-Sonali? T-Tum!?

Sonali : Haan! Kya mein nahi thakti? Mujhe bhi ghoomne ka mann karta hai. Aur kaun sa roz roz chhutti leti hu?

Veer : Tum aise kaise-!? Mujhe abhi zaroori kaam se jaana hai. Prachi akele nahi sambhal payegi. Tum iss waqt-

Sonali : Haan haan! Mujhe pata hai! Koi kaam nahi hai tumhara! Ab T.V me aa rahe ho iska matlab ye nahi ki harr waqt vyast ho tum. Ab aaye ho toh sambhalo apna yeh truck. Jaise uss din sambhala tha!?

Kaushik : Arre waah! Hahahaha! Kya baat hai! Dekha na Sir? Sab ki hi iccha hai. Mein toh kehta hu aaj aap chhutti hi dedo. Aa jao sundari- Mera matlab hai Sonali ji! Aaiye chalte hai! Thoda ghoom ke aate hai.

Bechari Sonali ye nahi jaanti thi ki abhi abhi Bhumika ki hotel me musibat aayi hai. Woh iss baat se anjaan thi. Woh nahi jaanti thi ki Veer ko abhi jald hi nikalna tha. Woh toh yahi samjhi ki Veer koi bahana bana raha tha.

Woh Kaushik se bhi parichit thi. Ye pehli baar nahi tha jab woh uske waale truck me baith rahi thi. Jab use hire kiya tha tab bhi woh Kaushik ke sang baith ke use venues ke baare me batayi thi. Kaha food truck lagana hai, kaise kaam karna hai. Toh isme ghabrane waali koi baat hi nahi thi ki woh akeli jaa rahi hai.

Saath hi woh Veer ko tang karne me kaha peeche hatati thi? Ye nirnay lete hi woh mann hi mann thahaake laga rahi thi. Soch rahi thi ki Veer chidhega aur tu-tu main-main karega.

Yahi soch woh truck se nikli aur Kaushik ke truck me chali gayi. Prachi muh khole bas nazara dekhti rahi. Jis train ko woh sahi se chalane ki koshish kar rahi thi woh toh patri se hi utar gayi. Naiyaa dubti hui nazar aa rahi thi use. Woh Veer ko bas hamdardi liye dekhi.

Aur mann me hi sochne lagi,

'Kya kar diya ye aapne Sonali di? Aapne Veer Sir jaise ladke ko haath se jaane diya? Agar mein aapki jagah hoti, toh uss Kaushik chhapri ko ghaas tak nahi daalti. Ye kya kar diya aapne?'

Sonali idhar muskaan liye seat par baithi aur truck chaalu hoke waha se chalne laga.

Magar jaise hi uski nazre Veer par tiki toh woh ghabra uthi. Veer ke chehre par taajub bhare bhaav the.

Woh Sonali ko aise dekh raha tha jaise use pehli baar dekh raha ho. Jaise usne koi aisa kaam kar diya ho jiski Veer ko umeed hi nahi thi. Achanak hi, Sonali ke dil ki dhadkane bechaini ke chalte tezz ho uthi. Par, truck chal chuka tha.

Use ye abhaas hua ki taang kheechne ke chakkar me kahi na kahi shayad usne Veer ko thes pohucha di hai. Ye sab kya ho raha tha?

Veer ke chehre par woh bhaav usne aaj se pehle kabhi nahi dekhe the. Kya uss se koi bhul ho gayi? Kya woh zyada bol gayi?

Sonali : N-Nahi-!!! R-Ruko-!

Par tab tak bohut derr ho chuki thi. Food truck kaafi aage badh chuka tha. Aur Sonali, sheeshe se Veer ke chehre ko dekh paa rahi thi. Na jaane kyu par uske dil me ek ajeeb sa dard utha.

Ab jaise sab kuch galat lag raha tha. Ye pradarshani, ye thakaan, Veer ki taang kheechna, jaise ab sab bhul chuki thi woh. Ab jaise inka koi artha hi nahi reh gaya tha. Kyuki jise sataane ke liye usne ye kiya tha wahi use hataash hue naraazgi me dekh raha tha. Veer ki wahi akhiri chhavi uske mann me bas gayi aur ek vichitr sa dard chhodh gayi.

Truck yaha se Veer ki aankhon se ojhal ho gaya. Sonali ke andar wapas jaane ki himmat bhi nahi aayi aur na hi woh kuch samajh paayi ki ye kya hua abhi abhi. Veer ko uss tarah dekh, uske dil me itna dard kyu uth raha tha?

'Iss se pehle-! Iss se pehle mene use kabhi aise nahi dekha! K-Kahi mein kuch zyada toh nahi bol gayi na? Agar woh bura maan gaya toh-!!!'

Lekin, ab sochne se kya fayda jab chidiya chug gayi khet. Woh ye nahi jaanti thi ki aane waale pal uske liye kaise hone waale the. Uske peeche khada Kaushik apni ghatiya nazro se uske badan ko taadne me laga hua tha. Muh se laar tapakne ki deri thi bas.

'Aaj toh teri seal tod hi dunga Sonali darling!!!'

***

"Ye kya kiya aapne?"

Truck ke jaate hi Veer ke peeche se Prachi ki naraazgi bhari awaaz aayi.

Veer : Kya?

Lag raha tha jaise woh Veer se bhi kahi zyada nirash thi.

Prachi : Aapne unhe jaane diya?

Veer (turns back) : Mene unhe jaane diya?

Veer ke sawaal par Prachi maun reh gayi. Usne jaane nahi diya tha. Balki, woh sabhi khud hi chale gaye the.

Veer chaahta toh ek baar me yaha maujood ek ek ki hekdi nikaal deta. Use bas 'Intimidating Presence' equip karne ki zaroorat thi. Uska aura mehsoos kar ke hi unn sab ki bolti band ho jaati. Lekin, usne aisa na kiya.

Prachi bas saantvna liye use dekhti rahi. Veer ke dil pe kya guzar rahi thi jaise woh jaanti thi.

Woh hairaan tha. Use thes pohuchi thi. Taajub iss baat ka nahi tha ki Sonali Kaushik ke saath gayi. Taajub iss baat ka tha ki Sonali uski baat ka yakeen na kar ke Kaushik ki baat ka yakeen kar chali gayi.

Kitne mahine ho chuke the use aur Sonali ko ek chhat ke neeche rehte hue? Usne apni taraf se kya kami chhodhi thi Sonali ke liye? Dard bas yahi tha ki Sonali ne ek baar bhi uski baat pe vishvaas na kiya. Aur bina poori baat sune nikal gayi. Yahi kaaran tha jo uske chehre par aashcharya tha.

Prachi : A-Ab?

Veer : You stay here! Mujhe kuch kaam hai! Mein aata hu baad me.

Prachi : O-Okay!

Woh aage kuch na keh paayi. Veer turant hi uske hawaale food truck chhodh seedha Hotel Prestige yaani ki Bhumika aur Shweta ki hotel ki orr nikal gaya.

***


Hotel Prestige
Evening ~ 6:08 PM


"Ye sab kya laga rakha hai, haan?"

"Aur nahi toh kya? Hum sab kya bewakoof hai?"

"Arre jab nahi ho paa raha hai toh lena hi nahi chahiye na order. Kaisa management hai aapka?"

"Paisa bhar dikhta hai inhe Bhai sahab. Baaki grahak ki qadr thodi hi hai."

"Sahi kaha!"

"Mein khud aadhe ghante se wait kar raha hu. Family saath me hai. Order le liya hai magar abhi tak table par paani ka jug tak nahi aaya hai. Ab batao!"

"Ye koi dhang thode hi hai. Bhai nahi ho raha aapse toh bata do. Band kar do. Hai na? Aadmi apni dusri jagah jaaye. Usko pehle hi bata do."

"Bilkul! Bilkul!"

"Haan! Samay ki barbadi hai aise me toh-"

"Mein bhi family saath aaya hu. Ab mera order pehle de diya. Aur abhi tak baccho ka order nahi aaya. Ye kya baat hui? Matlab mein unke saamne akele akele khau ab? Aap batao bhai. Family time ka matlab kya hota hai? Aadmi hotel kyu jaata hai?"

"Bilkul! Bilkul! Parivar ke saath khaane ke liye hi toh aata hai. Par ye baat ye kaha samajhte hai-"

"Sahi kaha ji. Darasal, ye aaj kal harr hotel ka bann gaya hai. Jab jab holiday waale din rehte hai ye uss din jaan boojh ke itna rush ghuswa lete hai laalach ke chakkar me. Baad me inse manage hota nahi hai."

Kayi saare log reception area me khade ek dusre se baatein karne me lage hue the aur counter ke uss side khadi Nandini jo ki hotel ki manager thi bas ghabra ke sab kuch dekh rahi thi.

Nandini : Sir! Please! Shaanti banaye rakhiye. Dekhiye! Thodi si problem ho gayi hai. Baat samajhne ki koshish kariye. Aisa kabhi hota nahi hai. Par aaj thodi si dikkat ho gayi hai.

"Arre kya dikkat ho gayi hai?"

"Haan haan! Jab nahi ho paa raha toh pehle batana chahiye."

"Shaam ke samay me ye haal hai, socho raat me kya hoga jab dinner ke liye aur families aayengi."

"Band kar do hotel."

Nandini : P-Please Sir! Try to understand.

Nandini ne kabhi bhi iss tarah ki situation se deal nahi kiya tha. Kyuki aisi naubat kabhi aayi hi nahi thi. Par aaj na jaane kiski nazar lag gayi thi unki hotel ko.

Nandini ne apne sehyogi logo ko dekha aur public ko shaant rakhne ke liye keh ke woh fauran hi andar kitchen ki orr bhaagi.

Andar aate hi woh zorr se boli,

Nandini : Ma'am!! Ma'am baahar situation ab out of control jaa rahi hai. Manage karna ab mushqil ho raha hai. Logo ka gussa badhta jaa raha hai.

Andar Bhumika chintit nazro se use dekhi. Kitchen me saamne saare chefs aur workers apna kaam dhaam chhodh ke ek jhund bana ke khade hue the.

Unn sab ke beech me hotel ka Head Chef apni guroor bhari muskaan liye khada tha. Head Chef woh hota tha jo kitchen me saare chefs ka head hota tha. Wahi baaki chefs ko nirdesh deta tha aur hotel acchi tarah se chal sake, isme uska bohut bada yogdaan hota tha.

Magar, Hotel Prestige ke Head Chef, Narang aaj kisi aur mood me hi tha. Kareeb 40-45 ki umr ka ye aadmi apne saath saath baakiyo ko bhi apne shadiyantra me shaamil kiye baitha tha.

Narang : Mein kahe deta hu! Hamari maange poori karo warna hum sab abhi ke abhi apni naukri chhodh denge.

Bhumika bechain ho uthi. Iske pehle bhi woh do baar uss Narang ki payment badha chuki thi. Iss se zyada woh afford nahi kar sakti thi. Balki, shayad hi koi itni payment deta hoga.

Bhumika : Aapki payment mein pehle hi do baar badha chuki hu. Ye theek nahi hai. Kahi aur jaa ke dekhiye. Koi bhi aapko-

Narang : Hmph! Toh theek hai. Chale jaata hu. Yaha se acchi pagaar milne ka offer wese hi aa chuka hai mujhe.

Bhumika : Huh!??

Narang : Chalo Bhai log!!

Narang ke saath kaafi log the. Magar saare nahi. Kuch the jo abhi bhi apni pagaar se khush the aur hotel ke hit ke liye hi kaam karna chaahte the. Hotel se unka lagaav tha. Par ye log chand hi the.

Bhumika ne jab dekha ki woh log jaa sakte hai toh woh darr gayi. Woh inhe jaane nahi de sakti thi. Agar aisa hua, toh hotel ke profit ke upar bohut bada antar aa sakta tha. Nuksaan hi nuksaan ho sakta tha.

Naye chefs ko dhundhna, unhe laana, fir wapas se kaam samjhana, ye sab na jaane kitna samay le sakta tha. Uske baad taste ka change hona. Harr chef apne dhang se khaana banata hai. Jo yaha pehle se bana rahe hai, unke jaisa agla aadmi nahi bana sakta.

Prestige ki yahi toh pehchaan thi. Uska taste!! Agar chefs badal jayenge, toh woh pehle jaisa taste kaise maintain kar payenge? Signature dishes ka kya hoga jo sirf head chef hi banaaya karta hai?

Inn vichaaro ne Bhumika ko ek chakravyuh me fasa diya. Agar Shweta yaha hoti toh woh ab tak chidh ke Narang ko bhaga chuki hoti. Usme itna tolerance nahi. Magar, Bhumika ke andar tolerance level kahi zyada tha.

Bhumika (frowns) : Ye aap theek nahi kar rahe. Baahar log apne khaane ka wait kar rahe hai. Ye saari baatein aap baad me bhi toh kar sakte the na? Abhi karne ki kya zaroorat thi?

Narang : Iska faisla abhi hi hoga. Baad me taalne wala kaam mera nahi. Kyu bhai log?

"Haan haan!! Faisla abhi hoga."

Bhumika : A-Aap sab-!!! Kya zara bhi pyaar nahi aapko iss hotel se? Itne saalo tak aap sab ne kaam kiya hai. Kya kabhi aapko kisi cheez ki taqleef hone di hai mene ya Mom ne?

Uski iss baat par kuch chefs apna sarr jhuka ke khade ho gaye. Baat satya thi. Aaj tak unhe kabhi bhi kisi bhi cheez ki taqleef nahi hui thi. Pagaar hamesha samay par mil jaaya karti thi. Tyohaaro me unhe bonus bhi milta tha. Kahi se bhi koi taqleef nahi thi.

Fir woh sab kyu apni itni shaleen maalkin ke khilaaf khade ho uthe? Jawaab tha ~ Narang!

Jisne bhadka ke unhe apne side kar liya tha. Thode se behkaave me aane ke baad woh ye tak bhul gaye ki isi hotel se unka ghar chalta tha. Aaj woh usi ko laat maar rahe the. Kahi na kahi unn sab ke andar ek glaani ki bhaavna zaroor jaagi. Magar ab woh itna aage badh chuke the. Ab peeche nahi hatt sakte the.

Narang : Hume bas saaf saaf jawab de do!

Bhumika duwidha me fas gayi. Kya kare woh?

Saath khadi Arohi bhi clueless thi. Kya karti woh bechari.

Arohi : Kaash Veer yaha hota-!!!

Uske muh se ye nikla hi tha ki-

"What's happening here???"

Ek jaani pehchaani awaaz uske kaano me padi.

'Huh???'

Bhumika aur Arohi dono ne mud ke dekha toh paaya ki Veer unke saamne khada hua tha. Woh abhi abhi kitchen me aaya tha. Baahar ke staff ne use andar jaane ke liye kaha tha.

Arohi : Veeeeeer!!!

Woh aage badh unke nazdeek aaya aur Bhumika ne use sab kuch samjha diya. Pehle toh Veer hassa aur uske baad usne Narang ko dekha,

Veer : Toh tumhe jawaab chahiye? Hmm?

Narang ne upar se neeche tak Veer ko dekha. Iss ladke ko usne pehle kabhi nahi dekha tha. Jis tarah se Bhumika aur Arohi uske saath pesh aa rahi thi, Narang ne ek anumaan laga liya ki ye ladka unka koi rishtedar hi tha. Apna guroor wapas se chehre par jhalkaate hue woh bola,

Narang : Hmph! Tum jawaab doge? Kherr! Jo bhi de, mujhe farq nahi padta. Bas, haan ya naa me bata do. Payment hamari badha rahe ho ya nahi?

Veer (smiles) : Theek hai! Toh mein deta hu tumhe jawaab!

Narang : Hmm!

Veer : GET LOST!

Narang : Huh???

Bhumika : Ahhh??? V-Veeer???

Narang ko jaise apne kaano par yakeen nahi hua. Bhumika ka bhi yahi haal tha. Woh iss waqt kaise bhi kar ke unhe rokna chaahti thi. Baahar sabhi khaane ka wait kar rahe the. Aise me ye kaisa nirnay tha ki Narang ko bhaga diya jaaye?

Narang : K-Kya kaha tumne?

Veer : Mene kaha, dafa ho jao!

Narang : Haah! Haha! Hahahahahaha!

Bhumika : Veer! Tum-!?

Narang : Mujhe toh laga tha thodi bohut aqal se kaam loge. Par- Hahahahaha!!!

Veer (smiles) : Aqal se hi kaam liya hai. Aur ye aqal pehle hi dikha deni chaahiye thi.

Narang : *frowns*

Veer : How much you pay him monthly?

Bhumika : Th-That's-!!! 60,000!!!

Veer (baffled) : 60 hazaar rupaye?? Aur pehle kitna pay karti thi?

Bhumika : 45,000!

Veer : 15,000 rupaye ka izaafa!! Mujhe nahi lagta ki aas paas ke kisi bhi hotel me kisi Head Chef ki itni payment hogi.

Narang : Ladke!! Tujhe pata hi kya hai? Hmph!!! Baahar jaake dekh zara. Casa Belle waale toh mujhe khushi khushi le lenge.

Bhumika : N-Nahi!!!

Bhumika ka darr jayaz tha.

Casa Belle!!!



Screenshot-2023-06-11-134734

Haal hi me khuli ek nayi hotel jo unke hotel ke paas hi thi. Ek 5 star hotel. Bhumika ka sapna tha ki woh apni iss hotel ko 5 star hotel me tabdeel kare. Duniya ki ekdum premium hotels me uski hotel ka naam jaana jaaye. Aur isi sapne ke liye woh jee tod mehnat kiya karti thi.

Lekin, Casa Belle ke aane ke baad se hi hotel ke liye mushqile badh rahi thi. Zyada crowd abhi bhi Prestige ke paas hi tha. Magar, kya hoga agar Narang jaise chefs uske paas se chale jaaye aur jaa ke Casa Belle me kaam karne lage?

Hotel toh band hone ki kagaar pe aa jayega.

Veer bas muskuraya. Aur woh khushi khushi bola,

Veer : Darwaze khule hai! Jaa sakte ho!

Narang : T-Tum-!!!

Bhumika : Veer! Nahi! Hum aisa nahi kar sakte. Jald se jald inn sab ko rokna hoga. Baahar shor badhta jaa raha hai. Th-Theek hai mein payment badhaane ke liye-

Veer : Hargiz nahi! Ek rupaya bhi badhaya nahi jayega. Payment aapke kaam ke hisaab se ekdum sahi hai. Balki, zyada hi hai. 50,000 is a very good amount for a head chef. Not to mention ki tum kisi 5 star hotel ke chef nahi ho. Aur na hi abhi hamari hotel ek fully 5 star hotel me tabdeel hui hai.

Narang : Toh theek hai-!!! Bhaad me jao tum! Madam ji! Ab sambhal lena aap. Baad me mere paas gidgidate hue mat aana.

Bhumika : V-Veeeeer!!! Ye kya kiya tumne? P-Please! Hum unhe jaane nahi de sakte.

Narang : Hmph! Chalo Bhai log!

Usne kaha, magar pehle ke muqaable ab sirf aadhe hi log Narang ke saath aaye. Baaki aadhe peeche hoke khade ho gaye. Veer ki baato ne jaise unhe abhaas dilaya tha ki unhe jo mil raha tha woh pehle se kahi zyada tha.

Narang : Hmm? Tum sab!!! Yahi rehne ka irada hai kya? Bhulo nahi ki aise mauke baar baar nahi aate. Pagaar badhaane ka iss se accha mauka nahi milega. Ye ghatiya hotel chhodho aur chalo mere saath. Mein tum sab ko 20% zyada pagaar dilwaunga pehle ke muqaable.

Chef 1 : 20% zyada?

Narang : Haan! Chalo ab! Narang ki zubaan hai.

Chef 1 : L-Lekin-!! Nahi! Nahi hum yahi theek hai.

Narang : Tum!!! Mene kaha chalo mere saath.

Uska haath jabran thaam Narang ne jab use ghaseetna chaaha toh ek mazboot haath ne uski kalaayi ko jakad liya.

Veer : Woh kahi nahi jayega!

Narang : Ladke-!!! Haath chhodh!! Woh toh madam ke yaha itne saal kaam kiya hai isliye haath nahi uthaya tujh par. Tu hota kaun hai mujhe rokne waala? Madam ke naate mein kuch kar nahi raha warna-

Veer : Warna!? Shukr manao ki unhi madam ke chalte tum ab tak sahi salamat ho. Itne saal kaam kiya hai isliye zyada kuch kiya nahi mene warna-

Narang : Hoshiyar samajhta hai apne aap ko? Saale teri toh-

*Swish*

Wahi par rakha ek bada sa chamcha utha ke Narang ne Veer ke sarr pe chalaya par woh late tha. Ya yu kahe ki Veer uss se hazaro guna tezz tha.

Agle hi shan Narang ke haath se woh chamcha gaayab hua,

LIMBO!!!

*Crack*

*Swoosh*

Narang ko uske peeche se shirt pakad ke Veer ne uska sarr turant hi-

*Plop*

Paani se bhare ganj me de maara.

*Blurgh!!* *Gulp* *glrggh*

Bhumika : Nooooo!!! You both-!!!! Stop it Please!!!

Paani se uske chehre ko nikaal Veer use darwaze ki orr laaya aur-

*BAMMMMMM*

Darwaza zorr se khula aur ek udta hua insaan kuch feet dur jaa ke gira.

Baahar baithi tamaam janta ekdum se shaant ho gayi. Jo shikaayte woh pehle kar rahe the. Maar dhaad dekh sabke sab ekdum se dubak ke baith gaye.

Narang : L-Ladkeeee-!!! Madar-

*Bammmmmmm*

"Ugggghhh!!!"

Veer ne use pakda aur use aise le gaya jaise maano woh kooda fekne jaa raha tha.

Veer : Security!!!

Guard 1 : H-Haan!

Veer : Aaj se ye chef nahi hai. Hamari hotel me kaam toh kya, shaqal bhi nahi dikhni chahiye iski.

[What a strong performance. That's what I like about you~ A strong boy... needs a strong 'Mommy'! Doesn't he?]

'Shut up!'

[Fufufu~ Sooner or later! You'll be mine! ♡]

Narang ke saath jitne bhi the, woh Veer ko ladta dekh ke hi sehem gaye.

Veer : Aur tum sab!? Jaana nahi hai?

"N-Nahi Sir! H-Hum kaam karne taiyaar hai. Hum-"

Veer : Out!!!

"???"

Veer : Iss se pehle ki yahi haal tum sab ka hoye. Mere bina kahe hi nikal jao!

Na chaahte hue bhi unn sabhi ko waha se nikalna pada. Unhone apne hi perr par kulhadi maar li thi. Acchi bhali naukri haath se gawa di.

Ab woh sab Narang ke hi bharose the. Idhar Bhumika ki jaan jaise halak me aa gayi. Veer ne sabke saamne hi Head Chef ko nikaal diya? Ab kya hoga?

Bhumika : Khatam! Sab khatam! Veer! Kyu kiya aisa??? Ab k-kaise-!?

Arohi : Trust him!

Bhumika : Huh?

Arohi : He must have thought of something.

Bhumika : Wh-What?

Narang aur uski toli ko bhagaane ke baad Veer apne customers ke saamne aaya aur usne apni baat rakhi,

Veer : Jo kuch bhi hua. Uss sab ke liye mein aapse maafi maangta hu. Darasal, hamare Head Chef ki zyaadti badh gayi thi. Aur unhe ayeena dikhana zaroori tha. Mujhe aap sab 10 minute dijiye. 10 minute ke andar andar orders lagne shuru ho jayenge. Mein waada karta hu, aisa swaad aapne kahi nahi chakha hoga.

Uske bolte hi aapsi me logo ki khusur pusur chaalu ho gayi.

"Theek hai lao Bhai! Ab itna late toh ho hi gaya hai."

"H-Haan! 10 minute dekh sakte hai."

Manzoori milne ke baad Veer muskuraate hue kitchen me gaya. Peeche peeche Bhumika aur Arohi bhi thi. Nandini wahi baahar reh ke logo ko sambhaale rahi.

Aur idhar andar aate hi,

*Ding*

[Intimidating Presence has been equipped.]

Veer : Tum sab!!! Apna apna naam batao! Jaldi!

Bache hue chefs se jaise hi Veer ne buland awaaz me pucha sab uske aage sehem gaye. Andar se hi ek respect waali bhaavna na jaane kyu jaagrit hone lagi.

Apna apna naam unn sabhi ne bataya. Bhumika ko chinta khaaye jaa rahi thi.

Bhumika : Veer ab kya hoga? Hum kaise manage karenge? Ye nahi hona chahiye tha.

Veer : Bhumika dii!

Bhumika : ???

Veer (smiles) : Woh Narang pehle se hi naukri chhodhne ke chakkar me tha.

Bhumika : Wh-What??

Veer : Kya aapne gaur nahi kiya? Kyu woh baar baar Casa Belle hotel ka zikr kar raha tha?

Bhumika : Woh-

Veer (smiles) : Casa Belle waale logo ne pehle se hi use ghoos de di hai shayad. Narang toh bas bahana dhoondh raha tha yaha se nikalne ka.

Bhumika : Ahh!!?

Veer : Isliye woh aisi betuki farmayish rakh raha tha. Use laga tha ki aap use naukri se nikaal dogi. Aur uska kaam bann jayega.

Bhumika : Y-Ye!?

Veer (smiles) : But you were persistent. Aap use jaane nahi de rahi thi. Uske liye aur mushqil ho raha tha. And that's why he opted for violence.

Bhumika : Ahhhnn! Y-Ye baat thi!?

Veer : I fulfilled his wish. Ab shayad hi woh kabhi accha khaana bana paaye. *smiles*

Bhumika : Hmm?

Veer (smiles) : Looks like we've got a new competition in the market. Anyways! Aap sab kuch mujh par chhodh dijiye.

Bhumika : B-But how-!?

Veer (screams) : CHEFS!!!!

"Y-Yesss sirrr!!!"

Veer ne apni shirt utaar apni kamar par baandhi. Haath dhoye aur woh taiyaar tha.

Veer : Get ready!!! Bhumika dii! Arohi dii! Order numbers dijiye. Pehle woh bataiye jaha orders adhura pohucha hai. Uske baad woh orders jaha bohut derr se khaana nahi pohucha. And lastly newest ones.

Bhumika : G-Got it!!

Arohi : Veer! Table number 7!!! Umm! 1 Dal fry, 1 Veg pulav, and 1 butter paneer masala!!

Veer : Got it!!!

Uske haath itni raftaar se chal rahe the ki baaki chefs apni aankhein faade dekhte reh gaye. Kahi koi choonk nahi, sab kuch perfection se ho raha tha.

Bhumika ne jab uski speed dekhi toh uska muh khula ka khula reh gaya. Speed hona koi bohut badi baat nahi thi.

Par full accuracy ke saath speed hona, ye bilkul naamumkin jaisa tha. Kahi koi cheez gir nahi rahi thi. Tel ki maatra, pan ko saute karne ka dhang, ingredients ki maatra sab kuch jaise ekdum perfectly daala jaa raha tha.

Veer : Vijayyy!!!

Vijay : Y-Yes Chef!?

Veer : Tomato soup!!! Table number 9 ke liye. Abhi!!!

Vijay : Y-Yes Chef!!!

Veer : Toasted bread piece daalna mat bhulna!!

Vijay : Y-Yes!!

Veer : Coriander ki garnishing!!!

Vijay (shouts) : Yessssss Chef!!!

Veer : Rohitttt!!!!

Rohit : H-Haan??

Veer : Same table!!! Dry Manchurian!!

Rohit : Y-Yess Chef!!!

*Clang* *Schling*

Bartano ki khat-pat awaazo ke saath aur chaaku chhuriya ki dhaar ke sang Veer ne kitchen me ek alag hi aura bhar diya.

Baaki chefs Veer ki skills dekh, uss se order lete hue itne motivate ho gaye ki woh harsho-ullas ke saath khaana banaane me jutt gaye. Asli swaad tabhi aata hai jab ek chef dil se khushi khushi uss khaane ko banaaye. Aaj wahi ho raha tha.

Bhumika ne aisa drishya pehle kabhi nahi dekha tha. Veer ko kaam karta dekh, uski dhadkane tezz ho uthi. Sach kehte hai. Ek mard sabse zyada attractive tab hi lagta hai jab woh apne kaam me leen ho.

Woh yaha uss Narang ki payment badhaane ke chakkar me thi. Aur yaha Veer ne ek jhalak me uske shadiyantra ko pakad liya tha.

Bhumika : I have so much yet to learn...! M-Mein use samajh nahi saki theek se.

Arohi (smiles) : That's okay! As long as you keep faith in him!

Bhumika (smiles) : I see now! Thank you! Arohi!

Arohi (smiles) : Mmm~

Baahar jaise jaise dishes aati gayi, logo ke mann se woh doubt khatam ho gaya. Jaise jaise unhone khaane ka swaad chakha sab ke sab chakit reh gaye. Baat sahi thi. Aaj tak unn sabhi ne iss tarah ka swaad nahi chakha tha. Dishes toh same hi thi. Lekin, ek naya zaayka tha usme. Kuch extra tha. Jo woh bata nahi paa rahe the.

Akhir kaar ye silsila khatam hua. Raat ke 10:30 baj rahe the. Rush samaapt ho chuka tha. Veer ne aaj se pehle kabhi itna khaana nahi banaaya tha.

Garmi ke chalte woh poora paseene se lath-path tha. Hotel ke baahar closed ka sign lag chuka tha.

Dining area me hi woh ek kursi par AC ke neeche baith gaya.

Uske bagal se Arohi thi toh wahi dusri orr Bhumika.

Arohi ne ek towel lete hue uska paseena pochha.

Veer (smiles) : Thank you!

Arohi : Thank you!

Veer : Hmm?

Arohi : For working this hard!

Bhumika ne achanak se uski baah ko apne haatho ke ird gird liya.

Veer : ???

Bhumika : Veer! Aaj sab ne khaane ki itni zyaada tareef ki hai ki mein tumhe bata nahi sakti. Aisa pehle kabhi nahi hua.

Veer : Haha!

Bhumika : No doubt woh Narang accha khana banaata tha. Lekin, kabhi bhi public aise react nahi karti thi. Jo kuch bhi tamasha aaj hua, uss se public darr bhi gayi thi. Isliye mene unhe Sunday ka special offer ka coupon bhi diya hai. Umeed hai ye swaad chakhne ke baad woh zaroor ayenge.

Veer : Of course!

Bhumika (frowns) : L-Lekin-! Ye toh sirf aaj ke liye tha. Aaj tumne madad kar di. Aage kya hoga?

Veer : Don't worry! Aapke liye mene naya head chef bhi dhoondh liya hai.

Bhumika : Kya??? Kaun hai woh?

Veer (smiles) : You'll know soon!

Woh aankhein band thodi derr khud ko durust karne laga jab,

*Puch*

'Huh?'

Do narm honth uske gaal par lag gaye. Bhumika ne sharmaate hue uske gaal ko chooma.

Bhumika (blushes) : Th-Thank you so much!!!

Veer : Ahem! D-Don't mention it!

***

Yaha toh sab nipat chuka tha. Magar inn beete ghante Sonali kaha thi?

Food truck se nikalne ke baad woh Kaushik ke sang pradarshani dekhne gayi thi. Khayaal toh use Veer ka hi aa raha tha.

Kintu, Kaushik ki lagataar baato ko sunn aur pradarshani me mauj masti kar uska dhyaan Veer par se thoda hatt gaya.

Derr raat ho rahi thi. Usne aaj khoob enjoy kiya tha. Ab lautne ka samay tha.

Kaushik ka dost bhi jaa chuka tha. Ab woh khud hi gaadi chala raha tha.

Kaushik : Kya iss nacheez ke saath sundari jii ko thoda bohut bhi accha laga?

Sonali : Hahaha! Tumhari baatein betuki hai. Aur mujh par line maarna band kar do.

Kaushik : Uui maa! Pakda gaya kya mein?

Sonali : Kab ke!!! Chalo! Aur mujhe jaldi se wapas se truck par chhodh do. Prachi ab aur late nahi ruk payegi.

Kaushik : Bilkul! Bilkul!

Sonali ko raaste pata nahi the. Magar kuch na kuch mod yaad zaroor the.

Jab Kaushik ne truck dusri disha me moda toh uski bauhe kass uthi.

Sonali : Arre? Y-Ye raasta nahi hai. Woh waala mod tha.

Kaushik : Jaane dijiye na! Aaj yaha se chalte hai. Kaafi saari khubsoorat jagaahe hai yaha pe. Aapko dikhata hu.

Sonali : N-Nahi! Raat bohut ho gayi hai. Aur mujhe ab jaana hai.

Kaushik : Maaniye toh baat-!!

Sonali : Mene kaha na-!!! Ye-! Ye kya kar rahe ho tum??

Kaushik : Nahi!! A-Aaj aapko meri baat maanami padegi.

Woh uski orr mudte hue bola. Uski muskaan me iss baar hawas ke iraade jhalak rahe the.

Sonali : !!???
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Update consists of 7.3k words. Arc ne pace pakad liya hai. Second gear lag chuka hai. Baaki, like thokna nahi bhulne ka aur revos rakhne ka. Target wahi hai apna. 150. Kehna na pade baar baar. Aur saath bane rehne ka guys.
Keep supporting. ✨


Ding
(Mission: Safe to Sonali
Time limit: 25 minutes
Reward Points: 5000
Location: highway Road)


Super update bro
Waiting for next
 
Top