- 14,790
- 103,180
- 259
Last edited:
Wow... Bhut hi bawal update tha. Read krke bhut maja a gaya. Lakin sbse phle ek swal ki veer ke jab status wahi hai to wo aur jyada strong kaise ho gya ?Update - 146 ~ Break the Impasse (1)
Ab tak...
'Pariiiiii!!!!'
[Y-Yes!!!]
'Get ready!!! We're going on a hunt!!!'
Aur woh agle hi shan uss building se tezz raftaar me gaayab ho gaya.
Aur yaha dur hotel ki building me khadi Ava bas uss building ki khaali terrace ko dekhti reh gayi.
Ab aage...
Investigation Department
Las Vegas~
Department ke samast jann aaj ek saath ekatrit the. Government ke liye kaam karne waale detectives se leke private detectives sabhi maujood the.
Private detectives me se toh kewal 2 hi the. Nik aur uski patni…! Divya!!
Department ke head, Nolan Nik ki investigation team ko badhaayi de rahe the. Nik ki team ne mil ke sheher me choriyo aur cocaine ki taskari ko anjaam de rahi ek gang ko pakadwaya tha.
Na sirf department balki police force ki taraf se bhi kaafi saraahna mil rahi thi usse. HOK ke baad ye bhi ek badi qamyaabi thi.
Kintu, Divya unn sab se alag khadi apni hi kisi soch me doobi hui thi.
Nolan Nik aur uske team members se vartalaap zaroor kar rahe the par samay samay par unki nigaahein Divya par jaa rahi thi. Woh jaante the ki Divya kis baare me pareshaan thi.
Veer!!!
Department ne apna kaam kar diya tha. Iss se zyada woh iss maamle me hastakshep nahi kar sakte the. Beshaq, thoda zabardasti kar sakte the France ke DGSI ko dhamkaane ke liye.
Magar uss se zyada kuch nahi. Balki, darrana dhamkana bhi akhiri upaay tha.
Divya Veer ko leke hi chintit thi jab uske theek peeche se ek jaani pehchaani awaaz aayi,
“Veer ke baare me soch rahi ho ma’am?”
Awaaz sunn, woh fauran hi palti. Uske saamne Mike tha.
Divya : Mike?
Mike : Aap, Veer ko leke tension me ho na?
Divya (nods) : Hmm!
Mike : I hope woh sahi salaamat ho. Humne ek kaam toh kar hi diya hai at least.
Divya : Hmm! Ab DGSI ke upar hai woh kaise handle karti hai iss case ko. If only we could do something more-
Mike : Right Ma’am! Lekin, mujhe nahi lagta ki Sir Nolan forcefully DGSI se baat karenge. This is it.
Divya (frowns) : Aur isliye Mike- Mein pareshaan hu. Veer se koi contact nahi hua hai ab tak.
Mike : I hope sab jaldi sort out ho jaaye. Mein aur dekhta hu ma’am. Shayad Veer ke liye aur kuch madad kar sake hum? I owe him after all.
Divya : Thank you Mike! He will surely appreciate it.
Mike (smiles) : That’s the least I can do.
Bolte hue woh waha se mud ke chala gaya. Aur Divya yaha usse bas jaate dekhti rahi. Parantu, dhyaan toh kahi aur hi tha uska.
‘Suhana!! Akhir kaha par ho tum? Mere call ka jawaab kyu nahi de rahi? Waha sab theek toh hai na!?’
***
Hotel Plaza Athenee, Paris
Night - 9 : 11 PM ~
Iss Aalishaan hotel ke ek kamre me wahi baithi hui thi, jisse Divya yaad kar rahi thi.
Suhana!
Uske haatho me ek shirt thi, jisse woh kass ke bheenche hue thi.
Aur mann me kuch ateet ki awaazo se ghiri hui thi woh.
‘Toh? Raat ka kya plan hai? Kahi aur ghoomna hai?’
‘Aaj aap dinner ki party kyu nahi deti!?’
‘Ab dinner party bhi mein hi du? Abhi itni shopping karwaayi mene!’
‘Toh dijiye! Wese bhi! Aapki dinner party sab ko naseeb kaha hoti hai? Look at Nat. Unhe bhi mauka nahi milne wala.’
‘Duh! No way! *smiles* ‘
‘Fine then! Dinner ki party meri taraf se.’
‘Yessssss!!!!!’
Usse ab jaise saare beete pal yaad aa rahe the.
Vegas me bitaaye gaye woh sunehre pal. Dukhad baat ye thi ki woh party dene waala shaks ab uski zindagi se jaa chuka tha.
Aur fir kuch aur bol uske dimaag me goonje,
‘Suhana!!!!! N-Nothing will happen to you!!! Tumhe kuch nahi hoega. Don't worry! Abhi... I'm taking you to hospital. Hold your strength!!!’
‘V-Veer!’
‘Haan?’
‘I-I don't think... I will make it.’
‘Don't talk nonsense! Shut up! You'll be fine!!!’
Ye wahi pal tha aur ye wahi shirt thi.
Jo Veer ne utaar ke uske khoon ko rokne ke liye usse baandhi thi. Na jaane kyu, par Suhana ne uss shirt ko sambhaal ke rakha hua tha.
Hospital waalo ne usse jyo ka tyo rakha tha, kintu hosh me aane ke baad hi Suhana ne dry clean karwa ke woh shirt apne paas rakh li thi.
Jis tann ko ye shirt dhaakti thi, uss tann ka hi ata-pata nahi tha ab.
Woh bejaan si baithi hui thi jab uske kamre ke baahar se Ashita ki awaaz aayi,
Ashita : Suhana! Divya ka call aa raha hai. Mene usse bata diya hai yaha ki situation ke baare me. Kya tum baat nahi karogi uss se?
Magar Suhana ka koi jawaab na aaya. Ashita sab samajh chuki thi ki maajra kya hai. Ek ladke ke na hone se Suhana ka ye haal tha. Woh ladka kitne maayne rakhta tha uske liye?
Iska andaaza woh bhali bhaati laga chuki thi. Lekin, usne khul ke abhi tak ye baat saamne nahi rakhi thi. Suhana ko uski privacy woh de rahi thi. Saath hi ye samay sahi nahi tha.
Woh bina kuch aage kahe Suhana ko yu hi akela chhor chali gayi.
Aur idhar apne aap hi ek aasu ki boond Suhana ke gaal ko bhigo kar kab beh gayi usse pata hi na chala.
Kehte hai na ki uss insaan ki ahamiyat aapko tab pata chalti hai jab woh aapki zindagi se chala jaata hai. Suhana ko itni asahneeya peeda mehsoos hogi ye usne khud bhi kabhi nahi socha tha. Ye dard toh-! Peeth ko chhalni kar dene waali uss bandook ki goli se bhi kahi zyaada tha.
Sabka jaise yahi haal hoke reh gaya tha. Fir chaahe woh Suhana ho, Divya ya fir Ava.
Jo derr raat me akeli ek park me khadi hui thi.
Veer zinda tha. Ye khabar usse notification se pata chali thi.
Jo glaani ka bhaar tha, woh jaise halka ho chuka tha. Par azaad nahi hui thi abhi bhi woh iss bhaar se.
Lekin, Veer ke zinda hone ki khabar ne usse kahi na kahi ek raahat pohuchaayi thi.
‘Veer!!! T-Tum zinda ho-!! Th-This is my chance! Yes!’
Usne apna phone nikaala aur woh apne Twitter handle pe gayi. Kuch likha aur usne woh tweet kar diya.
Pal bhar me hi uske tweet par hazaro views, likes aur comments aane shuru ho gaye.
‘What is this tweet dear Natalia?’
‘As a fan, I still don’t get it. Natalia ye kya hai? Please hume batao.’
‘Natalia it’s okay. Jo hua bhul jao queen. You are safe and that's what matters. You don’t have to think hard on this.’
Ek ek karke comment ki line lag gayi aur uske fans apni apni raay rakhne lage. Kuch ko woh tweet samajh aa raha tha toh kuch ke sarr ke upar se jaa raha tha.
Par uska asli arth koi nahi jaanta tha.
Ava ne ek bhi comment na padha. Usko jo karna tha, woh kar chuki thi.
‘There’s one more thing I have to do. Veer! I hope you see this.'
***
Ye raat yu hi guzar gayi. Agli shaam, Paris se lage hue samundar ke theek upar ek helicopter hawa me mandra raha tha.
DGSI waale Crimson naamak vyakti ke baare me aur jankaari batorne me lag chuke the. Toh wahi aam janta Veer ki photos daalne me peeche nahi hatt rahi thi. Unka vidroh chaalu hi tha.
*Tocococococococo*
Aur yaha Helicopter hawa ko cheerte hue aage tezz gati me badhte jaa raha tha.
Veer uske darwaaze ke pas khada apni nazre neeche gehre samundar par gadaaye hue tha.
Tezz hawao me uske baal lehraate hue idhar-udhar ho rahe the. Iss baar woh yu hi nahi aaya tha. Apne kaam ko anjaam dene waala tha aaj woh. Poori taiyaari ke saath aaya hua tha.
[It's now do or die.]
Pari ki awaaz uske mann me goonji,
'Yeah!'
Saath hi usse Renshu ki kal ki baat yaad aayi,
'Ye mein tumhe de raha hu. Sirf emergency ke liye. Dhyaan rahe, istemaal karne ke baad tumhe isse lautana bhi hoga. Agar tum zinda bache toh. Kyuki, iss baar mein beech me nahi aaunga.'
Uski kahi gayi baat yaad aate hi Veer ka haath apne aap apni kamar pe chala gaya. Ek handgun uski jeans me khusi hui thi. Ye wahi handgun thi jis se Renshu ne Crimson par goli chalaayi thi.
'Agar Renshu mujhe bachana hi chaahta hai toh usne aisa kyu kaha ki ab woh beech me nahi aayega?'
[Master! I think woh chaahta hai ki hum ye mission apne bal boote par kare. Usse andaaza ho gaya hai shayad.]
'I see!'
Renshu ne Veer ki kam se kam 3 baar madad ki thi. Pehli baar jab woh IT building me Crimson dwara maar kha raha tha tab.
Dusri baar jab Ushant Island par Crimson par goli chali thi tab.
Aur teesri baar Veer ko gehre samundar me doobne se bachaate hue uski marham-patti kar kar.
Kahi na kahi jaise Renshu ne ye bhaanp liya tha ki Veer ko,
*Ding*
[Mission : Kill Crimson
Time Limit : 1 day.
Rewards : ???
Mission Failure Penalty : Death.
Location : On the ocean way to the Ushant Island.]
Mission mil chuka tha.
Shayad yahi kaaran tha jo Renshu iss baar beech me nahi kood raha tha.
Aur ye aaj pehli baar tha jo Veer ko mission penalty seedhe maut ki mili hui thi.
'Penalty Death hai, Pari!'
[Yes. Pehli baar hai ye. As I said, it's a do or die situation.]
'Yeah! Aur ek baat, Renshu ne kaha tha ki ek system owner dusre system owner ko check nahi kar sakta.'
[He is right, Master. Ava ko camouflage ki wajah se check kar paaye hum.]
'Lekin, abhi system ne toh mujhe Crimson ka seedhe naam likh ke mission de diya.'
[Yes. Because system ne Crimson ko huge threat ke roop me sweekaar kar liya hai. Basically, jitna do system owners ek dusre ke raaste me aayenge aur ek dusre ke liye adanga banenge, toh utna hi system unhe threat maanta jayega. Aur akhir me-]
'Mission de dega!'
[Yes. Aur uske zariye fir aap uss system owner ka naam jaan sakte ho. But only the name. Nothing else. Check toh aap tab bhi nahi kar paoge.]
'I see! Tumne mujhe ye pehle kyu nahi bataya?’
[Kyuki mujhe nahi pata tha Master ki mere alaawa bhi-]
‘I get it! Toh tumne bhi abhi realize kiya?’
[Yes! I’m still trying to find out some things.]
Veer ki nazar fir apne haath me liye mobile par chali gayi, jisme screen par saaf saaf ek tweet jhalak raha tha.
Aur ye tweet Ava ka hi tha. Jisme likhe tha~
On the way to the Ushant. I couldn’t remember anything.
I have got one more chance. Maybe, I’ll find my answer tomorrow!?
Tweet maamuli sa tha. Lekin sirf aam janta ke liye. Uska asli arth toh kuch aur hi tha. Ek secret message. Jise, Veer turant hi samajh gaya tha.
Ava ne usse Crimson ka pata diya tha.
[This sly woman…! What is she trying to achieve now? Kya chaahti hai ye akhir? Pehle khud hi fasaati hai aur ab khud hi Crimson ki location secretly tweet kar ke bata rahi hai? Master! Kahi ye firse hume fasaa toh nahi rahi-!?]
‘I don’t know, Pari! Magar tweet galat nahi hai. Mission me bhi yahi location aayi hai.’
[Lekin, aap uss par bharosa nahi kar sakte.]
‘Yeah!’
Helicopter Ushant Island ke ab kaafi nazdeek jaa raha tha jab Veer ko samundar me dur kuch roshni chamakti hui nazar aayi. Usne oonchi awaaz me fauran hi pilot ko nirdesh diya,
Veer : Woh raha!!! Helicopter uss orr le chalo! Quick!
Pilot ne haami bharte hue helicopter ke mukh ko uss disha me mod diya.
Dur se hi Veer ko pata lag gaya tha. Ye ek bada sa cruise tha. Cruise me kaun tha, ye bataane ki zaroorat nahi thi.
Shaam dhal chuki thi, cruise apni nirantar gati se Ushant ke Island ki orr badh raha tha. Cruise me sawaar log bhi wahi the. Mask pehne woh insaan ke bhesh me daanav jinhe logo ko marrte hue dekhne me param aanand milta tha.
Weird Fetishes ke gulaam.
Cruise me kam se kam inki sankhya 50 se 80 ke beech ki thi. Aur inme bade se bade millionaire athwa billionaire shaamil the. Yahi toh Crimson ke liye paiso ki thaili the.
Haatho me wine ka glasses liye sabhi madhur sangeet ko enjoy kar ek dusre ki pehchaan chhipaate hue ek dusre se baat karne me lage hue the.
“Aaj Crimson Festival ka akhiri din hai. Show must be grand. Haha!”
Ek aadmi ne apne bagal se khadi mahila se kaha. Dono ke chehro par masks the. Toh mahila ne hasste hue jawaab diya,
“Fufufu~ Oh yes! I wonder aaj kaun si macchli fassi hai. I want to see a young girl though.”
“Ohh! You are a vile one lady.”
“Fufu~ Aaj ki duniya me kaun bhola hai? Bholapann apne aap me paap hai. Let’s enjoy the festival now.”
Toh wahi Cruise ke grand suit me Crimson ek shower leke baahar aaya tha. Uske theek peeche Sweetie khadi hui thi.
Sweetie : Ab kya?
Crimson : Ab kya? Ab hi toh saara khel hona hai. Ek plan bigad chuka hai. Ye dusra nahi bigadna chahiye.
Sweetie : Tum karne kya waale ho ab? Tumne sabhi logo ko invite kiya hai lekin maut ke muh me dhakelne ke liye toh ek bhi insaan nahi hai festival me. Kise maarne waale ho akhir?
Crimson ek ajeeb si muskaan liye use dekha. Toh Sweetie bhaybheet hoke do qadam peeche ho gayi.
Sweetie : K-Kahi tum-?
Crimson : Ohhh! Darr gayi kya? Darro nahi my sweetie. Tumhe thodi maut ke ghaat utaarunga. You are my special one after all!!
Sweetie (frowns) : What’s your plan?
Crimson : Tumhe jaanane ki zaroorat nahi. Just do what I ask you to do.
Bina kuch kahe Sweetie waha se palat ke baahar nikal gayi. Woh khud Crimson ke plan se anjaan thi.
Kintu, Crimson khud ek baat se anjaan tha. Aur woh thi-
“Lower the rope!”
Veer ki awaaz sunn agle hi shan pilot ne rope neeche kar di. Raat lag chuki thi.
Aur Veer ne bina koi samay gawaate hue rope ka sahaara liya aur woh seedha Cruise ke upar kood gaya.
“CRIIIMSOOOOOONNNNN!!!”
Veer ki dahaad uss poore ilaake me fel gayi. Jaise jaise Veer upar se neeche gir raha tha, hawaao ki awaaz uske kaano me jaa rahi thi.
*BOOOOOOOOOMMMMM*
Uske Cruise pe girte hi flooring par poori kampan ki lehre daud gayi. Chehre par usne bhi ek kaala mask lagaaya hua tha. Aur uski peni nazar baaj ki tarah apne shikaar ko dhoondhne me lagi hui thi. Usne iss antraal me waha khade kuch logo ko bhi check kar liya tha.
Veer ke achanak iss tarah aate hi waha logo me shor mach gaya.
“Wh-What? Wh-Who is he?”
“Ahn! H-Hey who are you?”
“U-Upar dekho! Helicopter!”
“K-Kahi ye police ka toh nahi? Shit!”
Veer ki maujoodgi ne unhe chintan me daal diya. Aur udhar Grand suite ke andar Crimson ki aankhein woh awaaz sunn agle hi pal hairaani ke maare fel gayi.
[No running away this time. We are going loud and clear, Master.]
Pari poori tarah se focused thi. Usme bhi jaise ek ubaal macha hua tha.
*Ding*
[Mission location updated.]
[Location : Inside the Grand Suite.]
Veer aas-paas khade logo ko hawa ki tarah ignore karte hue apne lakshya ki orr aage badha. Uski raftaar itni tezz thi ki log bhaybheet hoke uss se dur hatt gaye.
*BAAAMMMMM*
Grand suite ka darwaaza chithdo me tootate hue udd gaya. Crimson ne palat ke dekha toh usne dastak di hui thi~
Veer!!!
Lekin, sirf Crimson hi hairaan nahi tha. Veer Crimson ko dekh utna hi stabdh tha.
Veer : Y-You!!!
[Th-That’s-]
Pari bhi bhauchakki thi. Crimson! Uska haath-!!!
Ekdum sahi tha. Veer ko jaise ek jhatka laga. Usne toh Crimson ka haath kaat diya tha par yaha toh-
[Ahnnnn!!!]
Pari ki ghabrahat bhari awaaz uske andar goonji.
‘P-Pari!!!’
[M-Master-! H-He!]
Aur agle hi shan Pari ne apni kehne waali baat ko Veer ke mann me screen ke saamne prastut kar diya,
*Ding*
‘That can’t be-’
Veer ko ek bohut bada maansik dhakka laga. Limb Substitution!?
‘Y-Ye kaise possible hai?’
[This bastard-!! Isliye isne apna haath ka balidaan diya tha Master. He knew he could fix it later. Aur aisa karne ke liye isne zaroor-]
‘??’
[Kisi aur aadmi ka haath kaata.]
Veer ke badan me raungte khade ho gaye.
Limb Substitution! Ek aisa card jo shareer ke ango ko replace karne ki shamta rakhta tha.
Condition sirf yahi thi ki ukhade hue ang ko teen din ke andar lagana zaroori hota tha. Aur jis insaan se ukhda hua ang le rahe ho, uska gender samaan hona chahiye.
Crimson ne zaahir hai kisi aadmi ka haath ukhaad ke lagaaya tha. Baaki kaam Card ne apne aap kar diya tha.
Blood transfusion se leke, sensory nerves ka aapas me judna, naye ang ko Crimson ke puraane haath ke akaar me tabdeel karne me bas ek hi hafta lagna tha. Aur waapas se woh apne poore shape me aa chuka tha.
Limb Substitution! One of the strongest cards in the entire system. Beowulf’s Blessings ki tarah.
Veer apne shock se abhi baahar nahi aaya tha jab tabhi,
“Hahahahahahaha~”
Crimson ki zorr se hassne ki awaaz uske kaano me padi.
Crimson : Ohh Veer! Mein yaha tumhare marrne ke gham me dooba hua tha. Aur mera shikaar, ek baar fir chal ke mere paas khud-ba-khud hi aa gaya. Hahahahaha! Madness!! Pure madness! I love it!! Hahahahaha!
Veer (frowns) : I know everything now!! It was you!!
Crimson (smiles creepily) : Oh yes! Yes! It was me, all along!! I was there! The whole time!
Veer : This time-!! I’ll put an end to your existence.
Aur tabhi, Crimson jis notification ka intezaar kar raha tha use, woh mil hi gaya.
*Ding*
[Mission possibility has reached 100%]
[Mission : Kill Veer.
Time Limit : 1 Day.
Rewards : ???
Mission Failure Penalty : Death.]
Uske hontho par ek khaufnaak muskaan sajj gayi.
Veer ne ek jhatke me apni kamar me khusi hui handgun nikaali aur aim kiya hi tha ki,
*Whoosh*
Crimson bhayanak gati me uski orr lapka.
*Ding*
HAWKEYE!
*BANG*
Veer ki fire ki gayi bullet Crimson ki gardan ke bagal se nikli aur peeche wooden deewaar me jaake dhass gayi.
[HE DODGED IT AGAIN!!!]
Pari achanak cheenkhi. Woh sab kuch identify karti jaa rahi thi siwae Crimson ki uss dodging skills ke. Akhir, Crimson aisa kya istemaal kar raha tha?
Crimson ke chehre par ek haiwaano waali muskuraahat thi. Veer zinda tha. Uski khushi ka koi thikaana nahi tha.
Daudte hue asaadharan raftaar me woh Veer ke nazdeek aaya,
*Wh-tch*
Ek jhatke me uske haath me combat knife ungliyo me golaayi khaate hue pakad me aayi.
[Dodge!]
*Ding*
[Beowulf’s Blessings has been activated.]
Veer ki aankhon laal hui aur woh turant hi jhuka.
*Swoosh*
Crimson ki combat knife uske kuch baalo ko aadhe centimeter tak kaat ke nikli.
Veer ne agle hi shan neeche baithate hue laat se Crimson ko giraane ka prayatn kiya. Par Crimson hawa me kood chuka tha,
Aur uske koodate hi, Veer ke hontho par ek muskaan felti gayi.
Ye bilkul IT building me uss ladaayi ki tarah tha. Yahi tab bhi hua tha.
‘Not this time!’
Waqt jaise tham gaya tha. Veer ki daayi laat agle hi shan apni disha badli aur-
*BAAAAMMMMMMM*
Crimson ke seene me jaake lagi. Woh kisi kati patang ki tarah hawa me dur jaa ke kamre ke deewaar me bhid gaya.
Aur itni awaaz se saare cruise me maujood log ghabra uthe. Gunshot ki awaaz unn sab tak pohuch gayi thi. Veer aur Crimson ki choti si bhidant ne poore Cruise ko hila ke rakh diya tha.
Logo me afra-tafri mach gayi. Jo log dusri ki maut dekhne aate the. Aaj woh khud apni maut ke baare me sunn darr ke maare bheegi billi ki tarah bhaag rahe the.
Par kaha bhaagte akhir?
“C-Cruise me- Cruise me spare rescue boats nahi hai!!! Hum sab maare jayenge!!”
“Whaaaatttt? Where is the party host??? Hume yaha se baahar nikaalo abhi ke abhi!!”
“Hide!! Hide!!”
“Spare boats dhundho jaldi!! W-Warna hum sab maare jayenge.”
“Ahh! Cruise me koi ghuspaithiya aa gaya hai!! Captain ko khabar pohuchao!”
Woh nihatthe bhed bakriyo ki tarah apni jaan bachaane ke liye aatur the.
“VEEEEEEEERRRRRRRRR!!!”
Crimson aag baboola aur saath hi bhaari uttejna me hawa me kayi feet uchakte hue Veer par toot pada.
*BOOOOOOOOOOOMMMMMM*
Grand Suite ki lakdi ki flooring toot ke bikhri aur dono neeche jaa gire.
Mukko aur laato ki barsaat jaari thi. Crimson ka ek punch jab Veer ki pasli me aane ke liye hua toh Veer ne na sirf usse deflect kiya balki apne haath se uske haath me golaayi fira ke aage le jaake seedhe uske gale ko jakad liya.
“Gwakh!!”
Aur agle hi pal,
“Haaaarrrrrgghhhh!!”
Crimson ka shareer hawa me utha aur usse zorr se floor par patak diya gaya. Ye ek chokeslam tha. Ek baar fir woh dono uss cabin ki flooring se gir ke neeche pohuch gaye.
[Hum lower decks me hai. This is the engine room, Master. Careful!]
Pari ne Veer ko sachet kiya. Veer ne apne aas-paas ka jayza liya.
[You can hear the sound. Engines bohut awaaz karte hai. Beowulf se aapke senses bohut zyada sensitive hai. Engine sound exceeds 173 decibels. Unhe nuksaan se bachaane ke liye, I’ll keep your hearing senses in control.]
‘Alright!’
Veer ne hearing senses ko Pari par chhor diya.
"You shouldn't turn your back towards your enemy, Veer!"
Ek khaufnaak awaaz theek Veer ke kandhe ke peeche se aayi. Chand second ke liye hi usne Crimson se apna dhyaan hataaya tha, apni environment ka jaayza lene ke liya parantu,
'Shit!'
Woh muda aur ek zordaar laat uske pait me aake padi. Iss baar Veer ka khud ka shareer hawa me udte hue engine room me jaa ghusa.
Engines ki teevr awaaz Veer ke kaano me padi, par Pari apna kaam pe lag chuki thi.
Aur fir shuru hui, ek aur ghamasaan ladaayi.
Crimson aur Veer, dono bina koi parvaah kiye ek dusre se ladd rahe the. Veer ke dimaag me kahi na kahi apne environment ka khayaal baitha hua tha.
"Mujhse bhidega tu?? Mujhse?? Haan!!? Tujhe pata nahi…!? VVeerrr?? Hhuhh?? Mein woh hu jis se qismat khud darrti- urrrghh!"
Ek upper cut aake seedhe uski thuddi par laga.
Veer pehle se kayi guna takatwar tha. Crimson hairaan zaroor tha par utna hi utsaahit bhi.
"You fucker-!!!"
Usne Veer ka haath jakda aur engine room me lagi ek machinery me itni zorr se ghuseda ki Veer ka haath machine ke metal ko cheerte hue andar ghuss gaya.
'Shit!!'
Crimson uspe agla waar karta ki Veer ne use kick se dur dhakel diya.
Veer ka haath buri tarah fass chuka tha.
[Maaaasttteeerrr-!!!]
Bina use abnormal angle me rotate kare woh itne kam samay me baahar nahi aane waala tha.
Par Veer toh aaj jaise apne aap par bhi kroor tha.
*Ding*
LIMBO!!
[Master you-!!!]
Pari bhauchakki reh gayi.
Veer ne Limbo apne hi upar istemaal kar li thi.
Uska haath ek ajeeb se angle me muda. Atyant hi dard uske poore haath me fela. Kintu, ye sirf kuch lamho ke liye tha.
Haath ko rotate karte hi haath araam se baahar aa gaya. Aur turant hi,
*Ding*
LIMBO
Usne punaah apne upar Limbo istemaal kar apna haath theek kar liya.
Pari surprised thi. Woh chaunki hui thi. Limbo ko apne hi upar iss prakaar se bhi istemaal kiya jaa sakta tha?
Veer ka dimaag kis raftaar me kaam kar raha tha ye woh jaanti thi. Sab kuch chand seconds me hua tha.
Udhar Crimson Veer ki kick se khud ki fall se utha tha aur idhar Veer ne apna haath nikaal liya tha.
Itni speed me hua tha sab kuch.
[Master!]
Andar hi andar Pari gadgad ho uthi. Apne Master pe use bada hi garv ho raha tha.
Crimson : Ohh! You've become powerful indeed. But not more than me-
Uski aankhon me jhaakte hi agle hi pal Veer ka santulan bigda,
[It's there! Vertigo!]
Crimson mauke ka fayda uthaate hue uski taraf bhaagte hue aaya,
Aur tabhi Veer ne khud ke shareer ko hawa me peeche ucchaal diya.
Crimson : !!!??
Vertigo! Disorientation fela ke qadmo me lad-khadahat paida karti thi.
Aur isliye Veer ne khud ko hawa me uchhaal diya tha. Jab qadam hi zameen par nahi rahenge toh ladkhada ke kaise gir payega woh?
Par Crimson bhi smart tha. Back hand spring maarte hue jaise hi Veer ka haath zameen par tika,
Vertigo!!!
Ek baar fir Crimson ne Vertigo istemaal kar dii-
Veer ka shareer disbalance hua aur iss baar woh kohni ke bal gira.
Crimson ko uska mauka mil chuka tha.
Punaah, woh ek dusre ke upar toot pade.
Dekhte hi dekhte unn dono ne poore engine room me itna destruction fela diya ki unn engines me se ek engine explode hone ki kagaar par aa chuka tha.
Aur woh samay bhi kuch hi seconds me aa gaya jab Crimson seedha Engine par jaa ke gira.
'Shit!'
Khud ko bachaane ke liye woh turant hi waha se hata.
Aur-
*Boooooooooooooooommm*
Ek itna tezz dhamaaka hua ki engine room ke andar sab ast vyast ho gaya.
Par ye toh kuch bhi nahi tha. Ek engine se hi baaki engines lage hue the.
Aag ki lapte jaise hi agle engine ko apne aaghosh me li,
Dhamaako ki ladi lag gayi. Ek ek karke saare engines dhamaake ke saath udne lage. Engine room ke hi poore pharchatte udd chuke the.
Upri deck par kohraam macha hua tha. Kuch toh bhay ke maare apne hosh kho chuke the.
Kya hota hai agar aap ek badi si chhadi ke beech me ek daraar paida kar de.
Woh kabhi na kabhi chatak jaati hai.
Theek wese hi, itne dhamaako ke baad cruise ke lower mid hisse me daraar fel gayi.
Aur itna bada cruise do tukdo me tootne laga.
Log jaanvaro ki tarah idhar udhar bhaagne lage. Veer aur Crimson dhamaake ke chalte engine room se baahar ki orr fik chuke the.
Baahri deck par aate hi unki ladaayi firse shuru ho chuki thi.
Aur iss baar, saari janta ke samaksh woh ek dusre ko ghaayal karne me lage hue the.
Aam janta ke hosh udd chuke the. Kyuki woh jo dekh rahe the, aisa drishya unn sabhi ne pehle kabhi nahi dekha tha.
Deck ke neeche hote hi samundar cruise ko apne me samaane laga.
Paani tezzi se poore deck me ghusne laga. Lower decks me jab paani ghusa toh Cruise me jagmag jagmag jalti hui lights achanak hi band hone lagi.
"Aaaaaaaaaahhhhhhh!!!"
"H-Help!!!!"
"Run! Run! Search for the safety boat!!"
Sweetie jo inhi me se ek thi. Woh ghabra ke seedhe ek vault ki orr bhaagi. Ek safety boat waha maujood thi.
Aur idhar Veer-
[Maaaaassstttteerrrr!!!]
*Splash*
Uska shareer gehre samundar me jaa gira. Sateh par aate hi, uski nazre Crimson par tik gayi jo cruise se chhalaang maar khud paani me aa chuka tha.
Aur upar khule aasmaan me woh chamak raha tha.
'It's your unlucky day Crimson!'
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Update consists of 4.6k words. Aane waale 4 updates me se koi ek mega update aa sakta hai. Mein ye dene nahi waala tha, but this update got late. So, take it as a compensation from my side. Also, ghar par thoda renovation chal raha hai ek room ka. I'll be busy. Likes thokne ka aur revos rakhne ka. Target same hai. 150.
Dhanyavaad!![]()
Kya mast update tha maja aa gaya bhi. To crimson mara gaya. Aur uske marte hi uske paas jitni bhi skills thi wo sub veer ko mil gayi. But Ava ko wo skill kkyu mili ? Usne use marne me help ki kahi is liye to nhi ?Update - 147 ~ Break The Impasse (2)
Ab tak...
Aur idhar Veer-
[Maaaaassstttteerrrr!!!]
*Splash*
Uska shareer gehre samundar me jaa gira. Sateh par aate hi, uski nazre Crimson par tik gayi jo cruise se chhalaang maar khud paani me aa chuka tha.
Aur upar khule aasmaan me woh chamak raha tha.
'Its's your unlucky day Crimson!'
Ab aage...
Chaand ki roshni samundar ki upri sateh par chamak rahi thi. Paani bhi sheetal tha. Veer aur Crimson ki iss ghamasaan ladaayi ne jo tabaahi machaayi thi woh bilkul bhi sadhaaran nahi thi.
Vishaal Cruise do bhaago me batt chuka tha. Unn dono ki mutbhed me Cruise ka engine tabaah ho chuka tha. Ek hi engines se baaki engines lage hue the. Aag ki lapto ne jaise hi ek engine ko apne aaghosh me liya, uss se lage hue baaki engines ek ek karke dhamaake ke saath fatate chale gaye.
Cruise ka lower mid section jo ki sabse aham hissa hota tha, woh inn dhamaako ke chalte chatak utha. Ab bas thodi aur halchal chahiye thi usse. Aur, upar deck par ho rahi logo ki afra-tafri ne jaise woh kaam bhi asaan kar diya.
Cruise do hisso me toot ke ukhad gaya. Nichle hisse se paani bahaar maarte hue ek jhatke me andar ghusa. Labalab paani dekhte hi dekhte cruise ke andar bharne laga. Short circuits hue aur electric wirings saari jal uthi, jiske chalte Cruise ki lights bhi band ho gayi.
Upar ki bheed atyadhik bhay ke maare cheekhne lagi. Koi behosh ho chuka tha toh koi apni jaan bachaane paani me kood raha tha. Aur, jinse tairna nahi aata tha woh toh bas cruise ke hisso ko pakde apni maut ka intezaar kar rahe the.
Dheere dheere sagar uss vishalkaay cruise ko apne andar samaane laga. Aur idhar,
“Veeeeeeeeeeeer!!!!”
Doobte hue Cruise se chhalaang maarte hue Crimson dahaad maar kar samundar me gira.
*Splash*
[Master!!]
Pari ne Veer ko sachet rehne ke liye uske mann me pukaara. Aur, Veer jaise turant hi samajh gaya.
‘Yeah!’
Chaand apne poore shabaab me tha. Full Moon hone ke chalte Veer ke senses 80% badhe hue the. Toh wahi uski speed, agility, reflexes aur healing double ho chuki thi.
Upar hawa me udd raha helicopter Veer ko cruise par utaar ke aage Ushant Island ki orr badh chuka tha. Island me helicopter land karwaate hi pilot bhi dur se apni aankho se sab dekh raha tha. Kaise itna bada cruise do tukdo me toot ke bikhar gaya tha.
“B-Baap re! Y-Ye Oyabun ne kaha bhej diya mujhe.” Uski aankhein avaak hone ke kaaran faili hui thi.
‘Oyabun’ ka tatparya yaha par ‘Boss’ se tha. Pilot bhi chinese tha aur shayad Renshu ke home town se hi tha. Prateet ho raha tha ki Renshu uska kisi prakaar ka boss tha.
Ye pehli baar nahi tha jo usne aisi traasdiya apne jeevan me dekhi thi. Kintu, ye koi bhula dene waala sadharan drishya bhi nahi tha.
Woh bas dua kar raha tha ki jald hi woh Veer ko leke yaha se sahi salamat laut sake. Ab bas use kuch derr intezaar karna tha.
Samundar me idhar dekhte hi dekhte ek ek karke sabhi kapti log doobne ki kagaar par pohuch gaye. Unke paapo ki saza aaj unhe mil rahi thi. Hahakar macha hua tha aur samudri ilaake me bas janta ki chillaahat fel gayi.
[Go down!]
Pari ki awaaz Veer ke mann me akasmaat aayi. Woh agle hi pal jaise hi paani ke neeche gaya, usne jo saamne dekha toh uski aankhein hairaani ke maare fel gayi.
‘Wh-What is happening?’
Ye Crimson ko kya ho raha tha?
“Urrghh! Ummphhh! Arrghhh!”
Crimson paani me aate hi seedhe sateh se neeche gaya aur achanak hi uska shareer jhatke maarne laga. Woh ajeeb tareeqe se chhatpata raha tha.
Toh wahi saans lene ke liye Veer dobaara upar aaya,
“Fuahhh!!”
‘What is going on?’
[Take another look, Master!]
Ek baar fir gehri hawa andar kheechte hue usne apni saans roki aur dobaara paani ke andar chala gaya.
*Splash*
Veer ne dekha ki Crimson muh me paani bhar raha tha aur fir muh ko ajeeb tareeke se chalaate hue woh wahi paani baahar nikaal raha tha. Bulbule bann ke paani uske muh se baahar aa raha tha.
[Ahhhnnn!]
Pari woh manzar dekhte hi cheekh uthi.
‘Pari! Kya hua?’
[M-Master-]
‘That Crimson! Don’t tell me-’
[Yes! Master! He’s fucking-!! He’s freaking separating oxygen from the water.]
‘Whaaaatttt??’
Veer ki aankhein underwater hi aashcharya me chaudi ho gayi. Just what else Crimson was hiding in his arsenal?
[Aquatic Breathing, Master. Allows the host to breakdown oxygen molecules present in the water. The process is a bit longer compared to the fishes. Host can last upto 20 minutes underwater without any exposure to the air.]
‘That fucker-!!!!’
Pari ke skill description dete hi Veer chakit reh gaya. Paani! Jise, vigyaan ki bhaasha me H2O bhi kaha jaata hai.
Iska breakdown hote hi O2 release hota hai. Jise hum oxygen kehte hai. Aur yahi toh hamaare liye praanvayu hai. Kintu, Crimson macchliyo ki tarah, unke gills ke bhaati ye apne muh se kar paa raha tha.
Uske muh me maujood Blood capillaries paani ko breakdown kar oxygen ko shareer me jagah jagah pohucha rahi thi. 20 minute tak woh bina hawa se saans liye paani ke andar yu hi reh sakta tha. Woh paani se oxygen ko alag kar raha tha. Ye karne me saksham tha woh.
Par, Veer nahi! Uske paas Aquatic Breathing nahi thi.
[This is bad!! Master! Basically, woh chaahta hai hum underwater lade. Woh poori koshish karega aapko neeche apne saath ghaseetne ki.]
‘Hmm!’
Veer yu hi saans roke paani ke andar Crimson par apni nazre gadaaye hue tha. Usne aas-paas fir sarr fira ke dekha toh manzar dekhne laayak tha.
Dherr saare log paani me doobte hue samundar ki gehraiyo me gaayab hote jaa rahe the. Magar, Veer ki aankhon me unke liye koi daya bhaav nahi tha.
Ye wahi log the jo maut ka nanga naach dekh utsuk hote the, uske liye apni dhan-daulat lutaate the. Inke liye bhala Veer kaise hamdardi rakh sakta tha?
[I’m surprised Master. Aapko swim karna aata hai? I never expected that.]
‘Dada ji ne sikhaya tha. Bachpan me jab Arohi di aur mujhe woh Juhu le jaaya karte the. Tab-’
[That’s good!]
‘Aur tab se mujhe abhi tak yaad hai.’
[Kab kya cheez aapke kaam aa jaaye, ye aapko pata nahi rehta.]
‘Yeah!’
[I would like to know more about that but we got no time now, Master! Here he comes! Get ready!]
Pari ke warning dete hi Crimson ek tezz raftaar me uski taraf aage badha. Veer ko aisa laga jaise maano koi shark uski orr aa rahi ho.
Bhale hi Crimson paani me saanse le sakta tha, lekin Full moon ke chalte Veer ko uske reflexes aur agility me ab hara nahi sakta tha.
Woh jaise hi tezzi me Veer ko gale se pakadne ke liye jhapka, paani me hi Veer ne ek jhatke me khud ke shareer ko baayi orr kar liya.
Aur Veer apne haath perr ka istemaal kar paani ke neeche se upar ko aa gaya. Cruise ka hissa abhi bhi doob raha tha. Veer bina koi deri kiye uss disha me aage tairte hue badha.
Crimson bhala use kaise apne changul se jaane de sakta tha? Woh paani ke neeche se Veer ka peecha karne laga.
Veer jaise jaise aage badh raha tha, use waha aur zyada cheenkhein sunaayi deti jaa rahi thi. Kuch doobti mahilaaye aur purush use guhaar lagaate hue paani me chhatpata ke bula rahe the toh kuch ki aankhein madad ki maang darsha rahi thi. Iss aas me ki ye naujaavaan unki madad karega.
Par, Veer ne ek par bhi rehem nahi dikhaya.
Usne jab punaah paani ke neeche jhaak ke dekha toh darr ke maare uske badan me ek sihran daud gayi.
[N-No-!!!]
Paani ke andar,
Sharks uss samudri ilaake me pravesh kar chuki thi. Lag raha tha woh paani me ho rahi halchal se hi aakarshit hoke aayi thi.
Crimson kya kam khatra tha jo ab ye? Pari ne jaise Veer ki mann ki baat padh li aur use samjhaate hue turant boli,
[Master! Sharks turant aise hamla nahi karti. Lekin, zyada derr nahi lagegi unhe ye abhaas hone me ki paani me halchal macha rahe log unka ahaar bann sakte hai. Be careful!]
*Splash*
Veer aage jhuk apni disha me firse aage badha. Ye chase ka game jaari tha. Par akhir kab tak?
Doobte hue Cruise ke hisse ke paas pohuchte hi Crimson Veer ki speed ko catch up kar liya.
“Shit!!”
Veer ka perr Crimson ke haatho me tha. Paani ke neeche se upar aate hi Crimson ke chehre par bhayanak muskaan saj gayi.
Crimson (smiles) : Where are you running?
Use kheechte hue Crimson ne iss baar Veer ko jakda aur cruise ki body se bhedte hue uss par ghoose barsaane laga.
Crimson : Tujhe laga tu mujhe maar sakta hai? Huh? Bol ha-
*BAAMMMMMM*
Veer ne khud ke bachaav me Crimson ke gale par ek vaar kar apne aap ko chhuraaya.
Aur Crimson ko sambhalne ka mauka na dete hue, usne apni kamar se handgun nikaali,
HAWKEYE!
*BANG*
Gunshot ki awaaz waha fel gayi. Magar firse wahi hua jo Veer hargiz nahi chaahta tha. Crimson uski bullet ko dodge kar chuka tha.
[This is the second time now! Hawkeye firse chook gayi? Akhir wo ye sab kar kaise raha hai???]
Pari ko lagataar jhatke lag rahe the. Veer yaha Crimson ko bilkul bhi mauka nahi dena chahta tha. Yahi ek chance tha aur isliye usne firse,
*Ding*
HAWKEYE!
*BANG*
Bullet fire kar di. Magar, Crimson toh jaise aaj vardaan leke baitha tha ki uska koi baal bhi baaka nahi kar sakta. Gardan side karte hue usne ye teesri bullet bhi dodge kar li. Pehli usne cruise ke andar hi Veer dwara shot ki gayi bullet dodge ki thi. Aur ab ye do aur bullets-
Uske hontho par khaufnak muskan feli hui thi.
Crimson (smiles) : You should give up Veer!
*Click* *Click*
Bullets ab khatam ho chuki thi.
‘Shit!!! Renshu ne isme magazine nahi bhari thi kya?’
[Looks like he gave you the gun as it is. Only 3 bullets were left. Aur humne teeno hi miss kar di.]
‘Fuck this!!’
Veer daant meeste hue aage kuch keh paata ki utne me hi Crimson ne uski taang pakad use paani ke andar kheech liya.
*Plop*
"Nnghh!"
[I'm analyzing his dodging skill. You stall him until then.]
Pari itna bol achanak hi maun ho gayi. Uska poora dhyaan ab Crimson ki dodging skill ka pata lagaane me lag chuka tha.
Ab Veer apne bal boote par tha. Pari beech me koi help nahi karne waali thi.
Veer ka shareer samundar ki gehraiyo me ghashitata jaa raha tha. Crimson jaise use dum ghuta ke maarna chaah raha tha.
'You fucker-! Argh!!!'
Uske chehre par ek zordaar laat maarte hue woh uske changul se baahar aaya.
Sharks aur nazdeek aa chuki thi. Tabhi, Crimson ne kuch aisa kiya jise dekh Veer ke badan me raungte khade ho gaye.
Ek shark Crimson ke behad qareeb thi. Aur jaise hi uss par hamla karne aage badhi, na jaane Crimson ne aisa kya kiya ki shark achanak hi shaant ho gayi.
Woh apne haath se shark ki naak ke upar ahista ahista sehla raha tha maano jaise woh koi uski paaltu jaanvar ho.
'He's a shark tamer?' Veer bhauchakka reh gaya.
Woh yu hi nahi sharks ko Crimson Festival me istemal karta tha. Harr ek cheez ke peeche koi na koi kaaran chhupa tha.
Shark taming skill thi uske paas jiske chalte woh samudra me maujood unn sharks ko tame kar unka upyog karta tha.
Veer 40 se 50 seconds tak hi saans ko paani ke andar rok ke rakh sakta tha. Use baar baar upri sateh par jaana padta tha saans lene ke liye.
Jaise hi woh iss baar neeche aaya, ek shark uski orr tezi me lapki.
[Master-!!! Keep your eyes on it. Nose, gills aur uski aankhon ko apna nishaana banaiye.]
Pari ko na chaahte hue bhi apni analysis band karni padi. Apne Master ko akele nahi chhor sakti thi woh.
[Punch on its nose.]
*BAMMM*
Tareeqa effective tha. Naak kisi bhi shark ke liye ek sensitive part tha. Udhar par hamla hote hi, shark Veer se darr ke dur ho gayi.
[Go towards the deck.]
Veer deep ocean me apna raasta dhoondh waapas se cruise ki taraf jaane laga. Use na jaane kin kin prakaar ki macchliya nazar aa rahi thi.
[Ye open ocean hai. Island se thodi hi duri par hai hum Master. Island ke nazdeek nahi jayengi sharks. Underwater ladna hamare liye behtar hai. He can’t use Vertigo underwater. Disbalance zameen par hi kiya jaa sakta hai. We are floating underwater. So, Vertigo is useless. Island ke paas jaiye jitna jaldi ho sake.]
Par, Veer ke mann me toh jaise kuch aur hi chal raha tha. Woh swim karte hue raftaar me deck ki orr badha.
“Surprise!” Uske bagal se ek awaaz aayi.
“Shit-!”
Aur jaise hi woh palta, ek zordaar ghoosa uske seene me aake pada.
“Gwakh!!!”
Aisa laga jaise Veer ka poora andhruni system hil gaya ho.
*Crash*
Uska shareer paani se uchhalte hue doobte hue cruise ke deck me jaa ghusa. Wooden flooring ko tod woh cruise ke andar jaa gira.
[Such power!]
Andar ka nazaara kuch aisa tha jaise maano woh kisi space me aa gaya ho. Paani bhar jaane ke chalte, andar rakhi cheezein float kar rahi thi. Kahi kisi cabin ka lamp paani me tair raha tha toh kahi lakdi ke kuch tukde.
Aur wahi dusri orr, sharks ne apna bhojan dhoondh liya tha.
“Aaaaaaaaaarrrrrghhhh!”
“H-Helllppppp!! Aaaaaaaaaa!!!”
“Noooooooooo!!!!”
Ab shuru hua tha asli Crimson Festival. Saara paani lahu luhaan ho utha jab Sharks doobte hue logo par baras padi. Logo ko apne nukeele daanto se chabaate hue unke shareer ko tukdo me vibhaajit karne lagi. Ye khaufnak manzar Crimson ko enjoy karna chahiye tha. Par, uski aankhein gusse se ekdum laal thi.
Crimson (growls) : You ruined my another plan as well. Bolo Veer! Kaisi maut du tumhe?
Uske maathe ki nass phatne ko baahar aa rahi thi. He was definitely pissed off.
Dhamaake me ude engines abhi bhi aag ki lapto me qaid the. Kuch aur bhi the jo bas phatne ka intezaar kar rahe the.
Veer deck ki railing ko ek haath se jakde aadhe se zyaada paani ke andar tha. Woh dekh paa raha tha kaise cruise ke andar ke hisse ke poore chithde ude hue the.
Ek aur tooti hui railing ki rod uske qareeb latak rahi thi. Use apni taakat se ukhaad ke Veer ne woh rod apne haatho me li.
Lower mid section me jal rahe engines ki taraf uski nazre daudi. Aur, fir fuel tanks ki orr.
“Haaaaarrrrrggghhhh!”
Woh chillaaya. Aur rod se usne seedha uss fuel tank me hamla kar diya.
*Clang*
Rod fuel tank ko cheerte hue apna kaam kar gayi. Cruise diesel par chalta tha. Dherr saara diesel tank se nikal gravity ke chalte neeche girne laga.
Veer ne fir jalte engine ko dekha. Uss engine ko giraane ke liye uske neeche maujood flooring par waar karna tha. Aur Veer ne theek wahi kiya. Wooden flooring par jaise hi lohe ki badi si woh rod aake padi, ek baar me hi saari flooring toot ke bikhar gayi.
Engine khaska aur neeche gira. Parantu, neeche girne se pehle Veer ne wahi rod uske theek neeche laga di.
Jab engine gira toh pehle woh rod pe gira aur Veer ke hontho par iss baar ek muskaan fel gayi.
Engine ke bhaar ko usne rod se uthaaya-
“Haaaarrghhh!! Take this you fucker-!!!!”
*Wuh-psssh*
Jalta hua engine hawa me ucchla. Waqt jaise tham gaya. Crimson ki ab pehli baar aankhein phati ki phati reh gayi. Use abhaas hua ki aage kya hone waala tha.
Kintu, sab palak jhapakte ho gaya.
Crimson turant paani ke neeche jaise hi gaya, Engine theek ussi waqt uss jagah par gira. Aur paani me maujood woh diesel-
*BOOOOOOOOOOMMMMMMM*
Ek vishaal dhamaka ne janm liya. Crimson jo bhale hi paani ke andar dubki maar chuka tha. Dhamaake ke chalte uske shareer se jagah jagah chamdi udhad gayi. Toh wahi, Veer uss dhamaake me upar ki uchhal gaya aur waapas se paani me jaa gira.
*Splash*
Par ye khel yahi thodi khatam hua tha.
Chot Veer ko bhi aayi thi. Magar Crimson jitni nahi. Veer jaise kisi cheez ka intezaar kar raha tha.
Aur tabhi woh ghadi bhi aa gayi. Crimson paani ke andar achanak hi chhatpatane laga. Apna gala pakad woh upar tezzi me aaya.
Aur upar aate hi woh dahaad maar ke cheenkha,
“Veeeeeeeeeerrrrrrr!!!!”
Uske poore badan me jagah jagah se khoon ris raha tha. Tabhi, Veer ki nigaahein samundar me ek jagah padi. Usne dekha ki ek high performance boat unn sab se dur jaa rahi thi aur usme koi maujood tha.
‘Check’
*Ding*
[Name : Sweetie
Age : 32
Bio : An orphan. Works for Crimson. Money is what she needs. Nothing else.
Relationship : Strangers.
Favourability : 0]
Woh tezz raftaar me waha se bhaag ke nikal chuki thi. Uske chehre par darr saaf jhalak raha tha. Sweetie pe dhyaan ne dete hue Veer ne Crimson par dhyaan diya.
Uski haalat behad kharaab nazar aa rahi thi. Aur ab jaake Pari ko asli baat samajh aayi.
[Y-You! You are a fucking genius!] Pari ek thar-tharati awaaz me Veer se boli.
Hydrolysis Reaction! The chemical breakdown of a compound due to reaction with water.
Diesel jo range karta tha C10H20 se leke C15H28 tak. Kya hoga agar ye molecules break ho jaaye? Woh bhi paani ke saath mil ke?
Combustion ke chalte jalta hua engine jaise hi paani me gira aur visfot hua, ek zordaar chemical chain reaction waha janm liya.
Carbon aur hydrogen ke compounds break hue aur jaa ke seedhe H20 se react kar gaye. Aur fir utpatti hui,
Carbon dioxide (CO2) ki…!
Bhari maatra me carbon dioxide to release hui hi saath hi saath ek woh cheez bhi release hui jiska Veer ko intezaar tha-
Carbon Monoxide (CO)
Woh zehreeli aur jwalansheel gas jiska na hi koi rang hota tha, na hi koi smell aur na hi koi taste.
Paani ke neeche jaate hi Crimson aquatic breathing ka istemaal karega hi, ye Veer pehle se hi jaanta tha. Kya hoga jab Oxygen ki jagah agar woh Carbon monoxide ko apne andar lele?
Maut!!!
Agar Crimson ke paas koi poison ko control karne ki skill nahi hogi toh ye zaahir tha ki uski kya dasha hone waali thi.
*Rumble* *Rumble*
Aur agle hi pal, zorr se baadal garaj uthe. Bijli kadki! Kehte hai ki jaha dhua uthata hai, waha aag hoti hai. Magar, agar vatavaran aapka saath de toh jaha dhua uthata hai waha baarish bhi hoti hai.
Pyrocumulus!! Woh clouds jo aag ke dhue se bante the. Jitna bheeshan dhamaka hua tha, uss se utpadit hui aag ki garam lapte hawa me uth gas bann upar jaati gayi. Islands par waise hi barsaat hoti rehti thi.
Ye dhamake ne jaise ek madad ka haath aage badha diya varsha ke liye.
Tip tip kar agle hi pal choti choti baarish ki boonde girni shuru ho gayi. Aur aasmaan me chaand dhak gaya. Bijli zorro se kadak rahi thi, tezz hawaaein apna rukh le rahi thi. Neeche aag ab bhi faile hue diesel par lagi hui thi. Khoon aur logo ke shareer se ukhde ango se samundar lahu luhaan hua pada tha.
Dhamaake ke chalte kuch jeev badqismati se uska shikaar ho gaye the. Toh baaki bache turant hi waha se dur bhaag nikle.
Aur inn sab ke beech, do laal aankhein Crimson ko ghoor rahi thi. Uss naujavaan ke baal hawa me lehra rahe the.
*Rumble* *Rumble*
Drishya dekh Pari ke khud ke raungte khade ho gaye.
[M-Master-!]
Veer jaise kisi devta samaan lag raha tha.
Crimson khaaste hue apne muh par haath rakha toh uski hatheli par khoon ke dhabbe fel gaye.
Crimson (screams) : Y-YOU-!! YOU BASTARD!!!!!
Veer ne uska ye plan bhi fail kar diya tha. Woh yaha inn ameer logo ko samundar me dhakel ke maarne hi toh laaya tha. Isliye sweetie confused thi ki bhala Crimson kisse maut ke ghaat utaarne waala tha? Woh unn logo ko hi cruise se dhakel ke sharks ka chaara banaane wala tha. Issi baat ka use ek mission mila tha. Yahi uska lakshya tha.
Woh sab maare toh gaye,
Magar-!!
Veer ke haatho. Usi ke kaaran cruise toota aur Crimson ka mission dhara ka dhara reh gaya. Jaha use points milne the, waha use 10,000 points ki penalty lag chuki thi.
Jiski katauti uske system ne turant ke turant hi kar li. HOK bhi gaya, Veer se bhid haath bhi gawaaya tha usne. Aur ab ye mission bhi failed. Gussa uss par kis tarah haawi tha iss waqt ye batlaane ki zaroorat nahi thi.
“Veeeeeeeeeeeerrrrrrr!!!”
Woh cheekhte hue ek jhatke me Veer ke nazdeek aaya.
‘Huh?’
[Careful-!]
*Grasp*
Veer ko gale se jakad woh paas se use ghoorne laga. Aur, ek aur buri khabar tabhi Veer ke kaano me padi,
*Ding*
[Beowulf’s Blessings timing has been used.]
[Beowulf’s Blessing has been turned OFF.]
[N-No!!!]
Cruise ke dono bhaag samundar me doob chuke the. Ushant me maujood pilot darr ke maare waha se andar ki orr bhaag apne helicopter me jaa ke baith gaya.
“Tumhe lagta hai tum mujhe maar sakte ho Veer? Huh? *Cough* Mein tumhe-”
*Splash*
Veer ke chehre ko pakad Crimson ne seedha use paani ke andar dubo diya.
*Glub* *Glub*
[Master-!!!]
Paani ke bulbule Veer ke muh se nikal rahe the. Lekin, Veer ne zara bhi paani apne andar nahi liya. Carbon monoxide slightly soluble hoti thi paani me. Aur woh mili hui thi.
Veer ki saanse ukhad hi rahi thi jab-
*BANG*
Ek bullet aake seedhe Crimson ke kandhe ko cheer ke andar ghus gayi.
“Urgh!”
Woh apne kandhe par haath rakha. Veer uski pakad se chooth gaya. Bullet Island se chali thi. Zaahir hai ki ye ek sniper ki bullet thi. Normal handgun se ye sambhav nahi tha.
Crimson ki nigaahein Island par tiki hui thi. Aur, mauke ka fayda uthaate hi turant Veer ne,
LIMBO!!
*Crack* *Crack*
“Aaaaarrrrghhhhhhhhh!”
Ek teevr dardnaak cheenkh waha goonj gayi. Crimson ke dono haath ajeeb-o-gareeb dishao me mud chuke the.
Renshu ne toh iss ladayi me shaamil hone se mana kiya hua tha. Woh toh ye bullet fire nahi kar sakta tha. Woh toh Paris me hi tha. Toh fir kaun tha?
“You Bitch!!!!”
Crimson zorr se Island ki orr dekhte hue chillaaya. Aur, agle hi shan Veer ko andaaza lag gaya. Renshu ke alawa jo vyakti Crimson se bhidne ki aukaat rakhta tha…!
Apni bauhe sikode Veer ne Island ki disha me dekha.
‘Ava!?’
Tezz hawao me Ushant Island ki sateh par ek khubsoorat ladki haatho me sniper liye waha khadi hui thi. Kal use apni hi kahi gayi baatein yaad aa rahi thi~
‘There’s one more thing I have to do!’
Aur idhar achanak hi,
[Ahnnn!! I got it!]
Pari zorr se chillaayi.
[Master! I get it now! Crimson-! Woh kaise ye sab dodge kar paa raha tha. He couldn’t dodge that bullet now. Teen baar!! Sirf teen baar woh koi death ya fatal blow dodge kar sakta hai ek din me. He was not using a skill but a card Master.]
'???'
[He's using Probability Manipulation.]
Pari Veer ko aur baatein samjhaati par Veer hamle ki liye zyaada aatur tha.
Matlab Crimson kisi fatal blow ko ek din me sirf teen baar hi dodge kar sakta tha?
Ab harr baat sense bana rahi thi. Use samajh aa chuka tha ki kyu uski teen bullet Crimson dodge kar liya parantu, Ava ki fire ki gayi chauthi bullet dodge nahi kar paaya.
Saari dots connect ho rahi thi ab. Ushant Island me bhi toh yahi hua tha na?
Veer ne jab uss building ki terrace pe Crimson ko rod maari thi, aur ek bullet bhi. Eric ne bhi ek bullet fire ki thi chopper se, jo ki teeno hi baar Crimson ne dodge kar li thi.
Aur isliye-
Isliye woh lighthouse se neeche girte waqt uss blade ko dodge nahi kar paaya tha. Kyuki woh teen mauke istemaal ho chuke the.
Aur isliye Renshu ki bullet bhi tab dodge nahi kar paaya tha. Sab kuch ab samajh aa chuka tha Veer ko.
'So that's why-!!'
Ab iss se behtar opportunity kya ho sakti thi?
Crimson ke haath mude hone ka fayda uthaate hue Veer apni saans rok seedha neeche gaya aur uski taango ko apne haatho me le jakad liya.
"You-!! Rrghhh!"
*Plop*
Use neeche ghaseetate hue Veer andar hi andar aage badhne laga.
Iss waqt woh shabd uske mann me goonj rahe the.
'CRIMSON!!!!! AGAR AAJ MEIN MARTA HU, TOH MERI LAASH KO DEKH KE SUNISHCHIT KAR LENA KI WOH MERI HI LAASH HAI…! WARNA AGAR MEIN YAHA SE ZINDA BACHA…! TOH TUMHE WO MAUT DUNGA JO SANSAAR NE PEHLE KABHI NAHI DEKHI HOGI!!'
[Master!!!]
Jin jeevo ka Crimson istemaal karta tha, wahi jeev aaj use apna ahaar banaane waale the.
Crimson : N-Noooo! You fucker!! Nrrghhh!!!
Shark jo waha se bhaag rahi thi, paani me khoon me ho rahi halchal mehsoos kar turant hi Veer ki orr aane lagi. Uske jabdo se lage hue woh nukeele daant, maans ko phaadne ke liye taiyaar the.
Veer Crimson ko taango se ghaseetate hue laaya aur jaise hi shark ne apne daant khole-
"Haarrrghhh!!!"
Poori taaqat se Crimson ko kheench Veer ne use shark ke muh ke saamne kar diya.
"Nooooooooo- rrrgghhhhh!!!!"
*Crunch*
Shark ke jabdo me jo taaqat hoti thi woh Crimson jaisa taqatvar aadmi bhi jhel nahi sakta tha.
Ek hi baar me woh nukeele daant uske seene ko puncture kar andar dhass gaye. Shark ne jab dusri baar hamla kiya toh ghaav aur gehra ho gaya. Haddiya toot chuki thi. Aur peeche se Veer taango ko kheech ke cheer diya.
Drishya kuch aisa tha ki Crimson ka shareer do tukdo me usi cruise ki tarah vibhaajit ho gaya. Ek hissa shark ke muh me tha. Toh dusra Veer ke haatho me.
Veer apne kahe gaye shabdo pe khada utra tha. Usne wahi maut di Crimson ko jo sansaar ne kabhi nahi dekhi thi.
Shark se dur hatt woh jaise hi upar aaya toh use ek shor sunaayi diya.
Dekha toh paaya ki-
"Veer!!!"
Motorboat me Ava uski orr jhuk ke haath aage badhaaye hue thi.
Veer ne kuch na kaha. Haath ko thaama aur woh upar aa gaya.
Ava ne boat filhaal ke liye Ushant Island ki orr hi badha dii. Bohut si baatein thi jo woh Veer se karna chaahti thi.
Magar, Veer jaise koi bhi baat karne ke mood me nahi tha. Woh toh Ava ki shaqal bhi nahi dekhna chaahta tha. Ye baat sach thi ki Ava ne uske saath chhal kiya tha.
Lekin, ye baat bhi sach thi ki abhi usne hi uski madad ki thi.
Ushant ki dehleez par aate hi Veer ke mann me awaaz aayi,
[We'll meet again! Master!]
*Ding*
['Mission : Kill Crimson' has been completed.]
*Ding*
[You have received 10,000 points.]
*Ding*
[System has reached Level 9]
Par jo sabse zyada chauka dene waali baat thi woh ye thi ki-
*Ding*
[You have gained - Probability Manipulation.]
*Ding*
[You have gained - Limb Substitution.]
*Ding*
[You have gained - Aquatic Breathing.]
'Wh-What!?'
Veer ki aankhein aisi phati hui thi jaise maano usne nangi taar ko haath me le liya ho.
Toh wahi woh akela nahi tha.
Ava use utne hi aashcharya me dekh rahi thi. Kyuki uske mann me bhi ek notification aaya tha aur woh tha -
*Ding*
[You have gained - Healing Factor.]
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Update took time because of the work. A few rooms are getting renovated in my home. Mein ghar ka bada ladka hu toh mujhe hi dekhna hota hai sab. Saath hi job bhi rehti hai. Renovation finish hone me abhi kuch 4-5 din aur lagenge. But I'll try my best to give you the next update asap. Baaki, likes thokne ka aur revos rakhne ka. Target wahi hai apna. 150.
Dhanyavaad!![]()
Kyaast update tha maja hi aa gaya. Jaisa ki maine last update ke time demand ki thi ju ne is updte me ye dikha diya ki dono ke paas system kaise aaya. Aur fir crimson ka aur Ava k past bhi dikha diy mujhe ju ne. Iske sath ju ne ek aur system Wale bande ko dikha diya ki wo kaise mara.Mega Update
Update - 148 ~ Demise
Ab tak…
Veer ki aankhein aisi phati hui thi jaise maano usne nangi taar ko haath me le liya ho.
Toh wahi woh akela nahi tha.
Ava use utne hi aashcharya me dekh rahi thi. Kyuki uske mann me bhi ek notification aaya tha aur woh tha -
*Ding*
[You have gained - Healing Factor.]
Ab aage…
'It's over!'
Veer apni saansein durust karne laga. Adrenaline rush dheere dheere kam ho raha tha. Woh apni dono hatheli khol unhe ghoorne me laga tha.
Crimson ab iss duniya se jaa chuka tha. Par ye sab kya tha? Crimson ke marte hi Veer ko mission ke points toh mile hi saath hi anya cheezein bhi praapt hui jo mission ke rewards me mentioned bhi nahi thi. Inka toh zikr hi nahi tha dur dur tak.
Limb Substitution? Probability Manipulation? Fir ye sab kya tha? Ye toh Crimson ke cards the. Iska matlab-!?
Veer ki aankhein hairaani ke maare fel gayi.
'Toh kya isliye-! Isliye Crimson mujhe maarna chaah raha tha?'
Uske haath kaanp rahe the. Ek aur nayi khoj uske haath lagi thi. Renshu ki kuch din pehle kahi gayi baat uske mann me goonji,
'Sansaar me sirf 30 system dhaarak log the. Par ab sirf-! 18 bache hue hai.'
Uski baat yaad aate hi ek aur bodh hua usse. Ab 18 nahi the. Crimson jaa chuka tha. Matlab ab sansaar me keval 17 hi system owners bache hue the.
'Kya isliye baaki ke 12 system owners maare gaye?'
Veer ke dimaag me vibhinn prakaar ke vichaar janm le rahe the. Kahi yahi wajah toh nahi thi jiske chalte baaki system owners maut ke muh me jaa gire? Kyuki 12 system owners yu hi marr jaaye? Baat hazam hone waali nahi thi.
System dhaarak vyakti apne aap me hi kitna shaktishali hota hai ek aam insaan ke muqaable. Aur aisa vyakti yadi marr jaaye, toh ye baat kayi sawaal khade karti hai. Woh abhi apne gehre chintan me tha jab-
Ek awaaz use hosh me laayi,
"Veer?"
Veer ki nigaahein turant hi uske bagal se khadi uss ladki par tik gayi. Khubsoorti ki woh bala use chintit nazro se dekh rahi thi.
Veer (frowns) : You-!!!
Ava : V-Veer! I-
Woh tezz qadmo ke saath aage badha aur usne ek jhatke me Ava ko uske gale se jakad liya. Aur, island ke chhor par lage ped me le jaake use bhida diya.
*Thud*
Ava : Nngh~
Veer chotil tha. Baahar se bhi aur…! Andar se bhi. Iss ladaayi me use bhi chot pahuchi thi. Crimson se mile ye baahri zakhm aur Ava ki di hui wo andhruni ghaat. Apni wahi haalat liye woh Ava ko daboche hue tha.
Kintu, urja jaise uske shareer se ab apne antim charno me thi. Adhkhuli aankhein liye woh Ava ki aankhon me ghoor ke dekh raha tha. Jaise batlaana chaah raha ho ki, 'ghayal zaroor hu, kamzor nahi.'
Ava ne apne aap ko chhuraane ka prayaas nahi kiya. Uske dono haath Veer ki chotil chhathi par tike the. Veer ki pakad uske gale par badhti jaa rahi thi. Lekin, Ava bas apne hontho ko daanto tale dabaye Veer ko dekhti rahi. Dard bardaasht karti rahi.
Ava : V-Veer!!!
Uski aankho se aansu ki kuch boonde nikli. Aur yaha Veer tabhi ladkhada gaya. Pakad dheeli hui aur woh saamne girne hi waala tha jab Ava ne turant hi use thaam liya.
Ava : Veer???
*huff* *huff*
Veer lambi lambi saansein le raha tha. Thakaan ke maare haafi aa rahi thi use.
Ava (frowns) : Y-You are hurt!
Jab apne aap ko Ava ke sahaare usne paaya toh ek jhatke me Ava ke haatho ko jhatkaar kar usne alag kar diya,
Veer : …
Woh kuch kehna toh chaahta tha, magar thakaan ke chalte shabd uske muh se baahar na nikle.
Ava wo celebrity thi jiski ek nazar ke liye log taraste the. Agar woh kisi ko sirf dekh hi leti thi toh aadmi apne aap ko khush kismat maanta tha.
Kintu, aaj wahi Ava jab Veer ko apne haatho se thaam use sahaara de rahi thi toh Veer ne uske komal haatho ko jhatkar kar use dur kar diya.
Na jaane kyu par ek ajeeb si peeda Ava ke dil me hui. Ek ajeeb sa dard. Ye kisi heartbreak se bhi zyada dardneeya tha. Kehne to woh hazaar shabd chaahti thi. Par kaha se shuruat kare? Uski samajh nahi aa raha tha.
Veer ped ke sahaare apni peeth tikaate hue Island ki uss ret par hi baith gaya.
Veer : T-Tum-!!! *huff* *huff* Let me guess! Fir se kisi fayde ke liye yaha aayi ho. Am I right?
Ava turant hi uski orr chalte hue aayi aur uske bagal se baith gayi. Kuch derr tak bas khamoshi chhaayi rahi. Saamne samundar ki lehro ka shor aur upar aasmaan se neech gir rahi halki halki baarish ki awaaz. Bas yahi sunayi de raha tha.
Nazaare ke roop me dur beech samundar me diesel me lagi aag ki wo lapte jo ahista ahista baarish ke chalte shaant ho rahi thi, agal bagal ret aur ghane lambe ped paudhe jo Island ki sateh ki shuruaat se hi lage hue the, aur saath dene ke liye kuch thandi baarish ki boonde.
Kuch shan baad Ava ke honth khule,
Ava : Y-You knew I have a system? Kab pata chale tumhe?
Veer (frowns) : Of course! When you killed me! Par mein khush kismat tha-! Jo zinda bach nikla.
Veer ki tone aur uske shabd, harr ek cheez Ava ko andhruni peeda pahucha rahi thi.
Lag raha tha jaise khanjar se uske dil ko ghaayal kiya jaa raha hai. Farq bas itna tha ki khanjar shabdo ke behroopiye me the.
Ava : V-Veer mein-! Y-Yes! Tum sahi ho. I have a system. Lekin, tum galat bhi ho.
Veer : ??
Ava : Ye baat sach hai ki mujhe tumhe assist karne ka mission mila tha abhi. Rewards me kuch bhi mentioned nahi tha. Lekin, mein yaha sirf mission complete karne ke liye nahi aayi thi. I-I came here to help you. Really!
Veer : What a nice routine huh!? Pehle khud hi maut ke muh me dhakelna aur fir khud hi madad ka haath aage badhana. You think I'm a fool???
Veer ki awaaz achanak hi oonchi ho gayi. Ava ki aankhon se aasu bahe aur uski nazre neeche jhuk gayi.
Ava : I-It was all my fault. I agree. I admit to it. T-Tumhe mujhe maaf karne ki zaroorat nahi. I don't deserve an apology Veer.
Perr modte hue woh sikud ke baith gayi. Uski awaaz bhi ekdum dheemi pad gayi.
Ava : K-Kya mein jaan sakti hu tumhe kya mila? Kya tumhe mission mila tha? Crimson ko maarne ka?
Veer chup chaap tha. Usne apni nazre ferr li. Agar koi aur hota toh Veer ne ab tak uska thobda hi phod diya hota. Parantu, Ava ke khubsoorat mukhde ne use aisa karne na diya. Aur aaj khud par hi kheejte hue usne apna muh hi mod liya.
Uski khamoshi ko Ava ne 'haan' samjha. Yaani, Veer ko mission mila tha.
Ava : K-Kya bata sakte ho kya rewards mile tumhe?
Woh ahista se uss se puch rahi thi. Jaise maano woh ek teacher ki tarah kisi kindergarten me pehle din aaye bacche se baat kar rahi ho.
Veer abhi bhi chuppi saadhe baitha tha. Aur uski khamoshi saaf jawaab de chuki thi ki use Ava pe zara bhi vishvaas nahi tha.
Ava : I-It's okay! If you don't want to tell. M-Mujhe…! Mujhe Healing Factor mila hai. It's…! It's a card.
Woh apni harr baat bata rahi thi. Kintu, Veer nahi. Wo bas sunn raha tha.
Ava : I still don’t understand a few things. Aisa pehli baar hua jab mission me rewards ke liye bas question mark banke aaya tha.
Veer ko tabhi dhyan aaya ki uske me bhi toh yahi tha. Crimson ko maarne ke mission me rewards ke saamne bas prashn chinh hi bane hue the.
Veer : Ek system owner ko jab dusra system owner maarta hai. Toh use maare gaye vyakti ki kuch skills aur cards milte hai. This is what I have assumed for now.
Ava : I-I see!
Ab paari palat chuki thi. Ab Veer kisi teacher ki tarah prateet ho raha tha aur Ava kisi bacchi ki tarah jo apne teacher se notes le rahi thi.
Ava : Toh isliye woh tumhare peeche tha? Mujhe bataya gaya tha ki…! Tumhari aur uski purani dushmani thi. Am I-
Veer : We were strangers! Wo mujhe isliye maarna chaahta tha taaki use mere cards aur skills mil sake.
Ava : …
Veer : Also, there are…! Total 17.
Ava : Total 17?
Veer (glances) : Total 17 System holders.
Ava : Whaaattt???
Ava ye toh jaanti thi ki ek se adhik system waale log hai iss sansaar me. Lekin, ye nahi jaanti thi ki itne saare honge. 17 ank bhi kam nahi tha.
Jab 2 ke bhidne me ye haal tha toh saare 17 jab aamne saamne aa jaaye aur aapas me bhid jaaye toh kya hoga? Samast dharti hi kaanp uthegi.
Ye khabar uske liye kaafi hairat-angez kar dene waali thi.
Ava : 17? P-Par ye kaise mumkin hai? K-Kisne bataya?
Veer (frowns) : Do I have a reason to tell you?
Ava : B-But-!!?
Veer ne use ye khabar isliye di kyuki Ava apne aap me ek system owner thi. Use kam se kam ye pata hona chahiye tha ki kitne system dharak log hai duniya me. Par, Renshu ke baare me jankari dena Veer ne uchit nahi samjha.
Aur kyu de woh bhala? Ava, ek baar use dhoka de chuki thi. Woh dobaara uspe vishwas nahi kar sakta tha.
Ava ko apni jagah ka bodh hua. Woh uss sthaan par thi hi nahi jaha woh Veer se jawaab ki maang rakh sake. Pehle glaani ke uss patthar ko apne upar se hatana tha. Woh ye turant hi samajh gayi aur isliye,
Ava : Tum sahi ho, Veer! Tumhe mujhe kuch bhi bataane ki zaroorat nahi! P-Par- Mein tumse kuch kehna chaahti hu.
Veer na hi uski baat sunn’na chaahta tha aur na hi use ab dekhna. Usne apni saansein durust kar li thi. Samay aa chuka tha ki ab woh yaha se nikle. Woh turant hi uth khada hua,
Veer : I must leave-
Ava : W-Wait!!!
Parantu, Ava ne uske haath ko thaam fauran hi use wapas neeche baitha diya.
Veer (frowns) : You-!!!
Ava : P-Please! Please, listen to me Veer! Meri baat sunn lo. Uske baad tum chale jaana. Mein tumhe nahi rokungi. But please- Please meri baat ek baar sunn lo!
Koi dekh ke keh sakta tha ki ye wahi famous singer Natalia Martin thi? Ek ladke ko yu thaame uss se gidgida ke minnat maangne waali ye ladki kya wahi Natalia thi? Wahi Natalia, jo kabhi ameer se ameer celebrities ko ghaas tak nahi daalti thi, kya ye wahi thi?
Ava jitna Veer ke saamne ro rahi thi, Veer ko utni hi kheej uth rahi thi. Kyuki, baar baar uske saamne Ava ki purani yaadein taaza hone lagti. Maatha garam hota, aur fir use apni bhadaas nikaalne ki woh urge paida hoti.
Ava : V-Veer! Please! Kya jaan’na nahi chaahoge ki maine aisa kyu kiya tumhare saath? Kya tum-
Veer : Talk!!
Usne beeche me hi Ava ki baat ko kaatate hue rukhepann se kaha. Ava ne ek gehri saans li aur bolna shuru kiya,
Ava : Tum naraaz ho! Gussa ho! Aur hurt bhi…! I know. Mein maafi nahi maangungi Veer. Lekin, akhir tak-! Meri baat sunn’na! Please!
Veer : …
Ava : You know…! Ye sab paisa, popularity, ye sab abhi ka hai. But actually...! We were broke Veer. Hum gareeb the. *smiles*
Veer : ???
Ava : Yes! Is it surprising? Lekin, pehle aisa nahi tha. Jab hum India me the. Sonia, Kaera…! Meri sabse achhi dost. Dad ka business tab uth raha tha. Mein unse mila karti. Unke saath khela karti. *smiles* Sweet memories. But unfortunately, kismat ko kuch aur hi manzoor tha. Everthing which begins must come to an end.
Veer : …
Ava : Dad, mom ke kehne par India chhor videsh chal diye. Mujhe bhi unke saath aana pada. Kaera aur Sonia…! Dono se mera touch khatam ho gaya. Abhi abhi nayi dosti ki dorr banayi thi. Par, woh ek jhatke me toot gayi. Mein use thaam hi nahi paayi. India chhor hum sab Vegas aa gaye.
Veer : ???
Ava : Vegas me business tezzi me upar utha. Par, kehte hai na juaa achhi cheez nahi. Woh sach baat hai. Vegas me hone ke baad agar insaan casino aur gambling se influenced na ho aisa kaise ho sakta tha bhala? Dad was the same!
Veer : He Lost!?
Ava (nods) : Yes! Aisa nahi tha ki casino se paisa nahi kamaya jaa sakta. Bilkul kamaya jaa sakta hai. Magar…! Dad ek galat casino owner ki deal me fass gaye. Na sirf unhone huge amount gawaya balki, business fund se leke building bhi gawa di. Dad ke paas power khatam ho chuki thi.
Veer : …
Ava : Mein unhe dosh nahi dungi! Galti insaan se hoti hai. Aur, usi ke liye woh Vegas se judi baaki cities me kaam dhoondhne lage. Unhone meri studies, ya mom ki life me kabhi kisi cheez ki kami nahi hone di. In fact, ye baat bhi ekdum end me jaa ke hamaare saamne aayi thi. Woh humse chhipaaye hue the. Taaki, hume koi tension na ho. That alone won my heart.
Veer : At least you had a fine dad…! Unlike mine!
Veer ne dheere se apni nazre ferrte hue kaha, jise Ava ne sunn liya. Woh samajh gayi thi. Veer ko ek shan dekhi, par uss baare me boli kuch nahi.
Ava : Yes! Dad was great. *smiles* Casino waalo se wo jaan boojh ke nahi bhide taaki hum par koi khatra na aaye. Lekin, inn cities me rehna koi asaan baat nahi Veer. Dheere dheere dad ki earning kam padne lagi. Aur, tab mom ne bhi kaam dhoondh liya. Woh bhi work karti, dad bhi…! Meri studies aur kharcho ke liye.
Veer : …
Ava : And, then one day suddenly, a voice resounded in my head. System has been awakened.
Veer : !!!?
Ava : Then, I knew…! Ki ab mein sab kuch theek kar dungi. Dad aur mom ki life ab mein better kar paungi. Aur, tab mujhe meri awaaz mili. *smiles*
Veer : Huh!?
Ava : Siren Rose!!! Meri singing skill. *smiles* Jiske zariye, mene iss glamour ki duniya me qadam rakha. Dekhte hi dekhte mujhe popularity milne lagi. System hone ki wajah se mujhe pata tha kaise aage badhna hai. Dad aur mom bohut khush the. Woh car se mujhse milne Vegas hi aa rahe the jab…!
Veer : …
Ava ki awaaz achanak hi dheemi pad gayi.
Ava : Jab…! Woh accident hua. Police ka call aaya. Aur, unhone mujhe hospital bulaaya. I went there…! Aur udhar…! Dad ki body meri aankhon ke saamne padi hui thi. Aur mom head injury ki wajah se coma me jaa chuki thi.
Veer shaant hoke sab sunn raha tha. Kahi na kahi uska gussa thanda ho chuka tha.
Ava : Kabhi kisi apne ko khoya hai Veer?
Veer : …
Ava : Apne khoon ke kisi insaan ko? Uss raat…! Mene toh jaise dono ko hi kho diya. Dad to gaye hi even mom…! Tab se wo usi state me hai. And, you know what the saddest thing is? *sniff*
Achanak hi Veer ko Ava ke subakne ki awaaz aayi. Usne mud ke jab use dekha toh paaya ki Ava ki aankho se aasu jhar-jhar kar ke beh rahe the.
Ava (cries) : The saddest thing is that… Mom ko pata hi nahi hai ki Dad iss duniya se jaa chuke hai. *sniff* He is no more! Unke liye toh jaise waqt tham gaya hai. Woh toh abhi bhi apni beti Ava ke singer bann’ne ki khushi me Vegas jaa rahi hai. She doesn’t know that- *sniff*
Woh poori tarah se toot gayi.
Veer : *frowns*
Ava : *sniff* M-Mujhe bataya gaya tha ki ye sab ek accident tha. Lekin, mein jaanti hu ki ye accident aise hi nahi hua tha. I checked my Dad’s car. Mere haath ek info lag gayi thi ki ise jaan boojh ke bheda gaya tha. And, I needed to find that person.
Veer : …
Ava : Aur tab, Ava se mein…! Natalia Martin bani! Ava was no more! Only Natalia existed! I trampled on the casino which robbed my dad. Destroyed it! Owned it! Remodeled it into my own label record company. But tab ek cheez aur hui-
Veer : ??
Ava : Ek unknown caller ki taraf se mujhe call aaya. Use pata tha ki mere paas Death Flag skill hai. Woh ye bhi jaanta tha ki mein apne dad ke killer ko dhoondh rahi hu. Aur woh ye bhi jaanta tha ki mere dad ka hatyaara kaha milega.
Veer : Unknown caller!?
Ava : Yes! Usne mujhse do maange rakhi. Badle me woh dad ke killer ke baare me bataane wala tha.
Veer : And you trusted him?
Ava : Toh kya karti? Use ye tak pata tha ki mere paas kya skills hai. Kaise nahi trust karti? Kam se kam woh mujhe aage badhne ke liye ek raasta de raha tha. Mere haath kuch toh lagta.
Veer : What did he ask for?
Ava : Mujhe yaad hai! Uski pehli farmayish thi ki mein India jau. Mera pehla kaam tha Slogan naam ke aadmi ke upar Death Flag lagana!
‘Slogan’ naam saamne aate hi, Veer ke badan me ek sihran daud gayi.
Veer : S-Slogan!?
Ava : Y-Yes! You know him?
Veer agle hi pal shant ho gaya. ‘Know him?’ Know him kya Veer hi toh tha jisne Slogan ko maara tha.
Ava : Mera kaam tha ye dekhna ki woh zinda hai ya nahi. Death Flag ki initial range sirf 1 km ki rehti hai. Uss range ko follow karte hue mein ek pahaadi par se uss par nazar rakhe hue thi. Jab finally, mujhe notification aaya ki Slogan marr chuka tha.
Veer (glances) : Then?
Ava : Then- Then I texted him. Kaam ho chuka tha. Usne kaha ki mein laut jau. Aur mein wapas aa gayi. I still don’t understand ki woh kya farmayish thi. Lekin, fir dekhte hi dekhte samay guzra aur iss Crimson ne…! Ye pata laga liya tha ki mere paas system hai.
Veer : !!?
Ava : Camouflage! Ye woh skill hai jo-
Veer : I know! Aage kya hua?
Ava : You know? Ohh! I- I see! Crimson-! That guy! *frowns* Mein uske saath koi collaboration nahi karne waali thi. Lekin, tabhi uss unknown caller ne dusri maang rakh di.
Veer : Huh?
Ava (glances) : Aur woh thi ki mein usi Crimson ke saath collab karu. My shitty luck! Aur tumhe pata hai uss Crimson ka plan kya tha?
Veer (frowns) : To frame me!!!
Ava : Y-Yes! Yes Veer! He targeted my mum too! Snipers! Pata nahi usne kab ye kiya tha. But I needed to save my mum. I had to undergo into a false camaraderie! *sniff* I-It was all my fault!
Veer : …
Ava : *sniff* Maisie’s cure! Veer!
Veer : ???
Ava : Ek Legendary scroll! Jo mujhe tab mila tha jab mein singing ki duniya me famous ho rahi thi. Fame points ki barsaat ho rahi thi Veer. I played scroll hunt. And luckily I was able to get this-
Veer : Maisie’s cure…!
Ava : Hmm! It can cure any coma patient. Magar, use istemal karne ke liye I need 20,000 points. Right now, I only have 18,000.
Veer : Unknown caller ka kya? Tumne dono maange uski poori kar di. Did he tell you who was the killer?
Ava : Usne kaha tha woh aaj batayega. I have sent him text regarding-
*Buzz*
Woh itna boli hi thi ki uska phone vibrate hua. Ek jhatke me Ava ne use apne jeb se nikala aur screen par dekha toh usi unknown caller ka message aaya hua tha.
“Hello there little girl! So? What’s the news? Kaun jeeta? Crimson? Ya Veer?”
Veer bagal se baithe screen par aa rahe message ko bhali bhaati dekh paa raha tha. Anjaan vyakti uske baare me bhi jaanta tha.
Renshu ke kahe gaye bol uske dimaag me fir goonj gaye,
‘Koi toh hai-! Koi hai jo hume iss shatranj ke khel me pyaade ki tarah istemaal kar raha hai Veer! Aur, filhaal use mein Mr. X keh ke bulaata hu. Jo hamari peeth peeche ye sab game khel raha hai.’
Veer : X..!?
Ava Veer ko apne qareeb dekhi aur fir screen par. Pata nahi kyu, par uske haath thar-thar kaanp rahe the. Thand iski wajah nahi thi. Darr tha asli kaaran!
Usne apne kaanpte hue haatho se Veer ko apna phona thama diya. Jaise woh chaah rahi thi ki Veer uss aadmi se baat kare.
Veer ne phone lete hue type kiya -
"Crimson is dead."
Aur message send kar diya.
Uss orr se fir ek message kuch hi shano me aa gaya.
"As expected. Anyways! Mene tumhe promise kiya tha. Right? Don't worry! I'm not that bad! I'll definitely tell you who your father's killer was."
Veer ne Ava ko dekha aur Ava ne use. Ava ke dil ki dhadkane behad tezz thi. Woh apne pita ke hatyaare ke baare me jaan'ne jaa rahi thi. Na jaane kitne din kaise guzaare the usne iss naam ko paane ke liye. Aaj woh naam uske samaksh aane waala tha.
"You father's killer was-"
Message aaya. Ava aur Veer dono hi screen par apni nazre gadaaye the. Aur agle hi pal, ek naam capital letters me saamne aa gaya.
"CRIMSON!"
*Silence*
Ek ghana sannata chha gaya.
Veer ke badan ke ruye khade hue. Toh ab tak? Ava usi aadmi ke saath collab kar rahi thi jo uske dad ko maare baitha hua tha? Bodh hote hi Veer ke badan me ek sihran daud gayi.
Darr iss baat ka nahi thi. Darr iss baat ka tha ki iss caller ne Ava ko Crimson ke saath kaam karne ko kaha ye jaante hue bhi ki Crimson hi Ava ke pita ka hatyaara tha.
Ava jaise sudh budh kho chuki thi. Iss khabar ko pachaaye kaise akhir?
Wait! Woh jhooth bhi toh bol sakta hai?
Ye khayal use aaya. Parantu, unknown caller ne jaise Ava ke mann ki baat padh li aur turant hi ek aur message bhej diya,
"If you don't believe me...!? See Crimson's past. Good night, little girl!"
Veer : Crimson's past!?
Veer ke muh se shabd nikle hi the ki uske mann me ghanti baji aur awaaz aayi,
*Ding*
[Past Illustration has been invoked.]
[Do you want to see Crimson's Past?]
Veer apni kasi hui bauhe liye Ava ko dekh raha tha aur Ava use. Ava ki aankhein jaise minnatein maang rahi thi. Veer jaanta tha use kya karna hai.
'Yes!'
Aur agle hi pal, Veer ki aankhein band ho gayi.
***
Samudra ke chhor ke paas ret pe ek naujavan baitha hua tha. Sooraj dhal chuka tha. Beach par maujood sabhi bache log apne apne gharo ki orr laut rahe the. Unme se kuch couples the toh kahi kuch family ke log. California ke iss beach par thodi kam hi bheed rehti thi. Woh bas yu hi logo ko jaate dekh raha tha.
Bina Maa Baap ke pala bada, Carlos ek aisa insaan tha jo apne aap ko zinda tab hi mehsoos kar paata tha jab jab woh maut ke ekdum qareeb hota tha.
Warna uski zindagi kisi naali ke keede samaan thi. Na parivaar, na pyaar, na ghar, na thikaana, California ki streets par sona, aur paise chura ke khaana khareedna, yahi uski zindagi thi.
Kabhi beach par aake lifeguard ki duty mil jaati thi toh woh kar liya karta. Aur jab nahi milti, toh yahi loot paat hi uska sahaara hota tha.
Aur inhi sab me uski jaan kayi baar maut ke itne qareeb hoti ki pal bhar ki chook bhi yadi ho jaaye galti se toh uski maut pakka thi. Kayi baar jiska paisa churaate toh woh maarne daud padta tha, toh kabhi streets me reh rahe khatarnak logo se panga ho jaata tha jo usse maarne aa padte the.
Ek chuhe ki zindagi thi uski. Idhar se bhaago toh uss bil me ghus gaye aur udhar se bhaago toh iss bil me. Aur beech me jaha jo jo khaane ka samaan mila woh utha liye.
Lekin yahi sab usse aur zinda mehsoos karwata tha. Ye jo thrill tha apni jaan bacha ke bhaagna aur akhir me zinda baahar nikalna. Yahi usse ehsaas karwata tha ki woh zinda hai.
Jitne bade risks woh leta tha utna hi zyaada use adrenaline rush mehsoos hota tha apne andar.
Log kehte hai na aksar ki gaand me gooda hai toh ye karke dikha. Carlos wahi banda tha. Confidence uska hamesha hi high rehta tha. Aur kyu na rahe? Jab aap hazaaro baar maut ke muh me jaake baahar aa jao toh maut bhi ek mazaak sa lagne lagti hai. Woh jese mrityu ke saath khel khelta tha.
Woh abhi soch hi raha tha ki aaj ka guzaara kaise kiya jaaye jab uske dost ki awaaz uske kaano me padi.
"Carlos!!!"
Carlos : Hmm?
Usne bagal se dekha toh paaya ki uska dost bhaagte hue uski orr aa raha tha.
Carlos : Jayden!?
Jayden! Uska sabse khaas dost. Bas yahi ek tha. Jo uski hi tarah tha. Ekdum anaath. Dono ek dusre ke saathi the. Dono ki zindagi ek samaan thi. Agar Jayden na hota toh Carlos shayad aaj zinda na hota. Jayden ne hi ek din use maut ke muh se bachaya tha jab mafia gangs ke beech woh galti se fass gaya tha.
Aur tab se, dono hi ek dusre ke saath the.
Carlos : Kya hua?
Jayden (smiles) : Ek badi party mil gayi. Chal! Baitha kya hai be. Raat ho rahi hai. Jugaad toh karna padega na!
Jayden ne uske kandho ko thap-thapaya aur bade hi josh me woh waha se aage badh gaya. Carlos utha aur Jayden ke peeche peeche chal diya.
Carlos : Kaha hai party?
Jayden : Yahi! Yahi par aayegi.
Carlos : Tujhe kaise pata?
Jayden : Pakki khabar hai be. Kal mene do logo ko baat karte hue sunn liya tha. Unse baat bhi ki thi mene-
Carlos : Kya baat ki?
Jayden : Yahi ki kya hum bhi shamil ho sakte hai?
Carlos : Toh kya kaha unn logo ne?
Jayden : Mujhe upar se neeche dekha aur fir muskuraaye. Bole ki kyu nahi! Bilkul!
Carlos : Accha? Aur kaam kya hai?
Jayden : Abe tu sabr toh rakh. Saara maza kirkira ho jayega agar mein hi sab bata dunga toh. Dekhte jaa bas tu.
Carlos ne apna sarr haar me hilaaya. Jayden ko samjhana matlab bhains ke aage been bajaane jaisa tha. Use kitna hi samjha lo, woh hamesha apne mann ki hi karta tha. Par jaisa bhi tha, bada hi accha tha.
Carlos use dekh andar hi andar muskura diya. Raat hui aur tabhi samudri tat par ek ship aake lag gayi.
Carlos : Ye kya hai? Ship?
Jayden : Haha! Chaunk gaya na? Yahi toh hai be badi party. Chal jaldi!
Woh use kheechte hue aage badha. Aur dono ship ke liye seedhiyo se upar chadh diye.
Jaise hi ship me qadam rakhne ki baari aayi, unn dono se pooch taach kari jaane lagi. Par unn do logo ne jaise hi Jayden ko dekha use andar aane ke liye allow kar diya.
Carlos ne dekha ki harr ek aadmi, aurat waha masks pehni hue the.
'Huh?'
Carlos : Ye kisi tarah ki party ho rahi hai kya yaha?
Jayden : Haan! Shayad! Sab ameer log hai be. Dekh! Ship me help karwayenge. Aur saath hi-
Carlos : Beech beech me mauka dekh ke kuch mehnga samaan bhi maar lenge. Right?
Jayden : Hahaha! Yes my boy! Safar ka safar! Lazeez khana! Aur upar se fayda hi fayda! Bol? Pasand aaya na?
Carlos : Interesting!
Jayden aage badh unn do logo se baat karne laga. Woh do log use samjha rahe the ki kya kya kaam hai ship me karne ko.
Toh wahi Carlos raat me iss light se jagmag ship ke harr kone ko bade hi dhyaan se dekh raha tha. Ek ajeeb si anubhooti ho rahi thi use. Kuch theek nahi lag raha tha. Bhala ye kis tarah ki party thi?
Tabhi Jayden ne use awaaz lagaate hue apne paas bulaaya. Woh Jayden ke paas jaake khada ho gaya.
Jayden : Ye Sir log hume ameero ka parichay de rahe hai. Bata rahe hai ki inka hume khaas dhyaan rakhna hai.
Carlos ne haami bhari. Aur, itne aankhon par mask lagaaye ek khubsoorat mahila kareeban 40-45 umr ki unn dono ke saamne aayi.
Badan par behad mehngi ek red dress aur laal hontho par reshesyamayi muskaan.
Woman in red : Hooo~ Such fine young men!!!
Aadmi : Ye toh bas additional hai Miss.
Woman in red : Toh kya hua?
Woh aage aayi aur usne Carlos ki chin ko apne komal haatho me liya,
Woman in red : What's your name, baby boy huh?
Magar, Carlos ko ye sab bilkul bhi pasand na aaya. Woh chup raha. Jayden ke maathe par paseene ki boonde jhalakne lagi. Isliye, woh tapaak se bol pada.
Jayden : Umm! M-Ma'am mein Jayden hu aur ye-
*Chataaaaaaakkkkkk*
Usne itna bola hi tha ki ek zordaar ulta thappad aake uske gaal pe pada. Chaate ki goonj poore ship me fel gayi. Carlos ki aankhein ye dekhte hi hairat me badi ho gayi.
Woman in red : Mene tumse jawaab nahi maanga tha, right?
Jayden (nods) : J-Jii!
Carlos (gurraate hue) : Y-You-!!!
Woman in red (smiles) : See! This is what happens when you try to act smart with me.
Kehte hue woh palat ke waha se chali gayi aur aas paas ke log unn dono ke upar hasste reh gaye.
Jayden apna gaal pakde use sehlaane me laga hua tha. Aur Carlos ko kos raha tha,
Jayden : Abey saale! Seedhe seedhe naam bata deta toh kya chala jaata? Tere chakkar me...! Mere ko thappad raseed diya usne. Haaye! Lekin, haath bada hi soft tha yaar! Uff! Bas zorr se maar gayi saali.
Carlos (frowns) : Uska mujhe uss dhang se chheena pasand nahi aaya. Saath hi uske woh shabd. Mein koi khilauna nahi.
Jayden : Abey toh theek hai na. Thodi derr kar leta naatak. Dekh, mera gaal kaise laal pad gaya. Ahn! Fuck!!!
Woh dono kuch hi sanag baad apne apne kaamo me lag gaye. Kahi Carlos deck ki safaayi karta toh kahi Jayden khaane ki plates ko utha ke unhe sink tak le jaata.
Kahi, Carlos unn dishes ko dhota toh kahi Jayden mehmaano ki servings me laga rehta. Kul milaake, dono bhaiyankar vyast ho chuke the.
Mauka dekh ke kuch na kuch chota mota item bhi maar lete. Jaise kisi ki anguthi ya kisi ki ghadi. Magar, zyada bada item nahi. Uski chori toh tab hi hoti jab ship land se ekdum kareeb rahe.
Filhaal, woh samundar ke beecho beech the. Kahi bhaag bhi nahi sakte the.
Woh dono hi abhi mauka dekh ke kuch lootne ki soch rahe the jab,
*Thud* *Thud*
Do zordaar vaar unke sarr par hue aur dono hi apne hosh kho baithe.
Na jaane kitna waqt guzar chuka tha. Magar, shor sharaabe ke chalte Carlos ko hosh aa gaya. Usne apne aas paas dekha toh paaya ki sangeet baj raha tha aur saare log aankhon par mask lagaaye naach rahe the.
Koi wine pee raha tha toh koi khaane me laga hua tha.
'Huh?'
Usne turant hi uthne ki koshish ki magar...!
'What???'
Uske haath bandhe hue the. Peeche mud ke dekha toh paaya ki Jayden ke haath bhi uske haatho se bandhe hue the.
Woh dono hi aapas me bandhe the. Aur tabhi Jayden ki awaaz uske kaano me padi,
Jayden : We got trapped!
Carlos : What?
Jayden : I-I'm sorry Carlos! Sab meri galti hai. Mujhe nahi pata tha ki ye aisi party niklegi.
Carlos : What do you mean?
Jayden : Look for yourself!
Uske ishaare ko follow karte hue Carlos ne jab deck ke chhor par dekha toh uske badan me raungte khade ho gaye.
Ek aadmi tha, uske haath perr aur muh sab bandha hua tha. Uske saath kya kiya jaa raha tha ye batlaane ki zaroorat nahi thi.
Agle hi pal sabki nazro ke saamne use peeche se laat maar ke dhakel diya gaya. Jaha Jayden aur Carlos ki haalat patli ho gayi thi ye drishya dekh ke toh wahi baaki sabhi enjoy kar rahe the.
Samudra me sharks ka jhund tha neeche. Uss aadmi ka kya haal hua hoga, ye sochne ki zaroorat hi nahi thi.
Jayden : And we are the next!
Carlos : Wh-Whaaaaatttt??
Qadmo ki awaaz aayi, aur wahi woman in red unn dono ke saamne thi. Unn dono ko pakad ke uthaaya gaya. Woh aurat unn dono ke chakkar lagaayi aur unhe upar se neeche tak dekhi.
Jayden ki chin pakadte hue usne pucha,
Woman in red : What's your favourite colour?
Jayden ne aurat ki dress dekhi aur tareef karne ke liye tapaak se bol diya,
Jayden : R-Red!!! Crimson Red!!!
Woman in red (smiles) : Good!
Woh ahista se Carlos ke paas aayi aur firse usne uski chin ko thaama,
Woman in red : And what's your baby boy?
Baby boy shabd sunn ke hi Carlos ka dimaag kharab tha. Woh uttar dena toh chaahta tha magar uski pride ne muh khulne na diya.
Jiska nateeja,
*Chataaaaaaakkkkkk*
Jayden : Ahhhn!!
Carlos : You fuckerssss!!!
Jayden ke muh pe firse ek thappad aake pada. Woh aurat Carlos ko nahi maarti. Jab jab wo jawaab dene se mana karta toh Jayden ke gaal laal kar deti.
Woman in red (smiles) : This look! This is what I like...! Hahahahaha!
Aadmi : Kya karna hai inke saath miss?
Woman in red (smiles) : Of course! Kill both of them. Hatte katte hai. Show will be long lasting. Fufu~
Aur sabhi aas paas thahaake lagaane lage.
Jayden : Fuckkkk! T-Toh ye isliye uss din mujhe upar se neeche dekh rahe the? Taaki mein sharks ke liye accha chaara bann saku? Inki maa ki choot!!!! Fuckkkkk!!!
Carlos : Jayden!
Jayden : Yeah!?
Carlos : I... I have an idea.
Jayden : Ohh?
Unn dono ko deck ke kareeb laaya gaya. Dono ke girne ke samay aa chuka tha. Aur yahi woh waqt tha jab Carlos ko apne andar kuch mehsoos hua aur mann me ek ghanti baji,
*Ding*
[System has been awakened.]
[You are now the owner of the system.]
[Analysing French language from the owner's mind...]
[Processing...]
[Process completed.]
[French language has been recognised.]
[I can help you!!!]
Awaaz sunn Carlos buri tarah se darr gaya.
Carlos : Whaaaaatttt? K-Kaun ho tum?
Jayden : Huh? Abe kis se baat kar raha hai? Wtf? Ye plan hai tera?
[Shhh! Stay calm! Sirf tum hi mujhe sunn sakte ho. Apne mann me baat karo!]
'I-I see! But-!'
[Sawaal kyu puchte ho? Kya tumhe yaha se bach ke nahi nikalna? Agar nikalna hai, toh ye bhul jao ki madad kaha se mil rahi hai aur kaise mil rahi hai. Iss baare me baad me bhi socha jaa sakta hai. Right?]
'A-Alright then!'
Jayden : Abey tu marrne ke darr se kahi paagal toh nahi ho gaya?
Carlos : Tujhe darr nahi lag raha?
Jayden (smiles) : Ab nahi lagta maut se darr.
Carlos : H-Hey!
Inn dono ki baatein ho rahi thi par kismat ko jaise kuch aur hi manzoor tha.
Unhe mauka tak nahi mila, jab unhe zorr se seedhe neeche dhakel diya gaya. Woh dono aapas me bandhe seedhe samundar me jaa gire.
[I will tell you how to open these rope knots. Follow my command.]
Paani me dono ko hi terrna aata tha. Dono apna santulan banaaye the. Magar...! Sharks kaha unhe samay dene waali thi.
Jaise hi knots khuli, Carlos ko mehsoos hua jaise kisi ne use peeche se dhakka diya ho. Palat ke dekha toh woh kisi murti ki tarah jamm ke reh gaya.
Jayden ko shark chaba chuki thi. Uske aadhe shareer ko nigal chuki thi.
Aur waha wahi crimson red blood samundar me fel gaya. Upar decks se cheh-chahaane ki awaazein aa rahi thi.
"Jaaaaaayddddeeeennnn!!!!"
Carlos chillaaya. Par Jayden jaa chuka tha.
[Save yourself first. Move to other side, quick!]
System ki baat maante hue woh neeche hi neeche ship ke dusre side aa gaya. Log waha deck se uss orr dekh rahe the aur Carlos iss orr aa chuka tha.
Badi hi mushqil se woh ship me pakad banaate hue chadha aur upar ko aa gaya. Poori tarah se bheega hua tha woh. Log waha uske paani me gaayab hone ke baare me baat kar rahe the aur torch maar ke use dhoondh rahe the.
Carlos ne dekha ki wahi woman in red muskuraate hue apne andar ke cabin me jaa rahi thi. Woh apni gusse se laal aankhein liye uske peeche peeche chal diya.
Apne cabin me aake woh aurat red wine ka ek glass liye wine pee rahi thi.
Ki tabhi,
*Khach*
Kuch nukeela sa uski gardan me mehsoos hua. Aur fir dard utha, fir atyant hi asaheneeya dard hua aur usne palat ke dekha.
Uski aankhein felti chali gayi. Saamne Carlos tha. Aur, usne wine ke glass ko tod ke jo sirf dandi waala hissa rehta hai, woh seedhe uske gale me ghused diya tha.
Agle hi pal, usne woh hissa nikaala aur ek naya glass lete hue usne uss aurat ko jhukaaya. Gale se khoon kisi nal ki tarah nikla aur glass me bhar gaya.
Aur wahi khoon se bhare glass ko usne aurat ke muh se laga diya. Aurat ki aankhein aisi feli hui thi jaise usne maano bhoot dekh liya ho.
Carlos : You wanted to know my name, right? Remember it in your afterlife. It's Crimson!!!
Jayden ki akhiri yaad ke roop me usne apna naam yahi rakh liya.
Carlos was dead. Crimson was born. Uss raat, ship par bas khoon hi khoon felta chala gaya. System ne na sirf Crimson ko waha se zinda nikala, balki baakiyo ko maut ke ghaat bhi utaar diya.
Aur unhi ke ship ke zariye woh land tak aa gaya. Ab uska maqsad bann chuka tha. Inn fetish waalo ko chun chun ke maarne ka.
Jayden ki jaan inki wajah se gayi thi. Uska aim clear tha. Par aise hi nahi. Woh aise hi nahi maarne waala tha inhe. Inhe inke bil se nikaal ke pehle inka saara paisa hadpega woh. Uske baad hi inhe maarega. Uska uddeshya spasht tha.
Par abhi sab khatam nahi hua tha. Usne ek car ko jaise taise khol chaalu kiya aur waha se bhaag nikla.
California se Vegas ki orr jaane waala ye raasta tha. Raat me sab kuch sunsaan tha. Use laga tha ki woh ab ek chenn ki neend le payega par nahi,
*Vrrrrooooooommmmm*
Ek car tezz gati me theek uske bagal se nikli.
'Huh?'
Par sirf ek nahi thi. Theek uske baad ek aur car utni hi speed me uska peecha karte hue nikli.
'What the-!?'
Crimson ne apni car unn do cars ke peeche laga di. Ek car sabse aage thi jisme koi tha aur woh tezzi se bhaag raha tha.
Toh wahi uske theek peeche ek open car thi. Jisme ek yuvak baitha hua tha aur woh uska peecha kar raha tha.
Crimson ne car uss peecha kar rahe yuvak ke bagal se lagaayi.
Crimson : H-Hey!!!
Usne awaaz lagaayi toh uss yuvak ne Crimson ki orr dekha. Aur aaj pehli baar Crimson ko darr ka ehsaas hua.
Uss aadmi ke chehre par ek kaala mask tha. Uska poora chehra dhaka hua tha.
Hosh uske tab ude jab,
'Check!'
*Ding*
[No information available.]
'Huh??'
Crimson (frowns) : You...!
Aadmi (smiles) : Ohh! System huh!
Crimson (baffled) : Wh-What? H-How? Tumhe kaise pata?
Aadmi (smiles) : Raaste par dhyaan do! Warna-
Crimson uski baat sunn jaise hi saamne dekha, uski aankhein phati reh gayi. Ek truck aa raha tha. Ek jhatke me usne apni car side ki aur truck uske bagal se nikal gaya.
Usne firse apni car uss aadmi ke bagal se lagaate hue uss se pucha,
Crimson : Tum system ke baare me jaante ho? Kaise? Kya tumhare paas bhi-!?
Aadmi kuch nahi bola.
Crimson : Aur woh aadmi kaun hai aage? Uska peecha kyu kar rahe ho tum?
Sabse aage waale aadmi ki haalat kharaab thi. Woh khoon se sana hua tha aur bhaybheet bhi tha.
Aadmi : Woh mera shikaar hai. I'm trying to kill him.
Crimson : Whaaaattt?
Aadmi : Chaunk kyu rahe ho? Tunhare khud ke kapdo me khoon laga hai. Tum iss kaam me naye nahi ho. Right?
Crimson ne apne kapdo par dhyaan diya. Uske kapde khoon se sane the.
Usne aage bhaag rahe aadmi ko dekha aur,
'Check'
*Ding*
[No information available.]
'What???'
Raaste me teeno cars tezz gati se badh rahi thi.
Aadmi : I have a deal for you!
Crimson : Huh?
Aadmi : Why don't you become my right hand man?
Crimson : !!!?
Aadmi : Chalo ek offer deta hu! Kill that man!
Crimson : Whatttt?
Aadmi : Kill him! Aur tumhe ek naya raaz pata chalega. *smiles*
Crimson : ...
Aadmi : Why fear now? Haath toh tumhaare wese hi khoon se sane hai. Don't you want to know the secret?
Crimson : Mujhe kya milega?
Aadmi (smiles) : Jo milega woh tum khud dekh lena.
*Vrrrrooooooommmmm*
Crimson ne gaadi aage badhaayi aur theek aage bhaag rahe aadmi ke peeche laga di.
Woh aadmi bohut hi buri tarah ghayal tha. Idhar Crimson ke peeche woh mask waala aadmi bade hi itminaan se gaadi chala raha tha, jab uske bagal se ek gaadi aayi.
Gaadi me ek aadmi aur ek aurat sawaar the. Aur ye dono koi aur nahi wahi the.
Jayesh aur Grace! Ava ke mata pita.
Jayesh : Y-Ye! Ye sab chal kya raha hai beech sadak me?
Grace : You! Please! Dear! Drive slow.
Jayesh : Haan! Don't worry! I'm here! You there-!!!
Masked man (in hindi) : Ohhh! Mein?
Jayesh : Huh? Tunhe Hindi aati hai?
Masked man : Bilkul!
Jayesh : Woh aage ki do gaadiyo ka kya chakkar hai? Itni speed me kyu bhaag rahi hai?
Masked man : Darasal, baat ye hai Uncle. Mein kab se ye sab rokne ki koshish kar raha hu. Par ye aadmi jo hai, uss aage bhaag rahe hai aadmi ko jaan se maarna chaah raha hai.
Jayesh : Whatttt??
Grace : Ahn!! Dear! Call the police!
Masked man : Police? Unhe aane me hi yaha ghanto lag jayega ma'am. Aapne kapde dekhe uss aadmi ke? Kaise khoon se sane hai. Uncle! Kya aapko nahi lagta ki hume ye sab hone se bachana chahiye?
Jayesh : Kahi woh dono...! Criminals wagarah toh nahi.
Masked man : Jo sabse aage bhaag raha hai, woh toh nahi hai. Lekin, iss peeche waale aadmi ka mujhe nahi pata. Hume jaan bachaani chahiye uski.
Jayesh : Toh ab kya?
Masked man : Ek upaay hai uncle. Aap waha se overtake kariye aur mein yaha left se karta hu. Hum dono hi car uski car ko agal bagal se bhed dheere dheere rok lenge. Kya bolte ho aap?
Jayesh (nods) : Alright! Fir bhi police ko khabar kar dena bhi behtar hoga. Grace!!!
Grace (nods) : Mene call laga diya hai.
Jayesh : Good!
Masked man : Speed badhaaiye uncle! Seat belts zaroor baandh lijiyega.
Crimson yaha uss aadmi ke peeche pada tha. Use nahi pata tha ki uske peeche ab ek nahi do cars aa rahi thi.
Jayesh ne jaise hi gaadi tezz kar Crimson ke bagal se lagaayi. Udhar se masked man ne bhi Crimson ke baayi orr gaadi laga di.
Masked man (in Hindi) : Uncle! Maariye left mod ke. Mein right modunga.
Kintu, Crimson ke kuch palle nahi pad raha tha. Uska system abhi upgrade hi nahi hua tha. Bhaasha keval woh French hi jaanta tha. Yaha woh mask waala aadmi Jayesh se Hindi me baat karne me laga hua tha.
Masked man (in French) : Hey! Ek sarfira buddha tumhe rokne ki koshish kar raha hai. Kya karoge tum? *smiles*
Crimson : Whattt???
Jayesh : Ruk jaa! Mein kehta hu rukk jaa abhi! Aur peecha karna chhor uss gaadi ka.
Grace : D-Dear! Uske kapde!!! Unme toh kh-khoon laga hai.
Jayesh : Ye aadmi theek nahi. Ye jaan ke peeche pada hai. Ise rokna hoga.
Grace : Be careful dear!
Crimson : Tum madarchodo!!! Chorro mujhe-!!!
Aur jo nahi hona chahiye tha wahi hua. Crimson ne apni gaadi itni zorr se daayi orr kar ke bhedi ki Jayesh ki gaadi road track se hi hatt ke baahar aa gayi.
Grace : Aaaahhhnnn!!!
Jayesh : Grace-!!!
Steering sambhaalna chaaha magar-
*Boooooooooooooooommm*
Woh jaake ped me zorr se bhid gayi. Jayesh on the spot maara jaa chuka tha toh wahi Grace head injury ke chalte wahi behosh ho chuki thi.
Aur idhar,
*Vrrrrooooooommmmm*
Masked man : Hoooo~ You did it!
Crimson ne saamne bhaag rahe aadmi ko bhi car se overtake kar daboch liya tha. Aur ant me,
"Aaaaaarggghhhhh!!!!"
Ek cheenkh uss sunsaan raaste me goonj gayi.
*Ding*
[You have gained the skill Vertigo!]
'Huh!??'
*Screech*
Uske peeche masked man ki gaadi aake ruki. Par woh utra nahi. Andar hi baitha hua tha.
Masked man (smiles) : Pata chala raaz ke baare me?
Crimson : Yes! Ek sawaal puchna hai.
Masked man : Ohh? Pucho!
Crimson : Kaun ho tum? Aur apne chehre pe ye mask kyu pehna hua hai?
Agle hi shan, uss masked man ke muh se kuch shabd nikle~
"Kyuki koi hoga...! Jo ise baad me dekhega!!"
Aur ek kapti muskaan uss mask ke peeche uske hontho par saj gayi.
Crimson : Huh?
***
Aankhein khuli, aur Veer ne khud ko sambhaalne ke liye ped ka sahaara liya. Uska badan kaanp raha tha.
"Kyuki koi hoga...! Jo ise baad me dekhega!!!"
Uske dimaag me woh shabd goonj rahe the. Poore shareer me raungte khade hue the.
Usne Ava ko dekha jo use hi tab se dekh rahi thi. Jaise sach jaan'ne ke liye uske kaan betaab the. Veer ne ek gehri saans li aur sab bata diya,
Veer : It's true. Your dad was killed by Crimson!
Ava : !!!??
Veer : B-But-!!! Koi aur bhi hai. Ek masked man! Jisne Crimson ko uksaaya tha!!
Ava : Huh!?
Veer : My purpose is done here! I'm leaving now!
Woh utha aur aage badha hi tha ki uski kalaayi Ava ne kass ke pakad li. Ek haath se ped ko pakde aur ek haath se uski kalaayi thaame Ava use rote hi dekh rahi thi.
Ava : V-Veer!? A-Are we still the same?
Veer : Not anymore! Tum apne raaste! Aur mein apne! Humare beech ab koi rishta nahi. And, don't you dare ever cross paths with me. You are on your own from now on.
Ava (tezz awaaz me) : What would you have done? Agar tum meri jagah hote...! *sniff* Toh kya kiya hota tumne? *sniff* Answer me!!!
Veer ne peeche mud use dekha. Hske rote hue mukhde ko jo aasuo se sana hua tha.
Veer : I wouldn't have killed you! Fir chaahe meri maa hi kyu na-
Aur itna bol, Veer ne apni kalaayi ek jhatke me Ava ki pakad se churra li!
Aur jaate jaate kuch kathor shabd aur rakh diye usne,
"And don't show me your face ever again!!!"
Woh island ke andar ki orr jhaadiyo me gaayab ho gaya.
Ava ki aankhein stabdh hone ke chalte phati ki phati hui thi.
Did he really mean it? Kya Veer agar uss situation me hota toh uski jaan bachaata? Even if his own mother would have been at gunpoint???
Veer uski aankhon se dekhte hi dekhte ojhal ho gaya.
Helicopter hawa me uda, Ava ke baal helicopter ki udti pankhi ke chalte zorro se hawa me lehra rahe the.
Aur woh waha se ravana hone laga. Veer ne palat ke Ava ki ek jhalak bhi nahi li. Woh bas ped se amar bel ki tarah lipti use jaate hue dekhti rahi.
'Lily!'
[Yes?]
'Upgrade Death Flag's range!'
[What?]
'Suna nahi tumne? Max the range.'
[Jaanti ho na upgrade ke liye kitne points lagte hai? First upgrade will take 5000 points. And second upgrade will tale 10,000 points. Total 15,000 points.]
'Yes! Jaanti hu! Do it!'
[My dear Miss! Why are you so determined? Kis liye itne points ikhatta kiye the? Ab jab hum itna close hai Maisie's cure ke liye, you want to waste them on Death Flag's upgradation?]
'Lily!!!'
[Fine then!]
*Ding*
[Death Flag's range has been upgraded.]
[5000 points have been deducted.]
*Ding*
[Death Flag's range has been maxed out.]
[10,000 points have been deducted.]
[You are now left with 3000 points.]
'Good!'
[Sirf iske liye-]
Lily apni baat aage kehti ki tabhi Ava ke mann me ek notification aaya jise dekh woh wahi jamm ke reh gayi.
*Ding*
'N-No!'
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
This update consists of 8.2 k words. Late aaya hai but I think length bilkul sufficient hai. In fact more than enough hai. Kaam mere yaha ho gaya hai. Fittings ho rahi hai bas. So, hum wapas se wahi schedule pe aa jayenge apne waale. Thanks for being patient. Baaki, likes thok ke jaane ka aur revos rakhne ka. Target same hi hai apna. 150. 2 more updates to go. Uske baad arc finish.
Dhanyavaad!![]()
Bahut hi emotional aur ach update tha Werewolf bhi maja hi aa gaya. To aakhir me av ne apni galtiyo ko sudhar hi liya. Aur suhana ko bhi ab realise ho rah hai ki wo such me veer se pyar karne lagi hai. Lakin uske husband ka kya reaction hoga ye sub pata chle par. Aur aage kya karegi wo kya wo is baat ko accept kar payegi ya nahi ?ye to aage hi pata chalega.Mega Update
Update - 149 ~ Reunion
Ab tak…
Lily apni baat aage kehti ki tabhi Ava ke mann me ek notification aaya jise dekh woh wahi jamm ke reh gayi.
*Ding*
[Grace Martin is dead.]
'N-No!'
Ab aage…
Kaisa mehsoos hota hoga jab zindagi bhar insaan ko gham hi gham milte rahe? Jab aap apne logo ko tadapte dekho, akele pad jao, koi raasta na mile, koi raah na dikhe, koi haath badhaane ke liye aage na ho, koi sahara dene ke liye kandha na ho, koi zakhmo par marham lagane wala na ho, kuch samajh nahi aa raha ho ki kya karna hai, toh kya kare woh insaan aisi zindagi jee ke?
Kaise ubhre iss kasht se? Ava abhi kuch aisi hi sthiti me thi.
“Breaking News - Singer aur actress Natalia Martin, jinhe haal hi me ek kidnapping event se bachaya gaya tha, unki mata Grace Martin ka kal raat lagbhag 9 baje nidhan ho gaya.”
“Reports ke anusaar Grace Martin Paris ke hi hospital me bharti thi. Lagbhag dedh saal se woh coma me thi. Unhe harr sambhav ilaaj diya jaa raha tha. Lekin, kal raatri me unhone apni antim saansein li.”
“Breaking News - Hume abhi abhi khabar lagi hai ki inn sab ke peeche Hospital ki ek bohut badi galti thi. Pata laga hai ki Hospital ki security me kami paayi gayi. Jaanch ke anusaar ye saamne aaya hai ki kisi ne jaan boojh ke Grace ke medical equipments ke saath chhedh-chaadh ki thi jiske chalte Grace Martin apni jaan gawa baithi. Toh kya hai ye sab? Kya koi conspiracy? Ya Natalia Martin ke khilaaf ye koi saazish hai? Koi aapsi dushmani ya fir kisi prakaar ka badla?”
“Jaan’ne ke liye saath bane rahe. Hum aapke liye latest updates laate rahenge. France 24!”
Reporters ka jamawda laga hua tha. Cameras ki shutters ki awaaz aur journalists ke bol chaal se poore shamsaan me shor macha hua tha. Aur inhi sab ke beech-
Ava maun chup chaap baithi hui thi. Uski aankhon ke saamne uski maa Grace ka casket rakha hua tha. Grace, christianity ko belong karti thi. Aur, isliye uska antim sanskaar bhi usi dharm ke anusaar ho raha tha.
Casket ke andar death bed par laiti Grace iss duniya se ab jaa chuki thi. Dedh saal tak zindagi aur maut ke iss sangharsh me woh haar chuki thi. Lekin, fir bhi aisa lag raha tha jaise uske chehre par muskaan thi.
Jaise woh khush thi ki ab uske kaaran uski beti ko aur kasht nahi jhelna padega. Ava ne jiske liye itna sab kiya, ab wahi duniya se jaa chuka tha. Kaisa system? Kaise points? Sab kuch jaise dhara ka dhara reh gaya uske liye.
Ava ke liye toh praanvayu hi uski maa thi. Kaise jiyegi ab woh? Ye daulat, shauharat, paisa, rutba, tarakki. Kiske liye kamayegi ab woh? Kise dikhayegi ye safalta? Jab koi bacha hi nahi uski zindagi me.
Woh shoonya ho chuki thi. Andar se bhi aur baahar se bhi. Itne ant tak woh ladi, lekin haath kya laga? Kuch bhi nahi. Reporters apne news channel ko footage dilwaane me lage the toh wahi aam janta formality nibha rahi thi.
Natalia ke ird gird security bhaari maatra me janta ko uss se dur rakhe hue thi. Dekhte hi dekhte, Grace ke antim sanskaar ki vidhiyaan bhi shuru ho gayi. Aur Ava ke mann me kal ki ghatna flashback ke roop me chalne lagi.
Kal-! Kal use notification aaya tha Death flag ka. Usne Grace ko bhi mark kar ke rakha hua tha. Taaki, apni maa ki zindagi aur maut ki khabar use pal pal milti rahi. Usne kabhi jeevan me nahi socha tha ki system ke zariye use iss khabar ke baare me pata chalega.
Jab tak woh waha pohuchi, tab tak sab kuch samaapt ho chuka tha. Use pata chala ki raat me kisi ne jaan boojh ke uski Maa ke medical equipments hata diye the.
Security camera me check kiya toh pata laga ki koi aadmi tha jo nurse ki uniform me tha. Aur, usi ne iss vardaat ko anjaam diya tha.
Hospital waale bas haath jod Ava ke saamne khade reh gaye. Galti unki security me hui thi. Par, ye sab hua kaise? Aur kaun tha inn sab ke peeche?
Sweetie!!!
Ya yu kahe ki Crimson dwaara nirdesh par amal karne wali Sweetie. Ava ne snipers ko hatwa zaroor liya tha lekin Crimson ne apna ek aadmi hospital ke andar hi nurse ke roop me bheja hua tha.
Uska kaam sirf yahi tha. Grace Martin ke medical equipments hatana. Badi baat ye thi ki woh aadmi ek din nahi balki ussi din se uss hospital me kaam kar raha tha jis din se Crimson ne Grace Martin ko udhar dhoonda tha.
Ava ne baahri khatro ko toh dur kar diya tha. Lekin, hospital me pehle se kaam kar raha woh aadmi uski nazro se bach ke nikal gaya.
Crimson jaanta tha ki Ava use daga degi. Use dhoka degi. Aur, isliye usne woh aadmi pehle se waha lagwa diya tha. Baaki ka kaam toh Sweetie ne kar diya tha.
Cruise me Veer ke hamle se pehle hi Crimson ne Sweetie ko do baatein samjhaayi thi.
“Sweetie! Ho sakta hai mera ye plan bigad jaaye. Isliye, take this-!”
Usne ek chaavi hawa me uchhaalte hue Sweetie ki or feki. Ye motorboat ki chaavi thi.
“Agar kuch gadbad hoti hai, toh iss motor boat ke zariye yaha se nikal jaana. After all, I don’t want you to die here. Right? My Sweetie!?”
Sweetie ne kiya bhi wahi tha. Jab Cruise toot ke bikhar chuka tha toh woh wahi motorboat ke zariye waha se nikalne me qamyab thi.
Ek dusra kaam aur diya tha Crimson ne. Chaavi ke saath saath ek phone bhi Sweetie ke haatho me thamaya tha usne.
“Jab yaha se niklogi. Iska matlab yahi hoga ki plan me gadbadi ho gayi hai. Tab ek kaam aur karna hoga tumhe. Phone ke draft me ek message hai aur ek contact bhi. Uss message ko uss contact par bhej dena. That will be your last work. I can trust you, right?”
“S-Sure!”
“Good!”
Sweetie ka dusra kaam tha Crimson dwaara diye gaye phone se ek contact par message bhejna. Aur uss message me bas ek hi shabd likha hua tha~
KILL!
Jo ki seedha jaake hospital me maujood usi nurse waale behroopiye ko mila. Use toh pata hi tha kya karna hai. Woh baitha hi hua tha Grace ka kaam tamaam karne ke liye. Jald se jald andhere ke baad, raat me apna kaam kar woh waha se faraar ho gaya.
Ava chaah ke bhi apni bhadaas Hospital waalo par nahi nikaal paayi. Woh sab toh system ki duniya se pare the. Kya kar lete woh? Aur kaisi bhadaas? Ab toh use kuch mehsoos bhi nahi ho raha tha. Na gussa, na khushi, na gham, ek murde ki tarah ho gayi thi woh.
Jab inn sab khabro ka silsila chal hi raha tha, toh bhala Ushant ki khabar na mile channel waalo ko aisa kaise ho sakta tha? Itna bada kaand jo hua tha waha.
Ships aksar Island ki orr jaaya karti thi. Swabhavik tha ki yeh khabar sabko pata chalni hi thi.
"Breaking News~ Abhi abhi hume khabar mili hai ki Ushant Island me 50 se upar dead bodies ke tukde paaye gaye hai."
"Sutro se pata laga hai ki Ushant ki orr kisi badi aalishan cruise me 50 se adhik log sawaar the. Ek haadsa hua aur vishal-kaay cruise ko samundar le dooba."
"Haadse ki wajah ko lekar bareeki se jaanch padtaal jaari hai. Khoonkaar sharks ke chalte hi shavo ki ye dasha hui hai. Bodies ko identify karne ka kaam jaari hai. Pata lagte hi sabhi ke parijano ko soochit kiya jayega. Tab tak ke liye, bane rahiye France 24 ke saath."
Tamaam reporters aur news channels bas inhi do news ko dikhaane me lag gaye.
Ek toh Ava ki maa ka dehaant. Aur dusra Ushant.
Veer ke liye mushqile khatam nahi hui thi. Abhi bhi woh janta ki nazro me ek criminal hi tha.
Lekin, kehte hai na jab ek darwaza band hota hai toh dooja khulta hai.
Ava, jisne Veer ko fassaya tha. Ab wahi use iss daldal se nikaal rahi thi.
Dherr saare reporters ke beech mics aur cameras se ghiri hui woh kuch bolne ke liye taiyaar thi.
Reporter 1 : Miss Natalia! Aapki maa ke dehaant ke baare me jaan ke hum sabhi ko behad dukh hai. Par kya aap iske baare me kuch kehna chaahengi? Hospital ko lekar kuch? Jo unse choonk hui?
Ava ke chehre par koi bhaav nazar nahi aa rahe the. Grace ka antim sanskar ho chuka tha. Aur, use dafna ke woh wapas laut chuki thi.
'Speak to me' gaana jo usne khaas apni maa ke liye gaya tha. Sab dhare ke dhare reh gaye. Maa toh kuch bhi sunn na paayi. Na hi kuch jaan paayi. Atyant hi dukhad ant tha yeh.
Ava : Iss baare me mein koi charcha nahi karna chahungi.
Reporter 2 : Aapki baat sahi hai Miss Natalia. Parivar ke sadasyo ko khone ke baad insaan jaldi ubhar nahi paata. Isliye mera sawaal iss se sambandhit nahi hai. Mera sawal hai aapse ki Ushant me jo kuch bhi hua tha kya usko lekar aapko kuch yaad aaya? Koi jankari haath aage lagi aapke?
Ava : Yes! I remember now!
Muh se shabd nikalte hi, reporters sabhi aapas me ek dusre ki orr dekhne lage. Ek badi khabar unke haath lagne waali thi.
Ava : I remember each and every thing. Uske liye hi mein ye conference ke liye raazi hui hu.
Reporter 2 : Ye toh bohut acchi baat hai! Kya aap bata sakti hai kya yaad aaya hai aapko?
Ava (nods) : Hmm! DGSI se bohut badi galti hui hai.
Statement nikalte hi, TV dekh rahe DGSI ke saare team members ke maathe par paseene ki boonde jhalakne lagi.
Itni badi agency thi woh. Sare aam koi unpe aarop laga raha tha. Kintu, aarop sahi bhi tha. Janta ko kya muh dikhayenge ab woh? Tamaam sawaalo se saare team members joojh rahe the.
Aur inhi me unke Head Xavier athwa Chris, Terashima se leke Andre sab shaamil the.
Iss raat Ava ka ye interview bohut saare raazo par se parda hataane waala tha.
Terashima : Dekha? Dekha aap sab ne? Mene kaha tha na ki humse zaroor koi galti hui hai. Woh-! Woh ladka! Woh ladka criminal nahi tha.
Andre : This is bad. Pata nahi ab hum ise handle kaise karenge.
Chris : Miss Natalia ka poora interview hone ke baad hi kuch clues milenge. Dekhte hai hume koi trail milti hai ya nahi iss se.
Xavier apne staff ki baatein sunn zaroor rahe the lekin unka poora dhyaan TV par hi tha.
Reporter 1 : Kya matlab? DGSI se galti? Kaisi galti?
Ava : DGSI ne jise criminal ke roop me pesh kiya hai. Woh darasal koi criminal hai hi nahi balki woh toh ek sadharan ladka hai.
Ava ke harr uttar logo ke beech aur bhi zyada confusion paida kar rahe the. Ek ke baad ek jhatke lag rahe the unhe.
Idhar DSGI me bhi Ava ke statement ke baad sab spasht ho chuka tha.
Chris : Lo! Ho gaya kaam! Ab kya karna hai Sir?
Xavier (frowns) : Shh! Keep watching!
Reporter 2 : Ye aap kaise keh sakti hai? DGSI hamaare France ki badi security agencies me se ek hai. Woh itni badi galti kaise kar sakte hai?
Ava : Ye sawaal aap unse hi kyu nahi poochte? DGSI se bohut badi galti hui hai. Ek nirdosh ko unn logo ne maut ke muh me dhakela hai. Aur itna hi nahi, balki use criminal bhi ghoshit kar diya.
Reporter 1 : Aap aisa kaise keh sakti hai? Kya saboot hai aapke paas?
Ava : Saboot? Kya mera yeh kehna saboot nahi? Woh ladka-! Jise DGSI ne Criminal bana ke rakha hua hai. Woh toh meri jaan bachaane waha aaya tha. Aur asli criminal toh koi aur hi tha.
Reporter 2 : What?
Ava ke ye sab bolte hi waha logo ki khusur pusur shuru ho gayi. Agar asli criminal koi aur tha toh abhi tak DGSI kise pakad rahi thi?
Ava : Asli criminal toh ye tha-!
Ava ne agle hi pal apni mobile screen par Crimson ki ek tasveer dikha di. Chaaro orr shor fel gaya.
Aur udhar TV par sab dekh rahi DGSI ki team ke hosh hi udd gaye.
Terashima : Ye kaun hai? Mene ise pehle kabhi nahi dekha.
Chris : Lekin, Miss Natalia keh rahi hai toh baat sach hi hogi. Sir! Hume private me Miss Natalia se baat cheet karni hogi.
Xavier : Hmm!
Reporter 1 : Ye aadmi kaun hai? Kya aap bata sakti hai?
Ava : Yahi toh hai harr hamle ke peeche. Ushant se leke woh rocket launcher blast. Issi ne mujhe kidnap kiya tha.
Reporter 2 : Toh ye baat aapne pehle kyu nahi batayi? Hume sutro se pata chala hai ki jab woh ladka execute kiya gaya toh aap waha maujood thi. Toh tab aapne ye sab kyu nahi roka? Aur bataya kyu nahi?
Ava : Mein uss haalat me nahi thi. Aur, woh ladka ghayal tha. Khoon se sana hua tha. Mein use pehchaan na paayi. Jiska mujhe khed hai. Lekin, woh sahi salamat hai. Mujhe poora yakeen hai ki ye insaan jisne mujhe kidnap kiya tha, yahi harr problem ki jadd hai.
Crimson ki photo release hote hi public me nayi sansani si mach gayi.
Xavier : Chris! Miss Natalia se milne ke liye hum abhi nikal rahe hai.
Chris : Yes Sir!
Ava ne apne statements de diye the. Dekhte hi dekhte waha DGSI bhi pohuch gayi. Aur tamaam janta ke beech unhe dherr saare sawaalo se gher liya gaya.
Reporter 1 : Janta jaan'na chaahti hai ki kya Singer Natalia ne jo kuch bhi abhi kaha. Kya woh sach hai? Kya DGSI apne kaam me fail ho gayi hai?
Xavier : Dekhiye! Chhaan been jaari hai. Aur ye baat sach hai. Mujhe bataate hue khed ho raha hai ki hum sabhi ek masterplanka shikaar ho gaye the. Jiske chalte uss nirdosh ko apni jaan gawani padi. Aur asli mujrim hamari pakad se nikal ke bhaag gaya.
Xavier ne ye kaha hi tha ki poori janta waha ki bhadak uthi. Ye mazaak chal raha tha kya?
Ava : Woh ladka zinda hai. Sahi salamat hai.
Xavier : Huh?
Terashima : W-Woh zinda hai?
Ava (nods) : Hmm! xxxxxx hospital se mujhe call aaya tha. Kisi ne use bachaya tha aur hospital me admit karwa diya tha. Chunki woh mere liye waha aaya tha isliye hosh aane par usne mera hi naam liya aur hospital ne isliye fir mujhe call kiya. Wo recover kar chuka hai. Lekin, aam janta ke beech kaise aaye? Ek nirdosh par aap sabne itne warrants jo jaari kar rakhe hai.
Ava ne bade hi chalaaki se saari sachhaayi ko ghuma diya. Ye karna aavashyak bhi tha.
Xavier : Kya aap uss ladke se contact me ho?
Ava : Hmm? Bilkul! Woh meri jaan bachane ke liye aaya tha. Aur aap sabne asli mujrim ko chhor use hi execute kar diya?
Xavier (frowns) : Magar-! Woh uska chopper? Ushant me uska surrender na karna? Ye sab kya tha?
Ava : Uss baare me mein nahi jaanti. Lekin, itna zaroor jaanti hu ki woh nirdosh hai aur apne parivaar se milne ke liye betaab hai. Asli criminal ye screen par maujood insaan hai. Isne mujhe kidnap kiya tha. Yahi tha jo gangs ko orders de raha tha.
Xavier (nods) : Hum thoda aur spasht kar le aur uske baad saare warrants hata diye jayenge. Iske saath hi iss photo waale aadmi ki chhaan been bhi jaari ho jayegi. I hope that is fine with you?
Ava : Alright!
Samjhauta ho chuka tha. DGSI ko unki bhool ka ehsaas ho gaya tha. Higher authorities se bhi unn par pressure badh raha tha. Isliye, jald se jald saare arrest warrants ko aur Veer ki execution ki news ko saari media se hata diya gaya.
Balki, ulta uski bahaduri bhare karnaamo ki news chalne lagi. Samachaar me ye bataya jaane laga ki Veer naamak ladka Ava ki jaan bachaane ke liye itni dur tak gaya tha jaha woh kisi masterplan ka shikaar hoke ghayal ho gaya.
Crimson ki photo saari news media me release kar di gayi. Logo ko jab ye samajh aaya ki asli maajra kya tha toh unhe Veer ka samarthan karne me derr nahi lagi.
Ava ke fans wese hi uski baato par yakeen kar liye the. Dekhte hi dekhte saari janta Crimson ki maang karne lagi. Aur Veer ki veerta ko saraahne lagi.
Veer jo chhipe baithe saari news dekh raha tha use khud kayi nayi nayi baatein pata chal rahi thi.
'Ava's mom-!? She passed away?'
Woh bura bhala keh ke Ava ko Island par chhor ke aaya tha. Kahi na kahi Ava ki maa ki mrityu ka use bhi dukh tha.
Magar ye samay shok jataane ka nahi tha. Samay tha yaha se nikalne ka.
DGSI se uski baat ho chuki thi. Sab kuch Ava ne karwaya tha. DGSI abhi iss shaq me thi ki woh chopper kiska tha? Aur Veer itni jaldi recover kaise ho gaya? Saath hi uska surrender na karna.
Ye kuch sawaal the jo unhe sataa rahe the. Isliye, Veer se aamne saamne baat karne ki unhone thaani.
*Tococococococo*
Helicopter ke neeche aate hi, uske andar se Veer baahar aaya.
Sab kuch news me prakaashit kiya jaa raha tha.
Hotel me maujood Tejal, Bhavna, Arohi aur Manorath ne jab ye khabar dekhi toh jaise unki khushi ka thikana na raha. Itne dino baad woh sabhi use dekh rahe the. Unke bhaavo ko shabdo me bayaa karna mushqil tha.
Tejal : M-Mom!
Khabar dekhte hi Tej apni jagah se uth khadi hui.
Bhavna : Tej! Jaldi! Chalo!
Bhavna kisi hawa ke jhonke ki tarah saree pehne pehne hi room se baahar nikal gayi.
Tejal : R-Right! Wait! Mom!
Aur Tej uske peeche peeche daud ke chal di.
Arohi : Dada jii! Chaliye!
Manorath : Haan bhai haan! Chalo chalo!
Idhar Arohi ne Manorath ko kamre ke baahar nikaal, kamra lock kiya aur unhe apne sang laate hue neeche aa gayi.
Unn sabhi ki manzil Veer ki location hi thi jo unhe news se mil chuki thi. Cab book karte hi woh sabhi waha se chal diye.
Par wahi bas nahi the. Ek aur aalishaan hotel me maujood ek ladki gumsum si baithi hui thi. Aur, uske theek saamne ek aurat khadi thi.
Woh koi aur nahi, Ashita hi thi. Aur saamne baithi ladki ~
Suhana!
Ashita : Akhir kab tak hum iss tarah hotel me rahenge? Huh?
Suhana : Why are you here? I told you to leave me alone!
Ashita : Ye sab kya laga rakha hai Suhana? Tumhare husband ka phone pichle 2 dino me 12 baar aa chuka hai. Agar mein pick karungi to tumhari saari pol khul jayegi. Sabko lata lag jayega ki tumhe split personality disorder hai.
Suhana : Prakash Uncle hai uske liye.
Ashita : And thank god that he's here. Warna agar woh na ho toh pata nahi mein tumhe kaise handle karungi. Tumhare husband ko jawaab tab se wahi de rahe hai. Lekin, mujhe lagta nahi woh ab zyada derr tak hold kar payenge ye sab.
Suhana : H-He-! He will manage. I believe in him.
Suhana ki haalat dekh, Ashita ka dil paseej utha. Woh ahista se uske bagal se aake baithi aur uska haath thaam kuch sochi,
'Agar mene iss baat ko abhi nahi rakha, toh shayad aage jaake ye aur nuksan-dayak hogi. Suhana ko mujhe realise karwana hoga. I know ye sahi state nahi hai inn sab baato ko jaan'ne ka. Lekin, mein aur derr nahi kar sakti. I'm sorry Suhana.'
Ashita : Suhana!?
Suhana : …
Ashita : Suhana???
Suhana : Ungh??
Ashita : Mujhe tumse kuch zaroori baat karni hai.
Suhana : O-Ohh!
Ashita (sighs) : Suhana! Tumhe pyaar ho gaya hai!
Aur usne keh diya. Seedhe seedhe!
Suhana : Hmm?
Ashita : Mujhe nahi pata ye pyaar ka beej tumhare andar kab boya gaya lekin, beej ankurit ho chuka hai Suhana. Usne paudhe ka roop lena shuru kar diya hai. Aur, mujhe darr hai ki kahi ye bada sa vraksh na bann jaaye. Agar aisa hua toh fir ye reversible nahi hoga. Fir tum pyaar ke daldal me fass jaogi Suhana!
Woh sab kuch sahi keh rahi thi. Parantu, Suhana uss haalat me thi hi nahi jaha woh inn pechida baato ko samajh sake. Woh toh Ashita ko aise dekh rahi thi ki jaise maano raah chalte kisi paagal insaan ko dekh rahi ho.
Suhana ne Ashita ka maatha chhua aur fir use waqai chintit nazro se dekhi,
Suhana : Kaun sa ped? Kaisa paudha? Kaha ka beej? Ashita! Tumhari tabiyat theek hai na? Should I take you to a doctor? Don't worry! I won't charge you for that.
Ashita : Ohh! God!!! This fucking stupid-!!! Aarrrghhh! Mera sarr fatt jayega. Calm down! Calm down! Suhana abhi calmly nahi soch rahi. Yes! She's not like her usual self. Tumhe dheere dheere aage badhna padega. Yes! Phew! Okay! So, meri baat suno Suhana.
Suhana (nods) : Uhh-huh! Mein sunn rahi hu!
Ashita : No! You are not listening you fucking stupid-!!! Argh!! Mein firse frustrate ho gayi. Calm down! Calm down! Ashita! Phew!
Suhana (frowns) : Are you really okay?
Ashita (screams) : Yesss! I'm fucking okay! But you are not you idiot-! Urgh! Anyways! Meri baat suno! Tumhe uss ladke se pyaar ho gaya hai. Do you understand?? Are you getting what I'm saying????
Suhana : Huh?
Ashita : Tumhe uss Veer naam ke ladke se pyaar ho gaya hai. Lekin, use bhul jao kyuki woh ab iss duniya se-
Woh abhi apni baat poori kehti ki tabhi room ka darwaza dhadalle se khula aur Prakash Uncle andar aake tapaak se bol pade,
"W-Woh Veer zinda hai! Miss Suhana! News dekhiye!"
Ashita : Ehh?
Ashita jaha confused reh gayi toh wahi Suhana tezzi me apne bistar se uth baahar room me aayi aur uski nazre seedhe TV par jaake tik gayi.
Khabar Veer ki hi chal rahi thi. Uska woh chehra, logo ke beech ghire hona, security ka uske liye jagah banaana.
Woh sab kuch apni aankhon se dekh paa rahi thi. Na jaane kya hua use jo woh seedha baahar ko apni car ki orr bhaag nikli.
Ashita : S-Suhana??? Wait!!!
Prakash Uncle : Lagta hai Miss issi news channel waali location par gayi hai.
Ashita : Aur aap…!
Prakash Uncle : Hmm?
Ashita : Uncle aap ko kya zaroorat thi ekdum se kisi ke kamre me aane ki. Do ladies andar baat kar rahi thi aur aap ho ki-
Prakash Uncle : Arrey mein woh- mein toh soochna dene aaya tha bas.
Ashita : De di soochna? Nikal gayi na woh. Ab chaliye!
Prakash Uncle : Bilkul! Abhi car laaya.
Suhana ke theek peeche Prakash Uncle Ashita ko leke bhi usi pate par chal diye.
***
Idhar Veer chaaro taraf se ghira hua tha. Adhiktar janta uska samarthan kar rahi thi. Parantu, kuch abhi bhi the jo bataayi gayi baato ka asaani se yakeen nahi kar rahe the. Nayi sacchayi ka khandan karne me lage hue the.
Sawaalo par sawaal Veer se reporters puchte jaa rahe the. Kintu, woh ek ka bhi jawaab dene ke liye nahi ruka.
Veer ke liye security iss waqt behad high thi aur woh log apna kaam poori mehnat se kar rahe the. Na jaane kab uspe kaun hamla kar de. Maamla poori tarah se shaant nahi hua tha.
Uske thoda aage badhte hi DGSI ki team uske saamne thi. Kisi jeeti jaagti hassti ke samaan prateet ho raha tha woh iss waqt.
DGSI ne uske aate hi apni kaaryavaahi shuru kar di. Terashima se leke sabhi upasthit the.
Aur ye jald hi siddh bhi ho gaya ki-
Veer!!! Criminal nahi tha.
Saare arrest warrants uss par se hatt gaye. Yaha tak ki DGSI ki orr se use maafi ke roop me kuch dhan raashi bhi uplabdh ho chuki thi.
Crimson aur Ushant ko leke tehqiqaat bhi shuru ho gayi. Aur, Veer ka jise sabse zyada intezaar tha. Woh pal bhi aa hi gaya.
"Veeeeeeeeeeerrrr!!!!"
Ek jaani pehchaani awaaz, jise sunn'ne ke liye woh kabse tadap raha tha. Jaha usne umeed hi chorr di thi ki woh ab ye awaaz kabhi nahi sunn payega.
Ye wahi awaaz thi.
Awaaz thi Bhavna ki! Uski maa ki!
Par awaaz ki goonj abhi khatam nahi hui thi jab ek aur awaaz waha uske kaano me goonj gayi,
"Veeeeeeerr!!"
Aur iss awaaz se bhi woh bhali bhaati parichit tha. Agar koi aam insaan hota, toh itne shor me inn awaazo ko sunn nahi paata. Magar, Veer ek system holder tha-! Uske senses aam insaano ke muqaable kahi zyada tha.
Ye awaaz thi Tejal ki!
Parantu, woh logo ke beech ghira hua tha. Nikle kaise inn logo ke beech se?
Jab woh inn soch vichaar me laga hua tha tabhi ek haath bheed me aage badha aur uski kalaayi ko thaama.
'Hmm?'
Jab tak woh kuch soch paata, ek zorr ke khichaav ne use bheed se ghaseetate hue baahar nikaala.
Logo ke gol ghere ko tod woh baahar nikal khichaav ke chalte ek ladki se jaa bhida. Bhidna bhi nahi kahenge. Ye toh milan tha.
Aankhein jab chaar hui toh Veer unn naino ko dekhte hi pehchaan gaya.
Arohi!!!
Dono kuch shano tak ek dusre ki aankhon me hi kho gaye. Paristhiti kitni hi jatil kyu na ho, Arohi hamesha unn sthitiyo me saralta se apna raasta khoj liya karti thi. Aaj bhi wahi hua.
Usne badi hi asaani se Veer ko bheed se baahar nikal liya tha. Woh baat alag thi ki ab ek naya ghera bann'ne jaa raha tha.
Arohi : V-Veer!
Veer : Arohi dii!?
Dono aage kuch keh paate ki tabhi Veer ke upar koi lapka. Security sachet hui magar unse derri ho gayi. Ucchalne wala shaks behad tezz tha.
Zorr ka jhatka Veer ko apni chhaathi pe mehsoos hua aur agle hi shan woh neeche zameen pe tha. Uske upar ek bhaar bhi tha.
Khushboo ne naak me jaise hi apni haazri lagayi. Veer sab samajh gaya.
Veer : Teju dii???
Tej uske upar use zorr se jakde hue thi. Shirt par uski pakad itni mazboot thi ki lag raha tha kahi shirt hi na faad de woh.
Tej uss badan se wahi khushboo lene ka prayaas kar rahi thi. Magar woh kahi maujood hi nahi thi. Kaise milti Veer ki wahi shareerik sugandh? Veer Crimson ko maar ke khoon aur samudra ke namkeen paani se sann'ne ke baad nayi shirt me aa chuka tha. Uski khaas sugandh toh ghar par hi padi hui thi. Wahi Suhana ke dwara diya gaya Las Vegas wala perfume.
Fir bhi, iss chhaathi se lagne maatr se Tej ki jaise saari chintaaye gayab ho gayi.
Woh dono ye bhul chuke the ki unhe saare news channels me darshaya jaa raha tha. Kuch derr yu hi uske upar chadhe rehne ke baad Tej ne haule se apna sarr uthaya aur use dekha,
Aankhein dekhte hi Veer bhaanp chuka tha ki ye khubsoorat aankhein kayi raato se uski talaash me pehra di hai. Naino ke neeche kam sone se woh kaalapann, Tej ki atalta ko toh darsha hi raha tha par saath hi kahi na kahi uski sundarta me bhi chaar chaand laga raha tha.
Ek ajeeb sa aakarshan tha ye.
Veer (smiles) : I'm okay!
Tej (nods) : Mmm~
Veer : Umm! Aap uthengi? Aas paas sab hume hi dekh rahe hai.
Tej : Dekhne do!
Veer : Teju dii!
Tej : ...
Veer : Teju dii! Please! Uthiye na! Jee bhar ke gale lag lena. Mene maa ki bhi awaaz suni. Kya unse nahi milne dogi aap?
Bhavna ka zikr aate hi iss baar Tej uske upar se uth gayi. Lekin, uthne se pehle woh apne Bhai ke gaal ko choomna nahi bhuli. Veer se uski pakad chhoothate hi use kisi aur ne apne aalingan me le liya.
Mazbooti me ye pakad uski apni pakad se bilkul bhi peeche nahi thi.
Veer apni maa, Bhavna ki baaho me tha.
Veer : Maa!
Bhavna ne pehle toh use kass ke jakde rakha. Uske baad turant hi sabse pehle uske shareer ka jayza liya. Aage peeche, upar neeche. Jab sab sunishchit ho gaya toh uska haath apne aap hi Veer ki shirt ke andar gaya aur uske pendant ko tatola.
Haath me pendant aate hi Bhavna ne ek raahat ki saans li. Uske baad apne bete ke haath ko upar kar usne uski kalaayi dekhi.
Veer ki kalaayi me woh kaala dhaaga abhi bhi bandha hua tha. Bhavna ne khud hi uske jaane se pehle ye baandha tha.
Kaale dhaage me darasal kuch bhi nahi tha. Woh koi jaaduyi dhaaga nahi tha. Lekin, Bhavna ka atal vishvaas tha usme. Aur, yeh kaafi tha uske liye.
Sab kuch jaanch lene ke baad fir usne apne bete ke mukh ko dekha. Wahi bhar nahi thi. Dur khadi Ava bhi sab kuch dekh rahi thi.
Jaha usne apni maa ko khoya tha toh wahi uski nazro ke saamne ek maa bete aapas me mil rahe the. Unke milan ko dekh, uske honth pal bhar ke liye upar ko uth gaye. Par unn aankhon me atyant dukhdayi peeda ki ek parat chadhi hui thi.
Ye pehli baar tha, jab saare cameras Veer ke upar focused the. Na ki khyaati praapt ki mahaan singer Natalia ke upar.
Aur, inhi shor sharaabe ke beech Ava ke qadam dheere dheere peeche ko chal diye. Woh janta ki nazro se kab gaayab ho gayi, kisi ko kuch pata hi nahi chala.
Idhar Bhavna Veer ko thaame use ghoorne me lagi thi.
Bhavna : Mein toh pehle din hi bhaanp gayi thi ki tu mujhse jhooth bol ke gaya hai.
Hamesha apne bete ko 'tum' keh ke pukaarne waali Bhavna ke muh se aaj apne aap hi 'tu' shabd nikal aaya.
Ye 'tu' shabd apnepann ko darshane ke liye tha. Bekaraari ko darshane ke liye tha. Jaise woh batlana chaah rahi thi ki uska baccha kidhar bhi kyu na chala jaaye, kitne hi meel dur kyu na bichad jaaye, rahega hamesha uske aanchal ki chhaav me hi.
Veer sirf uska tha. 'Tu' shabd saral maayno me yahi darsha raha tha. Woh jaanti thi ki uska laadla uss se jhooth bol ke gaya tha.
Veer : Aur mein bhi ye jaanta tha ki aap ye jaan gayi ho ki mein aap se jhooth bol raha hu.
Bhavna : Uske baad bhi tum jhooth bol ke gaye?
Veer badle me bas muskura diya.
Bhavna : Ek ek baat bataoge tum.
Veer (smiles) : Jaisi aapki aagya!
Bhavna ne punah use apne gale se laga liya.
*Badump* *Badump*
Uske seene se lage unn dhadkano ko sunn, apne aap hi uski aankhein bheeg uthi. Woh zinda tha. Sahi salamat tha. Iss se badi baat uske liye aur kuch nahi thi.
Bhavna ko sambhaalte hue Veer ne use Tej ke sahaare khada karwaya. Aur, Manorath ne bhi tabhi aage badh apne pote ko gale se laga liya.
Veer : Dada jii!? Aap yaha kyu aaye? Khamakha taqleef uthayi!
Manorath : Ab tu mera baap bann gaya? Hmm? Arre Bhai mera pota jab gaayab ho, uss se koi sampark nahi bann paa raha ho, toh sab ko chinta toh hoyegi hi na? Mein ghar pe kaise baith sakta hu?
Arohi : Jab se tumhara call lagna band hua tha. Tab se hi hum sab tension me the. Tumhe bohut se questions ke answers dene hai.
Veer (smiles) : Right!
Manorath : Chalo bhai! Ab jald se jald yaha se ghar chalo. Aur Arohi bitiya theek keh rahi hai. Prashno ki list taiyaar rakhi hai iss Tejal bitiya ne toh-!
Veer apne parivaar se bharat milaap me laga tha aur media ek ek pal record kar rahi thi. Saath hi DGSI waalo ka yakeen aur mazboot ho chuka tha ki Veer koi criminal nahi.
Bharat se uska parivaar aaya hua tha. Ye ek sharm ki baat thi unke liye ki baahar se aaye athiti ke saath unn sabne aisa vyavhaar kiya.
Veer ko laga tha ki usne sabhi log se mil liya. Lekin, use zara bhi andaza nahi tha ki use ye awaaz bhi yaha sunaayi degi.
"M-Move aside!!"
"J-Just a minute! Step aside-!!! P-Please!"
Awaaz sunte hi Veer ki dhadkane tezz ho gayi. Bauhe kass uthi. Uska sarr idhar udhar mud uss shaks ki talaash me lag gaya.
Woh ek jhatke me logo ke ghere se baahar nikla. Bhavna, Tej, Arohi aur Manorath sabhi use prashn bhari nazro se dekh rahe the.
Magar, Veer na ruka.
Logo ko idhar udhar kar woh jaise hi baahar nikla...
Waqt jaise tham gaya.
"Suhana!?"
Woh ye jaanta tha ki Suhana ne uski madad ke liye chopper bheja tha. Magar usne sapne me bhi ye umeed nahi ki thi woh khud yaha tak aayi thi.
Woh toh hospital me thi na? Uski chot ka kya? Tamaam sawaal Veer ke mann me use dekhte hi uth khade hue.
Par dono ke beech ek ajeeb si khamoshi chhaayi hui thi. Dono ke hi mukh adhkhule the. Aur iss chuppi ko Veer ne hi toda,
Veer : Miss Suhana!? Aap yaha?
Par Suhana jaise kisi aur hi duniya me jaa chuki thi. Veer se milne ki ajeeb si dhun use sawaar thi. Aur ab jab woh saamne tha toh use kuch samajh hi nahi aa raha tha ki kya kare. Woh bas chup-chaap yu hi khadi rahi. Aur fir turant hi...!
Uske aansu chhalak uthe.
*Click* *Click*
Cameras ki shutters ki awaaz jab uske kaano me zorr se padi toh use hosh aaya. Ye kya kar rahi thi woh? Use ehsaas hua ki woh khabar me aa rahi thi.
Na jaane kitne log ise dekh rahe honge. Yaha tak ki uska husband bhi dekh sakta tha ye sab. Woh kaise itni badi bhul kar gayi?
Iss baat ka bodh hote hi darr ke maare uske qadam peeche ho gaye. Woh jhatse mudi aur aage badhi hi thi ki-
*Badump*
Laga jaise dil ne ek dhadkan phaand li. Do mazboot haath uski kamar par bandhe use jakde hue the.
"W-Wait!"
Veer ki awaaz theek uske daaye kaan me padi. Suhana ki saansein tezz ho uthi.
Ye woh kya kar rahi thi? Nahi! Ye sab kaise ho gaya uss se? Woh baad me bhi toh mil sakti thi. Itni bekaraar kaise ho gayi woh? Milne ke liye itna bechain kyu thi woh?
Kuch samajh nahi aa raha tha uski. Jab ek message ne uske dimaag ke saare taaro ko jod sab spasht kar diya.
*Buzz*
Mobile vibrate hua. Suhana ne haath me pakda mobile kaanpte hue haatho se mod uski screen par message dekha.
Message Ashita ka tha.
Aur saaf saaf bas yahi likha hua tha~
"Dear! You have fallen in love with him."
Padhte hi Suhana ki aankhein achambhav ke maare fel gayi.
Veer ka haath tab tak uski peeth par komalta sa firr raha tha.
Veer : You recovered!? Tell me...! Kyu aayi aap yaha? Kyu kiya mere liye itna? Mujhe bohut saare sawaalo ke jawaab aap se-
Magar uski baatein adhuri reh gayi jab Suhana ne khud ko uski pakad se chhuraaya aur woh ghabraate hue daud ke waha se nikal gayi.
Veer : N-No!!! W-Wait! Miss Suhaaaana!!!?
Logo ne fir use gher liya. Suhana...! Uski nazro se ojhal ho gayi.
***
Crimson ke ant ke baad sab kuch shaant sa ho gaya tha. Veer aur anya ghar waapsi ke liye flight me baith chuke the.
Magar, Paris me idhar dur countryside ke pahaadi ilaake me ek choti par ek ladki, uchaayi se neeche dekh rahi thi.
Uske baal ahista ahista maddham hawa me lehra rahe the. Aankhon me bas niraasha hi thi. Sundar se mukh me kahi koi josh nahi, chehra kehne ko toh khubsoorat tha magar chamak jaise gaayab thi.
Agle hi pal uska perr choti ke chhor par aaya aur woh uski kagaar par khadi ho gayi.
[W-Wait!!! What are you doing?]
Uske mann me ek awaaz aayi. Par woh koi jawaab nahi de rahi thi.
[D-Dear! Stop it! What the hell are you doing? H-Hey don't scare me! Please!]
Woh awaaz vyakul thi. Ladki ne fir ahista se apne mann me uss awaaz ko jawaab diya.
'There's nothing left now! I must go as
well! Lily...!'
[W-Wait!! N-Noooooo!]
Aur usne apna perr aage badha diya.
[Noooooooooooooo!!!!!]
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Mujhe nahi lagta iss se zyada pareshani mujhe kabhi kisi update ko likhne me gayi hogi. Ye update mujhe yaad rahega. Kitne kasht jhelne pade hai ise taiyaar karne me. Update ke post time dekh ke andaza laga sakte ho aap sab. Also, yes! My mobile is gone. Previous data bohut kuch jaa chuka hai. This update is actually around 6.1k words. Yes! Ye mega update hai. Toh Dil se like thok ke jaane ka. Target wahi hai apna. 150. Aur revos rakhne ka.
Dhanyavaad.
Bahoot badiya update bhai.... Hotel ki problem solve ho gyi...lekin lgta hai sonali kisi lafde mei fass gayi...veer dekh lega woh toh... System ki Naughtiness ko veer ignore kr raha hai kitni der tkk ignore krega??....abb arc speed paked hi raha hai toh jald hi top gearMega Update
Update - 154 ~ The Prestige's Ordeal
Ab tak...
Kintu, samasya kabhi na aaye aisa kaise ho sakta tha. Jaha abhi sab kuch accha chal raha tha ki itne me hi Bhumika ko ek call aaya. Usne call receive kar jab baat suni toh uski aankhein hairat me fel gayi.
Phone cut karte hi woh Veer ko dekhi,
Bhumika : Veer!! Ek problem ho gayi hai.
Magar woh akeli nahi thi. Truck se Prachi daudte hue aayi aur jaldbazi me boli,
Prachi : Ek nahi-! Do problem hai!!
Veer : Huh!!???
Ab aage...
Kehte hai ki bhagwan jab deta hai toh chhappar faad ke deta hai. Magar, kayi baar aisa bhi hota hai ki ek musibat ki jagah kaho anek musibatein saath me hi aa jaaye.
Veer iss samay isi duwidha me tha. Ek taraf woh Bhumika ko dekh raha tha jo chinta me uske saamne khadi thi toh wahi dusri taraf Prachi ko jo food truck se nikal ke jaldbaazi me aayi thi.
Samasyao ne darwaza khat-khata diya tha. Akhir, chal kya raha tha yaha? Veer ne pehle Bhumika se hi puchna sahi samjha.
Veer : Pehle aap bataiye! Kya hua hai?
Bhumika (frowns) : Veer! Ek bohut badi problem ho gayi hai.
Veer : Hotel me kuch-!?
Bhumika (nods) : Haan!
Veer : Kya dikkat hai?
Bhumika : Woh- Woh Head Chef-!!!
Veer : Head Chef?
Bhumika : Hmm! He's very troublesome to deal with. Pehle bhi woh kayi baar aisa kar chuka hai.
Veer : Kya kiya hai usne?
Bhumika : Baaki chefs ko bhadkana. Pay increase karne ke liye. Mein pehle hi 2 baar payment badha chuki hu. Magar-!! Oh no! Firse call aa raha hai. Veer! Mujhe jaana hoga!
Veer (nods) : Ek kaam kariye. Aap pohuchiye, mein aapke peeche peeche aata hu.
Bhumika : Alright!
Bhumika jaldbaazi me daudte hue waha se apni car ki orr nikli. Par, aisi sthiti me uska akela jaana theek nahi tha. Isliye,
Veer : Arohi dii?
Arohi (nods) : Mmm~ I got it!
Woh toh jaise bina kuch kahe hi samajh gayi. Bina Veer ko jawaab diye woh waha se tezz qadmo ke saath Bhumika ke peeche peeche chal di. Aur idhar Veer ke hontho par ek halki si muskaan saj gayi. Woh fir Prachi ki orr muda,
Veer : Ab tum batao! Kya hua hai?
Prachi : W-Woh-!
Veer : Ghabrane ki zaroorat nahi. Khul ke batao!
Prachi : Okay! Actually, baat ye hai ki- Ab aap toh jaante ho ki aapke kitne food trucks hai. Magar, aap harr ek ko daily dekhne nahi aa sakte. Right?
Veer : Mmm-hmm!
Prachi : Toh aaye din workers badalte rehte hai. Koi jaata hai toh koi naya aa jaata hai.
Veer : So?
Prachi : So, hua ye hai ki- Sir! Kaushik naam ka ek ladka hai.
Veer : Kaushik?
Prachi (nods) : Hmm! Woh morning waala breakfast ka jo ek aur food truck hai usme rehta hai. Uske saath ek aur ladka hai. Uske saath wala ladka accha hai lekin ye Kaushik-
Veer : Kuch kiya hai kya?
Prachi : N-Nahi!
Veer : Toh?
Prachi : Ab ho sakta hai mein zyada soch rahi hu. P-Par Sonali di jo hai-
Veer : Sonali ka kya?
Prachi : Sir, woh Kaushik aaj kal har roz shaam ko yaha aata hai aur fir Sonali di se meethi meethi baatein karta hai.
Veer : Hmm?
Prachi : Aur Sonali di use bas daant deti hai magar- Mujhe lagta hai jaise Kaushik ki baatein unhe pasand bhi aati hai.
Veer : I see! So, what's the problem?
Prachi : Problem ye hai ki- Mujhe lagta hai ki woh Kaushik kuch theek nahi hai.
Veer : Aisa kyu bhala? Agar woh theek nahi tha toh use hire kisne kiya?
Prachi : Sonali di ne hi. Uske kaam me koi dikkat nahi hai Sir.
Veer : Fir kya dikkat hai? Behaviour?
Prachi : Haan! Ho sakta hai mein kuch zyada overthink kar rahi hu. Mujhe jo laga woh mene aapko bata diya. Mujhe woh ladka theek nahi lagta.
Veer : Theek nahi lagta as in? Kya kuch gadbad kar raha hai? Ya kar sakta hai?
Prachi : Actually-
Veer : Prachi! Tumhe hich-kichane ki zaroorat nahi. Owner mein hu. Tum kaho! Tumhara koi kuch nahi ukhaad sakta. Just say!
Prachi : O-Okay! Shayad Kaushik-
Veer : Hmm?
Prachi : Sonali di ko paana chaahta hai.
Veer : Kya Sonali ko Kaushik pasand hai?
Prachi : Shayad haan! Like woh daant lagati hai use. Seedhe muh baat nahi karti par mene unko uski baato par muskuraate dekha hai.
Prachi ki baat par Veer ko thodi hairani hui. Sonali kisi ladke ki baato par muskura rahi thi?
Use Suman ko kahi gayi apni hi baat yaad aa gayi~
'Agar woh kisi aur ko chaahegi, toh mein use jaane dunga!'
Veer ko yaad hai ki usne isi kaaran kabhi Sonali ko Suman aur Aabha ki tarah apna slave nahi maana tha. Kyuki, ho sakta tha ki Sonali use apne maalik ke roop me sweekaar na kare. Ho sakta tha ki use koi aur ladka pasand aa jaaye.
Shayad aaj woh din aa chuka tha. Veer ne ek gehri saans li.
Veer : Agar use pasand hai. Toh kya dikkat hai?
Veer ko kehte hue pata nahi kyu accha nahi lag raha tha lekin fir bhi usne keh diya. Prachi ne jab ye suna toh woh hairat me use ghoor ke dekhi.
Prachi : A-Aap ko parvaah nahi?
Veer : Hmm? Isme parvaah kaisi? Sonali ko agar koi pasand hai toh acchi baat hai na woh toh-!?
Prachi : Eh? I-I thought-!!
Bechari Prachi duwidha me fas ke reh gayi. Use laga tha ki Veer aur Sonali ke beech kuch chal raha tha isliye woh bhaagi bhaagi daud ke ye baat use bataane aayi thi. Par yaha toh aisa prateet ho raha tha jaise Veer aur Sonali ke beech kuch tha hi nahi.
Woh toh ye soch ke aayi thi ki woh unn dono ke pyaar ko bacha legi. Par-
Veer : Sonali samajhdar hai. In case kuch gadbad tumhe lagti hai toh mujhe call kar dena.
Prachi : Mene aapko abhi toh bataya. Woh ladka theek nahi hai.
Veer : Hmm! Mene sunn liya hai Prachi. Par tumhare paas abhi kuch proof bhi nahi hai. Isliye keh raha hu, kuch gadbad lage toh mujhe call kar dena. You have my number, right?
Prachi : H-Haan!
Veer : I'll leave then!
Prachi : B-But-!!
Veer uski baat sune bagerr hi food truck ki orr chal diya. Andar Sonali dishes banaane me lagi hui thi.
Toh wahi road ke uss paar ek aur food truck khada hua tha. Jisme Kaushik aur ek aur worker maujood the.
Kaushik Sonali ko dekh apne lund ko masalne me laga hua tha. Aur uska saath driving seat par baitha tha.
Worker : Dekh! Mein abhi bhi keh raha hu. Woh teri pohuch ke baahar ki ladki hai. Upar se owner ki koi rishtedar lagti hai mujhe toh. Tujhse nahi patne waali.
Kaushik : Abe, tu jaanta hi kya hai ladkiyo ke baare me. Dekhta jaa bas tu. Gaav ki chhori hai. Chaahta toh mein uss Prachi ko set kar sakta tha. Magar, woh yahi Mumbai ki hai. Uss saali ko mere upar kuch shaq sa hai.
Worker : Woh ladki samajhdar hai!
Kaushik : Lekin, ye Sonali gaav se hai. Ise sheher ka utna gyaan nahi. Ise set karna asaan hai. Saali ko chodne me kya maza aayega. Lita lita ke chodunga.
Worker : Mein abhi bhi keh raha hu. Uss se dur hi reh.
Kaushik : Kya jhandu aadmi hai bey tu? Kabhi choot maari hai?
Worker : Nahi!
Kaushik : Bas yahi toh dikkat hai tumhari. Abe jaise ek nashedi insaan bina nashe ke reh nahi sakta na? Wese hi ye lund hai. Ek baar ye choot ka swaad chakh le na toh bina choot maare nahi rehta.
Worker : Choot ke chakkar me lene ke dene bhi pad jaate hai. Aur isliye, mein apne kaam se hi matlab rakhta hu.
Kaushik : Haan toh tu wahi kar. Mere kaam me taang mat ada. Mere lund ko choot ki zaroorat hai. Agar ye set ho gayi, toh fir kehne hi kya. Naukri bhi karte raho, free ki choot bhi maarte jao. Hahahaha! Pagaar ki pagaar. Upar se food truck ke maalik ki sambandhi hai woh. Sab set hai.
Worker (sighs) : Tu jaane aur tera kaam jaane.
Kaushik apne saathi ki baato ko ek kaan se sunn dusre kaan se nikal diya. Tabhi, uski nazar Veer par padi jo Sonali ke food truck me jaa raha tha.
Kaushik : Iski maa ka- Jaldi, gaadi waha laga.
Worker : Kyu? Kya hua?
Kaushik : Abe yahi owner hai na?
Worker (squints) : H-Haan shayad-! Haan yahi hai. Veer Sir!
Kaushik : Haan toh gaadi laga waha. Turant!
Worker : Haan haan!
Kaushik ke saathi ne food truck chaalu kar aage badhaya aur U-turn lete hue woh road ke iss side par aa gaya jaha Sonali ka food truck maujood tha.
Jab tak ye log yaha aa rahe the tab tak Veer aur Sonali ke beech alag vartalaap chal raha tha.
Veer : Sab theek toh chal raha hai na?
Sonali : Hmm? Aaj tumhe itna parvaah kaise hone lagi? Aise toh kabhi jhaakne nahi aate.
Veer : Kya mein puch nahi sakta?
Sonali : Puch sakte ho! Bilkul puch sakte ho. Sab kuch tumhara hi toh hai. Jo chaahe karo! Bhala mein kaun hoti hu-?
Veer (sighs) : Mera matlab ye hai ki kahi koi gadbad toh nahi hai. Koi dikkat toh nahi hai na? Sab theek hai?
Sonali ne do pal ke liye use dekha fir muh fula ke mudte hue boli,
Sonali : Hmm! Sab theek hai!
Veer (nods) : Alright! Agar koi- Agar koi problem ho toh mujhse share kar sakti ho. Okay?
Sonali (confused) : Tumhari tabiyat toh theek hai na?
Veer : I-!! Leave it! Apna dhyaan rakhna. Aur, apne aas paas ke logo ka bhi.
Sonali : Huhh!? Kya matlab? Aaj subah subah kahi sarr bhidwa ke aaye ho kya? Kaisi behki behki baatein kar rahe ho?
Veer kuch keh paata ki itne me Kaushik apne saathi ke sang truck leke haazir tha.
Window se nikal ke hi woh haath hilaate hue chillaaya,
Kaushik : Arre! Haha! Sir! Aaj mile ho aap! Warna kabhi darshan hi nahi hue aap ke toh batao.
Uske aate hi,
'Check!'
Veer ne usko poori tarah se scan kar liya. Kahi koi gadbad nazar nahi aayi. Kaushik ek aam ladka hi tha. Thoda awara-gardi karne waala tha magar kaam uska theek tha. Koi chor, gunda, mawali nahi tha woh. Jab Veer ne ye dekha ki kahi kuch gadbad nahi hai. Toh usne ek raahat ki saans li.
Kya iska matlab Prachi bewajah hi chintit ho rahi thi?
Prachi, jo theek unke saath khadi hui thi woh Kaushik ko aata dekh ke hi tension me aa gayi.
Veer ne idhar Kaushik ke aate hi uski baat ka jawaab diya,
Veer : Ohh! Naye ho?
Kaushik : Ji Sir!
Veer : Kya naam?
Kaushik : Ji Kaushik!
Veer : Alright! Acche se kaam karna.
Kaushik : Aap fiqr mat karo Sir! Mein apna kaam poori lagan se karta hu. Lekin, aaj aap se ek permission lena chaahta hu. Umeed hai aap mana nahi karoge.
Veer : Kaisi permission?
Kaushik : Woh kya hai na, kuch dino pehle pradarshani lagi hai yahi paas me. Mujhe jaana tha zara.
Veer (nods) : Theek hai! Tum jaldi jaa sakte ho.
Kaushik : Na na na na! S-Sirf mein nahi!
Veer : Toh?
Kaushik : Ahem! Woh kya hai na! Ab akela mein kya karunga Sir waha. Saath me koi hona chahiye na? Sundar si pradarshani ko dekhne ke liye ek sundari bhi toh honi chahiye na saath me? Hai na?
Veer : Bilkul!
Veer ne keh toh diya magar uske chehre par koi bhaav nahi the. Woh Kaushik ko aise dekh raha tha jaise kisi namoone ko dekh raha ho.
[Oh my~ Look at this worthless ant! A toad wishing to eat swan meat.]
Pari ke muh se bhi Kaushik ke liye beizzati hi nikli. Do kaudi ka ladka uske Master se hi unki hi bandi ko ghumaane ki permission maang raha tha. What a joke!
Magar-
Sonali ne jab Kaushik ki baatein suni, toh woh hass padi.
'Hmm?'
[Oh! Lagta hai~ Tumne apna swaad ise nahi chakhaya. What a mistake you have made my baby~ Isliye kehti hu. Forget all this. Come to me! Surrender to me! Call me 'Mommy' and I will make you the most powerful man in this world.]
'Please stop!!!'
Veer Pari se baat karne ke mood me nahi tha abhi. Sonali ne Kaushik ki baat sunn Veer ko dekha jaise maano woh dekhna chaah rahi ho ki Veer kaise react karta hai.
Veer (sighs) : No! This is work time. Tum khud jaana chaahte ho, koi manahi nahi hai. Jaa sakte ho. Par, staff me se kisi aur ko apne sang le jaana? Ye mein allow nahi kar sakta. Shaam hone waali hai aur ab rush hours rahenge. So, it's a strict 'NO' from my side.
Veer ka jawaab sunte hi jaise Kaushik ke muh pe 12 baj gaye. Kintu, usne aisa dikhaya nahi. Farzi muskan liye woh hassa aur punah bola,
Kaushik : Hahahaha! Arre kya Sir? Subah se din tak itna toh kaam kiya hai humne. Aur mein jaanta hu, sundari ka bhi ghoomne ka mann hoga. Ahem! Mera matlab hai Sonali ji ka! *winks*
Kaushik Sonali ko hi sundari keh ke itni derr se sambodhit kar raha tha. Jiske chalte, Sonali bas nazre ferr muskuraaye jaa rahi thi. Ye ladka roz uske paas kisi na kisi bahane se aaya karta aur roz apni fizool baato se use entertain karta.
Par kahi na kahi, ab uski fizool baatein hi Sonali ko jaise pasand aane lagi thi. Galti uski nahi thi. Balki, galti kisi ki bhi nahi thi.
Gaav ki ek aam ladki hone ke kaaran, Sonali ke standards ladko ko lekar behad hi low the. Shuru se hi woh apne baap Pushpendra aur uske bete Amit jaiso ko dekhti aayi thi. Jo ek number ke nalle, jaahil, gawaar aur nashedi aadmi the.
Aisi biraadri me rehne ke baad, Sonali ko ladke me bas itna hi chahiye rehta tha ki koi use sukhi rakh sake. Uski qadr kare. Bas!! Yahi the uske standards aur uski maangein.
Veer jaisa ladka uski expectations se bhi kahi zyada tha. Upar se uski khud ki maa, aur bhabhi apni taangein fela ke apne aap ko Veer ke prati samarpit kar chuki thi. Kahi na kahi, Sonali ke antarmann me ye dhaarna thi ki Veer bhala use kyu chaahega?
Uske paas toh ladkiyo ki line lagi hui thi. Magar maajra toh kuch aur hi tha, jo bechari woh nahi jaanti thi. Kisi aur ladke ka aana aur Sonali se iss tarah rubaru hona. Ye Veer ko na jaane kyu magar zara bhi pasand nahi aa raha tha.
Kaushik ke aamantran par usne turant hi naahi jataayi,
Veer : Nahi! Sonali ko kaam hai aur woh kahi nahi jayegi.
Kaushik : Arre ye kya baat hui Sir? Thoda hamare baare me bhi sochiye!
Veer : Nahi! Mene kaha na ki Sonali nahi-
Kintu,
Sonali : Kyu nahi? Kab se mein bhi subah se lage lage thak gayi thi. Pradarshani mujhe bhi dekhni thi. Na jaane kab se nahi dekhi. Isi bahaane thodi kamar bhi seedhi ho jayegi.
Veer : S-Sonali? T-Tum!?
Sonali : Haan! Kya mein nahi thakti? Mujhe bhi ghoomne ka mann karta hai. Aur kaun sa roz roz chhutti leti hu?
Veer : Tum aise kaise-!? Mujhe abhi zaroori kaam se jaana hai. Prachi akele nahi sambhal payegi. Tum iss waqt-
Sonali : Haan haan! Mujhe pata hai! Koi kaam nahi hai tumhara! Ab T.V me aa rahe ho iska matlab ye nahi ki harr waqt vyast ho tum. Ab aaye ho toh sambhalo apna yeh truck. Jaise uss din sambhala tha!?
Kaushik : Arre waah! Hahahaha! Kya baat hai! Dekha na Sir? Sab ki hi iccha hai. Mein toh kehta hu aaj aap chhutti hi dedo. Aa jao sundari- Mera matlab hai Sonali ji! Aaiye chalte hai! Thoda ghoom ke aate hai.
Bechari Sonali ye nahi jaanti thi ki abhi abhi Bhumika ki hotel me musibat aayi hai. Woh iss baat se anjaan thi. Woh nahi jaanti thi ki Veer ko abhi jald hi nikalna tha. Woh toh yahi samjhi ki Veer koi bahana bana raha tha.
Woh Kaushik se bhi parichit thi. Ye pehli baar nahi tha jab woh uske waale truck me baith rahi thi. Jab use hire kiya tha tab bhi woh Kaushik ke sang baith ke use venues ke baare me batayi thi. Kaha food truck lagana hai, kaise kaam karna hai. Toh isme ghabrane waali koi baat hi nahi thi ki woh akeli jaa rahi hai.
Saath hi woh Veer ko tang karne me kaha peeche hatati thi? Ye nirnay lete hi woh mann hi mann thahaake laga rahi thi. Soch rahi thi ki Veer chidhega aur tu-tu main-main karega.
Yahi soch woh truck se nikli aur Kaushik ke truck me chali gayi. Prachi muh khole bas nazara dekhti rahi. Jis train ko woh sahi se chalane ki koshish kar rahi thi woh toh patri se hi utar gayi. Naiyaa dubti hui nazar aa rahi thi use. Woh Veer ko bas hamdardi liye dekhi.
Aur mann me hi sochne lagi,
'Kya kar diya ye aapne Sonali di? Aapne Veer Sir jaise ladke ko haath se jaane diya? Agar mein aapki jagah hoti, toh uss Kaushik chhapri ko ghaas tak nahi daalti. Ye kya kar diya aapne?'
Sonali idhar muskaan liye seat par baithi aur truck chaalu hoke waha se chalne laga.
Magar jaise hi uski nazre Veer par tiki toh woh ghabra uthi. Veer ke chehre par taajub bhare bhaav the.
Woh Sonali ko aise dekh raha tha jaise use pehli baar dekh raha ho. Jaise usne koi aisa kaam kar diya ho jiski Veer ko umeed hi nahi thi. Achanak hi, Sonali ke dil ki dhadkane bechaini ke chalte tezz ho uthi. Par, truck chal chuka tha.
Use ye abhaas hua ki taang kheechne ke chakkar me kahi na kahi shayad usne Veer ko thes pohucha di hai. Ye sab kya ho raha tha?
Veer ke chehre par woh bhaav usne aaj se pehle kabhi nahi dekhe the. Kya uss se koi bhul ho gayi? Kya woh zyada bol gayi?
Sonali : N-Nahi-!!! R-Ruko-!
Par tab tak bohut derr ho chuki thi. Food truck kaafi aage badh chuka tha. Aur Sonali, sheeshe se Veer ke chehre ko dekh paa rahi thi. Na jaane kyu par uske dil me ek ajeeb sa dard utha.
Ab jaise sab kuch galat lag raha tha. Ye pradarshani, ye thakaan, Veer ki taang kheechna, jaise ab sab bhul chuki thi woh. Ab jaise inka koi artha hi nahi reh gaya tha. Kyuki jise sataane ke liye usne ye kiya tha wahi use hataash hue naraazgi me dekh raha tha. Veer ki wahi akhiri chhavi uske mann me bas gayi aur ek vichitr sa dard chhodh gayi.
Truck yaha se Veer ki aankhon se ojhal ho gaya. Sonali ke andar wapas jaane ki himmat bhi nahi aayi aur na hi woh kuch samajh paayi ki ye kya hua abhi abhi. Veer ko uss tarah dekh, uske dil me itna dard kyu uth raha tha?
'Iss se pehle-! Iss se pehle mene use kabhi aise nahi dekha! K-Kahi mein kuch zyada toh nahi bol gayi na? Agar woh bura maan gaya toh-!!!'
Lekin, ab sochne se kya fayda jab chidiya chug gayi khet. Woh ye nahi jaanti thi ki aane waale pal uske liye kaise hone waale the. Uske peeche khada Kaushik apni ghatiya nazro se uske badan ko taadne me laga hua tha. Muh se laar tapakne ki deri thi bas.
'Aaj toh teri seal tod hi dunga Sonali darling!!!'
***
"Ye kya kiya aapne?"
Truck ke jaate hi Veer ke peeche se Prachi ki naraazgi bhari awaaz aayi.
Veer : Kya?
Lag raha tha jaise woh Veer se bhi kahi zyada nirash thi.
Prachi : Aapne unhe jaane diya?
Veer (turns back) : Mene unhe jaane diya?
Veer ke sawaal par Prachi maun reh gayi. Usne jaane nahi diya tha. Balki, woh sabhi khud hi chale gaye the.
Veer chaahta toh ek baar me yaha maujood ek ek ki hekdi nikaal deta. Use bas 'Intimidating Presence' equip karne ki zaroorat thi. Uska aura mehsoos kar ke hi unn sab ki bolti band ho jaati. Lekin, usne aisa na kiya.
Prachi bas saantvna liye use dekhti rahi. Veer ke dil pe kya guzar rahi thi jaise woh jaanti thi.
Woh hairaan tha. Use thes pohuchi thi. Taajub iss baat ka nahi tha ki Sonali Kaushik ke saath gayi. Taajub iss baat ka tha ki Sonali uski baat ka yakeen na kar ke Kaushik ki baat ka yakeen kar chali gayi.
Kitne mahine ho chuke the use aur Sonali ko ek chhat ke neeche rehte hue? Usne apni taraf se kya kami chhodhi thi Sonali ke liye? Dard bas yahi tha ki Sonali ne ek baar bhi uski baat pe vishvaas na kiya. Aur bina poori baat sune nikal gayi. Yahi kaaran tha jo uske chehre par aashcharya tha.
Prachi : A-Ab?
Veer : You stay here! Mujhe kuch kaam hai! Mein aata hu baad me.
Prachi : O-Okay!
Woh aage kuch na keh paayi. Veer turant hi uske hawaale food truck chhodh seedha Hotel Prestige yaani ki Bhumika aur Shweta ki hotel ki orr nikal gaya.
***
Hotel Prestige
Evening ~ 6:08 PM
"Ye sab kya laga rakha hai, haan?"
"Aur nahi toh kya? Hum sab kya bewakoof hai?"
"Arre jab nahi ho paa raha hai toh lena hi nahi chahiye na order. Kaisa management hai aapka?"
"Paisa bhar dikhta hai inhe Bhai sahab. Baaki grahak ki qadr thodi hi hai."
"Sahi kaha!"
"Mein khud aadhe ghante se wait kar raha hu. Family saath me hai. Order le liya hai magar abhi tak table par paani ka jug tak nahi aaya hai. Ab batao!"
"Ye koi dhang thode hi hai. Bhai nahi ho raha aapse toh bata do. Band kar do. Hai na? Aadmi apni dusri jagah jaaye. Usko pehle hi bata do."
"Bilkul! Bilkul!"
"Haan! Samay ki barbadi hai aise me toh-"
"Mein bhi family saath aaya hu. Ab mera order pehle de diya. Aur abhi tak baccho ka order nahi aaya. Ye kya baat hui? Matlab mein unke saamne akele akele khau ab? Aap batao bhai. Family time ka matlab kya hota hai? Aadmi hotel kyu jaata hai?"
"Bilkul! Bilkul! Parivar ke saath khaane ke liye hi toh aata hai. Par ye baat ye kaha samajhte hai-"
"Sahi kaha ji. Darasal, ye aaj kal harr hotel ka bann gaya hai. Jab jab holiday waale din rehte hai ye uss din jaan boojh ke itna rush ghuswa lete hai laalach ke chakkar me. Baad me inse manage hota nahi hai."
Kayi saare log reception area me khade ek dusre se baatein karne me lage hue the aur counter ke uss side khadi Nandini jo ki hotel ki manager thi bas ghabra ke sab kuch dekh rahi thi.
Nandini : Sir! Please! Shaanti banaye rakhiye. Dekhiye! Thodi si problem ho gayi hai. Baat samajhne ki koshish kariye. Aisa kabhi hota nahi hai. Par aaj thodi si dikkat ho gayi hai.
"Arre kya dikkat ho gayi hai?"
"Haan haan! Jab nahi ho paa raha toh pehle batana chahiye."
"Shaam ke samay me ye haal hai, socho raat me kya hoga jab dinner ke liye aur families aayengi."
"Band kar do hotel."
Nandini : P-Please Sir! Try to understand.
Nandini ne kabhi bhi iss tarah ki situation se deal nahi kiya tha. Kyuki aisi naubat kabhi aayi hi nahi thi. Par aaj na jaane kiski nazar lag gayi thi unki hotel ko.
Nandini ne apne sehyogi logo ko dekha aur public ko shaant rakhne ke liye keh ke woh fauran hi andar kitchen ki orr bhaagi.
Andar aate hi woh zorr se boli,
Nandini : Ma'am!! Ma'am baahar situation ab out of control jaa rahi hai. Manage karna ab mushqil ho raha hai. Logo ka gussa badhta jaa raha hai.
Andar Bhumika chintit nazro se use dekhi. Kitchen me saamne saare chefs aur workers apna kaam dhaam chhodh ke ek jhund bana ke khade hue the.
Unn sab ke beech me hotel ka Head Chef apni guroor bhari muskaan liye khada tha. Head Chef woh hota tha jo kitchen me saare chefs ka head hota tha. Wahi baaki chefs ko nirdesh deta tha aur hotel acchi tarah se chal sake, isme uska bohut bada yogdaan hota tha.
Magar, Hotel Prestige ke Head Chef, Narang aaj kisi aur mood me hi tha. Kareeb 40-45 ki umr ka ye aadmi apne saath saath baakiyo ko bhi apne shadiyantra me shaamil kiye baitha tha.
Narang : Mein kahe deta hu! Hamari maange poori karo warna hum sab abhi ke abhi apni naukri chhodh denge.
Bhumika bechain ho uthi. Iske pehle bhi woh do baar uss Narang ki payment badha chuki thi. Iss se zyada woh afford nahi kar sakti thi. Balki, shayad hi koi itni payment deta hoga.
Bhumika : Aapki payment mein pehle hi do baar badha chuki hu. Ye theek nahi hai. Kahi aur jaa ke dekhiye. Koi bhi aapko-
Narang : Hmph! Toh theek hai. Chale jaata hu. Yaha se acchi pagaar milne ka offer wese hi aa chuka hai mujhe.
Bhumika : Huh!??
Narang : Chalo Bhai log!!
Narang ke saath kaafi log the. Magar saare nahi. Kuch the jo abhi bhi apni pagaar se khush the aur hotel ke hit ke liye hi kaam karna chaahte the. Hotel se unka lagaav tha. Par ye log chand hi the.
Bhumika ne jab dekha ki woh log jaa sakte hai toh woh darr gayi. Woh inhe jaane nahi de sakti thi. Agar aisa hua, toh hotel ke profit ke upar bohut bada antar aa sakta tha. Nuksaan hi nuksaan ho sakta tha.
Naye chefs ko dhundhna, unhe laana, fir wapas se kaam samjhana, ye sab na jaane kitna samay le sakta tha. Uske baad taste ka change hona. Harr chef apne dhang se khaana banata hai. Jo yaha pehle se bana rahe hai, unke jaisa agla aadmi nahi bana sakta.
Prestige ki yahi toh pehchaan thi. Uska taste!! Agar chefs badal jayenge, toh woh pehle jaisa taste kaise maintain kar payenge? Signature dishes ka kya hoga jo sirf head chef hi banaaya karta hai?
Inn vichaaro ne Bhumika ko ek chakravyuh me fasa diya. Agar Shweta yaha hoti toh woh ab tak chidh ke Narang ko bhaga chuki hoti. Usme itna tolerance nahi. Magar, Bhumika ke andar tolerance level kahi zyada tha.
Bhumika (frowns) : Ye aap theek nahi kar rahe. Baahar log apne khaane ka wait kar rahe hai. Ye saari baatein aap baad me bhi toh kar sakte the na? Abhi karne ki kya zaroorat thi?
Narang : Iska faisla abhi hi hoga. Baad me taalne wala kaam mera nahi. Kyu bhai log?
"Haan haan!! Faisla abhi hoga."
Bhumika : A-Aap sab-!!! Kya zara bhi pyaar nahi aapko iss hotel se? Itne saalo tak aap sab ne kaam kiya hai. Kya kabhi aapko kisi cheez ki taqleef hone di hai mene ya Mom ne?
Uski iss baat par kuch chefs apna sarr jhuka ke khade ho gaye. Baat satya thi. Aaj tak unhe kabhi bhi kisi bhi cheez ki taqleef nahi hui thi. Pagaar hamesha samay par mil jaaya karti thi. Tyohaaro me unhe bonus bhi milta tha. Kahi se bhi koi taqleef nahi thi.
Fir woh sab kyu apni itni shaleen maalkin ke khilaaf khade ho uthe? Jawaab tha ~ Narang!
Jisne bhadka ke unhe apne side kar liya tha. Thode se behkaave me aane ke baad woh ye tak bhul gaye ki isi hotel se unka ghar chalta tha. Aaj woh usi ko laat maar rahe the. Kahi na kahi unn sab ke andar ek glaani ki bhaavna zaroor jaagi. Magar ab woh itna aage badh chuke the. Ab peeche nahi hatt sakte the.
Narang : Hume bas saaf saaf jawab de do!
Bhumika duwidha me fas gayi. Kya kare woh?
Saath khadi Arohi bhi clueless thi. Kya karti woh bechari.
Arohi : Kaash Veer yaha hota-!!!
Uske muh se ye nikla hi tha ki-
"What's happening here???"
Ek jaani pehchaani awaaz uske kaano me padi.
'Huh???'
Bhumika aur Arohi dono ne mud ke dekha toh paaya ki Veer unke saamne khada hua tha. Woh abhi abhi kitchen me aaya tha. Baahar ke staff ne use andar jaane ke liye kaha tha.
Arohi : Veeeeeer!!!
Woh aage badh unke nazdeek aaya aur Bhumika ne use sab kuch samjha diya. Pehle toh Veer hassa aur uske baad usne Narang ko dekha,
Veer : Toh tumhe jawaab chahiye? Hmm?
Narang ne upar se neeche tak Veer ko dekha. Iss ladke ko usne pehle kabhi nahi dekha tha. Jis tarah se Bhumika aur Arohi uske saath pesh aa rahi thi, Narang ne ek anumaan laga liya ki ye ladka unka koi rishtedar hi tha. Apna guroor wapas se chehre par jhalkaate hue woh bola,
Narang : Hmph! Tum jawaab doge? Kherr! Jo bhi de, mujhe farq nahi padta. Bas, haan ya naa me bata do. Payment hamari badha rahe ho ya nahi?
Veer (smiles) : Theek hai! Toh mein deta hu tumhe jawaab!
Narang : Hmm!
Veer : GET LOST!
Narang : Huh???
Bhumika : Ahhh??? V-Veeer???
Narang ko jaise apne kaano par yakeen nahi hua. Bhumika ka bhi yahi haal tha. Woh iss waqt kaise bhi kar ke unhe rokna chaahti thi. Baahar sabhi khaane ka wait kar rahe the. Aise me ye kaisa nirnay tha ki Narang ko bhaga diya jaaye?
Narang : K-Kya kaha tumne?
Veer : Mene kaha, dafa ho jao!
Narang : Haah! Haha! Hahahahahaha!
Bhumika : Veer! Tum-!?
Narang : Mujhe toh laga tha thodi bohut aqal se kaam loge. Par- Hahahahaha!!!
Veer (smiles) : Aqal se hi kaam liya hai. Aur ye aqal pehle hi dikha deni chaahiye thi.
Narang : *frowns*
Veer : How much you pay him monthly?
Bhumika : Th-That's-!!! 60,000!!!
Veer (baffled) : 60 hazaar rupaye?? Aur pehle kitna pay karti thi?
Bhumika : 45,000!
Veer : 15,000 rupaye ka izaafa!! Mujhe nahi lagta ki aas paas ke kisi bhi hotel me kisi Head Chef ki itni payment hogi.
Narang : Ladke!! Tujhe pata hi kya hai? Hmph!!! Baahar jaake dekh zara. Casa Belle waale toh mujhe khushi khushi le lenge.
Bhumika : N-Nahi!!!
Bhumika ka darr jayaz tha.
Casa Belle!!!
Haal hi me khuli ek nayi hotel jo unke hotel ke paas hi thi. Ek 5 star hotel. Bhumika ka sapna tha ki woh apni iss hotel ko 5 star hotel me tabdeel kare. Duniya ki ekdum premium hotels me uski hotel ka naam jaana jaaye. Aur isi sapne ke liye woh jee tod mehnat kiya karti thi.
Lekin, Casa Belle ke aane ke baad se hi hotel ke liye mushqile badh rahi thi. Zyada crowd abhi bhi Prestige ke paas hi tha. Magar, kya hoga agar Narang jaise chefs uske paas se chale jaaye aur jaa ke Casa Belle me kaam karne lage?
Hotel toh band hone ki kagaar pe aa jayega.
Veer bas muskuraya. Aur woh khushi khushi bola,
Veer : Darwaze khule hai! Jaa sakte ho!
Narang : T-Tum-!!!
Bhumika : Veer! Nahi! Hum aisa nahi kar sakte. Jald se jald inn sab ko rokna hoga. Baahar shor badhta jaa raha hai. Th-Theek hai mein payment badhaane ke liye-
Veer : Hargiz nahi! Ek rupaya bhi badhaya nahi jayega. Payment aapke kaam ke hisaab se ekdum sahi hai. Balki, zyada hi hai. 50,000 is a very good amount for a head chef. Not to mention ki tum kisi 5 star hotel ke chef nahi ho. Aur na hi abhi hamari hotel ek fully 5 star hotel me tabdeel hui hai.
Narang : Toh theek hai-!!! Bhaad me jao tum! Madam ji! Ab sambhal lena aap. Baad me mere paas gidgidate hue mat aana.
Bhumika : V-Veeeeer!!! Ye kya kiya tumne? P-Please! Hum unhe jaane nahi de sakte.
Narang : Hmph! Chalo Bhai log!
Usne kaha, magar pehle ke muqaable ab sirf aadhe hi log Narang ke saath aaye. Baaki aadhe peeche hoke khade ho gaye. Veer ki baato ne jaise unhe abhaas dilaya tha ki unhe jo mil raha tha woh pehle se kahi zyada tha.
Narang : Hmm? Tum sab!!! Yahi rehne ka irada hai kya? Bhulo nahi ki aise mauke baar baar nahi aate. Pagaar badhaane ka iss se accha mauka nahi milega. Ye ghatiya hotel chhodho aur chalo mere saath. Mein tum sab ko 20% zyada pagaar dilwaunga pehle ke muqaable.
Chef 1 : 20% zyada?
Narang : Haan! Chalo ab! Narang ki zubaan hai.
Chef 1 : L-Lekin-!! Nahi! Nahi hum yahi theek hai.
Narang : Tum!!! Mene kaha chalo mere saath.
Uska haath jabran thaam Narang ne jab use ghaseetna chaaha toh ek mazboot haath ne uski kalaayi ko jakad liya.
Veer : Woh kahi nahi jayega!
Narang : Ladke-!!! Haath chhodh!! Woh toh madam ke yaha itne saal kaam kiya hai isliye haath nahi uthaya tujh par. Tu hota kaun hai mujhe rokne waala? Madam ke naate mein kuch kar nahi raha warna-
Veer : Warna!? Shukr manao ki unhi madam ke chalte tum ab tak sahi salamat ho. Itne saal kaam kiya hai isliye zyada kuch kiya nahi mene warna-
Narang : Hoshiyar samajhta hai apne aap ko? Saale teri toh-
*Swish*
Wahi par rakha ek bada sa chamcha utha ke Narang ne Veer ke sarr pe chalaya par woh late tha. Ya yu kahe ki Veer uss se hazaro guna tezz tha.
Agle hi shan Narang ke haath se woh chamcha gaayab hua,
LIMBO!!!
*Crack*
*Swoosh*
Narang ko uske peeche se shirt pakad ke Veer ne uska sarr turant hi-
*Plop*
Paani se bhare ganj me de maara.
*Blurgh!!* *Gulp* *glrggh*
Bhumika : Nooooo!!! You both-!!!! Stop it Please!!!
Paani se uske chehre ko nikaal Veer use darwaze ki orr laaya aur-
*BAMMMMMM*
Darwaza zorr se khula aur ek udta hua insaan kuch feet dur jaa ke gira.
Baahar baithi tamaam janta ekdum se shaant ho gayi. Jo shikaayte woh pehle kar rahe the. Maar dhaad dekh sabke sab ekdum se dubak ke baith gaye.
Narang : L-Ladkeeee-!!! Madar-
*Bammmmmmm*
"Ugggghhh!!!"
Veer ne use pakda aur use aise le gaya jaise maano woh kooda fekne jaa raha tha.
Veer : Security!!!
Guard 1 : H-Haan!
Veer : Aaj se ye chef nahi hai. Hamari hotel me kaam toh kya, shaqal bhi nahi dikhni chahiye iski.
[What a strong performance. That's what I like about you~ A strong boy... needs a strong 'Mommy'! Doesn't he?]
'Shut up!'
[Fufufu~ Sooner or later! You'll be mine! ♡]
Narang ke saath jitne bhi the, woh Veer ko ladta dekh ke hi sehem gaye.
Veer : Aur tum sab!? Jaana nahi hai?
"N-Nahi Sir! H-Hum kaam karne taiyaar hai. Hum-"
Veer : Out!!!
"???"
Veer : Iss se pehle ki yahi haal tum sab ka hoye. Mere bina kahe hi nikal jao!
Na chaahte hue bhi unn sabhi ko waha se nikalna pada. Unhone apne hi perr par kulhadi maar li thi. Acchi bhali naukri haath se gawa di.
Ab woh sab Narang ke hi bharose the. Idhar Bhumika ki jaan jaise halak me aa gayi. Veer ne sabke saamne hi Head Chef ko nikaal diya? Ab kya hoga?
Bhumika : Khatam! Sab khatam! Veer! Kyu kiya aisa??? Ab k-kaise-!?
Arohi : Trust him!
Bhumika : Huh?
Arohi : He must have thought of something.
Bhumika : Wh-What?
Narang aur uski toli ko bhagaane ke baad Veer apne customers ke saamne aaya aur usne apni baat rakhi,
Veer : Jo kuch bhi hua. Uss sab ke liye mein aapse maafi maangta hu. Darasal, hamare Head Chef ki zyaadti badh gayi thi. Aur unhe ayeena dikhana zaroori tha. Mujhe aap sab 10 minute dijiye. 10 minute ke andar andar orders lagne shuru ho jayenge. Mein waada karta hu, aisa swaad aapne kahi nahi chakha hoga.
Uske bolte hi aapsi me logo ki khusur pusur chaalu ho gayi.
"Theek hai lao Bhai! Ab itna late toh ho hi gaya hai."
"H-Haan! 10 minute dekh sakte hai."
Manzoori milne ke baad Veer muskuraate hue kitchen me gaya. Peeche peeche Bhumika aur Arohi bhi thi. Nandini wahi baahar reh ke logo ko sambhaale rahi.
Aur idhar andar aate hi,
*Ding*
[Intimidating Presence has been equipped.]
Veer : Tum sab!!! Apna apna naam batao! Jaldi!
Bache hue chefs se jaise hi Veer ne buland awaaz me pucha sab uske aage sehem gaye. Andar se hi ek respect waali bhaavna na jaane kyu jaagrit hone lagi.
Apna apna naam unn sabhi ne bataya. Bhumika ko chinta khaaye jaa rahi thi.
Bhumika : Veer ab kya hoga? Hum kaise manage karenge? Ye nahi hona chahiye tha.
Veer : Bhumika dii!
Bhumika : ???
Veer (smiles) : Woh Narang pehle se hi naukri chhodhne ke chakkar me tha.
Bhumika : Wh-What??
Veer : Kya aapne gaur nahi kiya? Kyu woh baar baar Casa Belle hotel ka zikr kar raha tha?
Bhumika : Woh-
Veer (smiles) : Casa Belle waale logo ne pehle se hi use ghoos de di hai shayad. Narang toh bas bahana dhoondh raha tha yaha se nikalne ka.
Bhumika : Ahh!!?
Veer : Isliye woh aisi betuki farmayish rakh raha tha. Use laga tha ki aap use naukri se nikaal dogi. Aur uska kaam bann jayega.
Bhumika : Y-Ye!?
Veer (smiles) : But you were persistent. Aap use jaane nahi de rahi thi. Uske liye aur mushqil ho raha tha. And that's why he opted for violence.
Bhumika : Ahhhnn! Y-Ye baat thi!?
Veer : I fulfilled his wish. Ab shayad hi woh kabhi accha khaana bana paaye. *smiles*
Bhumika : Hmm?
Veer (smiles) : Looks like we've got a new competition in the market. Anyways! Aap sab kuch mujh par chhodh dijiye.
Bhumika : B-But how-!?
Veer (screams) : CHEFS!!!!
"Y-Yesss sirrr!!!"
Veer ne apni shirt utaar apni kamar par baandhi. Haath dhoye aur woh taiyaar tha.
Veer : Get ready!!! Bhumika dii! Arohi dii! Order numbers dijiye. Pehle woh bataiye jaha orders adhura pohucha hai. Uske baad woh orders jaha bohut derr se khaana nahi pohucha. And lastly newest ones.
Bhumika : G-Got it!!
Arohi : Veer! Table number 7!!! Umm! 1 Dal fry, 1 Veg pulav, and 1 butter paneer masala!!
Veer : Got it!!!
Uske haath itni raftaar se chal rahe the ki baaki chefs apni aankhein faade dekhte reh gaye. Kahi koi choonk nahi, sab kuch perfection se ho raha tha.
Bhumika ne jab uski speed dekhi toh uska muh khula ka khula reh gaya. Speed hona koi bohut badi baat nahi thi.
Par full accuracy ke saath speed hona, ye bilkul naamumkin jaisa tha. Kahi koi cheez gir nahi rahi thi. Tel ki maatra, pan ko saute karne ka dhang, ingredients ki maatra sab kuch jaise ekdum perfectly daala jaa raha tha.
Veer : Vijayyy!!!
Vijay : Y-Yes Chef!?
Veer : Tomato soup!!! Table number 9 ke liye. Abhi!!!
Vijay : Y-Yes Chef!!!
Veer : Toasted bread piece daalna mat bhulna!!
Vijay : Y-Yes!!
Veer : Coriander ki garnishing!!!
Vijay (shouts) : Yessssss Chef!!!
Veer : Rohitttt!!!!
Rohit : H-Haan??
Veer : Same table!!! Dry Manchurian!!
Rohit : Y-Yess Chef!!!
*Clang* *Schling*
Bartano ki khat-pat awaazo ke saath aur chaaku chhuriya ki dhaar ke sang Veer ne kitchen me ek alag hi aura bhar diya.
Baaki chefs Veer ki skills dekh, uss se order lete hue itne motivate ho gaye ki woh harsho-ullas ke saath khaana banaane me jutt gaye. Asli swaad tabhi aata hai jab ek chef dil se khushi khushi uss khaane ko banaaye. Aaj wahi ho raha tha.
Bhumika ne aisa drishya pehle kabhi nahi dekha tha. Veer ko kaam karta dekh, uski dhadkane tezz ho uthi. Sach kehte hai. Ek mard sabse zyada attractive tab hi lagta hai jab woh apne kaam me leen ho.
Woh yaha uss Narang ki payment badhaane ke chakkar me thi. Aur yaha Veer ne ek jhalak me uske shadiyantra ko pakad liya tha.
Bhumika : I have so much yet to learn...! M-Mein use samajh nahi saki theek se.
Arohi (smiles) : That's okay! As long as you keep faith in him!
Bhumika (smiles) : I see now! Thank you! Arohi!
Arohi (smiles) : Mmm~
Baahar jaise jaise dishes aati gayi, logo ke mann se woh doubt khatam ho gaya. Jaise jaise unhone khaane ka swaad chakha sab ke sab chakit reh gaye. Baat sahi thi. Aaj tak unn sabhi ne iss tarah ka swaad nahi chakha tha. Dishes toh same hi thi. Lekin, ek naya zaayka tha usme. Kuch extra tha. Jo woh bata nahi paa rahe the.
Akhir kaar ye silsila khatam hua. Raat ke 10:30 baj rahe the. Rush samaapt ho chuka tha. Veer ne aaj se pehle kabhi itna khaana nahi banaaya tha.
Garmi ke chalte woh poora paseene se lath-path tha. Hotel ke baahar closed ka sign lag chuka tha.
Dining area me hi woh ek kursi par AC ke neeche baith gaya.
Uske bagal se Arohi thi toh wahi dusri orr Bhumika.
Arohi ne ek towel lete hue uska paseena pochha.
Veer (smiles) : Thank you!
Arohi : Thank you!
Veer : Hmm?
Arohi : For working this hard!
Bhumika ne achanak se uski baah ko apne haatho ke ird gird liya.
Veer : ???
Bhumika : Veer! Aaj sab ne khaane ki itni zyaada tareef ki hai ki mein tumhe bata nahi sakti. Aisa pehle kabhi nahi hua.
Veer : Haha!
Bhumika : No doubt woh Narang accha khana banaata tha. Lekin, kabhi bhi public aise react nahi karti thi. Jo kuch bhi tamasha aaj hua, uss se public darr bhi gayi thi. Isliye mene unhe Sunday ka special offer ka coupon bhi diya hai. Umeed hai ye swaad chakhne ke baad woh zaroor ayenge.
Veer : Of course!
Bhumika (frowns) : L-Lekin-! Ye toh sirf aaj ke liye tha. Aaj tumne madad kar di. Aage kya hoga?
Veer : Don't worry! Aapke liye mene naya head chef bhi dhoondh liya hai.
Bhumika : Kya??? Kaun hai woh?
Veer (smiles) : You'll know soon!
Woh aankhein band thodi derr khud ko durust karne laga jab,
*Puch*
'Huh?'
Do narm honth uske gaal par lag gaye. Bhumika ne sharmaate hue uske gaal ko chooma.
Bhumika (blushes) : Th-Thank you so much!!!
Veer : Ahem! D-Don't mention it!
***
Yaha toh sab nipat chuka tha. Magar inn beete ghante Sonali kaha thi?
Food truck se nikalne ke baad woh Kaushik ke sang pradarshani dekhne gayi thi. Khayaal toh use Veer ka hi aa raha tha.
Kintu, Kaushik ki lagataar baato ko sunn aur pradarshani me mauj masti kar uska dhyaan Veer par se thoda hatt gaya.
Derr raat ho rahi thi. Usne aaj khoob enjoy kiya tha. Ab lautne ka samay tha.
Kaushik ka dost bhi jaa chuka tha. Ab woh khud hi gaadi chala raha tha.
Kaushik : Kya iss nacheez ke saath sundari jii ko thoda bohut bhi accha laga?
Sonali : Hahaha! Tumhari baatein betuki hai. Aur mujh par line maarna band kar do.
Kaushik : Uui maa! Pakda gaya kya mein?
Sonali : Kab ke!!! Chalo! Aur mujhe jaldi se wapas se truck par chhodh do. Prachi ab aur late nahi ruk payegi.
Kaushik : Bilkul! Bilkul!
Sonali ko raaste pata nahi the. Magar kuch na kuch mod yaad zaroor the.
Jab Kaushik ne truck dusri disha me moda toh uski bauhe kass uthi.
Sonali : Arre? Y-Ye raasta nahi hai. Woh waala mod tha.
Kaushik : Jaane dijiye na! Aaj yaha se chalte hai. Kaafi saari khubsoorat jagaahe hai yaha pe. Aapko dikhata hu.
Sonali : N-Nahi! Raat bohut ho gayi hai. Aur mujhe ab jaana hai.
Kaushik : Maaniye toh baat-!!
Sonali : Mene kaha na-!!! Ye-! Ye kya kar rahe ho tum??
Kaushik : Nahi!! A-Aaj aapko meri baat maanami padegi.
Woh uski orr mudte hue bola. Uski muskaan me iss baar hawas ke iraade jhalak rahe the.
Sonali : !!???
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Update consists of 7.3k words. Arc ne pace pakad liya hai. Second gear lag chuka hai. Baaki, like thokna nahi bhulne ka aur revos rakhne ka. Target wahi hai apna. 150. Kehna na pade baar baar. Aur saath bane rehne ka guys.
Keep supporting.![]()
Acha update tha is update me hum fir se past me gaye the. Aur ab dekhne layak scene hoga jab kaera ke emotions wapas a gaye hai to wo ab kya karti hi. Aur veer ki favorabilty bhi km kyu Hui is baat ka bhi pata chal gaya hme.Update - 150 ~ The Return of the Queen
Ab tak...
[D-Dear! Stop it! What the hell are you doing? H-Hey don't scare me! Please!]
Woh awaaz vyakul thi. Ladki ne fir ahista se apne mann me uss awaaz ko jawaab diya.
'There's nothing left now! I must go as well! Lily...!'
[W-Wait!! N-Noooooo!]
Aur usne apna perr aage badha diya.
[Noooooooooooooo!!!!!]
Ab aage...
Sab kuch akhir samaapt hua. Veer ke Paris ke safar par poornviram laga aur ghar waapsi ke liye woh Paris se ravana ho chuka tha. Idhar, Mumbai me uska sabhi besabri se intezar kar rahe the.
Veer ke sahi salamat milne ke baad, uski phone par Ragini se baat hui. Sirf Ragini hi nahi, Mumbai me maujood Bhumika, Shweta, Sonali, Suman, Aabha, se leke harr kisi se uski baatein hui.
Aur sabhi ye jaan ke khush the ki Veer mehfooz tha. Ragini toh betaab thi use dekhne ke liye. Magar, Veer ke liye mushqile abhi khatam kaha hui thi. Asli, daav pench toh ab ladne the use.
Sawalo ka chakravyuh jo racha jaa raha tha Tej, Arohi aur Bhavna ki iss tigdam dwara. Shabdo ki inn bhool bhulaiyaa se bhi toh mehfooz aana abhi baaki tha. Ek choonk aur saara ka saara bhaanda phoot jaana tha uska. Veer ne khud ko iske liye mann hi mann taiyaar kar liya tha. Woh jaanta tha ki jaise hi woh ghar pohuchega, ye teeno deviyaan uss par prashno ke baan leke toot padengi.
Kherr! Ye sab toh yaha ki baatein thi. Lekin, kuch aur ghatnaaye bhi hui thi. Veer ke ird gird se hatke.
Jab Veer Paris jaa raha tha, toh jaane se pehle uski mulaqat Kaera se hui thi. Jaha usne Kaera ke puraane ghar se ek diary dhoondhte hue use saunpi thi. Veer ne diary toh saunp di thi. Magar, uske parinaam kya kya hue, inn baato se woh anibhigya tha.
Woh nahi jaanta tha ki Kaera ko diary thamaane ke baad Kaera ne kya kiya, uske saath kya hua. Bas itna zaroor jaanta tha ki Kaera ki favourability uske prati ghat ke 50 ho gayi thi. Aur, mission bhi dhara ka dhara reh gaya tha.
Na hi uska koi reward mila aur na hi koi notification aaya. Par, asal me kya hua tha inn beete dino? Ye baat, toh samay hi bata sakta tha.
Mumbai...
Night ~ 11:13 PM
Ye woh samay tha jab Veer Paris ke liye nikalne wala tha. Seer Vision! Uss legendary skill ka istemaal karne ke baad, Veer diary ki yaadon me doob gaya tha.
Labyrinth me usne harr woh yaad bator ke dhoondhi thi jo diary ke andar samahit thi. Diary apne kaal me jin jin ghatnakramo ko dekhe hue thi, Veer ne unn sab ko haasil kiya tha. Use Kaera ke baare me na jaane kya kya maalum chala. Aur, kuch dino ke baad hi usne woh diary Kaera ko thamaayi thi.
Aaj usi din ki raat thi. Kaera diary leke apne ghar aa chuki thi. Apni atyant hi vyast zindagi me use din bhar uss diary ko khol ke padhne ka samay na mila.
Raat hote hi, jab woh apne kamre me bilkul jaa hi rahi thi toh peeche se uski personal maid Julia ne use awaaz lagaayi,
Julia : Miss?
Kaera : Hmm?
Julia : Are you heading to bed?
Kaera (nods) : Yes!
Julia : Okay! Have a good night, Miss!
Woh shubhraatri kehte hue mudi ki itne me Kaera ne kuch soch use pukara,
Kaera : Julia!?
Julia (turns) : Yes???
Kaera : Can you please prepare a coffee for me? I think I'll need it tonight!
Julia : Are you going to stay awake for office work?
Kaera : Not that actually! Just something else! I'll be waiting inside.
*Thud*
Aur apne kamre ka darwaza band kar woh andar chali gayi. Usne Julia ko nahi bataya ki woh diary padhne jaa rahi thi. Coffee mangwane ke peeche yahi kaaran tha.
Na hi Julia ne apni taraf se pucha ki uski Miss bhala kis liye aaj derr tak jaagne wali thi. Kaera harr baat harr kisi se saajha nahi karti thi. Aur Julia bhi ye samajhti thi ki zaroori nahi use harr baatein bataayi jaaye.
Woh apni jagah jaanti thi aur uska aadar bhi karti thi.
Kamre ke andar aate hi Kaera ne apne kapde badle aur ek silk light purple nightdress daal woh apne bed par aayi.
Tab tak Julia uske liye coffee leke bhi aa chuki thi. Coffee ko uske bed se lagi side table par rakh woh punah 'goodnight' bol apne khud ke kamre me chali gayi.
Idhar uske jaate hi Kaera ne apni almaari khol wahi diary nikaali jo Veer ne aaj use thamayi thi. Ye uske puraane ghar se mili thi. Na jaane isme aisa kya hone waala tha. Magar, woh iske andar dekhne ke liye kaafi icchuk thi.
Usne diary kholi...!
Panne kaafi puraane prateet ho rahe the. Kaera ne pehle toh bina kuch padhe hi diary ko khol kaagaz paltaate hue use jaancha. Woh bhaanp rahi thi.
Diary waqai purani thi. Itne saalo se diary ke na khulne ke kaaran, kayi saare panne aapas me chipak chuke the. Badi hi savdhani se Kaera ne unn panno ko pehle toh alag-alag kiya. Poora jayza liya ki harr panna alag hai ya nahi. Uske baad hi woh diary ke pehle page par aayi.
Pehle page par aate hi uski nazar uss naam par pad gayi. Waha likha hua tha~
Archana!
"M-Mother!!!!??"
Kaera ke komal haath panne par likhe uss naam par firr gaye. Diary uski Maa Archana ki thi?
Page aage paltaate hue usne sab kuch fir padhna chaalu kiya. Likhawat dekhte hi woh pehchaan chuki thi ki ye uski maa ki hi likhawat thi. Woh apne emotions bhuli thi. Apna ateet nahi. Bhali bhaati yaad tha use ki uski maa kis tarah likha karti thi.
Usne ek gehri saans li, aur fir padhna shuru kiya.
Kaera! Karan! Mere pyaare baccho! Tum dono ko jabse mene paaya hai, mein bata nahi sakti ki mein kitni khush-kismat hu.
Tum dono mere jigar ke tukde ho. Tumhari kam aqal maata shri se theek se diary tak likhna nahi aata. (;^ω^)
Ye meri pehli koshish hai. Kuch nahi soojh raha tha kya likhu. Fir tum dono ka khayal aaya. Tum dono toh meri saanso me baste ho. Toh socha kyu na tum dono se hi iss diary likhne ki aadat ki bhi shuruaat karu?
Tum dono ke hone se dekho...! Mujhe bahana mil gaya ki diary me kya likha jaaye. Ye tumhari maa, ab se harr roz tumhari shaitaaniyo ko isme likha karegi. Jab tum dono bade ho jaoge na tab ise tum dono ke saamne kholungi.
Ye bataane ki bachpan me tum dono ne mujhe kitna sataaya hai. (^_^メ)
Shuru ke 2-3 panne Kaera aur Karan ke hi zikr ke the. Archana ka apne baccho ke liye pyaar harr ek shabd me jhalak raha tha. Pata nahi kyu par Kaera ki aankhein apne aap hi namm ho rahi thi.
Magar, unn panno ke baad jaise vishay gambheer ho gaya.
Mera swaasth bigad raha hai. Shareer se taqat jaise khatam ho rahi hai. Iss umr me ye sab nahi hona chahiye. Abhi toh tum dono ko bada hote dekhna hai mujhe. School se, college se graduate hote dekhna hai. Apne baccho ki shaadiyaan hote dekhna hai. Tumhare baccho ko dekhna hai.
Magar, haalat din-ba-din battar hoti jaa rahi hai. Mujhe abhaas ho gaya hai. Mera bachna ab mushqil hai.
Mere preeya baccho. Kuch bhi theek nahi ho raha hai. Tumhare Papa jin baba pe vishvaas kiye hue hai, mujhe woh ab sahi nahi lag rahe.
Kaera...! Jab se tumhare liye woh ye keh ke gaye hai ki tumhe ghar par rakha jaaye, aur bahar na nikalne diya jaaye. Mera vishvaas unn par se uth chuka hai. Baccho ko panchhi ki tarah kisi pinjre me qaid kar ke nahi rakha jaata. Tum toh mera apna khoon ho.
Lekin, tumhare Papa ye maan'ne ko taiyaar nahi hai. Meri aur unki ladayi lagbhag roz hone lagi hai. Mein harr baar uss baba ka virodh karti hu aur woh mujhe sunaane lagte hai.
Woh mera vishvaas nahi kar rahe. Magar...! Mujhe apne aap par atal vishvaas hai. Mein samajh chuki hu ki woh koi dhongi hai aur hamare sirf paiso par niyat hai uski.
Mere lakh mana karne ke baad bhi Kishor meri ek baat nahi maan rahe. Agar baccho ka samay subah se leke raat tak sirf padhaayi me vyateet kar denge toh kya hi parivaarik prem ka ehsaas kar payenge woh?
Kaera ka yu alag alag teachers ke dwara padhaya jaana, use kamre me band rakhna, baahar na nikalne dena. Ye sab...! Use asal zindagi se dur le jaane laga hai.
Aur mujhe darr hai..! Kahi ek na ek din- Woh kisi machine ki tarah na bann ke reh jaaye.
Agar aisa hua, toh meri bacchi apni bhavnaaye bhul jayegi. Woh bhul jayegi ki prem kya hota hai, harsh-ullas kya hota hai, gussa-berr kya hota hai. Harr bhavnaaye, insaan ko insaan banati hai.
Mein nahi chaahti, meri bacchi insaan se ek machine bann jaaye.
Gyaan arjit karna acchi baat hai. Lekin, gyaan iss tarah arjit karna...! Prayogik nahi.
Aur isliye, jaane se pehle mein tumhare saath kuch baatein saajha karke jaana chahti hu Kaera.
Karan ki mujhe fiqr nahi. Mamla tumhara gambheer hai meri bacchi. Aur mein jaanti hu ki tumhare sambhalte hi, Karan apne aap sambhal jayega. Woh tumse bohut prem karta hai beti.
Lekin, use jalan bhi hoti hai. Prem shuru se tumhe adhik mila hai. Use nahi. Jis kaaran woh muh fulaaye baitha rehta hai. Magar...! Woh tumhara kabhi dil se bura nahi chaahega. Iss baat ki pratyabhuti mein leti hu. Fir chaahe mein rahu ya na rahu.
Aur isliye mein ye diary likh rahi hu. Umeed hai jaane se pehle mein isme harr woh baat likh paungi jo tumhari zindagi me madad karengi.
Agar tum ye diary padh rahi hogi, toh zaahir hai meri maujoodgi ab waha nahi hogi. Aasha karti hu tum safalta ki uchaaiyo ko choom rahi hogi. (^‿^)
Kaera! Harr ek shabd dhyaan se padhna. Ho sakta hai tumhe iss diary ki zaroorat hi na pade. Mein khamakha chintit ho rahi hu. Lekin, Maa hu. Ek bhi mauka haath se jaane nahi dena chaahti jaha mein tumhare liye kaam aa saku.
Isliye...! Agar tumhe zaroorat pade, toh bas iss diary ko padh lena. Inme mene mool bhavnao ko tumhare ateet ke saath mila kar samjhaya hai.
Khushi!
Duniya ka harr ek vyakti ise paane ke liye marta hai beti. Ye kya hoti hai? Kya sirf muskurana khushi hai? Nahi beti!
Ek baar ki baat hai. Tum nanhi si thi. ^_^
Aur school me tumhara ye pehla result tha. Mujhe aaj bhi yaad hai tum meri ungli pakad ke mere saath school gayi thi. Tumhara jab result aaya tha tab tumhe nahi pata tha ki kya ho raha hai.
Mein toh behad khush thi result se. Lekin, tumhari samajh me kuch nahi aa raha tha. Haha! (✿^‿^) Tum bas taktaki lagaaye hume apni pyaari aankhon se ghoor rahi thi. Tum me utni samajh hi nahi thi.
Magar, jab teacher ne tumhe chocolate de ke shabashi di, tab tumhare hontho par muskaan bikhri thi. Tumhe samajh aa chuka tha ki tumne kuch accha kiya hai.
Aur yahi...! Asli khushi hai meri bacchi.
Jab aap mehsoos karo ki aap apni zindagi apne tareeqe se jee rahe ho. Na ki kisi ke dabaav me.
Jab aap samay ke bahaav ke saath behte jao, apni kismat par bina koi krodh jataate hue.
Jab mehsoos hoye ki zindagi ki paristhitiya acchi hai.
Jab aap dusro ke saath acche sambandh rakho aur unka aanand lo.
Jab kuch paane ke liye kadi mehnat karo aur use paa lo.
Inn sab ke parinaam, khushi leke aate hai bacchi. Ise yaad rakhna.
Nirasha!
Khushiyo ke saath, dukh bhi hamesha zindagi me aate rahenge beti. Par ghabrana nahi. Nirasha kab hoti hai? Kya tumhe pata hai?
Jab tumhara premi ya khaas dost tumhe asweekriti ya dhoka de.
Kisi khaas dost ya premi ko alvida kehna.
Jab koi parinaam mann ke mutabik na aaye.
Koi khaas jab guzar jaaye aur unki yaadein aapko unki yaad dilaaye.
Ye sthitiya nirasha leke aati hai.
Tumhe shayad yaad na ho. Lekin, jab tum first class me thi na. Tab, hum sab tumhari Nani ke ghar gaye the. Tumhare Nana ji duniya se jaa chuke the. Tumhe yaad bhi nahi tha ki tum unse mili ho ya nahi. Lekin, fir bhi tum unke shav ko dekh zorr zorr se ro rahi thi.
School me kisi se jhagda hona ho ya fir tumhari khaas dost Ava, Sonia se tumhara lad jaana. Tum roti thi. Kyuki tumhe ehsaas tha ki kisi apne se tumhara mann bhed hua hai.
Ye niraasha hai Kaera! Yaad rakhna!
Krodh!
Gussa kab aata hai? Tumhe bhi bachpan me kabhi kabhi behad gussa aata tha.
Jab lage ki tumhara raasta rok diya gaya hai.
Jab lage ki koi anuchit ya galat tareeqe se pesh aa raha hai.
Jab tumhari apni cheez koi dusra tumse chhinaane ki koshish kare.
Jab lage ki koi niji jeevan me hastakshep kar raha hai.
Jab mehsoos ho ki kisi apne ko thes pohuchayi jaa rahi hai.
Jab na-insaaf ho.
Jab dhoka, asweekriti mile.
Jab koi tumhari niji aur samajik seemaaye ko laangh jaaye aur apne matlab ke liye kuch haasil karna chaahe.
Ye paristhitiya krodh ko jagaati hai. Aise waqt pe hamesha thande dimaag se kaam karna Kaera. Mujhe vishvas hai tum sahi nirnay hi logi.
Bachpan me, ek baar Sonia ne tumhara mann pasand khilauna le liya tha. Tumne uss bechari ke baal kheench ke use rote hue ghar bhaga diya tha. Ye krodh hai.
Aur ye kabhi bhi accha nahi hota. Jab bhi krodh aaye, hamesha sabse pehle khud ko shaant karne ki koshish karna. Mujhe poori umeed hai tum ye kar logi.
Darr!
Tum kabhi bhi bhoot preto ki film se dara nahi karti thi. Unhe dekhna tumhara shauk tha. Mujhe yaad hai. ^_^
Lekin...! Tumhare do asli darr hai beti. Ek baahri darr aur ek andhruni.
Baahri darr hai~ Rejection!
Meri beti ho tum! Proud ho tum khud par, tumhari apni pride hai. You are the Queen my love. Toh rejection kaise le sakti ho? Aur isliye, tum darrti ho.
Andhruni darr hai tumhara~ Claustrophobia.
Ek doctor ne mujhe ye baat batayi thi. Ek baar ki baat hai jab hum sab tumhare papa ke acche business ki safalta ki kaamna ke liye shirdi gaye hue the.
Aneko mandiro me humne darshan kiye the. Waha se nashik bhi jaana hua. Waha ek mandir tha jaha par ek gufa thi. Neeche jaati hui gehri gufa. Tum darr rahi thi. Jab hum sab neeche gaye, toh waha aur bhi log maujood the.
Jagah kam aur log zyada hone ki wajah se waha ghutan si mehsoos karne lagi thi tum. Aur, rone lagi. Gehri saansein lete hue, baahar aate hue tum achanak hi behosh ho gayi thi. Meri saansein hi atak gayi thi tumhari haalat dekh.
Daudte bhaagte hum tumhe doctor ke paas le gaye the. Aur, tab usne hume ye bataya tha ki aapki beti ko Claustrophobia hai.
Lage jab koi kaam theek se na hone waala ho.
Bhavishya ke parinaam ke baare me jab negative way me socho.
Ye sab darr paida karta hai bacchi! Kabhi bhi...! Kaisi bhi paristhiti zindagi me aaye. Darrna mat. Darr tum par shobha nahi deta. Tum meri beti ho!
Ghrina!
Tumne kabhi kisi se ghrina nahi ki. Kyuki tumhare papa harr woh cheez tumhe laa ke dete the jo auro ke paas nahi hoti thi. Aksar, bacche tumse ghrina kiya karte.
(^_^メ)
Magar ek baar tumhe bhi jalan hui thi. Nafrat bhi karne lagi thi tum. Aur gussa bhi aaya tha tumhe.
USA hum sab revisit karne gaye the. Meri shadi ke honeymoon ke baad ye dusri baar tha jab mein waha jaa rahi thi.
Karan aur tumhari, garmiyon ki chhutiyaan lag chuki thi. Hum sab waha ek kamre me ruke hue the.
Tumhare papa ke ek mitr unse milne aaye the. Aur unke sang unka ladka, Prince bhi tha jo tumhari hi hum-umr ka tha.
Tum dono hi ek dusre ko ye bataane me lage hue the ki 'mere papa ke paas zyada paisa hai.'
Haha! (^^)
Aur isi jhagde me uss ladke ne apne papa ke ek helicopter ka zikr kar diya tha.
Jo uss waqt hamare paas nahi tha. Pehli baar tumne use jalan ki bhaavna se dekha tha. Nafrat bhi thi tumhari aankhon me. Aur gussa bhi. Badle me tumne uske bhi baal kheench diye the. Fufu~ (^^)
Ye jalan hai Kaera. Ghrina! Jab bhi aisa mehsoos hoye toh hamesha yaad rakhna ki kisi aur ke paas kya hai, kitna hai...! Farq nahi padta.
Farq padta hai ki woh uss kitne me se sansaar ke uddhaar ke liye kitna de raha hai. Agar woh adhik saksham hai, toh use adhik dayavaan bhi hona chahiye.
Kabhi ye mat dekhna ki kiske paas adhik dhan hai. Ye dekhna ki kiske paas kitna hai, aur woh utne me se kitna dene ke liye tatpar hai. Tumhe tumhara jawab mil jayega.
Mene tumhe mool bhavnao ke baare me samjha diya hai beti. Iske aage bas kuch yaadon ke baare me likhungi jo hum sabne saath guzaari hai. Umeed hai ye diary tumhare kisi kaam toh aayegi. Agar na aaye, toh bas apni iss maa ki akhiri nishani samajh ise rakh lena.
Iske aage sab kuch Archana ki lekhni me kuch puraani yaadon ke kisse the.
*Tip*
Kaera ki namm aankhon se apne aap aasu gir uss diary ke panno par gir rahe the. Naina beh rahe the. Jhar rahe the.
Use nahi pata tha ye sab kyu ho raha tha magar woh chaah ke bhi inn aasuo ko rok nahi paa rahi thi.
Use turant hi samajh aaya ki woh dukhi thi.
*Flip*
Jaldbaazi me panno ko paltaate hue woh uss page par aayi jaha 'nirasha' ke baare me uski maa ne samjhaya tha. Woh firse padhna chaah rahi thi ki woh dukhi kyu thi. Ye aasu kyu beh rahe the?
Aur agle hi shan uski nazre uss line par punah tik gayi,
'Koi khaas jab guzar jaaye aur unki yaadein aapko unki yaad dilaaye.'
Padhte hi Kaera ke honth thar-thara uthe.
"M-Mamma!!!"
Jaise harr ek sawaal ka uttar maujood tha usme. Arjun jab rannbhumi me duwidha ki paristhiti me tha. Toh Shri Krishna ne unki madad ki thi.
Kuch ussi prakaar se Kaera ke liye ye diary thi. Jisme uske harr ek sawaalo ke uttar maujood the.
Itne saalo se woh zindagi ka matlab jaan'na chaah rahi thi. Aur ek diary ne uski samasyao ka hal khoj nikala. Ye diary uske liye Amrit samaan thi.
Woh raat bhar uss diary ko padhti rahi. Na hi woh soyi aur na hi usne aalas dikhaya. Poori diary usne raat bhar me padh ke samaapt kar di thi.
Jab agli subah hui, toh woh apne kamre se baahar hi nahi nikli.
Julia ne baahar se use awaaz lagayi toh pata chala ki woh office ke liye nahi jaane wali thi. Na hi koi wajah batayi Kaera ne aur na hi woh baahar aayi.
Aaj ka din toh guzar gaya. Magar, Karan ko turant hi iski bhanak lag chuki thi. Woh jaldbaazi me office jaane se pehle taiyaar hoke seedha Kaera ke floor par aaya.
Karan : Where's dii?
Julia : She has shut in herself.
Karan : What???
Julia : She doesn't want to come out. She wants to be inside alone for sometime.
Karan : What? B-But why? What happened?
Julia : I don't know, Sir Karan! I'm just as clueless as you are!
Karan : B-But-! If Dad discovers this! There'll be problems. Is she okay?
Julia (nods) : She seems okay!
Karan : What about her food?
Julia : She asks me to put her food outside her door. After eating the food, she slides the empty dishes out. This is what's been happening since the last 2 days.
Karan (frowns) : Damn it!! J-Just what happened suddenly?
Woh aage badhte hue Kaera ke kamre ke ke baahar khada hua aur usne darwaza khat-khataate hue awaaz lagayi.
Karan : Diii?
*Knock* *Knock*
Karan : D-Dii? Please answer me!
Aur kuch derr baad fir andar se Kaera ki awaaz aayi.
Kaera : Yes? What is it?
Karan : Y-Ye sab kya hai di? Aap andar kyu ho? Baahar aaiye please! Bataiye! Kya hua hai?
Kaera : Mujhe...! Akelapann chahiye kuch dino ke liye.
Karan : Lekin kyu?
Kaera : Because I need it! Leave!
Karan : B-But dii-! Dad-
Kaera : I said leave!
Na chaahte hue bhi Karan ko waha se jaana hi pada. Ek umeed lete hue ki shayad jald hi uski behan baahar aaye aur sab kuch saajha kare. Magar, aisa na hua.
Khabar Kishor tak pohuch gayi. 3 din se Kaera se na toh uski koi baat hui thi aur na hi koi messages praapt hue the. Use khabar lag chuki thi ki Kaera office ke kaamo me apni upasthiti nahi de rahi hai 3 dino se.
Ghar par aate hi Julia ne sab kuch bata diya tha. Jise jaan'ne ke baad woh ek confusion me jaa chuka tha.
Kaera ne aisa pehle kabhi nahi kiya tha. Woh taajub tha ki harr baar uski anumati lene wali uski ladki aaj bina koi khabar diye aise kaise khud ko kamre ke andar band kar li?
Darwaze par aate hue usne khat-khataya,
Kishor : Kaera?
Kaera (andar se) : Yes?
Kishor : Baahar aao!
Kaera : No!
Jawaab sunte hi Kishor ki aankhein taajub me fel gayi. Peeche khade Julia aur Karan bhi ek dusre ko dekh chintan me the. Ye pehli baar ho raha tha. Kaera ne Kishor ke aadesh ko sunane se inkaar kar diya??
Kishor : Kaera??? Mene kaha baahar aao! Mujhe tumse baat karni hai.
Kaera : Leave! I need some time. I want no-one around me.
Kishor (surprised) : Tum-!!!?
Kaera : ...
Kishor : Kya mein jaan sakta hu ye sab kya chal raha hai? Andar kyu ho tum? Kya koi baat hui hai?
Kaera : Nothing! I told you! Mujhe akelapann chahiye abhi. For sometime...!
Kishor : Kisliye?
Kaera : To discover myself!
Kishor : Huh?
Kaera : I won't be coming out for few days.
Kishor : Kaera! Ye kya harqate hai? Do you have any idea how much loss your childish actions can bring to our business?
Kaera : Childish? Right! Be it childish then!
Kishor : You-!!! Kaeraaaa!!!! Baahar aao! Abhi!!!
Kaera : ...
Kishor : Kaaaaeeerraaaa!!!!
Kaera : LEAVE!!!!
Kishor hairat ke maare stabdh reh gaya. Uski beti ne aaj pehli baar ye kiya tha. Na sirf woh uski baat nahi maan rahi thi balki...! Palat ke jawab bhi de rahi thi.
Kishor (frowns) : Karan!
Karan : H-Haan Dad!?
Kishor : Kaera ki absence me tum meetings me jaoge. Clear?
Karan : M-Mein? Lekin-! Mein harr jagah dii ki tarah itna swiftly aur efficiently work nahi kar sakta.
Kishor : Sirf yahi ki meetings ki baat kar raha hu mein. Overseas jaane ki zaroorat nahi.
Karan (nods) : O-Okay!
Kishor : Julia!?
Julia : Yes Sir??
Kishor : You'll give me each and every update!
Kehte hue woh waha se tezz qadmo ke sath nikal gaya.
Julia sarr jhukaye bas dheere se 'yes' hi keh paayi. Kaera ki pal pal ki khabar dene ke kaam ab uske upar tha.
Dekhte hi dekhte kayi din guzar chuke the. Nexacom ke profits ghat rahe the. Karan apna 100% de raha tha magar...!
Woh akela kaafi nahi tha. Baaki, companies Kaera ki absence ka fayda uthate hue apna business badha rahi thi. Business opportunities ko steal kar rahi thi.
Profit ka graph nirantar gir raha tha. Aur Kaera, khud ko yu hi apne kamre me band kiye hue thi. Woh baar baar wahi diary padhti. Aur harr baar use padhte hue use aisa lagta jaise woh ye pehli baar padh rahi hai.
Aur tabhi, use ye dhyaan bhi aaya.
'I lost it!!!!'
Woh hairaan thi. She lost her virginity. Ab use uski ahamiyat ka bodh ho raha tha. Prem ke baare me bhi diary me vistaar se likha hua tha.
Ek jhatke me use woh sab yaad aane laga. Woh raat jab woh Veer naam ke yuvak se pehli baar mili thi. Uska woh nashe me hona. Veer ka use kamre me le jaana. Aur waha uss raat ka rangeen hona.
Sochte hi uski bauhe kass uthi.
Ye sab kiski badaulat hua tha...??
Veer!!!
***
Diary ko thamaane se pehle jab Veer diary ko apne ghar leke aaya tha. Toh ye wahi din tha jab Aabha ne use haafte hue paseene se tar-batar aata dekh liya tha.
Kaera ne jo kuch bhi diary me padha tha.
Woh toh usme tha hi nahi!!!
Raat ko jab Veer ne araam lene ke baad diary kholi toh diary me maatr 2-3 panne hi bhare hue the. Archana ne sirf itna hi likha hua tha. Apne baccho ke baare me.
Uske aage poori ki poori diary safed kore panno se bhari padi thi. Archana ko toh ye bodh hi nahi tha ki bhavishya me Kaera ki aisi dasha ho jayegi.
Par fir Kaera ne jo padha woh kya tha?
'Wtf? What is this?'
Veer jhunjhlate hue mann me bola. Diary bas 3 panno tak bhari thi. Baaki sab khaali tha.
[Looks like...! She wanted to write but she passed away before doing that.]
Pari ki awaaz uske mann me aayi. Aur uske vachan satya the. Archana bohut kuch likhna chaahti thi. Magar, akaal mrityu ka woh shikaar ho baithi thi. Isliye, kuch bhi likh na paayi.
Seer Vision ko istemaal karne ke baad Veer ko diary ke saath saath Kaera ki bhi kayi yaadon ke baare me pata chala tha. Kaera ka woh shirdi, nashik, USA me jaana. Aisi kuch yaadein thi jinko usne labyrinth me se badi mushqil se paaya tha.
'Wait! Meri ek baat samajh nahi aayi Pari!'
[What is it, Master?]
'Tumne bataya ki Seer Vision mujhe uss vastu ki life history dikha dega jo jo usne apne kaal me dekhi hai. Right?'
[Right!]
'Toh fir mujhe Seer Vision ka istemaal karte waqt Miss Kaera ke shirdi, ya nashik ya fir USA ke drishya kyu nazar aaye? Tab diary toh ghar par maujood rahi hogi. Ye sab drishya diary ke ird gird nahi huye. Miss Kaera toh desh ke baahar thi. Fir mein woh sab kaise dekh paaya?'
[A very good question Master. Samjhati hu-!]
'Yes Please!'
[Diary bhale hi ghar me thi. Lekin, kabhi na kabhi unn safar ka zikr toh hua hoga na Ghar me? Diary ki maujoodgi me?]
'Ahn!!?'
Veer ka muh ye sochte hi khul gaya. Woh ye kaise bhul gaya? Bhale hi diary ghar par thi. Lekin kabhi na kabhi Archana ya Kishor ne ghar par unn trips ka zikr kisi na kisi se toh kiya hi hoga.
'Matlab woh bhi include ho gaya? Seer Vision! It was insanely strong!'
[Yes! Warna aapki halat itni kharab kaise hui? It's because the skill was too strong. Legendary skills aisi hi hoti hai Master. That's the reason why it took a toll on you.]
'I see!'
Aur ab...! Sab kuch uske haatho me tha. Kaera ke Mission ke liye zyada din shesh nahi the.
'Pari!!!'
[Yes!]
'Purchase that skill! Miss Kaera ke emotions ko wapas laane ke liye, unki aur unki mom ki yaadon ko saamne laane ke liye, mujhe ye karna hi hoga.'
Aur agle hi shan,
*Ding*
['Copycat' is now available.]
Copycat! Ek aisi skill jo dusro ki lekhni ki nakal karne me saksham thi.
Yahi woh skill thi jo Veer ne Paris jaane se pehle khareedi thi. Bina iske toh kuch bhi nahi hone waala tha.
Adhure panno ko akhir wahi toh bharne waala tha. Archana ki writing 3 panno tak seemit thi. Lekin, woh teen panne kaafi the uski lekhni ki nakal utaarne ke liye.
Veer din raat, shabdo ka sahi istemaal kar uss diary ko bharne me lag gaya. Kahi se bhi usne aisa nahi lagne diya jaise ye kisi aur ke dwara likhi gayi thi.
Copycat urja bohut kheechti thi. Upar se sahi shabdo ka chayan karna aur saare bhaav saamne rakhna. Khaas kar jab aap kisi ko bhaav ke hi baare me samjha rahe ho.
Veer jo subah ko baithata, raat tak hote hote uska shareer paseene se lath-path maalum padta. Uske haath itne stats hone ke bawajood dard karne lagte. Kisi mrit vyakti ke uss zamaane se laayi gayi uski likhawat ki nakal karna, ye behad urja leta tha.
Jab tak Veer ne diary ko harr tarah se bhar nahi diya tab tak usne apna zara bhi waqt zaaya nahi kiya.
Diary ke complete hote hi, ek kaam aur bach gaya tha ab.
Veer ne diary ko khola aur apne paas rakhi chai ke cup ko dekha. Aur agle hi shan usne woh chai ka cup diary par palta diya.
[Wh-Whaaaaatttt!??]
Pari bhauchakki reh gayi. Kintu, usne agle hi pal Veer ke mann me jhaanka aur ye pata lagte hi ki Veer ne aisa kyu kiya, usne ek raahat ki saans li.
[You are so smart, Master!]
Veer ne fir paani bhi uss diary par giraya. Aur glue ka ek diluted version bana ke uske kuch panno ko aapas me jod diya. Diluted version isliye taaki nikaalne se woh araam se nikal aaye.
'Miss Kaera intelligent hai. Zara bhi unhe shaq nahi hona chahiye ki diary me ye sab abhi likha gaya hai aur diary pehle khaali thi. Ye karna zaroori tha.'
[Indeed!]
Usne fauran hi Suman ko bulaya,
Suman : Aapne mujhe bulaya Maalik? Pichle kayi dino se aap kamre ke baahar zyada aa nahi rahe ho. Sab theek toh hai na?
Veer : Hmm! Sab theek hai Suman! Mujhe tumse ek kaam hai.
Suman : Kahiye na maalik!
Veer : Ye diary pakdo!
Suman : Diary? Kiski hai?
Veer : Woh mein tumhe nahi bata sakta. Par tumhe ek kaam saunp raha hu. Kar dogi na?
Suman : Aap aadesh dijiye Maalik! Aap kab se mujhse meri anumati puchne lage? Aisa mat kiya kariye.
Veer : Umm! Ahem! A-Alright! So...! Tumhe iss diary ko upar terrace par rakhna hai. Ise sukhana hai. Khol ke mat dekhna andar kya hai aur na hi kisi ke saamne ye diary aani chahiye.
Suman : Jii! K-Kya mein jaan sakti hu isme aisa kya hai?
Veer : Suman! Ye diary meri nahi. Aur isme aisa jaan'ne laayak kuch bhi nahi hai tumhare liye.
Suman (nods) : Mein samajh gayi!
Suman ne aage koi sawaal nahi kiye. Woh apni jagah jaanti thi. Jab diary me uske matlab ka kuch nahi tha, toh uski dilchaspi turant hi samaapt ho gayi.
Veer ke aadesh anusaar usne diary ko chhat par rakh uski nigraani theek se kari. Jab tak ki woh poore se sookh nahi gayi aur chai aur glue ki gandh nahi chali gayi.
Yahi kaaran tha jo Veer ne diary Kaera ko turant nahi thamaayi thi. Kyuki woh adhuri thi.
Par Kaera...! Inn sab se anjaan thi.
Use laga ye sab uski Maa Archana dwara diya gaya tha. Balki, sachhaayi toh yahi thi ki woh sab..! Veer ke shabd the!
Ek mahina guzar chuka tha. Akhir kaar...! Kaera apne kamre se baahar aayi. Nexacom ne kaafi losses jhele hue the inn beete dino.
Julia apni miss ko baahar aata dekh turant hi uske qareeb aayi.
Julia : Miss!? Ruchika Miss is waiting for you! You are finally out!
Ruchika ne jab Kaera ko dekha toh woh chaunk uthi. Balki, Ruchika akeli nahi thi. Julia ka bhi yahi haal tha.
Kaera kuch alag si prateet ho rahi thi. Uske chehre par alag hi tej nazar aa raha tha. Pehle se kayi guna adhik. Uski aankhein pehle se zyada dhaar-daar thi.
Ruchika : Uh! M-Miss! M-Mein woh batana aayi thi ki...! S-Some of the rival companies are stealing opportunities from us. Aapki absence me kuch companies deal nahi kar rahi. Rumours are spreading that you have stepped down from your post. Rival companies ka hi kiya dhara hai yeh sab.
Kaera ki nigaahein jaise hi Ruchika par gayi, bechari Ruchika ke badan me ek sihran daud gayi.
Kaera : They dare to do that? Then let them know...! Soon! They will be dealing with their nightmare.
Ruchika (gulps) : Y-Yes!!
Kaera turant hi waha se mud neeche ki orr chal di. Ruchika uske peeche peeche daudte hue bhaagi. Aur idhar,
Julia stabdh nigaaho se bas ghatit hote hue sab kuch dekhti rahi.
Julia : M-Miss!?
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
We have completed 150 updates. Isi ke saath Crimson arc yaha samaapt hota hai. Jitne answers dene the woh arc ke ant ke pehle sab de diye gaye hai. Baaki ke uttar hum aage ke arcs me jaanenge. Business arc rahega ab. Mujhe ek outline banaani padegi uski. Toh Dil se like thok ke jaane ka aur revos rakhne ka. Target apna wahi hai. 150. Btw ye update more than 5k words ka hai.
Dhanyavaad.![]()
Nice updateMega Update
Update - 154 ~ The Prestige's Ordeal
Ab tak...
Kintu, samasya kabhi na aaye aisa kaise ho sakta tha. Jaha abhi sab kuch accha chal raha tha ki itne me hi Bhumika ko ek call aaya. Usne call receive kar jab baat suni toh uski aankhein hairat me fel gayi.
Phone cut karte hi woh Veer ko dekhi,
Bhumika : Veer!! Ek problem ho gayi hai.
Magar woh akeli nahi thi. Truck se Prachi daudte hue aayi aur jaldbazi me boli,
Prachi : Ek nahi-! Do problem hai!!
Veer : Huh!!???
Ab aage...
Kehte hai ki bhagwan jab deta hai toh chhappar faad ke deta hai. Magar, kayi baar aisa bhi hota hai ki ek musibat ki jagah kaho anek musibatein saath me hi aa jaaye.
Veer iss samay isi duwidha me tha. Ek taraf woh Bhumika ko dekh raha tha jo chinta me uske saamne khadi thi toh wahi dusri taraf Prachi ko jo food truck se nikal ke jaldbaazi me aayi thi.
Samasyao ne darwaza khat-khata diya tha. Akhir, chal kya raha tha yaha? Veer ne pehle Bhumika se hi puchna sahi samjha.
Veer : Pehle aap bataiye! Kya hua hai?
Bhumika (frowns) : Veer! Ek bohut badi problem ho gayi hai.
Veer : Hotel me kuch-!?
Bhumika (nods) : Haan!
Veer : Kya dikkat hai?
Bhumika : Woh- Woh Head Chef-!!!
Veer : Head Chef?
Bhumika : Hmm! He's very troublesome to deal with. Pehle bhi woh kayi baar aisa kar chuka hai.
Veer : Kya kiya hai usne?
Bhumika : Baaki chefs ko bhadkana. Pay increase karne ke liye. Mein pehle hi 2 baar payment badha chuki hu. Magar-!! Oh no! Firse call aa raha hai. Veer! Mujhe jaana hoga!
Veer (nods) : Ek kaam kariye. Aap pohuchiye, mein aapke peeche peeche aata hu.
Bhumika : Alright!
Bhumika jaldbaazi me daudte hue waha se apni car ki orr nikli. Par, aisi sthiti me uska akela jaana theek nahi tha. Isliye,
Veer : Arohi dii?
Arohi (nods) : Mmm~ I got it!
Woh toh jaise bina kuch kahe hi samajh gayi. Bina Veer ko jawaab diye woh waha se tezz qadmo ke saath Bhumika ke peeche peeche chal di. Aur idhar Veer ke hontho par ek halki si muskaan saj gayi. Woh fir Prachi ki orr muda,
Veer : Ab tum batao! Kya hua hai?
Prachi : W-Woh-!
Veer : Ghabrane ki zaroorat nahi. Khul ke batao!
Prachi : Okay! Actually, baat ye hai ki- Ab aap toh jaante ho ki aapke kitne food trucks hai. Magar, aap harr ek ko daily dekhne nahi aa sakte. Right?
Veer : Mmm-hmm!
Prachi : Toh aaye din workers badalte rehte hai. Koi jaata hai toh koi naya aa jaata hai.
Veer : So?
Prachi : So, hua ye hai ki- Sir! Kaushik naam ka ek ladka hai.
Veer : Kaushik?
Prachi (nods) : Hmm! Woh morning waala breakfast ka jo ek aur food truck hai usme rehta hai. Uske saath ek aur ladka hai. Uske saath wala ladka accha hai lekin ye Kaushik-
Veer : Kuch kiya hai kya?
Prachi : N-Nahi!
Veer : Toh?
Prachi : Ab ho sakta hai mein zyada soch rahi hu. P-Par Sonali di jo hai-
Veer : Sonali ka kya?
Prachi : Sir, woh Kaushik aaj kal har roz shaam ko yaha aata hai aur fir Sonali di se meethi meethi baatein karta hai.
Veer : Hmm?
Prachi : Aur Sonali di use bas daant deti hai magar- Mujhe lagta hai jaise Kaushik ki baatein unhe pasand bhi aati hai.
Veer : I see! So, what's the problem?
Prachi : Problem ye hai ki- Mujhe lagta hai ki woh Kaushik kuch theek nahi hai.
Veer : Aisa kyu bhala? Agar woh theek nahi tha toh use hire kisne kiya?
Prachi : Sonali di ne hi. Uske kaam me koi dikkat nahi hai Sir.
Veer : Fir kya dikkat hai? Behaviour?
Prachi : Haan! Ho sakta hai mein kuch zyada overthink kar rahi hu. Mujhe jo laga woh mene aapko bata diya. Mujhe woh ladka theek nahi lagta.
Veer : Theek nahi lagta as in? Kya kuch gadbad kar raha hai? Ya kar sakta hai?
Prachi : Actually-
Veer : Prachi! Tumhe hich-kichane ki zaroorat nahi. Owner mein hu. Tum kaho! Tumhara koi kuch nahi ukhaad sakta. Just say!
Prachi : O-Okay! Shayad Kaushik-
Veer : Hmm?
Prachi : Sonali di ko paana chaahta hai.
Veer : Kya Sonali ko Kaushik pasand hai?
Prachi : Shayad haan! Like woh daant lagati hai use. Seedhe muh baat nahi karti par mene unko uski baato par muskuraate dekha hai.
Prachi ki baat par Veer ko thodi hairani hui. Sonali kisi ladke ki baato par muskura rahi thi?
Use Suman ko kahi gayi apni hi baat yaad aa gayi~
'Agar woh kisi aur ko chaahegi, toh mein use jaane dunga!'
Veer ko yaad hai ki usne isi kaaran kabhi Sonali ko Suman aur Aabha ki tarah apna slave nahi maana tha. Kyuki, ho sakta tha ki Sonali use apne maalik ke roop me sweekaar na kare. Ho sakta tha ki use koi aur ladka pasand aa jaaye.
Shayad aaj woh din aa chuka tha. Veer ne ek gehri saans li.
Veer : Agar use pasand hai. Toh kya dikkat hai?
Veer ko kehte hue pata nahi kyu accha nahi lag raha tha lekin fir bhi usne keh diya. Prachi ne jab ye suna toh woh hairat me use ghoor ke dekhi.
Prachi : A-Aap ko parvaah nahi?
Veer : Hmm? Isme parvaah kaisi? Sonali ko agar koi pasand hai toh acchi baat hai na woh toh-!?
Prachi : Eh? I-I thought-!!
Bechari Prachi duwidha me fas ke reh gayi. Use laga tha ki Veer aur Sonali ke beech kuch chal raha tha isliye woh bhaagi bhaagi daud ke ye baat use bataane aayi thi. Par yaha toh aisa prateet ho raha tha jaise Veer aur Sonali ke beech kuch tha hi nahi.
Woh toh ye soch ke aayi thi ki woh unn dono ke pyaar ko bacha legi. Par-
Veer : Sonali samajhdar hai. In case kuch gadbad tumhe lagti hai toh mujhe call kar dena.
Prachi : Mene aapko abhi toh bataya. Woh ladka theek nahi hai.
Veer : Hmm! Mene sunn liya hai Prachi. Par tumhare paas abhi kuch proof bhi nahi hai. Isliye keh raha hu, kuch gadbad lage toh mujhe call kar dena. You have my number, right?
Prachi : H-Haan!
Veer : I'll leave then!
Prachi : B-But-!!
Veer uski baat sune bagerr hi food truck ki orr chal diya. Andar Sonali dishes banaane me lagi hui thi.
Toh wahi road ke uss paar ek aur food truck khada hua tha. Jisme Kaushik aur ek aur worker maujood the.
Kaushik Sonali ko dekh apne lund ko masalne me laga hua tha. Aur uska saath driving seat par baitha tha.
Worker : Dekh! Mein abhi bhi keh raha hu. Woh teri pohuch ke baahar ki ladki hai. Upar se owner ki koi rishtedar lagti hai mujhe toh. Tujhse nahi patne waali.
Kaushik : Abe, tu jaanta hi kya hai ladkiyo ke baare me. Dekhta jaa bas tu. Gaav ki chhori hai. Chaahta toh mein uss Prachi ko set kar sakta tha. Magar, woh yahi Mumbai ki hai. Uss saali ko mere upar kuch shaq sa hai.
Worker : Woh ladki samajhdar hai!
Kaushik : Lekin, ye Sonali gaav se hai. Ise sheher ka utna gyaan nahi. Ise set karna asaan hai. Saali ko chodne me kya maza aayega. Lita lita ke chodunga.
Worker : Mein abhi bhi keh raha hu. Uss se dur hi reh.
Kaushik : Kya jhandu aadmi hai bey tu? Kabhi choot maari hai?
Worker : Nahi!
Kaushik : Bas yahi toh dikkat hai tumhari. Abe jaise ek nashedi insaan bina nashe ke reh nahi sakta na? Wese hi ye lund hai. Ek baar ye choot ka swaad chakh le na toh bina choot maare nahi rehta.
Worker : Choot ke chakkar me lene ke dene bhi pad jaate hai. Aur isliye, mein apne kaam se hi matlab rakhta hu.
Kaushik : Haan toh tu wahi kar. Mere kaam me taang mat ada. Mere lund ko choot ki zaroorat hai. Agar ye set ho gayi, toh fir kehne hi kya. Naukri bhi karte raho, free ki choot bhi maarte jao. Hahahaha! Pagaar ki pagaar. Upar se food truck ke maalik ki sambandhi hai woh. Sab set hai.
Worker (sighs) : Tu jaane aur tera kaam jaane.
Kaushik apne saathi ki baato ko ek kaan se sunn dusre kaan se nikal diya. Tabhi, uski nazar Veer par padi jo Sonali ke food truck me jaa raha tha.
Kaushik : Iski maa ka- Jaldi, gaadi waha laga.
Worker : Kyu? Kya hua?
Kaushik : Abe yahi owner hai na?
Worker (squints) : H-Haan shayad-! Haan yahi hai. Veer Sir!
Kaushik : Haan toh gaadi laga waha. Turant!
Worker : Haan haan!
Kaushik ke saathi ne food truck chaalu kar aage badhaya aur U-turn lete hue woh road ke iss side par aa gaya jaha Sonali ka food truck maujood tha.
Jab tak ye log yaha aa rahe the tab tak Veer aur Sonali ke beech alag vartalaap chal raha tha.
Veer : Sab theek toh chal raha hai na?
Sonali : Hmm? Aaj tumhe itna parvaah kaise hone lagi? Aise toh kabhi jhaakne nahi aate.
Veer : Kya mein puch nahi sakta?
Sonali : Puch sakte ho! Bilkul puch sakte ho. Sab kuch tumhara hi toh hai. Jo chaahe karo! Bhala mein kaun hoti hu-?
Veer (sighs) : Mera matlab ye hai ki kahi koi gadbad toh nahi hai. Koi dikkat toh nahi hai na? Sab theek hai?
Sonali ne do pal ke liye use dekha fir muh fula ke mudte hue boli,
Sonali : Hmm! Sab theek hai!
Veer (nods) : Alright! Agar koi- Agar koi problem ho toh mujhse share kar sakti ho. Okay?
Sonali (confused) : Tumhari tabiyat toh theek hai na?
Veer : I-!! Leave it! Apna dhyaan rakhna. Aur, apne aas paas ke logo ka bhi.
Sonali : Huhh!? Kya matlab? Aaj subah subah kahi sarr bhidwa ke aaye ho kya? Kaisi behki behki baatein kar rahe ho?
Veer kuch keh paata ki itne me Kaushik apne saathi ke sang truck leke haazir tha.
Window se nikal ke hi woh haath hilaate hue chillaaya,
Kaushik : Arre! Haha! Sir! Aaj mile ho aap! Warna kabhi darshan hi nahi hue aap ke toh batao.
Uske aate hi,
'Check!'
Veer ne usko poori tarah se scan kar liya. Kahi koi gadbad nazar nahi aayi. Kaushik ek aam ladka hi tha. Thoda awara-gardi karne waala tha magar kaam uska theek tha. Koi chor, gunda, mawali nahi tha woh. Jab Veer ne ye dekha ki kahi kuch gadbad nahi hai. Toh usne ek raahat ki saans li.
Kya iska matlab Prachi bewajah hi chintit ho rahi thi?
Prachi, jo theek unke saath khadi hui thi woh Kaushik ko aata dekh ke hi tension me aa gayi.
Veer ne idhar Kaushik ke aate hi uski baat ka jawaab diya,
Veer : Ohh! Naye ho?
Kaushik : Ji Sir!
Veer : Kya naam?
Kaushik : Ji Kaushik!
Veer : Alright! Acche se kaam karna.
Kaushik : Aap fiqr mat karo Sir! Mein apna kaam poori lagan se karta hu. Lekin, aaj aap se ek permission lena chaahta hu. Umeed hai aap mana nahi karoge.
Veer : Kaisi permission?
Kaushik : Woh kya hai na, kuch dino pehle pradarshani lagi hai yahi paas me. Mujhe jaana tha zara.
Veer (nods) : Theek hai! Tum jaldi jaa sakte ho.
Kaushik : Na na na na! S-Sirf mein nahi!
Veer : Toh?
Kaushik : Ahem! Woh kya hai na! Ab akela mein kya karunga Sir waha. Saath me koi hona chahiye na? Sundar si pradarshani ko dekhne ke liye ek sundari bhi toh honi chahiye na saath me? Hai na?
Veer : Bilkul!
Veer ne keh toh diya magar uske chehre par koi bhaav nahi the. Woh Kaushik ko aise dekh raha tha jaise kisi namoone ko dekh raha ho.
[Oh my~ Look at this worthless ant! A toad wishing to eat swan meat.]
Pari ke muh se bhi Kaushik ke liye beizzati hi nikli. Do kaudi ka ladka uske Master se hi unki hi bandi ko ghumaane ki permission maang raha tha. What a joke!
Magar-
Sonali ne jab Kaushik ki baatein suni, toh woh hass padi.
'Hmm?'
[Oh! Lagta hai~ Tumne apna swaad ise nahi chakhaya. What a mistake you have made my baby~ Isliye kehti hu. Forget all this. Come to me! Surrender to me! Call me 'Mommy' and I will make you the most powerful man in this world.]
'Please stop!!!'
Veer Pari se baat karne ke mood me nahi tha abhi. Sonali ne Kaushik ki baat sunn Veer ko dekha jaise maano woh dekhna chaah rahi ho ki Veer kaise react karta hai.
Veer (sighs) : No! This is work time. Tum khud jaana chaahte ho, koi manahi nahi hai. Jaa sakte ho. Par, staff me se kisi aur ko apne sang le jaana? Ye mein allow nahi kar sakta. Shaam hone waali hai aur ab rush hours rahenge. So, it's a strict 'NO' from my side.
Veer ka jawaab sunte hi jaise Kaushik ke muh pe 12 baj gaye. Kintu, usne aisa dikhaya nahi. Farzi muskan liye woh hassa aur punah bola,
Kaushik : Hahahaha! Arre kya Sir? Subah se din tak itna toh kaam kiya hai humne. Aur mein jaanta hu, sundari ka bhi ghoomne ka mann hoga. Ahem! Mera matlab hai Sonali ji ka! *winks*
Kaushik Sonali ko hi sundari keh ke itni derr se sambodhit kar raha tha. Jiske chalte, Sonali bas nazre ferr muskuraaye jaa rahi thi. Ye ladka roz uske paas kisi na kisi bahane se aaya karta aur roz apni fizool baato se use entertain karta.
Par kahi na kahi, ab uski fizool baatein hi Sonali ko jaise pasand aane lagi thi. Galti uski nahi thi. Balki, galti kisi ki bhi nahi thi.
Gaav ki ek aam ladki hone ke kaaran, Sonali ke standards ladko ko lekar behad hi low the. Shuru se hi woh apne baap Pushpendra aur uske bete Amit jaiso ko dekhti aayi thi. Jo ek number ke nalle, jaahil, gawaar aur nashedi aadmi the.
Aisi biraadri me rehne ke baad, Sonali ko ladke me bas itna hi chahiye rehta tha ki koi use sukhi rakh sake. Uski qadr kare. Bas!! Yahi the uske standards aur uski maangein.
Veer jaisa ladka uski expectations se bhi kahi zyada tha. Upar se uski khud ki maa, aur bhabhi apni taangein fela ke apne aap ko Veer ke prati samarpit kar chuki thi. Kahi na kahi, Sonali ke antarmann me ye dhaarna thi ki Veer bhala use kyu chaahega?
Uske paas toh ladkiyo ki line lagi hui thi. Magar maajra toh kuch aur hi tha, jo bechari woh nahi jaanti thi. Kisi aur ladke ka aana aur Sonali se iss tarah rubaru hona. Ye Veer ko na jaane kyu magar zara bhi pasand nahi aa raha tha.
Kaushik ke aamantran par usne turant hi naahi jataayi,
Veer : Nahi! Sonali ko kaam hai aur woh kahi nahi jayegi.
Kaushik : Arre ye kya baat hui Sir? Thoda hamare baare me bhi sochiye!
Veer : Nahi! Mene kaha na ki Sonali nahi-
Kintu,
Sonali : Kyu nahi? Kab se mein bhi subah se lage lage thak gayi thi. Pradarshani mujhe bhi dekhni thi. Na jaane kab se nahi dekhi. Isi bahaane thodi kamar bhi seedhi ho jayegi.
Veer : S-Sonali? T-Tum!?
Sonali : Haan! Kya mein nahi thakti? Mujhe bhi ghoomne ka mann karta hai. Aur kaun sa roz roz chhutti leti hu?
Veer : Tum aise kaise-!? Mujhe abhi zaroori kaam se jaana hai. Prachi akele nahi sambhal payegi. Tum iss waqt-
Sonali : Haan haan! Mujhe pata hai! Koi kaam nahi hai tumhara! Ab T.V me aa rahe ho iska matlab ye nahi ki harr waqt vyast ho tum. Ab aaye ho toh sambhalo apna yeh truck. Jaise uss din sambhala tha!?
Kaushik : Arre waah! Hahahaha! Kya baat hai! Dekha na Sir? Sab ki hi iccha hai. Mein toh kehta hu aaj aap chhutti hi dedo. Aa jao sundari- Mera matlab hai Sonali ji! Aaiye chalte hai! Thoda ghoom ke aate hai.
Bechari Sonali ye nahi jaanti thi ki abhi abhi Bhumika ki hotel me musibat aayi hai. Woh iss baat se anjaan thi. Woh nahi jaanti thi ki Veer ko abhi jald hi nikalna tha. Woh toh yahi samjhi ki Veer koi bahana bana raha tha.
Woh Kaushik se bhi parichit thi. Ye pehli baar nahi tha jab woh uske waale truck me baith rahi thi. Jab use hire kiya tha tab bhi woh Kaushik ke sang baith ke use venues ke baare me batayi thi. Kaha food truck lagana hai, kaise kaam karna hai. Toh isme ghabrane waali koi baat hi nahi thi ki woh akeli jaa rahi hai.
Saath hi woh Veer ko tang karne me kaha peeche hatati thi? Ye nirnay lete hi woh mann hi mann thahaake laga rahi thi. Soch rahi thi ki Veer chidhega aur tu-tu main-main karega.
Yahi soch woh truck se nikli aur Kaushik ke truck me chali gayi. Prachi muh khole bas nazara dekhti rahi. Jis train ko woh sahi se chalane ki koshish kar rahi thi woh toh patri se hi utar gayi. Naiyaa dubti hui nazar aa rahi thi use. Woh Veer ko bas hamdardi liye dekhi.
Aur mann me hi sochne lagi,
'Kya kar diya ye aapne Sonali di? Aapne Veer Sir jaise ladke ko haath se jaane diya? Agar mein aapki jagah hoti, toh uss Kaushik chhapri ko ghaas tak nahi daalti. Ye kya kar diya aapne?'
Sonali idhar muskaan liye seat par baithi aur truck chaalu hoke waha se chalne laga.
Magar jaise hi uski nazre Veer par tiki toh woh ghabra uthi. Veer ke chehre par taajub bhare bhaav the.
Woh Sonali ko aise dekh raha tha jaise use pehli baar dekh raha ho. Jaise usne koi aisa kaam kar diya ho jiski Veer ko umeed hi nahi thi. Achanak hi, Sonali ke dil ki dhadkane bechaini ke chalte tezz ho uthi. Par, truck chal chuka tha.
Use ye abhaas hua ki taang kheechne ke chakkar me kahi na kahi shayad usne Veer ko thes pohucha di hai. Ye sab kya ho raha tha?
Veer ke chehre par woh bhaav usne aaj se pehle kabhi nahi dekhe the. Kya uss se koi bhul ho gayi? Kya woh zyada bol gayi?
Sonali : N-Nahi-!!! R-Ruko-!
Par tab tak bohut derr ho chuki thi. Food truck kaafi aage badh chuka tha. Aur Sonali, sheeshe se Veer ke chehre ko dekh paa rahi thi. Na jaane kyu par uske dil me ek ajeeb sa dard utha.
Ab jaise sab kuch galat lag raha tha. Ye pradarshani, ye thakaan, Veer ki taang kheechna, jaise ab sab bhul chuki thi woh. Ab jaise inka koi artha hi nahi reh gaya tha. Kyuki jise sataane ke liye usne ye kiya tha wahi use hataash hue naraazgi me dekh raha tha. Veer ki wahi akhiri chhavi uske mann me bas gayi aur ek vichitr sa dard chhodh gayi.
Truck yaha se Veer ki aankhon se ojhal ho gaya. Sonali ke andar wapas jaane ki himmat bhi nahi aayi aur na hi woh kuch samajh paayi ki ye kya hua abhi abhi. Veer ko uss tarah dekh, uske dil me itna dard kyu uth raha tha?
'Iss se pehle-! Iss se pehle mene use kabhi aise nahi dekha! K-Kahi mein kuch zyada toh nahi bol gayi na? Agar woh bura maan gaya toh-!!!'
Lekin, ab sochne se kya fayda jab chidiya chug gayi khet. Woh ye nahi jaanti thi ki aane waale pal uske liye kaise hone waale the. Uske peeche khada Kaushik apni ghatiya nazro se uske badan ko taadne me laga hua tha. Muh se laar tapakne ki deri thi bas.
'Aaj toh teri seal tod hi dunga Sonali darling!!!'
***
"Ye kya kiya aapne?"
Truck ke jaate hi Veer ke peeche se Prachi ki naraazgi bhari awaaz aayi.
Veer : Kya?
Lag raha tha jaise woh Veer se bhi kahi zyada nirash thi.
Prachi : Aapne unhe jaane diya?
Veer (turns back) : Mene unhe jaane diya?
Veer ke sawaal par Prachi maun reh gayi. Usne jaane nahi diya tha. Balki, woh sabhi khud hi chale gaye the.
Veer chaahta toh ek baar me yaha maujood ek ek ki hekdi nikaal deta. Use bas 'Intimidating Presence' equip karne ki zaroorat thi. Uska aura mehsoos kar ke hi unn sab ki bolti band ho jaati. Lekin, usne aisa na kiya.
Prachi bas saantvna liye use dekhti rahi. Veer ke dil pe kya guzar rahi thi jaise woh jaanti thi.
Woh hairaan tha. Use thes pohuchi thi. Taajub iss baat ka nahi tha ki Sonali Kaushik ke saath gayi. Taajub iss baat ka tha ki Sonali uski baat ka yakeen na kar ke Kaushik ki baat ka yakeen kar chali gayi.
Kitne mahine ho chuke the use aur Sonali ko ek chhat ke neeche rehte hue? Usne apni taraf se kya kami chhodhi thi Sonali ke liye? Dard bas yahi tha ki Sonali ne ek baar bhi uski baat pe vishvaas na kiya. Aur bina poori baat sune nikal gayi. Yahi kaaran tha jo uske chehre par aashcharya tha.
Prachi : A-Ab?
Veer : You stay here! Mujhe kuch kaam hai! Mein aata hu baad me.
Prachi : O-Okay!
Woh aage kuch na keh paayi. Veer turant hi uske hawaale food truck chhodh seedha Hotel Prestige yaani ki Bhumika aur Shweta ki hotel ki orr nikal gaya.
***
Hotel Prestige
Evening ~ 6:08 PM
"Ye sab kya laga rakha hai, haan?"
"Aur nahi toh kya? Hum sab kya bewakoof hai?"
"Arre jab nahi ho paa raha hai toh lena hi nahi chahiye na order. Kaisa management hai aapka?"
"Paisa bhar dikhta hai inhe Bhai sahab. Baaki grahak ki qadr thodi hi hai."
"Sahi kaha!"
"Mein khud aadhe ghante se wait kar raha hu. Family saath me hai. Order le liya hai magar abhi tak table par paani ka jug tak nahi aaya hai. Ab batao!"
"Ye koi dhang thode hi hai. Bhai nahi ho raha aapse toh bata do. Band kar do. Hai na? Aadmi apni dusri jagah jaaye. Usko pehle hi bata do."
"Bilkul! Bilkul!"
"Haan! Samay ki barbadi hai aise me toh-"
"Mein bhi family saath aaya hu. Ab mera order pehle de diya. Aur abhi tak baccho ka order nahi aaya. Ye kya baat hui? Matlab mein unke saamne akele akele khau ab? Aap batao bhai. Family time ka matlab kya hota hai? Aadmi hotel kyu jaata hai?"
"Bilkul! Bilkul! Parivar ke saath khaane ke liye hi toh aata hai. Par ye baat ye kaha samajhte hai-"
"Sahi kaha ji. Darasal, ye aaj kal harr hotel ka bann gaya hai. Jab jab holiday waale din rehte hai ye uss din jaan boojh ke itna rush ghuswa lete hai laalach ke chakkar me. Baad me inse manage hota nahi hai."
Kayi saare log reception area me khade ek dusre se baatein karne me lage hue the aur counter ke uss side khadi Nandini jo ki hotel ki manager thi bas ghabra ke sab kuch dekh rahi thi.
Nandini : Sir! Please! Shaanti banaye rakhiye. Dekhiye! Thodi si problem ho gayi hai. Baat samajhne ki koshish kariye. Aisa kabhi hota nahi hai. Par aaj thodi si dikkat ho gayi hai.
"Arre kya dikkat ho gayi hai?"
"Haan haan! Jab nahi ho paa raha toh pehle batana chahiye."
"Shaam ke samay me ye haal hai, socho raat me kya hoga jab dinner ke liye aur families aayengi."
"Band kar do hotel."
Nandini : P-Please Sir! Try to understand.
Nandini ne kabhi bhi iss tarah ki situation se deal nahi kiya tha. Kyuki aisi naubat kabhi aayi hi nahi thi. Par aaj na jaane kiski nazar lag gayi thi unki hotel ko.
Nandini ne apne sehyogi logo ko dekha aur public ko shaant rakhne ke liye keh ke woh fauran hi andar kitchen ki orr bhaagi.
Andar aate hi woh zorr se boli,
Nandini : Ma'am!! Ma'am baahar situation ab out of control jaa rahi hai. Manage karna ab mushqil ho raha hai. Logo ka gussa badhta jaa raha hai.
Andar Bhumika chintit nazro se use dekhi. Kitchen me saamne saare chefs aur workers apna kaam dhaam chhodh ke ek jhund bana ke khade hue the.
Unn sab ke beech me hotel ka Head Chef apni guroor bhari muskaan liye khada tha. Head Chef woh hota tha jo kitchen me saare chefs ka head hota tha. Wahi baaki chefs ko nirdesh deta tha aur hotel acchi tarah se chal sake, isme uska bohut bada yogdaan hota tha.
Magar, Hotel Prestige ke Head Chef, Narang aaj kisi aur mood me hi tha. Kareeb 40-45 ki umr ka ye aadmi apne saath saath baakiyo ko bhi apne shadiyantra me shaamil kiye baitha tha.
Narang : Mein kahe deta hu! Hamari maange poori karo warna hum sab abhi ke abhi apni naukri chhodh denge.
Bhumika bechain ho uthi. Iske pehle bhi woh do baar uss Narang ki payment badha chuki thi. Iss se zyada woh afford nahi kar sakti thi. Balki, shayad hi koi itni payment deta hoga.
Bhumika : Aapki payment mein pehle hi do baar badha chuki hu. Ye theek nahi hai. Kahi aur jaa ke dekhiye. Koi bhi aapko-
Narang : Hmph! Toh theek hai. Chale jaata hu. Yaha se acchi pagaar milne ka offer wese hi aa chuka hai mujhe.
Bhumika : Huh!??
Narang : Chalo Bhai log!!
Narang ke saath kaafi log the. Magar saare nahi. Kuch the jo abhi bhi apni pagaar se khush the aur hotel ke hit ke liye hi kaam karna chaahte the. Hotel se unka lagaav tha. Par ye log chand hi the.
Bhumika ne jab dekha ki woh log jaa sakte hai toh woh darr gayi. Woh inhe jaane nahi de sakti thi. Agar aisa hua, toh hotel ke profit ke upar bohut bada antar aa sakta tha. Nuksaan hi nuksaan ho sakta tha.
Naye chefs ko dhundhna, unhe laana, fir wapas se kaam samjhana, ye sab na jaane kitna samay le sakta tha. Uske baad taste ka change hona. Harr chef apne dhang se khaana banata hai. Jo yaha pehle se bana rahe hai, unke jaisa agla aadmi nahi bana sakta.
Prestige ki yahi toh pehchaan thi. Uska taste!! Agar chefs badal jayenge, toh woh pehle jaisa taste kaise maintain kar payenge? Signature dishes ka kya hoga jo sirf head chef hi banaaya karta hai?
Inn vichaaro ne Bhumika ko ek chakravyuh me fasa diya. Agar Shweta yaha hoti toh woh ab tak chidh ke Narang ko bhaga chuki hoti. Usme itna tolerance nahi. Magar, Bhumika ke andar tolerance level kahi zyada tha.
Bhumika (frowns) : Ye aap theek nahi kar rahe. Baahar log apne khaane ka wait kar rahe hai. Ye saari baatein aap baad me bhi toh kar sakte the na? Abhi karne ki kya zaroorat thi?
Narang : Iska faisla abhi hi hoga. Baad me taalne wala kaam mera nahi. Kyu bhai log?
"Haan haan!! Faisla abhi hoga."
Bhumika : A-Aap sab-!!! Kya zara bhi pyaar nahi aapko iss hotel se? Itne saalo tak aap sab ne kaam kiya hai. Kya kabhi aapko kisi cheez ki taqleef hone di hai mene ya Mom ne?
Uski iss baat par kuch chefs apna sarr jhuka ke khade ho gaye. Baat satya thi. Aaj tak unhe kabhi bhi kisi bhi cheez ki taqleef nahi hui thi. Pagaar hamesha samay par mil jaaya karti thi. Tyohaaro me unhe bonus bhi milta tha. Kahi se bhi koi taqleef nahi thi.
Fir woh sab kyu apni itni shaleen maalkin ke khilaaf khade ho uthe? Jawaab tha ~ Narang!
Jisne bhadka ke unhe apne side kar liya tha. Thode se behkaave me aane ke baad woh ye tak bhul gaye ki isi hotel se unka ghar chalta tha. Aaj woh usi ko laat maar rahe the. Kahi na kahi unn sab ke andar ek glaani ki bhaavna zaroor jaagi. Magar ab woh itna aage badh chuke the. Ab peeche nahi hatt sakte the.
Narang : Hume bas saaf saaf jawab de do!
Bhumika duwidha me fas gayi. Kya kare woh?
Saath khadi Arohi bhi clueless thi. Kya karti woh bechari.
Arohi : Kaash Veer yaha hota-!!!
Uske muh se ye nikla hi tha ki-
"What's happening here???"
Ek jaani pehchaani awaaz uske kaano me padi.
'Huh???'
Bhumika aur Arohi dono ne mud ke dekha toh paaya ki Veer unke saamne khada hua tha. Woh abhi abhi kitchen me aaya tha. Baahar ke staff ne use andar jaane ke liye kaha tha.
Arohi : Veeeeeer!!!
Woh aage badh unke nazdeek aaya aur Bhumika ne use sab kuch samjha diya. Pehle toh Veer hassa aur uske baad usne Narang ko dekha,
Veer : Toh tumhe jawaab chahiye? Hmm?
Narang ne upar se neeche tak Veer ko dekha. Iss ladke ko usne pehle kabhi nahi dekha tha. Jis tarah se Bhumika aur Arohi uske saath pesh aa rahi thi, Narang ne ek anumaan laga liya ki ye ladka unka koi rishtedar hi tha. Apna guroor wapas se chehre par jhalkaate hue woh bola,
Narang : Hmph! Tum jawaab doge? Kherr! Jo bhi de, mujhe farq nahi padta. Bas, haan ya naa me bata do. Payment hamari badha rahe ho ya nahi?
Veer (smiles) : Theek hai! Toh mein deta hu tumhe jawaab!
Narang : Hmm!
Veer : GET LOST!
Narang : Huh???
Bhumika : Ahhh??? V-Veeer???
Narang ko jaise apne kaano par yakeen nahi hua. Bhumika ka bhi yahi haal tha. Woh iss waqt kaise bhi kar ke unhe rokna chaahti thi. Baahar sabhi khaane ka wait kar rahe the. Aise me ye kaisa nirnay tha ki Narang ko bhaga diya jaaye?
Narang : K-Kya kaha tumne?
Veer : Mene kaha, dafa ho jao!
Narang : Haah! Haha! Hahahahahaha!
Bhumika : Veer! Tum-!?
Narang : Mujhe toh laga tha thodi bohut aqal se kaam loge. Par- Hahahahaha!!!
Veer (smiles) : Aqal se hi kaam liya hai. Aur ye aqal pehle hi dikha deni chaahiye thi.
Narang : *frowns*
Veer : How much you pay him monthly?
Bhumika : Th-That's-!!! 60,000!!!
Veer (baffled) : 60 hazaar rupaye?? Aur pehle kitna pay karti thi?
Bhumika : 45,000!
Veer : 15,000 rupaye ka izaafa!! Mujhe nahi lagta ki aas paas ke kisi bhi hotel me kisi Head Chef ki itni payment hogi.
Narang : Ladke!! Tujhe pata hi kya hai? Hmph!!! Baahar jaake dekh zara. Casa Belle waale toh mujhe khushi khushi le lenge.
Bhumika : N-Nahi!!!
Bhumika ka darr jayaz tha.
Casa Belle!!!
Haal hi me khuli ek nayi hotel jo unke hotel ke paas hi thi. Ek 5 star hotel. Bhumika ka sapna tha ki woh apni iss hotel ko 5 star hotel me tabdeel kare. Duniya ki ekdum premium hotels me uski hotel ka naam jaana jaaye. Aur isi sapne ke liye woh jee tod mehnat kiya karti thi.
Lekin, Casa Belle ke aane ke baad se hi hotel ke liye mushqile badh rahi thi. Zyada crowd abhi bhi Prestige ke paas hi tha. Magar, kya hoga agar Narang jaise chefs uske paas se chale jaaye aur jaa ke Casa Belle me kaam karne lage?
Hotel toh band hone ki kagaar pe aa jayega.
Veer bas muskuraya. Aur woh khushi khushi bola,
Veer : Darwaze khule hai! Jaa sakte ho!
Narang : T-Tum-!!!
Bhumika : Veer! Nahi! Hum aisa nahi kar sakte. Jald se jald inn sab ko rokna hoga. Baahar shor badhta jaa raha hai. Th-Theek hai mein payment badhaane ke liye-
Veer : Hargiz nahi! Ek rupaya bhi badhaya nahi jayega. Payment aapke kaam ke hisaab se ekdum sahi hai. Balki, zyada hi hai. 50,000 is a very good amount for a head chef. Not to mention ki tum kisi 5 star hotel ke chef nahi ho. Aur na hi abhi hamari hotel ek fully 5 star hotel me tabdeel hui hai.
Narang : Toh theek hai-!!! Bhaad me jao tum! Madam ji! Ab sambhal lena aap. Baad me mere paas gidgidate hue mat aana.
Bhumika : V-Veeeeer!!! Ye kya kiya tumne? P-Please! Hum unhe jaane nahi de sakte.
Narang : Hmph! Chalo Bhai log!
Usne kaha, magar pehle ke muqaable ab sirf aadhe hi log Narang ke saath aaye. Baaki aadhe peeche hoke khade ho gaye. Veer ki baato ne jaise unhe abhaas dilaya tha ki unhe jo mil raha tha woh pehle se kahi zyada tha.
Narang : Hmm? Tum sab!!! Yahi rehne ka irada hai kya? Bhulo nahi ki aise mauke baar baar nahi aate. Pagaar badhaane ka iss se accha mauka nahi milega. Ye ghatiya hotel chhodho aur chalo mere saath. Mein tum sab ko 20% zyada pagaar dilwaunga pehle ke muqaable.
Chef 1 : 20% zyada?
Narang : Haan! Chalo ab! Narang ki zubaan hai.
Chef 1 : L-Lekin-!! Nahi! Nahi hum yahi theek hai.
Narang : Tum!!! Mene kaha chalo mere saath.
Uska haath jabran thaam Narang ne jab use ghaseetna chaaha toh ek mazboot haath ne uski kalaayi ko jakad liya.
Veer : Woh kahi nahi jayega!
Narang : Ladke-!!! Haath chhodh!! Woh toh madam ke yaha itne saal kaam kiya hai isliye haath nahi uthaya tujh par. Tu hota kaun hai mujhe rokne waala? Madam ke naate mein kuch kar nahi raha warna-
Veer : Warna!? Shukr manao ki unhi madam ke chalte tum ab tak sahi salamat ho. Itne saal kaam kiya hai isliye zyada kuch kiya nahi mene warna-
Narang : Hoshiyar samajhta hai apne aap ko? Saale teri toh-
*Swish*
Wahi par rakha ek bada sa chamcha utha ke Narang ne Veer ke sarr pe chalaya par woh late tha. Ya yu kahe ki Veer uss se hazaro guna tezz tha.
Agle hi shan Narang ke haath se woh chamcha gaayab hua,
LIMBO!!!
*Crack*
*Swoosh*
Narang ko uske peeche se shirt pakad ke Veer ne uska sarr turant hi-
*Plop*
Paani se bhare ganj me de maara.
*Blurgh!!* *Gulp* *glrggh*
Bhumika : Nooooo!!! You both-!!!! Stop it Please!!!
Paani se uske chehre ko nikaal Veer use darwaze ki orr laaya aur-
*BAMMMMMM*
Darwaza zorr se khula aur ek udta hua insaan kuch feet dur jaa ke gira.
Baahar baithi tamaam janta ekdum se shaant ho gayi. Jo shikaayte woh pehle kar rahe the. Maar dhaad dekh sabke sab ekdum se dubak ke baith gaye.
Narang : L-Ladkeeee-!!! Madar-
*Bammmmmmm*
"Ugggghhh!!!"
Veer ne use pakda aur use aise le gaya jaise maano woh kooda fekne jaa raha tha.
Veer : Security!!!
Guard 1 : H-Haan!
Veer : Aaj se ye chef nahi hai. Hamari hotel me kaam toh kya, shaqal bhi nahi dikhni chahiye iski.
[What a strong performance. That's what I like about you~ A strong boy... needs a strong 'Mommy'! Doesn't he?]
'Shut up!'
[Fufufu~ Sooner or later! You'll be mine! ♡]
Narang ke saath jitne bhi the, woh Veer ko ladta dekh ke hi sehem gaye.
Veer : Aur tum sab!? Jaana nahi hai?
"N-Nahi Sir! H-Hum kaam karne taiyaar hai. Hum-"
Veer : Out!!!
"???"
Veer : Iss se pehle ki yahi haal tum sab ka hoye. Mere bina kahe hi nikal jao!
Na chaahte hue bhi unn sabhi ko waha se nikalna pada. Unhone apne hi perr par kulhadi maar li thi. Acchi bhali naukri haath se gawa di.
Ab woh sab Narang ke hi bharose the. Idhar Bhumika ki jaan jaise halak me aa gayi. Veer ne sabke saamne hi Head Chef ko nikaal diya? Ab kya hoga?
Bhumika : Khatam! Sab khatam! Veer! Kyu kiya aisa??? Ab k-kaise-!?
Arohi : Trust him!
Bhumika : Huh?
Arohi : He must have thought of something.
Bhumika : Wh-What?
Narang aur uski toli ko bhagaane ke baad Veer apne customers ke saamne aaya aur usne apni baat rakhi,
Veer : Jo kuch bhi hua. Uss sab ke liye mein aapse maafi maangta hu. Darasal, hamare Head Chef ki zyaadti badh gayi thi. Aur unhe ayeena dikhana zaroori tha. Mujhe aap sab 10 minute dijiye. 10 minute ke andar andar orders lagne shuru ho jayenge. Mein waada karta hu, aisa swaad aapne kahi nahi chakha hoga.
Uske bolte hi aapsi me logo ki khusur pusur chaalu ho gayi.
"Theek hai lao Bhai! Ab itna late toh ho hi gaya hai."
"H-Haan! 10 minute dekh sakte hai."
Manzoori milne ke baad Veer muskuraate hue kitchen me gaya. Peeche peeche Bhumika aur Arohi bhi thi. Nandini wahi baahar reh ke logo ko sambhaale rahi.
Aur idhar andar aate hi,
*Ding*
[Intimidating Presence has been equipped.]
Veer : Tum sab!!! Apna apna naam batao! Jaldi!
Bache hue chefs se jaise hi Veer ne buland awaaz me pucha sab uske aage sehem gaye. Andar se hi ek respect waali bhaavna na jaane kyu jaagrit hone lagi.
Apna apna naam unn sabhi ne bataya. Bhumika ko chinta khaaye jaa rahi thi.
Bhumika : Veer ab kya hoga? Hum kaise manage karenge? Ye nahi hona chahiye tha.
Veer : Bhumika dii!
Bhumika : ???
Veer (smiles) : Woh Narang pehle se hi naukri chhodhne ke chakkar me tha.
Bhumika : Wh-What??
Veer : Kya aapne gaur nahi kiya? Kyu woh baar baar Casa Belle hotel ka zikr kar raha tha?
Bhumika : Woh-
Veer (smiles) : Casa Belle waale logo ne pehle se hi use ghoos de di hai shayad. Narang toh bas bahana dhoondh raha tha yaha se nikalne ka.
Bhumika : Ahh!!?
Veer : Isliye woh aisi betuki farmayish rakh raha tha. Use laga tha ki aap use naukri se nikaal dogi. Aur uska kaam bann jayega.
Bhumika : Y-Ye!?
Veer (smiles) : But you were persistent. Aap use jaane nahi de rahi thi. Uske liye aur mushqil ho raha tha. And that's why he opted for violence.
Bhumika : Ahhhnn! Y-Ye baat thi!?
Veer : I fulfilled his wish. Ab shayad hi woh kabhi accha khaana bana paaye. *smiles*
Bhumika : Hmm?
Veer (smiles) : Looks like we've got a new competition in the market. Anyways! Aap sab kuch mujh par chhodh dijiye.
Bhumika : B-But how-!?
Veer (screams) : CHEFS!!!!
"Y-Yesss sirrr!!!"
Veer ne apni shirt utaar apni kamar par baandhi. Haath dhoye aur woh taiyaar tha.
Veer : Get ready!!! Bhumika dii! Arohi dii! Order numbers dijiye. Pehle woh bataiye jaha orders adhura pohucha hai. Uske baad woh orders jaha bohut derr se khaana nahi pohucha. And lastly newest ones.
Bhumika : G-Got it!!
Arohi : Veer! Table number 7!!! Umm! 1 Dal fry, 1 Veg pulav, and 1 butter paneer masala!!
Veer : Got it!!!
Uske haath itni raftaar se chal rahe the ki baaki chefs apni aankhein faade dekhte reh gaye. Kahi koi choonk nahi, sab kuch perfection se ho raha tha.
Bhumika ne jab uski speed dekhi toh uska muh khula ka khula reh gaya. Speed hona koi bohut badi baat nahi thi.
Par full accuracy ke saath speed hona, ye bilkul naamumkin jaisa tha. Kahi koi cheez gir nahi rahi thi. Tel ki maatra, pan ko saute karne ka dhang, ingredients ki maatra sab kuch jaise ekdum perfectly daala jaa raha tha.
Veer : Vijayyy!!!
Vijay : Y-Yes Chef!?
Veer : Tomato soup!!! Table number 9 ke liye. Abhi!!!
Vijay : Y-Yes Chef!!!
Veer : Toasted bread piece daalna mat bhulna!!
Vijay : Y-Yes!!
Veer : Coriander ki garnishing!!!
Vijay (shouts) : Yessssss Chef!!!
Veer : Rohitttt!!!!
Rohit : H-Haan??
Veer : Same table!!! Dry Manchurian!!
Rohit : Y-Yess Chef!!!
*Clang* *Schling*
Bartano ki khat-pat awaazo ke saath aur chaaku chhuriya ki dhaar ke sang Veer ne kitchen me ek alag hi aura bhar diya.
Baaki chefs Veer ki skills dekh, uss se order lete hue itne motivate ho gaye ki woh harsho-ullas ke saath khaana banaane me jutt gaye. Asli swaad tabhi aata hai jab ek chef dil se khushi khushi uss khaane ko banaaye. Aaj wahi ho raha tha.
Bhumika ne aisa drishya pehle kabhi nahi dekha tha. Veer ko kaam karta dekh, uski dhadkane tezz ho uthi. Sach kehte hai. Ek mard sabse zyada attractive tab hi lagta hai jab woh apne kaam me leen ho.
Woh yaha uss Narang ki payment badhaane ke chakkar me thi. Aur yaha Veer ne ek jhalak me uske shadiyantra ko pakad liya tha.
Bhumika : I have so much yet to learn...! M-Mein use samajh nahi saki theek se.
Arohi (smiles) : That's okay! As long as you keep faith in him!
Bhumika (smiles) : I see now! Thank you! Arohi!
Arohi (smiles) : Mmm~
Baahar jaise jaise dishes aati gayi, logo ke mann se woh doubt khatam ho gaya. Jaise jaise unhone khaane ka swaad chakha sab ke sab chakit reh gaye. Baat sahi thi. Aaj tak unn sabhi ne iss tarah ka swaad nahi chakha tha. Dishes toh same hi thi. Lekin, ek naya zaayka tha usme. Kuch extra tha. Jo woh bata nahi paa rahe the.
Akhir kaar ye silsila khatam hua. Raat ke 10:30 baj rahe the. Rush samaapt ho chuka tha. Veer ne aaj se pehle kabhi itna khaana nahi banaaya tha.
Garmi ke chalte woh poora paseene se lath-path tha. Hotel ke baahar closed ka sign lag chuka tha.
Dining area me hi woh ek kursi par AC ke neeche baith gaya.
Uske bagal se Arohi thi toh wahi dusri orr Bhumika.
Arohi ne ek towel lete hue uska paseena pochha.
Veer (smiles) : Thank you!
Arohi : Thank you!
Veer : Hmm?
Arohi : For working this hard!
Bhumika ne achanak se uski baah ko apne haatho ke ird gird liya.
Veer : ???
Bhumika : Veer! Aaj sab ne khaane ki itni zyaada tareef ki hai ki mein tumhe bata nahi sakti. Aisa pehle kabhi nahi hua.
Veer : Haha!
Bhumika : No doubt woh Narang accha khana banaata tha. Lekin, kabhi bhi public aise react nahi karti thi. Jo kuch bhi tamasha aaj hua, uss se public darr bhi gayi thi. Isliye mene unhe Sunday ka special offer ka coupon bhi diya hai. Umeed hai ye swaad chakhne ke baad woh zaroor ayenge.
Veer : Of course!
Bhumika (frowns) : L-Lekin-! Ye toh sirf aaj ke liye tha. Aaj tumne madad kar di. Aage kya hoga?
Veer : Don't worry! Aapke liye mene naya head chef bhi dhoondh liya hai.
Bhumika : Kya??? Kaun hai woh?
Veer (smiles) : You'll know soon!
Woh aankhein band thodi derr khud ko durust karne laga jab,
*Puch*
'Huh?'
Do narm honth uske gaal par lag gaye. Bhumika ne sharmaate hue uske gaal ko chooma.
Bhumika (blushes) : Th-Thank you so much!!!
Veer : Ahem! D-Don't mention it!
***
Yaha toh sab nipat chuka tha. Magar inn beete ghante Sonali kaha thi?
Food truck se nikalne ke baad woh Kaushik ke sang pradarshani dekhne gayi thi. Khayaal toh use Veer ka hi aa raha tha.
Kintu, Kaushik ki lagataar baato ko sunn aur pradarshani me mauj masti kar uska dhyaan Veer par se thoda hatt gaya.
Derr raat ho rahi thi. Usne aaj khoob enjoy kiya tha. Ab lautne ka samay tha.
Kaushik ka dost bhi jaa chuka tha. Ab woh khud hi gaadi chala raha tha.
Kaushik : Kya iss nacheez ke saath sundari jii ko thoda bohut bhi accha laga?
Sonali : Hahaha! Tumhari baatein betuki hai. Aur mujh par line maarna band kar do.
Kaushik : Uui maa! Pakda gaya kya mein?
Sonali : Kab ke!!! Chalo! Aur mujhe jaldi se wapas se truck par chhodh do. Prachi ab aur late nahi ruk payegi.
Kaushik : Bilkul! Bilkul!
Sonali ko raaste pata nahi the. Magar kuch na kuch mod yaad zaroor the.
Jab Kaushik ne truck dusri disha me moda toh uski bauhe kass uthi.
Sonali : Arre? Y-Ye raasta nahi hai. Woh waala mod tha.
Kaushik : Jaane dijiye na! Aaj yaha se chalte hai. Kaafi saari khubsoorat jagaahe hai yaha pe. Aapko dikhata hu.
Sonali : N-Nahi! Raat bohut ho gayi hai. Aur mujhe ab jaana hai.
Kaushik : Maaniye toh baat-!!
Sonali : Mene kaha na-!!! Ye-! Ye kya kar rahe ho tum??
Kaushik : Nahi!! A-Aaj aapko meri baat maanami padegi.
Woh uski orr mudte hue bola. Uski muskaan me iss baar hawas ke iraade jhalak rahe the.
Sonali : !!???
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Update consists of 7.3k words. Arc ne pace pakad liya hai. Second gear lag chuka hai. Baaki, like thokna nahi bhulne ka aur revos rakhne ka. Target wahi hai apna. 150. Kehna na pade baar baar. Aur saath bane rehne ka guys.
Keep supporting.![]()
Kafi axh aur light update tha. Itne bawal updates ke bad ek light update to bnta hi hai. Aur ye Ava kaha gayi ? Mari to nahi hai ye baat fix hai. Lakin bachay kisne use ? Usi Chinese ne ya kisi aur khrab system Wale ne. Ya us unknown caller ne ? Khir ye to aage hi pata chlega.Update - 151 ~ I want you!
Ab tak...
Kaera : Then let them know...! Soon! They'll be dealing with their nightmare...!
Ruchika (gulps) : Y-Yes!!
Kaera turant hi waha se mud neeche ki orr chal di. Ruchika uske peeche peeche daudte hue bhaagi. Aur idhar,
Julia stabdh nigaaho se bas ghatit hote hue sab kuch dekhti rahi.
Julia : M-Miss!?
Ab aage...
Vimaan uchaayi par apni udaan bhar raha tha. Andar Veer samet baaki sabhi baithe hue the. Kintu, kisi ne bhi Veer se abhi sawaal jawaab nahi kiye.
Bhavna ne manahi de rakhi thi. Jab tak sabhi ghar nahi pohuch jaate, tab tak koi bhi sawaal nahi honge. Ye uske sakht nirdesh the.
Tej sabse zyada icchuk thi ki woh Veer se prashn kare. Uske mann me tamaam aise sawaal the jinke uttar jaanane ke liye woh betaab thi. Khaas-kar uss Suhana naam ki aurat ke baare me. Jis se lipat ke uska bhai khada tha. Kaun thi woh?
Magar, uski jigyasa ko uski Maa ke nirdesh ne bhang kar diya. Bhavna ke iss aadesh ke baad, na hi Tej ne fir apna muh khola aur na hi Arohi ne.
Plane ki teen seats par Bhavna aur Tej Veer ke agal bagal virajman thi aur bechara Veer sandwich ki tarah unn dono ke beech me daba hua tha. Jaha Bhavna ki nazre window ke baahar ke drishya ko ghoorne me vyast thi toh wahi Tej baari-baari apne Bhai ki taraf dekh uske chehre par maujood ghaavo ko taaq rahi thi.
Crimson ke sang ghamasan ladayi ke baad Veer ko kayi saari chot bhi aayi thi. Uske ghaav bhar zaroor gaye the. Magar, nishaan abhi kaha jaane waale the. Raato raat woh nishaan gaayab bhi kar sakta tha agar woh apne appearance stat me kuch points daal deta.
Lekin, Veer ne aisa nahi kiya. Ye kayi saare sawaal khade kar sakta tha. Wese bhi, ye ghaav ke nishaan uski iss ladaayi ka saboot the. Kitne kasht utha ke woh yaha se bach ke nikla tha.
Woh inn sab ke baare me soch hi raha tha jab usne ek magazine uthayi aur use padhna shuru kiya.
Front page ki khabar ne hi use ek bada jhatka pohuchaya. Khabar thi ki ~
"Where is Natalia???"
Ava ki ek badi si photo page par chhapi hui thi.
"Singer and actress Natalia Martin disappears overnight leaving her recently found record label, 'Tunecrafts' which has a revenue of over $20 million. The actress is nowhere to be found. Police are set to go out for her investigation. DGSI is aiming towards a bigger conspiracy than it seems. Grace Martin's murder and now Natalia's disappearance. Are they somehow connected?"
Veer ke maathe par lakeere chha gayi. Ava raato raat gaayab ho gayi? Bhala kaha chali gayi? Uska mann na jaane kyu par vichlit hone laga. Lekin ye fiqr kyu ho rahi thi use? Ye jaante hue bhi ki usi Ava ne use dhoka diya tha.
Tunecrafts!
Ava ka khud ka haal hi me khola gaya ek record label. Blue records ke sang kaam kar kar ke Ava labels ke baare me kaafi jankaar ho gayi thi. Dekhte hi dekhte usne apna hi ek record label khada kar liya tha.
Young talented singers ko jo labels sign nahi karte the, Ava ka label Tunecrafts unhe ek mauka deta tha. Ek platform pradan karta tha. Jiske chalte, dher saare talented singers uske label ki wajah se janta se parichit hote.
Ye naya record label badi jaldi hi safal maalum pad gaya. Total revenue hi $20 million ke upar ka tha. Sab kuch badhiya aage badh raha tha.
Toh aise me kaha chali gayi Ava? Itna sab kuch beech me chhor ke? Ab ye sab kiske naam hoyega? Kaun maalik banega iska? Uss se bhi bada sawaal ki akhir Ava gayi kaha aur kyu?
Veer ko ye chinta khaaye jaa rahi thi. Magar, ab kuch nahi ho sakta tha. Woh Paris se kaafi dur aa chuka tha aur saath hi system ne use koi mission bhi nahi diya tha.
Uski bauhe kass uthi. Ava ke saath harr woh guzaare pal use yaad aane lage. Chehra bhulaaye nahi bhul raha tha.
Ek gehri saans lete hue usne magazine ka panna zorr se bheench ke paltaaya toh agli khabar ne ek baar fir uski aankhein chaudi hone par majboor kar di. Kintu, iss baar use taajub tha. Khabar thi ki~
"Why is everyone talking about this model? The fashionista who set out the stage on fire last week. Check it out~""
"Recently, a new talent emerged from the abyss of the fashion world. One who is slaying the floors by her irresistible charm and beauty."
"Zoey Clarkson, is an orphan who wished to be a model in her childhood. Her dreams have come true..."
Veer ne jab poora article upar se neeche padha toh uska muh khula ka khula reh gaya. Andar se ek khushi bhi thi.
Zoey Clarkson? Ye toh wahi Zoey thi! Jisko Veer ne Nightwalker ke Mansion me bachaya tha. Wahi khubsoorti ki bala jo model bann'na chaahti thi. Jo anaath thi. Jise paiso ki sakht zaroorat thi. Veer ne Investigation department se mile saare paise usi ko toh diye the.
Thoda samay hi beeta tha uss raat ko guzre aur aaj woh ye khabar padh raha tha.
Zoey ne apna mukaam haasil karna shuru kar diya tha. Fashion ki duniya me use ek recognition mil chuka tha. Woh nirantar aage badhti jaa rahi thi.
Recent ki emerging models me uska naam sabse upar sthaan par tha.
'So, she made it! Huh!'
Veer ke hontho par muskaan saj gayi. Akhir Zoey ne woh kar hi dikhaya. Koi nude photoshoots nahi, simple body shots aur kuch face portraits. Kya sitam dhaa rahi thi woh inn photos me.
Pehle se kayi guna sundar prateet ho rahi thi. Magar-
Kya Zoey ne use call kiya hoga? Veer ke phone toh kab ka kharab ho chuka tha. Kya Zoey iss safalta ko paane ke baad use yaad rakhti hogi? Ya bhul chuki hogi?
Ek bechain sa kar dene wala yeh vichar uske mann me aaya. Par fir uss raat kahi gayi apni baat bhi use yaad aayi.
'Neki kar, dariya me daal!'
Zoey yaad rakhe ya na rakhe. Kam se kam uski thodi si madad se aaj woh ek acchi zindagi toh jee rahi thi. Veer ke liye yahi bohut tha.
Usne ek thakaan bhari saans chhori. Bagal me baithi Tej ne jab use Zoey ki photo ko nihaarte dekha toh woh puch baithi,
Tej : Kya padh rahe ho?
Veer : Hmm? Oh! Nothing! Bas aise hi-
Tej (glances) : T-Tumhe-! Tumhe aise ladkiya pasand hai? Is she your type?
Veer : Hmm? Achanak se ye sawal kyu?
Tej : Kaafi derr se tum iss page ko dekh rahe ho. Especially, iss ladki ko. You don't have to be shy about it. Mujh se toh bilkul bhi nahi. Y-You can share anything with me, you know! Any celebrity crush? Hmm?
Veer (smiles) : Aap jaisa soch rahi hai wesa kuch bhi nahi hai.
Tej : Iska matlab tumhe ye pasand nahi?
Veer ne punah Zoey ki photo ko dekha. Lag raha tha jaise Zoey ki photo use rujhaane ki koshish kar rahi thi.
Veer : Ahem! Kise pasand nahi hogi?
Tej : So you like her!?
Veer (nods) : Of course! Huh? No wait!!! Mera matlab woh nahi tha-
Tej (smiles) : Tell me!
Veer (sighs) : It's just that-!!
Tej : Hmm?
Veer : I know her!
Tej : You know her?
Veer (nods) : Hmm! Aapko pata chala hoga ki mein Las Vegas gaya tha recent me.
Tej (nods) : Mmm-hmm!
Veer : Waha par hi mein inse mila tha. Tab yeh famous nahi thi. But look at her now...! Ab woh famous hai. So, it was surprising for me!
Tej : Ohh! Ye baat hai!
Veer (nods) : Uh-huh!
Tej : So? Kya lagta hai? Kya tum ab bhi use yaad hoge?
Veer : Who knows!? At least she's having a good life now.
Tej kuch pal Veer ke chehre ko dekhti rahi. Uske baad haami bhar wapas se shaant hoke baith gayi.
Toh wahi udhar peeche ki orr se Arohi ki nazre Veer par hi tiki hui thi. Apne Dada ji ke saath baithi woh ek maa aur ek behan ke beech me adanga nahi bann'na chaahti thi.
Mann toh uska bhi bohut tha Veer ke sang baithne ka. Lekin, usne ye mauka Bhavna aur Tej se nahi chheena. Woh jaanti thi ki iss waqt unn teeno ka aapas me hona kitna zaroori tha. Aur isliye, woh Manorath ke sang yaha peeche ek kitaab khole baithi hui thi.
Dekhte hi dekhte France se chala vimaan, Hindustan ki bhoomi par padhaar chuka tha.
Veer jaise hi plane se baahar nikal airport par aaya.
Tamaam janta janardan ne use gher liya. Haatho me log phulo ki malaaye liye hue the. Yaha tak ki bade se bade rajneeti ke kuch log bhi maujood the.
Sabhi taaliyon se uska swagat kar rahe the. Ek ke baad ek sabhi uske gale me phulo ki malaaye daalte jaa rahe the.
'What the-!?'
Bhavna aur Tej bheed ke chalte Veer se alag ho gayi. Aur Veer janta ke beech me hi fasa reh gaya.
Tej : Y-Ye sab kya ho raha hai?
Arohi : Log Veer ka swagat kar rahe hai dii!
Tej : Swagat?
Bhavna (smiles) : Khabar felte derr nahi lagti.
Woh sahi thi. France me jo kuch bhi hua tha, uski khabar baahri desho tak na pohuche aisa kaise ho sakta tha?
Kitna hi kyu na prayas kiya ho France ne khabar ko seemit rakhne ka. Par pata toh chal hi jaata hai.
Jaise hi India me yaha sarkaar ko ye pata laga ki France me unka ek citizen buri saazish ka shikaar ho gaya tha aur baad me uski bahaduri ko waha saraaha gaya. Bharteeya log seena chauda kar ke uske swagat ke liye ikhatte ho gaye.
Wese hi inn sab maamlo me hamare logo ka dil bohut bada hota tha. Woh toh Veer ke ghar tak pohuch chuke the. News bhar me Veer kisi celebrity ki tarah chha chuka tha.
"Hero ki ghar waapsi" ke naam se news channels me khabre jaari ho rahi thi.
Aur, Veer inn sab se bekhabar bas confusion me dooba hua tha.
Veer : Wait! Wait! Ek minute! Arre-!?
Reporter 1 : Mister Veer! Aapke saath itna sab kuch France me hua, aap ne itna kuch saha. Kaise aap saazish me fase? Kya hua tha asal me waha?
Reporter 2 : Aap apne desh ek saazish se bach ke nikal ke aaye hai. Aapko kaisa mehsoos ho raha hai iss waqt?
Reporter 3 : Sab aapka dil se swagat kar rahe hai. Hum sabko aap par garv hai ki aapne waha ek bharteeya nagrik ka ek behatreen udaahran rakha. Kuch kehna chaahenge waha ke baare me aap?
Reporter 4 : Aap ek college student maalum padte hai. Kya apne baare me kuch parichay dena chaahenge?
Veer : Mein-!!
*Click* *Click*
Ye pehli baar tha jab Veer iss tarah cameras ki shutters aur flashlights se ghira hua tha. Aaj use samajh aa raha tha ki celebrity log kaisa mehsoos karte honge inn sab ko jhelte hue. Kahi na kahi Ava ki punah ek yaad dila gaya ye sab.
Yaha bheed-bhaad se dur roadside me lagi car se nikal ke ek javaan aurat bhaagte hue Bhavna aur anya ki taraf aa rahi thi. Ye koi aur nahi, Ragini hi thi jo Veer aur baaki sabhi ko pick-up karne aayi thi.
Woh tezz qadmo ke saath aake Bhavna ke samaksh khadi hui,
Ragini : Y-Ye sab?
Bhavna (smiles) : Mera beta famous ho raha hai.
Ragini : Huh?
Tej : Shayad! Hume kuch derr wait karna hoga.
Janta ke beech fasse Veer ko jab kuch soojh nahi raha tha toh ek baar fir-
Uski kalaayi par kisi ka haath aaya aur use kheench ke uss jamawde se baahar nikaala.
Saamne Arohi thi. Dono ki nazre ek dusre se bhidi. Aur aankhon hi aankhon me baat ho gayi. Veer uska shukrguzar tha. Arohi bhi samajh gayi ki Veer use shukriya kehna chaah raha hai. Bina shabdo ke hi baat ho gayi. Dono ne haami bhari. Iss se pehle ki public react karti-
Arohi : This way...!
Arohi ne Veer ka haath punah thaama aur bhaagte hue use apne saath leke woh seedhe Ragini aur baaki sabhi ki or jaane lagi
"Aree? Arre Sir?"
"Veer Sir! Veer Sir!"
"Veer Sir rukiye!"
Peeche pade reporters sabhi Veer ki taraf bhaage. Security kahi na kahi Veer ke hit me hi uski madad kar rahi thi. Jiske chalte Arohi aur use raasta dhoondhne me badi hi saralta mil gayi.
Ragini ne hoshiyari dikhaate hue turant hi sabko car me leke tab tak baitha liya tha. Veer aur Arohi ke aate hi,
Ek pal me usne car chalu ki aur jaise hi dono peeche baith ke andar ghuse, usne car aage badha di.
Janta bas dekhti reh gayi. Media se akhir kaar Veer ko chhutkara mil hi gaya. Woh sabhi airport se baahar nikal chuke the.
Ragini ke bagal se Manorath baithe the aage ki seat par toh wahi baaki sabhi peeche baithe hue the.
Veer ki nigaahein jaise hi mirror par padi, usne paaya ki car chalate hue Ragini pal pal use hi dekh rahi thi.
Unn aankhon me ek talab thi. Ek laalsa! Laalsa use paane ki. Dono theek se mil bhi nahi paaye. Ragini ki aankhein jaise iska shok jata rahi thi.
Veer bas muskura diya. Woh jaise sab samajh raha tha.
Tej : That was wild!
Arohi : Hmm!
Aur kuch hi shano me woh sabhi apne ghar ke saamne the.
***
*Thud*
Darwaza band kar Veer jab car se baahar aaya. Toh-
"Bhaiyaaaaaaaaa!!!!"
Gate par khadi Kavya use aate dekh seedhe uski orr daud laga di.
'Huh?'
Uchakte hue woh uski baaho me toot padi.
Veer : Kavya!?
Kavya use zorr se jakde hue uski shirt ko aise bheenche thi jaise use ab kahi nahi jaane degi.
Kavya : Jhooth bol ke gaye the na aap? *sniff* I hate you so much! Bohut gande ho aap! *sniff*
Veer : Hey hey...! *sighs*
Kavya bagal me aate hue use banaavti gusse se dekhi. Veer abhi uski baaho se azaad hi hua tha jab-
Woh firse kisi ki panaah me aa gaya. Shweta use zorr se jakde hue khadi thi. Uske vishal uroz Veer ki chaathi me dabb ke poore andar dhassne ka prayas kar rahe the. Veer ne ahista se uski peeth sehlaayi toh Shweta jaise momm ki tarah pighal ke reh gayi.
Shweta : Iss baar mujhe sab kuch jaan'na hai.
Veer (smiles) : Andar chale pehle? Ya yahi khada rakhne ka irada hai?
Uske sawaal ka jawaab Shweta ke theek peeche khadi Bhumika ne diya,
Bhumika (smiles) : Jab tak sab baari baari tumse mil nahi lenge. Tab tak tumhe yahi khade rehna hoga.
Veer (smiles) : Is that so?
Bhumika (nods) : Mmm-hmm!
Woh muskuraate hue aage aayi aur haule se uske gale se lag gayi. Dono ek dusre ki baaho me aa gaye.
Veer : Kaam kaisa raha?
Bhumika : Safar kaisa raha?
Veer (smiles) : Andar bataunga na!
Bhumika : Mein bhi andar hi bataungi na!
Uski baat par Veer dheere se hasa. Fir uski nigaahein Suman, Aabha aur Sonali par gayi. Jaha Sonali aisa dikhane ki koshish kar rahi thi jaise Veer ke aane se use koi matlab nahi tha.
Par apni iss koshish me woh nirantar asafal ho rahi thi. Uska perr ko yu hilaana, haatho ki ungliyo ko tatolna, sab darsha raha tha ki woh nervous thi. Iss halaat me use kaise pesh aana chahiye usko lekar woh chintit thi.
Veer pehle hi sab bhaanp chuka tha. Iss baar usne Sonali ki taang nahi kheechi. Aabha abhi bhi wesi hi thi. Sharmeeli aur shaant. Kehna toh kuch chaah rahi thi par sab ke saamne kehne se darr rahi thi. Isliye, shaant hoke sarr jhuka ke peeche khadi rahi.
Toh wahi Suman ne ek pal bhi zaaya nahi gawaya. Parivar me sabke milne ke baad woh turant hi Veer ki taraf aayi aur-
Zorr se use baaho me leli. Bhavna ko taajub nahi hua. Magar-
Ragini : !!!?
Shweta : S-Suman...!?
Shweta aur Ragini ki aankhein hairat me fel gayi. Harr samay 'Veer ji' kehne waali ye aurat aaj iss tarah kaise Veer se lipat gayi?
Suman se gale lagte hi Veer ko ehsaas hua ki usne kitna yaad kiya tha use. Iss badan ka ehsaas. Veer ka mann toh kar raha tha abhi Suman ke mulayam kulho ko jamm ke pakad ke nichod de. Uske rass bhare hontho ko pee le. Uske vishal thano ko blouse se azaad kar unhe choos daale.
Lekin, khud ko usne niyantran me kiya. Aur dheere se Suman ki garm peeth par ek chikoti kaati.
"Sss~"
Halki si siski bhar, sabki nazro se ye harqat chhipate hue Suman apne maalik se peeche hatt gayi.
Suman (smiles) : Mein bata nahi sakti hum sab ne aapko kitna yaad kiya hai.
Veer : Mein dekh paa raha hu. Waqai!
Lag raha tha ki sabhi se uska milan ho gaya. Par abhi jaise koi baaki tha-
Driving seat se baahar aate hue Ragini Veer ke gale se amar bel ki tarah lipat gayi. Jaise ek naagin naag ke ird gird apne badan ko lapet leti hai. Kuch usi prakaar Ragini ki baahe Veer ko kass ke jakde hue thi.
Ye drishya dekhte hi, Bhavna ki aankhein hairat me badi ho gayi. Pyaar toh sabhi uss se karte the. Par iss qadar-!?
Sandeh bhari nigaaho ko kuch shan baad unn par se hataate hue woh boli,
Bhavna : Ab andar nahi chalna?
Veer : Right! Right!
Andar aate hi sabhi fresh up hone apne apne kamre me chal diye.
***
"Toh? Kya bahana hai tumhare paas iss baar?"
Ek awaaz kamre me goonji. Ye awaaz thi Bhavna ki jo saamne baithe apne bete se sawalo ke jawaab maang rahi thi.
Veer aur baaki sabhi kapde latte badal ke khaana-vaana kha ke fursat ho chuke the.
Bhavna apne haatho me haath baandhe sofe par baith use ghoor rahi thi. Aur, Veer chup chaap aankhein moond muskura raha tha. Woh jaise jaanta tha ki ye toh hona hi tha.
Veer : Mein koi bahaane nahi dunga aapko.
Bhavna : Kyu? Kya mera beta jab yaha se jaa raha tha tab bahana bana ke nahi gaya tha?
Woh gussa thi. Use krodh itni asaani se aata nahi tha. Magar, Veer se iss baar woh waqai naraaz thi.
Veer : Nahi Maa! Mein business ke matter se hi gaya tha. Agar aapko vishvaas na ho toh mein bata deta hu. Louis naam ke bande se meri baat hui hai. Woh ek designer hai. Ho sakta hai jald hi woh mujhe join kare.
Bhavna : Designer?
Veer (nods) : Mmm-hmm! Fashion designer. Sirf food industry tak hi thodi limited rahega humara business maa!
Bhavna (frowns) : Beta! Sab accha toh chal raha hai. Tum achanak se kisi naye dhandhe me haath abhi kyu daal rahe ho? Ye sab itna asaan-
Veer (smiles) : Aap chinta kyu karti ho? Mein hu na! Kuch gadbad nahi hogi!
Bhavna (sighs) : Hmm! Agar tumhe koi bhi funding chahiye ho! Toh mein hu yaha theek hai na?
Veer : Uski zaroorat nahi maa!
Bhavna : Zaroorat kaise nahi? Bina investment ke tum ye sab kaise shuru karoge? Mein hu yaha abhi! Itna paisa mene ghar me rakhne ke liye thodi kamaya hai. Tumhe aur Tej ko jab bhi zaroorat pade. Bas mujh se keh dena! Jhijakne ki zaroorat nahi.
Usne ye baat kahi hi thi ki dining table ke paas khadi Shweta ne bhi apni baat rakh di,
Shweta : V-Veer! Mujh se bhi keh sakte ho bina jhijak ke. Mein tumhari maa hu na? Mujh se kya sharmana? Hotel jitna Bhumi ka hai, utna hi tumhara bhi hai. Jab chaahe bhumi se baat kar sakte ho.
Shweta ne ye nahi kaha ki, 'Mein BHI tumhari maa hu!'
Usne kaha ki, 'Mein tumhari maa hu!'
Ye darsha raha tha ki ab bhi uske aur Bhavna ke beech sarvashresth maa ki ye pratiyogita jaari thi.
Veer (smiles) : Aap sab khamakha chinta kar rahe ho!
Kavya jo palat palat ke idhar udhar dekh sabki baatein sunn rahi thi woh achanak hi tapaak se bol padi,
Kavya : Arreeeeeyyy! Veer bhaiya ne aap sabko baato me ghuma diya hai.
Bhavna : Huh?
Shweta : Arre Haan!
Tej : Th-That's right! Veer! Woh aurat kaun thi? Tum uske gale kyu lage hue the?
Kavya : Eh?? Aurat?
Suman : Hmm? *smiles* Ohh!
Sonali : Hmph~ Udhar bhi shuru ho gaya ye.
Veer : Woh lady jo thi wahi toh Miss Suhana thi dii.
Tej : Suhana? Ahh! Iska matlab ye wahi-!?
Kavya : Ahn! Suhana ma'am??? Arrey unhe toh hum jaante hai. Woh Holi khelne aayi thi. Abhi bhaiya Paris me the toh unse hi toh baat ki thi na humne.
Arohi (nods) : Right!
Tej : Toh tum gale kyu lage hue the unke? Kaun lagti hai woh tumhari?
Veer : Las Vegas mein unke hi saath gaya tha dii. You know that. Aap sabne Elite motors ka naam suna hai?
Bhavna : Hmm!
Tej : I know woh Elite motors unke dad ki company hai. Tumne bataya tha mujhe.
Veer (smiles) : That's right! Mister Shailendra ki do betiyaan hai. Miss Suhana badi hai aur ek unse choti hai. Jo hai Miss Sonia. Mein dono ko hi jaanta hu.
Tej : Still...
Kavya (nods) : Hmm! Hmm! Dekha na kitne khaas hai hum. Bade bade log aate jaate rehte hai humaare yaha!
Tej : Lekin, mere sawal ka jawab ab bhi nahi mila hai mujhe Veer. Tum unke gale kyu lage hue the?
Veer (sighs) : Kyuki...! Well, I was surprised to see her there. Meri aur unki bohut acchi dosti hai dii. Woh sirf mere liye waha aayi thi. Meri news ke baare me unhe pata laga hoga. Isliye, abruptly mein unke gale se jaa laga.
Tej (frowns) : Kya yahi baat hai?
Veer : Of course!
Tej : Mujhe ab bhi doubt hai ki tum Las Vegas business ke liye gaye the.
Veer : Business matter hi tha dii! Unhone business me kaafi madad ki hai meri. I'm not lying.
Tej (eyes closely) : Hmm! Okay! Wese abhi bhi puchne ke liye bohut sawal hai mere paas. But I think...! Abhi ke liye itna kaafi hai.
Veer ne ek rahat ki saans li.
Ragini : Tej! Baahar jo Rolls Royce khadi hai na?
Tej : Hmm!
Ragini : Woh-
Tej : Unhi Miss Suhana ne di hai. Right?
Ragini : Huh? Tumhe pata hai?
Tej : Hmm! Veer ne hi bataya tha. Lekin na jaane aur kya kya chhipa raha hai mujhse.
Iss se pehle ki Tej uss se aur kayi sawaal karti, Ragini ne use thaam ke andar le jaana hi theek samjha. Woh saari baatein batane wali thi aur khud bhi jaanane waali thi bohut kuch. Jaate jaate Ragini Veer ko aise ghoorte hue gayi jaise woh bhi shikayat hi kar rahi thi uss se.
Maano jaise kehna chaah rahi ho ki-
Suhana? Jeeti jaagti ye Ragini tumhare saamne hai. Ise baaho me kyu nahi dabochte?
Bhavna : Tej ke sawal bhale hi ho gaye ho. Magar mere sawal nahi hue abhi.
Bhavna ne Veer ka aaklan karte hue dekha.
Veer : Puchiye na!
Bhavna : Ye itni saari chot kaise aayi?
Arohi : I want to know as well!
Veer : Aap sab jaante hai ki mein waha Miss Ava ki madad kar raha tha.
Bhavna : Miss Ava?
Veer : Ahem! Mera matlab- Miss Natalia.
Veer ke apni baat ko correct karte hi Arohi ki nigaahein patli hoke uske upar mandraane lagi.
Bhavna (sighs) : Mein tumse zyada kuch nahi puchungi. Bas mere kuch hi sawaal hai. Tumhe bas haan ya naa me hi uttar dena hai. Tum taiyaar ho?
Veer (nods) : Sure!
Bhavna (frowns) : Kahi tum koi avedh dhandha toh nahi kar rahe?
Veer : Nahi!
Bhavna : Kya koi aise kaam me tumhara haath toh nahi jo gerr-kanooni hai?
Veer : Jii nahi!
Bhavna : Kya koi aisa maamla hai jaha tumhe lagta hai ki woh kabhi parivar ke liye musibat bann sakta hai?
Veer : That's-
Iss baar Veer ke muh se shabd nahi nikle. Kaise bataaye woh? System ki duniya thi hi aisi ki uske parivaar ke upar hamesha hi khatra mandrane wala tha. Lekin, saajha kaise kare ye baate?
Bhavna : Ye khamoshi kya batla rahi hai beta?
Veer : Chaahe kuch bhi ho jaaye. Aap sabhi bas itna dhyaan me rakhiye. Ghar parivar ke kisi bhi sadasya ke upar...! Mein koi bhi aanch nahi aane dunga.
Sunn'ne me toh kitna hi aatm-vishvaas waala vaakya tha. Kintu, Bhavna ki chinta ise sunn aur bhi adhik badh gayi. Iska matlab ye saaf tha ki Veer kahi kisi aise maamle me bhaagidar tha, jo aage chal ke parivar ke upar musibatein paida kar sakta tha.
Bhavna : Kya tum hum sabke aur samaj ke hit me hi kaam kar rahe ho? Ya koi galat raasta chuna hai tumne?
Veer (smiles) : Koi do number ka dhandha nahi hai maa. Aur na hi hoga. Mehnat se jo kuch milega, woh sab aapke saamne rakh dunga.
Bhavna, jiske maathe par gambheerta ki lakeere thi woh agle hi shan saare uttar sunn, pal bhar me gaayab ho gayi.
Woh uthi aur muskuraate hue andar jaane lagi.
Kavya : Eh? Choti Tai jii? Bas itne hi questions?
Bhavna (smiles) : Hmm!
Kavya : Par abhi toh aur kitne questions baaki hai. Jaise bhaiya waha uss musibat me kaise pade? Ye TV pe news me kya bataya jaa raha. Aur... aur-
Bhavna : Kavya!
Kavya : Mmm?
Bhavna (smiles) : Mujhe jo jaan'na tha. Woh mujhe mil gaya.
Woh ahista se muskuraate hue waha se nikli. Jaate jaate usne ek baar aur Veer ki orr dekha jo raahat ki saans le raha tha. Abhi ke liye toh woh thodi chinta-mukt thi. Magar-
Kahi na kahi ek darr andar zaroor baitha hua tha uske.
***
Dekhte hi dekhte kayi din guzar gaye. Veer ke 3rd year ke exams ka samay aa chuka tha.
Aur, yaha uske college me idhar se udhar Nidhi classroom ke andar chinta me tehel rahi thi. Usne jata toh diya tha Ragini ko ki Veer ke exams shuru hone waale hai. Par kya Ragini ne Veer ko inform kiya? Ye chinta use khaaye jaa rahi thi.
Baari baari saare students room ke andar aate jaa rahe the. Magar, Veer ka kahi koi ata pata nahi tha.
'Uski bhabhi ne... Use bataya toh hoga na? Woh phone bhi nahi utha rahi hai. Kya karu?'
Woh vyakul ho uthi.
'Mere paas aur kisi ka number bhi nahi hai. Mujhe Suman ji se number le lena chahiye tha unka. Ek minute! Sonali! Uska number toh hai mere paas-'
Nidhi mauka dekh ek sehyogi teacher ko apni class me rukne ka bol baahar nikal ke aayi aur fauran Sonali ko phone bhidayi.
Magar, uske haath nirasha hi haath lagi. Sonali food truck ke liye ghar se nikal chuki thi. Aur aise me use ghar ki koi jankari nahi thi ki Veer ghar pe hai ya college ke liye nikal gaya hai. Jab tak woh ghar me kisi aur ka number bhejti tab tak toh exam shuru ho jaana tha.
Nidhi asmanjas aur ghabrahat me abhi khadi hui umeed chhorr rahi thi jab-
"Were you looking for me?"
Peeche se aayi ek awaaz ne uske badan me sihran fela di.
Woh palti. Saamne dekha toh Veer khada hua tha. Proper college ki uniform me, apna backpack taange.
Uske hontho par chinta-mukt muskaan thi. Kahi na kahi Veer ki woh jhalak Nidhi ke dimaag me aa gayi jab Veer yu issi tarah college aaya karta tha. Tab uske chehre par ye khushi nahi jhalakti thi. Tab bas peeda aur akelapann hi uske parichay hota tha.
Par aaj-
Samay kaise badalta tha iska abhaas hua Nidhi ko.
Nidhi : V-Veer!
Veer (affectionately) : Bilkul nahi badli aap. Ab bhi wesi ki wesi hi ho!
Nidhi dherr saare prashn uss se karna chaahti thi. News usne bhi dekhi thi. Veer ab kisi celebrity se kam nahi tha. Upar iss floor tak aane me hi use aadhe 15 minute se zyada lag gaya tha. Sab uske peeche jo pade hue the. Aur isliye use derri ho gayi.
Nidhi kayi baatein karna chaahti thi. Magar ye sahi waqt nahi tha.
Woh bina kuch bole hi aage aayi, Veer ki baah ke hisse par shirt ki sleeve ko zorr se jakdi aur use kheechte hue apne saath saath le jaane lagi.
Nidhi : Jaldi! Time nahi hai. Paper shuru hone wala hai.
Veer : Woah-!
Andar aate bhi wahi haal tha. Veer ko sab aise dekh rahe the jaise celebrity ko dekh rahe ho. Khusur pusur hona shuru hui toh Nidhi ne daant ke unn sabhi ko chup karwa diya.
Pehla hi paper maths ka tha. Upar se Nidhi hi maths padhati thi aur wahi uski class teacher bhi thi aur ittefaaq se aaj wahi uski invigilator bhi thi.
Iss se badhiya aur kya hi ho sakta tha.
Veer roll number dhoondh ke apni bench par baitha toh uske bagal se baithi 1st year ki ek ladki use sharmaate hue nihaarne lagi.
Paper distribution ke kuch shan baad hi Nidhi ne exam sheets par sign karna shuru kar diye aur baari baari woh list me students ke signs bhi lene lagi.
Magar, uske mann me yahi chinta use baar baar sataaye jaa rahi thi ki akhir Veer kuch likh bhi payega ya nahi. Usne toh kuch padha hi nahi hai. Kya karega paper me?
Samay guzra aur ek ek karke sabhi apna paper deke jaane lage.
Magar Veer ab bhi baitha hua likh raha tha.
'Fuck!!! Iss question ka formula kya tha? Mein bhul gaya!!!'
Usme concepts toh clear the. Magar woh formula hi bhul chuka tha.
'Pari? Pari?'
Usne mann me awaaz lagayi. Par andar se koi awaaz nahi aayi. Jab se system upgrade hua tha. Tab se hi Pari ne ek shabd nahi bola tha. Veer nahi jaanta tha ye nayi personality kaisi thi. Woh Pari ko mehsoos kar paa raha tha. Kintu ye samajh nahi aa raha tha ki akhir Pari bol kyu nahi rahi? Kahi sleep mode me toh nahi thi woh?
Ek aah chhorte hue Veer ne sawal firse dekha.
'I don't remember the formula. But I can derive it. Right?'
Ek vichaar uske mann me aaya. Formula yaad nahi tha toh kya hua? Woh formula ko derive toh kar sakta tha.
Lekin, usme samay bhi lagna tha. Veer ne bina parvaah kiye formula derive karna shuru kiya.
Class khaali ho chuki thi. Nidhi uth ke chinta me uski bench par aayi aur uske bagal se baithi gayi. Woh bhi saath saath hi papers ko arrange karne lagi.
Nidhi (frowns) : 2 minute hi bache hai Veer. Kitna bacha hai?
Veer : J-Just a few more minutes. Formula yaad nahi tha. Toh derive kar liya.
Nidhi : Kyaaa???
Veer : Haha! Chaukiye mat! Aapne hi toh bataya tha na?
Nidhi : Y-Yes! Magar-! Ek minute! Tum toh classes attend nahi karte. Tumhe kaise pata?
Veer (smiles) : Aapki teaching style se waaqif hu.
Nidhi (frowns) : Veer! Paper me aise nahi chalega. Ye toh maths tha. Lekin, baaki subjects me aisa nahi kar sakte tum.
Veer : Phew! Finally! Ho gaya! Ye lijiye!
Veer ka paper lete hue Nidhi ne uski sheet ko shuru se ant tak dekha. Likha toh khoob tha Veer ne.
Nidhi : Check karungi tabhi pata lag payega kya kiya hai tumne. Likha toh khoob hai.
Veer (smiles) : I'll score good!
Nidhi : Mene kya kaha tumne suna na?
Veer : Ki harr subject me aisa nahi chalega?
Nidhi : Right! Marks bohut zaroori hai Veer. Tabhi next sem me jaa paoge. Ye year important hai. Tum nahi chaahoge ki tumhari kisi bhi subject me ab back aaye. Hai na?
Veer : Hmm!
Nidhi : Toh kaho ki, "I want marks!!!" Promise me ki tum acche se padh ke exams doge. Repeat after me.
Veer : Huh?
Nidhi : I said repeat after me...
! Say- "I"
Veer : I...
Nidhi : want...
Veer : want...
Nidhi : Marks!!!!
Veer (smiles) : You!!!
Nidhi : Ahnn!!!?
Nidhi ke chehre par jo haya ki parat chadhi, toh woh seedha uske kaano tak fel gayi.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Business arc ki shuruaat ho chuki hai. This update consists of 5.4k words. Hum lightly iss arc ko start karenge. Dheere dheere ye intense hota jayega. Aur jaise hi peak par pohuchega ye arc wahi finish ho jayega. Kyuki fir hum Chinatown arc me step in kar denge. So, like thokne ka aur revos rakhne ka. Target apna same hi hai guys. 150. Keep supporting.
Dhanyavaad!![]()
Kafi acha aur intresting update tha maja aaya read krne me Werewolf bhai.Update - 152 ~ Quarrel and Stay
Ab tak...
Nidhi : I said repeat after me...! Say- "I"
Veer : I...
Nidhi : want...
Veer : want...
Nidhi : Marks!!!!
Veer (smiles) : You!!!
Nidhi : Ahnn!!!?
Nidhi ke chehre par jo haya ki parat chadhi, toh woh seedha uske kaano tak fel gayi.
Ab aage...
Nidhi jaldbazi me bhaagi bhaagi fir rahi thi. Nigaahein neeche kar woh apne hi students se bina nazre milaaye baahar ko nikalti jaa rahi thi. Bechari ki dhadkane behad tez thi. Aur, uske theek peeche Veer apne jeb me haath daal muskurate hue uska peecha kar raha tha.
Aisa lag raha tha maano ek ladki apne aashiq se sharma ke bhaag rahi ho. Apni chaal ko tez kar Veer uske bagal se aaya aur dheere se budbuda ke bola taaki sirf Nidhi ko hi sunaayi de sake.
Veer : Agar aap aise hi sharmati rahi, toh kaise chalega ma'am?
Magar, Nidhi toh jaise jawab dene ke mood me hi nahi thi. Woh toh jald se jald yaha se bas nikalna chaahti thi.
Veer : Ma'am?
Nidhi : Veer! Paper khatam ho gaya hai. Next paper ki taiyaari karo. A-Aur mujhe bhi ghar jaana hai. Aise follow mat karo.
Veer : Kya mein aap ko chorr du?
Nidhi : Nahi!! M-Mein apni gaadi se aayi hu. Chali jaungi!
Veer : Kya waqai aap nahi chaahti mein aap ko chorru? Jaise hum pehle jaaya karte the?
Nidhi ke qadam tham gaye. Pal bhar ke liye use wahi puraani yaadein yaad aayi. Jab Veer uske ghar raha karta tha. Jab woh Veer ke sang uske peeche baith ke aati jaati thi. Jab woh dono lautate waqt shopping kiya karte the.
Puraane lamho ko yaad kar, Nidhi ke dil me ek garmahat paida hui. Kintu, agle shan hi-
Use ye bhi gyaat hua ki Veer uska ghar chorr ke ab apne ghar jaa chuka tha. Ye sab kuch temporary hi tha. Permanent nahi!
Woh ek gehri saans lete hue punah aage badhi. Veer uske peeche peeche hi chal diya.
Veer : Meri Juhi kaisi hai?
'Meri Juhi' sunte hi Nidhi chalte chalte hi peeche mud use dekhi,
Nidhi : Tumhari Juhi?
Ye toh bilkul aisa lag raha tha jaise ek pati apne tour se aane ke baad apni patni se apni laadli ke liye puch raha ho.
Veer (smiles) : Kya Juhi meri nahi? Mein uska maamu nahi?
Nidhi : Oh!!
Veer (smiles) : Aap ko kya laga?
Nidhi : K-Kuch nahi!
Woh fir aage badh gayi. Agal bagal se nikalte students Veer ko dekh use rokne ki koshish karte. Woh abhi khabro me jo chal raha tha. Unhe naa ka ishara kar Veer apni pyaari ma'am ke peeche chalta raha.
Nidhi jaise hi parking par apni scooty ke paas pohuchi, Veer uske bagal se aake khada ho gaya,
Veer : Mein bike se aaya hu. Chalengi nahi mere saath?
Nidhi (glances) : Veer!!!
Veer : Hmm?
Nidhi : Iss se pehle ki mein sab ke saamne tumse oonchi awaaz me kuch kahu, aur tumhari beizzati ho! Tum chale jao abhi ke abhi.
Veer : Kya aap aisa karengi mere saath?
Nidhi : Haan!
Veer : Aap badal gayi ho ma'am. Subah toh mujhe laga tha aap wesi ki wesi hi ho par...! You have changed so much.
Ek dard bhari soorat liye Veer ne Nidhi ko jab dekha toh Nidhi ko bhi jaise laga ki woh kuch zyada hi bol gayi.
Nidhi : N-Nahi! Mein-
Lekin, woh agle hi pal bhadak bhi uthi. Woh badal gayi hai? Toh Veer ka kya?
Nidhi : Mein badal gayi hu? Apne aap ko dekho Veer. Kaha hai woh purana Veer? Woh jo hasna seekh gaya tha, logo se ghulne milne laga tha, apni padhayi par dhyaan dene laga tha. Kaha hai woh Veer?
Veer : !!!?
Nidhi : Ab dekho tumhe? Call karke mujhe batana padta hai ki exams shuru hone waale hai. Harr din gayab rehte ho. Tumhari koi khabar nahi rehti. Kahi Las Vegas jaate ho toh kahi Paris. Iss baar toh seedhe news me hi aa gaye. Apne aas paas dekho Veer.
Veer : ???
Nidhi : Kya ye kahi se bhi normal hai? Kya baaki students aisi life jee rahe hai? Success ki seedhiyan ek ek karke chadhi jaati hai Veer. Tum kyu seedha akhiri seedhi par chadhne ki koshish kar rahe ho?
Veer : ...
Nidhi : Ek- Ek normal insaan ki tarah nahi jee sakte kya tum?
Aaj Nidhi ne apne mann ki baat anjaane me rakh hi di. Veer ki jo baat use niraash karti thi woh yahi thi. Veer jab uske ghar rehta tha toh woh ek normal insaan ki tarah ghul mil ke rehta tha. Magar, achanak se uska itna aage badhna, safalta itni jaldi haasil karna. Khaas kar tab jab uski ham-umr ke log ek sadharan zindagi hi vyateet kar rahe the.
Kahi na kahi, Nidhi ko ye chintit karne laga tha. Aur, jaise hi Veer uske ghar se gaya. Woh bichhadne ki anubhooti Nidhi ke zehen me bas gayi. Veer se ye judayi hi thi jo uss se sahi nahi jaa rahi thi. Magar, ye baat woh bhala kaha jaanti thi.
Nidhi : A-Aur kehte ho mein badal gayi hu???
Iss baar Nidhi ke chehre par dard tha. Usne apni bhadas baahar nikal di thi. Lekin, woh ye bhul gayi thi ki woh abhi bhi college ke parking area me hi khadi thi.
Jab aas paas se khusur pusur hone ki awaaz aayi, tab Nidhi ko hosh aaya. Waha maujood sabhi students unn dono ko ghoor ke dekh, apni apni charcha kar rahe the.
Iss baat ka abhaas hote hi ki woh kya kar baithi, Nidhi ki aankhein achambhav ke maare fel gayi. Itni badi bhul kaise ho gayi uss se? Itni besudh kaise ho gayi woh?
Woh hadbada ke apni scooty par baithi ki itne me hi-
"Bhaiyaaaaaaaaa!!!!"
Ek awaaz unn dono ke peeche se aayi.
Nidhi : ???
Veer : Huh??
Dono jab mude toh dekha ki Kavya thi jo daud ke unn dono ki taraf aa rahi thi.
Veer : Kavya!!!
Woh aayi aur seedhe Veer se chipak gayi. Kavya ke sang sang Kritika aur Arohi bhi aa rahi thi. Peeche se aake woh bhi unke saath khadi ho gayi. Arohi toh pehle hi graduate ho chuki thi. Woh sirf Kavya ko pick karne aayi thi. Kyuki, ab dono wapas se apne ghar jaa chuki thi.
Kavya : Kaisa gaya paper?
Veer : Well! Dekhte hai kya hota hai. Result hi batayega!
Veer muskuraya aur Nidhi ko ek jhalak usne dekha.
Veer : Tumhara kaisa gaya?
Kavya : Arre baba! Mera maths thode hi tha. Maths chorr ke mujhe sab acche se aata hai.
Veer : Toh Nidhi ma'am se kyu nahi tution le leti?
Kavya (smiles) : Ah! Nidhi aunty??? Aap bhi ho yaha? Hellooo~
Nidhi : K-Kavya! Hum college me hai! Please, ma'am kaho!
Kavya : Ohhh! Sorry!
Arohi : Good afternoon ma'am!!
Nidhi : Arohi! *nods* Good afternoon!
Kritika : Hello Veer bhaiya! Hello ma'am!
Nidhi (nods) : Mmm~
Veer (smiles) : Hello~ Hello Kritika! Kaash Karan bhi iss college me hota toh badhiya hota. Right?
Kritika (blushes) : W-Woh....!!!!
Yaha ye sabhi aapas me baatein kar rahe the toh wahi parking area se hi kuch duri par canteen side chair par ek ladka baith unhe bhaiyankar gusse se ghoor raha tha.
"Saala khud ko celebrity samajh raha hai. Aaj chun chun ke badla lunga. Ek baar me saale ki hekdi nikaal dunga. Iski saari popularity ko aaj iski gaand me ghusa dunga."
Woh daant meeste hue bola. Uske bagal se baithe uske dost ne pehle use dekha fir dur khade Veer ko aur fir vyakul hote hue kaha,
Ladka : Bhai Ajay! Dekh yaar woh ab famous ho gaya hai. Aisa na ho ki hum kuch galat salat uske saath kare aur maamla police tak pohuch jaaye. Abhi toh woh news me bhi aa raha hai. Ye sahi time nahi hai.
Woh thoda dara hua tha. Magar, Ajay nahi!
Jii haan! Ye wahi tha. Wahi Ajay jisne sabse pehle Veer ko college ke baahar sunsaan sadak par maara tha. Baad me Veer ne use chutiya bana ke uss se badla liya tha. Tab se hi Ajay underground tha.
Zyada matlab nahi rakhta tha kisi se. Uska bhi graduation ho chuka tha kyuki woh Veer se ek saal senior jo tha. Usne inn beeto mahino me galat sangati me rehna shuru kar diya tha. Aur sheher ki jaani maani ek gang me shaamil bhi ho chuka tha. Ab uske andar itna confidence tha ki woh wajandari patakte hue Veer ko asaani se dhool chata sakta tha. Saath hi saare college ko ye dam deke bata bhi sakta tha ki uski pehchaan kaha kaha hai.
Apna raub maarne aaya tha aaj woh yaha. Jab use pata chala ki exams shuru hone waale hai. Toh woh samajh gaya ki Veer zaroor aane waala tha. Iss se behtar mauka aur koi ho hi nahi sakta tha.
Veer se badla lena uska sabse bada maqsad tha abhi. Veer haal hi me famous hua tha. Iss se behtar samay kya hi ho sakta tha Veer ki popularity ki dhajjiya udaane ke liye?
Tamaam janta ke saamne aaj woh Veer ki image mitti me milana chaahta tha.
Ajay : Bhosdike! Jacky Bhai saath hai mere. Akkhi Mumbai me unki gang ka naam chalta hai. Police ka matter? Jacky Bhai ka police station me aana jaana laga hi rehta hai. Samjha kya?
Ladka : Par yaar...!
Ajay : Gaandu teri itni hi phat rahi hai toh tu beta nikal le. Agli baar se mujhe muh na dikhaiyo ki 'Ajay bhai aaj vilayti wali pila do.' Behanchod teri gaand maar lunga tab mein.
Ladka : Arey be! Tum toh naraaz ho gaye. Wese ye...! Jacky Bhai koi bade gunde hai kya?
Ajay : Gunde? Abey gang hai unki behanchod poori. Mumbai me unki gang ke naam se hi darrta hai aadmi. Underworld ke kaamo me zyada rehti hai gang isliye harr aam aadmi ko zyada kuch pata nahi hai gang me baare me. Chutiye kabhi underworld ki duniya me jhaank ke dekh. Tab pata chalega.
Ladka : Aisa kya!?
Ajay : Aaj iss Veer ki gaand maar lunga mein. Aaj isko pata lagega ki duniya kitni badi hai. Gaandu ne socha bhi nahi hoga ki meri pehchaan itni dur ki niklegi.
Usne phone nikaalte hue apne Jacky bhai ko call kiya, toh pata chala ki Jacky bhai apne 30-40 aadmi leke college bas pohuch hi chuke the.
Ladka : Abey security waale toh nahi rok lenge na unhe?
Ajay : Tu baccha hai kya be gaandu? Abey kattaa rakha rehta hai unke jeb me. Samjha? Aaye din toh gun badalte rehte hai. Woh do jhaatu se college ke guards unhe rokenge? Tera dimaag toh thikaane par hai?
Ladka : Bas kuch gadbad na ho jaaye.
Ye dono baatein kar rahe the ki tabhi college ki building se ek khubsoorat ladki baahar nikli. Lehraate hue ghane kaale baal jo uski peeth tak aa rahe the.
Uske peeche peeche uska chota bhai bhi aa raha tha.
Ajay ki nazar jaise hi uss ladki par padi, woh apni chair se uth khada hua.
Ajay : P-Pragya-!!!
Ladka : Yahi hai kya bhabhi jii?
Ajay : H-Haan!
Ladka : Kya baat hai bhai! Jao jao! Baat karo!
Ajay (smiles) : Aise thodi!!! Lagta hai apne chote bhai ko lene aayi hai.
Ladka : College me aa gaya launda fir bhi didi ke saath aata hai?
Ajay : Woh uska cousin hai chutiye. Jo uske ghar ruka hua hai. Yahi se padhayi kar raha hai woh. Isliye wahi drop karne aur lene aati hai.
Ladka : Waah! Behan ho toh aisi.
Ajay : Aaj Veer toh gaya! Pragya jaan jayegi ki meri kya wazandari hai!
Ladka : Sahi hai!
Veer ke peeth peeche kya ho raha tha, bina iski jankari liye woh mast apni baato me laga hua tha jab-
*Vroooom* *Vroooom*
Bikes ko race dete hue ek ek karke ek se badh ke ek bikes college campus me ghusne lagi.
Baahar ke guards ke paas hi 10 aadmi theher gaye the. Bechaare guards logo ki gaand phat gayi thi itne aadmiyo ko ek saath aata dekh ke. Upar se harr ek ke haath me kahi hockey thi toh kahi koi laathi. Toh kisi ke haath me bat.
Woh bhaybheet hote hue wahi jam ke reh gaye. Students se leke sabhi teachers jo ghar jaane ki taiyaari kar rahe the woh sab ghabra uthe.
Ye din dahaade kaun ghus raha tha college me? Launde gale me gang scarf baandhe, kuch kaano me baaliya taange, aankho par kaala chashma pehne sab ke sab tashan me achanak hi andar aa dhamke.
"Kya samaane hai be yaha toh! Hahahaha!!!"
"Aaye haaye!! College ki chhoriyaan! Ek se ek hai!! Bhai dakhila kara lu kya firse mein?"
"Chutiye tujhe lega bhi kaun?"
"Hahahahaha!!"
Unki aapas ki hasi aur oonchi awaazein poore parking area me fel gayi.
*Whistles*
Ek ne seeti maari toh ladkiya darr ke maare peeche ko hatt gayi. Pragya jo baahar aayi thi, uski bauhe nazara dekhte hi chinta me sikud gayi. Launde lapadi sabhi bikes se campus me ghus rahe the aur canteen ki orr jaa rahe the.
Toh wahi idhar Nidhi aur baaki sab ka dhyaan bhi unn gang members ne apni harqato se kheench liya.
Kavya : Ye log kaun hai? Aur andar kaise aa gaye?
Kritika : Sh-Shayad kisi ki ladaayi hui hai.
Kavya : Ladaayi?
Kritika : Hmm! Zaroor kisi ne inke kisi aadmi ko maara peeta hoga. Pakke se kuch kaha suni hui hogi. Aur ab ye log usko maarne aaye hai.
Kavya : Ahnn!!!? I-Itne saare?
Nidhi (frowns) : Baccho! Tum sab udhar mat jaana. Peeche aa jao!
Arohi : Kavya!! Veer! Peeche aa jao!
Kavya : Bhaiya!!?
Veer (smiles) : Hmm?
Kavya : Kya inn sab ko yaha se hum bhaga nahi sakte? Aise me- aise me toh woh ladka bechara marr hi jayega. Itne log agar use maarenge toh-
Veer : Oh! Meri choti behan ko chinta ho rahi hai?
Kavya : Hogi hi na! Ye sab galat ho raha hai.
Veer uski baat sunn bas muskuraya. Usne apna haath uthaate hue uske sarr par rakha.
Veer : Don't worry! Mein hu na!!!
Kavya : Ahn! O-Ok!
Pata nahi kyu, par Veer ka haath apne sarr par padte hi Kavya ke andar se jaise saara darr baahar nikal gaya. Bhale hi uski hairstyle bigad rahi thi, lekin fir bhi use Veer ka haath rakhna behad pasand aa raha tha. Ek aatm-vishvaas jaaga usme. Uske bade bhaiya uske saath the. Jab woh saath the toh darrna kaisa?
Use Bhavna ke gaav ki yaad aa gayi jaha Veer ne Harikiran ke aadmiyo se ladaayi kari thi. Kavya woh sab dekhi hui thi. Toh fir aaj darr kaise sakti thi woh?
Veer ki shirt ki sleeve thaam woh uske theek peeche khadi ho gayi.
Udhar saare laundo me ek ladka tha. Kareeban, 28-29 saal ka. Jo unn sab se alag hi prateet ho raha tha. Usko dekh ke hi lag raha tha ki wahi inn saare laundo ka leader tha.
Woh jab canteen me ghusa toh sabhi students dur hone lage aur use dekhne lage. Sab ye jaan gaye the ki aaj kisi na kisi ki shaamat aane waali hai.
Toh wahi udhar baat jab Principal tak pohuchi toh usne seedha police ko phone kar diya. Aur, woh kuch aur teachers athwa baaki staff ko leke campus me baahar aaya.
Students ki suraksha karna bhi uski ek zimmedari thi. Jab tak student uski building ki premises me hai tab tak ye uski jawabdari banti thi ki woh sahi salamat rahe.
Parantu, uski gaand tab fati jab baahar aake usne ladko ki sankhya dekhi. Inse bhidna jhagadna uske bas ki baat nahi thi. Woh bas dua karne laga ki koi bhi maar peet hone se pehle kisi tarah bas police yaha pohuch jaaye.
Idhar woh ladka yaani ki Jacky bhai apni mehngi bike se utar canteen me aaya aur ek chair par baithate hue apne dono perr table par joote sahet rakh diya.
Jacky : Kyu be? Kya naam bataya tha tune apna?
Ajay hadbadaate hue aage aaya,
Ajay : Jacky bhai! A-Ajay!!
Jacky : Abhay?
Ajay : Ajay! Ajay!
Jacky : Achhaa!!! Theek hai theek hai!
Ajay : Jacky bhai! Mein...! Woh aapke underground wali jagah par aaya tha na-
Jacky : Umm hmm!!! Kya kaha tha mene? Jagah ka zikr nahi hona chahiye! Samjha na?
Ajay : S-Sorry Jacky bhai! Mein new join kiya hu abhi.
Jacky ne Ajay ko punah dekha aur fir apne ek pantar ki orr dekha pucha,
Jacky : Kyu be? Tune liya ise?
Uska pantar jhukte hue uske kaan ki orr badha aur ahista se bola,
"Ye zidd kar raha tha. Isko 3 mahine tak rageda hai mene. Isne harr woh kaam kiya hai jo ise diya gaya tha. Chori kar ke laaya, hafta wasool ke laaya, firauti bhi dene gaya tha ek ko. Keh raha tha bas gang me rakh lo. Aur woh naya wala drugs ka maal yahi laaya tha."
Jacky ne firse upar se neeche Ajay ko dekha.
Jacky : Kyu be? Tujhe gang ki zaroorat kya pad gayi? Kisne chut maar li teri?
"Hahahahaha!!!!"
Uske ye puchte hi uske saare chele log hasne lage. Gussa toh Ajay ko behad aaya. Magar, uski gaand me itna gooda nahi tha ki woh palat ke kuch jawab de sake. Farzi muskaan liye woh bola,
Ajay : Jacky Bhai! Kaun nahi chaahega ki unke peeche aap jaise wazandar logo ka haath ho.
Jacky : Shaana banta hai?
Ajay : N-Nahi Jacky bhai! Mein bas aapki gang me aana chaahta tha.
Jacky : Ye ant-sant, aaltu-faaltu kaam hum log karte nahi hai samjha na? Woh toh teri kismat acchi thi jo hum yahi se nikal rahe the. Isiliye aa gaye. Saath hi mujhe dekhna tha ki naya maal laane waala launda hai kaun asal me.
Ajay : B-Bilkul! Bas, ye last time hi hai Jacky bhai!
Jacky : Bol! Kiski gaand maarni hai. Aaj saala haatho me khujli bhi bohut ho rahi hai.
Ajay : Thank you Jacky bhai! Aap bohut acche-
Jacky : Gaand chaatne ka mauka dunga tujhe baad me. Pehle bata kaun hai woh jisko dhona hai? Aaj toh woh kunkuna moot ke jayega yaha se.
Ajay : W-Woh raha. Waha khada hai!
Jacky adab se uthate hue aage badha. Uske peeche peeche uske pantar bhi chal diye.
Campus ke beecho beech aate hue Ajay Jacky ke peeche chal kar Pragya ko dekha. Pragya ne bhi use dekha.
Pragya : A-Ajay??
Ajay : Pragya!! Kuch nahi bas chota sa matter hua tha. Ek ladka mujh par apni dadagiri jata raha tha. Haha! Use uski jagah dikhani hai bas.
Pragya ke maathe par lakeere chha gayi. Usne apne chote bhai ko peeche kar liya. Ajay soch raha tha ki apni wazandari patakte hue uska rutba ladkiyo me badh jayega. Khaas kar Pragya ke saamne. Kya khaak badhne waala tha. Bhala Pragya jaisi ladki maar peet ko kaise badhaava de sakti thi?
Idhar Kavya ne jab ladko ko apni orr aate dekha toh woh ghabra uthi,
Kavya : Bh-Bhaiya!!! Woh sab toh idhar hi aa rahe hai.
Nidhi tension me aa gayi. Woh scooty se utar Veer ke bagal se aake khadi ho gayi. Teacher hone ke naate apne students ki dekh bhaal karna uska farz tha.
Jaise hi launde unke qareeb pohuche, Nidhi, Kavya, Kritika aur Arohi ki soorat aur jism ko dekh ke hi unke muh se laar tapakne lagi.
Unme se ek ne Nidhi ko dekha,
"Uffff! Jacky bhai!! Saali kya gori doodhiya kamar h-- ugggghhhhhhh!!!"
Abhi usne itna bola hi tha ki agle hi shan woh hawa me tha. Uske gale ko ek mazboot pakad ne jakda hua tha. Aur woh hawa me jhool raha tha.
"Ugggghh! Urrrghh! Ch-chorrr!! Uaghh!"
Veer kisi hawa ke jhonke ki tarah aage badha aur usne ek jhatke me apne ek haath se uss ladke ko gale se pakad ke utha liya.
Jaise hi ye hua, tamaam logo ki aankhein hairat me fel gayi. Veer ne use aise feka jaise woh kisi nirjeev tutre samaan ko kabaad me fek raha ho.
*Dhadaam*
Jacky ki nigaahein jaise hi Veer par padi, woh wahi jamm ke reh gaya.
Uske mann me anek vichaar aane lage,
'Isko- Isko toh kahi dekhela hai. Kaha dekhela tha? Huhhhh!!!!?'
Fir jaise woh kuch yaad karne laga. Par jab tak woh apne vichaaro me laga tha, tab tak uske chele bhala kaha shaant rehne waale the.
Ek ke girte hi woh Veer par toot pade,
"Abeeeyyyy! Aeeee!!!!! Maaro saale ko!!!"
Peeche se Ajay muskuraate hue sab kuch dekh raha tha. Soch raha tha ki ab Veer gaya.
"Haaaaaaaaaarrrgghh!!!!!"
Dherr saare ladke Veer ko jhapatne aur use maarne daude.
Kavya : Bhaiyaaaaaaaaa!!!!
Kritika : Oh no!!!
Nidhi : V-Veeeeerr!!
Arohi darr ke maare apne aas paas dekhne lagi. Principal ko dekh woh students se chhipte hue unki orr bhaagi,
Arohi : S-Sir!!! Police ko call kijiye!!!
Principal : Beta, mene kar diya hai. Woh bas aa hi rahe hai.
Arohi : Unse kahiye ki woh late hue toh gadbad ho jayegi.
Principal (teachers ko dekhte hue) : Hume students ko bachana chahiye. Kya kehte hai aap sab?
Teacher 1 : Sir! Bachana toh chaahte hai hum sab bhi. Magar...! Mujhe nahi lagta hum unke khilaaf tik payenge. Hathiyaar liye hai woh sab. Aur...! Ye unka matter hai. Police aayegi toh woh dekh legi. Mujhe students ko padhana hai. Apni taangein nahi tudwani.
Principal : *sighs*
Arohi uss teacher ko gusse se dekhi aur turant hi daud ke wapas chali gayi.
Use mehsoos ho raha tha ki kahi Veer ko kuch ho na jaaye. Lekin, jab tak woh waapas aayi, tab tak use waha woh kuch bhi dekhne ko nahi mila jo woh soch rahi thi.
Uska muh khula ka khula reh gaya jab usne dekha ki-
Veer atyant hi khatarnak raftaar me aage badh unn ladko ke jhund me hi ghus gaya. Jo drishya waha ghat raha tha. Ye sirf ek movie me hi insaan ne dekha tha. Kabhi live nahi. Par aaj woh sabhi ye live dekh rahe the.
Ek ek karke Jacky ke chele bas idhar udhar girte jaa rahe the aur dard se karaah rahe the. Veer ko inn namuno se bhidne ke liye Beowulf ki zaroorat bhi nahi thi. Advanced martial arts skill ne hi gaand maar ke rakh di thi unki. Woh toh jaise enjoy kar raha tha.
*Baaaaammmmmm*
Ek aur unme se udte hue dur jaa ke gira. Aur Veer ne uske haatho se hockey stick chhina ke apne haath me leli.
Usne zameen par woh stick itni zorr se giraayi ki uske chithde udd gaye. Jacky ke bache kuche chele iss baar 2 qadam peeche ho gaye.
Aur, Jacky ko bhi jaise yaad aa gaya. Uska badan thar-thara ke kaanpne laga. Idhar Ajay bhauchakka sa apne muh faade sab dekh raha tha. Veer itna strong kaise ho gaya bhala?
Veer ne Jacky ko punah dekha,
Veer (smiles) : Lagta hai...! Tumhare boss se milna padega.
Usne ye kaha hi tha ki Jacky turant aage badh haath jod ke uske saamne daudte hue aaya,
Jacky : S-Sirrr!! Mujhe nahi pata ki aap yaha ho. Maaf kar dena. Ye sab meri galti hai. Maaf kar dena. Mein toh uss naye ladke ke chakkar me yaha aa gaya. Warna mein toh aata hi nahi. U-Usko abhi batata hu.
Ajay : Huh?
Ajay ekdum confused saamne ghatit ho rahe drishya ko dekha. Itne me Jacky chalte hue uski orr aaya aur,
*Chataaaaaaakkk*
Poore area me ek zordaar lapaade ki goonj fel gayi. Aur fir Jacky garaj utha,
Jacky : MADARCHOD!!!! BHOSAD PAPPU!!!! TERI MAA KI CHOOT BEHANCHOD!!! CHUTIYE SAALE!!!
*Chataaaaaaakkkkk*
Ajay : Unghh!?? J-Jacky Bhai?
*Chataaaaaaakkkkk*
Jacky : BHOSDIKEEE!!! LAVDE!!! KUTTE KI GAAND!! LAPARJHANDU SAALE!!! KUCH PATA BHI HAI TUJHE YA NAHI??? MADARCHOD---!!!
Udhar bechari Kavya ka itni gaaliya sunn ke hi dimaag kaam karne band kar diya.
Kavya : Ah! K-Kutte ki kya!?
Kritika (blushes) : I-I don't know!
Ajay apna rutba badhaane aaya tha. Badh gaya uska rutba. Saare logo ke saamne woh rehepte khaa raha tha aur upar se gandi se gandi gaaliya bhi. Iss se behtar timing kya hi ho sakti thi.
Veer ne toh pehle hi Jacky ko check kar liya tha. Isliye use kuch darr hi nahi tha.
Acche se sutaayi karne ke baad, Jacky Ajay ko kheechte hue Veer ki taraf laaya aur uske perro par gira diya.
Jacky : A-Aage se aisa kuch nahi hoga Sir. P-Pakka!! Aai shapath! Y-Ye sab iske kaaran hua hai.
Ajay besudh sa Veer ke perro par dala hua tha. Aur udhar se Pragya sab kuch dekh rahi thi. Uska chota bhai excited hoke bol pada,
"Wow didi!!! Aapke college me ye sab bhi hota hai? Kya fight thi!! Mene aaj tak aisi fight nahi dekhi apni life me."
Pragya apne bhai ki baat ko sunn bohut tezz bhaagte hue Veer ke paas pohuchi,
Pragya (pants) : Excuse me!! *pants*
Veer (smiles) : Catch your breath first!
Pragya (blushes) : Y-Yes!!
Veer : So?
Pragya : Kya please...! T-Tum ise chodh sakte ho? H-He...! He was my friend.
Ajay jo sab kuch sunn raha tha, uski aankhon se ye sunte hi aansu behne lage.
He 'WAS' my friend. Ye vaakya sab darsha raha tha. Matlab Pragya ab use apna dost nahi maanti thi. Khaas kar iss harqat ke baad. Lekin, fir bhi woh uske liye ek antim baar aayi.
Veer : Aur kyu jaane du bhala mein ise? Your friendship means nothing to me! Right?
Pragya : Th-That's...!
Kabhi isi ladki ke peeche Veer ne Ajay se maar khaayi thi. Aur aaj dekho. Aaj wahi ladki uske saamne request kar rahi thi usi ladke ko bachane ke liye. Veer muskuraya aur usne Pragya ko dekh kaha,
Veer : There was a time when I used to look at you...!
Pragya : !!!?
Veer : Aur uss chakkar me iss Ajay ne mujhe college ke baahar le jaake apne dosto ke saath milke peeta tha.
Pragya : Whaaaattt?
Veer : Then, I took the revenge. I did the same to him. Lekin, akele...!
Pragya : A-Ajay ne-!!? Ye sab kiya tha?
Veer : Hmm! Aur isliye, lagta hai isne gang join ki. Mujhe firse sabak sikhane ke liye. But unfortunately, it back fired.
Pragya ko ab Ajay ko dekh ke hi ghin aa rahi thi. Aise ladke ki dost thi woh? Aise ladke ki?
Veer ne Jacky ko dekha,
Veer : Ahinda se, aisi harqate karte tum sab paaye gaye. Toh pata hai na kya hoga?
Jacky : B-Bilkul nahi Sir! Balki, aaj se saare college ki meri gang rakhwali karegi. Koi bhi galat kaam hone nahi degi.
Veer : Hmm!
Ajay ka dost jo canteen me tha, woh daudte hue aaya aur phati ke maare Ajay ko uthaate hue side le jaane laga.
Pragya : Thank you...! For sparing him..!
Veer ne bas haath hila ke ek gesture diya. Ki usne mind nahi kiya. Pragya waha se wapas laut gayi.
Veer : Aur tum sab! Iss se pehle ki police wagarah aaye, yaha se nikal jao. Aur haan! Jaane se pehle Principal aur teachers se maafi maang ke jaana. Aur woh kaha gaya jo ma'am ko dekh bhaddi baatein kar raha tha?
Jacky ne apne ek aadmi ko pakda aur Veer ko thama diya.
Jacky : Y-Ye hai! Aap maariye ise. Kameene ko pata lagna chahiye ki baatein karne ka kya tareeqa hota hai.
Veer use kheechte hue laaya aur Nidhi ke perro par gira diya.
Veer : Kuch kehna hai na tumhe?
Ladka : Mujhe maaf kardo!!! *sniff* Ab se aisa kabhi nahi karunga...! Madam jii! *sniff* Mujhe maaf kar do...! *sniff* Mein andha tha jo kuch dekh nahi paaya. Ab se nahi karunga.
Nidhi do qadam peeche ko hui aur usne Veer ko dekh bas halke se haami bhari. Veer ne wapas se uss ladke ko uthaya aur Jacky ko thama diya.
Veer : Leave now!!
Jacky apni gang ke saath hadbada ke bhaaga aur jaate jaate usne sabhi teachers aur Principal se bhi maafi maangi. Sabhi apni apni bikes par sawaar college se baahar nikal gaye.
Jacky ke chehre par abhi bhi paseena tha. Uske ek chele ne raaste me uss se pucha,
Ladka : Bhai! A-Aapne uss ladke ke saamne haath kyu jode? Aapko aisa karte pehli baar dekh raha hu.
Jacky : Abey! Madarchodo!! Kyuki-
Ladka : Kyuki?
Jacky (frowns) : Kyuki woh mere boss ke boss ka boss tha...!!!!
Ladka : Huhhhh??!
Balhaar!!! Balhaar ka right hand man tha ~ Teeka!!!
Aur Teeka hi Jacky ka boss tha. Jacky ko sab yaad aa gaya tha. Veer hi toh tha jo ek baar Balhaar ke paas aaya tha. Woh yaad aate hi uski gaand sikud ke reh gayi thi.
Teeka Jacky ka boss tha. Aur Balhaar Teeka ka boss. Magar-!!!
Veer Balhaar ke bhi upar tha. Woh Balhaar ka boss tha. Jab Mumbai ka itna bada Gunda ek ladke ke neeche kaam kare, iska matlab kya tha?
Par inn bechaaro ko kya pata tha ki Balhaar ko uska singhaasan hi Veer ne diya tha. Aatish aur Slogan ko thikaane lagaane ke baad hi toh Balhaar ko Mumbai ka Don kehlaane ka haq mil paaya tha.
Jacky : Suno! Tum sab!! Unke jitne bhi parivaar waale dost sanghi log hai. Sabke naam note kar lo aur tasveere yaad kar lo. Agli baar se koi bhi unme se kahi dikhe. Bas, zameen par lot jaana aur sewa karne lagna. Aur agar zindagi pyaari nahi toh jo marzi aaye woh karo.
Ladka (gulps) : J-Jii boss!
***
Idhar college me police pohuch chuki thi. Par tab tak sab kuch settle ho chuka tha. Veer police aur Principal ke sang araam se baato me laga hua tha.
Magar, do log the jinki dhadkane behad tez thi. Pehli toh thi Nidhi swayam. Aur dusri thi ~ Kavya!!!
Peeche se Veer ki aakriti dekh Nidhi ka dil zorro se dhadak raha tha. Ye ladko waale kaam nahi the. Ye mardo waale kaam the. Jis tarah usne saamne khade hoke ek bhi ladke ko unki orr aane nahi diya. Ye sab kiska prateek tha? Mardaangi ka! Himmat ka! Bahaduri ka!
Jis tarah uske baare me gandi soch rakhne waale uss ladko ko Veer ne uske qadmo par giraya. Aur baad me usne maafi maangi. Kya Rajat ne uske liye aisa kabhi kiya tha? Balki, woh toh khud darinda tha.
Toh wahi dusri orr, Kavya jise action behad pasand tha, uss bechari ki dhadkane bhi train ki raftaar ke maafiq tez chal rahi thi. Shuru se hi use movies ki maar dhaad pasand thi. Lekin, ye sab tabhi pasand aata tha jab ek hero dushmano se ladd ke jeet raha ho. Aaj usne ye dusri baar apni zindagi me dekha tha.
Pehli baar Veer ko Harikiran ke aadmiyo se bhidte dekha tha. Aur ab ye...!
Use pata hi nahi chala kab uske perr apne aap aage badh gaye aur woh jaake Veer se peeche se lipat gayi.
Veer : Hmm? Kya hua?
Parantu, Kavya toh kuch bhi nahi bolna chaahti thi. Uski saansein behad tezz thi. Veer ki kuch derr pehle ki baat use yaad aa gayi.
'Don't worry! Mein hu na!'
Matlab woh vaakya sach tha. Agar uske bhaiya saath hai toh kabhi koi dikkat nahi aa sakti. Kavya ko ab ye vishvaas ho chuka tha.
Kavya ko leke woh wapas Nidhi ki orr aaya.
Veer : Kya ab bhi aap mere saath nahi jaana chaahengi?
Iss baar Nidhi ka virodh poori tarah se khatam ho gaya.
Nidhi : M-Magar ye scooty-!?
Kritika : Ohh no!!! Meri bus chooth gayi!
Veer (smiles) : Ye lo! Ho gaya jugaad! Kritika?
Kritika : Hmm?
Veer : Ma'am ki scooty leke unke ghar tak chal dogi? Waha se mein tumhe drop kar dunga.
Kritika : Ohh! Why not? Thank you Bhaiya!
Veer : Don't mention it!
Kavya : Ye kya bhaiya? Mene toh socha aaj aap ke saath lapak ke bike pe baith jaungi aur aapke ghar chal dungi. Fir wahi so jaungi. Par aapne-
Veer : Kavya! Seedhe seedhe batao! Agar ek taraf Bhabhi aur tumhari Badi Tai ji ke haath ka bana lazeez khana rakha ho aur ek taraf mein rahu. Toh tum pehle kiske paas jaogi?
Kavya : Nooooo~ Ye toh bohut tough question hai. Ahem!! Surely, I love you!!!B-But-! P-Pehle woh kha lungi. Lekin, f-fir aapke paas aa jaungi.
*Pffffftttt~*
Nidhi ne jab ye suna toh woh apni hasi ko rok na paayi. Ye dono Bhai behan bade hi vichitr the.
Veer : See! Mujhe pata hi tha-! Then, Arohi dii ke saath kyu nahi chali jaati? Fir jitna thoosna hai tum thoos sakti ho.
Kavya : Use thoosna nahi kehteeee!!!! Hmph~ Use etiquettes ke saath properly khaana kehte hai. Samjhe na aap?
Veer : Right! Right! Two sandwiches in both hands. Etiquettes! Right!!! *nods* Hmm! Hmm!
Kavya (blushes) : Nohooo~ Kisne kaha aapko ye batane ke liye.
Veer : Go now! Wese bhi mein ghar par nahi jaunga. Aur kuch din ab Nidhi ma'am ke ghar par hi rahunga.
Usne jaise hi ye bola, Nidhi ko aisa laga usne sahi se suna nahi. Par jab firse gaur kiya toh uski aankhein aashcharya me fel gayi aur shaant dhadkane fir tezz ho gayi. Kya kaha usne? Woh uske ghar rahega? Matlab firse wahi sab-!!?
Woh Veer ko peeche se kasi hui bauho se dekhi. Seena zorro se upar neeche ho raha tha.
Kavya : What? Aap Nidhi ma'am ke yaha? Kyu?
Veer : Kuch zaroori kaam hai. Baad me bataunga! Jao ab!
Kavya : Hmph ~ Fine! Dii! Chalo! Bhabhi ke haath ka mast dinner karenge aaj.
Woh koodate phaandte hue Arohi ki scooty ki orr nikal gayi aur idhar Arohi bhi jaane ki taiyaari karne lagi.
Arohi : Th-Then-! I'll take my leave as well!
Veer (nods) : Hmm!
Arohi : Take care Veer! Good day! Ma'am!
Nidhi (smiles) : Mmm!
Sab kuch shaant hote hi, Veer Nidhi aur Kritika ke sang uske ghar ki orr chal diya. Aaj punaah uski bike par uske peeche baith Nidhi ka dil bilkul bhi shaant nahi tha.
Ajeeb si ek bechaini ho rahi thi use.
Kritika ko uske ghar drop karne ke baad jab Veer Nidhi ke Ghar aaya. Toh abhi woh darwaaze par hi tha jab uske mann me-
[My my~ Finally!!!]
Ek behad hi uttejit kar dene waali awaaz uske andar goonji.
'Huh!!??'
[Hmm? Such polluted air. So weak... Hmm!!! Ohhh!??? Oh my!!! Am I going to serve you? What should I call you? Master? Or.... My little sugar baby??]
'What!??'
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
This update consists of 5.7k words. Update deri se dene ke liye maafi chahta hu magar halaat hi kuch aise the. Update late kyu aaya uska kaaran aapko aage comments me pata chal jayega. Baaki, like thokne ka aur revos rakhna ka. Target apna wahi hai guys. 150. Keep supporting.
Dhanyavaad.![]()